• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller GaLaTH...(THE WRONG THAT MADE EVERYTHING RIGHT)

Rajesh

Well-Known Member
3,583
8,007
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF ROHAN APNE PLAN KO EXECUTE KARTA HAI WAHIN DUSRI TARAF KHANAK SANVY AUR SAM KO BATATI HAI KI ROHAN USKA BOYFRIEND HAI..

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


MEGA UPDATE-36(FINAL PART)

DATE-7TH OCTOBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-OLD LIBRARY




KHANAK-PYAR KARTI HUN MAI ROHAN SE.HE IS MY BOYFRIEND...


jahan mere aage haath jod kahi thi ye baat KHANAK ne wahin uski baat sun dhamaka sa hua tha SAM ke dimag me...

ek jhatke me chehre upar kar vismay bhari nazron se kabhi ROHAN ko,kabhi KHANAK ko toh kabhi mujhe dekhne laga tha SAM..

wahin mai muskura raha tha jisse dekh aankhein badi ho gayi KHANAK ki aur...


KHANAK-you.....you knew...jaante the tum...!!!

MAI-shuru se...

HOW...!!!


ROHAN,KHANAK aur SAM...teeno ke mooh se nikla tha ye sawal jispar ek lambi saans chhodi maine aur SAM ki taraf ghuma..


MAI-KHANAK ke apne school me aane se do din pehle yaad hai RASHI ke section change karwaane ke liye mai PRINCI ke paas gaya tha...

SAM-haan...

MAI-"kabhi kabhi kuch GALATH nayi GALTIYON ko bhi paida karta hai...

aisi galtiyan jo agar naa ki jaati toh mahoul hi kuch aur hota"...(update 4)

baaton baaton me ye baat kahi thi ma'am ne mujhe aur us waqt meri nazar unke desk par pade ek admission recommendation letter par gayi..

KHANAK RAWAT....aur recommendation waali jagah me naam tha DEVANG MALHOTRA....

25 percent open tum ussi waqt ho chuki thi babes...PRINCE school ke students ko SIRIUS me asaani se admission milta hi nahi..

aur ye niyam TRUSTEES ka hi banaya hua hai...

par tumhe admission mila...aur woh bhi school ke one of the trustee ke recommendation par...

waise toh koi bade shak ki baat nahi thi ye par jab tumhara section B nahi A select hua toh halka halka shak start hua mera..

i mean jis trustee ka beta B section me hai aur A waalon ko bilkul pasand nahi karta,uske baap ke through idhar aayi ladki ussike rival class me...

SAM-shit... isiliye tune mujhe isse pataane ka dare diya tha...

MAI-yup...bade ghumte hue hamari class tak pahunchi thi ye bandi, isiliye mai bhi ghumte hue samajhna chahta tha isse..

aur badi jaldi sab dikhne aur samajh aane laga tha mujhe...

jab meri nazarein isse takrati thi toh mujhe line deti thi ye aur jab mai dusri taraf dekhta tha tab same chiz tere saath karti thi ye...

par phir bhi,zyada seriously nahi liya tha maine isse par jab iska background pata chala mujhe aur hum iske ghar gaye pehli baar,tab trigger hua mujhe ki kuch toh zara zyada hi GALATH hai...

normally ARMY OFFICERS apne bachhon ke friend's ke saath pehli baari milte waqt bhi bade open hote hain..

aur khaaskar woh officers jinki beti hoti hai...

haan kuch reserve bhi hote hain but iske dad ka ravaiya kuch alag hi tha..it was like woh judge kar rahe the hume...

jaanana chah rahe the ki hum ache hain ya bure...

hamare likes aur dislikes ke baare me baat karne ke bajaaye kaun banega crorepati waali feeling de rahe the woh hume..

aur aisa tab hi hota hai jab ek baap ko apni beti ke past experiences se taklif pahunchi ho...

he is not sure about the surroundings and choices of his daughter...

ek baat aur pata chal gayi us meeting se mujhe ki MR PRABAL RAWAT jaisa self esteem aur respect se bhara aadmi kabhi bhi apne beti ke school tranfer ke liye DEVANG MALHOTRA jaise aadmi se request nahi karega..

iska toh ek hi matlab hua...ye kaam ROHAN ke through hua tha...

par sure tab bhi nahi tha mai par E MARKET me mera shak yakin me badalna shuru hua...

SAM ke resort par overnight party ke liye pucha tha maine aunty ko jinpar unka kaha ek statement dimaag me atak gaya tha mere..

unhone kaha tha ki pure vacation me hafte ke paanch din kahin na kahin party ki thi hum logon ne..(update 17)

par hum toh pure vacation me tumse dhang se mile hi nahi the..iska toh ek hi matlab ho sakta tha aur woh ye ki hamare naam se tum kisi aur ke saath ghum rahi thi...

aur isiliye ussi din se NITS ko piche lagaya maine tumhare...

aur zyada time laga bhi nahi..uske agle hi shaam tum ROHAN ke saath bike par DEHRADUN-MASOORIE highway ki taraf nikli thi..

par ek baat ajeeb thi... chehra aise cover kiya tha tumne jaise khudko sabke nazar me aane se chuppa rahi thi tum...

is chutiye ROHAN ka plan tha naa ye taaki tum dono ka relationship open na ho.. kamsekam tab tak jab tak iska game pura na ho jaaye...

woh friendly cricket match jisme challenge dene ye humare paas aaya tha,mera facial expression change hue tha us waqt... remember...!!!(update 12)

SAM-haan,isse dekhkar naa..!!!

MAI-nopes..hamari taraf aate waqt isne stands me baithi in madam ko wave kiya tha jiske jawab me sabse nazar bachakar flying kiss diya tha mohotarma ne..

aur jab tum log iske ache batsman hone ki baat kar rahe the tab madam ke laakh koshish karne ke baawjud inki khushi face par saaf dikhne lagi thi...

yaad hai SAM madam ne RESORT me apna phone nahi laaya tha...

SAM-haan,toot gaya tha bola tha isne...kya woh bhi jhooth tha..

MAI-tootne waali baat toh sach thi,but reason jhooth tha..hamare plan ki aad lete hue iska plan ROHAN ke saath apna alag overnight stay karne ka tha..

but unfortunately ROHAN ko apne parents ke saath bahar jaana pada tha aur isiliye ghusse me aakar apna phone tod diya tha isne...

aur ye ROHAN jo tere phone par baar baar call kar raha tha aur finally jab tune call uthaya toh isne tera shubhchintak bante hue tujhe police raid ki baat batayi thi,ye bhi isne KHANAK ke liye hi kiya tha..

aakhir iske plan ka trump card thi KHANAK,isse bhala kaise kuch hone de sakta tha ye...

us incident ke chaakar me kaafi din baat bhi nahi hui thi tum dono ki, right...!!!!

ab ye baat kaise pata chali mujhe,ye shocking tha KHANAK aur ROHAN,dono ke liye..

KHANAK-how do you...!!

MAI-know that...!!!very simple...


apne mobile ke application setting me jaakar wahan ek hidden call spying app hai, SPYIC bolke,usse delete kar de..

same app jo MAA ne HARISH ke phone me install kiya tha,wahi maine KHANAK ke phone me daal diya tha..

bas fark tha usse shuru se hidden rakhne ka...

khair,meri baat sun turant apna phone nikala KHANAK ne aur jaisa maine bataya tha,app setting me jaise hi gayi woh, alphabetically S me jaate hi capitals me ek SPYIC karke app dikha usse jisse dekhte hi sab samajh gayi woh..

woh bhi aur ROHAN bhi aur aisa hote hi ROHAN ki ab man hi man gaand bhi fatni shuru ho gayi thi...

kyunki SPYIC app ka matlab tha uski aur KHANAK ki saari baatein recorded thi mere paas jo usse trustee ka beta hone ke baawjud school se resticate karwaane ke liye kaafi thi...

wahin app dekhte hi usse permanently delete kar saamne dekha hi tha KHANAK ne ki hadbada gayi woh...

REASON..

mai ekdum saamne jo khada tha uske...


MAI-itne din saath ghumi tum hamare..itna toh andaza laga hi sakti thi ki SAM tak toh theek tha but you simply cannot fool SANVEER AHARYA..

par tumhari bhi kya galti...ishq jab GALATH bande se ho jaaye toh sabse pehle dimaag hi kaam karna band karta hai..

bohot pyar karti ho naa is ROHAN se..aaj apni izzat tak daaw par lagakar suboot bhi de diya...

iska ishq check karen...!!!


aakhri baat badi dheeme kahi thi maine jo pehle se hi tention lekar baithe ROHAN ne dhyan hi nahi di..


MAI-toh ROHAN miya..ab tak itna toh andaza lag hi gaya hoga tujhe ki i can throw you out of the school...

jo tune kiya hai,ek student ke lihaaz se bhi woh conspiracy itni badi hai ki PRINCI ke saamne aate hi you and with you,tere ye sab chutiya dost,you all will be resticated...

tera trustee baap bhi tujhe nahi bacha sakta...

but,i have an offer...agar maan jaaye tu toh bach sakta hai..


mere pehle ke lines sun fath ke chaar ho rakhi thi ROHAN aur uske doston ki par aakhri baat sun aankhon me ummid ki bheek liye dekhne lage zamin par ab tak geere pade saare...


MAI-hamari class ki,hamari friend hone ke baawjud is KHANAK ne hume dhoka dene ki koshish ki jo mujhe bardasht nahi..

isse toh PRINCI ke saamne lekar jaaunga hi mai... tujhe bhi bulaya jaayega wahan aur jab tu wahan aaye toh..

ROHAN-done bhai..mai bhi bol dunga ki saari planning plotting issi ne ki thi..

KHANAK-ROHAN..you bastard.. tumhare liye maine kya kuch nahi kiya..

har mod par laga mujhe ki GALATH hun mai par sirf tumhare pyar ke liye har GALATH karti chali gayi mai..

aur aaj, tumhare liye,sirf tumhare liye apni izzat tak ko daav par laga diya maine...

i kissed a guy just for your happiness...for your revenge..aur tum...

ROHAN-kya tum re,haan,kya tum...saali mere nahi mere paise ke peeche thi tu...

soch bhi kaise liya tune ki tere jaisi wanna be se pyar bhi kar sakta hun mai... you are nothing more than an whore..

CHATTAKKKK..BHAADHH..NBHADDDDDD....


aage bol nahi paaya ROHAN kyunki haath aur laath, dono saath chal chuke the mere..

pehle thappad ke baad ek laath aur phir usse utha ek peth par punch diya tha maine jispar thook aur laar ke saath halki vomit bhi bahar nikal gayi thi uske...

is maar ki awaaz itni tagdi thi ki uske baaki dost darkar piche khisakte hue compartment ke edges par chipak gaye the..


MAI-whore ka matlab jaanana hai toh apna d.n.a check karwa le... adharcard me mention maa se match naa hoga tere..

phir puchiyo apne baap se ki kis randi khaane me mooh kaala kar inaam ke roop me tujhe paaya tha usne...

adress mil jaaye toh wapas jaana us chakhle me aur apni asli maa se mil uske customer ke mooh se sunana,whore...

maadarchod....


itni maar ke beech ROHAN samajh chuka tha ki KHANAK ke saamne uska asli face laane ke liye phirse khel gaya tha mai uske saath..

bas apni adhkhuli aankhon se dekh raha tha woh mujhe jispar.


MAI-teri kismat achi hai ki tere saare planning me KHANAK bhi shaamil thi...

isse kuch nahi hone de sakta mai aur sirf isiliye,is baar bach gaya hai tu..

par agar aage phir chul machi tere toh..

ROHAN-maa kasam bhai.. phir kabhi nahi.....


haath jod neeche let hi gaya tha ROHAN jiska anusaran karte hue uske doston ne bhi apne apne haath jod liye the mere aage..


MAI-niklo phir aur suno be..haalath sudhaar ke jaayiyo kisike bhi saamne warna kutta samajh lenge....

mere niklo bolte hi girte padte aise bhaage the B section waale jaise ek second aur rooke toh gaand mar jaayegi unki...

anyways,un sabke bhaagte hi palta mai KHANAK ki taraf aur mere aisa karte hi usne bhi haath jod liye the mere aage..


KHANAK-itna GALATH kiya maine par phir bhi tumne mere liye un sabko chhod diya..

MAI-GALATH toh ab bhi ho tum KHANAK...tumhare liye kuch bhi nahi kiya maine..

kisi aur ke karmo ne aaj bachaya hai tumhe..milna chaahogi...

AUNTY....


meri baat khatm hui hi thi ki tabhi itni der se baaju ke compartment me restless hokar rooki KHANAK ki mom SONU ke saath hamare saamne khadi ho gayi aur aisa hote hi KHANAK ekdum jad si hokar reh gayi thi...

aunty ki aankhon me paani tha aur woh paani KHANAK ke dil me acid ka kaam kar raha tha...


MAI-is MAA ke liye kiya maine ye sab..

woh MAA jisne mujhe dil se apna beta maana tha..jinse kiye waade ki wajah se apne doston ke saath saath resort me tumhe bhi bachaya tha maine...

but more importantly,us baap ke liye bachaya maine tumhe jo sautela hokar bhi sage se kahin zyada saga hai tumhara...

bhale hi apni harkaton se saabit kar diya tumne ki koi haisiyat nahi hai tumhari nazaron me us shaksh ke pyar ki par uske liye tom tum uski puri duniya ho...

uski duniya bachayi hai maine, tumahara future nahi...


meri baaton ke beech apne dad ka hasta aur loving face ghum chuka tha KHANAK ki aankhon ke aage but uske baad jo dikhne laga usse,usne andar se hila diya KHANAK ko..

same galti kabhi uski mom SHILPA RAWAT ne bhi ki thi..ek GALATH ladke ke chakkar me khudko barbadi ki aag me jhonk diya tha unhone..

woh galti jiska natija uska wajood tha..uska existence tha.. aur aaj apni maa ki galti khud dohra di thi KHANAK ne...

PRABAL RAWAT...dad the KHANAK ke par ab usse feel hone laga tha ki woh aise dad ke laayak nahi...

khudme apne najayaz baap ko mehsoos karne lagi thi KHANAK....

is khayal ke aate hi jaise aatma kaamp di gayi thi KHANAK ke aur agle hi pal tez chal pade uske kadam..


KHANAK-sorry MAA...

SHIPLA AUNTY-beti...


apni MAA ke baaju se bas sorry bol tezi se aage badh chuki thi KHANAK aur ye dekh aunty bhi uske piche jaane lagi par turant rok diya maine unhe..


AUNTY-beta woh apne aap me nahi hai... woh pakka khudke saath kuch GALATH kar degi..

MAI-jaanta hun aunty..par aisa hoga nahi,ye bhi pata hai mujhe...

AUNTY-par beta..

MAI-trust me aunty... mujhpar nahi toh meri MAA par hi bharosa rakh lijiye..

kaha tha naa unhone kal.aapke saamne aate hi aapme apni galti ki asli hadh mehsoos kar paayegi woh aur abhi woh wahi feel kar rahi hai..

AUNTY-beta mere saath tumhare uncle the.. unka pyar tha jisne mujhe SAHI kar diya..par meri beti toh akeli hai..

theek hai,mai nahi jaati par atleast tum chale jaao uske paas...

MAI-aise mouke ke liye maine apna kaam bohot pehle kar diya tha aunty...

AUNTY-matlab..!!!

SONU-uppar...


dheere se ishara kiya SONU ne mujhe jiske baad...


MAI-KHANAK library ke upar terrace par hai...

AUNTY-what..kahin woh...!!!

MAI-as i said aunty...just trust me... araam se jaaiyega..yahan se ghar jaate waqt aapke saath waisi beti hogi jaisa aap hamesha se chaahte the...


samajh toh nahi aayi meri baat aunty ko par SONU ke saath chupchaap aage badh gayi woh...

wahin aunty ke jaate hi mai ghumne laga tha SAM ki taraf par tabhi kisi aur ko feel kiya maine saamne waale compartment me...


MAI-who's it...!!!

ye bol mai us compartment ki taraf badhne ko hua hi tha ki tabhi koi nikla wahan se jisse dekh dimag ghum gaya mera..

ANJALI....

ye ANJALI thi jisne shayad ab tak ka pura scene chupchap dekha tha..

par mere dimaag ghumne ka kaaran thi uski aankhein jo bheegi hui thi is waqt...

aaj se pehle sirf ek baar rote hue dekha tha maine usse..ye woh din tha jis din thappad maara tha maine uske baap ko..woh din jis jab diwar khadi hui thi mere aur uski friendship ke beech...

us din ke baad aaj bhigi thi uski aankhein...

khair,SAM ne bhi ANJALI ko dekh liya tha isiliye...


SAM-ANJALI...babes...

DHABBHHH....DHABBHHHH... DHABBHHH...

ANJALI-SANVY..no...stop.....


aage kuch bol nahi paaya tha SAM kyunki agle hi pal uske sir par khada tha mai...

kul teen punches maare maine usse jisme haalath kharab ho chuki thi SAM ki..

chowtha punch bhi ghumane waala tha mai par tabhi ANJALI ki awaaz sun rook gaya mai..

ek pal SAM ko dekhne ke baad kuch der mujhe dekhti rahi ANJALI aur phir bhaagte hue library se nikal gayi...


MAI-ek baat toh bata chutiye...tum log jitna zyada paise chhapte ho,kya character utna hi gaand me ghus jaata hai tumhare jo usse kapdon ki tarah pehne hue nahi rakh sakte tum...

pata hai mai apni MAA ko respect sirf isiliye nahi karta kyunki woh MAA hai meri...

balki isiliye bhi karta hun kyunki mere baap ke marne ke itne saal baad bhi mere baap ka surname,aur unka pyar aaj bhi meri MAA ke naam ke saath zinda hai...

agar ISHQ hai,toh YAHI hai..

thoda bhi kam hai toh woh sab hai bas ISHQ NAHI hai...

par tu nahi samjhega...paise bhale bohot hain tere paas par dil ke maamle me saale bhikaari hai tu...


ek dhakka diya maine SAM ko aur tezi se palath us compartment se nikalne laga par tabhi kuch yaad aaya mujhe jis wajah se wapas uski taraf palta mai..


MAI-agar ek shabd me kuch kehna ho SANVY se toh kya kahegi...???

tere resort me NAISHA ka ANJALI se pucha ye sawal yaad hai..!!!(UPDATE-19)

SAM-haan...

MAI-jawab kya diya tha ANJALI ne...???

SAM-thanks..

MAI-KHANAK par tere aur mere beech lagi sharth ke baare me pata tha usse..

woh bhi jaanana chahti thi ki jab aaj jaisi situation bani,waisi khadi ho toh kaise react karega tu..

isiliye mujhse THANKS kaha tha usne...

anyways,tujhe kya fark padta hai..!!champ hai naa tu...nayi bandi dhundna kaun si badi baat hai tere liye..

aur aisa hi kuch karna hai tujhe...bhulkar bhi ANJALI ke saamne clearification ka naatak kiya tune toh wahin maarunga tujhe...

apne fake image ke sake ki khaatir, stay away from ANJALI..


ab nahi ruka mai aur tezi se library ke bahar bane stairs ki taraf badhta chala gaya..




ON THE TERRACE:-




YE BADHIYA HAI..CHEAT TUMNE KIYA..APNO KO TAKLIF TUMNE PAHUNCHAYI..

AUR AB SUICIDE KARKE APNE SAARE GUILT SE CHHUTKAARA PAANA CHAHTI HO...


terrace ki edge par khadi KHANAK jo kaafi der rone ke baad finally neeche kudne waali hi thi ki tabhi padi kaano me uske NITS ki ye awaaz jisse sun rote hue palti woh NITS ki taraf aur...


KHANAK-i don't deserve to live NITS...

naahi mai tumhare jaise doston ki dosti deserve karti hun aur naahi apne mom dad ka pyaar aur vishwas ke laayak hun mai..

NITS-true..par ban toh sakti ho..!!!

KHANAK-i cant..himmat nahi hai meri unhe face tak karne ki..

NITS-baby steps lete hain... baaki sab chhodo,kamsekam apne kiye waade ki,"KUBOOLNAAME" ki izzat toh rakh lo...

i hope ki itne jhooth me kamsekam woh waada toh jhootha nahi tha..


NITS ki baat par aankhon me sawal liye dekhne lagi usse KHANAK jispar muskurate hue apne jeb se apna mobile nikaala NITS ne aur recording me jaakar usse play kar diya..




MAI-kuboolnama chahiye mujhe...

KHANAK-kuboolnama...???kis chiz ka...

MAI-kuch aisi chizon ke liye jisse tumhare mom dad ki khushi aur sukoon hamesha barkarar rahega..

meri is baat par kuch kaha nahi KHANAK ne bas haan me palke jhapkayi usne jispar...

