★ INDEX ★
☟
☟
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Last edited:
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Nice update bhaiUPDATE - 69
Shaam ka waqt tha jab maine Albus aur Cooper ko bahar chod diya tha.....wo dono hi pahle to light orbs ke form mein the uske baad waha se chale gaye.....pata nahi kaha gaye the wo.....Main dekh bhi nahi paaya kyunki unke jaane ke thodi der baad hi mere Club ka time ho gaya tha Bua se aaj hi warning milli thi...to janna to tha hi bas....fir main nikal gaya Cliub ke liye wo K.Bua ki di hui dawayi kha ke.....
Aaj to sayad iss dawayi ka kuch jyada hi asar ho gaya tha....Main bahut hi jyada kamzoor mahsoos kar raha tha....sayad ye unn dono ke naa hone ke wajah se tha.....badi mushkil se Club mein tikka raha main....
Club mein basically hota ye tha ki aap waha jaate ho apne seniors se milte ho unse chizzen sikhte ho.....bas yaha pe uss club ke head bhi hote hai aapko guide karne ke liye taaki aap better kar sakko.....aur saath hi unka kaam hota hai har batch se kuch logo ko choose karna jo apne batch aur uss club ko represent karenge jab bhi competition hoga...
To Club mein se aane ke baad to aisi halat ho gayi thi meri ki pucho hi mat.....kuch jyada hi asar kar gayi ye dawai aaj to.....
Main apne room mein aaya hi tha....karib 2 ghante h gaye the inn dono ko bahar chodde hue.....Dhruv ne kaha tha din mein ek ghatna bahar nikal do unko bas kaafi hoga....par ye to....
Main - Dhruv wo dono abhi tak nahi aaye hai....kahi koi dikkat to nahi hai naa....
Dhruv - arre aa jaayenge chinta mat karo.....kahi honge abhi mazze kar rahe honge....
Main - Kahi koi pareshani to nahi ho jaayegi naa....aisa naa ho unko bahar chod ke maine galti kar di hai....agar insano mein chale gaye wo aur waha pe kuch kar diya to.....
Dhruv - aisa kuch nahi hoga....aur puch kya rahe ho connect karne ki koshish karo.....tumko dikh hi jaayega kaha pe hai dono....
Maine apni aakhen band ki aur unn Albus ko yaad karne laga.....thodi der mein mujhe dikhne laga ek aquarium.....ek bada sa aquarium.....saamne machliyan dikh rahi thi mujhe....
Sayad Albus kahi aquarium mein chala gaya tha.....matlab insano ke bich mein
Main - Dhruv yaar Albus insano ke bich mein hai......lagta hai kuch galat hua hai.....waha sab theek honge naa.....
Dhruv - koi halla gulla sunayi de raha tha kya.....yaa fir ekdum se sannata aisa kuch....'
Main - (soch ke) nahi to waha to normal aawajein aa rahi thi...baccho ki aawajein bado ki aawajein....
Dhruv - Bas....matlab sab sahi hai....Albus bas dekh raha hoga unn jeevon ko.....uske liye to naye hi hai naa.....ye dragons bade hi jigyasu hote hai....
Main - fir theek hai accha main Cooper ko bhi dekh leta hu.....wo kaha rah gaya hai......
Maine wapas se aankhen band ki aur fir Cooper ke baare mein sochne laga....aur saamne bahut saare ped paudhe dikhne lage.....ye sayad kisi jungle yaa park mein pahucha hua tha....iss baar aas pass ki aawaein sunni maine....laga sayad junle mein hi hai ye kyunki chidiyon ki aawajein aa rahi thi.....insano ki aawaein nahi aa rahi thi aur naa hi koi gaadi wadi ki aawaj...
Main - Ye lagta hai jungle mein jaake baitha hua hai...
Dhruv - ye dono aaj pahli baar bahar gaye hai naa cheezien observe kar rahe hai....inn dono ko sayad aaj waqt lage....
Main - Haa waise bhi abhi unki koi jarurat kaha hai......Main khana khaa aata hu sayad tab tak wo aa jaaye....
Main chala gaya dinner karne waha pe wo Pankaj milla mujhe.....aur Nikita bhi thi....hum tinno ne dinner kiya aur phir takke hone ke wajah se Main aur Nikita sidde apne apne rooms mein....Pankaj thoda chauka hua tha mujhe dekh ke....wo sayad soch raha hoga ki maine uss fighter ko turant hi harra diya tha aur aaj bas classes karne ke baad aisi halat ho chukki hai....usko kaha pata tha ye sab dawa ka aasar hai....
Room mein aa to gaya main par unn dono ka abhi bhi koi pata nahi tha.....Maine socha aa hi jaayenge main bed pe jaake so gaya......
Next day...
Aaj bhi wahi sapna....par aaj kuch alag tha.....aaj main sapne mein khud ko control kar paa raha tha.....yaha waha dekh paa raha tha par isse pahle main ye sab samajhta aur aas pass ki chizzen observe karta aisa laga jaise mere seene mein koi bahut hi powerful chizz chali gayi ho....
Issi wajah se neend khul gayi meri....
Waqt dekha to yahi koi 6 baj rahe the.....aaj bahut der tak so gaya main.....Main jaldi se utha aur taiyaar hone chala gaya....aur fir waha se jaldi hi chala gaya dhyaan lagane wale jagah pe.....
Waha pe sab pahle se pahuche hue the.....
Main bhi baith gaya jaldi se dhyaan lagane ko.....
Wahi issi waqt Strange world mein kuch alag hi chal raha tha....waha pe Old Owl aur uske log lage hue the Elf king aur Leemo pe nazar lagae hue....unn logo ne miss kar diya tha kisi ek ko.....Yuvraj ko......
Yuvraj ko unn sab ne abhi chod rakha tha.....kyunki abhi uske pass koi decision making power hi nahi thi.....
Yuvraj ne kal hi apne kuch chuninda logo ko apne saath chalne ko bol diya tha.....uss jagah ki jaanch karne ke liye jaha pe Lucifer ke sena nayak ne bataya tha dekhne ko.......
Abhi wo sab ready ho chukke the....aur 3 groups mein waha gaye hue the......wahi Yuvraj abhi Mahel mein hi tha.....usne Elf king ke saath nasta kiya aur fir thodi der bahar jaane ke baare mein bol ke nikala gaya aur pahuch gaya ussi jagah pe jaha usko check karna tha.....
Old Owl ne bataya tha....wo guffa.....uska muh peddon se dhakka hua tha....aasani se nahi mil sakta tha kisi ko....aur ander jaana to dur ki baat thi....tabhi to usne Portal ka use kiya tha....
Yuvraj aur uski puri team lagi hui thi.....uss purre jagah ki chhan been karne mein.....kabhi iss kone mein to kabhi uss konne mein wo bas lage hue the....
S1 - Yuvraj yaha pe kuch hai hi nahi siway inn ped paudon ke...
Yuvraj - haa maine bhi dekha hai.....
Par iss jagah pe kuch ajeeb to hona hi chahiye tha.....tabhi to usko waha pe check karne ko bola tha.....kuch bataya to tha nahi ki kya dhundhna hai aur kya nahi.....to Yuvraj ab samajh nahi paa raha tha kya kiya jaaye....
Yuvraj - Ek baar aur iss jagah ko acche se dekho....kuch bhi ajeeb mille mujhe batao....
Wahi Demos mein apni gaddi pe baitha Lucifer sab kuch dekh raha tha.....Yuvraj pe usne aate ke saath hi ek bahut basic magic kar diya tha.....jisse wo uski aankhion se sab dekh sakta tha.....aur usko bhi wahi sab kuch dikh raha tha bas wahi sab...wo waha pe baithe gussa hua jaa raha tha.....
Lucifer - yaha bhi kuch nahi hai.....sayad uske baare mein pata chal gaya ho logo ko....
Sena Nayak - Maharaj agar aisa hota to aapke pass iss baare mein khabar aa chukki hoti...par abhi tak aisa nahi hua yaani wo waha nahi hai.....
Lucifer - Haa wo waha nahi hai....phir kaha hai yahi to mudda hai.....ahle jaha se uske hone ka pata chala waha gaye to wo daanavon ka ilaka hai...aur ab yaha pe aaye hai to.....ye kahi khud ko chippa to nahi raha naa.....kya usko pata chal gaya hai uss power ke baare mein aur ab wo chipta chal raha hai.....nahi aisa hota to wo chipp hi nahi pata....tab to kuch aur hi chal raha hota....jaha bhi wo power hoto waha tabahi hoti....
