• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Haal-e-Dil : Some Short Stories

Romeo 22

Well-Known Member
9,734
5,415
189
THE IIT ROUTE
(Originally written by Romeo 22 in XP contest.)​


ICU me pade us bejaan se vajood ko dekhar mere man me saikdo sawaal uth rhe hain... kaun hai iska jimmedar.......ye samaaj ?...hum aur aap??... ye system...?...kaun???.....Mai Raghav Chaterjee , peshe se ek school master hu.....Gaya (Bihar) ke ek chhote se gaon ke primary school me pichhle 30 saal se bachchon ko padhata hu......is samay subah ke 10 baj rhe hain aur mai kota (Raj) me ek Hospital ke emergency ward ke bahar baitha hu...ICU me jo shakhs leta hai ,wo mera hi ek student hai..Sanjeev....mere sabse honhaar students me se ek.

Kuchh samjh nhi paa rha hu.....Kya galat ho rha hai ki itni si umr me aaj ka yuva itni ghor nirasha me doobta jaa rha hai....sabkuchh hote huye bhi wo kyun akela hota jaa rha hai..kuchh to galat ho rha hai...par ho sakta hai mai is nayi peedhi ko nhi samjh pa rha hu.....ek generation gap hai..

"kaha hai mera Sanjeev...??"..ek lady roti huyi huyi isi or chali aa rhi hain...Gaurds ne unhe ICU ke bahar hi rok diya...shayad ye sanjeev ki maa hain...unke thik pichche ek sajjan hain..jo lagatar unhe samjhane ki kosis kar rhe hain..aur aad me apne aansu bhi ponch le rhe hain...ye Sanjeev ke pita jee hain...mai whi unse thodi door par baitha kabhi un dono ki or dekh rha hu aur kabhi ICU ke us paar , unki toot’ti "ummeed" ko...

Sanjeev hamare poore distict me first aaya tha us saal..aur uske turant baad yha taiyari karne aa gya....uska man tha ya nhi,mujhe nhi pata..lekin aksar kahata tha
"sir papa chahte hain ki mai IIT pass karu..."..mai kuchh jyada nhi kahta..kyuki ye hamare bharat ki sanksriti me hai...har baap apne sapne apne bete ki aankho se dekhta hai...mere khyaal me 2 saal ho gaye the use yha aaye.

Phone par kabhi kabhi us se baat hoti thi...mai usse puchhta - kaisi chal rhi taiyari...wo uljha sa jawab deta- “Sir, English me padhaate hain sab kuch..thodi dikkat hoti hai..par mai kosis kar rha hu.”...mai bhi samajh sakta tha...ek gaon ka padhaa likha ladka,chahe kaisa bhi I.Q rakhta ho..thodi paresani to hogi use jab kisi All India competiton me jaayega ..khaskar medium ko lekar...aajkal sabkuch English me hi padhate hain, bade Coaching me.

Apne hi ek jaroori kaam se mai kota aaya tha.... 3 din pahle yhi kota me hi mila tha mai sanjeev se.....usne bataya ki 1-2 din me result aane wala hai....maine use Aashirwaad diya aur All the best kaha....wo paresan tha, mujhe lag to rha tha..par result ki tension kise nhi hoti...mai Sanjeev ki manah sthiti ko samajh nhi saka.

Shaam ke koi 7 baje the,mai train par baith chuka tha ghar wapas aane ke liye tabhi mujhe sanjeev ke phone se call aayi...shayad call list me number dekhakr kisi ne call kiya tha....aur uske baad kal raat se mai yhi hospital me uske saath hu...

Haan, ek ladki hai..jo mere aane se pahle se yha thi..aur wo bhi tabse yhi padi huyi hai...shayad is waqt washroom me hai...aane ke baad se lagatar ro rhi hai......puchha maine par kuchh thik thik bataya nhi usne..shayad "dost" hai sanjeev ki...

Sanjeev ke mummy papa kabhi Dotcors ke aage hath jod rhe hain to kabhi tasbeeh ke daane lekar dua kar rhe hain...dawa ya dua,kuchh kaam kar jaaye..Sanjeev wapas laut aaye...Aur mai.....!!!....mai whi atka hu abhi tak...kaun hai iska jimmedar...??..kusoor kiska hai ???.

Wo ladki washroom se bahar nikali aur aakar mere bagal me baith gayi.... raat bhar jaagne aur rone se aankhe ekdam laal ho rhi hain uski ....use dekhkar Sanjeev ki mummy uski or chali aayi.....
"tum...tum kaun ho beta....??"
"Sanju ki classmate..."ladki ne rundhe gale se kaha..

