• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 81


Sasural me Sameer aur Priya dono ko saath me rehne ke liye ek room mila...Priya apne parents se iss baare me kuch nahi kehna chaahti thi to Sameer kuch keh nahi sakta tha...Dono ne socha kuch dino ke liye compromise karenge.

Dono apne safar ki vajah se bahut thak gaye the...Raaste me hi dono ne pet bhar kar naasta kiya tha to dono ne waha par kuch khaaye bina hi fresh ho kar soo gaye.

Shaam ke karib 5:00 pm me Sameer jaaga...Jaagne ke baad jaldi se fresh ho kar wo fir se room me aaya...Wo apne bed par baith kar room ko acchi tarah se dekhne laga...Aise hi idhar udhar dekhte vakt Sameer ka najar Priya par pada.

Priya ekdam shaant baithi thi...Chehra me ek gambhir bhaaw najar aa raha tha...Aisa lag raha tha wo kisi gehri soch me hai.

Sameer ne ek pal ke liye to socha ki Priya se uske soch ke baare me pucch liya...Lekin agle hi pal usne apna ye soch jhatak diya aur apna najar Priya par se hata kar chup ho gaya.

Sameer ko lag raha tha Priya abhi gehri soch me hai...Aur agar iss vakt usko kuch puch liya to kahi Priya uss par bhadak na jaaye.

Kuch pal ke liye dono ke bich ek khaamoshi chhaa gaya...Iss khaamoshi ko Priya ne toda aur Sameer se ek sawal pucha.

Priya:- Aaj tumne aate hi Papa ka pair chhua?

Priya ne bahut gambhir aawaj me pucha...Uski aawaj se pata chal raha tha ki kuch der pehle wo yahi baat soch rahi thi.

Priya ki sawaal ka jawaab dene se pehle Sameer ek baar muskuraya aur bola.

Sameer:- Isme hairaani ki koi baat nahi...Jaan bujhkar maine unka pair chua....Aisa nahi hai ki maine unhe maaf kar diya ya fir mai unka izzat karta hu...Ek alag makshad ke saath maine unka pair chua.

Sameer ki aawaj me Priya ke Papa ke liye bahut nafrat tha aur usne ek ek shabd chabaa kar bola.

Sameer ki baat khatam hone ke baad Priya Sameer ko ghurne lagi...Wo Sameer ki baat ka matlab samajh nahi paayi.

Sameer:- Unhone ye shaadi kara kar accha to bilkul bhi nahi kiya...Mujhse panga lekar unhone aur bhi galat kiya hai...Uss vakt to mai majbur tha lekin abhi nahi hu...Unhe itni aasani se chhodunga bhi nahi.

Pair chhuna to ek bahana tha...Maine unka pair iss liye chuya taaki mai unhe mentally disturb kar dena chaahta tha...Wo abb jarur soch me padd jaayenge ki maine unka pair kyu chhua....Jis tarah se mujhe meri galti yaado ke jariye sata raha hai...Ussi tarah unhe bhi yaad karna hoga unki galti...Unko bhi pacchtaawa hona chaahiye unki galti par...Din raat unko bhi ghutna chaahiye apni galti yaad karke.

Badla ke liye maine ye raasta chuna hai...Chaahta to unhe buri tarah se peet kar apna dil ka bhadaas nikaal sakta tha...Lekin aisa karne se kuch faaidaa nahi...Wo ek ya do din baad ye sab bhul jaayenge aur isse Mera sanskar ka bhi apmaan hoga.

Unse acchi tarah izzat ke saath niptunga...Mai laat aur ghusaa ki jagah apna jubaan ka istemaal karunga...Jubaan se jo chot dunga wo jindagi bhar unko yaad rahega...Unko bhi unki hi najro me giraa kar hi rahunga.


Itna keh kar Sameer fir se chup ho gaya...Abb uske chehre me gussa aur nafrat saaf mehsoos kiya jaa sakta tha...Sameer ka chehra ka junoon dekh aisa lag raha tha ki jo usne kaha hai wo karke hi rahega.

Sameer ka chehra me gussa dekh Priya bhi ek pal ke liye chaunk gayi...Kuch pal pehle Sameer ekdam shaant tha aur muskura raha tha...Lekin agle hi pal uske chehre me itna gussa dikh raha tha ki uska pura chehra laal ho gaya tha.

Kuch der intejaar karne ke baad Priya ne kaha.

Priya:- Tum ye nahi kar paaoge...Papa ke paas agar thoda bhi sharmindagi baaki rehta to mere saath ye sab bilkul bhi nahi karte...Agar tum unhe kuch keh bhi doge to wo chup chaap sun lenge aur agle din wo ye sab bhul kar gir apne life aur daru me busy ho jaayenge...Tumhari baato se unhe koi fark nahi padega.

Priya ki aawaj me bhi apne Papa ke liye gussa saaf mehsoos kiya jaa sakta tha...Priya Sameer se baat karte vakt bhi apni Papa ko izzat nahi de rahi thi...Yahi baat gawahi de raha tha ki Priya apne Papa se kitna naraaj hai aur nafrat karti hai...Lekin usse ye nahi pata tha ki uski Papa ki vajah se uske life me ek aur bada tufaan aane wala hai...Aur ye tufaan uska aur Sameer ki life me bahut bada badlaaw laane wala hai.

Sameer:- 2 hafta hai mere paas...Itne dino me unhe itna torture kar dunga aur unko unki hi najaro me giraaunga ki wo bhi apne galti ko yaad karke pacchtaayenge.

Sameer se abb aur control nahi hua...Gussa itna badh gaya tha ki wo Priya ke saamne nahi reh paa raha tha...Wo Priya ko apna nafrat aur gussa dikhana nahi chaahta tha...Iss liye wo room se kuch der ke liye baahar chale jaana chaahta tha.

Wo gate ke paas pahuncha hi tha ki piche mud kar Priya se kaha.

Sameer:- Waise pair chhune ki kuch faayida bhi hai...Maa kehti hai ki agar hum kisi dushman ke pair chhute hai to naa chaahte hue bhi usko apna haath ashirvaad dene ke liye bhi uthaana hi padta hai...Kisi ke bhi pair chhu lo wo hume aashirvaad hi dete hai uss pal...Chaah kar bhi ya na chaahte hue bhi.

Waise bhi apno se bade ke pair chhune se ham aur chhote nahi ho jaate hai.

Sameer ne apne gusse me kaabu rakh kar Priya se kaha...Wo abb jaane hi wala tha ki girse ruk kar bola.

Ek aur baat kehna hai...Maine to tumhe sab kuch bata diya ki mai tumhaare papa se badla le kar hi rahunga...Pata nahi tumhe ye baat accha lag raha hai ya bura...Agar bura bhi lage to mujhe iss baar koi fark nahi padega...Kyuki iss baar mai apna sabse bada dushman ke saath lad raha hu aur apne dushman se haarne ki aadat aur chahat mujh me nahi hai.

Abb isse aage Sameer apne gusse par kaabu nahi rakh paaya...Jab usse ye mehsoos hua wo room se nikal kar baahar chala gaya.


Priya bas Sameer ko dekhti reh gayi...Priya ko abb purana Sameer dikhne laga...Jo gussa me aur kisi se badla lene ke liye kisi bhi hadd tak jaa sakta hai...Iss baar Sameer ke saamne Priya ke Papa the...Priya ko dar lag raha tha ki Sameer kahi kuch galat na kar baithe firse.


Dinner Time


Raat ke 8:00 pm ke karib Sameer, Priya aur Priya ke Maa khaane ke liye baithe the...Priya ki Papa abhi baahar gaye the...Sabhi khaana suru hi kar rahe the ki Priya ki Papa bhi aa gaye.

Sameer:- Aaiye Sasur ji...Aapka hi intejaar kar raha tha.

Sameer ne majaak ke saath apne Sasur ka swagat kiya...Majaak to sirf Priya ki Maa aur Papa ko lag raha tha...Sach to sirf Priya aur Sameer hi jaante the ki iss majaak ke piche kitna nafrat hai.

Priya ki Papa ne Sameer ki baat par kuch nahi kaha aur wo bhi khaane ke liye baith gaye.

Sameer:- Aaj to aisa lag raha hai suraj paschim se ugga hai...Aapka chehra aur harkat dekh kar to aisa lag raha hai aap aaj talli nahi hue hai...Kya abb aap ko daru ka swaad accha nahi lag raha hai ya fir aaj daru ki dukaan band ho gaya.

Sameer ne hanste hue majaak karte hue kaha...Abb usne apna mission suru kar diya.

Priya ki Papa abb Sameer ki taraf hairani aur gusse ke saath dekhne lage.
Adhbhut update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 82


Priya ki Papa ke gusse se dekhne par Sameer ko kuch fark nahi pada...Andar se to wo bhi bahut gussa tha lekin usne apne gussa ko dabaa ke rakha tha.

Sameer:- Kya hua Sasurji...Bahut gusse me najar aa rahe hai...Kahi kisi se daru ke dukaan me jhagada to nahi ho gaya daru ki dukaan me aapka.

Sameer ne Priya ki papa ka majaak udaate hue kaha...Wo jaan bujh kar unko gussa dilaa raha tha taaki apne man ke bhadaas nikaal sake.

Aur hua bhi waisa hi...Sameer ki baato se Priya ki Papa ka gussa aur badh gaya...Unhone gusse se Priya ki taraf dekha aur kaha.

P. Dad:- Isko chup rehne ke liye kaho...Tabhi se bakwas kar raha hai...Abhi mai gussa me hu aur iski baato se aur gussa aa raha hai...Mai mehmaano ke saath bura bartaaw nahi karta hu iska matlab ye nahi ki ye kuch bhi bolta rahe aur mai iske har bakwas sunta rahunga.

Priya ki Papa ki aawaj me bahut gussa najar aa raha tha...Lekin Sameer ko isse kuch matlab nahi tha.

Priya kuch bolti isse pehle hi Sameer ne kaha.

Sameer:- Sasur ji baat ham dono ke bich me ho raha hai...To aap Priya ko bich me kyu ghaseet rahe hai.

Sameer ki har ek baat se Priya ki Papa ka gussa badhta jaa raha tha.

P. Dad:- Priya aakhiri baar keh raha hu isko chup karwaao...Warna mujhse bura koi nahi hoga...Tab se bakwaas kiye hi jaa raha hai...Abb to baap beti ki baato ke bich me bhi ghus raha hai.

Priya Sameer ko kuch kehne hi wali thi ki Sameer ka gusse se bhara hua aawaj waha maujood sabhi ke kaano me sunaayi diya.

Sameer:- Baap...Baap kehte hai aap khudko...Aap dalal hai dalal...Apni hi beti ka dalal...Aap khud ko baap kehke baap shabd ka majaak mat udaaiye.

Priya ke Papa jitni tej aawaj me baat kar rahe the usse kahi guna jyada aawaj me Sameer cheekha...Sameer ki baat se sab khaamosh ho gaye.

Priya aur Priya ki Maa bhi dar gayi thi...Unhe andaaza ho gaya tha abb bahut bada jhagada hone waala hai Sameer aur Priya ke papa ke bich.

Sameer:- Aap baap ke naam me hi nahi insaan ke naam me bhi kalank hai.

Fir se Sameer ki aawaj sabke kaano me pada...Sameer ki gussa bhi har pal badhta hi jaa raha tha...Sameer ka gussa dekh Priya ki Papa bhi ek pal me liye chup ho gaye.

Unhone Sameer ki taraf dekha...Sameer ka iss vakt jo roop tha wo dekh kar to koi bhi dar jaata...Aankh aur chehra gusse me laal tha aur uski aankh Priya ki Papa ki taraf tha...Koi bhi ye dekh kar bata sakta tha ki kitna nafrat tha unn laal aankho me...Wo to Sameer tha jo khud par kaabu karke shaant baitha tha.

P. Dad:- Tum bhi to kam nahi the...Tumne hi idea diya tha shaadi ka...Mujhse jyada jaldi tumhe tha shaadi ka...Tum bhi barabar ke jimmedaar ho iss shaadi ke liye...Aur jab tum iss shaadi ke chakkar me fans gaye to abb mujh par bhadak rahe ho.

Priya ke Papa ne shaant aawaj me Sameer ka majaak udaane ke lahje me kaha.

Sameer:- Jitna socha tha uss se bhi jyada gire hue hai aap...Abb bhi iss tarah se baat kar rahe hai jaise ye shaadi karwa kar bahut bada kaam kiya hai aapne.

Aap jaise gire hue insaan se to baat karna hi bekar hai...Mai hi apna time waste kar raha hu ek dalal se baat karke.

Sameer ka gussa kam hone ka naam nahi le raha tha...Usne dalal shabd par jor dekar bola tha.

P. Dad:- Tum mujhe dalal kehna band karo.

Priya ki Papa ne chhidhte hue gusse me jawaab diya.

Sameer:- Kyu hakikat sun nahi paa rahe hai...Aap dalal hai aur rahenge...Ye mai nahi sabhi maante hai aur kehte hai.

Sameer jo koshish me laga tha wohi karne jaa raha tha...Usne to pehle hi soch liya tha Priya ke Papa ko unke hi najto me giraayega.

P. Dad:- Tumhaara to mai.

Itna keh kar Priya ke Papa Sameer ki taraf badhe hi the ki Sameer bhi aage badh kar apna haath unke chaati me rakh kar unhe rokte hue bola.

Sameer:- Kya soch kar aage badh rahe hai aap...Mujhe maarenge...Haath laga kar to dikhaaiye...Haath aur paanw tod kar rakh dunga...Aur budhaape me hadsi judta bhi nahi.

Chup chaap niche baith jaaiye.

Sameer ne gusse.me bahut tej guraaya...Itna tej ki waha maujood sabhi dar gaye...Priya ke Papa bhi.

Sameer:- Apni asliyat sunne me sharm aur gussa aa raha hai...Aur khud ko bachaane ke liye mujh par iljaam laga rahe hai.

Ha maanta hu maine bhool kiya tha..Jindagi ke sabse bada bhool jis vajah se mai khud ko maaf bhi nahi kar paa raha hu...Pata nahi koi mujhe iss bhool ke liye maaf karega ya nahi...Lekin mai maanta hu...Mujh me maane ka himmat hai ki maine bahut bada bhoop kiya hai.

Apna bhool pata chalne ke baad maine koshish kiya tha apna bhool sudhaarne ka...Sab kuch sahi chal raha tha lekin bich me aapne apna taang adaa diya aur mujhe majboor kar diya Priya se shaadi karne ke liye.

Shaadi ho jaane ke baad bhi maine bahut koshish kiya apna bhool sudhaarne ka...Lekin abb mere vash me kuch nahi hai.

Aap khudko mujhse compare kar rahe hai.

Aap pita hai Priya ke...Lekin aapne kiya kya hai...Bachpan se abb tak usko sirf taklif hi diya hai...Kabhi baap hone ka farj nibhaaya tak nahi...Pehle hi keh chuka hu aap baap ke naam me ek kalank hai aur dharti ka ek bojh...Aapse jyada to shaayad maine Priya ka madad kiya hai ye 2 months me.

Bahut fark hota hai apno me aur paraaye mai.

Aap to Priya ka apna hi the...Uska Pita the...Pita ka sthaan aur kartavya aapko pata nahi hai...Aapne Priya ke saath jo kiya hai wo to ek dalal hi karta hai...Paisa ke liye apne beti ko bechne chale the.

Mai to ek paraya tha Priya ke liye...Aaj ka duniya hi aisa hai ki log matlabi ho rahe hai...Apne faaidee ke liye kuch bhi karne se piche nahi hat te...Agar mai Priya ke liye galat sochta aur karta to dosh mera nahi hota...Jamaane ka dosh maana jaata...Kyuki iss jamaane me dhokhe baajo ka kami nahi hai.

Apno ka dhokha dena aur paraaye ka dhokha dene me bahut fark hota hai...Paraaye to dhokha dete hi hai lekin apne bahut kam dete hai jaise aap jaise ghatiya log.
Iss liye kabhi bhi bhul kar mujhe apne jaisa kabhi mat samajhna...Mai galat hu lekin aap jaise ghatiya sharaabi nahi.

