If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Jaise hi teeno park mein pahunche aur Pawan ne Ravi se kaha “Ravi ye Diya hai, Riya ki behan”
“Tum” Ravi use dekhte hi ekdum chilla utha.
Pawan bhi chaunk gaya aur poocha “Ravi tum ise jaante ho”
“Pawan ye wohi ladki hai jiski wajah se mujhe itni ijjat mili. Thodi si kasar reh gayi ki mujhe police station bhi dekhne ko mil jaata. Maine ab tak nahin dekha hai. Par ye bhi kya Karen bag mein saaman jo poora nikal gaya. Main bahut sharminda hoon ki inki hasrat adhuri reh gayi”
Diya khamosh khadi sab sun rahi thi. Aakhir kehti bhi kya galti to uski thi hi. Sharmindgi aur antarman ki dhikkar se wo bas itna hi bol payi “I am sorry”
Ravi ka to hanste huye bura haal tha. Lekin apne expressions se wo jaahir nahin hone de raha tha.
Bas Ravi taunt pe taunt kase jaa raha tha. Diya kab tak bardhast karti ek dum se ro padi. Ab apna Ravi kisi ko rote huye to dekh nahin sakta to usko chup karate huya bola “I am sorry. Main kuch jyada hi bol gaya. Main sab bhool chuka hoon aur tum bhi sab bhool jao. Chaar din ki jindagi hai, bas hanste muskurate beetani chahiye. Is tarah nafrat aur gusse se kya haasil hoga”
Diya ka rona ek dum se band ho gaya aur Ravi uske dil par apni chaap chod gaya. Jo ladki kabhi ladkon se seedhe muh baat karna pasand nahin karti thi aaj use ek ladke ki saari baatein bahut pyaari lag rahi thi. Bas muskura di aur thodi der mein hi mahaul khusnuma ho gaya. Sab milkar canteen ki taraf chal diye.
Canteen mein charon baith kar coldrinks and snacks le rahe the ki Sanju wahan aa pahuncha. Uske haath mein ek pamphlet tha. Sabne uske baare mein poocha to usne khush hokar bataya ki hamara college cricket tournament ka ayojan kar raha hai jahan doosre colleges se cricket teams match khelne ke liye aayengi. Principal ne entry forms nikal diye hain. Jo student icchuk hai wo apply kar sakta hai. Hum logon ko bhi participate karna chahiye. Kyun kya kehte ho doston.
Ravi aur Pawan to bahut khus ho gaye ye sunkar kyunki dono ko hi cricket bahut pasand tha lekin wo soch rahe the ki Jay ko kaise manayenge. Khair unhen pata tha ki Jay ko wo mana hi lenge kaise bhi karke aur unhone apne saath saath Jay ka naam bhi usko daalne ke liye keh diya. Sanju ne Riya aur Diya ki taraf dekhte huye kaha ki yaar player poore to abhi nahin huye lekin hamein apni cheerleaders mil gayi hain. Ye hamara haunsla badhane aur virodhi team ke player ka concentration down karne ka kaam bakhubhi nibha sakti hain.
Riya ne gusse se pehle Sanju ki taraf dekha aur phir Pawan ki taraf dekha ki usne ab tak Sanju ko kuch kaha kyun nahin lekin itne mein Sanju bol pada “Yaar main to majak kar raha tha. Kyun naraaz hoti ho” Lekin itne mein Diya bol padi ki hum cheerleaders banne ke liye tayyar hain. Sab uski baat sunkar chaunk gaye lekin sabse jyada achambha Riya ho huya tha. Lekin ye koi nahin jaanta tha ki Diya ne ye sab sirf Ravi ke liye kiya tha kyunki wo bhi participate kar raha tha.
Iske baad sab class mein dubara pahunch gaye aur khali samay dekh kar unhone Jay ko gher liya. Jay ko lag raha tha ki daal mein jaroor kuch kala hai lekin fir bhi usne poocha ki sab kyun aaye hain. Ravi ne saari baat use bata di to Jay ne kaha “Ravi yaar tum to jaante hi ho sab. Phir kyun aisa keh rahe ho.”
“Are yahi to sabse achha tarika hai usse peecha chudane ka. Aakhir kab tak usse bhagte rahoge. Uska saamna karo aur one shot mein use khatam karo.”
Aise hi kaafi der sabke manane ke baad aur insist karne ke baad aakhir doston ke liye Jay tayyar ho gaya. Lekin usne ye bhi kaha ki use cricket khele kaafi samay ho gaya hai to sabne kaha ki tournament agle hafte se shuru ho raha hai aur unke paas practice karne ke liye poora ek hafta hai. Bas sab tayyari mein lag gaye aur sabka naam select bhi ho gaya (Ismein Sanju ke bhai Mukesh ka bada yogdaan tha ). Sabne khoob joron shoron se practice shuru kar di aur aakhir wo din aa hi gaya jiska sabko besabri se intezar tha. Pehla hi match unka us team se tha jo kai championship jeet chuki thi.
Match wale din ground bhara huya tha aur saare players ground mein toss ke liye aaye huye the. Wahan Jay kisi ko dekhkar chaunk gaya.
Usne apne man mein socha “Are ye Raj yahan kahan se aa gaya aur wo bhi cricket team ke saath. School mein to uska cricket se koi waasta nahin tha”. Cricket ke naam se to ye door bhagta tha ya shayad ise aata bhi hoga to ye kabhi school cricket team mein to nahin khela to aaj achanak ek college level ki cricket team mein kaise aa gaya. Kuch to gadbad jaroor hai.
Lekin toss ho chuka tha aur Jay ki team ki fielding aayi thi. Virodhi team ke saare members chale gaye the tayyari karne ke liye ki kaun sa batsman pehle aayega aur uske baad kaun sa. Idhar Jay aur uski team ne bhi apni strategy par kaam karna shuru kar diya.
Dheere dheere batsman aate gaye aur run banate gaye. Beech mein halka fulka cheerleading bhi chalta raha Riya aur Diya ki taraf se. Raj aaya to usne taabadtod batting shuru kar di. Raj ka dhyaan baar baar unki taraf jaa raha tha aur wo hi kya kisi ka bhi concentration bigad jayega aisi sunder kanyayon ka nritya dekhkar aur wo bhi umar ke aise padav par jahan accha bura sochne ki samajh dheere dheere vikshit hoti hai aadmi mein.
Lekin Raj ko bhi jaldi out kar diya Jay ne aur ye shayad uski concentration tootne se huya tha isliye wo Jay ko jaate jaate aise dekh raha tha ki jaise usne ye cheerleading jaanbhoojkar rakhi hai taaki unke players mentally disturb ho jaye aur jaldi out ho jaye. Gusse mein to wo aise dekh raha tha ki jaise Jay ko kachha kha jayega aur Jay use dekh muskura raha tha jaise keh raha ho ki tu kal bhi mujhse hara tha aur aaj bhi haar gaya hai.
