• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Fear-Trap (Dar ki Nayi Inteha)...

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,684
8,517
219
:welcome: Niks bhai.. ise shuru se hi padna padega kyun ki mei ise bhul chuka hun
Par dekh kar acha laga ki aap kahani lekar aye ho
Exam aa rahe hain dhayan uspar hi rahega vaise to apka :redface:
But bahut acha laga dekh kar :ecs: mujhe TTM2 ka intezar tha :hug: par aa gaye to likh hi doge
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
4. Horrible Past
Update 4
Subah ke saat baj rahe the aur Harshit apni ukhdi huyi saanse
samhal raha tha. Baar-baar uski aankho ke samne wahi darawana
chehra ghoom raha tha jo usne abhi-abhi sapne mai dekha tha. Sab
kuch bilkul asli lag raha tha. Usne takhiye ke neeche se apna mobile
nikala aur uski blank screen ko hi ghoorne laga mano us chipchipi
cheez ke ansh dhood raha ho par screen bilkul saaf thi. Kuch der
screen ko yu hi dekhte rehne ke baad use kuch dhyan aaya aur usne
mobile ka messaging inbox khola. Last message pooja ka 'Good Night
Harshu Dear.. Sweet Dreams..' tha jo usne raat ko chat ke waqt
12:34 par bheja tha. Harshit ko dreams to aaye lekin sweet nahi
balki sweat dreams the kyuki dar ke maare wo poori tarah paseene se
bheega hua tha. Use itna paseena aaya tha ki bistar tak geela ho
chuka tha.
Jab message mai kuch nahi mila to usne call log check kiya to paya
akhiri call bhi 8:23 ka tha jo aditya ne use kiya tha.
Jab call log mai bhi kuch nahi mila to use pakka yakeen ho gaya ki wo
sab bas ek sapna hi tha. Usne ek lambi saans bhari aur bhagwan ka
shukriya ada kiya ki wo mahaz ek sapna hi tha.
"Are aaj to holi hai.. maza aayega aaj to.." achanak Harshit bola aur
fresh hone ke liye bathroom chal diya.
Fresh hone ke baad wo bahar aaya aur apni almari mai koi purani si
shirt dhoondne laga jo holi mai uske kaam aaye. Usne poora cupboard
chaan liya lekin usme ek bhi purani shirt ya T-shirt nahi mili. Wo abhi
cupboard band karne hi ja raha tha ki achanak uski nazar cupboard
ke sabse neeche wale hisse par padi jaha kuch purane kapde rakhe
huye the. Uske chehre par ek muskan utar aayi aur wo un kapdo mai
apne pehanne layak kuch dhoodne laga. Use ek peeli T-shirt aur ek
purana black lower mila jo holi ke liye ekdum perfect the.
T-shirt kafi tight thi lekin kaam chalane layak thi. Usne mirror mai
khud ko dekha to ye kapde us par kafi achhe lag rahe the. Mirror
side-table ke bilkul bagal mai tha jiske theek samne uske room ka
darwaja tha. Achanak uski nazar mirror mai dikh rahe darwaze par
padi to dekha waha koi khada hai jise dekhkar uski halat kharab ho
gayi. Usne turant peeche palatkar dekha lekin waha koi nahi tha. Uski
dhadkan ab phir se badhne lagi thi kyuki abhi-abhi jiski parchayi usne
dekhi wo shaks kafi darawana tha. Wo mushkil se do-dhayi foot ka
tha aur uska poora badan bilkul laal tha. Uski safed aankhe tennis
ball jitni badi thi aur unke beech mai aankho ki putli thi hi nahi.
Matha kafi chauda tha aur baal bilkul hare aur bikhre huye the aur
wo use hi ghoor raha tha.
