• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool(Completed)

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 60


Sameer ne jitna socha tha uss se bhi bahut jyada vakt laga iss shaadi me...Usne socha tha shadi 1 ya 2 hafte me ho jayega lekin shadi aaj raat ko hone wala tha pure 2 mahine ke baad.

2 mahine kitna mushkil se bitaa wo to bas Sameer hi jaanta tha...Jab se wo yaha gaanw me aaya tha tab se usne ek baar bhi ghar me baat nahi kiya tha network problem ko vajah se.

Usne socha ki waapas ghar jaa kar hi baat karega apne Maa aur Papa se...Lekin usse kya pata tha ki uske parents usse naa paa kar kitna pareshaan hai...2 hafte tak to unhe kisi baat ka koi fikar nahi tha..Uske baad unhone socha ki bahut jald laut aayega...Kisi vajah se aa nahi paaya hoga.

Lekin dekhte dekhte 2 mahina pura ho gaya par Sameer nahi aaya...Police complaint bhi karwa diya gaya tha Sameer ko dhundne ke liye Mr. sharma ne...Lekin koi faaidaa nahi hua...Sameer kisi ko bina bataye gaya tha Priya ke gaanw.

Har beette din ke saath Mrs. Sharma ki chinta aur fikar Sameer ke liye badhta hi jaa raha tha...Ek dar bhi lag raha tha ki Sameer kaha hoga aur kis haal me hoga...Unka haalat bhi waisa hi ho gaya tha jaisa ek aam Maa ka haalat hota hai apne bacho se iss tarah dur hone par.

Mr. Sharma ne unhe sambhaalne ki bahut koshish kiya...Hamesha unhe yakin dilaane ki nakaam koshish karte ki bahut jald Sameer laut aayega...Lekin Maa ka dil aisi baaton se kaha maanta hai.

Sach baat to ye tha ki Mr. Sharma bhi bahut dar gaye the Sameer ki iss tarah se laapata ho jaane se...Unhe bhi kuch samajh me nahi aa raha tha ki Sameer kab aayega aur kaha hai.

Bas khud ko kisi tarah se sambhaal kar majbut hone ki dikhawa kar rahe the Mrs. Sharma ko sambhalne ke liye.

Do mahine beet jaane ke baad aur Sameer ki abhi tak nahi laut aane ki vajah se Mrs. Sharma ki haalat kaafi kharab ho gaya tha...Aisa lag raha tha wo bas jinda hai lekin unme jaan hi nahi bacha hai abb...Bas Sameer ki yaad me roti rehti thi aur uski laut aane ki dua mangte rehti thi. :pray:

Mr. Sharma ki haalat bhi bahut kharab ho gaya tha...Apne bete ki laapata hona aur biwi ki aisi haalat unse bhi bardasht nahi ho raha tha...Wo bhi bas yahi dua kar rahe the ki Sameer jaha kahi bhi ho bas jaldi laut aaye aur sab kuch pehle ki tarah thik ho jaaye. :pray:

Lekin unhe kya pata tha ki Sameer unke liye ek shocking surprise saath me laane wala hai.

Sameer ki laapata hone se Shruti ko bhi kuch samajh me nahi aa raha tha ki kya vajah ho sakta hai Sameer ki aisi laapata hone ki...Wo bhi yahi dua kar rahi thi ki Sameer jaldi se laut aaye.


Inn sabhi baato se anjaan Sameer vyast tha apne badle me...Usse bilkul bhi andaza nahi tha ki uski iss tarah se laapata ho jaane se uski parents par kya beet rahi hogi...Wo to bas yahi soch raha tha ki uske parents uska intejaar kar rahe honge lekin jyada chintit nahi honge.


Sameer Priya se badle lene ke liye itna andha ho gaya tha ki wo bas Priya ki chehre me dard aur aankho me aansu dekhna chaahta tha.

Din me kabhi kabhi Priya ka rota hua chehra dekh leta issi se uska din ban jaata...Uska daily routine hi yahi ban gaya tha subah uthna, naashta karna, lunch karna, Priya ka rota hua chehra dekh khud khus hona, dopahar ka naasta karna aur raat me dinner ke baad Priya ka rota hua chehra ko yaad karke khus ho kar soo jaana...Iske alawa wo bas intejaar karta tha ki jaldi se priya ki shadi ho jaaye.

Aaj bahut intejaar karne ke baad wo din aa hi gaya...Sabse jyada intejaar shaayad Sameer ne hi kiya tha iss din ka...Priya ki shaadi me hone waale har ek function me Sameer kuch der ke liye mehmaano ki tarah jaata aur Priya ka dard bhara chehra dekh waapas laut aata...Uska kismat bhi accha tha ki kisi ne usko nahi pehchana.


Aaj shadi ka din tha...Sameer bhi mehmaano ke bich pahunch gaya uss room ke baahar jiske andar Priya taiyaar ho rahi thi...Kuch din pehle Divya bhi aayi thi Priya ki shaadi me...Wo bhi Priya ki shaadi se khus nahi thi lekin wo bhi kuch kar nahi paa rahi thi siwa Priya ki dard baantne ki.

Abhi shaadi ke liye kuch vakt baaki tha...Priya ke room me Priya taiyaar ho chuki thi...Uske room me uski Maa aur Divya hi bache the aur sab baahar chale gaye the.

Sameer bhi Priya ki dard me kaha hua aakhiri baatein sunne aaya tha aur gate se baahar chhip kar sun raha tha.

Andar room me Priya ki aankho me aansu the aur saath me uski Maa aur Divya ka bhi.

Kuch der chup rehne ke baad Priya rote hue boli.

Priya:- Maa mujhe ye shaadi nahi karni hai...Please ek baar Papa ko samjhaiye ne.

Priya ki aawaj se uska dard ka pata chal raha tha.

Priya's Mom:- Mai kya kar sakti hu...Bahut samjhaaya maine uss sharabi ko lekin daru ki lat ne usse aisa janwar bana diya hai ki koi bhi baat nahi sunna chaahta...Yaha tak ki apni beti ki jindagi bhi daaw me laga diya hai...Kuch virodh karo to jeher khane ki dhamki deta hai...Aur ganw waalo ko bhi batane ki baat kar raha tha ki uske maut ka zimmedaar hum hai...Gaanw walo bhi unka hi baat ka yakin karenge aur humaara jeena bhi mushkil kar denge.

Priya ki Maa ki awaaj me bebasi aur apne pati ke liye nafrat tha.

Sameer bhi soch me pad gaya Priya ki Papa ke baare me soch kar ki kaisa insan hai ye jo iska family bhi iss ko respect nahi karta hai...Lekin Sameer ne iss baat se apna dhyan hataakar aage ki baat sunne laga.

Priya:- To fir Maa...Meri life aisi hi barbaad ho jaayega...Inn sharabiyo ki vajah se...Kya mujhe bhi jindagi bhar inke saath hi ghut ghut kar jeena hoga? Kya mai Karan ke sath kabhi chhain se jee nahi paaungi? :(

Priya ne rote hue fir se kaha...Abb uski bhi aasha khatam ho gaya tha kuch bhi thik hone ka.

Priya's Mom:- Kar bhi kya sakti hu mai? Meri jindagi bhi teri Papa ki vajah se kharab ho gayi thi...Bahut mushkil ke saath jiya hai maine uske saath...Kabhi bhi khus nahi hu mai jabse meri shaadi usse hua...Meri jindagi bhi ekdam nark ho gaya hai.

Jab tu paidaa hui tab maine socha ki tujhe aisi jindagi jeene nahi dungi...Issi liye tujhe bahut mushkil se padhaaya likhaaya taaki tu apne pairo par khadi ho sake...Sab kuch acche se ho raha tha...Tera padhayi bhi acche se jaa raha tha aur tu bhi apni jindagi me khus thi...Aur tujhe khus dekh mai bhi khus thi...Achanak se ye sab ho gaya...Tera Papa hi teri jindagi ka dushman ban gaya aur meri jindagi bhar ka mehnat barbaad ho gaya.

Priya ki Maa ne fir se bebasi ke saath kaha...Unki baat sunn kar Sameer bhi soch me pad gaya firse ki kya wo jo kar raha hai wo sahi hai...Uski ye galti ek Maa ki pyar, mehnat aur balidan ke saath anyaay ho jaata.

Sameer ye sab soch hi raha tha ki kisi ne galti se Sameer ko dhakka de diya...Sameer ladhkhadaate hue aage jameen me giraa...Kismat ya badkismati se Priya ka room ka darwaja thoda khula hua tha...Sameer jaldi se utth picche khada ho gaya lekin aaj uska bad luck tha ki Divya ne usse dekh liya aur pehchaan bhi liya.

Sameer ko dekhte hi Divya ki dimag me hazaron sawal aane lage...Aur usse ek bahut bada saazish ki shanka hone laga :detective:...Uske dimaag me ye baat aaya ki "Sameer yaha kya kar raha hai? Uska iss gaanw se koi bhi connection nahi hai...Fir wo yaha kyu aur kaise? :hmm:
Sarahniye update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 61


Sameer ko iss tarah se Priya ke ghar me dekhne ke baad Divya ke dimaag me hazaron sawal aa rahe the...Usse lagne laga ki Priya ki iss tarah achanak shadi me shaayad Sameer ne hi koi gadbadi kiya hai.

Usne aur der na karke Sameer se baat karne ka socha...Lekin wo Priya ke saamne Sameer se koi baat kar bhi nahi sakti thi.

Usne jaldi se Priya ki Maa ke kaan me kuch kaha...Priya wo dekh nahi paayi....Priya ki Maa ke kaan me kuch kehne ke baad Divya ne Priya ko kuch der me aane ka bol kar Priya ki Maa ke saath dusre room me chali gayi.

Sameer ne socha abb uska kaam ho gaya aur abb raat me Priya ki shaadi ho jaayega...Uske baad Sameer waapas apne room ki taraf jaane laga ki piche se Divya ki aawaj ne usse rok diya.

Divya:- Itni jaldi kaha jaa rahe ho Sameer? Shaadi me aaye ho thoda chaai naashta to karte jaao. :angry:

Divya ki baat sun kar Sameer ko hairaani hua ki Divya ne usse kaise dekh liya aur kaise pehchaan liya...Wo naa hi aage badh paaya aur naa hi picche ghum kar kuch bol paaya...Bas apne jagah par khada raha.

Divya:- Tum hi se keh rahi hu Sameer...Abb aise hi khada rehna band karo aur mere picche aawo...Kuch baat karni hai tumse.

Divya ne Sameer ke saamne aa kar kaha..

Sameer ko to abb kuch bhi samajh me nahi aa raha tha ki kya kahe...Wo abb bhi kuch bol nahi paa raha tha...Bas khud ko taiyaar kar raha tha Divya ki aane waale sawaalo ke liye.

Divya:- Yaha baat karna thik nahi hai...Chalo ek room me chalte hai...Mere picche aawo..

Itna keh kar Divya aage badh gayi.

Ek pal ko to Sameer ko laga ki yaha se bhaag jaaye lekin agle hi pal uske dimaag me aaya ki wo itna darpok to nahi hai jo aisi chhoti chhoti mushibaton se bhaagta fire.

Usne socha "Galti mera nahi Priya ka hai...Jo usne kiya mai to bas ussi galti ka sazaa de raha hu usse...Aur mai bina galti ke kyu bhaagne ki soch raha hu...Dekhta hu kya sawaal pucchti hai ye Divya...Iski sawalon se ya iski emotional baato se mai apna irada nahi badalne waala...Jo soch liya hai wo pura karke hi rahunga...Priya ki barbadi hi mera makshad hai iss gaanw me aane ka aur wo aaj pura ho hi jaayega."

Itna soch kar Sameer ne khud ko taiyaar kar liya khud ko aur chala gaya uss kamre me jaha par Divya kuch der pehle gayi thi.

Sameer bhi bina dare chala gaya kamre me...Lekin usne jaise hi uss kamre me kadam rakha uss ka himmat fir se gaayab ho gaya saamne bed par baithi Priya ki Maa ka udaas chehra dekh kar.

Room me bas Sameer, Divya aur Priya ki Maa the...Kuch pal ki khaamoshi ko tod kar Divya boli.

Divya:- To Sameer...Kya kar rahe ho tum yaha humaare gaanw me aur iss shaadi me?

Divya ki sawaal me hairaani aur gussa dono tha.

Sameer:- Aise hi ghumne ke liye kal ghar se nikla tha...Galti se iss gaanw me aa gaya...Agar pata hota ki ye Priya ka manhus gaanw hai to kadam rakhne se pehle hi waapas chala jaata.

Sameer ne baat sambhaalne ke liye kaha lekin uski baat aur aawaj dono se pata chal raha tha ki wo saaf jhuth bol raha hai.

Divya kuch bolti uss se pehle hi Priya ki Maa ne kaha.

Priya's Mom:- Jhuth bol raha hai ye ladka...Picchle kuch hafto se isse dekha hai shaadi ki rashm par...Har ek rashm me aata hai aur kuch der ke baad chala jaata hai...Maine to socha ki kissi rishtedaar ka dost hai iss liye kuch nahi kaha...Aur waise bhi apni beti ke liye itna chintit hu ki kuch bolne ka man bhi nahi karta.

Waise Divya ye ladka kaun hai aur tumne mujhe yaha kyu laaya...Kuch der baad Priya ki shaadi hai. :hmm:

Priya ki Maa ne udaas aur gussa bhari aawaj me kaha.

Divya ne Priya ki Maa ko shaant rehne ka ishara karke Sameer se kaha.

Divya:- Abb kya safaayi doge Sameer? Sameer aaj tumhari haalat dekh sach me hassi aa raha hai.

College me tum apna kitna shaan dikhate the...Jaise ki tum kabhi jhuth nahi bolte ho, Hamesha dosti nibhaate ho...Jo bachan diya hai usse jarur puri karte ho...Apna rules aur regulations hamesha follow karte ho...Khud par kitna ghamand tha tumhe.

Lekin aaj aisa kya baat ho gaya? Jo kabhi jhuth nahi bolne wala Sameer ko aaj jhuth bolna pad raha hai jo acche se bol bhi nahi paa raha hai.

Divya ye baat acche se jaanti thi ki Sameer ko aasani se ukshaya jaa sakta hai...Koi aisi baat keh do jisse sun kar Sameer hurt ho jaata hai to Sameer acche se kuch bhi soch aur samajh nahi paata hai aur khud par kaboo kho deta hai...Issi vajah se Sameer aur Priya ki bich nafrat ka suruwaat hua tha.

Divya ne jo tir andhera me chalaya tha wo jaake sidha nishaane par laga...Hua bhi aisa hi Sameer ne khud par kaboo kho diya...Wo to pehle hi sab kuch batane ke liye kamre me aaya tha...Lekin Priya ki maa ki vajah se chup ho gaya tha.

Lekin abb usse bardasht nahi ho raha tha Divya ki baatein.

Usne bhi apna sabr kho hi diya aur kaha.

Sameer:- Haan aaya hu mai iss gaanw me apne kaam ko anjaam dene...Priya se apna badla lene...Usse sabak sikhaane ki kabhi dusro ko iss hadd tak pareshan nahi karna chaahiye ki saamne wala bardasht na kar paaye.

