• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Din Achanak

Guffy

Well-Known Member
2,065
2,174
159
Good Going Lage raho ravi bhai bass update ka size aur bada karo maza nahi aa raha hai chote update mein
 
  • Like
Reactions: Ravi

Cutie pie

New Member
78
49
18
Vaise iss update mein jyada kuch nhi tha ha bas ab dono apni duniya me magan rehte hai jo ki pehle bhi rehte the

Rider ke jane se koi farak nhi aaya par shayad vo aage ki story mein aa sakta hai

Par ab dara hua aur shant rehne wale Pawan ke vyaktitva mein badlav aaya hai

Lagta hai isi badlav se aage ki story me twist aane wala hai

Aur ab updates ko alag alag parts me dena band kar jara update ka size badhaye :D

:superb: going and awesome writing

Keep posting :yourock:
Waiting for next update
 
  • Like
Reactions: Ravi

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 12

12th Class mein aane se dono par padhai ki jimmedariyan badh gayi taaki khub padh kar acche numbers laaye aur kisi acche college mein admission le. Lekin wohi hota hai jo kismat mein likha hota hai. Kehte hai aadmi agar mehnat kare to kismat ka likha bhi khutla sakta hai lekin mehnat kare tab na. Ab Ravi to jor shor se padhai mein lag gaya lekin Pawan ka jeewan to ekdum se badal gaya. Jahan wo bas padhai mein dooba rehta tha wahin ab masti, hasi-majak, khel-khood aadi mein uski dilchaspi badh gayi thi. Had to tab ho gayi jab usi class mein RIYA ne admission le liya.

Riya us school ke pass hi rehti thi isliye wo paidal hi aaya jaaya karti thi. Subah ghar se school aayi aur dopahar ko school se ghar chali gayi. Kisi se na bolna, naa kehna bas apni padhai mein mast rehna. Class mein khali period ho to bhi wo bas kitabein khol kar bethi rehti thi. Haan is dauran uski kuch saheliyan bhi ban gayi thi lekin ladko se dosti na baba na bilkul nahin. Wo to kisi se baat tak nahin karti thi. Lekin apne Pawan ka dil aa gaya tha us par use pehli baar dekhte hi. Wo kehte hain na Love at First Sight.

Lekin pyaar ek tarfa tha. Pawan jab bhi usse baat karne ki koshish karta to uski taraf se positive response na milne ki wajah se udaas ho jata. Usne aur dusri ladkiyon ki bhi sahayata li lekin koi fayda nahin huya. Thak haar kar usne Ravi se is baare mein kaha (Pehle isliye nahin kaha kyunki use malum tha ki Ravi ko in sab baton mein interest nahin hai). Ravi ne use kaafi samjahaya ki pehle yaar padhai par dhyaan do, college mein admission lena hai, acche numbers se paas hona hai. Ladkiyon ka kya hai college mein bahut mil jayengi wahan pata lena.

Lekin kehte hain na Saawan ke andhe ko har jagah hara hara hi dikhta hai. Wohi haal apne Pawan ka bhi tha. Na din ko chain na raat ko aaram. Padhai mein uska man lagna kam ho gaya. Sirf Riya ke baare mein sochna aur usi ki baatein bolna. Ab padhai se berukh ho gaya to Ravi ko to kuch karna hi tha so usne apne aap hi double notes banane shuru kar diye bagair Pawan ko bataye. Kyunki use maloom tha ki Pawan ab ishq mein giraftar ho gaya hai to wo kisi kaam ka nahin raha Pawan ke liye bhi mehnat use hi karni padegi. Aur sahi waqt aane par uske sar se pyaar ka bhoot bhi utar dega.

Riya ko bhi ahsaas ho gaya tha Pawan ke pyaar ke baare mein par pata nahin ki wo darti thi yaa jhijhakti thi yaa shayad wo Pawan se pyaar nahin karti thi yaa aur koi uske dil mein koi aur tha. Khair jo bhi baat thi wo bas apne mein hi mast rehti thi. Kuch khoyi khoyi si, kuch sharmayi sharmayi si. Uski muskaan ekdum manmohak dil ke andar tak utar jaane wali thi shayad usi ko dekhkar apna Pawan dil de baitha tha. Lekin kehte hain na If there is a will, there is a way. To ek din achanak sab kuch badal gaya.
Ek din roz ki tarah Pawan Riya ko class mein baithe baithe dekh raha tha taktaki lagaye huye aur Riya embarrassment feel kar rahi thi lekin sankoch vash kuch bol nahin pa rahi thi. Halanki ye ghoorna pyaar bhara tha yaa yu kahiye ghoor nahin raha tha dekh raha tha jiska ehsaas Riya ko bhi tha. Aise hi dekhte dekhte padhte padhte chaar period nikal gaye aur recess ho gayi. Recess hone par sab khana khane bahar park mein jaane lage.

