• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Haal-e-Dil : Some Short Stories

Mak

Recuérdame!
Divine
10,712
6,970
229
~ ~ Jalpari ~ ~
(By - pawankamdev123)​


Wo mujhe taktaki lagaye ghure jaa rahi thi. Main bhi use dhyan se dekh raha tha. Wo ek apratim yuvati thi. Mein painting ki wajah se kayi jagah ghumaa hua tha. Maine anek saundaryavati dekhi thi, lekin koyi bhi is yuvati ke rup ke saamne tik nahi paati. Painting ke bahane maine Aryavart ki auraton ko dekha tha - sidhe nain-nakshwali, gora rang, madhur aawaj aur suvarn-bhushan ki wajah se unka saundarya aur khul jaata tha aur iske bhi viparit Uttar-pashchimi yuvati ke rup to bhramit karnewale the - pahadi shariri-kaya, kad-uncha, gaane-nachne ka antargat kaushalya-ke saath hi ladhne ka jigar bhi kaabile-taarif tha... dakshin ki Dravid lalana bhi lubhavani thi - saanvala rang, lambe kaale baal, khushmijaj aur fulon ke aabhushan, sangitmay aur laybaddh chaal ki wajah se kitne dil pighal jaate. Naagbhumi ke yuvatiyon ki to baat hi alag thi - fika safed rang, kad-kaathi chhoti, gatishil chaal, prasann hasya kisi ka bhi man lubhaa sakti thi.

In sabhi yuvatiyon ko maine najdik se dekha tha. Itna hi nahi desh ke raaja-maharajaon ne unke rupvati apsara jaisi rani-maharaniyon ki tasvir mere se hi banvayi thi. Unke darshano se bhi mere netron ko jitna sukh nahi mila tha usse kahi jyada sukh abhi mujhe is yuvati ke shandaar-adbhut-kamaal-badhiya saundarya se mila tha.

Abhi to ye meri dincharya ho chuki thi. Mujhe mere saamne wo pahad dikhte hi maine mera painting ke saaman ka thaila apne khando par liya aur nauka ke muhaane aa khada hua ab us pahad se mera lagav ho gya tha. Bohot baar dekhne ke baad bhi us pahad ke darshan se hi mujhe ek aatma-shanti milti thi. Samandar ke kinaare se bhi dur andar samandar mein, wo kaala pahad tha.

Jis din samandar ke kinare khade ho kar apne durbin se samandar ko dekhte samay mujhe ye dikhayi diya tha, usi din maine thaan liya ki - samandar ki painting banaunga to kinaare se nahi isi pahad par - samandar ke dil mein ghuskar banaunga.

Main har-roj ek saptaah se isi nauka se idhar aaya karta tha aur samandar ka adbhut najara dekha karta tha. Jaise hi meri nauka us pahad ke idhar aayi maine ek jhalang lagakar uspar aa gaya aur naukawale ko shaam ko nauka laane ki kahkar 100 ka note use de diya.

Kal is pahad se samandar-darshan karte samay mujhe ek anokha anubhav hua, ek adhbut drushya dikhaayi diya. Palbhar ke liye mujhe laga ki maine jo dekha kya woh sahi tha yaa mera bhram, bata nahi sakta. Lekin mere kalakar man ko pauranik-kalpit-kathaon par vishwas tha, aur kal ka drushya aaj bhi dikhayi dene ki mujhe aasha thi.

Maine durbin apni aankhon se lagayi... thodi der tak mein samandar ko niharne laga aur kya ashcharya, mere man ki bhagwan ne sun li. Kuch dur-antar par ek suvarn-chhata chamakane lagi, lekin kal ki tarah wo aaj fauran adrushya nahi huyi. Maine use aur gaur se dekha aur aashcharya se dang rah gaya.

Sagar ki laharo mein suvarn-kaanti, bhure-ghane baalonwali, ek yuvati dhire-dhire paani ke upar aa rahi thi. Mein adhirta se use dekhta raha. Usne bhi mujhe dekha hoga, kyonki mujhe dikhayi diya ki, wo savdhani se meri aur aa rahi thi. Wo mere ekdam najdik pahunch gayi, mera meri aankhon par vishwas nahi ho raha tha. Ek to mujhe bhram ho raha hai yaa fir saakshaat kalpit-kahani meri aankhon ke saamne zinda ho gayi thi. Wo suvarn yuvati ek Jalpari thi..!

Suryast hogaya tha. Kshitij ki suvarn lali bujhane jaa rahi thi aur shaam ka fika kaala rang dhire-dhire vatavaran mein fail raha tha. Lekin us Jalpari ki chamak kam hone ka naam hi nahi le rahi thi.

Meri usse baatchit karne ki mansha thi, lekin wo mere aawaj ke daayre se baahar thi. Mein sirf mantramugdh hokar use dekhe jaa raha tha... aur dusre hi pal wo gayab ho gayi. Wo paani mein adrushya ho gayi. Mein nirash hokar baar-baar wahan par durbin se dekhe jaa raha tha.

Dusre din meri jigyasa badh gayi thi. Mein use dekhte hi uske pyaar mein kho gaya tha aur mujhe usse milne ki bohot-ichcha ho rahi thi. Maine aisa suna tha ki matsyalok aur martyalok asani se ekdusre ko dikhte nahi, lekin agar niyati-sanyog se unki mulaqat huyi to undono mein ek alaukik bandhan tayyar hota hai, aur isi bandhan ki wajah se wo ekdusre ki taraf akarshit hote hai. Agar ye satya hoga to us Jalpari ko bhi meri mulaqat ka intejaar hoga, ye dhyan mein aate hi 31 baras ki aayu mein pahilbaar mere man mein mithi chitiyan rengne lagi. Sirf sharirik akarshan se jyada ye bhaavana-uttejana nirali thi, alag thi. Yahi to pyar hai.

Mera uske prati lag rahe akarshan se jyada, uski mere prati jigyasa jyada thi. Kyonki aaj wo bohot der tak nisankoch man se meri taraf dekhte huye paani mein tair rahi thi. Mein bhi apni aankhein senk raha tha. Shayad kuch samay baad uska bhay kam hua hoga, kyunki wo meri taraf aur khisakane lagi thi, mere aur najdik aati jaa rahi thi. Mein jis chhote-pahad par khada tha us pahad ko ek chakkar lagakar wo us pahad ke ekdam najdik aagayi.

Mein bhi dhire dhire ek-do kadam badhata hua jarasa niche aagaya. Tabhi bhi wo dar ke bhaagi nahi. Ulta mere aur najdik aane se uska chehra anandit lagne laga. Hum dono abhi ekdusre ke kaafi najdik aa gaye the. Baat ko aage badhate huye maine hi pahle pahal ki aur kaha, "Namaste..!" uska taktaki lagaye mujhe ghurna badastur jaari tha.

Lekin maine bhi haar nahi maani aur kaha, "mein Ravi..! chitrakar hun," itna kehte huye maine pahad par apne saman ki taraf ishara kiya. Mere ishara karne ke baad uske mrugnayan mere dikhaye huye jagah par pade aur uske mukh-kamal par ek muskan fail gayi. Wo muskan dekh kar mujhe achcha laga.

"Aap roj idhar aate hai," usne itna hi kaha. Wo sawal tha yaa fir uska nirikshan tha, ye mujhe pata nahi chala. Maine sirf haan mein sir ko hilaya. Usse aage kya sawal kare ye mujhe sujh hi nahi raha tha.

"Mujhe aap-par vishwas hua... isliye maine nishchay kiya ki mein idhar aakar dekhu. Mein is samandar ke raaja ki ladki Yuvraagni hun. Humare prant mein atithi ka swagat acche se ho, aisi meri ichcha hai." usne kaha.

"shukriya, yuvraagni..!" maine sar niche jhukakar abhivadan kiya, "mujhe aapke darshan huye, yahi mere liye badi baat hai... aur aap hamari bhaasha jaanti ho, ye dekhkar mujhe bohot anand aur ashcharya hua."

isbaat par ek muskan ke saath Yuvraagni ne kaha, "hamein bhulok aur sagar ke jiv jantu ki sabhi boli bhaasha aati hai. Lekin wo rahne do. Mujhe tumhare baarein mein jaanne ke jigyasa hai. Aap aapka parichay denge..?"

Mera parichay saakshat matsya-yuvraagni ko dena, ye mera sanman hai ye kehkar maine use apne baarein mein sankshep mein kaha. Mera kathanak ras lekar wo sun rahi hai ye dekhkar mujhe anand hua. Mujhe ye bhi dikhayi de raha tha ki, uske netron ki chamak aur bhi dhire-dhire badh rahi thi. Kuch bhi ho, uske sahvas se, uske saath batchit se mujhe ek alag hi anand mil raha tha.

shaam ko mere liye aanewaale nauka ki aawaj se yuvraagni turant samandar ke andar gayab ho gayi. Hamari mulaqatein ab badh rahi thi. Meri painting abhi tak puri nahi huyi thi. Hum roj ghanto baatein kiya karte the. Ekdusre ko jaan rahe the. Lekin fir bhi hum mein ek antar kayam tha.

Yuvraagni ke suvarn-deh ko chhune ki lalasa mujhe baarbaar ho rahi thi. Sharirik aakarshan se jyada ek anubhuti ki jigyasa usmein jyada thi. Lekin mere bhaagya mein wo sab nahi likha tha. Hamari mulaaqat ke 4-5 din baad hi usne mujhe saaf-saaf bata diya tha, ki martyalok ka sparsh mastyalok ke liye dhokaadayak rehta hai. Usmein matsyalok ki jaan bhi jaa sakti hai. Agar mein usko jarasa bhi chhu leta, to uski kaaya turant jalkar raakh ho jaati..!

Yuvraagni naajuk thi aur mere man mein uske prati pyaar itna jyada tha ki, mujhe uske is naajuk kaaya ka bhi moh hua..!

Mujhe khudko control mein rakhana mere liye aasan tha. Hum dono ke bhi man saaf the aur hamare sharir ek ho chuke the. isliye shaaririk sparsh ismein kuch maayne nahi rakhta tha.

Lekin fir bhi ye antar mujhe chhal raha tha. Hardin ke baatchit aur usko ghurne ki wajah se mein andar hi andar tut raha tha. Kitne baar to uski baatchit par dhyaan naa dete huye mein usko baahon mein lekar uska amrit pine ke liye betaab hua jaa raha tha.

Mere man ki ye awastha mujhe hi asahay ho rahi thi. Isliye shayad, yuvraagni ne wo prastav rakha, tab wo swikarne mein maine koyi bhi deri nahi ki.

"mujhe pata hai ki, manushyaprani hawa-ke bagair ji nahi sakta. Lekin aap chinta na karo. Hamare raajvaidya unke divya-aushadhiyon ki sahayyata se aapke paani ke niche ka jivan puri tarah se anandit kar denge. Aapke is manavi rup se hi aap jal-char ki tarah ji sakte ho, aisa vishwas khud rajvaidya ne mujhe dilaya hai."

Maine uska abhivadan kiya par bola kuch nahi. Thode se muskan ke saath Yuvraagni ne mera abhivadan swikar kiya aur wo aage kehne lagi, "aapko abhi-ke-abhi antim nirnay lena hai. Mera sakha, jivansakha hokar mere sahwas ka aap upbhog le sakte hai, lekin aap wapas mrutyulok mein nahi aa sakte. aapko bhulok ke sabhi rishte aur dhan-daulat chhodkar, hamare raajya mein aana hoga. bolo hai maanya..?"

mera man to sirf uske 'mera sakha, mera jivansakha..' usi baat ko dohra raha tha, uske sahavas ke liye kitna bhi bada tyag karne ki meri tayyari thi. aur waise mujhe kidhar jyada tyagna tha..? mere paas aisa kya tha jo mein tyaag du..? aur rishte bhi kitne the mere paas..? mere liye sirf aur sirf meri painting mayne rakhti thi aur uske liye desh-videsh ghumna yahi meri abhi ki sthiti thi.

Maine uska prastaav turant swikaar liya. Yuvraagni aanadit ho gayi. Hamara sahjivan jaldi shuru honewala tha. Sirf ek mahatwapurn baat aavashyak thi.

"raajvaidyo ne aapko matsyalok mein shaamil kar liya to aapka sparsha, aapka sahavas mujhe chal sakta hai. Mein aapke milan ke liye adhir hun aur isliye ye vidhi turant ho aisi meri ichcha hai. Lekin fir bhi is vidhi ko kuch samay lagega ye mujhe pata hai. Isliye kuch samay ke liye aapke sharir ka praanvayu aapko bachakar rakhna padega. Raajvaidyo ne khaas aapke liye ek vanaspti ka kaadha tayyar kiya hua wo hum aapko abhi denge. Wo lene se aapke sharir ke cells paani ke andar praanvaayu ka adhik-se-adhik upyog karenge aur matsyalok ki tarah paani se praanvaayu khinch lene ki kala jab tak aapke sharir ko avagat nahi ho jaati tabtak is kaadhe se aapke sharir ka praanvayu aapko milta rahega. Samjhe..?"

Mujhe kuch samajh mein nahi aaya, lekin fir bhi maine haan mein sir hilaya. Mujhe abhi ek kaadha lena hai aur uske baad paani ke niche raajvaidya mujhe matsyamanav mein badal denge. itni baat mujhe pata chal gayi thi.

Mere haan kehte hi Yuvraagni ne paani mein ek awaj lagayi aur aadhe ghante ke baad wo wapas aayi tabhi uske haathon mein nariyal ke kawach ke andar ek hare rang ka kaadha tha.

Mein pahad se niche utar kar paani mein tairate huye uske najdik gaya aur mere ungliyon ka sparsh use nahi hoga ye baat dhyan mein rakhte huye maine wo kaadha apne haathon mein liya.

Ek naya yug shuru hone jaa raha tha; ek naye jeevan ki shuruvat honewali thi. Maine gardan ghumakar ekbaar dubte huye suraj ki taraf dekha. Suraj ki aur dekhte huye maine wo matsyagandhi kaai-jaise swadwala kaadha apne hontho se lagaya. Dhire-dhire andhera ho raha tha. Mera sharir paani mein dub raha hai aisi mujhe anubhuti huyi aur meri saari ichchayen mar gayi.

~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Abhi to uski ye dincharya ho chuki thi. Rajsabha mein jaane se pahle Yuvraagni mere paas aayi, bedpar lete-lete hi mere abhivadan ka usne muskrukar swikar kiya aur mere se antar rakhte huye mere takiye ke sirhane baith gayi. Aise samay uske netron mein udaasi ke bhaav dikhayi dete the. Uska udaas chehra dekhkar mujhe bohot dukh hota tha. Usko santawana dene ka prayas kiya to mere muhn se sirf paani ki bul-bule hi nikalti thi. Raajvaidyon ki dawayion ka ye dushparinam tha - mera swaryantra puri tarah se nishkriy ho chuka tha..!

Roj is tarah meri aisi haalat dekhkar Yuvraagni ne niraasha se apna chehra ghumaa liya aur wahan baithna use asahay lagne laga isliye wo uthkar chali gayi. Kuch antar dur jaane ke baad Yuvraagni ne mudkar wapas ekbaar mujhe dekha, aisa mujhe bhram hua. Aisa mein yakin ke sath nahi keh sakta kyunki sagar ke us andhere mein abhi tak meri aankhein andhere ke adhin nahi huyi thi.

