Update 79
Dheere dheere Ravi ki haalat mein sudhar aata gaya. Lekin Ravi ke theek hone mein sabse bada haath Diya ka tha jo jyadatar apna college bunk karke Ravi ki sewa mein lagi rehti. Ravi ke mummy papa ko bhi Diya bahut pasand aa gayi. Aakhir kyun na aaye itni sewa jo kar rahi thi aur wo bhi bina kisi swarth ke. Diya bhi bas Ravi aur uske ma-baap ki sewa mein lagi rehti aur ho bhi kyun na uske hone waale saas sasur jo the.
Monika ne Ravi se milne ki yaa uske paas jaane ki dubara koi koshish nahin ki. Kaaran ek hi tha ki wo kaise Diya ke kadwe bol ka saamna karegi. Direct ho ya indirect wohi to thi Ravi ki is haalat ki jimmedar. Usne apne man to kada kiya aur faisla kiya ki college mein to Ravi se milakat ho hi jayegi aur wo usse wahin maafi maang legi. Use pata to chal gaya tha ki jis tarah Ravi ne sabke saamne apne galti maani thi wo ek nekdil aur shareef ladka hai aur wo use jaroor maaf karega.
Isi tarah ek hafta beet gaya aur Ravi kaafi had tak theek ho gaya. Use hospital se discharge kar diya gaya aur uske ma-baap use ghar le aaye. Ghar par sab dost uska haal chaal poochne aate rehte the aur Diya ka bhi ab kaafi aana ho gaya tha Ravi ke ghar par. Pawan to tha hi khair wahin uske paas. Diya to jaise ab us ghar ki sadasya ban gayi thi. Hasti, khelti, khilkhilati sabka manoranjan karti rehti. Ravi ki mummy to bahut khus thi kyunki unhen Diya ke roop mein unki hone wali bahu dikh rahi thi.
Lekin Ravi ko chain kahan tha. Use kisi bhi tarah Monika se milna tha. Jaise hi wo thoda theek hua to jhat se college pahunch gaya lekin Monika use kahin nahin dikhi. Usne kaafi dhoondha lekin koi safaslta uske haath nahin lagi. Thak haar kar jab wo park mein gaya to wahan ek kone mein use Monika akeli baithi dikhai di gumsum aur kuch sochti hui. Ravi kab aakar uske paas khada ho gaya use pata hi nahin chala.
Jab Ravi ne hello kaha tab uska dhyaan toota aur usne ek najar utha kar saamne ki taraf dekha. Ravi ko wahan dekhkar wo chaunk gayi aur wahaan ek kuch der ke liye sannata pasar gaya. Thodi der mein dono ki jubaan ek saath khuli aur dono ke muh se sirf ek shabd nikla “SORRY”
Ek min ke liye fir sannata cha gaya jise Ravi ne toda “Mujhe maaf kar do Monika. Maine tumhare saath bahut galat kiya. Lekin maine apni bhool sudhar li hai aur tumhi ko us competition mein first prize mila hai. Lekin main us din ke Diya dwara kiye gaye bartaw ke liye maafi maangna chahta hoon. Wo kuch jyada hi over react kar gayi. Pls Sorry uski taraf se bhi”
“Are nahin uski koi galti nahin hai. Main uski jagah hoti to pata nahin kya kar deti. Wo to bahut decent thi. Sorry to mujhe bolna chahiye kyunki meri wajah se tumhari ye halat huyi. Mere bhaiya mere liye bahut possessive hain. Pls unki taraf se main sorry bolti hoon”
“Kya baat hai! Hum dono ek doosre ko kisi doosre ki taraf se sorry keh rahe hain. Isn’t that amazing?”
“Haan bilkul” aur isi ke saath dono ke chehre par halki se muskaan ghir aayi. Dono aise baat karne lage jaise bahut pehle se ek doosre ko jaante ho. Don one kaise ek doosre ke liye planning ki, usmein kya kya pareshaniyan aayi aur kaise unhone us kaam ko anjaam diya ek doosre ko aise bata rahe the jaise koi kahani suna raha hai. Dono ek doosre ki baton par dil khol kar hans rahe the. Yahi to pyaar ki shuraat thi shayad dono mein.
Dheere dheere dono ke beech baatein, phir mulakatein hoti rahi. Dono ghanto park mein baithe rehte, hasi majak karte rehte, ruthna manana karte rehte aur ek din mauka dekhkar Ravi ne Monika ko “I Love You” bhi keh hi diya. Monika ka bhi dil dhadak hi raha tha Ravi ke liye to wo kaise mana karti. Usne bhi haan keh di aur dono ke beech nayi prem gatha shuru ho gayi.
Yahi pyaar umar bhar chahta hoon
Na ho khatam jo wo safar chahta hoon
Ye duniya ki daulat nahin chahiye ab
Mohabbat ka ho dil mein ek ghar chahta hoon
Tumhen bhoolne ki duayen to ki
Duayen ho saari beasar chahta hoon
Jo dil andhere mein bhar de ujala
Mein chahat ki aisi seher chahta hoon
Safar mein bahut akela hoon mein
Teri yaad ka humsafar chahta hoon
Baarish ka mausam sabse pyaara hota hai khaskar premi yugal ke liye. Halki barsaat ho aur beech sunsaan sadak mein halki bearish ki fuhare chehre aur sharer par pad rahi hon aur baahon mein baahein dale dono chale jaa rahe hon. Na duniya ki koi khabar na kisi baat ki tension. Bas apni masti mein choor.
Dono ki bhi aisi hi haalat thi. Ek min ke liye bhi dono ko chain nahin aata tha. Phone to dono ke paas tha hi bas jab ek saath nahin hote the to phone par lage rehte the. Apne sunhere bhavishya ke sapne dekhte huye dono aane wale khatre se anjaan the. Unki jindagi kya mod lene waali hai dono ko iska jara sa bhi abhaas nahin tha.
Lekin kehte hain na pyaar kitna bhi chupa ke karo ye duniya wale jaan hi lete hain. College mein to pata lagna hi tha aur chupate chupate aakhir ye baat Diya ko bhi pata lag gayi. Uska to jaise dil hi toot gaya. Kitne saare armaan usne dekhe the ki uski aur Ravi ki shaadi hogi. Wo baahon mein baahon dale saari duniya ki sair karenge. Wo jab Ravi se rooth jayegi to Ravi use pyaar se manayega lekin uske saare sapne ek sheeshe jaise saabit huye jise Monika naam ke paththar ne chaknachoor kar diya tha.
Lekin wo haar maanne walon mein se nahin thi. Aakhir usne pakka faisla kar liya ki wo Ravi ko paakar hi dum legi chahe uske liye use kuch bhi karna pade.
To be continued....