MAI-

sach ka ghar dil me hota hai,dekhna ho usse toh man me jhaankne ke liye hamesha aankhein MOOND LOGI TUM...

KHANAK-KUBOOL HAI...

zindagi ki roti banana sikhna asaan nahi,par vaada karo ki ek din us roti ko banane waala aata theek se GOONTH LOGI TUM...

KHANAK-KUBOOL HAI...

aansu ki koi bhaasha nahi hoti,par sirf khushi me nikle, UNKI aankhon me aansuon ki sirf wahi BOOND DOGI TUM...

KHANAK-KUBOOL HAI...

tumhare wajood se do aur logon ki saansein judi hai,un saanson ke liye apne wajood ko har baar DHOOND LOGI TUM...

KHANAK-KUBOOL HAI...(UPDATE-23)



SHILPA aunty ke birthday ke din SANVY aur KHANAK ke beech ki recording thi ye jisse record kiya tha SANVY ne..

jaise jaise woh recording,KHANAK ka kiya woh kuboolnaama aage badhta gaya,KHANAK ki aankhein ek baar phirse bheegti chali gayi...

ab jaakar kahin samajh aaya tha usse us shaam SANVY ke liye har waade ka kaaran...


KHANAK-ye SANVY...!!!

NITS-ajeeb hai naa..itne saalon ki dosti me kamine ko mai samajh nahi paaya, phir tum toh rehne hi do...

dekho,jitna andaza mujhe hai,mujhe yahi lagta hai ki SANVY tumhe tumhari aatma tak se clean karna chahta tha..

waisi banana chahata tha jaisi ek achi beti ko aur ladki ko hona chahiye..

tumhari aankhon ke ye saaf aur sache aansu,khudko khatm karne ka faisla kyunki tumhe lagta hai ki tum ek deserving friend and most importantly,ek deserving beti nahi ho,tumhe finally deserving banata hai..

yahi toh chahta tha SANVY aur dekho,har baar ki tarah fir se plan kaamiyab ho hi gaya kamine ka...

SHILPA AUNTY-tu GALATH nahi thi beti,bas bhatak gayi thi.. GALATH hoti toh tere respect ke liye us ROHAN ko nahi maarta SANVY...


terrace gate ki aad me khadi ab tak saari baat sun rahi aunty ne finally saamne aate hue kahi thi ye baat jisse sun aur apni mom ko dekh turant unki taraf doud padi KHANAK..

agle hi pal KHANAK apni mom ke baahon ki chaanw tale surakshit ho chuki thi..


KHANAK-sorry mom..

AUNTY-shhhhh..kuch kehne ki zaroorat nahi hai..bura waqt tha,jo ab tal chuka hai...


apni beti ke baalon ke sehlaate hue usse shaant karaane lagi thi aunty aur is scene ko dekh NITS bhi muskurate hue mood chuka tha. aur moodte hue usse dikhe mai aur SONU...

hum dono bhi chal rahe scene ko dekh muskura rahe the par tabhi kuch yaad aaya SONU ko aur...


SONU-wwo ANJALI rrote hhue ggayi hhai bbhai...kkahin kkuch GALATH nna kkar bbaithe..

MAI-GALATH...!!!abbe aaj 2 saalon baad SAHI thikaane par jaa rahi hai woh...

SONU/NITS-matlab..!!!kahan jaa rahi hai...???




PLACE-SANEEL'S RESIDENCE




BETA,YE GHAR AAJ BHI TUMHARA HAI...AUR APNE GHAR ME AANE KE LIYE ZYADA SOCHA NAHI KARTE...!!!

HAAN AGAR PARAAYA MAANANE LAGI HO TUM HUME TOH BAAT...


aage bolne ki zaroorat nahi padi thi VERONICA ko kyunki ANJALI turant doudte hue badhi unki taraf aur unke gale lag subakne lagi...

pichle 5 minute se SANVY ke ghar ke bahar chahalkadmi kar rahi thi ANJALI...

ab bhale baat nahi hoti thi uski aur SANVY ki par aaj bhi uske dil-e-sukoon ka thikana SANEEL'S RESIDENCE aur VERONICA ki baahen hi thi jahan panah milte hi woh apne saari taklif bhul jaaya karti thi..

ek waqt tha jab apne ghar se kahin zyada SANVY ke ghar me rehti thi ANJALI...

uski sage mom dad toh naam bhar ke hi parents the uske...

kaam aur note chhapne se fursat milti hi nahi thi unhe...

VERONICA hi uske liye MAA aur BAAP dono thi..shayad usse bhi badhkar...apni choti badi khushi,gum sab unse hi share karti thi ANJALI aur VERONICA bhi usse SANVY jitna aur kabhi kabhi toh usse zyada hi pyaar karti thi...

par jis din bura bola tha VERONICA ke baare me uske dad ne jispar thappad maara tha SANVY ne unhe,warn kiya tha ANJALI ke mom dad ne usse VERONICA ke ghar jaane se..

dhamki di thi ki agar usne unki baat nahi maani toh VERONICA ka jeena mushkil kar denge woh..

nadaan thi ANJALI isiliye dil par patthar rakh SANVY se toh dosti tod hidii usne par saath hi saath uske ghar jaana bhi chhod diya tha..

par aaj bohot zyada akela feel kar rahi thi ANJALI aur isiliye khudko is chowkhat par aane se rok na paayi woh..

aur VERONICA..jisse aaj school me hone waale khel ka pehle se hi pata tha,usse ye bhi andaza tha ki kisi na kisi tarah ANJALI ke saamne bhi woh saari baatein khulengi jiske baad yahan unke ghar zaroor aayegi woh..

isiliye hi bank se off liya tha unhone..pichle paanch minute se khidki ke through ANJALI ke face ka pain aur nervousness dekh rahi thi woh but jab bhaari kadmo se wapas palatne lagi thi ANJALI toh bahar aa apni baat kahi thi unhone aur ab pyar se ANJALI ke baalon ke sehlaate hue usse apne saath lekar ghar andar chali gayi woh...


VERONICA-bhook lagi hai..


pehle jab bhi aati thi ANJALI is ghar me toh sabse pehle VERONICA ke haath ka bana kuch zaroor khaati thi..

is ghar me aate hi bhook jo lag jaati thi hamesha usse...

isiliye har baar ka sawal is baar bhi pucha gaya usse jispar haan me sir hila diya ANJALI ne..

usse sofe par baitha muskurate hue kitchen ki taraf chal padi VERONICA...

kuch hi palon me ek plate jispar rice,uske upar daal aur side me karaari bhindi joki favourite thi ANJALI ki,woh liye uske saamne baith chuki thi VERONICA..

karaari bhindi dekhte hi smile karne lag gayi thi ANJALI par us smile ke saath khushi ke aansu tab nikle uske jab pehle ki tarah is baar bhi khaane ka kaur khud bana apne haathon ko aage kiye VERONICA ne..

bade pyar se khaaya woh niwala ANJALI ne..aur aisa karte hi aisa laga usse jaise saalon ki bhook ek jhatke me shaant hone lagi ho uske...


ANJALI-i have missed this like life MAA....

VERONICA-khaate waqt baat nahi...


MAA... ANJALI ke mooh se ye shabd aaj 2 saal baad sun rahi thi VERONICA jispar khushi toh bohot hui usse par khaate waqt jo rule tha,woh tha..

us mithi jhidki ko sun smile karne lag gayi thi ANJALI...

kuch hi der me plate khaali ho chuka tha jiske baad..


VERONICA-aur...


naa me sir hila diya ANJALI ne jiske baad jaise hi plate rakhne aur haath dhone ke baad wapas uske paas louti VERONICA toh unki godh me sir rakh let gayi ANJALI...


ANJALI-sorry MAA...

VERONICA-sorry galti par boli jaati hai ANI...tune kuch GALATH nahi kiya...

ANJALI-kiya hai MAA...ye ghar mera hai jahan 2 saal baad aayi hun mai...

haan, in do saalon ke absence ne mujhe har din andar se toda hai par mai jaanti hun ki yahan naa aakar maine khudse zyada taklif aapko pahunchayi hai...

and for that,i am sorry...

VERONICA-apology accept ho sakti hai par ek shart hai...

ANJALI-kuch bhi MAA...

VERONICA-dobara date agar karna ho tujhe toh banda aisa hona chahiye jiske door jaane par genuinely bura lage tujhe..


VERONICA ki baat turant uth kar baith gayi ANJALI..


ANJALI-aapko kyun lagta hai ki SAM se alag hone ka genuinely bura nahi laga mujhe...

VERONICA-kyunki mai tumhe jaanti hun beta..in and out...agar feelings waisi hoti jaisi kabhi "KISIKE" liye feel kiya tha tumne toh roti baad me tum,dhoke par khoon pehle kar deti uska...


sach thi VERONICA ki baat isiliye muskurane lagi ANJALI aur..


ANJALI-apne bete ko KISIKE liye bolti hain aap...

VERONICA-hahaha... SANVY ke sangat me mujhe bhi ghumakar kaan pakadne ki aadat ho gayi hai..

waise ek baat batao,do you still love him...!!!


VERONICA ke sawal par chehra ek pal ke liye serious ho gaya ANJALI ka par phir muskurane lagi woh..


ANJALI-ab feelings waqt ke saath khatm ho jaaye toh woh feelings kaisi....!!!

but haan,ab tak dil ka ek aisa kona bhi taiyar ho chuka hai jisne khudko SANVY ka sirf dost maan liya hai..

VERONICA-pata hai mai chahti ki tumhe haan kahe SANVY...

ANJALI-hmmp.. chahti toh mai bhi thi par bataane se pehle hi thappad padh gaya mujhe..

VERONICA-what...!!!usne maara tha tumhe..aane do,batati hun usko...


thode ghusse me boli thi VERONICA ne ye baat jispar unke haathon ko hold kar khilkhilate hue has padi ANJALI aur...


ANJALI-puri baat toh sun lo.. actually propose karne se pehle hi i kissed him..

VERONICA-really...!!!

ANJALI-yup...jaisa aapne kiya tha uncle ke saath..maine socha mai bhi try karti hun..

dusri taraf dekh raha tha SANVY aur jaise hi ghuma uska sir meri taraf toh i kissed him..

par agle hi second ek thappad padh gaya mere gaal par jisne ye clear kar diya ki mai us SANEEL ki VERONICA nahi ban sakti... kabhi nahi..


halki sad thi ye baat kehte hue ANJALI.. uske pain ko feel kar maatha chum liya VERONICA ne uska...


ANJALI-i am good MAA...

VERONICA-i know..strong jo itni hai meri beti..waise ek baat hai, bhale uski g.f nahi bani tum par uski pehli kiss par mohor toh tumhara hi laga....

is baat par chhed sakti ho usse zindagi bhar..

ANJALI-hahahaha..

VERONICA-acha ek baat batao..agar KHANAK ROHAN ke saath nahi hoti,uski feelings geniune hoti SANVY ke liye, toh kya woh haan kehta usse..

ANJALI-never...woh kya,maine aaj tak aisi koi ladki dekhi hi nahi jisse SANVY pasand kar sakta hai aur reason aap bhi jaanti hai..


ANJALI ki baat par smile karne lag gayi thi VERONICA jiska matlab tha ki sach thi ANJALI ki baat..


ANJALI-SANVY ko aapke jaisi ladki chahiye..aapki khubsoorati,aapka talent..har woh X factor jo aapko baakiyon se alag karta hai,woh sab chahiye usse apni girlfriend me..

aur aisa kamsekam mujhe toh next to impossible hi lagta hai...there cannot be a second VERONICA AHARYA...


apni taarif par gaal kheench liye ANJALI ke VERONICA ne jiske baad..


VERONICA-dusri toh koi meri beti ki tarah bhi nahi ho sakti...

aur haan,tum SANVY se baat karo ya mat karo,you were,are and always remain my son's best friend...

aisa friend jiski ek aansu ke liye kisise bhi ladh jaata tha woh..


MAA ki baat par ek feeki smile baach uthi ANJALI ke face par aur..


ANJALI-shayad ab aisa naa ho paaye..in beete saalon me bohot bura bhala kaha hain maine usse...

but most importantly,jab dad ko thappad maara tha usne jo kahin se bhi GALATH nahi tha,maine bhi thappad maar diya tha usse aur najaane kitna kuch kaha tha..

i can just imagine,kitna bura laga hoga usse..


CHAAHE TOH EK THAPPAD AUR MAAR KAR CHECK KAR LE..BILKUL BURA NAHI LAGEGA MUJHE...


diwaar ki ot par tik kar khada tha mai aur meri awaaz sun meri taraf ghumi ANJALI...

ek pal dekhti rahi woh mujhe aur phir turant doud si padi meri taraf..

agle hi pal sir uska meri chest par aur dono haath meri back par the..

halke halke mukke maar rahi thi unse mujhe woh...


MAI-sorry ANI...tujhe SAM ki taraf maine hi dhakela tha...nahi karna chahiye tha mujhe waisa...

ANJALI-khudke liye har baar sahi hona dusro ke liye kabhi kabhi GALATH bhi ho jaata hai SAN...


ANI naam maine hi diya tha ANJALI ko aur ek wahi thi jo hamesha SAN bulati thi mujhe..

aaj phirse woh naam sun smile naach uthi thi mere face par..

VERONICA-catch...


apni scooty key meri taraf feki thi MAA ne jisse catch kar liya maine...


VERONICA-get out of my house you both.. ghar me kadam tabhi rakhna jab pehle ki tarah ek dusre ki company me chehre par hamesha smile dikhne lage..

ANJALI-mai chalaungi...


MAA ki baat sun jahan mai smile karne laga wahin ANI ne jhapta mere haathon se scooty ke keys aur bhaag padi bahar ki taraf...


MAI-cycle chalaya hai kabhi,scooty chalayegi... wapas kar chaabi...


mai bhi doud pada tha ANJALI ke peeche jispar haste hue apne room ki taraf badh gayi MAA...




DEHRADUN-BOTONICAL GARDEN:-




ANJALI-ye jagah aaj bhi waisi hai jaise pehle hua karti thi...!!!kuch bhi nahi badla...


bacchon ki tarah seesaw,meri go round,slides me fisalne ka baad is gigantic garden ke beechobeech bane rest grass shade ke andar baithe the mai aur ANJALI...

pehle MAA ke saath har hafte aate the yahan mai aur ANJALI...

last baar hamari baat band hone se 3 din pehle aaye the hum yahan...

isiliye aaj yahan aane ki zidh ki thi ANJALI ne...


MAI-nature bana rahe, isiliye banaya gaya tha ye garden...ab isme bhi change karne lagen toh phir nature kaahe ka...

ANJALI-MAA ke saath aata tha yahan...!!!

MAI-mai toh aa jaata,par tu nahi thi isiliye MAA ne mana kar rakha tha..

ANJALI-tu toh hai hi kamina..but i know,MAA is the best...

MAI-aakhir MAA kiski hai...!!

ANJALI-meri... acha SAN,ek baat sach sach bataayega...!!

MAI-nahi bataunga toh irritate nahi karegi...

ANJALI-aisa toh ho nahi sakta..ok seriously haan,ye ROHAN aur KHANAK ke game me apna game khelte hue kabhi kunjum kunjum waali feeling aayi thi tere andar KHANAK ke liye..

MAI-kya baat hai..!!!MAA ke puche same sawal par jo jawab diya tha tune, usse khudhi satisfied nahi hai kya..???

ANJALI-hawww...kamine..tu sun raha tha hamari baatein...


ek mukka mere shoulder par jamaate hue ghoorne lagi thi ANJALI mujhe...


MAI-ab kaan hai toh sunayi dega hi...aur ek baat tu bata,tu aur MAA meri match making me kyun itna interest le rahe the...

kaisi bandi pasand aayegi mujhe,kya kya qualities hongi usme..

arre..banda single hai,khush hai,acha nahi lag raha hai kya tum logon ko..

ANJALI-bilkul nahi..hum barbaad hue toh tum kaise abaad reh sakte ho saaki...

MAI-saaki..kaun si sharab pilaayi tujhe maine jo SAAKI ho gaya mai...

ANJALI-ishq ki sharaab jisme attraction ki milawat thi..na pachi mujhse,dekhna tujhe bhi hazam nahi hogi...

MAI-peena hi nahi aisi waahiyad sharab mujhe..

ANJALI-aise kaise darling..!!!peeyoge tum,dekhna ye hai ki kiske saath jeeyoge tum...

MAI-wakayi pee rakhi hai kya tune..badi shaayra ho rahi hai..

ANJALI-hahaha...ok now,ye bata ki agar behaviour analysis batana ho toh kis type ki bandi chahiye tujhe...!!!!


ANJALI ke sawal par ghura maine usse jispar maasum chehra bana tukoor tukoor dekhne lagi woh mujhe..

aise situations me shuru se yunhi behave karne ki aadat hai isse..

bina jawab liye chhodne waali thi nahi mujhe ye isiliye..


MAI-sweet,simple,down to earth...

HAHAHAHAHAHA..


meri baat sun is baar zor se has padi thi ANJALI jispar hairani se dekhne laga mai..


ANJALI-seriously...sweet,simple,down to earth..tujhe toh MAA jaisi ladki chahiye thi naa..!!!

MAI-toh..kya maa sweet,simple,down to earth nahi hai..!!!

ANJALI-bilkul hai.par unka woh roop tere mere liye hai.. but puri VERONICA AHARYA kuch aur hi hai and i have seen it..

mujhe ache se yaad hai aaj se kareeb 5 saal pehle market me the hum dono..

MAA ne mera haath pakda hua tha aur tabhi kisi ne comment kiya ki"bachi ki haath me kya rakha hai,hamara haath pakad kar dekhiye,maza aa jaayega.."

chaar gunde the woh jo MAA par comment kar rahe the..us waqt toh MAA ne koi reaction nahi diya aur mujhe liye aage badh gayi..

par woh gunde bhi MAA ke piche aane lage..kuch der baad ek sunsaan gali aayi jisse mouka samajh unme se ek ne MAA ko touch karne ke liye haath badhaya aur agle hi pal woh aur uske baaki teeno saathi zamin par the..

20 second bhi nahi laga tha MAA ko un chaar hatte katthe gundo ko zamin par laane me..

aur aise zameen par gire woh sab ki jab gali cross karte waqt palath ka dekha maine toh bhi bina hile dule neeche pade hue the woh log...

bottom line, tumhe bhi aisi hi garam aur ulti khopdi waali bandi milne waali hai..

MAI-bulshit...aisa kuch nahi hoga..agar mili toh bohot sweet si bandi milegi mujhe...



SAME TIME...NEW DELHI...



1st girl-what the hell...!!!exam se just pehle tune bheje the bande USSE harass karne ke liye...

2nd girl-so what...!!!

1ST-abbe paagal ho gayi hai..new girl hai tu.. jaanti nahi uske baare me kuch...school,state nahi,india topper banane ka dum hai usme..

USSE apna competition maan rahi hai tu...

aur woh sab chhod,apne school ke boxing champion ko ek mahine ke liye hospital pahuncha chuki hai WOH..

aur jin bando ko bheja tha tune..pata karne ki koshish ki ab kahan hai woh..and more importantly,kis condition me hain...

un sabko akele maar haddi pasli tod di hai USNE...

SHE is a silent PYSCHO...



DEHRADUN:-



MAI-soft aur sophistication natural hoga uska.. aisi jiska naam sunte hi sabke face par smile aa jaaye..



NEW DELHI:-



3RD-hey..kis baare me baat ho rahi hi..

2ND-DIMPLE BATRA...aur usse bhidi hai ye idiot...(HEROINE)


naam sunte hi mooh sookh gaya tha us ladki ka....



DEHRADUN:-



MAI-cute..sweet bolne waali..mooh se bhi,dil se bhi...



NEW DELHI:-



2ND GIRL-arre chill guyz...tum log toh aise react kar rahe ho jaise bohot badi top ho woh...

kuch nahi kar sakti woh.. right babu..


apne baaju me baithe ladke se jo boyfriend tha uska,kahi ye baat usne..


B.F-aur nahi toh kya..iske aas paas bhi dikhi woh toh ek thappad me hi mooh tod dunga uska mai...

BHADDHH...BHADHHHH..BHADHHHH..KADAKKK...


piche se pada tha sir par ek mukka jiske asar se bahar aata woh ladka usse pehle hi mooh par punches ke baad uske dono haathon ko yun maroda kisine ki us lounde ki dono kalayi toot gayi..


1ST GIRL-DIMPLE.......

2ND GIRL-dimple tune ye...

CHATAKKKHH.... CHATTAKHH... CHATTAKHH...


aage bol paati woh,usse pehle hi teen thappad pade uske gaalon par jiske baad usse gardan se pakad neeche jhukati chali gayi DIMPLE...