Kitna waqt hua hoga mujhe yahan aaye..? kuch ghante..? kuch din..? kuch saal..? kuch bhi andaja nahi tha. Din aur raat ka hisaab rakhne ke liye idhar suryadarshan hi nahi tha. Mujhe yaad hai us din jab maine apni aankhein kholi, tabhi mere charon aur ghana-andhera tha. Mein ekdam niche sagar-tal mein tha, lekin ashcharya karnewali ek baat thi wo ye ki mein abhi tak zinda tha, mujhe sirf saans lene mein taklif ho rahi thi, bas.

Andhere mein - ekdam mere najdik - ek aawaj aayi, tabhi mein chaunk gaya. Lekin thodi hi der mein Yuvraagni ki aawaj sunkar mein ashwast ho gaya.

"Yuvraagni..!" mein chillaya, lekin mere gale se sif bul-bule hi nikle.

"Yuvraagni, aap kidhar ho..! mujhe kuch bhi kyun nahi dikh raha..?" maine wapas prayas kiya. Isbaar mere shabdon ko mujhe thoda bohot dhwani dene mein vijay mila tha.

Yuvraagni ka dhyan meri taraf gaya, kyunki wo mere se bolne lagi, "Ravi..! aakhirkar aapko hosh aa-hi gaya..! nishchint raho, mein apke paas hun. Is andhkar mein aapki aankhon ko adhin hone mein waqt lagega, tab tak sabra rakhna. Ya fir aisa karte hai, hum apke liye idhar thodi roshni ka intezaam karte hai."

Thodi hi der baad uski aagya se ek sevak ne udhar ek roshni ka coral laakar rakh diya.

Us hari roshni mein dikhnewaala nile-sagar ke jalshrishti ki shobha ko kaise varnan karu..? Mere andar ka paintar jaagne laga. Is roshni mein sagar-tal ki mulayam reti pornima ke chand ki tarah chamak rahi thi. aur khud Yuvraagni bhi..? Wo to kisi tare ki taraf tejopunj dikh rahi thi. Sagar-garbh ke is adbhut drushya se uttejit huye mere man ne ekbaar mere kaaye ki taraf najar ghumayi aur turant mein nirash ho gaya. Khudka hi darshan mujhe itna ganda-darwana-ghinn lagega ye maine sapne mein bhi nahi socha tha.

Meri twacha ke niche ka maans pighalte huye ekdam chipchipaa hogaya tha. Meri aayu ekdam 100-150 saal badh gayi hai aisa dikh raha tha. Mere is jarjar chamdi ko dekhte hi mujhe ulti jaisa hone laga tha. Maine kitna waqt murchhit awastha mein paani ke niche nikala tha pata nahi, kyunki meri twacha ekdam sad chuki thi.

Lekin maine Yuvraagni se aisa kya apradh kiya tha..? Yuvraagni ke pyaar mein maine khud ko jhonk diya tha. Mera puraa jivan maine uske pyaar ke khaatir balidan kar diya. Yuvraagni ke saath ghar-sansaar ka sapna dekha tha. Usse sirf jismani pyaar ki hi apeksha ki thi.

Aur mere nasib mein kya aaya tha..? pure sharir par hajaaron-laakhon chhed..! aur chhed se nikalnewaale laarva..! Ek samay ka pahlwan sharir ab use kide khaa rahe the aur wahi kide mere man ko bhi kured rahe the..! aur kya mila tha mujhe..?

Bhulok par tha tabhi mujhe khudpar prem tha. Mujhe mere pahwal sharir ka aadar-abhiman-garv tha aur aisho aaram ki zindagi ji raha tha. Mere painting par aneko ameer log apna paisa udate the aur toh aur mere tagade balisht sharir par rupmati yuvati aur saundarvati rajkanya apna kaumarya nyochhavar karti thi.

Mujhe jivanbhar kisi bhi chij ki kami nahi hoti thi, lekin fir bhi mein kisi ek jagah nahi tik paaya. Ek adbhut, gumnaam sukh ki khoj mein bhatakta rahta tha.

Yuvraagni ke rup se mujhe laga, ki mere antahin bhataknewale sagar ko ek kinara mil hi gaya hai. Mujhe laga ki, pruthvi par kidhar nahi lagnewala mera man aaj sagar-garbh mein sthir honewala hai.

Parantu mere aage ye bhayankar-darawana nark parose rakha tha.

Mere is paristhiti ko bechari Yuvraagni hi khud ko doshi maan rahi thi. Jiski vaidya-yojana special galat saabit huyi thi aur jinki dawaiyon se meraa jal-jivan sukhdayi hone ke bajaye narkwas ban gaya tha, wo rajvaidya bhi apradhik bhaavna se dhukhi tha. Aajtak kisi ne bhi kabhi bhi aisa anokha prayog nahi kiya hai ye dekhte huye bhi Yuvraagni ke dabav ki wajah se usne ye kiya tha, lekin usne mana kiya hota to aaj ye nahi hota, ye use mehsus hote hi wo rajvaidya lajjit ho jaata tha.

Lekin fir bhi ek baat spasht thi, Yuvraagni ne mujhse kitni bhi maafi maangi, yaa fir krodh mein aakar raajvaidya ko mrutyu-dand diya, to bhi meri jawani, mera swasth sharir mujhe wapas nahi milnewala tha. Aakhirkar unpar chilla-chillakar thak-haarkar maine apna sharir un rajwaidya ko ilaaj ke liye saunp diya tha. Unke ilaaj se mein kam-se-kam paani mein saans to le sakta tha.

Mere sharir ki sthiti bitate samay mein aur bhi buri hoti jaa rahi thi. Meri sharirkriya band hoti jaa rahi thi, chetana khatam ho rahi thi. Mere sharir ne bed pakad-jakad liya tha aur mein ekdam nishchal pada tha. Mein abhi bhi saagari-jivon ke liye manushya tha aur isliye mein Yuvragni ko chhu nahi sakta tha. Mujhe satwana dene ke liye bhi wo bechari mera haath apne haathon mein nahi le sakti thi. Uske jismani lalach ke liye aage-piche kuch na soch-vichar karte huye maine sabhi tyag diya tha, us jismani-talukat se mein abhi tak vanchit tha. Lekin abhi uska mujhe khed nahi ho raha hai. Pehle ke jaise Yuvraagni ko dekhte hi mera sharir garam nahi ho jata tha. Uske darshan ki, uske bolne ka ab akarshan nahi tha. Mujhe mere sharir ki safai karne se hi fursat nahi milti thi.

Lekin maine ab idhar se mukt ho jaane mein hi apni bhalayi samajhi. Kyunki Yuvragni ke bol-chaal mein abhi mere prati lagav nahi dikh raha tha. Ab antik faisle ki ghadi aa chuki thi. Mujhe mukti chahiye thi, yaa fir mujhe Yuvragni ka pyar chahiye tha. Dono bhi baatein ek hi baar mein nahi kar sakta tha. Mujhe sirf ek kaa chunaav karna tha. Yuvragni ya mukti. Pyar ya azadi. Mere man mein yahi uthal-puthal chal rahi thi.

Rajsabha ki dincharya khatam kar ke yuvragni mere paas aayi, tabhi mere man mein uthal-puthal chal rahi thi ki kya karu. Aur meri ye uthal-puthal yuvragni se bhi chupi nahi usne kaha, "Ravi, priye, bohot aswasth lag rahe hai. Mujhe samajh aa raha hai, priye. Lekin aap chinta mat karna. Jaldi hi sab kuch thik honewala hai. Rajvaidya apni puri takat lagakar tujhe paani mein chalne-firne jaisa karnewala hai. Unhone hamein bataya hai ki, unka ek aushadhi prayog jald hi yashasvi honewala hai. Wo ho gaya to teri paristhiti mein jaldi sudhaar hoga."

Aasha..! Yuvragni mujhe wapas ek aasha ki kiran dikha rahi thi. Mein aswasth ho chuka tha. Mein chup raha. Waise bhi mere swaryantra thik se chal nahi rahe the. Maine apna faisla le liya tha aur uske parinaam-swarup mera chehra khil chuka tha isliye mein bohot khush tha. Ye dekhkar yuvragni bhi bohot khush huyi aur wapas chali gayi.

Maine apne deh ko wapas ekbar dekha. Dawayi ke dushparinam ki wajah se aur sagar-jiv-jantu ki wajah se mera sharir andar se khokala ho chuka tha. Meri kaaya fugti jaa rahi thi. Mein paani se bhi halka ho chuka tha. Agar yuvragni ke sevakon ne mujhe bed se bandha nahi ho to kabka mujhe is sagar ne kisi lakadi ki tarah dur fenk diya hota.

Meri dekhbhaal karne ke liye rakhe gaye sevakon ko meine dur bhej diya. Ekant dekh kar mein dhire-dhire uthne laga. Mujhe bandhe huye sagar-rassi ko chaba-chaba kar todne laga. Un rassion-ka kadwa swad mere muhn mein jaa raha tha, lekin uski fikar na karte huye mein unhe todne mein laga hua tha.

Tutate huye ek ek rassi se mera sharir aur mera man halka hota ja raha tha. Akhirkar mera narkwas abhi samapt hone ja raha tha.

Akhirki rassi maine chabakar khatam ki aur bul-bule jaise mere halke sharir ko paani ne turant upar uthane ki shuruvat ki.

Abhi, nikalte samay yuvragni ki mulaqat nahi huyi ye khed mere man mein hai. Uske saath hi, use ye baat na pata chale yahi yogya hai, ye bhi mujhe pata hai. Mere netra apne aap bigh gaye hai. Meri najre surya-devata ko dekh rahi hai. Mujhe mere akhri saansa tak ye surya prakash pi lena hai.

Thodi hi der mein paani ke upar aa jaunga. Pahile saans mein hi meri jaan jaanewali hai, ye mujhe pata tha. Lekin ab mujhe uski fikra nahi thi.

Mrutyu itna sundar isse pahle mujhe kabhi nahi laga tha...!


~~THE END~~
 
Last edited:

Mak

Recuérdame!
Divine
10,712
6,970
229
Reunion...
( By - SGP 2009 )​

Sochne ko toh main kuch bhi soch loon aur koyi mujhe rok bhi nahi sakta lekin sach toh wahi rahega, jo hai…mere sochne-vicharne se sach toh nahi badal sakta na. meri zindagi me kayi aise sach the jise badalne ke baare me main aksar socha karta ki kash ye chiz aisi hui hoti toh thik rahta…wo chiz waisi hui hoti toh sala maza hee aa jata aur meri isi soch me do aur log shamil the… mera dost Deepak Bhagat aur mere college ki sabse khoobsurat ladki Sana Siddique… main chahe jitni koshish kar loon, jitna bhi apne dimag par jor dal loon.. main ye sach bilkul nahi badal sakta ki main Sana se bahut pyar karta hoon aur Deepak bhi…. shayad mujhse bhi jyada… jo main is waqt Deepak ki aankho me dekh sakta tha.

Kahne ko toh Deepak mera bahut khas dost tha aur wakayi me khas tha bhi, kyunki mere sare dosto me sirf wahi ek aisa tha jo haklata tha… main use aaj 8 saal baad dekh raha tha aur yadi main ya phhir wo…hum dono me se koyi ek bhi reunion me na aaya hota toh shayad hee humari mulaqat phhir kabhi ho pati… Reunion ke liye college pahuchte hee kayi dost mile, jinme se kuch mere khas the toh kuch aise hee faltu me friend list badhane wale… jinme se adhiktar ke main naam tak bhool bhi chuka tha par unse hath milate waqt aise react kar raha tha, jaise main yaha sirf aur sirf unhi ke liye aaya hua hoon…

Toh function shuru hua khud ko introduce karane se aur jo sabse pahle stage me gaya usne apna introduction kuch yun diya…

“Good evening, gentlemen and gentlewomen…myself Arman… main 8 saal pahle yaha se paas out hua aur jab main yaha se pass out hua toh mere hath me char job ke offer the…jisme se ek foreign company bhi thi aur pichhale 8 saal me main kaha se kaha pahucha, ye main tumhe nahi bataunga kyunki tumlog jealous feel karoge, tumhari bhavnaye hurt hongi…tumhari biwiya mujhse impress ho jayegi aur…chhodo bhi, par ye zaroor sochna ki 160 logo me se mujhe hee sabse pahle kyun khud ko introduce karne ke liye kyun bulaya gaya…? kuch meri tarah dhang ka kaam-dham karo be… Nallo…bye aur dil pe mat lena….muh me lena…The Name is AR-Man….Arrogant REPUTED MAN”

“he’s still too arrogant..”maine badbadya….

Toh is tarah function chalu hua…uske baad pure mehfil ne jo mahol bana us-se mujhe kafi khush hona chahiye tha, shirt utar kar langar dance karna chahiye tha… bhaka-bhak daru ki kayi botal khatm kar deni chahiye thi, apne college ki hot ladkiyo se flirting karni chahiye thi…stage me nanga nachna chahiye tha, par is samay mere dil-o-dimag ko do log jakde hue the jisme se ek thi Sana Siddaqui aur dusara tha Deepak… jo mujhse thodi door me akele khada tha, thik waise hee jaise wo farewell ke waqt tha…. par wo hamesha se aisa nahi tha, iski shuruat final year me us din se hui jis din Deepak bhagte-bhagte hostel me aaya aur hafte hue mujhse bola…


“Aaa..Aaaatul, confirm… I..i.. laa..laa…love her, i…i… love Ssssssana , use samne dekhkar hee mera chehra laal ho jata hai..mera dil aise dhaa…dhaa..dhadakne lagta hai,jaise pahle kabhi dha..dhadka hee na ho… main us-se bahut kuch kahna chahta hoon, par use dekhte hee itna ghabra jata hoon ki co..co..corridor me uske baju se nikalne tak ki himmat nahi hoti… upar se main thahra hakla, mujhe dar hai ki kahi main ghabrahat me pura I love you bhi bol paunga ya nahi ”

“maine pahle bhi kaha hai ki tu kyun uske peechhe pada hai… wo bahut high level ki bandi hai…tere se nahi pategi…”apne mobile me Sana ke messege ka reply karte hue maine kaha…

“pa…parr yar, main usssssse pyar karta hoon… tu toh dekhta hee hai ki ka..ka..kaise raat-raat bhar mujhe neend nahi aati…har raat main uske ba..ba..baare me sochta hoon… har raat ye sochta hoon ki wo kal kya pahan kar aayegi, kal kaise dikhegi au..au..aurr main kaun se kapde pahnu jis-se wo impress ho jaye… main sach kah raha hu, yadi wo mujhse ek baar haske baat bhi kar le toh bahut hai…mere liye wahi bahut hai… main janta hoon ki main uske layak nahi hoon, lekin kya karu din-raat dimag me wahi chhayi rahti hai, yaha tak ki sone ke baad bhi usi ka sa..sa..sa..sapna aata hai… kabhi-kabhi toh kha..kha…khaaaa….khaaaayal aata hai ki main kisi tarah coma me chale jaun aur sapne me uske sath rahu… yadi wo mujhe I love you bol de toh la engineering chhod du main…”

“tere se jo ho wo tu kar le…mere paas itna time nahi hai, waise bhi kal mera interview hai”maine Deepak se kaha aur mobile me good night messege likhkar Sana ko chipkaya aur sone chala gaya… par Deepak nahi soya, wo mujhe bahut der tak dekhta raha aur phhir light band karke khidki ke paas rakhi chair me baithkar Sana ke baare me sochte hue bahar dekhne laga aur main aisa kah sakta tha kyunki wo mera dost bhi tha aur room partner bhi…