Hamari class first floor par thi to seedhiya utarkar jaana tha. Riya bhi uthkar jaane lagi to Pawan bhi uske peeche peeche chalne laga. Ravi ne poocha bhi ki “Abe kahan ja raha hai” to Pawan ne kahan “Yaar aaj bahut bhook lagi hai bahar kuch kha kar aate hai (Kyunki hum log Luch mein tiffin nahin late the). To Ravi ne kaha “yaar mujhe bhook nahin hai tu kha kar aa jaa jaldi”. Bas itna sunte hi Pawan turant class se bahar nikal gaya.

Udhar Riya seedhiya utar rahi thi to usne Pawan ko apne peeche aate dekha, Uska dil badi joron se dhadak raha tha. Wo baar baar Pawan ko mud mud kar dekh rahi thi aur seedhiyan utar rahi thi ki achanak uska balance bigad gaya aur wo ladkhada kar neeche gir padi. Ye to shukar hai ki seedhiyan khatam ho gayi thi aur wo dusri ya teesri seedha se hi giri thi. Girne ki der thi ki Riya ka dard ke maare rona shuru.

Pawan daudhta hua uske paas aaya aur poocha ki “Riya kya hua kaise gir gayi”. Riya ab kya bole ki tumhare wajah se giri. Usne kaha ki kuch nahin paan fisal gaya tha. Iske baad Riya ne uthne ki koshish ki lekin usse utha nahin gaya. Uske pair meein moch aa gayi thi. Pawan use sahara dekar park mein le gaya aur uska pair dekhne laga.

Riya ko bahut sharam aa rahi thi lekin dard ke maare uski jaan nikli jaa rahi thi isliye wo kuch nahin boli. Pawan ne uske najuk najuk gore pair apne ghutne par rakhe aur ek halka sa jhatka diya to kadak ki awaaz ke saath paanv ki nas chatak gayi. Ek pal ko to Riya ki aankhon ke saamne andhera cha gaya lekin agle hi pal use bahut aaram mehsus huya. Halanki dard ab bhi tha lekin utna nahin jitna pehle tha. Usne Pawan ko thanks bola lekin Pawan ne kahan “Anything for you Riya”. Riya ye sunkar sharma gayi.

Dono wahin baith gaye aur aapas mein ek dusre ko batane lage. Idhar Recess kab ki khatam ho gayi thi lekin Pawan aur Riya dono hi class mein nahin aaye the. Ravi ko chinta ho gayi ki Pawan ne to aaj tak class bunk nahin kari aaj kahan chala gaya. Kahin Riya ke peeche peeche to nahin gaya. Lekin Riya to use ghaas bhi nahin dalti. Kahin Riya ne use pitwa to nahin diya. Kahin dono kisi musibat mein to nahin phas gaye. Aise bahut se khyaal Ravi ke dimmag mein achanak aane lage.

Use dono ki chinta satane lagi khaskar Pawan ki lekin aise wo class chodkar bhi nahin ja sakta tha. Bas class mein baithe baithe usne bhagwan se prathna karni shuru kar di ki wo un dono ki raksha kare. Ravi ne socha agla period Game period hai to us time wo jaakar pata karega ki ye dono kahan reh gaye.

Idhar Pawan ne apne baare mein saari baatein Riya ko bata di. Kaise wo aur Ravi dost bane, uske parents nahin hai aur wo apne mama mami ke ssath rehta hai. Apni hobbies, rehan sehan, khane peene ki aadtein sab baatein usne Riya ke saamne khol kar rakh di. Riya uski baatein sunkar bahut impress ho gayi kyunki Pawan ki har baat mein sachhai jhalakti thi. Riya ne bhi apne baare mein bataya ki wo aur uski behan bas do jane hain wo. Papa doctor hai aur paas mein hi unka clinic hai. Mummy housewife hain aur behan filhaal 11th mein doosre school mein padhti hai.