Priya ki abhi jo shaadi ho rahi hai wo mera planning ki vajah se ho raha hai...Maine hi uske baap ko bhadkaya tha uski khilaaf aur paise ka laalach diya tha...Aaj mera badla pura ho jaayega jab Priya ki shaadi ho jaayega...Uski shadi Pratap se ho raha hai ye baat mai acche se jaanta hu...Aur yakin karo usse bura husband shayad hi Priya ko mile...Jindagi bhar royegi apni kismat aur apni karmo par. :mad:

Sameer ne behadd nafrat ke saath kaha...Ye sab kehne ke baad Sameer ke chehre me gussa aa gaya tha...Ek najar usne Divya aur Priya ki Maa par daala.

Dono hi khaamosh aur shocked the.

Bahut der se chup baithi Priya ki Maa abb chup nahi reh saki...Aankho me aanshu ke saath ek dard bhari aawaj me unhone kaha.

Priya's Mom:- Kyu beta? Kyu kiya tumne aisa? Kya mila tumhe Priya ki jindagi barbaad karke? Aur kya galti tha meri bacchi ka jo aise sajaa diya tumne? Tumne accha nahi kiya Priya ke Papa ka iss tarah faaida utha kar meri majbur beti ke saath ye sab karke.

Tumne to uski jindagi barbaad kar diya uske saath ye sab karke...Dekhna ek din bhagwan tumhe tumhaara iss gunaah ka sazaa jarur dega ek masoom ladki ki jindagi barbaad karne ka. :verysad:

Isse jyada bol nahi payi Priya ki Maa...Itna bol kar wo apni chehre ko haath me chupa kar rone lagi.

Divya ne unhe jaldi se sambhala aur gusse me Sameer se kaha.

Divya:- Socha nahi tha Sameer tum itna niche gir sakte ho...College me hui chhoti moti ladayi ko apna ego me le liya aur uss chhoti si ladaayi ka badla tum iss tarah se le sakte ho.

Tum humaare dost nahi the college me lekin kabhi nahi laga ki tum itna buraa insaan ho...Jaise bhi the tum mujhe to hamesha laga ki tum accha insaan ho...Lekin aaj pata chala kitna galat thi mai.

Priya tumse ladti thi to tum bhi to waise hi the...Galti tum dono ka tha.

Priya ne to baad me tumhe ignore bhi kar diya tha aur sab kuch bhul gayi thi lekin tum nahi bhul paaye...Aur aaj tumne apna badla ke liye jo harkat kiya hai usse saabit ho gaya ki tum bhi ek ghatiya aur egoist insaan ho.

Itna keh kar Divya ne nafrat se apna munh fer liya.

Lekin ye baat Sameer ko bilkul pasand nahi aaya...Ek to wo pehle se gussa tha aur upar se Divya ki baat ne uska gusaa aur badha diya...Gusse se chilla kar bola wo.

Sameer:- Band karo apna bakwaas...Kya kaha tumne maine ye sab ego aur badla ke liye kiya?

Badla to tumhari wo dost Priya le rahi thi...Mera kuch nahi bigaad payi to Rajesh ka accident karwa diya...Maine to usse ignore kar diya tha aur apni life se hi matlab rakhne laga tha...Lekin Priya aur Karan ki uss harkat ne mujhe wo karne par majbur kar diya jo aaj mai kar raha hu.

Priya se to apna badla le hi chuka hu...Ab Karan ki baari...Uss ki to wo haalat karunga ki wo soch bhi nahi sakta.

Agar tum bhi iss game me shaamil ho to tumhaara bhi khair nahi.

Sameer ne behad nafrat se kaha.

Divya:- Ye kya keh rahe ho tum? Mujhe pata hai Rajesh ka accident hua tha 2 mahine pehle...Lekin iss accident me Priya aur Karan ne kya kiya?

Priya ne hairaani me Sameer se puccha.

Sameer:- Tumhe nahi pata Priya ne kya kiya?

Sameer ne gusse se Divya ko dekh kar kaha aur jawaab me Divya ne naa me sir hilaa diya.

Uske baad Sameer ne sab kuch bata diya Divya aur Priya ki Maa ko jo Shruti ne usse bataya tha.

Sameer:- To abb bolo...Mai kaha galat hu? Usne Rajesh ko maarne ki koshish kiya hai...Egoist mai nahi wo hai...Humaari dushmani ko hum tak hi nahi rakh kar Rajesh ko bhi humaare dushmani ka shikaar banaya.

Socho agar Rajesh ko kuch ho jaata to...Uski bachpanaa me ek family hi barbaad ho jaata...Mai jo kar raha hu uske saamne bahut hi chhoti si baat hai ye.

Aur mai usse sabak sikhaa kar hi rahunga...Ek kadam picche nahi hatunga.

Sameer ki aawaj me Priya ke liye gusaa aur nafrat lagataar badhte jaa raha tha.

Sameer ki baat sun kar Divya aur Priya ki Maa ko vishwash hi nahi ho raha tha ki Sameer sahi keh raha hai.

Divya ko laga ki Sameer ko bahut badi galatfehmi ho gaya hai. :hmm2:

Divya:- Nahi Sameer...Tum jo soch rahe ho wo tumhaara galatfehmi hai...Mai Priya ko bachpan se jaanti hu...Hum dono issi gaanw ke hai...Bachpan se hi jaanti hu usse...Wo aisi galat kam kar nahi sakti aur naa hi aisi kaam me kisi ka saath de sakti hai.

Exam khatam hone ke din se hi Priya meri flat me thi...Kabhi baahar tak nahi nikli...Bas Karan se phone par baat kar leti thi kabhi kabhi...Mera yakin karo usne kabhi aisi ghatiya plan ke baare me nahi socha.

Sameer:- Nahi mai yakin nahi kar sakta tum par...Tum usse bachane ke liye ye sab keh rahi ho...Agar abhi yakin kar liya to pata nahi wo Priya aur Karan mil kar baad me kya kya nukshaan karegi humaara.

Sameer ki baat se lag raha tha ki wo kisi bhi kimat par Divya ki baat par yakin nahi karega...Divya ko bhi ye baat samajh me aa gaya aur achanak uske dimaag me ek plan aaya aur wo room se baahar chali gayi.

Divya ki baahar jaate hi fir se Priya ki Maa ne rote hue bhaari aawaj me kaha.

Priya's Mom:- Beta Divya sahi keh rahi hai...Tumhe koi galatfehmi hua hai...Meri Priya aisi nahi hai...Haan wo ladayi jarur karti hai kisi se bhi...Par wo dil ki buri nahi hai...Wo aisi galat kaam kabhi bhi nahi kar sakti...Maine paala hai usse...Acchi parwarish diya hai usse.

Priya ki Maa ne rote hue kaha...Unka rona Sameer ko bhi bura lag raha tha...Usne bhi apna gussa shaant karke kaha.

Sameer:- Maine aapki parwarish ke baare me kuch nahi kaha hai Aunty aur naa hi kuch kahunga...Ho sakta hai aapki parwarish sahi ho lekin Priya ne kuch nahi sikhaa...Galat raaste me chal padi wo.

Har Maa Baap ko lagta hai ki uska baccha kabhi galat nahi ho sakta...Aapko bhi apne beti par bharosha hai lekin hamesha ye sach ho ye jaruri nahi hai.

Mai yakin ke saath keh sakta hu ki Priya aur Karan ne mil kar hi ye sab kiya hai.

Sameer jaise hi chup hua tabhi Divya bhi room me aa gayi aur apna mobile jaldi se Sameer ki taraf badhate hue kaha.

Divya:- Ye lo Rajesh ka phone...Wohi tumhe sab kuch batayega.

Sameer hairan ho kar Divya ka phone leta hai...Wo soch raha tha ki iss gaanw me to network problem hai...Fir kaise phone lag gaya?

Yahi sab sochte hue Sameer ne phone me Rajesh ka number dekha...Jab wo sure hua ki ye Rajesh ka hi number hai tab usne phone ko apne kaan me laga kar Rajesh se baat kiya...Dusri taraf se Rajesh ne jo kaha usse sunn kar Sameer ki pairo tale jameen khisak gaya...Aur haath se mobile niche jameen me gir gaya. :eek:
Jabardast update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 62


Jaise hi Sameer ne phone ko apne kaan me laga kar bola.

Sameer:- Hello....

Sameer isse aage kuch kehta Rajesh ne uske baat ko bich me hi kaat kar kaha.

Rajesh:- Tu waha kya kar raha hai Priya ke gaanw me? Sab ko bina bataye chala gaya...Pata hai tere Maa aur Papa ka kya haal hai tere aise gaayab hone se? Kisi ko bina bataaye chala gaya. :angry:

Rajesh ne bahut gusse me ye baat kaha...Wo aur bhi bahut kuch kehna chaahta tha lekin Sameer ne uski baat ko bich me hi kaat kar kaha.

Sameer:- Ghar me sab thik to hai na? Maine ghar me phone karne ki bahut koshish kiya lekin network hi nahi aa raha hai.

Sameer ne thoda ghabrahat me kaha...Rajesh ki baat sun kar usse dar lagne laga ki kahi ghar ka maahaul kharab na ho.

Rajesh:- Pehle ye bata tu waha Priya ki gaanw aur ghar me kyu gaya hai?

Rajesh ne bahut gusse me Sameer se puccha...Sameer ne socha ki Divya ne abhi Rajesh ko sab kuch bata diya hai to jhuth bolne se koi faaidaa nahi hai...Usne Rajesh ko sab sach bata diya ki kyu wo Priya ki gaanw aur ghar aaya hai.

Rajesh:- Accha ye bata tujhe kaise pata chala ki wo accident Priya aur Karan ne karwaya hai?

Sameer:- Shruti ne bataya tha...Aur mere paas ek casette bhi hai proof ki taur par. :dazed:

Sameer ne bas itna hi kaha tha ki Rajesh ne dusri taraf se gusse me uski baat kaat kar kaha.

Rajesh:- Sameer kabhi socha nahi tha tu itna bada bewkoof ho sakta hai...Wo kisi ne jhutthi dubbed casette diya tha Shruti ko aur Shruti ne bhi yakin karke tujhe de diya.

Ek baar mujhe batana bhi jaruri nahi samjha tune...Mujhe pata hai kisne mera accident kiya tha...Wo abhi jail me hai...Khud Shruti ne aa kar mujhe iss baare me bataya jab uska misunderstanding khatm hua...Lekin sunne ke liye tu yaha thha hi kaha? :doh:

Aaj Divya se baat karne ke baad pata chala ki tu waha par hai.

Tune ek nahi do galtiya kiya hai...Priya ko bina uski kisi galti ki wo sazaa dene jaa raha hai...Aur dusra kisi ko nahi bataya ki tu kaha jaa raha hai...Ek baar apna ghar aa kar apni Maa ki haalat dekh lena...Samajh jaayega.


Rajesh ki baat Sameer ke liye kisi shock se kam nahi tha...Ek to usse pata chala ki Priya ki Rajesh ki accident me koi galti nahi hai aur usne jaldbaazi me kya kar diya hai aur dusra uski vajah se uski Maa ka buraa haal hai.

Usse samajh me nahi aa raha tha ki kya bole...Lekin himmat karke usne pucch hi liya.

Sameer:- Maa kaisi hai?

Sameer ne darte hue puccha.

Rajesh:- Abhi tak to thik hai...Lekin kuch din aur gaayab raha to sure nahi hu aage kya hoga..

Rajesh ne gusse me jawaab diya.

Sameer ko Maa ki thik hone ki khabar se thoda raahat mila...Lekin ye raahat bas kuch hi pal ke liye tha...Darte hue usne dusra sawaal puccha.

Sameer:- Tu sach keh raha hai Priya ki koi galti nahi hai?

Rajesh:- Ek to galti kiya hai tune...Aur usse sudhaarne ki jagah aur sharmindaa hone ki jagah aisi bakwaas sawal puch raha hai. :angry:

Tujhe kya lagta hai mai abhi majaak karne ki mood me hu...Saaf saaf keh chuka hu Priya ki iss accident me koi haath nahi tha aur naa hi Karan ke...Jisne mera accident kiya tha wo abhi jail me band hai.

Agar meri baat ka vishwaas na ho to Shruti se hi pucch...Uski baat ka to yakin karega na?

Tujhse baat karne ka bhi man nahi kar raha...Bas itna kahunga ki tu mar gaya mere liye...Aaj se tera aur mera dosti khatm...Tu bas Shruti ki hi dosti ke laayak hai.

Agar abhi bhi sharm bacha hai tujhme jara sa bhi to apna galti sudhaar...Kuch bhi kar lekin Priya ki life tabaah hone se bacha le...Saara galti tera hi hai.

Teri ek galti ka sazaa bechaari Priya ko jindagi bhar sehna pad sakta hai...Jindagi bhar afsosh hoga tujhe apni aisi ghatiya harkat par.

Mujhe nahi lagta ki abb tu kuch kar paayega...Bahut jald Priya ki shaadi hone wali hai abb...Agar thodi bhi sharm hai tujh me aur lagta hai tune galat kiya hai to Priya ki shadi hone mat dena.

Ek baat aur sunn...Tu dusro ko judge karta rehta hai na ki ye ladka accha hai wo ladka bura hai...Ye ladki acchi hai wo ladki buri hai...Aur mujhe Divya ke bare me bata raha tha wo kaisi ladki hai.

Baaki ke baare me to mujhe pata nahi par mai tujhe judge kar chuka hu...Abb tere baare me bhi bata deta hu...Tu naa hi ek accha beta hai...Naa hi ek accha dost...Aur naa hi ek accha insaan hai...Tu ekdam ghatiya insaan hai ye baat to tujhe samajh me aa gaya hoga...Agar nahi aaya to tune kya kiya hai ek baar acche se yaad kar thande dimag se...Pata chal jaayega tujhe.

Abb phone rakh aur aaj ke baad mujhse kabhi baat mat karna. :mad:

Itna keh kar Rajesh ne phone kaat diya...Aur khud se kehne laga.

Rajesh:- Sorry Sameer...Kabhi socha nahi tha tujhse aise baat karunga...Abhi bhi karna nahi chahta tha lekin majbur hu...Anjaane me tujhse bahut bada galti ho gaya yaar...Agar jaldi se iss maamle ko sambhala nahi gaya to bahut badi durghatna ghat jaayega yaar.

Agar tere saath iss tarah se baat nahi karta to tu baat samajhta hi nahi...Mujhe pata hai abb tujhe meri baat samajh me aa gaya hoga aur apni galti ka ehsaas ho gaya hoga...Aur kissi tarah apni galti sudhaar lega.



(Rajesh ne jo bhi kaha tha Sameer ko apne accident ke baare me wo sab jhuth tha...Kisi tarah Sameer ko uska galti ka ehsaas karaane ke liye Rajesh ne ye bola tha...Divya ki baato se usse yakin ho gaya ki Priya ka iss accident se koi lena dena nahi hai...Aise me Rajesh ko yahi idea sahi laga jaldbaazi me Sameer ko samjhaane ke liye.)

Rajesh ki baat sun kar Sameer ko ek jordar shock laga aur haatho se mobile niche gir gaya.


Kuch pal tak to wo ekdam shaant aur sidha khada raha...Wo apni jagah se hil bhi nahi paa raha tha...Abb jaake usko apni galti ka ehsaas hua aur samajh me aaya ki wo kya paap karne jaa raha tha.