Usne wapas nazar mirror ki taraf ghumayi to dekha waha mirror mai
bhi koi nahi dikh raha tha. Us khaufnaak sapne ke karan wo pehle hi
kafi dara aur uljha hua tha isliye ise apne ka veham samajhkar usne is
nazare ko apne dimag se jhidak diya. Waise bhi wo holi khelne ke
apne mood ko kisi bekar ke khayal ki vajah se kharab nahi karna
chahta tha. Lekin wo sapna abhi bhi uske man mai ghoom raha tha aur
use pareshan kar raha tha. Uski nazar abhi bhi mirror par hi gadi
huyi thi lekin dimag mai wo sapna hi chal raha tha. Use wo bachha aur wo factory dikh rahe the jaha wo bachha fasa hua tha. Tabhi usne ek
nazar apni dressing par dali aur jo cheez usne ise pehante waqt gaur
nahi ki thi wo ab dimag mai chal rahe khayalo ki vajah se ki. Is waqt
usne same wahi T-shirt pehan rakhi thi jo uske sapne mai us bachhe
ne pehan rakhi thi.
"Kahi wo mai to na... mom..." uske man mai ye khayal aaya aur phir wo
tezi se apni maa ko awaaj lagata hua room se nikal gaya.
Harshit ki mom is waqt kitchen mai thi aur sabke liye nashta bana
rahi thi.
"Mom.. mom.. where are you??" Chillate huye Harshit kitchen mai
ghusa aur apni maa ko waha dekhkar unke paas gaya aur bola-
"Good morning mom.. and happy holi.. achha mom mujhe aapse kuch
important baat poochni thi.."
Ye kehte huye usne pani lene ke liye fridge ki taraf hath badhaya
lekin sapne wali baat yaad aate hi usne apna iraada chhod diya.
"Good morning son.. and wish you too beta.. poocho kya poochna
hai??" Harshit ki mom ne kaha.
"Wo mom.. mujhe wo.. us din ke bare mai.. wo mujhe.. aapko wo din
yaad hai??" Harshit ko samajh hi nahi aaya kaise baat ki shuruat
kare.
"Kya keh rahe ho beta?? kaun sa din?? Saaf-saaf bolo na.." Harshit ki
baat ne uski baat ko samajhne ki koshish karte huye kaha.
"Wo mom.. aapko yaad hai jab bachpan me ek baar mai kho gaya tha
aur phir badi mushkil se mila tha.." Harshit ne ek-ek lafz chabate
huye kaha.
"Tumse kaha tha na us baat ka jikra is ghar mai kabhi nahi hona
chahiye jiske karan maine apne sameer ko kho diya.." harshit ki baat
sunte hi uski mom ne gusse se kaha aur phir unka dhyan uski T-shirt
par gaya to unka para aur chad gaya. Sameer Harshit ka bada bhai tha jise sab pyar se sam kehkar bulate the. Uska jikra aate hi
Harshit bhi udas ho gaya.
"Ye T-shirt kyu pehan rakhi hai tumne.. ye kaha se mil gayi tumhe..
fauran jao aur change karo ise.. abhi ke abhi.." harshit ko daatte
huye unhone kaha.
"Mom.. mai aapse isi baare mai baat karna chahta tha.. ye wahi T￾shirt hai na jo maine us din pehan rakhi thi?? Par meri samajh mai
nahi aa raha ki ye mujhe fit kaise ho gayi jabki ye to bahut chhoti
honi chahiye thi.. terah saal baad bhi ye mujhe fit kaise aa sakti
hai?? Please batayi na mom us din kya hua tha??" Harshit ne apni
baat kahi.
Uski baat sunkar uski maa ke mathe par chinta aur dar ki lakeere
ubhar aayi. Unhone bhari hoti awaaj mai kaha-
"Pehle ye is T-shirt ko wapas store-room mai rakhkar aao jaha se ise
laaye ho.. phir mai tumhe sab kuch bata dungi.."
"But mom.. ye T-shirt to mujhe mere cupboard se mili hai??" Hairani
se apni mom ko ghoorte huye harshit ne kaha.
Harshit ki baat sunkar uski mom ka muh khula reh gaya. Ye T-shirt
aur iske sath wo nikkar to unhone khud store mai sabse peeche
chhipa ke rakhi thi taki galti se bhi ye kapde kabhi kisi nazro mai na
aa paye.
