• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Fear-Trap (Dar ki Nayi Inteha)...

Niks77kill

New Member
76
75
34
13. Parcel
Update 13
"Congratulations Mr Harshit Gupta, you have been selected as a contestant for one and only horror reality tv show 'Fear-Trap.. Dar
Ki Nayi Inteha..'
You will be contacted as soon as possible with a parcel already dispatched to your address.
Best Of Luck."
Email padhkar harshit ko yakeen hi nahi ho raha tha ki ek recieved
mail kaise alter ki ja sakti hai.
"Mom sach keh raha hu.. abhi thodi door pehle ye mail kuch aur thi.. ye sam bhai ne bheji thi.." harshit ne kaha. Jaise hi harshit ne sam ka naam liya mom ke chehre ki hasi gayab ho gayi aur uski jagah dukh
aur takleef ne leli.
"Harshit tujhe mujhe pareshan karne mai maza aata hai kya?? Mai
jitna un yaado se door jane ki koshish karti hu.. tu mere ko wapas
unhi ke paas kheech lata hai.." mom ne ruanse hote huye kaha.
"Sorry mom.. mera aisa irada bilkul nahi tha.. lekin abhi is mail mai
'rondu harshu' laga hua tha.. aap hi batao sam bhai ke ilawa mere ko
rondu kaun kehta tha.."
"Par isme to aisa kuch bhi nahi hai.. tune bhi to pada na abhi.. kaha
hai isme aisa kuch.." mom ne avishwas bhari nazro se kaha.
Harshit kuch jawab de isse pehle hi doorbell phir se baj uthi.
"Lagta hai wahi parcel aaya hoga.. par Itni jaldi.." mom ne bell ki
awaaj sunkar kaha.
"Wahi to mom.. kuch bahut badi gadbad chal rahi hai.. abhi 15 min
pehle hi maine registration kiya hai.. aur itni jaldi mera selection bhi
ho gaya.. aur parcel bhi dispatch ho gaya.. mom.. registration ka form
bhi pehle se bhara hua tha poora.. aur bilkul sahi-sahi.." harshit ne
kaha jisse mom uske chehre ko ektak ghoorne lagi.
"Ye horror movies dekh-dekh kar tera dimag kharab ho gaya hai.. are
naash jaye ye Hollywood walo ka.. kitni darawani horror movie banate
hai.. kal jo 'The Conjuring' dekhi hai ye usi ka asar hai.." mom ne
haskar darwaze ki taraf badhte huye kaha. Wo topic ko divert karna chahti thi aur wo kamyab rahi. The Conjuring ek aisi movie thi jise dekhne ke baad harshit ki kal raat neend hi ud gayi thi. Abhi doorbell dubara baji hi thi ki unhone darwaja khol diya.
"Are aa gayi bha.." wo keh hi rahi thi ki ruk gayi kyuki samne koi nahi tha. Unhe ye bada azeeb laga kyuki doorbell abhi poori baj bhi nahi payi thi ki unhone gate khol diya tha isliye jisne bhi bell bajayi thi use waha hona hi chahiye tha. Unhone bahar nikalkar garden mai
dekha lekin waha bhi koi nahi tha.
"Azeeb baat hai.. itni jaldi koi gayab kaise ho sakta hai??" Mom
budbudayi aur wapas aane lagi ki tabhi unhone dekha gate ke samne
ek chhota sa parcel rakha hua hai.
"Ye abhi to yaha nahi tha.. itni jaldi... kaise??" Mom ne khud se kaha
aur us parcel ko utha liya. Us par bhejne wale ka naam, pata kuch nahi
tha, bas ek laal khopdi bani hui thi do chhote-chhote seeng wali jiske
upar likha tha "FEAR" aur neeche likha tha "TRAP".
"Kaun hai mom??" Andar se harshit ki awaaj aayi.
"K..ko..koi nahi.. bas parcel hai ek..." mom haklate huye boli. Thoda
dar to ab unke andar bhi sama chuka tha.
Parcel ko lekar wp andar aayi aue ek baar phir garden par sarsari
nigah dalkar gate band kar liya.
Parcel ki baat sunte hi harshit turant gate ki taraf aaya aur jaise hi
mom peeche mudi harshit ko bilkul apne peeche khada dekh dar gayi.
"Ohh.. harshu.. aise na daraya kar mujhe.."
"Parcel mai kya hai mom??" Mom ki baat sune bina harshit ne poocha.
Uski nigahein us chhote se peele wrapper mai pack parcel par hi tiki
huyi thi.
"Wahi se hai.. fear-trap se.."
Itna sunte hi harshit ki ashanka sach sabit ho gayi. Fear-trap ka
parcel aa gaya tha aur ye jankar jaha koi khush hota wahi harshit ke
mathe par dar ki lakeere khich gayi.
"D..de..dene k..kaun aaya tha??? I..in..insan hi tha na??" Harshit ne
haklate huye poocha.
"Ye kaisa behuda sawal hai.. insan hi tha ka kya matlab hai.. horror
show hai to kya bhoot parcel dene aayenge.. waise maine use nahi dekha.. jab darwaza khola to yaha koi nahi tha.. bahar garden mai bhi
koi nahi tha.. jab peeche mudi to ye parcel rakha hua tha neeche..
lekin iska matlab ye nahi ki bhoot parcel bhej rahe hai.. samjha.."
parcel harshit ke hath mai patakte huye mom gusse se boli. Ek to
unko pehle hi kafi azeeb lag raha tha aur us par harshit ke is sawal
ne unhe aur dara diya jiska nateeza unki is fatkaar ke roop mai
samne aaya.
"Mera matlab wo nahi tha.. mai to..."
"Mai to kya?? Haa?? Chal chhod ab is baat ko.. aur ye parcel khol ke
dekh kya hai isme.." mom ne wapas hall ki taraf jate huye kaha jabki
harshit wahi khada raha. Unki awaaj kuch shant jarur ho gayi thi
lekin gussa abhi bhi unki awaj mai tha. Sofe par baithte huye unhone
kaha-
"Harshu.. kya hua?? Wahi khada rahega ya yaha bhi aayega.."
Is baar unki awaaj bilkul normal thi jise sunkar harshit waha center
table ke paas aaya aur sofe par baith gaya. Baitha-baitha wo parcel
ko hi dekh raha tha jis par bana wo skull use aisa lag raha tha jaise
abhi bahar aakar uspar jhaptega.
"Harshu.. tu theek to hai.. kholta kyu nahi re ise.."
"Mom.. mere ko dar lag raha hai.. mai nahi kholunga ise.."
"Isme darne ki kya baat hai.. ek parcel hi to hai.. koi bomb thode hi
hai.." kehte huye mom hasne lagi. Mom ko hasta dekh harshit ka
tanaav bhi thoda kam hua.
"La mujhe de.. mai kholti hu ise.." kehte huye mom ne apna hath
parcel ki taraf badhaya lekin harshit ne unhe parcel nahi diya.
Usne bahar ka wrapper fada to dekha andar ek chhota sa gatte ka
laal color ka box hai. Usne box ka dhakkan hataya to dekha usme ek
letter rakha hua hai. Us letter ke alawa us box mai kuch nahi tha.
Usne kaapte hatho se letter bahar nikala aur use padne laga.
"Congratulations Mr Harshit Gupta,
Jaisa ki aap jante hai aap un 10 luck civilians mai se ek hai jinka
selection duniya ke ekmatra horror reality show fear-trap ke liye
kiya gaya hai. Aur ek baar selection hone ke baad aap peeche nahi
hat sakte. 'Fear-trap... Dar Ki Nayi Inteha..' jo pichhle terah saalo
se India ko darata aa raha hai ab apne 13ve safar ke liye aapka
swagat karta hai.
Aap aur baki 9 contestants ko chuna gaya hai ek aise safar ke liye jo
aap sabki jindagi hamesha ke liye badal dega. Jaisa ki aap jante hi hai
ki abhi tak ke hamare 12 seasons mai koi bhi is show ko nahi jeet
saka hai lekin is baar hume umeed hai ki aap 10 mai se koi ek hamara
vijeta jarur banega.
Is show ka hissa banna hi bahut badi uplabdhi hai Lekin jaisa ki aap
jante hai ki is show ko jeetne par ek bahut bada inaam aapka intezar
kar raha hai. Par jo aap nahi jante wo ye hai ki wo inaam kitna bada
hai kyuki aaj tak koi use nahi jeet saka hai. Lekin agar aap waha tak
pahuchte hai, is show ko jeette hai aur us inaam ke haqdar bante hai
to aap soch nahi sakte ki wo inaam kitna bada hoga. Is duniya ki
beshkimti se beshkimti cheez bhi us inaam ke aage kuch bhi nahi hai.