Wo har raat yahi karta tha, wo aise hee apni har raat jagte hue khidki ke bahar dekhkar Sana ko sochane me bitaya karta tha…Deepak ka ye ektarfa pyar har din badhte hee ja raha tha… wo har kisi se , har waqt…. Class me, Canteen me, Lab me, library me yaha tak ki bathroom me nahate waqt bhi Sana ke baare haklate hue puchhta… jis-se aksar log uska mazak bhi udate the, par use is-se koyi fark nahi padta tha, ya wo Sana ke peechhe itna pagal tha ki use samajh hee nahi aata tha ki uske dost uska hee mazak uda rahe hai aur unke un dosto me main bhi ek tha…jo uska mazak udate the… Sana ke pyar me raat bhar jagne ke karan uski common sense bhi jawab deni lagi thi…wo class me aksar apna attendance dena bhool jata tha aur phhir beech me khada hokar teacher ko blame karta ki unhone uska name jaan-buchkar miss kar diya hai. kayi baar toh usne is matter par professors ke sath argument bhi ki…wo bhi hakla-hakla ke… jis-se puri class me uska hee mazak bana lekin Deepak nahi mana aur professor se ladta hee raha jis-se tang aakar professor ne use hod ke paas bhej diya…. Lunch me Deepak hod ke cabin me gaya, humlog bahar hee khade the par andar hod dwara Deepak ko jo fatkar mili thi use hum sabne suna… hod ne lagbhag ek ghante tak Deepak ko tochan diya aur phhir Deepak bahar aaya…

“Deepak, kya bola sir ne… tere chehra itna murjhaya hua kyun hai”

“chehra toh Sssssana ke pyar me murjhaya hai do..do..dost, baki hod ne kya kaha mujhe kuch samajh hee nahi aaaaiaaya…. Bas ek-do line bheje me ghusi jaise, main teri degree rok dunga.. khair chhod, ye bata Sssssana dikhi kya… ek ghante se nahi dekha use, last time jab de..de..kha tha tab class me wo koyi notes bana rahi thi aur uska pen ru..ru..ruk-ruk kar chal raha tha…jiski vazah se use kafi pareshani ho rahi thi…ye le mera pen deeee..dekar aa use…”

“tu khud kyun nahi de deta…use”

“pagal hai kya, us-se main itna ghaa..ghaa..ghabarata hoon ki uska name tak toh bina haklaye liya nahi jata, use pen kya dunga… usne mujhe thank you bola toh main ghabrahat me welcome bhi nahi kah paunga…tu de de… waise tune aaj dekha, class me wo peechhe mud-mud kar mujhe dekh rahi thi… lagta hai wo mujhe pasand karne lagi hai…tu..tu…tuuuuuujhe kya lagta hai….pategi…”

“pata nahi…”use dekhkar maine kaha…sach kahu toh mujhe dil se bura lag raha tha Deepak ke liye, lekin main use ye kaise batata ki Sana aaj class me use nahi balki mujhe dekh rahi thi…


Itne me pure mahol me taaliyo ki gunj ek baar phhir se uthi , ab mere batch ki ek behad hot ladki Apoorva khud ko introduce karane ke liye stage par gayi thi jo Bhabha Atomic and Research Center ke Reactor project me shamil thi…usne ekdum shaleen dhang se apne aur apne kaam ke baare me bataya aur jaisa ki usne bataya tha uske according wo next month Japan jaane wali thi…. iske baad koyi aur gaya aur ye kram aise hee aage badhta raha aur main phhir apne ateet me kho gaya… jaha mujhe Deepak ka pen Sana ko dena tha…

“Sana, tumhara Pen , mera matlab tumhare liye pen…tumhara pen nahi chal raha tha na…”muskurate hue uske sabhi friends ke beech jakar maine Sana ko pen diya..

“thank you, tumhe kaise pata chala…”apne gaal par dimple ka formation karke Sana puchhi…

“sixth sense…”collar upar chadhate hue maine jawab diya

“thank you again…bye…”

“bye…itni jaldi..”

“itni jaldi…? Toh kya mera notes likhkar jaoge…?”

“ok bye…”

Ye bolkar main waha se Deepak ke paas aaya, wo is samay itna khush ho raha tha, jaise Ssssssana ne…iski toh, main Deepak ki tarah kyun hakla raha hoon, ye sala Deepak ke sath rahne ka asar hai ya phhir main bhi Sana se pyar karne laga hoon….? Anyway, Deepak us samay itna khush hua tha jaise Sana ne uska pen nahi balki uska proposal accept kar liya ho…


Aaye din Raat bhar na sone ki vazah se Deepak ki kafi ajeeb-ajeeb harqate karne laga tha.. ab wo mushqil se pure din me sirf 2-3 ghante hee sota tha… usne cigarette bahut jyada peeni shuru kar di thi, itni jyada ki kabhi-kabhi subah mujhe cigarette ke 2-3 packet farsh par dikhte the aur jab main us-se cigarette band karni ki salah di toh wo bola….

“mai..main cigarette isliye nahi peeeeee….peeee…peeta kyunki mujhe iski talab hai…. main toh apne seene se Ssssana ki yaadon ko vaporize karke dhue ke roop me bahar fek raha hoon…exhaust process. pain rejection at constant love”

“toh tera dard kam hua…?”

“ssssala wahi dard oxygen ke roop me phhir se wapas aa jata hai…intake process”

Sssssana….sorry , Sana...Sana aur cigarette ke aalawa Deepak ko ek aur chiz ka shauk laga tha. wo aksar library se pata nahi kaun-kaun si kitaabe lakar padhta rahta tha…wo mujhe bhi aisa karne ki salah deta, lekin maine uski wo salah kabhi nahi li…wo aksar mujhe “frame of refrence” ke baare me bataya karta tha, tarah-tarah ke example diya karta tha… jisme do object aapas me badal jate hai.. jis-se main kabhi-kabhi itna bore aur frustrated ho jata ki main apne room tak nahi jata tha. is tarah ab Sana ki yaad aur cigarette ke aalawa wo purani kitaabe bhi Deepak ki virani raat ka sahara thi….. Deepak ki zindagi ab itni viraan ho chali thi ki wo ab raat-raat bhar jagkar purani files me se practicals copy karne laga tha….wo pahle apni files complete karta aur jab uski files complete ho jati toh wo class ke baki ladko ki files bhi maang-maang kar complete karne lagta… jis-se ek fayda Deepak ko ye hua ki uspar ab bahut hee kam log haste the…. Par main janta tha ki Ssssana ke karan uski halat din-ba-din bad se badtar hoti ja rahi thi… uska common sense toh ab bilkul bhi common nahi raha tha, wo kahi bhi kisi se bhi Sana ke baare me puch leta tha… yaha tak ki ek baar beech class me usne professor se puch liya… us samay toh hum logo ne kaise bhi karke baat ko ghuma-firakar use bacha liya… lekin wo yahi nahi ruka…

Deepak ne Sana ke bare me Professor se puch kar itni badi galti nahi ki thi, jitni ki usne ab kar di thi…. lunch me main Deepak ke sath Canteen me baitha tha aur aaj Sana college nahi aayi thi, jispar usne mujhse kayi baar puchha aur uske baar-baar sawal se tang aakar gusse me maine use kah diya ki Sana mar gayi… par problem ye nahi thi ki maine aisa kaha…problem ye thi ki us hakle ne is baat ko sach maan liya aur ab jab se maine Canteen me use “Sana mar gayi” kaha tha wo waha mauzood har kisi se yahi puchh raha tha ki “ Sana sach me mar gayi kya… uski body kaha hai...?”

Phhir wo hostel bhag gaya aur jab main hostel pahucha toh dekha ki Deepak room me neeche leta hua tha aur uske sar ke aas-paas khoon faila hua tha. wo khoon me apni ungali dubo-dubokar floor me Sana ka name likh raha tha…. uski is harqat ne mujhe andar se jhakjhod ke rakh diya ki ye sab meri galti hai…
na toh maine us din kuch kiya tha aur na hee main aaj kuch kar raha tha…. mujhe aisa nahi karna chahiye tha, par maine kiya aur pure dil se kiya…



isi beech taaliya ki gunj ek baar phhir se pure vatavaran me gunj uthi, abki baar ek aur shaks stage par gaya aur jaisa ki abhi tak sab apne-apne baare me bata rahe the usne bhi apne baare me batana shuru kiya aur khud ki taarif kar rahe in logo ki bakwas par jyada dhyan na dete hue maine khud se thodi door me khade Deepak ki taraf dekha… uska dhyan peechhe apne friends ke sath baithi Sana ki taraf tha, wo non-stop bina palak jhapkaye Sana ko dekhe ja raha tha…use aaj bhi Sana se bahut kuch kahna tha, jo use us din parking me kahna tha… wo us din bhi ghabra raha tha aur aaj bhi uski ghabrahat waisi hee thi aur main aisa kah sakta hoon kyunki us din parking me main bhi Deepak ke sath waha tha aur Deepak ki tarah main bhi Sana ke bahar aane ka badi besabri se intejaar kar raha tha…

main is waqt Deepak aur apne dosto ke sath parking me khada baat kar raha tha ki Sana apni friends ke sath college se bahar aayi aur bahar aate hee jab usne mujhe dekha toh apne saheliyo ke kaan me wo kuch boli jiske baad uski saheliya waha se haste hue wapas college ke andar chali gayi…. Darasal Sana ko maine hee kal raat messege karke college ke baad milne ke liye kaha tha aur usne meri baat maan li thi. ye first time tha jab main personally Sana se milne wala tha…waise toh main kayi baar us-se face to face baat kar chuka tha lekin ye mulaqat alag hee thi… main nahi chahta tha ki Deepak waha ho isliye maine indirectly kayi bar use hostel wapas jaane ke liye kaha, lekin wo nahi mana aur mujhse chipka raha. Sana ko akele garden me jate dekh maine apne dosto ko ishara kiya ki wo Deepak ko waha se le jaaye lekin Sana ko dekhne ke baad Deepak toh mujhse jaise chipak hee gaya tha aur phhir pata nahi us hakle me itni himmat kaha se aayi ki wo parking se garden ki taraf daud pada… Deepak ko aisa karte dekh mere body me blood circulation ki speed mano dugani ho gayi thi… mera pura shari tapne laga tha ki ye Sana se kya bolega.... par ye haal sirf mera nahi tha yahi haal Deepak ka bhi tha aur shayad Sana ka bhi…. Mujhe dar tha ki Deepak, Sana se I love you na bol de…warna kya karunga main, kya bolunga Sana se… sala hakla.

Par meri kismet achchhi thi. Deepak us din Sana se kuch bol hee nahi paya, wo Sana ke paas daud kar gaya toh tha lekin uske paas pahuchte hee uski jo halat hui use bayan karna thoda mushqil hai… kyunki Deepak ki Sana ke saamne wo halat dekh main hasne me itna mashgool tha ki uspar jyada dhyan hee nahi de paya… Deepak, Sana ke paas gaya toh bade josh me tha lekin ab wo pura paseena-paseena ho chuka tha aur ghabra toh aise raha tha jaise kisi ne uske kanpatti me gun taan rakhi ho… bedhange tarike se lambi-lambi saanse lekar apne mathe ka paseena pochhkar wo Sana ke paas kuch der tak khada raha….

“why the hell are you here, why are you scratching your breast…I mean chest…in front of me…”

“sssooorry, Sssssana…aaaa…iiiii”

“get lost, loser…”Sana ne chillakar kaha, jis-se Deepak wahi kanp utha aur rote hue hostel ki taraf aisa bhaga ki beech me kahi nahi ruka…. I repeat…rote hue….

“wo tumhara room partner hai ? hai na…”Deepak ke jaane ke baad main jab Sana ke paas pahucha toh pahla sawal mujhpar usne yahi daga

“haan, par ab main room change karne wala hoon, wo thoda psycho hai…”

“kisi ladki ke peechhe pagal hoga, waise wo yaha kyun aaya tha…”

“tumne uski friend request accept nahi ki toh udas hai bechara…”

“bas…itni si baat?”

“mat karna, satka hai thoda…tumhe bhi na satka de kahi. Anyway..”ek lambi saans bharkar main thodi der chup raha aur phhir achanak fatak se bola “I love you…”

“sorry.. kyaaa”apne dono hath hawa me phaila kar apni narazgi jahir karte hue Sana boli “isliye yaha bulaya tha..”

“common yar, ab tum ladkiyo wali harqat mat karo ki tum mere dost ho…main apne maa-baap ke khilaf nahi ja sakti, vagerah-vagerah aur rahi baat yaha bulane ki toh tumhe bhi pata hai ki maine tumhe yaha kyun bulaya par tum ab bhav kha rahi ho… tum hee batao ek ladka jo ki kafi khool, smart, dashing hai aur jo itne dino se college ki sabse khoobsurat ladki jise wo line mar raha hai, use yaha wo akele park me din-dahade kyun bulayega… candy-crush khelne…? tum ladkiyo pahle khud line dogi aur jab ladka line dene lagega toh bhav khane lagoge… jabran chhoti-chhoti baton me awww…awww karogi, roj jordar makeup karke aaogi aur phhir jab koyi bolega ki makeup ki ho toh use aisi dekhogi jaise jaise usne tumhara figure puchh liya ho.. ab tum itne din se mujhe college me, canteen me, lab me palat-palat kar dekh rahi ho ya nahi…? iska kya matlab nikalu main ki tum kya dekh rahi ho…humara paas toh breast bhi nahi hai, jo tum palat-palat ke dekh rahi thi. itne din se raat-raat bhar jagkar mujhse chatting kar rahi ho…raat ke do baje good night bolta hoon toh kahti ho ki…itti jaldi good night ? tum ladkiya sab jaanti ho aur sab samajhti bhi ho…lekin hum ladko ko khali fokat me pareshan karti ho. upar se….”

“…I love you too…”mere muh band karke Sana boli…

“sach me kaha ya mere kaan baje hai…”

“I love you too aur ek baat… tumne kaha ki main ladkiyo wali harqat na karu…? Kya matlab hai iska..? main ladki hoon toh ladkiyo wali harqat karungi hee na… tum kahna kya chahte the… tumne mujhe samajh kya rakha hai..jo itni der se sunaye ja rahe ho…ek baat samajh lo ki, wo…”

“I love you…”abki baar maine Sana ke muh par hath rakha thik usi tarah jaise thodi der pahle usne rakha tha…

“I love you too…”

“confirm…”

“hmm…”

“phhir se ladkiyo wali harqat…anyway, kiss kare?”