"Jaha se bhi laye ho.. filhal ise store mai rakh ke aao aur koi dusri
shirt pehno.." mom ne khud ko samhalte huye kaha.
Apni mom ko is tarah pareshan dekhkar Harshit ne turant waisa hi
kiya jaisa unhone kaha tha.
Dusri t-shirt pehankar wo wapas kitchen mai aaya to dekha mom sir
pakadkar dining table par baithi hai aur kuch soch rahi hai.
"Ab theek hai mom??''
"Ha ab theek hai.."
"To..."
"To kya??"
"To bataiye ab ki kya hua tha us din..."
Harshit ki baat sunkar unhone Harshit ko apne paas baithne ko kaha
aur poocha-
"Pehle ye batao aaj itne saalo baad tumhe ye baat kaise yaad aayi??"
"Wo mujhe ek sapn... wo sab chhodiye... ye bataiye ki us din wo
factory me mai kaise pahucha?? Aur phir waha kya hua??"
"Tumhe yaad hai wo factory??" Mom ne aankhe badi karte huye
poocha.
"No mom.. mujhe bas kuch dhundla sa yaad hai.. aap bataiye na kya
hua tha us din.." harshit ne adheer hote huye kaha.
"To suno.. aaj se terah saal pehle ki baat hai.. mai.. tumhare papa..
tum aur tumhara bada bhai sam ghoomne ke liye manali gaye the..
waha hum log hotel mai thehre huye the.. ek raat tum dono bhai bina
kisi ko kuch bataye hotel se nikal gaye.. humne tum logo ko bahut
dhooda.. aur phir do din baad kisi ne tumhare us factory mai behosh
pade hone ki khabar di..hum nahi jante us din us factory mai kya hua
jiske karan tum do din tak us factory mai behosh pade rahe.. hosh
mai aane ke baad tumhe kuch bhi yaad nahi tha.. us waqt tumhe bahut
tej bukhar tha aur tumhari poori t-shirt par kuch azeeb si chipchip
chez lagi huyi thi.. kuch thook jaisi.. tumhe theek hone mai kayi
mahine lag gaya the.. tum to hume mil gaye lekin..." itna kehte huye
mom ki aankhe bhar chuki thi.
"Lekin kya mom??"
"Lekin sam hume kabhi nahi mila.. aaj tak nahi.. us waqt jab tum bimar
the mujhe yahidar laga rehta tha ki sameer ke baad kahi hum tumhe
bhi na kho de.. aur phir bhagwan se maangi duaye rang layi aur tum
theek hone lage.." itna kehte huye mom rone lagi.
"Please harshu.. aaj ke baad is baat ka jikra kabhi mat karna.. tum
nahi jante us baat ko yaad karke ek maa par kya beetti hai..''
Harshit ko gale se lagate huye mom ne kaha.
To be continued...
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
5. Holi With Friends And.....
Update 5
Mahaul kafi nazuk ho chala tha. Bhale hi us baat ko terah saal beet
chuke the aur harshit ke man mai sam ke sath bitaye palo ki yaadein
dhundli pad chuki thi lekin kuch yaadein aisi bhi thi jo abhi bhi uske
man mai poori tarah taaza thi. Usko yaad tha ki sam ne hi uska
'harshu' naam diya tha. Sam use hamesha 'Rondu Harshu' kehkar
chidata tha kyuki bachpan mai harshu kafi rotlu tha jo baat-baat par
ro deta tha. Use yaad tha kaise ek baar sam ne use bachaya tha jab
wo cycle chala raha tha jiske karan sam ko kafi chot bhi aayi thi.
