- 5,758
- 13,139
- 189
Index Updated.Index 3
Update 37
Update 38
Update 39
Update 40
Update 41
Update 42
Update 43
Update 44
Update 45
Update 46
Update 47
Update 48
Update 49
Update 50
Update 51
Update 52
Update 53
Update 54
Update 55
Update 56
Update 57
Update 58
Update 59
Update 60
Update 61
Update 62
Update 63
Update 64
Update 65
Update 66
Update 67
Update 68
Update 69
Update 70
Update 71
Update 72
Update 73
Update 74
Update 75
Update 76
Update 77
Update 78
Update 79
Update 80
Update 81
Update 82
Update 83
Update 84
Update 85
Update 86
Update 87
Update 88
Update 89
Update 90
Update 91
Update 92
Update 93
Update 94
Update 95
Update 96
Update 97
Update 98
Update 99
Update 100
Update 101
Update 102
Update 103
Update 104
Update 105
Update 106
Update 107
Update 108
Update 109
Update 110
Update 111
UPDATE 111
Agli subah jab Sumit fresh ho kar clinic mein baitha hi tha ki kuch dur se ek shakhs aata hua dikha...Thoda jaana pehchaana tha.
Sumit ki najar uss par hi tik gaya...Jab wo thoda aur paas aaya to uss shakhs ka chehra aur saaf hone laga...Usse pehchaante hi thoda hairaani bhi hua.
Sumit:- (To himself) Ye yaha kyu aaya?
Shakhs:- Kaise ho bhaiya aap?
Aaj uss shakhs ki aawaj mein apne liye ijjat dekh Sumit ki hairaani badhne laga.
Sumit:- Thik hu Aarav...Tu bata...Yaha kaise?
Kahi koi Dada ji ke time se koi property ka paper sign karane to nahi aaya?
Aarav:- Kya aapke najar me abb mai itna nalaayak ho gaya hu?
Sumit:- Sach kahu to tere baare mein koi idea nahi hai...Kabhi tujhse dhang se baat hua bhi nahi hai aur naa hi tere baare mein kisi se kuch khaas suna hai.
Tujhe mujhse kabhi matlab raha bhi nahi aur mujhe bhi koi lagaaw hai tujhse.
Sumit ki aawaj mein koi bhaaw nahi tha.
Aarav:- Kya isse badal nahi sakte hai hum?
Sumit:- Kya?
Abb to Sumit puri tarah se hairaan reh gaya.
Sumit:- Agar kuch kaam ho to sidhe sidhe bata? Aise ghuma fira kar nahi.
Aarav:- Sidha hi sunna chaahte hai to suniye...Mujhe aap ki jarurat hai bhaiya?
Ye kehne ke baad Aarav ki aankhein thoda bhing gaya...Sumit ko ajeeb to lag raha tha lekin iss baar wo kuch nahi bola.
Aarav:- Bahut der se hi sahi lekin abb mujhe samajh mein aaya kis cheej ki kami khal raha hai mujhe.
Sumit bas sun raha tha.
Aarav:- Bhaiya ek baat bataiye, aapko kya lagta hai, mera soch aapko le kar kya ho sakta hai?
Sumit:- Pehle bhi keh chuka hun...Koi idea nahi hai tere baare mein...Naa kabhi dhang se baat chit naa kabhi dhang se mulaakaat...Agar kabhi milte bhi thhe aur jab bhi tu badtameezi karta tha waisa hi jawaab de deta tha...Bas isse jyada kuch nahi.
Pichhle kuch saalon mein to tujhse bhul hi gaya tha...Aaj itne dino baad tujhe dekha to thoda hairaani hai ki yaha kya kar raha hai?
Aarav:- Aapse nafrat tha ya nahi ye to pata nahi...Lekin aapse ek chhidh jarur tha jo badhta hi chala gaya...Aur itna badh gaya ki aapko bhaiya ke roop mein naa dekh kar ek competitor ke roop mein dekhne laga.
Sumit:- Aur aaj ekdum se badlaaw aa gaya?
Aarav:- Nahi..Ekdum se nahi...Dhire dhire ho sahi lekin aa hi gaya...Shayad bahut der se.
Abhi tak jitni baatein Aarav ka Sumit ne suna tha usse samajh mein aaya ki Aarav ke man mein bojh hai.
Sumit:- Chal baith.
Itna keh kar Sumit ne ek chair Aarav ki taraf badhaya...Aarav baith gaya.
Sumit:- Chal ab bata.
Aarav:- Paida hone ke baad jab se hosh sambhala hai tab se khud ko kam bolne wala aur shaant hi paaya hai...Aap ko dekhta tha to aap hamesha se overactive thhe...Mujhse thik ulta...Issi liye shayad hamare bich kabhi acche se bana nahi.
Dhire dhire jab bada hone laga..Papa ki parwarish to sahi hi tha lekin ek cheej galat yaa fir sahi nahi tha wo tha Competition ki feeling...Papa ko hamesha ek cheej ka afsosh tha pehle wo hamesha kisi na kisi cheej mein kisi se peeche reh jaate thhe.
