Update bahut bda tha thoda chota diya karoUpdate 20
Lekin ek din aakhirkar Sonali hi ek din mauka dekhkar mere paas aayi aur mujhse haath milate huye mera naam poocha. Usko yun achanak saamne aakar seedha haath milane se main ek dam hadbada gaya aur bola “Mera naam J.. J…. Jay hai”. Wo ye sunkar khilkhilakar hans padi. Sach mein us samay itni pyaari lag rahi thi ki koi us ek muskurahat ke badle meri jaan bhi maang leta to main hansi khusi usko wo de deta. “Kaafi achha naam tha J..J…Jay. Shayad Shahrukh khan ki movie dekhi hai tumne DARR jisme shahrukh Juhi Chawla ko aise hi bolta hai. Tab tak main normal ho gaya tha aur bola ki aap achanak mere saamne aa gayi to main hadbada gaya.
Usne kuch is tarah se mujhe dekha ki main jhenp gaya aur boli “mere aane se tum kyun hadbada gaye, kya tumne koi chori ki hai jo maine pakad li” aur itna kehkar fir has di. Is baar main bhi hansa saath mein aur usse bola “Nahin bas aise hi. Aapka naam kya hai”. Sonali usne kaha aur achanak poocha “Tum roz mujhe hi dekhte ho na gate par khade hokar”. Uska itna kehna tha ki meri halat to ye ho gayi ki kaato to khoon nahin. Saari hansi ekdum se gayab ho gayi aur ghabrahat ke saath use kaha “Nahin to main aapko nahin dekhta. Main to apne dost ka intezar karta hun. Wo bahut late aata hai na”. Ye sunkar wo muskurayi aur theek hai bolkar chali gayi kyunki prayer ka time ho gaya tha. Main bhi chal diya.
Iske baad to apni roj hi mulakaten hone lagi. Kabhi gate par baat karte, kabhi park mein chale jaate, kabhi recess mein bahar ghoomne nikal jaate. Din acche kat rahe the aur uske prati aakarshan badhta jaa raha tha mera. Mere liye wo sab kuch ban gayi thi jiske bina ek pal bhi jeena bilkul mushkil lag raha tha. Roz mulakaton ka silsila chalta raha aur hum ek doosre ke kareeb aate rahe. Jawed Bhai ko sab akhar raha tha lekin wo captain the aur class monitor bhi to unke saath kayi jimmedariyan judi thi jiske chalte wo mere saath jyada waqt nahin gujar paate the.
Aakhir kar ek din hum roz ki tarah hi park mein baithe the ki baton baton mein pata nahin mujhme itni himmat kahan se aa gayi ki main use apne pyaar ka ijhaar kar baitha. Usne chaunk kar mujhe dekha aur kaha “Jay hum dono ache dost hai. Maine aisa kabhi tumhare baare mein nahin socha. Please naraaz mat hona.” Mera to dil hi toot gaya ye sab sunkar aur baad mein thodi idhar udhar ki baatein karke wapas apni class mein aa gaya. Uske baad maine gate par jaana chod diya. Kabhi aate jaate mil jaate the to hi-hello se jyada baat hi nahin karta tha. Uske gate par na aane ki wajah poochne par maine bataya ki school ke cricket match hone wale hai dusre school se isliye hum sab uski practice mein busy hain. Time hi nahin mil paata aane ka.
Halanki wo samajh gayi thi lekin wo kar bhi kya sakti thi. Aur main bhi yehi maankar chup baith gaya ki mere jaise ladke se kaun ladki pyaar karna pasand karegi. Bhagwan se baithe baithe shikayat karne laga ki tune mujhe gora kyun nahin banaya. Agar sanwla banana hi tha to ye mota chasma kyun chada diya. Koi bhi meri taraf najar utha kar nahin dekhta. Sab mera majak udate rehte hain. Koi mujhe pyaar nahin karta. Is jeewan se to maut achhi. Aise bekaar ki baatein Jay ke dimaag mein chal rahi thi. Sahi kaha hai kisi ne khali dimaag shaitan ka ghar hota hai. Jab aap khali honge to ulti seedi baatein aapke dimaag mein chakkarghirni ki tarah ghoomti rahengi. Iska ilaaj yehi hai aap khud ko busy rakho kisi bhi roop mein chahe padhai karte raho, chahe khel-khud mein busy raho lekin khali mat baitho.
Yahan Sonali ko ab kuch khalipan sa lagne laga tha apni life mein. Jis din wo Jay ne nahin milti thi poore din bechain rehti thi. Jay kya kar raha hoga. Kya wo bhi mujhe yaad kar raha hoga. Usne to milna-julna ek dum chod diya. Kyun aisa kar raha hai wo. Hum to aaj bhi ache dost hai. Lekin main kyun uske baare mein itna soch rahi hun. Agar nahin baat karta to na sahi. Uske jaise kitne ladke mere aage peeche ghoomte hain. Samajhta kya hai apne aap ko jaise wo bahut busy hai aur main faltu. Uske aage peeche ghoomti rahun. Usse baat karne ke liye main use minnat karun. Lekin kya pata wo sach mein busy ho. Kuch pareshan sa bhi lag raha tha. Aaj lunch kiya hoga ya nahin usne.
