• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Hamara Gaon

Story kaisi lagti hai aapko apne vote se btaye?


  • Total voters
    38
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,684
29,045
218
#UPDATE 51

Lio:- itni badi sajis rachi gai or kisi ko khabar tak nahi.

main:- Hmmm Miru kya tum mujhe mahal me le jaa sakti ho?

Miru/Lio:- Kyaaaa????

Ab Aage....................

Main Iss waqt maharani ke kaksh ke bahar khada tha or kaise bhi andar jane ka raasta dhundh raha tha, kyoki uske kaksh ke bahar bahut se sainik khade the or darwaza band tha.

Ab aap log soch rahe honge ki main yahan kaise pahunch gaya to bata dun, main miru ke sang aaya tha, pahle to usne bahut mana kiya mujhe yaha lane se, kintu usko bahut manane se man gai, use dar tha ki kahin wo kisi musibat me naa pad jaye.

yaha tak la kar usne mujhe maharani ka kaksh bta kar wo apne kaam per chali gai, main to adrishya tha isliye koi mujhe nahi dekh sakta tha.

Mujhe yaha kafi der ho gaye the khade khade ye sale sainik idhar udhar bhi nahi hat rahe the, maine socha chalo kuchh masti hi kar liya jaye.

Yaha par aath sainik the, char ek side me char ek side me, maine jaa kar ek ke sar pe khich ke ek tapli mari, wo baukhla gaya.

Sainik:- aye kisne mara mujhe, tune mujhe kyo maara?

Sainik:- Kya bhai maine nahi mara hai, main to ussse baat kar raha tha.

Wo saini usse thoda aage ja kar khada ho gaya,maine iss baar bhi usi ko khich ke mara, iss baar wo gusse se laal ho gaya.

Sainik:- Sale bola naa maat mar phir se kyo mara tune mujhe?

usne uska ollar pakad liya to baaki ke 2 sainko ne usko chhudaya.

Sainik3:- Are ye kya kar rahe ho usne sach me nahi mara hai, chhod do use.

sainik:- to kya yaha bhoot hai jo maar raha hai, agar abki mara naa to tere muh tod dunga.

Wo phir khada ho gaya, Iss baar main Sainik3 Ko khinch ke sar pe mara, usko badi jor ki lagi thi tilmilate hue usne sainik2 ko dekha, lekin wo chup chap aage dekh raha tha, to usne socha mera bharam hai, wo aage dekhne laga.

maine iss baar phir se sainik3 ko mara wo gusse me jaa ke sainik2 ke muh pe ek ghusa maar diya.

Sainik3:- Sale pahle usko maar raha tha, ab mujhe maar raha hai, main tujhe bachaya usse or tu mujhe hi maara, ab tu gaya teeno ne usko pakad ke baja diya.

Wo becara waha se hat ke dusri side me chala gaya, dusri side wale bahut has rahe the ye sab dekh ke main ab udhar aa gaya.

main iss baar do ko ek sath maar, wo sab apna sar sahlane lage badi zor ki lagi thi, sabne usko ghur ke dekha jo udhar se aaya tha, wo bwchara ghabra gaya ki sb mujhe kyo dekhne lage.

Sainik2:- Dosto aise kyo dekh rahe ho tum sab maine kuchh nhi kiya hai sach bol raha hun.

sainik5:- Sathiyon aaj ise bahut masti chadhi hai aa jao sab iski masti utarte hain.

aur phir kya tha sabne milke usko maarne me lag gaye sab ke sab us par tut pade, maine iss mauke ka faida uthaya or darwaza khol ke andar ghus gaya.

Main andar aane ke baad idhar udhar dekha mujhe room mr kuchh bhi nhi dikha, bistar par bhi koi nahi tha, main paresan ho gay ki ab ye maharani kahan hai, itna muskil se yaha aaya hun or wo yaha hai hi nahi phir itna shakht pahra kyo laga hua tha bahar.

main uss kaksh ki talashi karne laga ki jane kahi koi gupt tahkhana to nhi iss kaksh me jahan maharani kaid ho.

wahi uss tasveer me me maharani sar jhukaye baithi hui thi, unko ghor nirasha thi ki wah apne pita se nhi mil paa rahi , or uske hi karan uski maa or bahan ki mrityu hui, tabhi unko kuchh aawaz sunai di.