Mere baare me kuch bolne se pehle ek baar aap khud ko puchiye ki aap hai kya.

Puchiye apne antaraatma se...Aapko sirf yahi jawaab milega...Aap ek sharabi hai...Aise sharaabi jisko sharab ke alawa kuch nahi dikhta...Na hi apne pariwar aur nahi maan samman.

Aap ko dekh kar bas ek hi baat sochta hu...Kaise jee rahe hai abb tak...Kya aapko apne hi jindagi se ghin nahi aa raha...Aap jee to rahe hai lekin hai ek jinda laash aur dharti ka bojh...Jiska iss duniya me koi kaam hi nahi hai...Bekar hai aapka jindagi.

Naahi koi izzat nahi koi samman...Pure gaanw me badnaam hai aap...Gaanw ki baat chhodiye aapke ghar me hi koi aapko izzat nahi deta...Ghar ki baat chhodiye aap to khud ki hi najaro me gir gaye honge.

Sab kuch tabaah kar diya aapne aur aapke daru ki aadat ne...Priya ka bachpan se lekar abb tak ka jivan kaisa hoga ye mai soch bhi nahi sakta...Nahi aapne apne patni ke saath accha kiya hoga...Dono ki jindagi me aapki vajah se ghutan, taklif aur badnaami chhod kar kuch bhi nahi hoga.

Ek baar aap apne patni yani ki Sasu maa ki taraf dekhiye...Aapke siwa unka kaun hai sahara...Aapke hi khaatir iss ghar me hai barso se...Bahut expectations tha shaayad unhe jab wo aapse shaadi karke aayi thi...Lekin aap ki sharaab ki aadato ne unka saara sapna tod diya hoga...Ek baar insaan baniye aur dekhiye inke chehre ko...Aur kahiye aapne sahi kiya hai inke saath.

Inhone to aapka barso se saath diya ye jaante hue bhi ki aap kitna ghatiya hai...Chaahti to aapko chhod kar jaa sakti thi...Apna jindagi ko naye tarike se suru kar sakti thi...Lekin aapko iss haal me nahi chhoda...Ek umeed hoga unka ki aap kabhi na kabhi to sudhrenge hi lekin ye umeed kabhi pura nahi ho saka.

Inhone aapke liye itna kuch kiya lekin kya aapne kabhi bhi inke liye kuch kiya hai. Siwaay dard, aansu aur taklif chhod kuch nahi diya hoga aapne inhe.

Aap to sharaab ke nashe me iss tarah dub gaye the ki aapko apni beti bhi kabhi dikhaayi nahi diya hoga...Kabhi Priya ka bachpan aur uska masoomiyat nahi dikha hoga...Agar dikhta to aapne ek pita ka dharm aur kartavya nibhaaya hota...Bachpan to chhodiye jawaani me bhi aapne Priya ka dalali hi kiya hai...Isse jyada paap ek pita kabhi kar hi nahi sakta.

Khair chhodiye inn sabhi baato se kuch nahi hone wala hai.

Aapko dekh kar sochta hu ki aap kitne besharm insaan hai...Jisko apna sharm aur izzat ka kuch matlab nahi...Gaanw me koi aapka respect nahi karta...Sabhi aapko sharaabi aur bewda ke roop me jaante hai...Koi izzat nahi hai aapka.

Itna kehkar Sameer utth ke khada ho gaya aur apne room ki taraf jaane laga.

Fir usse kuch yaad aaya aur kaha.

Sameer:- Jaanta hu meri baat aap samajh nahi paayenge ya fir samajhna nahi chaahte...Lekin isse mujhe koi fark nahi padega...Sirf aapko fark padega.

Aur tab padega jab aap aur buddhe ho jaayenge...Jab aap ko koi sahara ki jarurat hoga tab padega...Aapne kisi ko apna samjha hi nahi hai aur nahi kisi ke liye accha kiya hai...Koi aap ka saath nahi dega tab...Tab jaakar aap khud ko akela mehsoos karenge...Lekin tab koi aapka saath nahi dega...Uss vakt aapko apna galti dikhega aur uss vakt aap khud ko kosenge, pachtaayenge aur apni sharabi hone par khud se nafrat karenge.

Lekin koi faaidaa nahi...Koi aapka saath nahi dega...Aap akele me khud ka galti mehsoos karenge...Tab yaad aayega aapko ki aapne Priya aur Sasu Maa ke saath kitna naa insaafi kiya hai...Tab aap issi paschataap me mar jaayenge.

Aur aapka ye maut ka koi keemat nahi hoga...Sab sochenge ek bewda mar gaya aur dharti ka bojh kam ho gaya...Aapke hone aur nahi hone se kisi ko kuch fark nahi padne wala hai.

Issi liye kehta hu aap ek baar aayine ke saamne khade ho kar sochiye aap kya hai kaise hai aur kya kar rahe hai...Ek baar apni acchaayi aur buraayi ke baare me bhi sochiye.


Itna keh kar Sameer apne room me chala gaya...Gussa abhi bhi uske chehre se saaf jhalak raha tha...Usko yakin tha ki uska itna sab kuch kehne ke baad Priya ke Papa par kuch to fark pada hi hoga.

Sameer to apne badla lene ke liye Priya ke Papa ko unke najaro me giraana chaahta tha lekin iss baat ka anjaam aisa hone wala tha ki wo soch bhi nahi sakta tha...Jo bhi hone wala tha accha hi hone wala tha.

Sameer ke jaane ke baad Priya aur uske parents ke bich ek gehra sannata chaa gaya tha...Koi kuch bol nahi paa raha tha...Sabhi ko pata tha Sameer ne jo kaha hai bilkul sach kaha hai bhale hi kehne ka tarika kaisa bhi ho.

Kuch der baad Priya bhi apne hi kamre me aa gayi...Sameer ki taraf dekha usne jo abhi gehra soch me duba hua tha...Priya iss vakt usko kuch kehne ke haalat me nahi thi iss liye apne bed par sone ke liye chali gayi...Usko samajh me nahi aa raha tha ki jis tarah se Sameer ne uske Papa se baat kiya wo sahi tha ya nahi...Lekin maahaul aur haalat ko dekh kar usne abhi chup rehna hi behtar samjha.

Kuch der baad Priya ke Maa aur Papa bhi apne room me chale gaye sone ke liye.

Raat ke 12:00 am baj raha tha...Lekin kisi ko bhi neend nahi aa raha tha dinner me hua tamasha ke vajah se.

Priya ki Papa bhi Sameer ki baat sunne ke baad soch me padd gaye the...Jab unko chhain nahi mila to utth kar khade ho gaye aur Priya se baat karne uske room ki taraf chale gaye.
Majedaar update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 83


Priya ki Papa Priya ke room ke paas pahunch gaye...Wo gate knock karne hi wale the ki kuch soch kar haath piche khinch liya.

Unhone mobile me time dekha to raat ke 12:00 am baj raha tha...Unhe laga ki Priya abhi so rahi hogi...Aur iss vakt usko jaga kar baat karna thik nahi hai...Unhone socha wo kal subah hi baat karenge Priya se.

Issi soch ke saath wo apne room me chale gaye sone ke liye...Lekin neend unke aankho se koso dur tha...Puri raat bina soye hi beet gaya...Saari raat wo sirf Sameer ki kahi hui baatein hi soch rahe the.


Subah karib 7:00 am par Priya ki papa fir se Priya ki room ke paas chale gaye...Unke chehre me ek aisa bhaaw tha jo kisi ne shaayad pichle 25 saal se nahi dekha hoga...Unke chehre ko dekh kar aisa lag raha tha wo khud se sharminda hai.

Wo Priya ka room ka gate knock karne hi wale the ki fir se apna haath waapas khinch liya...Iss baar wo himmat nahi kar paaye...Wo Priya ko kaise face karenge aur kya baat karenge yahi soch baar baar unke dimaag me aa raha tha...Aur jab ye khayal unke dimaag me aaya ki unko Priya ke saath Sameer ko bhi face karna hoga to unka jo bhi himmat tha wo ek hi pal me gaayab ho gaya.

Kuch der aur koshish kiya unhone gate par knock karne ka...Lekin nahi kar paaye...Wo Priya ke room ke paas idhar udhar tehalne lage aur himmat jutaane ka koshish karte rahe.

Aise hi 1 ghanta aur beet gaya lekin wo himmat jutaa nahi paaye.

Kareeb 8:00 am par Sameer ne gate khola...Raat me der se sone ke kaaran uski aankh abhi bhi laal tha...Wo fresh hone hi nikla tha ki uska najar paas me hi khade Priya ki Papa par pada...Priya ki Papa ko apne room ke paas dekhte hi wo chaunk gaya...Usse unka waha rehne ka vajah samajh me nahi aa raha tha.

P. Dad:- Beta...Priya se thodi der kuch baat karna chaahta hu.

Priya ke Papa ne himmat karke kaha...Sameer ko unki iss baat me bahut fark najar aa raha tha...Lekin usne kuch khaas dhyan nahi diya...Bina kuch bole chal diya fresh hone.

Sameer ke jaane ke baad hi Priya ke Papa ne room ki gate ke paas pahunche aur knock kiya.

Prya:- Gate khula hi hai...Locked nahi hai.

Andar se Priya ka chhidha hua aawaj aaya...Priya ko laga ki gate par knock Sameer kar raha hai.

Priya ki baat khatam hone ke baad hi Priya ke Papa gate khol kar andar chale gaye.

Saamne Priya abhi bhi bed me eti hui thi...Priya ki Papa ki najar Priya ki peeth ki taraf tha.

P. Dad:- Priya tumse kuch baat karna hai.

Priya ki Papa ne himmat karke kaha...Ye aawaj sunke Priya chaunk gayi...Bahut din ho gaya tha jab Priya ne apne Papa ke munh seapna naam suna tha...Ye pehli baar tha jab Priya ki Papa ki aawaj me unke beti ke liye pyar tha.

Priya jhatke se utth kar baith gayi aur apne Papa ki taraf dekhne lagi...Priya ko vishwas hi nahi ho raha tha tha ki saamne uske Papa khade hai...Ek pal ko to usko laga ki kahi wo koi sapna to nahi dekh rahi hai...Jab usse yakin hua ki ye sach hai to uske dimaag me aaya ki aakhir kya baat karna chaahte hai hske Papa uske saath aur wo bhi itne saalo ke baad.

P. Dad:- Aaj apna galti kabool karne aaya hu tumhaare paas.

Priya ke Papa ne himmat jutaa kar kaha...Ye kehte hi unhone Priya se najre chura liya...Unke paas abb itna himmat nahi tha ki Priya ki aankho me aankh daal kar apni galtiyon kabool kar paaye.

Priya to ye sunte hi chaunk gayi...Usse vishwas nahi ho raha tha apne kaano par...Uski Papa aur apni galtiyan kabool kare ye to usne apne sapne me bhi nahi socha tha...Jab usne apne Papa ki chehre ko dekha to chehra me sharmindagi tha...Lekin jab uski najar apne Papa ki aankho me gaya to usne gusse ke sath kaha...Priya ki Papa ki aankhein raat bhar na sone ki vajah se laal tha.

Priya:- Lagta hai aaj subah aapne kuch jyada hi pee liya hai...Baad me baat karenge.

Priya ki aawaj me apne Papa ke liye nafrat saaf jhalak raha tha...Bahut din baad Priya ne apne Papa se baat kiya tha...Kabhi baat karne ka jaroorat bhi nahi pada tha...Lekin jab aaj baat kar rahi thi to uske baato me nafrat saaf jhalak raha tha.

P. Dad:- Har baar laal aankho ka ye matlab nahi hai ki mai sharaab pikar nashe me hu...Iss baar mera aankh laal iss liye hai kyu ki kal raat bhar mai soo nahi paaya Sameer ki baat aur apna 25 saal pehle ki jindagi ko yaad karte hue.

Priya ki Papa ki aawaj me sharmindagi tha...Aaj pehli baar apni beti ke munh se khud ko sharaabi sunna unko chot pahuncha raha tha...Isse pehle to unhe koi parwaah nahi tha.

Priya:- Kya fark padta hai...Aapka galti kabool karne se kuch badal to nahi jaayega.

P. Dad:- Jaanta hu beti...Bahut galtiya kiya hai maine inn 25 saalo me...Galti nahi shaayad Paap kiya hai...Aur aaj mai khud ko itna gira hua mehsoos kar raha hu ki tumse maafi tak nahi maang sakta...Kaun si munh se maangu maafi...Aur mere paap maafi laayak bhi nahi hai...Mujhe praayaschit karna hoga apne galtiyo ka.

Priya ki Papa ne Priya ki nafrat ka parwaah kiye buna hi apni baat aage kehna chaalu kiya...Unki aawaj sunne ke baad Priya ko bhi yakin ho gaya ki wo sach me apna galti kabool kar rahe hai...Koi dikhaawa nahi kar rahe hai.

Lekin Priya ko inn sabhi baato se kuch fark nahi pada...Chaahe uske Papa jitna bhi galtiyan kabool karle aur jitna bhi praayaschit karle uski beeti hui jeevan ko waapas to nahi laa sakte the.

Jab bachpan me usko uski Papa ki jaroorat tha tab uski Papa apne sharaab ki duniya me vyast the...Uski choti choti farmaaish aur jidd ko pura karne ke liye uske Papa uske paas nahi the...Yaha tak ki uska haal chaal puchne ke liye bhi uske paas uske papa nahi the...Uske Papa ko to ye tak pata nahi tha ki unka ek beti bhi hai aur unka kuch jimmedaari bhi hai apne beti par.

Priya ka bachpan to baap hone ke baawjood anath jaisa bita tha...Baap ka farz bhi uske Maa ne hi puraa kiya tha...Jab bhi wo apne Papa se pyar aur ek aasha ke saath baat karne jaati usse apne Papa ki taraf se sirf daant aur maar hi milta tha.

Kabhi Papa ka pyar aur saath Priya ko nasib nahi hua jiske liye wo tarasti thi...Bachpan se hi usne Papa ke bagair jeene ka sikh liya tha.

Bachpan kya Jawaani tak kabhi bhi uske Papa ne uske saath dhang se baat nahi kiya tha aur ek baar bhi apna beti nahi maana tha...Uske Papa uske ghar me ek mehmaan ki tarah the jika uss ghar ke koi bhi sadasya se koi rishta nahi tha...Agar unka kisi se koi rishta tha to sirf sharaab ke saath.

Bachpan se lekar jawani tak Priya ke Maa ne hi uske liye Maa aur Baap dono ka kartavya nibhaaya tha...Priya aaj jo bhi thi unki hi pyar aur mehnat k vajah se hi thi.

Jawaani ke vakt me bhi jab gaanw me kuch awara ladke usko chhedte thhe tab bhi iss baat ka shikaayat wo apne Papa se nahi kar paati thi...Uss vakt bhi Papa apne jimmedaari nahi nibhaa paaye...Kisi tarah khud hi apna rasha kare wo apne jindagi me aage badhti rahi.

Upar se gaanw bhar me sabhi uska majaak udaate the ki wo ek bewda aur sharaabi ki beti hai...Gaanw me izzat bhi naa ke barabar tha...Apne baap ki saza usko aur uski Maa ko bhugatna pad raha tha...Bas ek Maa ka hi sahara tha jis vajah se wo saari duniya se ladti hui aage badh paayi thi.

Priya ko abb wo din yaad aa raha tha ki itni mushkilon se usko paala, usko padhaya aur uski jindagi ko kisi laayak banaya...Priya ko aaj apni Maa ki taklif aur himmat yaad aane laga...Aaj ek baar fir Priya ke dil me apne Maa ke liye Pyar aur izzat firse badh gaya aur saath hi apne Papa ke liye nafrat bhi.

Jab Priya ke Papa ne uske marji ki khilaaf uska shaadi karaya uski Maa aur usko emotionally blackmail karke tab se to Priya ko pita shab se vishwas hi utth gaya tha.

Ek pita ka kaam hota hai apne bache ko mushkil se bachana,uska hifaazat karna, uska taakat banna aur saari duniya se uske liye ladna lekin Priya ke Papa ne apni beti ko bachana to dur apne faayida ke liye usko hi bech diya.