KHACHHHHH......

ek kainchi apne back pocket se nikal piche se us ladki ki jeans faad di thi DIMPLE ne...

beech se fati thi uski jeans jis wajah se panty saaf dikhne lagi thi uski..

honth toh pehle se hi fath gaye the uske...apni fati jeans ko dono taraf se kisi tarah kheench sharm se dohri hoti hui uthi hi thi woh ladki ki ek baar phir usse uski gardan se pakda DIMPLE ne aur..


DIMPLE-listen you mother fucker bitch....apni aukaad ke logon ke saath ghumne aur bhidne ki aadat daalna sikh le..

agli baar dikh bhi gayi naa tu mujhe toh tere maa baap ke saamne nanga karungi tujhe aur ghanta kuch ukhaad nahi paayenge woh bhi mera..

now get the fuck out of my sight..

DHAKKK..


ek laath maari piche se us ladki ko DIMPLE ne jispar aundhe mooh giri woh..

uski fati jeans ek baar phirse dono taraf ludhak gayi thi jispar dabi hasne lage the aas pas ke log..

hadh se zyada embarrassed ho rote hue khadi hui woh ladki aur ek baar phir us fati jeans ko kisi tarah sambhal aage badh gayi woh..

uski friends toh DIMPLE ko dekhte hi kabki nou do gyarah ho chuki thi...

DIMPLE bhi ek disha ki taraf badh gayi...



DEHRADUN:-



MAI-honest hogi..no manipulations...hamesha sach bolne ki aadat hogi uski..



NEW DELHI:-



BOY-hey,DIMPLE....DIMPLE....chalen..

DIMPLE-kahan...???

BOY-arre tumne kaha tha naa ki agar ***** kahan hai,bataya maine toh hum date par jaayenge...

DIMPLE-mujhe toh kuch yaad nahi...now fuck off...

BOY-what..!!!ye sahi nahi hai DIMPLE..tumne jhooth bola mujhse...you manipulated me...

DIMPLE-haan bola maine jhooth..kiya manipulate..toh,ukhaad lega...bloody looser...

ab chup chaap nikal nahi toh khaa jaayega mujhse..

BOY-but i love you dimple...

DIMPLE-aww..really...saale chutiye..shakal dekhi hai apni..aur shakal, kabhi akal jaanchi hai apni...

ek murde ka dimag bhi zyada chalta hoga tere jaise looser se..

normal bandi na date kare tujhe aur tu mujhe, DIMPLE BATRA ko apni g.f banaane ki ummid lagaaye hai...

i am way above your pay grade...tu kya,kisi ki aukaad nahi mere aage...

i am the bloody best..no one comes near me...


ye bol jahan ek confident smile ke saath wapas mood aage badh gayi DIMPLE wahin apni insult aur DIMPLE ki puri baat sun kuch pal atka woh ladka but phir..


BOY-itna ghamand theek nahi hai DIMPLE... maanta hun you are the best..

but you are not the only best... bohot hain jo tujhse aage hain..

DIMPLE-hahahaha...bohot...!!!ek hi dikha de mujhe...jo bol haar jaaungi mai...


academics, fighting techniques,sports and most importantly padhayi me DIMPLE ki takkar ka kisiko nahi dekha tha us ladke ne..

takkar chhodo, door door tak bhi competition nahi tha uska koi isiliye sir jhook gaya ladke ka aur ye dekh smile karte hue us bande ke paas pahunchi DIMPLE..

apni ungli se us ladke ke face ko upar uthaya usne...



DEHRADUN:-



MAI-



mere dil se nikli baat apne dil se SUNEGI WOH...

mere hunar ko nahi,mere wajood ki maasumiyat ko CHUNEGI WOH...

mukaabla sirf ek shabd hoga uske liye,

jo apno ke jeet ke liye khud haar jaaye,meri jaan BANEGI WOH...



NEW DELHI:-



DIMPLE-



dimag se sochti hun mai,dil waala koi mujhe JAMA HI NAHI...

saaf suthra wajood mere garm khoon ke saath ek sa SANA HI NAHI...

mukaabla koi shabd nahi puri zindagi hai mere liye...

par jo mujhe hara mera dil jeet jaaye,aisa koi is duniya me BANA HI NAHI...











AAJ KE LIYE ITNA HI...










AAPKA APNA V...J...
Lovely update bro maza aa gaya
 

Rajesh

Well-Known Member
3,583
8,007
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SANVY ROHAN KE PLAN KO FAIL KARNE KE BAAD KHANAK KO BHI SAHI RAASTE PAR LE AATA HAI,DUSRI TARAF ANJALI AUR SANVY AS FRIENDS REUNITE HO JAATE HAIN WAHIN TEESRI TARAF DEHRADUN ME SANVY AUR DELHI ME DIMPLE BATRA APNE LIFE PARTNERS KE DISCRIPTION BATAATE HAIN JO EK DUSRE SE BILKUL ULAT HOTE HAIN.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-37

14TH OCTOBER


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS






CONGRATS BUDDY....BACK TO BACK SECOND YEAR SPORTS CHAMPION BANA HAI TU...


apne haathon me SPORTS CHAMPION banane par milne waali badi si trophy liye school building ke just bahar bane first ground me RAJAT aur EKPREET ke saath khada tha SAM...

waise sirf ye teen hi nahi the is waqt ground me, lagbhag saare students apne apne groups ke saath khade the yahan...

ek hafte chalne waale lambe sports week ke baad finally prize distribution hua tha jiske disperse hote hi teachers, PRINCI,media houses jinhone most events jeetne waale participants ka interview bhi le liya tha,woh sab jaa chuke the par students abhi bhi yahan moujud the...

jin jin students ke haath me alag alag sports me jeete trophies the,unhe wish kar party demand kar rahe the unke friend's..

par sabse zyada prize jeetne waala SAM jisse is saal bhi SPORTSMAN OF THE YEAR ke khitaab se nawaza gaya tha, lagbhagh pure school ne hi badhayi di thi usse..

pichle saal ki tarah is saal bhi ROHAN second best saabit hua par jo kuch din pehle ghata uske saath,us sadme se ab bhi bahar naa woh aaya tha aur naa uske friends isiliye ceremony khatm hote hi kat liye the woh sab...


NAISHA-what the fuckkk..!!!ab dikhe hain ye dono....aur ye dono kamine.. chhodungi nahi kisiko...


NAISHA joki aaj SAM,RAJAT aur EKPREET ke saath nahi balki unse alag girls ki ek group ke saath khadi thi,chillate hue badh chali thi woh ek disha ki taraf...

wahin RAJAT ki baat sun halki smile di thi thi SAM ne par woh kuch kehta ki tabhi NAISHA ki awaaz sun ghooma woh school premises ke main gate ki taraf jahan se enter hue the mai, ANJALI,NITS aur SONU...

like old times,ANI mere B.M.X ke saamne baithi thi...

waise toh B.M.X ki front dandi thodi tedhi ho neeche ki taraf jaati hai but phir bhi bade araam se manage karke baithi hui thi ANI..

anyways,is guzre pure sports week me hum chaaron hi gayab the...

pure do saalon ka missing hangout waala kota pura kar rahe the hum sab...

camping,rafting,normal picnics,ye sab kiya tha hum chaaron ne is beete ek week me..

aur do din toh ANI ne MAA ko bhi saath lapeth liya tha..bank se off le MAA ne bhi hum sabke saath do din enjoy kiya tha...

par in saath dino me ek aur chiz ki thi hum sabne..woh tha apna apna phone off rakhna...

mere paas toh mobile tha hi nahi but baaki sabke phones morning se late night tak off rehte the..

SONU aur NITS ke parents ko MAA ne bata diya tha ki woh unke saath hain isiliye nishchit the woh sab and for ANI..

uske mom dad business ke silsile me DEHRADUN se bahar the aur aise trips ke beech kabhi call nahi karte the woh ANI ko..

normally toh is baat se taklif hoti thi ANI ko par kyunki ab uske really parent as in meri MAA saath thi uske isiliye usse koi fark hi nahi pada tha...


NAISHA-tu toh gayi aaj kamini..tu kya,tum sab gaye..


badi tezi se doudte hue aayi thi NAISHA hamari taraf..

waise toh uska sabse pehla target ANI thi par hamare paas pahunchte pahunchte mood badal gaya uska aur woh moodi meri taraf..


NAISHA-chhod mujhe..i said leave me SANVY...aaj nahi chhodungi tujhe...

MAI-kamaal hai..khud bol rahi hai nahi chhodungi aur ummid bhi kar rahi hai ki waisa karne ke liye free chhod dun tujhe..


isse pehle ki mujhe maar paati NAISHA,khud thoda tezi se aage badha tha mai aur usse dodge de uske piche pahunch usse jakad liya tha maine...

kuch seconds apni puri taakat laga mujhse alag hone ki koshish ki usne par phir jab usse laga ki koi faayda nahi,toh khudko dheela chhod diya usne...

MMMMHHHMMM..

NAISHA ke ghusse aur uski haalath par has rahe the ANI,SONU aur NITS par tabhi unhe NAISHA ka subakna feel hua jiske baad hasi un teeno ke chehron se turant gayab ho gayi..


ANJALI-hey....please NAISHA..sorry yaar...mujhe nahi pata tha ki hamare kuch din naa milne se tu itni sad ho jaayegi...

NAISHA-ofcourse pata tha tujhe... nahi mili,koi baat nahi,par phone bhi off kar diya tha tune..

tum sabne...haan karoge bhi kyun nahi,tum sabka purana group jo phirse fill ho gaya,kisi aur ki kyun fikr hogi tum sabko..

MAI-bilkul sahi kaha...kyun hogi fikr hume kisi aur ki.. matlabi jo hain hum...sirf apne baare me sochte hain...

jab kuch bhi GALATH lagta hai hume toh jo kusoorwaar naa ho,usse bhi doshi maan saza dene lagte hain hum..

kuch sunana hi nahi hai hume toh..toh kya hua agar woh banda innocent hai..agar culprit ka friend bhi hai toh ye reason kaafi hai usse doshi maanane ke liye...

saalon ka rishta ho toh bhi kya ho gaya,hamari nazaron me kuch khatka toh bhaad me gaya woh relation,usme kiye waade aur nibhaye commitments...

hum toh bas apne logics aur soch par chalenge, phir chaahe woh saare logics aur soch kyun naa hon GALATH....


NAISHA ko apne grip se realise karte hue ye saari baatein kahi thi maine jispar pehle toh woh mujhe hi maarne ke liye palti par jaise jaise meri baatein joki uske ravvaiye ka aayna thi,woh sunti and most importantly, samajhti chali gayi,sir uska jhukta chala gaya...

darasal jo old library me hua,us ghatne se anjaan nahi thi NAISHA..

SONU ke through jab SAM ki cheating aur khaaskar ANJALI ke rone ki baat pata chali usse toh SAM ko bohot khari khoti sunayi thi usne..

par yahan tak toh sabkuch theek hi tha lekin NAISHA ne SAM ke saath RAJAT ko bhi lapet liya tha jiska kasoor bas itna tha ki woh SAM ka friend tha...

breakup tak karne chali thi woh RAJAT se.. bohot manaane ki koshish ki thi RAJAT ne NAISHA ko jispar sabke saamne insult tak kar di thi usne uski...

NAISHA ke ussi GALATH ATTITUDE ki baat ki thi maine jisse samajh sir jhuka tha uska..


NIT-saale,"naam abdul hai mera,sabki khabar rakhta hun, woh line tere upar filmani chahiye thi..

nahi tha yahan tu phir bhi logon ki khabar rakhe hue tha...

MAI-log!!! baat NAISHA ki ho rahi hai..apni ANI ki lesbo partner hai ye,ab iski khair khabar toh rakhunga hi naa..

DHABBBB..

ANJALI-achi baaton ke beech bakwas karne ka P.H.D le rakha hai kya tu...!!!


mere peeth par ek mukka jamaane ke baad kahi thi ye baat ANI ne jispar ek smile naach uthi NAISHA ke face par..


MAI-now that's more like it..aise hi raha kar...

NAISHA-sorry...

MAI-mujhpar suit nahi kar raha ye line!!! haan piche ghumne par jo dikhega tujhe,agar usse bolegi ye word toh zyada justified lagega..


RAJAT aur EKPREET jo humare paas hi aakar khade ho chuke the,unki taraf ghuma diya tha maine NAISHA ko jispar RAJAT ko dekhte hi guilt se bhar gaya tha NAISHA ka dil..

SAM ke chakkar me wakayi kaafi harsh treat kiya tha usne RAJAT ko..

par ab bhi RAJAT ke face par uske liye sirf pyar hi dikha tha NAISHA ko isiliye turant aage badhi woh aur gale lag gayi RAJAT ke..


RAJAT-hey, it's ok baby...

NAISHA-no it's not..i am really sorry..

RAJAT-hakh hai tumhara..

ANI-you guyzz catch up... NAISHA canteen aa jaana...


SAM jo itne der tak nervously ek position me khade rehne ke baad finally himmat juta hamari taraf badh raha tha, usse paas aata dekh mera haath pakad dusri taraf badhne lagi thi ANI..


EKPREET-guyz maaf kar do yaar SAM ko.. please...

RAJAT-haan guyzz..please forgive him..


ANI ka reaction dekh SAM ke toh badhte kadam phirse rook chuke the par EKPREET jo itni der se chup tha,usne ki ye plead jispar RAJAT ki continuity sun jhatke me alag hui usse NAISHA..


NAISHA-are you guyz nuts...jo kiya isne,uske baad iske liye maafi kaise maang sakte ho tum..

infact,isse toh apna dost bhi nahi maanana chahiye tum dono ko..

MAI-phir GALATH jaa rahi hai NAISHA..teri feelings EKPREET aur khaaskar RAJAT par force nahi kar sakti hai tu..

it's not ethical...

aur ye kaise bhul rahi hai ki in teeno ki friendship mere NITS aur SONU ki friendship se bhi purani hai...

kg's se saath hain ye teeno...aise bond overnight break nahi hote aur hona bhi nahi chahiye..

waise bhi,hum sahi ho ya GALATH, koi naa koi toh hona hi chahiye hume back karne ke liye,hume samjhane ke liye..

bottomline,mat aa inke beech...

SAM-hey SANVY,maaf kar de yaar...i promise, it won't happen again..


mai phir aage badhne ko hua hi tha ki tabhi doudte hue mere saamne aakar khada ho gaya SAM..


MAI-wont happen...what won't happen..??

aisa kiya kya tune jo tujhe lagta hai ki meri ijaazat ke bina kar sakta tha tu...


mere is taunt par joki ek harsh sach bhi tha,sir jhuk gaya SAM ka...


SAM-par jo bhi kiya maine, woh tha toh GALATH hi.. you are my buddy aur tera trust toda maine..

ANJALI ko hurt kiya...and i am sorry for all of that...please guyz,maaf kar do yaar...

ANJALI-listen SAM..mujhme ab tere liye koi feelings nahi bachi but haan, koi grudge bhi nahi hai tere against mujhe....infact,i wanna thank you..

tu ek main reason hai jiski wajah se mera best buddy wapas mila hai mujhe..

so we are cool..

SONU/NITS-we too...

SAM-utna hi kaafi hai guyzz..SANVY...

MAI-KHANAK....


KHANAK ek dusre girl group ke saath humse thodi door khadi thi but dhyan uska hamari taraf hi tha..

aur jaise hi maine pukara usse toh pehle toh hadbadayi woh par phir dheeme kadmo se badhne lagi woh hamari taraf..


ANJALI-hey where's RASHI...???

NAISHA-woh nahi aayi..jo hua,pata hai usse isiliye mood off ho gaya uska..

infact,pure sports weekend hi absent rahi hai woh..

MAI-congrats... maine suna 100 mtrs sprint me second aayi tum..


KHANAK ke paas aate hi haath aage badhate hue kahi thi ye baat maine jispar ek nervous smile ke beech mera hand shake kiya usne..


MAI-i hope paise laayi ho tum..!!

KHANAK-ppaise..mmatlab..!!!


hadbada si gayi thi mere is out of the box sawal par KHANAK...


ANJALI-matlab ye ki sport winners apne group ko, friends ko party dete hain..

ab hum paanchon toh loosers hain,bas tune hi laaj bachayi hai is group ki..party toh tujhe hi deni padegi...

KHANAK-thanks...


baaton baaton me ab bhi friend thi woh hum sabki, ANJALI ki ye baat sun baavuk ho gayi thi KHANAK jispar..


MAI-jinke man saaf hote hain unhe thanks aur sorry bolne ki zaroorat nahi padti... kamsekam hume toh nahi..


KHANAK ke saath canteen ki taraf badh gaye the hum aur hume piche se jaata dekh ek thandi saans chhodi SAM ne jispar uske kandhe par haath rakha EKPREET ne..


EKPREET-jo hua,uska asar itni jaldi toh khatm hoga nahi..give it some time man..

RAJAT-they all are our buddies,your buddies...aaj bhale jitne hi naraaz kyun naa hon but i am sure they will come around...maaf kar denge tujhe woh

EKPREET- definately...bas sabr rakh tu..kyunki waqt toh lagega hi..

SAM-WAQT....PAR KITNA.....





DATE-1ST APRIL 2020....

PLACE-SIRIUS





GOOD MORNING STUDENTS...

MORNING MA'AM..

HOLY SHIT...WOWWWWW....


naye saal ki summer classes ke first day aur first period par jaise hi class me enter karte hue sabko morning wish kiya PRINCI ne toh out loud wish sabke mooh se saath hi nikla par at the same time boys ke man hi man nikle ek saath WOW ne unke machalte dil ka haal bayan kar diya tha...

aur is machalte dil ke bhaav ka kaaran...!!!!


PRINCI-students,please welcome your new classmate,DIMPLE BATRA....


DIMPLE BATRA...

5.6 and still growing hieght waali khuda ki ek beshkeemti kaarigari khadi thi sabke saamne...


baal....dark kaale baal jo knot se bandhe hone ke baawjud apna rang saaf bata rahe the, par unke beech nasl bhedi ek laal lath jo halka halka ghumte hue saamne daahine aankhon ke baaju me gir rahi thi...

aankhen....ab kya hi kahen..putliyan jo neele rang ko ek nayi paribhasha de rahi thi...

aur unke ird gird behadh halki par alag alag rango ki paritarika(iris) jo unke andar base putliyon ko aur aakarshak banaate the...

chehra....halka golakar (spherical) jisne gulaabi gorepan ki chaadar odhe hue thi..

aisa rang jisse halke dabaav se bhi agar chhu liya jaaye toh woh gulabipan apna daayra aur asar badhaate hue pure chehre ko dakh le...

honth....waise toh aksar rang gulabi hote hai inke par DIMPLE ke maamle me ye laal the..itne laal maano pure chehre ka khoon utar kar un hothon me bhar aaya ho...

sharir...apne upar bane chehre ko pura nyaay hit(justified) kar raha tha woh atyant santulit sharir...

over all ek aisa chamakta, akarshak chehra aur uspar chaar chaand lagwata vyaktitv jisse dekh "kudrat ne banaya hoga fursat se tujhe mere yaar"..

gaane ke ye chuninda shabd saarthak lagne lagte the...


PRINCI-boys....i said welcome your new classmate...

BOYS-hey.hello....


girls ne toh pehle hi hello bol diya tha new girl ko par boys PRINCI ke saamne hone ke baawjud chupchaap bas ek tak dekh rahe the DIMPLE ko..

isiliye specially BOYS shabd ko stress karte hue kaha tha PRINCI ne jispar hadbadate hue welcome kiya tha sabne DIMPLE ka..


DIMPLE-hello....loosers...


saamne se toh smile kiya usne par un sabki haalath dekh sir shake karte hue khudse kaha tha ye aakhri shabd usne..


PRINCI-well,last year tak DIMPLE DELHI ke aur infact,SIRIUS ki hi tarah india ke one of the most prestigious school ST VINCENT INTERNATIONAL SCHOOL me padhti thi but now she is going to be a part of us..

and let me tell you all that she is a brilliant student..last year,she had achieved 98.7 percent marks..

ab yahan laga tha sabko jhatka..

reason bhi obvious hi tha..SIRIUS ka sabse bright student SAM,uske last year bane the exact 98 percent joki I.C.S.E board ka UTTARAKHAND best result tha..

but as PRINCI said,new girl had achieved more than a state topper...

.7 percent waise toh zyada marks ka difference create nahi karta but I.C.S.E board which is considered one of the toughest board not only of INDIA but of the world,usme ye chota sa gap bhi ek mountain ki tarah tha jisse cross karne ka matlab hota hai atleast double hard work aur tab bhi us gap ko fill karne ki koi guarantee nahi hoti...

anyways, jahan is shock se abhi bhi bahar aa rahe the sab,wahin PRINCI ne sabke liye back-to-back shocks ka kota taiyar rakha tha..