Wo kaksh me dekhne lagi ki kahi jokram phir to nhi aa gaya, use dar tha ki kahi jokram uske pita ko bhi naa maar de, wah to apne pita ko itne dino se mara hua hi samajh rahi thi, usko tanik bhi gyat nhi tha ki uske pita jeevit hain, isi karan usne aaj tak jokram ko uss pushtak ka pata nahi bataya tha.

Aisa nahi tha ki maharani kamzor thi, wah to jokram se bhi adhik takatwar thi kintu jokram ne unko apne chhal or maya se iss tasveer me kaid kar diya tha jiski wajah se wah kuchh kar nhi sakti thi.

Lekin Wah yahi sochti thi ki mera to sab kuchh khatam ho hi gaya hai, isliye main duniya ko bachane ke liye kabhi bhi uss pushtak ko jokram ke hath nahi lagne dungi, yahi karan tha ki aaj tak unhone uss pushtak ka raaj nahi btaya tha.

Wahi jokram jo tha wah maharani se vivah karke uski tatha uss pushtak ki bhi shaktiyan pana chahta tha, isi karaan se wah aaj tak maharani ko vivah ke liye vivah karta aa raha tha, lekin jab usko laga ki ab uske hatho se pushtak nikal sakti hai to usne maharani ko akhri awasar diya taki dabav me wah koi faisla le.

Jab usnko kaksh me koi nahi dikha to wahi apne sathan se khadi ho gai, abhi bhi kaksh me awaaze aa rahi thi saman idhar udhar bikhar rahe the kintu koi dikhai nahi de raha tha.

Jab mujhe uss kaksh me kuchh nahi dikha to main drishyaman ho gaya, or wahi sofe par baith gaya.

Jaise hi maharani ne dekha ki koi kaksh me hai to wah usko dhayan se dekhne lagi, unko kisi ko iss kaksh me dekh kar bahut hi hairat hui, wah mujhe aawaz dene lagi kintu unki tasveer se aawaz bahar nahi aa rahi thi.

main dhundhte hue paresan ho gaya ki akhir maharani ko kaha chhupa raha hai usne.

Main:-(apne aap se) Are yaar ye maharani kaha gai, iss kaksh me to kuchh bhi nahi hai, miru to kah rahi thi ki yahi kaksh hai maharani ka, or gurudev ne bhi to yahi kaha tha ki jokram ne maharani ko kaid me rakha hai.

Rimika:- Ye yuvak koun hai, jisko meri talash hai isko kisne bheja hai, or ye gurudev koun hai jinko mere bare me gyat hai?

main yahi sab sochte hue ki ab kya karu, tab main kaksh ko dhyan se dekhne laga, ye soch kar ki shayad maine koi chuk ki ho jo meri ankho se naa dikhi ho, ek nazar dekhne ke baad main ab man ki ankho se dekhne ke liye dhayan me baith gaya.

jab maine man ki nazar se uss kaksh ka nirikshan kiya to bhi mujhe kuchh bhi alag nahi dikha, maine phir dubara kiya, abhi main dekhte jaa hi raha tha ki achanak mujhe kuchh chiz hilti hui dikhi or usme se chamak aa rahi thi jisne meri nazar ko apni taraf khincha.

Ramika:- Hey yuvak idhar main yaha hun, kya tum mujhe sun sakte ho, idhar dekho, koun ho tum, main yaha hun, yaha idhar?

ramika idhar udhar ghum rahi thi or mujhe awaaz de rahi thi, kintu uski awaaz mujh tak nahi aa rahi thi, lekin main jo bol raha tha jo kar raha tha wo usko pata chal raha tha or sunai de raha tha.

jab maine dhayan se uss tasveer ko dekha to main chaunk gaya, kyoki wo chamak usi tasveer se aarahi thi,

maine apna dhyan toda or us tasveer ke paas gaya to maine dekha ki uske andar ek bahut hi sundar ladki khadi thi, or wah bhi mujhe hi dekh rahi thi, main to usko dekhne me hi kho gaya sab kuchh bhul kar usko hi dekh raha tha.

Mujhe aise dekhte hue maharni ne phir se wahi chamak mere ankho parr mari, ye unke kangan ki chamak thi jisme heera laga tha jo machak raha tha, jab wo mere ankho par pada tab main vastavikta ko samjha.

Maharani mujhe andar se kuchh isara kar rahi thi, lekin mujhe kuchh samajh nahi aa raha tha, lekin mujhe usko kaise bhi karke bahar to nikalna hi tha.

Main:- Aap shant rahiye maharani main aapko bahar nikalne ke liye kuchh karta hun, aap pichhe ho jaye.

