★ INDEX ★
☟
☟
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Last edited:
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Romanchak update mitrUPDATE - 70
Main Jwala ke kabile mein tha....wahi ghoom raha tha main aas pass....nayi tarah ki chizen bana rahe the wo jisme naa sirf uske kabile ka art aur culture tha saath hi baaki ke do kabilon ka bhi yogdaan tha....yaha pe ek bilkul hi alag chizz ban rahi thi....halaki Polar Bear king ne aisa kaha jarur tha ki wo ab apne ghar jaana chahte hai....aur unki iss baat ke picche ki jo baat thi wo bilkul sahi thi....har koi chahta hai uska baccha uske apne ghar mein aaye.....apne gaon mein....sahron mein ye sab nahi hota....saher alag hi chiz hai.....khair iss baare mein baat karne lag jaaye to sadiyaan beet sakti hai sayad.....
Main kabhi yaha kabhi waha aise hi ghoom raha tha ki acchanak se aisa laga jaise....kuch hua......kuch bahut hi ajeeb.....
Main jaha pe khada tha wahi pe baith gaya Main.....aisa laga kisi ne mere kissi hisse ko nuksan pahuchaya hai.....
Main - Dhruv ye kya ho raha hai.....ye....m..mm..mujhe...
Iske aage Prateek kuch bol pata usse pahle waha pe Old Owl aa gaya....Old Owl ne usko jaldi se tinno vaidyo ke pass pahuchaya....aur saath hi dono Bua ko khabar di....aur unko bhi waha leke aaye.....
Prateek behosh tha.....par akela.....pata nahi...
K.Bua usko check kar rahi thi sab theek tha uske sarir mein....sach kahe to theek se kuch jyada hi tha....aur yahi baat K.Bua samajh nahi paa rahi thi....
Bua ne unka pareshan chahra dekha aur puccha unko....
Bua - Kavita kya hua hai isko...ye aise behosh kyun hai sab theek hai naa....
K.Bua - sab theek hai......darasal theek se kuch jyada hi acccha hai par....kaise bataun Main samajh nahi paa rahi
Bua - hua kya hai ye batao....
K.Bua - Prateek ke ander ki energy.....wo bahut jyada hai....uska level bahut jyada hai...humse bahut hi jyada....
Bua - kitna jyada...aur ye to accha hai par ye wajah nahi hai iske aise behosh hone ki wajah kya hai ye batao....
K.Bua - Wajah.....wo hi nahi samajh aa rahi aur saath mein ye bhi nahi ki iski Energy kisi Titan grah wale se bhi jyada kaise ho sakti hai...
Bua - kya....kya bol rahi ho tum dimmag sahi hai naa......ye kaise ho sakta hai.....
K.Bua - Ye hua hai....aur ho raha hai....
Main behosh tha.....yaa ye kahu meri body us halat mein thi Main....Main to kahi aur hi aa gaya tha....Main pata nahi kis jagah pe aake khada ho gaya tha....aas pass andera tha....par kuch kuch chizen dikh bhi rahi thi....
Main - ye kaun si jagah hai.....Dhruv....ye kaha aa gaya hu main...
Koi aawaj nahi siway mere hi aawaj ke....maine jo socha wo wapas se mere kaano mein aaya.....Main aage badha aur badhta raha....aur badhta raha par....par kuch ho hi nahi raha tha.....
Main jaise ek kabhi naa khatam hone wale andhere galiyaare mein chala jaa raha tha....aur Main thak bhi nahi raha tha....abhi tak to nahi....
Bachpan mein...Jab Main apni Master ke saath raha karta tha.....wo mujhe nayi nayi cheezin sikhaya karti thi....ye unnhi mein se koi ek sa lag raha tha.....
Main - Master.....Master aap kaha ho.....
Master - Aage badhte raho Prateek.....
Main badhta jaata mujhe lagta aur jab lagta ki ab to master ke pass pahuch hi gaya hu.....to fir se aawaj lagata....wapas se aawaj aati master ki....tab bhi utni hi doori se jitni doori se isse pahle baar aayi thi...
Master apne tariko ko ajeeb se naam de diya karti thi....sach mein bade hi ajeeb se naam....ab kya hi bataun unke baare mein.....iss cheez ko unhone The seeker passage technique kaha tha....isme apne dusmano ko fasaya jaata hai....
Kahte hai Orion planet ke pramukh jaadugaron mein se kisi ek ne issi ka use kiya tha khud ko apne dusman se bachane ke liye....unhone hi iska izzad kiya tha.....ek galiyara banwaya tha unhone...ussi galiyaarin se hoke hi unke kamre mein jaaya jaa sakta tha aur koi darwaja hi nahi tha....raat ke waqt wo uss galiyaarein ko jinda kar dete the...aisa Orion ke logo ka kahna tha.....fir jab tak wo wapas se uth ke khud uss galiyarein ko sula nahi dete tab tak koi usko paar nahi kar sakta tha....
Aaj ussi galiyaarein mein Main khada tha....akela....Master ne bataya tha isko kaise bheda jaaye.....uss waqt Maine isko mahej ek kahani hi maana tha tab to pata nahi tha naa Main kaun hu kya hu.....aur Master.....unhone to aisa rasta chunna tha isko sikhane ke liye ki main samajh hi nahi pata tha ki wo sab hai kya.....wo meri aankhon mein patti baandh deti aur mujhe ek treadmill pe khada kar deti aur chalne ko kahti.....Main bhi isko as a game kar liya karta tha.....uss waqt to sab waise hi kiya karta tha sab khel hi to tha.....
Main chalta rahta aankhon mein patti baandh ke aur Master ko bulata rahta.....aur mere hisab se Master ek jagah baith ke jab bhi main unko pukarta wo jawab de diya karti thi....aur main ussi jagah hua karta tha har baar....
Master ne to ye cheez mujhe.....aawaj se durri ka anumaan lagane ke liye sikhaya tha sayad....yaa aisa mujhe lagta aa raha tha....
Main- Dhruv sunn rahe ho kya....
Maine ye test karne ke liye kiya tha......pakka jo karna tha ki ye sahi hai bhi ya nahi.....
Jaisa socha tha waisa hi tha ye,....bimari ka patta chal gaya tha par usko paar kaise kare.....kaise uss jagah se nikle ye samajh nahi aa raha tha.....Master ne sayad bataya hi nahi.....yaa Maine puccha hi nahi tha kabhi....
Main ye sab hi soch raha tha ki acchanak se dimmag mein ek khayal aaya.....Dark power.....
Main - kya wo ho sakti hai wajah.....kya wo abhi mere upar haawi hai....
Ye soch ke hi darr gaya tha Main.....
Main abhi jo rukka hua tha uss andhere kamre mein ek dum se baith gaya.....aakhen band kari aur dhyaan lagane ki koshish karne laga....
Agar mera ye darr sahi hua to pata nahi abhi kya ho raha hoga....Dark power ne mujhe apne kaabu mein kar liya hoga aur ye Seeker's passage mein phasa diya hai....
wahi bahar.....
Bua - yaar kuch to bata...kab hosh aayega isko.....kal ghar bhi jaana hai kya kahungi unko....
K.Bua - Main kya bataun tujhe sab to bataya naa sab samjhaya bhi isko pata nahi kya hua hai....sab theek hai par ye hosh mein nahi aa raha hai.....aur dekho wo bhi behosh hai....uska bhi kuch pata nahi chal raha hai....
Theek issi waqt.....raat ke waqt hi Demos pe alag hi kuch chal raha tha waha pe acchanak se Justin ki tabiyat kharab ho gayi thi....waise to aksar hi uski tabiyat kharab rahti thi par iss baar serious tha....Lucifer purre gusse mein apne doctors ko samjha raha tha uske bete ko kuch nahi hona chahiye.....
Demos ke doctors bhi kare to kya kare.....wo samajh hi nahi paa rahe the.....unhone to kab ke apne haath khade kar diye the....par Lucifer ko sach kaun bataye ki uska Beta Justin....kabhi bhi...
Doctors lage hue the.....wahi Lucifer bhi laga hua tha.....kisi bhi tarah apne bete ko bachane ki koshish mein.....
Lucifer apne sena nayak ko bulata hai....
Sena Nayak - Mahamahim hukum kare....
Lucifer - Strange world...waha pejitne bhi log hai hamare.....sabhi ko uss jagah pe bhejo.....aur acche se dekhne kaho.....wapas se....
Sena Nayak - Ji Mahamahim....
Lucifer - aur tum.....tum khud jaao abhi ke abhi uss jagah jaha pe uss Dark Power ke hone ka pata chala tha.....(chillate hue) Portal khulwao aur isko bhejo waha jaldi...(sena nayak se) tum....tum waha jao...aur dekho.....dekho wo dark power hai waha yaa nahi.....kuch bhi mille wo batao mujhe....aur jaldi karo....
Sena nayak ne sunna ye aur wo nikal gaya portal khulte hi saath hi usne Strange world mein bhi message bhijwa diya tha....aur ye unn sab ke liye tha jinhone favour liya tha Lucifer se Demos se.....yaa Demos ke kisi bhi bande se......jaahir si baat hai Yuvraj ka naam kaise nahi aayega isme.....
Wo bhi utha aur uss jagah ko wapas se nikal gaya binna mann ke.....
Mann kare bhi to kaise....3-4 baar usne subah ke ujale mein sab dekha tha....kuch bhi nahi milla tha...ab iss raat ko kya milne wala tha.....
Waha pe pahucha to pahle se log the waha pe alag alag prajati ke aur sabhi ne chahre dhakk rakhe the.....isne ye dur se hi dekh liya tha bas issi wajah se isne bhi khud ki pahchan chippane ko chahra dhakk liya...
Par ye kaha jaanta tha iske picche to log lage hue hai pahle se hi.....wo iske har ek movement ki khabar rakhte hai...
Leemo ne apne khass logo ko laga rakha tha iske picche....subah ke waqt bhi jab ye yaha aaye the tab bhi wo dono aaye the iske picche picche par samajh nahi paaye aakhir baat kya hai....fir iss waqt bhi yaha pe aana....aur jab unhone dekha sabhi ne chahre chuppa rakhe hai to wo log bhi mil gaye unhi mein....