PRINCI-last year delhi me i.q ke saath saath all india quiz,debate aur gymnest competition bhi held kiya gaya tha aur un teeno hi national level competition me DIMPLE was the winner...


itna talent ek hi bandi me dekh waise toh sabhi hadh se zyada hairan the but at the same time ye bhi samajh aa gaya tha sabko ki ye DIMPLE ka talent hi tha jiski wajah se board year hone ke baawjud usse SIRIUS me admission mil paaya tha..

haan ST.VINCENT is one of the most prestigious schools par SIRIUS ke saamne woh bhi kahin nahi tikta tha..

desh ke har incredible talent ka,har topper ka sapna tha SIRIUS me padhna..

aur reason hai yahan se milne waala exposure joki ab tak sabse zyada SAM ko milte aaya tha but now he has a competition...and a very very tough one...


PRINCI-SAMEER...


PRINCI ke SAM ka naam lete hi khada ho chuka tha woh..


PRINCI-DIMPLE..meet SAMEER CHANDER..waise toh SIRIUS ka har student help karega tumhari but to be specific,if you need any assistance,SAMEER ko bol sakti ho tum...

tumhari hi tarah piche saal isne bhi all india I.Q competition jeeta tha..

apni class ke saath saath he is the best student of SIRIUS..

DIMPLE-not any more...


thodi dabi awaaz me kahi thi ye baat DIMPLE ne jisse kisi aur ne toh nahi par PRINCI se saaf sun liya tha.

jahan halki smile naach uthi thi unke face par wahin apni taarif sun bas smile kiya SAM ne..


MAY I COME IN MA'AM...!!!


ye mai tha jo pichle saal ki hi tarah aaj as in school ke first day par phirse thoda late ho gaya tha..

bas kuch seconds pehle hi jab ma'am unke saath khadi new girl ki taarifon ke pool baandh rahi thi,pahuncha tha mai entrance door par...


PRINCI-its the first day aur aaj hi late hain aap...???

MAI-sorry ma'am..wont happen again..

PRINCI-come in...


PRINCI ke baaju se hota hua mai apni row ki taraf badhne laga par tabhi...


PRINCI-waise DIMPLE..he is SANVEER AHARYA...in mahashay se bhi help le sakti hain aap...!!!

MAI-not anymore...


pehle bina laag lapet PRINCI se kahi meri baat,phir class me enter karte waqt bas ek halki nazar gayi thi meri DIMPLE par lekin baakiyon ki tarah atki nahi.

in sab observations se thodi impressed hui thi DIMPLE mujhse...

par ab jab uski help ke liye SAM ke saath mujhe bhi chuna PRINCI ne toh mujhe toh wapas uski taraf ghumte hue wahi jawab diya maine jo usne SAM ke liye diya tha aur ye sun jahan PRINCI ek baar phir halki si muskurayi wahin DIMPLE ka woh saara observation, impression ab ghusse me badal gaya tha..

ghoor rahi thi mujhe woh par mai NITS ke baaju me apna bag rakh bas PRINCI ko dekh raha tha..


PRINCI-ok then...make yourself comfortable...waise bhi first period off hai aap sabka...

get to know each other...


class se nikal chuki thi PRINCI jinke jaate hi class ka mahoul bilkul casual ho gaya..

teacher toh koi aane waala tha nahi isiliye apne apne groups ke saath chit chat me lag chuke the sabke sab...


RASHI-hie,i am RASHI...

DIMPLE- DIMPLE...


sabse pehle RASHI ne hi apna haath aage badhaya tha DIMPLE ki taraf jisse willingly accept kiya tha DIMPLE ne..


RASHI-this is ANJALI, NAISHA and that's KHANAK...

SAB-hey..

DIMPLE-hello..

RASHI-SAM ka intro toh khud PRINCI ne de diya tumhe...uske baaju me jo hai, that's RAJAT, phir EKPREET...

last benchers me se last waala hai NITS, uske baaju me SONU and lastly..

DIMPLE-SANVEER AHARYA...


mujhe ab bhi halka ghurte hue kahi thi ye baat DIMPLE ne..


RASHI-arre haan.. uska intro bhi toh PRINCI ne hi de diya tha..so this concludes our group...

it's the best group of our class...kisise bhi puch lo...kisi bhi official kaam ke liye hum mese kisi se bhi help le sakti ho aur non official work ke liye no ones better than SANVY..

DIMPLE-really...aisi kya baat hai usme...!!!

ANJALI-woh jo kisi me nahi hai..SAHI ke saath usse SAHI koi nahi aur GALATH ke saath usse GALATH bhi koi nahi hai..


ek baar palath SANVY ko dekhne ke baad bade proudly kahi thi ye baat ANJALI ne..


DIMPLE-are you his besty..!!

ANJALI-yup...!!!

KHANAK-uski besty bhi yahi hai but hum sabka besty woh hai..

DIMPLE-great...aur spain chhode kitna waqt ho gaya tumhe...!!!


RASHI se pucha tha DIMPLE ne ye sawal jispar hairan ho gayi woh..


RASHI-how do you know ki..

DIMPLE-tum spain se ho...!!!tumhara accent..waise toh hindi saaf hai tumhari par stressed words bolte waqt spanish accent clearly feel hota hai..

NAISHA-woo..you are smart...

KHANAK-i felt SANVY bol raha hai.. aise hidden facts bina revelation ke wahi toh samajhta hai...


NAISHA ke kaano ke paas dheere se kahi thi ye baat KHANAK ne par usse nahi maalum tha ki DIMPLE jo usse hi dekh rahi thi,lip read karne ka hunar bhi tha uske pass..

aur khudko kisike saath comparison kiye jaane se khush nahi thi woh...

par kaha nahi kuch usne...


ANJALI-so DIMPLE,ye board year ke waqt school change...!!!

DIMPLE-SIRIUS me toh mai last year hi admission lene waali thi..but woh jo national level competitions the,mere last school ke session shuru hone se pehle hi mera naam un saare competitions me de diya gaya tha..

back off karti toh woh chances chhut jaate isiliye i decided to stay there for the year..

but mid term me hi yahan admission ke liye apply karwa liya tha maine...

mere overall results aise the ki mera application approve ho gaya tha..

wahan girls apne chit chat me busy ho gaye the aur is dauran puri class or i should say,class ke saare boys DIMPLE ko nihaarne me busy ho chuke the...

aur in sabme sabse aage tha,NITS...


NITS-koi itna zyada khubsurat kaise ho sakta hai..!!


dono kohni desk par tikaye piche se nihaar raha tha DIMPLE ko NITS..


SONU-jjab kkoi ttere jjitna bbadsurat hho ssakta hhai ttoh kkhubsurat kkyun nnahi...

NITS-chup bhosdike...tere se 10 guna zyada smart hun mai..

MAI-zero ka 10 guna bhi zero hi hota hai...

DHABBB..


mere peeth ke dono taraf ek ek mukka jama diya tha NITS aur SONU ne..


NITS-ek baat bata be...puri class taad rahi hai us ladki k..ye SONU jaise bramhachari ne bhi 2,3 baar dekh liya hai uski taraf par teri nazarein naa ghumi uske chehre par..

purusharth sambandhi pareshani ne toh naa gher liya hai tujhe...

MAI-vaakya sahi tha, shabdon ke prayog me hera pheri ho gayi,bas..

NITS-matlab..!!!

MAI-purusharth sambandhi nahi,do purush jinke aapas me sambandh hain,unhone ghera hua hai mujhe..

aise me kahin aur dekhne ka man hi nahi karta..

SONU-bhosdike..

DHANNNNNNN......

DONO-maaddd.......hhuriiiii....

HAHAHAHA....


ek baar phir mukka jamaane waale the woh dono meri peeth par lekin is baar unke haath ghumte hi apne dono haathon ko tezi se faila dono ki gardan pakdi maine aur dheere se hi sahi par patak diya saamne DESK par..

jahan ek taraf sir halka jhanjhana gaya tha dono ka jispar gaali dete dete control kiya apne words ko unhone wahin sir desk se takraane ki wajah se tez aawaz aayi thi jispar hamari taraf palat situation samajh hasne lage the sab..

DIMPLE bhi thi un sabme par sirf wahi thi jo ab bhi sirf ghoor hi rahi thi mujhe...

anyways,first day tha isiliye pehle period ki hi tarah second period bhi free ho gaya..

third me aaye teacher par padhayi kuch naa hui..

issi tarah third period off hone ka bell baj gaya jiska matlab tha RECESS time..


SAM-hey..PRINCI ne toh formally milwa diya tha, informally,hum mil lete hain..

SAM...friends....!!!


recess hote hi RAJAT aur EKPREET ke baad DIMPLE se hand shake kar friendship karne SAM bhi badha tha aage.

wahin EKPREET aur RAJAT ki friendship toh bade soft aur appreciating way me maan li thi DIMPLE na par SAM ko dekh ek pal ruki woh aur..


DIMPLE-honest reh sakti hun tumhare saath...!!!

SAM-sure...

DIMPLE-are you single..!!!

SAM-excuse me..!!!i mean yaa..

DIMPLe-i hope ki mujhme apni future g.f nahi dekh rahe ho tum.. jo baahar se dikha rahe ho, friendship,andar se bhi feeling sirf wahi ho toh theek rahega...

sorry agar harsh lag rahi hun mai but the thing is as PRINCI was saying,topper ho tum, dikhne me bhi ache ho..

aise me aksar galathfehmi ho jaati hai ki you can get any girl...

but i am not that "any girl"... sirf dosti aur wakayi khush rahungi mai...


DIMPLE ki saari baaton ke dauran sab ektak usse dekh rahe the..

boldness aur straight forwardness ka ek jeeta jaagta example thi DIMPLE..

jo bhi kaha usne,ek straight face ke saath kaha tha..koi attitude nahi jhalka tha uske tone me.

bas ek fact bola tha usne jisse waise hi smile ke saath haath milaate hue sportingly liya SAM ne...

OUCH....

abhi koi kuch ki tabhi ANJALI ke mooh se ye halki cheekh nikli..

REASON..

ekdum sudden uske gardan me peeche se haath daale the maine jispar halki aage ki taraf hadbada gayi thi ANJALI par phir mujhe dekh ghura usne aur...


ANJALI-oye idiot..ladka nahi ladki hun mai..thoda toh waisi treatment diya kar...

MAI-correction... bahar se kya hai tu, woh important thodi naa hota hai,andar waala sach is important..

aur andar se toh ladka hi hai tu..

DIMPLE-excuse me...!!!


turant mere saamne aakar khadi ho gayi thi woh new girl..

aankhon me ghussa saaf dikh raha tha usme joki laazmi bhi tha..

jo SAM se kaha tha usne,wahi dialogue ANJALI ko jo chipkaya tha maine..

theek mere saamne aakar khadi ho gayi thi woh...


DIMPLE-are you mocking me..mazak udaa rahe ho tum mera...

sidhe meri aankhon me dekh rahi thi woh aur mai uske..

ANJALI kuch bolne ko hui par uska haath daba diya maine jo uske chup rehne ka ishara tha..


MAI-khud ko itni importance mat do...


ye bol NITS aur SONU ke saath us new girl ke baaju se hota hua bahar nikal gaya mai..


ANJALI-kyunki bola waise tumne..!!!kisiko yun wajah taunt kare,SANVY aisa hai hi nahi..

SAM-she is right DIMPLE.. GALATH mat lo SANVY ko..he is one of the coolest dude around here..

jo last year sports weak me is group ke beech hua tha, in beete mahino me woh grudge kaafi kam ho chuki thi..

haan pehle ki tarah best buddies toh nahi rahe the ye sab but school premises ke andar normal baatchit chaalu thi in sabki...

anyways,SAM ke statement ki baaki sabne bhi side li jispar kuch kaha nahi DIMPLE ne aur class se bahar nikal gayi...


KHANAK-usse hamari baat samajh me aayi ya nahi...

RASHI-par at the first place, GALATH liya hi kyun usne SANVY ko..

ANJALI-wahi jaane aur baat samajh aayi hogi toh uske liye hi SAHI hoga...

haan ladki hai but agar bheedi SANVY se toh GALATH uske liye hi hona hai phir..


kehte hain,asal baat woh hoti hai jo aapke peeth piche kehte hain log...

wahi baat jaanani thi DIMPLE ko isiliye class se toh nikal gayi thi woh but kahin gayi nahi thi..

diwaar se tik andar chal rahi baatein sun rahi woh..

aur jo baatein hui,facial expressions se uske saaf tha ki she was not happy...

kuch seconds rook wahan se nikal gayi woh...




IN THE CANTEEN:-




DHADHHH......DHADHHHH.... CHATAKKHHHH....


do punches aur ek tamacha jo itne sadhe hue tarike se maara tha maarne waale ne ki chaanta khaane waale par bhi punches khaane waalon ki tarah hi asar hua..

neeche zamin par pade hue the woh teeno...

ye teen aur koi nahi B section ke namune BHAVESH,NEERAJ aur AJAY the aur unhe maarne waale haath the DIMPLE ke..

darasal class se nikalne ke baad garam tha DIMPLE ka dimag isiliye coke peene yahan canteen me aayi thi woh but as beautiful as she was,usse dekhte hi canteen me moujud ladkon ne laar tapkani shuru kar di thi...

ab ye toh normal hi tha DIMPLE ke liye isiliye ek khaali chair par baith apna coke sip karne lagi thi woh par un loundo ke beech baithe the ye teen namune..

actually 4...chowtha woh AMIT tha jiska number abhi lagne hi waala tha...

anyways, DIMPLE se friendship karne pahunche woh chaaron maharathi uske paas aur lage apna chutiyapa failane..

pehle hi thodi frustrated thi DIMPLE jisse ghusse me badla AJAY ne jisne baaton baaton me haath touch kar liya DIMPLE ka aur bas phir....

saarvjanaik dhulayi pratiyogita shuru ho chuki thi jisse aankhein faade dekh rahe the wahan moujud sabhi..


AMIT-you bitch...who the hell do you think are you...!!!

MAI-a student from section A...


meri awaaz sun jahan ek jhatke me piche meri taraf ghumi DIMPLE wahin dusri taraf mujhe dekh aur ye jaan ki DIMPLE meri class se hai,gandiya fath gayi AMIT aur baaki teen B waalon ki..

pichle saal jo hua,uske baad seriously kaan pakad liye the apne apne in sabne...

dobara kabhi bhidna toh door,apne us raaste tak ko badla tha B waalon ne jahan se mai guzarta tha..

abhi bhi wahi hua..turant uthe woh teeno aur..


AJAY-i swear bhai..hume pata nahi tha..we am sorry..


pehli baat mujhse aur aakhri baat us new girl se bol tezi se canteen ke bahar nikalne lage woh chaaron...


DHABBBB....


DIMPLE-bitch apni behen ko bolna...


beech raaste us AMIT ko jisne bitch bola tha us new girl ko, pakda usne aur diya ek punch jispar jeetni tezi se neeche gira woh,utni hi speedily wapas uth nikal chuka tha canteen se...

wahin usse maarne ke baad theek mere saamne aakar khadi ho gayi thi woh new girl..


DIMPLE-help maangi thi maine tumse..!!!

MAI-help..!!!jo kiya maine usse info dena kehte hain...aur woh info maine un ladkon ko di thi,tumhe nahi..

ab agar inquiry ho gayi ho toh side hatengi aap..!!!


mujhe ghurte hue thodi side hati woh new girl jiske baad thoda aage badha hi tha mai par tabhi..


DIMPLE-toh gunde ho tum..tumhe dekh jaisa react kiya un ladko ne, usse toh yahi saabit hota hai...

MAI-kisse saabit hota hai..

DIMPLE-excuse me...!!!

MAI-you heard me..kisse..!!!yahan khade students ko,jo bhaag gaye un ladko ya phir tumhe..

baakiyon ka wahi jaane par agar tumhe saabit hota hai toh who cares then..i don't..

pehle hi kaha tha maine, khudko itni importance mat do..ho nahi tum..


meri baat sun ghusse se bhar meri taraf kadam badhane hi waali thi woh new girl par tabhi..


MAI-bekhayali me agar aage badhi tum toh gale lag jaaogi mere aur phir uska dosh bhi mere hi sir par madhogi.. isiliye jahan ho, wahin raho..

DIMPLE-bulshit...


ye bol meri taraf kadam badha hi diya usne par tabhi...


woh CAN jisse kuch der pehle coke pee rahi thi new girl aur jo ladhayi ke kaaran neeche gir gaya tha, is waqt us CAN ki position theek us new girl ke pairon ke aage thi.

roll over ke waqt kuch coke spill hokar uske chaaron taraf bhi fail sa gaya tha jisse slippery ho chuka tha woh CAN..

aur jaise hi us new girl ne apne kadam badhaye, right foot us CAN par pada uska....

aisa hote hi pair aage ki taraf slip hote hue roll ho gaya...natija..

jaisa kaha tha maine..dono haath mere gale ke ird gird aur sharir mere baahon ke beech jhool sa gaya tha us new girl ka..

jo hua,us situation ko samajhne ke beech ek second mujhe dekhti rahi thi woh new girl par phir turant hadbadakar mujhse alag ho gayi woh...

embarrassment saaf dikh rahi thi uske face par jisse badhana nahi chahta tha mai isiliye SONU ki taraf dekha maine jisne is saare panchayat ke dauran hamara order,2 veg burgers aur mere liye diet coke ka order le liya tha...

mere usse dekhte hi samajh gaye the woh aur NITS ki canteen abhi ke liye hamara basera naa raha aur isiliye aage badh gaye woh..

mai bhi us new girl ke side se hote hue bahar nikal chuka tha jispar mujhe piche se jaate hue dekhti rahi woh..

but thankfully,is baar ghussa nahi halki hairani thi uske face par..


DIMPLE-who are you...!!!girls ne bataya ki you are an average student...

na sports me koi interest,naa acadamics me kabhi koi participation..

par tumhari aankhen, tumhara ravaiya and most importantly,tumhara ATTITUDE kahin se bhi average nahi hai...

khudke liye face par aisa confidence toh ache ache champions ke nahi dekha maine but you...!!!!



naa akanksha,naahi mahatwakanksha, chehre par naa koi CHAAHAT HAI...

kisi aur ne nahi,jaise khud hi ne seemit ki hui apni saari HADH HAI...

padhna mushkil hai tumhe bhale likhawat saaf hai kyunki...

kahani ek taraf se SAHI hai par dusri taraf se puri GALATH HAI...










AAJ KE LIYE ITNA HI...









AAPKA APNA V...J...
Amezing update bro maza aa gaya

Waise dimple hai bomb
 

Rajesh

Well-Known Member
3,583
8,007
158
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF SAM 2019 ANNUAL SPORTS MEET ME BHI SIRIUS SCHOOL KA CHAMPION BAN JAATA HAI WAHIN DUSRI TARAF NEW SESSION START HO CHUKA HAI JISME DIMPLE BATRA BHI SIRIUS ME ADMISSION LE CHUKI HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-38

8TH APRIL


CITY-DEHRADUN

PLACE-SIRIUS






GO GREEN SO YOU WIN....!!!!


WAISE TOH YE SLOGAN HUMANITY KE LIYE EK MESSAGE HAI PAR MERA ISSE ABHI KEHNE KA REASON KUCH AUR HAI...


ye hamari PRINCI thi jisne essembly ke baad school ke teen senior classes,10th,11th aur 12th ko hall me roka hua tha..apni baat ko aage badhate hue...


PRINCI-ye slogan aaj yahan moujud aap teeno hi classes ke liye ek task hai jisse pura kar aap sab apne liye kuch valuable points gain kar sakte hain S.C.S ke liye....

(S.C.S-SHINING CLASS OF SIRIUS..SIRF SENIOR MOST THREE CLASSES KE BEECH HOTA HAI YE COMPETITION JISME SAAL BHAR ALAG ALAG TARAH KE CURRICULUM ACTIVITIES ME HISSA LE SABSE ZYADA POINTS GAIN KARNE WAALE CLASS KO IS KHITAAB SE NAWAZA JAATA HAI.A SYMBOL OF PRESTIGE AND RESPECT IN SIRIUS)


now coming to the task, CREATION naam suna hoga aap sabne...

