• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hamara Gaon

Story kaisi lagti hai aapko apne vote se btaye?


  • Total voters
    38
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

sunoanuj

Well-Known Member
2,953
7,951
159
Bahut hee badhiya mitr ..
 

Tiwari_baba

Active Member
1,358
3,786
159
#UPDATE 51

Lio:- itni badi sajis rachi gai or kisi ko khabar tak nahi.

main:- Hmmm Miru kya tum mujhe mahal me le jaa sakti ho?

Miru/Lio:- Kyaaaa????

Ab Aage....................

Main Iss waqt maharani ke kaksh ke bahar khada tha or kaise bhi andar jane ka raasta dhundh raha tha, kyoki uske kaksh ke bahar bahut se sainik khade the or darwaza band tha.

Ab aap log soch rahe honge ki main yahan kaise pahunch gaya to bata dun, main miru ke sang aaya tha, pahle to usne bahut mana kiya mujhe yaha lane se, kintu usko bahut manane se man gai, use dar tha ki kahin wo kisi musibat me naa pad jaye.

yaha tak la kar usne mujhe maharani ka kaksh bta kar wo apne kaam per chali gai, main to adrishya tha isliye koi mujhe nahi dekh sakta tha.

Mujhe yaha kafi der ho gaye the khade khade ye sale sainik idhar udhar bhi nahi hat rahe the, maine socha chalo kuchh masti hi kar liya jaye.

Yaha par aath sainik the, char ek side me char ek side me, maine jaa kar ek ke sar pe khich ke ek tapli mari, wo baukhla gaya.

Sainik:- aye kisne mara mujhe, tune mujhe kyo maara?

Sainik:- Kya bhai maine nahi mara hai, main to ussse baat kar raha tha.

Wo saini usse thoda aage ja kar khada ho gaya,maine iss baar bhi usi ko khich ke mara, iss baar wo gusse se laal ho gaya.

Sainik:- Sale bola naa maat mar phir se kyo mara tune mujhe?

usne uska ollar pakad liya to baaki ke 2 sainko ne usko chhudaya.

Sainik3:- Are ye kya kar rahe ho usne sach me nahi mara hai, chhod do use.

sainik:- to kya yaha bhoot hai jo maar raha hai, agar abki mara naa to tere muh tod dunga.

Wo phir khada ho gaya, Iss baar main Sainik3 Ko khinch ke sar pe mara, usko badi jor ki lagi thi tilmilate hue usne sainik2 ko dekha, lekin wo chup chap aage dekh raha tha, to usne socha mera bharam hai, wo aage dekhne laga.

maine iss baar phir se sainik3 ko mara wo gusse me jaa ke sainik2 ke muh pe ek ghusa maar diya.

Sainik3:- Sale pahle usko maar raha tha, ab mujhe maar raha hai, main tujhe bachaya usse or tu mujhe hi maara, ab tu gaya teeno ne usko pakad ke baja diya.

Wo becara waha se hat ke dusri side me chala gaya, dusri side wale bahut has rahe the ye sab dekh ke main ab udhar aa gaya.

main iss baar do ko ek sath maar, wo sab apna sar sahlane lage badi zor ki lagi thi, sabne usko ghur ke dekha jo udhar se aaya tha, wo bwchara ghabra gaya ki sb mujhe kyo dekhne lage.

Sainik2:- Dosto aise kyo dekh rahe ho tum sab maine kuchh nhi kiya hai sach bol raha hun.

sainik5:- Sathiyon aaj ise bahut masti chadhi hai aa jao sab iski masti utarte hain.

aur phir kya tha sabne milke usko maarne me lag gaye sab ke sab us par tut pade, maine iss mauke ka faida uthaya or darwaza khol ke andar ghus gaya.

Main andar aane ke baad idhar udhar dekha mujhe room mr kuchh bhi nhi dikha, bistar par bhi koi nahi tha, main paresan ho gay ki ab ye maharani kahan hai, itna muskil se yaha aaya hun or wo yaha hai hi nahi phir itna shakht pahra kyo laga hua tha bahar.

main uss kaksh ki talashi karne laga ki jane kahi koi gupt tahkhana to nhi iss kaksh me jahan maharani kaid ho.

wahi uss tasveer me me maharani sar jhukaye baithi hui thi, unko ghor nirasha thi ki wah apne pita se nhi mil paa rahi , or uske hi karan uski maa or bahan ki mrityu hui, tabhi unko kuchh aawaz sunai di.