Uski jindagi ke saath khilwaad karne ke liye jitna gunehgaar wo Sameer ko maanti thi usse kayi jyada apne Papa ko.


Ye sab bat yaad aate hi Priya ko apne Papa se bahut nafrat hone laga.

Abb uske Papa apne galti kabool karke maafi maang rahe hai...Aise kaise wo apne Papa ko maaf kar sakti thi itna sab kuch ho jaane ke baad....Maafi maang rahe hai to bhi kab jab kuch baaki hi nahi raha.

Ye sab baat yaad karte hi Priya ki aankho me aansu ke saath nafrat ki bhaw aa gaya.

P. Dad:- Sharaabi aur bewda mai jaan boojh kar nahi bana...Haalato se majboor ho kar mujhe banna pada.

Lekin mai is baat se inkaar nahi karunga ki maine galat kiya...Bahut galat hu mai...Jindagi me bahut galtiya kiya hai...Lekin sirf 3 insaan ke saath...Tum, Tumhaari Maa aur Sameer...Jiska ehsaas mujhe kal rat ko hua Sameer ke baat sunne ke baad.

Maine jo galtiya kiya unme kuch mera sharaab ki aadat, gair jimmedaari aur laaparwahi hai to kuch majbooriyan aur haalaath jisne mujhe majboor kar diya.

Aaj issi baare me baat karna chaahta hu beti...Please meri baat ek baar sun lena.

Priya ki Papa ki issi baat ne Priya ko uske khayal se bahar nikala...Aur usne apne Papa ko dekha jinke chehre me sharmindagi aur ankho me aansu tha.
Nice update mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 84


P. Dad:- Tumhe lagta hoga na mai kitna galat aur gira hua insaan hu...Tumne jabse hosh sambhaala hai aur mujhe dekha hai tab se tumne mujhe ek sharaabi aur bewda hi samjha hoga...Ha tumhara soch sahi hai...Hu mai ek bewda...Aur iska mujhe kal tak koi pacchtaawa bhi nahi tha...Paschataap...Wo bhi kiske liye...Kabhi kisi ko apna nahi maana maine daru ko chhod kar.

25 saal ho gaye mujhe sharaab se dosti kiye...Aur abhi tak yahi mera saathi hai...Ek saccha saathi...Jisne abhi tak mera saath nahi chhoda...Mera dukh me saath diya hai...Ateet ki unn kadwi yaadein jispar agar kisi ne malham lagaya to sirf wo daru hi hai.

Daru hi ek jeene ka sahara ban gaya mere liye...Aur sahara se kab aadat ban gaya pata hi nahi chala...Ek aisi aadat jisse mujhe hamesha chhain aur sukoon hi mila...Kabhi iss aadat par mujhe afsos nahi hua.

25 saal pehle ki baat hai...Aaj jo mai hu 25 saal pehle mai thik iska ulta tha...Daru ko kabhi haath bhi nahi lagaya tha uss vakt...Iss gaanw ka sabse padha likha insaan tha...Hamesha dusro ka care karta tha...Man me kabhi koi paap anahi tha aur naa hi kisi ke liye koi bura chaaha...Insaan tha aur insaaniyat par yakin karta tha.

Sabhi ka madad karta tha...Aur uss vakt aisa lagta tha ki sabhi mujhse khus hai aur mujhe pyar karte hai, izzat dete hai lekin ye sab ek dikhaawa tha, chhal tha.

Apne ghar ka mai bada beta tha...Mujhse chote mere do bhai bhi the...Maa ka saath bachpan me hi chhut gaya tha...Ek Papa the...Jinhone kabhi hamaara parwaah kiya hi nahi...Sirf paise ke hi piche bhaagte rahe...Paiso ki koi kami nahi tha hamaare paas...Khet aur jameeno ki bhi koi kami nahi tha.

Papa ka hote hue bhi unka pyar kabhi nahi mila...Hame ek bada sa mahal me rakh kar naukaro ka hawale karke chal pade paisa kamane.

Dukh to bahut hota tha...Maa ka pyar to kabhi mila hi nahi aur Papa ka pyar ke liye bhi taraste the jo kabhi nahi mila...Paisa aur aiso aaram ka koi kami nahi tha...Papa se jo bhi cheej maangte the wo laa dete the...Lekin kabhi hamaare saath unhone vakt nahi bitaya...Kabhi pita ka pyar aur saath nahi mila.

Jab bhi iss baare me unse baat karta tha to hamesha kehte the ki wo hamare liye hi to wo paisa kama rahe hai...Hamaare liye hi to wo itni mehnat karte hai...Jab mai kehta ki hame pisa ki nahi aapka pyar ka jarurat hai to daant aur maar hi padta tha.

Wo kabhi nahi badle aur apne soch par hi kaayam rahe...Issi tarah ek din wo ham sab ko chhod kar duniya se hi chale gaye.

Lekin jaane se pehle unhone hame akele jeena sikha diya tha...Jaise taise maine khud ko sambhala aur aage badhne ka soch liya...Aur mujhe apne chote chote bhaiyo ko bhi sambhaalna tha...Unka jindagi bhi sawarna tha aur unko kisi laayak banana tha.

Mai apne bhaiyo se bahut pyar karta tha...bas wo hi to reh gaye the mere jindagi me Maa aur Papa ke jaane ke baad...Mai hi dono ke liye Maa aur Papa tha...Unko paalne me maine apne taraf se koi kami nahi rakha tha...Khud bhi padhta tha aur unhe bhi padhata tha...Ghar ka saara kaam bhi khud hi karta tha...Duniyadaari bhi acche se samjhaya...Duniya ki acchayi aur buraayi ke baare me bhi bataya.

Mai jo kuch bhi kar sakta tha wo sab maine kiya...Apne farj ko imaandaari aur khushi ke saath nibhaate gaya.

Unki khushi me hi mera khushi tha...Apne bhaiyo ke saath jee raha tha khushi khushi.

Issi tarah din beet ta gaya...Aur mai B.Sc padhne shehar me aa gaya...Apne bhaiyo ko itna kaabil bana diya tha ki wo akele bhi reh sakte the...Aur ghar me kuch naukar bhi the unka khayal rakhne ke liye.

Shehar me padhaayi ke dauraan hi mujhe ek ladki se pyar ho gaya tha...Tumjari Maa uss ladki ki dost thi...Tumjari Maa mujhe kabhi pasand nahi thi...Pata nahi kyu wo hamesha hi mujhe apne pyar ke khilaaf bhadkaati rehti thi.

Kehti thi ki mai jis ladki se pyar karta hu wo acchi ladki nahi hai...Wo mere paise ke liye mujhse pyar ka naatak kar rahi hai...Bahut baar samjhaaya usse ki uske baare me kuch mat kahe lekin wo maanr ko taiyaar hi nahi thi...Piche hi padd gayi thi...Aaj tak nahi samajh paaya hu wo aisa kyu karti thi....Aur kyu mere piche lagi hui thi.

Khair mai usse ignore karke apne pyar aur sapno me hi vyast hone laga...Har din mera pyar aur deewanapan badhta hi jaa raha tha...Mujhe kabhi aisa nahi laga ki wo ladki kise mai pyar karta hu wo mujhe dhokha de rahi hai.

Shaayad uss vakt kuch jyada hi sharif tha iss liye uski niyat kabhi pata nahi chala.

Vakt teji se aage badh raha tha...Mera soch se bhi tej...Mera maana tha ki sabhi log mere baare me accha hi sochte honge...Kyuki maine kisi ke saath galat nahi kiya tha...Balki jitna ho sakta tha utna sabhi ka madad karta tha...Lekin kya pata tha ki hads se jyada sharif banna bhi khud me hi ek gunaah hai.

Vakt teji se chalne laga ya mai piche reh gaya pata hi nahi chala...Apne pyar aur duniya me iss tarah kho gaya tha ki mere aage piche kya chal raha hai wo bhi pata nahi chal raha tha.

Ek din mujhe uss ladki ka bewafaayi ke baare me pata chala...Lekin bahut der ho gaya tha...Uski bewafaayi ke baare me tab pata chala jab mai uske pyar me paagal ho gaya tha...Kitna sapna dekha tha maine ham dono ke liye...Pal bhar me saara sapna bikhar gaya...Dil toot gaya...Mera sacha pyar ke saat itna ghinauna majaak kiya usne...Lekin mai kuch nahi kar paaya.

Jab usko pucha iss baare me to ekdam sidha jawaab mila...Tuhaare paise ke liye pyar ka naatak kiya tha...Itna bol kar chali gayi aur kabhi piche mud kar nahi dekha.

Bewafaayi ke baad suruwaati pal kitna mushkil se bitaaya ye to sirf mai hi jaanta hu...Dil me ek dard aur aankho me aansu ke siwaay kuch nahi tha...Sambhaalna mushkil tha lekin sambhalna pada...Apne liye nahi apno ke liye.

Jab mujhe apne bhai ka yaad aaya to socha agar mai hi aise rahunga to unka kya hoga...Kya jawaab dunga unhe...Yahi ki jisne unhe haalato se ladna sikhaaya aaj wo khud hi haar gaya...Ek bewafaayi ki vajah se itna tut gaya ki wo iss tarah se gair jimmedaar ho gaya.

Jab ye khayal apne dimaag me aaya to soch liya ki pehle ki tarah sambhal jaaunga...Thoda koshish karne ke baad sambhal bhi gaya...Uke baad maine bhi apni jindagi me kabhi piche nahi dekha...Uss ladki ko bhul kar aage badh gaya.

Apna padhaayi khatam karne ke baad mai waapas apne gaanw aa gaya.

Jaha se mere jindagi puri tarah se badalne laga...Bahut jhatka milne laga sab ek ke baad ek.

Sabse pehla jhatka...Tumhaari Maa ke roop me.

Ek din uske pitaji aaye hamaare ghar uke liye rishta lekar...Lekin maine mana kardiya...Maine kabhi usko pasand kiya hi nahi tha...Uski dost ki bewafaayi ke baad to bilkul bhi nahi.

Lekin mujhe apne bhai aur dosto ke saamne jhukna hi pada...Dono bhai ne ujhe mana hi liya shaadi ke liye...Maine aaj tak unka koi baat nahi taala tha iss liye ye baat bhi unn dono ke liye maan hi liya...Gaanw k bujurgon ne bhi kaha shaadi kar lene ke liye aur ladki bhi bahut acchi aur sanskaari hai.

Maine bhi sabhi ki baat maan liya aur kar liya shaadi.

Shaadi ke baad jindagi 1 saal tak to normal bi chalta raha...Tumhari Maa mere liye kya sochti hai wo na tab pata chal paaya na abb pata chal raha hai...Aakhir kya tha uski najaro me...Uski baato se to aisa lagta ki kabhi wo mujhse pyar karti hai aur kabhi nahi...Aaj tak issi uljhan me hu mai.

Mujhe tumhaare Maa e pyar to kabhi nahi hua tha...Lekin fir bhi mai apna jimmedaari acchi tarah se nibha raha tha.

Life issi tarah se aage badh raha tha...Paiso ki to koi kami tha nahi lekin fir bhi mai gaanw ki school me padhaane laga...Gaanw ki baccho ko padhaane me ur unke saath vakt bitaane me bahut accha lagta tha...Unka padhaayi ka kharcha bhi mai hi uthaata tha...Kisi tarah khud bhi khus rehna chaahta tha aur dusro ko bhi khus rakhna chaahta tha.

Lekin jindagi ka sabse bada jhatka bhi bahut jald hi mil gaya...Wo bhi apne hi bhaiyon se...Kisi tarah se unhone mujhse dhokhe se property ka saara papers sign karwa liya aur mujhe hi ghar se nikaal diya.

Mujhe to uss pal vishwas hi nahi hua...Laga ki ek bura sapna hai...Kaash wo sapna hi hota...Jab pata chala ki ye hakikat hai to bahut dukh hua...Jindagi ka sabse bada dukh...Itna to uss ladki ka bewafaayi se bhi nahi hua th jitna mere bhaiyo ki gaddari ki vajah se.

Jinn bhaiyon ko mai apna sab kuch maanta tha...Bilkul apne baccho jaise paala tha...Kabhi bhi koi mushibat ka saamna karne nahi diya...Khud ko taklif aur musibat me daal kar unka hifaazat kiya tha...Lekin unhone kya kiya...Mujhe hi beghar kar diya...Mera mehnat ko mera pyar ko meri kurbaani ko ek majaak bana diya.

Mujhe to daulat ka kabhi shauk nahi tha...Ek baar maang lete sab kuch unka naam kar deta.

Lekin nahi un kamino ne dhokha diya mujhe...Bahut dukh hua...Jab apne hi dhokha deta hai to bahut bura lagta hai.

Kisi tarah khud ko sambhal kar apne patni ke saath idhar udhar bhatakta raha...Jaan pehchan walo ke paas gaya kuch dino ke liye rehne ke liye...Lekin kisi ne jagah aur saath nahi diya.

Kisi ne madad nahi kiya mushkilo ke vakt me...Mai unn sabhi ke paas gaya jinko maine madad kiya tha lekin sab bhul gaye aur dudh me se makhi ki tarah nikal kar fenk diya.

Bahut bura laga...Ek baar sochne par majboor ho gaya maine kya kiya aur mujhe kya mila.

Sabhi ke liye accha kiya lekin sabhi ne mere saath hi galat kiya...Mera acchayi aur sharaafat ka ye jawaab diya.

Gaanw me kisi ne saath nahi diya...Samajh gaya vakt ke saath sab badal gaye hai aur unka asli chehra bhi dikh gaya hai.

Bas road par bhatak raha tha ki tabhi mujhe mera ek dost mila...bas usne hi mera madad kiya...Usne hi mujhe ek bank account ka yaad dilaaya...Paisa dekha to 20 lakhs ke laghbhag tha.

Bas wo hi bacha tha mere paas...Kisi tarah se uske baad ek chota sa ghar liya gaanw me hi...Ye wahi ghar hai jaha abhi ham reh rahe hai...Aur wahi bank ke paise ke byaj se sabhi ghar ka kharcha chalne laga.

Mai apne saath hua dhokha ko yaad karne laga...Dimaag me badla lene ka khayal aaya...Lekin kaise leta...Koi bhi mere saath nahi tha siwaay uss dost ka...Do dost mil kar kya kar sakte the...Abb unka (bhaiyon) ka power itna badh gaya tha ki unn tak pahunchna bhi naa munkin tha.

Uss time jab maine tere Maa se iss baare me kuch kaha to wo kuch nahi boli...Aur vakt to uski baatein kaan me dard paida kar deta tha lekin jab mai usse baat karna chaahta tha to khaamosh rehti thi...Bas itna kehti thi ki sab kuch thik ho jaayega.

Aise kaise thik ho jaayega...Jab kuch karunga hi nahi to...Mujhe uss par gussa aane laga aur baat karna bhi band kar diya usse...Uss vakt to ye bhi lagta tha ki usne mujhse shaadi paise ke liye kiya hai aur abb mere paas kuch baaki nahi hai to abb mujhse piccha chhudana chaahti hai...Mujhe bhi kuch parwah nahi tha...bas uake jaane ka intejaar karne laga.

Bas sochne me hi apna dimaag lagata tha ki kisi tarah unse badla le paau.

Lekin kabhi mauka hi nahi mila.

Kuch din baad pata chala ki tera Maa pregnant hai...Tabhi mera bujha hua chhota sa aasha badh gaya...Socha ki agar beta hua to badla lene ka tarika mil gaya hai.

Socha ki bhale hi mai mar jaau lekin mera badla nahi marna chaahiye...Apne beta ko iss tarah paalunga ki uske dil me unn logo ke liye badla ke feelings paida karwaunga aur baaki ka accha sanskar bhi dunga.

Lekin mujhe niraasha hi haasil hua...Jab tumhara janam hua.

Mere saare sapne mitti me mil gaya...Aur mai puri tarah se haar gaya.

Mujhe apna beijjati aur gaddari baar baar yaad aane laga.

Jine ki iccha bhi khatam ho gaya...Aakhir kiske liye jita...Koi bhi to apna nahi tha...Apno ne hi dhokha diya...Jinda maar diya...Ek patni thi jo baat bhi nahi karti thi.