Maa ki aankho se ansoo nikalte dekh harshit khud ko man hi man kos
raha tha ki kyu usne ye baat chhedi. Use khud par hi gussa aa raha
tha ki kyu usne wo bekar sa sapna dekha jiske karan usne aaj apni
maa ki aankhe nam kardi."Sorry mom.. mera irada aapka dil dukhane
ka nahi tha.. i am really sorry... please aap roiye mat.. aur aaj to holi
bhi hai.. please holi ke din to mat roiye na.." Harshit ne apni maa ke
gaalo par behte ansuo ko pochte huye kaha. Uski baat sunkar unhone
ek nazar Harshit ki taraf dekha to paya uski aankhe bhi nam hai.
Unhone uske sir par hath fera aur pyar se kaha-
"You know you are the best son in the world.. aaj tak mai kabhi
terese naraz huyi hu jo ab hungi?? Wo sab chhod aur ye bata ki teri
chillar party kitni der mai aa rahi hai?? Mujhe nashta bhi to banana
hai sabke liye.."
"And you are the best mum in the whole universe.. aur meri best mum
holi par kaam nahi karti.. balki apne bete ke sath holi enjoy karti hai..
un logo ne 9 baje aane ko bola tha.. hum sab milkar holi celebrate
karenge.. aur breakfast bahar kisi hotel se maga lenge.." Harshit ne
kaha.
"But harshu.. teri poo ko to mere hath ke hi aloo ke paranthe pasand
hai.. wo to bolti hai ki aunty aapke jaise paranthe to sanjeev kapoor
bhi nahi bana sakta.." mom ne kitchen ki taraf badhte huye kaha.
"Wo to hai.. lekin aaj ke din wo bhi adjust kar hi legi.." apni mom aur
kitchen ke beech aate huye harshit bola. Usne apne dono hath faila
rakhe the taki mom kitchen nai na ja sake.
"Ok.. ok.. jaisi teri marzi.. lekin agar usne kuch kaha to tere ko hi
aage kar dungi.. ha.. waise bhi tere papa bahar gaye huye hai to unka
breakfast to banana hi nahi tha..'' mom ne haar mante huye kaha.
"Use to mai dekh lunga.. agar jyada patar-patar ki to aisa pakka rang
lagaunga ki do mahine tak chhuda nahi payegi.." mahaul ko halka karne
ke liye harshit bola jo pehle hi kafi halka ho chuka tha.
"Achha!!!" Harshit ke kaan umethte huye mom boli.
"Khabardar jo tune pooja ke chand jaise chehre par koi aisa waisa
rang dala to.. warna teri shadi kaise hogi usse??"
"Kya mom aap bhi na.. kya har baar peeche pade rehte ho?? Hum to
bas achhe dost hai.." Harshit ne sharmate huye gardan jhukakar
kaha.
"Achha chehra to dikha apna.. mai bhi to dekhu mera Harshit jhoot
bolta hua kaisa dikhta hai.."
Harshit ke chehre ko upar uthate huye kaha.
"Are dekho to sahi.. shadi ki baat sunte hi kitna sharma raha hai..
gaal to dekho tamatar ki tarah laal huye ja rahe hai.."
Harshit ke gaal sachmuch laal ho chuke the.
"Chal sharmana chhod aur wo dekh.. teri chillar party aa gayi.."
harshit ki mom ne kaha to Harshit ne bahar window se jhaaka.
Waha pooja, aditya aur priya garden tak aa achuke the ghar ki taraf
badh rahe the. Unhe aata dekh Harshit ne apne chehre pe chhayi
laali hatayi aur main door ki taraf badha. Harshit ki mom ab kitchen
to ja nahi sakti thi kyuki bete ka 'Order' tha isliye wo bhi uske sath
unka swagat karne ke liye uske sath chal padi.
Isse pehle ki aditya bell bajaye harshit ne gate khol diya. Harshit ne
dekha aditya sabse aage khada hai aur usne ek cream kurta aur
pajama pehan rakha hai jisme wo kafi dashing lag raha tha. Uske hath
mai ek bag tha jisme shayad unke holi ke baad ke kapde the.
"Happy holi..." kehte huye harshit aditya ke gale laga.
"Happy holi bro.. and aunty aapko bhi.. happy holi.." aditya ne kaha
aur phir unke pair chhuye.
