• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
41,954
37,177
304
Last edited:

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,515
188
UPDATE - 89

Yaha jab Madhu aur Prateek ke bicch ye sab ho raha tha aur jab Madhu ne Prateek ko touch kiya tha usko maarne ke liye taaki wo Bua ko wo sab naa bata sakke jaise ki wo ek insan hai......uss waqt yaha se dur Strange world mein kuch hua tha......

Nix kabile ke Pujari ji ko jaise hi iska aabhash hua wo jalphool leke apne devta ke murti ke pass pahuch gaye......aaj bhi unhone sabko aadesh de diya ki Mandir band rahne wala hai......

Ye koi aam baat nahi thi Nix Kabile ke liye......ye sayad dusri baar raha ho jab itni jaldi mandir band kiya gaya hi wapas se........unn sab ko bhi ye sab janne ki iccha ho rahi thi......par wo kabhi bhi iss chizz ko nahi bhul sakte the ki Pujari ji ne mandir band karne ko bola hai......

Mandir ke ander Pujari ji jaake baithe hue the murti ke pass aaj wapas se uss murti ke aankhon se aanshu nikal rahe the......

Pujari - Main jaanta hu aap ye wapas se hote hue nahi dekh sakte par yahi niyati hai.....aur aap bhi isko badal nahi sakte.......

Pujari ji ye bol to rahe the par unke haath kaanp rahe the ye bolte waqt wo jaante the agar ye gussa hue to inki jaan abhi ke abhi chali jaayegi.....

Kaanpte hue haathon se hi unhone apne saath laaye hue jalphoolon mein se ek jalphool uthaya aur usko Murti ke pass le gaye.......uss phool mein ek liquid hota tha jiske wajah se usko jalphool bolte hai.......uss liquid ka rang badal ke kaala ho gaya......sirf uska hi nahi balki iske saath saath waha pe jitne bhi jalphool the sabhi ke saath aisa hi hua.......

Pujari ji ne soch liya tha ab unki maut tay hai......to aankhen band karke wo bas baith gaye wahi pe.......

Iss waqt Earth pe Madhu ko Bua padha rahi thi Pankaj ke saath.......

Pata nahi acchanak se Madhu ko kya hua.......wo apne jagah se khadi hui......aur waha se bahar jaane lagi.......uss waqt Bua Pankaj ko kuch bata rahi thi ki unhone dekha Madhu apne jagah se uth gayi hai aur waha se jaa rahi hai......

Bua - Madhu......koi pareshani hai.......tum kaha jaa rahi ho.......

Madhu ne jawab nahi diya.....saamne darwaja tha jo abhi band tha........Madhu ne apni ugli ke ishare se uss darwaje ko ko ekdum se ukhaad diya......waha pe uss waqt Pankaj aur Bua the unn dono ne jab ye dekha dono hi chowk gaye the......aur isse jo aawwaj hui.....usse aadha school chowk gaya tha.......jab tak waha koi aata Madhu aage badh gayi thi......Bua to uss waqt shocked hi thi.....par Pankaj ne jab dekha Madhu aage jaa rahi hai wo uske picche bhaaga.....Madhu taalab ki taraf gayi thi.....jaha se wo iss jagah pe aayi thi wahi pe......usne kuch kiya aur waha pe ek gufa ka dwar dikhne laga.....Madhu uddte hue uske ander chali gayi.......Pankaj ne ye dekha aur wo khud bhi ek ped pe chad ke uss guffa ke ander chala gaya.......ek aur second ki deri hoti to wo gufa gayab hi ho jaata......

Bua bhi ab tak inn sab se bahar aa chukki thi aur wo bhi waha se bhagti hui bahar aayi thi par jab tak aayi unhone dekha Pankaj hawa mein kahi gayab ho gaya tha......Guffa dikhi nahi unko......

Darwaje ke aawaj se bahut se school ka staff waha pe aa chukka tha.....wo sab yaha waha dekh rahe the.......ye koi halka darwaja nahi tha ki koi bhi aaye aur tod jaaye......isko iss tarah se tod dena.....aisa koi bahut shaktishali hi kar sakta tha......Sab staff wale Bua ke pass the aur puch rahe the aakhir kya hua......