Jaisa ki aapne pichhle kayi seasons mai dekha hai, hamara show ek
survival based show hai jisme aapko ant tak bas tike rehna hai chahe
by hook or by crook. Isliye aap apne sath apne survival ke liye jaruri
koi bhi samaan apne sath la sakte hai lekin sirf ek bag-pack hi
allowed hai. Aur ek jaruri baat aap apne sath mobile nahi la sakte aur
show ki avadhi ke dauran aap apne pariwar se contact karne ki koi
koshish nahi karenge.
Show ka pehla episode 13th June ko shoot hoga isliye aapko apna
bag-pack lekar 14, Gulliver Street, Film Town mai mojoud hamare set
par pahuchna hai. Set par enter hote hi shooting shuru ho jayegi. Aur
dhyan rahe is show mai koi re-take nahi hota. Good Luck. Umeed hai ki is baar hume hamare show ka vijeta jarur
milega."
"To ye hai meri kahani.. aur is tarah mai is show mai aaya.. isliye mai keh raha hu ki ye show wo nahi hai jo dikhta hai.. hum log is waqt sach mai maut ke muh mai hai.." harshit ne kaha. Is waqt Harshit ek room mai baitha hua tha aur use gherkar pooja, aditya, priya ke sath aur 6 log khade the jinme 2 bachhe bhi the.

To be continued...
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
14. Studio
Update 14
"Papa... mujhe aapki gun mil sakti hai??" Harshit ne apne papa se
poocha. Bas ek din hi bacha tha use show mai jane ke liye.
"Kyu??"
"Fear-trap ke liye.. unhone kaha hai ki mobile chhodkar kuch bhi la
sakte hai survival ke liye.. isliye.."
"Tum sirf ek tv show mai ja rahe ho.. kisi jung ke maidan mai nahi..
samjhe.. kuch bhi le ja sakte ho ka matlab ye hai ki gola-barood le
jaoge??"
"Par papa... waha jarurat pad sakti hai??"
"Ek tv show mai?? Tumhara dimag to kharab nahi ho gaya hai??"
"Par papa....."
"Par var kuch nahi... gun nahi milegi to matlab nahi milegi.. jao aur
baki ka saman rakho bag mai... aur kal bata dena mujhe kitne baje nikloge.. mai chhod dunga tum logo ko studio tak.." papa ne daat kar
harshit ko akhir mana kar hi diya. Harshit bujhe man se wapas apne
room mai aa gaya. Papa ne gun dene se mana kar diya tha matlab ab
use unse bachne ka koi aur rasta dhoodna padega. Aur waise bhi wo
jinse dar raha tha un par gun se kya asar hone wala tha.
Sirf ek hi bag-pack allowed tha isliye saman use kafi soch samajhkar
rakhna tha. Usne sabse pehle 2 jodi kapde, ek torch aur batteries,
ek knife, rassi, sleeping-bag, tarah-tarah ki painkillers, medicines
wagerah, ek pani ki bottle, kuch khane ke packets apne bag mai
bhare.
"Ye book bhi rakh leta hu.. kya pata kuch kaam hi aa jaye.." paas hi
uski table par rakhi ek book ko uthate huye wo bola jiska title tha
"How To Survive At Unknown Places". Ye book kal hi uski mom lekar
aayi thi uske liye kyuki koi nahi janta tha ki use kaise halato ka samna
karna pade. Jaise hi usne book uthayi to dekha uske neeche ek kagaz
rakha hua tha. Usne wo kagaz uthakar dekha to wo wahi letter tha jo
us din us parcel mai se nikla tha. Usne ek baar phir us letter ko upar
se lekar neeche tak padha aur phir usko tarod-marod kar uski baal
banayi aur use door fek diya. Kagaz door pada tha aur apna saman
bharte huye baar-baar harshit ki nazar usi par ja rahi thi jaise abhi
wo kagaz koi harqat karega. Kuch der baad jab us ball ki ek teh khuli
to harshit apni jagah se utha aur us ball ko kholkar use seedha kiya.
Hath ferkar uski silwatein mitane ki koshish ki aur phir wapas apni
jagah aakar usne apne bag se us book ko nikala aur us letter ko uske
panno ke beech rakh diya. Book ko letter sahit usne bag mai daal liya
aur zip kheech di. Uska bag ab ready tha. Uski mom jab room mai
aayi to unhone dekha ki harshit bag laga chuka hai.
"Are harshu.. tera bag bas lag bhi gaya?? Itna sa saman hi lekar
jayega??"
"Momm.. aapko pata to hai ek hi bag allowed hai.."
"Ha pata hai.. lekin abhi bji isme kafi khali jagah hai.. mai kuch
khane-peene ka saman aur lati hu.. kya pata kitne dino tak waha
rehna pade.. kuch bhi to bataya nahi hai unhone.. achha ye bata pooja,
priya aur aditya bhi ja rahe hai kya??"
"Ha wo log bhi ja rahe hai... aditya ki karastani hai ye.. usne apna
form to bhara hi.. un dono ka bhi bhar diya maje-maje mai.. bina unhe
bataye.. aur ab call aa gayi hai to peeche to hat sakti nahi dono..
achhi khasi pitayi lagayi thi dono ne milkar uski.."
"Lagani bhi chahiye.. aisa mazak bhi koi karta hai bhala.. par chalo jo
hua achha hi hua.. charo ek sath rahoge to ek dusre ke sath jyada
achhe se khayal rakh paoge.. tu ruk mai kych chips wagerah aur lati
hu.."
Kehte huye mom waha se uthkar chali gayi aur kuch hi der baad lauti
dher sare khane peene ke packets ke sath. Harshit ne badi mushkil
se unhe bag mai thoosa lekin phir bhi kayi packets bahar reh hi gaye.
Agle din harshit ko dopehar mai nikalna tha. Jate huye jab wo mom
ke gale laga to uske ansoo nikal aaye. Use aisa lag raha tha mano ye
akhiri baar hai jab wo mom ke gale lag raha hai. Iske baad shayad use
mauka nahi milega.
"Naaa.. bahar jate huye rote nahi hai.. bura shagun hota hai.." mom ne
uske ansoo pochte huye kaha.
"To rote huye kisi ko vida karna bhi achha shagun nahi hota.." mom ke
chehre se ansoo hatata hua harshit bola. Jab unhone apne chehre par
hath fera to dekha unke khud ke bhi ansoo nikal rahe hai. Uske
mathe par ek kiss karte huye unhone kaha-
"Good luckkkk.. ishwar kare jeet tumhari hi ho.."
"Are chalo bhai.. yahi sara din lagao kya dono maa-bete... chalna nahi
hai kya??" Bahar car ka horn ka bajate huye papa chillaye. Hatshit ek
akhiri baar maa ke gale laga aur phir car ki taraf chal diya.
Charo ne milkar tay kiya tha ki sab harshit ke papa ke satb unki car
se hi chalenge. Harshit ne pehle aditya, phir pooja aur ant mai priya
ko pick kiya aur phir charo harshit ke papa ke sath nikal pade film￾town ke liye.
"Tujhe pakka pata hai na yahi address hai?? Kyuki is building ko
dekhkar to ye lag raha hai ki insan to chhodo salo se yaha koi parinda
bhi nahi aaya hai.. pakka yahi address hai na?? Nahi to mai chalu kya
andar tum logo ke sath??" Gulliver Street ke 14 number ke studio ko
dekhte huye harshit ke papa bole. 14th studio Gulliver street ka
sabse last studio tha aur sabse bada bhi lekin kafi badhaal tha. Kayi
khidkiyo ka kaach toota hua tha, jagah-jagah se paint ukhda hua tha
aur deewaro mai kayi bade-bade surakh ho rahe the.
"Yahi address hai uncle.. wo kya hai na ki shooting hamare enter hote
hi shuru ho jayegi.. to ho sakta hai ki horror dikhane ke liye aisa look
diya ho.. aur waise bhi aapka aana allowed nahi hai waha.. only
contestants..." harshit bole isse pehle hi aditya bola. Sab log car se
utar chuke the aur dikki se apne-apne bag-pack nikal rahe the.
"Aditya sahi keh raha hai papa.. aap chinta na karo.. ye sahi jagah
hai.." Harshit bola.
"Theek hai.. tum log kehte ho to.. chalo.. good luck to all..."
"Thank you uncle.." teeno ne ek sath kaha. Harshit papa se gale mila
to phirse uski aankh bhar aayi.
"Ro kyu raha hai?? Hamesha ke liye thode hi na game mai rahega
tu..." Harshit ko puchkarte huye unhone kaha. Halaki aankhe unki bhi
bhar aayi thi.
"Chal jaa ab.. aur ha.. jeet ke hi aaiyo.." harshit ko vida karte huye
papa bole.
Charo dheere-dheere kadam badhate huye studio ke bade se double￾door ki taraf chal diye. Unke kareeb aate hi wo doors apne aap khul
gaye aur wo charo usme enter ho gaye. Harshit ke papa unhe tab tak
dekhte rahe jab tak wo charo studio ke andar nahi chale gaye.