Lucifer wahi pe baitha apne sena nayak se baatein kar raha tha......
Inn sab ke alawa Leader aaj bade khush the.....aaj chand wali raat thi.....matlab wo kal hi nikal sakte the Earth ke liye.....apni Beti ki talash mein.....usne to plan bhi bana liya tha kaise usko dhundhna hai apni Beti ko.....
jaise wo sabse pahle to magical creatures ke pass jaayega waha pata karega....saath hi ussi waqt wo kisi aise jagah pe jaayega jaha pe lagbhag har ek magical bacche ke baare mein kuch naa kuch mil jaata ho jaise School....usne School se bhi [ata lagane ke baare mein soch rakha tha....ab chukki uska Earth pe aana varjit nahi tha to bas issi wajah se wo school se bhi madad le hi sakta tha.....
Wo bas aaj raat khatam hone ke intezaar mein tha.....jaise hi raat khatam hoti wo nikal jata waha se 20 din ke liye....
Wahi DB.....DB insano ke bich rahne ki puri koshish mein tha.....haa iski koshish musibat ban gayi thi K.Bua ke uss dost ke liye......jiske saath wo rah raha tha.....
Dhyaan se hum sab utth gaye the aur fir 2 classes bhi kar aaye the.....uske baad Bua ne humko bualaya lunch ke liye unke cabin mein......Main aur Nikita Pankaj ko chod ke chale gaye waha.....Pankaj bhi maan gaya tha.....vanda humko ekkant de diya karta tha ye acchi baat thi uski......
Hum 4 log abhi Bua ke cabin mein baithe lunch kar rahe the ki tabhi phone bajja K.Bua ka.....
K.Bua - offo ab kya kar diya iss Rajkumar ne......
Bua - kya hua pareshan kyun hai.....
K.Bua - DB ke baare mein hi batane wali hogi ye....dekh lo....
Unhone speaker pe daala phone aur call pick uup kiya....
Phone - Kavita yaar ye kis namune ko bhej diya hai yaar.....isne mere Bhai ka kaam kharab kar diya hai.....uske saare files idhar udhar ho gaye hai....isko bas bola tha unko sambhal ke rakho......sab milla diya isne...
K.Bua - Main aati hu.....aur koi baat to nahi hai naa....
Phone - yaar Bhai bahut gussa hai....wo isko nahi rahne denge yaha pe.....
K.Bua - Nahi kaise rahne denge wo....tu hai naa......kuch kar aur handle kar situation.....Main aati hu tab tak samjhane ko usko.....
Call end....
K.Bua - dekha.....aisa isne ek baar nahi kiya hai naa....ab kya karu main.....
Bua - waise ye to acchi dost lag rahi thi teri....
K.Bua - haa ye bhi doctor hi hai.....main isko madad kar aati hu kabhi kabhi....aur isse bahut si cheezein bhi seekh aati hu.....bahut hosiyaar hai wo....
Main - aap waha jaa rahi ho DB ke pass phir....
K.Bua - haa jaana hi hoga....aise thodi hoga kuch.....tumko bhi chalna hai kya....
Bua - nahi ye nahi jaa raha kahi....iski classes hai aur clubs bhi....Main chalungi tere saath....iss prince ko samjhana hoga kaam naa bigade dusro ke....
K.Bua - Arre wo kaam bigadta nahi hai.....maine dekha tha wo bechara to madad karne ki koshish karta hai aur gadbad ho jaati hai.....
Bua - Hmm chalo fir issi baare mein baat kar aayenge.....aur tum dono abhi tak khana khatam nahi hua class shuru hone wali hai....
Main aur Nikita dono ne jaldi se khana khatam kiya aur fir waha se nikal gaye class ke liye.....
Wahi dono Bua nikal gayi DB se milne ko......
DB ek flat mein rahta tha....jaha pe bhai bahen raha karte the....bahen joki K.Bua ki friend hai.....wo bhi doctor hai aur jo uska bhai hai....wo freelancer hai...ghar se kaam kiya karta hai wo.....
DB jab se waha aaya hai tab se wo ussi ki madad karne mein laga hota hai....aur iske badle wo banda DB ko kuch na kuch naya sikhate rahta hai.....jaise ki Computer chalana...yaa fir Insano ki aur bhi chizzen waha ke khel ke baare mein ye sab batata rahta usko...
Dono Bua uss flat ke darwaje ke pass pahucha gayi aur bell bajaya.....
Darwaja K.Bua ki dost ne khola tha.....aur wo hairaan nahi hui thi.....usko aadat ho gayi thi iss baat ki.....
K.Bua ko phone karo aur wo thodi hi der mein waha pahuch jaati....issi wajah se usne kuch insano ki jaan tak bachahyi hui thi.....
Khair abhi wo saamne K.Bua aur unke bagal mein Bua ko dekh rahi thi....K.Bua to dost thi unko to jaanti thi wo par Bua ko nahi jaanti thi wo....
Dost - Ye kaun hai....isko bhi leke aa gayi tum....haa isko bhi rakh leti hu...
K.Bua - arre nahi re.....ye meri dost hai wo hum dono yahi pe the naa jab tunne call kiya to isko leke hi aa gayi dusre saher se aayi hai akele nahi chod sakti naa....
Dost - Fir theek hai.....
K.Bua ne dono ko introduce karaya aur fir unki dost sabko ander leke gayi....jaha pe abhi DB unhi files ko theek karne mein laga hua tha jinko usne milla diya tha.....saath mein K.Bua ke dost ka bhai bhi tha....jo gusse mein lag raha tha aur pareshan bhi....
K.Bua - yaar tera bhai to aaj bade gusse mein hai.....
Dost - aur nahi to kya...sab iss ullu ki wajah se hai.....bhai ko aaj hi ek meeting karni thi....kuch hotels hai unko naye dhang se banane ke liye.....bahut bada kaam tha...Bhai pura ready the aur ye sab ho gaya.....bahut saare hotels hai uske....
K.Bua - sorry yaar tu ek kaam karegi unko thoda side mein leke jaa main sab sahi kar deti hu aur iski class bhi leni hai naa....
Dost - main kuch nahi kahne wali unko.....3 baar mujhe sunna chukke hai abhi tak...
Bua - Tum dono aise hi baatein karte raho.....chal ke madad karte hai naa....
Wo itna bol ke DB aur dost ke bhai ke pass chali gayi aur files ko wapas se sahi karne lagi....papers pe likha hua tha kaun kis file ka paper hai....
Wahi thodi der mein Dost aur K.Bua bhi aa gayi....Dost ke bhai ne ek do baar aur sunaya apni bahen ko....par wo lagi rahi....
Wahi K.Bua aur Bua jab papers sahi kar rahe the to unko kuch milla...jisko dekh ke dono hi thoda hairaan ho gaye....fir ek dusre ko dekh ke smile pass ki aur dono bhai bahen se bacte hue magic ka use kiya aur files set ho gayi bahut jaldi...
Itne mein uss bande ke meeting ka waqt bhi ho gaya tha....usne files uthayi sabko thanks kaha aur nikal gaya....
Dost - chalo ek kaam to hua.....ab batao iska kya karna hai....
Bua - isse main baat karti hu....DB tum aao idhar...
K.Bua - haa ye sahi hai....tab tak hum dono aapas mein kuch baatein kar lete hai.....aaj kal hospital mein sab theek hai naa..
kitna ajeeb sawal hai ye Hospital mein kabhi kuch theek nahi hota....
wo dono apne mein lag gayi.....
DB - Madam maine jaan bujh ke kuch nahi kiya main to bas madad kar raha tha....
DB ne apni baat kah daali.....
Bua - haa mujhe pata hai aur koi baat nahi aisa hota hai....tum ye batao yaha pe sab theek se kar rahe ho naa....
DB ye sawal sunn ke thoda uddas ho jaata hai usko yaha pe apne progress ke baare mein kuch pata hi nahi tha.....wo jaanta hi nahi tha aakhir wo porgress kar bhi raha thaa ya fir aise hi waqt katta jaa raha tha roj dhyaan lagata tha wo....par koi aner nahi dikh raha tha....