Jindagi se pareshaan ho gaya tha...Lekin itna kaayar bhi nahi tha ki aatmahatya kar lu...Issi liye mai apne dost ke paas gaya...Wo daru ka dukaan chalata tha aur ussi ke paas se daru ki aadat daal liya.

Kisi tarah apne gam ko bhulaana chaahta tha aur dhire dhire karke khud ko mitaana chaahta tha...Isa duniya ki moh maya se baahar nikalna chaahta tha.

Uske baad mai apne daru ki aadat me iss tarah vyast ho gaya ki mujhe kuch pata nahi chala mai kaun hu aur mere paas kaun hai...Saara gaanw mujhe bewda kehkar hansta tha...Lekin mujhe koi fark nahi padta tha...Unki tarah mai nich aur kamina to nahi tha.

Daru ki nasha me mai iss tarah kho gaya ki kabhi pata bhi nahi chala ki meri ek choti beti bhi hai...Jisse mai uske koi galti ki bina saja de raha hu...Pata nahi kyu maine tere saath itna galat kiya.

Shaayad darta tha ki kahi tu bhi baaki ke log ki tarah to nahi niklegi...Jo mera kaam ho jaane ke baad apne raaste se hata degi.

Bhaiyo ki dhokha ki vajah se itna dar gaya tha ki kisi par bhi yakin nahi karna chaahta tha...Insaaniyat par se viswaash utth gaya tha...Uske baad mai apne tarike se jeene laga...Naa koi sapna naa koi iccha...Sab kuch khatam ho gaya.

Apne bhaiyo se badla lene ka soch bhi bhul gaya...Bhagwan par chhod diya sab kuch...Aur bhagwan ne insaaf bhi kiya...Aaj ek ko paralysis hai to ek andha ho gaya hai

Daru hi mera sahara tha jeene ka...Apne gam ko bhulne me daru ne hi saath diya...Kabhi kabhi sochta tha ki abhi tak teri Maa mere saath kyu hai...Lekin agle hi pal mai ye khayal jhatak deta tha ye sochkar ki mujhe kya matlab.

Uske baad mera aur teri Maa ke bich sirf itna hi hota tha ki wo raat ko mere liye bhi khana bana deti thi aur mai chup chap khaa kar so jaata tha.

Kabhi usse baat nahi kiya aur naa hi tujhse...Apni patni aur beti ke liye ek ajnabi ban gaya...Shaayad ye mera sabse bada galti tha.

Uss vakt to afsos nahi hua lekin aaj ho raha hai.

Itna keh kar Priya ke Papa chup ho gaye aur Priya ki taraf dekhne lage.

Priya ki aankho aur chehra me gussa, dard aur hairaani teeno ke mile jule bhaaw tha.

Wo aage bolne hi wale the ki Priya ne kaha.

Priya:- Aap kehte hai ki aapki koi galti nahi kiya lekin aapne mera shaadi Sameer se karwaya jabardasti kya wo aapka galti nahi tha...Aur iss baat ka bhi jawaab dijiye ki aaj 25 saal baad aisa kya ho gaya ki aapko apna ateet ke baare me bataaana pada aur mujhse baat karna pada.

Priya ne gusse ke saath kaha...Uske chehre me jo hairaani aur dard tha wo usne chipaa liya.

Priya ki Papa ne fir se sar jhuka kar kehna suruwat kiya.

P. Dad:- Tumhaari shaadi Sameer se karwana hi mera galti nahi hai...Aur bhi galtiya kiya hai maine jo uss vakt pata nahi chala...Lekin aaj afsos ho raha hai.

Aur mai yahi sab bataane aaya hu ki ek hi raat me aisa kyu hua ki mai tumhe sab kuch bataane chala aaya.

Iske baad Priya ki Papa bolte chale gaye...



[/QUOTE
Bemishaal update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 85


P. Dad:- Apno se aur gaanw walo se mila hua dhokha aur haar ne mujhe itna tod diya tha ki mujhme itna taakat nahi bacha ki aage badh paau.

Aage badhta to bhi kiske liye...Koi apna najar nahi aaya mujhe iss khudgarz duniya me...Ek baat pata chal gaya tha ki iss matlabi duniya me mujh jaisa insan ke liye koi jagah nahi hai.

Apna kehne ke liye koi nahi tha...Abb ek patni aur ek beti thi...Tumhari Maa ne bhi mujhse baat karna band hi kar diya tha...Pata nahi kya tha uske dimag me aur kya expectation tha uska mujhse.

Mujhe laga ki wo bhi mujhe chhod kar chali jaayegi...Bas ussi ka intejaar tha mujhe...Khud ko taiyar kar liya tha puri tarah se akela ban jaane ke liye.

Jab bhi tumhara chehra dekh leta tha suruwat me to kaafi mushkil hota tha khud ko tumhe dekhne ke liye...Lekin kisi tarah khud par kabu kar leta tha...Mai nahi chaahta tha jab bhi tumhe tumhaare Maa le jaaye to mai fir se kisi ke liye udaas aur pareshaan ho jaau...Pehle hi aadat daal lena chaahta tha akela jeene ke liye.

Mai intejaar karta raha lekin wo jaa hi nahi rahi thi...Thoda thoda hairaani to ho raha tha lekin kabhi vajah pucha nahi.

Issi bich mai apni sharb ki aadat me iss tarah ulajh gaya ki mere aas paas kya ho raha hai iss baat ka bhi pata nahi chal raha tha...Mai daru pee raha tha ya daru mujhe pee raha tha ye baat mai nahi samajh paaya uss vakt.

Dhire dhire daru ki lat ki vajah se maine khud ko hi kho diya...Apna character, soch aur apni saari khaasiyat kho diya.

Teri Maa se bhi koi baat cheet nahi hota tha kuch baato ke alawa...Wo apne jarurat ke saaman ke liye paise maangti thi aur mai de deta tha...Kabhi iske alawa kuch baat nahi kiya.

Dhire dhire tu badi hoti gayi...Aur bolne bhi lagi...Tu kabhi kabhi aati thi mujhse baat karne ke liye lekin mai tujhe khud se alag kar deta tha...Iss baar pehle wali vajah nahi tha.

Iss baar daru ka asar tha...Mai abb itna sakht aur nirdayi ban gaya tha ki mujh me sahi aur galat samajhne ka taakat nahi raha...Yaha tak ki mujhe ye bhi yaad nahi rehta tha ki meri koi beti bhi hai...Daru ne mujhe itna nirdayi bana diya tha ya fir ye kehna bhi galat nahi hai ki maine khud ko itna nirdayi bana liya tha ki mujhe teri masoom chehra aur aankho ki aansu ka bhi koi fark nahi padta tha.

Jab tu thoda aur badi ho gayi aur school jaane laayak ho gayi tab pehli baar teri Maa ne mere saath ladaayi kiya...Mai nahi chaahta tha ki tu padhe...Puraane khayalaat to nahi lekin mai ye jarur jaanta tha ki jab tu padhegi tab guardian ke roop me mujhe bulaaya jaayega.

Bas yahi vajah tha...Abb mai koi bhi jimmedaari nahi uthaana chaahta tha kisi ke liye bhi nahi...Tang aa gaya tha mai inn sab chijo se.

Khair uss vakt teri Maa jeet gayi aur maine haar maan liya...Jyada vahas karne se accha ki tera admission hi kara deta hu aur maine gaanw ke school me hi tera admission kara diya.

Uske baad jyada kuch nahi hua...Teri Maa mujhe chod kar nahi gayi lekin hamaare bich ke dooriyan bahut badh gaya...Uske chehre me mai apne liye gussa aur nafrat aane laga tha...Lekin mujhe koi fark nahi pada...Wo abb apne jaroorat ke saaman ke baare me mujhse baat nahi karti thi...Subah ek paper me likh deti thi aur mai bhi paisa rakh deta tha.

Isse jyada kuch nahi hota tha hamaare bich...Ha kabhi kabhi ladaayi ho jaata tha tere padhaayi aur baaki ke baato ke liye.

12 tak to tune gaanw se hi padha...Uske baad jab BBA ke liye shahar jaane wali thi tab fir se ladaayi hui...Shaayad tujhe nahi pata ye baat lekin yudh hi hone wala tha hamaare bich.

Mai tere aage ke padhne ke khilaaf tha aur wo tujhe har haal me padhana chaahti thi...Ek baar fir se mai hi haar gaya...Tu padhne chali gayi...Uske baad sab kuch pehle jaisa ho gaya...Mai apne duniya me vyast aur tu aur teri Maa apne duniya me.

Issi tarah teri Maa ki vajah se fir se tu MBA bhi padh paayi...Fir se mera haar ho gaya...Haarne ka to aadat hi pad gaya tha.

Fir se tera MBA khatam hone tak waisa hi chalta raha jaisa chalta aa raha tha.

Aur aakhiri baar mai apne jimmedaari nibhaane gaya na chaahte hue bhi tera padhaayi ke baare me.

Waha mai gaya hi tha ki mujhe Sameer mila...Usne mujhe tere baare me bataya...Ye bataya ki tu kisi ladke ke saath koi pyar ki chakkar me hai aur padhaayi me bahut kamjor hai...Mujhe tujh par tera iss jhooth ki vajah se bahut gussa aaya.

Usne mujhe tera shaadi ka idea diya jo mujhe bilkul bhi pasand nahi aaya...Mai nahi chaahta tha ki teri shaadi me mai dahej du...Ek to ye gunaah hai lekin vajah ye nahi tha...Mai kisi ke saamne jhukna nahi chaahta tha ki mai usko paisa de kar tera shaadi karwaau.

Tab Sameer ne mujhe ye bataya ki agar mai tera shaadi kisi bewda se karwaunga to ulta mujhe hi paisa milega...Pata nahi kya hua tha uss vakt mai maan gaya.

Jab ghar me aakar iss baare me socha to galat laga aur maine wo plan mere dimag se nikal diya ko tera shaadi kisi bewda se karaunga...Lekin gaanw me jo izzat baaki tha isse nahi gawana chaahtw tha iss liye tera shaadi karana jaruri ho gaya tha.

Maine jab iss baare me apne wo ek louta dost ke saath baat kiya to usne kaha ki uska beta Pratap tujhse shaadi karne ke liye taiyar hai...Koi dahej ki baat nahi hua aur isme mujhe koi burai bhi najar nahi aaya...Maine turant ha kar diya.

Uss vakt mujhe tera aansu fir nahi dikha...Bahut pehle hi maine tera aansu ko najar andaaj kar diya tha...Abb mujh me koi emotion ka fark nahi padta tha.

Mai aaj tak tere Maa se haarta hi aaya tha...Lekin iss baar maine haar nahi maana aur har haal me shaadi karwana chaahta tha isse pehle gaanw walo tak tere aur shahar ke kisi ladke ke pyar ke baare me pata chale.

Pata nahi gaanw walo ke saamne mai kya tha aur kya sochte the...Lekin mai kabhi galat nahi tha iss samaaj ke liye...Lekin agar tera prem kahani sabke saamne aa jaata to sach me mai unke liye majak ke patra ban jaata jo mai nahi hone dena chaahta.

Ek sharabi hone ke baawjood apna izzat ka khayal tha uss vakt...Pata nahi kitna gira hua insan ban gaya tha uss vakt jo apne beti tak ka fikar nahi kiya maine.

Jab shaadi ka vakt aaya to achanak hi wo Sameer aa tapka...Aur aate hi mujhe shaadi rukwane ki baat karne laga...Gussa to itna aa raha tha ki uss vakt to usko wohi maar deta usse lekin kisi tarah apne gusse par kaabu rakha.

Ek to bakwas idea diya tha college me...Agar wo idea maan kar ek bewda se tera shaadi karwa deta to apni hi beti ka jindagi barbaad karne ka paap lagta...Aur meri vajah se teri jindagi nark se bhi bura ban jaata.

Pratap ko maine jitna jaana tha usse to yahi lagta tha ki wo ek accha ladka hai...Iss bich maine tera wo pyar...Kya naam tha uska Karan uske baare me pata lagaya...Pata chala ki wo ek ghatiya type insaan hai...Pyar par to pehle hi vishwas utrh chuka tha aur iss baat ne mera yakin aur badha diya.

Pehli baar socha ki abhi tak tere liye padhaayi ka jimmedaari to uthaaya hi hai...Abb shaadi ka jimmedaari bhi utha hi leta hu aur tujhe vida kar deta hu...Isa tarah se mera kartavya bhi khatam ho jaata aur mai aage ki jindagi sukun ke saath jee kar mar sakta tha.

Lekin Sameer ka waha aana aur sach bataane se mujhe bahut gussa aaya...Uski iss baat se mujhe laga ki usne mere saath khel khela aur mujhe bewkoof samjha.

Ye baat mujhse bardast nahi hua...Koi mujhe itna bada bewkoof kaise samajh sakta hai aur aakhiri vakt me aa kar mujhe hukum deta hai shaadi rukwane ke liye jaisa ki mai uska gulam hu...Aur to aur wo mujhse paise ka baat bhi kar raha tha.

Socha ki iska paisa ka ghamand tod deta hu aur isko iska saja bhi milega...Mujhe uski baato se itna to pata chal gaya tha ki wo accha ladka hi hai...Insaan ko pehchaane ki shakti nahi bhula tha...Us vakt dimaag me yahi aaya ki iska galti ka saja isko mil kar hi rahega aur maine usko majbur kar diya usko hi shaadi karne ke liye.


Itna keh kar Priya ki Papa chup ho gaye kuch pal ke liye aur fir aage kehna lage.

P. Dad:- Abb tumhara aakhiri sawaal ka jawaab.

Aakhir ek hi raat me aisa kya jadu ho gaya ki mai tumse aakar baat karne laga aur apni galtiya ke baare me baat karne laga.

Sameer ne kal raat aisi kayi baatein mujhse kaha...Isse sunne ke baad mai sochne par majbur ho gaya aur natija aaj saamne hai.

Usne bahut saari baatein kaha jisme se 2 baato ne mujhe sochne par majbur kiya.

Tumhe lag raha hoga wo 2 baatein ye hai ki ek mai dharti ka bojh hu aur dusra jab baad me mai akela pad jaaunga tab mujhe apni galti ka ehsaas hoga aur issi liye mai tumse maafi maangne aa gaya.

Lekin ye sab nahi hai.

Wo 2 baatein ye hai ki ek mai pita ke naam me kalank hu aur dusra tumhaari Maa itne vakt se mere saath reh rahi hai.

Marne se kabhi dar nahi laga..Kyu ki ye raasta maine khud chuna tha aur iska koi afsos bhi nahi hai.

Sabse pehle to iss baat ne mujhe pareshaan kiya raat bhar ki tumhaari Maa kaise ek bewde ke saath itne vakt se rahi...Kya vajah ho sakta hai...Usko aaj tak mai samajh nahi paaya...Uska khaamoshi hi iska badi vajah tha.

Kaash kabhi to wo mujhse aache se baat karti aur mai bhi uska dil ka baat jaan pata...Lekin wo hamesha se chup hi rahi...Kabhi nahi jaan paaya usse aur uska ye khaamosh roop ki vajah se.

Jab daru peena suru kiya tab bhi wo chup rahi...Kuch nahi boli...Kya karta mai...Mujhe laga wo bhi abb mujhe pasand nahi karti iss liue mera fikar nahi karti hai...Mai gair jimmedaar hua jaa raha tha fir bhi wo khaamosh rahi...Mai galti ke upar galti karta jaa raha tha fir bhi wo khaamosh rahi...Abb mai kya karta.

Jo sahi laga wo kiya...Mai akela mehsus karne laga khudko aur iss baat ka dar tha ki wo tujhe apne saath le jaayegi uske baad to mai puri tarah se akela ho jaaunga...Iss vajah se maine khudko akela hi rakhne ka aadat daal liya.

Jab vakt bitne laga aur wo mujhe chod kar nahi gayi to mujhe ajeeb laga par baat nahi kar paaya...Ek jhijhak sa lagne laga. Aur ego bhi...Jab wo mujhse baat nahi karti to mai kyu karu...Kya kami hai mujhe...Apni duniya me khus hu isse jyada kya chaahiye.