Idhar ek taraf mere aur Siddaqui ji ke pyar ne udan bhari wahi dusari taraf udasi aur gam ne Deepak ko jor se zameen par la patka… Sana meri Girlfriend hai, ye baat jab college me faili toh main ye expect kar raha tha ki Deepak mere paas aayega aur haklate hue mujhe dho..dho..dhokhebaaz, gad..gad..gaddar kahega… lekin usne aisa kuch bhi nahi kaha bas usne apna room change kar liya aur mujhse baat karni bilkul band kar di aur yahi main chahta tha… Deepak pahle lab me mera partner tha,par phhir teacher ko bolkar usne apna name hatwa liya tha…jiske baad Sana meri partner bani, wo hume jaha bhi sath dekhta…bas ghoorta rahta… pata nahi wo kya socha karta tha, par wo hume har waqt ghoorta rahta tha aur phhir wo waqt aaya jab hum college chhod rahe the… Main aur Sana kafi khush the ki is college ne hume ek-dusare se milaya, hum dono ka placement bhi ho chuka tha aur humne ye bhi decide kar liya tha ki apni aage ki zindagi hum sath me guzarenge… main sach me bahut khush tha, itna khush ki college chhodne ka mujhe zara bhi gam nahi tha… par us din subah-subah jab main hostel se bahar khade auto me apna saman rakh raha tha toh pata nahi Deepak bahar kaha se ghumte hue aaya aur uski nazar mujhpar padi… uske kapde puri tarah fate hue the, baal bikhre the… chehra aur aankhe puri laal thi. mujhe jata dekh wo thodi der ke liye ruka, mujhe dekha aur phhir bina kuch kahe andar chala gaya…


phhir wo din tha aur aaj ka din… main aur Sana khushi-khushi apna jeewan vyateet kar rahe the par dil me Deepak hamesha ek zakhm ki tarah raha… mera matlab, Sana kabhi jaan tak nahi payegi ki Deepak us-se kitna pyar karta hai… use toh shayad Deepak yaad bhi na ho… par Deepak ka ye ektarfa pyar ab mujhe aur himmat deta hai ki main Sana se aur pyar karu, jo chewing gum chabate hue is waqt apne friends ke sath peechhe baithi hui thi…. main apni jagah se utha aur Deepak ke paas gaya……………

Wait, par Deepak toh main tha…phhir main Deepak ke paas kaise ja sakta hoon, mujhe toh ye kahna chahiye ki main waha khada tha aur apni galti ka ahsaas hone par Atul mere paas aaya…confused ? well, do you remember the term, Frame of Reference…. Jisme object badal jate hai ? same concept… maine khud ko Atul ki jagah rakha aur ye sab sochta raha… as I said earlier…Sochne ko toh main kuch bhi soch loon aur koyi mujhe rok bhi nahi sakta lekin sach toh wahi rahega, jo hai…mere sochne-vicharne se sach nahi badal sakta …. Toh Sach yahi tha ki main Deepak tha aur wo main hee hoon jo logo se baat karte waqt haklata tha, wo main hee hoon jo raat-raat bhar Sana ki yaad me cigarette peekar apna dil jalaya karta tha, wo main hee hoon jo park me Sana ke hadkane par park se rote hue hostel bhaga tha… wo main hee tha jiske andar itni himmat nahi thi ki wo jis-se pyar karta hai use bata sake… ki… anyway, leave it

Toh Atul mere paas aaya aur mujhse hath milaya… humne ek-dusare se haal-chal puchha aur phhir Atul mujhse sorry bolne laga… ki usne thik nahi kiya, use aisa nahi karna chahiye tha. wo bahut bura insaan hai etc. etc.

“Atul.. relax.. sorry, but your sorry means nothing.. you can’t change the past neither can i. so… actually sawal ye nahi tha ki Sana kitni khoobsurat hai ya phhir uske chahne wale kitne hai… sawal ye tha ki kya main uske layak hoon…? Aur yadi nahi toh use paane ke liye mujhe kya karna chahiye tha…. aur afsos ki…. Khair, ek baat hamesha yaad rakhna ki koyi aisa bhi shaks tha jo Sana ko paane ke liye kuch bhi kar sakta tha… isliye, uska khayal rakhna.. ”

Aur tabhi mera naam announce hua aur main sabse Antartica me bataur scientist apne experience share karne stage ki taraf chal pada…
 
Last edited:

Mak

Recuérdame!
Divine
10,712
6,970
229
The Kiss of True Love
( By - Cute Angel )

“Nilasri ki is haalat ka zimmedar sirf mai hoon Rashmi... sirf mai...”

Raktim bas itna hi kah paya tha ki uske dil me jalti pashchyatap ki lapton ne use apni chapet me le liya... Rashmi ne aj pahli baar use apne ghutno par baitha huya paya... uski dard bhari cheekhon se sara kamra gunj raha tha... wo aese ro raha tha jaise kisine uske andaar haath daal kar uska kaleja nikal liya... aur usike samne jala diya hai...

Rashmi: Hum isme kuch nahi kar sakte Raktim... ye sab humare haath me nahi hota...

Raktim: Nahi... nahi... nahi Rashmi... ye sab... maine kiya hai... maine...

Jab Nilasri ko pahli baar jaundice hua... jab is bimari ke symptoms pahli baar dikhna shuru huye... mai use nurse ke saath chhod kar chala gaya...uska ak pal ke liye bhi khayal nahi rakha... mai janta hoon... wo meri rah dekhti hogi... par mai... in salon me mai bilkul waesa ban chuka hoon... jaese logon se mujhe sakht nafrat hua karti thi...

Rashmi: Ye sab tum kya kah rahe ho Raktim... saaf saaf batao...

Raktim: I... I was cheating on Nilasri... I became unfaithful to her...

Rashmi ke kano me ye baat padte hi uske ankhon se bhi do boond ansu chalak gaye... Rashmi Raktim aur Nilasri ko college ke samay se janti thi... use yaad hai wo din... jab Raktim ne bade hi filmy tarike se Nilasri se shaadi ki thi... Rashmi ne apne dil me Raktim ke liye saari feelings daba li... aur apni best friend Nilasri ki khushiyon me sharik ho gayi... par aj Raktim ki baat sun kar use aesa lag raha hai... jaese Raktim ne sirf Nilasri ko hi nahi... use bhi dhoka diya hai...

Raktim: Mai jaanta hoon Rashmi... is baat ko janne ke baad tum bhi mujhse nafrat karne lagogi... mai hoon hi isi kabil... isiliye to Nilasri mujhe chhod kar jaa rahi hai...

Raktim pagalon ki tarah badbadane laga... Nilasri se dur hone ka dar ab itna gahra jakhm chhod chuka tha ki usse ubhar pana Raktim ke liye namumkin sa tha... par Rashmi ke liye ye janna bhi zaroori tha... ki jo Raktim Nilasri se pagalon ki tarah mohobaat karta tha... wo akhir itna kyun badal gaya...

Din beet te jaa rahe they... Nilasri ke chemotherapy seasons bad se badtar hote jaa rahe they... Radiation ki wajah se hone wala dard uske liye sahna namumkin sa ho chuka tha... doctor ka kahna tha ki uski body kisi bhi treatment ka jawab nahi de rahi... uska sharir din ba din aur toot ta jaa raha hai... jab ki uske pahle check up ke baad ye pata chala tha ki uske poori tarah se thik hone ke chances 60% hai...

Nilasri depression aur mood swings se bhi guzar rahi thi... Use har chemotherapy ke baad diye jaane wali morphin ki lat lagti jaa rahi thi... sharir ke dard se jyada dil ka drad sahna din ba din uske liye mushkil hota jaa raha tha...Doctors ka manna tha ki agar use bachana hai... to pahle use is treatment ke liye mentally taiyaar karna hoga... usme jeene ki chah jagani hogi...

Rashmi: You have to meet her Raktim...

Raktim: Nahi... Rashmi... mujhse nahi hoga... mai nahi jaa sakta uske samne...

Rashmi ne than liya tha ki wo ab is baat ka koi hal to nikal kar hi rahegi... Raktim aur Nilasri ke beech jo bhi tha wahi Nilasri ke thik na hone ki wajah ban chuka tha...

Rashmi: Akhir kyun Raktim... how could you do this??? Tumhari biwi 3 chemotherapy sessions se guzar chuki hai... aur tum ho ki mooh chupaye fir rahe ho??? usse milna tak nahi chahte... itne beraham tum kaise ho sakte ho??? kaise use itne mushkil waqt me akela chhod sakte ho...

Wo kuch kahti nahi... par sara din cabin ke darwaze ko ghurti rahti hai... tumhara intezaar karti rahti hai... wo mar rahi hai Raktim... har din har pal mar rahi hai...

Raktim: To aur kya karu... kya karu mai??? use dekhte hi mujhe apne gunah yaad aa jate hai Rashmi... mai ak vaishi darinde ki tarah ak saal se uska sharir bhog raha hoon... par ye tak gaur nahi kiya ki uska sharir kaise kamjor pad raha hai... uske sharir ka lump... uske mood swings... wajan kam hona... sab kuch meri ankhon ke samne ghat ta raha... par mai... maine kisi darinde ki tarah use mauth ki taraf jane diya...

Apni aiyaashiyon me laga raha... meri kamai daulat ne mujhe kab ak janwar me badal diya... mujhe pata hi nahi chala... wo sab jaanti thi... ki mai kaise badal gaya hoon... fir bhi kuch nahi kaha... maine use aese treat kiya hai jaise wo is ghar me invisible ho... sirf tabhi mujhe uski yaad ati... jab mujhe sex ki jaroorat padti...

Rashmi ak tak Raktim ki our dekh rahi thi... Raktim thodi der pahle doctor ke cabin ke bahar khada Nilasri ki report ke baare me sab kuch sun chuka tha... use ye achi tarah pata tha ki agar Nilasri ko chemotherapy se koi faeda nahi hua to Raktim ko use hamesha hamesha ke liye khona hoga... par fir bhi Raktim uska samna karne ko taiyaar nahi tha...

Par ab Rashmi bhi Raktim ki nadaniyon se tilmila gayi thi...

Rashmi: Agar itne hi unfaithful ho to kyun ho ab bhi uske saath??? jao... chale jao use chhod kar... lag jao wapas apni aiyashiyon me... kyun kara rahe ho uski itni mahngi treatment??? kyun yaha apne kiye par pachta rahe ho Raktim???

Rashmi ke is sawal par Raktim bilkul shant pad gaya... deewar par tangi Nilasri ki taswer ko ghurte huye uske ankhon se fir se ansu bahne lage...

Raktim: Tumhe pata hai Rashmi... jab doctor ne mujhe pahli baar bataya ki Nilasri ko breast cancer hai... mujhe itne saalon me pahli baar ahsaas hua ki zindagi use mujhse kitna dur le jaa chuki hai... jis Nilasri ki ak haan ke liye mai deewano ki tarah use piche piche bhaagta tha... usi Nilasri ko shaadi ke bad bas ak jeeti huyi trophy ki tarah apni zindagi me saja liya maine...

Nila ko pata tha... wo bimar ho rahi hai... uske sharir ke changes kya use khud samajh nahi aa rahe the??? par usne kuch nahi bataya... shayad yahi saza wo mujhe dena chhahti thi...

Haan... hoon mai saza ke kabil... par Nila ko pal pal khud se dur jate nahi sah paunga...

Rashmi: Waah Raktim waah... tumne to kuch hone se pahle hi Nilasri ko mara hua samajh liya...

Raktim: Rashmmiiii....

Raktim ka haath Rashmi par utha gaya... par akhri palon me usne khud ko rok liya...

Rashmi: Tum Nila ko kabhi samjh hi nahi paye Raktim... tumhe kya lagta hai uski chuppi uski kamzori thi??? uski bimari tumhe saza dene ke liye hai??? huhhh... chhodo Raktim... mujhe nahi lagta tumhe kabhi Nila se pyar hua bhi tha...

Agar hua hota to samajh pate... ki wo sirf tumhare intezar me chhup thi... isliye chhup thi taki tum khud apni galtiyan realize kar sako... tumhe apni is bhaagti huyi modern life me... apni ayashiyon me kabhi na kabhi uski jaroorat... uski ahmiyaat maloom pade...

Uski bimari tumhare liye saza nahi Raktim... ak mauka hai... tum dono ke firse ak hone ka... ak baar apni taraf dekho Raktim... ak baar khud ko Nila ki ankhon se dekho... aj tum wahi insaan ho jise kabhi Nila ne apna banaya tha... kya tum ye nahi samajh paa rahe??? ki use is waqt sirf aur sirf tumhare pyar ki... tumhare saath ki zaroorat hai... usne aur manga bhi kya hai tumse kabhi iske ilawa???

Par ye jo tum kar rahe ho na... ye tumhare liye nahi balki uske liye saza banti jaa rahi hai... wo ab bhi tumhari raah dekh rahi hai... yahi to ak cheez hai jisne uski zindagi ki dor ko ab tak thame rakha hai... use aese khud se dur mat jane do Raktim... thaam lo uska haath... rok lo use... wo tumhari Nila hai... tumhari patni hai... tumne wada kiya hai usse... har haalat me uska haath thame rahne ka...

Aur aj jab wo apni zindagi ki sabse mushkil jung lad rahi hai... to use aese akela chhod rahe ho??? use koi wajah to do ladne ki... jeetne ki... please Raktim face her... she needs you... only you...

Rashmi ki kahi huyi baatein dil hi dil me Raktim bhi jaanta tha... par wo khud apne hi guilt se nahi ubhar paa raha tha... Nilasri se wada kiya tha usne ki wo use hamesha khush rakhega... par waqt ke saath wo wada kahi khho gaya...

Wo kafi der tak Nilasri ke cabin ke bahar tahalta raha... bahar khada aj saara waqt uski cheekhen sunta raha...morphin ke teesre injection ke baad bhi Nilasri ko chain nahi tha... Raktim janta tha... use is waqt andar jakar Nilasri ko sambhalna chahiye... par fir bhi uski andar jane ki himaat nahi huyi...

Kafi jaddo-jahad ke baad Nilasri ko neend aa gayi.. aj kayi mahino baad Raktim uske samne tha... uska murchaya hua chahra ankhon ke neeche kaale ghere... rediation ki wajah se uske saare baal jhar chuke they... fir bhi aj use ak nazar dekh kar Raktim ko jannat ka ahsaas hua... aj Raktim ko firse apni Nila se pyar ho gaya...

“Mai bohot bura hoon Nila... sabse bura... manta hoon mujhse kayi sari galtiyan huyi hai... par itni badi saza bhi mat do... mujhe aese akela chhod kar mat jao... mai janta hoon... tumne mera bohot intezar kiya hai... aur uske badle me maine tumhe hamesha taqleef hi di hai... par ab aur nahi... mera sara waqt... sara pyar... sirf tumhara... bas please mujhe chhod kar mat jaana...”

Raktim ne nashe me soti huyi Nila ko apni baahon me bhar liya... uske mathe ko uske gaalon ko uske hothon ko chhum liya... uske ansu aj uska kahna nahi maan rahe they... wo kafi der tak wahi baitha bachon ki tarah rota raha... use wo har pal yaad ane laga jin palon me use Nilasri se pyar hua tha...

“Wo din bhi to valentine's day tha... jisdin maine tumhe propose kiya tha... aur tumne mujhe hamesha ke liye apna bana liya tha... aj... aj bhi to valentine's day hai...”

Raktim ne gardan ghuma kar dekha to suraj apni roshni charon taraf bikher raha tha... raat ka andhera chat gaya tha... suraj ki mulayam kirne Nilasri ke galon ko chhum rahi thi... neend ki agosh me uska masoom sa chahra dekh Raktim uske mathe ko chhume bina nahi rah paya...

Subah ke karib 10 baje... kampti huyi palkon ke saath Nilasri ki neend khuli... adh khuli ankhon se usne dekha... koi admi uske kamre ki deewaron par kuch tang raha hai... kamzori ki wajah se use poori tarah hosh ane me kuch waqt laga... uska dard ab bhi suyi ki tarah chhubh raha tha... par charon taraf ka nazara use us chhubhan ko bhulne par majboor kar raha tha...

Wo hairani se bin palkein jhapkaye dekh rahi thi... uska poora kamra kisi jannat ki tarah sajaya gaya tha... uske pasandida laal gulab... hospital ki safed curtains ki jagah laal makhmali curtains... zameen par hazaron baloons bikhre pade they... aur khushboodaar mombattiyan poore kamre ko mahka rahi thi...