Elf Kingdom ka Yuvraj yaha aake wapas se bemaan sab dekhne laga....har ek taraf.....
Kuch pedhon ke pass usko thodi si roshani aati hui dikhi....wo uss orr dekhne gaya.....to usne paaya uss ped ke ass pass raat mein chamakne wale kuch phool the....wai chamak rahe the......usne socha tha ki usko kuch khass mil jaayega par haath lage wo wahi chamakne wale phool.....
Usne ek phool ko toda aur usko masalne laga apne haathon mein.....tabhi uski nazar kisi cheez pe padi....
Yuvraj - koi inn pedon ko kaaton yaha se.....
"tere baap ke naukar nahi aaye hue hai yaha...apna kaam kar.....hum Lucifer ke kahne pe aaye hai.....tere baap ke nahi..."
Ye bade log jo hote hai inki badi kharab aadat hoti hai.....inko lagta hai jaise sab baat sun lenge inki....ye Yuvraj ka bhi yahi tha...saahi khoon bade log..
Wo - tumko pata hai main kaun hu...
uss baat pe kuch ne to aisa look diya jaise abhi maar denge usko....
Wo - Arre waha kuch hai.....Lucifer ne issi ke liye to bheja hai humko.....hatao isko....
Lucifer ka naam aate hi sab ke sab ekdum se sidhe ho gaye aur binna kuch dekhe sunne wo chal diye unn peddon ko hatane....
Ek bande ne apne fire element se jalana shuru kiya uss jagah ho...
"pagal walag ho kya.....jal jaayega jo bhi hai ander fir Lucifer ko kya kahoge..."
kisi aur ne aisa kaha...to ek banda jiske pass water element tha usne waisa kiya....
Itne mein wo Archery society walo ko laga abhi unko apne logo ko bulana chahiye...unhone bhi Lucifer ka naam sunna tha....matlab mauka mil gaya tha unko pakadne ka Yuvraj ko.....
jab tak waha pe log ped jalate bujhate rahe....unn sab ko gher liya gaya tha....aur abhi Lucifer khud pareshan tha iss wajah se wo yaha pe dekh nahi raha tha.....aur naa hi uska wo sena nayak....
Yuvraj - ek minute....tum water element wale....puri force ke saath paani ander daalo....
"wo bheeg gaya aur kharab ho gaya to...."
Yuvraj - kisi ke pass dhang ka element nahi hai......talwaar hi dedo koi....
"ye search operation tha talwa.....ye lo...ye rahi talwar...."
gajab ke log the ye....
Ek talwar milli fir Yuvraj ko aur usne unn pedon ko kaatna shuru kiya....thodi der mein Guffa mein jaane ka rasta khul gaya tha....wo sab ander gaye....ander bas ek pankh tha...ek bada sa pankh...
sab ussi ko dekh rahe the aur baatein kar rahe the.....koi bhi usko chuu nahi raha tha....Lucifer ki cheez matlab khatarnaak hi hogi....par Yuvraj darpokh nahi tha....wo gaya waha pe.....usne uss pankh ko dekha....usko uthaya aur acche se dekhne laga.....
Kisi panchi ka pankh tha wo....par...kya ye itna khass hai bhi ki iske liye itne logo ko Lucifer ne yaha bheja sabhi ko...bas yahi ek baat uske dimmag mein chal rahi thi....
Archery society ne sab dekha tha aur dekh bhi rahe the....
Ek baar School bhi ho aate hai....waise to Nikita ko apne room mein hi hona chahiye tha iss waqt par....aaj ke din usko jaana tha....Rupal didi ke pass.......wo apne room se nikli uss safed patton wale ped tak bhi pahuchi taaki waha se bahar jaa sake....par uske baad.....uske baad uska koi pata hi nahi raha....Annt mein bas Pankaj ne hi usko dekha tha.....jab wo uss ped ki taraf jaa rahi thi Pankaj uske picche bhi gaya par wo ustak pahuch nahi paaya Pankaj ko laga wo ped ke raste bahar chali gayi hogi Pankaj ne bahar bhi jaake dekha par waha to wo thi nahi aur uss waqt koi bus aayi nahi thi.....Pankaj ne socha tha ki wo iss baat ko Bua yaa phir Prateek ko bataye par wo waha the hi nahi....wo unke Bua ke cabin mein gaya tha dono Bua ke cabin mein wo waha nahi the...Prof. Daksh ka Beta hone ke kaaran usko Staff quaters mein jaane ki permission bhi thi...aur wo gaya bhi.....par dono Bua waha bhi nahi thi...halaki usne bas door knock karke hi puccha tha ander jaana manna jo tha...par aawaj nahi aayi kuch.....phir wo waha se nikal Prateek ke room pe bhi gaya waha bhi darwaja khatkhataya aur iske badle usko bas ek jhatka milla.....jab bhi koi Prateek ke room mein jabran ghusne ki koshish karta usko jhatka lag jaata....aur aisa hi uske saath bhi hua....jiske baad usne socha ye sab ke sab usko chod ke chale gaye honge apne ghar pe.....waise bhi to Pankaj se bachte phirte the wo sab....
Main...Prateek abhi bhi wahi apne Seeker's Passage mein phasa hua tha....samajh nahi paa raha tha kaise niklu...dhyaan lagane baith to gaya tha par tab bhi koi jyada anter nahi pad raha tha.....
Yaha aaye pe behosh hue sayad....3 ghante ho chukke the mujhe....aur tabhi ek light orb aata hai aur mere ander chala jaata hai...ye itni tezzi se hua ki koi dekh hi nahi paaya isko....
Main abhi tak jo uss Seeker's Passage mein pada hua tha.....ekdum se hill gaya....aisa laga jaise dhamake ho rahe ho waha pe.....
Mera dhyaan tota aur saamne.....saamne mere Cooper tha.....par akela....
Main - Cooper...tu....
Isse pahle kuch bolta mujhe ek chizz dikhne lagi....
Albus.....wo ek insan bana hua jaa raha tha kahi pe....sayad jungle mein....yaa kahi aur....par uske picche se kisi ne uske upar hamla kiya....agar koi insan hota....to wo bach nahi paata usse....par ye Albus tha Mera Dragon Albus.....usko kya hi hona tha.....wo bilkul waise hi khada raha....aur fir mudda.....par waha pe koi tha hi nahi....Albus kuch samajh paata usse pahle uske upar bahut se hamle hone lage wo bhi bahut jaldi jaldi...aas pass kuch dikhayi nahi de raha tha jab Albus ko laga wo waha pe kuch kar nahi paa raha to usne waha se nikalne ka faisla kiya....taaki mujhe sab bata sakke.....par jaise hi wo orb mein badla ek aur waar hua uske upar aur jaha usko jaana tha wo waha naa jaake ek jagah behosh hoke gir pada....par wo uss anjaan hamlawar se dur tha.....
Main - Albus ke saath ye sab hua.....abhi kaha hai Albus....Dhruv kaha ho tum....
Dhruv - d...ddaa...dark p....pp
bas yahi tutti futti aawaj aayi....aur meri aankh khul gayi.....
Main abhi K.Bua aur Buaa ke saamne tha.....ye Jwala ke kabile wala hospital tha.....
Bua - dekho isko hosh aa gaya hai.....Kavita dekho isko....
K.Bua - Hmm rukko.....Prateek sab theek hai naa.....sab sahi lag raha hai....(ungliyan dikhate hue) inko gin paa rahe ho....
Maine unki oor dekha ek baar.....aur fir se apni aakhen band kari....ek baar aur confirm karna tha ye sab sach hi hai yaa fir kuch aur.....
Wapas se Mujhe Cooper dikha par Albus nahi tha waha pe.....Ye saab sach hi tha....jo bhi hua tha....Main jhat se uthh gaya aur uth ke baith gaya....
Bua - isko fir se hosh aaya....
Main - Jwala kaha hai.....kaha hai Jwala....
Main jaldi se bas Portal se Albus ke pass jaana chahta tha...aur usko dekhna chahta tha......
Dhruv bhi kamzoor ho gaya tha sayad usne Dark Power se wapas se ladayi ladi ho...
Bua - Wo yahi hai.....par....
Main - Par....par ky....isko kya hua....ye aise kyun pada hai.....Jwala tum theek ho naa....
Main uth ke uske pass gaya aur usko dekhne laga.....
Vaidya1 - Maharaj abhi behosh hai.....pata nahi kya hua hai inko....sab kuch to theek hi hai...
Main -(mann mein)Dark Power....ussi ki wajah se....ussi ki wajah se iska ye haal hua hai......meri wajah se...Nikita.....wo..wo kha hai....
Main - Bua Nikita kaha hai.....wo kidhar hai iss waqt....
K.Bua - Prateek shant ho jaao abhi hosh aaya hai tumko aur Nikita theek hogi.....usko kya hona hai....
Main - Old Owl.....jao Nikita ki dhundho....dekho kaisi hai wo....kaha hai wo...jaise hi mille mujhe batao....
Bua - Aisa kyun bol raha hai usko kuch hua hai kya....
Main - Bua aap dono jaao.....Nikita ko dhundho.....sayad wo theek nahi hai....jaldi jaao.....Old Owl inko bhi leke jaao......
Bua - Par bacchu.....
wo kuch aur bolti usse pahle maine Old Owl ko ek aur baar jor se kaha jisse usne turant portal khola aur waha se nikal gaya...dono Bua ko leke....
Main - Jwala ka dhyaan rakhna.....Polar Bear king....wo kaha hai....
Maine bas bola aur wo saamne aake khada ho gaya.....
Main - King.....aapko abhi iss puri jagah ko sambhalna hoga...kya Main yakkin kar sakta hu aape....ye bahut jaruri hai....abhi aapke siway aur koi nahi iss jagah ko dekhne wala....
Polar Bear king ne meri oor dekha aur haa kaha....
Main - Jyada taklif nahi hogi aapko....bas kuch pal ko ye sab dekh lijiye....Jwala jald hi theek ho jaayega....Koi Portal kholo...mujhe kisi ke pass jaana hai....
Maine kaha aur wahi pe khade Vaidyon ne Portal khol diya...aur main usse Earth pe aa gaya...