Kuch pal wahi khade rehne ke baad darte hue usne Divya aur Priya ki Maa ki taraf dekha.

Divya Sameer ko gusse se ghuri jaa rahi thi to Priya ki Maa dard aur gusse bhari najar se Sameer ko dekhe jaa rahi thi.

Sameer unse ek pal bhi najar nahi mila saka aur usne apni najar ghuma liya.

Kuch der ki khamoshi ko tod kar Divya ne kaha.

Divya:- Abb kya kahoge Sameer?

Divya ki baat me Sameer gussa saaf mehsoos kar sakta tha..

Sameer:- Bahut bada paap ho gaya mujhse anjaane me. :ohno:

Sameer ki aankho se do bund aansu giraa aur bhaari aawaj me usne Divya se keh diya.

Divya:- Anjaane me...Isse tum anjaane me kehte ho...Tumne jaan bujhkar kiya hai...Priya se tum itna nafrat karte the ki bina soche samjhe tumne ye sab kar diya.

Ek baar bhi nahi socha tumhaara ye ghatiya khel ka kya anjaam ho sakta hai...Agar tumhe lagta tha Priya ne ye sab kiya hai to tum jaa kar Priya se baat karte iss baare me...Lekin tumne aisa nahi kiya...Apne man me Priya ke liye ek aisi image banaya jisse tumhe laga ki Priya har haal me galat hai.

Sach me Sameer tum jaisa ghatiya insaan aaj tak nahi dekha maine.

Itna keh kar Priya chup ho gayi.


Sameer sharm se sir bhi uthaa nahi paa raha tha...Upar se Divya ki ye baatein Sameer ko aur chot pahuncha raha tha...Abb to Sameer ko bhi lagne laga ki kitna ghatiya hai wo.

Kuch der sharm se sir jhukane ke baad himmat karke apna sar uthaa kar Priya ki Maa ki taraf dekha aur apna dono kaan pakad kar rote hue bhaari aawaj me kaha.

Sameer:- Mujhe maaf kar dijiye Aunty...Anjaane me ek bahut bada paap kar diya.

Sameer ki iss baat par Priya ki Maa ne aankho me aansu ke saath chehra dusri taraf ghuma kar kaha.

Priya's Mom:- Mere maaf kar dene se kya hoga? Tumne to apna kaam kar diya...Sazaa to meri masum beti ko bhugatna padega...Accha dushmani nibhaaya hai tumne...Abb pata nahi kya hoga meri beti kaa...Bina kisi galti ki itni badi sazaa usse mil raha hai.

Itna keh kar Priya ki Maa chup ho gayi aur jo aansu ko unhone aankho me thaam kar rakha tha abb aur tham nahi paaya...Aankho se lagatar aansu ki bund girne lage aur wo jor jor se rone lagi.

Sameer ko ye sab dekh khud se nafrat hone laga aur khud ko hajaar gaaliya dene laga...Usse dekha nahi jaa raha tha kisi Maa ko iss tarah rote hue dekhna...Aur iss aansu ki vajah bhi wohi hai ye baat jaane ke baad Sameer khud se hi sharminda ho raha tha. :sigh2:

Usse samajh me nahi aa raha tha ki abb kya kare...Kaise apni iss bhool ko sudhare....Abb usse kuch samajh me nahi aa raha tha...Wo aur khada reh nahi paaya...Achanak se niche gir gaya...Ek jinda laash jaisa ho gaya tha wo.

Kuch der yunhi wo niche jameen me baith rota raha...Bahut dino ke baad roya tha Sameer wo bhi apni hi galti par.

Kuch der rone ke baad Sameer ka dhyan achanak hi ghadi par chala gaya...Shaam ke 5:00 pm baj rahe the...Shaadi ki taiyaari bahut jaldi shuru hone waala tha...Achanak usse yaad aaya ki agar issi tarah rota raha to sab kuch khatam ho jaayega aur wo kuch nahi kar paayega.

Kuch der sochne ke baad uske dimaag me ek idea aaya...Usse pura vishwash to nahi tha ki uska ye idea kaam karega ya nahi lekin ek koshish jarur karna chaahta tha.

Dhire se wo utth khada hua aur Divya se dhire se kaha.

Sameer:- Divya please Priya ki Papa ko bulaao?

Divya:- Kyu? Abb aur kya karna baaki reh gaya hai jo abb karne ka soch rahe ho?

Divya ki aawaj me har baar ki tarah iss baar bhi gussa tha...Lekin Sameer ne iss baat ka parwah na karte hue kaha.

Sameer:- Please baato me time waste mat karo...Jaldi se Priya ki Papa ko bulaao...Unse baat karke dekhta hu.

Sameer ki aawaj me bechaini tha.

Divya:- Unse baat karke kuch haasil nahi hone wala...Wo nahi maan ne waale hai...Humne bahut koshish kar liya par...

Divya abhi bahut kuch bolne waali thi lekin Sameer ne usse bich me rok kar kaha.

Sameer:- Please time waste mat karo...Aur mujh par yakin karo mai sab kuch thik kar dunga.

Sameer ka murjhaaye hue chehra me bhi ek chamak aa gaya iss baat ko kehte hue.

Divya ne bhi Sameer ki baat par jo confidence tha usse notice kar liya aur uska ummeed bhi badhne laga ki shaayad sab kuch thik ho jaaye.


Abb usne ek pal bhi waste kiye bina chali gayi Priya ki Papa ko bulane aur Priya ki Maa kabhi teji se jaa rahi Divya ko dekh rahi thi to kabhi Sameer ko ek aasha ke saath ki sab kuch thik ho jaaye. :pray:
Manmohak update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 63


Kuch hi der me Divya Priya ke Papa ke saath aa gayi...Aaj Priya ki Papa ne sharaab nahi piya tha.

Jaise hi Priya ki Papa room me aaye wo Sameer ko dekh kar shocked ho gaye.

Priya's Dad:- Tum yaha kya kar rahe ho?

Priya ki Papa ne hairaani me kaha...Sameer ko samajh me nahi aa raha tha kya jawaab de...Wo kuch pal chup hi raha...Wo to itna sharminda ho gaya tha khud se ki kuch bol bhi nahi paa raha tha.

Priya's Dad:- Tum Priya ki shaadi dekhne aaye ho ya mujhse koi kaam tha?

Priya ki Papa ne fir se hairaani me pucha lekin iss baar Sameer ne socha ki aise chup rehne se kuch nahi hone wala...Thoda himmat ke saath usne kaha.

Sameer:- Aap ye shaadi rukwa dijiye.

Priya ki Papa ko yakin nahi hua jo Sameer ne kaha...Sameer ne hi unhe wo idea diya tha lekin aaj wo hi achanak iss tarah unke hi ghar me aa kar ekdam se shaadi rukwane ko keh raha hai ye baat par unhe aur hairaani hua.

Priya's Dad:- Ye tum kya keh rahe ho?

Sameer:- Sahi keh raha hu...Rok dijiye ye shaadi.

Sameer ne Priya ke papa ko bich me rok kar bina koi bhaaw ke kaha.

Priya's Dad:- Nahi abb nahi rok sakta...5 lakh mile hai mujhe iss shaadi se...Aur tumhe kya problem hai iss shadi se? Tum hote kaun ho mujhse ye sab kehne waale?

Priya ki Papa ki aawaj me iss baar gussa tha...Shaadi rukwa kar wo apna nukshaan nahi karwana chaahte the.

Sameer:- Aapke liye apni beti ki jindagi se jaruri paisa ho gaya...Aur aap 5 lakh me apni beti ka shauda kar rahe hai...Kaise ghatiya insaan hai aap?

Sameer ki aawaj me bhi gussa aa gaya tha...Priya ki Papa ki iss baat se wo ye bhi bhul gaya tha ki wo kuch der pehle khud se sharminda tha .

Aisa lag raha tha agar unhe nahi roka gaya to kuch der baad yuddh suru ho sakta tha.

Divya aur Priya ki Maa kabhi Sameer ko to kabhi Priya ki Papa ko dekh rahe the...Unhe kuch samajh me nahi aa raha tha ki aage kya hone wala hai.

Priya's Dad:- Aye ladke chup reh...Jubaan sambhaal kar baat kar...Meri beti hai mai jo marzi karu...Tu hota kaun hai mujhe samjhaane wala?

Aur waise bhi maine kabhi Priya ko apna beti nahi maana...5 lakh mil rahe hai mujhe iss shauda se...Aur waise bhi ye paisa kam hi hai...Usse palne me padhane me isse jyada kharcha laga hai.

Priya ki Papa gussa aur nafrat me ye sab bol gaye lekin unhe nahi pata tha ki paas khadi Priya ki Maa unhe nafrat bhari nigaaho se dekh rahi hai.

Sameer ne jaise hi ye baat suna gusse me usne apna mutthi bheench liya aur gusse me tej aawaj se bola.

Sameer:- Kaisa baap hai aap? Apni baccho ke baare me aisa soch bhi kaise sakte ho aap...Jindagi me aap jaisa ghatiya insaan nahi dekha.

Socha tha agar aapko samjha diya to aap jarur maanenge...Lekin aap jaise ghatiya insaan ko samjhaana to kya samjhaane ka sochna bhi bekaar hai.

Sameer ne bahut gusse me kaha.

Priya's Dad:- Abhi mujhe acchayi ki paath padha raha hai...Lekin bhul gaya wo tu hi tha jisne mujhe ye sab karne ke liye kaha tha...Tab kaha gaya tha tera ye acchayi?

Priya ki Papa ne nafrat aur gusse wala muskaan ke saath kaha.

Sameer:- Maine jo bhi kiya wo sab galatfehmi me kiya...Lekin abb apni galti sudhaar raha hu.

Aur aap mujhe dosh dena band kijiye...Priya se mera koi rishta nahi hai...Lekin aap baap hai uska...Apna aur paraye me bahut antar hota hai.

Paraaye insaan dhokha de ya dusro ko taklif pahunchaaye ye koi nayi baat nahi hai...Aaj kal chalta rehta hai ye sab...Lekin kam hi dekha jaata hai koi apno ko dhokha de...Jaise aap....Aur mere najar me aap jaisa ghatiya insaan koi nahi hai.

Sameer aur Priya ki Papa dono ki aawaj lagatar badh rahe thhe...Divya aur Priya ki Maa me se kisi ka bhi himmat nahi ho raha tha unhe rokne ka.

Sameer ki baat se Priya ke Papa ko gussa to bahut aaya lekin unhone bas itna hi kaha.

Priya's Dad:- Dekh ladke...Kuch der baad Priya ki shadi hone wala hai...Mai tujh par haath utha kar koi hangama khada nahi karna chahta.

Ye shaadi kisi bhi kimat me nahi rukne waala hai...Behtar yahi hai ki tu yaha se chup chaap nikal jaa.

Priya ki Papa Sameer ko gusse se dekhe jaa rahe the.

Sameer samajh gaya ki Priya ke Papa par paiso ki bhoot sawar hai...Unko kisi bhi haal me nahi samjhaaya jaa sakta hai.

Usse samajh me aa gaya abb usse kya karna chahiye aur der nahi karte hue Priya ki Papa se puccha.

Sameer:- Aapko ye shaadi ke liye ladke waale kitne paise de rahe hai?

Priya's Dad:- 5 lakh...Lekin tujhe iss se kya matlab? Itna paisa tune jindagi bhar nahi dekha hoga.

Priya ki Papa ne Sameer ka majaak udaate hue kaha...Lekin Sameer ne iss baat ko ignore karke kaha.

Sameer:- Ye shaadi rukwa dijiye...Mai aapko 10 lakh dunga.

Sameer ko majbur ho kar ye bolna hi pada.

Sameer ki baat par Priya ki Papa ko yakin nahi hua...Unhone hairan ho kar puccha.

Priya's Dad:- Tu paagal hai kya? Kaisi baat kar raha hai? 10 lakh tune apni jindagi me kabhi dekha hai kya jo dene ki baat kar raha hai? Uss din to tu keh raha tha tu bhi sharabi hai aur gareeb pariwar se hai. :hmm:

Sameer:- Jhuth kaha tha maine...Baato me vakt kharab mat kijiye aur shadi rukwa dijiye...Cheque abhi mere paas nahi hai room me chhut gaya hai...Bahut jald 10 lakh ka cheque aapko dunga.

Sameer Priya ki Papa ke sath aur baat karna nahi chaahta tha...Wo jaldi se saara maamla khatm karna chaahta tha.

Priya's Dad:- Lekin mai kaise maan lu...Tu mujhe dhokha bhi to de sakta hai. :huh:

Sameer:- Ek baar Divya se ya fir Priya se puch lijiye kaun hu mai? 10 lakh mere liye koi badi baat nahi hai...Lekin please aap apni bakwas band karke jaa kar ladkewaalo ko mana kijiye.

Sameer ne frustrated ho kar kaha.

Sameer ki baat sun kar Priya ki Papa ne ek najar Divya ki taraf dekha aur aankho se hi sawal puccha ki kya Sameer sach keh raha hai...Divya ne bhi haa me sir hilaaya.

Issi bich Priya ki Papa ne pehli baar Priya ki Maa ko dekha...Unhe kuch samajh me nahi aaya ki kya react kare...Lekin agle hi pal unhone apni najar Priya ki Maa se hata kar Sameer ki taraf dekha aur gambhir aawaj me kaha.

Priya's Dad:- Accha thik hai...Lekin ek samasya aur hai?

Sameer ne Priya ki Papa ko ghur kar dekha aur kaha.

Sameer:- Paisa mil jaayega...Ab aapko kya samasya lag raha hai? :mad:

Priya's Dad:- Lekin mai ladke walo ko kya keh kar mana karu?

Sameer:- Aasan hai...Abb jaakar keh dijiye iss shaadi ke liye aap 5 lakh nahi 5 crore lenge...Wo log shaadi se jald hi inkaar kar denge...Agar kuch kaha panga hua to aap bhi koi hangama khada kar dijiye...Iss kaam me to aap maahir hai.

Sameer ne gusse me aur chhidhte hue jawaab diya.

Priya's Dad:- Accha thik hai...Lekin paisa jaldi se chaahiye mujhe.

Sameer ne abb jaa kar raahat ka saans liya...Abb usse Aatmaglaani se mukti mil gaya tha aur ek sukoon mila usse ki usne apni galti sudhar liya hai aur Priya aur uski Maa ki najron se girne se bach gaya.

Ek lambi saans lekar usne kaha.

Sameer:- Paise ke liye kuch bhi karne se piche nahi hat rahe...Paise hi aapke khusi, izzat aur sab kuch se bada hai...Bahut jald aapko pata chal jaayega kitna galat hai aap...Marne ke baad aap ye paisa apne saath nahi le jaa payenge...Kabhi jindagi ko acche se jeene ki koshish kijiye tab aap ko pata chal jaayega jindagi kitna hasin hai aur paise dhan daulat kuch bhi nahi hai iske saamne.

Khair chhodiye ye baat...Aap kabhi nahi samjhenge.

Itna keh kar Sameer ne Priya ki Papa ki taraf dekha jo kuch nahi bol rahe the...Unke chehre se aisa lag raha tha ki wo bahut khus hai...10 lakh milne ki khusi unke chehre se saaf jhalak raha tha...Saath hi wo kuch baat soch rahe the.