Dhire dhire mai ye baat bhul gaya.

Aur kal hi Sameer ki baato se waapas ye sochne par majbur ho gaya...Aakhir kaise 25 saal usne mere saath khaamoshi se apna jindagi gujaara...Bahut socha...Jab sutuwat se socha to mujhe laga wo jarur mujhse pyar karti thi shaayad...Jab mai uske dost se pyar karta tha tab lagta tha ki wo mujhse pyar karti hai...Yakin nahi tha par shak tha...Lekin mai kisi aur se pyar karta tha issi vajah se ye soch apne khayal se nikal diya.

Jab mera sab kuch loot gaya aur wo khaamosh rehti thi to mujhe uska khaamoshi dekh kar laga ki paise jaate hi uska pyar ya fir jo bhi tha wo khatam...Kyuki uke dost ne bhi to mujhse paise ke liye pyar ka naatak kiya tha.

Lekin kal jab maine socha ki agar pyar khatam ho jaata to 25 saal kaise usne jee liya mere saath.

Tab jaakar mujhe pne galti ka ehsas hua...Agar usne mujhse baat nahi kiya to kya hua mujhe to baat karna chaahiye tha...Bahut galat kiya maine...Agar baat kar leta aur mujhe pata chalta ki wo bhi mujhse pyar karti hai to shaayad mai uske liye khud ko badal leta aur aaj ye nahi hota.

Iske baad ek aur galti hua mujhse...Galti nahi paap...Sach kehta hai Sameer...Pita ke naam me kalank hu...Aakhir kaise itna gir sakta hu ki apni beti tak ka fikar nahi kar paaya...Ek beti ke liye uska pita sabse karib hota hai...Lekin mai besharam hamesha usse dur bhaagta raha.

Kitna galat ban gaya mai...Mai bas isko haalat ko dosh nahi de sakta...Kuch galtiya meri murkhata ki vajah se hua hai...Aur kuch haalat ki vajah se.

Kaah maine uss pal thoda himmat aur apna dimmag ka istemaal karta aur tumhaari Maa se iss baare me baat karta...Lekin mai mushkil palo me ek kaayar nikla aur haalato ka saamna nahi kar paaya aur bewda ban gaya aur uske baad to maine khud ko hi kho diya...Aur na jaane kitna galat aur anyaay kiya tum dono par.

Raat bhar issi galti ko soch kar mai pareshaan tha...Aur ek baar tum dono sebaat karne ke liye tadap raha tha.


Itna keh kar Priya ki Papa chup ho gaye aur apna sar jhukaaye hi khada rahe...Wo Priya ki aankho me dekh nahi paa rahe the...Priya ki chehre me bhi koi bhaaw nahi tha...Usse samajh me nahi aa raha tha ki kya bole abb...Ussi vakt firse Priya ki Papa ki aawaj aaya.

P. Dad:- Ho sake to mujhe maaf mat karna beti...Mera paap ka saja itna chota nahi hai ki itni jaldi maafi mil sake...Aaj pehli baar mai khud ko apni hi najaro me gira hua maan raha hu...Lekin abb kuch kar bhi nahi sakta...25 saal maine barbaad kar diya...Itne vakt me tere Maa ke saath bahut bada naa insaafi kiya hai maine...Chaah kar bhi nahi laa sakta wo 25 saal ko waapas.

Na hi teri bachpan ko...Bahut man karta hai aaj wo nanhi si masoom Priya se baat karne ka, uske saath khelne ka uski ungliyon ko pakad kar chalne ke liye sikhaane ka...Pith par bitha kar school le jaane ka...Tere liye kisi se bhi ladne ka....Lekin itna majbur hu ki kuch nahi kar sakta.

Khud ki jindagi par thukne ka man kar raha hai...Bhale hi kisi ne mere saath kuch bhi kiya ho lekin mujhe tere saath itna galat nahi karna chaahiye tha...Afsos ho raha hai ki tu aisa ghatiya ghar me paida hui jaha tera pita itna ghatiya ho.

Bahut sochne ke baad abb ye faisla kiya ki koshish karunga abb ye daru ki aadat chodne ka aur baaki ka jindagi tere Maa ke saath acche se bitaaunga.

Pata nahi abb kitna jiunga mai...Daru bhi itna pee liya hai ki kabhi bhi mar sakta hu...Lekin mera maut par kabhi aansu mat bahana...Mera antar aatma bhi mujh dhikaarega...Abb to bas itna hi socha hai ki bhale hi der ho gaya hai...Bahut der ho gaya hai lekin jitna bhi jindagi baaki hai abb isse daru me nahi barbaad karunga...Teri Maa ke liye jiyunga abb...Jo shaayad bahut pehle hi kar dena chaahiye tha.

Afsos rahega ki tere liye kuch nahi kar paaunga lekin tere liye dua jarur karunga ki tu hamesha khus rahe.

Itna keh kar Priya ke Papa room se chale gaye...Wo aage bol paane ke haalat me nahi the aur nahi Priya ki kadwi baatein sun paane ki.

Priya ke Papa ke room se jaate hi Priya soch me pad gayi...Soch aur hairaani dono maujood tha uske chehre me...Bahut der tak wo apne Papa ke baare me sochti rahi lekin kabhi faisla kar nahi paayi ki aakhir kaise hai uski Papa...Kabhi usse wo bahut ghatiya lagta to kabhi majbur...Issi soch me sochti reh gayi wo lekin kuch faisla nahi kar paayi...Usse to ye bhi samajh me nahi aa raha tha ki usse apne Papa ke liye gussa hona chaahiye jo bhi unhone unn dono ke saath kiya ya fir dukhi hona chaahiye.

Jab apne Papa se uska dhyan hata to Sameer par aa kar tik gaya...Aur wo ek baar fir Sameer ke baare me sochne par majbur ho gayi...Aakhir kaun hai Sameer aur uski jindagi me aane ke baad uski jindagi kis tarah se badal gaya hai.


Abb Next update se story main plot par ek nayi suruwat ke saath.
Majedaar update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 86


Sameer jab apne room se nikla tha tab wo fresh hone ke baad ghar se baahar nikal kar ghum raha tha...Usse Priya ke Papa ke chehre ko dekh kar itna to pata chal gaya tha ki wo kuch jaruri baatein karna chaahte the Priya se.

Iss liye itna time intejaar karne se behtar hai ki thoda ghum fir le...Jab 1 ghanta tak wo ghar ke aas paas ghum karghar ki taraf aaya to gate ke paas me baithi Priya ki Maa par uska najar gaya.

Priya ki Maa ko dekhne ke baad usko fir apne shaadi ke din yaad aa gaya...Uss din Priya ki Maa ka dukhi aur dar se bhara hua chehra yaad aaya Sameer ko fir khud par gussa aaya...Lekin ye vakt khud par gussa hone ka nahi tha...Galti kiya tha to abb wo usse bhaag bhi to nahi sakta tha.

Sameer Priya ki Maa ke paas gaya aur dhire se bola.

Sameer:- Maa ji.

Sameer ki iss baat se Priya ki Maa ka dhyan toota...Unhone Sameer ko dekha nahi tha...Wo apne kiso soch me dubi hui thi aur chehre me udaasi aur pareshaani najar aa raha tha.

Jab Priya ki Maa ki najar Sameer par gaya to unhone bhi dheemi aawaj me kaha.

P. Mom:- Tum yaha...Kuch chaahiye the kya?

Sameer:- Nahi aise hi ghum raha tha...Lekin aap aise kyu baithi hai...Koi pareshaani hai kya?

P. Mom:- Nahi beta...Aisi koi baat nahi hai...Thoda sa sar me dard tha.

Priya ki Maa ke kehne ke tarike se Sameer ko pata chal gaya ki wo jhuth bol rahi hai...Usne pehle hi unke chehre ko gaur se dekh liya tha aur aisa lag raha tha ki koi vajah to jarur hai jo unhe pareshaan kar rahi hai.

Sameer:- Nahi Maa ji...Chehre se hi dikh raha hai ki aap kisi vajah se pareshan hai...Agar aap nahi kehna chaahti hai to koi baat nahi...Mai force nahi karunga.

Itna keh kar Sameer ghar ke andar jaane laga...Tabhi piche se aa rahi Priya ki Maa ki aawaj sun kar wo ruk gaya.

P. Mom:- Pareshaani to hai...Lekin abb ye koi nahi baat nahi hai...Aadat ho gaya hai ye sab kuch sehne ka...Iss ghar me kabhi bhi shaanti nahi aayegi...Hamesha hi jhagada hota rahega...Mai aur Meri beti ki jindagi me kabhi accha din nahi aayega.

Priya ki Maa ne pareshaan si aawaj me kaha.

Sameer:- Sorry Maa ji...Kal pata nahi kaha se itna gussa aa gaya ki bahut kuch bol diya...Maaf kar dijiye agar kuch bhi galat bol diya ho to.

Sameer ne piche mud kar fir se Priya ki Maa ki paas aa kar kaha.

P. Mom:- Nahi beta...Tumne kuch galat nahi kaha...Usme Priya ki Papa ka galti tha...Ye sab jo bhi ho raha hai aaj iss sabke piche wo hi jimmedaar hai...Agar wo acha aur saccha insaan hote to aaj jo bhi ho raha hai aisa kuch nahi hota.

Priya ki Maa ki aawaj me kuch nafrat tha apne pati ke liye.

Kuch der chup rehne ke baad Sameer ne bahut himmat karke bola.


Sameer:- Pata nahi mere paas ye hak hai bhi ya nahi ki mai aap sabse maafi maang saku...Galti nahi gunaah kiya tha maine...Aur yahi gunaah mujhe pareshaan kar raha hai baar baar aur khud ki najaro me gira raha hai.

Par yakin maaniye mera ye sab karne ka bilkul man nahi tha...Nafrat aur badla ki vajah se andha hokar maine ye sab kar diya...Naa hi mai ye sab karta aur naa hi aap sabhi ki jindagi prabhaawit hota.

Sameer ki aawaj me ek aatmaglani tha.

P. Mom:- Beta galti to sabse hota hai lekin iss baar galti itna bada hai ki iski vajah se Priya ki jindagi ko bahut buri tarah se prabhaawit kar diya.

Tumhaari aankho me sacchaayi aur galti ka ehsas to maine shaadi ke din hi dekh liya tha...Jis tarah se tum Priya ki Papa ko manane ki koshish kar rahe the usse saaf dikh raha tha ki tum apni bhool ke liye kitna pacchta rahe ho.

Lekin ahut der ho gaya...Koi kuch kar nahi saka...Priya ki Papa ki jidd ki aage kisi ki chal nahi saka.

Mai tumhe gunehgar nahi maan sakti kyuki iss shaadi ki vajah sirf aur sirf Priya ki Papa ki jidd hai...Agar wo maan jaate to ye shaadi kabhi hota hi nahi...Unke saamne tumhara ye bhool kuch bhi nahi hai beta...Tumne to paraya hokar Priya ke liye ladaayi kiya aakhiri pal me lekin Priya ke Papa uska apna ho kar bhi apni beti ki jindagi par bhi koi taras nahi khaaye.

Abb jo ho gaya usse badal to nahi sakte lekin aage kya karna chaahiye iss baare me abhi jarur soch sakte hai...Aur hame wohi karna chaahiye.

Waise bhi maine suna tha ki jo hota hai acche ke liye hi hota hai...Aur aaj ye baat sach bhi lag raha hai.

Agar tumhari shaadi Priya se nahi hoti to Priya hamse aa kar uske aur Karan ke pyar ke baare me kehti...Mai uske khushi ke liye ye shaadi kara deti kisi bhi haal me...Jo ki ek bahut bura faisla hota...Karan ki asliyat ka abb pata chala hai...Uss time kisi ko ye baat pata nahi tha.

Aur agar Priya ki shaadi Karan se hota to uski bhi jindagi meri tarah ho jaata...Wo bhi wohi galti karti jo maine kiya tha...Ham dono ko hi galat insan se pyar hua tha...Aur mai nahi chaahti ki meri beti ki jindagi bhi meri tarah taklif me gujre.

Abb tum dono ke shaadi hone ke baad Priya uss dhokhebaaz se bach gayi...Abb 1 saal ke intejaar ke baad divorce ho jaayega aur uske baad sabhi ki jindagi pehle ki tarah normal ho jaayega.

Iss shaadi ne sabhi ki jindagi me ek bahut bada tufaan jarur laaya lekin ek bahut badi galti hone se bach gaya.


Priya ki Maa ne Sameer ko samjhaate hue kaha...Unhe pata tha ki Sameer apni iss bhool ke baad kitna toot gaya hai...Aise me unhone Sameer ko samjhaya aur wo apne pati ki galti ko chupa bhi to nahi sakti thi.

Sameer ko ye baat sun kar thoda sukoon jarur mila ki Priya ki Maa usse naaraj nahi hai.

Kuch der yunhi chup rehne ke baad Sameer ne himmat karke ek aur sawal pucha.

Sameer:- Maa ji...Ek aur sawal puchna tha aapse...Agar bura lage to maaf kar dijiye.

Lekin kal raat se yahi sawal mere dimaag me ghum raha hai ki aap Priya ke Papa ke saath itne vakt se kaise rahi...Unke jaise ghatiya insan ke saath rehna khud me hi ek bura saja hai...Aap chaahti to unhe chhod kar jaa sakti thi aur acche se apne jindagi aage badha sakti thi...Lekin aisi kya majburi tha jo aapko unke saath hi rehna pada wo bhi itne vakt se?

Sameer ke dimaag me jo sawal itne vakt se chal raha tha wo usne puch hi liya.

Sameer ka iss sawal se Priya ki Maa firse 25 saal pehle ki yaado me chali gayi...Dil me fir se ek dard utha...Ye dard tha unka pyar ka, unki choti si ek galti ka aur galat vakt me galat decision ka.

Unhone kehna suru kiya.

P. Mom:- Pyar karti thi mai unse...Lekin unhone kabhi mujhe pyar nahi kiya.

Wo meri dost se pyar karte the...Aur issi vajah se unse jaan pehchaan ho gaya unse.

Apne dost ke saath unse milte milte kab unse pyar ho gaya pata hi nahi chala...Unki sharafat, acchaayi, caring nature aur baat karne ka tarika dekh kab mujhe unse pyar ho gaya pata hi nahi chala.

Jaanti thi ki wo mere nahi ho sakte...Wo mujhse nahi meri dost se pyar karte the...Bahut mushkil se apne dil par kaabu karke unse dur rehne ki koshish karti thi.

Baad me jab pata chala ki meri wo dost unko paise ke liye pyar ke naatak karti thi hai to mujhe bahut hairaani hua...Apne dost ko samjhaane ki koshish bhi kiya ki aise dhokha dena thik nahi.

Lekin wo nahi maani...Maine unhe apne dost ke asliyat ko unhe bataaya bhi lekin wo nahi maane...Pyar me andha ho gaye the aur kuch dikh nahi raha tha.

Kuch dino ke baad jab sachaayi pata chale wo bilkul toot hi gaye the...Kisi tarah khud ko sambhala unhone...Unke aansu mujhse dekha nahi jaa raha tha...Jab bhi unko sambhaalne jaati wo mujhe khud se dur kar dete the...Pata nahi meri pyar me aisa kya kami tha jo unhe mera pyar dikh nahi raha tha.

Kuch vakt baad wo bilkul thik dikh rahe the...Lekin asal me the nahi...Maine socha abb mai hi unka khayal rakhungi aur unhe apna pyar dungi...Kisi na kisi din unhe mera pyar bhi najar aa hi jaayega.

Maine apne Maa se baat kiya aur unhe apne pyar ke baare me bata diya...Maa Papa maan gaye aur unke ghar me rishta bhijwa diya gaya...Wo bhi maan gaye shaadi ke liye.

(Iske baad Priya ki Maa ne Sameer ko saari kahani bata diya Priya ke papa ke saath hua dhokha, unka akelapan aur sharab ki kahani.)

