• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Din Achanak

mysteryman

Active Member
921
1,559
139
Tareef-ae-kabil

jisne kabhi nhi ki dosti,
use sari duniya nochati,
Zo tera mera nahi sochati,
vahi toh hai sachhi dosti,


RIDER shayad ek aisa insan jisne EK DIN ACHANAK pawan ki jindgi ko badal ke rakh diya...

lekin us ke baad vo us sahar ko chhod kar hi chala gua...dekhte hein aage is kahani ke safar mein milta hai ki nhi...


bohot hi sangharsh ke baad Ravi aur Pawan ko ek hi school mein admission mil gya...lekin ab tak Pawan bilkul badal chuka tha...jo ki Ravi ke anusar sahi bhi tha...kyonki vo jindgi jeena seekh rha tha...

dusre school mein aakar adjust hone mein thoda time laga lekin ab bhumikayein badal chuki thi...ya yun kahiye ki Pawan jyada khul gya tha...

12 tak aate aate Ravi to padane mein lag gya lekin Pawan ab hawa ki tarah ho gya...kabhi idhar chalna to kabhi udar...


''Pawan ne apne dil ko ek ladki par set kar liya,
us khubsurat ladki ka naam hai sushri Riya,''

jab kisi par dil aa jaye to padhai mein kahan man lagta hai...
isliye ab Pawan ke hisse ka kaam bhi RAVI ko karna pdta hai...

khair EK DIN ACHANAK pawan aur riya ki dosti ho jati,
aur Pawan ka Ravi se jhoot bolna uski pahli uski pahli galti ho jati hai...


is galti ke chalte school ki chhutti bhi ho gyi ,
Riya aur Pawan ke pyar ki shuruat bhi ho gyi...


BEST PART FOR ME...


dosti aur pati - patni ka rista ek jaisa hota hai jo ek vishwash ke kachhe dhage par tika hota ...

ye hakikat hai agar ek baar ye dhaga tut jaye to ise jodna bohot muskil kaam hai...

ye ek bhohot hi emotional part hai jisme ki jindgi ki hakikat ko behad hi shandar tareeke se darshaya gya hai...jisme dono dost ek doosre se gile sikwe door karte hein...


waiting for such more updates...
 
  • Like
Reactions: Cutie pie and Ravi

Cutie pie

New Member
78
49
18
:vhappy: aaj to 2 mega update

Ohh to aise shuru hui thi Pawan aur Riya ki love story

Par isme Ravi itni si baat ke liye kuch jyada hi over react kar gaya

"Dekh yaar Pati-Patni aur Dosti ke rishte mein kewal ek samanta hoti hai aur wo ye hai ki dono hi ek kachhe dhage "VISHWAAS" par tike hote hain. Ab agar wo dhaaga hi toot jaye to rishta toot jaata haiaur ye baat tu bhi achhi tarah jaanta hai. Aur ye dono hi rishte ek baar toot jayen to unhe wapas jodna itna asaan nahin hota. Pati-Patni ke rishte sudharne ke liye to fir bhi court ek saal deta hai lekin dosti ka rishta ek baar toot jaata hai to koi bhi use jod nahin sakta. Dosti sirf saath hasne-bolne, khaane-peene, ghumne-firne ka hi naam nahin hai balki ye to do dilo ke beech ka ehsaas hai. Isme agar ek to takleef hoti hai to dusre ki aankhon se apne aap aansu nikalne lagte hain. Kisi ek ko khushi milti hai to dusra use celebrate karta hai. Kisi ek ko gham milta hai to dusra use jhelne ke liye pehle se hi raaste par tayyar milta hai".
Superb and True lines :applause::applause:

Abhi to teeno apni hi socho mein gum hai
Aur Pawan kal ka wait kar raha hai
Par mujhe lag raha hai ki kal kuch aur hi hone wala hai