DB ne sab kuch dukhi hote hue Bua ko bata diya.....iss baar wo sach mein koshish kar raha tha jaldi se isko pura karne ki taaki uske log wapas se pahle ki tarah khushhaal rahe...wo apne planet pe jaa sakke.....
Bua - koi baat nahi kabhi kabhi aisa ho jaata hai par tumne apne guruji se iss baare mein baat ki yaa nahi.....
DB - Jis din se Main yaha aaya hu naa to wo aur naa hi Leemi aayi hai mere pass.....na unka koi sandesh aaya hai.....sayad wo naraz hai mujhse.....uss din Leemi ko to dekha tha aapne...
Bua - Naraz nahi honge wo....aur agar hai bhi to tum jaake dekh kyun nahi aate....wo log bade hai naa tumse....aur galti bhi tumse hi hui thi...to fir jaane mein kya hai....chalo aaj waha chalte hai aur dekhte hai kaha pe pahuchi hai tumhari progress....
DB ne bhi haa kah diya...aur koi rasta nahi tha uske pass.....
K.Bua ko bata ke Bua usko leke bahar chali gayi....Dost ko bol diya ki kuch shopping karani hai....
Bua aur DB waha se siddhe chale gaye aashram mein......
Aashram mein sab pahle jaisa hi tha....log lage hue hai apne apne kaamo mein....Bua aur DB aashram ke darwaje pe hi gaye the.....waha pe unko 2 log mille.....Bua ne kuch nahi kaha aur naa hi DB ne unn dono ne unse apne picche aane ko kah diya....ye dono bhi picche chal diye....aur inko Guruji ke pass pahuchaya gaya.....jaha pe wo abhi Leemi ko uski Beti ko train karte hue dekh rahe the....
Bua - Guruji...
Guruji - Aao.....DB maine socha tha thoda aur pahle aaoge tum....par koi baat nahi....
Bua - DB batao inko tumko kya dikkat hau.....
DB ne sab bataya kaise wo wo sab kuch kar raha tha jo usko bataya gaya tha par wo ye samajh nahi paa raha tha Progress ho bhi raha hai yaa bas aise hi hai.....
Guruji - Kabho kabhi kho jaana bahut accha hota hai....isse aapko bahut kuch naya dekhne ko mil jaata hai aur saath hi seekhne ko bhi.....tum sahi raste pe ho....bas khud pe thoda aur yakkin karo....aur thoda aur sayam rakho.....uss bacchi ko dekh rahe ho....
DB aur Bua ne uski oor dekha...wo Leemi ki beti ki baat kar rahe the...
DB - ye to Leemi ke beti hai naa....
Guruji - Haa.....aur ye tumhare liye taiyaar ho rahi hai......ye tumhari sena nayika hogi......dekho usko aur sikho....
DB - Meri sena nayika....par ladkiyan...
Guruji - yahi sab to seekhna hai yaha pe tumko.....jaha tum rah rahe ho waha pe bhi ek ladki hai.....kya wo bas ghar mein baithi rahti hai.....nahi wo kaam karti hai...logo ki jaan bachati hai....seekho isko.....aur apne dimmag mein jo kuch baatein bitta li hai unko nikal do....Insano ke bich bhejne ka ye bhi ek uddesya tha....
DB - Ji theek hai guru ji par kya usko....
Guruji - Tumko kya lagta hai main usko abhi bataunga....abhi wo nahi jaanti iss baat ko aur naa hi jaane to behtar hai....tum abhi kuch der yahi rahoge....aur dekhoge usko aur sikhoge kaise wo chizen sikh rahi hai ktni jaldi mein....par fir bhi satik tarike se....Poonam main isko iske jagah pe bhej dunga....aur shopping ka saman bhi...aap jaa sakte hai...
Bua - Guruji kya main bhi thodi der dekh sakti hu isko.....
Guruji - dekh sakti ho...ye iske baad tumse bhi seekhne aane wali hai.....taiyaar rahna.....
Bua - hmm jarur...
Inko chodte hai inka lamba jaane wala hai...
Meri classes khatam ho gayi thi aur fir clubs mein jaana tha....Main gaya ek club mein par waha pe kuch hua tha jiski wajah se aaj band tha wo.....matlab khali tha main....aur aaj dawa nahi li thi yaad nahi raha tha....to koi thakawat hone ke bhi chances nahi the....
Main pahle to Nikita ko dhundhne laga par.....wo milli hi nahi pata nahi kal se kya ho raha tha aisa lagta tha jaise wo bagal mein hai par jab main dekhta to wo hoti hi nahi aur fir thodi der mein wahi se aawaj deti mujhe.....main ekdum se chowk jaata...
Main room mein chala gaya uss Pankaj se bachne ke liye....waise uska tha club to bahar rahne se bhi koi dikkat nahi hone wali thi.....
Room mein aaya to maine socha aaj bhi bahar chod deta hu dono ko....par aaj bol dunga pahle aa jaaya karo.....jab main so raha hu tab mat aana.....aaj main dekh hi leta mere uss sapne mein kya hai par inn dono ki wajah se miss ho gaya....
Maine dono ko bahar nikala aur bata diya jyada se jyada 2 ghante bahar rahne ko uske baad wapas aa jaane ke liye.....
Wo chale gaye.....aur main akela room mein tha....
Mujhe laga bahut waqt ho gaya hai iss Jwala se mille hue......aaj dekh aata hu aur issi bahane uss Bijli ka haal bhi jaan lunga....kya pata wapas se koi problem hui ho aur usne bataya naa ho mujhe.....
Main - Jwala portal kholo.....
Mere bolne ke saath hi usne portal khol diya aur main bhi usse hote hue ander chala gaya.....
Pichle wale jagah se accha banaya tha iss jagah ko....matlab yaha pe unn logo ne mil ke kaam kiya tha.....Old Owl ke log saath mein Polar bears aur Jwala ke log....sabhi ne jo ghar banaye the naye wale....wo alag the.....aur acche bhi...
Main - kaam to accha chal raha hai yaha pe Jwala.....koi pareshani to nahi hai....
Jwala - Nahi abhi sab sahi hai....meri aur Polar bear king ki baat ho rahi thi ek cheez ko leke....
Main - Baat ho rahi hai ye to acchi baat hai dono kabile saath mein rahenge.....mil ke....
Jwala - Acchi baaat hai par saath mein rahne ki nahi unka kahna hai ki main tumse kahu ki ab unki jagah khali karane ke bare mein socha jaaye.....
Main - yaha pe unko koi pareshani hai kya.....Main baat kar ke dekhta hu unse.....
Jwala - Nahi aisi baat nahi hai darasal unn sab ke prajnan karne ka samay aane wala hai....sambhog....Polar Bear king ka kahna hai ki wo apne kabile ke naye wansajon ka swagat apne ghar mein hi karna chahte hai...
Main - hmm ye baat hai...matlab koi ladayi wagera to nahi hai naa.....
Jwala - Nahi abhi ye sab kuch nahi hai....hum sab sahi hai....aur unki jo ye baat hai usko main bhi maanta hu.....wo sahi hi hai....
Main - iss baare mein kya kahu tumse....main khud nahi jaanta kab main nko unki jagah wapas kar paaunga....kyunki ye mere bas ki baat hi nahi hai...
Jwala - haa main jaanta hu powers Rupal ji ko milli hai.....par tum unse baat to kar sakte ho....sayad wo samjhe iss baat ko aur koi rasta nikal jaaye....
Main - main iss baare mein baat karta hu unse....aur Bijli ki tabiyat ab theek hai naa....
Jwala - Haa Bijli theek hai....par main soch raha tha ek baar aur agar aapki Bua usko dekh leti to....
Main - arre pahle batana tha naa.....main issi wajah se aaya hu.....aur tum ye baat mujhe bata sakte the.....aur haa agar kabhi koi emergency hui to tum unko yaha khud bhi leke aa sakte ho Jyala....haa ye baat alag hai dono hi saath mein aayegi....
Jwala - hmm theek hai....to tum kuch der yaha rukko main ek kaam nipta ke aata hu....tab tak ghum bhi loge iss nayi jagah ko...
Main - haa thodi bahut ye jagah badli hai main dekh leta hu ye sab....
Jwala chala jaata hai wahi main yaha waha sab dekhne lagta hu....ek baat sabhi vaidyon se bhi mill liya main....unse bhi pucha sab kaisa chal raha hai...
