• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Din Achanak

Cutie pie

New Member
78
49
18
Oho dil tod diya bechare Pawan ka
Ab tak thappad ki goonj sunayi de rahi hogi use

Par ye Pawan bhi na itni bhi kya jaldi padi thi
dosti ke dusre hi din aap ladki ka hath pakad kar i love u bologe to chanta hi khaoge na

Par ab "pachtaye hot kya jab chidiya chug gayi khet"
Ab to afsos hi kiya jaa sakta hai

Lagta hai ab Ravi ko hi kuch karna padega kyuki Riya to Pawan ki baat sunne se rahi

Dekhte hai kya hota hai aage

Keep posting :yourock:
Waiting for next update
 
  • Like
Reactions: Ravi

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 15

Idhar Ravi ne dekha ki prayer mein Riya to aa gayi lekin Pawan nahin aaya to use kuch doubt huya. Usne socha shayad koi programme fix ho gaya hai dono ke beech isliye Pawan seedha class mein chala gaya hai. Ravi ne prayer attend karne ke baad class mein jaakar Pawan se poochne ki sochi.
Prayer khatam huyi to sab class mein aa gaye. Pawan ne ek najar Riya ki taraf dekha lekin Riya koi react na karte huye apni seat par jaakar baith gayi. Ravi bhi Pawan ki bagal mein jaakar baith gaya. Ravi ne use chedte huye poocha ki “Kyu be prayer mein kyun nahin aaya. Kya programme set kiya Riya ke saath. Kahan le jaa raha hai use DATE par”. Pawan sab sunkar khamosh sar jhukaye baitha raha. Ravi ne Pawan ko yun dekha aur poocha ki kya hua “Riya ne mana kar diya. Wo nahin jaa rahi hai. Uski koi problem hogi yaar. Tu dil chota mat kar. Aaj nahin phir kabhi chali jayegi”. “Wo kabhi nahin jayegi Ravi” ye kehte huye Pawan ne saari baat Ravi ko bata di.

Ravi ek dum gusse mein aa gaya “Riya ki itni majal ki usne tere upar haath uthaya. Samajhti kya hai apne aap ko. Koi husn ki pari to nahin hai na wo. Agar nahin pyaar tha to saaf mana kar deti lekin is tarah sabke saamne thappad marna kahan tak sahi hai. Kal to badi hans hans kar baatein kar rahi thi aur tu bhi keh raha tha ki wo tujhse pyaar karti hai”. Ab Pawan kya bole Riya ne to uski bolti hi band kar di thi. Ravi bola “aaj recess mein use mazaa chakayenge”. “Nahin Ravi tum aisa kuch nahin karoge, tumhe meri kasam”. Apni kasam mein bandhkar Pawan ne Ravi ko rok liya.

Lekin Ravi ne man hi man mein faisla kar liya ki wo is baare mein Riya se jaroor baat karega. Recess huyi to Riya bahar chali gayi as usual khana khane ke liye. Uske jaane ke Thodi der baad Ravi ne Pawan ko apni sabse choti ungli dikhate huye kaha ki main jara ho ke aata hun. Pawan ne kaha theek hai aur Ravi seedhiyan utarkar bahar aa gaya aur Riya ko dhudhne laga. Charo taraf dekhne ke baad use Riya wahin mili jahan Subah Pawan ke saath chodkar gaya tha. Wahan usne dekha Riya baithkar ro rahi hai. Khana uska aise hi saamne pada hai aur usne use chua tak nahin hai. Bas apna sar dono ghutne ke beech rakhe lagatar roye jaa rahi hai jo ki uski siskiyon se pata chal raha tha.
Ravi ne usse jaakar poochne ki sochi ye lekin ye sochkar ruk gaya ki is samay Riya se baat karna theek nahin. Ladkiyon ke rone ke aage bade bade maharathi nahin tik paye to uski kya bisat. Dusra wo Pawan ko No. 1 ke liye bolkar aaya tha aur Pawan ne use kasam bhi di thi ye dono karanon se bhi Ravi ne Riya se abhi baat karna theek nahin samjha. Aur wapas class mein chala aaya. Wahan aakar usne dekha ki Pawan ki aankhon bhi nam hain, Halanki wo ro nahin raha tha lekin uska dil andar se foot foot kar ro raha tha. Ravi ne usse bhi is samay baat karna theek nahin samjha aur uske bagal mein jaakar baith gaya.

