- 2,922
- 7,255
- 143
Dusre Shayar Ne Ghazal Sunane Se Pahle Imran Se Kaha....Aap Bohath Naqaad (Alochak) Maalum Hote Hai....Zara Yeh Ghazal Bhi Mulaaheza Farmaiye....!
Imran Ne Seene Par Haath Rakhte Hue Sar Jhuka Kar Kaha....Basar-O-Chashm....!
Yeh Sahab Apne Saathi Se Bhi Zyada Uche Sabeet Hue....Shaikhu To Ek Sher Par Uchal Kar Bakhaida Naachne Laga....!
Ghazal Khatm Kar Ke Un Shayar Sahab Ne Faqriya Andaaz Mein Imran Ki Taraf Dekha....
Fir
Bade Dil Avaiz Andaaz Mein Muskuraye....Majme (Bheedh) Behangam Par Uchakti Si Nazar Daali....
Fir
Bole....Farmaiye Janab....Ghazal Kaisi Rahi....Isme To Shaher Nahi Aya....!
Zaroor Farmaunga....Har Chandh Ke Isme Lafz Shaher Nahi Aya....Allah Ka Lakh-Lakh Ehsaan Hai Mujh Par....
Lekin
Imran Ne Kaha....
Aur
Sanjheedgi Se Aisa Pose Banaya Jaise Kisi Ahem (Important) Masle Par Ghaur Kar Raha Ho....!
Lekin....Kya....? Shayar Sahab Use Ghoor Kar Bole
Yaar....Pata Nahi Kyun....Aisa Maalum Hota Hai Jaise Tum Sab Ek Hi Ustaad Se Ghazal Kahelwate Ho....Mushairon Mein Sunta Hu....Risaalon (Magzines) Mein Padhta Hu....Sabhiyon Ka Ek Hi Rang Nazar Aata Hai....Khuda Bhala Kare Faiz Sahab Ka Ke Unhone Apne Baad Fir Koi Aur Shayar Paida Hi Nahi Hone Diya....Sirf Do-Teen Is Bheedh Se Alag Maalum Hote Hai....Jaise....Jameel Uddin Ali....Aur....Jafar Zaheer....Waghaira....Aage Rahe Naam Allah Ka....!
Acha....Shayar Sahab Ne Jhalla Kar Kaha....Sardar Jafri Ke Mutaleekh (Sambhandit) Kya Khayal Hai....?
Patthar Todhte Hai....!
Waah....Waah....Subhaanallah....Safdar Jung Haath Utha Kar Daad Dene Wale Andaaz Mein Shor Machane Laga....Jawaab Nahi Is Tanqeed (Alochna) Ka....
Fir
Sanjheedgi Ikhtiyaar Kar Ke Use Ghoorta Hua Bola....Aamay....Tum Mistry Ho....Bandookh Banate Ho....!
Haa....Sarkaar....!
Lo Isi Baat Par....Safdar Jung Ne Apna Glass Uski Taraf Badha Diya
Shukriya....Aap Jaante Hai Ke Main Nahi Peeta....!
Peeni Padhegi....Safdar Jung Aankhein Nikaal Kar Ghurraya....Yahan Sab Pee Rahe Hai....!
Aap Ki Secretary Kahan Pee Rahi Hai....!
Wo Aurat Hai....!
To Mujhe Aurat Se Bhi Kam Tareen Samajh Kar Baqsh Di Jiye....
Varna
Mere Dada Maulana Fazal Ahle Jannat Makaani Khwaab Mein Danda Le Kar Daudayenge....!
Aamay....Tum Ka Peene Ki Nahi Aadath....Shaikhu Urf Tony Ne Imran Ke Shaane Par Haath Maar Kar Kaha
Imran Sirf Sadathmand Andaaz Mein Muskuraya....!