Jab se ye tinno groups ek saath aaye the...inko bahut fayda ho raha tha...jo nayi nayi cheezin seekh rahe the ye ek dusre se samajh rahe the wo sab.....
Abhi ke liye itna hi next update mein dekhenge Leader ka apne planet se bahar aana au Earth pe aana....saath hi Albus ka ghayal hona bhi...aur kuch baatein
Wow bhai kamal ka update tha bhai ab rag raha hain story aage ja rahi hain.UPDATE - 70
Main Jwala ke kabile mein tha....wahi ghoom raha tha main aas pass....nayi tarah ki chizen bana rahe the wo jisme naa sirf uske kabile ka art aur culture tha saath hi baaki ke do kabilon ka bhi yogdaan tha....yaha pe ek bilkul hi alag chizz ban rahi thi....halaki Polar Bear king ne aisa kaha jarur tha ki wo ab apne ghar jaana chahte hai....aur unki iss baat ke picche ki jo baat thi wo bilkul sahi thi....har koi chahta hai uska baccha uske apne ghar mein aaye.....apne gaon mein....sahron mein ye sab nahi hota....saher alag hi chiz hai.....khair iss baare mein baat karne lag jaaye to sadiyaan beet sakti hai sayad.....
Main kabhi yaha kabhi waha aise hi ghoom raha tha ki acchanak se aisa laga jaise....kuch hua......kuch bahut hi ajeeb.....
Main jaha pe khada tha wahi pe baith gaya Main.....aisa laga kisi ne mere kissi hisse ko nuksan pahuchaya hai.....
Main - Dhruv ye kya ho raha hai.....ye....m..mm..mujhe...
Iske aage Prateek kuch bol pata usse pahle waha pe Old Owl aa gaya....Old Owl ne usko jaldi se tinno vaidyo ke pass pahuchaya....aur saath hi dono Bua ko khabar di....aur unko bhi waha leke aaye.....
Prateek behosh tha.....par akela.....pata nahi...
K.Bua usko check kar rahi thi sab theek tha uske sarir mein....sach kahe to theek se kuch jyada hi tha....aur yahi baat K.Bua samajh nahi paa rahi thi....
Bua ne unka pareshan chahra dekha aur puccha unko....
Bua - Kavita kya hua hai isko...ye aise behosh kyun hai sab theek hai naa....
K.Bua - sab theek hai......darasal theek se kuch jyada hi acccha hai par....kaise bataun Main samajh nahi paa rahi
Bua - hua kya hai ye batao....
K.Bua - Prateek ke ander ki energy.....wo bahut jyada hai....uska level bahut jyada hai...humse bahut hi jyada....
Bua - kitna jyada...aur ye to accha hai par ye wajah nahi hai iske aise behosh hone ki wajah kya hai ye batao....
K.Bua - Wajah.....wo hi nahi samajh aa rahi aur saath mein ye bhi nahi ki iski Energy kisi Titan grah wale se bhi jyada kaise ho sakti hai...
Bua - kya....kya bol rahi ho tum dimmag sahi hai naa......ye kaise ho sakta hai.....
K.Bua - Ye hua hai....aur ho raha hai....
Main behosh tha.....yaa ye kahu meri body us halat mein thi Main....Main to kahi aur hi aa gaya tha....Main pata nahi kis jagah pe aake khada ho gaya tha....aas pass andera tha....par kuch kuch chizen dikh bhi rahi thi....
Main - ye kaun si jagah hai.....Dhruv....ye kaha aa gaya hu main...
Koi aawaj nahi siway mere hi aawaj ke....maine jo socha wo wapas se mere kaano mein aaya.....Main aage badha aur badhta raha....aur badhta raha par....par kuch ho hi nahi raha tha.....
Main jaise ek kabhi naa khatam hone wale andhere galiyaare mein chala jaa raha tha....aur Main thak bhi nahi raha tha....abhi tak to nahi....
Bachpan mein...Jab Main apni Master ke saath raha karta tha.....wo mujhe nayi nayi cheezin sikhaya karti thi....ye unnhi mein se koi ek sa lag raha tha.....
Main - Master.....Master aap kaha ho.....
Master - Aage badhte raho Prateek.....
Main badhta jaata mujhe lagta aur jab lagta ki ab to master ke pass pahuch hi gaya hu.....to fir se aawaj lagata....wapas se aawaj aati master ki....tab bhi utni hi doori se jitni doori se isse pahle baar aayi thi...
Master apne tariko ko ajeeb se naam de diya karti thi....sach mein bade hi ajeeb se naam....ab kya hi bataun unke baare mein.....iss cheez ko unhone The seeker passage technique kaha tha....isme apne dusmano ko fasaya jaata hai....
Kahte hai Orion planet ke pramukh jaadugaron mein se kisi ek ne issi ka use kiya tha khud ko apne dusman se bachane ke liye....unhone hi iska izzad kiya tha.....ek galiyara banwaya tha unhone...ussi galiyaarin se hoke hi unke kamre mein jaaya jaa sakta tha aur koi darwaja hi nahi tha....raat ke waqt wo uss galiyaarein ko jinda kar dete the...aisa Orion ke logo ka kahna tha.....fir jab tak wo wapas se uth ke khud uss galiyarein ko sula nahi dete tab tak koi usko paar nahi kar sakta tha....
Aaj ussi galiyaarein mein Main khada tha....akela....Master ne bataya tha isko kaise bheda jaaye.....uss waqt Maine isko mahej ek kahani hi maana tha tab to pata nahi tha naa Main kaun hu kya hu.....aur Master.....unhone to aisa rasta chunna tha isko sikhane ke liye ki main samajh hi nahi pata tha ki wo sab hai kya.....wo meri aankhon mein patti baandh deti aur mujhe ek treadmill pe khada kar deti aur chalne ko kahti.....Main bhi isko as a game kar liya karta tha.....uss waqt to sab waise hi kiya karta tha sab khel hi to tha.....
Main chalta rahta aankhon mein patti baandh ke aur Master ko bulata rahta.....aur mere hisab se Master ek jagah baith ke jab bhi main unko pukarta wo jawab de diya karti thi....aur main ussi jagah hua karta tha har baar....
Master ne to ye cheez mujhe.....aawaj se durri ka anumaan lagane ke liye sikhaya tha sayad....yaa aisa mujhe lagta aa raha tha....
Main- Dhruv sunn rahe ho kya....
Maine ye test karne ke liye kiya tha......pakka jo karna tha ki ye sahi hai bhi ya nahi.....
Jaisa socha tha waisa hi tha ye,....bimari ka patta chal gaya tha par usko paar kaise kare.....kaise uss jagah se nikle ye samajh nahi aa raha tha.....Master ne sayad bataya hi nahi.....yaa Maine puccha hi nahi tha kabhi....
Main ye sab hi soch raha tha ki acchanak se dimmag mein ek khayal aaya.....Dark power.....
Main - kya wo ho sakti hai wajah.....kya wo abhi mere upar haawi hai....
Ye soch ke hi darr gaya tha Main.....
Main abhi jo rukka hua tha uss andhere kamre mein ek dum se baith gaya.....aakhen band kari aur dhyaan lagane ki koshish karne laga....
Agar mera ye darr sahi hua to pata nahi abhi kya ho raha hoga....Dark power ne mujhe apne kaabu mein kar liya hoga aur ye Seeker's passage mein phasa diya hai....
wahi bahar.....
Bua - yaar kuch to bata...kab hosh aayega isko.....kal ghar bhi jaana hai kya kahungi unko....
K.Bua - Main kya bataun tujhe sab to bataya naa sab samjhaya bhi isko pata nahi kya hua hai....sab theek hai par ye hosh mein nahi aa raha hai.....aur dekho wo bhi behosh hai....uska bhi kuch pata nahi chal raha hai....
Theek issi waqt.....raat ke waqt hi Demos pe alag hi kuch chal raha tha waha pe acchanak se Justin ki tabiyat kharab ho gayi thi....waise to aksar hi uski tabiyat kharab rahti thi par iss baar serious tha....Lucifer purre gusse mein apne doctors ko samjha raha tha uske bete ko kuch nahi hona chahiye.....
Demos ke doctors bhi kare to kya kare.....wo samajh hi nahi paa rahe the.....unhone to kab ke apne haath khade kar diye the....par Lucifer ko sach kaun bataye ki uska Beta Justin....kabhi bhi...
