update. 155
gurudev ......maa aapse is bhraman me kuch chupa hai kya jo aap mere man ki sthiti ko nahi jaan sakti
maa mahakali gurudev ko ek moli ka dhaga deti hai
maa ......putra tumhare man me jo sanshay hai uska samadhan ye hai putra yagya se purva is moli ko sabki kanyao ke hath me ban dena jiska moli laal se sawet ho wo putra surya ke jivan sangini hogi ushe yagya me aahuti dene ka adikar hoga kinut kisi ko bhi is satya ka gyaan ho ho putri kiran our surya ko bhi nahi samay aane pe swayam niyati unhe putra surya ke jivan me unka sthan dengi
gurudev .....jo aapka adesh maata
maa mahakali our parbhu mahakal gurudev surya kiran ke sath sath sabko aashirwad de antardhyaan ho gaye....... ......
Ab aaghe .......
gurudev ......rishi durva aapse anurodh hai ki aap is yagya ko sampan kre
rishi durva ......kintu ye kaise sambhav hai rajguru surya aapka shishyaa hai fir ham kaise
gurudev ......wo aapka bhi shishyaa hai rishi durva guru sadhev apne shishyaa ko uchit gyaan ke sath sath uchit marg bhi dikhata hai our kathin samay me uski shantta bhi karta hai aap sabhi rishiyo ne surya ki hamilya me shayta kar ye sabit bhi kar diya hai atha aapse nevedan hai ki is yagya ki aahuti aap de our yagya ka subhaaaram kre
rishi durva .......uchit hai rajguru aapne ye saman hame diya hai is saman ko ham sabhi rishi aapko jayest guru bhai maan kar saharsh swikar karte hai
gurudev .......ab yagya aaram kre rishi durva
rishi durva 5 rishiyo ko sath le yagya aarambh karte hai
wahi gurudev maa mahakali se prapt divya moli kiran sapna parijat jinisha payal preeti alina radha komal jinat mansi ko band dete hai
( gurudev ......kya putri ridhi ko bhi maa dwari di moli ko bandhna chaiye our putri merry ke vishya me ham maa mahakali per he chodh dete hai )
gurudev apni putri ridhi our merry ji ke hath me bhi moli band dete hai
Rishi durva ......putra surya putri kiran aap dono yaha asan garhan kro
surya our kiran dono rishi deuva ke btaye sthan pe beth jate hai
rishi durva jaise jaise mantro uccharan ke sath kiran our surya se yagya me aahuti salwa rahe the waise waise kiran our surya ke sarir se nikli adrishya urja yagya me samahit ho rahi thi
rishi durva ......putri kiran ab aap yagya ko parnam kar uth sakti hai
kiran ....ji rishivar
kiran yagya ko parnam kar yagya vidhi se hat jati hai
gurudev .......putri parijaat ab tum jao our yagya me aahuti dalo
parijat gurudev ke aadesh pe surya ke bagal me jaha pahle kiran the waha aa kar beth jati hai kuch der baad parijaat ke sarir se white urja nikal kar yagya me samahit ho jati hai
aise he jinisha ke sath hota hai uske paschat jinat dwara bhi yagya me aahuti di jati hai jiske sarir se read urja nikalti hai our yagya me samahit ho jati hai
gurudev ......putri mansi ab tum ja kar yagya me aahuti do
mansi .....ji gurudev
mansi khushi khushi yagya me aahuti deti hai jis se surya ke sarir se red urja nikal kar yagya me samahit ho jati hai fir ushi yagya se mansi me ( ye mansi ki he urja sakti thi jo ushe wapish mili thi )
gurudev .......putri komal ab aap jao
Jaise he komal yagya ki our bhadti hai naglok me halchal hone lagti komalangi dwara arpit nagamani shivlinga se nikal kar gayab ho jati hai
isdar jaise he komal ne pahli aahuti yagya me surya ke sath di waise pure mahakal mandir me aankhe chudiya dene wali roshni pure mandir me fail jati hai jo deree dere komal ke sarir me samahit ho jati hai
nagraj veer .....gurudev ye to wahi
gurudev .......ha nagraj mahaveer ye wahi nagamani hai jo rajkumaari komalangi ne parbu mahadev ko arpit ki thi kintu ye pahle se adik sakti sampan hai putri komal ko mahadev ke ashirwad se fir se nagamani mil chuki hai
komal ke sarir se kuch urja nikal kar yagya me samahit ho jane ke baad radha ko bhej he rahe the ki ridhi ke hath me bandhe moli dhaghe pe gurudev ki sristi achanak se padti hai
(gurudev .......kya meri putri ridhi ka jivan chakra bhi surya se juda hua hai ya fir ye kisi our ghatana ka sanket hai kintu ye divya moli to maa ne mujhe ishe liya diya taki surya se jude sabhi yagya me aahuti de sake )