Nilasri ke thoda sa gaur karne par hi wo samajh gayi wo Raktim tha... jo ak deewar par kayi photos ko ak saath tang kar ak collage banane ki koshish kar raha tha... par in sab me uski koi khas ruchi nahi thi... isliye use in sab me kafi dikkat aa rahi thi...

Nilasri bade dhere dhere bistar se niche utri aur dheme kadmo se Raktim ke pass jakar khadi ho gayi... Raktim ke hath me unki shadi ki tasweer thi... jise wo kisi bhi tarah tang nahi paa raha tha... wo in sab me itna kho chuka tha ki use pass khadi Nilasri use dikhi hi nahi...

Nilasri ne apna hath age badhaya aur Raktim ka hath thamte huye use taswer lagane me madad karne lagi... Raktim bina palkein jhapkaye use hi dekh raha tha... dono ke galon me bahte ansu is taswer se judi unki yaadon ka mol bata rahi thi...

Raktim ka gala ab bhi dar se sukh raha tha... wo is waqt Nilasri se bohot kuch kahna chahta tha... par uski himmat jawab de rahi thi...

Raktim: Am... am sorry Nila... mai janta hoon.............

Nilasri ne apna hath uske hothon par rakh diya aur naa me sir hilaya...

Raktim: Nahi jaan... bolne do mujhe...

Raktim ne Nilasri ka hath pakad liya aur wahi apne ghutno par baith gaya...

Raktim: Mai janta hoon Nila... maine bohot sari galtiyan ki hai... galtiyan nahi gunah kiya hai... maine aj ke din hi tumse wada kiya tha... mai kabhi tumhe dukh nahi dunga... par pichle kuch salon me maine wo wada har din... har pal toda hai...

Mai janta hoon... mai tumse pyar nahi nibha paya... par tumne... har pal... har din mujhse apna pyar apna har wada nibhaya hai... use pyar ke khatir... aj mai tumse ak mauka chahta hoon jaan... bas ak mauka... aj mere pass kuch nahi hai tumhe dene ko... kudrat ne mujhe apne gunahon ki itni badi saza di hai ki mai apne ap ki nazron me hi gir gaya hoon...

Kudrat ka diya sabse bada taufa mere liye tum ho... aur maine uski kadar nahi ki... par jaan mera biswas karo... mai tumse bohot pyar karta hoon... aur is pyar ki kasam... mai tumhe khud se dur nahi jane dunga...

Bas ak baar mujhe maaf kar do... please...

Raktim ka gala bhar aya... wo age kuch kahne ki halat me nahi tha... Nilasri ak tak uski aur dekh rahi thi... Nilasri ne apna hath age badha kar Raktim ko khada kiya... aur uska sir niche lakar bade pyar se chhum liya...

Nilasri: Tumhe koi safai... koi daleel pesh karne ki koi zaroorat nahi... mai janti hoon... ki tum mujhse kitna pyar karte ho... aur isi pyar ka intezar karte huye maine pichle 2 saal guzare hai... jo bhi hua... jo bhi tumne kiya... wo ak nasha tha... jiske chalte tum mera pyar bhul gaye they... par mujhe ye bhi biswas tha... tum zaroor lautoge...

Jab mujhe pahli baar in sab cheezon ke bare me pata chala... maine tumse nafrat karne ki tumhe chhod kar jane ki jii jaan se koshish ki... par nahi kar payi... isi shaadi ki taswer ko dekhte huye mujhe laga... tumhari galtiyon ki wajah se mai tumhara pyar to nahi bhula sakti...

Shadi karte waqt maine wada kiya tha tumse... tumhe tumhare ache bure... tumhari har baat ke saath tumhe apnaungi... mai wo wada nahi tod payi jaan... nahi kabhi tod paungi... jab tak ye bimari meri jaan nahi le leti... tab tak mera har pal tumhe pyar karte huye bitega...

Raktim: Nahi... nahi... maine aj sab kuch kho kar tumhe firse paya hai... mai ab tumhe kuch nahi hone dunga... tum chali jaogi... to mera khayal kaun rakhega... mera tumhare ilawa aur kaun hai batao... tumhe pata hai na? Jab tak is duniya me humara kaam pura nahi ho jata... hum yaha se nahi jaa sakte... to bas... tumhara kaam bhi pura nahi hua hai... tumhe zindagi bhar mera khayal rakhna hoga... bas mai aur kuch nahi janta...

Raktim ki bachon jaisi baaton ne aur uski zid ne Nilasri ko muskurane par majboor kar diya... aj zindagi ne use firse is duniya me uski hone ki wajah wapas lauta di... jiske ird gird uski sari zindagi ghumti thi... jiski sason se uski duniya mahak ti thi... jise khud se bhi jyada chaha hai Nilasri ne... uski ankhon me aj wo pyar firse laut aya tha...

Raktim ab bhi ak hi sans me Nilasri se zid kiye jaa raha tha... aur Nilasri bhi use bade pyar se nihar rahi thi... achanak Nilasri ko kuch shararat sujhi... use laga ki ab Raktim ko chhup karana jaroori ho gaya hai... usne bina kuch kahe apne honth Raktim ke hothon se jod diye... aur uske gale me bahe daal di... kuch palon ke liye Raktim had bada gaya... par fir usne bhi Nilasri ko apne bahon me jakar liya... apne pyar ko hothon se jata kar un dono ne ak baar fir ak dusre ko apna bana liya... ak dusre ki agosh me unhone fir wo pyar dhund liya jo waqt ke samandar me kahi khho gaya tha!!!
 
Last edited:

Mak

Recuérdame!
Divine
10,712
6,970
229
That Broken Bridge
( By - Overlord )​


Saam ki dubta hua suraj apne khooni lal roushni se jaise ranga diya tha pure sahar ko, sahar ke durwali chod me ye purani station ko, or uske saath tudta, ladkhadata hua ye purani rail ki overbridge ko. Main apni teesh saal me pachash ka dikhnewala, thik isi overbridge ki tarha tuthta hua sarir ko apne thakta hua pair se khinchte hue kisi tarha overbridge ke sidi tak lake gehri sanse chodte hue baith gaye.

Ek ke baad ek train office time ke vir se khachakach bhare hue tezy se ye overbridge ke neech se gujar rahe the, or uske sath sath patjad ke mousam me ek akeli patte ki tarha ye overbridge kamp raha tha. Har ek pal mujhe lagraha tha ke ye toot jayega mere upar, or mere saath iska vi dukhbhari jeevan ka anth ho jayega, lekin hai.....sayad iske vi karmo ka fal pana abhi baaki hai, kisi tarha dhool ke andhi sahkar ye bridge firse khada ho jata tha agle train ke liye.

Aj se panch saal pehle vi naa iski halat aise thi, na mere. Abhi din me sirf do train rukhnewali ye halt station or ye overbridge kabhi hazaro pairo ke vir se chahel pahel bhari ek imprtant station hua kartithi. Subah saam hari, pili lal batti ki roushni or logon ki baton se gunjta hua ye station is sahar ki industrial area ke sabse najdigi station hua karta tha...or hazaro ke tadat me log apne rozi roti ke liye ye station istemaal karta tha.

Thik aaj ki tarha, tabbhi main ye overbridge ke, isi sidi me baith ke intezaar karta tha mere Teesta ki, aajj ke tarha ek thake hara insaan ki dhundli ankhe liye nehi, ek nabjuvak ke utsah bhari, swapno ke samundar me tairte hui gaehri ankhe liye intezaar karta tha chanchal pairo se piche se ek ke baad ek sidi langhti huyi, apne haton se chupke se mere ankh bandh karti huyi, mere jindegi ki sabse hasin toufa, mere Teesta ki.

“Bolo Koun?”

Apne sureli awaz ko bhadi bhadkam awaj ka rup dene ka ye kosis dekhke mere hansi rukhe na rukhti.

Lekin main samay leta tha jaan bujhke...main apni ankho pe uski komal ungli ka sparsh ka puri maza lete hue, ek ke baad ek doston ka naam lete hue khichne ke kosish karta tha us pal ko. Or jab, jane-unjane sab dosto ke naam khatam ho jata tha, tab main uski naam apne honthon se badi pyar se lete hue uss pal ka intezar karta tha, jab wo mere ankho se apni haat hatha legi, or main ankhe kholte hue apni najar ke saamne duniya ke sabse khubshoorat nazariya ka darshan karunga.....meri Teesta mere ankho ke samne apni hasti hui shakal leke mere taraf dekh rahi hai.

Hum dono jaante the, ke ye sirf ek bachkani khel hai, lekin mere yekin maniye aaplog, uss wakt isse jyada sach iss duniya me or kuch nehi tha. Hanste hanste khushi ke maare hum dono ke ankhon me paani bhar aata tha.

Apne rang jwala hua anchal se asson pochte hue Teesta mere taraf dekhke apni kadwahat bhari jawan se jaise chabook ke prahar karti hui cheekh utthi,

“ Or kitne din aise chalega? Kitne din main gadhe ki tarha majdoori karte karte aapke daaro ka kharach jugad karte rahungi?"

Main kuch na bola, Teesta ki kadwi baaton ne jaise mere ruh tak ko kadwa kar diya tha. Kal raat ka daaro ke nasha abhi utra vi nehi tha, lekin achanak mera gala firse sukhne laga.

“ Main bol rahi hu kitne din or? Kitne din aap noukri jaane ka gam ka dhong rachate rahenge? Sharma jee ko dekhiye, Patra jee ko dekhiye, wo log to aise daroo ke botol me dub nehi gaya noukri jaane ka baad, balki apni dam se lucknow jaake naya noukri dhund liya. Uss din Parta jee ke biwi ayi thi ghar bechne yaha, Kouna tak gahne se mudhi hui hai...or mujhe dekho, mangal sutra tak bechke apke daroo ke kharch jugad karne laga. Subha se saam tak kaam karta raho, usske baad ghar me aakar chulah foonkoh....ye jindegi bana diya hai aapne."

“ Kounsa majdoori ka kaam karti ho tum jo itne baaten shuna rahi ho? Do-char bachche hi to padhati ho..or ghar me aake din raat khitpit karti ho...isi me itna padhesaan ho jaati ho?”
Mujhse or bardast ne ho rahi thi Teesta ke ye baaten.

“Agar ye sab itna hi assan hai, to aap khud kiun nehi karte do-char tuition? Ghar me kuch paisa bhi ayega, or aapke ye din rat ka nashe me dooba rahna bhi kam hoga. Ha, ye baat alag hai ke apne bachche ke liye koun rakhkhega bewda master” Ghrina or slesh ke prahar se Teesta ki honth kamp rahi thi.

“ Achcha, to bachche padhane me itna pareshan ho jaati ho sham ko laltem leke line ke kinare khada kiun nehi ho jaati ho? Ek do bhule bhatke grahak mil vi sakta hai...ashani se paisa kamaneka isshe achcha rasta or kuch ho hi nehi sakta tere jaise ladki ke liye.” Main vi jang se kaha piche hatnewala tha.

“ Ha, soch rahi hu ki ab aisa hi karoo, kya pata, sayad kisi sachmooch ke mard ke sath mulaquat ho jaye, jo apne kamaya hua khate hai.”

Bardast ka bhi ek hadd hoti hai. Main bistar se uthkar mere ye tuta hua badan me jitne joor hai, sab ekatra karke Teesta ke kan ke neeche jor se mara. Wo chahti to mujhe rokh paati, lekin wo apne bachao karne ki koshis vi nehi kiya. Mere thappad khake wo dhadam se ek kone me jaake gidi, or woha hi pade pade fut fut kar rone lagi. Teesta ke taraf bina dekhe main almari se mutthi me kuch paisa leke ghar se nikal gaya.

Mere sath chalte chalte achanak Teesta mere kandhe ka jor se sahara le liya, or apne ek pair uthaye dusre ke sahare uchalne lag gayi. Main uski taraf dekha to uski safed galo me gulab ki pankhuri jaisa lal rang laga hua tha, kisi anjaan dard ki wajah se uske ankhe bhar ayi thi.

“Kya hua?” Main uski hat pakad ke use sahara deta hue sawal kiya.

“ Pata nehi, pair me kuch chugh raha hai.” Wo apne hat apne pair ke taraf le jaate hue kahi.

Main uski hath pakad ke jor se apne kandhe pe thama diya or turant raste me baith kar uski pair apne godime lekar us kante ko nikal ne ka kosish karne laga.
Teesta sharam se pani pani ho gayi...
” Kya kar rahe ho, chodo mere pair ko, log dekh raha hai.”

Factory ke whistle baj chuki thi, or log hum dono ke ajoo bajoo se tezi se factory ke taraf bhag raha tha. Kisi ke paas itna time nehi tha ke wo rukhke ek nadan ladka or ek kamsin ladki ko ek dusre ke taraf apne pyar ka izhaar karte hue dekhe. Teesta ke pair me kante to main kabka bahar nikal kar fake chukah tha, lekin firvi main uski pair apne haatme le kar malta raha, koi mere Teesta ko chot pouchaye, ye mere khwabo ke bhi upar tha. Main uski dard ko apne dil me utarte hue bola,

“Dekhne do logo ko, tumhe thodi si vi chot aa jaye, to ghao mere dilpe hoti hai”

Mere baat shunke Teesta khush to bahut hui thi, lekin usko jaheer na karte hue wo mere taraf dekhke boli,

“Kamse kam pair to chodiye, mujhe paap lagegah.”

“Paapi to wo kankar hai, jisne mere pyari Teesta ko chot pohuchai.”

“ Achcha jee, aap ko to khali bahana chahiye mujhe choone ka.”
Dupatta se apna hashi ko chupate hui Teesta chalawe ke gusse ke saath boli, lekin uski ankhose saaf wo hansi jhalak raha tha.

Waise, ye baat bhi sahi hai. Kabhi overbridge ke upar eksaath baithte hue agar mera ungli vi uski ungli se takra jaati thi, to mere badan pe jaise bizli ki jhatke ki ahesas hota tha. Mere roungte khade ho jata tha uski ek choti si sparsh se, mera ronya ronya Teesta ko choone ko bechayan tha.

Agar kisi din use dekhne ki, use choone ki, use aheshas karne ki mouka nehi milti to mujhe lagta tha ke jaise mujhe din bhar kisine khana nehi diya. Main pyar ka wo bhikhari tha, jishe apne Teesta ki pyar ka bund bund ke liye tarash ta tha, or sachmooch, usse choone ka ek mouka bhi main gawana nehi chahta tha.


Main or Teesta ek bistar me to the, lekin wo beech ka ek fut ka doori jaise milo ka rasta tha, na humne usse kam karneke koi koshis ki, na Teesta ne mere taraf kadam uthaya. Hum log duniya jaisi ek rail ki patri ki tarha ho gaya tha, jo ek sath chal to rahe the, lekin kabhi mil nehi paa rehe the. Sirf jism ki hi nehi, apne man ke duratwa ke karan hum log aise mokam pe aa gaye the, ke koyi rasta hi najar nehi aa rah tha. Lekin aise to nehi hona chahiye tha!! Achanak hum logo ke choti si sansaar ko kiski buri nazar lag gayi!!

Bahut din se andaza to lag raha tha, lekin jis din sachmooch factory ke samne jaa kar main ‘suspension of work’ ke notice dekha, tabhi bhi mere samajh me kuch nehi aa raha tha. Itna bada factory, itne log, itna bada sahar jo sirf iss factory ko kendrit karte hue chal raha tha, achanak bandh kaise ho sakta hai !! Ye bachcho ke khilouna thodehi hai ke jis din mann bhar gaya uss din fake diya !!