DEHRADUN, SAHARANPUR NATIONAL HIGHWAY NUMBER 307 me pichle sunday hamare state ke respected C.M ke haathon inauguration hua tha is 30 acre bade GARDEN ka...

normally inaugration kisi chiz ya jagah ke banane ke baad hota hai but CREATION ke maamle me aisa nahi hai..

ye garden abhi undeveloped hai..raw hai..

aur ye isiliye aisa hai kyunki aaj ke youth ko,as in aap sabko nature ke prati sajag karne ke liye ek bohot hi unique aur impressive way socha hai hamari sarkaar ne..

is garden ki plantation ka kaam government ne DEHRADUN ke sabhi schools ko diya hai..

matlab aap sabko...saare school ke students week me ek baar plantation ke liye,too sow seeds us zamin par jaayenge aur usse garden ka shape dene me apna apna part play karenge..

and i am very proud to say ki is process ka first attempt hume as in SIRIUS ko diya gaya hai..

aaj,infact thodi der me aap sab CREATION spot ke liye niklenge..

class wise,aap sab us zamin par apna apna territory set kar plantation ka kaam shuru karenge..

plantation ke liye seeds aapko wahin CREATION me available kara diya jaayega...

and now for the part jiski wajah se ye task aap teeno classes ke beech competition banega..

yahan se CREATION spot near about 10 kms door hai jahan pahunchne ke kul teen routes hai..

i hope ki aap sabko ya phir har class se kuch students ko woh teeno hi routes ke baare me pata hoga..if yes,say yes...

SAB-YES MA'AM..


teeno hi classes se kuch students ne zor se haan kaha tha..


PRINCI-good..teen routes ke baare me isiliye pucha maine kyunki aap sab CREATION school transport se nahi balki bahar ground me aap sabke liye laaye B.M.X se jaayenge...

i would like to thanks and appreciate BATRA & SONS(biggest cycle shop of DEHRADUN) for providing B.M.X to us for this noble cause...

(MEDIA COVERAGE HONE WAALI THI SIRIUS KE IS TASK KI JISKA TELECAST PURE UTTARAKHAND ME HONA THA AUR ISILIYE APNE SHOP KI FREE PUBLICITY KE LAALACH ME LIYE BATRA & SONS NE IS EVENT KE LIYE B.M.X PROVIDE KIYA THA)

class wise alag alag routes select kar ek race ki tarah niklenge aap sab CREATION ke liye..

wahan bhi kul teen volunteers moujud honge,one for each class..

teeno hi volunteers ke paas teen hoardings hongi jinme aapke respective classes ke naam likhe honge..

apne apne class waale hoardings ke paas pahunch volunteers se seeds packet collect karenge aap aur jahan woh batayenge,un areas me plantation ka kaam shuru karenge..

total 3 hours ka waqt milega aap sabko..in teen ghanto ke baad jis bhi class ne combiningly sabse zyada seeding ki hogi,they will get 100 points...

second place waali class ko 50 points milenge and third as in last aane waali class ko 25 points milenge..

clear....

YES MA'AM..


bohot hi saaf aur understandable way me batayi thi puri prakriya PRINCI ne jisse sun kaafi excited ho chuke the teeno hi classes ke students...


PRINCI-good...off to the ground..


kuch faculty members jo hamesha essembly podum me PRINCI ke piche khade rehte the,unke saath ground ki taraf badh chali woh..

wahin que maintain rakh students bhi hall se nikalne lage..

is beech...


DIMPLE-wow..toh isiliye SIRIUS sabhi schools se itna alag hai..

aise events,tasks VINCENT me kabhi nahi hote the...

upar se itni media coverage..this is one hell of a school..

ANJALI-its a whole world babes..aur abhi toh hum school me hain..

SIRIUS ka college section is 100 times more competitive and exciting then the school division..

DIMPLE-suna hai maine..

RASHI-waise ye BATRA & SONS tumahare relative toh nahi hai naa..!!!

DIMPLE-hahahaha...nopes..

ab har BATRA mera relative toh nahi ho sakta naa...

RAJAT-waise ek hafta ho gaya tumhe hamara group join kiye hue but we still dont know anything about your parents..

where do your parents live DIMPLE..yahin ya delhi me...

DIMPLE-pata isiliye nahi hai kyunki you all never asked....waise my parents are divorced...

meri custody mom ko mili hai..and no,naa woh yahan hain aur naahi delhi me..

ARCHANA BATRA naam hai meri mom ka and she lives in london..

SAM-BATRA STEELS ki successor hain madam...

(BATRA STEEL..ONE OF THE TOP 10 LEADING STEEL INDUSTRY OF INDIA JINKE KUCH BRANCHES YA PHIR KAHUN FACTORIES ENGLAND KE TEEN CITIES LONDON,BRISTOL AUR BIRMINGHAM ME BHI HAI...)

SAM ki baat par ghoor kar dekha DIMPLE ne usse jispar..


SAM-what..ab itna solid background ho toh khabar faile hi jaati hai...

RASHI-BATRA STEELS..really..!!!par hume toh nahi ye khabar..

EKPREET-nail paint se bahar aaogi toh pata chalega naa kuch aur..

RASHI-hahaha..very funny..but seriously DIMPLE,you toh yaar are very rich...

DIMPLE-correction babes..meri mom successful hain,woh rich hai,mai nahi..but one day,i will surpass her...

meri identity unki pehchaan se bohot aage hogi...

SAM-ambitious...good.....


pure confidence se boli thi ye baat DIMPLE ne jisse SAM ke saath baaki sab bhi usse impressed aur sehmat,dono bhi..

reason bhi obvious tha..ek hafta hua tha is new session ko par DIMPLE ne pure saal ka syllabus pura kar liya tha...

infact, next year ki bhi thodi thodi preps chaalu the uske aur ye baat kisise bhi chhupi nahi thi...


KHANAK-arre,ye SANVY PRINCI ke paas kya kar raha hai...???


kuch door PRINCI se baat kar raha tha SANVY jisse dekh liya tha KHANAK ne aur uski baat sun baaki sabki nazar bhi uspar chali gayi..


NITS-arre woh PRINCI se request karne gaya hai...

SAM-request....kis chiz ki..!!!

SONU-b.m.x ki...usse appni bb.mm.x. se jjaana hhai,ussiki ffariyad llekar gaya hai...

DIMPLE-why...!!!jab baaki sab sponsered B.M.X me jaa rahe hain toh usse apni bike me kyun jaana hai..???

ANJALI-because SANVY loves his B.M.X...uske rehte dusri bike nahi chalayega woh..

DIMPLE-ye toh tab hoga naa jab PRINCI maanegi..

hahahahaha...


DIMPLE ki baat par sabhi has diye jispar face me hairangi liye dekhne lagi woh sabko..


DIMPLE-what's so funny...!!!

RASHI-funny hi toh hai.. PRINCI ka fav hai SANVY..uski request deny nahi karti woh..

DIMPLE-what..!!!SANVY...PRINCI ka fav...!!!


hadh se zyada hairani hui thi is baat par DIMPLE ko jomi logical bhi thi..

is ek hafte me SANVY ko bas masti karte hue dekha tha usne..no passion,no seriousness for studies,zero commitment towards anything,minus in competitiveness...

overall, DIMPLE ke according ek pure looser tha SANVY jisse kuch bhi nahi aata tha aur naahi usme ichha thi kuch banane ki,kuch achieve karne ki...

but is ek hafte me group ke saare members SANVY ye hai, SANVY woh hai,bas issi ki rath lagaye hue the jisse DIMPLE ki SANVY ke liye frustration automatically hi badhne lagi thi..

uske hisaab se khudke liye ek fake heroic identity create kar li thi SANVY ne jisme usne har kisiko fasaya hua tha..


KHANAK-ofcourse...last year PRINCI se bas ek baar bol RASHI ka section tak change karwa diya tha usne joki kisi aur ke liye ek next to impossible kaam tha toh phir ye B.M.X waali request toh kuch hai hi nahi...

ANJALI-oye...akele naa bhaag jaana...saath jaayenge dono...


PRINCI se baat kar wapas aaya hi tha mai ki ungli dikhate hue dhamkaya sa tha mujhe ANI ne..


SAM-hum dono matlab...!!!hum sab kya dusre direction me haa rahe hain...!!!

ANJALI-chal tu bhi chalna saath if you can match up with us..


ek badmashi se bhari smile ke saath mujhe wink karte hue kahi thi ye baat ANI ne jisse sun haste hue sir shake kiye SAM ne..


DIMPLE-ye dono bohot tez challate hain kya B.M.X...!!!


RASHI se pucha tha ye sawal DIMPLE ne jispar has di woh..


RASHI-B.M.X nahi,dimag bohot tez chalate hain dono...B.M.X me long rides ka bohot shouk hai dono ko..

DEHRADUN ka har shortcut jaante hain ye dono isiliye bola ANJALI ne waisa...!!


DIMPLE-hmmpp..there is no short cut to success...bloody looser..


kahan ANJALI ki baat sun DIMPLE sochne lagi thi ki chalo,kisi chiz me toh theek hai SANVY but RASHI se real reason jaan uski nazaron me thoda aur down ho chuka tha woh..

PHRRRRRRRRR.....


kuch hi der baad jaise hi saare students sponsered B.M.X par sawar hue toh agle hi pal DAS SIR ne tez whistle blow kiya aur unke waisa karte hi itni urgency me nikle saare students maano asli task plantation ka nahi balki cycle race ka ho...

par in sabke beech bas ANI aur mai hi the jinhone koi hadbadi nahi ki..

jahan baaki sab kuch hi der me school premises ke gigantic gate jisse pura open kar diya gaya tha,usse hote hue aage badh chuke the wahin mai aur ANI apni hi masti me araam se peddling karte hue aage badh rahe the..


SONU-abbe sslow kkar cchutiye..
wwoh ddekhunn ddono kkko...ppakka shhort ccut mmaarne waale hhain wwoh..

bbaaki ssab B.M.X jjitna bbhi ttez kkyun nna cchalaye,ddekhna yye ddono hi sabse pehle ppahunchenge CREATION...

NITS-aur inke saath hum bhi..ghum jaa dhanno,tera raasta alag hai...


piche ghum SANVY aur ANJALI ko dekh kahi thi apni baat SONU ne jispar NITS ne aur uske piche piche SONU ne bhi apni apni B.M.X ghuma li thi..

par un dono ne ye dhyan nahi diya ki unke baaju me hi cycling karte aage badh rahi DIMPLE ne unki baatein sun li thi..


DIMPLE-loosers ko sirf loosers hi follow kar sakte hain..maarne do shortcut...

CREATION toh sabse pehle mai hi pahunchungi...

ye sab kehne ke beech peddling speed badha di thi DIMPLE ne jiske baad wakayi thodi hi der me sabko peeche chhodte hue woh NH 307 waale route ki taraf badh chuki thi..




PLACE-THE CREATION....




DIMPLE-yes.....i reached here firssssss...

what the fuckkkk....


apni B.M.X ko bade style se slide karwate hue CREATION garden ke bahar bane stand par jab park kiya DIMPLE ne toh ye dekh ki us parking me koi aur B.M.X parked nahi hui thi,khush ho gayi thi woh but bina kisiko bataye apne man me hi lagaye is race me khud ko winner ghoshit karte karte rookna pada DIMPLE ko..

REASON..

CREATION main gate ke just dusri taraf ek golgappe waala khada tha jiske current customers the SANVY,ANJALI,NITS aur SONU..

apni hi masti me bade maze se golgappe ka lutf utha rahe the woh sab..

is beech ek baar nazar ghumi thi SANVY ki DIMPLE ke taraf jispar golgappe se chears ka ishara karte hue ghapak gaya woh usse..


DIMPLE-what the hell are these people doing.. shortcut maarke pehle pahunch bhi gaye phir bhi andar naa jaakar bahar golgappe khaa rahe hain..

stupidity ki height hain ye sab...!!!


apna sir shake karte hue gate ke andar chal padi DIMPLE..

entry karte hi ek nazar us vast open space par ghuma left ki taraf jahan uski class ki sign ka bada sa hoarding laga hua tha aur jiske saamne ek bade se table ke paas khada tha green polo t-shirt aur black trouser me ek volunteer,chal padi DIMPLE..

same colour ke dress code ke saath alag alag directions me do aur volunteers bhi khade the joki obviously baaki dono class ke mentors the..

DIMPLE dekh rahi thi ki jahan unke class ki hoarding lagi hai usse thoda piche kareeb 5 acre jitne faile jagah par bani hui thi ek GARDEN BED..

us BED ko dekh kar hi pata chal raha tha ki mitti gilli nahi balki moist hai jiska matlab tha ki woh BED seed pop in karne ke liye behatarin condition me tha...


DIMPLE-morning sir...

VOL-morning beta...here you go...ye chia seeds hain,ye pumpkin seeds aur ye hain sunflower seeds...


teen open packets jinke teen varieties ki seeds thi,unhe DIMPLE ki taraf kar diya us volunteer ne..


VOL-plantation ka pura process pehle se hi apply kiya jaa chuka hai...

aapko zyada mehnet nahi karni...ye garden apron...wear it...this is trowel..isse...

DIMPLE-plant holes aur seedling ke kaam aata hai..i know..

VOL-good...and here are your gloves...

apna spot chun lo... kamsekam 3 inch dig in karna hai aur phir pop in the seed.. simple...

EKPREET-abbe bhaagte kahan ho...kamino..soom se nikal liye saale,hume bataane me khujli ho rahi thi kya tum sabke...


apna aprin pehen hi rahi thi DIMPLE ki tabhi ye awaaz sun piche palti woh..

ussiki taraf bhaagte hue aa raha tha mai.. mere just peeche ANJALI,NITS aur SONU the aur hume douda rahe the RAJAT aur EKPREET...

SAM baaki girls ke saath haste hue aa raha tha aur uske just piche the teeno hi class ke students jo apne apne standard waale hoardings ki taraf rookh kar chuke the...

anyways,apni taraf tezi se bhaagte hue aata dekh mujhe ghurne lagi thi DIMPLE...

bilkul ussike disha me bhaag raha tha mai aur jis tarah se bhaag raha tha,takkar hone ke chances the hamare aur shayad yahi chahti thi DIMPLE taaki mujhe sunaane ka ek mouka mil jaaye usse..

aur aisa hone hi waala tha..kuch inch ki doori hi baaki reh gayi thi mere aur uske darmiyan par tabhi..

aise stop hua mai maano aage diwar ho jisse bhedh nahi sakta tha mai..

halka sa smile kar DIMPLE ke baaju se hota hua aage nikal gaya mai jispar frustrate toh bohot hui woh but khudko shaant kar liya usne..


MAI-good morning sir..

VOL-goodmorning beta..here you go...ye hain...

MAI-i know sir.. ye WOH hai jisse WOH ho sakta hai jo YE se nahi ho sakta.but YE bhi WOH kar sakta hai jo WOH nahi kar sakta...

isiliye YE thode kaam kaa hai aur WOH bhi thode kaam kaa hai but the irony is ki naa YE mere koi kaam ka hai aur naahi WOH mere kaam ka hai..


meri baat us volunteer ke sir ke upar se gayi thi.. confusing expressions ke saath woh mujhe dekhe jaa raha tha jispar..


MAI-aap zyada mat sochiye sir..bas mai jo apne saath itne saare mazdoor laaya hun,inhe mere hisse ka bhi seed aur gardening equipments de dijiye..

ye sambhal lenge without any complaints..waise bhi advance me hi in sabki rozi de di hai maine ..


DHABBBB....DHABBBB...DHABBBB..

NITS-le saale rozi wapas apni...

SONU-bbhagta kkiddhar hhai bbe...bbyaaj bbhi ddenge ttere mmool kke ssaath...


meri baat par jahan sir has diye the wahin NITS aur SONU ne jamaya mere peeth par ek ek mukka jispar bhaagte hue aage badh gaya mai aur mere piche bhaage woh dono...

ye sab dekh woh volunteer sir bhi samajh chuke the ki hum bas masti aur enjoy karne aaye hain yahan..

task,extra class points se koi matlab nahi hai hume isiliye sir shake kar haste hue woh baaki interested students ko seedling equipments dene lage..

wahin DIMPLE SANVY ke bahaane ke sunkar ek baar phir frustrate hui thi..

baat S.C.S ki thi jisme har student ka actively part lena puri class ke liye important tha but SANVY ki wajah se ANJALI,NITS aur SONU bhi ab is task ka hissa nahi the joki unke class ke liye ek drawback tha..

aise me uska SANVY par frustrate hona bhi GALATH nahi tha..


DIMPLE-in loosers ki wajah se mai ye task nahi haarne waali..un sabki fillings mai akele hi karungi..

apne saath saath SANVY,ANJALI,NITS aur SONU ke seed packets bhi pakad liye the DIMPLE ne..

SAM,KHANAK,RASHI,NAISHA,RAJAT aur EKPREET apne apne apron pehen seed packets utha rahe the...

un sabko ek baar dekhne ke baad piche ghumi DIMPLE ki nazar jahan media ke log khade the..

student cycling part ko cover karne ke baad filhal kuch long shots le rahe the woh sab..

unke interaction me kaam nahi karna chahti thi DIMPLE isiliye usne socha ki kyun naa unke hisse ke bane GARDEN BED ke aakhir ki taraf joki is CREATION ke edge tak gaya tha,wahan se shuruat ki jaaye..

issi soch ke saath us edge point ki taraf joki asal me CREATION ka north enter aur exit way tha,wahan ke liye badh gayi DIMPLE par usse nahi maalum tha ki jahan woh jaa rahi hai,us entrace aur exit point ke just bahar PRINCE SCHOOL & COLLEGE ki sarhad ka outer area bana hua tha jahan normaly class bunk kar sutta kheenchne us school ke ladke aaya karte the..

aur aaj jab PRINCE ke students ko pata tha ki government based plantation program ke tahat SIRIUS ki ladkiyan jinpar PRINCE hi kya,DEHRADUN ke har school aur college ke ladke ka crush hota hai,woh aayi hui hain toh aise me manchale ladko ki bhid ka us area me hona laazmi hi tha..


WHAT THE HELL..KYA MAAL HAI YAAR....!!!! BEHENCHOD,NAS CHADHA DI SAALI NE..

DIMAG KI BHI AUR LUND KI BHI..

PEHNA SKIRT HAI SAALI NE PAR DIKH PANTY RAHI HAI MUJHE..


apne pant me aaye us instant ubhar ko masalte hue kahi thi ye baat DEEPESH ne..

DEEPESH toh yaad hi hoga..PRINCE school ka lounda jisne SAM ke resort me SIRIUS waalon ko fasaane ke liye help kiya tha NAMITH ka...

power ki single lense mini binoculars se DIMPLE ko jo is waqt GARDEN bed ko chhute hue uski nami feel karke dekh rahi thi,taad raha tha DEEPESH..

area uska,school premises ki hade bhi uski but phir bhi sidhe CREATION me nahi kuda tha DEEPESH naahi apne friends jinki taadad kul 9 logon ki thi,unhe wahan jaane diya tha aur reason sirf ek tha ya phir ye kahun ki ek naam tha..

SANVY...

resort me jo hua,usne DEEPESH ke man me SANVY ki image us billi ki tarah bana di thi jiska rasta woh khud bhi nahi kaatna chahta tha...

isiliye un KARANJA ke ped jinhe scientifically milletia pinnata bhi kehte hain,un pedon ke jhurmut ke piche bane red brick wall joki PRINCI PREMISE ki ek sarhad thi,unki ot liye apne binoculars se taad raha tha DEEPESH DIMPLE ko...

saath hi saath SANVY ki location track karne ki koshish thi uski jo ab tak kahin nahi dikha tha usse..


FRIEND 1-abbe kya akele akele hi nazaare dekhega bhosdike... hume bhi toh dikha PRINCE me SIRIUS ke nazaare...


ek garden cemented bench jispar khada tha DEEPESH,usse wahan se kheenchte hue neeche utaara uske dost ne aur uske binoculars ke sahare jaise hi nazar gayi uski DIMPLE par, toh uske haale-e-dimag-e-lund ka bhi haal kuch kuch DEEPESH ke jaisa hi hua..


FRIEND-maa kasam bhai...aisi maal toh apne PRINCE kya, DEHRADUN ke kisi aur school me nahi dekhi kabhi..


bas itna hi bolna tha us lounde ka ki wahan moujud saare tharkiyon ke armaan jaag gaye..

ek ke baad ek un sabhi ne darshan kiye DIMPLE ke aur raay har kisiki DEEPESH aur us second lounde se alag nahi thi..


2ND FRIEND-chalo guyzz.baaki SIRIUS waale toh bohot door hain..bandi akeli lag rahi hai..

intro wagairah ka aadan pradan karte hain..open minded hui toh lapeth lenge aur naa hui toh bana denge..

3RD FRIEND-haan bhai....saali ek nazar me cocaine ki tarah chadd gayi hai dimag me..

DEEPESH-rookon re loudo...pehle baaki students ko theek se check kar lete hain.

kahin SIRIUS ke kisi lounde ne dekh liya toh lene ke dene padh jaayenge...