"Happy holi beta..." mom ne kaha.
Harshit abhi priya ko wish kar raha tha aur phir number aaya pooja
ka. Pooja ne ek white salwar pehan rakha tha jisme wo bahut hi cute
aur gorgeous lag rahi thi.
"Ohh poo... aaj tera iraada kuch theek nahi lag raha.. aisa katil look
banake mera murder karne aayi hai kya??" Pooja ke gale lagte huye
Harshit uske kaan mai phusphusaya.
"Irada to yahi hai.." ek pyari lekin shaitani muskan ke sath pooja ne
kaha.
"Bada nek irada hai.. waise ye kaun hai??" Pooja ke peche khade ek
shaks ki taraf ishara karte huye Harshit ne poocha. Us shaks ne ek
kala jacket pehna hua tha jiska hood uske chehre ko bhi dhak raha
tha.
''Kaun?? Yaha to aur koi nahi hai.. bas hum teen hi to aaye hai..."
pooja ne peeche mudte huye kaha. Use waha koi bhi nahi dikh raha tha. Harshit ki baat sunkar baki sabne bhi waha dekha lekin unhe bhi
koi dikhayi nahi diya.
"Are kyu mazak kar rahi hai.. ye khada to hai banda tere theek
peeche.. bata na kaun hai??" Pooja se thoda chidte huye Harshit bola
aur phir khud hi us shaks se bola-
"O bhai.. kaun ho yaar.. jara chehra to dikhao.." lekin us shaks ne koi
jawab nahi diya aur waise hi khada raha.
"Bhai waha sach mai koi nahi hai.. tere ko koi veham hua hai.." aditya
harshit ke kandhe par hath rakhte huye bola.
Harshit aditya ki taraf palta aur bola, "abe koi veham nahi hua hai..
ye khad...." kehte huye wo wapas palta to dekha pooja ke peeche koi
nahi tha.
"Abhi to yahi tha.. kaha gaya??" Pooja ke peeche jate huye Harshit
bola. Use bada ascharya ho raha tha ki achanak wo shaks gayab kaha
ho gaya. Usne garden mai Idhar-udhar nazar daudayi lekin koi dikhayi
nahi diya.
"Bhai hum sach keh rahe hai.. humare sath aur koi nahi tha.. bas hum
teeno hi aaye hai.. yakeen na ho to aunty se pooch le.." aditya bola.
"Adi sahi keh raha hai harshu.. waha sach mai koi nahi tha.." hairani
aur chinta bhari awaaj mai mom ne kaha.
"Ye kya ho raha hai mere sath aaj.. jab se wo sapna aaya hai.. sab
kuch azeeb ho raha hai.." harshit man hi man badbadaya.
"Harshu.... theek to ho na.." priya ne poocha to harshit apni soch se
bahar aaya.
"Bhaang to nahi chada aaya...." pooja ne haste huye poocha.
"Tujhe to mai.. tu ruk... abhi batata hu tujhe..." kehte huye harshit pooja ki taraf lapka lekin isse pehle ki wo use pakde wo ghar ke andar bhag gayi. Harshit bhi uske peeche bhaga.

"Inka to chalta hi rahega.. bachpan se hi aise hai.. tum dono andar
aao.." harshit ke pooja ke peeche bhagte hi mom ne aditya aur priya
se kaha.
Idhar bhagte huye pooja harshit ke room mai aa gayi aur door andar
se band kar liya. Harshit ne ye dekh liya to wo apne parents ke room
mai gaya aur waha se bathroom mai. Uske room aur uske parents ke
room ka common bathroom tha jisme do gate the jo dono rooms mai
khulte the. Usne pehle dheere se apne room wale darwaze ka knob
check kiya aur jab dekha ki wo khula hua hai to uske chehre par
muskan tair gayi. Usne apni jeb se color ka packet nikala aur thoda
color pani ke sath milakar hath par mala aur gate ki taraf badh gaya.