Bua unko bata hi rahi thi ki period khatam hone ka waqt bhi ho gaya aur sabhi ke sabhi apne apne classes se bahar aa gaye.......

Prateek aur Nikita talab ke pass hi jaa rahe the.....Nikita ka mood kharab tha aur usko taalab ke pass rahna accha lagta tha iss wajah se wo waha jaa rahi thi aur Prateek bas uske saath ja raha tha......

Waha pe pahuche usse pahle hi bheed dikhi waha pe.......Bua kuch bata rahi thi sabko.....to wo dono bhi uss taraf jaane lage......par bicch mein hi staff ke ek bande ne unn dono ko rok diya.....bas wahi dono nahi kisi bhi student ko waha pe jaane nahi diya jaa raha tha.....

Ye unki suraksha ke liye bhi tha aur iss liye bhi ki taaki waha pe jo bhi jaadu hua hai uske awashesh kahi kharab naa ho jaaye......

(Hero ke respect mein)

Ajeeb tha ye......humme se kisi ko uss jagah pe jaane nahi diya jaa raha tha......

Main - Nikita yaha kuch to hua hai......

Nikita - maine abhi sunna yaha pe koi bol raha tha kisi ne ek classroom ka darwaja ukhaad diya hai.....rukko......

Maine intezzar kiya.......wo apne tez sunne ki kaabiliyat ka istemaal kar rahi thi.....jisse wo samajh paaye ki hua kya hai......

Nikita - Jisne darwaja toda wo ladki thi.....aur ab wo kahi chali gayi hai.....aur uske saath ek ladka bhi gaya hai......

Bua ye sab staff walo ko bata rahi thi aur phir wo sab aapas mein ye baatein kar rahe the ki aisa kaise ho sakta hai......ussi mein Nikita ne ye sab sunn liya......

Strange world mein.......

Pujari ji baithe hue the apne jagah pe......bas yaad kar rahe the wo ki unhone iss janam mein kya kya kiya hai aur unn sab ka natiza kya milne wala hai unko......ki tabhi Mandir ka darwaja khoolta hai.....khoolna nahi tootna kahenge isko......

Ye darwaja Mandir ke picche ke talab ke taraf se tha.......

Yaha wo darwaja khulla murti ki aankhon se ek kaali roshani nikli......wo roshni aas pass paani thi unn sab se hote hue uss darwaje ke taraf jaa raha tha.......jab wo roshani paani se takraayi to wo paani bhaff ban gaya aur waha ka mahaul aisa ho gaya jaise sabhi ke sabhi aasmaan mein ho.......

"Tumhari himmat kaise hui aisa sochne ki bhi.......tumhe pahle hi kaid kiya gaya hai.....agar abhi iss pujari ko kuch ho jaata to tumhe tumhari aatma ko issi kaidkhane mein hamesha ke liye band kar deti main......"

Ye aawaj bahut hi saaf aur tezz thi......iss aawaj ko sunte hi wo Murti yaa jo bhi wo tha......ekdum se shant ho gaya uske aankhon se jo roshani nikal rahi thi wo jaise gayab ho gaya ho......par abhi bhi aas pass wo bhaaf to thi hi......wo kahi nahi gayi thi abhi bhi......

Madhu ussi bhaff mein se bahar aa rahi thi......uske picche uss darwaja se jisko abhi toda tha usse roshani aa rahi thi.......jaisa movies mein hota hai dhuwein ke picche se hero aata hai kuch ussi tarah se Madhu ander aa rahi thi......

Pujari ji uski aawaj nahi pahchan paaye par jab usko wo sunahri chamakti hui aankhen dikhayi di......wo samajh gaye ye kaun hai.......par ab wo ye nahi samajh paa rahe the kya kare.......unhone dekha ek aur parchayi aa rahi thi waha per se.......Wo apni jagah per se utthe aur uss dusre parchayi ki taraf badhe......unko pata nahi tha wo kaun hai kya hai....unhone bas uska haath pakda aur usko khinchte hue baahar leke chale gaye......darwaaje ke pass......