Unke andar jate hi wo wapas car ki taraf mude to ek aadmi ko unhone
paas se gujarte huye dekha. Wo shayad film town ke kisi studio mai
crew-member tha.
"Are bhai.. jara sunna.. ye fear-trap ki shooting isi studio mai ho rahi
hai na??" Harshit ke papa ne us aadmi se poocha. Unke itna bolte hi
us aadmi ne unhe upar se lekar neeche tak ghoora aur phir bola-
"Kya saab.. kyu mazaak karele ho.. is studio mai to pichhle terah saalo
se koi shooting nahi huyela.. aur ye fear-trap kaunsa show hai.. apun
to pehlich baar hi naam sunela hai.."
Itna sunte hi unke pairo tale jameen khisak gayi.
"Par maine abhi mere bete aur uske dosto ko waha andar chhoda
hai..." harshit ke papa badhawas hote huye bole.
"Are saab.. ye kya bol rele ho.. ye studio bhutiya hai tabhich to band
hai.. jaldi se leke aao un bachho ko.. warna kuch bura jarur ho jayega
unke sath.. ab tak darzano ticket kaat chuka hai ye studio.." wo aadmi
bola. Dar uski shakal par bhi saaf padha ja sakta tha.
Us aadmi ko lekar harshit ke papa studio ki yaraf bhage aur jaise hi
andar ghuse unko apni aankho par yakeen hi nahi hua. Andar tooti
khidkiyo se dhoop aa rahi thi jisme unhone us studio ke sannate ko
dekha. Andar koi nahi tha aur na hi kisi ke hone ka ehsaas. Studio ke
farsh par aur waha mojoud sabhi cheezo par dhool ki moti parat jami huyi thi lekin us par bhi kisi ke chalne ya chedne ki chhap nahi thi
siway unke aur us aadmi ke.
"Harshiiittttt... harshiiittttt..." chillate huye wo idhar udhar dekhne
lage lekin andar unhe koi nahi mila siway dhool-mitti aur sannate ke.
Unki aankho se lagatar ansoo beh rahe the jo neeche farshi ki dhool
ko nam kar rahe the.
"Chalo saab... chalo yaha se.. aapka bachha log chala gaya... ye studio
unhe bhi nigal gaya.. yaha aisa hi hota hai saab.. log andar jate to hai
lekin kabhi bahar nahi aate.. lashe bhi nahi.. isse pehle ki hamara bhi wahi haal ho chalo saab..." us aadmi ne harshit ke papa ko kheechte
huye kaha. Use to bas yaha se bahar nikalne ko jaldi thi.
"Policcceee... mai police ke paas jaunga.." unhone apne ansoo pochte huye kaha.
"Kya saab... kaisi baat karele ho.. bhala police bhooto ka kya ukhad legi.. na jane kitni baar police yaha aa chuki hai lekin aaj tak kuch bhi nahi pata laga payi.. ab to is studio ko hamesha ke liye band kiya ja chuka hai.. iske darwaze par hamesha ek moti chain aur us par ek bada sa taala latka rehata hai.. pata nahi aapka bachha log ne usko kaiise khola??" Us admi ne bahar jate huye kaha.
Uski baat sunkar harshit ke papa ko dhyan aaya ki kaise wo gate un charo ke paas pahuchte hi apne aap khul gaya tha.
Wo bhi wapas gate ki taraf badhne lage ki ekdum ruk gaye. Wo hawa mai jaise kuch mehsoos karne ki koshish kar rahe the lekon waha kuch bhi nahi tha. Jaha wo khade the unse bas 6 inch door harshit aur usme dost khade the lekin na wo unhe dekh pa rahe the aur na hi harshit ke papa unhe.
To be continued...
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
15. Let The Game Begins
Update 15
Jaise hi harshit aur uske teeno dost studio ke kareeb pahuche uska
gate apne aap khul gaya. Harshit ne ek akhiri baar papa ko dekha aur
phir apne dosto ke sath studio ke andar chala gaya. Andar aate hi
unhone dekha ki ye studio jaisa bahar se dikhta hai andar se bilkul
uska ulta hai. Waha kafi roshni thi aur jagah par spotlights lagi huyi
thi jinka focus unki taraf tha. Laal rang ka saaf-suthra farsh
spotlights ki roshni mai chamak raha tha. Studio ki chaka-chaundh ne
unke hosh hi uda diye the. Wo charo dheere-dheere chalte huye aur
idhar-udhar camero aur spotlights ko dekhte huye aage badh rahe
the.
"Kitna shandar studio hai.. bahar se dekhne par to ekdum khandhar
lag raha tha.. lekin andar se to... kamal hi hai.." aditya utsahit hote
huye bola.
"Sahi kaha adi... lekin mujhe nahi lagta ki ye jaisa dikh raha hai..
waisa hi hai.." harshit ne tirchhi nazar se use dekhte huye kaha. Uske
liye ye sab ek chhalawa tha jo is fear-trap ka racha hua ek jaal tha
un sab ko fasane ke liye.
"Aisa kyu keh raha hai harshu?? Dekh rahi hu jab se tujhe hosh aaya
hai kafi badal gaya hai tu..." pooja ne poocha.
"Kuch nahi.. bas aise hi... mai bhi na.. tujhe to malum hi hai kuch bhi
bolta rehta hu.." pooja ko talte huye harshit apne bag ko peeth par
adjust karte huye bola. Wo is waqt kisi ko bhi darana ya pareshan
karna nahi chahta tha.
Chalte huye harshit ne gaur kiya ki studio mai lights, cameras,
equipments to bahut hai aur kaam kar rahe hai lekin inko chalane wala
koi nahi dikh raha tha. Gulzar hote huye bhi studio bilkul veeran tha.
Achanak unhe samne kuch dikha jisse unke kadam ruk gaye. Unhone
dekha ki samne kuch log khade hai jo aapas mai kuch baat kar rahe hai aur unki peeth par bhi bag-packs lade huye the. Par jo unhe nahi
dikha wo ye ki is waqt unse kuch hi door unke theek samne harshit ke
papa khade hai jo inke aise gayab ho jane se badhawaas ho chuke hai.
Ye charo is waqt ek aisi jagah thi jaha inke liye haqeeqat kuch or aur
baki logo ke liye haqeeqat kuch or thi.
"Kya hua sahab?? Ruk kaiku gaye?? Aapko chalna ho to chalo.. apun to
jarela hai.. apun to is bhootiya studio mai ek second nahi rukne wala.."
wo aadmi harshit ke papa se bola aur itna bolte hi waha se lagbhag
bhagta hua bahar bhag gaya. Uske peeche harshit ke papa bhi bahar
aa gaye ansoo bahate huye. Unki to duniya hi lut gayi thi. Pehle
Sameer aur ab Harshit bhi rehasyamayi tareeke se gayab ho gaya
tha jiska koi jawab unke paas nahi tha. Unhe bahar aate hi mobile
nikala aur ghar par mila diya harshit ki mom ko buri khabar sunane ke
liye. Wohi jante the ki pichhli baar kaise unhone mom ko samhala tha
jab harshit behosh tha aur sameer gayab tha. Is baar unhe samhalne
ki taqat papa mai nahi thi.
Harshit aur uske dost chalte huye un sab ke paas pahuche to usab ne
unki taraf dekha aur ek ladka jo lagbhag unhi ki umra ka tha aage
aaya.
"Hi.. tum log bhi contestants ho na??" us ladke ne unse poocha.
"Yup... mera naam aditya hai.. aur ye mere dost hai harshit.. pooja..
aur priya.." aditya ne jawab diya aur iske sath hi wo log bhi baki logo
ke paas aa gaye. Charo ne apna-apna intro sabko diya. Iske baad un
sabne bhi apne bare mai bataya.
"Hi... mera naam avinash hai.. B.tech third year ka student hu.. aur
kanpur se hu..."
"Hey everyone... myself tanisha... fashion designer hu.. mumbai se hi
hu..."
"Hi... my name is ankit.. Chartered Accountant hu.. from Delhi.. and
thats my twin sister Tara... she is a professional climber.. Everest
bhi chad chuki hai meri behan..."
"Hello.. mera naam rahul hai.. abhi 4th class mai hu.. bada hokar pilot
banna chahta hu.."
"Hi.. mera naam moni hai.. mai bhi 4th class mai hu rahul ke sath..
badi hokar mai actress banungi.."
Harshit ki aankhe badi ho gayi jab usne rahul aur moni ko dekha.
"Ohh ye kya.. bachhe bhi liye hai is baar.. bachho ko to baksh diya
hota.." usne socha. Use in bachho ke sath aage chalkar hone wale
khatarnaak hadso ko lekar chinta ho rahi thi.
"Kamal hai.. mujhe nahi pata tha ki bachhe bhi is show mai aa sakte
hai.. i mean.. pehle kabhi dekhe nahi is show mai kids..." aditya rahul
aur moni ki taraf dekhte huye bola.