Kya karti mai uss vakt...Unka wo gussa wala roop dekh kar dar gayi thi...Mujh me ek kami tha ki mai jyada nahi bolti thi...Aur aise haalat me unse bolne se dar bhi lagta tha ki kahi wo mujh par hi gussa na nikaal de.

Jo shayad meri sabse badi galti thi...Socha tha ki kuch dino baad sab kuch thik ho jaayega...Lekin kuch thik nahi hua...Haalat aur kharab hote chale gaye...Wo kab ek sharabi insaan se sharabi ban gaye wo bhi pata nahi chala.

Mai bas intejaar kar rahi thi sahi vakt aane ki...Wo vakt jisme shaayad wo sudhar sakte the...Bas ye intejaar karti rahi ki wo apna badla aur baaki ki baato se apna dhyan hata kar apne pariwar ke liye aage ka soche.

Unhe ek do baar samjhane ke koshish bhi kiya...Lekin samjha na saki...Upar se unka gussa aur mera khaamoshi...Maine sab kuch vakt ke haath me chhod diya ki kabhi to u he mera pyar aur apna jimmedaari dikhega...Lekin aisa kabhi nahi hua.

Jab Priya ka janam hua tab ek aasha badh gayi ki shaayad abb wo din aa jaayegi...Lekin aisa kuch nahi hua...Haalat aur bigad gaye...Wo ek sharabi ban gaye...Abb to unse baat karne me bhi dar lagta tha...Abb sab kuch bhagwan bharoshe hi tha ki sab kuch thik ho jaaye.

Lekin vakt bita, saal bita aur ek jamana beet gaya fir bhi kuch thik nahi hua...Priya jab badi ho gayi tab mai bhi uska khayal rakhne me vyast ho gayi...Abb Priya ko lekar unhe chhodne ke sawal bhi paida nahi hota hai...Puri gaanw me badnaami hoti aur Priya par bhi bahut asar padta.

Majbur ho gayi thi abb waha rehne ke liye...Kuch aur saal beet jaane ke baad bhi jab wo nahi sudhare tab unpar gussa bhi aane laga...Lekin unhe kuch fark nahi padta tha...Mujhse aur Priya se unka koi matlab nahi tha unhe...Bas apni hi duniya me vyast.

Aaj to wo itna galat insaan ban gaye ki apne beti tak ko nahi chhoda...Aaj to itna nafrat aa raha hai unn par ki bata nahi sakti...Gussa aata hai khud par ki maine kaise insaan se pyar kiya aur kyu maine apni jindagi iss insaan ke liye barbaad kar diya.

Sach me bahut bada galti ho gaya mujhse.

Thoda sa pyar karne ki galti aur jamaane ke dar ke saath meri jindagi aise insaano ke haath me aa kar kharab ho gaya.

Kabhi kabhi ye bhi sochti hu ki meri khaamoshi hi meri sabse badi galti to nahi tha...Shayad mujhe unse baat bigadne se pehle hi baat kar dena chaahiye tha aur apne dil ki baat bhi keh dena chaahiye tha...To shaayad aaj haalat aise nahi hote.

Lekin meri ye galti unke galti ke saamne kuch nahi hai...Wo itna na samajh aur gair jimmedaar to nahi the ki baat samajh nahi sakte the...Unhone jaan bujhkar apne liye wo jindagi chuna hai...Agar pehle hi pata chalta ye baatein to unhe ussi vakt chhod deti aur unke saath jindagi kharab karne ki galti nahi karti.

Itna kehkar Priya ki maa chup ho gayi...Chehre me ek dard aur aankho me aansu tha...Sameer ko bhi ye sab baat sun kar bahut ajeeb aur bura laga...Priya ki Papa ke jindagi ke atit ki kahani sun kar usse bhi ek jhatka laga.
Kuch der tak Priya ki Maa ke saath baat karne ke baad wo apne room me aa gaya...Room ke andar jaate hi dekha ki Priya ek bed me lait kar kuch soch rahi thi.

Sameer abhi baat karne ka mood me nahi tha aur wo bhi apne bed me lait kar Priya ki Maa ke kahi hui baatein sochne laga.


Wo apne soch me duba hi tha ki Priya ki aawaj ne uska dhyan toda.

Priya:- Thanks a lot Sameer.

Sameer ne jaise hi ye suna wo chaunk kar Priya ki taraf dekha...Priya ki hontho me ek muskaan tha...Pehli baar Priya ne muskura kar aur itne acche se Sameer se baat kiya tha.

Sameer ko pata nahi kya hua wo Priya ki muskaan me khone lag gaya...Muskuraate hue Priya aaj usse bahut sundar lag rahi thi...Wo befikar ho kar bas Priya ke chehre ko hi dekhe jaa raha tha...Priya ne bhi iss baat par dhyan nahi diya...Wo to abhi bahut khus thi ki usne Sameer ki najaro ka picha bhi nahi kiya.

Priya:- Sameer.

Sameer ko shaant dekh kar Priya boli.

Sameer bhi Priya ki aawaj se waapas hosh me aaya...Hosh me aate hi usse pata chala ki wo kya kar raha tha...Khud par usse yakin nahi hua aur khud se hi sawal karne laga ki aaj kal wo Priya me aise kyu khone laga hai.

Agle hi pal usse yaad aaya ki usse Priya ko jawaab bhi dena hai...Abb bina der kiye usne jawaab diya.

Sameer:- Thanks...Kis liye.

Priya:- Kal raat tumne Papa ke saath jo baat kiya uske baad Papa ek dum se badal gaye...Pata nahi mai unhe kabhi maaf kar paaungi ya nahi lekin unke badalne se Maa ke liye bahut accha rahega...Kam se kam budhaape me unko unka pati ka saath milega...Bachpan se lekar aaj tak unhone akele hi apne dam par mujhe paala hai...Jindagi bhar mehnat karti rahi hai...Abb to unki baaki ki jindagi chain se kategi.

Thanks Sameer...Aaj tak mai apne Papa ko kabhi badal nahi paayi...Tumne to aate hi ek din me ye jaadu kar diya...Mai apne Maa ke liye bahut khus hu.

Iske baad priya ne wohi kani dohrana suru kar diya aur Sameer bhi issi dauraan Priya ke chehre me ek baar fir khota chala gaya...Ek alag hi sukoon mil raha tha usse.
Atulniye update hai dost.
 
  • Like
Reactions: Qaatil

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 87


Priya ne kareeb 10 minute me Sameer ko sab kuch bata diya...Priya bina Sameer par dhyan diye sab kuch bolti jaa rahi thi.

Sameer bhi iss mauke ka faaidaa utha kar Priya ko dekh ne laga...Pata nahi wo aaj kyu Priya ki taraf khincha chala jaa raha tha...Aaj usne pehli baar Priya kj chehre me ek maasomiyat dekha...Aur uska aawaj utna hi surili...Fir se kho gaya wo Priya me.

Jab Priya ne apni baat khatam kiya tab Sameer ko ek dam se khaamosh aur uske sthir chehre ko apne taraf dekh kar wo chaunk gayi.

Usse samajh me nahi aa raha tha ki aaj Sameer ko ho kya gaya hai.

Priya:- Sameer...Aise kya dekh rahe ho?

Priya ne thoda hairani ke saath pucha.

Sameer Priya ki baat sun kar hosh me aaya...Jab usse pata chala ki wo kya kar raha tha to fir se usse khud par gussa aaya...Wo abhi tak jaan nahi paaya tha ki baar baar uski najar Priya par na chaahte hue bhi kyu chala jaata hai aur Priya par najar jaate hi wo usme kyu khone lag jaata hai.


Sameer:- Nahi...Kuch soch raha tha.

Sameer ne baat sambhaal kar kaha.

Priya:- Aise kya soch rahe the jo itni der tak palkein jhapkaaye bina ek tak mujhe dekh rahe the.

Priya ne bhi hairaani ke saath pucha...Usse Sameer ka aaj ka roop dekh kar bahut hairaani ho raha tha.

Sameer:- Tumhaare Papa ke baare me soch raha tha...Unki kahani bhi bahut ajeeb hai...Sach me haalat insaan ko kya se kya bana deta hai...Bas kuch hi pal pehle ki baat hai tumhare Papa ke liye mere man me bahut nafrat bhara tha lekin abb unke baare me kya sochna chahiye ye bhi samajh me nahi aa raha hai.

Sameer ye baat kehte kehte serious ho gaya.

Priya:- Mujhe bhi bahut ajeeb lag raha hai unka baat sunne ke baad...Lekin samajh me nahi aa raha hai ki unhe maaf kar dena chaahiye ya nahi...Tum kya sochte ho iss baare me?

Priya ki baato se lag raha tha ki wo bahut confused hai.

Sameer:- Iss baare me mai kuch nahi keh sakta...Jo tumhe sahi lage wo karo...Faisla tumhaare haath me hai...Koi bhi faisla galat nahi hoga iss maamle me...Lekin shaayad mai unhe itna jaldi maaf nahi kar paaunga.


Itna keh kar Sameer chup ho gaya...Dono hi ek uljhan me padd gaye the Priya ki Papa ko lekar.

Iske baad dono ke bich ek khaamoshi sa chaa gaya.

Jisko tod kar Sameer ne kaha.

Sameer:- Pata nahi aaj kal mere life me kya ho raha hai...Jo bhi karta hu uska natija kuch aur hi hota hai.

Tum se badla lene gaya tha aur shaadi karke aa gaya aur abb tumhaare Papa se badla lene ka soch raha tha lekin wo ek dam se badal gaye.

Iss baar to kuch accha bhi hua...Bhale hi mera badla adhura reh gaya...Iska mujhe kuch dukh nahi hai...Iss vajah se tumhaare saath kuch to accha hua.

Itna keh kar Sameer Priya ko dekhne laga...Priya ka chehra dekh kar wo samajh gaya ki Priya ko uski baat samajh me nahi aaya.

Sameer:- Matlab ye ki abb tumhare Papa badal gaye hai...Itne din se mai apna bhool ko sudhaarne ka soch raha tha jo abb jaakar ek mauka mila...Anjaane me ek mauka ban gaya.

Abb tumhare sabhi apne tumhe wapas mil gaye hai...Karan ko chhod kar...Wo dhokhebaaz kamina kisi ka apna nahi ho sakta.

Ye bhi sahi hai ki mushkil vakt me hame pata chalta hai ki kaun apna hai aur kaun paraya...Iss mushkil vakt me tumhe sabka asli chehra bhi pata chal gaya ki kaun accha hai aur kaun bura.

Hamare divorce ke baad bhi tumhaara saath dene ke liye itne log hai jo tumhaare apne hai...Tumhare Maa, Papa aur Divya.


Divorce ki baat sun kar pata nahi kyu Priya ko pehli baar bura laga...Usse lag raha tha ki kuch to galat ho raha hai jo nahi hona chaahiye...Anjaane me hi sahi abb usse Sameer ki aadat si ho gayi thi...Aur usse alag hone ka baat sunte hi uske dil me ek ajeeb sa dard hua...Lekin iska vajah wo samajh nahi paayi.


Sameer:- Aur ho sake to mujhe ek bura sapna samajh kar bhula dena...Mere aane ke baad tumhaare jindagi me galat hi hua hai...Mujhe tumhe dukh pahuchaane ka koi iraada nahi tha lekin anjaane me tumhaare saath bahut galat ho gaya....Tumhaare liye mai hamesha se hi galat insaan raha hu.

Ye kehna Sameer ko bhi accha nahi laga khaas kar pehla line ki ho sake to mujhe ek bura sapna samajh kar bhula dena...Lekin kisi tarah se usne apni baatein bhi keh diya.


Priya:- Nahi Sameer...Tum galat nahi ho...Aaj Papa ki baat sunne ke baad maine tumhaare baare me bhi socha...Aur aaj pehli baar tumhaare acchaaiyon ko dekha.

Tumne anjaane me mera bahut saath bhi diya hai.

Sabse pehle to tumne mera ragging hone se bachaya aur naye dushman bana liye...College me bahut students the lekin unme sirf tum hi the jisne mera saath diya.

Dusri baar tumne mujhe uss Neha se bachaya...Agar uss vakt tum nahi hote to shaayad mai pure college me badnaam ho jaati...Lekin tumne uss vakt bhi sachaayi ka saath diya ye baat bhula kar ki mai tumhaari dushman hu.

Teesri baar wo college tour me...Jaha tumne khatron se khel kar ek ajnabee ka jaan bachaya aur usse koi credit bhi nahi liya.

Chauthi baar jab tumhe apna bhool ka ehsas hua tab tumne khud ko daaw par laga kar mujhse shaadi kiya uss Pratap se bachaane ke liye.

Aur bhi kayi baar tum shaant rahe jab mai gusse me tumhaare saath baat karti thi aur tumhe apna nafrat dikhaati thi...Tumne apna bhool ko hamesha se ek bada bhool ke roop me maana aur uska pacchtaawa bhi tha tumhe...Tumhaara baar baar apna ego bhul kar mujhse maafi maangna tumhaara ek aur acchaayi tha.

Aise bahut si khubiya hai tum me jisse mai anhaan thi...Ha tumhaara bhool bahut bada tha...Shaayad mai tumhe kabhi maaf nahi kar paati lekin aaj tumhaare baare me jab socha tab ye baat dimaag me aaya ki tumne apna galtiyan maan liya aur praayaschit bhi kar liya hai to mujhe bhi tumhe maaf kar dena chaahiye.

Tumhara sabse bada khaasiyat mujhe ye laga ki jab tumhe epna bhool ka pata chala tab tumne khud ka fikar nahi karke mujhe Pratap se bacha liya...Uss vakt tumhare paas koi ego nahi tha aur naahi dushmani...Uss vakt tumne ek acche insan ka farj nibhaaya...Tumne apna bhool ka shikaar apna sabse bada dushman ko bhi nahi hone diya...Ye baat mujhe sabse pasand aaya.

Yahi sab baato ko soch kar maine tumhe maaf kar diya.

Itna keh kar Priya ne Sameer ko dekha jiske chehre me khusi aur hontho me muskaan ka bhaaw tha...Uska chehra dekh aisa lag raha tha ki uske dimaag se bahut bada bojh utar gaya ho.

Priya:- Ye sab sochne ke baad aaj ye bhi pata chala ki tum galat insaan pehle bhi nahi the jitna mai tumhe sochti thi...Tumhe galat najar se pehchaana maine...Hamesha se tumhe ek ghamandi aur awara ladka samajhta tha jo sirf dusro ko hi pareshaan karta hai.

Lekin aaj pata chala ki tumhaare baare me maine galat socha tha...Tumhaara aur mere bich jo bhi problem tha wo sab ek misunderstanding tha...Aur iss aag me ghee daalne ka kaam Shruti ne kiya tha.


Itna keh kar Priya chup ho gayi...Usse pata hi nahi chala ki baato hi baato me usne kya bol diya hai...Usse abb dar tha ki Sameer Shruti ke baare me puchega to wo kya batayegi...Bas usse hi pata tha Shruti ka asliyat Sameer ko nahi...Agar wo Sameer ko iss baare me bata bhi degi to Sameer uska yakin nahi karta.

Kuch der intejar karne ke baad bhi jab Sameer ne kuch nahi bola to usne thoda dar ke saath Sameer ki taraf dekha...Sameer ke chehre me hairani aur aascharya ke bhaaw tha...Wo kuch bolne hi wala tha ki uske mobile me kisi ka phone aa gaya.

Number dekha to Shruti ka tha...Shruti ka naam dekhne ke saath hi Sameer ka chehra me fir se ek udaasi chaa gaya...Usne dhire se phone pick kiya aur apne kaano se laga liya.
Behtreen update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 88


Shruti:- Hello Sameer.

Phone uthaate hi Shruti ka bechain aawaj Sameer ke kaano me pada.

Sameer:- Ha Shruti...Bolo.

Sameer ne bina kisi bhaaw ke saath jawaab diya.

Shruti:- Tum abhi kaha ho aur kal se tumhara phone kyu nahi lag raha hai.

Shruti ki aawaj me naraajgi tha...Kal se Sameer ko phone nahi lagne ki vajah se wo thoda pareshan bhi thi.

Sameer:- Priya ke saath uske ghar aaya hu...Yaha network problem hai issi liye phone nahi lag raha tha.