Kuch dino me main ek machine jaisa ban gaya, dusre worker ke sath naare bazi me saamil hona, rasta roko, rail roko, bhookh hartal karna, sab kuch to main karta tha, lekin bina kuch samjhe. Mere man me kahi na kahi biswas tha ke sab kuch thik ho jayega. Jab ek ek karke log sahar chodke dusre jagah majduri karne ke liye chale jane lage, jab kisi bhi pradarshan me bhid kam hone lage, jab reporters ke ye factory ke achnak bekar ho janewale majdooro ko lekar report nikalna bandh ho haya, jab ek ek karke sare dukandar apne dukane bandh karke dusre jagah chale jane lageh, tabhi bhi mujhe samajh kuch nehi aa raha tha. Jab kabhi ka ye important halt station se ruknewale train ek ek karke sawari na hone ke karan through kar diya gaya, jab kabhi ka ye hazaro pairo ke neeche rongte huye ye over bridge dinbhar ek admi ke aahat ke liye taras gaya, tabhi bhi mujhe yekin tha ke sab kuch thik ho jayega.

Jab ek ek karke bacha kucha jewar mere hatme thama kar Teesta mujhse minnate karte rahi ki dusre jagah jakar kaam dhundhne ke liye, tabhi bhi main uski ek nahi shuni. Ek aadmi sirf khoon maas haddi ke ek pinjra hi nehi hai, ek admi uski charo taraf ke abohaoa, mitti or hawah bhi hoti hai. Main bachpan se iss sahar ke alawa kuch nehi dekha, kuch nehi shuna. Main khud iss sahar ka ek hissa ban gaya tha, or jab ye sahar khud chikh chikh kar mujhe bolti rahi ke usse chod jane ko, to main apne naak-kan-ankh bandh karne ke liye daroo ka sahara le liya. Mujhe yekin tha, ke sab kuch thik ho jayega.


“Sab kuch thik ho jayega” Teesta ke roti hui sakal ko main aapne hato me lekar bola.

“ Kaise thik ho jayega? Wo ek bank ka manager hai, mere babuji to jarurat padneh par mujhe mousi ke ghar bhejke uha se hi saadi karwaga” Ankho me anjaane bhabisya ke daar le kar ro ro kar Teesta kah rahi thi.

“ Are pagal ladki, aisa kabhi ho sakta hai kya? Exam ka result aane do, mere baba ke dost Dubey uncle baba ke marne ke wakt hi unse wada kar diya tha ke mere job factory me pakka, or abhi to Dubey uncle to manager ban gaye hai, unke paas bahut power hai. Factory me noukri miltehi main tumse saadi kar lunga” Maine dilasa diya Teesta ko.


Or ye jhuta dilasa i nehi tha, mere as-pass ke sare ladke tab factory me hi kaam karta tha, factory ko hamesah naya aadmi ka jarurat padta tha, or wo log aju-baju ke aadmi ko hi 1st preference deta tha noukri ke liye, mere pass to Dubey uncle ka reference vi tha.

Mere baate shunke Teesta ki to jaise jaan me jaan aa gayi. Ankho se tapakta hua oose ke jaise ansoo the, lekin mere taraf muh utha kar dekha to uski ankhe khushi ke maare chamak raha tha, thik jaise sitambar ke mahine me dhup or barish ek sath asman me jhalakta hai.

“Sach bol rahe ho na? Main babuji ko jaa ke bol dungi abhi, or agar wo na mane, to main ladies hostel me rah lungi, lekin wo buddha manager se kabhi saadi nehi karungi.”

“ Achcha, buddha itna na-pasand hai? Tab main jab buddha ho jaunga, to mujhe vi pasand nehi karogi kya?”
Main Teesta ko chidhane ke mood me tha.

“ Aap to meri jaan ho, bhala aapne dil ki dhadkan ko koi kaise na pasand kar sakta hai? ”

Main Teesta ke taraf dekhte rah gaya, main uski hontho ko aapne hontho se milana chaha, Mahol vi tha, saam ka andhere me mouka vi tha, lekin tabhi ek gadi aa kar rookh gaya, or achanak station me chahal pahal jaise dus guna bad gaya.

Main apne ichcha ko man hi man me daba liya, or bina palke jhukaye Teesta ke taraf seedhi najar se dekhte hue kaha,

“ Chahe ye duniya ek taraf ho jaye, lekin koyi tumko mujhse judah nehi kar sakta hai, main ek pal bhi tumse bichad kar jeeneka soch bhi nehi sakta.”


“Hum logo ke bichar jana hi behtar hai, aise ghut ghut ke jeene se achcha hai ke hum log alag alag rahe”
Apne mathe se pasine ka bunde hathathi hui Teesta mujhse kaha.

Mere baat karneka mann ekdam nehi tha, lekin bistar me dusre taraf muh karte huye main bola,

“ Jaoyogee to kaha jayogee? Apne maa bap ke wo ek kamre ke flat me apne bhaiya bhabi ke noukrani banke, ya fir aaj tuition me koyi grahak mil gaya jo tumhe aapna rakheil banake rakhkhega?”

“ Ussse aap ko kya?? Jaha bhi rahoo, kam se kam iss narak se to chutkara mil hi jayega. Din var majdooro ke tarha kaam karo, fir ghar aake apne pati ke tane shuno. Or wo vi us pati ke, jo apne biwi ke kamaya huye paise se daroo pineke alawa apne bistar se uthta bhi nehi”
Aaj Teesta har mannewali nehi thi.

“ Or jab main din bhar majdoori karta tha to mere paise se khate huye tumko sharam nehi aata tha? Aaj do din main bekar kya baith gaya hu, aa gaye apne asli rang pe?? Ek bar factory khol jaane do, fir main dikha dunga tumhari asli oukat.”
Main bistar me sidha baith gaya. Aaj ye baat sahan nehi ho rahi thi, or main kisi na kisi bahane Teesta ko firse marke apna bhadash nikalna chahta tha.

Lekin aaj Teesta vi kisi or hi ladki ke roop le rahi thi. Ankhe lal lal karke wo mere taraf age bad ke ek nagin ki tarha fann uthaye mujhe dassneka kosis ki,

“ Kiun jhutha dilasha de rahe ho aapne aap ko? Aaj factory ke boundary me sign board bhi lag gaya, bada construction banegah uha, hazaro imarate banegah raison ke rahne ke liye. Or kitne jhut bologe ke lal party ke leader ne tumko yekin dilaya ke jaldhi factory firse khulegah? Or kitne din bahana banaoge apne kayarta ko chupane ke liye? Itne log mar jaate hai, tum kiun nehi marte? Pichle janam me main kya paap ki thi ke iss janam me tumhare jaise na-mard mere sarr pad baith gay?” Teesta khudko rokh nehi payi, uski ankho se pani nikal aya, thik jaise barish me fulti hui Teesta nadi Himalay ke paththar ko chakna chur karke nikal jata hai, ussi tarha Teesta ke ye baat mere mann ke ek ek taar ko tod raha tha. ‘Itne log mar jaate hai, tum kiun nehi marte?’ Teesta ke ye baat mere kano me gunjti rahi...main dheere se ghar se bahar nikal gaya.


Main soch raha tha ke jab apne ankho se Surana Construction ka sign board dekhunga, to main jarur wohi pad behosh ho jaunga. Lekin tab tak mera dil patthar ka ban chuka tha, mera ankhe sukh chuka tha.


Mujhe kuch na hua jab maine lal party ke party office me tala dekha. Mere bachpan ke sahar ka shunshan rasta dekha, mere jawani ka karmbhumi mere factory ke beijaan shav dekha, mere jindegi ka har ek sanse, mere Teesta, sab ek ek karke mujhe chod raha tha firvi main kuch kar nehi paa raha tha. Main kaha jaa raha tha, kya kar rah tha kuch samajh me nehi aa raha tha....main kaise mere hi tarha durdashagrast wo tuta hua overbridge tak pouch gaya, mujhe kuch yaad nehi.


Us broken bridge ke wohi sidi, jispar baith kar main hasin sapne ke jaal buna karta tha, aaj wohi jagah baith kar main ye soch raha tha, ke main kya sach me na mard hu, kya mujhe apne ye jillat bhari jindegi khatam karneka sahas vi hai ya fir nehi.


Main saam dhalne tak baitha raha, andhera ne mujhe or ye tuta overbridge ko gher liya, itna ke main khud ye broken bridge ka ek hissa banke rah gaya. Mere jaan to kab ka nikal gaya tha mere sharir se, bas khali ye jism ka reil ke patri me shulane ka intezaar tha.


Achanak piche se kisi ke halke pairo ke awaj shunke main piche modne ka kosis kiya, lekin isse pehle main kuch kar pata, mere ankhon ko kisi ne apni hato se bandh kar diya. Ek roti huyi awaz bol utthi,

“Bolo Koun?”

Kisi jamane ka wo nazukh si ungli aaj sansar ke chakki me pish kar lakdi jaise karkash ban gaye the, lekin aaj wo sparsh bhi mujhe kali ki tarha komal lagah.
Mere awaj bandh ho gaya tha, gale me ek ajib sa ahesas ho raha tha, jaise kuch atak gaya hai, main apne mann hi mann me Teesta ke naam pukara. Aaj bahut dino baad Teesta ko mere man ki baat shunai di.

“ Mujhe pata tha ke aap yehi miloge.Mujhe maaf kar do, please. Chalo ghar chalo.” Roti-bilapti hui Teesta mere haat pakadke apne taraf khinchte hue kaha.

“ Nehi, ab ghar nehi, ab chalo, kahi or chalo. Dubara shuru karte hai, nayi tarha se.” Main Teesta ko apne taraf khhech liya.


Mere sheene me sarr rakhke rote hue Teesta fut fut ke rone lagi. Main bhi ro raha tha, lekin ye samajh me nehi aa raha tha ke ye dukh ke ansoon hai, ya khushi ke. Main bahut kuch bol rah tha, lekin tabhi wo purani halt station main ek train aa kar rukkhi. Mere awaj sayad train ke awaj me dub gaya tha, lekin Teesta ko mere baat saaf saaf shunai de rahi thi, or Teesta ke sath sath mere dil ki baate shun raha tha ye sahar, ye station or wo broken bridge.


The Beginning
 
Last edited:

Assassin

Staff member
Moderator
4,493
3,987
159
:congrats: for new story Mak bhai :reading:
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Pagli Ladki

" Aap ab tak soye nahin.. Kab tak jaagoge.. "

" Bas darling.. thoda sa kaam bacha hai... Tum so jaao main thodi der or jagunga.. " Apni biwi ko pyaar bhari ek nazar dekh main wapas apni table ki or mud gaya..


___________________________________
______________________________
《《 2nd January 2012 》》
NH - 7, Itawa, Uttarpradesh


" Sir.. Sirr.. Aap thik to hain.."

" Haan main thik hun.. Wo bas thodi mitli si aa gayi.. "

Maine ek najar dubara us taraf modi jiski wajah se mujhe ulti ki ikshayein ho rahi thi.. par najrein aisi drishye ko dekhne se parhej kar rahi thi.. par un sab ke beech kuch aisa bhi tha.. jo baar baar mera dhyaan apni taraf khinch raha tha.. Badi pash-o-pash ke saath maine khud ka dhandhas badhaya uske sameep badh chala...

________________________________
___________________________
《《 27 May 2011 》》


" Maaiii... O.. Maaii... Dekh na ye sab hamka pagal kahte hain.. Aaj to Bapu ne bhi bola ki main pagal hun.. Kya sachi me main pagal hun.. or to or aaj se College jana bhi band kara diya Bapu ne.. Tu to inko kuchh kahti bhi nahi.. bas chup chap har baat maan leti ho.. Jao tohse ham baat nahi karenge aaj se... "

" Par maaii.. tohse na batiyayenge to kis se baat karein.. aur kono baat karne wala bhi to na hai.. Achha chalo thik hai... Na jayenge ham college.. Jaisa tum aur Bapu kahoge.. waise hi karenge.. "

___________________________________
_____________________________
《《 2nd June 2011 》》

" Maii... O... Maii.. aaj tohse hamka ek jarrori baat karni hai.. Dekh tu risiyaa mat jana.. aur maarne mat lagiyo hamka.. Pahle meri baat sun liyo.. Fir jaisa tu kahegi wahi karnenge..

Aaj na hamka wo Ravi hai na.. aree.. wo.. jo.. Mukhiya ji ke yaha kaam karta hai.. u na aaj hamko.. " I love you " bola.. Hamne usko saaf saaf bol diya pahle ham apni Maaii se puchhenge fir jawaab denge.. Hamka bhi wo pasand hai.. agar tu haan kahegi tabhi ham oh se haan kahenge.. waise bhi Bapu to aajkal bas Sharab peene mein hi rahte hain.. unhe to hamari chinta rahti nahi to hamare byaah ki kya chinta rahegi.. Ab to tujhe hi sab kuchh karna padega.."


" Bol na.. Maaii... hamahu haan kar de na.. Maan ja na Maii.. Maan ja na.. Achha koi na aaj nahi to kya 1-2 din me to tu maan hi jayegi.. ham bhi dekhat hain kab tak risiyaa ke baithat rahti ho.. "

___________________________________
_____________________________
《《 3rd January 2012 》》

" Sir ji...O.. Sir ji.. Kaha khoyein hue hain.."

" Aree.. Dinesh.. tum kab aaye.. Aao baitho.."

" Aree waah.. aise kiske khyaal mein khoye hain jo mere aane ki bhi sudhh nahi hai.."

" Abe tu apni bhabhi se pitwaega kya.. Bas kuchh kaam kar raha tha.. Tu suna.. yaha kaise.."

" Ab to sach me lagta hai aapko kuchh ho gaya hai..

" Ye lijiye aapki file jo aap ghar pe bhool aaye the or bhabhi ji ne ye kuchh khane ko bheja hai..

___________________________________
___________________________
《《 3rd August 2011 》》

" Maaiii...O...Maaii.. Maine tujhse kuchh chupaya hai.. par ab ghutan si ho rahi hai.. tujhse kuchh chhupa nahi sakti na sayad isliye.. wo kya hai na.. kal Main aur Ravi sahar gaye the ghumne.. Unhone hamka filam bhi dikhaya hall me... or aaj pahli baar kisi ne hame chuma bhi bada ajeeb mehshoos kiya maine.. Ishhh.. is se jyada nahi bataungi.. uff main bhi na tujhse kya kya bol deti hun.. Or haan.. ye Bapu ko tu samjha de.. Ab to 3-4 din tak ghar se gayab rahte hain.. aate hain to bas raat ko sone ke waqt wo bhi bahar wale dalan me so jaate hain.. or phir agli subah gayab.. "

___________________________________
_______________________
《《 3rd January 2012 》》

Dinesh file de kar ja chuka tha.. Maine use khola.. Kay saari reports aur kaagazon ke upar ek tasveer padi thi.. Wahi tasveer jo kal hi mujhe mili thi.. Ek gazab ka aakarshan tha us tasveer wali ladki mein.. Bade jatan se usne khud ko taiyaar kar ke khinchwayi hogi ye tasveer..

" Uske wo nain.. wo kaali julfein.. gore chehre ki laalima ko chunauti deti uski hoonthon ki laali.. Kapde bade sahej ke pahnaa tha.. sayad koi khaas mauke par khinchwayi thi ye tasveer.."

Kafi der tak us tasveer ko ghurte hue main us ki kalpana mein khoya pada tha.. maine yun hi tasveer ko wapas mej par rakha.. ki achanak meri najar tasveer ke us kone par gayi.. jise main tab se najarandaaz kar gaya tha..