"mera Sanjeev thik ho jaayega na......"Sanju ki maa ne badi aas se puchha...jawab me ladki ke aankho se aansu nikal gaye aur usne dheere se haan me sar hila diya..

"Master sahab aap yha...?" sanjeev ke papa bhi aa gaye...

"jee..kuchh kaam se aaya tha yhaa......kl sanjeev se baat huyi thi meri....to shayad ye sab hone par kisi ne uske phone me mera number dekh call laga diya...mai yhi tha to aa gyaa..."..maine sanchhipt sa jawab diya.

"aap le aaye use yha...??"

"nhi..mai railway station se seedha hospital aaya..coaching ke kuch log aur ye ladki saath the us samay......Peehu naam hai iska...sanjeev ki classmate hai...."

“hme kal sham ko phone aaya...bataya ki sanjeev ne.......” Sanjeev ke papa ka gala bhar aaya...

“kisi tarah intjaam karke flight ka ticket karwaya....ye kya kar liya isne...?...”

Mai kuchh nhi bola...

Sanjeev ki mummy ro rhi thi....hum sab chup the....kuchh kahne ko nhi bacha tha...subah ke 11 baj gaye the.... kisi ne kuchh nhi khaya tha...us chhoti si ladki par taras aaya mujhe...

"kuchh kha lo bahar jakar.." maine kaha, wo kuchh nhi boli aur sar jhukaye baithi rahi..maine fir kuchh nhi kaha....thodi der baad mai hi use bahaana karke bahar le aaya....
"mujhe sar dard ho rha hai , chalo bahar jara chai pee lete hain...".....wo chuchap chalne lagi, mai uske pichhe aa gya.

hospital ke pichhe ki or lagbhag aadhe kilometre ki doori par ek tapari thi..hum udhar hi chal diye...

maine jabrdasti karke chai aur biscuit ka ek packet use bhi thama diya aur khud bhi chai lekar saamne rakhe bench par baith gya....bahut kahne par us ladki ne 4-5 biscuit khaye aur chay pee...maine use ek aur chay dila di..aur khud bhi le li...

"kuchh bata sakti ho....kal kya hua tha..."badi himmat jutakar maine kaha....vaise to coaching walo ne bataya tha ki result negative aane se depression me suicide attempt kiya hai sanjeev ne, par mai uske muh se sun na chah rha tha...

"kal sham ko 7 baje result aaya....result ke pahle hostel ka mohol bahut tensed ho jata h...last year jinka nhi hua hota wo to aur bhi tension m hote hain...last attempt hota h......"

"hmm...Sanjeev ka bhi nhi hua tha pichhle saal.....fir???." maine ek sip li aur use bhi chay peene ko kaha..

"jee......result ka pata chalte hi maine Sanju ko call kiya..usne phone nhi uthaya...fir maine kayi baar call kiya..par usne phone nhi uthaya...mai bhagti huyi uske hostel pahuchi..wo apne room me baitha ro rha tha." itna kahte kahte wo ladki rone lagi...kuchh der baad wo chup huyi , par mujh me himmat nhi thi kuchh aur puchhne ki..thodi der wo nhi boli ,fir bataane lagi...

"maine usko chup karane ki bahut kosis ki...wo mujhse kuchh baat bhi nhi kar rha tha...bas roye jaa rha tha...fir thodi der baad wo bola - "Peehu, nhi hua yaar " ..aur mere gale lag kar jor jor se rone laga...maine use bahut samjhaya...lagbhag 2 ghante tak mai uske saath rahi..usko bola bhi ki abhi mere saamne papa ko call kr do..par usne saaf mana kar diya...aur mujhe bhi jaane ko bol diya..."

"maine mana kiya par usne mujhe buri tarah se daantkar jaane ko kaha....mai chali aayi...lekin har aadhe ghante par jakar chupke se jhank aati.......is baar thoda late ho gya shayad....mai thodi jaldi jaati to shayad sanju..." wo ladki fir se rone lagi..

Maine apni chay fenk di..aur usko chup karane laga...wo mujhse lipat gayi...

“Maine kaha tha sanju se, exam to ho gaye hain...ab to bas result aana hai , ghar chale jaao......par wo nhi gaya...shayad wo nhi chahta tha ki result aaye to wo apne papa ke saamne ho....”

"Uncle, hum kosis to karte hain na...nhi hota to kya karen..”...ek aisa sawaal jo usne mujse nhi har un maa baap se kiya tha, jinke bachche aajki is andhi race me unse hi door hote jaa rhe hain.

Wo bolna suru huyi to fir bolti hi gayi....