Dekhte hai writer sahab kya karte hai Pawan ka haal :D

Keep posting :yourock:
Waiting for next update
 
  • Like
Reactions: Ravi

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 14

Pawan ko raat bhar neend nahin aayi agli subah ke intezar mein. Raat mein baar baar uski neend khul jaati ki kahin subah to nahin ho gayi, phir ek najar diwar ghadi par dalta aur mayus hokar phir se sone ki koshish karta. Aisa karte karte aakhir subah ho hi gayi. Waise to roj wo 6 baje uththa tha lekin aaj 5 baje hi usne bistar chod diya. Turant fresh huya, nahaya dhoya aur jo kuch bhi fridge mein rakha mila kha pee kar Ravi ke ghar 6 baje hi pahunch gaya.

Wahan jaakar usne Ravi ke ghar ki door bell bajayi to Ravi ki mummy ne darwaja khola. Pawan ko itni jaldi aaya dekhkar wo chaunk gayi. "Kya hua beta aaj itni jaldi kaise". "Aunty bahut late ho gaye hain hum jaldi se batao Ravi tayyar ho gaya kya". Ravi ki mummy ki hansi chutte chutte reh gayi lekin fir bhi gambhir mudra bana kar kaha ki "maine to use kai baar uthaya lekin wo utha hi nahin. Tu hi jaakar utha de use. Tab tak mein tum dono ke liye nashte ka intezam karti hun". Accha aunty bolkar Pawan Ravi ke kamre mein dakhil ho gaya aur idhar Ravi ki mummy ka haste haste bura haal tha aur hairan bhi thi ki aaj Pawan ko kya ho gaya. School inhe 7:30 baje jaana hai aur abhi 6 baje hain. Lekin phir bhi keh raha hai ki der ho gayi hai. Pata nahin kya baat hai. Ye aajkal ke ladke bhi na bas poocho mat.

Ravi bhi us samay utha hi tha. Pawan ko itni jaldi tayyar hua dekhkar usne poocha ki "kya hua aaj itni jaldi kaise tayyar ho gaya". Pawan ne kaha ki "tujhe school nahin jaana kya jaldi tayyar ho nahin to school ko der ho jayegi". Ravi ne use ghadi dikhayi jo is samay bhi 6 baja rahi thi aur kaha ki "abhi dedh ghanta hai bhai mere school jane mein".

Pawan ne ek najar ghadi ki taraf dali aur jhenp gaya. Jaldi jaldi mein use samay ka dhyaan hi nahin raha. Uske kamre mein surya devta ne apni kiranon se roshni ki chata bikheri ko use laga ki subah ho gayi hai. Ghadi mein samay to usne subah dekha hi nahin. Lekin Ab Pachtay hot kya jab chidiya chug gayi khet wali kahawat Pawan par charitrath ho rahi thi.

Ravi ne uska majak udate huye kaha ki "achha samajh gaya raat to Riya ne bahut tang kiya hoga tujhe aur usi se milne ke liye itna baichan ho raha hai ki time ka pata hi nahin chala tujhe Kyun" . Pawan ne kaha "nahin to yaar aisi koi baat nahin bas wo maine time dekha hi nahin. Jaisa tu soch raha hai waisa kuch bhi nahin hai". Ravi hans pada uski baat sunkar aur bola "chal theek hai tu baith main bhi tayyar ho jata hun".

Pawan drawing room mein baith gaya aur TV dekhne laga. TV dekhte dekhte wo soch raha tha ki aunty ne bhi usko khoob ullu banaya. Wahi par nahin bata sakti thi kya ki abhi sirf 6 baje hain. Mera to majak hi ban gaya. Pata nahin aur kya kya sehna aur karna padega Riya ke pyaar mein. Thodi der mein Ravi bhi tayyar hokar aa gaya aur dono ne milke nashta kiya. Pawan to shayad aaj ghode par sawar tha. Usne bahut jaldi se apna nasta khatam kiya aur Ravi ko bola jaldi kar late ho jayenge. Ravi uski baat sunkar muskura diya.