"Are bhaiya hum chhote jarur hai.. lekin dekh lena end tak jayenge.."
rahul ne utsahit hote huye kaha to moni ne bhi uski baat ka
samarthan kiya. Dono hi bachhe jitne masum dikh rahe the usse jyada hi the aur sath hi utne hi utsahi bhi. Unki baat sunkar harshit muskuraye bina na reh saka. Use in bachho ka utsah dekhkar na jane
kyu khud par hi sharam aa rahi thi.
"Yaha koi dikh kyu nahi raha?? Sirf hum log hi hai kya yaha par??"
Kafi der tak aapas mai baatein karne ke baad harshit ne poocha.
"Ye baat to hamare bhi samajh nahi rahi yaar.. kitni der ho gayi aaye
huye lekin ek bhi crew member nahi dikha.. yaha lights hai... cameras hai.. lekin action bolne wala to koi bhi nahi hai yaha.." avinash ne
idhar-udhar cameras ki taraf dekhte huye kaha.
"Sach mai yaar.. ye to bahut hi azeeb baat hai.. shooting shuru ho ne
wali hai.. aur yaha ek parinda bhi nahi dikh raha jo bataye ki akhir
hume karna kya hai.. aur shooting kab aur kaha shuru hogi.. had hai
yaar aalas-pane ki bhi.." narazgi se apna pair patakte huye tara boli.
"Mai to yaha aana hi nahi chahti thi.. mujhe to ye show shuru se hi
azeeb lagta tha.." pooja bhi jhunjhulate huye boli.
"To phir yaha kaise aa gayi tum??" Tanisha ne use ghoorte huye
poocha.
"Is kamine ke karan.. isi ne hum dono ke form bhare the.." aditya ki
sir pe ek jordar hath marte huye priya ne kaha. Aditya ne sir sehlaya
to ek hath pooja ne bhi maar diya.
"Ae ab kyu maar rahi ho dono?? Us din kitni dhunayi ki thi yaad nahi
hai kya?? Ya ab bhi kuch kasar reh gayi hai??" Dono or se hamle hote
dekh aditya harshit ke peeche chhupte huye bola.
"Tu to beta ab poore show mai pitta hi rahega.. isliye jara bachke
rahiyo humse.." priya pooja se high five karte huye boli. Ye dekhte hi
aditya ka chehra par khauf ke mare paseena chhut gaya to wahi sabki
hasi.
"Bhaiya bachke rehna didi se.. ye bahut khatarnaak lag rahi hai..."
rahul bhi aditya ki chutki lete huye bola.
"Koi baat nahi bhaiya aap darna mat.. mai aapke sath hu.. mai aapko
bacha lungi.." moni ne bhi harshit ki chutki li. In dono ki aisi masum
baatein sunkar sab has pade.
"Welcome all contestants... welcome to fear-trap... Level 1 begins..."
ek tez darawni awaaj waha goonji to sab idhar-udhar delkhne lage.
Awaaj kafi kareeb se aa rahi thi lekin koi dikh nahi raha tha. Awaaj mai ek prakar ka painapan tha par sath hi phusphusahat bhi jo use
behad darawna bana rahi thi.
"Idhar-udhar kya dekh rahe ho?? Agar mujhe dhoodne ki koshish kar
rahe ho to rehne do... tum logo ka fear-trap ka safar shuru ho chuka
hai... is level ko clear karne ke liye tumhe 'Omni-Letter' ko dhoodna
hai.. meri awaaj tum log pehli aur akhiri baar sun rahe ho.. iske baad
kaise aage badhna hai iske bare mai 'Omni-Letter' hi tumhe
batayega.. aap logo ko fear-trap ki taraf se milne wali yahi ek pehli
aur akhiri madad hai.. 'Omni-letter' hi aapki har duvidha mai madad karega.. isliye ise jara samhal ke rakhiyega.. aur ek jaruri baat is show mai cheating bardasht nahi ki jayegi.. mobile ya kisi bhi tarah ki communication device ke jariye bahar kisi se contact karna bhi niyamo ka ulanghhan mana jayega.. niyamo ke ulanghhan ki saza utni hi kadi hogi jitna bada ulanghhan.. good luck.."
Isi ke sath jaise hi ye awaaj band huyi, sare cameras aur lights bhi band ho gayi.
"Bas??? Game shuru?? Itna hi??" Avinash ne poocha.
To be continued...
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
16. The Search Begins
Update 16
"Bas??? Game shuru?? Itna hi??" Avinash ne poocha. Studio ke jis
hisse mai wo khade the waha ab sirf tooti khidkiyo se dhoop ki roshni
aa rahi thi jisme wo ek dusre ko dekh pa rahe the.
"Lagta to yahi hai.. par in logo ne to lights.. cameras.. sab band kar
diye.. to shooting kaise kar rahe hai ye log?? Or ye sala crew kaha
hai??" Aditya ne cameras ki taraf dekhte huye kaha.
"Abe ae.. kya kaha tune?? Sala?? Sharam nahi aati bachho ke samne
hi gali de raha hai..." Aditya ke sir par hath marte huye priya boli.
"Are didi.. aap bhi na kitni budhhu ho.. sala koi gali thode hoti hai.. ye
to papa mere mamaji ko bulate hai..." rahul ne bholi si shakal banate
huye kaha.
"Aur nahi to kya.. dekh le... bachhe bhi tujhse jyada jante hai..."
andhere mai apni bateesi dikhate huye aditya bola.
"Jyada hoshiyar na ban bachho ke samne.. chal ab.. wo letter dhoodna
hai hume.." use jhidakte huye priya boli.
"Ha to chalo.. maine kab mana kiya hai.. waise bhi wahi to karne aaye
hai yaha.."
"Kya chalo?? Pata bhi hai ki jana kaha hai?? Itna sa bhi hint hai ki
use dhoodna kaha hai?? Ye studio itna bada hai ki poora chhante￾chhante hafta bhar lag jayega phir bhi koi guarantee nahi hai ki
letter mil hi jayega.." uski gadi ko break lagate huye avinash bola.
"Avinash sahi keh raha hai... hum kuch nahi jante ki shuruat kaha se
karni hai.." ankit bola.
"Pichhle season mai wo letter kaha chhupaya tha?? Ho sakta hai wahi
se kuch hint mil jaye??" Tara ne poocha.
"Ya thats a good idea.. but problem ye hai ki show ke har season mai
levels badalti rehti hai.. pichhli baar pehli level library ki thi.. wahi ek
book thi H.G Wells ki 'The Time Machine'.. usi ke andar chhupaya
tha.. lekin yaha to ye studio ki level hai.. yaha kaha book milegi jo
waha chhupayenge.." avinash ne kaha.
"Bhaiya.. season 11 mai pehli level warehouse ki thi.. wo kuch-kuch aisi
hi dikhti thi.. aur usme letter generator-room mai chhupaya tha.. ek
boiler ke peeche.." rahul avinash se bola.
"Ohho.. ye bachha to bada hoshiyar hai.. baat mai dum hai rahul ki..
mere ko bhi yaad hai wo season.. usi mai to...." tanisha ne kaha aur aage kuch bolne wali hi thi ki ruk gayi "nahi.. kuch nahi..."
"Chalo to phir dhoodte hai kaha hai yaha generator room..." tara ne
kaha.
"Ek kaam karte hai.. sath-sath to aise bahut time lag jayega.. hum log
alag-alag groups bana lete hai.. aur alag-alag jakar dhoodte hai.. aur
yahi aakar milte hai.." aditya ne kaha.
Is poore conversation ke dauran harshit ekdum khamosh khada tha
lekin aditya ke muh se alag-alag jane ki baat sunte hi wo bola-
"Nahi... koi alag nahi hoga.. hum sab sath rahenge.. ye bhooto ka adda
hai.. malum hai na.."
"Ha par.. agar alag nahi honge to letter kaise dhoodenge.. aur agar
kisi koi khatra mehsoos ho to ye lo whistles.. inhe baja dena.. awaaj
sunkar sab log wahi aa jayenge.." apne bag se kuch whistles nikalte
huye aditya bola.
"To theek hai phir ye tay raha.. yaha char whistles hai to hum char
groups hi bana lete hai... ek group hoga harshit pooja ka.. ek mera aur
tara ka.. ek aditya priya aur moni ka.. aur ek tanisha avinash aur rahul
ka.. theek hai??" Ankit whistles apne hath mai lete huye bola aur
unhe sabhi group ke ek-ek member ko pakda diya.
"Bhaiya.. mere ko adi bhaiya ke sath jana hai.." rahul ne jid karte
huye kaha.
"Nahi mai jaungi.."
"Tu kya karegi jakar.. mai jaunga.."
"Ok..ok.. tum dono lado mat.. tum aditya aur pooja ke sath chale jao..
moni avinash aur tanisha ke sath chali jayegi.. kyu moni??" Ankit moni
ki taraf dekhte huye bola.