"Papa chahte hain mai AIPMT clear karu,Sanju ke papa chahte hain wo IIT clear kar,lekin papa kabhi ye kyu nhi puchhte ki hum kya chahte hain......mummy phone karti hain to ye nhi puchhti beta khana khaya ya nhi, mummy puchhti hain beta test me number achche aaye ya nhi.....mummy kabhi nhi puchhti beta neend aati hai ki nhi, mummy puchhti hai raat me thik se padhti ho ki nhi.”

“sabkuchh chhod kar hum yha aa jate hain......is jail me....aur fir ek 3 ghante ke paper me maut aur jndagi ka faisla ho jata hai...ye galat hai na Uncle.......is se jyada keemat to honi chahiye na hamari life ki....." wo rote huye bole jaa rhi thi...

komal man ki vyatha bahar nikal rhi thi...kuchh sahi tha,kuchh galat......thodi nadani aur dher saari nirasha.....itni si umar me itni maansik peeda......ye to kahi se sahi nhi tha.

Mai badi mushkil se use chup kara kar hospital me wapas le aaya.....ek do baaar kaha ki ab to sanjeev ke parents bhi aa gaye....tum hostel wapas chali jao....par uska whi kahna tha...jab tak sanju ko hosh nhi aayega mai nhi jaungi.Sanjeev ke parents abhi bhi whi ICU ke saamne baithe the...hum bhi bagal me jakar baith gaye.

Peehu ne bataya mujhe ki jab wo aakhiri baar sanjeev ke room me jhankne gayi to wo bistar par ulta pada tha, darwaze ki kundi andar se band thi aur uske muh se jhaag nikal rhi thi....wo rone lagi aur usne daudkar warden ko bulaya aur fir sablog use lekar yha hospital me aa gaye...

Sanjeev ke kamre se suicide note mila tha....jo us police inspector ke paas tha.... Inspector ne peehu ko dikhaya tha ki handwriting Sanjeev ki hi hai na... Peehu ne letter poora nhi padha, wo padh hi nhi saki.....haan,ye bata diya ki hadwriting Sanjeev ki hi hai.
Maine bhi usi samay ek nazar us letter par dali.......mushkil se 4-5 line likha tha....

"Papa , maaf kar dijiyega.......mai aapka achcha beta nhi hun.......mujhse nhi ho paya...sorry papa.....mummy aapki bahut yaad aa rhi hai....roj aati hai...mummy , mai jaa rha hu...mujhe maaf kar dijiyega...peehu tum mujhe bahut achchhi lagti ho, I love you...kash mai tumhe kabhi bol pata.....maaf kar dena mujhe...
I m Sorry Papa..... I Quit..."

letter nhi bas ek note tha wo..suicide note...wo sab baaten jo wo kahna chahta tha..lekin jeete jee shayad kah nhi pata..

Mera man bahut bhari ho rha tha....shiksha ka uddeshya to jeevan ko ek nyi disha dena hota hai, lekin ye kaun sa rasta hai jo maut ki or lekar jaa rha hai... IIT Route..!!!... man me yhi ek sabd aa rha tha......nhi, is IIT Route ka matlab sirf IIT se nhi hai.......ye IIT Route to ek jaal hai ,andhi prtispardha ka jaal... jisme har wo masoom fans rha hai jikse apne use is Route par akela chhod dete hain...ye wo Route hai jo sapne to khubsoorat bhayisya ke dikhata hai , lekin le jata maut ki gahri neend ki or hai...

Apne vicharo ke bhawar me uljha mai chupchap sar jhukaye us bench par baitha hu..Dr abhi abhi ICU se bahar nikle hain.....sab log ro rhe hain....chhoti si Peehu ki sooni aankhe mujhe dukh de rhi hain........Sanjeev hmesa ke liye jaa chuka hai,.. ye IIT Route mere Sanjeev ko nigal gaya hai, aur naa jane kitno ko nigal jaayega.

Mai ghar waapsi ke liye train me baitha hu..man bahut dukhi hai.....
Wo sukukmar komal man, jise is khubsooarat duniya ke rango se khelne ka har hak hai, ek samajik kuntha ka shikar ho dam tod rha hai.......kyon inka koi apna inse nhi kahta ki ye IIT Route sirf ek rasta hai, eklauta rasta nhi... sirf ek chhota sa sapna hai,sapno ka ant nhi.......ye IIT Route zindagi me ek chhota sa padav hai, poori zindagi nhi.

Peehu ka wo sawaal , “Uncle hum kosis to karte hain na, kya karen nhi hota to...”..mere paas iska koi jawab nhi h, kyuki iska jawab sirf uske wo apne de sakte hain jinke liye wo is IIT Route par chal rhi hai.

