• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Horror Horror Junction ~ Tales of Terror

Status
Not open for further replies.

Adirshi

Royal कारभार 👑
Staff member
Sr. Moderator
38,137
53,717
304
Yaha post ki gayi kahaniya puri tarah se kalpanik hai jinka kisi bhi jivit ya mrit vyakti se koi sambandh nahi hai, in kahaniyo ka uddeshaya andha shraddha ko badhava dena bhi nahi hai, ye kahaniya kewal aur kewal manoranjan ke hetu se likhi gayi hai

dhanyawaad..
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,287
304
Episode 1
Safed saari



Raat bahut ho gayi thi aur wo bike se apne ghar ke liye nikal chuka tha, abhi kuch hi din huye the use nayi naukri mile huye aur isi naukri me use kabhi day shift to kabhi night shift me kaam karna padta tha… day night shift karke wo kafi thak jata tha, aise hi aaj jab wo office se apni shift karke nikla to raat ke ek baj chukka tha…

Night shift khatam hone ki wajah se bahut se log use main road ki taraf jate huye dikhe wo bhi unhi logo ke sath main road ki taraf nikal gaya, main road par aate hi sab log apne apne raste chale gaye..

Har koi apne apne ghar ki taraf badh raha tha, naukri pasha log the kisi ka khud ka ghar tha to koi iraye ke ghar main rehta tha, wo bhi apni bike leke nikla aur kuch samay me main road par aaya, raat kafi ho gayi thi isi wajah se ab raste par gadiyo ki gardi bahut kam thi, din main isi raste par gadiyo ki line lagi hoti thi par ab sab shant tha, beech beech me ekad gadi use saamne se aate dikhti aur kabhi koi gadi overtake karke aage nikal jati..

Ab wapis use highway chhod kar sadhe raste se apne ghar ki taraf badhna tha.. thoda aage aakar usne rasta badla aura b jo beech beech me gadiya dikhti thi wo bhi band ho gayi thi, ab bas waha gadi ke headlight ka ujala tha aur kala dambri rasta bilkul kisi ajgar jaisa.. raat ke us andhere me wo bhayanak shanti asahaniya thi par koi upay nahi tha, naukri karni thi to shift me kaam karna hi tha

Wo apne hi khayalo me khoya hua tha, rasta khali tha to wo raste ke beech se gadi chala raha tha, waise bhi ab yaha use kaun kuch kehne wala tha ki wo beech se na chalaye side se chale.. kuch samay me uska akela pan dur hua kyuki use piche se aane wali gadi kahorn sunai diya, raste ke beech se chalne wali apni gadi ko usne side me liya aur chalne laga, kuch hi seconds me ek couple wali bike use overtake karke aage nikal gayi, shayad wo pati patni the..

Pati ke sar pe topi aur sharir par ek kala jacket tha aur piche baithi us mahila ne sari pehni huyi thi par ek baat uske dhyan me aayi ke bike par piche baithi us mahila ke sari ka pallu bike ke piche ke chakke ke ekdum paas aa gaya tha hawa ke jhoke se wo kabhi bhi speed me chalti gadi ke chakke me atak sakta tha aur agar wo pallu chakke me atka to us mahila ke jaan par ban sakti thi usne jhat se apni bke ki speed badhayi aur saamne wali gadi ko overtake karte huye bola

“madam aapki sari chakke me atak rahi hai..use sambhal lijiye”

Itna bol ke wo aage nikal gaya, ek samadhan tha, chhoti hi sahi kisi ki madad karne ka, kayi baar hum aise accidents ke video social media par dekhte hai..

Wo ab bhi apne khayalo me chal raha tha ke itne me firse wo bike use overtake karke aage jane lagi, usne pehchan liya..wahi topi kali jacket par piche wo mahila..?? uski patni nahi thi..usne gadi ki speed badhayi aur us aadmi se puchne laga

“aapke gadi par piche baithi aapki patni, unki sari chakke me atak rahi thi maine bataya tha..”

Kuch aage jane ke baad us bike wale ne apni bike roki aur ek pal ko ruka, isne bhi apni bike rok di aur road ke side me khadi ki…

“kya hua bhau, aapki patni piche baithi thi na wo kaha hai..??