Poori team ne 20 overs mein 140 runs banaye aur all out ho gayi. Iske baad Jay ki team ki baari aayi to dono openers kewal 20 runs ke andar out ho gaye. Lekin iske baad Ravi aur Sanju ne milkar paari ko sambhala aur score ko 70 tak pahunchaya lekin iske baad aapsi galatfahmi ke kaaran pehle Ravi run-out ho gaya aur fir thodi der baad Sanju bhi out ho gaya.
Jay ki team ke liye bada sankat ka samay aa gaya tha. Lag raha tha ki jaise team match haar jayegi. Is beech Raj jo boundary line par khada tha Diya ke saath chedkani karne laga. Pehle to Riya aur Diya ne usko neglect kiya lekin jab wo jyada badtamizi par utar aaya to Riya ne ek kas kar thappad use jad diya. Uska to paara saatwe aasman par chad gaya. Usne soch liya ki in dono ladkiyon ko to wo sabak sikha kar hi rahega.
Lekin is baat ko jyada tool nahin mila kyunki Raj ki team ke captain ne uski fielding position badal di. Iske baad saara daromdar Jay aur Pawan par aa gaya kyunki uske baad bowlers hi bach gaye the jinse ummeed karna bekar tha. Dono ne sambhal kar khelna shuru kiya aur aakhirkhar match ki last ball par jeet gaye.
Match jeetne ke baad sab players ek doosre se haath milane lage. Jab Jay aur Raj ka aamna saamna huya to Jay ne us par kataksh kiya ki dekha aaj bhi haar gaya na mujhse. Uski baat sunkar Raj muskura diya aur bolne laga “Tujhe kya pata ki kaun haara hai aur kaun jeeta. Bhale hi tu match jeet gaya hai lekin asal jindagi mein tu mujhse haar gaya hai.”
Jay ki hansi to rukne ka naam hi nahin le rahi thi. Usne kaha “haar tere sar chadke bol rahi hai. Haar ke gham mein tu paagal ho gaya hai. Pata nahin kya bakwaas kar raha hai”
“Achha to main bakwaas kar raha hun to ye dekh” Itna kehte hi Raj ne apni jeb se kuch nikaal kar Jay ko dikhaya jise dekhkar Jay ke hosh hi ud gaye”
Noice update collage ki cricket tournament me jay ki raj se mulakat huyi aur usne kuch dikhaya jis se Jay ke hosh udd gaye dekhte hai aage kya hota hai
Jay Sonali aur Raj ki shaadi ki photo dekhkar chaunk gaya aur uski halat dekh kar Raj aise muskura raha tha kaise usne koi khajana pa liya hai. Shayad sahib hi tha kyunki Jay ko harana aur Sonali ko pana to uska hamesha se hi khwaab tha jo poora bhi ho chuka tha ek tarah se. Lekin Jay ke dil par jaise kisi ne churi chala di ho aisi uski halat ho gayi thi. Wo sochne laga ki Sameer tak to baat theek thi lekin Sonali Raj se shaadi karne ke liye tayyar kaise ho gayi. Aur apna sar pakadkar wahin jameen par baith gaya aur Raj uske upar hansta huya wahan se chala gaya.
Itne mein baaki dost bhi sabhi se haath milakar wahan aaye aur unhone Jay ko sar pakadkar baithe huye dekha. Sab uski taraf daud kar aaye aur use room mein le gaye. Wahan unhone use paani pilaya aur tabiyat poochi. Jay ne Raj ki saari baatein Ravi aur Pawan ke saamne rakhi jise sunkar dono ke chehre par ascharya aur gusse ka mila jula roop dekhne ko mila. Sanju, Diya, Riya aadi ke poochne par Pawan ne saari kahani short mein sabko suna di jise sunkar sabko Jay se ek hamdardi si ho gayi.
Agle din doston ki mandli ne Raj ke ghar jaakar sachhai jaanne ki sochi aur ismein school ke tournament ka schedule sabse bada fayde wala sidh huya kyunki agle din Raj ki team ka kisi aur team se match tha aur Jay wali team ka us din koi match nahin tha. Classes se tournament ke liye waise hi chutti mili huyi thi to sabne decide kiya agle din jaakar sachhai pata karenge. Halanki Jay ka man nahin tha jaane ka lekin use bhi jabardasti saath le liya gaya. Iska ek mukhya kaaran ye bhi tha ki Jay hi to Sonali ko pehchaanta tha.
Agle din subah subah sab tayyar hokar ek jagah ikattha ho gaye aur chal diye Raj ke ghar. Raj ka ghar kaafi bada tha jaise kisi bhi rais aadmi ka hota hai. Lekin kehte hain na “Unchi dukaan Pheeke Pakwaan” wali kahawat uske ghar par poori charitarth hoti thi. Matlab bahar aur andar se to ghar dekhne mein sundar tha lekin us ghar-pariwaar ke logon ke man mein kitna mail tha ye shayad hi koi jaanta hoga.
Raj ka baap Sinha ek ayyash kisam ka aadmi tha. Duniya ki najron mein dharma karam karne wala asal mein har aapradhik parivitri mein shaamil tha. Jurm ki duniya ka koi bhi kaam usse achoota nahin tha. Us Duniya mein sab use Munna ke naam se jaante the. Lekin uske bete Raj ko uski is sachhai ka pata nahin tha par ghar par khula mahaul, parvarish mein kami aur galat sangat uske bigadne ke pramukh kaaran the. Halanki uske kai shaagird the lekin uske pramukh karyakarta kuch school, college ke chatra the jo masoom hone ke kaaran hamesha doosron ke shaq ke dayre se bach nikalte the lekin saare ke saare ek se badhkar ek khatarnak, shaatir aur khoonkhar.
Bas fir kya tha sab pahunch gaye Sonali ke ghar. Pehle diya aur Riya andar gayi aur chaukidaar ko andar kehlawakar bhej diya ki uske school ke kuch dost usse milne aaye hain. Pehle to andar se mana kar diya gaya lekin jab Sinha sahib ne ladkiyon par najar dali to unki aankhon mein ek chamak si dikhi. Lekin shayad ladkon ka saath mein aana Sinha ko achha nahin laga. Lekin jab usne sabko andar jaane ke keh hi diya to kya kar sakta tha. Sab Sonali se milne andar uske kamre mein chale gaye jahan use dekhkar apna Jay buri tarah shocked ho gaya.