Meri is kahani ko lagbhag 10 saal ho gaye the.....maine ek chhota sa NGO suru kiya ,naam tha IIT Route...is kahani ko ek documentry ka roop diya gaya.... students ko moral support karne ke liye pradesh sarkar ne ek students anti-suicide cell suru kiya ...kayi saari coaching me bhi anti-suicide cell banayi gayi thi..

mai apne star par prayas karta raha.....lekin sanjeev ka wo nistej chehra aur us Peehu ki wo udaas aankhe, man me ek ghaav kar gayi thi..kuchh ghav waqt ke saath bharte nahi , aur gahre ho jaate hain... waqt beet’ta gaya....mera swasthya thik nhi rahta tha....maine ab school jana band kar diya tha.

Aaj 82 saal ki umar me ek govt hospital me pada mai shayad apni antim saanse gin rha hu....kisi specialist surgeon ko bulaya gya hai....bypass surgery karni hai......aisa hi kuchh doctor kah rhe the mere bete se..

Haath pair bhi nhi hila paa rha hu mai....Man bahut ghabra rha hai...

“Sir ”
Kaano me ye aawaz padi.... mere muh se aawaz nhi nikal paa rhi ...seene me tej dard ho rha...badi mushkil se jor dekar aankhe kholi.....Saamne ek lady doctor khadi thi..

“IIT Route se mai bach gayi thi sir...papa dusre din hi aakar mujhe le gaye the wha se..” bade utsaah se kah rhi thi wo...

“shayad aapne pahchana nhi, mai.......Peehu.......whi IIT Route wali.”

Mere hotho par halki si muskaan aa gayi aur aankho me thoda sa pani.....mujhe yaad aa rha tha...Kota se aate samay maine peehu se uske papa ka number liya tha....
Maine unse nivedan kiya tha ki wo aakar peehu ko le jaayen,

“Uski kismat me jo ban’na hoga wo ban jaayegi lekin ye IIT Route, ye ek din use bhi nigal jaayega.......apne bachcho ko Sapne dekhne ki aajadi dijiye , unhe khud se door mat kijiye....jaane kitne sanju aur peehu apno se door hokar bahut door chale jaate hain....jab unhe hamari jarurat hoti hai to hum unke paas nhi hote....wo paas ho jaayen to hum bahut khus hote hain, lekin agar wo fail ho jaayen to..???.... kya zindagi khatm hai unki..??...nhi na....”

“Jo mummy papa kal tak jis sanju ke liye sabkuchh hote the, aaj whi Sanju un mummy papa se apni nakaami kahne ki himmat nhi kar paata...mummy papa se dar lagne lagta hai use.....kyuki ye IIT Route hme hamaare apno se alag kar raha hai...akela kar rha hai....please Peehu ko is IIT Route se bacha lijiye...aakar use yha se le jaaiye...”..

Bas yhi kaha tha maine .

Maine peehu ko dekha aur sukoon se aankhe band kar li...Mujhe khusi thi , ek peehu ko mai bacha paya...


Operation theatre ki lights jal gayi hai..... mujhe injection diya jaa rha hai...Peehu ne vishwaas ke saath mere haatho ko dheere se dbaa diya...sabkuchh thik hoga,shayad yhi khana chah rhi ha...mujhe yakeen hai sab kuchh thik hoga...... mai nahi bhi rha to koi gam nhi....umeed hai ye suruwat bahut door tak jaayegi...ye IIT Route jarur band hoga...



THE END
:D kya din the wo
 

Romeo 22

Well-Known Member
9,734
5,415
189
:approve:

वो पुराने दिन
वो सुहाने दिन
आशिक़ाने दिन

:weep:
Ab lgta h sab chutiya banate the :D
 

Romeo 22

Well-Known Member
9,734
5,415
189

Mak

Recuérdame!
Divine
10,850
7,109
229
Ab lgta h sab chutiya banate the :D
Kuch ne banaya bhi hai.. Kabhi fursat me puri kahani sunaunga.. :D
 

Mak

Recuérdame!
Divine
10,850
7,109
229
 

Romeo 22

Well-Known Member
9,734
5,415
189
Kuch ne banaya bhi hai.. Kabhi fursat me puri kahani sunaunga.. :D
Haan bhai...Ek baar maine socha sab track karwaye..Fir socha chutiya siddh hona jaruri nahi h :D
 

Romeo 22

Well-Known Member
9,734
5,415
189
 
10,248
43,073
258
:D kya din the wo
Romeo bhai , kya hi behtreen story likha hai aapne . 2 Story padha aapka aur dono hi outstanding the.
Khaskar , The IIT route.
The one of my favorite story in this forum. Reality n educational story.
 
Top