"Nahi mere ko bhi adi bhaiya ke sath jana hai.." moni ne bhi jid karte
huye kaha. Dono bachho ki jid sunkar aditya khada-khada bateesi dikha raha tha. Thodi hi der mai wo dono bachho ke beech kafi
'popular' ho gaya tha.
"Abe yar ye kya naatak hai.." Ankit ne man hi man socha aur phir moni
ke sir par hath ferte huye bola "Moni beta.. jid nahi karte.. avinash
bhaiya ke sath nahi jana to chalo mere sath chal chalo.."
"Nahi.. mai to adi bhaiya ke sath hi jaungi.."
"Moni mere sath chalo.. aa jao.. jaldi karo.. aur tum sab bhi jao ab..."
achanak harshit bola aur moni ko god mai uthakar hi ek taraf tezi se
nikal gaya. Harshit ko aise bhagte dekh pooja bhi uske peeche bhagi.
"Ise kya ho gaya ekdum??" Aditya harshit ko jate dekh bola par
bolne ke sath hi use apne sawal ka jawab bhi mil gaya. Is waqt sabhi
cameras ke muh aur sabhi lights unhi ki taraf mude hue the aur wo
dheere-dheere apne aap ek-ek inch khisakte huye unki taraf badh
rahe the. Cameras aur lights unhe har taraf se gher rahe the aur
unke khisakne ki speed bhi dheere-dheere badh rahi thi. Andhere
mai is tarah un lights aur cameras ko apni taraf aata dekh sabki
sitti-pitti gum ho gayi.
"Ye kya ho raha hai yaar??"
"Harshit right ki taraf gaya hai.. hum log left jate hai.. tum log upar
wale floor ki taraf jao aur.. waha ek side ko avinash aur tanisha
check kar lenge aur ek side ko tum teeno.. theek hai?? Ab jao.. jise
bhi letter mile ya koi khatra lage whistle baja dena..." ankit upar wale
floor tak jane wali stairs ki taraf ishara karte huye bola aur phir
tara je sath left side ki taraf bhaga. Use bhagta dekh aditya ne
rahul ka hath pakda aur stairs ki taraf bhaga. Uske peeche-peeche
priya, avinash, tanisha bhi bhage aur stairs par chadne lage.
"Kya hua bhaiya?? Aap waha se aise bhage kyu??" Harshit ki god mai
uchalti huyi moni ne poocha. Jaha wo bhage the wo ek tang galiyara
tha jaha kafi andhera tha. Bas kahi-kahi laal bulb jal rahe the.
"Ha harshit.. ye ekdum kya hua tumhe?? Theek to ho na??" Pooja ne
bhi bhagte huye poocha.
Jab harshit ne dekha ki bhagte-bhagte wo log kafi door aa chuke hai
to wo ruka aur ek saans bharte huye bola-
"Waha... cameras.. apne aap.. khisak rahe the.. hamari taraf.. bina
kisi.. madad ke.."
"Offo.. isme kya badi baat hai.. koi cable wagerah bandhi huyi hogi..
usi se khska rahe honge crew wale.." pooja ne kaha.
"Tumhe abhi tak ek bhi crew ya staff mai se koi dikha hai?? Nahi
na?? Aur phir mai pagal nahi hu.. wo cameras bina kisi madad ke hi
khisak rahe the.. na koi khiskane wala tha.. aur na hi koi cable thi..
waise bhi aab tak jo kuch bhi mere sath ho chuka hai.. uske baad to
ye sabbbb..." moni ko god se utarte huye harshit bola.
"Kyu aisa kya ho chuka hai tumhare sath??" Pooja ne poocha to
harshit ne chuppi sadh li.
"Chalo wo letter dhoodna hai.." kuch der baad harshit baat badalte
huye bola.
"Ha chalo.." harshit ko dekhte hue pooja boli. Uska chehra padhne ki
koshish kar rahi thi aur samajh rahi thi ki jo bhi baat hai harshit
batana nahi chahta.
Studio jitna bada bahar se dikh raha tha andar se usse kahi jyada
bada tha. Aisa lag raha tha jaise kisi ne jhopdi ke andar mehal
chhupa diya ho. Chalte-chalte harshit ke pairo mai dard ho gaya lekin
koi ant hi nahi dikh raha tha. Kabhi daye mudta kabhi baye, jaha bhi
wo galiyara use le jata wo ja raha tha. Aur usse bhi jyada azeeb baat
ye thi ki waha ek bhi kamra nahi tha bas galiyara tha aur bulbs ki laal
roshni thi.
"Yaha kaha aa gaye hum?? Ye galiyar to khatam hi nahi ho raha??"
Apne bag se pani ki bottle nikalte huye pooja boli. Waha itni
suffocation aur garmi thi ki teeno pasine se lathpath ho chuke the.
"Didi mere ko bhi dena.. bahut pyas lag rahi hai.."moni ne apne chehre par aaye pasine ko pochte huye kaha. Moni ne bottle moni ko di aur
phir harshit se boli-
"Kya socha hai tune?? Aage hi badhna hai ya wapas chale??"
"Kuch der aur aage chalkar dekhte hai.. agar aage bhi kuch nahi mila to phir wapas hi chalna padega.." moni ke baad harshit pani peete
huye bola aur bottle wapas pooja ke hatho mai dedi.
"Chalo theek hai phir.." pooja ne bottle wapas bag mai dalte huye kaha.
Pani peekar teeno phir se aage badhne lage aur aage abhi ek aur baar mude hi the ki dead end aa hi gaya. Samne ek darwaza tha jis par likha tha "Security Room".

To be continued...
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
17. Level 1- Studio
Update 17
Ankit aur tara dono left ki taraf abhi bhage hi the ki samne ke
nazare ko dekh unke pair tham gaye. Is waqt wo ek naye kamre ke
beecho-beech khade the joki kafi bada tha. Ye bhi bilkul waisa hi
kamra tha jaisa pichhla wala tha jisme sab khade the bas antar ye
tha ki ye wala poori tarah se khali tha. Par isse bhi jyada azeeb baat
jisne inke badhte kadam rok diye the wo ye thi ki kamre mai bhagte
huye unke pairo se 'chhapp-chhapp' ki awaaj aa rahi thi jaise wo pani
bhare farsh par bhag rahe ho jabki farsh bilkul sookha tha.
"Ye kya ho raha hai ankit??" Tara ne darte huye poocha. Pehle wo
cameras aur ab ye awaaj ne use itna dara diya tha ki usne ankit ki
baah itni jor se pakad rakhi thi ki ankit ko ab dard hone laga tha.
"Inka koi special sound effect hoga.. dar paida karne ke liye ye log
kaise-kaise hathkande apnate hai dekha nahi hai kya pichhle seasons
mai??" Ankit ne kaha aur phir apna ek pair dheere se uthakar wapas
farsh par rakha. Is baar awaaj bilkul normal thi.
"Dekhaaa..." ankit ne kaha.
Awaaj sunkar tara ne bhi rahat ki saans li lekin ab use jaldi se jaldi is
kamre se nikalna tha. Jaha,wo dono bhai-behan khade the uske theek
samne ek darwaza tha aur ek ankit ke left mai. Samne jaha likha tha
'Canteen' wahi left wale darwaje par likha tha 'Props Room'.
"Kaha jana chahiye?? Canteen ya props room??" Ankit ne dono rooms
ki taraf dekhte huye poocha.
"Mere hisab se to props room ek achhi jagah hai kisi letter ko
chhupane ke liye.. wahi chalkar dekhte hai.." tara ne jawab diya.
"Sahi keh rahi hai.. mere ko bhi yahi lagta hai.. to chal phir wahi
chalte hai.." ankit ne kaha.
Seediya chadne ke baad wo paacho jaha khade the wo kisi tarah ka
chhota sa hall tha jaha unke theek samne ek galiyara tha to wahi left
aur right dono taraf ek-ek room tha. Left wale room ke darwaje par
likha tha "Make-up Room" to wahi right wale room ke darwaje par
likha tha "Script-Vault Room". Galiyara poori tarah andhere mai
dooba hua tha.
"Yaha se kis taraf jana hai ab??" Tanisha ne saans bharte huye
poocha. Wo log itni tezi se bhage the ki upar pahuchte-pahuchte
sabki saansein fool rahi thi.
"Mujhe lagta hai ki letter yaha script room mai hi hoga.. mai aur
tanisha ise check karte hai.. tum log jab tak make-up room ya waha
us galiyare ko check karlo.." avinash ne kaha.
"Adi bhaiya mai waha nahi jaunga.. waha to bahut andhera hai.." rahul
ne galiyare ki taraf ungli dikhate huye kaha. Uski kapkapati awaaj mai
dar saaf mehsoos kiya ja sakta tha.