Doctors lage hue the.....wahi Lucifer bhi laga hua tha.....kisi bhi tarah apne bete ko bachane ki koshish mein.....
Lucifer apne sena nayak ko bulata hai....
Sena Nayak - Mahamahim hukum kare....
Lucifer - Strange world...waha pejitne bhi log hai hamare.....sabhi ko uss jagah pe bhejo.....aur acche se dekhne kaho.....wapas se....
Sena Nayak - Ji Mahamahim....
Lucifer - aur tum.....tum khud jaao abhi ke abhi uss jagah jaha pe uss Dark Power ke hone ka pata chala tha.....(chillate hue) Portal khulwao aur isko bhejo waha jaldi...(sena nayak se) tum....tum waha jao...aur dekho.....dekho wo dark power hai waha yaa nahi.....kuch bhi mille wo batao mujhe....aur jaldi karo....
Sena nayak ne sunna ye aur wo nikal gaya portal khulte hi saath hi usne Strange world mein bhi message bhijwa diya tha....aur ye unn sab ke liye tha jinhone favour liya tha Lucifer se Demos se.....yaa Demos ke kisi bhi bande se......jaahir si baat hai Yuvraj ka naam kaise nahi aayega isme.....
Wo bhi utha aur uss jagah ko wapas se nikal gaya binna mann ke.....
Mann kare bhi to kaise....3-4 baar usne subah ke ujale mein sab dekha tha....kuch bhi nahi milla tha...ab iss raat ko kya milne wala tha.....
Waha pe pahucha to pahle se log the waha pe alag alag prajati ke aur sabhi ne chahre dhakk rakhe the.....isne ye dur se hi dekh liya tha bas issi wajah se isne bhi khud ki pahchan chippane ko chahra dhakk liya...
Par ye kaha jaanta tha iske picche to log lage hue hai pahle se hi.....wo iske har ek movement ki khabar rakhte hai...
Leemo ne apne khass logo ko laga rakha tha iske picche....subah ke waqt bhi jab ye yaha aaye the tab bhi wo dono aaye the iske picche picche par samajh nahi paaye aakhir baat kya hai....fir iss waqt bhi yaha pe aana....aur jab unhone dekha sabhi ne chahre chuppa rakhe hai to wo log bhi mil gaye unhi mein....
Elf Kingdom ka Yuvraj yaha aake wapas se bemaan sab dekhne laga....har ek taraf.....
Kuch pedhon ke pass usko thodi si roshani aati hui dikhi....wo uss orr dekhne gaya.....to usne paaya uss ped ke ass pass raat mein chamakne wale kuch phool the....wai chamak rahe the......usne socha tha ki usko kuch khass mil jaayega par haath lage wo wahi chamakne wale phool.....
Usne ek phool ko toda aur usko masalne laga apne haathon mein.....tabhi uski nazar kisi cheez pe padi....
Yuvraj - koi inn pedon ko kaaton yaha se.....
"tere baap ke naukar nahi aaye hue hai yaha...apna kaam kar.....hum Lucifer ke kahne pe aaye hai.....tere baap ke nahi..."
Ye bade log jo hote hai inki badi kharab aadat hoti hai.....inko lagta hai jaise sab baat sun lenge inki....ye Yuvraj ka bhi yahi tha...saahi khoon bade log..
Wo - tumko pata hai main kaun hu...
uss baat pe kuch ne to aisa look diya jaise abhi maar denge usko....
Wo - Arre waha kuch hai.....Lucifer ne issi ke liye to bheja hai humko.....hatao isko....
Lucifer ka naam aate hi sab ke sab ekdum se sidhe ho gaye aur binna kuch dekhe sunne wo chal diye unn peddon ko hatane....
Ek bande ne apne fire element se jalana shuru kiya uss jagah ho...
"pagal walag ho kya.....jal jaayega jo bhi hai ander fir Lucifer ko kya kahoge..."
kisi aur ne aisa kaha...to ek banda jiske pass water element tha usne waisa kiya....
Itne mein wo Archery society walo ko laga abhi unko apne logo ko bulana chahiye...unhone bhi Lucifer ka naam sunna tha....matlab mauka mil gaya tha unko pakadne ka Yuvraj ko.....
jab tak waha pe log ped jalate bujhate rahe....unn sab ko gher liya gaya tha....aur abhi Lucifer khud pareshan tha iss wajah se wo yaha pe dekh nahi raha tha.....aur naa hi uska wo sena nayak....
Yuvraj - ek minute....tum water element wale....puri force ke saath paani ander daalo....
"wo bheeg gaya aur kharab ho gaya to...."
Yuvraj - kisi ke pass dhang ka element nahi hai......talwaar hi dedo koi....
"ye search operation tha talwa.....ye lo...ye rahi talwar...."
gajab ke log the ye....
Ek talwar milli fir Yuvraj ko aur usne unn pedon ko kaatna shuru kiya....thodi der mein Guffa mein jaane ka rasta khul gaya tha....wo sab ander gaye....ander bas ek pankh tha...ek bada sa pankh...
sab ussi ko dekh rahe the aur baatein kar rahe the.....koi bhi usko chuu nahi raha tha....Lucifer ki cheez matlab khatarnaak hi hogi....par Yuvraj darpokh nahi tha....wo gaya waha pe.....usne uss pankh ko dekha....usko uthaya aur acche se dekhne laga.....
Kisi panchi ka pankh tha wo....par...kya ye itna khass hai bhi ki iske liye itne logo ko Lucifer ne yaha bheja sabhi ko...bas yahi ek baat uske dimmag mein chal rahi thi....
Archery society ne sab dekha tha aur dekh bhi rahe the....
Ek baar School bhi ho aate hai....waise to Nikita ko apne room mein hi hona chahiye tha iss waqt par....aaj ke din usko jaana tha....Rupal didi ke pass.......wo apne room se nikli uss safed patton wale ped tak bhi pahuchi taaki waha se bahar jaa sake....par uske baad.....uske baad uska koi pata hi nahi raha....Annt mein bas Pankaj ne hi usko dekha tha.....jab wo uss ped ki taraf jaa rahi thi Pankaj uske picche bhi gaya par wo ustak pahuch nahi paaya Pankaj ko laga wo ped ke raste bahar chali gayi hogi Pankaj ne bahar bhi jaake dekha par waha to wo thi nahi aur uss waqt koi bus aayi nahi thi.....Pankaj ne socha tha ki wo iss baat ko Bua yaa phir Prateek ko bataye par wo waha the hi nahi....wo unke Bua ke cabin mein gaya tha dono Bua ke cabin mein wo waha nahi the...Prof. Daksh ka Beta hone ke kaaran usko Staff quaters mein jaane ki permission bhi thi...aur wo gaya bhi.....par dono Bua waha bhi nahi thi...halaki usne bas door knock karke hi puccha tha ander jaana manna jo tha...par aawaj nahi aayi kuch.....phir wo waha se nikal Prateek ke room pe bhi gaya waha bhi darwaja khatkhataya aur iske badle usko bas ek jhatka milla.....jab bhi koi Prateek ke room mein jabran ghusne ki koshish karta usko jhatka lag jaata....aur aisa hi uske saath bhi hua....jiske baad usne socha ye sab ke sab usko chod ke chale gaye honge apne ghar pe.....waise bhi to Pankaj se bachte phirte the wo sab....
Main...Prateek abhi bhi wahi apne Seeker's Passage mein phasa hua tha....samajh nahi paa raha tha kaise niklu...dhyaan lagane baith to gaya tha par tab bhi koi jyada anter nahi pad raha tha.....
Yaha aaye pe behosh hue sayad....3 ghante ho chukke the mujhe....aur tabhi ek light orb aata hai aur mere ander chala jaata hai...ye itni tezzi se hua ki koi dekh hi nahi paaya isko....
Main abhi tak jo uss Seeker's Passage mein pada hua tha.....ekdum se hill gaya....aisa laga jaise dhamake ho rahe ho waha pe.....
Mera dhyaan tota aur saamne.....saamne mere Cooper tha.....par akela....
Main - Cooper...tu....
Isse pahle kuch bolta mujhe ek chizz dikhne lagi....