Thodi der baad Recess khatam hone par Riya bhi class mein aa gayi aur usne Pawan ki taraf dekha. Lekin Pawan ka dhyaan nahin tha uski taraf to wo chupchap jaakar apni seat par baith gayi. Ravi ne dekha ki ro ro ke Riya ki aankhen bhi lal ho gayi hain. Sunder chehra murjha gaya hai. Hansi gayab ho gayi hai aur bas man ashant sa hai uska. Use laga ho na ho ye bhi Pawan se pyaar karti hai lekin Riya ne to Pawan ko sabke saamne thappad mara tha to iska matlab wo pyaar to nahin karti, shayad koi aur problem ho. Lekin Ravi ko kya, jo harkat usne Pawan ke saath ki hai wo Ravi kabhi maaf nahin karega aur Riya ko koi help ki jaroorat bhi ho kisi tarah ki to wo bhi nahin karega.

Class mein baithne ke kuch hi minutes ke baad classes shuru ho gayi lekin teeno ka hi man padhai mein nahin lag raha tha. Pawan ko baar baar apna thappad yaad aa raha tha to Riya ko bhi mehsus ho raha tha ki usne galat kiya lekin “Ab pachtaye hot kya Jab chidiya chug gayi khet” wali kahawat Riya par is samay bilkul theek baithi thi. Ravi se Pawan ki bechaini dekhi nahin jaa rahi thi aur wo isliye padhai par kam aur Pawan par jyada dhyaan de raha tha. Lekin notes ko note karne mein aise abhi bhi koi kasar nahin chodi thi kyunki pehle to Pawan bhir bhi kuch padhai kar leta lekin ab to uski halat bilkul devdas jaisi ho gayi hai. Ab to Ravi ko compulsory do notes banane hi honge. Isliye wo notes bhi likhta ja raha tha bas is samay unhe samajhne mein usko dikkat ho rahi thi.

Idhar Pawan baar baar Riya ki taraf dekhta lekin Riya ka dhyaan saamne Black Board par hota to uska dil udaas ho jaata. Wohi haal Riya ka bhi tha jab wo Pawan ki taraf dekhti to Pawan ka dhyaan kahin aur hota. Dono hi ek dusre ko dekh rahe the lekin dono ki timing galat thi. Dono ki aankhen mil nahin paa rahi thi. Pawan soch raha tha ki Riya usse nafrat karne lagi hai aur Riya soch rahi thi ki Pawan ko thappad mar kar usne badi galti ki hai aur ab Pawan use kabhi maaf nahin karega.

Shayad iski wajah ye thi ki Riya ka kabhi bhi koi ladka friend nahin tha. Isse pehle Girls school mein padhti thi to wahan matlab hi nahin tha kisi ladke ke saath dosti ka. Ghar par parents ki bandish ki wajah se bhi jyada bahar nahin jaa pati thi. Kul milakar ye kaha jaye ki uska kabhi kisi ladke se koi interaction hi nahin huya. Pehli baar use Pawan mila aur usne apni jindagi ke kuch haseen pal uske saath bithaye park mein. Lekin jab achanak usne uska haath pakad liya to wo ghabra gayi aur gusse mein na jaane kya kya Pawan ko keh gayi. Ek dost use mila tha jo use samajhta tha lekin uski nadani ki wajah se wo bhi door ho gaya.

Dono ek doosre ki taraf dekhne ki koshish kar rahe the par ek doosre se aankhen nahin mil pa rahi thi lekin bhagwan shayad itna nisthur nahin hai. Kehte hain na ki “Bhagwan ke yahan der hai, andher nahin” bas achanak dono ki najrein ek dusre ki najron se mil gayi.
Donon ki najrein mili to bas atak hi gayi. Dono to jaise palak jhapakna hi bhul gaye. Aankhen nam, honth kuch kehne ko taraste huye, dil joron se dhadakta hua dono ko mehsus ho raha tha. Shayad dono ne hi ek dusre ke dil ka haal jaan liya tha. Thodi der dono ek dusre ko yun hi dekhte rahe ki tabhi achanak Pawan ne apna chehra dusri taraf kar liya. Riya ka to jaise dil hi toot gaya aur usne bhi apni najrein wapas apni books par gada di.

Pawan ko shayad uske Ego ne majboor kar diya tha aisa karne ke liye yaa shayad wo Riya ki najron ka saamna nahin kar paya, karan jo bhi ho Pawan usse berukh ho gaya tha. Lekin is dil ko kaun samjhaye wo to baar baar Riya ke baare mein hi sochta rehta tha.

Riya ka bhi dil uski berukhi dekhkar udaas ho gaya. Usne to socha tha ki wo Pawan se maafi maang kar sab pehle jaisa kar legi lekin uske ek thappad ne sab kuch badal diya. Pawan ab usse nafrat karne laga tha. Uski taraf dekhna bhi Pawan ko shayad pasand nahin tha. Usne aaj ek sacche dost yaa pyaar kahiye, use kho diya tha. Uska man to bahut kar raha tha ki wo phoot phoot kar roye lekin class mein aisa nahin kar sakti thi. Apne jajbaton ko usne kaise sambhala tha ye wo hi janti thi. Agar koi uske dil ko padh sakta to jaan leta ki usme bhi Pawan ke liye kitna pyaar umad raha hai. Lekin wo kar bhi kya sakti thi.