Wo kaksh me dekhne lagi ki kahi jokram phir to nhi aa gaya, use dar tha ki kahi jokram uske pita ko bhi naa maar de, wah to apne pita ko itne dino se mara hua hi samajh rahi thi, usko tanik bhi gyat nhi tha ki uske pita jeevit hain, isi karan usne aaj tak jokram ko uss pushtak ka pata nahi bataya tha.

Aisa nahi tha ki maharani kamzor thi, wah to jokram se bhi adhik takatwar thi kintu jokram ne unko apne chhal or maya se iss tasveer me kaid kar diya tha jiski wajah se wah kuchh kar nhi sakti thi.

Lekin Wah yahi sochti thi ki mera to sab kuchh khatam ho hi gaya hai, isliye main duniya ko bachane ke liye kabhi bhi uss pushtak ko jokram ke hath nahi lagne dungi, yahi karan tha ki aaj tak unhone uss pushtak ka raaj nahi btaya tha.

Wahi jokram jo tha wah maharani se vivah karke uski tatha uss pushtak ki bhi shaktiyan pana chahta tha, isi karaan se wah aaj tak maharani ko vivah ke liye vivah karta aa raha tha, lekin jab usko laga ki ab uske hatho se pushtak nikal sakti hai to usne maharani ko akhri awasar diya taki dabav me wah koi faisla le.

Jab usnko kaksh me koi nahi dikha to wahi apne sathan se khadi ho gai, abhi bhi kaksh me awaaze aa rahi thi saman idhar udhar bikhar rahe the kintu koi dikhai nahi de raha tha.

Jab mujhe uss kaksh me kuchh nahi dikha to main drishyaman ho gaya, or wahi sofe par baith gaya.

Jaise hi maharani ne dekha ki koi kaksh me hai to wah usko dhayan se dekhne lagi, unko kisi ko iss kaksh me dekh kar bahut hi hairat hui, wah mujhe aawaz dene lagi kintu unki tasveer se aawaz bahar nahi aa rahi thi.

main dhundhte hue paresan ho gaya ki akhir maharani ko kaha chhupa raha hai usne.

Main:-(apne aap se) Are yaar ye maharani kaha gai, iss kaksh me to kuchh bhi nahi hai, miru to kah rahi thi ki yahi kaksh hai maharani ka, or gurudev ne bhi to yahi kaha tha ki jokram ne maharani ko kaid me rakha hai.

Rimika:- Ye yuvak koun hai, jisko meri talash hai isko kisne bheja hai, or ye gurudev koun hai jinko mere bare me gyat hai?

main yahi sab sochte hue ki ab kya karu, tab main kaksh ko dhyan se dekhne laga, ye soch kar ki shayad maine koi chuk ki ho jo meri ankho se naa dikhi ho, ek nazar dekhne ke baad main ab man ki ankho se dekhne ke liye dhayan me baith gaya.

jab maine man ki nazar se uss kaksh ka nirikshan kiya to bhi mujhe kuchh bhi alag nahi dikha, maine phir dubara kiya, abhi main dekhte jaa hi raha tha ki achanak mujhe kuchh chiz hilti hui dikhi or usme se chamak aa rahi thi jisne meri nazar ko apni taraf khincha.

Ramika:- Hey yuvak idhar main yaha hun, kya tum mujhe sun sakte ho, idhar dekho, koun ho tum, main yaha hun, yaha idhar?

ramika idhar udhar ghum rahi thi or mujhe awaaz de rahi thi, kintu uski awaaz mujh tak nahi aa rahi thi, lekin main jo bol raha tha jo kar raha tha wo usko pata chal raha tha or sunai de raha tha.

jab maine dhayan se uss tasveer ko dekha to main chaunk gaya, kyoki wo chamak usi tasveer se aarahi thi,

maine apna dhyan toda or us tasveer ke paas gaya to maine dekha ki uske andar ek bahut hi sundar ladki khadi thi, or wah bhi mujhe hi dekh rahi thi, main to usko dekhne me hi kho gaya sab kuchh bhul kar usko hi dekh raha tha.