Dono Bua aur Old Owl School mein gaye the....gussa to aa raha tha dono ko par ek darr bhi tha unke mann mein.....aakhir maine aisa kyun kaha ki Nikita theek nahi hai....to gusse ko side mein kar ke wo dono hi usko dhundhne lage...pahle to uske room mein fir aur jaha kahi bhi wo ho sakti thi....school mein.....
Wahi Old Owl bhi laga hua tha....usne Earth pe jitne bhi ullu the....sabhi se baat ki.....aur unki madad lene laga ye pata karane ke liye ki Nikita kaha hai....unke saath hone se uska kaam aur aasan ho jaane wala tha....
Dono Bua ko kahi bhi Nikita nahi milli.....par koi tha jinko wo dono dikh gayi thi.....Pankaj....
Pankaj raat ke iss waqt khud ko kosh raha tha taalab ke pass.....aakhir kyun usko sab bura maante hai haa usne kuch galtiyan ki thi....par ab to sudhar raha tha naa to mauka kyun nahi dete usko.....chod ke kyun chale gaye....nahi le jaana tha to bas bata dete ki hum sab ghar jaa rahe hai...
Wo aise hi sab soch raha tha aur pather phenk raha tha waha talab mein ki tabhi usko K.Bua dikhayi di.....
Pankaj unke pass jaane laga par wo to jaldi mein thi...yaha se waha bas aise hi hote jaa rahi thi....
Pankaj ne aawaj bhi lagayi par....
Fir usko Bua dikhayi di...wo Bua ke pass aane laga....
Pankaj - Prof. Poonam prof.....
Wo chillane laga....Bua waise to bahut pareshan thi aur abhi Nikita ko dhundhne mein hi lagi thi par aawaj tez thi to unke kaano tak pahuch hi gayi...unhone dekha saamne Pankaj hai.....
Bua - Pankaj...isko pata ho sakta hai....sayad...
Bua bhi yahi soch Pankaj ke pass gayi....
Bua - Pankaj Nikita ko dekha hai tumne....
Pankaj - Wo to aap sabhi ke sath aapke ghar gayi hogi naa....
Bua - Nahi aisa nahi hai....wo pata nahi kaha....(mann mein) isko sab bata sakte hai kya....
Pankaj - wo ghar nahi gayi....par maine to usko wo safed patte wale ped ke pass dekha tha.....
Bua - Uss ped ke pas.....ghar gayi hogi kya wo...Tumne acche se dekha tha naa.....
Pankaj - Haa Prof Maine dekha tha wo uss ped ke pass hi jaa rahi thi aur maine usko aawaj diya aur wo...wo ekdum se gayab ho gayi....Mujhe laga bahar gayi hogi...main bhi bahar gaya...par wo waha milli hi nahi....
Bua - Bahar gayi hogi....Pankaj meri baat dhyaan se sunna.....sayad Nikita kisi pareshani mein hai....humme usko dhundhna hai....
Pankaj - wo kaisi pareshani mein hogi...aap bhi naa....
Uske aisa bolne pe jo gusse wala chahra Bua ka tha...dekh ke....
Pankaj - main waha uss ped ke pass dekhta hu.....aur bahar Bus stop ke pass bhi....
Itna bol wo nikal gaya....aur Bua wapas se lag gayo....par pahle unhone Rupal didi ko call kiya....aur unse pata kiya ki wo waha aayi hai yaa nahi...
Rupal didi - Bua main to khud uska wait kar rahi thi.....hotel ka yaad hai naa aapko....ussi ko leke kuch designs aaye the unko dekhne ko....par wo aayi hi nahi....sab theek hai naa.....
Bua - Bacchu ne kaha hai Nikita sayad theek nahi hai....aur wo humko kahi mill nahi rahi....tum bhi ghar ke pass dekho...par koshish karna ye baat sabko naa pata chale....
Rupal didi - Hmm main yaha dekhti hu.....
Old Owl ne kaafi saare ulluon ko phaila diya tha....par koi khass fark nahi pada......unko nahi mil rahi thi Nikita.....
Yaha pe yahi sab chal raha tha...aur issi mein 12 baj gaye...matlab naya din shuru ho gaya.....
Fumos pe koi tha jo iss waqt ka bahut hi besabri se intezaar kar raha tha....jaise hi din badla wo waha se nikal gaya.....
Leader.....haa wahi....wo apni Beti ko dhundhne ke liye bahut hi jyada utsuk tha.....bas issi wajah se wo nikal gaya jaise hi din badla.....
Waise to uska plan tha ki wo yaha Earth pe aaye to sabse pahle wo jaduyi creatures ke gharon ke aas pass pata karega....aur fir School mein.....par ye waqt aisa tha ki wo unn gharon ke pass jaake kuch pata nahi kar sakta tha....issi wajah se wo yaha school ke pass aane ko hua.....
Wo abhi ek Bus stop ke pass tha....
Leader - Hmm bus....sayad issi se meri beti aati jaati hogi....Main bhi issi se jaaunga.....
Wo bus pe baitha aur nikal gaya waha se....
Bus ka to pata hi hai palak japkao ek do baar aur apne manjil pe hoge aap.....waisa hi hua....usko waqt hi nahi milla kisi se kuch puchne ka aur stop aa gaya unka....Wo bhi utar gaye...
Bus stop school ke gate pe tha nahi wo gate se thodi duri pe tha...tabhi to waha se bacche yaa profs. bhi nikal ke bhag jaaya karte the....
Leader bus se utara aur usne dekha saamne ek ladka hai yaha waha dekh raha hai wo...jaise kuch dhundh raha tha....
Leader- (mann mein) sayad isse baat kari jaa sakti hai....
Leader - Bache.....oo bache....yaha...
Waha pe Pankaj tha jo waha pe dekh raha tha sayad Nikita ne jaate waqt kuch girra diya ho yaa kuch aur....aisa kuch jisse pata chale wo kaha gayi hai....waise to iss baat mein logic thi hi nahi par fir bhi ye laga hua tha....aur itne mein ek ajeeb se bande ne usko pukara.....ek baar to usne ignore kiya par dobare mein usne dekha uski oor....
Leader ne dekha wo waha aa nahi raha to wo uske pass chala gaya....
Leader - Bade busy ho bete tum to.....accha thoda waqt nikal ke meri ek madad kar doge.....
Pankaj - arre yaar.....uncle main apni dost ko dhundh raha hu....wo kho gayi hai.....aap kahi aur jaao....
Pankaj ne jab ye baat kahi Leader samajh nahi paaya....wo bas Pankaj ko dekhta rah gaya.....aur wo Pankaj wapas se jamin pe dekhne laga.....
Leader - bete aapka ye dost kya...size mein bahut chotta hai...
Pankaj -(jabardasti smile dete hue) Nahi uncle.....theek hai ab jaao.....kahi aur jaao madad maangne....
Leader - ajeeb ho bete tum to.....matlab aapka dost chota nahi hai phir aise jameen pe aur jhadiyon ke picche kya dekh rahe ho....wo kya waha pe hoga....accha main madad kar deta hu abhi tumhari...fir tum meri kar dena theek hai naa....
Pankaj - Aeei uncle samajh nahi aaya kya....bade ajeeb ho yaar aap to.....aapko pata hai meri dost kaisi dikhti hai phir kaise dhundhoge...
Leader - Ye ajeeb se bacche.....kabhi inko akal nahi aani hai.....Bete wo to tum bata hi doge...aur main turant dhundh ke bata sakta hu kaha hai wo....tum....tum bas batao mujhe....
Pankaj - (mann mein) pata nahi kaun aa gaya sala chipku.....aise jaane se raha ye....
Pankaj ne usko Nikita ke baare mein bataya....jaise usne kaise kapde pehen rakhe the...baal kaise hai uske aur wo vampire hai....
Leader - Wo bhi Vampire hai.....main bhi jisko dhundh raha hu....wo bhi....nahi sayad nahi...pata nahi khair...jara side ho jaao bete main madad kar deta hu tumhari....
Leader ne apni aankhen band kari....aur fir wapas se kholi.....bikluk hari rang ki aankhen ho chuki thi uski....pata nahi kaise.....Pankaj ye dekh ke dang tha....usne bade se prajatiyon ko dekha tha unke baare mein padha tha par ye....ye kuch naya tha....yaa uske gyaan se parre....
Leader ki jab aankhen badli wo yaha waha dekhne laga....usne thodi duri tak hi dekha tha ki usko kuch dikha....Leader ne wapas se apni aakhen band kari aur uski aankhen normal ho gayi.....wo wapas se Pankaj ke pass aaya....
Leader - Bete tumhara kaam ho gaya hai mil gayi hai tumhari dost.....
Pankaj leader ko bas ghoore jaa raha tha samajh nahi aa raha tha usko wo kya kahe...
Leader - Arre yakkin nahi ho raha....accha jaake dekh lo.....wo ek bade se ped ke pass padi hui hai.....theek hi hai sayad...bas behosh hai...
Pankaj - Kya mazak hai ye...maine 3 baar dekha waha pe....
Leader - Arre main batata hu kaha pe dekho....aur wo gayab hai.....ek necklace kadde ki madad se.....bas issi wajah se nahi dikhi hogi tumko.....
Leader ne theek wo jagah batayi jaha pe Nikita padi hui thi.....behosh...
Leader - Arre bete jaake dekh lo.....Main to yahi hu....tum jaao main baad mein mil lunga tumse....
Pankaj waha se chala gaya wapas.....Leader ko waise hi chod ke....naa to uski pareshani sunni aur naa kuch aur....
Leader - Ye Earth wale bacche to jyada kaam ke nahi lagte warna itna to aaram se pata laga lete...hamare waqt mein to lag hi jaata tha pata....pareshan hoga wo.....baad mein usse baat kar linga....abhi to koi prof. bhi nahi milega jaaga hua.....kahi rahne ka theekana dhundhta hu....
Leader waha thodi der khada raha ek bus wapas se aaya aur wo uspe chadh ke chala gaya kahi...