Pujari ji - Iss darwaje ko lagane mein meri madad karo......jaldi.....

Pankaj ne unki nahi sunni wo bas ander Madhu ke pass jaana chahta tha......Jab Pujari ji ko ye ahsaas hua ki Pankaj ander jaana chahta hai.......unhone uski aur baaki sabhi ki jaaan bachane ke liye waha pe talab se paani laa ke paani ka darwaja laga diya......par ye kaafi nahi tha.....unhone uss paani ko jamma bhi diya.....par wo jaante the ye bhi kaafi nahi hai.....ab jo ander hoga.....uske baad jo energies nikalne wali hai usse bahut hi jyada nuksaan hone wala hai.......ye darwaja unn sab ko sokh sakta tha aur iss mandir ke banawat ke wajah se wo saari energies jamin ke ander chali jaati......par abhi aisa kuch nahi hone wala.....

Pankaj abhi bhi laga hua tha uss barf ke darwaaaje ke uss paar jaane ke liye....par wo nahi jaa sakta tha.....

Pujari ji - Beta madad karo.....agar ye darwaja nahi laga to bahut kuch khatam ho jaayega.......tumhe madad karni hogi.....

Pankaj iss waqt samajh nahi paa raha tha....aur samjhe bhi kya.....kuch der pahle banda aaram se class mein baitha tha aur uske baad to :doh: pahle darwaja toot gaya uske bad banda hawa mein banne hue ek guffa mein ye yaha aa pahucha.....aur ab ek banda usko bol raha hai darwaja laga do warna bahut burra hoga.....

Upar se aaj hi usko jimmedari di gayi thi Madhu ka......dhyaan rakhna hai......aur yaha pe wo ander chali gayi thi.....wo to ye bhi nahi jaan raha tha aakhir wo aa kaha gaya hai.......

Nix kabile mein waise bhi bahar ke jyada logo ko aane ki anumati nahi hoti.....aur ye to Mandir ke pass jaa pahucha tha......

Pankaj ne Pujari ji ki baat nahi sunni aur bas saamne wo barf ke banne hue darwaje ko paar karne ka soch raha tha.......fire element tha uske pass bhi par utna effective nahi tha jisse wo uss darwaje ko pighala sakke......

Pujari ji ne jab dekha wo darwaja pighalane ki koshish kar raha hai.......Pankaj ke upar unhone paani se waar kar diya....jisse wo bas waha se side ho gaya......Pujari ji ne apni puri takat ka use kiya aur wo 2 bade bade darwaaje unko kisi tarah paani ke sahare upar uthaya aur usko apni jagah pe lagane lage.......itni shakti ek baar mein use karne ke kaaran unke naak se khoon nikalne lag gaya tha......Pankaj jo abhi gira hua tha thoda paani uske chahre pe pada aur wo hosh mein aaya.....usne dekha ki ye sab ho raha hai to usne Pankaj unke pass pahucha aur unka haath nicche kar diya....jissse wo darwaje jo thoda sa upar utha hua tha wo nicche gir gaya.....aur uske saath saath wo barf se bana hua darwaja bhi toot gaya puri tarah.......Pankaj aur Pujari ji jo ander dekh rahe the wo unko nahi dekhna chahiye tha.......wo daivik chizzen thi.....jo inn dono ki aankhen sah nahi paati par bhala ho uss bhaaf ka jo waha pe maujud tha......usse inn dono ko bas parchahiyan hi dikhi......

Murti ke ander se kisi ko nikala gaya tha......aur uske baad wo jo bhi tha usko yaatnayein di jaa rahi thi......wo cheekh raha tha.....uski cheekhen bahar tak aa rahi thi......Pankaj ko pahle laga wo Madhu hai par jab usne dhyaan se sunna wo kisi ladke ki aawaj hai to wo wahi rukk gaya......Pujari ji ko samajh nahi aa raha tha wo iss waqt apne devta ko bachane jaaye yaa kya kare........

