- 5,758
- 13,146
- 189
UPDATE 55
Shayad Sameer ka luck accha tha uss din kyu ki wo car se aaya tha restaurant me...Agar bike se aata to mushkil bahut badh sakta tha...Shaayad hi koi car lift deta Sameer ko Rajesh ko hospital tak pahunchane me.
Sameer ne bina kuch soche Rajesh ko car ki picche wali seat par acche se rakh kar teji se car ko drive kar ke hospital ki taraf le gaya...Wo jitna jaldi Rajesh ko surakshit tarike se hospital pahuncha sakta tha usne pahuncha diya.
Hospital me pahunchne ke baad usko ek pehchan ka doctor mil gaya..Mr. Sharma bhi ek doctor thhe to Sameer ka doctors se pehchaan hona koi badi baat nahi tha...Bina der kiye Rajesh ko ICU me bheja gaya aur uska treatment ka process suru ho gaya...Police case ki vajah se treatment me koi deri nahi hua.
Andar Rajesh ka treatment chal raha tha aur Sameer ward ke bahar baitha hua tha...Uske chehre me koi bhaaw nahi tha...Andar se wo ekdam dar gaya tha...Aur Rajesh ka aage kya hoga yahi soch kar tension me aa gaya tha...Na jaane kitne bhagwan ko yaad kar liya tha usne...Apna dost ko iss haal me dekh khud par kya gujarta hai ye to sirf wohi jaan sakte hai jinhone ye mehsoos kiya ho.
Kuch pal ke liye to Sameer ko koi hosh hi nahi tha...Dheere dheere uski aankhon se aanshu nikalne laga aur wo khud se hi kehne laga.
Sameer:- (To himself) Maaf karde yaar mujhe...Sab meri hi galti hai...Naa mai tujhse wo sab kehta aur naa hi tu waha se iss tarah nikalta aur naa hi ye sab hota...Lekin yaar yakin kar mera mai tere bhalayi ke liye hi keh raha tha...Mujhe bhi Divya acchi ladki lagti hai...Lekin ye pyar par vishwash nahi raha...Tere liye jarur pray karunga...Pehle tu thik ho jaa aur tera pyar tujhe mil jaaye.
Kuch der tak yun hi Rajesh ke baare me sochne ke baad Sameer ko Rajesh ka parents ka bhi yaad aaya...Abb Sameer ka dar aur badh gaya...Rajesh ke parents ko kaise ye baat bataye ye usko samajh me nahi aa raha tha...Kya gujrega unn par jab unhe apne beta ka iss haal ke baare me pata chalega...Ye soch kar wo bahut dar gaya tha.
Kuch pal aise hi dar aur chinta me gujarne ke baad doctor baahar aa gaye.
Doctor ke baahar aate hi Sameer ekdam se utth kar doctor ke paas gaya aur darte hue puccha.
Sameer:- Doctor abb kaisa hai Rajesh?
Isse jyada Sameer kuch bol nahi paaya...Doctor ne bhi Sameer ka haalat dekh uske kandhe par haath rakhte hue kaha.
Doctor:- Relax Mr. Sharma...Darne ki koi baat nahi hai...Rajesh is out of danger...Jis gaadi ne Rajesh ko thakkar maara tha usne Rajesh ke kammar ma daaye taraf takkar maara tha...Iss vajah se jyaada chot nahi aaya...Sir jameen me takrane ki vajah se bleeding hua tha aur thoda ghaaw kammar me bhi ho gaya hai...Ha agar vakt me na laate to kuch bhi ho sakta tha blood loss hone ki vajah se...Bilkul sahi vakt par laaya usse aur jyada khoon nahi beh paaya...Warna hamaare liye bahut mushkil ho jaata usse bachana.
Sameer ne jaise hi he suna...Wo ekdam se khus ho gaya...Man hi man bhagan ko thanks kaha aur doctor se bola.
Sameer:- Thanks a lot Doctor.
Jyada khushi me Sameer aur bol nahi paaya.
Iske baad Sameer ne Doctor se kuch formal baat kiya aur dawai ke baare me information liya...Doctor ne kaha ki abhi Rajesh ko hosh aaya nahi hai...Kuch ghanto me usse hosh aa jaayega tab wo usse mil sakta hai.
Doctor ke jaane ke baad Sameer ne Rajesh ke parents ko phone lagaya aur hospital me bula kar sab kuch bata diya.
Pehle to wo bahut dar gaye the lekin puri baat sunne ke baad Rajesh ke papa ne kaha.
R. Papa:- Nahi beta...Tumhara koi galti nahi hai...Khud ko doshi mat maano....Mushibat kisi ke saath kahi bhi aa sakta hai...Tumne to accha kiya hai usse sahi vakt par hospital laa kar.
Rajesh ki papa ka baat sun kar Sameer ke dil se thoda bojh kam hua...Wo to dar raha tha ki Sameer ke Papa usse kya kahenge lekin unki baato ne Sameer ko raahat diya.
Kuch pal hi hua tha Sameer ko unse baat karke ki tabhi Shruti ka phone aaya.
Sameer ne na chaahte hue bhi uthaya lekin jaise hi usne phone uthaya Shruti ne jo baat usse bataaya usse sun Sameer ek dam se shocked ho gaya.
Shruti:-Sameer... Rajesh... Rajesh... Rajesh ka accident kiya hai kisi ne jaan bujh kar...Kaha ho tum? Jaldi se hospital pahucho.
Shruti ne haklane aur darne ka naatak karte hue kaha.
Shruti ki baat sun kar Sameer ekdam se shocked ho gaya