"Achha theek hai.. hum nahi jayenge waha.. theek hai?? Make-up
room mai hi chalte hai.." aditya ne kaha. Yeh sunkar avinash aur
tanisha jaha script vault room ki taraf badh gaye to wahi priya,
aditya aur rahul make-up room ki taraf.
Harshit ne dheere-dheere apna hath uthaya aur security room ke
darwaje ki knob ghuma di.
"Takkk..." ki awaaj ke sath darwaja khil gaya.
Darwaja khulte hi unhone dekha ki room poori tarah andhere mai
dooba hua hai. Wo teeno dheere-dheere kadam bhadate huye jaise hi
room mai ghuse 'tadakkk' ki tej awaaj ke sath wo darwaja unke
peeche band ho gaya aur room mai poori tarah andhera chha gaya.
Dar,ke mare ek taraf moni to ek taraf pooja aditya se chipat gaye.
"Bhaiya... mujhe bahut dar lag raha hai... mujhe mummy paas jana
hai.." moni rote huye boli.
"Harshit jaldi kuch karo.. mujhe bhi bahut dar lag raha hai.. aur yaha
to mera dum bhi ghut raha hai.." pooja bhi darte huye boli. Harshit in
dono ko kya samhalta use khud andhere ka phobia tha. Wo to khud
itna dara hua tha ki is waqt koi cheez uske badan ko chhu bhi jati to
wo wahi chilla ke behosh ho jata.
"Aaahhh.. bhaiya abhi koi cheez mere hath ko chhu kar nikli..
mummy.. aap kaha ho.. please jaldi se aa jao.." moni uchalte huye boli.
Ansoo abhi bhi lagatar uski aankho se bahe ja rahe the. Uski baat sunte hi harshit aur pooja dono ka dar kayi guna badh gaya aur har
pal unhe aisa lagne laga mano abhi koi cheez unko chhu kar niklegi.
Achanak harshit ko dhyan aaya ki uske bag mai ek flashlight bhi hai.
Usne jhat se apna bag peeth se utara aur zip kholkar flashlight
dhoodne laga.
Prop-room mai enter karte hi ankit aur priya ko apni bhool ka ehsaas
ho gaya. Waha har taraf alag-alag tarike ke dummies, mannequins the
aur sath hi kayi toote phoote plastic ke sir, hath jaisi cheeze padi
thi. Inke alawa waha aur bhi kayi tarah ke plastic ke props jaise car,
guns, kulhadi, kankaal wagerah bhi the. Par ek rahat ki baat ye thi ki
yaha andhera nahi tha kyuki yaha kayi sari lights jal rahi thi.
"Abe ye kaisi jagah hai?? Yaha to bahar se bhi jyada darawana
mahaul hai.. chal wapas chalte hai.." Tara Ankit ka hath pakadte huye
boli.
"Tere ko kitni baar bola hai.. ye ek horror show hai.. to darawani
cheezein to hongi hi na.. aur kya pata inhi darawani cheezon ke beech
apne kaam ki cheez yani omni-letter chhupa ho.. chal aaja dhoodte
hai.." ankit ne use samjhaya.
"Mere ko nahi malum kuch.. tujhe dhoodna ho to dhoond.. mai to chali
bahar.." kehte huye tara bahar jane ko mudi to dekha darwaja band
hai.
"Tune band kiya tha kya darwaja??" Darwaje ki taraf badhte huye
Tara ne poocha.
"Tu kya pagla gayi hai kya?? Room mai tu mere peeche aayi thi to mai
kaise band kar sakta hu?? Jarur tune hi band kiya hoga.. tujhe yaad
nahi hai.." ankit ne jawab diya aur wo bhi waha darwaje ke paas aa
gaya.
"Ye to atak gaya hai.. khul nahi raha.." door ki knob ghumate huye
Tara boli. Uski awaaj mai ghabrahat aur dar saaf jhalak rahe the.
"Are tu hat.. mai dekhta hu.." kehte huye ankit darwaje ke paas aaya
aur tara peeche hat gayi. Usne knob ghumayi par darwaja nahi khula.
"Dekha... door fas gaya hai.." tara ne kaha aur phir chillayi
"Bachaoooo... koi haiiii..."
"Are chilla kyu rahi hai.. koi nahi hai bahar.. sabko maine hi to alag￾alag bheja tha yaad nahi hai kya.." ankit use halka sa daatte huye
bola aur phir gate ko dhakka maarkar kholne ki koshish karne laga.
Usne kayi dhakke mare lekin darwaja tas se mas nahi hua.
"Mujhe to nahi lagta ki ye gate ab khulega.. hume ya to ab yahi
baithkar intezar karna hoga ki koi aaye aur bahar se ise khole.. ya
phir yaha se nikalne ka koi aur rasta dhoodna hoga.. jo in props ke
beech mai se hi kahi hoga.." ankit ne darwaje par ek akhiri dhakka
marte huye kaha.
Avinash ne script-vault room ka darwaja khola aur jaise hi wo dono
andar ghuse to dekha waha har taraf kagaz bikhre huye hai. Room
jyada bada nahi tha bas itna ki 4-5 log khade ho sake. Wahi ek kone
mai chhoti si 2*1 foot ki script-vault rakhi huyi thi aur room mai
roshni ke naam par bas ek bulb jal raha tha.
"Agar inme se koi omni-letter hua bhi tab bhi hum use pehchanenge
kaise??" Tanisha ne un bikhre huye kagazo ki taraf dekhte huye
kaha.
"Ye to hai.. khair pehle inhe check karte hai.. agar koi kagaz alag sa
laga to samajh lo wahi omni-letter hai.." avinash ne kaha.
"Par yaha to bahut kagaz hai.. aur inhe ek-ek karke check karne mai
to ek ghante se bhi jyada samay lag jayega.." tanisha ne kaha. Uski
baat sach thi kyuki waha itne kagaz bikhre huye the ki farsh tak nahi
dikh raha tha.
"Karna to padega.. chalo ek kaam karte hai.. hum shuruat is vault se
karte hai.. letter ke isi mai hone ke chances sabse jyada hai.."
avinash ne vault ki taraf dekhte huye kaha.
Wo vault ke paas pahucha aur waha ghutno ke bal baith gaya. Usne
vault ko kholne ke liye uska handle ghumaya to paya ki wo locked thi.
Wahi handle ke paas char keyhole the jinka matlab saaf tha ki char
chabiyo ke combination se hi vo vault khulega.
"Shiittt.. ye to locked hai.. iski keys bhi pata nahi kaha-kaha hongi is
studio mai.." avinash ne uske handle par ek hath marte huye kaha.
"Ab to phir ek hi rasta hai hamare paas.. inhi kagazo ko checkout
karte hai.. kismat achhi rahi to ho sakta hai shayad letter inhi mai mil
jaye.." tanisha ne kaha aur phir wo bhi wahi uske paas ghutno ke bal
baithi aur kagazo ko utha-uthakar dekhne lagi.
Make-up room mai aate hi aditya, priya aur rahul ko pata chal gaya
wo log galat jagah aa gaye hai. Waha har taraf kayi sare rang-birange wigs, masks wagerah rakhe huye the aur unke sath hi dummy sir bhi jo un wigs ko rakhne ke kam aate the. Roshni ke naam par waha bhi
sirf ek bulb hi tha lekin wo bhi tim-tim kar raha tha.
"Ye jagah to aur bhi jyada darawani hai.." priya boli.
To be continued...
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
18. Real Haunt Begins
Update 18
Torch hath mai aate hi harshit ne turant use bag mai se nikala aur
chalu kiya. Torch ki roshni jyada nahi thi par itni to thi ki unhe apne
aas-paas ki cheezo aur gatividhiyo ka anuman kara sake. Torch ki roshni mai unhone dekha ki jis room mai wo khade hai us room mai
right side ki taraf teen computers rakhe huye the jinse kayi uljhe
huye taar jude the. Computers chalu the aur screen par studio ke
teen alag-alag kamre the jisme se ek wahi main hall tha jaha wo abhi
kuch der pehle the, ek par canteen thi aur last wale par security￾room hi tha jisme wo teeno bhi khade dikh rahe the.
Un computers ke theek aage hi teen chairs rakhi huyi thi aur Wo
teeno un chairs se bas ek inch hi door khade the. Room ki lambayi to
theek thi par chaudayi mushkil se 5-6 foot thi jisme se bhi adhi se
jyada un computers ne gher rakhi thi. Room ke dusre end par ek
metal cupboard tha jo shayad locked tha. Bas iske alawa aur kuch
nahi tha us room mai.
Poore room mai torch ki roshni ghuma kar harshit ne dekh liya par
use koi bhi azeeb cheez nahi dikhi.
"Ye room to bilkul shant hai.. kuch bhi azeeb nahi hai yaha... jarur
moni ke hath se bhi ye chair hi takrayi hogi.." torch ki roshni pooja ki
taraf karte huye Harshit bola.
"Tumhe wo azeeb nahi laga??" Pooja ne darte huye kaha.
"Kya??"