Idhar pooja abhi bhi is baat se anjaan thi ki harshit ka 'attack' us
par bas hone hi wala hai.
Harshit ne bahut hi dheere-dheere gate ka knob ghumaya aur bina
koi awaaj kiye gate kholne laga. Excitement uska bhi bahut high tha.
Jaise hi usne gate poora khola uske ascharya ka thikana na raha aur
rang ka packet uske hath se chhut gaya.
"Its impossible... ye to na..na..mumkin hai.." harshit kapkapate huye
bola.
To be continued...
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,684
8,517
219
Dubara padh raha hun... maza aa rahahai. Sahi mein its one of th most mysterious stories i have ever read.
Bhai ye sab update likhw hue hain... to 3-5 update to roz de do :D
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
:congrats: niks bhai for restarting this story
ab maja aane vala hai iss story ko padhne me
aur story ka poster chipkao chachu
:welcome: niks bhai :hug:
jaankar acha laga aapne finally yaha aane ka mann bana liya
haa maine hi kaha tha ju ko
aur iss baar poori karni padegi bhai varna :bat:
aur iske baad ttm2 bhi chahiye meko :waiting:
:congrats: niks bhai for restarting this story
ab maja aane vala hai iss story ko padhne me
aur story ka poster chipkao chachu
Tumhare hi khne pr shuru ki h.. Dekhte h poori to krni hi h is baar.. Poster ka jpg ni h mere paas.. Koshish krta hu mil jaye
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
:welcome: Niks bhai.. ise shuru se hi padna padega kyun ki mei ise bhul chuka hun
Par dekh kar acha laga ki aap kahani lekar aye ho
Exam aa rahe hain dhayan uspar hi rahega vaise to apka :redface:
But bahut acha laga dekh kar :ecs: mujhe TTM2 ka intezar tha :hug: par aa gaye to likh hi doge
Thanks harshit bhai.. Wese to priority exams hi h but abhi job hold pe hai to tym mil jayga thoda bahut.. TTM 2 to iske poora hone k baad hi aaygi..
Dubara padh raha hun... maza aa rahahai. Sahi mein its one of th most mysterious stories i have ever read.
Bhai ye sab update likhw hue hain... to 3-5 update to roz de do :D
Ha bhai koshish to yhi h but sala net bahut bekr aata h mere yha.. Upar se pdf se copy paste kring to kantala aata.. ?
 
  • Like
Reactions: harshit1890

Niks77kill

New Member
76
75
34
6. Love Is In The Air
Update 6
Harshit ko yakeen nahi ho raha tha ki jo wo dekh raha hai wo sach
hai. Is waqt wo wo darwaze se enter ho chuka tha aur wapas
bathroom mai hi pahuch chuka tha.
"Ye kaise ho sakta hai?? Mai abhi to bathroom se bahar aaya tha aur
ab phir bathroom mai??" Harshit khud se badbadaya. Usne peeche se peeche kiya bina harshit se nazar hataye. Wo bhi dubara us pal
mai kho chuki thi.
Akhirkar man mai jaagi in nayi bhawnao ne pooja ki sharam ki chadar
lapet li aur usne apni aankhe band karli. Dono ko pata bhi nahi chala ki
unke chehre ke beech ki doori kab khatam ho gayi unke hoth ek
dusre se mil gaye. Harshit ki aankhe bhi band thi aur wo apne hotho
par gulab ki pankhudiyo jaise pooja ke hoth mehsoos kar raha tha.
Wahi pooja ka bhi bura haal tha aur wo harshit ko khud se door
karna chahti thi lekin wo chahkar bhi kar nahi pa rahi thi. Dil ke aage
dimag ki kaha chalti hai aur phir harshit ki taraf to wo hamesha se hi
attracted thi. Lekin aaj wo samajh chuki thi ki wo attraction nahi
love tha.
Waqt mano tham sa gaya tha un dono ke beech. Dono ki hi ye first
kiss thi aur wo bhi itni romantic jiski kalpna har premi joda karta hai.