Nasta khatam karte hi dono toofan ki gati se apne apne bag uthake ghar se nikal gaye aur bhagte bhagte school pahunch gaye. School lagne mein abhi der thi aur koi bhi bacha nahin aaya tha. Dono school ke andar dakhil ho gaye aur wahin usi park mein jaakar baith gaye jahan kal Pawan aur Riya baithe the. Wahan wo baith kar Riya ka intezar karne lage.
Thoda hi samay beeta hoga ki saamne se Riya aati dikhai di. Pawan ne use dekhte hi awaaz di jo auron ne bhi suni aur sab Riya aur Pawan ki taraf dekhne lage. Pawan ne Riya ko park mein bulaya. Jab Riya park mein pahunchi to Ravi ko wahan dekhkar thoda jhijhakne lagi. Uski manodasha samajhkar Ravi ne kaha “yaar mein chalta hun tum dono time se aa jaana”. Pawan ne achanak Riya ka haath pakad liya aur kaha “Riya kal saari raat mein so nahin saka. Sirf tumhare khyaal dilo-dimaag par chaye rahe. Baar baar tumhara hi chehra in aakhon ke saamne ghumta raha. Tumhari wo katilana muskurahat, wo sharamata chehra bas mujhe saari raat pareshan karta raha. Main tumse bahut pyaar karta hun. Kya tum bhi mujhe pyaar karti ho”.

Riya ko kuch bolte nahin ban raha tha. Usne dekha sab un dono ki taraf dekh rahe hain. Riya ne Pawan se haath chodne ke liye kaha lekin Pawan ne mana kar diya ki pehle wo jawab de. Riya ne dubara kaha ki “Please Pawan chod do sab hamein dekh rahe hain. Agar mere ghar par pata chal gaya to bahut maar padegi mujhe”. Lekin apni dhun mein sawar Pawan kahan sunne wala tha. Usne kaha “Pehle tum kaho ki tum bhi mujhe pyaar karti ho uske baad hi main haath chodunga. Agar sab dekh rahe hain to dekhne do. Duniya to jalti hi hai do pyaar karne walo ko dekh kar”.

TADAK ki awaaz ke saath Riya ka haath Pawan ke gaal par pada aur Riya ne gusse mein kaha ki “tum samajhte kya ho apne aap ko. Maine kal tum se jara si hans bolkar kya baat kar li tum use pyaar samajh baithe. Main tumhe kitna shareef samajhti thi aur tum kya nikle. Tum sabke saamne aisi harkat karoge main soch bhi nahin sakti thi. Sab ladke ek jaise hote hain unhe bas ladkiyon ke saath masti karne ka bahana chahiye. Main hi galat thi ki tumhe auron se alag samajhne ki bhool ki. Mujhe tumse koi pyaar vyaar nahin hai aur dubara mera haath pakadne ki, yaa mujhse baat karne ki koshish bhi mat karna”.
Pawan ka to ye haal ho gaya tha ki kato to khoon nahin. Usne fir bhi himmat karke kaha “Riya tum galat samajh rahi ho. Mera pyaar sacha hai aur usme vasna ka lesh matra bhi ansh nahin hai. Mujhse bhool ho gayi ki maine tumhare haath sabke saamne pakda. Kya karun mujhse control hi nahin huya. Tumhara masoom chehra in aankhon mein samaya huya tha to aur kuch dikhai hi nahin diya”.

Riya ne gusse mein kaha ki “Main sab samajhti hoon ki ab tum aisi chikni chupdi baatein kyun kar rahe ho. Tumne socha ki machli jaal se nikla gayi to dusra kanta fenko. Main in jhanso mein aane wali nahin hun. Main tumhe achhi tarah samajh gayi hoon. Pata nahin ab tak kitni ladkiyon ke emotions ke saath ab tak aise hi khela hoga. Yahan tumhare daal nahin galegi main kahe deti hoon. Tum kisi aur ko dhundo jo tumhare is jahnse mein aa jaye. Mera raasta rokne ki koshish bhi mat karna”.