Sameer ko to Shruti se iss vakt baat karne ka man hi nahi tha...Lekin wo chaah kar bhi aisa nahi kar sakta tha...Usne bas Shruti ka sawal ka jawaab dene ka hi socha...Isse jyada wo kuch baat nahi karna chaahta tha.

Shruti:- Tum uske ghar gaye ho aur mujhe bataya bhi nahi...Aisa kya kaam pad gaya tha jo tum abhi uske ghar me ho.

Shruti ki aawaj me gussa saaf mehsoos kiya jaa sakta tha...Sameer Priya ke saath Priya ke hi ghar me hai ye baat usko bilkul bardaast nahi ho raha tha.

Sameer:- Parso hi pata chala ki Priya ghar aana chaahti hai to usko lekar kal aa gaya...Bahut din ho gaya tha usko apne ghar gaye hue bhi...Haalat hi aise hai ki agar wo waha rehti to ghutan mehsoos karti issi liye kuch dino ke liye yaha apne ghar aa gayi.

Sameer Shruti ka gussa samajh sakta tha...Agar abhi wo iss vakt uske saath acche se baat nahi karta to ek aur tufaan ka aane ka khatra ka pata usse chal gaya tha.

Usne jaise taise khud ko sambhala taaki wo jyada berukhi se Shruti se baat na kare...Aur sambhaalne ke baad acche se samjhaane ka koshish kiya.


Lekin Shruti ka gussa kam hi nahi ho raha tha...Gusse me ek baar fir se usne kaha.

Shruti:- Lekin mujhe to tum bata sakte the na ki tum Priya ke saath jaa rahe ho.

Sameer:- Dimaag me ye baat aaya hi nahi.

Sameer ko bhi nahi pata chala ki usne kya keh diya hai...Usne to sach hi kaha tha...Lekin jab iska ehsas hua to der ho gaya...Ek aur gusse se bhari Shruti ki aawaj uske kaano me pada.

Shruti:- Waah Sameer...Yahi hai tumhara pyar...Ye tumhe koi chhoti baat lagti hai...Tumhaara shaadi hone wala hai mujhse...Aur tum itna badi baat chupaate ho mujhse...Tumhari hone wale patni hone ki vajah se hak hai mere paas ki tumhaare baare me jaan saku.

Tum kya karte ho, kisse baat karte ho, kaha jaate ho ye sab jaane ke hak hai mere paas.

Lekin tum to acche se jawaab tak nahi de rahe ho...Ek dam berukhi se baat kar rahe ho jaise tumhaara fikar karna mera gunaah hai.

Pehle hi mere saath dhokha kiya tumne aur Priya se shaadi kar liya...Tumhaari baat maan liya ki galti aur anjaane me ho gayi shaadi...Kisi tarah khud ko mana kar ek mauka diya tumhe apne bhool sudharne ka...Lekin tum to abhi bhi mujhse cheating kar rahe ho uss Priya ke aur paas jaa kar aur usse najdiki badha kar.

Tum to bahut hi ghatiya insaan nikle Sameer...Mera sacha pyar ka ye sila diya tumne...Kitna badal gaye ho tum Sameer.

Shruti ne bahut gusse me apni baat kaha....Usse bardaast nahi ho raha tha Sameer Priya ke ghar gaya hai aur abb Sameer usko pehle se jyada ignore karne lag gaya hai...Gusse me usne kya kya kaha ye usse khud pata nahi chala.

Sameer ko paane ke liye aur Priya ko raaste se hataane ke liye usne kitna mehnat kiya tha lekin aaj Sameer ka Priya ke paas hone se usko bahut gussa aa raha tha aur ye gusse me usne bahut kuch bol diya jo usse nahi bolna chaahiye tha.
Iss baar Shruti ki baat sun kar Sameer khud par kaabu nahi kar paaya.

Sameer ne bhi ek dam gusse ke saath jawaab diya.

Sameer:- Sabse pehle to maine tumse kabhi pyar kiya hi nahi...Yo ye bolna band karo ki mera pyar kaisa tha...Ye shaadi kar raha hu to tumhaari aur apne Papa aur Maa ke khusi ke liye...Abb tum kya keh rahi thi ki tumne mujhe ek mauka diya hai mera bhool sudhaarne ka...Agar tumhe aisa lagta hai to nahi chaahiyrle tumhaari ye meharbaani.

Dusri baat agar maine Priya se shaadi kiya hai to iska vajah bhi tum khud hi ho...Tumhaari galat informations ki vajah se mai Priya se badla lene chala gaya tha aur he sab ho gaya...Na tum mujhe kuch galat baatein bataati aur na ye sab hota.

Ek baar tum khud ko aaiyne me dekho aur bataao ki tum kya ho...Priya ki jindagi me iss tufaan ke piche tum bhi ek bahut badi vajah ho...Lekin tumne kabhi usse maafi nahi maanga...Maana ki tum dono ka ek dusre se accha banti nahi hai lekin fir bhi tum apna galti maan nahi rahi ho.

Aur ye cheating kaise hua...Maana ki tumse shaadi hoga mera baad me...Lekin ye jaruri bhi to nahi ki mai tumhe apna har chota sa chota matter bataata hi rahunga...Kabhi kabhi tensions ki vajah se baat dimaag se nikal jaata hai aur nahi bata paata hu.

Iska matlab ye to nahi ki mai tum se daant khaata rahu..Mera bhi kuch self respect hai aur mai ye baat bilkul bardaast nahi kar sakta hu...Abhi bhi aisa hi hua hai...Dimaag se ye baat nikal gaya ki jaate vakt tumhe bata deta hu.

Lekin iske baad to tum shak hi karne lag gayi ki mai tumhe cheat kar raha hu...Mai Priya ko pahunchaane aur waapas laane ke liye yaha par aaya hu...Aur ye ek tarah se mera jimmedaari bhi hai...Jab tumne mujhse pucha to maine saaf saaf bata diya...Agar nahi batata to ye cheating hota.

Tumhe to shak karne ka bimaari ho gaya hai...Jo karna hai karo lekin mera dimaag kharab karna band karo...Kabhi kabhi to lagta hai ki maine tumse shaadi karne ka faisla lekar koi galti to nahi kar diya.


Itna keh kar Sameer ne phone kaat mar bed me fenk diya...Uske chehre gusse se laal hota jaa raha tha.

Paas me baithi chehra me hairaani saaf dekha jaa sakta tha...Usse Sameer ka itna gussa wo bhi Shruti ke liye dekh kar sach me bahut hairaani ho raha tha.

Himmat karke usne Sameer se kaha.

Priya:- Itna gussa kyu ho gaye...Kya kaha Shruti ne.

Sameer:- Shak kar rahi thi mujh par...Aur mujhse badtameezi se baat kar rahi thi...Abhi se ye haal hai to pata nahi baad me kya hoga.

Sameer ne bahut gusse me jawaab diya.

Priya:- Shruti ki jagah koi bhi ladki hoti to shaayad wo bhi yahi karti...Shaayad tum jyada hi gussa ho gaye iss chhoti se baat ko lekar.

Lekin abhi Sameer kuch bhi baat samajhne ke mood me nahi tha.

Sameer:- Na ye baat chhoti hai aur na mera gussa be vajah.

Agar galti mera hota hai to mai kisi ki bhi kadwi baatein sun leta hu chaahe mujhe jitna bhi bura lage...Lekin abhi mera kya galti tha.

Usne gusse ke saath mujhse baat kiya...Maine seh liya aur usko samjhaate hue baat kiya...Lekin wo dhire dhire mera character ke baare me bolne lagi...Keh rahi thi mai usse cheat kar raha hu...Soch samajh kar bolna to dur sidha shak karti hai...Hadd hota hai shak ka bhi.

Sameer ne bahut gusse ke saath kaha...Uska gussa dekh Priya samajh gayi ki wo abhi kuch nahi sunega aur naa hi samjhega...Priya ne socha ki Sameer ko kuch pal ke liye akela chhod dena hi thik hoga.

Aur Priya Sameer ko room me akela chhod kar bahar chali gayi.

Sameer room me kuch der ke liye akela raha...Aaj usse Shruti par pehli baar itna gussa aa raha tha...Usse bardaast nahi ho raha tha ki koi uske charecter par shak kar raha hai aur usko cheater bol raha hai.

Kaafi der tak ye sab soch me hi vyast raha Sameer...Fir dhire dhire uska gussa kam hone laga...Lekin usne Shruti ko maaf nahi kiya tha aur abhi bhi usse naaraj tha.

Kuch der baad Priya bhi room me aa gayi...Lekin iss baar Sameer aur Priya ke bich koi baat cheet nahi hua...Kuch der me Sameer ka gussa puri tarah se utar gaya.

Gussa khatam hone ke saath jab bhi Sameer ka najar Priya se takrata wo Priya me khone lag jaata...Bahut mushkil se wo apna najar Priya par se hatata tha.

Kuch der tak to usne khud ko control karne ki koshish kiya kyu ki wo nahi chaahta tha ki Priya ko pata chal jaaye ki wo najare chura kar kabhi kabhi usko dekhta hai.

Pata nahi Priya kya sochegi uske baad ye soch kar Sameer khud par control karne laga...Lekin jab nahi kar paaya to khud se hi gussa ho kar room se baahar nikal gaya.

Baahar nikal kar wo ek chair me baith gaya aur khud se hi sawal karne laga.

Sameer:- (To himself) Ye kya kar raha hu mai...Kyu achanak se Priya me paagalo jaisa khone lag gaya hu...Aaj se pehle to aisa kabhi nahi hua...Pata nahi kya ho raha hai mujhe...Aur kyu khud par control nahi kar paa raha hu.

Pata nahi kya hai uski inn kaali aankho me...Jo mujhe uski taraf naa chaahte hue bhi khinchta chala jaa raha hai...Abb to khud ko rokna bhi bahut mushkil ho gaya hai uski aankho me dubne se.

Ye sab sochte hue Sameer fir Priya ki yaado me khone lag gaya.

Jhatke ke saath usne khud ko khada kiya aur paas me rakha hua paani ka mug khud ke chehre par daal diya taaki acche se hosh me aa sake.

Chehre me Paani daalne ke baad wo fir khud se kehne laga.

Sameer:- Ye jo bhi ho raha hai bahut galat ho raha hai...Chaahe jo bhi vajah ho mujhe khud par kaabu rakhna hoga.

Bahut jald hamaara divorce hone wala hai aur mai uske baare me iss tarah se nahi soch sakta hu...Agar aise hi uske baare me sochne laga aur usme khone laga to sach me bahut mushibat ho jaayegi baad me.

Shruti se mera shaadi hone wala hai aur mai Priya ke baare me sochne lag gaya hu ye bahut galat kar raha hu...Abhi tak jo bhi bhool hua wo sab anjaane me hua...Lekin abb jaan bujh kar kar raha hu.

Pata nahi kaisa attraction hai ye aur jaisa bhi hai bilkul galat vakt me ho raha hai...Mujhe Priya ke baare me aisa nahi sochna chaahiye issi me saka bhalaayi hai.

Itna keh kar Sameer fir se jaa kar chair me baith gaya...Iss baar usne tay kar liya ki wo abb se Priya ke baare me aisa kuch bhi nahi sochega...Lekin ye to vakt hi bataane wala hai ki aane wale dino me uske saath kya hone wala hai.

Sameer chair par baith kar aise hi idhar udhar apna najare dauda raha tha aur aaj Shruti se hua phone me baat ke baare me soch raha tha ki tabhi usse yaad aaya ki Priya ne usse bataya tha ki jo bhi hua hai isme Shruti ki galti hai...Aur uski vajah se hi dono ka shaadi hua hai...Ye baat Sameer uss vakt puch nahi paaya tha Shruti ka phone aane ki vajah se...Lekin iss baar wo ye baat jaana chaahta tha.

Wo apni jagah se utth kar Priya ki room ki taraf jaane laga hi tha ki fir se uske mobile me phone aa gaya...Number dekha to fir se Shruti ka hi tha...Chehre me fir se gussa ke bhaaw laut aaya aur phone uthaa ke kaan ke paas laga liya aur bahut hi gusse ke saath kaha.

Sameer:- Abb kya baaki reh gaya hai?
Jabardast update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 89


Shruti:- Sorry Sameer...Shaayad gusse me maine kuch jyada hi bol diya.

Dusri taraf se Shruti ka aawaj aaya...Uski aawaj se lag raha tha ki usko apni galti ka ehsas ho gaya hai.

Sameer:- Sorry...Kitna easy word hai na...Bade se bade galti karo aur agar apna galti ke baare me pata chal jaaye to ek sorry keh kar sab kuch thik kar lo.

Sameer ne gussa aur naarajgi ke saath kaha.

Shruti:- Sach me mujhe apna galti ka pata chal gaya hai...Kuch jyada hi bol diya tha maine gusse me.

Sameer:- Kuch jyada? Tumhe pata hai tumne kya bola tha...Issr kuch jyada nahi kehte hai...Bahut jyada kehte hai...Aakhir tum mere charecter ke baare me aisa keh bhi kaise sakti ho.

Tum mere baare me jaanti hi kya ho jo aisa bol rahi ho...College me tumne dekha hi tha ki mai kisi ladki se flirting to dur baat tak nahi karta tha...Thoda sa hansi majaak galat nahi hota lekin fir bhi mai inn sabhi baato se dur rehta tha...Tumhe vajah bhi bata diya tha ki Mahesh ke saath kya hua tha.

Fir bhi tum shak karti jaa rahi ho...Ek baat keh deta hu ye shak ki aadat thik nahi hota hai aur mujhe tumhaari ye aadat bilkul pasand nahi hai.

Maine tumse kya jhuth bola aur kya chhipaaya...Agar jhuth bolta to ye sab cheating hota lekin tumhe sach hi to bataya ki mai Priya ke saath hu...Vajah bhi bataya...Lekin tum me samajhne ki shakti hai hi kaha.

Agar itna galat lagta hu mai tumhe to mujhse shaadi karne ka soch hi kyu rahi ho...Dhundo apne type ka ladka jis par tumhe shak na ho.


Sameer ne bahut gusse me kaha...Uska ye gussa bata raha tha ki wo Shruti se kitna gussa hai.

Shruti:- Maafi to maang rahi hu na...Pata nahi uss time kya ho gaya tha mujhe jo ye sab bol diya...Mai ye sab bolna nahi chaahti thi lekin pata nahi kaise munh se nikal gaya...Please Sameer maaf kar do..Abb aage se khayal rakhungi ki bolne se pehle ek baar jarur sochna chaahiye.

Sameer:- Aise hi munh se kuch bhi nahi nikalta hai...Jarur ye tumhaara soch tha...Jo anjaane me tumne keh diya.

Ek baat bataao...Tum to kehti ho ki tum mujhse pyar karti ho...Lekin pyar me shak bhi hota hai kya...Maine to suna tha ki jaha pyar hota hai waha vishwas hota hai...Lekin tumhaare pyar me to vishwas ki koi jagah hi nahi hai...bas shak se hi bhara hai.

Sameer ka gussa abhi bhi waisa hi tha.

Shruti:- Please Sameer...Maanti hu anjaane me bahut bada galti ho gaya...Mujhe wo sab nahi kehna chaahiye tha...Abb maafi bhi to maang rahi hu na...Aage se aisa galti kabhi nahi karungi...Please iss baar maaf kar do.

Shruti ne itni masoomiyat se maafi maanga ki Sameer ka gussa bhi pighalne laga...Abb usse lag raha tha ki usse Shruti ko iss baar maaf kar dena chaahiye.

Iske baad Shruti ke ek do baar maafi maangne ke baad Sameer ne bhi maaf kar diya.

Shruti:- Sameer ek baat kahu...Tum fir se gussa mat hona.

Shruti ne kuch pal ke khaamoshi ko tod kar kaha.

Sameer:- Pehle bolo...Baad me dekha jaayega ki gussa hone wali baat hai ya nahi.

Shruti:- Tum gusse me bahut hi pyare lag rahe the.

Itna keh kar Shruti phone par hi hasne lagi.