Ye sab aise hi chal raha tha ki tabhi ek portal aur khulla waha pe.......usme se Prateek bahar aaya.......bas wahi tha abhi to.....par aankhen ekdum se kaali........aur wo bhi Mandir ke ander chala gaya........par jaane se pahle usne wo darwaja wapas se thek se band kar diya jo abhi toota hua tha.....

Pankaj ne jab ye dekha wo darwaje ke pass jaake usko peetne laga.......Pujari ji ne bhi jab waha pe Prateek ko dekha to wo bhi darwaaje pe jaa pahuche.......

Ander pata nahi kya chal raha tha.......5 minute bhi nahi hua hoga ki Strange world ke uss konne mein Jwala , Old Owl aa gaye the......aur unke saath hi Nikita aur Poonam Bua bhi aa pahuchi thi.......waha pe Pankaj ko dekh Bua ko thodi tasali hui ki ek to theek thaak milla.......par abhi wo jis wajah se yaha aayi thi wo janna tha unko.......

Thodi der pahle Earth pe.......

Bua ne sab kuch waha pe bata diya tha......uss waqt naa to Principle aur naa hi Madam thi waha pe aur to aur working principle jo the wo kahi bahar gaye hue the........unko jaldi se waha pe bulaya gaya aur inn sab ki jaankaari di gayi.....jiske baad unhone waha pe headoffice se kuch log bulaye aur ye sab kuch bataya unko.....ussi waqt Bua un sab se dur aa gayi thi......

Prateek aur Nikita ne jab dekha ki Bua waha se aa rahi hai to wo unke pass chale gaye.......

Bua apne cabin mein jaa rahi thi.....wo inn sab ke baare mein thoda sochna chahti thi.......jab wo waha pahuchi tabhi waha wo dono bhi pahuch gaye......

Main - kya hua Bua kaun tha wo jo gayab ho gaya......

Bua - tum dono........wo dono Pankaj aur Madhu the.......

Bua ne phir puri baat dono ko batayi......

Main ye sunn ke hairaan tha aakhir Madhu kaise ye sab kar sakti thi......Main aage kuch bolta yaa sochta usse pahle Nikita ne mujhse kaha......

Nikita - Humko Pankaj ke baare mein pata karna hoga......tum Old Owl ki madad lo......

Main - Hmm

Maine Old Owl ko bulane ko aawaj lagayi par aawaj nahi aayi wapas.......ulta meri aawaj hi gunjti hue mujhe sunayi de rahi thi.......Jab aankhen khuli to main pata nahi kaha pe ek murti ke pass pada hua tha.......puri body hi dard kar rahi thi........kya bataun kaisa lag raha tha.........upar se wo bhaddi si murti.......kissi tarah main uth ke baitha to dekha Madhu bhi wahi pe padhi hui thi......uske naak se khoon nikal raha tha.....Main uske pass jaane laga ki tabhi jaise koi adhrishya deewar ho usne mujhe rok liya.....Main usko paar karne ki koshish karne laga to mujhe jhatka laga aur main picche ki taraf aa gira.....

Madhu waise hi nicche padi hui thi......

Mujhe kisi ki aawaj aayi.....

"hahahaha kya laga wo tujhe aasani se mil jaayegi........sapna mat dekh........wo tujhe nahi milegi.....tu uske kaabil nahi hai.....tu usko chu bhi nahi sakta......."

Ye aawaj.....jaise hi wo mere kaano mein gayi kya bataun kya hua......mere aankhon ke saamne pahle to andhera chaa gaya aur phir itni tez roshani ki kuch bata hi nahi sakta main......

"nahi......ye......ye kaise.......ye mumkin nahi hai.......tum mere......nahi .....tum isko tod nahi sakte......koi bhi isko tod nahi sakta......."