Isi tarah dono baith kar hansi-majak karte rahe aur pata nahin kya kya baatein karte rahe. Idhar Game period bhi shuru ho gaya to Ravi class se bahar nikla aur charon taraf dhundhte dhundhte park mein pahunch gaya. Wahan dono ko ek saath baitha dekhkar chaunk gaya aur seedha unki taraf badh gaya

To be continued....
 
Last edited:

Guffy

Well-Known Member
2,065
2,174
159
Jeee baat maza aa gaya bhai padh ke ab riya aur pawan ka pyar parwan chadega
Ab aayega maza
 
  • Like
Reactions: Ravi

aka3829

Prime
3,369
12,319
159
lo ji ho gayi entry riya ki me to pehle he keh raha tha ki ladka haat se nakal raha he ravi bhai. Lekin apne dost ki sunenge hume kaun puchta he. Ab dekho class bhi bunk karne lag gya ye pawan. Iske bapu ka no to dena koi isake mama ko bata du. Bhai aise hi jabardast tarike se likhate jao taki hum usame itna kho jaye ki pata jinna chale ki iss duniya me chal kya raha he aapki story ke alawa.
Waiting 4 next update
 
  • Like
Reactions: Ravi

Assassin

Staff member
Moderator
4,493
3,988
159
:reading:
 
  • Like
Reactions: Ravi

Ravi

Jahan Chaah Wahan Raah
705
441
64
Update 13

Lekin Jaane Ravi ke man mein kya khyaal aaya aur wo wapas mudkar class mein aa gaya. Wahan jaakar wo dono ke baare mein sochne laga ki aise kaise ho gaya. Ye to aag aur pani ke ek ho jaane jaisa hai. Lekin kismat ka likha kaun badal sakta hai. Thodi der baad Pawan aur Riya bhi game period khatam hote hote class mein aa gaye 5-10 min ke gap se aur Ravi ne Pawan se poocha ki kahan chala gaya tha yaar main bahut pareshan ho gaya tha.

To Pawan ne jhoot bol diya ki wo school se bahar chala gaya tha kisi kaam se. Ravi ne poocha kaam ke baare mein to wo chup pad gaya. Ravi ko to jaisa jhatka laga ki aaj Pawan ne ek ladki ke liye usse jhoot bola. Ravi ko bahut gussa aaya ki jis dost ke liye wo jaan tak de sakta tha wo aaj itna badal gaya hai ki ek ladki ke liye usne usse jhoot tak bol diya. Kahan to pehle Pawan koi bhi kaam karne se pehle das baar Ravi se poochta tha to ab kya Ravi ki ahmiyat nahin rahi Pawan ke jeewan mein. Ravi ka to jaise dil hi toot gaya.

Idhar Ravi kashmakash mein the to udhar Pawan aur Riya ko apne saath bitaye pal yaad aa rahe the. Dono ke hothon par gujare gaye har lamhe ko yaad karte karte muskurahat khil rahi thi jise Ravi ne dekha aur ye andaaza lagaya ki Pawan jhoot bolkar khus ho raha hai ki usne Ravi ko bewkuf bana liya. Ravi ko kuch bhi pata nahin chala. Lekin Pawan nahin jaanta ki Ravi ko sab pata hai ki dono kahan aur kya kar rahe the. Ravi ne socha ki is baare mein Pawan se ghar jaate samay baat karega.

Teeno ka man padhai mein nahin lag raha tha. Pawan aur Riya apne saath ke palon ko yaad kar rahe the to Ravi ko baar baar Pawan ka jhoot bolna tadpa raha tha. Ravi ko sabse jyada pareshaan ye baat kar rahi thi ki Pawan agar Riya ke saath bhi tha to use Ravi se jhoot bolne ki kya jaroorat thi. Agar wo sach bol deta to kya Ravi use mana kar deta. Lekin phir bhi usne Ravi se jhoot bola. Kehte hain jab achanak koi takleef ya musibat aapke saamne khadi ho to kuch samay ke liye dimaag kaam karna band kar deta hai.