Sonali ka khubsoorat jism ek bejaan laash jaisa use lag raha tha. Kal tak jahan uske chehre par muskurahat dikhayi deti thi wahin aaj Jay ko wahan dukh aur bebasi ke siway kuch najar nahin aa raha tha. Itni kam umar mein hi uski aankhon ke neeche gehre kale dhabbe ubhar aaye the, poora shareer itna kamjor ho gaya tha ki aap usmein se uski haddiyan tak gin sakte ho. Kal tak jo Sonali chahakti rehti thi aaj wohi ek gumnaam si jindagi jee rahi thi. Halanki iske liye kaafi had tak wo khud jimmevaar thi lekin Jay aaj bhi use behad pyaar karta tha aur use aisi halat mein nahin dekh sakta tha.
Sonali ne sab logon ko dekha to poocha ki “aap sab kaun hain. Maaf kijiyega maine aapko pehchaana nahin” Aisa usne isliye kaha kyunki Jay sab doston ke peeche khada tha aur Sonali ne use abhi tak dekha nahin tha. Jay aage aaya aur usse Sonali ka aamna-saamna huya. Laga jaise waqt tham gaya ho. Dono ek dusre ki najron mein dekh rahe the. Jay uski halat dekh kar khoon ke aansu ro raha tha. Jis ladki se wo itna pyaar karta tha, jiske liye wo apni jaan ki baazi tak laga sakta tha aaj wohi ladki uske saamne hai aur wo use chu bhi nahin sakta kyunki ab wo kisi aur ki amanat ban gayi hai.
Sonali se Jay ki aankhon ka saamna nahin kiya gaya kyunki uski ankhon mein sachhai aur Sonali ko apne kiye par pachtava. Bas wo itna hi bol payi “Tum yahan kyun aaye ho”
Jay ko to vishwaas hi nahin huya ye sab sunkar. Lekin phir usne socha ki jab Sonali ne usse saare rishte tod liye the to wo kyun iski jaati jindagi mein dakhalandazi kar raha hai. Lekin ye to wo jaroor pooch kar rahega ki usne Raj, jise wo Jay se bhi jyada nafrat karti thi, se shaadi kyun ki. Usne ek baar sab doston ki taraf dekha to sab samajh gaye aur dheere dheere karke us kamre se bahar nikal gaye aur bahar hall mein pade sofe par baith kar magazines padhne lage ya samay kaatne lage jab tak Jay Sonali se baat na kar le.
Noice update laga hi tha ki aisa kuch hai khair raj ne jay ko ek aur dard de diya aur jab bakki dosto ko iska pata chala toh unhone raj ke ghar jaake sonali se milne ka faisla kiya aur yeh raj ka baap sala Riya aur diya pe najar daal raha iska jald hi kuch karna padega yahan sonali ki halat bhi bahut buri hai dekhte hai yeh halat kabhi sudharti hai ya nahi aur sudharti bhi hai toh kaise
Sabke jaane ke baad Jay Sonali ke paas aaya to usne apne dil mein umad rahe sawal ko poocha to Sonali ne ek baar uski aankhon mein dekha aur ro padi. Aur kehne lagi “Jay mujhe maaf kar do. Maine tumhe dhokha diya tha. Shayad bhagwaan ne isi ki saja mujhe di hai. Meri kismat mein tumhara pyaar nahin yahan ghut ghut kar jeena likha tha. Lekin maine jo tumhare saath kiya uske liye ye saja bhi kuch nahin hai. Pls tum chale jao yahan se aur laut kar kabhi mat aana”
Jay ye sunkar hairan tha aur baar baar poochne par Sonali ne use Sameer se lagav aur Jay se berukhi ka kaaran bhi bata diya. Pehle to Jay ko bahut gussa aaya ki daulat, shaurahat ke liye insaan kya itna gir jaata hai ki pyaar aur dosti uske liye kuch mayne nahin rakhte lekin phir usne Sonali ki halat par gaur kiya aur dekha ki use apne kiye ki saja mil chuki hai aur kaafi had tak usne prayschit bhi kar liya hai. Jay ne aage poocha ki jab sab theek tha to usne Raj se shaadi kyun ki jabki wo to usse sabse jyada nafrat karti thi. Jab Sonali ne bataya ki iski wajah bhi tum ho to Jay ho gaya.
“Kya bakwaas kar rahi ho. Main kaise wajah ban gaya. Jo ho raha hai tumhare saath sahi ho raha hai. Tum isi layak ho. Jab dekha ki Sameer ke paas jyada paise hain to mujhje chodkar uske paas chali gayi aur jab pata chala ki Raj Sameer se jyada ameer hai to Sameer ko bhi chodkar Raj se shaadi kar li hogi. Mujhe nahin pata tha ki jis ladki se maine kabhi itna pyaar kiya tha wo paison ki itni lalchi niklegi. Mujhe to apne upar ghin aa rahi hai ki maine kabhi tum jaisi ladki se pyaar bhi kiya tha”
Sonali ro padi ye sab sunkar. Rote huye usne kaha “Nahin Jay ye sach nahin hai. Please meri baat ek baar sun lo. Phir jee bhar ke mujhe galiyan de lena.” Iske baad Jay thoda shaant huya lekin uska man abhi bhi kasmakash mein tha. Dil abhi bhi use galat nahin maan raha tha lekin dimaag ka kya kare jo cheekh cheekh kar keh raha tha ki Sonali dhokebaaz hai. Sonali ne Jay ke aane, use dekhe jaane, aur phir Sameer ke rishte tode jaane ki saari baat Jay ko bata di. Jay ko to jaise ek jhatka sa laga aur use is samay apni bevkoofi par gussa aa raha tha ki uski ek naadani ki wajah se hi Sonali ki jindagi jo khusiyon se bhar sakti thi ujad gayi thi. Lekin phir usne poocha “To Raj se shaadi kyun ki tumne”
________________________________________________________________________________
“Main karunga Sonali se shaadi” Ye awaaz sunte hi sab chaunk uthe aur peeche ghoom kar dekhne lage.
Peeche Raj khada tha apne baap ke saath. Sonali lagbhag cheekh uthi ki wo Raj ke saath kabhi shaadi nahin karegi lekin uske maa ne ek jordaar thappad uske gaal par maara aur kaha “To kya saare mohalle mein hamari badnaami karayegi. Pehle pata nahin kis Jay naam ke ladke se ishq farma rahi thi. Na jaat ka pata, naa aukat ka pata uski bas humein badnaam karne par tuli thi. Badi mushkil se ek achha rishta haath aaya tha to yahan bhi usne us muye Jay ko bulakar satyanash karwa diya.”
“Maine use nahin bulaya tha. Wo khud aaya tha. Mera ab usse koi nata nahin hai.”