Sameer ne abb Priya ki Maa ki taraf najar ghuma kar kaha.

Sameer:- Aunty maine jo galti kiya hai usse sudhaar liya hai...Aur maine aap sab ko itne din jo dukh diya uske liye dil se maafi maangta hu.

Nafrat aur galatfehmi ne mujhe ye sab karne par majbur kar diya tha...Agar ho sake to please maaf kar dijiye.

Ek aur request hai aapse...Priya se keh dijiye ki abb meri life me kabhi nahi aane ke liye aur kabhi mai dikh bhi gaya to wo mujhe ignore kare.

Pehli baar Priya ki Maa ko raahat mila...Jis baat ka dar tha unhe aur wo parshaan thi wo abb thik ho chuka tha...Unhone bhi sir ko haa me hilaa kar Sameer se kaha ki unhone Sameer ko maaf kar diya hai.

Divya bhi bahut khus thi ki Priya ki jindagi barbaad hone se bach gaya.

Sameer:- Accha to abb mai chalta hu...Ek baar fir mafi maangta hu apni galti par.

Itna keh kar Sameer gate tak pahuncha hi tha ki Priya ki Papa ki piche se aa rahi aawaj ne usse rok diya.

Priya's Dad:- Ruko...Tum aise nahi jaa sakte ho.

Sameer ne gusse me picche mudaa aur kaha.

Sameer:- Ghar se baahar jaa raha hu...Gaanw se nahi...Mai apna vaada nibhaata hu...Aapko jald hi 10 lakh mil jayenge.

Priya's Dad:- 10 lakh to mujhe chahiye hi...Aur saath me tumhe Priya se shaadi bhi karna hoga.

Sameer ko to jhatka laga ye baat sunke.

Sameer:- Kya? :yikes:

Divya aur Priya ki Maa bhi hairan ho gaye the ye baat sun kar.

Priya's Dad:- Sahi suna tumne...Bhulo mat ye gaanw hai...Yaha izzat aur maan maryada hi sab kuch hota hai.

Agar Priya ki shaadi tut jaayega tab kaun uska haath thaamega...Aur humaara izzat ka kya hoga? Agar tum ye shaadi rukwaana chaahte ho to tumhe ye shaadi karna hi hoga.



Priya ki Papa ko apne izzat, maan maryada ka koi parwah nahi tha...Tabhi se wo soch rahe the ki Sameer agar itni jaldi 10 lakh dene ko taiyaar ho gaya hai to iske paas bahut paisa hoga...Agar Priya ki shaadi Sameer se ho jaayega to unhe paise ki koi chinta nahi hoga baad me aur sukoon se baaki ki jindagi bita paayenge sharab me.


Priya ki Papa ne to apni baat Sameer ko keh diya lekin Sameer iss baat se bahut gusaa ho gaya aur gusse me kaha.

Sameer:- Iss se mujhe koi parwah nahi...Aapko 10 lakh de raha hu isse jyada kuch nahi...Aur aapka kya izzat hai hi kya gaanw me? Koi aapka izzat karta hai? Aap iss gaanw me sabse badnaam sharabi ke roop me jaane jaate hai.

Priya's Dad:- To fir kaun thaamega Priya ka haath...Kya usse jindagi bhar kunwari rehna padega...Agar tum ye shaadi nahi karoge to mai ye shaadi nahi rukwaunga.

Priya ki Papa ki baat se aisa lag raha tha ki wo apne faisle se picche nahi hatenge. :nope:

Sameer:- Karan...Priya usse pyaar karti hai aur Karan bhi usse...Aapko Priya ki shaadi ki chinta karne ki jarurat nahi hai...Karan kar lega shaadi Priya se.

Sameer ne behad gusse me kaha.

Priya ki Papa ko ek pal to jhatka laga Sameer ki baat sun kar...Unhe laga ki unka ye sapna adhura reh jaayega...Lekin agle hi pal wo jidd me add gaye.

Priya's Dad:- Nahi...Agar tum ye shaadi rukwaana chaahte ho to tumhe hi ye shaadi karna hoga...Gaanw waalo ke saamne aur beizzat nahi hona chahta.

Agar wo Karan usse sach me pyar karta to wo tumhaare jagah hota...Khair maine apna faisla suna diya hai...Aage tumhaara marzi.



Priya ki Papa ne pehle hi dekh liya tha Sameer kitna utawla ho raha hai ye shaadi rukwaane ke liye...Unhe pata tha ki Sameer ye shadi rukwane ke liye kuch bhi kar sakta hai...Issi liye wo kuch pal aur intejaar karna chahte the Sameer ko apne baat manwane ke liye.

Sameer:- To aap nahi maanne waale? :angry:

Priya's Dad:- Maine apna faisla pehle hi suna diya hai.

Abb Sameer aur bardasht nahi kar paaya aur gusse me Priya ki Papa ki taraf badhne laga.

Divya ko samajh me aa gaya ki agar abhi Sameer ko nahi roka gaya to maamla aur bigad sakta hai.

Wo teji se Sameer aur Priya ki Papa ke bich me aa gayi aur Sameer ke paas pahunch jar Sameer ka haath pakad kar usse room se baahar le gayi.

Sameer ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai...Bas Divya ke piche jaane laga ye soch kar ki Divya akele me usse kya bataane wali hai.


Lekin usse kya pata tha ki jo Divya kehne wali hai aur usse jo karwane wali hai uss se uski ki life me ek bahut bada tufaan aane wala hai.
Bahut hi sunder update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 64


Bas kuch hi der me Divya Sameer ko dusre room me le gayi...Room me pahunchte hi Sameer ne pucha.

Sameer:- Mujhe iss tarah se iss room me kyu lekar aayi tum?

Divya:- Tum se issi baare me baat karna tha jo mai Priya ki Papa ke saamne nahi kar sakti thi.

Sameer:- Mujhe iss baare me kuch baat nahi karna...Buddhe ki himmat to dekho...Agar tum bich me na aati to 2 4 daant tod deta...Ek ungli kya diya buddha pura haath hi maang raha hai. :angry++:

Sameer ne behad gusse me kaha.

Divya:- Please Sameer...Shaant ho jaao...Ye gussa hone ka vakt nahi hai.

Divya ne Sameer ko samjhaate hue kaha...Lekin Sameer samajhne ke mood me nahi tha.

Sameer:- Kaise shaant ho jaau...Wo buddha jo marji wo kar raha hai aur bol raha hai...Jaanti ho kya karne ko keh raha hai.

Mai Priya se shaadi kar lu...Ye maine apne sabse bura sapna me bhi nahi socha.

Socho agar ye shaadi ho bhi gaya to kya hoga...Mera Shruti se bahut jaldi engagement hone waala hai...Aise me usse pata chalega ki maine usse dhokha de kar Priya se shaadi kar liya to uss par kya bitegi...Wo mujhse pyar karti hai.

Mai apne Papa aur Maa ko kya munh dikhaunga.

Priya to tumhaari dost hai na...Tum to jaanti hi ho ki uski shaadi Karan se hone waala hai...To mai kaise kar lu Priya se shaadi? Agar kar bhi liya to mai kya jawaab dunga Priya ko?

Kya ye kahunga ki mai tumhaari jindagi barbaad karne jaa raha tha aur mujhse galti ho gaya...Aur yahi galti sudharne ke liye tumse shaadi karke ek aur galti kar liya...Kaise usse najar mila paaunga mai?

Jo sir aaj tak uske aur Karan ke saamne nahi jhukaya ye shaadi karne ke baad apne aap jhuk jaayega.

Nahi Divya mai nahi kar paaunga ye shaadi...Sab kuch tabaah ho jaayega iss shaadi se...Kisi ka bhala nahi hoga.


Itna keh kar Sameer shaant ho gaya...Uski aawaj me ghabraahat aur gussa dono tha.

Sameer ki baat sunne ke kuch der baad Divya ne kaha.

Divya:- To aur kar bhi kya sakte hai hum...Iss tarah se to Priya ki shaadi Pratap se ho jaayega aur uski jindagi barbaad ho jaayega...Aur iski vajah tum hoge...Sirf tum.

Sameer:- Ek raasta hai...Jaa kar abhi buddhe ka akal thikaane par laata hu...Izzat de kar aur jhuk kar kya baatein kiya mujhe kamjor samajhne laga...Abhi batata hu mai kya cheej hu.

Itna keh kar Sameer room se baahar nikalne laga lekin piche se aa rahi Divya ki aawaj ne usse fir se rok diya.

Divya:- Agar tumne haath bhi lagaya to wo cheekh kar chilla kar mehmaano ka bhid jama kar denge...Aur tum khud ko kya film ka hero samajhte ho jo itne mehmaano ko maar kar bach jaaoge.

Tum nahi jaante Priya ke Papa kitne bada kameena hai...Wo tum par kuch bhi ilzaam laga denge jaise tum iss ghar me chori ke liye ghuse ho...Yaa fir kuch aur...

Wo apne faaidaa ke liye kuch bhi kar sakte hai...Pata nahi unhone tum me kya dekh liya hai jis vajah se wo Priya ki shaadi tumhaare saath karwaana chaahte hai.

Wo apna faisla kabhi nahi badlenge...Kuch paise ke liye wo apni beti ko bech sakte hai kisi ko to socho wo apne faaidee ke liye kyu apna faisla badlenge?


Divya ki baat sun kar Sameer fir majbur ho gaya...Wo Divya ki taraf ghum kar bebasi bhari aawaj me bola.

Sameer:- To tum chaahti ho ki mai priya se shaadi kar lu?

Divya:- Nahi mai nahi chhahti tumhaara aur Priya ka shaadi ho...Lekin kar bhi kya sakte hai...Agar unki baat nahi maane to wo Priya ki shaadi kara denge uss Pratap ke saath.

Sameer:- Aaj tak uss buddhe se ghatiya baap nahi dekha.

Divya:- Ye keh kar tum apni galti se piccha chhudaana chahte ho? Bhulo mat suruwat tumne hi kiya hai...Priya ki Papa se jyada ghatiya shaayad koi nahi hai...Lekin tum ne bhi koi accha kaam nahi kiya hai.

Divya ne Sameer ko ek baar fir uski galti yaad karaate hue kaha.

Sameer:- Apni galti maanta hu...Usse picche nahi hat raha hu...Apni galti ka ehsaas hai iss liye abhi tak yaha hu warna kab ka nikal gaya hota yaha se.

Mujhe Priya se koi matlab nahi hai aur naa hi uski jindagi se...Bas mai ye nahi chaahta ki meri galti se kisi ko koi taklif pahunche.

Iske baad Sameer aur Priya ki bich khaamoshi chaa jaata hai...Kuch der ki iss khaamoshi ko todte hue Divya ne kaha.

Divya:- To tum kuch nahi karoge apne galti sudhaarne ke liye? Tumne hi kaha tha na tum apna bhool sudharna chaahte ho...To kaise sudharoge? Aise hi shaant baith kar...Tab tak Priya ki shaadi bhi ho jaayega.

Bas kuch hi der me Priya ki shaadi hone wala hai...Aur tum kuch kar nahi paa rahe ho.

Tum kehte ho ki tum shaadi karke Priya se najar nahi mila paaoge...To jab Priya ki shaadi ho jaayega aur usse pata chalega ki tumhaara kripa se ye shaadi hua hai to kya jawaab doge usse? Kya beetegi uss par jab usse pata chalega ki bina uski koi galti ki ye sajaa milaa hai aur wo kisi ki dushmani ka shikar hui hai?

Aur kya jawaab doge tum Priya ki Maa ko? Unhone tumhe itna bada galti ki baawjood maaf kar diya hai...Aur abb tum par hi aasha kar rahi hai ki tum kisi tarah bacha loge Priya ko iss shaadi se...Kya yahi jawaab doge ki tumhe apni galti ka koi afsos nahi hai aur tum apna galti sudharoge bhi nahi? Chaahe kisi ki jindagi hi barbaad kyu na ho jaaye.

Aur kya jawaab doge tum apne Parents ko jab unhe tumhaare iss mahaan kaam ke baare me pata chalega?

Aur kya jawaab doge tum khud ko?
Kya kabhi chain se jee paaoge? Priya ki jindagi barbaad karne ka shraap lagega tumhe...Har pal ghut ghut kar jiyoge...Kabhi shaanti nahi aayegi tumhaare jindagi me.


Itna keh kar Divya chup ho gayi...Sameer par iss baat ka bahut bada asar hua...Divya ne Sameer ko uski galti ka aayina (mirror) dikha diya...Wo soch me pad gaya aur khud me aur bhi jyada ulajh gaya...Ek taraf usse khayi dikh raha tha to dusri taraf kua.

Kuch der shaant rehne ke baad Sameer bola.

Sameer:- Agar ye shaadi kar bhi lu to sabhi ko kya jawaab dunga mai...Sabhi ki najro me gir jaaunga...Ye shaadi karunga to Shruti ke saath anyaay hoga.

Sach me maine bahut galat kiya...Bahut buraa insaan hu mai. :sigh2:

Sameer ekdam maayus ho kar bola.

Divya:- Nahi Sameer...Tum bure insaan nahi ho...Agar bure insaan hote to mai tumhe samjhaane ki koshish bhi nahi karti aur tum samajhna bhi nahi chaahte.

Tum abhi tak meri baat sunn rahe ho issi se pata chalta hai tumhe apni bhool ka ehsas hai.

Mai bhi nahi chaahti hu Priya ki jindagi ke saath iss tarah se khilwaad ho...Lekin Priya ki shaadi Pratap se ho isse behtar tumse ho jaaye.

Mai ye nahi kehti hu ki jindagi bhar ke liye shaadi karo tum...Bas Priya se shaadi karke tum usse yaha se uske baap se dur le jaao...Kuch time baad divorce le lena aur Karan to hai hi Priya ke liye.

Iss tarah se Priya yaha se bach niklegi aur tum apna bhool bhi sudhaar loge.

Aur rahi baat tumhaara parents aur Shruti kaa to...Suru me unhe jhatka jarur lagega iss shaadi se aur tumse naraaj bhi honge.

Lekin ek khushi bhi hoga unhe ki tumne kisi ki jindagi barbaad hone se bachaya...Ek badi galti ko sudharne ke liye choti si galti kiya.

Agar Shruti tumse saccha pyaar karti hai to tumhaara baat jarur samjhegi aur tumhaara saath degi.

Bahut jald sab tumhe samjhenge aur maaf kar denge...Issi tarah tum apna bhool bhi sudhaar loge aur sab kuch thik ho jaayega.

Uske baad tum Priya se divorce le lena aur Priya bhi Karan se shaadi kar legi baad me.

Issi me sabhi ke liye accha hai...Mujhe jo sahi laga wo maine keh diya...Tumhe abb force nahi karungi...Jo bhi faisla lena hai jaldi se lo time jyada nahi hai hamaare paas...Ha lekin meri baat ko ek baar acche se sochna jarur.

Itna keh kar Divya room se baahar jaane lagi...Tabhi Sameer ka aawaj piche se uske kaano me pada.

Sameer:- Baad me Karan Priya se shaadi to kar lega na? Mujhe to uske pyar me bilkul bharosa nahi hai.

