• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Ek daastan....... Pyar ki (Romance, Thriller & Sci-Fiction)

Apko yeh story kaisi lgi?

  • Fabulous

    Votes: 108 77.7%
  • Nice

    Votes: 28 20.1%
  • Worst

    Votes: 3 2.2%
  • Story aage bdaun yan yahin khatam kr doon

    Votes: 0 0.0%
  • Yahi khatam kr do.

    Votes: 0 0.0%
  • Aage bdao

    Votes: 1 0.7%

  • Total voters
    139
  • Poll closed .

Joker_23

New Member
38
26
8
Amazing update:bounce:
 

sonukale

Well-Known Member
6,081
6,700
143
Fantastic update
 

harryharsh31

Active Member
1,060
1,515
159
Amazing update:bounce:
Thanks for comment
Keep supporting
 
  • Like
Reactions: Abhimanyu Roy

harryharsh31

Active Member
1,060
1,515
159
Boht achi update thi
Thanks for comment
Keep supporting
 
  • Like
Reactions: Abhimanyu Roy

harryharsh31

Active Member
1,060
1,515
159
Update-34

akhir jab sans fulne lgi to dono alg hue aur aryan simi ki bagal me let gya, simi aryan ke sine me apna chehra chupa kr sharmane lgti hai

Ab aage....

Ek taraf

Ek bade se bangle me ek car rukti hai, usme se poonam jaldi se utar kr bangle ke ander jati hai aur apne phone se kisi ko call lga kuch kehti hai, fir phone cut kr apne room me jaker fresh hone lgti hai, fresh hoker jab wo bahr aati hai to uske mobile pe ek sms aata hai, jab wo sms khol kr padti hai to usme likha hua tha ki 'come to the meeting room', poonam jhat se taiyar hoke apne cupboard ko khol kr uske upr ki side lge ek lal button ko press krti hai, jis se wo cupboard apni jagah se khisak kr left side ho jata hai aur uske piche ek door dikhta hai, poonam us door pe lge ek chote se screen pe apna hath rakh use ghumati hai, jis se door unlock hoke khul jata hai, poonam jab ander jati hai to wo door apne aap band ho jata hai aur cupboard apni jagah pe wapas aa jata hai, poonam room ki light on krti hai, us room me ek chair ke sath table tha aur uske thik samne ek badi si screen lgi hui thi, poonam table pe lge green button ko press krti hai to wo screen on ho jati hai, thode der me us screen pe do log dikhte hai dono ka chehra kisi mask se dhka hua tha. (un do admiyon ko main boss kahunga aur b1, b2 likhunga)

B1..... Aao poonam, umeed krta hoon ki tumne apna kaam pura kr liya hoga aur AK ko maar diya hoga.

Poonam...... Boss AK to mar gya lekin apka kaam main nahi kr payi.

B2..... Kya matlab hai tumhara, nahi kr payi se, tumhare pass itna acha mauka tha, lekin tum nakamyab rahi.

Poonam...... Trust me boss sab kuch plan ke hisab se chl raha tha, but achanak use gussa aa gya aur usne sab tabah kr diya wahan, sare adamiyon ko mar diya aur us doctor ko bhi, main bdi mushkil se wahan se bachnkr aayi hoon.

B2...... Ager usne sab ko mar diya tha to wo kaise mra, puri detail btao hume.

Fir poonam unhe sab kuch btati hai, jise sun kr dono thodi der kuch sochte hai.

B1..... Dekho poonam tum janti thi ki humare liye uska wo test kitna important tha, bdi mushkil se humne use dhundha tha, ab to wo raha nahi aur tumhari ek laprwahi ki wajah se humara kitna nuksan hua hai, agr head ko yeh baat pta chli to wo tumhe zinda nahi chodenge.

Poonam........ Pls sir, ab isme main kya kr skti hoon, apko to pta hai jab use gussa aata hai to wo ek janwar bn jata hai aur waise bhi use marna to tha hi.

B2....... Sirf use marna hi jruri nahi tha, waise bhi mujhe nahi lgta ki wo itni asani se mar gya hoga.

Poonam...... Nahi sir maine khud dekha hai, jab bomb blast hue to wo gher ki chhat pe tha aur us blast me bachna impossible hai.

B1...... Poonam shyad tum uske dimag aur uski tezi bhul gyi ho, ager wo ghr ke ander hota to fir bhi 50-50 chance tha uske marne ka, lekin jab blast hue to wo chhat pe tha aur wo wahan se kahin bhi kud skta hai, to tumhare liye acha yahi hoga ki use dhundho aur head ka adhura kaam pura kro.