Idhar Pawan ka bhi haal kuch achha nahin tha. Use mehsus to ho gaya tha ki Riya ko apni galti ka ehsaas ho raha hai. Lekin ek mard ka ahankar uske aage aa raha tha. Chahta to wo pehle Riya se baat karke sab settle kar leta lekin uske ego ne use aisa nahin karne diya. Usne socha ki Riya ko apni galti ka ehsaas hai to wo aage aa kar usse maafi maange. Use bataye ki usne aisa kyun kiya uske saath. Agar wo use pyaar nahin karti thi to saaf mana kar deti. Lekin yun sabke saamne use jaleel karne ki kya jaroorat thi. Aaj bhi prayer mein aur school mein sab uski taraf dekh kar uska majak uda rahe the. Uske dil par us samay kya beet rahi thi ye wo hi janta tha.

Idhar Riya bhi kuch aisa hi soch rahi thi. Pawan mujhse galti ho gayi hai, mujhe maaf kar do. Tum ek baar keh kar to dekho. Tumhari kasam is baar saare samaj ko andekha karte huye tumhari baahon mein simat jayungi. Mujhe ab kisi ki parwah nahin hai. Bas tum ek baar mujhe maaf kar do. Tum aise mujhse berukh nahin ho sakte. Tum kya jaano main pyaar ke liye kitna tadpa hoon. Papa ko clinic se fursat hi nahin hai aur mummy choti behan ko jyada pyaar karti hai. Main jis pyaar ke liye saari jindagi tarasti rahi wo mujhe tumhare roop mein mila hai to main kaise use apne se door jaane de sakti hoon. Pls Pawan laut aao.

Maine tumhe ek thappad mara tha lekin tum bhale hi iske liye meri khaal khinch lena, main uf tak nahin karungi. Tum kitna bhi mujhe maar lena lekin main tumhara haath nahin rokungi bas ek baar laut aao. Yun til til kar maarne se achha hai ki tum mujhe ek baar mein hi maar do. Tum mujhse yun berukh ho jayoge to mera kya hoga.

Shayad isi ko pyaar kehte hain bas ek dusre ki khushi ke liye apni khushi kurbaan kar dena. Khud mit jayo lekin uske jeewan par koi aanch nahin aani chahiye. Khud ko bhale hi sone ke liye kaanton ki sej mile lekin apne pyaar ke liye jahan jahan kante hain unhe apni aankhon se chun chun kar door karo ya agar dur na ho to wo jahan jahan chale uske kadmo ke neeche apne haath rakhte chalo. Waise to ye sab kitabi baatein lagti hain lekin jab kisi ko kisi se pyaar hota hai to wo apne mehboob ke liye apni jaan ki baazi tak lagane ke liye tayyar rehta hai.

Pawan ko kuch bhi samajh mein nahin aa raha tha ki wo kya kare. Riya se baat kare ya nahin. Pata nahin is baar Riya kaise react kare. Kahin is baar bhi thappad mar diya to uski bachi kuchi ijjat ka bhi faluda ho jayega. Use ye bhi to pata nahin ki Riya use pyaar karti hai ya nahin. Ek baar poocha to thappad gal par lag gaya agar doosri baar poochega to kahin auron se na pitwa de. Agar kahin principal se shikayat kar di aur principal ne use school se nikal diya to uska ek saal kharab ho jayega kyunki ab to baaki sab school mein bhi admission band ho gaye hain. Ravi ne kitni mehnat karke uske aur apne liye school dhoondha tha ki wo dono saath rahe aur ab agar aisa ho gaya to wo Ravi ko kya muh dikhayega.

Sochte sochte school ka time khatam ho gaya aur Riya apne ghar aur Pawan Ravi ke saath apne ghar ki taraf chal diya. Ravi ne abhi us samay use kuch kehna theek nahin samjha kyunki Pawan ki haalat kuch baat karne layak nahin thi. Din gujarte gaye aur dono chah kar bhi ek dusre se apni mohabbat ka izhar nahin kar paye. Haan bas chori chupe dono ek dusre ko dekhte rehte the. Kai baar dono ki najrein mili to aise muh fer lete the jaise ek doosre se pata nahin kitni nafrat karte hain. Dono ki raaton ki neend aur din ka chain sab chin gaya tha. Ye ishq ka rog hota hi aisa hai. Ravi se Pawan ka ye haal dekha nahin jaa raha tha lekin wo kar bhi kya sakta tha. Usne socha bas kisi tarah 12th khatam ho jaye to wo dono college mein admission le lenge. Wahan ye Riya nahin hogi aur waqt ke saath sab ghaav mit jayenge.