gurudev .....putri ridhi ab aap yagya me surya ke sath bhet jao putri
ridhi .....per pita ji main kaise
gurudev ........putri main nahi janta kintu tumhe yagya me aahuti pardan karni hogi ab jao our yagya me putra surya ke sath yagya aahuti do
ridhi .....jo aagya pita shree
ridhi surya ke sath beth yagya me aahuti dene lagti hai
(ridhi .....pita shree ne mujhe inke sath yagya me bethne ko kyu kaha jabki is yagya me wahi beth sakti hai jinka jivan chakra kisi rup me inke sath juda hai
khi mera bhi jivan chakra in se to nahi juda hai jab se inka wo divya rup dekha hai main inpe mohit ho rahu hu jaise inke bina jivan jina nirarthak hai
he mahakal ab mera jivan aapke he aashirwad pe nirbhar karta hai main nahi janti main inse prem karti hun ya ye kuch our hai )
ridhi hhushi khushi yagya aahuti dal apne sthan pe chali jati hai
uski paschat radha sapna payal preeti alina
Surya ke sath yagya me aahuti deti hai jis yagya se urja nikal in sabke sarir me samahit ho jati hai
rishi durva .....rajguru kya koi anya bhi hai jinhe aahuti pardan karni hai yagya me
( merry ji ........kya mujhe bhi yagya me aahuti dalne ka awasar milega )
gurudev ......rishi durva sabhi ne yagya me aahuti de di hai
rishi durva .......nahi rajguru abhi bhi koi bacha hai jiski aahuti ke bina yagya sampan nahi ho sakta hai
kiran ......main janti hun wo kon hai gurudev merry ji hai jinki aahuti ke baad he yagya sampan hoga
Gurudev merry ke hath me bandhe moli ko dekhte hai jiska rang pila tha
( gurudev .....putri merry ka moli na safed hai na laal fir putri merry ko yagya aahuti dene ka matlab
Kiran ......gurudev merry ji wo hai jinhone surya ko nar nari ke pratham milan ka gyaan wah sukh diya hai inki aahuti ke bina yagya purnat prapt nahi krega
Gurudev ......kya tum is satya ko pahle se janti ho putri
kiran ......ji gurudev merry ji ka parilok me hone ka mukhya karan he yahi hai
gurudev ......uchit hai putri )
Gurudev ........putri merry tumhe bhi yagya me aahuti dene hogi putra surya ke sath
dadi ji .......jao beti merry gurudev jo kah rahe hai wahi kro
merry ji kuch ashaj thi iin sabko le kar ke kyuki merry ji ko le kar gurudev ko sanshay tha jabki kisi our ke waqt koi shanshay nahi tha
surya ......merry ji apne man se sabhi soch ko nikal dijiye our sache man se yagya me aahuti dijiye
merry ji gardan ha me hila kar surya ke sath yagya aahuti dalti hai kuch samay baad yagya se ek urja nikal merry ji ke sarir me jane lagti hai jis se merry ki aankhe band ho jati hai
jishe dekh surya kiran dono ke honto pe muskan aa jati hai wahi gurudev thode chintit lag rahe the
jaise merry ji yagya vedhi se uthi yagya ne apne sanket de diye ki yagya sampan hua
rishi durva .....rajgiri yagya sampan hua
Putra surya yagya urja ko daran karne ko saj ho putra
surya ......ji gurudev
surya yagya ke samne hath jodh apne aankhe band kar leta hai
tabhi yagya se tej parkash punj nikal kar surya ke mastikah ke madya bhag me samahit hone lagta hai
parkash punj se nikal rahi roshni ko kuch he log thoda bhut dekh pa rahe the jaise ki kiran rani pari gurudev j.king pretraj .nagraj veer our rishi durva parijat jinnat ridhi jinisha komal
Kuch der baad jab roshni kam hui to sabhi ki sristi surya ke is divya tejaab rup pe he aatak gai thi
Is waqt surya ko jo bhi dekhta us se apne najre he nahi hata pa raha tha
Kiran .....wow meri jaan kya lag rahe ho agar aise he aap is rup me rahe to yaha baki ladkiyo kya hoga ladkiya chodhiye baki sadi sudhaar hai unki kya halat ho rahi hai
Kiran jaldi se aaghe bhadh surya ka hath tham leti hai jis se surya ki aankhe khul jati hai
surya jab samne sabko dekhta hai to sabhi ushe he pyaar se dekh rahi thi
Kiran ....apni sammohan sakti ko rokiye warna sadi ki list bhade na badhe aapki prem diwaniyo ki list jarur bhadh jayegi
Surya muskura kar kiran ko dekhta hai surya ki muskurahat se to swayam kiran bhi nahi bach pati hai
Kiran ......bhut khubasurat hai aapki muskuraahat......