Sameer ki aawaj me ek bechaini tha...Usse dar tha ki kahi Karan Priya ko bich raaste me naa chhod de.

Divya:- Agar saccha pyar karta hai to jarur karega.

Itna keh kar Divya chali gayi...Usse bahut der baad ek raahat mila...Usse vishwash tha ki Sameer jarur maan jayega...Usne Sameer ko acche se sochne par majbur kar diya tha aur Sameer ke chehre me aa rahi bhaaw ko padhne ke baad usse yakin tha ki Sameer Priya se shaadi karne ke liye jarur maanega.

Divya ko bahut sukoon mil raha tha apne dost ki jindagi barbaad hone se bachaane ke liye...Usne apna dosti ko bahut acche se nibhaaya tha...Abb usse intejaar tha to bas Sameer ki jawaab ka.

Usne jaake Priya ki Maa ko sab kuch bata diya...Priya ki Maa ko bhi ek raahat mila ki shaayad abb Priya Pratap se bach gayi hai...Lekin apni beti ki iss tarah se shaadi se unko dukh bhi ho raha tha...Abb bas wo yahi dua kar rahi thi ki unki beti ki aage ki jindagi khushi ke saath beete.


Divya ki jaane ke baad Sameer ne kuch der tak bahut gambhir roop se socha...Jyada time nahi tha sochne ka...Usse Divya ka baat sahi laga aur saath hi Priya ke Papa par bahut gussa aa raha tha.

Gusse ke saath wo Priya ke Papa ke paas gaya aur apne gusse ko dabaa kar shaadi ke liye manjuri de diya.

Priya ki Papa bahut khush ho gaye Sameer ki iss faisle se...Unhone turant Pratap ke Papa ke paas jaa kar shaadi ke liye inkaar kar diya.

Iss tarah se puri taiyari ke saath aane ke baad shaadi cancel ho jaane se kuch hangama to hua lekin baat ko sambhaal liya gaya.

Baraati ka laut te vakt Pratap ne gusse se Sameer ko ghura lekin Sameer ne najar andaaz kar diya...Baraati ke sabhi log laut gaye lekin Ramesh wahi par chupa raha shaadi ki photos khinchne ke liye.

Wo chahta tha ki ye photos upload karke social sites me upload kar de aur college ki sabhi dost Sameer aur Priya ka majaak banaye...Jis vajah se Priya Sameer ko aur nafrat karne lage.

Sameer ki shaadi ki maanne ki baat pata chalne ke baad Priya ki Maa turant Priya ke paas gayi aur Priya se boli.

Priya's Mom:- Priya...Ek khushi ki khabar hai...Teri shaadi Pratap se nahi Sameer se ho raha hai.

Priya ko iss baat se ek jhatka laga...Chaunkte hue usne puccha.

Priya:- Kaun Sameer?

Priya's Mom:- Wohi Sameer...Jo tere saath college me padhta hai...Abhi jyada baat karne ka time nahi hai jaldi se taiyaar ho jaa.

Priya ke liye ye sabse bada jhatka tha...Usse samajh me nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai.

Wo yahi soch rahi thi ki abb Sameer kaha se aa gaya aur uski jindagi ke saath kitna khel khela jaa raha hai.

Priya:- Nahi mai usse shaadi nahi karungi...Bahut majaak ho raha hai meri life ke saath...Abb aur nahi...Maa aap nahi jaanti Sameer ko...Wo kitna buraa ladka hai.

Mana kar dijiye Papa se iss shaadi ke liye...Warna mai kuch kar lungi. :(

Priya ne behad gussa, dard aur nafrat ke sath kaha.

Priya's Mom:- Abhi koi baat mat kar...Bahut jald shadi hone waali hai...Agar tu mana kar degi to mai jehar khaa lungi...Itna jarur samajh le ki Sameer utna bhi buraa nahi hai...Usne tujhe teri jindagi tabaah hone se bachaya hai.

Baaki ki baat tujhe baad me pata chal jaayega...Agar abhi shaadi nahi kiya tune to teri jindagi tabaah kar dega tera sharabi baap...Aur mai bhi jehar khaa kar chali jaaungi iss duniya se...Tujhe meri kasam hai...Aage teri marzi.

Priya ki Maa ne ek bebasi ke saath ye sab kaha.

Priya ki Maa ko pata tha ki unki ye
jehar khaane ki baat sunkar Priya unhe mana nahi karegi.

Aur hua bhi aisa hi...Priya ne mana to nahi kiya lekin dard aur gusse ke saath bebasi se apni Maa ko dekhne lagi...Aur kuch der baad uski aankho me aansu aane lage.


Kuch der baad Divya bhi room me aa gayi...Priya ne ek aakhiri koshish kiya Divya se baat karke apni Maa ko samjhaane ka...Lekin Divya ne bhi usse Sameer se shadi karne ke liye keh diya.

Iske baad Priya bilkul ek jinda laash ki tarah ho gayi...Usse apni Maa aur Divya par bahut gussa aa raha tha...Lekin wo kuch kar bhi nahi pa rahi thi.


Issi tarah kuch der baad Shaadi ka vakt bhi aa gaya...Sameer aur Priya taiyaar ho kar mandap me baithe thhe.

Priya ne to Sameer ko ek baar dekha tak nahi...Sameer bhi jinda laash jaisa ho gaya tha...Majbur ho kar wo kabhi Priya ko dekh raha tha to kabhi sabhi shaadi me aaye mehmaano ko.

Sabhi mehmaan aise shaadi badalne se shocked the aur aapas me baat kar rahe the...Lekin Sameer aur Priya ki ghar waalo ko iss baat se koi fark nahi pada.

Dhire dhire shaadi ki rashmein suru hone laga...Priya aur Sameer dono hi majboori me sabhi rashm ko nibhate gaye...Sindur lagane aur mangal sutra bandhte vakt Sameer ka haath kaamp raha tha lekin jaise taise usne kar hi diya.

Saath fere lete vakt Sameer ko laga ki kab usse chakkar aa jaayega aur gir jaayega lekin khud par kisi tarah se kaabu rakha hua tha usne...Priya ka bhi wohi haal tha.

Issi tarah se bahut mushkil se Sameer aur Priya ne shaadi kar liya...Shaadi karte vakt wo dono jaise khud se hi jung lad rahe the.

Sameer, Priya aur Mehmaano ko chhod kar sabhi iss shaadi se khus the.

Priya ki Papa ka to khushi ka koi thikaana hi nahi tha.

Divya aur Priya ki Maa utna khus to nahi the lekin ek sukoon jarur mila unhe.

Sameer ko to aisa feel ho raha tha jaise usne koi gunaah kar diya ho...Wo khud ki najro me apni bhool ke liye sharminda ho raha tha.

Priya ko to rona aa raha tha apni bebasi aur kismat par...Lekin wo roo nahi paa rahi thi...Uske saare sapne khatm ho gaya tha aur apne aage ki life soch kar aur dukhi ho rahi thi.

Shaadi ka wo manhus raat sabhi ke liye bahut mushkil se beeta.

Agle din Priya ki Papa Sameer ko le gaye shadi ki certificates me sign karwane ke liye.

Aur ussi din dopahar ko riti riwaaj ke saath Priya ki bidaai ho gayi.

Priya ko apne gharwaalo aur Divya se itna nafrat ho gaya tha ki wo apni bidaayi me royi bhi nahi aur ek udaas chehra ke saath kisi ko bina dekhe Sameer ke saath uske ghar ke liye chal diya.

Iss bich Sameer aur Priya ki bich koi baat nahi hua...Dono chup rahe saare raashte...Sameer ke paas bolne ka himmat nahi tha to Priya apne gussa ko dabaa kar chup thi...Usse bhi pata tha bahut jald uska ye gusaa jwalamukhi ki tarah fatne wala hai.

Priya ki Maa ko Priya ki ye harkat bura jarur laga lekin wo Priya ki haalat samajh sakti thi...Unhe ek sukoon jarur mila ki jitna wo kar sakti thi apni beti ke liye unhone kar diya.




Issi tarah Sameer aur Priya ki ladaayi aur nafrat, Shruti ka bhadkaana, Sameer ka bhool aur Priya ki Papa ka laalach ke kaaran Sameer aur Priya ki shaadi ho gaya.



FLASHBACK ENDS



PRESENT




Sameer ne apni baat pura kar liya aur darte hue Priya ko dekhne laga...Priya ki chehre ka hairaani, dard aur gussa dekh Sameer ka dar aur bhi badh gaya.

Abb usne khud ko taiyaar kar liya Priya ki gussa aur sawaal ke liye.
Mast-mast update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 65


Priya kuch der Sameer ko dekhti rahi...Uske chehre me hairaani, gussa aur dard ke mile jule bhaaw tha.

Kuch der chup rehne ke baad usne Sameer se pucha.

Priya:- Waah Sameer...Bahut acche se nibhaya tumne nafrat ko...Tumhaara badla me kisi ki life barbaad ho jaaye isse tumhe koi matlab nahi.

Bas agar tumhaara kisi ke saath dushmani ho jaaye...To jab tak tum usko nukshan na pahuncha do tab tak tumhe chhain nahi milega. :mad:


Priya ne gusse ke saath kaha.

Sameer:- Sorry...Bahut bada galti ho gaya...Rajesh ki accident ne mera dimaag kharab kar diya aur mujhse ye bhool ho gaya.

Sameer ne khud ki najaro me sharminda ho kar sir jhuka kar Priya se dheemi aawaj me maafi maanga.

Priya:- Tumne itne saare galtiya kiya hai...Chalo bataao tumhe sabse bada galti kaun sa laga?

Sameer Priya ki baato ka jawaab dene hi wala tha ki kuch sochte hue chup ho gaya.

Sameer ko aise chup dekh kar Priya ki gussa aur badh gaya...Iss baar aur tej aawaj me wo boli.

Priya:- Abb kyu chup ho? Jawaab do? Meri life ko barbaad karne ke baad abb tum chup ho?

Priya ki har ek shabd Sameer ko aur sharmindaa kar raha tha...Bas kuch din pehle ki hi baat hai..Sameer Priya ki tej aawaj me ek bhi baat bardaast nahi kar paata tha...Lekin aaj wo Priya ki kisi bhi baat ka jawaab dhang se bhi nahi de paa raha tha...Har ek pal Sameer khud ko uss bhool ke liye kosta raha. :sigh2:

Iss baar Sameer ne himmat karke Priya ki sawaal ka jawab diya.

Sameer:- Bahut saari galtiya nahi...Sirf ek galti hua hai mujhse...Jaldbazi me faisla le liya aur chala gaya tumhaara gaanw tumse badla lene...Ek baar tumse baat kar lena chaahiye tha.

Sameer ne fir se dheemi aawaj me Priya ko dekhe bina hi jawaab diya.

Priya:- Matlab tumhe iss baat ka koi afsosh nahi hota ki tumhari vajah se meri shaadi Pratap se ho jaata.

Priya ka har ek shabd me pehle ki tarah hi gussa tha.

Sameer:- Bilkul nahi hota...Agar sach me Rajesh ki accident ke piche tum aur Karan hote to mujhe bahut sukoon milta tum dono ki jindagi barbaad karne me.

Mai bura insaan nahi hu...Kisi ko be wajah koi nuksaan nahi pahunchaata hu mai...Lekin koi baar baar pareshan kare ya mujhe nukshan pahunchaye usse mai bilkul nahi chhodta...Aur uske liye mujhse bura koi nahi hota.

Meri vajah se tumhaari life barbad hone jaa raha tha is liye mujhe ye sab karna pada...Warna mujhe koi parwah nahi tumhari life ki.

Shaadi ke baad pehli baar Sameer ne iss tarah ki baat kiya Priya se...Lekin uski aawaj me pehle ki tarah iss baar bhi sharmindagi tha...Wo Priya ka saamna aur nahi karna chaahta tha...Lekin wo iss vakt majbur tha.

Iss ke baad Priya ne bhi kuch nahi kaha...Wo Sameer ko samajhne ki koshish kar rahi thi...Har naye din usse Sameer ki nayi roop dekhne ko mil raha tha.

Sameer ne abhi tak Priya ki taraf nahi dekha tha...Sameer ki haalat bhi bahut ajeeb tha...Jis ladki se wo itna nafrat karta tha aaj wo ussi ladki ka gunehgaar khud ko maan ne par majbur ho gaya tha...Aur khud ki hi najro me sharminda ho gaya tha.

Priya bhi Sameer ki baat ko soch rahi thi...Wo fir se apni shaadi ki vakt ki baat ko sochne lagi...Ye sab sochte hi Priya ki aankho se fir se aansu nikalne laga.

Usse apne Papa aur Sameer par bahut gussa aa raha tha...Aur apni Maa aur Divya ke liye uske dil me izzat aur badh gaya.

Yahi sab sochte hue wo Karan ke bare me bhi sochne lagi...Usse bilkul bhi yakin nahi ho raha tha ki Karan uska saath iss tarah se chhod dega...Karan ka aise saath chhod dene se aur shaadi kar lene se wo bilkul toot gayi...Usse abb apne Maa aur Divya ke alawa koi apna najar nahi aa raha tha.

Usne kuch vakt pehle hi faisla le liya tha ki wo Sameer se divorce lene ke baad kisi aur desh me jaake settle ho jaayegi...Aur wohi se apni life ka nayi tarah se suruwat karegi...Aur fir se yaha ki iss maaahoul me nahi lautegi jaha uske apno ne hi usse tod kar rakh diya.


Sameer aur Priya ki iss khaamoshi ko Sameer ke mobile me aa raha phone call ne toda.

Sameer ne mobile me dekha ki wo phone call Mahesh ka tha...Sameer room ke baahar jaldi se gaya aur phone receive kiya.

Sameer:- Ha Mahesh bol...Abb kaisa hai tera bhai ka haal.

Mahesh:- Abb thik hai...Minor accident tha...Koi khatra nahi hai.

Aur ye bata tu itna dhire se kyu bol raha hai...Sab kuch thik to hai na?

Sameer:- Kya thik hoga? Kuch thik nahi hai...Abhi abhi Priya ko sab kuch bata diya...Abb to usse najar milaane me bhi dar lag raha hai.

Mahesh:- Chinta mat kar yaar...Sab kuch thik ho jaayega.

Baato hi baato me bhul gaya...Maine tujhe milne ke liye bulaane ke liye phone kiya tha...Ussi jagah me aa jaa jaha par kal mile the.

Sameer:- Nahi yaar...Aaj nahi kal milte hai...Aaj kuch accha feel nahi kar raha hu...Kal aaram se milte hai aur tujhe bataana bhi hai kaise meri ye shaadi hua...Kal aaram se mil kar batata hu.

Mahesh:- Mujhe sab pata chal gaya hai...Rajesh ne sab kuch bata diya mujhe...Wo bhi yahi hai abhi.

Aur ghar me rahega to aur accha feel nahi hoga tujhe...Aur ghutan mehsoos hoga...Aaja yaha par...Ekdam fresh mehsoos karega.

Rajesh ki baat sunte hi usse yaad aaya ki usse Rajesh ko pucchna tha kisne uska accident kiya aur kaun hai wo.