1ST FRIEND-louda lene ke dene padenge...abbe itna fattu kabse ho gaya tu...ye apni jagah hai..hamari ek awaaz me pura school bhid jaayega in SIRIUS ke chutiyon se..

2ND-pura school...abbe ROUNAK bhai nahi hain abhi apne saath nahi toh woh akele hi maa chod dete SIRIUS ke har student ki..


ROUNAK DHOLAKIA....PRINCE ka aur saath hi saath state ka junior level boxing champion tha ye lounda...


1ST FRIEND-sahi bola...ab woh sab chhodo aur jaldi chalo..nikal naa jaaye woh kahin..

DEEPESH-guyz meri baat suno..its not safe...

2ND-chup be...ek kaam kar,tu dubak ke baitha raha idhar..hum aate hain...


ye bol edge me bane chote se gate ko khol PRINCE se exit aur CREATION me apna pehla kadam liya hi tha ek bande ne ki tabhi..


DHAKKKK......


ek laath pada us lounde ke chest par jiske pressure se badi tezi se apne piche aa rahe baaki loundo ko liye wapas PRINCE PREMISES ke andar gira woh...


JAB DOST SAHI NASIHAT DE,TOH MAAN LENI CHAHIYE....




AFTER 10 MINUTES:-




1ST STUDENT-hey babes.... itne khubsoorat haathon ko maila kar unki touhin toh mat karo..


DEEPESH ke un manchale doston me se ek tha ye jisse dekh aur baat sun ek jhatke me khadi hui thi DIMPLE...


DIMPLE-khud par ek ehsaan karo and just fuck off...


us ladke ke saath paanch bande aur the jo DIMPLE ki baat sun smile karne lage..


1ST STUDENT-oooo..spicey..i like it...and as per your words,off toh ho jaayenge hum bas tum fuck karne de do..

HAHAHA.....

DHAKKK...


DIMPLE ke paas jaate hue ye comment kiya tha us ladke ne jispar uske friends hasne lage hi the ki tabhi chala DIMPLE ka laath jiske padte hi piche ki taraf gira woh banda...

ye dekh hasi toh rook hi gayi un sabki par saath hi saath turant badhe woh paanchon DIMPLE ki taraf...

neeche gira woh ladka bhi fastly khada ho chuka tha...

DHAKKK..DHABBB...DHABBBB..DHABBBB....DHABBBB...

un paanchon ki movement ko analyse karte hue halki zigzag pattern me move hui thi DIMPLE ki body jiske baad badi tezi but ek lay me chala pehle uska pair aur phir uske haath...

kuch hi palon me woh paanchon neeche zamin par the but tabhi..

ek tez push laga DIMPLE ke right se side shoulder me.

ye push us first bande ne kiya tha jisse sabse pehle laath maari thi DIMPLE ne...

uthne k baad woh sidhe naa jaakar side se aage badha tha..

aur kyunki DIMPLE un paanchon par puri tarah focused thi isiliye jab tak woh us bande ke sideward movement ko sense kar paati,woh usktak pahunch chuka tha..

uske push se naa sirf sharir disbalanced hua DIMPLE ka balki uska concentration bhi halka sa kam hua aur tabhi...

jo ladke neeche gire the,unme se do tezi se uthe aur unhone DIMPLE ke dono haath jakad liye..

ye dekh hawa me hi ek full sprint maarne waali thi DIMPLE but tabhi ek banda aur piche se aaya aur usne uske back elbow par apna elbow hit kiya..

us unexpected hit ki wajah se disbalance ho gaya tha DIMPLE ka woh leg..

dusre leg se side hit karne ke liye usse uthane hi waali thi woh but tabhi dusra banda jo ussi leg ke just piche khada tha,mid air me pakad liya tha usne us leg ko.

completely trapped haalath me fasa liya tha un 6 students ne DIMPLE ko jiske baad jis bande ne sabse pehle push kiya tha,woh haste hue badhne laga DIMPLE ki taraf..


MAI-turant chhodo ladki ko or else teachers ko awaaz laga dunga mai...


mai jo exact left direction me khada tha new girl ke,meri awaaz sun aur mujhe dekh ek baar new girl ko pakde apne saathiyon ko dekha us ladke ne aur phir...


1ST STUDENT-aaj toh bach gayi tu..but agli baar tere par zaroor kutrenge hum..

DIMPLE-i will be waiting bastard...


un sabki giraft me bhi bina khouf gurrate hue kahi thi ye baat new girl ne jiske baad usse ek jhatka dekar chhodte hue woh saare PRINCE ke lounde wapas apne school ki taraf bhaag gaye..


MAI-ajeeb ho yaar...!!!help karne par thanks bolte hain aur tum aise ghoor rahi ho mujhe jaise un ladko ne nahi,maine pakda hua tha tumhe..


un sab ladko ko jaate hue dekhne ke beech mujhe bhi bade ghusse se ghur rahi thi woh new girl..


DIMPLE-tum pakdoge mujhe..himmat hai..!!!mard ki tarah khud ladne ke bajaye teachers ka rona rote ho tum..

disgusting...aur tumhare so called friends hero samajhte hain tumhe but asliyat me bas ek fattu ho tum.. that's it...


ek taraf apni bhadas nikaal palaththe hue nikal chuki thi woh aur dusri taraf bhaag apne school ke us mini gate se hote hue premises ke andar jaa rahe un 6 PRINCE STUDENTS ke pairon me ek jhatke se laga break...

REASON..

unke bache do saathiyon ke saath jo kabhi premises chhod hi nahi paaye the,unki taraf hi aa raha tha unka CHAMP...

ROUNAK DHOLAKIA....


ROUNAK-abbe kahan se bhaagte hue aa rahe ho tum sab..!!!ye dono bata rahe the ki kisi SIRIUS ke lounde ne buri tarah maara tum sabko...


woh do lounde jinke mooh sooje se hue the,unhe dekh ek lambi saans chhodi aur phir jo asal kahani ghati thi,uska vivran dene laga un bando mese ek jisse sun jabde sakhti se bheench gaye ROUNAK ke..


ROUNAK-bhosdiwaalon...ek lounde ne tum sabko akela pel diya..uske upar ek loundiya se bhi maar khaakar aaye ho tum sab...doob maro behenchod....

2ND STUDENT-par bhai..

ROUNAK-chup gaandu...kahan hai woh lounda aur loundiya..abhi chodata hun unki maa mai..

1ST STUDENT-bhai CREATION me..but abhi kuch karna theek nahi hoga...SIRIUS ka pure senior batch hain wahan aur saath hi saath media ke kuch log bhi hain...

ROUNAK-chalo..dekhte hain..


un loundo ke saath ussi edge point par pahuncha ROUNAK...


3RD STUDENT-woh raha....wahi hai woh lounda bhai par ladki nahi hai unke saath..


CREATION me un sabse thode hi door khade teen ladke aur ek ladki ke group me se ek ki taraf joki SANVY tha,ishara kiya tha us lounde ne..


ROUNAK-abbe hai toh ek ladki udhar..

4TH STUDENT-woh alag hai bhai..jisse hum bhide,woh toh apne aap me akeli thi..

2ND STUDENT-sach me bhai..itni bandiyan dekhi par waisi maal humne toh naa dekhi kabhi...

ROUNAK-saalon..pehle ek ladki se maar khaate ho phir ussi ladki ki taarif bhi karte ho...

1ST STUDENT-ab bhai,jo hai woh hai..aap bhi dekhoge toh pakka paagal ho jaaoge...

one piece item hai saali...

ROUNAK-aisa...theek hai phir..is lounde se baad me nipat lenge, pehle us ladki se mil lete hain jinse maar khaane ke baad bhi uske liye taarif hi nikal rahi hai tumhari..

1ST STUDENT-but bhai,ye banda bohot khatarnaak hai.. matlab..

ROUNAK-aukaad me reh bhosdike..bhul gaya kya kisse baat kar raha hai...!!!

khatarnaak tum jaise chhutiyon ke liye hoga,mere liye bas ek punching session se zyada kuch nahi...

chaar mukke me hag dega maadarchod....

lounde ki tention chhod....chote, info nikaal paayega us ladki ki....!!!

3RD STUDENT-100 percent bhai..2 din me deta hun uski detail mai..

ROUNAK-bas phir..wakayi ras se bhari hui nikli bandi toh woh ras peekar rahunga mai....




BACK TO SANVY:-




NITS-ab batayega saale,chal kya raha hai...???

MAI-matlab...!!


halka haste hue kahi thi ye baat maine jispar ghurne lage woh teeno mujhe..


ANJALI-mai batati hun matlab..!!jab se idhar aaye hain,hai hamare saath tu par dhyan tera us DIMPLE ke upar hi tha.

naa mat bolna,mooh tod dungi..

aur aaj hi kya,ye chiz ek hafte se notice kar rahi hun mai...

but most importantly,abhi jo hua,DIMPLE ki woh puri fight tune choreograph ki thi..!!!

pehle toh un PRINCE ke ladko ko maarta hai tu jinme se do toh lagbhag behosh hi ho jaate hain..

(ye wahi do the jo baad me ROUNAK ko lekar aaye the)

woh DEEPESH fattu toh tujhe dekhte hi bhaag gaya tha but baaki sab bhi jinhe tune 30 seconds me samjha diya ki ladhna toh chhodo,they cant even stand infront of you aur isiliye woh bhi bhaagne lage toh unhe hamare through roka tune aur phir sutayi ki..

aur jab haath jod liye unhone toh pehle jo khud karne jaa rahe the woh,to molest DIMPLE,tune khud wahan bheja unhe..

NITS-itna hi nahi,kaise fight karegi DIMPLE,kahan fasegi aur kaise fasegi, woh sab bakayda direct kiya tune un sabko aur woh saale chutiye,book dhang se naa padha hoga kabhi par tera direction ekdum sahi se implify kiya un sabne..

SONU-auur akkhir me kkhud hhi innterfere kar bbhaga ddiya unn ssabko ttune..

ANJALI-ab sidhe sidhe batayega ki ho kya raha hai aakhir...!!!

MAI- i am trying to make her ready...!!!

NITS-for what...!!!

MAI-aaj jo situation hui,woh uski life me lagatar aayegi..

kuch,jaisi dikhti hai woh,uske kaaran but mostly,uska ATTITUDE jo pushing hai,bhadkila hai,uski wajah se..

kuch zyada hi direct hai ye ladki which is good in a way but mostly,jab aap saamne se khud ko imposive dikhate ho toh yahi attitude trouble maker bhi ban jaata hai...

ab uske ATTITUDE ko toh control me nahi laa sakta mai isiliye kamsekam agar woh aaj jaisi negetive situations ke liye ready rahe toh atleast khud ko safe toh rakh paayegi...

NITS-but yaar,6 logon ko ek saath bhej diya tha tune usse bhidne..

kahin kuch GALATH ho jaata toh..

MAI-nahi hota..i have seen her fighting..(canteen)

chaar bando ko agar woh normal se thode zyada better fighter hon toh bhi handle kar sakti hai woh..

but agar paanch bande ho aur woh bhi ek saath attack karen toh thodi problem hogi usse but kisi tarah manage kar legi woh jo kiya bhi aaj usne..

lekin agar ek bhi extra banda aur aa jaaye woh bhi sidhe nahi kisi unpredictable tarah se toh fas sakti hai woh...

SONU-auur wwahi hhua..llast waalle bbande nne sside sse ppush kkiya ttha usse..

ANJALI-kyunki isne bola tha usse waisa karne ko..aur uske baad jaise jaise react karegi DIMPLE,uske according counters aur blocks bhi bataye tune aur waisa hi hua..


mai bas muskura diya ANJALI ki baat par jisse dekh..


NITS-abbe daant baad me niporna pehle ye bata ki aisi incomplete fight ladwaane se hoga kya...!!!

MAI-jinka dimaag sharp hota hai,har competition ke baad,task ke baad even fight ke baad jab woh akele hote hain,us pure scene ko unka dimag apne aap evaluate karta hai..

batata hai ki kahan chuk hui thi..new girl ke maamle me bhi kuch aisa hi hoga..

jaise hold kiya un sabne usse,fasaya,ab uska dimag aise attacks ke liye ready karega usse..

har unpredictable move ke liye taiyar karega uska dimag usse.

NITS-waah...neki kar dariya me daal waala kissa ho gaya idhar toh..

tu usse indirectly training de raha hai,bacha bhi raha hai aur woh tujhe fattu bolke nikal jaa rahi hai..

ANJALI-haan yaar...taunt kiya usne tujhe aur tune koi jawab bhi nahi diya...

MAI-jab chidhti hai toh bohot cute lagti hai new girl...

WHAT THE FU****.


jahan muskurate hue kahi thi apni baat maine wahin ek saath nikle the ye teen shock se bhare shabd NITS,SONU aur ANJALI ke mooh se..


ANJALI-O.M.G...YOU,SANVEER AHARYA LIKE HER....


ek mukka mere peeth me jamaate hue kahi thi ye baat ANJALI ne jispar uska naak kheench diya maine...


ANJALI-kab hua ye..aur kaise..!!!ek hafta hi toh hua hai usse aaye yahan..

MAI-waqt ki zaroorat kaam ke liye hoti hai,pasand karne ke liye kisiko ek lamha bhi bohot hai...

ANJALI-oye hoye....

NITS-ghanta oye hoye..saale,yahi mili tujhe...aag hai be puri....

SONU-is kkamine SANVY sse zzyada ggaram ttoh hho nahi ssakti...

NITS-par yaar tere baare me raay GALATH hai uski....

ANJALI-rahe GALATH...yaar,jo karna hai kar bas jaisa aksar hota hai, aashique waale chutiyape se khudko badal mat lena..

MAI-hahahaha...




saamne tere SANVY hai,kisi bhi haalath me kabhi SUDHREGA NAHI...

katl bhi kiya toh kubool-e-ilzaam se kabhi MUKREGA NAHI...

mehendi,mehendi me fark hota hai....

USKA chadha mujhpar toh meet jaayega par jo mera chadha uspar, toh kabhi UTREGA NAHI...












AAJ KE LIYE ITNA HI...










AAPKA APNA V...J...
Bahut hi mast update hai bhai maza aa gaya
 

Lover_boy143

Powerful People makes Places Powerful🔥
335
1,186
139
AB TAK AAPNE PADHA KI JAHAN EK TARAF DIMPLE AUR ROUNAK KO RASHID REZA KE DEATH KI NEWS MILTI HAI,DUSRI TARAF SANVY ADYA NAAM KI LADKI KO DOOBNE SE BACHATA HAI WAHIN TEESRI TARAF EK ANJAAN SHAKSH MAA AUR BETI DONO KO MAAR DETA HAI.

AB AAGE:-


CHAPTER-1

(THE ETIOLOGY OF BEING GALATH)


UPDATE-43

1ST JUNE


CITY-DEHRADUN

PLACE-THANO FOREST AREA





INTERESTING....

NOT BAD.....


THANO range naam ke village ko piche chhod jab VERONICA finally ussi gaanv ke naam par bane forest ke halke dense area me pahunchi toh apne se 3 feet aage kuch dekh pehle uski aankhein sikudi aur phir VERONICA ke face par smile naach uthi thi...

ghaans ki tarah zameen par ugne waale patton ke ghane jhurmut ke beech halka gap dekha tha usne jo natural nahi feel hua tha usse..

apni paini nazaron ko jab thoda aur tez kar saamne focus kiya VERONICA ne toh agle hi pal usse us gap me aadhe chaand ki shakal liye moti lakdi ke deedar ho gaye the.

12th century me use karne waala foot lock tha woh jispar pair padte hi woh lakdi ek faans ki shakal leti hui turant shrink hoti hai..

natija,pair usme turant fas jaata hai...par ye lock sadharan nahi hota..

12th century based ye trap lock aajke daur ke scientific maharath ke namune se lais hota hai..

us half moon shaped wood me chaaron taraf behadh chote chote blocks bane hote hain jinke andar hota hai HALOTHANE aur INFLURANE ka ek combined unconscious karne waala gas...

jaise hi wood lock pair ko jakadta hai,ussi foot ke pressure se woh fainting gas release ho jaata hai jiske agle hi pal khudko us trap lock se nikaalne me focused banda gas inhale karte hue behosh ho jaata hai...

par VERONICA ne dekh liya tha us trap lock ko par impress woh lock se nahi balki uske saath kiye modification se hui thi..

darasal ye trap lock zamin ke roots ko khod kar kiya jaata hai taaki jab usme fasne waala shaksh khudko chhudaane ke liye taakat lagaye toh lock khudko kuch seconds hold kar paaye par yahan kuch aur kiya gaya tha...

us trap lock se do sire nikaal unme DYNEEMA (strongest string)fasa zameen se hi usse chuppa lete hue kuch door dono taraf ke pedon me fasaya gaya tha...

jaise maalum ho us trap lock lagaane waale ko ki jisse fasaane ke liye woh trap lock rakha gaya hai usse hold karkar rakhna asaan nahi..

joki sach bhi tha... VERONICA ke liye hi tha woh lock jisme usse fasaana toh door,trap ko uski tez aakhon se chuppa bhi nahi paaya tha trapper...

TANNGGGGGGG....

SOOBHHHH...SOOOBHHHHH...

us DYNEEMA string ke saamne baith usse guitar strings ki tarah apni ungli se push kar chhod diya VERONICA ne aur uske waisa karte hi woh string tezi se ghanghana utha..

abhi ye hua hi tha ki ki tabhi ek taraf se bada sa spear aur dusri taraf se ek ke baad ek 3 electronic arrows VERONICA ki taraf badh chuke the par tabhi..

us DYNEEMA string ko tightly hold kar kheench diya VERONICA ne jisse trap ke saath saath woh string bhi bahar aa gaya...

dono taraf se bandhi us string ko badi tezi se ghumaya VERONICA ne aur uske waisa karte hi dono taraf se uski taraf badh rahe arrows aur spear string se takra neeche gir gaye.

split of the second se bhi kam waqt me us double sided deadly attack ko block kar diya tha VERONICA ne par reaction uska aisa tha maano kuch hua hi nahi.

haath jhada woh araam se apni jagah par khadi ho chuki thi...


"WRONG IS NOT WRONG IF THE RESULT IS RIGHT"...


VERONICA ke theek piche apne ghutno par kul 4 log baithe hue the...

VERONICA ke respect me haath un sabke apne heart ke upar the..

un sabke mooh se ek saath nikla tha ye quote jisse sun..


VERONICA-at ease...


VERONICA ke permission par haath neeche kar khade ho gaye the woh sab.

beech ki shakshiyat ko chhod baaki ke 3 joki first time saamne se dekh rahe the VERONICA ko,usse dekh unki aankhon me admiration saaf jhalak rahi thi..

nervous bhi the woh VERONICA ke presence se aur uski personality joki calm hone ke baawjud us samandar ki tarah thi jo bade se bade tairak ko bhi apne roop se dara deti hai,woh ghabrahat woh teeno mehsoos kar rahe the apne andar..

khair,un teeno ke beech khadi chowthi shakshiyat jo VERONICA se anjaan na thi,woh kuch kehne ko hui par tabhi...


VERONICA-maafi maangne ki zaroorat nahi hai...

meri sharpness jaanchni thi tumhe,i get it..

UNKNOWN-itna hi nahi.jinki combat techniques ke video, planning outlets ke charts joki humanly impossible se kam nahi, read kar ye teeno yahan tak pahunche hain,us shakshiyat ki khubi live dekhne ki iccha thi inki...

COEFF'S.. introduce yourself...

1ST-hello ***... it's an huge honour to meet you in person..mera naam..

VERONICA-MELBIN SAMUEL... Gujarat ke Jamnagar me paida hue the aap..

lower middle class family se the aap..lbs hindi medium school se 12th pass out kiya tha aapne..

minimum facilities ke baawjud district top kiya tha aapne aur phir apne batch ke IIT topper bhi reh chuke hain aap...

hindi medium me padhne ke baawjud apne 18th birthday se pehle English ke saath german, french aur Chinese bhi fluently bolne lage the aap...

ab toh aur 10 international languages me pakad bohot smooth ho chuki hai aapki..

hamare saath judne ke liye microsoft,quolcomm aur google se bhi hefty pakages job offers ko reject kiya tha aapne aur mahaz teen saal me **** tak promote ho chuke hain aap...

aap hain MIA BROWN... father indian the aapke aur mom British..waise toh acadamics aur sports, dono me hi school times se champ rahin hain aap but aapki sabse zyada ruchi shuru se hi computers me rahi hai..