Kuch hi samay baad school ka time khatam ho gaya aur sab apne apne ghar ki taraf chal diye. Riya ne bhi apna bag uthaya aur seedhiyan utarna lagi lekin is baar Pawan uske peeche nahin gaya. Shayad ek karan ye tha ki Ravi uske saath tha aur dusra karan ye tha ki aag ab dono taraf barabar lag chuki thi. Khair jo bhi ho Riya ke jaane ke baad Ravi aur Pawan ne bhi apne apne bag uthaye aur ghar ki taraf chal diye.

Raaste mein main Pawan se sab poochunga ki tu aur Riya park mein kya kar rahe the. Tum dono mein dosti kaise huyi aur sabse badi baat tune mujhse jhoot kyun bola. Ye sab sochte sochte Ravi Pawan ke saath paidal ghar ki taraf chal diya. Jab school se kuch door aa gaye to Ravi ruk gaya aur Pawan se poocha…
Ravi ne Pawan se poocha "yaar tu Recess mein gaya tha aur badi der baad aaya. Kahan reh gaya tha". Pawan ye sunkar chaunk gaya aur usse kuch bola nahin gaya. Ravi ne dubara poocha to Pawan ne kaha ki "Yaar tujhe bataya to tha ki kisi kaam se gaya tha". Ravi ko ye sunkar bahut gussa aaya aur bola "Ab tu mujhse jhoot bhi bolne lag gaya. Tu Park mein Riya ke saath nahin baitha tha". Pawan ye sunkar pehle to chaunka ki Ravi ko kaise pata chala aur fir chup ho gaya kyunki uski chori pakdi gayi thi.

Ravi ne usse kaha ki "Dekh Pawan agar tu mujhse keh deta to kya main tujhe mana kar deta yaa tum dono ke beech mein koi rukawat banta. Mujhe kya dikkat hone lagi ki tu aur Riya ek doosre se dosti kare balki ye to achhi baat hai".

"Dekh yaar Pati-Patni aur Dosti ke rishte mein kewal ek samanta hoti hai aur wo ye hai ki dono hi ek kachhe dhage "VISHWAAS" par tike hote hain. Ab agar wo dhaaga hi toot jaye to rishta toot jaata haiaur ye baat tu bhi achhi tarah jaanta hai. Aur ye dono hi rishte ek baar toot jayen to unhe wapas jodna itna asaan nahin hota. Pati-Patni ke rishte sudharne ke liye to fir bhi court ek saal deta hai lekin dosti ka rishta ek baar toot jaata hai to koi bhi use jod nahin sakta. Dosti sirf saath hasne-bolne, khaane-peene, ghumne-firne ka hi naam nahin hai balki ye to do dilo ke beech ka ehsaas hai. Isme agar ek to takleef hoti hai to dusre ki aankhon se apne aap aansu nikalne lagte hain. Kisi ek ko khushi milti hai to dusra use celebrate karta hai. Kisi ek ko gham milta hai to dusra use jhelne ke liye pehle se hi raaste par tayyar milta hai".

"Lekin tu ye sab kahan se samjhega kyunki tune aaj mera dil dukhaya hai. Tune mujhse jhoot bola aur ye bhi nahin socha ki agar mujhe pata lag gaya to mujh par kya beetegi. Lekin nahin tu to us ladki ke pyaar mein padkar apne dost ko bhool hi gaya. Ab wo hi tere liye sab kuch hai aur meri jagah to tune apne dil se nikal kar fenk di. Kyun sahi kaha na maine".

Aur ye sab kehte kehte Ravi ki aankhon se jhar jhar aansu behne lage. Iske baad na jaane kitni der tak wo yun hi rote raha aur Pawan ki taraf dekhta raha. Uski aankhon ke saath saath aaj uska dil bhi ro raha tha. Aaj se pehle bhi wo kai baar roya (Kabhi parents ki maar ki wajah se, kabhi akelepan ke dar se, kabhi kisi aur wajah se) lekin jab ek dil toote to kaisa lagta hai use aaj pata chal raha tha.