Abb Sameer ne Mahesh aur Rajesh se milne jaane ka faisla liya aur jaise hi wo apne room ki taraf jaane ke liye muda usne Priya ko apne picche dekha...Priya ko dekh Sameer ne fir se apni najar jhuka liya...Aur sochne laga ki Priya abb yaha kyu aayi hai.

Priya:- Tumne sab kuch to bata diya...Lekin ye nahi bataya ki Shruti ko kis ne wo casette diya aur kis ne Rajesh ka accident kiya.

Aur ek baar Shruti ko yaha bulaana usse ek baar acche se baat karni hai.

Last ki line Priya ne behad gusse me kaha. :angry:

Sameer:- Iss baare me mujhe bhi kuch nahi pata hai...Wo hi pata lagaane jaa raha hu...Iss shaadi se itna tension me hu ki dimaag se ye baat nikal gaya tha.

Aur tum Shruti se kyu milna chaahti ho? Kisi ne usko de diya jaan bujh kar aur Shruti ko galatfehmi ho gaya...Jisne ye sab kiya hai usse mai chhodunga nahi.

Priya:- Nahi ek baar mujhe usse milna hai...Kuch baat karni hai usse...Kuch bahas nahi karna chaahti mai iss baare me.

Sameer:- Thik hai...Bol dunga usse.

Itna keh kar Sameer nikal gaya Mahesh aur Rajesh se milne.
Jaandaar update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 67

In Park


Sameer gusse me Rajesh ki taraf badh hi raha tha ki Mahesh bich me aa gaya.

Sameer:- Tu bich me mat aa...Aaj isse nahi chhodunga...Dost kya maan liya isse ye to sar par chaadhne laga. :angry++:

Bahut suna hai iska bakwas maine bahut pehle se hi...Har baar isse dost samajh kar iski galtiyon ko najar andaaj kiya.

Iska baat ka vishwash karke maine Priya se shaadi kar liya Priya ko bachaane...Lekin aaj pata chala isne mujhe dhokha diya hai...Priya ka galti chupa kar meri haalat ka faaidaa utha kar mera shaadi karwa diya uske saath. :mad:

Itna keh kar Sameer kuch pal ke liye chup ho gaya...Ek najar usne gusse se Rajesh ko dekha...Rajesh ko samajh me nahi aa raha tha usse kya kehna chaahiye...Mahesh kuch bolne hi wala tha ki Sameer ne fir Rajesh ko gusse se dekhte hue kaha.

Sameer:- Kyu yaar? Kyu dhokha diya tune mujhe...Tujhe apna dost maanta tha yaar...Humara dosti itna bada tha ki Shruti se bhi tujhe hamesha upar rakha...Hamesha tera baat ka hi yakin kiya...Har sukh dukh me tera saath dekh kar laga ki tu mera saccha dost hai.

Tujh par khud se jyada vishwash karta tha...Issi liye teri phone ki ek call me hi tera baat maan kar Priya se shaadi kar liya...Teri baat par ek baar bhi shak nahi kiya.

Lekin tune kya kiya...Mera dosti ka galat faaidaa uthaya...Tu Divya se pyar karta hai aur uski baat maan kar tune mujhse wohi kaha jo usne tujhe mujhse kehne ko kaha.

Itna keh kar Sameer fir chup ho gaya...Uske dimaag me fir ek galatfehmi ne janm liya...Rajesh kuch kehne hi wala tha ki fir Sameer ne kaha.

Sameer:- Accha to abb samajh me aaya Priya aur Divya ka plan. :angry:

Jaan boojh kar mujhe fasaya dono ne...Aur unka saath diya tune...Shaayad Priya ne mera paisa dekh kar mujhe fasaane ka socha hoga...Ya fir kuch aur plan hoga uska mere khilaaf mujhe mentally torture karne ka. :detective:

Aur uska saath diya Divya ne...Kya khel khela hai usne...Mujhe to bilkul bhi shak nahi hua uss par ki wo mujhe fasa rahi hai...Mujhe to laga wo mujhe samjhaa rahi hai aur mujhe galti karne se rok rahi hai...Lekin mujhe kya pata tha wo dono aisa kuch plan kar sakti hai.

Unhone jo kiya wo kiya...Lekin tujhse aisa ummeed nahi tha...Tune apne pyar ke liye humaara dosti ka bhi khayal nahi rakha...Apne pyar ke liye mere saath aisa majaak kiya tune...Tere pyar ki nasha ne meri jindagi me itna bada bhukamp aa gaya.

Divya ki kuch dino ke pyar ke liye tune mere dosti ka parwaah bhi nahi kiya...Maine kab roka tha tujhe Divya se pyar karne ke liye? Tu Divya se pyar karta to mujhe koi problem nahi tha...Tujhe teri life me khus dekh kar mai bhi khus ho jaata...Lekin apne pyar paane ke liye mujhe dhokha diya ye tune bilkul accha nahi kiya...Issi liye tu sab kuch jaan kar bhi anjaan bana hua tha aur mujhse itna bada jhuth bhi bola.

Tum sab ne mil kar mujhe fasaya hai...Kisi ko nahi chhodunga jisne mujhe fasaya hai...Suruwat tujhse hi karna padega...Aaj tak tune Sameer ka dosti dekha hai gussa nahi. :angry:


Itna keh kar Sameer shaant ho gaya lekin chehre ki bhaaw aur khatarnaak ho gaya.

Mahesh Sameer ki baat sun kar kuch samajh nahi paa raha tha...Rajesh ko Sameer ki baat sun kar bahut hairaani ho raha tha.

Rajesh ko yakin nahi ho raha tha Sameer uski ek jhuth se itna kuch soch sakta hai...Abb usse dar lag raha tha ki Sameer gusse me kuch aur galat na kar le...Usse samajh me nahi aa raha tha ki kaise Sameer ko samjhaye aur uska galatfehmi dur kare.


In Sameer's Home


Shruti:- Tune mujhe kyu bulaya?

Shruti ki aawaj me nafrat ke saath gussa bhi tha.

Priya:- Tujhse baat karni hai.

Priya ki bhi aawaj me gussa ke saath nafrat tha...

Shruti:- Lekin mai tujhse baat karna nahi chaahti hu...Aur ye bata ki tune Sameer se kyu kaha mujhe bulaane ke liye...Aur haan tune Sameer ko fasa kar bilkul accha nahi kiya...Jaldi se chali jaa Sameer ki life se.

Priya:- Wohi to bataa rahi hu...Abb sunegi bhi ya bas aise hi bhaunkti karti rahegi.

Shruti ne iss baar kuch nahi kaha bas gusse se Priya ko ghurti rahi.

Priya:- Pehle ye bata ki maine aur Karan ne kab Rajesh ka accident kiya tha aur kis ne tujhe ye casette diya?

Priya ki iss sawal se Shruti ka chehre ke rang ek dam se udd gaya...Apni chori pakde jaane ka dar uske chehre me saaf dekha jaa sakta tha jo Priya ne dekh liya tha.

Shruti ko bilkul bhi andaaza nahi tha ki Priya ko ye baat pata chal gaya hoga aur wo bhi itni jaldi...Wo Priya se bachne ke liye jawaab dhundne lagi.
Benjair update hai dost.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 68

In Park


Sameer ne Mahesh ko thoda side karke Rajesh ki taraf aage badha...Wo Rajesh ke saamne pahuncha hi tha ki Rajesh ne achanak se uske gaal me ek jordaar thappad maar diya.

Sameer ko Rajesh ki thappad ki ummeed bilkul bhi nahi tha...Usne gusse se apna chehra utha kar Rajesh ko dekha aur kuch kehne hi wala tha ki Rajesh ki gusse se bhari aawaj uske kaan me pada.

Rajesh:- Tu paagal ho gaya hai...Pata nahi kya kya bakwas soche jaa raha hai.

Tu aisa soch bhi kaise sakta hai mere baare me aur Divya ke baare me...Tujhe ye jaana hai na ki maine jhuth kyu bola?

Agar ye jhuth nahi bolta aur kadwi baatein nahi bolta to tu mujh par yakin hi nahi karta...Paagal ho gaya tha tu apna badla lene ke liye...Jab Divya ne mujhe saari baat bataaya tab mai ekdam shocked ho gaya tha...Mujhe to vishwash bhi nahi ho raha tha ki tu apne badle ke liye itna paagal ho jaayega.

Divya ki baato me sachaayi tha ye mai abhi bhi vishwash ke saath keh sakta hu...Aur mujhe ye bhi vishwash hai ki Priya itna galat kaam nahi kar sakti...Aur mera accident to bilkul nahi...Mera uske saath kabhi jhagada hua nahi hai...Teri vajah se usse baat nahi kiya hai wo alag baat hai.

Tujhse jyada Priya ke baare me jaanta hu...Tu jitna galat samajhta hai usse wo utni hai nahi...Tu to hamesha uske saath ladta jhagadta rehta hai to tujhe uska acchaayi ka kaise pata chalega...Tere dimaag me uske liye negative image hai ye baat mai acche se jaanta hu.

Kabhi tujhe uske baare me bataya nahi kyu ki kabhi jaruri samjha bhi nahi...Tum dono jitna dur rehte the utna hi accha tha...Lekin abb haalaat aur paristhiti badal chuka hai...Iss liye batana pad raha hai...Isse jyada aur kuch bataunga nahi...Kuch dino baad tujhe khud pata chal jaayega wo kaisi hai.

Jis din tera shaadi hua uss din Divya ki baat sun kar mujhe itna to pata chal chuka tha ki Priya ki shaadi bahut jald hone waala hai...Agar jaldi se kuch nahi kiya to baat bahut bigad sakti thi...Tujhe samjhaana bhi bahut mushkil ho gaya tha uss vakt mere liye kyuki tu apne badle ki aag me jal raha tha.

Tujhe kisi bhi haal me yakin dilaana tha...Aur mujhe wo jhuth bolna pada.

Maanta hu maine ye jhuth jarur bola hai ki jisne mera accident kiya hai wo jail me hai...Lekin ye baat jhuth nahi hai ki Priya aur Divya ki iss accident se koi lena nahi hai aur usne tujhe fasaya hai...Ye baat mai yakin ke saath keh sakta hu.

Rajesh ne behad gusse ke saath kaha...Rajesh ki baat khatam hote hi Sameer ka gussa bhi shaant ho gaya...Wo kuch bolne hi wala tha ki fir se Rajesh ne pehle waale andaaj me usse kaha.

Rajesh:- Sameer tu bahut ajeeb insaan bahi yaar...Tujhe Divya li baato se aur Priya ki Maa ki wo dard bhari baato se aur unka apni beti ke liye fikar dekh kar bhi yakin nahi hua ki Priya galat nahi hai...Priya ki baato se bhi yakin nahi jo raha hai tujhe ki Priya galat nahi hai...Sach me tujh me koi feelings hai hi nahi. :sigh:

Abhi bhi tu apni galti maanne ki vajah khud ki galti ko chupaane ki koshish kar raha hai.

Itna keh kar Rajesh chup ho gaya aur Sameer ko gusse se ghurne laga...

Rajesh ki ye baat sun kar Sameer jaakar bench par waapas baith gaya aur apne sar ko jhuka kar apni hatheliyo par rakh liya...

Rajesh:- Abb aise chup kyu ho gaya...Kuch der pehle tak to bahut badi badi baatein kar raha tha...

Sameer:- Galti ho gaya yaar fir se.

Sameer ki aawaj me udaasi aur aatmaglani tha.

Rajesh:- Tu kehta hai galti ho gaya...Lekin tujhe pata hai tu kitna bada galti kar raha hai...Kabhi soch samakh kar kuch kaam nahi karta hai tu...Hamesha jaldbaazi me karta hai apni marzi se...Aur issi vajah se aaj iss mushibat me fasa hua hai.

Rajesh ki aawaj me abhi bhi gussa tha.

Sameer:- Pata nahi yaar aajkal mai kya kar raha hu mujhe hi samajh me nahi aa raha hai...Picchle kuch months se bahut pareshaan ho gaya hu...Andar hi andar bahut ghut raha hu...Kya karta hu kuch samajh me nahi aata hai...Kabhi dimaag shaant nahi rehta hai...Har pal dimaag me kuch na kuch tension rehta hai.

Jitna khud ko tension free karne ki koshish karta hu utna hi ulajh jaata hu...Aur issi vajah se mujhse itna bada bhool ho gaya jo maine bina kuch samjhe jaldbaazi me kar diya...Aur aaj bhi tujh par itna gussa ho gaya tea jhuth bolne ki vajah se...Na chaahte hue bhi bahut gussa aata hai kabhi khud par to kabhi saamne waale par.

Pata nahi kab tak aise hi ghut kar jeena hoga mujhe.

Sameer behad pareshaan ho kar bola.

Rajesh to abhi bahit kuch kehme waala tha Sameer ko...Lekin Sameer ki haalat dekh kar usne baad me kehne ka socha aur Sameer ko samjhaate hue kaha...

Rajesh:- Yaar jitna ghut kar jiyega utna hi depressed hota jaayega...Abb to tune aur Priya ne ye decide bhi kar liya hai ki aage kya karna hai tum dono ko...To sab kuch laghbhag thik ho chuka hai...Tu abb aur tension mat le...Kuch dino ke liye bhul jaa ki tune koi galti kiya hai...Aur kisi kaam me vyast ho jaa...

Isse tujhe inn saari baato ka tanaav khatam ho jaayega...Jitna tension lega utna hi depressed hota jaayega...Aur baad me bahut pareshaani hoga tujhe...Iss liye abhi vakt me hi sambhal jaa...Aur jitna ho sake utna Shruti se dur rehna iss vakt...

Sameer:- Lekin Shruti sekyu dur rahu?

Sameer ne hairaani ke saath puccha...

Rajesh:- Abhi iss vakt Shruti ke baare me mai koi baat nahi karna chaahta hu...Tera tension aur badh jaayega...Fir bhi kuch baatein bata deta hu...

Maine dekha hai tu college ki aakhiri vakt se hi iss tarah ghut ghut kar jee raha hai...Ussi vakt se maine mehsoos liya hai ki tu pareshaan hai...

Tu maan ya na maan iski vajah Shruti hi hai...Iss liye keh raha hu ki tujhe sabse jyada tension Shruti ki vajah se hai...Iss liye kuch dino tak usse ignore kar...Aur dekhna tu bahut jald normal ho jaayega...

Rajesh ne apni baat keh diya...Uski aawaj me Shruti ke liye nafrat bhara tha...Wo Shruti ke baare me Sameer se aur baat karna chaahta tha khaaskar casette ke baare me...Lekin Sameer ka pareshaani dekh usne baad me baat karne ka faisla kiya...

Sameer:- Shruti...

Sameer isse jyada kuch bolta Rajesh ne uske baat bich me hi kaat kar kaha...


Rajesh:- Nahi abhi iss baare me aur koi baat nahi karenge...


Iske baad Sameer ne Mahesh aur Rajesh ke saath kuch der baat kiya kisi dusre topic par...Rajesh aur Mahesh ne puri koshish kiya Sameer ko uski pareshaani se dur karne ka...Unse baat karke Sameer ka mood bhi thoda halka ho gaya...


In Sameer's Home



Priya:- Abb bolti kyu nahi...Sameer se tune yahi kaha tha na ki maine aur Karan ne Rajesh ka accident kiya tha aur tune proof ke roop me wo casette diya Sameer ko...