Wo aadmi tharthara raha tha, reh reh kar uske rongte khade ho rahe the, kuch na bolte huye usne piche mud kar raste ki taraf dekha.. ghanghor andhere me duba hua wo nirjan rasta bahut jyada bhayanak lag raha tha aur us raste ki taraf wo aise dekh raha tha mano abhi wo maut ke muh se bacha ho uske dil me jo darr tha wo uski aankho me dikh raha tha

“kya hua..? aap itne ghabraye huye kyu ho..? pani du aapko..??

Usne apni bag nikali aut pani ki bottle nikal kar us aadmi ke saamne pakdi waise wo saamne ka aadmi bola

“mere gadi me tune kise baitha hua dekha tha..?”

“matlab..? aapke pehchan ki nahi thi kya wo.?”

“main job se ghar ja raha hu, akela… kisi ko lift bhi nahi di hai maine..”

Us anjan aadmi ki baat sunkar uske pairo tale jamin khisab gayi, apne hath me pakdi pani ki bottle khol kar usne do ghut pani piya, ab wo dono bhi us andere me dube khali bhayanak raste ko dekh rahe the, dur andhere me unhe raste ke beecho beech ek safed dhundhli akruti dikhne lagi, dono us or dekh rahe the, dil ki dhadkan badhi huyi thi..itne me piche se ek gadi ka unhe horn sunai diya, wo dono ekdusre se bagair kuch bole apne apne bike par baith kar full speed me wala se apne gharo keliye nikal gaye, kuch samay ne wo dusra aadmi uske raste chala gaya aur ye bhi ghar pahuch gaya..

Ab tak raat ke do baj chuke the.. bed par girne ke baad bhi kuch karlo neend nahi aarahi thi..

Uski aankhe hawa ke jhoke se hilne wali khidki ke padre par tiki huyi thi, jindagi me pehli baar usne kuch aisa dekha tha kuch jispar wo kabhi vishwas nahi karta tha jiski usne jindagi bhar majak banaya tha..

Reh reh kar uske man me yahi khayal aa raha tha ke jo aaj tak nahi hua wo aaj kyu hua..? wo to pehle bhi kayi baat aise raat beraat ko ya kabhi kabhi to subah subah ghar pahucha tha fir aaj hi aisa kyu hua..? ye uska weham to bilkul bhi nahi tha, kyuki bike par baithi huyi wo mahila, uski wo Safed saari, hawa ke jhoke ke sath hilne wala uski saari ka pallu jaise is khidki ka parda hawa ke jhoke ke hil raha hai waise hi hil raha tha..

Vatavaran ki shanti roj jaisi thi thi fir bhyi aaj wo aur bhi jyada bhayanak, rahasyamayi aur jaanleva lag rahi thi..uski najar bahut samay se us khidki ke parde par tiki huyi thi.. waha kuch to tha jo us parde ko aakar de raha tha.. ek aisi manvi akruti jo parde par umat rahi hai aisa use lag raha tha, isse pehle usne kabhi itna dhyan se nahi dekha tha.. par uske dekhne ya na dekhne se uska astitva khatam hone wala nahi tha.. hawa se hilne wale parde se ab use darr lagne laga tha usne hawa se beech beech me khidke ke dhadakne ke awaj se wo sehame ja raha tha.. wo apne bed se utha aur usne khidki band ki..

Jab se khidke se aane wala awaj ab band ho gaya tha.. shant ekdum shant lag raha tha, wo apne bed ki taraf muda itne me ek safed saari pehni huyi aurat ne uspar hamla kiya.. dil mano sharir se nikal ke baahar aa girega itna jyada wo ghabra gaya aur neend se jag gaya..

Sapna…ek bhayanak sapna..shayad raste par huyi ghatna uske dimag me ghar kar chuki thi, sharir pasine se bhig gaya tha… do dino tak usne kaam par jana taala par ghar me kitne din rehta..? dusri jagah naukri ke liye try bhi kiya par koi fayda nahi hua aur akhir me teesre din himmat karke wo job par gaya par uska dhyan kaam me nahi lag raha tha, reh reh kar uski najar ghadi ke kato par ja kar ruk jati.. sadhe bara baj gaye,,shift khatam huyi.. har koi apni apni gadiya leke baahar nikalne laga par uske pair hi nahi uth rahe the..