Wahi Main iss waqt uss jagah pe tha jaha pe Albus pe hamla hua tha....main aas pass dekh raha tha....ye dekhne ke liye ki hamla kisne kiya tha aur kya wo yaha pe hai abhi bhi.....jab thodi der dekhne pe koi nahi dikha to main waha se uss jagah jaane laga jaha pe Albus ho sakta tha....Main khud nahi jaa raha tha ye Cooper tha jo mujhe guide kar raha tha.....par sirf wahi nahi tha....kuch aur bhi tha....kuch alag sa.....Main bas ussi oor jaa raha tha.....thodi aur aage gaya jhadiyon ke pass....to ek kaala moti milla mujhe....Maine usko chuwa....aur wo chamakne laga....
Dhruv - isko apne pass rakho....
Main - Dhruv.....tum theek ho.....kya ho gaya tha....tumko pata hai Albus pe hamla hua hai....
Dhruv - isse jyada baatein pata hai mujhe....abhi chalo yaha se....yaha pe khatra hai....
Main kuch bolta usse pahle hi ek Portal khul gaya mere saamne....Maine dekha uss taraf Old Owl tha....Main ander gaya.....Main wapas se wahi tha....ussi jagah pe...wo Jwala ka kabila.....aur iss baar waha pe sirf Jwala hi nahi ek bed pe Nikita bhi thi.....
Main - ye mil gayi....ye theek hai naa.....
K.Bua - haa theek hai jaise tum theek the...jaise Jwala theek hai ussi tarah par hosh mein nahi hai ye dono....
Dhruv - Wo moti....dono ko ek saath leke aao aur uss Moti ko touch karao dono se....aur tumko bhi touch karna hai...ek hi waqt mein.....baaki sab ko pahle nikalo yaha se...
Main - Bua aap sab thodi der ke liye bahar jaaoge...
Bua - Kya bol raha hai....pahle ye bata chal kya raha hai tumko kya hua tha kaha gaya tha tu...aur ab Nikita ko kya hua....aur ye Jwala isko....
Main - Bua ek baar aur baat maan lo aap bas.....waqt kam hai....
K.Bua - Poonam chalo...baaki sab bhi.....bahar chalo jaisa ye kah raha hai waisa karo....
K.Bua baat sunti thi aur sayad samajh bhi jaati thi...unhone sabko samjhaya aur bahar kiya....
Maine unke jaane se pahle dono ko paas mein karwaya aur fir saath mein baith gaya...
Dhruv - Usko apne haath pe rakho aur inn dono ko saath mein touch karao....mera hisab agar sahi hai to ye dono hi theek ho jaayenge.....
Main - Hai kya uss Moti mein aur Albus to milla nahi humko...
Dhruv - sach mein....uss moti mein hai wo.....mere hisab se iss baar Dark power ne madad ki hai.....tum soch bhi nahi sakte kya hone wala hai abhi.....bas jaisa main kah raha hu waisa h......ek minute....iss jagah ko....kisi ko bulao jo iss jagah ko ek dum se seal kar de.....thodi si bhi energy bahar nahi jaani chahiye......
Main - theek hai.....
Main waise hi bahar gaya,....Bua wahi thi....
Bua - Ho gaya....hosh aa gaya unko....
Main - Nahi.....par mujhe madad chahiye....uss kamre ko puri tarah se seal karwana hai....
Old owl - Main karta hu ye....
Main - tum kar paaoge...rukko....Polar Bear king.....
King - Hmm main yahi hu....Main madad kar sakta hu uski...puri tarah se seal karna hai matlab niche ke hisse bhi seal karne honge....Old Owl aap upar ka dekhiye....main nicche ka karta hu....
Main - Hmm theek hai....dhyaan rahe ander se kuch bahar nahi jaana chahiye....
Bua - arre kar kya raha hai ye.....
K.Bua - Rukko Poonam usko dekho pahle...
Bua - Kya baat karti ho tum bhi.....
Main unko waise hi chod ke ander chala gaya aur unn dono ne apna kaam shuru kar diya....
Dhruv - hmm ab sab sahi hai....ek aur kaam karo Cooper ko bhi bahar bulao....jyada energy bacchi to wo kuch absorb kar lega....
Main - aakhir hone kya wala hai.....
Maine Cooper ko bahar nikal kar aisa puccha...par jawab nahi diya Dhruv ne kuch bhi......phir jaisa usne kaha tha theek waise hi maine moti ko hum tinno se touch karaya ek saath mein.....
Ek roshni charo taraf phail gayi.....Main.....main bada hi ajeeb sa mehsus karne laga....samajh nahi aa raha tha kaisa.......tabhi mujhe....Albus dikha.....wo theek tha.....yaa fir theek se kuch jyada.....uska size aur bada ho gaya tha.....uske baad mujhe wo Cooper bhi dikhayi diya wo bhi waisa hi tha....ekdum se badal gaya tha ye bhi.....saath mein ek parchayi dikhi mujhe....pata nahi kiski thi....
Main - t....tum kaun ho....
"tum dekh sakte ho mujhe.....kya tum dekh sakte ho mujhe..."
Main - haa kuch kuch.....
"Main...Main Dhruv hu....aur main tumko dikhayi de raha hu...."
Usne aisa bola hi tha ki uski parchayi wapas se gayab ho gayi.....aur wo roshni wo bhi khatam hone lagi......
Main jameen pe girra pada tha.....sayad ye sab uss moti ki wajah se hua tha....par mere pass ab aur takatwar Albus aur Cooper the.....
Main waha se utha aur dekha Jwala aur Nikita ko....
Jwala ki aag ki laptein ek dum se kaali ho chukki thi.....Maine usko chuwa.....to wo wapas se normal ho gaya aur wo utne ko hua...matlab hosh aa raha tha usko.....Maine phir Nikita ki taraf dekha.....Nikita puri taraf se vampire bani hui thi.....uske daant bahar aaye hue the....hoth jo pahle lal ho jaaya larti thi wo sayad itni jyada lal ho chukki thi ki ekdum sse kaali lag rahi thi.....Maine usko bhi chuwa aur uska bhi roop pahle jaisa hone laga.....
Main - Dhruv ye sab kya tha.....
Dhruv - ye sab dark power ki wajah se hua hai....hum sab ki soyi hui takatein jaga di hai usne....wo jis jis se bhi connected hai unn sab ki takatein usne badha di hai....
Main - par aisa kya hua....aur wo to haawi hona chah rahi thi mujhpe.....
Dhruv - Hamla.....hamla hua tha....Albus pe....aur iss hamle ko Dark power ne khud pe kiya hua hamla manna.....wo tumhari body pe kaabu to kar nah paa raha to apni suraksha ke liye usne tumko majboot bana diya hai....aur issi ke saath tumse jude hue log bhi majboot ho chukke hai....Main....Albus....Cooper.....Nikita....Jwala sab....
Main - bada ajeeb hai ye.....kaabu naa kar paaya to majboot bana diya.....acha ye sab chodo aur ye batao kisne....kisne hamla kiya tha Albus pe.....kon tha wo....aur kyun....
Dhruv - Pata nahi kaun tha wo...par insan nahi tha.....jaise hi ye hua Main Albus ke pass chala gaya tha par....main bhi samajh nahi paaya...maine usko waha se nikalne ko bola par utne mein.....ye sab ho gaya phir ye dark power ka kamal....Maine to batane ki koshish bhi ki thi....
Itne mein darwaje kholte hue Bua ander aa gayi....abhi tak dono ke dono hosh mein aa gaye the bas yaha waha dekh rahe the aur samajhne ki koshish kar rahe the kya hua hai.....
Sabhi hi ander aa gaye the....
Bua ne dekha Nikita bhi hosh mein aa gayi thi....
Wo dono hi uske pass chale gaye the.....aur Jwala ke pass kuch log chale gaye....Bijli aur Jwala ki Mom yaha nahi the....Bijli ko yaha aane nahi diya tha Jwala ki Mom ne.....aur wo khud bhi uska dhyaan rakhne ko waha pe thi....khair Main iutha aur Main Old Owl aur Polar Bear king ke pass chala gaya......
Polar bear king - wo...wo kya tha....itna takatwar.....aakhir kuch itna takatwar kaise ho sakta hai....
Old Owl - Haa....ye bahut hi ajeeb aur takatwar tha....meri to energy khatam hone ko thi....agar thodi bhi aur maatra hoti uski to main sambhal nahi paata....
King - Mera bhi yahi haal tha dost....kya bataunn...
Main - Tum dono....iss baare mein kisi se kuch nahi kahna hai samjhe....Polar bear king.....yar tumko thodi der pahle hi baag daud di thi yaha ki aur ab wapas le raha hu bura to nahi lagega naa....
King - Bura.....ye jo abhi kiya hai usse itna thak gaya hu ki 2-3 din aaram karna padega...main to khush hu....
Main - Itni powerful thi kya ye chizz....Old Owl tum theek ho naa....tum apna kaam kar loge yaa....
Old Owl - Prateek mujhe nahi lagta....main bhi....main thoda aaram karna chahta hu....
Main - Hmm tum iss aaram ke hakdaar ho...par tumhara kaam nahi rukna chahiye.....apni jagah pe laga dena kisi ko...kissi acche ko.....aur usko bolna mujhe report karne ko...
Old Owl - theek hai....
Main - jaao tum dono aaram kar.....
Bua - Ab batao hua kya tha.....
Main baat hi kar raha tha ki ye aa gayi...
Main - Bua abhi nahi yaar aap baad mein baat karte hai naa....main thak gaya hu....aur dekho to waqt kitna ho gaya 2 bajne wale hai.....lagta hai dhyaan bhi chodna padega....mujhe bahut neend aa rahi hai....
K.Bua - Poonam inko leke chalte hai waise bhi dono thakke hue lag rahe hai....inko neend ki jarurat hai....aise nahi to waise....main inko sulane ki dawa dene wali hu....
Bua - kya.....sach mein....itna kya ho gaya...
K.Bua - Inki bodies bahut jyada thakki hui hai....aur aise neend nahi aane wali inko....inki energy levels bahut jyada hai....
Main - haa sula hi do.....Jwala dost tum bhi sone se pahle portal khol do yaar humko wapas bhej do....
Jwala ne portal khola....
Main - Bua iske liye bhi dawa dedo aap.....ye bhi aise nahi sone wala....
