- 2,922
- 7,255
- 143
Itna Zyada Ke Ijaazath Do To Tumhe Kha Jaunga....!
Fir Bakwaas Kyun Kar Rahe Ho....!
Tum Kaisi Cow-Girl Ho....Ek Hi Faaqe Ne Tumhe Duniya Se Bezaar Kar Diya....!
Main Laanath Bhejti Hu Us Zindagi Par....Khuda Kare Safdar Jung Ke Bhi Goli Lag Jaye....!
Tum Uski Mulaazim Ho Kar Aisi....
Main Uski Mulaazim Nahi Hu....Nina Ne Imran Ko Jumla Pura Nahi Karne Diya....Chandh Lamhe Sonchti Rahi....
Fir
Boli....Mulaazimat Par To Laanath Maari Jaa Sakhti Hai....
Lekin
Kuch Bandhan Aise Bhi Hote Hai Jinhe Todhna Behadh Mushkil Hota Hai....!
Main Samajh Gaya....Imran Sar Hila Kar Tashveesh Kun (Chinta-Janak) Lahje Mein Bola
Tum Kuch Bhi Nahi Samjhe....Ghalath Samjhe Ho....Usse Mera Koi Aisa Rishta Nahi Jiss Par Mujhe Sharmindgi Ho....Main Uski Parvarda Hu....Meri Parvarish Uski Ladkiyon Ke Saath Hui Hai....Mera Baap Uska Mulaazim Hai....Mere Teen Bhai Bhi Usi Ke Tukdhon Par Pal Rahe Hai....Meri Maa Bachpan Hi Mein Mar Gayi Thi....Safdar Jung Ne Mujhe Mahel Ki Nurse Ke Supurd Kar Diya Tha....
Aur
Waise Bhi Hum Log Uske Pushtaini Namak Khavar Hai....Koi Bhi Shareef Aadmi Aise Bandhanon Ko Nahi Todh Sakhta....Ya Todh Sakhta Hai....?
Huh....Ooohh....Pata Nahi....!
Nahi Todh Sakhta....Maine Kayi Baar Soncha....
Lekin
Jab Uske Ehsaanaat Yaad Aye To Saara Josh Thanda Padh Gaya....!
Mera Bhi Yahi Khayal Hai Ke Tum Usse Picha Nahi Chhuda Sakhti....Bohath Samajhdar Aur Nek Ladki Ho....Bohath Samajhdar Aur Nek Ladki Amuman Barbaad Ho Jaya Karti Hai....!
Kya Matlab....?
Matlab Hi To Samajh Mein Nahi Aata....Imran Ne Maghmoom (Udaas) Lahje Mein Kaha....Matlab Samajh Mein Aata Hota To Matric Mein Paanch Saal Fail Hote Rahne Ke Baad To Padhna Kyun Chhodta....Wo Imtehaan Mein Puchte The Ke Aadi Azam Mushtarak Kise Kahte Hai....
Aur
Main Sikander-E-Azam Ke Sasuraal Ke Halaath Likh Diya Karta Tha....!
Nina Hans Padhi....
Fir
Sambhal Kar Is Tarah Bisoorne Lagi....Jaise Use Na Hansna Chahiye Tha....!