Priya ne iss baar aur bhi gusse me kaha...

Shruti:- Ha kaha tha maine...

Shruti iss baar chup nahi rahi...Aur gusse mwe usne bhi jawaab diya...

Priya:- Aur wo kyu?

Priya ki aawaj me hairani ke saath gussa bhi tha...

Priya ki iss sawaal par Shruti kuch der tak chup rahi aur fir gusse me boli...

Shruti:- Kyu ki mukhe tujhse badla lena tha...Meri birthday party me tune mera jo insult kiya tha usseai abb tak nahi bhooli hu..ai hi jaanta hu kis tarah se tune mera majaak udaaya tha aur mujhe kitna bura laga hai...

Birthday Party me hi nahi baar baar tune mera majaak udaaya hai...Iss baat ko itni aasani se bhool nahi sakti...Itna hi nahi tu baar baar mere Sameer se ladti rehti thi...Aur gusse me hi sahi Sameer ka dhyaan baar baar teri taraf chala jaata tha...

Ye sab mujhse bardaast nahi ho raha tha...Issliye ek plan banaya aur Sameer ka gusse ka istemaal karke apna badla le liya maine...

Teri jindagi barbaad kar diya maine...Tera pyar Karan ko tujhse dur kar diya...Abb maja aayega teri ankho me ansu dekh kar, tujhe tadapta dekh kar...Bahut jald tujhe iss ghar se nikal dungi...Uske baad tera buraa haal dekh kar khusiya manaunu mai...

Itna keh kar Shruti hasne lagi...

Priya ko Shruti ki baato par bahut gussa aa raha tha...Ek baar fir Karan ki baat se usko bahut taklif pahuncha...Lekin wo Shruti ke saamne kamjor dikhna nahi chaaahti thi...

Priya:- Tune mujhe barbaad karne ka socha...Lekin iss badle ki aag ne mujhse jyada tujhe nukshaan pahuchaaya...

Priya ne ek gussa bhari mushkaan ke saath kaha to Shruti Priya ki baat par hairaan ho gayi...

Priya:- Accha hi hua jo mujhe nakli rishte ke baare me pata chal gaya...Karan mujhse saccha pyar nahi karta tha ye baat to pata chal gaya...Ha bahut bura lag raha hai uska mujhe iss haal me chhod kar jaana...Dil tut gaya hai uski ye harkat se...

Agar meri shaadi usse ho jaati to bhi wo kabhi bhi mujhe chhod sakta tha...Aise me mera aur buraa haal ho jaata...Karan ki assliyat pata chal gaya iss shaadi se...Jo baat kal pata chalta wo aaj pata chal gaya...Shaayad abhi bahut der nahi hua tha issi tarah khud ko sambhaal paa rahi hu...

Papa ki assliyat ke baare me bhi pata chal gaya...Sabhi nakli rishte ke baare me pata chal gaya...

Maa ka pyar aur Divya ka saath ke baare me bhi pata chal gaya...Unhone mera iss haal me bhi saath diya ye baat jaankar mere dil me unke liye izzat aur badh gaya...

Iss shaadi se mera 1 saal barbaad ho gaya...Lekin baat jyada bigda nahi hai...1 saal baad Sameer se divorce lekar kahi aur chali jaaungi aur apni jindagi ka fir se nayi suruwaat karungi...Aur bach kar rahungi aise jhutthe rishte se jo sirf matlabi ho...

Tune bhi apna nukshaan karwa liya hai apni badle ki vajah se....Abb 1 saal tak to bhul jaa ki Sameer tera hoga...Divorce ke liye 1 saal ka vakt to lagega hi aur tab tak ke liye Sameer tera nahi hoga...Karte rehna 1 saal tak Sameer ka intejaar...

Priya ne Shruti ka majaak udaate hue kaha...

Shruti:- Tune accha nahi kiya Sameer ko fasa kar...Tujhe to mai nahi chhodungi...Pehle ye bata ki Sameer ne tujhse shaadi kyu kiya...

Priya:- Mere paas faaltu time nahi hai tujh jaise faaltu ladki ko ye sab bataane ki...Tera nafrat dekhkar bhi bahut ajeeb lagta hai...Tera jo nafrat hai mere liye usne tujh se tera pyar ko cheen liya...Aage mujhe aur taklif pahunchaane ki koshish kiya ya fir mere khilaaf koi saajish kiya to hamesha ke liye Sameer ko tujhse cheen lungi...

Priya ne firse Shruti ka majaak udaate hue kaha...

Shruti:- Kya...Kya karegi tu...Dhamki de rahi hai tu mujhe...Kya karegi tu? Bas tu yahi keh sakti hai Sameer se ki maine Rajesh ka accident karwaya aur Sameer ko kisi vajah se tujhse shaadi karna pada...

Lekin jab Sameer puchega to mai keh dungi ki maine aisa kuch nahi kiya...Aur mai jaanti hu Sameer meri baato ka bharosa karega...

Shruti ne darte darte kaha apni baatein...Usse dar lag raha tha ki kahi sach me Priya Sameer se ye saari batein na bata de...

Priya:- Nahi mai ye sab nahi kahungi Sameer se...Aur kahungi to bhi wo bishwaas nahi karega jaanti hu...

Mai to tujhse ye keh rahi thi ki mujhe tujh jaise faaltu ladkiyo se koi matlab nahi hai....Mai bas itna chaahti hu ki jab tak mai yaha rehti hu tu koi saajish nahi karegi mere khilaaf...Mujhe acche se rehne de jab tak mai yaha rehti hu...Uske baad tum dino ki lofe se chali jaaungi aur tum dono se koi matlab nahi rahega mera...

Agar mujhe laga ki tu mere khilaf koi saajish kar rahi hai to Sameer ko divorce hi nahi dungi...Sameer ne kaha tha mujhse ki agar mai uske saath hi rehna chaahu to reh sakti hu...Wo kuch vakt jarur lega adjust karne ke liye aur adjust kar lega...Uski vajah se hi mera ye haal hai...Ye baat usse pata hai...

Aur aise me agar maine kaha ki muuhe divorce nahi lena hai to wo kuch nahi kahega...Mera baat maanega...Abb faisla tere haath me hai...Tera chhota sa bhul Sameer ko tujhse cheen sakta hai...

Priya ne Shruti ki taraf gusse se dekhte hue ek muskaan ke saath kaha...

Shruti ne jaise ye suna uska dar aur bhi badh gaya...Usse Priya ki baato me sachaayi dikh rahi thi...Dar ke maare wo kuch bol nahi paa rahi thi...Priya ne jaise hi Shruti ke chehre me dar dikha uski chehre me muskaan aa gaya...

Priya:- Tera kaam ho gaya...Abb tu jaa yaha se...Tujhe bas ye warning dena tha iss liye bulaaya...

Shruti:- Ye Sameer ka room hai aur tu mujhe iss room se aise jaane ke liye kahegi...

Priya:- Ye Sameer ka nahi mera room hai agle 1 saal ke liye...Sameer alag room me shift ho vaya hai...

Jaate jaate ek baat sun le...Sameer tera tha...Lekin teri bewkoofi ki vajah se ek din Sameer tujhse cheen jaayega...Agar kisi din Sameer ko pata chala ki Rajesh ka accident tune karwaya hai ya fir tu uske peeth piche koi saajish kar rahi hai to wo apne aap hi tujhse dur ho jaayega...Fir pachtaate rehna jindagi bhar...

Tujhe samjhaane se koi faaidaa to hoga nahi...Maine apni baat keh diya hai...Abb maana ya nahi maana tere haath me hai...

Priya ne apni baat khatam karke mood kar bed ki taraf chali gayi...

Shruti bhi Priya ko gusse aur dar ke saath dekhti hui chali gayi....


In Evening


Shaam ke karib 6:00pm me Sameer apne ghar aa gaya...Wo apne room ki gate me pahuncha to gate me khadi Priya ko dekh hairaan ho gaya...Wo hairaani se Priya ko dekhta raha...

Priya:- Tumse ek bat pucchna tha...Tumne kaha tha ki Rajesh Divya se pyar karta hai?

Jaise hi Sameer ne Priya ki baat suna usko ek jhatka laga aur saath me dar bhi...Usse pata hi nahi chala ki usne Priya ko apni bhool ke baare me batate hue Priya ko Rajesh ki pyar ke baare me bhi keh diya tha...Rajesh ne usko iss pyar ke baare me kisi ko bhi kehne se mana kiya tha...Lekin Sameer ne anjaane me Priya ko sab kuch bata diya tha jitna wo Rajesh ke pyar ke baare me jaanta tha...

Abb Sameer ko dar lag raha tha ki kahi Rajesh ka pyar uski vajah se na tut jaaye.
Khubsurat update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 69


Sameer kuch der tak issi soch me vyast raha...Uska koi jawaab nahi aane se Priya ne fir se pucha.

Priya:- Kuch puch rahi hu tumse?

Priya ki iss sawal se Sameer apni soch se baahar nikla...Usse pata tha ki abb jhuth bolne se koi faaidaa nahi hai...Pehle hi usne sab kuch bata diya hai.

Sameer:- Ha karta hai.

Kuch der chup rehne ke baad Priya boli.

Priya:- Kab se?

Sameer:- Wo to pata nahi hai...Lekin usne ye baat khul kar mujhe uss din bataya jab uska accident hua tha.

Iske baad Priya kuch nahi boli...Kuch der tak intejaar karne ke baad bhi jab wo nahi boli tab Sameer ne kaha.

Sameer:- Please ye baat Divya ko mat bataana...Rajesh ne mujhe ye baat kisi ko nahi bataane ke liye kaha tha...Lekin galti se tumhe bata diya.

Abb dar lag raha hai ki kahi meri vajah se kahi kuch gadbad na ho jaaye.

Sameer ki baato me request aur dar dono tha.

Priya:- Fikr mat karo...Mai Divya ko iss baare me kuch nahi kahungi...Rajesh tum jaisa bura ladka nahi hai...Itna to mujhe yakin hai...Aur ye unn dono ka maamla hai...Mai koi dakhal nahi dungi.

Waise bhi mujhe tumhaari tarah rishto ko todna nahi aata aur kisi ka pyar ko todna to bilkul bhi nahi aata.

Priya ki iss baat ne Sameer ki dil ko bahut chot pahunchaya...Lekin iska jawaab usne muskuraa kar diya...Lekin muskuraahat me bhi wo apna dard chupa nahi paaya.

Kuch der chup rehne ke baad usne kaha.

Sameer:- Ha sahi kaha tumne...Rajesh mujh jaisa bura ladka nahi hai...Ussi ne mujhe sambhala hai...Warna mai aur buraa ban gaya hota.

Sameer ki iss baat par Priya ne kuch nahi kaha.

Kuch der ki khaamoshi ko firse Sameer ne hi toda.

Sameer:- Tumhe kya lagta hai Divya bhi Rajesh se pyar karti hai? Kabhi usne tumhe iss baare me kuch bataya?

Priya:- Nahi. Usne mujhe aisa kuch nahi bataya hai.

Priya itna keh kar apne room me chali gayi...Sameer bhi apne naye room me jaakar rest karne laga.


Dinner time


Raat me sabhi ne ek saath dinner kiya...Dinner ke time kisine kuch nahi kaha...Sabhi shaanti se dinner kar rahe the.

Sameer aaj bahut dhire khaa raha tha...Khaate vakt bhi uske dimaag me bahut saari baatein aa raha tha...Kuch der me dinner khatam karke Mr. Sharma aur Priya apne apne room me chale gaye.

Sameer ne bhi kuch der baad apna khana khatam karke uthne hi waala tha ki Mrs. Sharma ne usse pucha.

Mrs. Sharma:- Kya hua Sameer...Bahut pareshaan dikh raha hai?

Mrs. Sharma ne aaj pehli baar shaadi ke bad Sameer se khul kar kuch pucha tha.

Sameer:- Nahi Maa...Aisi koi baat nahi hai.

Mrs. Sharma:- Abb apni Maa se bhi tu baat chupaayega...Tere chehre me pareshaani saaf dilhaai de raha hai...Aisa lag raha hai bahut ghut ghut kar jee raha hai tu kuch dino se.

Mrs. Sharma ki baato me Sameer ke liye fikar tha...Lekin Sameer unki iss baat ka koi jawaab nahi de paaya...Wo chup hi raha.

Mrs. Sharma:- Accha thik hai tu bataana nahi chahta hai to mat bataa...Abb mai chalti hu...Bas iss baat ka dukh hai ki apne bete ko aise ghut ghut kar jeeta dekh rahi hu aur mai kuch nahi kar paa rahi hu.

Mrs Sharma ne niraash hokar kaha aur waha se utth kar apne room me jaane lagi.

Sameer abb bardast nahi kar paaya aur dard bhari aawaj me usne kaha.

Sameer:- Maa.

Sameer ki aawaj me itna dard tha ki Mrs. Sharma bhi ghabra kar picche mudd gayi...Jab unhone Sameer ko dekha tab Sameer ka chehra dekh kar hairaan reh gayi...Aaj unhone bahut dino baad Sameer ko rota hua dekha tha...Sameer ki aankh aansuon se bhar gaya tha aur kuch boond aansu uske gaalo me gir gaya tha.

Mrs. Sharma turant Sameer ke paas utth kar chali gayi...Ek chair utha kar wo Sameer ke paas hi baith gayi aur Sameer ka sar ko apne godd me rakh kar uske sar par haath ferte hue boli.

Mrs. Sharma:- Aise mat roo Sameer...Tujhe rota dekh kar aur pareahaan dekh kar mujhe bahut buraa lag raha hai...Nahi dekh paa rahi hu tujhe iss haal me.

Kya pareshaani hai tujhe mujhe bata...Mai sab thik kar dungi.

Sameer:- Mai kitna bura hu na Maa...Kisi ke saath accha nahi kiya...Aap logo se bina bataye shaadi kar liya wo bhi kisi ladki se uske marzi ki khilaaf.

Aap logo ka diya hua sanskar ka maan nahi rakh paaya...Bahut galat kaam kiya hai maine...

Papa ko kitna garv tha mujh par...Hamesha mera saath dete the aur hamesha vishwas tha unhe mujh par ki mai kabhi galat kaam nahi kar sakta...Kabhi kuch bhi karne se roka toka nahi unhone....Sabhi rishtedaaro ke saamne shaan se sar uthaa kar kehte the ki mai unka beta hu...Aur meri har acchi baatein ke baare me sabhi ko garv ke saath kehte the...Mujhe bhi bahut accha lagta tha ye sab...

Lekin mera ek bhool ne sab kuch khatam kar diya...Unka mujh par vishwas aur garv sab tut gaya...Unhone jyada kuch kaha nahi hai...Lekin mai jaanta hu wo mujhse kitne naraaj hai.

Mujhse itna pyar karne wali Shruti ko bhi mujhe na chaahte hue bhi dhokha dena pada...Kitna pyar karti thi wo mujhse aur shaadi ka kitna bada sapna sajaya tha...Lekin meri ek galti ne uska dil tod diya...Wo to abhi bhi mujhse pyar karti hai...Lekin maine uske saath itna galat kar diya aur abb kuch kar bhi nahi paa raha...

Meri galti ki vajah se aap dono ko Shruti ke parents aur Principal sir se kitna kuch sunna pada...Sab meri vajah se hua hai...