per aap muskurate bhut kam ho ......
chahte hai yuhi muskurate hue dekhe ham aapko ......
per aap to eid ke chand hai jo najar he kam aate ho.........
surya apni palke japka kar apni sammohan sakti ko band karta hai per fir se surya ka tej aaj pahle ke mukaable kaffi bhadh chuka tha
Gurudev ......ab aap sabhi aa kar yagya me aahuti de sakti hai
gurudev ke kahne ke baad sabhi bade yagya me aahuti deti hai jaha surya ko fir menka ji ke sath aahuti deni padti hai our rani pari ke sath bhi
subha se chale is mahakal buja dophar tak chalti hai
rani pari .......mahakal puja me samilit sabhi mahakal bhaktgano se aagrah hai ki wo sabki mahakal ka parshad garhan karne ke baad he apne lok ke liye nikle
gurudev ......aap sab mahal chaliye
Surya ......gurudev ham sabhi bhi in sabke bich in sabhi ke sath yahi mahakal ka parshad garhan kre
mahakal ki najro me sab ek saman hai fir ham parimahal me parshad garhan kre ye uchit nahi
rishi durva .....satya vachan putra surya mahakal apne bakto me kabhi bhed bhav nahi karte unke samne kya raja kya rank sab ek saman hai sab unki iccha ke adin hai
surya ke pariwar ke sath sath nagraj veer ka parivar pretraj j.king our baki sabhi wahi mahakal ke parshad rupi bhojan kar mahakal ko parnam kar pari mahal lout aate hai
Gurudev ........putra surya putri kiran hame aapse kuch vishesh charcha karni hai
surya kiran .....ji gurudev.
surya kiran gurudev ke sath ek kaksh ki our nikal jate hai
gurudev .......putri kiran kya tum putri merry ke vishya me janti thi
kiran ......ji gurudev inhone mujhe sab satya bta diya tha
surya ......kintu aap kuch vichlit dikhai de rahe hai gurudev
gurudev ......ha putra ham chintit hai kyuki putri merry ka vivaah tumse nahi ho sakta hai fir yagya ne putri merry ki aahuti kyu swikar ki ham ye samaj nahi pa rahe hai
kiran .....gurudev aapki chinta way arth hai kyuki yagya me merry ji dwara di gai aahuti anivarya thi
kyuki unhone apna komarya surya ko prem swarup bhet kiya tha
wo pahli kanya thi jinhone surya ko sristi srijan ka gyaan diya hai is yagya ne unhe ushi tyaag our prem ka puruskaar diya hai
bhale he unka vivaah na ho surya se kintu inke sambandh bhavishya me bhi bante rahenge jab tak in dono ki iccha hogi inke bich prem hoga na ki hawash tab tak in dono ka milan hota rahega
gurudev .......fir to tumhe ye bhi pta hoga putri ki putri merry ko yagya sw kya sakti prapt hui hai
kiran .....pta hai gurudev wo sakti koi our nahi unhe saririk our mansik bal vriddhi sakti mili hai
gurudev ......uchit hai putri ham vayarth he chintit ho rahe the
kuch ded baad surya kiran gurudev teeno kaksh se bahar nikalte hai
shalini ji rekha ji santi ji priya ji menka purvi nani ji dadi ji rani pari
sabhi ek kaksh me bethe aaj ke he bare me charcha kar rahe the
rani pari ......shalini ji fir aaj aapne apne bete ki hone wali sabhi jivan sanginiyo se praachya kar liya
shalini ji .....mujhe to kuch samaj nahi aa raha hai unme se kon surya ki hone wali patni thi our kon nahi
rani pari ......ham pura satya to nahi jante hai per itna jagir jante hai jitni bhi kanya yagya me aahuti di unme se lagbhag sabhi ka vivaah surya se hoga
rekha ji ......mujhe koi farak nahi padta ki mere bete ki kitni patniyaan hongi kyuki main janti hun surya un sab ka acche se khayal rakhega kyuki wo sabhi se prem karta hai
menka .......aapko kuch jyada he pta hai bhabi
rekha ji .......kyu tum bhi to uske prem ko mehsush kar chuki ho pichle janam me
shalini ji .....kya matlab didi aapka
rekha ji .....tum bhul gai kya radha dwara mile shraap ka sikar pahli yahi thi
menka ji ......kya bhai aap bhi kaha ki baat kaha le kar ja rahi ho
priya ji .....maine aapse kaha tha na shalu ki surya sapna kiran ke bich kuch to tista hai
ab pta chala ki wo dono to pahle se he uski hai
our sapna ke papa ne to pahle he kah diya tha ki wo apni dono betiyon ki khushi ke bich kisi ko nahi aane denge
menka ji ......dekho main nahi janti ki aap sab kya sochti hai our kya nahi per main apni betiyon ki sadi surya ss karungi fir chaiye koi kuch bhi kahe
shalini ji ........thik hai fir mujhe kya etraj hoga meri sabhi bachaaya hamesha mere sath rahengi our kya chaiye mujhe
wahi dusre kaksh me dada ji nana ji mahendra shiv sanjay jorawar gurudev j.king pretraj nagraj mahaveer bhi ishi charcha me lage hue the
n.veer ....... aap sabse ek nevedan hai ki putri komal ka vivaah naglok se ho
dada ji ......maharaj mahaveer ......
