- 38,090
- 53,592
- 304
Bindass puch lene ka bhaiSorry bhai aaj se update aayega..
Bindass puch lene ka bhaiSorry bhai aaj se update aayega..
Thanku madam jiek baat to hai.. gaon mein jo apna pan dekhne ko milte hai wo aur kaha dekhne ko mile..
Btw Every word of the story like the first rain drops. While reading, I started to feel that I am connected with every character. Perhaps it is the magic of your writing. Keep writing like this and keep us entertained through your stylus.
Brilliant update with awesome writing skills writer sahab
nice introEk ek kalpnik kahani hain ...
Kahani suru hoti hain ek chote se gaon se jo bihar ke Xxxx district mein hain or kafi chota gaon hain aur kafi khushal gaon hain jaisa sabhi gaon mein hota hain wo sabkuch wahan bhi tha ek dusre se jalna aur bhi sabhi tarah ki ..
Intro;
Sambhu singh- hero ke father kafi jayada age mein shadi hui abhi 65 ke hain .ek Kishan hai kehne ke liye nahin to bahot bigde hue apni sabhi jamin jayedad bech di aur daaru jue ke saukin.
Sanju singh- mother is tym 46 ki hain ek house wife.
Ritesh singh- hero age 25 saal ..abhi ye ek company mein normal job kar rahe hain ekdum mehnati ladka...
Beauty singh- sister inka age abhi 20 saal hai. Ye padhai kar rahi hain dono bhai behen ke beech 5 saal ka antar hain ..
Sarmila singh - bua age 62 ye bhi ek house wife ( inke husband gujar chuke hain ) ..
Inka bhi do beti aur ek beta hain ..jinka kahani mein jayada role nahin hain isliye unka intro nahin de raha huun..
Hero ka nani ghar..
Hero ke nana - Sri vir bhan singh - ye bhi ek company mein kaam karte the abhi retired hue hai.
Nani ma - Jyotsna devi ye ek house wife hain .. inke bhi 4 ladki aur ek ladka hain ..
Hero ke 3 mausi ek mama hain unka intro kahani ke saath
good updateUpdate 1
Kahani suru karte hain ek aurat abhi room mein bahot jod se tarap rahi hain sabhi teen char aurte usko bahot kas ke pakad ke rakhe hain (ye 95 ke aas paas ka tym hain us time jayadatar bache ghar mein heen paida hote the ) wo aurat kafi jod se chilla rahi hain usi tym ek bache ki kilkari gunj uthti hain ...aur usi tym janm hota hain hamare cute se hero ka jo apni bua ke ghar paida hua hain sabhi log bahot khush the us ghar mein kyunki unke bua ka ghar bana tha uske baad ye pehla ladka th jo us ghar mein janm liya tha ..(aisa nahin hain jo ladka janm nahin liya tha bua ka jo beta tha wo hero se 15 saal bada tha but wo bua ke purane ghar mein paida hua tha ) aate hain kahani ki aur us ghar mein sabhi log bahot khush the ...ladke ka baap us tym bhi nashe mein dhut tha ...aur wo insabse bekhbar sirf itna pata tha ki ek ladka uske ghar janm liya hain ye khabar hero ke nani ghar chithi dwara bheji gayi wahan bhi chithi padke sabhi log bahot khush hue kyunki unke ghar ka us generation ka wo pehla ladka tha hero ke nani ghar mein sabhi ke yaha jelebi banti gayi ...aur usi tym hero ke nani ghar se chithi bheja gaya ki jitna jaldi hosake unke nati ko unke yahan laya jayen...( Yahan se main story ko direct hero ko uske nani ghar bhej raha huun kyunki us tym gaon ye sab mein itna naamkaran ye sab ka jayada kuch nahin tha isliye main direct story ko uske nani ghar le ja raha huun )..
Aise heen 2 mahine beet gayen aur hero ke nana aayen train se hero ko le jane ke liye unhone hero ko apni goad mein liya usko sone ka chain pehnake aur wo log dusre heen din nikal gayen bokaro ke liye ( ye hero ka nani ghar hain) hero ki maa ,hero ,aur uske nana gayen wo log saam ko nikle kyunki train raat ki thi Patna se isliye aur agle heen din wo log pahoch gayen bokaro wahin se dhumdham se hero ki entry hui ek dum baaje waaje ke saath wahan bhi sabhi hero ke saath bahot khush the khash kar hero ke masi ki ladki jo hero se 2 saal badi thi usko to uska khilona mil gaya tha wo dinbhar uske saath rehti wo hero ko apne nanhe haatho se leti aise heen karke hero ek saal ka ho gaya aur hero ab chalne bhi laga tha wo ek bahot heen cute aur masoom sa tha bole to golu molu uske 1 saal hone ke baad hero gaon chala aaya.. aise heen karte karte time nikalta gaya ....hero study ke liye nani ghar chala gaya ...