Sameer:- Mai yahi hospital me hu...Tum bhi yahi aa jaao.
Iske baad Sameer ne Shruti ko hospital ka address send kar diya...Wo Shruti se mil kar baat karna chaahta tha...Jab tak Shruti hospital pahunchti Sameer ne khud ko mentally prepare kar liya aane wale pal ke liya.
Jab Shruti ko hospital ki main gate se enter karte Sameer ne dekha wo jaldi se Shruti ke paas pahunch gaya aur Rajesh ki parents se dur le jaa kar kaha.
Sameer:- Abb bataao...Kisne karwaya Rajesh ka accident?
Sameer ne nafrat aur gusse ke saath kaha...Uske chehre ka gussa dekh aisa lag raha tha jaise agar Sameer ko wo insaan mil jaaye to wohi jindaa gaad de.
Shruti:- Priya aur Karan...Shruti kuch der chup rehne ke baad himmat karke boli.
Sameer ko to iss baat par vishwash hi nahi hua.
Sameer:- Kya bakwas kar rahi ho? Yaha Rajesh ka ye haal hai aur mai yaha itna tension me hu...Lekin tumhe majaak sujh raha hai...Agli baar fir se ye bakwaas majaak kiya naa to dekh lena...Abb jaao yaha se isse pehle mai kuch karu...Bahut jhel liya hai tumhaari bakwas....Abb aur nahi...
Sameer ka saara gussa Shruti par utar gaya...Usse vishwash hi nahi ho raha tha ki Priya aur Karan aisa kar sakte hai.
Shruti bhi kuch nahi boli...Bas haath me rakhe tape recorder ko on kiya.
Uss me ek ladka aur ladki baat kar rahe the.
Ladki:- Waao Karan...Tumne aakhir kar hi diya ye kaam...Abb Karan iss duniya se chala jaayega aur Sameer bechara tadapta rahega uska yaad aur dosti me...Fir baad me usse bhi iss duniya se bidaa kar denge.
Karan:- Ye sab tumhaare liye hi to kiya hai Priya...Bahut beizzat kiya hai na usne tumhe...Ussi ka badla le rahe hai hum...Chhodunga nahi uss kameene ko.

Iske baad Shruti ne tape band kar diya aur Sameer se kaha.
Shruti:- Abb to maanoge na tum....Iss me unka haath hai.
Sameer:-(Nafrat se) Socha nahi tha kameene itna gir jayenge ki picche se vaar karenge...Mera hi galti hai inki galtiyon ko najar andaaz kiya...Chhodunga nahi iss Karan aur Priya ko...Abb dikhata hu Sameer ka gussa kya hai...Bahut seh liya inn sab ko...Socha tha sudhar jaayenge lekin nahi laato ke bhoot baato se nahi maante.

Sameer ki aawaj se lag raha tha ki wo kitna gussa hai...Agar Karan aur Priya paas hote to unka kya hota ye to uparwala hi jaane.
Sameer ka haal iss vakt kuch aisa tha ki uska sochne samajhne ka shakti bahut kam ho gaya tha...Pehle Shruti ki vajah se ghut ghut kar jee raha tha...Uske baad Rajesh ke saath ye haadsha...Aur achanak Karan aur Priya ke baare me ye sab pata chalne se wo kuch soch hi nahi paaya aur Shruti ka wo voice dubbed record ko sach maan liya.

Kuch pal yun hi gusse me niche dekhne ke baad Sameer ko kuch yaad aaya aur usne Shruti se puccha.
Sameer:- Lekin tumhe kaise pata chala ki ye Karan aur Priya ne kiya hai? Tumhe ye tape kaha se mila? Aur kisne record kiya hai ye?
Sameer ki iss sawaal se Shruti ki jeet ki khushi achanak gaayab ho gaya...Kaha wo andar hi andar khus thi aur kaha abb wo Sameer ki iss sawaal se darne lagi.
Lekin achanak hi Shruti ke dimaag me ek idea aa hi gaya.
Shruti:- Sab hamare jaise acche nahi hote Sameer...Karan aur Priya...Unhe sab college me jaante hai ki wo kaise hai...Tumne kabhi dhyan nahi diya unhe lekin college me saare students unn se nafrat karte hai aur bahut se dushman bhi hai unke...Unhi me se ek ne ye record kar liya tha chhup kar aur mujhe de diya taaki hum unhe sabak sikhaaye...Jisne ye tape diya usne chehre par nakaab pehna tha privacy ke liye.
Shruti ne bahut hi aasani se apna safayi de diya aur Sameer ne bhi uski baat ko sach maan liya ki Rajesh ka accident me Karan aur Priya ka hi haath hai.
Uske baad Sameer ne Priya aur Karan se badla lene ka thaan liya aur uske dimaag me kuch aisa aaya jisse soch uske chehre par ek kutil muskaan aaya...Uss kutil muskaan dekh kar hi pata chal raha tha ki uska soch kitna khatarnaak hai...Aur ussi khatarnaak soch ke kaaran kar baitha Sameer ye bhool.
Last edited: