- 2,922
- 7,255
- 143
Tum Nahi Jaa Sakhti....Tum Mujhe Nahi Chhod Sakhti....Main Khudkashi Kar Lunga....
Agar
Tum Ne Mujhe Chhoda....
Fir
Wo Ek Beek Phoot-Phoot Kar Rone Laga....!
Rushy Ghair Iradai Taur Par Use Chhod Kar Hatt Gayi....!
Koobdha Aur Kuch Kahe Baghair Baazuon Mein Sar Diye Rota Raha....!
Ab Rushy Ko Hosh Aya....Usne Soncha Ke....
Agar
Kisi Ne Unhe Aisi Betooki Halath Mein Dekh Liya To Kya Hoga....Wo Chupke Se Darwaaze Ki Taraf Badhi....
Aur
Use Bhedh Kar Bolt Chadha Diya....!
Koobdha Ab Awaaz Se Nahi Ro Raha Tha....Sirf Siskaariyan Jaari Thi....Chehra Bhi Baazuon Mein Chupa Hua Tha....!
Kayi Minute Guzar Gaye....Rushy Ek Stool Par Ahmaqon Ki Tarah Baithi Hui Thi....
Aur
Ab Use Mehsoos Ho Raha Tha Jaise Usse Zabardast Ghalthi Sarzad Hui Ho....Wo Bilkul Kisi Nanhe Bachche Ki Tarah Roye Jaa Raha Tha....Wo Sonchti....
Aur
Bore Hoti Rahi....
Fir
Kuch Der Baad Sakoot Taari Ho Gaya....!
Koobdhe Ne Apna Aansooun Se Bheega Hua Chehra Upar Uthaya....Aankhein Laal Ho Rahi Thi....
Aur
Naak Ke Nathune Phoole Hue Nazar Aa Rahe The.....!
Rushy Ne Gadbadha Kar Dusri Taraf Muh Pher Liya....!
Tum Nahi Jaogi....Bolo....Tum Mujhe Chhod Kar Nahi Jaogi....Usne Ahista Se Kaha
Rushy Ne Uski Taraf Dekha....
Aur
Fir....Dusri Janib Dekhne Lagi....Uski Samajh Mein Nahi Aa Raha Tha Ke Ab Use Kya Karna Chahiye....!