Akhir me uske apni gadi nikali aur fir se raste par aaya.. hamesha ki tarah thodi bahut gadiya thi, wo apne khayalo me itna khoya hua tha ke use pata hi nahi chala ke highway kab khatam hua… fir se use sab yaad aane laga aur darr se uski dhadkane badh gayi.. itne me piche se ek gadi ka horn aaya aur iske sath hi uski bachi huyi himmat bhi jawab dene lagi..dimag sunn hone laga.. awaj aa raha tha bas dil ke dhadakne ka…

Dhak-dhak dhak-dhak

Wo gadi kareeb aayi.. uska chehra pasine se bhig chuka tha, agle hi pal wo gadi use overtake karne lagi.. usne tirchi najro se dekha to dusri gadi par wo banda akela hi tha..uski jaan me jaan aayi, thoda darr kam hua uske us disre bike wale ko dekha aur ek smile di waise hi us bike wale ne apne helmet ka kaanch uper kiya aur aur uski taraf dekhte huye bola..

“madam ko bolo apni saari ka pallu sahi kare…”


----------------
Samapt..
matlab kabhi paranormal activities pe viswash karne wale ke sath paranormal ghatana ghat gayi... :D
Pehle us admi ke bike ke piche baithi thi ab iske bike ke piche aa baithi.... situation, jagah wohi bas is baar koi dusra bike wala wohi dialogue mara ki madam ko bole ki pallu sahi kare..
Brilliant story line with awesome writing skills :yourock: :yourock:
 

The_Punisher

Death is wisest of all in labyrinth of darkness
Staff member
Moderator
33,352
22,013
274
:congrats: for new thread
Ye naya idea kafi Aacha hai har weekend ek nayi horror story padhne milengi
Dono stories bhadhiya likhi hui thi thoda aur bhadhi aur deep hoti tho aur bhi achha hota khas taur par second one thodi chhoti lagi mujhe waise shuruwat bhadiya hai kuch yaade taza ho gaye ;)
:waiting: for next Sunday
 

Kingfisher

💞 soft hearted person 💞
7,475
26,126
204
Episode 1
Safed saari



Raat bahut ho gayi thi aur wo bike se apne ghar ke liye nikal chuka tha, abhi kuch hi din huye the use nayi naukri mile huye aur isi naukri me use kabhi day shift to kabhi night shift me kaam karna padta tha… day night shift karke wo kafi thak jata tha, aise hi aaj jab wo office se apni shift karke nikla to raat ke ek baj chukka tha…

Night shift khatam hone ki wajah se bahut se log use main road ki taraf jate huye dikhe wo bhi unhi logo ke sath main road ki taraf nikal gaya, main road par aate hi sab log apne apne raste chale gaye..

Har koi apne apne ghar ki taraf badh raha tha, naukri pasha log the kisi ka khud ka ghar tha to koi iraye ke ghar main rehta tha, wo bhi apni bike leke nikla aur kuch samay me main road par aaya, raat kafi ho gayi thi isi wajah se ab raste par gadiyo ki gardi bahut kam thi, din main isi raste par gadiyo ki line lagi hoti thi par ab sab shant tha, beech beech me ekad gadi use saamne se aate dikhti aur kabhi koi gadi overtake karke aage nikal jati..

Ab wapis use highway chhod kar sadhe raste se apne ghar ki taraf badhna tha.. thoda aage aakar usne rasta badla aura b jo beech beech me gadiya dikhti thi wo bhi band ho gayi thi, ab bas waha gadi ke headlight ka ujala tha aur kala dambri rasta bilkul kisi ajgar jaisa.. raat ke us andhere me wo bhayanak shanti asahaniya thi par koi upay nahi tha, naukri karni thi to shift me kaam karna hi tha

Wo apne hi khayalo me khoya hua tha, rasta khali tha to wo raste ke beech se gadi chala raha tha, waise bhi ab yaha use kaun kuch kehne wala tha ki wo beech se na chalaye side se chale.. kuch samay me uska akela pan dur hua kyuki use piche se aane wali gadi kahorn sunai diya, raste ke beech se chalne wali apni gadi ko usne side me liya aur chalne laga, kuch hi seconds me ek couple wali bike use overtake karke aage nikal gayi, shayad wo pati patni the..