"Wo..." kehte huye usne computers ki taraf ungli dikhayi.
"Usme kya azeeb hai.. sabkuch to ekdum norm......" kehte huye
harshit ruk gaya kyuki iske aage wo kuch bol hi nahi paya. Shabd uske
muh mai hi atke reh gaye. Jaban ladkhadane lagi aur paseene chhutne
lage.
"Sahi socha tumne.. ye computers on kaise ho sakte hai... jab hum
yaha aaye the to bilkul gupp andhera tha.. par torch ki roshni mai
dekha to ye computers to on hai..." pooja ne uske kandhe par hath
rakhte huye kaha.
"Bhaiya ek baar torch band karna to.." moni ne kaha. Harshit ne bina
usse kuch vajah pooche ya kuch kahe torch band kardi to kamre mai
phir poori tarah andhera chha gaya. Andhere ka phobia poori tarah
asar dikha raha tha isliye harshit ne turant hi torch wapas chalu
karli.
"Bhaiya.. didi sahi keh rahi hai.. torch off hote hi room bilkul dark ho
gaya tha.. yani ki computers ki roshni sirf torch mai hi dikh rahi hai..
aur bhaiya.. ek aur isse bhi azeeb baat hai.." moni ne chinta ke sath
kaha aur phir ys computer ki taraf ungli ki jisme wo teeno dikh rahe
the. Usne aage jo kuch kaha usne Harshit aur Pooja dono ke hi hosh
uda diye.
"Moni sahi keh rahi hai harshit.. ye.. ye.." pooja aage kuch kehti isse
pehle hi us cupboard mai se kuch girne ki awaaj aayi. Ekdum se aayi is
tej awaaj se wo teeno hi dar ke mare uchhal gaye. Harshit ne torch
ki roshni cupboard ki taraf ki aur iske sath hi teeno peeche band
darwaje ki taraf khisakne lage. Achanak cupboard ka darwaja khula
aur usme se koi cheez farsh par tezi se ghisatti huyi unki taraf aayi.
Harshit ne torch ki roshni se us farsh par us cheez ka peecha kiya
aur jab wo cheez unse bas kuch door aakar ruki to torch ki roshni
mai unhone dekha ki wo kya tha.
"Aaaahhhhh..." us cheez ko dekhte hi un teeno ki eksath cheekh nikal
gayi aur torch harshit ke hath se chhut gayi. Wo ek sada-gala aur
kata hua 1.5 foot lambahath tha jis par kayi-kayi jagaho par maas bhi
nahi tha jiske karan haddi tak dikh rahi thi.
Torch ludakte huye unse kuch door mojoud chair se takrayi aur uski
roshni computers ki taraf ho gayi.
"Mera hath.. gir gaya hai.. tum log utha doge kya??" Ek bhayanak kaanch jaisi awaaj kamre mai goonji.
Awaaj itni darawani thi ki moni use sunte hi behosh ho gayi. Awaaj cupboard ki taraf se aa rahi thi. Harshit ne behosh moni ko god mai uthaya aur jab wapas cupboard par nazar ghumayi to uske sath pooja
ki bhi saansein hi jaise ruk gayi. Waha cupboard mai neeche ki taraf
farsh se bas ek foot upar do chhote-chhote laal roshni ke gole aur
unke neeche safed chamakte huye daat dikh rahe the. Wo do gole
yakeenan us 'cheez' ki aankhein thi. Moni to behosh ho chuki thi aur
is nazare ko dekh kar un dono ki halat bhi aisi hi ho gayi thi ki mano
abhi behosh hokar gir padenge. Dil ki dhadkan itni tez chal rahi thi ki
us 'cheez' ko bhi sunayi de rahi hogi.
Ek to andhera aur us par bhi aisa nazara dekh Harshit ke to hath￾pair hi dheele pad gaye the isliye pooja ne thodi himmat dikhate huye
aage badhkar furti se torch ko uthaya aur cupboard ki taraf kiya. Par
ek aur jhatka unka intezar kar raha tha kyuki torch ki roshni
cupboard ke khule hone ke bawjood bhi andar tak nahi ja rahi thi.
Torch ki roshni udhar hi hone ke bawjood cupboard ke andar ab bhi
andhera tha aur wo aankhe aur daat usi andhere mai abhi bhi chamak
rahe the.
"Ye..ye.. kaise mumkin hai??" Pooja ruansi hote huye boli aur harshit
ke paas aakar khadi ho gayi.
"Mera hath de do.. mujhe kaam karna hai.. tum logo par nazar rakhni
hai.." phir se wahi awaaj unke kaano mai padi to pooja ki sehan-shakti
jawab de gayi.
"Bachaoooo... please koi bachaooo..." ro-rokar darwaja peette huye
wo chillayi par na to darwaja hila bhi aur naahi bahar kisi ne suna
kyuki bahar koi hota tabhi to sunta. Harshit to jaise jam hi gaya tha
apni jagah par moni ko god mai uthaye.
"Ladki tu kitna shor machati hai... ruk mai hi aakar le leta hu apna
hath.. aur phir batata hu tujhe..." wo awaaj jaise hi pooja ke kaano
mai padi dar ke mare wo bhi wahi jam gayi. Peeche palatkar dekhne ki uski himmat hi nahi ho rahi thi. Wo bas roye ja rahi thi par ab darwaja nahi peet rahi thi.
"Harshittttt.." achanak pooja bina peeche mude poora dum lagakar
cheekhi jise sunkar harshit ko hosh aaya aur sthiti ki gambheerta
samajh mai aayi. Wo bhi darwaje ki taraf badha aur jaise hi usne
darwaja chhua 'takkk' ki awaaj ke sath wo khul gaya. Ye kaise hua ye
sochne ka time unke paas nahi tha isliye wo dono teji se bahar ki
taraf bhage. Unke bahar nikalte hi wo darwaja phir se apne aap band
ho gaya.
"Ye bhi in logo ka koi terror trap ho sakta hai kya??" Tara ne ankit
se poocha. Ankit is samay un dummies ke beech mai khada unko check
kar raha tha ki kahi idhar-udhar omni-letter na chipka ho.
"Yaha jo bhi hota hai sab kuch scripted hota hai... sab kuch pehle se
tay hota hai.. isliye ye sab sochna chhod aur idhar aakar meri madad
kar.. kya pata letter milte hi ye darwaja bhi khul jaye.." ankit ne ek
mannequin ko check karte huye kaha.
"Par mujhe in dummies se dar lag raha hai.. kitne asli se lagte hai..
aur darawne bhi.." dummies ki taraf ishara karte huye tara ne kaha.
"To tu kya kar rahi hai is show par?? Tere ko ghar par bhi bola tha ki
yaha aisa sab kuch jarur hoga.. jab tujhe itna hi dar lagta hai to tune
form bhara hi kyu??" Is baar ankit ne jhunjhulate huye kaha. Wo
tara ki ye baar-baar bachho ki si baatein sunkar kheej chuka tha. Wo
uski koi madad nahi kar rahi thi balki aisi baatein kar-karke use bhi
dara rahi thi.
"Tu mere par kyu chada ja raha hai.. tereko maine bataya tha na ki
payal se shart lagi thi.. bas isiliye form bhar diya.. ab mujhe kya
malum tha ki mera bewkoof bhai bhi form bhar raha hai.. aur mere
sath uska bhi selection ho jayega.." tara ne bhi thodi awaaj uchi
karte huye kaha.
"Ohh ha.. tu aur teri dost payal.. sach keh raha hu agar usse sagayi
na huyi hoti to uske kaan ke neeche jarur jamata.. har waqt aise hi bachpana dikhati rehti hai.. aur tu bhi kaunsi kam hai.. uske sath
milkar khud bhi bachhi ban jati hai.."
"Achha ji.. agar itni hi buri lagti hai to kyu fasayi meri best￾friend??" Apni kamar par dono hath rakhte huye tara boli.
"Chal chal.. ab jyada baatein na bana.. agar tere ko in dummies ko
check nahi karna to waha un plastic props ko hi check karle.." baat
palatte huye ankit bola.
"Achha bete.. ab koi jawab nahi soojha to baat palat di.."
"To kya yahi ghar-ghar khelegi kya?? Ye tv show hai.. log dekh rahe
honge.. ja un props ko check kar.."
"Ha ha theek hai.. waise tere ko yaha kahi camera dikh raha hai
kya?? Nahi na?? Phirrr??" Un props ki taraf jate huye tara boli.
"Kahi na kahi to hoga hi..." kamre ki deewaro ka ek-ek kona dekhte
huye ankit bola par use kahi koi camera nahi dikha. Par iske bawjood bhi us security room mai computer screen wo dikh rahe the aur screen ke samne baithi wo 'cheez' apne safed nukile daat dikha rahi thi.
To be continued...
 

Niks77kill

New Member
76
75
34
19. Dummy Power
Update 19
"Kuch mila kya tujhe??" Ankit ne mathe par aaye pasine ko pochte
huye poocha.