Itna kehkar Riya wahan se chali gayi aur Pawan hairan aur udaas use ektak dekhta raha ki achanak kya se kya ho gaya. Kal ka poora scene uski aankhon ke saamne aane laga ki kaise Riya aur wo hans bolkar ek doosre se baatein kar rahe the. Kaise us samay bhi usne Riya ka haath pakda tha. Kaise wo uske saamne sharma rahi thi. Kya wo sab ek dikhawa tha. Kya use kabhi bhi Pawan se pyaar nahin tha. Kya uska hasna-bolna sharmana sab mahaj ek jhoot tha. Pawan ka to jaise dil toot gaya. Aur wo bhari kadmo se prayer mein na jaakar seedha class mein chala gaya. Wahan jaakar wo khoob roya aur apne aapko kosta raha ki kyun usne Riya se pyaar kiya.

To be continued....
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Guffy and Cutie pie

Guffy

Well-Known Member
2,065
2,174
159
Dil tod diya bache ka bc
Ab ravi karega baat riya se
 
  • Like
Reactions: Ravi

aka3829

Prime
3,369
12,319
159
Hahahaha khilwad diya thapad pawan ko. Ab garam 2 jalebi khayega to muh to jalega hi na. Riya ne kaha bhi ki sab dekh rahe he aur haat chhod do lekin na ji thapad jo khana tha Pawan dev ko. Chalo koi nahi pyar ki suruat me hi thapad kha liya ab puri jindagi thapad nahi khayega. Pata chal gya hoga ki kitna bhari haat he Riya ka.
Waiting 4 next update
 
  • Like
Reactions: Ravi

Rudra6124

Member
136
192
43
Kamal bhai apne to start hote hi bechare ko maar khilwa do abhi to love love shuru v nhh huyi thi wese kamal ka update tha padh k mazaa aa gya
 
  • Like
Reactions: Ravi

CG

Sab Chutiyapa hai Bhaya
1,993
3,550
159
Lagtaa hai is Thappad ka karan kuch aur hi hai..... Shayad koi dikh gaya hai Riya ko jis se Pawan ko ya khud ko bachane ke liye aisa kiya hai

Well lagtaa hai Ravi bich mein aayega manane k liye dekhte hain writer Ravi ne aage kya socha hai...
nice update

Keep it up
 
  • Like
Reactions: Ravi

Nub_Ag

Well-Known Member
11,212
4,507
229
update 11&12
nice updates
riya ki entry ho gai hai pawan ki life me aur pawan ko love at first sight bhi ho gaya hai aur banda kahin kho gaya:D aur ravi bhi lag gaya dosti nibhane notes banake ravi pawan ka pyar ka bhoot utar dega aisa soch raha lekin usse kon batae ki pawan ke pyar ka bhoot itni asaani se nahi utarega dono me baate toh shuru ho gai ab dekhte hai pawan propose kab karega riya ko ravi se pawan ne jhoot bol ke galat kiya kyunki ravi ko woh riya ke baare me phele bhi bol chuka tha toh ab kyun nahi bataya chalo dono me sulah hogai ye achha hua riya aur pawan dono ka hal kharab hai
 
  • Like
Reactions: Ravi

Nub_Ag

Well-Known Member
11,212
4,507
229
update 13
nice update
pawan ko raat bhar neend nahi aayi ayegi bhi kese uski neend toh riya ne uda rakhi hai:D riya se milne ki jaldi me toh londa ek ghante pehle hi ravi ke ghar pahunch gaya aur wahan pe jaake bol raha ki aunty pehle nahi bata sakti thi ki ek ghanta pehle aa gaya hai woh ye pawan toh :horseride: pe sawar ho gaya hai ye riya ne kya kiya lagta hai usse abhi ehsash nahi hua ki wo bhi pawan se pyar karne lagi hai lekin jab hoga tab dekhte hai ki woh pawan ko kese manati hai lekin ravi kya karega jab usse pata chalega ki riya ne pawan ko thappad mara hai
 
  • Like
Reactions: Ravi
Top