Pati ke sar pe topi aur sharir par ek kala jacket tha aur piche baithi us mahila ne sari pehni huyi thi par ek baat uske dhyan me aayi ke bike par piche baithi us mahila ke sari ka pallu bike ke piche ke chakke ke ekdum paas aa gaya tha hawa ke jhoke se wo kabhi bhi speed me chalti gadi ke chakke me atak sakta tha aur agar wo pallu chakke me atka to us mahila ke jaan par ban sakti thi usne jhat se apni bke ki speed badhayi aur saamne wali gadi ko overtake karte huye bola

“madam aapki sari chakke me atak rahi hai..use sambhal lijiye”

Itna bol ke wo aage nikal gaya, ek samadhan tha, chhoti hi sahi kisi ki madad karne ka, kayi baar hum aise accidents ke video social media par dekhte hai..

Wo ab bhi apne khayalo me chal raha tha ke itne me firse wo bike use overtake karke aage jane lagi, usne pehchan liya..wahi topi kali jacket par piche wo mahila..?? uski patni nahi thi..usne gadi ki speed badhayi aur us aadmi se puchne laga

“aapke gadi par piche baithi aapki patni, unki sari chakke me atak rahi thi maine bataya tha..”

Kuch aage jane ke baad us bike wale ne apni bike roki aur ek pal ko ruka, isne bhi apni bike rok di aur road ke side me khadi ki…

“kya hua bhau, aapki patni piche baithi thi na wo kaha hai..??

Wo aadmi tharthara raha tha, reh reh kar uske rongte khade ho rahe the, kuch na bolte huye usne piche mud kar raste ki taraf dekha.. ghanghor andhere me duba hua wo nirjan rasta bahut jyada bhayanak lag raha tha aur us raste ki taraf wo aise dekh raha tha mano abhi wo maut ke muh se bacha ho uske dil me jo darr tha wo uski aankho me dikh raha tha

“kya hua..? aap itne ghabraye huye kyu ho..? pani du aapko..??

Usne apni bag nikali aut pani ki bottle nikal kar us aadmi ke saamne pakdi waise wo saamne ka aadmi bola

“mere gadi me tune kise baitha hua dekha tha..?”

“matlab..? aapke pehchan ki nahi thi kya wo.?”

“main job se ghar ja raha hu, akela… kisi ko lift bhi nahi di hai maine..”

Us anjan aadmi ki baat sunkar uske pairo tale jamin khisab gayi, apne hath me pakdi pani ki bottle khol kar usne do ghut pani piya, ab wo dono bhi us andere me dube khali bhayanak raste ko dekh rahe the, dur andhere me unhe raste ke beecho beech ek safed dhundhli akruti dikhne lagi, dono us or dekh rahe the, dil ki dhadkan badhi huyi thi..itne me piche se ek gadi ka unhe horn sunai diya, wo dono ekdusre se bagair kuch bole apne apne bike par baith kar full speed me wala se apne gharo keliye nikal gaye, kuch samay ne wo dusra aadmi uske raste chala gaya aur ye bhi ghar pahuch gaya..

Ab tak raat ke do baj chuke the.. bed par girne ke baad bhi kuch karlo neend nahi aarahi thi..

Uski aankhe hawa ke jhoke se hilne wali khidki ke padre par tiki huyi thi, jindagi me pehli baar usne kuch aisa dekha tha kuch jispar wo kabhi vishwas nahi karta tha jiski usne jindagi bhar majak banaya tha..

Reh reh kar uske man me yahi khayal aa raha tha ke jo aaj tak nahi hua wo aaj kyu hua..? wo to pehle bhi kayi baat aise raat beraat ko ya kabhi kabhi to subah subah ghar pahucha tha fir aaj hi aisa kyu hua..? ye uska weham to bilkul bhi nahi tha, kyuki bike par baithi huyi wo mahila, uski wo Safed saari, hawa ke jhoke ke sath hilne wala uski saari ka pallu jaise is khidki ka parda hawa ke jhoke ke hil raha hai waise hi hil raha tha..

Vatavaran ki shanti roj jaisi thi thi fir bhyi aaj wo aur bhi jyada bhayanak, rahasyamayi aur jaanleva lag rahi thi..uski najar bahut samay se us khidki ke parde par tiki huyi thi.. waha kuch to tha jo us parde ko aakar de raha tha.. ek aisi manvi akruti jo parde par umat rahi hai aisa use lag raha tha, isse pehle usne kabhi itna dhyan se nahi dekha tha.. par uske dekhne ya na dekhne se uska astitva khatam hone wala nahi tha.. hawa se hilne wale parde se ab use darr lagne laga tha usne hawa se beech beech me khidke ke dhadakne ke awaj se wo sehame ja raha tha.. wo apne bed se utha aur usne khidki band ki..