" Bareily house of Photos & Printers. "

Waise to ye bas kisi dukaan ka naam tha.. par mere liye ye us tasveer ke rahshya se parda hatane ka ek matrr awsar.. Turant hi main daud pada apni gaadi ki or...

___________________________________
____________________________
《《 31 December 2011 》》

" Maaiii...O...Maaiii.. Dekh na.. main kaisi lag rahi hun.. Aaj Ravi ji ke saath ghumne jaana hai.. Naye saal ka jash manayenge.. Par jane kyun aaj mann bechain hai.. aur haan Bapu 4 roz se ghar na aaya hai.. main akeli akeli ubb gayi thi kal to hamne.. matlab maine or Ravi ne kal pura din apne bagiche mein bitaye.. Khub baatein ki... par jab unhone mujhe chhua to bada ajeeb sa laga.. jane kyun aisa laga.. jaisa ye galat hai.. Par wo hamse pyaar bhi to karte hain na.. Unka haq bhi to hai.. Pata nahi aaj ka hoga.. par ham unko saaf saaf kah denge.. ye sab Shaadi ke baad hi chalega.. Maaii.. ye sab thk to ho raha hai na.. kuchh galat to nahi.. Tu to kuchh bolti bhi to na hai.. Ja mat bol.. ab ham hu bada ho gail hain.. Tu na bolegi to ka hua.. jaise apna pet ham paal rahe hain na khud hi.. waise ho apna biyaah bhi ham khud hi kar lenge.. Ravi bahut achha hai... " Ham ohka tohra baare me bataye the ki shaadi ke baad tu bhi hamre saath hi rahegi.. pahle to wo hasne lage.. fir bole main jo kahungi wahi kaenge.. Bas kuchh din baad tu bhi hamre sasural me rahegi.. Mainn to bahut khus hun.. Achha chal hamka jaye la hai.. Aaj naya saal ka jashn manye la hai.. pahila baar hai jab ham naya saal manawat hain.. warna tu or Bapu to rukhe sukhe hi har din kaat dete ho sab... Chal ham baad me batiyaeb tohse.. Ham jaat hain...."

___________________________________
__________________________
《《 4th January 2012 》》
Bareily Town,

Badi jad-o-jahad ke baad or Bariely ke Police ki madad se mujhe akhir kaar wo dukan mil hi gayi.. Puchh taach aur chhan-bin se pata chal ki ye 31 December 2011 ko khinchi gayi thi.. Aksar sabhi photos wale computer me ek copy rakh lete hain date wise.. Jis wajah se sahi tarikh ka aur ye bhi pata chal gaya ki Photo khinchwane wala kon tha..

Mere maathe ki sikan ab or badhne lagi thi.. Jis aashanka ne mujhe grasit kar rakha tha.. jane kyun ab wo sach sa pratit ho raha tha.. Par is sikan ne ek aakrosh bhi bhar diya tha mere bhitar..

___________________________________
__________________________
《《 15th February 2012 》》

Ye yatarth hai.. Ji haan ye koi kahani nahi... ye mera jeevan Anubhav hai..

Naye saal ki dusri tareekh.. meri Duty join karne ka din..

Bada unmaad me tha mein.. pahli naukri.. Training ke duauraan ka josh.. Sabhi tarah se labreej.. Maa or Baba ke aashirvaad ke saath main Apne Sahar Delhi se durr yaha Itawa mein joining karne aaya tha... Par is naukri se pahla anubhav hi aisa milega iski ummid nahi thi..

Sadak par truck or baki pariwahan se kuchli hui us laash ko dekh mujhe mitli si aa gayi.. par us diary ne mera dhyaan khinch liya.. Jiske bas kuchh panne hi sesh rah gaye the.. or bas ek tasveer jo un panno ke saath hi khoon se rangi hui thi..

___________
___________

Par Aaj bada sukun sa hai mere bhitar.. Par ye kis wajah se hai ye meri bhi samajh me na aa raha.. Apni Police ki naukri ka pahla case solve karne ki khusi ya fir us tasveer ke saath nyaay karne ki khusi.. jis par ab bhi khoon ki boondon ke nishaan lage hue hain.. lekin parinaam to dono ka ek hi hua na.. Apna pahla case solve kar ke hi to ye nyaay dilwa paya main us diary ke pannon me simti Swati ki pukaar ko..

Jisne apni har pukaar me Apni maa se guhaar lagayi thi.. us maa se jo use uske baalpan mein hi chhor ke chali gayi thi.. or Baap ke saaye ka abhaav ne use or uski Maa ki yaadon ko bas un chand pannon me samet diya tha..

__________
__________

Abhi kuchh ghante pahle.. wo Ravi meri aankhon ke saamne tha.. jisne khud mein simti Swati ka bas ek sharir ke roop me istamal kiya tha.. na sirf khud ke liye balki apne un aawara Dostoon ke saath mil kar Pyaar ke rishte ko matmaila kar diya..

Ek or Swati thi jo us se jaane kya kya ummid lagaye baithi thi.. Kya dosh tha us bechari ka.. jisne apni bhaavnayein un chand pannon or apne pyaar ke saath baanti thi.. Par pyaar ne kya diya use.. Sadak ke kinare aati jaati gaadiyon ke pahiye se kuchal kar maut ke siwa..

Ek ghrina se maine us Ravi or uske un dostoon ko dekha aur ghasit kar Police Van me baithaya.. Is ummid ke saath ki jis nyaaypalika ke prangan mein inhe le ja raha hun.. waha us Sadak ke kinare dam tod dene wali us ladki ke saath nyaay jaroor hoga..

___________________________________
________________________​

Apni Diary ke panno par maine un khoon ke dhabbe se sane pannon aur us tasveer ko staple kar ek najar apni is 1 mahine ki nayi naukri par hue pure ghatna kram par daali.. aur saath hi ek najar us tasveer par bhi daali.. jis par ab bhi ek muskaan khili thi.. par ab ye muskaan inhi pannon me simat ke rahne wali thi..

Diary ko apne bed ke paas ki table par rakh ek najar aasman ki or dekha.. Ab waqt ho chala tha ek chain ki nind ke aagosh me dubne ka..

____________________________________________________________
_____________________________________
_____________________​
Lovely story mak bhai ,
:congrats: For new thread .
 

The Immortal

Live Life In Process.
Staff member
Sr. Moderator
57,994
42,932
354
Thodi si Bewafai
(By - Romeo 22)


“Anupam ” kandhe par narm hatho ki chhuwan ke saath kano me padi us madhur si aawaz ko aaj 30 saal baad bhi mai ek baar me pahchan gaya tha……jhat se aankh khul gayi..kahi mai sapna to nhi dekh rha…Naina..!!!

Koi sapna nhi…!!...aaj to nhi…Ye Naina hi hai..!

Laakh kosis karta mai khud par kaabu pane ki,aansu nhi maane…mere kamjor haatho me kapkapahaat hone lagi…sukhe hoth fadafadaa uthe…bahut kuchh kahanaa chah rhe the…30 saal !!!..30 saal bahut waqt hota hai…..Mai khus tha…...bahut khus….lekin ek tees uth rhi thi seene me……itni der kyu kar di tumne aane me..?


Mai dekh to rha hu naina ki or,lekin mera jahan mere ateet ki or bhatakta jaa rha hai…khud ko majboot karke ek najar fir us par daali…gaalo par jhurriyan to uske bhi aa gayi hain,lekin mere jeetni nhi…baal to kaafi safed ho gaye hain……. shawl me khud ko lapete huye , kitni kamjor ho gayi hai… ……wo hotho ke niche ka kala til aaj bhi ek wafadar sipahi ke jaisa whi khada hai…mai bhi kitna ajeeb hu…abhi to maut ke muh se bach kar aaya hu, aur Naina ko dekhte hi ek baar fir mere andar ka wo 30 saal pahle wala Romeo jinda ho gaya…kitna majboor hota hai ye ishq !!!

Naina bhi kuchh nhi bol rhi…chhupa to rhi hai wo,par mujhse kabhi chhupa payi hai kya..pata hai mujhe , ro rhi hai wo..pagal..!!..

“papa,mai jara bahar si aati hu ek important call karke…” meri 21 saal ki beti Ritu ne bas itna hi kaha aur ward se bahar nikal gayi..

Aajkal ke bachche bhi bade samjhdaar hain…...meri beti ko bhi pata hai ki papa ki ex girlfriend milne aayi hain…to mujhe meri ex gf ke saath akela chhodkar bahar chali gayi…thank you beta,vaise iski jarurat nhi thi..

Maine Naina ki taraf dekha,

“kaisi ho”

“vaisi hi ,jaisi tum chhodkar gaye the…”

“30 saal ho gaye,ab to ye iljaam wapas le lo….mai kab gaya tumhe chhodakr…”

“lage rahne do is iljaam ko tumpar,kyuki khud par iljaam lagakar mai jee nhi paati…isliye hmesa Bewafa tumhe kahti rahi..” Naina ne aankhe band kar li.

“tum bilkul nhi badli,aaj bhi vaisi hi uljhi uljhi baaten karti ho…”

“badle to tum bhi nhi, aaj bhi meri baten nhi samajh paate….”

Hum dono hi chup hain,apne un puraane dino ko yaad kar rha hu mai,shayad Naina bhi yhi kar rhi hai….

Wo pahlaa din jab maine Naina ko dekha tha…jaise kal ki hi baat lgati hai…30 saal ho gaye jis baat ko..:-



30 years Ago

“Bhaiya,wo laal wali dikhana…”meri chudiyon ki dukaan par college ki ladkiyon ki bheed roj ke jaise hi lagi thi,….aur in ladkiyon ki sabse buri aadat hoti hai Bhaiya bolne ki…jo mujhe bilkul nhi pasand thi.

Khair,maine chudiyyon ka wo dibba bhi uthakar saamne rakh diya…dekhti pachaas hain,lengi ek bhi nhi….hunh…main apne man me hi badabaya..

“Naina tu bhi le le..” kisi ek ladki ne kaha,aur fir peeli se suit me jb wo Naina saamne aayi, to bhaiya hamare naina to un Naina par hi thahar gaye….aajtak hum us najare ko bhool nhi paaye…

“nhi nhi….fir kisi din…chlo jaldi Bua intjaar kar rhi hongi…”uljhe uljhe wo bol rhi thi aur hum unke laal laal hothe ko dekhe jaa rhe the…

“le lijye…aapke gore hatho me ye laal wali badi achchhi lagengi…” main use dekhta hi raha aur sasuri jubaan fisal gayi aur pata nhi kaise bagal wala laal chudi ka dibba uthkar saamne rakh bhi diya…

Saari ladkiyon chudiyon ko chhod mujhe dekhne lagi…mai bada seedha sadha shareef tha,ye bhi ek vajah thi ki college ki ladkiyaan meri dukaan pe jyada aati thi…ye kisi ladki ke saath meri pahli himaakat thi.

Kuchh der tak sab shaant mujhe dekhti rahi fir eka ek sabke thahaake foot pade…

“le…le Naina…...pahli baar Anupam bhaiya kisii ladki ko khud se chudiyaan de rhe hain…Kya baat hai Naina…” ek ne kaha

“le bhi le..Nhi to Anupam bhaiya ka dil toot jaayega..” dusri kab pichhe rahti.

Wo ladkiyan mere maje le rhe the aur peele suit me laal gulaab ke jaise khili khili wo mujhe ghoore jaa rhi thi…aur hamne to bhaiya jo ek baar sar jhukaya to kya majaal fir sar upar uth jaaye…2-4 dibbe pasand kiye un logo ne aur paise dekhar chalti bani…….majaal kya jo hum sar uthakar dubara dekh le…haan jaate jaate Wo peele suit wali madam jee hamko lofar jarur bolte gayin thi.chalo kuchh boli to hamare liye...

Khair,pahli baar zindagi me hmne gustakhi ki…...Ab har roj sham ke 4 bajne ka intjaar karte hum….college ki chhutti hoti aur 4 baje tak hi ladkiyo ka wo jhund hmari dukaan ke saamne se gujarata…hum isi intjaar me rahte ki aaj ek najar dekh le shayad…hum roj dekhte to kabhi kabhi unka karam bhi ho jata…wo aur baat hai ki dekhti bade ghoor kar thin.


Khairdheere dheere hamari mehnat rang laayi…..pahale hmare dekhne par jo nagwari chehre par aati thi wo jaati rahi aur fir us nagwari ki jagah ek halki si muskurahat ne li….…ek vajah shayad ye bhi thi ki hmne kabhi unhe peechha karke paresan karne ki kosis nhi ki aur na hi kabhi koi bhadda comment kiya..baaki hmari image aur ladkiyon ke bcih ekdam saaf suthari thi…to thoda fayda uska bhi mila shayad..hmari dekhi dekha wali kahani chal nikali

Aur fir wo din bhi aaya jab Naina jee pahli baar hmari dukaan par akeli aayin…

Aaj uske sath koi aur ladki nhi thi…hum to jaise aasman me ud rhe the…


“aap??..aaj to is dukaan ki kismat khul gayi…” samjh me nhi aa rha tha kya kahu…

“hihihi…..aur aapki…?”hum to unki hansi me hi khoye the ki unhone puchh liya..

“are hamri to zindagi safal ho gayi…”

“achchha…..aur kitni ladkiyon ko kah chuke ho aisa…”

“Bhagwaan kasam,aap pahli ho…”hmne tapaak se bajrang bali ki kasam kha li.

“hihihi…sach me..?…”


“haan ekdam sach me…”

“hmmm..thik hai maan lete hain…vaise aapke paas kuchh naye design ki chudiyaan hain kya…hmko na shadi me jaana hai…to isliye hme nayi chudiyaan leni hain….”

“are poori dukaan aapki hi hai…aur ..”

“aur??”

“kuchh nhi…ye dekhiye…” himmat nhi padi ye kahne ki “hum bhi aapke hi hain”..khair,fir kabhi…..yhi sochkar dil ko samjhaa liya.


Ek saath kayi saari chudiyan hmne uthakar rakh di saamne…wo un sabko baari baari se uthakar dekhti rahi…

“kaun si loon..?”

“koi si bhi le lijiye…aap par to sab achchhi lagengi…”

“…achchh jee…fir bhi batao…”

“ye laal wali le lijiye, abhi ekdam nayi aayi hai…”

“haan achchhi to hai…thik hai ye de dijiye..kitne ki hai…”

“are !! thode na hum aapse paise lenge,itne bhi gair nhi hain..” maine baaki ki chudi ko alag rakhte huye kaha…aur ek chudi uthakar apne jhole me daal li…

“aapne wo chudi alag kyu rakhi…aur paise kyu nhi lenge…”
“ye aap hamari or se rakh lijiye…aur ye alag isliye rakhi hai kyuki…”

“kyuki…???..bataiye…”

“isliyye kyuki aapne chhua hai….aapki yaad ke taur par rakh lenge….aur kya pata kismat…”mai fir se ruk gaya kuchh kahte kahte…

“kya kismat….”

“jaane dijiye agar kismat huyi to ye kismat wali baat bhi bata denge aapko…”maine thodi himmat karke itna kah diya.

Aankho hi aankho me wo baaten ho rhi thi jo hont nhi kah sake….ishq ka ijhaar aur ikarar bhi ho rha tha…us din ke baad ek do baar wo dukaan par aur akele aayi aur fir hum kabhi kabhi milne lage…mai apni dukaan band karta aur wo apni class bunk karti.