“Are waah khud aaya tha. Tere kamre mein baitha huya tha, tujhse baatein kar raha tha. Hamare darwaza khatkhatane par itni der mein darwaza khola taaki wo asaani se bhag jaaye aur kehti hai wo khud aaya tha. Bas bahut ho gayi teri manmaani. Aaj se wohi hoga jo hum chahenge. Teri shaadi wohi hogi jahan hum tay karenge.”
Sonali roti rahi, bilakhti rahi lekin kisi ko bhi uspar taras nahin aaya. Sonali ne papa Sinha sahib ke ko ek taraf le gaye aur sharam ke mare chup rahe. Sinha ne hi kaha ki aap tension mat lo. Maine sab sun liya hai. Mera ek hi to beta hai. Uski khushi hi to meri khushi hai. Agar aapki ladki mein uske ardhangni banne ka yog hai to hum logon ko is nek kaam mein der nahin karni chahiye.
Iske baad Sonali ke papa ne jhijhakte huye Dahej ke liye poocha to sinha ne saaf mana kar diya. Sonali ke papa bahut khus ho gaye aur dono ne rishte ki saari baat turant tay kar di aur usi din jabardasti Sonali ke saath Raj ke phere kara diye gaye. Jitna Soanli ke papa kar sakte the utna apni haisiyat se unhone Sinha ko diya aur karte bhi kyun na aakhir Sonali unki eklauti beti jo thi.
Koi bhi baap bhale hi wo kitna bhi gareeb hi kyun na ho apni beti khaskar jab wo eklauti ho to ahi koshish karta hai ki use jyada se jyada samaan dekar sasural bheje taaki wahan uski beti ka maan samman bana rahe. Iske chalte kai baar wo apni haisiyat se bhi jyada kharch kar deta hai aur loan ke jhanjhaton mein pad jaata hai. Aisa hi kuch haal Sonali ke papa ke saath huya tha. Halanki unhen loan nahin lena pada lekin jo gaon mein unke hisse ki jameen thi wo unhen bechni padi aune paune damon mein. Ab property ke naam par unke paas sirf do kamron ka ek chota sa ghar tha.
Ghar aate hi Sonali ke liye musibatein shuru ho gayi thi jiska andaaza shayad Soanli ko pehle se hi ho gaya tha aur usne aap ko iske liye mansik roop se tayyar bhi kar liya tha. Poora din Sonali ko tarah tarah ke taane milte rahe, rishtedaar aur khaskar uski nanadein uska aur uske laaye gaye samaan ka majak bana rahe the. Sonali ko andaaza tha pehle se hi is baat ka to usne kuch bhi kehna theek nahin samjha aur in logon ki nasamjhi par mand mand muskurati rahi.
Lekin ye muskurahat raat hote hi aansuon ke sailab mein badal gayi. Jaisa ki har ladki ka armaan hota hai ki uski jindagi ki pehli raat uske liye khusiyooon ki bahaar lekar aaye. Uska pati use khoob pyaar kare, usse meethi meethi baatein kare, uske liye chaand tare todne ki baat kare, uski tareefon ke pul bandhe, use baahon mein lekar duniya jahan ke khatron se bachaye, use kisi bhi tarah se apne mayke ki yaad na aaye iska poora khyaal rakhe wagairah wagairah. Lekin Sonali ke sab sapne, sab ichhayein, sab aarzoo mitti mein mil gayi.
Raat huyi aur Raj andar aaya. Dhadakte dil ke saath Sonali bistar par baithi huyi thi. Paas mein hi glass mein doodh rakha huya tha. Jaise hi Raj andar aaya to ladkhadakar kisi cheez se takra gaya. Isse Sonali ko pata chal gaya ki usne sharab pi rakhi hai. Use apne saare sapne dhool mein milte dikhe lekin apne man mein ek aasha usne yahi jagai ki shayad dost logon se jabardasti pila di hogi aura age se wo Raj ko na peene ke liye mana legi. Aakhir use apne aap par bharosa jo tha lekin use apna ye bharosa kuch hi minutes mein choor hota dikh gaya.
Raj andar aaya aur Sonali ko pakadkar kiss karne ki koshish karne laga. Sonali ekdum ho gayi uski is harkat par. Kahan to usne socha tha ki pyaar bhari baatein karenge lekin ye Raj to hawas ka pujari nikla jo aate hi apni sharirik jaruratein poori karne par tula hai bas. Sonali ne use mana kiya to sharab ke nashe mein Raj ne Sonali ke saath jabardasti ki suhagraat banayi ya yun kahiye ek tarah se balatkar kiya aur iske baad Sonali tabhi se ek jinda laash ban gayi thi. Raat bhar wo roti rahi aur soch rahi thi ki use maut aa jaye lekin use kya pata tha ki maut bhi usse koson door bhagne lagi hai.
Kehne ko to ghar mein naukron ki fauj thi lekin jyadatar kaam use khudko karna padta tha. Saara din kaam karna aur raat mein pati-sewa karna uski dincharya ka pramukh hissa tha. Lekin sab uski ek galti ke kaaran huya to ise apne bhagya ka dosh samajh kar bas jeeye jaa rahi thi. Na kisi se baatein karna, na kahin aana-jaana, bas naukron wala saara kaam karna aur pati ki kaam-pipasa ko shaant karna hi uska jeewan aadhar ban gaya tha. Lekin Raj ne use kabhi bachha nahin hone diya shayad wo nahin chahta tha ki usko kisi bhi tarah ka aaram mile aur aurat ke sabse mahatvapoorna anand, khushi jo use maa banne par milti hai usse mehroom rakha tha usne.
Jay se aage nahin suna gaya aur usne apni aansuon se bheegi palkein upar uthake Sonali ki taraf dekha. Dono hi ek doosre ko pyaar se dekh rahe the. Aaj kitne samay baad Jay ko Sonali ki aankhon mein wohi pyaar dikhayi de raha tha jo us samay dikhta tha jab dono ne saath jeene marne ki kasmein khayi thi. Lekin aaj ismein un dinon ki tarah utawala pan nahin tha balki ek genrai thi, ek thehraav tha, ek vishwaas tha. Dono hi apne aansuon poochte aur phir palkein bheeg jaati. Sonali pachta rahi thi ki usne Jay jaisa pyaar karne wala shaks thukra kar apne jeewan ki sabse badi galti ki thi aur jiski saja wo bhugat rahi hai aur aage bhi bhugatte rahegi.