Aage ki story next part mein wahan se kahani proper tarike se suru hogi ..I know aap logo ko mere lekhni mein maja nahin aayega iske liye main mafi mangta huun but new huun dheere dheere patri pe aa jaunga..
very nice updateupdate 2
Hero abhi 12 saal ko ho gaya hain wo abhi ninth mein hain to usi tym hero ki dadi death kar jati hain jiske wajah se hero ko uske nani ghar se aana pad jata hain to hero jab apne gaon aata hain us tym hero atractive ho gaya tha utna acha nahin tha hero but thik thak tha to hero gaon pahocha us tym hero ke papa delhi mein the aur hero ke bade papa ahemdabad mein the to dono kuch karan se nahin aa payen agni dene ke liye so majburan gaon walo ne paute ko aag dene ke liye kaha to hero heen apni dadi ko agni diya .... Hero ke dadi ka pura shraadh tha wo kiya gaya aur uske baad se hero apne gaon mein heen rehne laga .... Uska admission gaon se 4 km durr ke school mein karwaya gaya kyunki unke gaon mein sirf 5 tak ka heen school tha ..ab hero gaon to aa gaya but yahan usko nani ghar jaisa nahin mil pa raha tha kyunki yahan paiso ki tangi kafi thi uske papa kahin bhi kaam par tik nahin rahe the jo bhi jamin thi usme kafi saare unhone bech diya tha ya girwi rakh diya tha...aur khud jahan kamane jate wahan se kuchek rupya bhejte..to aisi uske ghar ki halat thi apna hero ko khet ka kaam bhi nahin karna aata but kehte hain na aadmi kuch bhi kar sakta hain to apna hero bhi karne laga tha waise hero ko uske nani ghar jane ka fayeda mila tha ki uska English kafi achi ho gayin thi kyunki gaon mein 6 th ke baad se English suru hota tha aur apne hero ko English likhna aur bolna bhi aata tha ...ab hero ke admission ke baad school jane ki bari aayi to hero ke paas kuch nahin tha cycle nahin tha aksar wahan ke sabhi ladke ladki paidal school jate the...to apna hero abhi nani ghar se aaya tha to uske jaan pehchan ka koi nahin tha gaon ka to ye chiz apni maa se bolta hain...( Yahan gaon mein gaon ki bhasha ka use hota hain but main usko hindi mein likh raha huun agar aapko gaon ki language mein chahiye to plzz bataiyega..)
Hero - maa main yahan kisi ko janta nahin abhi main kisi se mila bhi nahin huun to jaise jaunga...school utna duur..
Maa- koi baat nahin chal main tumko sabse milwa deti huun..
( Gaon mein hero ke apni Patidar mins jo unke 7 pust wale the sabhi ka ghar ek line mein tha..yahan hero ke dost logo ko entry hogi jisme bahot se honge but 5 ekdum khash hone main sirf unke bare mein bata deta huu .. baki sabka naam aate rahega ..Sonu, Vikki , abhilekh( ajay),jhunjhun ( santosh) isko sabhi jhunjhun bolte hain kyunki gaon mein ek dhaga bandha jata hain ladko ko unke kamar ke paas isme jhunjhun ka dhage mein jhunjhuna tha jo always bajta rehta tha. .isliye sabhi usko jhunjhun bulate the isme Sonu aur abhilekh hero ke saath the aur dono junior the but isme sabhi ek heen age ke the..)
To hero ki mummy hero ko leke uske chachi ghar pahuchi jo Sonu aur abhilekh ka tha dono chachere bhai the..isme hero ki mummy sabse badi thi relation mein but age mein uske sabhi chachi se choti thi but gaon mein age nahin rista ko aage rakha jata hain isliye sabhi log jitni bhi chachi thi ya chacha the sabhi hero ki maa ke paon chute the..
Aage ka next bhaag mein kripya kar ye bataiyega ki aapko mere village ke language mein chahiye ya hindi mein..