COW.,INTERCAL,MALBOLGE jaisi complexed codings bhi school time me hi asaani se crack kar leti thi aap..

and now,high level polymorphism features se bane metamorphic pc viruses ko bhi C++ ke average coding ke through bhi decode kar leti hain aap..

world ki one of the best whitehat hacker hain aap aur **** ke digital security ki backbone bhi...

and for you, VIJENDRA SINGH...duniya ke lagbhag sabhi combat techniques ke last level expert hain aap...

aur jahan tak mujhe andaza hai,ye trap lock ka idea bhi aapka hi hoga...


intro se pehle hi un teeno ka pura kaccha chittha khol kar rakh diya tha VERONICA ne jispar ek pal ko hairan hue the woh sab par phir un teeno ke hi brain me strike hui unke saamne khadi shakshiyat ki pehchan jiske baad bas smile hi bachi thi unke faces par show hone ke liye...


VERONICA-so, mujhe bulaya hai yahan matlab...

UNKNOWN-yes,we have located G.O.D...

VERONICA-GALATH...

pichle 8 saalon se duniya ke har desh ke har city me 24/7 monitering ki hai tum sabne..

just to get a hold on HIM...kar paaye kya..???nahi..

par agar ab nazar aaya hai woh iska matlab hai ki he himself has surfaced taaki tum usse locate kar sako..

face covered tha...!!!

MIA-yes ****...aur image enhancing ke baad bhi we can't get his face...

VERONICA-phir mujhe kyun bulaya...!!!

UNKNOWN-to show this...


apna tablet aage kar diya tha us unknown shaksh ne jisse dekhte hi aankhen band ho chuki thi VERONICA ki...

tablet me do blocks bane the..ek me kisi anjaane shaksh ki pic thi jo kisike ghar se nikal raha tha..

paas me hi lage C.C.T.V se li gayi thi woh image.. dusre block me ek chota sa video tha jisme wahi shaksh apne ek haath ke index finger ko alag alag tarah se hawa me wave kar raha tha...


UNKNOWN-jis ghar se nikal raha hai WO,there he killed two people.

anyways,tumhare bete ki B.M.X ka exact model ride kar raha hai woh..iska matlab..

VERONICA-he knows...jaanta hai woh hamari location...

UNKNOWN-aur isiliye i think it's time ki you and SANVY move on from here..

VERONICA-you cant hide from G.O.D.usse maalum hai aur mai ab bhi zinda hun,iska matlab hai it's not his time...his chosen time..

taklif bas is baat ki hai ki us waqt ko bataane ke liye khel khel me woh najaane kitne maasumo ki jaan le lega..

just try and avoid that damage...

UNKNOWN-tumhe kuch nahi hoga...i am doubling yours and SANVY'S security...

VERONICA-oh common on..you think sidhe sidhe anybody can harm me or my son..

itni haisiyat kisiki bhi nahi...G.O.D apne organization ke best bunch ko bhi bheje toh un sabke aankhein jhapkaane se pehle hi unke sir dhad se alag kar dungi mai..


achanak hi ek ghussa dikhne laga tha VERONICA ki aankhon me..

ek paagalpan jisse us unknown ne toh behadh kareeb se mehsoos kiya tha but VERONICA ke cold look ko dekh uske saath aaye teeno ki haalath hi kharab ho chuki thi...


MIA-mmmaam,ye jo haath wave kar raha hai woh shaksh,ye random nahi hai..

it's actually a sentence jo woh hawa me likh raha hai.. it's says..


VERONICA-"YOU CAN NEVER HIDE FROM GOD'S EYES....


pehle yunhi dekhna,phir dhyan se watch karna,tedhe medhe aur behadh tezi se ghum rahe haathon ke movement ko computer se slow karna aur phir us ungli ki harkat ka meaning nikaalna..

jahan is procedure me time laga tha MIA jaisi talented ladki ko bhi wahin bas ek second bhar dekh un movements ka matlab samajh liya tha VERONICA ne...


MIA,VIJENDRA,MELBIN...suna toh bohot tha but aaj live us chote se demo par woh teeno hi shockingly super impressed hue the VERONICA se..


VERONICA-anything else...

UNKNOWN-no..

VERONICA-keep up the good work guyz...and never stop learning...

TEENO-thanks **** and we will...


palath kar nikal gayi thi VERONICA...aur usse piche se jaate dekh..


MIA-wow...she definitely is something else..

UNKNOWN-she's VERONICA PAUL AHARYA...the best...

but hopefully,ye tag bohot jald hath jaayega uske sir se..

VIJENDRA-matlab...!!!!

UNKNOWN-ek nuclear bomb in the making hai inke paas..inka beta...

SANVEER AHARYA..




PLACE-MINDROLLING MONASTERY




WOW... IT'S SO BEAUTIFUL....DUSRA SAAL HAI MERA DEHRADUN ME AUR YAHAN IS MONASTERY KI KHABAR TAK NAHI THI MUJHE..


MINDROLLING MONASTERY ke gigantic premise ke bahar se hi andar monastery ke first temple ki khubsoorati ko nihaar rahi thi RASHI..

RASHI hi kya, baaki sabki nazar-e-samajh bhi kuch aisi hi thi...

DEHRADUN ke north edge me clement town ke outskirts par 1965 me KHOCHHEN RINPOCHE dwara banaye gaye 6 NYINGMA SCHOOL OF BUDDHISM me se ek thi MINDROLLING MONASTERY...

waise toh RASHI ko chhod hum sabhi yahan kabhi na kabhi aaye hi hain but as a whole group ye hum sabka is monastery me first visit hai,thanks to NEW GIRL...

vacations ke last 2 hafte hi bache hain.kal mile the hum sab jahan ussine aaj yahan aane ki iccha jatayi jisse sabhi girls ne back kiya.

natija...here we are...


RASHI-wow.. that's some art...!!! kitna huge hai..


monasteries gate ke andar aate hi LORD BUDDHA ki 35 gilded statue ko awe struck hokar dekh rahi thi RASHI...


ANJALI-babes, it's also a home to 2nd largest statue of Padsambhava..


ANJALI ke baat ke beech apne hand bag se apna DSLR nikaal chuki thi RASHI jisse us bade se statue ko woh capture karne hi waali thi ki...


YAHAN PHOTOS LENE KI IJAAZAT NAHI HAI...



LIGHT SAFFRON DYED ROBE pehne hamare piche khade the ek middle aged person jinki baat sun RASHI ne turant DSLR wapas apne hand bag me daal diya tha..

wahin pics ke rule ko bata woh shaksh aage badh chuke the...


RASHI-arre yaar,itni sundar jagah hai aur pics lena allowed nahi..shit...


ek taraf bade se fountain ke beech artifact bana hua tha..dusri taraf bohot saare varieties ke flowers ko khudme samete ek behadh khubsoorat garden tha..

aise hi bohot se eye catchy scenes the pure monastery me jisse apne camera me capture na kar paane ki sadness dikhne lagi thi RASHI ke face par..


MAI-gaur se dekho in saare nazaaron ko..apne andar mehsoos karo inki khubsoorati ko...

is jagah ko jeete hue jab palke jhapkaaogi,toh aankhein tumhare zehen me is pure drishya ko hamesha ke liye kaid kar dengi...


boli maine ye saari baat RASHI se thi,par aisa karte hue mai khud nazar ghumate hue yun dekh raha tha monastery ko maano apni baat ka khud live demonstration bhi de raha hun...

wahin RASHI bhi meri baaton ko sunte hue jaise mere demonstration ko samajh rahi thi..

baaton ki aakhir me ghuma mera sir RASHI ki taraf aur...


MAI-camara se li hui har click,photo delete hoti hai,par aankhon ke zariye dil aur dimaag me utre tasviren umr bhar zehen me zinda rehte hain...

koshish karke dekh lo..


jahan RASHI ko wink kar fountain ki taraf badh gaya tha mai wahin meri baat sun RASHI toh impress hui hi thi par usse zyada impressed aur usse bhi zyada shocked new girl hui thi..

mujhse itni zyada deep baaton ki ummid jo na thi chhori ko..

khair,mujhe fountain ki taraf jaata dekh baaki sab bhi ussi taraf ho liye the..


NAISHA-yaar,woh jin monk ne RASHI ko pics click karne ke liye mana kiya tha,unke robe light saffron ke the but ye saamne meditation me baithe monks ke clothes dark saffron ke hain... aisa kyun..!!!


fountain ke aage bane shed me kuch monks meditation kar rahe the jinhe dekh pucha tha apna sawal NAISHA ne..


DIMPLE-ye jo saamne meditation me baithe hain,woh MONKS hain but jinhone RASHI se baat ki woh LAITY the,MONK nahi..

KHANAK-LAITY...!!!woh alag hote hain kya..!!!

DIMPLE-LAITY is the first step...MONKS ki tarah woh ordained nahi hote...

khaane peene aur baaki chizon ke liye MONKS LAITY par hi nirbhar karte hain...


un meditation kar rahe monks ko dekhte hue baaki sab aage badh rahe the..

wahin mai bhi fountain ke aage bane ek hold par baitha un monks ko ek tak dekh raha tha..

aakhein meri un sab par sthir thi.. meditation karte hue un sabke faces par dikh rahi shaanti mujhe sukoon de rahi thi...

fountain se ho rahi paani ki kalkal us shaant mahoul ko badi shararat se houle houle todne ki koshish kar rahi thi par asar pura ulta hi padh raha tha..

ek anthin shaanti se bhara hua tha yahan ka mahoul jisme un monks ke saath mai bhi doob sa chuka tha..


NITS-abbe mar gaya kya...!!!!


teen chaar baar mujhe awaaz dene ke baad bhi jab koi faayda nahi hua toh mere paas aakar mere kandhe ko zor se hilaya NITS ne jispar hadbadte hue toota mera dhyan..


MAI-kya hai be...kitni baar bola hai tereko,bina nahaye dhoye chhua mat kar mujhe...

ashudh kar diya mujhe...

CHATAKKKHH...

NITS-maaaaaddhhhhuri.....


NIT ke sir ke piche chetul me ek zor ka tamacha bajaate hue un meditation me baithe monks ke baaju se hota hua aage ki taraf bhaag gaya mai.

wahin apna chetul pakad gaali bakne ke beech hi jagah ko dekh shabd change karte hue NITS bhi bhaaga tha mere piche...

DHAPPP...

bhaagne ke dauran piche NITS ko dekhne ke chakkar me saamne se aa rahe ek MONK se takra gaya mai...

impact uske liye thoda zyada tha isiliye neeche gir gaya woh...

kuch aur bhi MONKS the uske saath jo is achanak hue takraav se thoda hadbada gaye the...


MAI-oops..sorry uncle..waise mai toh peeche dekh raha tha par aapki nazarein toh saamne ki taraf hi thi...hath sakte the aap...

maana ahinsa waadi hain aap par itne slow reflexes hona achi baat nahi..


jahan masti me apni baat bol aage badh chuka tha mai wahin pehle mujhse hui takkar aur phir meri baatein achi nahi lagi thi us monk ko..

same negetive vibe uske saathi monks ke faces par bhi saaf dikh rahi thi jo mujhe aage jaata dekhte hue apne saathi monk ko utha rahe the..

is beech monk se meri takkar ko dekh NITS ne bhi bhaagna chhod diya tha..

woh bhi baaki sab ke saath chupchaap un monks ki toli ke baaju se aage jidhar mai gaya tha,badh chuka tha..

un sabme sabse aakhir me thi DIMPLE jisse mera monk se hue takkar ke baad ka behaviour acha nahi laga tha...


SAM-abbe,udhar kidhar jaa raha hai..!!! PROHIBITED AREA likha hua itna bada board nahi dikh raha kya tujhe...

aage badhte hue jab mai ek newly bane block ke andar jaane laga tha toh piche se bol utha SAM jisse sun...


MAI-suna hai LORD BUDDHA ke bohot se rare 3d artifacts, murtiyan rakhe hain idhar jinhe is sunday publically show karne waali hai monastery.. let's peep it a bit..

NAISHA-haa suna toh maine bhi hai ki aise buddha artifacts aur idols pehle kahin bhi dekhe nahi gaye honge..

KHANAK-agar itne hi ache aur rare hain woh artifacts toh is block ko secure kyun nahi rakha gaya hai..!!

SAM-web cams lage toh hain..aur waise bhi,ye ek buddhist monastery hai,yahan security,over hyped protocols nahi rakhe jaate..

DIMPLE-bharosa karte hain monastery ke incharges yahan aane waale logon par..

they believe ki unki baat maaki nge log.. isiliye hi sirf ek board rakha hai unhone..

hume bhi unki soch ki respect karna chahiye...

RASHI-hey,ye SANVY aur ANJALI kahan gaye...???


hum dono hi nadarad the jisse dekh ladkiyan toh idhar udhar dekhne lagi par ladke has diye aur..


EKPREET-yahan moral ethics par discussion chaalu tha aur udhar woh dono block ke andar chale bhi gaye...


woh restricted block jo ek stairway ke roop me us bade se hall ki taraf jaata tha jahan exibition waale artifacts rakhe hue the,badh gaya EKPREET jiske piche baaki sab bhi ho liye the..

DIMPLE bhi meri ek aur nayi bachkani harkat par sir shake karte hue un sabke saath ho li thi...

WOW......!!!!

sabhi ke mooh se ek saath nikli thi ye taarif joki sahi bhi thi...

LORD BUDDHA aur unhiki tarah kuch ancient artifacts aur idols se saja tha woh bada sa hall jahan hum sab us stairway se hokar pahunche the...

samandar ke beech baithe LORD BUDDHA ki murti jo dikhne me itni original lag rahi thi maano abhi apni aankhein khol degi...

aluminum silver metal artifact, meditative thai buddha mid height statue,46 gorevision's indian god idol aur aise hi bohot se behatarin kala ke namune rakhe hue the hall me...


RAJAT-holy cow...what a master piece man...!!!saala banaya kaise hoga banane waale ne isse...


un saare murtiyon aur artifacts ke beech rakhi ek 10 feet badi si lord buddha ki murti...

dark colour ki thi woh statue par phir bhi usse ek whitish colour bahar nikal raha tha jo us murti ko hadh se zyada eye catchy bana raha tha..

par us statue me sabse zyada akarshak thi woh clay se bani aag jo LORD BUDDHA ke dono haath jo dhyan mudra me aage ki taraf jude hue the,uske beeecho beech jal rahi ho, waise dikh rahi thi...

maatra ek illusion ki tarah tha woh aag par dikh natural raha tha..

us aag ko kuch aise banaya gaya tha ki uski lou se LORD BUDDHA ke face me bhi halki halki light padh rahi thi..

LORD BUDDHA ki aankhein band thi par phir bhi dikh aise rahi thi maano halki khuli hui ho...

murti ke theek piche ek shadow bhi banaya gaya tha jo second buddha ki tarah lag raha tha...

yahi reason us artificial fire ko aur zyada live bana raha tha...

unbelievable art work..

mai toh pehle hi us murti ke paas aakar khada ho chuka tha aur ab baaki sab bhi mere ird gird khade ho chuke the...


KHANAK-magnificent..wakayi yaar,kaise banaya hoga isse..!!!

DIMPLE-ancient greek method se bana hai IDOL...BELL KRATER,SKYPHOS aur KANTHAROS..

in teen ancient clays se banaya gaya hai ye statue...

EKPREET-tumhe kaise maalum..!!

SAM-are you serious...sawal toh ye hai ki yahan uttarakhand me this statue is the most talk about thing right now..

sunday ko jo exibition hai,uska kendra bindu yahi statue toh hai..

C.M aur naa jaane kitne hi V.V.I.P'S aa rahe hain in saare idols aur specifically is "THE THREE ASPECTS" ko dekhne ke liye..

SONU-tthe tthree assppects...!!!

DIMPLE-is idol ka yahi naam hai..

NITS-hain.!!!kaahe...!!!

DIMPLE-ye toh mujhe bhi jaanana hai...

MAI-abbe aspect code word hai...code for rokda...

aur saamne laga teen isiliye taaki koi agar iski boli lagana chaahe toh teen guna payment dena pade usse...


"KUCH CHIZEN ITNI ANMOL HOTI HAIN KI UNKE AAGE PAISA BHI APNI HAISIYAT KHO DETA HAI"...


meri baat par koi kuch kehta ki tabhi hum sabke piche se aayi thi ye nayi awaaz jispar jab hum sab palte toh humse thode door khade shaksh ko dekh ek second ke liye aankhein badi ho gayi sabki aur saath hi saath hum sab turant hi attention position me aa chuke the...


VAJRA BODHI...


one of India's most famous and most respectable BHIKKHU..(fully ordained,last level of MONKS)



THE LAST ASIAN SOHEI ke naam se bhi mashoor the VAJRA BODHI...

(SOHEI-THE WARRIOR MONK..MEDIVEAL JAPAN KE ANCIENT COMBAT TECHNIQUES ME MAAHIR)




isiliye hi india hi kya,pure asia ke har renowned monastery me jaana maana naam the VAJRA BODHI...

pitah indian aur maa Chinese thi inki...

kisi bhi state ke C.M ko bhi inse milne ke liye waqt lena padta tha..

6 feet se bhi halka upar nikal rahe kadh waale kareeb 50 ki umar ke VAJRA BODHI jinke sapat lalaath se unke andar ka tej saaf jhalak raha tha,khade the hamare saamne.

woh MONK jo bahar mujhse takrakar neeche gira tha, apne kuch saathiyon ke saath unke peeche khada tha...

ye saare artifacts,idols VAJRA BODHI ke dekh rekh me hi laaya gaya tha yahan aur sunday ko hone waale exibition jiski charcha har taraf thi, uska mukhya kaaran bhi VAJRA BODHI hi the..

unke darshan ke liye hi hazaron ki tadad me bheed ikattha hone waali thi yahan..waise toh DEHRADUN woh kal aane waale the par unke swagat me umadne waali bheed ko avoid karne ke liye hi woh aaj subah hi yahan monastery me aa gaye the..

khair,hamare saamne khade BHIKKHU VAJRA BODHI ka chehra bilkul shaant par aankhon me halki narazgi thi jisse aur kisine toh nahi par meri aankhon ne dekh aur samajh liya tha..

unhe dekh jahan mere sabhi dost including new girl kaafi nervous ho gaye wahin meri aankhon me ek chamak thi jisse halke jhuke hone ke kaaran koi dekh nahi saka tha...


VAJRA BODHI-vesh bhusha se ache gharon ke padhe likhe bachche lag rahe hain aap sab...

aisa toh ho nahi sakta ki bahar saaf aksharo me PROHIBITED AREA nahi padha hoga aapne...


dheere dheere hamare paas aate hue theek hum sabke saamne khade ho gaye the VAJRA BODHI jispar jahan baaki sabke chehre neeche ho gaye the wahin mera chehra toh neeche nahi tha par nazarein halki neechi thi..


ANJALI-sorry sir...woh hume in artifacts,idols ko dekhne ki iccha thi isiliye yahan aa gaye...

VAJRA BODHI-icchayen jab raah bhatka den toh manushya GALATH ban jaata hai..

jis umar me hain aap sab,man ka vichlit hona,niyamo ko naa maanana aam baat lagti hai,par hai nahi..

sayyamit kijiye apne ugr man me panapne waale nakaratmak aur uddand khayalon ko,taaki soch aadatein aur aadatein vyaktitv na ban jaaye...

MAI-soch,aadat, vyaktitv...bhram hain ye shabd jinhe paida bhi dimaag ne kiya hai aur agar chaahe toh khatm bhi dimaag bade araam se kar sakta hai...

par uske liye bhi ek dridh aur sakaratmak soch ki zaroorat hai..aisi sakaratmak soch jo aadat ban jaaye aur phir woh aadat,vyaktitv...


itni der me pehli baar aankhein upar kar VAJRA BODHI ko sidhe dekhte hue kahi thi maine ye baat jisse sun jahan ek taraf mere baaki doston ko lagne laga tha ki maine GALATH panga le liya tha,dusri taraf new girl meri kahi baat ka matlab samajhne ki koshish kar rahi thi wahin teesri taraf VAJRA BODHI, jinki aankhon me ab tak halki narazgi thi,mere tark ko sun unme hairangi dikhne lagi thi par ye bhaav bhi shanik hi the..

jaise hi meri aankhon se mili unki aankhein toh agle hi pal kuch mehsoos kar chamak uthi thi VAJRA BODHI ki eyes.

woh meri taraf badhne ko hue hi the ke tabhi..


ANJALI-sorry sir..he didn't mean anything wrong...

we will be leaving now..yahan bina permission aane jaisi galti dobara nahi karenge hum..