Mujhe hamesha sabse aage dekhna chaahte thhe...Har cheej mein har kisi se...Jo wo nahi kar paaye wo mujh mein dekhna chaahte thhe.
Aur jab rishtedaar aapki taarif karte thhe aur kabhi mujhe andekha kar dete thhe to bahut bura lagta tha...Man hi man ek competition suru ho chuka tha...Aapse accha dikhaane ka.
Competition ki suruwaat padhai se hua...Aapse aur baaki bacchon se aage nikalna chaahta tha...Man laga kar padhta tha lekin aap kam padh kar bhi mujhse accha perform karte thhe...Ye hamesha chubhta raha.
Jab bhi mai aapka majaak udaane ki koshish karta sabke saamne aap ulta mera hi majaak udaa dete thhe ... Isse aur bhi jyada dhidhne laga aapse.
Medical mein jab scholarship nahi mila to donation mein hi padh liya socha baad mein aapse accha kar ke dikhaunga.
Jab hum dono MBBS kar rahe thhe aur aapka performance down hua to bahut khushi mila ... Saath hi ek jhatka bhi ... Aapko to koi fark hi nahi padta...Fir mera itna mehnat ka kya?
Dhire dhire aapke upar jo lead ban chuka tha usse badhaane ke liye MS karne mein USA chala gaya.
Bahut khush tha...Socha aapse jeet gaya...Aapse to jeet gaya tha lekin khud se?
Abb khud se haarne laga tha...Sabhi se competition hi to kar raha tha..Lekin khud se? Khud ka hi astitwa bhul gaya tha...Mai kaun hun, kya kar raha hun aur aage kya karunga kuch samajh mein nahi aa raha tha...Frustration itna tha ki kabhi kabhi sawaal karta tha khud se, jee bhi kyu raha hu?
Videsh mein ek khalipan, naa kisi ke saath naa sahara...Mera padhaai to chaupat ho hi gaya, relationship mein problem aaya aur yaha tak ki anti-depressant bhi lene laga?
Jab pareshaani hadd se jyada badh gaya to ek din aise hi internet mein spirituality ne dhyan aakarshan kiya..For samajh mein aaya mere andar kitna lobh, nafrat, aahankar aur irshya bhara hua hai...Dhire dhire hi sahi usse apne andar se hataata gaya...Sukhi rehne ke liye mere jo bade bade sapne thhe jinka koi matlab naji unhe tyaag diya...Jitna tha ussi mein khush rehta...Fir yoga aur meditation ki aadat se wo maanasik shaanti bhi mil gaya.
Jab shaant man se socha tab pata chala aapka koi galti hi nahi tha...Balki kai aise mauka bhi aaya tha jab aapne mujhe samjhaya bhi tha...Lekin mai apne ghamand mein aa kar sab kuch ansunaa kar diya.
Man mein kuch bojh tha...Unn mein se ek aapse maafi maangna bhi hai.
Aur jab waapas aaya to sabse pehle aapke ghar gaya...Aur jab pata chala ki aap yaha iss gaanw mein hai to bina samay nasht kiye yaha aa gaya.
Itna keh kar Aarav chup ho gaya.
Sumit:- Pehle apne ghar jaana chahiye tha tujhe.
Aarav:- Nahi bojh itna tha man mein ki shaanti nahi mil raha tha.
Sumit:- Tere liye kabhi shikayat nahi tha...Haan tujhe utna pasand to nahi karta tha lekin tujhe saamne hi chup kar deta tha...Waise bhi kisi baat ko apne man mein dabaa kar kabhi nahi rakhta hu mai.
Aarav:- Aapne mujhe maaf kar diya na?
Sumit:- Tujhe apna galti dikha wohi bahut hai...Waise bhi sirf ye baat galat lagta tha ki tu bado ke saath bhi badtameez hai...Khair abb ye baat samajh gaya hai to maaf na karne ki sawaal hi nahi aata.
Kuch der ki shaanti ke baad,
Aarav:- Waise aap yaha kya kar rahe hai iss gaanw mein?
Sumit:- Hai ek mission.
Aarav:- Bataiye naa?
Sumit:- Abhi kis cheej ki jaldbaazi hai...Ek puri ki puri kahani hai...Aaram se sunaunga.
Aarav:- Ye clinic aapne yaha kyu khola?
Sumit:- Time pass ke liye.
Aarav:- Matlab?
Sumit:- Kuch hafta aur yaha rehna hai...Jisse milne aaya hun wo hi din bhar gaayab rehti hai to baithe baithe bore ho jaata hun.
Socha kyu na clinic khol lu...Log aayenge to vakt kisi tarah kat jaayega.
Aarav:- Aap surgeon hai, aur surgery ke instruments naa ke barabar hai?