Albus.....wo ek insan bana hua jaa raha tha kahi pe....sayad jungle mein....yaa kahi aur....par uske picche se kisi ne uske upar hamla kiya....agar koi insan hota....to wo bach nahi paata usse....par ye Albus tha Mera Dragon Albus.....usko kya hi hona tha.....wo bilkul waise hi khada raha....aur fir mudda.....par waha pe koi tha hi nahi....Albus kuch samajh paata usse pahle uske upar bahut se hamle hone lage wo bhi bahut jaldi jaldi...aas pass kuch dikhayi nahi de raha tha jab Albus ko laga wo waha pe kuch kar nahi paa raha to usne waha se nikalne ka faisla kiya....taaki mujhe sab bata sakke.....par jaise hi wo orb mein badla ek aur waar hua uske upar aur jaha usko jaana tha wo waha naa jaake ek jagah behosh hoke gir pada....par wo uss anjaan hamlawar se dur tha.....
Main - Albus ke saath ye sab hua.....abhi kaha hai Albus....Dhruv kaha ho tum....
Dhruv - d...ddaa...dark p....pp
bas yahi tutti futti aawaj aayi....aur meri aankh khul gayi.....
Main abhi K.Bua aur Buaa ke saamne tha.....ye Jwala ke kabile wala hospital tha.....
Bua - dekho isko hosh aa gaya hai.....Kavita dekho isko....
K.Bua - Hmm rukko.....Prateek sab theek hai naa.....sab sahi lag raha hai....(ungliyan dikhate hue) inko gin paa rahe ho....
Maine unki oor dekha ek baar.....aur fir se apni aakhen band kari....ek baar aur confirm karna tha ye sab sach hi hai yaa fir kuch aur.....
Wapas se Mujhe Cooper dikha par Albus nahi tha waha pe.....Ye saab sach hi tha....jo bhi hua tha....Main jhat se uthh gaya aur uth ke baith gaya....
Bua - isko fir se hosh aaya....
Main - Jwala kaha hai.....kaha hai Jwala....
Main jaldi se bas Portal se Albus ke pass jaana chahta tha...aur usko dekhna chahta tha......
Dhruv bhi kamzoor ho gaya tha sayad usne Dark Power se wapas se ladayi ladi ho...
Bua - Wo yahi hai.....par....
Main - Par....par ky....isko kya hua....ye aise kyun pada hai.....Jwala tum theek ho naa....
Main uth ke uske pass gaya aur usko dekhne laga.....
Vaidya1 - Maharaj abhi behosh hai.....pata nahi kya hua hai inko....sab kuch to theek hi hai...
Main -(mann mein)Dark Power....ussi ki wajah se....ussi ki wajah se iska ye haal hua hai......meri wajah se...Nikita.....wo..wo kha hai....
Main - Bua Nikita kaha hai.....wo kidhar hai iss waqt....
K.Bua - Prateek shant ho jaao abhi hosh aaya hai tumko aur Nikita theek hogi.....usko kya hona hai....
Main - Old Owl.....jao Nikita ki dhundho....dekho kaisi hai wo....kaha hai wo...jaise hi mille mujhe batao....
Bua - Aisa kyun bol raha hai usko kuch hua hai kya....
Main - Bua aap dono jaao.....Nikita ko dhundho.....sayad wo theek nahi hai....jaldi jaao.....Old Owl inko bhi leke jaao......
Bua - Par bacchu.....
wo kuch aur bolti usse pahle maine Old Owl ko ek aur baar jor se kaha jisse usne turant portal khola aur waha se nikal gaya...dono Bua ko leke....
Main - Jwala ka dhyaan rakhna.....Polar Bear king....wo kaha hai....
Maine bas bola aur wo saamne aake khada ho gaya.....
Main - King.....aapko abhi iss puri jagah ko sambhalna hoga...kya Main yakkin kar sakta hu aape....ye bahut jaruri hai....abhi aapke siway aur koi nahi iss jagah ko dekhne wala....
Polar Bear king ne meri oor dekha aur haa kaha....
Main - Jyada taklif nahi hogi aapko....bas kuch pal ko ye sab dekh lijiye....Jwala jald hi theek ho jaayega....Koi Portal kholo...mujhe kisi ke pass jaana hai....
Maine kaha aur wahi pe khade Vaidyon ne Portal khol diya...aur main usse Earth pe aa gaya...
Dono Bua aur Old Owl School mein gaye the....gussa to aa raha tha dono ko par ek darr bhi tha unke mann mein.....aakhir maine aisa kyun kaha ki Nikita theek nahi hai....to gusse ko side mein kar ke wo dono hi usko dhundhne lage...pahle to uske room mein fir aur jaha kahi bhi wo ho sakti thi....school mein.....
Wahi Old Owl bhi laga hua tha....usne Earth pe jitne bhi ullu the....sabhi se baat ki.....aur unki madad lene laga ye pata karane ke liye ki Nikita kaha hai....unke saath hone se uska kaam aur aasan ho jaane wala tha....
Dono Bua ko kahi bhi Nikita nahi milli.....par koi tha jinko wo dono dikh gayi thi.....Pankaj....
Pankaj raat ke iss waqt khud ko kosh raha tha taalab ke pass.....aakhir kyun usko sab bura maante hai haa usne kuch galtiyan ki thi....par ab to sudhar raha tha naa to mauka kyun nahi dete usko.....chod ke kyun chale gaye....nahi le jaana tha to bas bata dete ki hum sab ghar jaa rahe hai...
Wo aise hi sab soch raha tha aur pather phenk raha tha waha talab mein ki tabhi usko K.Bua dikhayi di.....
Pankaj unke pass jaane laga par wo to jaldi mein thi...yaha se waha bas aise hi hote jaa rahi thi....
Pankaj ne aawaj bhi lagayi par....
Fir usko Bua dikhayi di...wo Bua ke pass aane laga....
Pankaj - Prof. Poonam prof.....
Wo chillane laga....Bua waise to bahut pareshan thi aur abhi Nikita ko dhundhne mein hi lagi thi par aawaj tez thi to unke kaano tak pahuch hi gayi...unhone dekha saamne Pankaj hai.....
Bua - Pankaj...isko pata ho sakta hai....sayad...
Bua bhi yahi soch Pankaj ke pass gayi....
Bua - Pankaj Nikita ko dekha hai tumne....
Pankaj - Wo to aap sabhi ke sath aapke ghar gayi hogi naa....
Bua - Nahi aisa nahi hai....wo pata nahi kaha....(mann mein) isko sab bata sakte hai kya....
Pankaj - wo ghar nahi gayi....par maine to usko wo safed patte wale ped ke pass dekha tha.....
Bua - Uss ped ke pas.....ghar gayi hogi kya wo...Tumne acche se dekha tha naa.....
Pankaj - Haa Prof Maine dekha tha wo uss ped ke pass hi jaa rahi thi aur maine usko aawaj diya aur wo...wo ekdum se gayab ho gayi....Mujhe laga bahar gayi hogi...main bhi bahar gaya...par wo waha milli hi nahi....
Bua - Bahar gayi hogi....Pankaj meri baat dhyaan se sunna.....sayad Nikita kisi pareshani mein hai....humme usko dhundhna hai....
Pankaj - wo kaisi pareshani mein hogi...aap bhi naa....
Uske aisa bolne pe jo gusse wala chahra Bua ka tha...dekh ke....
Pankaj - main waha uss ped ke pass dekhta hu.....aur bahar Bus stop ke pass bhi....
Itna bol wo nikal gaya....aur Bua wapas se lag gayo....par pahle unhone Rupal didi ko call kiya....aur unse pata kiya ki wo waha aayi hai yaa nahi...
Rupal didi - Bua main to khud uska wait kar rahi thi.....hotel ka yaad hai naa aapko....ussi ko leke kuch designs aaye the unko dekhne ko....par wo aayi hi nahi....sab theek hai naa.....
Bua - Bacchu ne kaha hai Nikita sayad theek nahi hai....aur wo humko kahi mill nahi rahi....tum bhi ghar ke pass dekho...par koshish karna ye baat sabko naa pata chale....
Rupal didi - Hmm main yaha dekhti hu.....
Old Owl ne kaafi saare ulluon ko phaila diya tha....par koi khass fark nahi pada......unko nahi mil rahi thi Nikita.....
Yaha pe yahi sab chal raha tha...aur issi mein 12 baj gaye...matlab naya din shuru ho gaya.....
Fumos pe koi tha jo iss waqt ka bahut hi besabri se intezaar kar raha tha....jaise hi din badla wo waha se nikal gaya.....