ANJALI jaanti thi ki jab mai kisi baat par, logic par apna point rakta hun toh i never back off from my words..

aise me VAJRA BODHI jaisi great aur world renowned shaksh ke saath behes ho jaati meri jo bohot GALATH hota isiliye beech me apna paksh rakh woh mera haath pakad aage badh gayi..

baaki sabne bhi VAJRA BODHI se sorry kaha aur hamare saath ho liye the..

wahin is beech VAJRA BODHI ki nazar mujhse hati nahi thi aur jab hum sab unke aaju baaju se hokar aage nikal gaye toh..


VAJRA BODHI-"THE THREE ASPECTS"..LORD BUDDHA ke is idol ke naam ka reason jaanana nahi chaahenge aap...


VAJRA BODHI ke aane se pehle waali hamari convo sun li thi unhone isiliye ye sawal kiya tha unhone jispar sabse pehle kadam ruke the new girl ke..


DIMPLE-mai jaanana chahti hun..!!!


new girl ke saath hum sab bhi rook kar VAJRA BODHI ki taraf mood chuke the...


VAJRA BODHI-teen sawal hain mere jinke jawab aapko dene honge.

unhi jawabon me woh teen aspects chuppe hain joki is idol ke madhyam se sansaar ka sach bhi hai..

taiyar hain aap..!!!

DIMPLE-bilkul...


ek tarah se challenge kiya tha VAJRA BODHI ne hum sabko ya phir ye kahun ki mujhe aur challenge se piche hatna hamari new girl ke life dictionary me toh tha hi nahi..

khaaskar tab toh bilkul bhi nahi jab sawal VAJRA BODHI jaisi personality kar rahe the..

unke sawalon ke jawab dekar unhe impress karna kaun nahi chaahega bhala..


VAJRA BODHI-maansik aur bhaavnatmak duniya ke aise 8 DAR aur NUKSAAN hain jo asal zindagi ke liye nakaratmak hain...

galath vichar,ghamand,jalan, nafrat,swah-judaav,shak,laalach,agyanata...

in 8 dar me se ek dar aisa hai jo baaki 7 dar ko janm deta hai..kaun hai woh...!!!???


Buddhist psychology se juda sawal tha ye jisse sun DIMPLE ke chaand jaise rukhsaar par suraj ki roshni bikherne waali muskurahat naach uthi..


DIMPLE-attachment,khudse judav....

apne dum par koi bhi insaan apna ek baal tak nahi paida kar sakta phir bhi dikhata aise hai jaise puri shrishti ussise kaayam hai...

I,ME,MY....ye saare shabd,unse jude bhaav insaan ko akela kar deti hai..

akelapan paida karta tha insecurity aur insecurity janm deti hai baaki 7 daron ko...

VAJRA BODHI-sahi jawab...agar dhyan se dekho toh paaoge ki LORD BUDDHA ke dono haathon ke beech jal rahi ye agni issi judaav ko paribhashit kar rahi hai...

LORD BUDDHA ke is idol ko BELL KRATER,SKYPHOS aur KANTHAROS,in teen clay's ke mishran se banaya gaya hai aur jo agni is idol ke dono haathon ke beech hai,woh bhi in teen clay's ko acacia gum ke saath milakar joda gaya hai..

ye agni sirf ek pradarshani nahi hai balki woh jod hai jisse IDOL ke dono bhaag ek dusre ke saath jude hue hain...

is idol ka pehla aspect yahi sandesh deta hai ki akele hokar bhi aap kabhi akele nahi hote..

any and everytime,in different forms of nature,we all are surrounded by a life support...zaroorat hai toh bas us sakaratmak nazariye ki jisse ye judaav dekha jaa sake..

DUSRA SAWAL....

DHYAN aur PRARTHNA me kya fark hai...???


ye ek aisa sawal tha jo sunane me bada easy lagta tha par jab is question ko evaluate kar sentences me differentiate karte hue jawab dena ho toh woh kaam bada mushkil ho jaata tha..

same confused feelings baaki sabke faces par saaf dikhayi de rahi thi siway DIMPLE ke.

haan,puche gaye sawal ke jawab ko sahi se dimag me arrange karne me thoda waqt laga usse par ye duration sahi result ke saath saamne bhi aaya..


DIMPLE-prayer...praarthana...ye ek ucch shakti yaachika ke baare me hai,aam tour par us shakti, us bhagwan ki puja karna...

log alag alag reasons se praarthana karte hain,kabhi bhagwan ki seva karne ke liye, kabhi apne vishwaas ko express karane ke liye aur kabhi ishwar se madad maangane ke liye...

wahin dhyaan apne swayam ke efforts ke through abhyaas me nirdeshit parivartan ke baare mein hai..dhyaan me baitha shaksh apne khudke dimaag se apne sharir aur dimaag par focus karta hai...

is mudra me na koi maang hoti hai,na khwahish,na ummid... bas sharir aur chith hota hai jo ek waqt ke baad do naa hokar ek ho jaata hai..


new girl ka jawab pura ho chuka tha jiske baad VAJRA BODHI ke face par ubhri behadh halki si smile ye saaf bata rahi thi ki woh DIMPLE ke answer se kitne khush the...


VAJRA BODHI-dusra aspect yahi hai..

the importance of MEDITATION and PRAYER...

LORD BUDDHA ke is idol ki aankhein dekhiye..band hone ke baawjud khuli hui si dikh rahi hai...

aisa hokar ye PRAYER aur MEDITATION ka human life me importance bata rahi hai...

agar ek manushya har din usse mile 24 ghanton me se 1 ghanta in dono cheezon me lagaye toh aaj ke ativyast jeeven shaili ke bache 23 ghante uske behadh saral ho jaayenge..

TEESRA SAWAL ke liye mere piche aayiye..


apni baat bol VAJRA BODHI us bade se hall ke east end ki taraf badh chuke the...

hum sab bhi chupchap unke piche ho liye the...

wahan end par parde se dhaki koi cheez thi jiske paas pahunch VAJRA BODHI ne us parde ko kheench kar nikaal diya..

ek kaafi bada aur chowda sa aayna tha hum sabke saamne...


VAJRA BODHI-aayne ke saamne khade ho jaaiye...


VAJRA BODHI ki baat par hum aas paas hote hue aayne ke sidh me khade ho chuke the...

aur kyunki hum us aayne se thodi doori par the isiliye hum sab ka reflection ek saath us aayne me saaf dikhayi padh raha tha..


VAJRA BODHI-kya dikh raha hai aayne me...

SAB-hum...

VAJRA BODHI-aur ab...!!!


us aayne ke piche shayad koi button jaisa kuch tha jisse push kiya VAJRA BODHI ne..

unke aisa karte hi us gigantic aayne me gaps aate chale gaye ar dekhte hi dekhte woh pura aayna pieces me divide hote hue kaafi tukdo me bath gaya..

jab aisa hua toh hum sabke faces bhi alag alag angles me un chote chote mirror pieces me dikhne lage the..


VAJRA BODHI-aayne ke do alag swaroopon me dekha aap sabne khudko...

teesra sawal hai ki kya maayne hain un do roopon ke...!!!!


ab science se jude logical views ke hisaab ka toh sawal pucha hoga nahi BHIKKHU VAJRA BODHI ne.

zindagi ka koi kadwa sach hi chuppa hoga unke sawal me par woh sach kya tha,iska jawab kisike paas nahi tha.

DIMPLE ke paas bhi nahi..

sabke facial expressions se is baat ka idea ho chuka tha VAJRA BODHI ko isiliye...


VAJRA BODHI-jaa sakte hain aap sab...

VAJRA BODHI ki baat par baaki kisi par toh koi khaas asar nahi hua par DIMPLE kaafi upset ho chuki thi..

ek toh challenge haarne ke dukh upar se bina is aakhri sawal ka jawab mile hi usse loutna padh raha tha...is baat ki taklif...

dull face liye baakiyon ke saath mudne lagi woh par aisa kaise hone de sakta tha mai..

uski khwahish meri zimmedari lagti thi mujhe aur isiliye...


MAI-PHOTO aur IMAGE...TASVIR AUR VYAKTITV....


jahan mere jawab ko sun mere sabhi dost mud gaye,new girl aankhon me hairangi ki putliyon ke saath mujhe dekhne lagi wahin VAJRA BODHI...

ek baar phir unke face par smile naach uthi thi aur is baar woh smile gehri thi...


VAJRA BODHI-vitstrut karen...

MAI-aayne me dikhne waala hum sabka pehla roop bas humara woh odha aavaran dikhata hai jo duniya dekhti ya jo hum duniya ko apne baare me dikhaate hain..

par dusra roop jisme hamare ek nahi aneko roop the,hamari woh sacchayi hai,woh vyaktitv jiska raaz sirf hum jaante hain..

woh satya jo hum duniya ke saamne laane se ghabrate hain...

aur jisse saamne laana bohot mushkil hai.. isiliye hi toh kaha jaata hai ki banani hai toh IMAGE banao,PHOTO toh koi bhi bana leta hai...

if i am not wrong,teesra aspect bhi yahi hai...idol ka woh roop jo hum sab dekh rahe hain,admire kar rahe hain, sirf ek tasvir hai par uske piche bana shadow woh image hai jo saamne aane se katra raha hai...

aakhir manushya ka vyaktitv jo chuppa hai us shadow ke andhere me..

VAJRA BODHI-atti uttam..


mere jawab par halka budbudaye the taarif ke ye do shabd VAJRA BODHI ne jinhe padh liya tha maine..

wahin mere baaki dost jinke saamne der saver aisa mind aur body stunt me dikhate hi rehta tha, isiliye woh sab toh itne hairan nahi hue the par new girl ka face dekhne layak tha...

ek saath kayi bhaav aur reaction uske man aur face, dono me aane aur dikhne lage the..


VAJRA BODHI-sunday ko hone waale exibition me agar aap sab chaahen toh yahan aa sakte hain...


VAJRA BODHI ke commanding voice me new girl ko wapas present le aaya tha..

SAM-it will be our honour sir...


sunday ko hone waale exibition me DEHRADUN aur aas paas ke kayi jaane maane logon tak ko paas nahi mila tha..

aise me khud VAJRA BODHI se hum sabko invite milna behadh badi baat thi...

sabne baari baari se thanks kaha tha unhe aur wapas palatne ko hue par tabhi..


VAJRA BODHI-aap rukiye..


mujhe dekh kahi thi baat unhone jispar ek baar phir hairan hui thi DIMPLE...

DIMPLE hi kya, is baar mere baaki dost bhi hairan hue the par jab maine aankhon se un sabko bahar jaane ke ishara kiya tha chupchap nikal gaye woh sab..

new girl ne toh hall gate se bahar nikalne ke beech 5 se 6 baar palath kar dekha tha mujhe.aur VAJRA BODHI ko...

is beech woh MONKS jo VAJRA BODHI ke saath yahan aaye the,woh bhi mere doston ke saath saath hall se nikal chuke the..

khair,finally jaise hi mere sabhi dost bahar nikle aur MONKS ne woh gate band kar diya toh VAJRA BODHI ne bhi apne kadam meri taraf badha diye..

kuch hi palon me woh theek mere saamne khade the..

kuch pal meri aankhon me dekhte rahe woh aur phir...


VAJRA BODHI-naam kya hai aapka...???

MAI-SANVEER...

VAJRA BODHI-aur pehchaan...!!!

MAI-AHARYA...

VAJRA BODHI-AHARYA...


ek bright smile naach uthi thi mera surname bolte waqt VAJRA BODHI ke face par..

kitne khush the woh mujhe dekh,is baat ka andaza agle hi pal lag gaya jab maine jhuk kar pair chhue unke jiske baad mujhe turant utha ek baar sneh se mere gale lag mere sir par bade prem se haath fera tha unhone..


VAJRA BODHI-bahar SHENZU(MONK)ko girana,is pratibandhit jagah par shor machate hue aana, itna kuch isiliye taaki mere dhyan pade tumpar..

apni pehchaan bata dete toh itna kuch karne ki zaroorat nahi padti tumhe...


VAJRA BODHI ki baat par halka sa smile kiya maine aur..


MAI-pehchaan bataane se sahi dikhaana laga mujhe..aap bhi toh shayad wahi parakh rahe the..


is baar muskurane ki baari VAJRA BODHI ki thi..


VAJRA BODHI-haan,aur jo dekhna tha woh dekh liya maine...

apne maata pita ka mishran hai tumhare vyaktitv me..

jawab pehle 2 sawalon ke bhi pata the tumhe par kaha kuch nahi tumne..

aur teesre sawal ka jawab bhi sirf isiliye diya kyunki us ladki ka chehra murjha gaya tha..

pasand karte ho usse par shayad usse khabar bhi nahi is baat ki..!!!


VAJRA BODHI ke andaaze par joki sach bhi tha,bas aankhon se hi sehmati di thi maine jispar..


VAJRA BODHI-yahan aane ka kaaran...!!!!


VAJRA BODHI ki baat sun kaha kuch nahi maine bas unke dono hatheliyon ko dekhne laga..

meri ye nazar hi unke sawal ka jawab tha..


alag alag tarah ke cuts se bane ghaav ke jaate jaate bhi chhod jaane waale halke nishan ab bhi the unke dono hi haathon me jispar meri nazar ko dekh aur meri mansha jaan thode hairan hue woh..


VAJRA BODHI-SANEEL aur VERONICA PAUL AHARYA ke bete hone ke baad bhi tum mujhse "THE EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA" sikhna chahte ho..!!!

MAI-un dono ko bhi toh aapne hi sikhaya tha...

VAJRA BODHI-bilkul..aur mujhe ye kehne me bilkul bhi sharm nahi hai ki mujhse sikh mujhse bhi behtar EIGHTEEN LOHAN HANDS(other name for EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA)ko istemal me laana sikh liya tha tumhare maata pitah ne..

mujhse kuch hi saal chote the tumhare mom dad par sikhne ki lalak aur tezi itni zyada thi un dono me ki 3 mahine ke andar apne guru se behtar ban chuke the woh dono...

phir tum yahan..!!!

MAI-sikhne ke beech jo khamiyan saamne aati hain,unhe aapse behter koi nahi samjha aur door nahi sakta..

mere mom dad isiliye hi behter hue kyunki unki galtiyon ko naa sirf door kiya aapne balki un galtiyon ko bhi ek nayi disha dete hue sahi bana diya..

mujhe bhi wahi disha chahiye...


jo maine abhi kaha tha,woh barso pehle meri mom ne bola tha VAJRA BODHI ko.

woh samajh gaye the meri mom ka mujhe yahan bhejne ka kaaran..


VAJRA BODHI-kitna jaante ho tum EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA ke baare me..

MAI-9,9 ke hisaab se do bhaagon me bata hai ye combat technique...

9 offensive aur 9 defensive..

1-Lifting the Sky
2-Shooting Arrows
3-Plucking Stars
4-Turning Head
5-Thrust Punch
6-Merry-go-Round
7-Carrying the Moon
8-Nourishing Kidneys
9-Three Levels to Ground
10-Dancing Crane
11-Carrying Mountains
12-Drawing Knife
13-Presenting Claws
14-Pushing Mountains
15-Separating Water
16-Big Windmill
17-Deep Knee Bending
18-Rotating Knees

defense theek hai mera but offense ka base bhi shuru nahi kiya hai maine..

VAJRA BODHI-kitna theek...

THABBB....


apni baat bolte hue hi itna tez aaya VAJRA BODHI ka haath mere chest ki taraf ki dekh bhi nahi paaya mai.

ek gentle push tha mai but EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA ke PUSHING MOUNTAINS ka hit tha ye isiliye chest ke andar ka core tak hil gaya tha mera.

halka udta hua sa piche gira tha mai halaki turant khada bhi ho gaya but ek tez pain ka sensation feel hone laga tha mere chest par..

dheere se VAJRA BODHI ki taraf badha mai jisse dekh woh smile kar uthe..

never back up.. yahi messege tha mere unki taraf badhne ka..


DHABBB..DHABBBB..DHABBB...


mere unke kareeb aate hi PRESENTING CLAWS, THRUST PUNCH aur SHOOTING ARROWS ke halke par behadh powerful impact se bhare hits kiye VAJRA BODHI ne mujhpar joki ithe zyada speed the ki mere theek se move karne se pehle hi woh teeno hits lag chuke the mujhe..

peeche toh nahi gaya mai par aakhri hit ke baad wahin neeche gir gaya mai jispar halka nirash ho gaye VAJRA BODHI...


VAJRA BODHI-LOHAN HANDS ka defense offence se zyada stable hota hai par tum toh...

MAI-bilkul theek hun...


turant apne pairon me khade ho chuka tha mai.. chehra bhi sapat tha mera jiska matlab tha ki un teen moves ke hit hone ke baad bhi koi fark nahi pada tha mujhe joki ek impossible baat thi..

kyunki un teen lohan hits ke lagne ke baad hafte bhar tak hilna dulna bhi mushkil hota tha..

mujhe yun araam se apne saamne khada dekh VAJRA BODHI samajh gaye ki unke saare hits bas shrug off hi hue the meri body se jiska matlab tha ki EIGHTEEN HANDS OF BUDDHA ke defence art me advance level tak train ho chuka tha mai...

ek pal mujhe dekha unhone aur..


SAAYYY..SAAYYY..SAAYYYY....CHTTTT...

ek ke baad ek kayi hand hits kiye unhone..itni speed thi unki hand movement ki beech ki hawa tak shor karne lagi thi par is baar koi trick use nahi ki maine..

unke saare OFFENSIVE hand hits par badi furti se apne DEFENCE arts ke through bachta chala gaya mai but finally jab VAJRA BODHI ke tezi se chalte dono haathon ke wrists ko hold kar liya maine toh ek second ke liye hairan ho gaye the woh..

aur hona bhi tha..ye aisa tha jaise kisine bullet ko apni ungliyon se rok liya ho...

wahin wrist hold karne ke agle hi pal usse chhod halka piche hat gaya tha mai..

kuch pal mujhe dekhte rahe VAJRA BODHI aur phir dheere se chalte hue mere theek saamne aakar khade ho gaye..


VAJRA BODHI-subah kitne baje uththe ho..???

MAI-4.30 am..

VAJRA BODHI-monday se 3.30 am uthoge tum..4.00 am sharp monastery me hona chahiye tumhe...

MAI-i will be here SHIFU...(MASTER)


yahi bulate the mere mom dad VAJRA BODHI ko jisse mere mooh se sun ek bright smile naach uthi unke face par...


VAJRA BODHI-tumhare mom dad ko 2 mahina laga tha LOHAN OFFENSIVE HANDS sikhne me..

par tumhare paas itna waqt nahi hoga...monday se exact 14 din hun mai yahan..

in 14 dino me apne mom dad ko surpass karna hoga tumhe..

MAI-i will try SHIFU...

VAJRA BODHI-tumhare friends wait kar rahe honge tumhara..

jaana chahiye tumhe...


ek baar apne naye MASTER ko dekh mud gaya mai aur mujhe jaata hua dekhte rahe VAJRA BODHI..

aur jaise hi mai unki aankhon se ojhal hua toh..


VAJRA BODHI-tumhara beta tumhari tarah hi hai SANEEL par fark bhi utna hi hai..

tumhari aankhon me sirf maasumiyat thi par iski aankhon me maasumiyat ke saath saath chalaki bhi hai..

aur ye hona zaroori bhi tha..ek shaktishali sandesh chhalakta hai tumhare bete ke vyaktitv se ki....





paapiyon ka naash karne ke baad hi ye BUDHA SANTH BANEGA...


sabki karni likhi hogi jisme,sabke hisabon se bhara ye GRANTH BANEGA...

tum naa paar paaye par koi baat nahi...

naabhi ko bhedh us 100-MUKHI RAAVAN ka tumhara beta hi ANTH BANEGA....










AAJ KE LIYE ITNA HI...







AAPKA APNA V...J...
Wow😍
what a update bro magnificent❤
welcome back to the story😊
jahan update ki shurwat hoi Vernoca
ji se kisi organization se related bat ho rhi ti ab ye to bad me malom pare ga k
wo organization kis se related kam karti hai or iska ka motive kia hai
trap bicha rakha ta jis ko bht hi easily
break ker dia wo scene bht hi baria ta
Mindrolling Monestary
pori mandli hi sath ha vacations enjoy
kerte hove is se related mera iq 0 ha
to bat nhi ker sakta is pe khair
Vajar Bohdi
bat karain in ki to writer babu ne poora
insaf kia is character k sath bht shandar
way me intro karaya new person ko
Dimple kabhi nhi sudhre gi her cheez me sb se first hona ha madam ko
dosra koi rhe na rhe kise farq parta hai
3 sawal pe full stop lag gaya madam
ko satkeli hai to koi na guzar jai gi
3 q ka answer dia Sanvy ne
is lehaz se
Dimple shock😳
and
Sanvy rock😂
training chalu hone ja rhi Sanvy ki
or Master b wo jo already uske parents
k Master hain aise me training interesting rhe gi
keep going☺
 
Last edited:
Top