K.Bua ne turant se dawa diya aur fir mujhe aur Nikita dono ko leke sidha apne medical department mein leke aa gayi.....aur waha pe dawai dedi....aur hum so gaye....
Ajj ke liye itna hi....waqt kam mil raha personal problems ki wajah se.....to 4 tak sayad 2-3 update hi aa paaye....
Next update mein dekhenge Leader Earth pe apni beti ki talash ko....aur saath mein DB ke cousin ko bhi dekhna hai....aur dekhna hai uss Albus pe hamla kaise hua.....kaun the wo log....aur kuch chizzen
Mast update bhaiUPDATE - 68
Bua to nikal gayi thi thodi der baad hi school ke liye class jo leni thi unko.....wahi Mujhe ghar pe chod diya tha kyunki unko laga meri tabiyat kharab hai...
Side effects of dark power
Main bataya unko main theek hu par kaun sunne meri.....upar se Chachi ne bhi bol diya ghar pe hi rahna hai....
Maine bhi socha....chalo sahi hai......rah lete hai yahi pe.....
Chachi ne kamre mein band kar diyaaaram karo bolke.....
jab tak Rupal didi nahi aayi tab tak bas aise hi raha main.....Old Owl se baat karne ki koshish ki maine par hua ye ki wo kar raha tha kaam....matlab baatein un raha tha wo....Elf King ki....nazar rakhe hue jo tha wo unke upar...to fir maine bhi usko apna kaam karne diya....Jwala se baat karne ki bhi koshish ki..bahut waqt ho gaya tha uske pass gaye hue.....
Rupal didi aaayi unko Chachi ne bataya meri tabiyat kharab hai...aur ladies logo ka to pata hi hai....binna namak mirchkuch hota ho nahi...to situation aisi batai unhone jaise main ekdm se marte marte baccha hu...
Rupal didi upar aayi....
Rupal didi - Chotu kya hua tujhe...tu theek hai naa ye Mummy kya bol rahi hai.....
Main - kya bol rahi hai Chachi.....Main theek hu...
Rupal - wo bol rahi hai tunne wapas se portal ka use kiya.....bata kaha gaya tha....aur kya kar ke aaya hai...
Main - Aisa kuch nahi hua tha wo to khud unko aisa laga....
Rupal - Ye nahi wo bata jo puccha hai gaya kaha tha....aur bataya kyun nahi...
Main - wo taskari karne wala yaad hai naa....ussi se milne....
Rupal - taskari karn.....tu abhi tak uss ladki ke baare mein pata kar raha hai....
Main - aisa kab kaha maine.....main to bas dekhne gaya tha wo aur kya kya kar ke baitha hua hai.....
Rupal - Bada aaya pata hai mujhe.....sab jaanti hu tumhari age ke logo ke baare mein....ye batao kya pata chala.....rukko.....ye Mummy ne bola tha Bua leke aayi Bua ko leke gaye the kya..
Main - Nahi par wo waha pahuch gayi thipar ye accha hi hua...
Rupal - hmm matlab sunne jaisa to hai ye sab...ab batao....
Maine unko sab bataya kaise Old Owl ne mujhe Bua ke saamne hi bula liya...yani khinch liya....aur fir Bua bhi aa pahuchi mere Room mein aur waha se wo bhi pahuch gayi Strange world mein...aur aage ki bhi sab ghatnaye batayi....aur batate batae muh se wo sab bhi nikal gaya jo nahi batana chahiye tha.....uss jeev ke baare mein nikal gaya muh se......khair firr baat sambhal li aur Dhruv ke bare mein nahi bataya unko....aur naa hi Albus aur Cooper ke baare mein....
Rupal - To tum ek jeev ki madad se uske dimmag mein ghus gaye the.....fir kya hua...
Main - Maine bataya naa aapko.....uski yaadein dekhi maine....aap soch bhi nahi sakti kitna bada kameena tha wo....usne kya kuch nahi kiya tha....
Fir maine unko wo sab batana shuru kiya jo uss taskari karne wale ki yaadon mein dekha tha.....yaha pe mujhe ek cheez confusing lag rahi thi.....aur maine wo bhi Didi se bata diya......Nikita ke baare mein....aur isse hum pahuch gaye aur picche....
Rupal - To tu dimmag mein bhi chala jaata hai logo ke,....unki yaadien dekhne
Main - Nahi wo pata nahi kaise chala gaya tha.....sayad kuch hi logo ke saath aisa kar sakta hu main....aap ye chodo.....aap ye sunno pahle maine naa uss taskari karne wale ke dimmag mein ek yaad dekhi jo kuch hadd tak bilkul Nikita ke yaadon se match kar rahi thi.....
Rupal didi - Shuru se batao kya match kar raha tha aur kya dekha tumne....
Maine fir unko sab bataya par sambhal ke ki kahi wapas se kuch aur naa nikal jaaye....Nikita ke yaadin mein bhi ek bacchi ko leke jaa rahi thi koi fir wo kisi ko wo bacchi deti hai aur wo bacchi fir ek lady ke pass chali jaati hai aur wo lady phir kuch saal baad mar jaati hai aur Nikita kahi aur chali jaati hai.....Prof Suraj ke yaha.....waisa hi kuch uss taskari karne wale ke yaadon mein bhi tha jaise ki usko ek bacchi di gayi thi usne uss bacchi ko ek aurat ke pass pahuchaya.....dono hi yaadon mein bacchi le ko leke aane wali aur wo aiurat ek jaisi hi thi....ye sab maine Didi ko bataya.....aur wo....wo bas mujhe dekhe jaa rahi thi....
Main - Ab bologi bhi kuch yaa aise hi dekhna hai bas aapko.....
Rupal didi - Tujhe kya lagta hai Nikita hi thi wo....uske saath uske family ke saath kuch bura hua hai kya.....
Main - sayad didi...ye sab dekhne ke baad mujhe aisa hi lag raha hai....
Rupal didi - Ye sab usko mat batana abhi.....tumne jo yaadein dekhi thi usme ye pata chala wo kaha se thi....
Main - Pakka nahi pata mujhe....
Rupal didi - Main dekhti hu iske baare mein...usko binna pata chale main ye pata kar lungi wo kaha se hai....fir aage ka baad mein dekhenge....par usko ye sab abhi nahi batana hai samjha....
Main - Nahi pataunga...aap chinta mat karo...
Rupal didi - Iss baare mein chinta to karni hogi...tunne mujhe itna kuch bata diya kya pata usko bhi bata de.....khair koshish karna naa batane ki.....aur ab baith yahi main jaa rahi hu niche....
Wo chali gayi aur main wahi apne room mein raha.....sach mein bahut kuch bata diya tha maine unko....aise mein to koi bhi kuch bhi jaan ke chala jaayega.....
Raat hui aur fir humne khana khaya aur fir so gaye...Maine kaha tha mujhe school jaane de par chachi ne kaha sabere chale jaane ko to main rukk gaya....
Wahi.....
Demos pe.....
Lucifer ko phir se pata chala ki kahi aur bhi Dark Power ka pata chala hai....usne pata kiya to wo jagah Strange world pe thi jaha pe Dark power ko dekha gaya tha....
Iss baat ko jaan ke wo bahut gussa ho gaya....usne socha hi nahi tha ki jiss chizz ki talash wo itne waqt se kar raha hai wo uss jagah milegi jaha pe ab uska jaana hi manna hai....
Usne apne sena nayak ko bulaya.....
Sena nayak - Maharaj aapne bulaya.....
Lucifer - wo jagah jaha pe humne apne sainik bheje the waha kuch milla....
Sena nayak - Nahi Maharaj abhi tak kuch nahi milla hai waha pas daanav rahte hai.....humne aapke kahne pe aur bhi log bheje the waha....abhi kuch log aur taiyaar kar rahe hai waha bhejne ko....Daanavon se ladne ki training de rahe hai unko to waqt lag raha hai....
Lucifer - jitne hai utne rahne do waha....Mujhe apne guptchar chahiye....unko Strange world mein bhejo....waha pe jo chal raha hai sab humme pata hpna chahiye.....koi nayi shakti haath lagi hi agar waha ke logo ke pass to uski bhi khabar honi chahiye hamare pass....
Sena Nayak - Ji Maharaj Main kuch guptchar waha bhejne ka prabandh karta hu....
Lucifer - Bas jaldi karo ye.....aisa naa ho iske baare mein Orion yaa Titan tak baat pahuche....agar aisa hua to pareshani ho jaayegi....abhi bhejo unko....
Sena nayak - Ji Maharaj....
Itna bol wo waha se chale gaye...wahi hamare Lucifer khud se hi naraz hoke chal rahe the yaha se waha.....
Lucifer - aakhir strange world mein kaise pahuch gayi ye dark power......kya unn sab ko pata chal gaya hoga....main kyun nahi jaa sakta waha....ye sab kya ho raha hai......jitna main uss chizz ke pass jaa raha hu utna hi wo durr ho rahi hai....
Itne mein waha pe Justin aa jaata hai.....apne Pita ko iss tarah pareshan dekh wo thoda confuse ho jaata hai....
Justin - Dad......aap theek hai naa.....
Lucifer jo abhi apne mein gum tha usko sunayi hi nahi diya ki Justin kuch puch raha hai uska to dhyaan tak naa gaya uss oor....
Justin - Dad.....aap...aap theek hai naa koi pareshani hai kya.....
Justin unke saamne jaake aisa puchta hai.....
Pahle to Lucifer Justin ko apne saamne dekh ke thoda hairaan ho jaata hai fir....
Lucifer - Tum yaha kya kar rahe ho......you are not well...jao rest karo....
Justin (chidhte hue) - I am fine....Dad ye har waqt rest mujhse nahi hota....main bahar jaana chahta hu....
Lucifer - Abhi nahi.....abhi tum taiyaar nahi ho.....room mein jaao....
Justin - aap aisa kyun kar rahe ho.....I am totally fine....aur aap pareshan kyun ho.....
Lucifer - accha theek hai aao meri jagah pe baitho.....fir baat karte hai...
Lucifer ne apni gaddi pe Justin ko bithaya aur khud uske samne khada raha,...