"Nahi.. kuch nahi hai yaha.." ek prop wali car mai se tara ki awaaj aayi.
"Mai to thak gaya yaar dhoodte-dhoodte.. kuch nahi hai yaha bhi.."
"Maine to tereko pehle hi bola tha ki kuch nahi milega yaha.. hey.. ek
minute ruk.. shayad mujhe kuch mila hai.."
"Kya... kya mila hai?? Omni-letter to nahi??" car ke paas aate huye
ankit bola.
"Nahi letter to nahi.. par shayad yaha se bahar nikalne ka rasta mila
hai.." car se bahar aate huye tara ne kaha aur phir ankit ke peeche
dummies ko dekhkar uske seene mai ek halka sa mukka jamate huye
boli, "Tu baaj nahi aayega na apni in harqato se.. aur abhi mujhe keh
raha tha ki mai bachho jaisi harqatein karti hu.."
"Abe maine kya kiya hai??" Apni chhati ko sehlate huye ankit bola.
"Kya kiya hai... ye dummies ko is tarah kyu laga rakha hai?? Inse
parade karwa raha tha kya??" Tara haste huye boli to ankit ne
peeche palatkar dekha.
Jaise hi wo palta apne theek peeche mojoud ek male-dummy se takra
gaya jisse wo dummy ek side gir gaya. Usne dar aur hairat bhari
aankho se dekha ki jin dummies ko wo peeche ulta-pulta gira-pada
chhod ke aaya tha wo sab uske peeche ek line mai khade hai.
Un sab ke action bhi waise hi the jaise ankit ke us car ki taraf
badhte huye the. Sabse peeche wale dummy ka ek hath apne chehre
par tha mano pasina poch raha ho to wahi baki dummies kadam-taal ki
position mai the car ki taraf muh karke.
"M..m.maine khada n..na..nahi kiya inhe..." ankit dar ke mare haklate
huye bola. Wo is waqt us dummy-line ke bagal mai khada un dummies
ko hairat se dekh raha tha.
Ankit ko haklate dekh tara ke chehre par bani huyi hasi gayab ho
gayi aur wo ekdum serious hote huye boli, "Kya matlab tune inhe khada nahi kiya?? Ye apne aap thodi na chal sakte hai.."
Par Tara ne abhi itna kaha hi tha ki achanak wo dummy jo ankit ke
takrane se gir gaya tha apni jagah se khada hua aur ankit ki taraf
badhne laga. Us dummy ko apni taraf aata dekh ankit dar ke mare
turant peeche hat gaya. Dummy ko chalta dekh Tara bhi peeche gate
ki taraf khisak gayi aur aankhe fade us dummy ko dekhne lagi. Wo
dummy aakar wahi khada ho gaya jaha abhi 2 second pehle tak ankit
khada tha aur wo bhi usi tarah jaise ankit khada tha.
"Ye..ye kya tha ye?? Kya tha ye??" Ankit cheekhte huye bola. Dar
uski awaaj mai saaf jhalak raha tha. Wo khud nahi janta tha ki wo
cheekh kyu raha tha.
"Ankit.. ye..ye dummy apne aap chal rahe hai... ye kaise ho sakta
hai??" Tara bhi ghabrate huye boli. Usne abhi kaha hi tha ki waha jal
rahi sabhi lights ek sath phoot gayi aur kamre mai gupp andhera chha
gaya. Dono bhai-behan is waqt ab ek aise kamre mai kaid the jisme
dummies apne aap chal rahe the aur jiski sabhi lights phoot kar band
ho chuki hai. Ye ek aisa pal tha jo agar kisi kamzor dil wale shaks ke
sath ghate to wo wahi dar ke mare dum tod de. Dono bhai-behan
kamre mai amne-samne khade the aur unke beech ek line mai khade
the chalte-firte dummies. Tara ne turant aditya ki di huyi whistle
bajayi magar koi fayda nahi hua kyuki bahar koi tha hi nahi unhe
sunne wala.
"Ankittt...." tara chillayi.
"Chilla kyu rahi hai.. aa raha hu mai.." Ankit ne kaha. Magar ye itna
asaan bhi nahi tha kyuki tara ke paas jane ke liye ankit ko ya to line
ke beech mai se un dummies ko girakar nikalna tha ya unke aage se car ke paas se hote huye. Ankit ne dusra option jyada behtar samjha kyuki dummies ko chalta dekhne ke baad to koi bewkoof hi hoga jo unke beech mai se niklega.
Ankit hath se tatolte huye ek-ek kadam phook-phook kar rakh raha tha aur andaje se car ki taraf badh raha tha.
"Kaha hai?? Jaldi aa na.." tara phir chillayi halaki uski awaaj mai is
baar dar ke sath ruansapan bhi tha.
"Aa raha hu.. aa raha hu.. tu bas wahi reh jaha hai.. hilna mat bilkul..."
ankit ne bhi uchhi awaaj mai kaha mano dono ke beech mai saikdo
foot ka fasla ho par haqeeqat mai to dono ke beech mehaz 3-4 foot
ka hi fasla tha. Sach to ye tha ki dono sirf isliye chilla rahe the taki
apne andar badh rahe dar ko kaabu kar sake warna aise mahaul mai to
achhe achhe pent geeli kar dete hai.
Ankit jaan chuka tha ki wo car ke paas pahuch chuka hai kyuki abhi￾abhi uska pair car ke tyre se takraya tha. Car ka sahara lete huye wo
jaha tara khadi thi us taraf badhne laga. Achanak use apne daye hath
par ek plastic ke hath ki pakad mehsoos huyi to wo wahi butt ban
gaya. Uski aankho se ansoo to nikal rahe the lekin muh se koi awaaj
nahi nikal paa rahi thi. Wo jor se cheekhna chahta tha lekin dar is
kadar havi ho chuka tha ki uski cheekh muh se bahar hi nahi nikli.
"Ankit jaldi aa na.. bahut dar lag raha hai.." tara ek baar phir chillayi.
"A..aa.. raha.. hu.." haklate huye ankit bola aur thodi himmat dikhate
huye usne apne baye hath ko car se hatakar us plastic wale hath par
rakha aur phir use jhatak diya. Turant jameen par uske girne ki
awaaj aayi.
"Aaaa.. Ye kis cheez ki awaaj thi?? Aur tu hakla kyu raha hai??" Tara
ne uchalte huye turant poocha.
"Kuch nahi.. bas aa raha hu.. tu dar mat.. bas aa hi gaya.." ankit bola
aur tara ki awaaj ka peecha karte huye akhir us tak pahuch hi gaya.
"Kaha hai tu??" Andhere mai use tatolte huye ankit ne poocha.
Halaki dono ke beech mushkil se 2 foot ka fasla tha magar andhera
itna jyada tha ki dono ek dusre ko itne paas hone ke bawjood bhi nahi
dekh pa rahe the. Ankit ki awaaj apne ekdum nazdeek se aati dekh tara ne bhi usi disha mai apne hath se use tatolna shuru kiya aur jald hi dono ke hath aapas mai takra gaye. Ek dusre ke paas aakar dono hi
bhai-behan ne rahat ki saans li.
"Tu ek flashlight lekar aayi thi na ghar se?? Jaldi nikal use.." Ankit
ne tara se kaha.
"Ohh.. dar ke mare mai to bhool hi gayi thi.." Tara ne kehte huye
turant apna bag peeth se utara aur zip kholkar flashlight dhoodne
lagi.
"Mill gayii..." usne flashlight nikali aur jaise hi on ki uski dil ki
dhadkan hi mano ruk gayi.
Sabhi dummies is waqt unhe gher kar unse bas kuch inch door khade
the aur sabke hath hawa mai aise uthe huye the jaise unka gala
dabane wale ho. Dummies ke chehre par bani huyi badi si muskan
unhe aur jyada darawana bana rahi thi. Sabhi dummies is samay bilkul
sthir the, shayad flashlight ki roshni ki vajah se ruk gaye the.
Ankit ne flashlight tara ke hath se li aur uska hath pakadkar peeche ki taraf khisakne laga. Dono ka dhyan aur flashlight un dummies ki taraf the jisse unki ek-ek harqat ko wo dekh sake. Bina koi awaaj kiye wo ek-ek inch karke peeche khisak rahe the. Peeche khisakte-khiskate wo darwaje tak pahuch gaye par dummies abhi tak sthir hi the.
"Hum yaha se kaise niklenge ankit??" Tara ankit se rote huye boli.
"Tu kuch keh rahi thi na ki tujhe kuch mila tha us car mai.. bahar nikalne ka rasta.. something like that.. kya..kya tha wo??"
"Are ha.. mai to bhool hi gayi mujhe ek chabhi mili thi waha driving seat ke andar.. shayad darwaje ki ho.." apni jeans ki pocket se ek chabhi nikalte huye Tara boli.
 
Top