Sonali ka dil kabhi uske baare mein sochta aur kabhi uske khilaaf. Wo faisla hi nahin kar paa rahi thi ki wo kya kare. Kya wo bhi pyaar karne lagi hai Jay se. Nahin hum to acche dost hain. Wo mujhse kyun naraaz hoga. Kehte hain pyaar bhi dosti ka hi doosra roop hai. Aap tabhi usse pyaar kar sakte hain jab aap pehle uske ek sacche dost ban sake. Sonali ka man bhi vichlit tha. Kaisa samay aa gaya tha ki dono ek dusre ko pyaar karte the lekin kisi ka dil toot gaya tha to kisi ka dil ye maanne ke liye tayyar nahin tha. Lekin jo hona hota hai wo to hokar hi rehta hai.
Sonali na is baat ko maan rahi thi ki wo bhi Jay se pyaar karne lagi hai aur na hi use dekhe bagair reh paa rahi thi. Har samay bas usi ka khyaal 24 ghante dimaag mein ghumta rehta tha. Kehte hai jab koi dil ke hathon majbur ho jaata hai to sab kaam, sab rishtey uske saamne bas feeke ho jaate hain. Sonali ka bhi kuch aisa hi haal tha. Na din ko chain milta, na raat ko neend aati. Shayad isi ko pyaar kehte hain. Wo ye baar baar sochti lekin fir apna sir jhatak ka rise maanne se inkaar kar deti. Sonali apne dil aur dimaag ke beech faisla nahin le pa rahi thi.
Lekin tabhi ek din kuch aisa hua ki sab kuch badal gaya. Us din School ka cricket match tha aur apne hi school mein doosre school ki team aakar match khel rahi thi. Sab bacche bhi us din match dekh rahe the to Jay ki ek jhalak pane ke liye Sonali bhi wahan maujud thi. Lekin Jay ne uski taraf nahin dekha ye dekhkar Sonali ki aankhen bhar aayi. Khair match shuru huya aur pehle apni team ne batting ki. Jay ki batting hi nahin aa payi usme. Iske baad bowling huyi aur Jay ko wahin lagaya gaya fielding ke liye jahan Sonali khadi thi.
Tabhi Batsman ne ek uncha shot lagaya jo Jay ki taraf aaya aur Jay ne daudkar us catch ko pakadne ki koshish kari. Catch pakadne ke chakkar mein use dive lagani padi. Khair catch to pakad liya lekin use bahut chot pahunchi aur baad mein use match adhura chodkar wapas jaana pada. Uske kohni se khoon nikal raha tha jo school staff ne marham-patti karke kaafi had tak band kar diya tha. Sonali ye dekhte hain apne hosh kho baithi aur daudhti huyi wahan chali gayi jahan Jay rest kar raha tha. Wahan dusre staff bhi the jo Jay ki dekhbhal kar rahe the. Jab unhone Sonali ko dekha to use andar nahin aane diya lekin fir Jay ke kehne par un dono ko akela chod kar bahar chale gaye.
Sonali Jay to ektak lagatar dekhte jaa rahi thi aur roye jaa rahi thi. Wo aayi aur uske paas baith gayi.Uska dil dhadak raha tha ki wo kya baat kare Jay se. Lekin ab usse raha bhi nahin jaa raha tha. Shayad use ehsaas ho gaya tha ki wo Jay ko bahut pyaar karti hai aur uske bagair jee nahin sakti. Kyunki jab Jay ko chot lagi to wo sirf Jay ko hi nahin Sonali ko bhi ghayal kar gayi thi. Fark sirf itna hai ki Jay ka shareer ghayal huya tha aur Sonali ka dil. Thodi der khamosh rehne ke baad Sonali ne kaha :Jay tumne aisa kyun kiya. Kya jarurat thi hero banne ki. Chot lag gayi na. Dekho kitna khoon nikal gaya. Tumhe jara bhi apni parwah nahin. Kyun kiya tumne aisa bolo”.
Jay use bas khamoshi se dekhta raha ki aaj Sonali ko kya ho gaya. Sonali ne aage kaha “Tum nahin jaante Jay ki tum mere liye kya mayne rakhte ho. I LOVE YOU.” Ye Sonali bol to gayi lekin baad mein khyaal aate hi sharmakar bhag gayi wahan se. Jay ki to khushi ka thikana hi nahin tha. Jo dil ab tak bechain tha Sonali ke liye wo aaj khushi se jhoom raha tha. Uska dil kar raha tha ki bas won ache-gaye, khushiyan manaye lekin dard aur chot use aisa na karne ke liye majboor kar rahi thi. Tabhi ek staff ne aakar khabar di ki “Jay yaar tum kya chale gaye hamari fielding aur bowling kamjor pad gayi aur hum match haar gaye”. Lekin Jay man hi man mein keh raha tha ki “Match haar gaye lekin Sonali ko jeet liya”.
To be continued....