Mujhe aise dekhte hue maharni ne phir se wahi chamak mere ankho parr mari, ye unke kangan ki chamak thi jisme heera laga tha jo machak raha tha, jab wo mere ankho par pada tab main vastavikta ko samjha.

Maharani mujhe andar se kuchh isara kar rahi thi, lekin mujhe kuchh samajh nahi aa raha tha, lekin mujhe usko kaise bhi karke bahar to nikalna hi tha.

Main:- Aap shant rahiye maharani main aapko bahar nikalne ke liye kuchh karta hun, aap pichhe ho jaye.

Maine us tasveer se pichhe hat kar apne hath jod kar khada ho gaya or mahadev ko yaad kiya, maine takkshak ke shakti se uss tasveer par hamla kiya, lekin uss par kuchh nhi hua, maine or bhi kai baar alag tarah se uss par hamla kiya kintu koi bhi asar nahi ho raha tha.

Phir maine apni or takkshak ki shaktiyon ko mila kar apne rudraksh me ikattha kiya or phir usme se ek tarang nikal ke sidhe uss tasveer par lagi or uski maya dekhte hi dekhte toot gai or maharani uske andar se bahar aa gai.

Maharani ke bahar aate hi meri ankhe khul gai, maharani abhi zameen par baith ke ro rahi thi, tabhi mujhe ehsaas hua ki koi bahut buri shaitani shakti hamari taraf aa rahi hai.

Mere dwara Jokram ki jaise hi maya tooti usko kharab ho gaya ki kisi ne uss kaksh me ghus kar maharani ko bachane ki koshi ki hai, wo jhat se waha se gayab ho sidha kaksh ke bahar aa gaya or kaksh me dakhil hua.

Mujhe jaise hi ehsaas hua ki jokram aaraha hai main Maharani ke sath adrishya ho gaya, lekin mujhe pata tha jokram hamara pata tab bhi laga sakta hai, isliye maine maharani se kaha.

Main:- Maharani ye waqt rone ka nahi hai hame yaha se nikalna hoga anyatha hum phir pakde jayege.

meri baat sun maharani ne mere taraf dekha or phir bola.

Maharani:- Han chalo main taiyaar hun.

Main:- Maaf karna maharani kintu main isme koi madad nahi kar sakta kya aap ek sthan se dusre sthan par sthantaran ho sakti hai, aapke paas to bahut shaktiyan hai?

Maharani:- Han Han Kyo nahi kintu jana kaha hai?

Main:- Kahi aisi jagah jaha hame koi dhundh naa sake, jaldi kijiye maharani jokram yahi aa raha hai.

Aur jokram ke kaksh me aane se pahle hi hum waha se gayab ho kar ek guffa me pahunche, jaha hame koi dekh nahi sakta tha.

Jokram jab kaksh me aaya to waha kisi ko naa pakar or apni kaid se maharani ko aazad de kar tilmila gaya,

jokram:- nahi nahi Nahi aisa nahi ho sakta maharani tum mere kaid se bach kar nahi nikal sakti, tumko iska mul chukana hoga ... nahi chhodunga main rinomaaaaaaaaaa.


ain:- Haaaaassss haaaa bach gaye, aaj to laga tha main fir se phas gaya, kya karne aaya tha kya kar raha hun main yaha par.

Jab meri nazar maharani par gai to wo mujhe hi dekh rahi thi, tab main apne ko sambhal ke baith gaya, to maharani boli.

Maharani:- Tum ho koun, or yaha kahan se aaye ho, or mere bare me kaise jante ho itna sab?

tabhi mujhe kuchh yaad aaya or main apni jagah se uth kada hua.

Main:- Are yaar gadbad ho gayi ab kya karu?

Maharani:- Kyo kya hua aise paaresan kyo ho rahe ho, kya baat hai?

Aaj ke liye itna hi.

Thank you.
 
Status
Not open for further replies.
Top