Jab se khidke se aane wala awaj ab band ho gaya tha.. shant ekdum shant lag raha tha, wo apne bed ki taraf muda itne me ek safed saari pehni huyi aurat ne uspar hamla kiya.. dil mano sharir se nikal ke baahar aa girega itna jyada wo ghabra gaya aur neend se jag gaya..

Sapna…ek bhayanak sapna..shayad raste par huyi ghatna uske dimag me ghar kar chuki thi, sharir pasine se bhig gaya tha… do dino tak usne kaam par jana taala par ghar me kitne din rehta..? dusri jagah naukri ke liye try bhi kiya par koi fayda nahi hua aur akhir me teesre din himmat karke wo job par gaya par uska dhyan kaam me nahi lag raha tha, reh reh kar uski najar ghadi ke kato par ja kar ruk jati.. sadhe bara baj gaye,,shift khatam huyi.. har koi apni apni gadiya leke baahar nikalne laga par uske pair hi nahi uth rahe the..

Akhir me uske apni gadi nikali aur fir se raste par aaya.. hamesha ki tarah thodi bahut gadiya thi, wo apne khayalo me itna khoya hua tha ke use pata hi nahi chala ke highway kab khatam hua… fir se use sab yaad aane laga aur darr se uski dhadkane badh gayi.. itne me piche se ek gadi ka horn aaya aur iske sath hi uski bachi huyi himmat bhi jawab dene lagi..dimag sunn hone laga.. awaj aa raha tha bas dil ke dhadakne ka…

Dhak-dhak dhak-dhak

Wo gadi kareeb aayi.. uska chehra pasine se bhig chuka tha, agle hi pal wo gadi use overtake karne lagi.. usne tirchi najro se dekha to dusri gadi par wo banda akela hi tha..uski jaan me jaan aayi, thoda darr kam hua uske us disre bike wale ko dekha aur ek smile di waise hi us bike wale ne apne helmet ka kaanch uper kiya aur aur uski taraf dekhte huye bola..

“madam ko bolo apni saari ka pallu sahi kare…”


----------------
Samapt..
Outstanding romanchak kahani thi aadi bhai
Majburi or apni niji avashyakta ke chalte us shkas ko night shift me kam karna pda or usne seharsh us kam ko kar bhi rha tha ...par niyati ko kuch or hi manjoor tha ....
Vaise ladka ek bhla sidha dusro ki madad karne vala lag raha hai esliye usne us anjan admi or ourat ki jan bachane ki liye us ourat ki apna pallu shi karne ko kha par sayad yha kuch or hi hone vala tha ...
Achhi tarah usi aurat ka bhan hone ke bavajud achnak uska gayab ho jana vo bhi mid night me kisi bhi bde dil vale ki gand fatne ke liye kafi hota hai ...vaise us ladke se to vo dusra ladka dar gya bechara
Gar ane ke bad bhi uske sapne ne uski gand marni suru kar di or rat me hi garmi se naha liya
Es ghatna ke bad vo puri tarah se sehem jata hai or kam par jana chod deta hai or dusri jagha kam dekhta hai par uski kismat me kuch or hi likha tha use koi kam nhi mila papi pet ko bharne ke liye use dobara himmat karke usi office me night shift me jana pda ... Es bar agyat saya dikhne se pehle hi eski fat ke hath me aa gyi and last me to dure admi ne ye bta ka uski gand .me bomb 💣 god diya ki uske pich ek ourat bethi hai


Vaise mene suna hai ki bhut pret unhi ki dikhai dete hai jiske gan (vastu dosh) kharab hote unhen dikhai dete hai ya fir us mart atma ke kisi relatives ya fir usko jisme is atma ke sath acha ya bura kiya ho
Muje lagta hai us atma ko vo ladka janta hoga ya fir vo us ladki ko janti hogi just my thinking 🤔 🤔
Vaise kafi himmat karke ek sath 4 💡 bulb jla kar gate ko ander bahar se band kar ke pad rha hue es daravni kahani ko ..dar es bat ki khi mere sapne me bhi ye chudail na aa jaye

Bahut hi behtarin tarike se likha Adirshi bhai speechless 😶
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top