Pawan ye sab sunkar shocked ho gaya ki kya bole. Uske ek jhoot bolne se baat itni badh jayegi usne socha bhi nahin tha. Use ye to bilkul bhi andaaza nahin tha ki Ravi itna over-react karega is jara si baat pe. Lekin jab do dil milte hain chahe wo premi-premika ho, pati-patni ho, bhai-behen ho yaa do dost ho itne ek doosre ke saath jud jaate hain ki choti se choti baaton ko bhi wo dil se laga lete hain. Wohi haal is samay Ravi ka tha. Pawan ko kuch samajh nahin aa raha tha ki wo kya bole. Lekin Ravi ko aise rote bhi nahin dekh sakta tha.

Ravi ko rote huye dekhkar Pawan ki aankhon mein bhi aansu aa gaye aur usne bhi rona shuru kar diya, Ye waqt hi aisa hota hai ki jab ek dil ro raha ho to dusra dil jo usse juda hota hai apne aap hi rona shuru kar deta hai chahe hum use rokne ki kitni bhi koshish kyun na kar le. Ab dil ko kaun samjhaye is baare mein kyunki uspar kisi taakat ka jor nahin chalta.

Pawan se kuch bola nahin jaa raha tha fir bhi usne himmat karke kaha "Yaar mujhe maaf kar de. Mera ye irada nahin tha:. Ravi bola "To aur kya irada tha mujhe bewkoof banane ka". Pawan ne kaha "Yaar tu galat samajh raha hai maine to isliye jhoot bola tha kyunki tujhe in sab baaton mein koi interest nahin hai. Agar mujhe pata hota ki tu is jara si baat ko dil se laga lega to main bhala tujhse jhoot kyun bolta. Please yaar mujhe maaf kar de. Tu kya samajhta hai ki Riya ke liye main apne sabse pyaare dost ko kho dunga to tu galat samajh raha hai mere bhai. Are tere liye to Riya jaisi hajaron ladkiyan kurbaa. Tu bole to aaj ke baad main usse baat to kya uski shakal tak nahin dekhunga. Mere liye tujhse badhkar koi nahin hai kyunki maa-baap ke marne ke baad mujhe tere siwa kisi se pyaar nahin mila hai". Aur ye kehte kehte Pawan ne bhi joron se rona shuru kar diya.

Ab Pawan ne jab itna sab kaha to Ravi kuch shaant ho gaya aur Pawan ko gale se laga liya. Ravi ne kaha "Yaar tu to jaanta hai ki mera bhi tere siwa koi dost nahin hai aur tune jab mujhse jhoot bola to mujhse bardhast nahin huya aur maine na jaane tujhe kya kya keh diya. Please mujhe maaf kar de yaar".

"Are kaisi baat kar rahe ho bhai tu hi to mera sab kuch hai. Khair chod ye sab aur ye bata tujhe pata kaise chala ki main aur Riya park mein hain". Ravi ye sunkar muskuraya aur kaha ki "Jab tu Recess khatam hone par bhi nahin aaya to mujhe teri chinta satane lagi aur main pata nahin kya kya galat sochne lag gaya. Tabhi mujhe Game Period ka khyaal aaya aur main tujhe dhundhte dhundhte park mein chala gaya. Wahan tujhe Riya ke saath baitha dekhkar maine tujhe disturb karna theek nahin samjha aur wapas class mein jaakar baith gaya. Uske thodi der baad tum dono bhi aa gaye the.

Pawan ne kaha "To saale tu dusron ki love story chup chup ke dekhta hai, tujhe sharam nahin aati". "Are yaar aati hai tabhi to bina tumhe disturb kiye chupchap wapas chala gaya. Riya bhabhi bahut achhi hai aur ab jab tera usse nata jud gaya hai to use todne ki sochna bhi mat. Riya ek bahut achhi ladki hai aur main khus hoon ki tum dono ek doosre ko chahte ho. Itna kehkar Ravi ne Pawan ko apne gale se laga liya aur dono doston ne apne sabhi gile-shikwe door kar liye.
Pawan aur Ravi apne sab man-mutav, gile-shikwa mita kar apne apne ghar wapas aa gaye. Wapas aaye apna routine ka homework kiya, khana khaya aur chale gaye apne apne kamre mein bistar par. Dono ko hi aaj TV nahin dekhna tha pata nahin kyun dono ke dil mein ek anjaani khushi thi.