Sumit:- Yaha doctor ban kar thodi na aaya hun...Wo to bas kisi tarah vakt gujaarne ke liye...History aur Examination acche se kar sakta hun...Dawaai ka naam prescribe kar hi sakta hun aur agar laga ki serious beemari hai to refer.
Aarav:- Waise sirf surgical case ya aur bhi?
Sumit:- Sab kuch...MBBS acche se padha tha to baaki department ka bhi accha khaasa knowledge hai.
Aarav:- Surgery se yaad aaya...Ek baat puchna tha aapse.
Sumit:- Puch.
Aarav:- Maine aapko bataya tha ki frustration ki vajah se MS ki padhaai acche se nahi ho paaya.
Theory to accha hai...Lekin surgery sirf thik thaak hi kar paata hun...Wo aapse sikhna tha...Seher bhar aapka taarif sunaa hai...Aapke surgical skills ke baare mein...Jab bhi aap surgery karenge mujhe assist karne ke liye bulaa lijiye...Kuch cases practice karne ke baad acche se sikh jaaunga.
Sumit:- Chal thik hai...Lekin vakt lagega...Abhi alag hi mood mein hun.
Muskuraate hue Sumit ne kaha.
Aarav:- Matlab?
Sumit:- Bataunga...Abhi to puri kahani baaki hai.
Aarav:- Mood se yaad aaya.
Aarav vodka ki bottle bag se nikaalta hai.
Aarav:- Abb manaa mat kijiye...Mai jaanta hun aap peete hai.
Sumit:- Lekin abb chod diya hai.
Aarav:- Aaj to peena hi padega.
Sumit:- Nahi bhai...Nafrat hai mujhe iss cheej se...Pehle bhi tha...Bas dukh ko bhulaane ke liye peeta tha...Nasha ho gayaa iska...Iss vajah se chhod nahi paaya...Aur jab se chhoda hai nafrat aur badh gaya hai.
Tu kya koi bhi bolega to bhi iss cheej ko haath nahi lagaunga.
Aarav:- Thik hai...Company to dijiye...Aapke liye coke hai.
Sumit:- Chal laga.
Fir Aarav do seesha ki glass nikaalta hai...Ek mein vodka aur dusre mein coke.
Tabhi waha Megha aur Anita pahunchti hai.
Cheers karne ke baad Sumit ne ek ghunt peeya hi tha ki...
Megha:- Aadat daal lo...Fir yaadon mein hamesha issi ka sahara lena padega.
Ye sunte hi Sumit Megha ki taraf muskuraate hue dekhta hai aur ek ghoont mein pura glass khaali kar deta hai.
Megha ki aankho mein nafrat tha.
Sumit:- Itni khaas ho kya tum?
Sumit ne aankhein nachaate hue kaha...Jaise wo dikhana chaahta tha ki nashe mein hai wo.
Megha gusse mein munh dusri aur ghuma leti hai.
Aarav:- Ye kaun?
Aarav ko aankh dikhaa kar...
Sumit:- Ijjat se...Bhabhi hai teri.
Aarav:- Megha bhabhi.
Ye sun kar Sumit aur Megha dono hairaan reh gaye.
Sumit:- Tu kaise jaanta hai.
Aarav:- Inhe dekha to nahi tha...Naam jarur pata tha...Aapke baare mein thoda pata karta tha college time mein...Uss vakt suna tha ki aap relationship mein hai Megha ke saath.
Sumit:- Abe khud mujhe nahi pata tha ki mai relationship mein hun...Mere alawa sabhi ko pata tha.
Shayad mujhe bhi pata chal jaana chahiye tha.
Megha ki taraf dekh hanste hue Sumit ne kaha.
Sumit:- Aur Megha...Ye hai Aarav...Tumhara one and only Devar.
Megha:- Mujhe laga tumhari tarah hi ek aur bewda hoga.
Iss baat ka koi jawaab Sumit aur Aarav nahi de paaya.
Sumit:- Megha waise tum itni subah...Mujhe dekhe bina chhain nahi mila kya?
Megha:- Itna faaltu samay nahi hai mere paas...Kuch jaruri baat tha...Issi liye aayi hun.
Sumit:- Accha abb bol bhi do wo 5 jaadui shabd.
Megha bas gusse se Sumit ko dekhti hai.
Are yaar fir suspension ab megha konsa boom phodne wali haiUPDATE 111

Same yrr mujhe bhi pehle to yaad hi nahi aaya mujhe pehle laga shayad Kirti ka wo friend hai jiska sumit ko dikhati hai ke wo usko pasand krti hai phir 2,4 line prhin tab jaa ke yaad aaya ke Sumit babu ke eak chacha bhi hain aur Arav usi ka lrka hai.Bhai 5g ke jamane me 2g ki speed se update de rahe ho. Itne time baad Aarav naam suna to pehle to kuch yaad hi nahi aaya ki ye Aarav aur kaha se aaya fir thoda update ko aage padha to pata chala ki ye Aarav hai kon
Amazing update bhai
Bdiya update champ bhaiUPDATE 111