Poonam..... Thik hai sir, main koshish krti hoon.

B1..... Koshish nahi, result chahiye hume, nahi to tum apna anjam soch skti ho, ok bye.

Aur isi ke sath screen off ho gyi aur poonam room se bahr aakr apne bed pe beth kuch sochne lgti hai, fir mobile nikal kr kisi ko phone kr kuch kehti hai aur call cut krke bed pe letke aram krne lgti hai.

Dusri taraf

Aryan aur simi ek dusre ki bahoon me soye hue the, tabhi mobile ki awaz sun dono ki neend khulti hai aur simi aryan se alag hokr apne purse se apna mobile nikal ke dekhti hai to call aru ki thi, simi jhat se call pick krti hai.

Simi..... Hello aru.

Aru.... Hello di kahan ho aap, sham ho gyi hai aur aap abhi tk gher nahi aaye.

Simi.... Aru aaj main ghr nahi aa paungi, tu mom dad ko bol dena ki kisi saheli ke yahan hoon aur kal aungi.

Aru.... Kyu kya hua, jiju ka kuch pta chla?

Simi.... Haan, abhi wo mere samne hai.

Aru.... Ohhh hooo to jiju ke sath raat bitane ka program fix kiya hai, hehehehe.

Simi.... Tu phir shuru ho gyi, are unki tabiyat thik nahi hai to isliye.

Aru.... Acha thik hai bahane na bnao, main mom dad ko sambhal lungi.

Simi.... Thanks aru.

Aru..... Ok di, enjoy the night, bye.

Simi haste hue call cut kr deti hai.

Aryan..... Kya hua aise muskura kyu rahi ho.

Simi.... Kuch nahi, ab hume yahan se chlna chahiye.

Aryan.... Tum thik kehti ho, chlo fir chle.

Aryan khda hoke chlane lgta hai, to wo ladkhda jata hai, simi jhat se aryan ko tham leti hai aur use sahara dete hue chlne lgti hai, thodi der me dono car ke pass pahunch jate hai aur simi aryan ko bitha kr khud car drive krne lgti hai.

Udher
Poonam ke gher ki bell bajti hai to poonam door kholti hai, samne ek adami tha jo poonam ko ek cd deta hai aur chla jata hai, poonam door lock kr apne room me aaker apne laptop pe wo cd play krti hai, yeh usi ghr ki cctv ki recording thi jisme aryan ko rakha gya tha, us ghr ke bahr bhi camre lge hue the, poonam bahr wale camre ki recording dekhne lgti hai, jab pehla blast hua use ghr right side se ek ladki najar aati hai jo ghr ki taraf bhag rahi thi, actually simi jab us ghr ke pass pahunchi thi to usne car jis ped ke piche khadi ki thi usi ped ke aage ek camra lga hua tha, jab blast hota hai simi us taraf jati hai to uski peeth camre ki taraf thi, poonam ghor se use dekhne lgti hai, fir wo dekhti hai ki wo ladki matlab simi khai ki taraf jati hai aur waha beth kr rone lgti hai, fir jab simi ghum kr car ki tarag ja rahi thi to uske baal uske chehre ke samne aa gye the jis se poonam ko simi ka clear face nahi dikh raha tha, simi bhagte hue jab apne baal side krti hai to poonam ko simi ke chehre ki thodi si jhalak hi dikhti hai aur tabhi simi camre ke backside chli jati hai, poonam kuch sochne lgti hai, fir wo recording piche kr dekhti hai jab pehla blast hua, to wo ghr ke chhat wale hisse ko thoda zoom krke dekhne lgti hai to use wahan se koi se koi khai ki taraf jump krta hua najar aaya, jis se poonam ke chehre pe smile aa jati hai.

Poonam apne man me....... AK tum ek baar fir bach gye, kya kismat payi hai tumne, lekin yeh ladki kaun hai, jo AK ke liye ro rahi thi, hmmm lgta hai koi nayi mashuka hai AK ki, kya baat hai AK ek baar fr se pyar me, wow ab aayega is khel me maza, ab dekhna kaise tumhe tadpati hoon main aur boss ka diya kaam bhi pura krungi, ha ha ha ha ha.
 

sonukale

Well-Known Member
6,081
6,700
143
Nice update
 
Top