Maine us tasveer se pichhe hat kar apne hath jod kar khada ho gaya or mahadev ko yaad kiya, maine takkshak ke shakti se uss tasveer par hamla kiya, lekin uss par kuchh nhi hua, maine or bhi kai baar alag tarah se uss par hamla kiya kintu koi bhi asar nahi ho raha tha.

Phir maine apni or takkshak ki shaktiyon ko mila kar apne rudraksh me ikattha kiya or phir usme se ek tarang nikal ke sidhe uss tasveer par lagi or uski maya dekhte hi dekhte toot gai or maharani uske andar se bahar aa gai.

Maharani ke bahar aate hi meri ankhe khul gai, maharani abhi zameen par baith ke ro rahi thi, tabhi mujhe ehsaas hua ki koi bahut buri shaitani shakti hamari taraf aa rahi hai.

Mere dwara Jokram ki jaise hi maya tooti usko kharab ho gaya ki kisi ne uss kaksh me ghus kar maharani ko bachane ki koshi ki hai, wo jhat se waha se gayab ho sidha kaksh ke bahar aa gaya or kaksh me dakhil hua.

Mujhe jaise hi ehsaas hua ki jokram aaraha hai main Maharani ke sath adrishya ho gaya, lekin mujhe pata tha jokram hamara pata tab bhi laga sakta hai, isliye maine maharani se kaha.

Main:- Maharani ye waqt rone ka nahi hai hame yaha se nikalna hoga anyatha hum phir pakde jayege.

meri baat sun maharani ne mere taraf dekha or phir bola.

Maharani:- Han chalo main taiyaar hun.

Main:- Maaf karna maharani kintu main isme koi madad nahi kar sakta kya aap ek sthan se dusre sthan par sthantaran ho sakti hai, aapke paas to bahut shaktiyan hai?

Maharani:- Han Han Kyo nahi kintu jana kaha hai?

Main:- Kahi aisi jagah jaha hame koi dhundh naa sake, jaldi kijiye maharani jokram yahi aa raha hai.

Aur jokram ke kaksh me aane se pahle hi hum waha se gayab ho kar ek guffa me pahunche, jaha hame koi dekh nahi sakta tha.

Jokram jab kaksh me aaya to waha kisi ko naa pakar or apni kaid se maharani ko aazad de kar tilmila gaya,

jokram:- nahi nahi Nahi aisa nahi ho sakta maharani tum mere kaid se bach kar nahi nikal sakti, tumko iska mul chukana hoga ... nahi chhodunga main rinomaaaaaaaaaa.


ain:- Haaaaassss haaaa bach gaye, aaj to laga tha main fir se phas gaya, kya karne aaya tha kya kar raha hun main yaha par.

Jab meri nazar maharani par gai to wo mujhe hi dekh rahi thi, tab main apne ko sambhal ke baith gaya, to maharani boli.

Maharani:- Tum ho koun, or yaha kahan se aaye ho, or mere bare me kaise jante ho itna sab?

tabhi mujhe kuchh yaad aaya or main apni jagah se uth kada hua.

Main:- Are yaar gadbad ho gayi ab kya karu?

Maharani:- Kyo kya hua aise paaresan kyo ho rahe ho, kya baat hai?

Aaj ke liye itna hi.

Thank you.
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Aage ka intjaar
 

Naughtyrishabh

Well-Known Member
9,684
29,045
218
#UPDATE 52

tabhi mujhe kuchh yaad aaya or main apni jagah se uth kada hua.

Main:- Are yaar gadbad ho gayi ab kya karu?

Maharani:- Kyo kya hua aise paaresan kyo ho rahe ho, kya baat hai?

Ab Aage...................

Main:- Are maharani ji aapke pita shree wo mushibat me fans sakte hai, Jokram aapko wahan naa pakar unko nuksan pahuncha sakta hai hame kuchh karna hoga.

Maharani:- Han to kuchh karte kyo nahi, aise kyo khade ho?

Main:- Main kya karu main wahan tak nahi jaa sakta naa hi mere pass udanchhu hone ka shakti hai.

Maharani:- Kyaaaa?? Tum akhir ho koun, agar tumhare paas shaktiyan nahi hai to yahan tak pahunche kaise, kahan se aaye ho??

Main:- Abhi inn baato ka waqt nahi hai hamare paas hame unko bachana hoga, wo yaha ke kaid khane me jokram ke kaid me hain chalo jaldi karo.