Apne Bete ko apni Gaddi pe baitha dekh usko pahle to bahut accha laga aur fir wo sab yaad aaya....kaise jyada takatwar banane ke chakkar mein usne usko itna kamzzor bana diya hai ki khud ke rajya mein bhi usko bahar nahi jaane de sakta wo.....jaise jaise waqt gujar raha hai...uski age badh rahi hai wo kamzooor hota jaa raha hai.....
Lucifer ye sa dekh bahut dukhi ho gaya.....
Aisa nahi tha Justin ye sab samajh nahi paa raha tha......haa usse baatein chupayi gayi thi.....wo kyun itna kamzoor hai ye sab nahi bataya tha Lucifer ne usko kyunki uske baad Justin sirf aur sirf nafrat karta Lucifer se.....jo usko manzoor nahi tha.....par fir bhi Justin jaanta tha wo ek accha beta nahi ban paa raha hai....wo utna takatwar nahi hai jitna usko hona chahiye tha....bas issi wajah se to w khud ko sabit karna chahta hai hamesha plans banate hai apne Pita ke saamne behtaar dikhne ke liye par...annt mein kuch ho nahi paata....
Justin - Dad....aap pareshan hai aur sayad main iski wajah hu.....am I right ???
Lucifer - No my son....tum jaisa soch rahe ho waisa kuch nahi hai.....bas.....bas ek chizz ki talash thi mujhe jo uss jagah pe pahuch chukki hai jaha pe jaana mere bass ki baat nahi abhi....agar main waha gaya aur logo ko pata chala......joki chal hi jaayega to bahut badi pareshani ho jaayegi....
Justin - Which place Dad.....sayad main jaa sakku waha...main madad kar sakku aapki....khud ko proof kar sakku.....
Lucifer - No my son......tum kahi nahi jaa rahe.....aur khud ko proof karne ki jarurat nahi tumhe tum mere bete ho.....mere.....bas yahi kaafi hai....jab waqt aayega proof karne ka main khud bataunga....par abhi nahi....
Justin - par aap problem to bata sakte hai naa sayad madad kar du main....
Lucifer - Alright....Strange world mein ek chizz pahuch gayi hai jiski mujhe talash hai par main khud jaake usko nahi laa sakta naa.....
Justin - Strange world.....mera ek dost hai waha pe.....agar aap chaho to main usko bulla sakta hu wo kaam aa sakta hai humare.....
Lucifer - ye kisi aise waise ke karne ka kaam nahi hai....tum aaram karo bas main dekhta hu kya kar sakta hu.....
Justin - Dad aap mere dost ka mazzak udda rahe hai.....wo Elf Kingdom ka Yuvraj hai aur Raja bante bante rah gaya tha wo.....
Lucifer - Elf kingdom ka YuvrajElf king ka beta....par wo to bahut chota hai.....usse dosti kaise hui tumhari.....
Justin - not that idiot Dad......I am talking about his cousin....waha ka sena nayak tha wo....par ab meri wajah se wo Yuvraj ban chukka hai aur uska bhaiuske baare mein baat hi naa kare to accha hai....
Lucifer - Hmm sounds interesting.....batao jarra kaise mille usse.....
Justin - But Dad isse to waqt jaayega bas....aap usko kaam bata do fir main aapko batata hu humare baare mein....
Lucifer - Beta I trust you....but jiski baat hum karne wale hai wo bahut important hai hamare liye.....to main binna tumhare iss dost ke baare mein jaane usko kuch nahi bata sakta.....
Justin - alright.....to sunno.....wo mujhe kisi ke through mila tha.....usko bas apne Chacha ki jagah leni thi.....entire Elf kingdom....usne uske bare mein mujhse madad maangi....you remember that Suraj one of my friend....ussi ke through mille the usse....shuru mein to maine bhi trust nahi kiya....uss bande pe kaisa trust karna jo khud ke Chacha ki gaddi hadapna chahta ho....par phir maine socha agar iski madad ki jaaye aur ye aisa kar le....to fayda hamara hi hai.....Strange world mein ek counrty hogi jo hamare side rahegi....uske through hum waha pe apna influence bana sakte hai......I gave those axes to Suraj......those Dark axes.....aur usko bola help him....but...sab accha nahi hua.....wo axes bhi gayab ho gayi aur bhi chizzen hui....aap bhi jaante hi ho....waise maine aapse ye baat chupayi hui thiI wanted to proof myself bas issi wajah se....par inn sab ke baad wo fir bhi waha pe Sena nayak se ek Yuvraj ban gaya hai aur wo madad karega hamari....mujhe yakkin hai....
Lucifer iss waqt aisi stithi mein tha ki kya hi bataye....mann to uska kar raha tha abhi apne iss kamzor se bete ko ek channta maare....aur koi badi sazza de......par jaanta tha.....ye uska beta itna kamzoor hai ki agar isko acche se ek chatta maar de wo to ye yahi pe khatam ho jaayega......wo khulhadi....issi ke liye banwayi hui thi usne....apne takatwaar bete ko dene ke liye.....taaki usse ye aur bhi khatarnaak banne.....sabse powerful banne par ye.....ye chutiya nikal....
Lucifer ka chahra bas lal pilla hua jaa raha tha...Justin ne aisa dekha to usko laga uske Dad aur pareshan ho gaye hai....
Justin - Dad main usko bulata hu wo help kar dega aapk......
Lucifer (chillate hue)- khammos ekdum chup....pata nahi kaisa beta paida kar diya maine.....khud ke piron pe kulhadi maar aata to bhi sah leta main par isne to khud ka sarr kulhadi pe de maara hai.....jaao apne room mein aur aaram karo......
Justin aaj pahli baar.....pahli baar apne Dad se aisa kuch sunna tha.....wo jaanta tha uske Dad usse pareshan hai...uski kamzorion se pareshan hai par....aaj tak unhone iss baare mein nahi kaha aur aaj....aaj sayad unhone issi wajah se aisa kaha....Justin waha se uttha aur apne room mein chala gaya.....wahi Lucifer gusse mein yaha se waha hone lag gaya wapas se......
Next Morning....
Main subah utha dhyaan lagaya aur uske baad chala gaya school ke liye classe bhi to the......
School mein aaya to sabse pahle Nikita hi dikhi.....Main uske pass jaane laga.....
Usne mujhe dekha....aur gusse mein waha se chali gayi...
Main- ye ab kya kar diya maine....aisa kyun laga jaise mujhe dekh ke wo chali gayi waha se.....
Main uske pass wapas se jaane laga ki saamne se Pankaj aata hua dikha....aur wo Nikita ke pass chala gaya....
Chahra dekhne layak tha Nikita ka.....agar abhi koi cheez hoti uske pass naa usse maar maar ke sar phod deti uss Pankaj ka wo......
Nikita usko dekh ke usse bhi dur jaane lagi....
pata nahi kya hua hai isko main pass aa raha hu to dur jaa rahi hai.....aur ye.....Pankaj se dur jaa rahi hai.....ye accha hai uske pass kisi ko nahi jaana chahiye....chutiya hai sala khud ladayi dikhane leke jaata hao aur baad mein bolta hai ab mere saath maat aana kabhi....Matlab kuch bhi....
Nikita seedhe Class mein hi ghuss gayi sayad patta tha waha pe to nahi hi aayega wo Pankaj....
Main bhi class ki taraf jaane laga.....ki tabhi uss chomu ki nazar mujhpe padi.....wo sala ab mere pass aane laga.....ye hai kya....koi bimari hai isko.....Rupal didi se maar khaa ke kuch ho gaya hai isko.....samajh nahi aa raha kuch....
Pankaj mere pass aa gaya,....
Pankaj - Aur bhai kaisa hai.....sab theek tu dikhta nahi yaha.....maine kal dekha tu milla hi nahi fir main Nikita ke saath raha kal pure din....acchi lad.....
Main - Ek minute....rukko jarra....ye bhai kaha se aa gaya.....tumne kaha tha milna mat ye sab kaha se.....aur chalo usko chod dete hai usse pahle to dost tak ki baat hui thi naa ye Bhai kaha se aa gaya....
Pankaj - Order naa sunna tunne apni chachi ka.....Nidhi veer ji ka....
Main - kya kahna chahte ho....jarra khul ke kaho....
Pankaj - Tumhari Chachi ne mere Papa.....yaani tumhare Mama ji se baat ki....aur ye tay hua ki tum sab ko mujhe apne saath rakhna hoga...
Main - kya.....ye kab hua....aur mujhe kyun nahi pata ye sab.....
Pankaj - bataya nahi hoga yaa bhul gaye hoge....ab jo hai bas yahi hai.....abhi to class ka waqt hai mera......class ke baad milta hu.....
Main bas usko dekhe jaa raha tha ye sala kya bol ke nikal gaya...aur Chachi bhala aisa kyun....wo maar ke liye.....Rupal didi ki wajah se isko jhelna hoga....
Main ye sab soch raha tha waha pe ki ek batchmate ne mujhe hilaya aur class ka waqt ho gaya hai aisa bataya....hote hai naa wo acche wale batchmates....jagruk batchmates unho mein se ek tha wo....
Main class mein gaya aur Nikita ke pass jaake khada ho gaya....jab se ye DB ka clone....putla jo bhi hai ye aaya hai tab se hum dono hi sath mein baitha karte hai....
Usko jab aisa laga Main waha pe aa gaya hu....ek badi hi darawani look di usne....aisa laga jaise khaa hi jaayegi....
Main baith gaya jaise sab baith rahe the.....class chalu hui matlab theory wala part.....Main Nikita se baat karne ki koshish kar raha tha.....
Main - Yaar maine nahi kiya kuch....meri wajah se nahi picce pada wo hamare......
Wo bas ghoore ja rahi thi kabhi ghoorti kabhi ignore karti.....par jab usko laga main aise chup nahi hone wala usne mere pairon pe bade jor se maara.....
Prof - Mr. Prateek.....Miss Nikita....aap dono sayad kisi bahut hi bade discussion mein lage hue hai.....puri class ko batana pasand karenge aap dono.....
Main kya hi bolu mujhe kya pata tha ye sab dekh raha hai.....Nikita ne ek baar mujhe dekha apna saaman uthaya aur...