Lekin honi ko kaun tal sakta hai

To be continued....
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Guffy

aka3829

Prime
3,369
12,319
159
Bhai ji mast update diye ho kya kahu kuch samajh me na aa raha he. Pyar ye ek aisa sabd he jiske chakar me bade se bade raja fakeer ho gaye aur fakeer ko itihas ne apne panno par jagah dekar amar kar diya. Jo bhi he galti pawan ki jyada he. Ladki ka ek gehna hota he jise Sharam kehte he. Jab tak wo gehna ladki ne pahan rakha he tab tak usaki sundarta ki chand se tulna hoti rehti he. Aur dusra he ghabrahat ye bhi sharam ke sath he rehti he. Jaha Sharam hogi wahi Ghabrahat hogi. Khaskar ladkiyo me. Aur Pawan ne inhi dono gehno ko todne ka faisla kiya tha pure school ke samne Roya ka haat pakad kar aur ILoveYou bolkar. Ab bechari riya kya karti sharam or ghabrahat me rakh diya ek pawan ke gaal par. Ab pawan fir se dusari galti kar raha he apna ego bich me lakar. Pyar me koi ego ya ghamand nahi hona chahiye. Yaha Davi ne bhi galti kari riya se baat na karke. Koi bhi problem ho baat karne ya share karne se kam hi hoti he. Ab dono class me nazare mila bhi rahe he air chura bHi rahe he. Koi pawan ke dimag me ye baat dal ki pyar me jalan nahi honi chahiye.
Wating 4 next update
 
  • Like
Reactions: Ravi

Hacker

Active Member
575
400
78
Nice
 
  • Like
Reactions: Ravi

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
update 1
mast update ravi sirf ragging ke liye itni jaldi utha aur ghar wale shock apna ravi rock collage me jo tisri ladki aayi woh lagta hai ravi ki gf banegi
May be or may be not

Dekhte hain Ravi ki kismat mein kya likha hai

:thanks: a lot bhai
 

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
update 2
bhai itni jaldi flashback:afraid: rider ne school teacher ko thapad mara aur teacher pe galat iljaam bhi lagaya achha hua ravi ke ghar ke pas hi ghar hai pawan ka warna pata nahi rider kya karta uske sath​
Yes itni jaldi flashback :smarty:
Ye apun ka style hai :don:

Rider jaise gunde aapke charo taraf mil jayenge.

Dekhte hain Pawan ka kya hota hai

:thanks: a lot bhai
 

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
update3&4
ravi ko tin char din ke liye parents ke sath dusri city jana pada ravi bata bhi nahi pa raha hai pawan ko ki wo 2-din nahi hoga yahan pe aur usse bhichare ne kitne bahane banaye ki pawan ko bata sake lekin kuch kar nahi paya raat ko aur subah dono time pawan wait karta reh gaya apne yaar ka lekin usse kya pata ki ravi nahi aayega 2-4 din akhirkar pawan ko pata chal gaya ravi ki absence ka aur udass bhi ho gaya pawan ravi ki absence ke bare me jaan ke chalo 1 din toh jaise taise nikal gaya lekin ab agle din kya karega woh
next day
pawan ki dar se buri halaat hai woh baar baar soch raha hai ki kash ravi aa jaye lekin ravi kese aayega chalo pawan ne ek pan toh banaya lekin kya ye plan kam karega rider ko bhi pata lag gaya ki pawan akela aaya hai chalo teacher ne bhi jaane ki anumati de di hai pawan ko
Many Many :thanks: bhai

Dekhte hain plan kaam karega ya nahin

Aur agar karega to kitna kaargar sidh hoga
 

CG

Sab Chutiyapa hai Bhaya
1,993
3,550
159
lekin is halat mein Pawan 12vi pass kaise karega? koi jhatkaa dena padega Pawan ko ya fir dono ko milana padega.... dono hi kaam ravi ke hain
 
  • Like
Reactions: Ravi

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
शानदार प्रस्तुति के लिये बधाई ❤

● Maine to socha tha kinaaj pawan ki khair na hai..
Aaj pawan rider se pitkar rahega
Par yahan to sala mamla hi ulta pad gaya.

● Aaj ka update bada hi emotional tha..
Par ab rider ki doati mil chuki hai pawan ko..
Ab aaega asli maza .. or college me dhamaal hoga...

● I hope Ravi bhi rider ki dosti kabool kar le..

Dekhte hain Aage kya hota hai

Isi liye

Aage ka Intzaar
Bahut Bahut shukriya bhai

Dekhte hain aage kya hota hai
 
Top