Hum dono apni aane wali Zindagi ke haseen sapne bhi bunne lage….wo apne bua ke ghar rahkar padhayi kar rhi thi…yha college paas tha isliye…..muhabbat to ho gayi thi ,anjaam sochkar dar lagne laga tha…hamare samaaj me hamre rishta ko koi maan’ne waala nhi tha……wo hmse unche caste ki thi, haisiyat bhi kuchh nhi thi hamari….lekin Ishq kaun sa ye sab sochkar hota hai….

wo aksar kahti thi hum dono kahi bhag jaayenge…lekin mai poore man se kabhi haan nhi kah paata…

Aur fir ekdin Naina chali gayi…..us time me itna phone nhi tha…P.C.O the aur bade gharon me landline phone…jaate jaate Naina ne mere liye sandesha bhijawaya tha…

“Anupam,papa ko attack aaya hai….chacha jee aayen hain….mai jaa rhi hu…jaldi aaungi…ye pados wali aunty ke ghar ka number hai jo Mnju ke haath bhej rhi hun….…agar mujhe jyada rukna pada to Manju se phone karwana…..mujhe bulwa lena fir hum baat kar lenge….. papa ke thik hote hi aa jaungi…mujhe bhool mat jana..Love you…”

Wo chhota sa khat hi tha jo mere liye diye tha Naina ne….wahi paas rah gaya tha..Meri aankh se aansu niklae aur us khat ko bhigote chale gaye…mujhe aisa lag rha tha ki Naina mujhse door ho gayi… ab kabhi wo mujhe nhi milne wali

“kya soch rhe ho…” Naina ne mere kandhe par haath rakha aur mai soch ke bhanwar se bahar aa gaya…

“bahut der kar di tumne aane me…….” Mere muh se wo shikwa nikla jo un 30 saalo me jaane kitni baar Naina se kiya tha maine….

“tum bhi to nhi aaye…….” Naina ne meri aankho me dekhte huye kaha…….

“kaha aata…..bolo”

Naina chup ho gayi…shayad koi jawab nhi tha uske paas…yhi lag rha tha mujhe…

“tum nhi jaante Anupam…meri jidagi itnai bhi aasan nhi thi…” Naina ke galo ki jhurriyon par do boond aansu ludhak gaye…mai use dekhta raha……

“to ab kyu aayi……” mere lahje me talkhi aa gayi…

“…apni us thodi si Bewafayi ka hisaab dene…”usne kaha

Maine Naina ki or dekha... milon ka safar aur sadiyon ki udasi simat aayi thi chehre par…


....Contd.......
Too good Romeo 22 :bow: .
 

mohit98075

Well-Known Member
3,234
1,788
159
Pagli Ladki

" Aap ab tak soye nahin.. Kab tak jaagoge.. "

" Bas darling.. thoda sa kaam bacha hai... Tum so jaao main thodi der or jagunga.. " Apni biwi ko pyaar bhari ek nazar dekh main wapas apni table ki or mud gaya..


___________________________________
______________________________
《《 2nd January 2012 》》
NH - 7, Itawa, Uttarpradesh


" Sir.. Sirr.. Aap thik to hain.."

" Haan main thik hun.. Wo bas thodi mitli si aa gayi.. "

Maine ek najar dubara us taraf modi jiski wajah se mujhe ulti ki ikshayein ho rahi thi.. par najrein aisi drishye ko dekhne se parhej kar rahi thi.. par un sab ke beech kuch aisa bhi tha.. jo baar baar mera dhyaan apni taraf khinch raha tha.. Badi pash-o-pash ke saath maine khud ka dhandhas badhaya uske sameep badh chala...

________________________________
___________________________
《《 27 May 2011 》》


" Maaiii... O.. Maaii... Dekh na ye sab hamka pagal kahte hain.. Aaj to Bapu ne bhi bola ki main pagal hun.. Kya sachi me main pagal hun.. or to or aaj se College jana bhi band kara diya Bapu ne.. Tu to inko kuchh kahti bhi nahi.. bas chup chap har baat maan leti ho.. Jao tohse ham baat nahi karenge aaj se... "

" Par maaii.. tohse na batiyayenge to kis se baat karein.. aur kono baat karne wala bhi to na hai.. Achha chalo thik hai... Na jayenge ham college.. Jaisa tum aur Bapu kahoge.. waise hi karenge.. "

___________________________________
_____________________________
《《 2nd June 2011 》》

" Maii... O... Maii.. aaj tohse hamka ek jarrori baat karni hai.. Dekh tu risiyaa mat jana.. aur maarne mat lagiyo hamka.. Pahle meri baat sun liyo.. Fir jaisa tu kahegi wahi karnenge..

Aaj na hamka wo Ravi hai na.. aree.. wo.. jo.. Mukhiya ji ke yaha kaam karta hai.. u na aaj hamko.. " I love you " bola.. Hamne usko saaf saaf bol diya pahle ham apni Maaii se puchhenge fir jawaab denge.. Hamka bhi wo pasand hai.. agar tu haan kahegi tabhi ham oh se haan kahenge.. waise bhi Bapu to aajkal bas Sharab peene mein hi rahte hain.. unhe to hamari chinta rahti nahi to hamare byaah ki kya chinta rahegi.. Ab to tujhe hi sab kuchh karna padega.."


" Bol na.. Maaii... hamahu haan kar de na.. Maan ja na Maii.. Maan ja na.. Achha koi na aaj nahi to kya 1-2 din me to tu maan hi jayegi.. ham bhi dekhat hain kab tak risiyaa ke baithat rahti ho.. "

___________________________________
_____________________________
《《 3rd January 2012 》》

" Sir ji...O.. Sir ji.. Kaha khoyein hue hain.."

" Aree.. Dinesh.. tum kab aaye.. Aao baitho.."

" Aree waah.. aise kiske khyaal mein khoye hain jo mere aane ki bhi sudhh nahi hai.."

" Abe tu apni bhabhi se pitwaega kya.. Bas kuchh kaam kar raha tha.. Tu suna.. yaha kaise.."

" Ab to sach me lagta hai aapko kuchh ho gaya hai..

" Ye lijiye aapki file jo aap ghar pe bhool aaye the or bhabhi ji ne ye kuchh khane ko bheja hai..

___________________________________
___________________________
《《 3rd August 2011 》》

" Maaiii...O...Maaii.. Maine tujhse kuchh chupaya hai.. par ab ghutan si ho rahi hai.. tujhse kuchh chhupa nahi sakti na sayad isliye.. wo kya hai na.. kal Main aur Ravi sahar gaye the ghumne.. Unhone hamka filam bhi dikhaya hall me... or aaj pahli baar kisi ne hame chuma bhi bada ajeeb mehshoos kiya maine.. Ishhh.. is se jyada nahi bataungi.. uff main bhi na tujhse kya kya bol deti hun.. Or haan.. ye Bapu ko tu samjha de.. Ab to 3-4 din tak ghar se gayab rahte hain.. aate hain to bas raat ko sone ke waqt wo bhi bahar wale dalan me so jaate hain.. or phir agli subah gayab.. "

___________________________________
_______________________
《《 3rd January 2012 》》

Dinesh file de kar ja chuka tha.. Maine use khola.. Kay saari reports aur kaagazon ke upar ek tasveer padi thi.. Wahi tasveer jo kal hi mujhe mili thi.. Ek gazab ka aakarshan tha us tasveer wali ladki mein.. Bade jatan se usne khud ko taiyaar kar ke khinchwayi hogi ye tasveer..

" Uske wo nain.. wo kaali julfein.. gore chehre ki laalima ko chunauti deti uski hoonthon ki laali.. Kapde bade sahej ke pahnaa tha.. sayad koi khaas mauke par khinchwayi thi ye tasveer.."

Kafi der tak us tasveer ko ghurte hue main us ki kalpana mein khoya pada tha.. maine yun hi tasveer ko wapas mej par rakha.. ki achanak meri najar tasveer ke us kone par gayi.. jise main tab se najarandaaz kar gaya tha..

" Bareily house of Photos & Printers. "

Waise to ye bas kisi dukaan ka naam tha.. par mere liye ye us tasveer ke rahshya se parda hatane ka ek matrr awsar.. Turant hi main daud pada apni gaadi ki or...

___________________________________
____________________________
《《 31 December 2011 》》

" Maaiii...O...Maaiii.. Dekh na.. main kaisi lag rahi hun.. Aaj Ravi ji ke saath ghumne jaana hai.. Naye saal ka jash manayenge.. Par jane kyun aaj mann bechain hai.. aur haan Bapu 4 roz se ghar na aaya hai.. main akeli akeli ubb gayi thi kal to hamne.. matlab maine or Ravi ne kal pura din apne bagiche mein bitaye.. Khub baatein ki... par jab unhone mujhe chhua to bada ajeeb sa laga.. jane kyun aisa laga.. jaisa ye galat hai.. Par wo hamse pyaar bhi to karte hain na.. Unka haq bhi to hai.. Pata nahi aaj ka hoga.. par ham unko saaf saaf kah denge.. ye sab Shaadi ke baad hi chalega.. Maaii.. ye sab thk to ho raha hai na.. kuchh galat to nahi.. Tu to kuchh bolti bhi to na hai.. Ja mat bol.. ab ham hu bada ho gail hain.. Tu na bolegi to ka hua.. jaise apna pet ham paal rahe hain na khud hi.. waise ho apna biyaah bhi ham khud hi kar lenge.. Ravi bahut achha hai... " Ham ohka tohra baare me bataye the ki shaadi ke baad tu bhi hamre saath hi rahegi.. pahle to wo hasne lage.. fir bole main jo kahungi wahi kaenge.. Bas kuchh din baad tu bhi hamre sasural me rahegi.. Mainn to bahut khus hun.. Achha chal hamka jaye la hai.. Aaj naya saal ka jashn manye la hai.. pahila baar hai jab ham naya saal manawat hain.. warna tu or Bapu to rukhe sukhe hi har din kaat dete ho sab... Chal ham baad me batiyaeb tohse.. Ham jaat hain...."

___________________________________
__________________________
《《 4th January 2012 》》
Bareily Town,

Badi jad-o-jahad ke baad or Bariely ke Police ki madad se mujhe akhir kaar wo dukan mil hi gayi.. Puchh taach aur chhan-bin se pata chal ki ye 31 December 2011 ko khinchi gayi thi.. Aksar sabhi photos wale computer me ek copy rakh lete hain date wise.. Jis wajah se sahi tarikh ka aur ye bhi pata chal gaya ki Photo khinchwane wala kon tha..

Mere maathe ki sikan ab or badhne lagi thi.. Jis aashanka ne mujhe grasit kar rakha tha.. jane kyun ab wo sach sa pratit ho raha tha.. Par is sikan ne ek aakrosh bhi bhar diya tha mere bhitar..

___________________________________
__________________________
《《 15th February 2012 》》

Ye yatarth hai.. Ji haan ye koi kahani nahi... ye mera jeevan Anubhav hai..

Naye saal ki dusri tareekh.. meri Duty join karne ka din..

Bada unmaad me tha mein.. pahli naukri.. Training ke duauraan ka josh.. Sabhi tarah se labreej.. Maa or Baba ke aashirvaad ke saath main Apne Sahar Delhi se durr yaha Itawa mein joining karne aaya tha... Par is naukri se pahla anubhav hi aisa milega iski ummid nahi thi..

Sadak par truck or baki pariwahan se kuchli hui us laash ko dekh mujhe mitli si aa gayi.. par us diary ne mera dhyaan khinch liya.. Jiske bas kuchh panne hi sesh rah gaye the.. or bas ek tasveer jo un panno ke saath hi khoon se rangi hui thi..

___________
___________

Par Aaj bada sukun sa hai mere bhitar.. Par ye kis wajah se hai ye meri bhi samajh me na aa raha.. Apni Police ki naukri ka pahla case solve karne ki khusi ya fir us tasveer ke saath nyaay karne ki khusi.. jis par ab bhi khoon ki boondon ke nishaan lage hue hain.. lekin parinaam to dono ka ek hi hua na.. Apna pahla case solve kar ke hi to ye nyaay dilwa paya main us diary ke pannon me simti Swati ki pukaar ko..

Jisne apni har pukaar me Apni maa se guhaar lagayi thi.. us maa se jo use uske baalpan mein hi chhor ke chali gayi thi.. or Baap ke saaye ka abhaav ne use or uski Maa ki yaadon ko bas un chand pannon me samet diya tha..

__________
__________

Abhi kuchh ghante pahle.. wo Ravi meri aankhon ke saamne tha.. jisne khud mein simti Swati ka bas ek sharir ke roop me istamal kiya tha.. na sirf khud ke liye balki apne un aawara Dostoon ke saath mil kar Pyaar ke rishte ko matmaila kar diya..

Ek or Swati thi jo us se jaane kya kya ummid lagaye baithi thi.. Kya dosh tha us bechari ka.. jisne apni bhaavnayein un chand pannon or apne pyaar ke saath baanti thi.. Par pyaar ne kya diya use.. Sadak ke kinare aati jaati gaadiyon ke pahiye se kuchal kar maut ke siwa..

Ek ghrina se maine us Ravi or uske un dostoon ko dekha aur ghasit kar Police Van me baithaya.. Is ummid ke saath ki jis nyaaypalika ke prangan mein inhe le ja raha hun.. waha us Sadak ke kinare dam tod dene wali us ladki ke saath nyaay jaroor hoga..

___________________________________
________________________​

Apni Diary ke panno par maine un khoon ke dhabbe se sane pannon aur us tasveer ko staple kar ek najar apni is 1 mahine ki nayi naukri par hue pure ghatna kram par daali.. aur saath hi ek najar us tasveer par bhi daali.. jis par ab bhi ek muskaan khili thi.. par ab ye muskaan inhi pannon me simat ke rahne wali thi..

Diary ko apne bed ke paas ki table par rakh ek najar aasman ki or dekha.. Ab waqt ho chala tha ek chain ki nind ke aagosh me dubne ka..

____________________________________________________________
_____________________________________
_____________________​
Lajwab story...
 

Siraj Patel

The name is enough
Staff member
Sr. Moderator
136,002
112,802
354
Hello, Ladies :kiss: & Gentleman, :hi:
We are so glad to Introduce Ultimate Story Contest of this year.

Jaise ki aap sabhi Jante Hain is baar Hum USC contest chala rahe hain aur Kuch Din pahle hi Humne Rules & Queries Thread ka announce kar diya tha aur ab Ultimate Story Contest ka Entry Thread air kar diya hai jo 17th, Nov 2019, 11:59 PM ko close hoga.

Khair ab main point Par Aate Hain Jaisa ki entry thread aired ho chuka hai isliye aap Sabhi readers aur writers se Meri personally request hai ki is contest mein aap Jarur participate kare aur
Apni kalpnao ko shabdon ka rasta dikha ke yaha pesh kare ho sakta hai log use pasand kare.
Aur Jo readers nahi likhna chahte wo bakiyo ki story padhke review de sakte hai mujhe bahut Khushi Hogi agar aap is contest mein participate lekar apni story likhenge to.

Ye aap Sabhi Ke liye ek bahut hi sunhara avsar hai isliye Aage Bade aur apni Kalpanao ko shabdon Mein likhkar Duniya Ko dikha De.

Ye ek short story contest hai jisme Minimum 800 words se maximum 6000 words tak allowed hai itne hi words mein apni story complete Karni Hogi, Aur ek hi post mein complete karna hai aur
Entry Thread mein post karna hai.
I hope aap mujhe niraash nahi Karenge aur is contest Mein Jarur participate Lenge.


:thanks:
On Behalf of Admin Team
Regards :-
Siraj Patel


 
Top