Leader.....haa wahi....wo apni Beti ko dhundhne ke liye bahut hi jyada utsuk tha.....bas issi wajah se wo nikal gaya jaise hi din badla.....
Waise to uska plan tha ki wo yaha Earth pe aaye to sabse pahle wo jaduyi creatures ke gharon ke aas pass pata karega....aur fir School mein.....par ye waqt aisa tha ki wo unn gharon ke pass jaake kuch pata nahi kar sakta tha....issi wajah se wo yaha school ke pass aane ko hua.....
Wo abhi ek Bus stop ke pass tha....
Leader - Hmm bus....sayad issi se meri beti aati jaati hogi....Main bhi issi se jaaunga.....
Wo bus pe baitha aur nikal gaya waha se....
Bus ka to pata hi hai palak japkao ek do baar aur apne manjil pe hoge aap.....waisa hi hua....usko waqt hi nahi milla kisi se kuch puchne ka aur stop aa gaya unka....Wo bhi utar gaye...
Bus stop school ke gate pe tha nahi wo gate se thodi duri pe tha...tabhi to waha se bacche yaa profs. bhi nikal ke bhag jaaya karte the....
Leader bus se utara aur usne dekha saamne ek ladka hai yaha waha dekh raha hai wo...jaise kuch dhundh raha tha....
Leader- (mann mein) sayad isse baat kari jaa sakti hai....
Leader - Bache.....oo bache....yaha...
Waha pe Pankaj tha jo waha pe dekh raha tha sayad Nikita ne jaate waqt kuch girra diya ho yaa kuch aur....aisa kuch jisse pata chale wo kaha gayi hai....waise to iss baat mein logic thi hi nahi par fir bhi ye laga hua tha....aur itne mein ek ajeeb se bande ne usko pukara.....ek baar to usne ignore kiya par dobare mein usne dekha uski oor....
Leader ne dekha wo waha aa nahi raha to wo uske pass chala gaya....
Leader - Bade busy ho bete tum to.....accha thoda waqt nikal ke meri ek madad kar doge.....
Pankaj - arre yaar.....uncle main apni dost ko dhundh raha hu....wo kho gayi hai.....aap kahi aur jaao....
Pankaj ne jab ye baat kahi Leader samajh nahi paaya....wo bas Pankaj ko dekhta rah gaya.....aur wo Pankaj wapas se jamin pe dekhne laga.....
Leader - bete aapka ye dost kya...size mein bahut chotta hai...
Pankaj -(jabardasti smile dete hue) Nahi uncle.....theek hai ab jaao.....kahi aur jaao madad maangne....
Leader - ajeeb ho bete tum to.....matlab aapka dost chota nahi hai phir aise jameen pe aur jhadiyon ke picche kya dekh rahe ho....wo kya waha pe hoga....accha main madad kar deta hu abhi tumhari...fir tum meri kar dena theek hai naa....
Pankaj - Aeei uncle samajh nahi aaya kya....bade ajeeb ho yaar aap to.....aapko pata hai meri dost kaisi dikhti hai phir kaise dhundhoge...
Leader - Ye ajeeb se bacche.....kabhi inko akal nahi aani hai.....Bete wo to tum bata hi doge...aur main turant dhundh ke bata sakta hu kaha hai wo....tum....tum bas batao mujhe....
Pankaj - (mann mein) pata nahi kaun aa gaya sala chipku.....aise jaane se raha ye....
Pankaj ne usko Nikita ke baare mein bataya....jaise usne kaise kapde pehen rakhe the...baal kaise hai uske aur wo vampire hai....
Leader - Wo bhi Vampire hai.....main bhi jisko dhundh raha hu....wo bhi....nahi sayad nahi...pata nahi khair...jara side ho jaao bete main madad kar deta hu tumhari....
Leader ne apni aankhen band kari....aur fir wapas se kholi.....bikluk hari rang ki aankhen ho chuki thi uski....pata nahi kaise.....Pankaj ye dekh ke dang tha....usne bade se prajatiyon ko dekha tha unke baare mein padha tha par ye....ye kuch naya tha....yaa uske gyaan se parre....
Leader ki jab aankhen badli wo yaha waha dekhne laga....usne thodi duri tak hi dekha tha ki usko kuch dikha....Leader ne wapas se apni aakhen band kari aur uski aankhen normal ho gayi.....wo wapas se Pankaj ke pass aaya....
Leader - Bete tumhara kaam ho gaya hai mil gayi hai tumhari dost.....
Pankaj leader ko bas ghoore jaa raha tha samajh nahi aa raha tha usko wo kya kahe...
Leader - Arre yakkin nahi ho raha....accha jaake dekh lo.....wo ek bade se ped ke pass padi hui hai.....theek hi hai sayad...bas behosh hai...
Pankaj - Kya mazak hai ye...maine 3 baar dekha waha pe....
Leader - Arre main batata hu kaha pe dekho....aur wo gayab hai.....ek necklace kadde ki madad se.....bas issi wajah se nahi dikhi hogi tumko.....
Leader ne theek wo jagah batayi jaha pe Nikita padi hui thi.....behosh...
Leader - Arre bete jaake dekh lo.....Main to yahi hu....tum jaao main baad mein mil lunga tumse....
Pankaj waha se chala gaya wapas.....Leader ko waise hi chod ke....naa to uski pareshani sunni aur naa kuch aur....
Leader - Ye Earth wale bacche to jyada kaam ke nahi lagte warna itna to aaram se pata laga lete...hamare waqt mein to lag hi jaata tha pata....pareshan hoga wo.....baad mein usse baat kar linga....abhi to koi prof. bhi nahi milega jaaga hua.....kahi rahne ka theekana dhundhta hu....
Leader waha thodi der khada raha ek bus wapas se aaya aur wo uspe chadh ke chala gaya kahi...
Wahi Main iss waqt uss jagah pe tha jaha pe Albus pe hamla hua tha....main aas pass dekh raha tha....ye dekhne ke liye ki hamla kisne kiya tha aur kya wo yaha pe hai abhi bhi.....jab thodi der dekhne pe koi nahi dikha to main waha se uss jagah jaane laga jaha pe Albus ho sakta tha....Main khud nahi jaa raha tha ye Cooper tha jo mujhe guide kar raha tha.....par sirf wahi nahi tha....kuch aur bhi tha....kuch alag sa.....Main bas ussi oor jaa raha tha.....thodi aur aage gaya jhadiyon ke pass....to ek kaala moti milla mujhe....Maine usko chuwa....aur wo chamakne laga....
Dhruv - isko apne pass rakho....
Main - Dhruv.....tum theek ho.....kya ho gaya tha....tumko pata hai Albus pe hamla hua hai....
Dhruv - isse jyada baatein pata hai mujhe....abhi chalo yaha se....yaha pe khatra hai....
Main kuch bolta usse pahle hi ek Portal khul gaya mere saamne....Maine dekha uss taraf Old Owl tha....Main ander gaya.....Main wapas se wahi tha....ussi jagah pe...wo Jwala ka kabila.....aur iss baar waha pe sirf Jwala hi nahi ek bed pe Nikita bhi thi.....
Main - ye mil gayi....ye theek hai naa.....
K.Bua - haa theek hai jaise tum theek the...jaise Jwala theek hai ussi tarah par hosh mein nahi hai ye dono....
Dhruv - Wo moti....dono ko ek saath leke aao aur uss Moti ko touch karao dono se....aur tumko bhi touch karna hai...ek hi waqt mein.....baaki sab ko pahle nikalo yaha se...
Main - Bua aap sab thodi der ke liye bahar jaaoge...
Bua - Kya bol raha hai....pahle ye bata chal kya raha hai tumko kya hua tha kaha gaya tha tu...aur ab Nikita ko kya hua....aur ye Jwala isko....
Main - Bua ek baar aur baat maan lo aap bas.....waqt kam hai....
K.Bua - Poonam chalo...baaki sab bhi.....bahar chalo jaisa ye kah raha hai waisa karo....
K.Bua baat sunti thi aur sayad samajh bhi jaati thi...unhone sabko samjhaya aur bahar kiya....
Maine unke jaane se pahle dono ko paas mein karwaya aur fir saath mein baith gaya...
Dhruv - Usko apne haath pe rakho aur inn dono ko saath mein touch karao....mera hisab agar sahi hai to ye dono hi theek ho jaayenge.....