Tabhi darwaje ko khatkhata gaya to dono ne apne aap ko sambhala, aansu pooche aur darwaza to waise khula hi tha lekin dost logon ne khatkhataya tha. Sonali ne darwaza khola to saamne Sanju khada tha. Usne Jay se kaha ki “Yaar bahut time ho gaya hai. Humein chalna chahiye. Kaafi time ho gaya hai aur kal ke match ki practice bhi to karni hai hamein. Jay ne bhi apni sehmati jatayi aur Sonali ki taraf pyaar se dekhte huye, bheegi palkein liye bahar nikal gaya. Jay ke nikalte hi Sanju bhi wapas jaane ke liye ki tabhi Sonali ki najar Sanju ke haath mein bandhe bracelet par padi aur anayas hi uske muh se nikal gaya ki aisa same bracelet to maine kahin dekha hai. Sanju ke kadam jaate jaate thehar gaye.
Noice update Akhir jay ko bhi pata chal hi gaya ki shadi wale din kya huwa tha joh sonali ko raj se shaadi karni padi aur akhir me yeh kya sonali ne sanjana ki mout jiski wajah se huyi uska bracelet pehchan liya lagta hai ab sanju jald hi apna badla le lega
Sanju ke man mein itne dino se soyi huyi jigyasa jaise jaag gayi aur wo ek asha ke saath Sonali ke paas wapas gaya taaki us kaatil ka kuch pata chal sake. Sanju ne Sonali se us bracelet ke baare mein poocha to Sonali ne bataya ki usne kahin dekha to hai lekin use yaad nahin aa raha hai ki kahan dekha hai. Fir Sonali ne use kaha aisa beracelet to kahin bhi kisi bhi gift shop mein mil jayega usne wahin dekha hoga to Sanju ne bataya ki aisa nahin ho sakta kyunki ye bracelet khas metal ka hai aur aisa bracelet khas taur par order dekar banwaya jaata hai isliye iska kisi bhi shop mein aise hi milna mumkin nahin hai.
Sonali ne poocha ki bracelet dhoondhne ki koi khaas wajah to Sanju ne ghuma fira kar koi kahani suna di to Sonali ne kaha ki wo yaad kar ke bata degi. Sanju ne shak jaahir kiya ki kahin Raj ka to nahin hai kyunki is bracelet mein bhi R akshar hai to Sonali ne iske baare anbhigyata jaahir ki. Sanju ne apna contact no. de diya aur ek baar fir most important work bata kar jaise hi yaad aaye turant batane ke liye kaha.
Saare dost wahan se wida lekar chale gaye lekin Sinha ke dilo-dimaag mein dono ladkiyon ki ek chap chut gayi thi. Dono ki jawani Sinha ke dilo-dimaag ko jhatke de rahi thi. Usne apne aadmiyon mein se ek khas aadmi ko inke baare mein pata karne ko kaha. Usne haami bhar di to Sinha ne wo photo jo usne chupke se apne hidden camera se khinch li thi usko de di. Saath mein aur doston ki bhi thi jise dekhkar wo shaks chaunk gaya.
Idhar sab dost apne apne ghar chale gaye kyunki sab kaafi thak gaye the aur kal ke match ke liye subah jaldi uth kar practice bhi karni thi. Idhar Raj bhi apne ghar pahunch gaya jahan use pata chala ki Sonali ke kuch dost usse milne aaye the. Wo samajh gaya ki Jay wahan aa gaya hoga to wo gusse mein dandanata huya bhagta huya seedhiyan chadne laga taaki aaj Sonali ki acche se khabar le saker. Lekin kehte hain na ki gussa mein liya gaya faisla hamesha nuksaandayak hota hai to gusse mein bhagte huye seedhiyan chadte samay Raj ka pair fisal gaya aur wo upar se ludakta huya neeche fars par sir ke bal gir pada jisse uska sar fat gaya aur wo khoon se latpath hokar behosh ho gaya.
Sonali ne jaise hi dekha to wo bhagte huye neeche aayi aur turant usne apne sasur ko iski khabar de di. Fatafat Raj ko hospital pahuncha gaya jahan use ICU mein rakha gaya. Kismat thi ki khoon easily available tha jisse uski jaan bach gayi lekin sar par gehri chot lagne se wo jaise sadme mein aa gaya tha. Uska mastishka jaise shoonya ho gaya tha. Use thoda theek hone par ek do din mein ghar shift kar diya gaya jahan uski dekh rekh mein Sinha ne doctors ka ek panel bhi niyukt kar diya tha.
Idhar Jay aur team ne trophy jeet li aur college mein khusiyan manayi jaane lagi aur Diya dheere dheere Ravi ki taraf khinchne lagi. Uske dil mein Ravi ke prati nischal magar ektarfa pyaar jaag raha tha. Ravi ki kahi har baat, har harkat uske dil mein hulchal macha deti thi.
Jahan ek taraf pyaar ki shuruyat thi wahi in logon ki jaankari ke vipreet Sinha ke dwara niyukt kiya gaya aadmi jasoosi par lag gaya. Lekin in dono ladkiyon ko chod wo kisi aur wajah se hi in doston ke peeche tha. Ab jab uska in doston ki toil se saamna hoga to kya hoga? Wo kya sab doston ke peeche hai ya kisi ek ke peeche? Wo kyun doston ko dekh kar chaunk gaya tha?
Dheere dheere din gujarne lage aur ab us ladke ne dono ladkiyon aur jiske peeche wo laga tha uske bare mein saari jaankari ikatthi kar li thi. Bas jarurat thi mauke ki talash ki. Idhar Raj ki halat mein bhi sudhar aata ja raha tha aur saath saath uske behaviour mein bhi. Ab wo pehle ki tarah baat baat pe Sonali ke saath jhidakta nahin tha.
Sahi kaha hai kisi ne ki pyaar mein wo takat hai jo murda jism mein bhi jaan daal de, pathhar ko bhi pighla de. Theek waise hi Raj ke bejaan se ho chuke sharer mein nayi jaan aa chuki thi. Uska pathhar dil bhi mom ki tarah pighal gaya tha. Kehne ko to doctors aur nurses ka poora panel tha wahan lekin 24 ghante jis tarah se Sonali ne Raj ki sewa ki thi use dekhte huye Raj apne kiye par bahut sharminda tha.
Us ladke ne ladkiyon ke bare mein saari jaankari Sinha ko de di. Wo kab kya karti hain, kis samay kahan jaati hain, kab akeli hoti hain wagairah wagairah. Sinha is khabar se bahut khus huya aur us ladke ko bahut saara paisa de diya. Idhar wo ladka paise lekar apne asli kaam mein lag gaya jo kisi na kisi dost se to juda hi tha .
Wo ladka wapas gaya aur intezar karne laga us dost ka jisse use milna tha. Jab wo dost wahan pahuncha to wo us ladke ko dekh kar chaunk gaya. Is shakhs se to milne ki ummed hi chod di thi us dost ne. Uska dil khushi se jhoom utha use dekh kar aur wo uske gale se lag gaya. Dono kaafi der tak aansu bahate rahe aur apni aap-beeti sunane lage.