Nikita - Sorry sir.....may I leave the class....
Prof - yes Please.....aur aise discussion bahar hi kare.....
Wo chali gayi main khada tha.....maine bhi kitabein utayi aur nikal gaya.....
Main - Nikita yaar suuno to maine kuch nahi kiya.....wo Rupal didi ki wajah se ye hua hai....
Nikita - Didi ne kya kiya....sab galti tumhari hai....khud nikal jaao aur ye apne fatichar bhai ko mere picche chod do....kaha the kal.....ye mujhesubah se pareshan kar raha tha....jaha jaati waha aa jaata ye.....mann kar raha tha maar du isko.....
Main - Maar deti naa,,,,
Nikita - Manna kiya tha mujhe iss wajah se nahi maara....warna ye mere aas passs naa hota.....aaj to Bua se bolna hi hoga....dimmag kharab kar rakha hai isne.....
Main - abhi kaha abhi to Bua bhi class mein hogi...
Nikita - To main K.Bua ke pass jaa rahi hu....wo to free hogi...aur....mere piche mat aana warna uska gussa tumpe nikal jaayega....aur haa dur rahne kaho usko mujhse.....
Main - Main kya kahu main to khud hi....
Wo chali gayi gusse mein aur main chala gaya apne room mein....
Room mein aaya hi tha ki Old Owl ki aawaj aayi.....
Old Owl - Elf King Leemo ki society walo se milne wale hai....
Main - Kya......kya kuch hua hai kya.....sab theek hai naa....wo pakde gaye hai kya....
Old owl - Nahi......ELf king unko kaam dene wale hai apne bhatije ke baare mein pata karne ke liye....
Main - Main samjha nahi thoda khul ke batana jarra....
Old Owl ne mujhe sab bataya kaise apne ek khass bande ki help se Elf king pahle uss bande tak pahuche jo Archery society ke baare mein jaanta tha.....fir waha se kaise wo Leemo ke kuch logo ke baar mein pata kiye....aur ab unse milne jaa rahe hai......
Leemo ko inn sab ke baare mein pahle pata chal gaya tha issi wajah se usne itni jadli sab pata chalne diya Elf king ko.....kah sakte hai khud hi address likh ke de diya ho....
Main - Leemo kya chahta hai....
Old Owl - sayad wo khud bhi milna chahta hai Elf king se...par agar tum baat karo to accha hai.....
Main - offo....yaha se aaj nikla to pareshani ho jaayegi.....par waha jyada pareshani hone ke aasar dikh rahe hai.....Portal kholo dost Main aa raha hu....
Old Owl ne meri baat sunni aur Portal khol diya.....wo bhi siddha ussi jagah pe jaha pe abhi Leemo tha.....
Mere aise achanak waha aa jaane se wo thoda shock ho gaya....
Leemo - Aap yaha.....aise acchanak....
Main - Wo sab choodo Leemo ye.....Main kya sun raha hu.....tum Elf king se mill rahe ho....
Lemmo - aapko pata chal gaya....pata nahi kaise chala par haa....Main mill raha hu...aur iss baar mauka hi aisa hai ki kya bataun.....
Main - Elf King tum logo ko Yuvraj ke picche lagana chahte hai....taaki uske baare mein sab bata sakko....
Leemo - Haa yahi to.....jaise hi wo aayenge hum sab bata denge unko...aur iss Yuvraj ki chutti ho jaayegi....isko Fumos bhej denge hamesha ke liye....
Main - Sach mein....aisa lagta hai.....saboot hai koi tumhare pass....saboot hai koi ki Yuvraj ne kuch galat kiya hai.....
Leemo - Uske logo ko pakad lenge....
Main - Uske log uske khilaf kabhi nahi bolenge marte dum tak nahi dekha nahi tha.....ek pakda gaya tha naa wo vittya salahkaar....ek nbaar bhi naam liya usne Yuvraj ka....
Leemo ko meri baat mein dum lagi.....
Leemo - baat to aapki sahi hai....aap batao kya kare fir....
Main - Leemo sabut dhundho pahle....uske baad karna kuch....abhi jab wo Elf king milne aa rahe hai....chupp ke mille chahra dikhao hi mat unko....wo pucche to batao hum aise hi kaam karte hai.....jab sabut saamne ho tab jaake dikhana apna chahra saath mein saboot bhi...
Leemo - hmm ye bhi theek hai ab aisa hi hoga.....Main tab hi unko apni sakal dikhaunga jab humare pass pakke sabut ho....
Main - Chalo fir main chalta hu....aaj class miss ki to khatam ho jaana hai sab
Maine Old Owl se wapas se portal khulwayi aur wapas se room mein aa gaya.....timming acchi thi meri.....Abhi just darwaja knock hua aur main ander pahucha...
Maine darwaja khola saamne Nikita tha...
Main - Nikita tum....kya hua...
Nikita- (muh banate hue) kya hua.....bada aaya....Bua bulla rahi hai...chalo jaldi....
Maie ghadi dekhi to unka class khatam ho chukka tha aur abhi 2nd class mein thoda time tha....to main chal diya Nikita ke sath Bua ke pass.....Raste mein wo Pankaj bhi milll gaya....
Nikita - Isko bhagao warna main tumhe maar dungi.....
Main - ye kya baat hui.....accha theek hai....Panjak yaar tum thoda rukoge humko Bua ne bulaya hai...
Pankaj - hmm theek hai..ruk jaata hu.....bad mein milte hai.....
Hum dono jaldi se Cabin mein pahuche.....
Nikita - Bua kuch karo naa....ye aise pichhe rahega kaise chalega phir.....
Bua - Bacchu main kya kahu ab.....Bhabhi ke taraf se order hai usko apne saath rakhne kaha hai unhone....
Nikita - mujhe nahi rakhna apne sath uss chipku ko.....kal se jo chipka hai jaa hi nahi raha hai.....main maar dungi usko....
Bua - Bacchu aaram se....thoda sayam rakho sab theek ho jaayega....
Main - waise Bua iske liye bulaya kya...
Bua - Nahi tabiyat theek hai na teri.....
Main- haa Bua aaj sab sahi hai....
Bua - Clubs ke baare mein baat karni thi.....tum dono hi bahut kam gaye ho waha pe......matlab jab se introduce karaya hai tab se bahut kam gaye ho naa.....aisa hone pe club ki membership chali jaayegi....
Main - jaane do Bua waise bhi bekarr.....
Meri baat puri hoti usse pahle 2 nahi 4 hi the.....4 aankhen ghoor rahi thi mujhe.....2 Nikita ke aur 2 khud Bua ke.....
Bua - Bekkar hai se kya matlab hai....sab kuch aa gaya hai tumko....ab chalo aaj test leti hu tumhara......
Nikita - Bua isko padhayi mein koi mann nahi lagti hai aaj subah class se nikalwa diya mujhe....
Bua - kya.....class se nikalwa diya....
Nikita - Aur nahi to kya....class mein bhi pareshan kar raha tha....main to kahti hu naam hi katta do iska ghar mein rahne do isko....
Main - kya...kuch bhi bas bole jaao bole jaao....Bua wo sab pankaj ki wajah se hua hai.....
K.Bua wahi pe baithi hui thi.....aur hamari baat sunke unhone bas itna kaha.....
K.Bua - Jiski wajah se fasse ho naa ussi ko batao.....wo ekdum se tufaani idea degi fir dekho....Pankaj Prof Daksh koi nahi aayega pass mein....mazze se raho phir...
Nikita - Rupal didi....haa unko batati hu....wo kuch karegi.....
Bua - oo madam....kya kuch karegi....wo bas fasa degi tum sab ko......jaisa hai waisa rahne do....aur tum Prateek jyada absent nahi karna club mein samjhe.....waha pe compete karne ke lye bhi presence honi must hai.....ab jao....class ka time ho gaya hai.....
Hum dono hi nikalne lage.....ki tabhi picche se aawaj aayi....
Bua - Nikita Bacchu tum rukko thoda.....aur tum kya dekh rahe ho jaao jaldi....aise hi chalta rahta hai bas....
Main bhi aise hi badbadate hue waha se nikal gaya aur class mein jaake baith gaya.....saamne Daksh sir aaye aur class shuru ho gayi.....Nikita nahi aayi thi seat khali thi uski......phir main class mein dhyaan dene laga ki tabhi Daksh ji ne Nikita se sawal puccha....
Par wo to aayi.....ye mere bagal mein baithi hui thi aur mujhe pata bhi nahi chala......Prof ne baad mein kisi ko aane bhi nahi diya class mein fir ye kaise ho gaya....
Nikita ne answer bhi de diya...iss class mein main usko pareshan nahi kiya....par jaise hi class khatam hui main uske taraf mudda wo gayab.....
Ye kya ho raha tha ab.....
Yaha ka chodte hai wapas Strange world ho aate hai jaha badi muskil se Elf king aaj aa pahuche the Archery society ke logo ke bich.....aisa unko lag raha tha....
Elf king - aap sab ka mukhiya kaun hai.....
Leemo jo ki waha sabhi ke saath baitha hua tha......usne ek bande ke oor dekha...aur wo bola....
E1 - Yaha pe koi Mukhiya nahi hota Elf king yaha pe kayi log mukhiya hote hai...aur unn sab ki baatein maani jaati hai....har ek kam ko karne se pahle uspe bahesh hoti hai....aap bataiye kya kaam hai aapko....
Elf king - Main aapka Raja aaj aap sabhi se ek madad maangne aaya hu...
Leemo - Boliye kya madad chahiye aapko.....
Elf king - Mujhe ye suchna milli hai.....mera koi apna hai jo meri gaddi ke picce pada hua hai.....
Iss baat ko sunn ke wo sab hasne lagte hai.....
Elf king sabko haste hue dekh ke confuse ho jaate hai.....
E2 - aapko iss baat ka patta ab chala hai.....arre aapke gaddi ke picche to naa jaane kitne hi log lage pade rahte hai par hamare hote hue....apko koi pareshani nahi hoti.....
Elf king - Ji main iss baat ke liye bahut aabhari hu....mujhe pata bhi nahi chalta aur aap sab meri rakhsa karte rahte hai.....bas issi wajah se main aapke pass aaya hu.....jaisa maine kaha mera koi apna hai jo meri gaddi ke picche pada hua hai.....