Maharani:- Kyaa kaha? tumko kaise pata ki mere pita ji kahan hai,, tum ho koun jise sab pata hai pahle se, kahi tum uss shaitan se mile hue to nahi ho?

main:- Dekhiye maharani ji agar apne pita ko bachana hai to apna wo jaldi se udanchhu wala jadu karo or hame kaid khane me le chalo.

Maharani:- Thik hai chalo.

Phir ham log jhatpat kaid khane me pahunch gaye, waha par sainiko ne hame dekhte hi hamla kar diya.

Main abhi kuchh karta usse pahle hi maharani aage badh gai, or sabko ek ek kar ke apni shaktiyo se door fenk deti, mere ko kuchh karna hi nahi pada.

Main:- Are bap re ye maharani to badi shaktishali hai, ek chutki me kisi ko bhi maar de, dekho to kaise maar rahi hai sabko, amain kya karu ab sabko to yahi dekh legi, are han main rinoma ke paas jata hun.

Main Adrishya ho kar rinoma ke taraf chal diya, wahan bhi pahra tha or idhar ke shor sharaba deh ke wo bhi satark the main jaise hi uss kaidkhane ke paas pahuncha to usko bahar se kholne ke liye prayas kiya.

Mujhe itne zorr ka jhatka laga ki kya btau, upar se nihe tak pura main jhanjhana gaya or door jaa kara geera, isi ke sath main sabke samne bhi aa gaya.

Mujhe jhatka lagte or geerte dekh ke waha ke sainik hasne lage.

"hahahahahahhaha dekho dekho ye jail ka darwaza kholne aaya tha, apne aap ko bahut bad yoddha samajh raha tha, magar hamare malik isse bhi chalak hain hahahahahahaa"

Sab dant dikha ke sale hans rahe the wahi main niche pada apne aap ko sambhal raha tha, mere ankho ke aage andhera chha gaya tha.

Wo sare sainik jokram ke gulam the, wo maharani ke sainik nahi the, inke paas shaitani takaten thi un sab ne apna roop badal liya or mere taraf badhne lage.

main abhi niche hi leta hua tha ki wo sab mere kareeb aa gaye the, tabhi unlogo ke aage dhamaka hua, wo sab hadbada ke pichhe geer gaye. Ye dhamaka maharani ne kiya tha.

Main:- Ab kya mujhe bhi udha dogi Maharani, dekh ke nahi karti kya?

Maharani:- Maine tumhari jaan bachai hai, shukriya kahne ki jagah shikayat kar rahe ho, ehsaan faramos.

Main:- Kya ye madad thi, aise karte hai madad.

Maharani:- Han aise hi karte hain, Mere pitaji kahan hai btao jaldi.

Main:- Wo samne wale kaidkhane me ha.............

Meri puri baat sune bina hi rinoma jail ki taraf chali gai, or jo galti maine ki thi wahi usne ki, wo bhi jaa kar sidha usko kholne ki koshish karne lagi, usko bhi zorr ka jhatka laga, or usi tarah door geeri.

sare sainik:- hahahahaha jaise ye buddhu hai usi tarah ye maharani hai hahahahahahhaha pakad lo inn dono ko aaj maharaj khush ho jayege.

Wo sab hum dono ki taraf aane lage tab tak maharani bhi uth gai or mujhe ghoor kar dekhne lagi.

Main:- Kyaa... meri puri baat hi nahi suna tumne maharaniii jiiii, mujhe bhi to laga tha.

maharani:- Chup karo apni bakwas, ab inse nipato.

Phir hamari unse sabse yuddh hone laga, maharani to bhai apne jadui shaktiyo se lad rahi thi or main apne hatho se ab mere paas jadui takat to tha nahi, or jo tha bhi to chhota mota se lada nhi jaa sakta naa.

Main:- Maharani kuchh karo naa jaldi se chutki baja ke inko yaha se hata do, abe ruko bhai dekh nahi rahe baat kar raha hun.

Gulam:- Han thik hai, kyaa .... nahi chhodunga tumko insaani kide.

Maine khinch ke ek laat mara door jaa ke geera.

Main:- Bola tha ruk jaa suna hi nahi tune, Maharani suno to wo maharani....... aaahhhh

Maharani:- Kya bakwas kar rahe ho, ye koi mamuli sainik nhi hai jo sabko udha dun, shaitani takate hai inke paas, ladne par dhyan do.

main:- Are rinoma kahan ho aap, aapne mujhse jhuth kyo bola tha ki aapki putri bahut hi shaktishali or divya shaktiyo wali hai, jab ye kuchh kar hi nahi shakti.