Meri galti ki vajah se Priya ki najaro me mujhe jhukna pada aur abb wo mujhe aur bhi jyada nafrat karti hai...Mai uska aur uski Maa ka gunehgaar hu.

Meri ek galti ki vajah se bahut kuch tabaah ho gaya...Sabhi mujhse naraaj hai..Papa aur Priya mera shakal dekhna nahi chaahte aur aap bhi baat nahi karna chahti hai.


Itna keh kar Sameer chup ho gaya...Uske aawaj me bahut dard tha...Usne rote hue apna saara galti ke baare me keh diya...Mrs. Sharma ka bahut bura haal ho raha tha Sameer ko aise rota bha aur pachtate dekh kar...Unki aankho se bhi aansu ke kuch boond gaalo par gir gaya...

Unhone Sameer ko samjhaate hue kaha...

Mrs. Sharma:- Chup ho jaa Sameer...Aise rote nahi.

Galti to tune kiya hai...Wo bhi bahut bada galti...Lekin tune apna galti ka ehsas hone ke baad uss haalat me Priya se shaadi kiya aur apni badi galti hone se roka ye bahut accha kiya tune...Teri aankho ki aansu aur paschataap bata raha hai ki tujhe kitna afsos hai apni galti par.

Wo insaan mahan nahi hai jo kabhi galti na kare...Balki wo insaan mahan hota hai jo apni galti se kuch sikhte hai aur fir dobara wo galti nahi dohraate hai...

Abb jo ho gaya wo ho gaya...Abb ham isse badal to nahi sakte hai...Lekin itna jarur kar sakte hai ki aage aisi galti dobara na kare...

Tere Papa naraaj to hai tujhse...Aur wo apni jagah bilkul bhi galat nahi hai...Lekin bahut jald unka naraajgi khatam ho jaayega tujhse...Bas abb aisi koi galti mat karna ki fir wo naraaj ho jaaye...

Aur beta mai Priya ki haalat samajh sakti hu...Teri iss galti ki saza Priya ko bhugatna pad raha hai...Uska koi galti bhi nahi tha...Aise me uska naarajgi jaayaj hai...Agar wo gusse me kuch jyada bol bhi degi to sun lena...Ulta jawaab mat dena...


Itna keh kar Mrs. Sharma chup ho gayi...Sameer ko unki baato se bahut sukoon mila...Usse pata chal gaya ki uske dosto ke alawa uske Maa bhi uske saath hai...Jo uska dard samajhti hai aur unka kaha hua har baat Sameer ko sahi laga...Lekin usne kuch nahi kaha.

Mrs. Sharma:- Aur tujhe ye kisne kaha ki mai tujhse baat karna nahi chaahti hu...Mai soch rahi thi kuch vakt deti hu taaki tu iss pareshaani se nikal jaaye aur khud ko sambhaal le.

Lekin aisa nahi hua...Khud ko sambhalne ki jagah tu aur pareshaan hone laga iss liye tujhse aaj baat karna pada.

Sameer:- Maa kya karu...Haalat hi aise ho gaye hai...Jitna koshish karta hu koi tension nahi lene ka utna hi tension badhta jaa raha hai...Ek pal ke liye bhi chhain nahi mil raha hai...Priya ka gunehgaar maan raha hu mai khudko...Issi vajah se har pal ghut ghut kar jee raha hu...Priya ki kadwi baatein mujhe khudki najaro me aur sharminda kar raha hai.

Jab bhi aap dono ke baare me aur Shruti ke baare me sochta hu to aur pareshaan ho jaata hu...Pata nahi kab tak aise jeena hoga mujhe aur kab khud ki najaro me utth paaunga.

Kabhi galat kaam karne ka nahi socha...Lekin khud ki nafrat aur galatfehmi ne aisa karne par majboor kar diya...

Mrs. Sharma:- Tera ye galti vakt ke saath hi thik hoga...Tu kuch bhi nahi kar sakta sudhaarne ke liye...Bas vakt ke saath hi sab kuch thik hoga...Tune galti hi aisa kiya hai ki ye sab baato ka saamna ro karna hi padega.

Lekin tujhe khud ko sambhaalna hoga pehle aur dil aur dimaag se majboot banna hoga jaisa pehle tu tha...Tabhi tu inn sabhi cheejo ka saamna kar sakta hai.

Koi tujh par yakin kare ya na kare mai hamesha tere saath hu...Aur mujhe yakin hai ki tu khud ko sambhaal lega aur ek din sab kuch thik ho jaayega.

Mrs. Sharma ki baato ne Sameer ko hausla diya khud ko sambhaalne ka...Mrs. Sharma ki iss mental aur emotional support se Sameer ko bahut sukoon mila...Usne bhi wohi karne ka socha jo uske Maa ne usse kaha tha aur sab kuch vakt ke haath me chhod diya.

Kuch der aur aise baat karne ke baad dono apne room me chale gaye.

Sameer aur Mrs. Sharma dono ko aaj bahut raahat mila tha...Sameer iss vajah se khus tha ki uska Maa ne usko samjha aur ye bhi samjhaya ki usse aage kya karna hai...Mrs. Sharma iss vajah se khus thi ki unhone Sameer ko uski pareshaani se baahar nikaal diya...Abb unhe yakin tha ki Sameer pehle jaisa ghut ghut kar nahi jiyega.

Kuch der apne room me bitaane ke baad Sameer chhat (roof) me chala gaya kitchen ki refrigerator se ek coke ka bottle aur sise ka glass lekar.

Chhat me wo ek chair me baith kar thandi hawa me fresh ho raha tha...Wo iss vakt kuch soch nahi raha tha aur naahi kuch sochna chaahta tha...Wo jitna ho sake apne dimaag ko shaant rakhne ki koshish kar raha tha...Aise hi kuch der baithne ke baad usne coke ki bottle se glass bhara aur bottle ko niche rakh diya.

Ussi vakt Priya ne bhi chhat me apna kadam rakha aur saamne ka maahaul dekhkar laga ki Sameer fir se daru pee raha hai...Ye dekhte hi uska gussa ek dam badh gaya aur wo gusse me Sameer ki taraf aage badh gayi.
Atisunder update hai mitr.
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,000
173
UPDATE 70


Sameer ko laga ki piche se koi aa raha hai...Jab usne palat ka r dekha to Priya uske saamne aa gayi thi...Sameer ne ek najar Priya ki chehre ko dekha...Priya ki aankho me usse gussa dikh raha tha...Sameer ko kuch samajh me nahi aa raha tha ki abb wo itna gussa kyu hai.

Priya:- Tum fir daru pee rahe ho?

Sameer Priya ki gusse ki vajah soch hi raha tha ki Priya ne gusse se Sameer se pucha.

Sameer:- Ye koi daru nahi hai...Coke hai.

Sameer ne bttle niche se utha kar dikhaya Priya ko...Bottle dikhaane ke baad Priya ka gussa shaant ho gaya lekin wo kuch nahi boli.

Sameer:- Mai koi bewda nahi hu jo har vakt sharab aur nasha me duba rahe...Jindagi me ek baar hi piya hai maine daru...Uss din tension bhulaane ke liye piya tha lekin tumne to bewda hi samajh liya mujhe.

Sameer ko Priya par gussa to bahut aa raha tha lekin usne apne gusse ko dabaa kar bola.

Priya:- To bhul gaye tum tension...Kuch nahi hota hai daru pine se...Ghar ki barbaadi ka sabse bada vajah yahi hai...Sharab ki aadat se hi ghar ki saari khusiyan khatam ho jaata hai aur baaki ke pariwar waalo ko saara mushibat jhelna pata hai.

Priya ki aawaj me ek dard tha jisse sun kar Sameer ko pata chal gaya ki Priya apni Papa ki sharab ki aadat ki vajah se dukhi hai.

Sameer:- Samajh sakta hu Priya tumhaari baat...Yakin karo Priya aaj se ek pehle bas ek baar piya tha aur aaj ke baad kabhi haath bhi nahi lagaunga.

Sameer ne Priya ki mood badalne ke liye kaha.

Priya:- Tum kisi ke baat samajhte bhi ho...Aur tumhaare andar koi feelings bhi hai...Ye baat aaj hi pata chala mujhe.

Priya ne gusse me Sameer ka majaak udaate hue kaha...Ek baar fir Priya ki baat ne Sameer ke dil ko bahut chot pahunchaya...Lekin Sameer iss baar bhi khaamos raha...Priya ko kuch jawaab nahi diya.

Priya:- Mujhe yakin karne ua nahi karne se kya hota hai...Tum chaahe jitna bhi piyo ya mat piyo mujhe koi fark nahi padta.

Bas tumhaare parents ke liye keh rahi thi...Unhe tum se kayi umeedein honge...Kuch soch rakha hoga unhone ki unka beta ye banega wo banega...Hamare liye kuch karega...Hamara sar uncha karega...

Tumne to pehle hi unhe itna bada jhatka de diya hai...Abb to kuch karo unke liye...Iss liye keh rahi thi jitna ho sake utna dur raho daru se...

Mera pariwaar to bahut pehle hi barbaad ho gaya tha mere Papa ki peene ki aadat se...Mai ye nahi chaahti ki tumhaari vajah se tumhare pariwar barbaad ho.

Priya ki aawaj me firse dard tha...Sameer ne iss baar bas uska dard hi mehsoos kiya...Kuch bola nahi.

Unn dono ki khaamoshi ko Sameer ke mobile me aa rahe phone call ne toda.

Sameer ne dekha Rajesh ka phone tha...Sameer ne call uthaya aur chala gaya chhat ke dusre kone me baat karne.

Sameer:- Ha bol.

Rajesh:- Kaisa hai abb...Abb kuch tension to nahi hai na tujhe...Ek jaroori baat karna tha.

Sameer:- Nahi hai abb koi tension...Chal bata kya kehna hai tujhe.

Rajesh:- Shruti ke baare me baat karna hai.

Shruti ka naam sun kar Sameer hairaan ho gaya ki Rajesh aakhir usse kehna kya chaahta hai.

Rajesh:- Yaad hai tune kaha tha ki mere accident ke baad Shruti ne hospital me aakar tujhe kaha tha ki Priya aur Karan ne mera accident kiya hai aur kisine usse casette diya hai.

Sameer:- Ha...Shruti ne yahi kaha tha lekin baat kya hai.

Rajesh:- Baat ye hai ki Shruti ko kisne wo casette diya tha.

Abb to mujhe lag raha hai ki mera accident me kisi ka saajish tha...Pehla shak mera Shruti par hai.

Rajesh ki aawaj me thoda gussa tha to Sameer ki chehre me hairaani.

Sameer:- Tu Shruti par kaise shak kar sakta hai yaar...Usne to wohi kaha jo usko uss casette dene waale ne kaha tha. Tera accident karke Shruti ko kya mikega...

Rajesh:- To fir Shruti ko pucch...Kisne diya tha wo casette...Chhodunga nahi jisne mera accident kiya hai aur tera aur Priya ka aisa haal bana diya.

Mujhe to Shruti par hi shak ho raha hai...Ya to usne mera accident karwaya hai ya fir mera accident ka faaidaa uthaa kar tujhe Priya aur Karan ke khilaaf bhadkaaya hai...Agar wo nirdosh hai to Shruti ko bol jisne usse casette diya hai usko mere saamne laane ke liye...

Agar kisi ne mera accident saajish ke roop me kiya hai to bilkul chhodunga nahi usse...Chaahe wo Shruti ho ya koi aur...Mera life ko majaak samjhaa hai kya.

Rajesh ne behad gusse me kaha...Usse shak tha ki Shruti ne Priya ke khilaaf saajish kiya hai...Ye baat wo Sameer se directly keh to nahi sakta tha aur usse pura bharosha bhi nahi tha iss baat par bas shak hi tha...Aise me usse yahi idea sahi laga aur usne Sameer ko bata diya.

Sameer:- Bahut jald baat karunga Shruti se 4 ya 5 din me...Agar abhi usse ye pucha to usko bura lagega ki mai uss par shak kar raha hu...

4 ya 5 din ruk uske baad mai uss casette waale ko nahi chhodunga...Usne do galti kiya hai...Ek tujhe maarne ki koshish aur dusra Priya aur Karan ke khilaaf saajish...Abb to mujhe bhi yakin hai ki Priya ka iss khel me koi haath nahi hai.

Rajesh:- Ok Sameer thik hai...Agar Shruti iss sajish ke piche to bilkul accha nahi hoga uske liye.

Sameer:- Accha thik hai.

Itna keh kar Sameer ne phone rakh diya...Aur gusse me sochne laga...

Sameer:- (In his mind) Pata nahi ye dono Shruti aur Rajesh kyu ek dusre se iss tarah bartaaw karte rehte hai...Hamesha ek dusre par shak karte rehte hai...Bahut baar samjhaaya dono ko lekin fir bhi koi fark nahi padta inhe...Inn dono ki ladaai me mai ghut ta jaa raha hu.

Itna sochne ke baad Sameer ne Priya ki taraf dekha jo kisi gehre soch me dubi hui thi...Sameer idhar udhar kuch der tehalne laga...Kareeb 10 minute baad usne fir Priya ko dekha...Priya abhi bhi gehri soch me dubi hui thi...Bilkul 10 minute pehle ki tarah.

Sameer Priya ke paas gaya aur hairaani se pucha.

Sameer:- Kya soch rahi ho?

Sameer ki baat se Priya wapas hosh me aayi lekin usne nahi suna Sameer ne kya pucha...Usne Sameer ko dekha aur aankhi se hi pucha usne kya kaha tha.

Sameer:- Kya soch rahi ho? Bahut der se gehri soch me dubi hui ho?

Priya:- Aane waale kal ke baare me...Kaise divorce tak ka time bitega...Bahut vakt hai divorce ke liye.

Abb apne room me hamesha kaid to nahi reh sakti...Baahar nikalte hi tumhaara manhoos chehre ka darshan hi hi jaayega...Issi liye soch rahi hu ki kaise bitega divorce tak ka ye mushkil vakt.

Priya ki iss baat ne bhi Sameer ko firse chot pahunchaaya...Hamesha ki tarah is baar bhi wo chup raha lekin khud par usse bahut gussa aaya.

Sameer:- (In his mind) Galti mera hi hai...Jo isse kuch puch liya...Shaant rehna hi mere liye accha hai...Aage bolne se pehle jaroor 10 baar sochunga.

Kuch der ki khaamoshi ke baad Sameer ne kaha.

Sameer:- Itna bhi naalayak nahi hu mai...Study complete ho gaya hai...Ek job karne ka soch raha hu...Din bhar mere manhoos shakal nahi dekhna padega...Raat me dinner ke time hi dekhna padega...Usse jyada pareshan nahi karunga.

Itna keh kar Sameer ne apna chair aur coke ke bottle utha kar niche le jaane laga.

Priya bas Sameer ko jaate dekhti rahi...Wo Sameer me aaya badlaaw ko dekh rahi thi...Jo Sameer uski har choti choti baato par jawab deta tha aaj uska itna majaak udaane ke baad bhi chup hai...Lekin uske dhyan ko uske mobile me aa rahe phone call ne toda.

Mobile screen me dekha to Divya ka phone tha.
Jabardast update hai dost.
 
Top