E3 - Aapke Bete to nahi....
E4 - wo kaise honge....wo to yaha hai bhi nahi....
E1 - fir aur kaun......
Leemo - pariwar ka hi koi hoga.....
E2- koi saathi bhi ho sakta hai unko bhi to apne bolte hai naa....
E3 - inka bhatija....uske baare mein to humko bhi pata hai naa.....
Elf king - aapko pata hai...kya pata hai aapko Yuvraj ke baare mein.,,,,
Leemo - humme pata to bahut kuch hai Maharaj par sabut nahi hai....aur binna sabut aap maanoge nahi....
Elf king - ji ye to sahi kaha aapne,.....par pata kya hai ye bhi bataye.....
E4 - Abhi uska waqt nahi hai.....bas ek sujhao de rahe hai hum.....unke banaye gaye jitne bhi niyam hai.....usko ek baar dekhe aur aage se bhi agar koi niyam wo banaye to usko acche se parkhe tab laagu karaye....
Elf king ne thoda socha aur fir haa kaha......
Leemo - aap chinta naa kare maharaj hum aapke saath hai.....hum aapko sabut jald hi de denge....abhi ke liye aap jaa sakte hai....
Elf king - Agar mujhe tum sab se milna hua to....kaha aaunga main....
Leemo - Milne ki jarurat nahi hogi....aur agar padi to aap aise hi mill lenge humse....hum khud aapko pata de denge apna....
Elf king waha se nikal jaate hai.....
Wahi Demos pe.....
Justin kal ki daant se abhi tak uddas tha usko to yahi lag raha tha wo kamzoor hai bas yahi ek wajah hai uske Dad usko kuch karne nahi dete.....usne tay kar liya tha aaj ki aaj wo khud ko shabit karega.....Elf Kingdom se Yuvraj ko yaha pe bulayega aur fir usse madad maangega aur khud ko shabit bhi karega....
Justin bahar jaane laga.....mahel ke ander wo nahi bula sakta tha Elf world ke yuvraj ko....par usko raste mein hi uske Dad dikh gaye....
Lucifer ne kal daant to diya tha isko....galti bhi thi uski par Lucifer ko laga jaise usne thoda jyada kar diya hai.....wo kal bhi aaya tha usse baat karne ko par Justin so raha tha to wo chala gaya tha......abhi bhi wahi jaa raha tha aur raste mein wo mil bhi gaya.....Lucifer khush ho gaya....
Lucifer - son main tumse hi milne aa....
Justin - Dad mujhe nahi pata maine kya galat kiya hai par aap dekhna khud ko proof karunga main....
Lucifer - Arre kaun kah raha hai proof karne....kuch bhi proof karne ki jarurat nahi hai tum chalo ander baitho...
Justin (chidhte hue)- nahi baithna mujhe.....aap mujhe kamzor samajhte hai naa...ab main khud ko proof karke hi kuch karunga....
Lucifer - ye kya bol rahe ho.....(gahri saans lete hue) accha batao kaise proof karoge khud ko....
Justin - aap jis chiz ko dhund rahe ho usko aapke saamne laa ke....aap bas batao kya hai wo....
Lucifer - tum samajh nahi rahe.....wo koi aam chizz nahi hai...bahut jaruri hai wo....
Justin - Theek hai to ek mauka aap mujhe do.....mere uss friend ko bolo uske baare mein....wo sach mein leke aayega uss chizz ko...aap mauka do usko.....
Lucifer - theek hai bulao usko dekh lete hai kaisa dost hai tumhara...par baat main karunga usse....aur tum chup chap dekhoge...
Justin - theek hai....
Justin ye sunn ke khus hota hai aur wahi pe se usko bulane lag jaata hai via Telepathy......
Strange world mein bhi ye khabar mill hi jaati hai usko....par waha se seedhe yaha aana khatarnaak ho sakta tha....
Elf world mein Yuvraj dhundhne lag jaate hai apne Chacha ji ko taaki waha se niaklne ka koi bandobast kar sakke.....
Thodi der mein wo mill bhi jaate hai....
Yuvraj - Chacha ji......Main aaj DB se mil ke aata hu.....bahut din ho gaye usse mille hue....
Elf King - DB......usse kya milna yaad nahi hai usne kya kiya tha.....
Yuvraj - Chacha ji wo baccha hai gusse mein aisa kuch ho jaata hai fir aapne hi to usko Earth pe bheja tha.....wo yaha pe bhi to padh sakta tha....inn sab mein galti to aapki bhi hai.....
Elf King - Tum apne Raja pe ilzam laga rahe ho...
Yuvraj - Raja pe nahi ek Pita pe.....aap bhi jaante hai galtiyan dono hi taraf se hui hai......aap mujhe usse milne de main dekh to aaun wo theek hai yaa nahi.....
Elf King (khud se) - Ye kaise mere gaddi ke picche laga hua ho sakta hai.....
Elf king ne usko jaane ki permission dedi aur wo nikal gaya waha se....
Earth pe aane ke baad wo pahle to thodi der yaha waha ghumta hai.....usko bhi pata tha logo ki nazar hogi uspe......aur waise bhi yaha aake seedha kahi aur jaana khatarnaak hi hoga.....
Usne thodi der Earth pe yaha waha pe waqt kata kuch chizzen kharidi....aur fir jab laga ki ab bahut waqt ho gaya hai tab waha se gaya wo Demos pe.....aur sidha pahuch gaya ussi guffa mein jaha wo Prince se baat kiya karta tha....justin se.....
Wo waha pahuca hi tha ki waha pe 3 log aur aa jaate hai....khud Justin Lucifer aur inka sena nayak....
Sena Nayak ko dekh ke Yuvraj ko apni pichli mulakat yaad aa gayi....aur Lucifer ko dekh.....wo samajh nahi paaya ki yaha ho kya raha hai....ek pal ko to usko khud ki hi laash dikh gayi thi.....
Wo - Justin aapne mujhe yaad kiya tha koi khass wajah....
Justin kuch bolta usse pahle Lucifer ne usko chup rahne ko kaha aur apne Sena Nayak ki oor dekha....
Ye jaise uske liye ek signal tha.....
Senanayak - Raj kumar ne nahi Maharaj ne yaad kiya hai.......kuch favours kiye hue hai hamare tumpe....bas unhi ke badle humme kuch chahiye.....
Wo - Favours.....haa favours.....aap bataye mujhe kya karna hai....
Sena Nayak - wo Kulhadi kaha hai pahle to ye batao...
Wo - Kaun si kulhadi dost.....uss waqt bhi kaha tha maine nahi dekha wo kaha hai...bas usko ek baar Suraj ke pass dekha tha uske baad kaha kuch....
Sena Nayak - Maharaj mujhe nahi lagta ye hamare koi kaam aayega....humme isko yaha se bhej dena chahiye....
Lucifer - ek mauka dena to banta hai.....Justin kya kahte ho....
Justin ne ye sunna aur ha mein sar hilla diya.....
Lucifer - hmm ab hamare bete ne jab kah diya to theek hai.....ab sunno.....mera sena nayak ek jagah ke baare mein batayega.....waha jaao aur dekho kya hai aur kya nahi hai.....
Itna bol ke Justin ko leke wo waha se nikal gaya....
Sena Nayak ne ek naksa nikala aur uspe ek jagah ko dikhate hue bataya yuvraj ko ki kaha par hai wo jagah jo unko check karne ko kahi gayi thi........Usne bhi uss jagah ko acche se dekha.....aur jaldi se waha se nikalne ko hua.....
Sena nayak - Jaldi kya hai apne purane dost se nahi miloge....
Wo - wo theek ho gaya....
Sena nayak - Maine kaha tha usko maar dunga....maine to maar bhi diya ab kaha se theek hoga wo....main to uski raakh se milne ki baat kar raha tha.....
Wo - Nahi koi jarurat nahi hai.....Main chalta hu waise bhi bahut kaam hai mujhe....itna bol wo waha se bhag jaata hai wahi pahle to Raeth pe....aur waha aabe je baad wo ek baar School mein bhi aate hai....yaha pe kisi se milta nahi hai wo.....bas jo bhi kharida tha usko guard se bol ke DB ke pas pahuchane bol deta hai....aur khud waha se nikal lea hai Strange world ki oor.....
Earth pe.....
Ab saari classes khatam ho gayi thi.....Nikita ko pata nahi kya hua tha....main to ye nahi samajh paa raha tha usko kuch hua hai yaa mujhe kuch hua hai....kabhi dikhti thi to kabhi ekdum se gayab....
Pankaj mere picche lag gaya tha aaj....Class khatam hone pe main ek baar apne room mein chala gaya....
Dhruv - aaaj ke baare mein kya khayal hai aazad karoge inko....yaa fir kabhi.....
Main - Arre main to ekdum se bhul gaya tha....par inko kaha karu aazad yaha aas pass mein kisi ko kuch kar diya to......
Dhruv - ye kisi ko kuch nahi karenge jab tab wo kisi ko tumhe kuch naa kare.....aur unko kahi bhi chod sakte ho.....waise bhi wo ussi roop mein rahegi jisme tum unko bologe.....
Main - hmm ye sahi hai phir....
To maine unn dono ko hi mere ander se bahar aane ko kaha.......aur wo dono light balls banke bahar aa bhi gaye....g
Main - Tum dono ko main abhi bahar jaane ki aazadi de raha hu.....jaha jaana hai waha jaao jo karna hai wo karo....bas logo ko pareshani nahi honi chahiye samjhe....
Mera bas ye kahna hi tha ki dono hi chale gaye....
Aaj ke liye itna hipost 11 baje hi ho jaata agar system hang hoke band naa hota to.....uske wajah se opened file ka data udd gaya aur update wapas se likhna pada.....
next update aaj hi aayega 11 baje.... jaha hum dekhenge....Elf Kingdon ke Yuvraj ko Lucifer ka kam karte hue....wahi Jwala se milenge aur saath hi DB se bhi ek baar milenge.....aur Leader bhi apni khoj mein niklega...saath mein kuch aur scenes