Sameer:- Accha hua jo tum mere saamne nahi thi...Agar hoti to pata chalta ki mai pyara nahi asal me bahut khatarnaak lag raha tha.

Sameer ne to muskura kar kaha lekin uski baato se lag raha tha ki usne bilkul bhi galat nahi kaha.

Sameer:- Shruti...Tum se request karta hu ki aage se aise galti kabhi mat karna....Iss baar to kisi tarah khud ko sambhal liya aur tumhe maaf kar diya...Lekin pata nahi agli baar gusse me kuch bhi ho sakta hai.


Shruti:- Ok Sameer...Aage se khayal rakhungi ki kabhi bhi aisi baat nahi kahungi jisse sun kar tum hurt ho jaao.

Sameer mera bhi ek request hai...Jitna ho sake tum Priya se dur hi rehna...Dosti bhi mat karna...Jab bhi tumhe uske saath dekhta hu to mujhe kuch bhi accha nahi lagta.

Aaj bhi aisa hi hua aur maine wo bol diya jo mujhe nahi bolna chaahiye tha.

Sameer ne Shruti ka iss baat ka koi jawaab nahi diya...Usse samajh me nahi aa raha tha ki kya jawaab de.

Shruti:- Accha ye bataao ki tum wapas kab aa rahe ho.

Shruti ne Sameer ko jawaab na deta dekh iss khaamoshi ko tod kar pucha.

Sameer:- 1 hafte lag jaayenge.

Shruti:- Accha thik hai...Apna khayal rakhna.

Sameer:- Ok aur tum bhi.

Itna keh kar Sameer ne phone rakh diya.

Phone rakhte hi Shruti ne apne chehre me kutil muskaan laa kar kaha.

Shruti:- (In her mind) Bas bahut hua Priya...Itni din mai khaamosh rahi...Socha sab kuch thik ho jaayega...Lekin kuch thik nahi ho raha hai...Mai jaanti hu Sameer na chaahte hue bhi tujh me interest lene lag gaya hai...Abb tujhse pichha chhudaana bahut jaruri ho gaya hai...Ek baar waapas yaha aa jaa...Fir tujhe dekh lungi.

Aajteri vajah se Sameer pehli baar mujhse gussa hua hai aur pehli baar shaayad maine iss tarah se kisi ke saath maafi maanga hai.


Dusri taraf phone rakhne ke baad Sameer ka mood kuch thik nahi tha...Shruti ko abhi bhi wo dil se maaf nahi kar paaya tha...Shruti ki iss harkat ne Sameer ko bahut hurt kiya tha.

Kuch der idhar udhar ghumne ke baad Sameer apne room me chala gaya...Usne Priya ko dekha...Priya apne mobile me busy thi...Sameer bhi apne bed par aa kar baith gaya.

Priya:- Kya soch rahe ho?

Kuch pal ki iss khaamoshi ko tod kar Priya ne pucha.

Sameer:- Kuch khaas nahi...Bas Shruti ke baare me soch raha tha.

Itna keh kar Sameer ne Priya ki taraf dekha aur aage kehne laga.

Sameer:- Pata nahi kya chaahti hai ye ladki mujhse...Kehti hai ki mujhse pyar karti hai...Par kabhi mujhe uska pyar mehsus nahi hua...Hamesha ek ghutan sa mehsus hota hai uska pyar dekh kar.

Kehti hai ki mujhse pyar karti hai lekin jaisa wo mujhse behave karti hai usse to yahi lagta hai ki jaise mai uska gulaam hu...Jab bhi uske paas rehta hu mujhe wo hi karna padta hai jo wo chaahti hai...Agar uski kuch baatein accha nahi lagta hai aur uski koi bhi baato se sehmat nahi hota hu to apna nakhre dikhaane lagti hai...Dhire dhire wo dost kam torture jyada ban rahi hai mere liye.

Mujh me ye sab sehne ki taakat aur nahi hai...Agar shaadi ke baad bhi yahi sab haalat raha to bilkul bhi accha nahi hoga...Mai uska koi gulaam nahi hu jo uska har baat bina kuch sawal jawaab ke maanta rahunga...Mera bhi kuch izzat hai.

Sameer ki kehne ki andaaz se ye lag raha tha ki wo Priya se Shruti ka sikaayat kar raha hai.

Priya ne bhi muskura kar jawaab diya.

Priya:- Pyar me ye sab to chalta rehta hai...Ham dusro ki baat maante hai chaahe hame accha lage ya bura iska matlab gulaami nahi hai ...Ye sab pyar hai...Shruti tumse pyar karti hai issi liye aisa karti hai...Tum usse pyar nahi karte ho issi liye ye sab samajh nahi paa rahe ho.

Dekhna jab tumhe bhi pyar ka ehsas ho jaayega tab tumhe bhi sab pata chal jaayega...Tum isse majburi aur gulaami ka naam nahi doge aur jo bhi karoge apne khushi ke saath karoge.

Priya ko Shruti ke pyar ke taarif karna accha to nahi lag raha tha lekin haalaton ko dekh kar usne Sameer ko ye sab keh diya.

Sameer:- Paagal log aisa karte honge...Mujh jaisa akalmand insan nahi...Maan lo agar mai kisi se pyar bhi karta hu to mera attitude waisa hi rahega jaisa pehle tha.

Sameer jo bahut dhyan se Priya ki baatein sun raha tha achanak uske mood me kuch aaya aur majaak karte hue usne bol diya ki wo hamesha apne attitude jaisa tha waisa hi rakhega.

Priya:- Sahi kaha tumne...Pyar ho jaane ke baad insan paagal jaisa hi ho jaate hai.

Dekhna tum bhi pyar ho jaanekebaad waisa hi banoge jaisa maine kaha tha.

Priya bhi majaak ke mood me aa gayi thi...Usne bhi muskura kar apni baat keh diya.


Sameer:- Accha...Ye bataao ki shaadi ke baad maine tumhaara kaun sa baat maana hai.

Sameer ne ye keh to diya...Lekin ye kehne ke baad hi usko pata chala ki uske munh se kya nikla hai.

Priya:- Kaun si baat maana hai? Pehle ye bataao ki tumne mera kaun sa baat ko mana kiya hai...Jo kehti hu wo karte ho...Yaha tak ki apna attitude bhi bhul kar mujhse maafi maangte the.

Priya ne bhi apne baat keh diya...Lekin kuch pal baad hi usko samajh me aaya Sameer ki baat aur usne fir se pucha.

Priya:- Lekin hamaare bich me to pyar ki baat chal raha tha na...Agar tumhe pyar hoga to tum badal jaaoge...Lekin hamaare bich me pyar kaisa.

Priya ne ye sawal Sameer ko dekh kar pucha...Sameer ko jo dar tha wohi hua...Sameer apne munh se wo baat galti se nikal jaane ke baad yahi dua kar raha tha ki Priya uske baat na samjhe...Lekin uska dua se thik ulta Priya ne baat samajh bhi liya aur wohi sawal puch bhi diya.

Abb Sameer ki haalat kharaab ho raha tha...Usse khud samajh nahi aa raha tha ki usne Priya se kya puch liya tha aur kaise puch liya.

Abb wo Priya ke iss sawaal ka jawaab dhundne me lag gaya...Jo iss vakt uske liye sabse jaruri tha.
Sammanniye update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 90


Sameer:- Tumne kaha tha na ki mai shaadi ke baad badal jaaunga...To issi baat ka jawaab de raha tha ki mai kabhi nahi badalne wala.

Sameer ne hadbadaate hue jawaab diya...Usse kisi bhi haal me Priya ko jawab dena tha...Aur jaldbaazi me hadbada kar usne apna jawaab diya.

Priya:- Lekin baat to pyar ka hua tha...Maine tumse kaha tha ki pyar insan ko badal deta hai.

Aur rahi baat shaadi ki to ye shaadi nahi ek majburi hai...Na mai khus hu iss shaadi se aur naa hi tum...Kuch vakt baad ham dono alag hone wale hai.

Priya ne pehle ke kuch baatein muskura kar kaha to aakhiri ke kuch baatein kehte vakt uske aawaj me udaasi tha...Priya ko bhi pata nahi chal raha tha uss udaasi ki vajah.

Sameer ne bhi uski baat par utna jyada dhyan nahi diya...Usko Priya ki aawaj ka udaasi ka pata nahi chala.

Sameer:- Ohh...Mai tumhaari baato ko thik se samajh nahi paaya tha tabhi...Pyar wali baat bhul jaao abhi...Shayad hi kabhi mujhe pyar hoga aur jab hoga tab dekhenge ki tumhaari baat me kitna sachaayi hai.

Sameer ko bhi mauka mil gaya Priya ki baat se bachne ka...Abb iss topic par baat khatam ho gaya.

Iske baad dono ke bich me fir se ek khaamoshi chaa gaya.

Sameer:- Tum Shruti ke baare me kuch keh rahi thi...Uski vajah se hamaare bich misunderstanding hua aur ye shaadi bhi.

Sameer ko fir se Priya ki kuch der pehle ki baat yaad aa gaya jo dono Shruti ki phone call ki vajah se bhul gaye the.

Sameer ki baat sun kar Priya ko kuch samajh me nahi aaya ki iss baat ka kya jawaab de.

Wo acchi tarah se jaanti thi ki Sameer Shruti ki sachaayi par itna jaldi viswash nahi karega...Aur ye vakt aur haalat bhi Priya ko sahi nahi laga ye sab baatein bataane ke liye.

Kuch soch kar usne jawaab diya.


Priya:- Sameer abhi mai tumhe iss baare me kuch nahi bata sakti hu...Ye vakt bhi sahi nahi hai bataane ke liye...Vakt aane par tumhe sab kuch bata dungi...Please iss baare me abhi kuch mat pucho.

Abhi ke liye bas itna jaan lo ki tum jis Shruti ko jaante ho wo Shruti aur asli Shruti me bahut fark hai.

Itna keh kar Priya chup ho gayi...Sameer ko bhi koi jaldbaazi nahi tha ye sab baatein jaane ke liye...Wo Shruti ke baare me iss vakt jyada sochna bhi nahi chaahta tha...Pehle hi Shruti ki vajah se uska mood kharab ho gaya tha abb kuch dino ke liye wo relaxed hona chaahta tha.


Fir se dono ke bich ek khaamoshi chaa gaya...Ye khaamoshi kuch jyada hi lamba tha.

Dono ko abb ek dusre ke saath baat karne me accha lagne laga tha aur dono chaahte bhi the ek dusre se baat karne ke liye...Dono ke dil me ek anjaana sa feelings aane laga tha jisse dono hi anjaan the aur samajh nahi paa rahe the.

Lekin abhi dono ke paas baat karne ke liye kuch topic nahi tha aur samajh nahi paa rahe the ki kaise baat kare.

Sameer bhi issi sochke saath bed par lait gaya...Uske hontho par muskaan aane laga...Priya bhi kuch der se Sameer ko hi dekh rahi thi.

Sameer ko dekh kar aisa lag raha tha ki wo kuch soch kar muskura raha hai...Sameer ko iss tarah se khul kar muskuraate dekh Priya ko bahut accha lag raha tha...Uske chehre me bhi ek muskaan aa gaya.

Agar ye kahe to galat nahi hoga ki shaayad hi Priya ne Sameer ki chehre me isse pehle aisa muskaan dekha tha.

Jab se dono ke bich aamna saamna hua tha dono ke bich nafrat aur ladaayi hi hota tha...Uss vakt Priya ne Sameer ka gussa aur nafrat se bhara hua chehra hi dekha tha aur jab dono ka shaadi hua tab se usne Sameer ka udaas aur paschataap se bhara hua chehra dekha tha.

Aaj pehli baar Sameer ko muskuraate dekh Priya ko pata chala ki muskurata hua Sameer kitna accha dikhta hai.

Priya:- Muskuraate hue bahut acche aur masoom dikhte ho.

Priya ne bhi muskuraate hue kaha...Sameer ne apne soch me hone ke baawjood ye baatein sun liya.

Ek najar Priya par daala aur muskura kar kaha.

Sameer:- Aur gusse me usse bhi accha...Kabhi kabhi aayina (mirror) me dekhta hu to lagta hai ki mujh par gussa suit karta hai.

Sameer ne majaak karte hue kaha...Wo dekhna chaahta tha ki Priya iss baat par kya jawaab deti hai.

Sameer ko khud pata nahi chal raha tha ki wo Priya se itna frankly kaise baat karne lag gag gaya hai...Abb to usse dar bhi lag raha tha ki pata nahi Priya usme aaye itne changes ke baare me kya sochegi lekin baat karte vakt wo ye khayaal bhul jaata tha.


Priya:- Agar bura nahi maanoge to ye baat bata deti hu ki gusse me tum accha nahi bahut sade hue lagte ho...Gaal aur naak iss tarah se laal lagte hai jaise kisi ne rod ko ek dam se aag me rakh kar garam kar diya ho...Gusse me to itna bura lagte ho ki naa hi kisi ko dar lagta hai aur naa hi kisi ko accha dikhte ho.

Tumhaara gussa shaayad hi kisi ko pasand hai tumhe chhod kar...Ye bhi ek vajah tha hamaare misunderstanding ka.

Priya ki baat ko Sameer ek dam seriously sun raha tha...Priya ki baat khatam hone ke baad bhi uske chehre me waise hi gambheerta tha...Ek pal Priya ko laga ki usne ye sab keh kar galti to nahi kar diya.

Lekin agle hi pal Sameer ne muskura kar kaha.

Sameer:- Ha sach kaha tumne...Mera gussa kisi ko padand nahi aur nahi mujhe bhi...Gussa kissi ko bhi pasand nahi hota hai.

Pata nahi kya ho gaya tha mujhe uss vakt jo paagalo jaisa gussa aata tha...Aaj sochta hu ki kitna galat tha mai uss vakt...Lekin gusse aur nafrat me andha ho gaya tha jo ye sab dikha hi nahi.

Itna keh kar Sameer kuch der ke liye chup ho gaya aur bola.

Sameer:- Tabhi majaak kiya tha maine ki mujh me gussa suit karta hai...Mai bhi tum logo ki tarah hi hansta, mushkuraata insaan hu...Jo kuch dino se haalaton ki vajah se gaayab ho gaya tha.

Abb sab kuch pehle jaisa thik ho jaayega...Abb ye Sameer wapas puraana Sameer ban raha hai jo MBA join karne se pehle hua karta tha.

Wahi muskuraata aur khushi baatne wala Sameer...Dekhna tum bhi hairan reh jaaogi mere pehle wale roop ko dekh kar...Jis Sameer ko tumne aaj tak dekha hai wo Sameer aur abb aane wala Sameer me jameen aasmaan ka fark hai.

Pata nahi kaha se itna josh aa gaya tha Sameer me jo wo khushi ke saath jor jor se keh raha tha...Naahi usse iss baat ka khayal tha ki wo kya keh raha hai aur Priya kya soch rahi hai uske iss baat par.

Jab usne apni baat khatam kiya tab usse ehsas hua ki usne kya kaha...Usse halka sa dar bhi lag raha tha ki Priya kya kahegi...Kyuki jo baat usne kaha tha uss baat se Priya ko koi lena dena nahi tha.

Priya:- Tum bhi ek alag hi Priya ko dekhoge...Ha mujhme koi badlaaw nahi aaya hai lekin tumhaare saath jaise behave karti thi waise mai kisi ke saath nahi karti thi...Aur naa hi mujhe ye sab pasand hai.

Mai kisi se gussa nahi hoti hu...Bas teen insaan hi hai jinhe mai bilkul bhi pasand nahi karti thi...Papa, Tum aur Shruti....Tumse jaisa bhi behave kiya wo sab gussa aur nafrat ki vajah se.

Abb wo feelings nahi hai to tum bhi abb friendly Priya ko dekhoge.

Itna keh kar Priya bhi muskuraane lagi aur saath me Sameer bhi.



Kuch hi pal ki khaamoshi ko tod kar Priya ne pucha.

Priya:- Ye muskaan ki vajah mai jaan sakti hu.

Priya ne bahut hi masoomiyat se pucha ki Sameer ne bhi uss masoom chehra ko dekh aur bhi muskura kar kehne laga.
Amazing update hai mitr.
 
Top