Noice update shitt yr sonali ne dekha toh hai bracelete ko lekin kahan yeh nahi yaad usse aur yeh raj ka bhi nahi hai kahin uske pita ka toh nahi kya pata usne apne bete ke naam ka bracelete pehna ho raj ko bhi sudhar diya aapne toh bhai aur yeh ladka aur uska dost kon hai
Idhar Raj ki halat ek dum sudhar gayi aur uski (bhale hi beemari ki wajah se) sharaab ki aadat bhi chut gayi. Ab Sonali ko kisi bhi tarah ki koi pareshani nahin thi. Ghar par naukaro ki line lag gayi thi, bahar aane-jaane par jo pabandi lagi thi Sonali par wo bhi door ho gayi. Ab wo fir se market mein jaane lagi thi, shopping karne lagi thi lekin jyadatar Raj uske saath hota tha yaa jyadatar Sonali hi Raj ko khinch le jaati thi. Dono ka pyaar din-ba-din gehrata jaa raha tha. Ab Sonali ko usse koi shikayat nahin thi. Raj bhi uska poora khyaal rakhne laga tha.
College mein Diya Ravi ke pyaar mein deewani ho gayi thi lekin Ravi use dost se jyada nahin manta tha. Jyadatar wo use ignore kar deta tha. Dost log aksar Ravi ko is bat ke liye cheda karte the jisse wo irritate ho jaata tha. Aakhir Ek Din Achanak usne Diya ko seedhe seedhe sabke saamne pooch liya “Kya tum mujhse pyaar karti ho”?
Diya ko is sawal ki ummed nahin thi. Wo hadbadas gayi aur haklate huye usne mana kar diya. Ravi ne is baat ko sabko notice karaya aur sabko hidayat di ki aage se pyaar vyaar ki baatein uske saamne na kare koi. Diya ko ab afsos ho raha tha ki Ravi ko pane ka haath aaya mauka usne ganwa diya. Lekin ab wo kya kar sakti thi.
Idhar Sinha ne bhi apne naapak mansoobon par kaam karna shuru kar diya tha. Usne Sourav name ke bengali ladke ko ladki kidnap karne ke kaam mein laga diya. Sourav is line mein naya naya aaya tha isliye use thodi jhijhak ho rahi thi lekin Sinha ka aadesh wo thukra kar apni maut nahin bula sakta tha. Bas wo chal pada ladki kidnap karne.
Ab ladki kidnap hogi ya nahin? Hogi to kaun si hogi? Pehle wala ladka kis dost se mila aur kyun?
Ab jaisa aap logon ko pata hai ki Sourav is dhande mein naya naya aaya tha. Seedha saadha banda tha kisi ke behkaave mein aur kuch paison ki tangi ke kaaran wo is jurm ki duniya mein pravesh kar gaya tha. Bas fir kyat ha Sourav ne apni cycle uthai aur chal diya ladki ki photo jeb mein dalke kidnap karne.
Idhar Jay Jawed ke gale lagkar bahut khus tha. Dono aise mil rahe the jaise pata nahin kitne janam se bichde ho aur ab jaakar mile ho. Dono ne apni aap-beeti ek dusre ko sunayi aur Jawed ne Jay ko apne jurm mein shaamil hone ki daastan bhi suna di. Jay ye sab sunkar chaunk gaya kyunki jo shaksh dusron ko nasihatein deta tha ki jurm ka raasta kitna bura hai aaj wo khud us par chal nikla hai. Lekin halaat kis se kab kya karwa de koi nahin jaanta.
Idhar Sourav pahunch gaya college ke paas aur ek cold drinks and juice corner ki shop par pahunch gaya garmi se nijat paane aur college ka pata poochne.
Sourav: Bhaiya ek cold drink khilao. Kitne ka hai.
Ankit (Dukaan wale ka naam): Apni hansi rokte huye 25 rupee ka hai babu
Sourav: Tum to jyada bolti hai. Hamare yahan to 15 ka hoti hai
Ankit: Bhai ye area jahan tum khade ho VIP area yahan 15 rate wali cheez 25 ki hi milti hai.
Sourav: Tum to lootte ho. Acha ye address batao kidhar hai.
Ankit: Ajeeb gonchu hai. College ke saamne khada hai aur college ka address pooch raha hai.
Sourav: Bhai tum bataya nahin.
Ankit: Abe Gadhe ye saamne kya MCD ka sulabh sauchalaya najar aa raha hai tujhe
Sourav: Odi baba. Hum to idhar dekha hi nahin. Thank you.
Ankit: Thankyou baad mein pehle 100 rupees nikal.
Sourav: wo kis baat ka bhai. Main to cold drink bhi nahin khayi
Ankit: 50 Rs. pata batane ka aur 50 Rs. pate par pahuchane ka
Sourav: idhar iska paisa bhi lagta hai.
Ankit: (Man hi man haste huye) Haan iska paisa lagta hai aur ab jyada sawal kiye to uska bhi paisa lunga.
Sourav: Lekin tum mujhe kidhar pate tak pahuchaya hai sirf bataya to hai.
Ankit: Chal theek hai to fir 50 Rs. hi de de. Aur dhandhe ka time hai to time khoti mat kar aur yahan se nikal le.
Sourav khus ki dukanwaale se itne saare sawal ke jawab bhi pooch liye aur wo bhi free mein. Bas usne dukanwale ko 50 Rs. diye. Aur wo pahunch gaya apni cycle uthake college ke gate ke paas aur intezar karne laga ki kab Diya aur Riya aaye aur wo use kidnap kare. Lekin wo ek baat ko lekar confused tha ki kidnap kise kare kyunki cycle par wo kisi ek ko hi bitha sakta tha. Agar galat ladki kidnap kar li to Sinha uski jaan le lega. Bas wo college ke saamne bani footpath ki railing par baith gaya aur kidnapping ka plan banana laga.
cycle pe kidnap ek jagah pe ishara karne ke paise dekhte hai aage kya hoga yeh kya raj aur sonali ke beech me pyar matlab apna jay aise dard me hi rahega
Idhar Sourav kidnapping ka plan bana raha tha to udhar uski har gatividhi par ek aadmi najar rakhe huye tha. Wo aadmi pal pal ki khabar Sinha ko de raha tha. Sihna to pata tha ki ye ladka bevkuf hai aur ye kaam iske bas ki baat nahin hai lekin iski majboori dekhte huye Sinha ne ye kaam ise saunp diya tha lekin saath hi ek aadmi ko ispar najar rakhne ke liye bhi tainat kar diya tha jo mauka dekhkar bigde khel ko sambhal sakta tha aur agar jarurat pade to Sourav ko bhi khatam kar sakta tha.