Ravi bistar par leta leta apne kiye huye bartav ke baare mein soch kar apne aap par sharminda tha to use hansi bhi bahut aa rahi thi wo kyun itna possesive ho gaya Pawan ko lekar.Itna to koi apni Girlfriend ko lekar bhi nahin hota. Shayad dono ki jaan ek doosre meib basti hai isliye aisa ho gaya. Lekin kal ko agar Pawan usse door chala gaya to, ye sochkar hi Ravi ki rooh kaanp gayi. Nahin aisa nahin ho sakta. Pawan mujhe chodkar kahin nahin jayega. Unse to khud mujhse kaha tha ki mere liye to Riya jaisi hajaron ladkiyan kurbaan. Lekin waqt sab kuch badal deta hai. Nahin Pawan aisa nahin kar sakta aur isi udedbun mein Ravi karwaten leta raha.

Idhar Riya ka bhi bura haal tha. Uske saath aaj tak kabhi aisa nahin hua tha. Ladko se baat karna to door unke saamne jaane ki bhi himmat Riya mein nahin hoti thi. Ladke aur ladki mein dosti ho sakti hai ye to wo shayad jaanti hi nahin thi. Wo to bas itna jaanti thi ki ladke apna matlab nikalne ke liye ladkiyan fasate hain aur baad mein unhen dhokha dekar dusri ladki ko patane lag jaate hain. Lekin Pawan aisa bilkul bhi nahin hai. Uski aankhon mein uske liye kitni careness thi. Wo uski kitni chinta karta hai. Saara time bas mere paas baitha raha aur mere dard ko mehsus karta raha. Kya koi kisi se itna pyaar bhi kar sakta hai. Pawan ne mujhe aaj itni khushi di hai ki main bayan nahin kar sakti. Mujhe to yeh lag raha hai ki main hawa mein ud rahi hoon. Aur ye sochte sochte use kab neend aa gayi pata hi nahin chala.

Yahan apne Pawan ka bhi haal bahut achha nahin tha. Use bhi reh reh kar kabhi Riya ki yaad satati to kabhi Ravi aur uske beech ki baatein. Ravi ne use aaj ek achha sabak sikhaya tha ki bhale hi hamari dosti kitni bhi pukhta kyun na ho lekin rishte mein aayi ek kadwahat saara rishta hi khatam kar deti hai. Use apne aap par sharam aa rahi thi ki usne Ravi se jhoot kyun bola. Khiar Ravi ka dil bahut achha hai jo usne use maaf kar diya.

Pawan ke dimaag se jaise hi Ravi ka khyaal gaya to dil mein Riya ki yaadein satane lagi. Riya ke saath bitaya ek ek pal use kisi sapne se kam nahin lag raha tha. Jahan aaj tak Riya ne kabhi use sir utahkar theek se dekha bhi nahin tha aaj wohi Riya uska haath thame park mein uske saath baithi thi. Ek din mein achanak kya se kya ho gaya. Dono kitne najdeek aa gaye. Kal tak jo manjil unhen door lag rahi thi aaj wo use bilkul apne kareeb mehsus ho rahi thi. Shayad ye pyaar hi tha jo hamein apne aap ko bhula deta hai, yaad rehta hai to bas uska saath, uske saath bitaye ek ek pal ki yaadein.

Pawan ko kal ka intezar tha ki kab subah ho, kab wo school jaye aur kab wo Riya se apni pehli DATE ke liye pooche

To be continued....
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Guffy

Guffy

Well-Known Member
2,065
2,174
159
Maza aa gaya padh ke jabarjast story line hai
 
  • Like
Reactions: Ravi

aka3829

Prime
3,369
12,319
159
Wah bhai dil loot liya is update ne to. Ravi ne sahi kaha ko dosti vishwas par tiki hoti he. Me to kehta hu ki id duniya me har rista chahe vo koi bhi ho sab me Vishwas hi hota he jo riste ko banaye rakhta he aur dusra hota he PYAR. Vishwas aur pyar dono hi ek dusare ke purak he. Dono sath he tabhi tests kamyab hota he warna nahi. Waise jis hisab se story aage bad rahi he ab mujhase wait nahi ho raha he. Ye mega update bHi chote lag rake he.
Waiting 4 next mega update
 
  • Like
Reactions: Ravi

Hacker

Active Member
575
400
78
Nice
 
  • Like
Reactions: Ravi
Top