n.veer ........aap is janam me meri putri ke dada shree hai is nate aap mere pita tulya hue aap mujhe beta ya veer kah kar sambodhit kre to mujhe bhi accha lagega
dadi ji ......thik hai beta veer jaisa ki aapne kaha ki aap komal beti ka vivaah naglok me karna chahte hai iska faisla keval mahendra our beti rekha he kar sakti hai bhale he wo aapki bhi putri hai per janam ushe rekha beti ne diya hai
mahendra ......aap kya kahte hai pita ji bauji
Dada ji .....beta tum bhi komal ke pita ho our veer bhi mera to yahi manna hai tum dono he komal ka kanyadan kar komal ka hath surya ko sonp do
mahendra .....thik hai papa fir komal our priya ka vivaah naglok me hoga ek he din jaha main our veer bhai saa dono ka kanyadan krenge
nana ji ......ye bhut accha kiye beta mahendra is se komal our alina ko 2 ,2 maa ke sath 2 ,2 pita ka aashirwad bhi milega
jorawar .....per main chahta hun ki kiran our sapna ka vivaah surajgarh se ho
nana ji .....jaisa tum chahte ho wo ho sakta hai beta kyuki ....
gurudev .......ye sambhav nahi hai
Kyuki sabse pahle kiran our surya ka vivaah hoga thik uske baad jinisha parijat our jinnat ka vivaah hoga uske baad he komal putri ka vivaah hoga uske baad baki sab ka
Dada ji ......fir aap he bataiye ki kya kre
gurudev ........kal surya kiran our mansi putri apne safar pe nikal rahe hai unke lautne pe putri kiran ka vivaah hoga tabhi aap sabhi ko aapki putriyo ke vivaah ki samay btaya jayega
Jorawar .....kya itni jaldi sweety ka vivaah
gurudev ........samay ki chal ko samjo putra jorawar tum abhi bhi nahi jante ho ki putri kiran our surya ka janam kyu hua hai
jorawar ......aisa kya rahashya hai unke janam ke piche
gurudev .......surya our kiran janam asurraj narkasur ke vardaan faalsavrup hua hai
narkasur ne kathor tap kar mahakal se se vardan prapt kiya us vardaan se narkasur bhut sakti sali ho gaya usne usne apne he asurraj ka chal purvak vadh kar asurlok ke singhasana pe kabij ho gaya
deree deree usne anya loko pe bhi aakarman kar nirdosh jivo ko pratadit karname suru kar diya usne apne name ke anusar he jis lok se gujarata waha keval narak jaisa drushya piche rah jata
charo taraf narkasur ne hatyachaar duracharan ka samrajya faila diya tha
aneko baar devo se bhu uska youdh hua kintu na dev pranit hue our na asur kyuki narkasur apne vardaan ke chalte surakshit tha per devo ki sakti se se har youdh ke baad ushe apni sakriya pane hetu kanyao ki bali dene padti thi ant me mahakal ki iccha se us vardaan ke toud ke rup me surya our kiran ka janam hua
gurudev ......shiv kya tum jante ho kiran putri pichle janam me tumhari putri thi
shiv .....kya ye aap kya kah rahe hai
Mahendra ji ....gurudev sach kah rahe hai shiv kiran tumhari he beti thi
shiv .....per shalini to mar chuki thi
mahendra ji .....shalini se nahi tumhari dusri patni se
shiv .....per mujhe kuch yaad kyu nahi hai
gurudev ......kyuki niyati nahi chahti tumhe ya kisi our ko iska gyaan ho ki tumhari dusri patni kon thi ...........
update posted friends ............
Read and enjoy friends.................