Usne haalaat ki jaankari Sinha ko di to Sinha ne turant sab action use apne haath mein lene ko kaha. Sinha ko pata tha ki wo jaroor koi na koi gadbad kar dega au raise najuk mauke ko wo itni dheel nahin de sakta tha. Idhar us aadmi yaa yun yun kahiye us tej tarrar ladke ne intezar karma theek samjha taaki jab wo ladkiyan akeli ho Sourav ke saath to wo unka kidnap kar sake. Use Sourav ke upar bhi najar rakh rakhi thi ki kahin wo kuch gadbad na kar de.
Idhar Jawed Jay ko bata raha tha ki kaise ek accident mein uske ammi-abbu mare gaye aur unke upar musibaton ka pahad toot pada. Uski padhai choot gayi, hospital mein ilaaj ke liya paise na rahe ulta karz ho gaya lekin wo apne ammi-abbu ko bacha na saka. Maa-baap ke marte hi sab rishtedaron ne muh mod liya. Sahi kehte hain ki jab tak aapke paas paisa hai aapke dost aur rishtedar bane rahenge lekin jahan paisa khatam wahan dosti, pyaar, rishtedari koi mayne nahin rakhti.
Jawed ke ghar par karzdaron ki line lagne lag gayi, uske paas ka saara saaman bik gaya, ghar girwi chala gaya, raaton ko aksar bhookha hi sona padta tha, sardi mein bina kambal ke thiturte huye raat bitana kaisa lagta hai ye wohi bata sakta hai jo in halation se gujra ho. Khana kabhi mila to kabhi nahin mila, rukhi sukhi jaisi mili kha li. Logon ki galiyan sunna, maar khana uska nitya karma ban gaya tha. Kismat ne bhi kya khel khela tha uske saath. Jo ladka kal tak sab ki help ke liye hamesha tayyar rehta tha aaj usko koi poochne wala bhi nahin tha.
Jay ki aankhon se aansu beh rahe the. Usne Jawed ko kaha “To tumne mujhe kyun nahin bataya bhai. Kya mujh par bharosa nahin tha. Kya tumhe lagta tha ki auro ki tarah mein bhi tumse muh pher loonga.”
Jawed: “Yaar kaisi baat kar raha hai. Tum par to mujhe apne aap se bhi jyada bharosa hai. Lekin, bura mat manna, tumhare ghar ki haalat bhi bahut achhi nahin thi aur main nahin chahta tha ki meri wajah se tum par atirikta bojh pade. Doosra main muslim hoon to samaj kya kehta. Milna julna to theek tha lekin ek saath ek hi ghar mein rehna kya sahi tha”
Jay: “Aisa bolkar to aapne mujhe paraya bana diya. Bas itna hi bharosa tha aapko mujh par. Kya main is layak bhi nahin ki aapke ghamon mein aapka saath de sakta. Shayad is layak nahin hun tabhi to pehle mera pyaar mujhe chod kar chala gaya aur ab ek dost jo bhai se bhi badhkar thaw o bhi aisi baatein kar raha hai”
Jawed: “Nahin bhai aisa to main soch bhi nahin sakta. Lekin dheere dheere sab theek ho gaya. Ek Din Achanak jab main bhookha pyaasa kaam ki talash mein bhatak raha tha aur har jagah se dutkaar aur maar kha raha tha to Mr. Sikander Sinha se meri mulakat huyi. Shehar ke chand rahison mein se ek hain wo. Shayad tujhe pata ho ya na ho lekin wohi Sonali ke sasur bhi hain”
Jay: “Haan mujhe pata hai. Main Sinha ke ghar gaya tha aur Sonali se mulakat bhi kit hi maine. Bahut dukh jhel rahi hai wo” Aur itna kehte kehte Jay ka man udas ho gaya.
Jawed: “Sinha sahib ne mujhe sahara diya. Mera saara karz chuka diya. Apne paas kaam diya. Logon ke liye wo kuch bhi mayne rakhte hon lekin mere liye bhagwan se kam nahin hain. Aaj mere paas jo kuch bhi hai sab unki badaulat hai. Lekin is baar main dharm sankat mein hoon”
Jay: “Kyun kya hua?”
Iske baad Jawed ne Sinha dwara ladkiyon ki jasoosi se lekar unka apaharan kiye jaane ki koshish tak ki saari baatein Jay ko bata di. Jay ka khoon khaul utha Sinha ki aisi harkat dekhkar lekin kahin Jawed ko bura na lage isliya usne apne expressions ko jaahir nahin hone diya. Iske baad dono kaafi der tak baatein karte rahe aur dono ne milkar faisla liya ki Sinha ko kidnapping mein kamyaab nahin hone denge lekin use koi aanch bhi nahin aani chahiye ye Jawed ki request thi. Dono ne sab doston ke saath milkar iska raasta nikalne ki sochi aur sabke paas chal diye.
Yahan Raj ko bhi apne pita par shak hone laga tha kyunki roz naye naye ladkon ka jo shakal se gunde type ke lagte the uske ghar uske baap se milne aane lage the. Pehle to Raj ne koi khaas dhyaan nahin diya lekin jab ye jyada ho gaya to uska matha thanka. Usne in ladkon ke aane ka kaaran jaanne pata lagane ki sochi.
Usne ek din chupkar unki baatein sunne ki koshish ki. Baatein sunkar use pata laga ki uska baap jurm ke daldal mein kitna dhansa huya hai. Use apne baap se nafrat hone lagi. Sach kehte hain pyaar insaan ko badal deta hai. Kal tak jo Raj jurm karne se hichakta nahin tha use aaj isse ghin aane lagi thi. Aisa nahin hai ki wo jurm karta tha lekin baap ke paison ki akad, uska rehan sehan, uski parvarish in sab ki jimmedar thi.
Usne ye saari baatein Sonali ko batayi jise sunkar wo shocked ho gayi. Wo dar gayi ki ab kya Karen. Kaise wo dono in haalaton ka saamna kare. Jab tak use pata nahin tha to koi dikkat nahin thi lekin ab wo kaise unka saamna karegi. Shayad Raj bhi yahi sab soch raha tha lekin use pata tha ki uska baap is kadar jurm ki duniya mein ghus chuka hai ki jarurat padne par wo apne bete ka bhi khoon karne se nahin hichkega. Lekin use kuch na kuch to karna hi padega. Aur iska raasta bhi usne dhoond liya tha jise bas amal mein laana tha.
Lekin wo karega kya? Kya Sinha ko sab dost rok payenge? Kya Sourav kidnap kar payega?