Maharani:- Kya kaha, mere pita ji ka naam samman se lo maharaj hain wo yaha ke.

Main:- Han Han thik hai maharani ji, rinomaa, rinomaa kahan ho aap.

Rinoma jo andar the adrishya roop me jab unko meri aawz aai to pahle to wo pahchan nahi paye ki koun awaaz de raha hai, kyoki bhai main to mila bhi to bas ek baar hi tha, kintu kuchh derr me pahchan gaye tab unhone bola.

Rinoma:- han Chandra kya ye tum ho, main yah andar hi hun, Kya tumne meri putriramika ko bacha liya, bolo kya ramika tumko mili yaa nahi.

main:- are yaar jaisi beti hai waisa hi baap hai, mera matlab jaisa baap waisi beti, ruko bhai thak gaya hun, han ab aa, ye le tu bhi le, Han rinoma aapko ramika mere sath hi hai, Are aap bolti kyo nahi maharani.

Maine dekha to maharani ki aankho me ansu the, shayad itne dino baad apne pita ki aawaz sun ke bhavuk ho gai thi.

Rinoma:- Putri ramika kya tum yaha ho, bolo putri kya tum thik ho, tumhari aawaz sune arsa beet gaya.

Lekin maharani ke hmuh se to aawz hi nahi nikal rahi thi, aap log soch rahe honge ki ye log aise kyo baat kar rahe hai, kya rinoma ko humlog dikh nahi rahe hain? han ye sach hai hum sab ek dusre ko dekh nahi paa rahe the isliye aise baat ho rahi thi,

Ramika:- Haannn.... han pita ji main yahi hun pita ji, aap thik to hain naa.

Rinoma:- Han putri main thik hun, kintu tum yaha kyo aai ho, putri yaha se kahi door chali jao nahi to wo dusht tumko phir kaid kar lega, jao meri putri jao.

Ramika:- Nahi pita ji aapko liye bina nahi maina apko. aaaaahhhh

Rinoma :- kya hua putri .... putri....

Maharani ko pichhe se ek gulam ne prahar kiya tha, jis wajah se unke muh se chikh nikal gai, lekin ab wo bahut gusse me thi or pichhe ghum kar unhone apne puri takat se un sab par hamla kiya jisse dekhte hi dekhte sare ke sare khatam ho gaye, bas rah gaya to rakh.

Main:- Are wah ye hui naa baat, yahi kaam pahle kar deti to kya jata tumhara maharani ji.

Lekin iss bar maharani ji kafi gusse me thi, unhone mujhe ghur kar dekha to maine apna muh band rakhne me hi bhalai samjha.

Tab ham dono jail ke taraf chale lekin ab bhi wahi sawal tha ki ye khulega kaise.

Main:- Ab ye kaise khulega chhune par to jhatka lagta hai.

Rinoma:- Chandra tum sab thik ho ramika kahan hai putri.

Ramika:- Main thik hun pita ji, lekin ye kaid se aapko nikale kaise.

Rinoma:- iske baare me mujhe gyat nahi hai putri uss shaitan ne isko shaitani shakti se bandh rakha hai jise todna itna asan nahi,

Ramika:- Pitaji aap pichhe hat jaiye main koshish karti hun.

Itna kah kar maharani ne apni shaktiyo ka waar uss jail par kar diya kintu iska koi parinam nahi nikla.

Rinoma:- Putri tum isko nahi tod paogi yaha se chali jao kahi jokram yaha aa gaya to phir kuchh nahi kar paogi.

Ramika:- Nahi pita ji main aapne bina yaha se nahi jaungi, main sabko to kho chuki hun ab aapko nahi khona chahati, main aapko nikal ke rahungi chahe aaj mujhe apni sari shaktiyo ko hi kyo naa lagana pade.

Phir maharani ne Apni sabhi shaktiyon ko ekatrit kiya or uska upyog us jail ko todne me karne lagi unhone apne sari shakri laga di, jisse wh kamzor lag rahi thi, apni puri shakti lagane ke baad bhi wah uss mayajal ko tod nahi pai, tabhi.

Tabhi waha ek bahut hi khaufnak hasee gunj gai.

" Hahahahahahahahahhahahahaha" Maharani Ramika hahahahhaha tum apne pita ko nahi bacha paogi hahahahahahhahahahha"

Aaj ke liye itna hi.

Thaank you.
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.

Aage ka intjaar
 
Status
Not open for further replies.
Top