Main - Hai kya uss Moti mein aur Albus to milla nahi humko...
Dhruv - sach mein....uss moti mein hai wo.....mere hisab se iss baar Dark power ne madad ki hai.....tum soch bhi nahi sakte kya hone wala hai abhi.....bas jaisa main kah raha hu waisa h......ek minute....iss jagah ko....kisi ko bulao jo iss jagah ko ek dum se seal kar de.....thodi si bhi energy bahar nahi jaani chahiye......
Main - theek hai.....
Main waise hi bahar gaya,....Bua wahi thi....
Bua - Ho gaya....hosh aa gaya unko....
Main - Nahi.....par mujhe madad chahiye....uss kamre ko puri tarah se seal karwana hai....
Old owl - Main karta hu ye....
Main - tum kar paaoge...rukko....Polar Bear king.....
King - Hmm main yahi hu....Main madad kar sakta hu uski...puri tarah se seal karna hai matlab niche ke hisse bhi seal karne honge....Old Owl aap upar ka dekhiye....main nicche ka karta hu....
Main - Hmm theek hai....dhyaan rahe ander se kuch bahar nahi jaana chahiye....
Bua - arre kar kya raha hai ye.....
K.Bua - Rukko Poonam usko dekho pahle...
Bua - Kya baat karti ho tum bhi.....
Main unko waise hi chod ke ander chala gaya aur unn dono ne apna kaam shuru kar diya....
Dhruv - hmm ab sab sahi hai....ek aur kaam karo Cooper ko bhi bahar bulao....jyada energy bacchi to wo kuch absorb kar lega....
Main - aakhir hone kya wala hai.....
Maine Cooper ko bahar nikal kar aisa puccha...par jawab nahi diya Dhruv ne kuch bhi......phir jaisa usne kaha tha theek waise hi maine moti ko hum tinno se touch karaya ek saath mein.....
Ek roshni charo taraf phail gayi.....Main.....main bada hi ajeeb sa mehsus karne laga....samajh nahi aa raha tha kaisa.......tabhi mujhe....Albus dikha.....wo theek tha.....yaa fir theek se kuch jyada.....uska size aur bada ho gaya tha.....uske baad mujhe wo Cooper bhi dikhayi diya wo bhi waisa hi tha....ekdum se badal gaya tha ye bhi.....saath mein ek parchayi dikhi mujhe....pata nahi kiski thi....
Main - t....tum kaun ho....
"tum dekh sakte ho mujhe.....kya tum dekh sakte ho mujhe..."
Main - haa kuch kuch.....
"Main...Main Dhruv hu....aur main tumko dikhayi de raha hu...."
Usne aisa bola hi tha ki uski parchayi wapas se gayab ho gayi.....aur wo roshni wo bhi khatam hone lagi......
Main jameen pe girra pada tha.....sayad ye sab uss moti ki wajah se hua tha....par mere pass ab aur takatwar Albus aur Cooper the.....
Main waha se utha aur dekha Jwala aur Nikita ko....
Jwala ki aag ki laptein ek dum se kaali ho chukki thi.....Maine usko chuwa.....to wo wapas se normal ho gaya aur wo utne ko hua...matlab hosh aa raha tha usko.....Maine phir Nikita ki taraf dekha.....Nikita puri taraf se vampire bani hui thi.....uske daant bahar aaye hue the....hoth jo pahle lal ho jaaya larti thi wo sayad itni jyada lal ho chukki thi ki ekdum sse kaali lag rahi thi.....Maine usko bhi chuwa aur uska bhi roop pahle jaisa hone laga.....
Main - Dhruv ye sab kya tha.....
Dhruv - ye sab dark power ki wajah se hua hai....hum sab ki soyi hui takatein jaga di hai usne....wo jis jis se bhi connected hai unn sab ki takatein usne badha di hai....
Main - par aisa kya hua....aur wo to haawi hona chah rahi thi mujhpe.....
Dhruv - Hamla.....hamla hua tha....Albus pe....aur iss hamle ko Dark power ne khud pe kiya hua hamla manna.....wo tumhari body pe kaabu to kar nah paa raha to apni suraksha ke liye usne tumko majboot bana diya hai....aur issi ke saath tumse jude hue log bhi majboot ho chukke hai....Main....Albus....Cooper.....Nikita....Jwala sab....
Main - bada ajeeb hai ye.....kaabu naa kar paaya to majboot bana diya.....acha ye sab chodo aur ye batao kisne....kisne hamla kiya tha Albus pe.....kon tha wo....aur kyun....
Dhruv - Pata nahi kaun tha wo...par insan nahi tha.....jaise hi ye hua Main Albus ke pass chala gaya tha par....main bhi samajh nahi paaya...maine usko waha se nikalne ko bola par utne mein.....ye sab ho gaya phir ye dark power ka kamal....Maine to batane ki koshish bhi ki thi....
Itne mein darwaje kholte hue Bua ander aa gayi....abhi tak dono ke dono hosh mein aa gaye the bas yaha waha dekh rahe the aur samajhne ki koshish kar rahe the kya hua hai.....
Sabhi hi ander aa gaye the....
Bua ne dekha Nikita bhi hosh mein aa gayi thi....
Wo dono hi uske pass chale gaye the.....aur Jwala ke pass kuch log chale gaye....Bijli aur Jwala ki Mom yaha nahi the....Bijli ko yaha aane nahi diya tha Jwala ki Mom ne.....aur wo khud bhi uska dhyaan rakhne ko waha pe thi....khair Main iutha aur Main Old Owl aur Polar Bear king ke pass chala gaya......
Polar bear king - wo...wo kya tha....itna takatwar.....aakhir kuch itna takatwar kaise ho sakta hai....
Old Owl - Haa....ye bahut hi ajeeb aur takatwar tha....meri to energy khatam hone ko thi....agar thodi bhi aur maatra hoti uski to main sambhal nahi paata....
King - Mera bhi yahi haal tha dost....kya bataunn...
Main - Tum dono....iss baare mein kisi se kuch nahi kahna hai samjhe....Polar bear king.....yar tumko thodi der pahle hi baag daud di thi yaha ki aur ab wapas le raha hu bura to nahi lagega naa....
King - Bura.....ye jo abhi kiya hai usse itna thak gaya hu ki 2-3 din aaram karna padega...main to khush hu....
Main - Itni powerful thi kya ye chizz....Old Owl tum theek ho naa....tum apna kaam kar loge yaa....
Old Owl - Prateek mujhe nahi lagta....main bhi....main thoda aaram karna chahta hu....
Main - Hmm tum iss aaram ke hakdaar ho...par tumhara kaam nahi rukna chahiye.....apni jagah pe laga dena kisi ko...kissi acche ko.....aur usko bolna mujhe report karne ko...
Old Owl - theek hai....
Main - jaao tum dono aaram kar.....
Bua - Ab batao hua kya tha.....
Main baat hi kar raha tha ki ye aa gayi...
Main - Bua abhi nahi yaar aap baad mein baat karte hai naa....main thak gaya hu....aur dekho to waqt kitna ho gaya 2 bajne wale hai.....lagta hai dhyaan bhi chodna padega....mujhe bahut neend aa rahi hai....
K.Bua - Poonam inko leke chalte hai waise bhi dono thakke hue lag rahe hai....inko neend ki jarurat hai....aise nahi to waise....main inko sulane ki dawa dene wali hu....
Bua - kya.....sach mein....itna kya ho gaya...
K.Bua - Inki bodies bahut jyada thakki hui hai....aur aise neend nahi aane wali inko....inki energy levels bahut jyada hai....
Main - haa sula hi do.....Jwala dost tum bhi sone se pahle portal khol do yaar humko wapas bhej do....
Jwala ne portal khola....
Main - Bua iske liye bhi dawa dedo aap.....ye bhi aise nahi sone wala....
K.Bua ne turant se dawa diya aur fir mujhe aur Nikita dono ko leke sidha apne medical department mein leke aa gayi.....aur waha pe dawai dedi....aur hum so gaye....
Ajj ke liye itna hi....waqt kam mil raha personal problems ki wajah se.....to 4 tak sayad 2-3 update hi aa paaye....
Next update mein dekhenge Leader Earth pe apni beti ki talash ko....aur saath mein DB ke cousin ko bhi dekhna hai....aur dekhna hai uss Albus pe hamla kaise hua.....kaun the wo log....aur kuch chizzen