Noice update Sinha ne ek aadmi ko aur lagaya hai iss kaam me aur woh joh ladka tha jisne sinha ko Riya aur diya ke baare me bataya tha woh koi aur nahi jawed tha bura laga jaankar ki uske sath kya-kya huwa lekin ab sab sahi hai jawed aur jay ne sab dosto ko iske baare me batane ka socha hai matlab ab woh bacha toh lenge riya-diya ko lekin unka reaction dekhne layak hoga jawed ki kahani sunne ke baad aur ab woh sinha ke liye kaam karta hai yeh janne ke baad idhar raj ko bhi pata lag gaya hai sinha ke baare me kahin woh bhi toh ab ravi and team ko dost toh nahi banega
Gora doodh jaisa rang, sangmarmar jaisa badan, kanchan, komal kaya, badi badi gehri kaali aankhen jisme doob jaane ko dil chahe, patli hirni jaisi lachakti kamar jisme naam matra ki bhi charbi nahin hai, kamar tak lambe kaale baal, surkh laal honth jaise gulab ki do pankhudiyan ho, kanon par latakti baliyan jo hawa se hil rahi thi aisi lag rahi thi jaise sawan ke mahine mein kunwari kanya jhule par madmast ho jhulti ho, galon par laali jo aurat ke sharmo-haya ka prateek hai, chehre par atamvishwaas, safed rang ke salwar suit mein Ravi ke saamne khadi thi. Ravi ki to palak hi jhapakni band ho gayi thi. Uske roop ke saudarya mein khoya Ravi man hi man yun hi budbudane laga
Kisi ne dil ko is kadar chu liya
Ki hum kisi aur ko chu na sake
Hum to chale the apko dost banane
Magar aap dhadhkan bante chale gaye
Achanak Ravi ne dimaag ko jhatka diya aur sochne laga ki ye use kya ho gaya hai. Wo kyun aisa soch raha hai. Use in sab jhanjhaton mein nahin padhna. Chaar din ki jindagi hai use ladkiyon ke peeche waste nahin karna hai. Bas use ignore kar deta hoon saara maamla hi sulajh jayega. Waise bhi itni gori hai to jaroor foreigner hogi to iska to chance hi nahin. Bas aise hi dil mein khyaal liye Ravi baaki doston ke paas chal pada.
Wahan Pahunch kar usne baaki doston se us ladki ke bare mein poocha. Sanju to ladkiyon ke maamle mein waise hi expert tha to usne pehle se hi sab kuch details pooch lit hi uske bare mein. Ladki ke bolne se pehle hi wo bol pada Ravi ye Monika hai. Kal hi England se aayi hai aur baaki ki padhai hamare college se poori karegi. Iske papa ka London mein bahut bada business par yahan ye apne bhai ke saath rehti hai. Ravi Sanju ki uske bare mein jaankaari sunkar chaunk gaya.
Usne kaha to iska matlab fresher hai. Lekin agar iske papa itne bade businessman hain to ye to kisi bhi bade college mein admission le sakti thi phir hamare college mein admission lene ki koi khaas wajah. Is par Monika ne kaha “Very Good Question. I m impressed. One of my hobby is wild photography and this college is very near to forest. That’s why I take admission here”
Ravi ne ye sunkar kaha “Wow! You are a wild photographer. Its amazing. Hope you didn’t scared by Indian tigers.” Ravi ke itna kehte hi sab jor se hasne lage. Phir Ravi ne kaha England mein padhi badhi ho to Indian values to tumhe pata nahin hongi. Halanki tumne salwar suit pehna hai lekin baatein English mein kar rahi ho. Monika ye sunkar thodi si gussa ho gayi aur Ravi se kaha “England mein rehne ka ye matlab nahin hai ki main Indian values bhool gayi hoon. Badon ka adar, aurat ki sharmo haya, choton ko pyaar ye sab mujhe bachpan se sikhaya gaya hai. Lekin main tumhe kyun ye sab samjha rahi hoon”
Ravi: “Achha agar itna hi pata hai to Gayatri Mantra sunao”
Achanak ek pal ke liye khamoshi cha jaati hai. Ravi aur uske dost Monika par hasne lagte hain. Ravi hanste huye kehta hai baatein badi badi aur kam bilkul nahin. Lekin itne mein uske kanon mein ek madhur si awaaz goonjti hai.
Om Bhur Bhuva Swaha, Tat Savitur Vareniyam
Bhargo Devasya Dhimahi, Dhiyo yonaha Prachodayat
Ek pal ke liye sannata cha jaata hai jo Riya ki taaliyon ki awaaz se tootta hai. Phir sabne milkar us ladki se aur dher saari baatein kari halki fulki ragging ke naam par usse kuch na kuch sunane ko kaha gaya. Ravi ne bhi kayi sawaal daag diye lekin Monika ne Ravi ko ignore karna hi theek samjha. Use Ravi ek bigda hua ladka sa lag raha tha. Kabhi kabhi majak karna bhi bhari pad sakta hai iska andaza agar pehle lag jaye to bewajah ke faltu majak ho hi na.
Iska baad sabne kuch aur bachon ki healthy ragging li aur canteen mein jaakar masti karne lage. Ravi aur Monika dono hi ek doosre ko ignore karne ki koshish kar rahe the lekin Ravi ki aankhen baar baar usi ka chehra dhoondh rahi thi.
Diya ye jaankar ki Ravi us ladki ko dhoondh raha hai jal kar rakh ho jaati hai aur Ravi se kehti hai ki tumhara dhyaan kahan hai. Jab se wo ladki aayi hai tum khoye khoye se ho. Ravi aise ghabra jaata hai jaise uski chori pakdi gayi ho lekin phir sambhal kar kehta hai “Diya tum bhi kaisi baatein kar rahi ho. Tum to jaanti hi ho ki main kabhi ladkiyon ke peeche nahin bhagta. Mujhe isme koi interest nahin hai. Main to ye soch raha tha ki usne sabke saamne gayatri mantra kya gaa diya apne aap ko turram khan samajhne lag gayi hai. Mujhe ignore kar rahi thi. Meri insult ki. Use to main aisa sabak sikhaunga ki jindagi bhar yaad rahegi.
Diya ko laga ki accha mauka hai is Monika ko door bhagane ka kyunki use darr tha kahin Ravi uske husn ke jaal mein fans na jaaye aur wo Ravi ko kho na de. Dono aage ke liye plan banane lage ki kaise use sabak sikhaya jaaye.
Poora din aise hi gujar gaya lekin Ravi ya Diya dono mein se kisi ko kuch na sujha. Agle din subah Ravi ne newspaper lekar padhna shuru kiya (Padhna kya tha sirf ye dekhna tha ki kahan aur kaun si film lagi hai) aur beech beech mein kuch khabron mein sarsari taur par najar bhi dal deta tha. Tabhi uski najar ek khabar par padi aur uski bachen khil gayi.