Dono ke hoth is kadar jud gaye the mano hamesha se hi judw huye
the. Apne aap hi harshit ke dono hath pooja ki taraf badhe aur use
kaskar apne seene se chipka liya mano poori zindagi ab use kahi nahi
jane dega. Jaha kuch der pehle uski dhadkan rukne ko utawli thi wahi
ab 100 km/hour ki speed se bhag rahi thi.
Kareeb do minute baad harshit ne apni aankhe kholi aur pooja ke
masum chehre ko dekhne laga. Pooja ke hoth abhi bhi usse jude huye
the aur uski aankhe abhi band thi lekin jab harshit nigah uske chehre
ke peeche padi to dar ke maare uski saans hi atak gayi. Waha pooja
ke chehre ke theek bagal mai use wahi laal bona dikayi diya jo use
mirror mai dikha tha. Wo bona apni badi-badi safed aankho se use hi
ghoor raha tha aur muskura raha tha jisse uske shareer mai kampan
ki ek lehar daud gayi. Uski muskan had se jyada darawani thi kyuki ye
uske ek kaan se dusre kaan tak faili huyi thi. Harshit ne apni aankhe
kaskar band ki aur jaise hi dubara kholi wo bona gayab ho chuka tha.
Harshit ke shareer mai hote kampan ko pooja ne bhi mehsoos kiya
jisse wo bhi wapas hosh mai aa gayi. Usne apni aankhe kholi to dekha harshit upar chhat ki taraf ghoor raha hai. Uske chehre par dar ko
saaf pada ja sakta tha.
Pooja ko jaise hi samajh aaya ki abhi-abhi kya hua uske chehre par
chhayi laali aur badh gayi aur wo harshit ke upar se uth gayi. Harshit
bhi khada ho gaya lekin uske dimag mai abhi wahi bona ghoom raha
tha.
"So.s..orry.. wo mera bal..l..ance.. mai chalti hu.." pooja ki madhur
magar ladkhadati awaaj harshit ke kaano mai padi to uska dhyan toot
gaya aur use abhi beete pal yaad aa gaye.
Pooja darwaje ki taraf badhi hi thi ki Harshit ne peeche se uska hath
pakad liya aur use apni taraf kheecha. Pooja phir se harshit ki baaho
mai thi lekin is baar uska chehra jhuka hua tha.
Harshit ne uska chehra upar uthaya to dekha laal rang se bhi jyada
uska chehra sharam se laal hua ja raha tha.
"Pooja.. I..I..love you.." kehte huye usne apne hoth dubara uske hotho
se jod diye. Pooja ne koi resist nahi kiya aur uski baaho mai yu hi
khadi rahi uske hotho se hoth lagaye.
Achanak uski sharam ne uske pyar par dhaava bol diya aur wo harshit
ki pakad se chhutkar tezi se darwaza kholkar bahar bhaag gayi.
"Are.. jawab to deti ja.." harshit thodi tez awaaj mai bola jise pooja
me suna to jarur lekin koi jawab nahi diya. Bas muskurati huyi
corridor se hoti huyi bahar hall mai un teeno ke paas aa gayi.
"Ye pagal kisi na kisi din meri jaan lekar hi rahegi.." harshit khud se
bola aur muskurate huye wo bhi bahar chal diya. Wahi bathroom wale
gate se wo bona jhaank raha tha aur harshit ko jate huye dekh raha
tha.
"Kya pooch raha tha ye jiska jawab itni jor se maang raha tha??"
Harshit ki mom ne pooja se poocha. Uski awaaj itni tej thi ki yaha
bahar in teeno ko bhi sunayi de gayi.
Mom ka sawal sunkar harshit ekdum ghabra gaya lekin isse pehle ki
wo kuch kahe pooja bol padi-
"Kuch nahi aunty.. ise holi bahut pasand hai na.. to bas pooch raha tha
ki if i love holi too??''
Aur phir harshit ki taraf dekhkar sharmate huye wo boli "Me too..."
To be continued...
 
Top