Wo chillata raha par jo hona tha jaisa hona tha wo ho chukka tha.......Maine ek baar Madhu ke taraf dekha.......aaj bhi waisi hi dikhti thi wo.......Main upari sundarta ki baat nahi karta......main uske ander ke sundarta ko nihar raha tha......ussi tarah suddh thi wo jiss tarah uss waqt thi jab wo pahli baar mujhse apne ghar pe milli thi......haa tab main uske paas jaa sakta tha.....par aage jo kuch bhi maine kiya wo.......uske liye main khud ko jimmedar maanta hu aur jo sazza mujhe mili hai main usko bhi manunga......issi mein meri uski aur sabhi ki bhalayi thi.......

Par main iss waqt yaha pe kyun tha......Aur Madhu bhi thi yaha pe......kya ye koi dusra mauka milla hai mujhe.....

Maine ye socha aur utsukta se ek kadam aage badhaya Madhu ki taraf.......par tabhi mujhe uski kahi hui wo baatein yaad aayi......Maine apne kadam picche le liye.......ek baar picche mudd ke uss bhadde se murti ko dekha........issi mein kaid tha wo jiske kaaran hum alag hue the.....issi murti mein rahne ki sazza milli thi usko......aur khud ki galtiyon ko jaanne ki sazza......

Main - Kaise ho tum........

"Tuuuuuuuuuuuuummmmmmmmm...........tum ye mat sochna tumhe sab yaad aa gaya hai to tum kuch bhi kar sakte ho......main tumhe kabhi aisa karne nahi dunga...."

Main - Main nahi jaanta iss baar kis cheez ke baare mein baat kar rahe ho tum.......Rahi baat Madhu ki......Main uske karib tabhi jaunga jab wo chahegi.......uski izzazat ke bina uske pas nahi jaa sakta main......

Maine usse ye kaha aur waha se bahar aane ka raasta dekhne laga.....taaki kisi ko bol sakku ander meri Madhu hai uska dhyaan rakhe......

Maine kuch aawain sunni ek darwaaje ke taraf se.......main uss taraf gaya aur pahle to apna aakar kam kiya.......Main apne asali aakar mein aise hi kisi ke saamne nahi jaa sakta tha.....isse wo sab dar ke bhag jaate......Main Madhu ke jitne aakar ka hua aur uss darwaaje ke pass pahucha......uss darwaje ko khola to bahar kuch log the.......aur kuch jeev bhi......pata nahi kaun the ye sab.......wo mujhe dekh rahe the.....par unme se do log aise bhi the jo ander ko jhaank rahe the......

Main - Meri Madhu ander hai.....Main uske pass nahi jaa sakta uska dhyaan rakhna.......aur uske batana Main aaya tha......

Main itna bol waha se apna portal khol ke nikal gaya.......binna unn sab ko dekhe......

Wahi picche......

Jab Prateek waha se gaya aur aise paagalon jaisi baatein kar ke gaya Bua aur baaki sab ko kuch samajh hi nahi aa raha tha aakhir ye hai kya......

Pankaj aur Pujari ji to ander Madhu ke pass chale gaye the.......Pankaj uske pass jaa raha tha ki tabhi Pujari ji ne dekha Madhu ke kapde theek nahi hai unhone Pankaj ko rokka.....aur Pankaj ne bhi dekha ki kapde sahi nahi hai.....wo dono hi mudd gaye aur bahar khade Bua aur Nikita ko aawaj lagayi........

Bua aur Nikita bas waha dekhe jaa rahe the jaaha pe wo portal khulla tha aur band hua tha......ki tabhi unko ander se aawaj aayi......

Bua aur Nikita ander chale gaye.....jab Bua ne dekha Madhu ke kapde theek nahi hai....unhone Pankaj aur Pujari ji ko waja se jaane ko kaha.......Pujari ji waha se jaane lage par jaate jaate hi unhone paani se uss murti ke taraf ek deewar bana di.......

Bahar aake......

Pujari ji - Tum kaun ho bacche......aur tum hamari Rajkumari ke saath kaise ho......

Pankaj - Wo.....wo main......wo Mere saath hi rahti hai waha pe......Main Pankaj hu.....uska dost

Pujari ji ne Pankaj ki taraf dekha......unhone dhyaan diya tha kaise wo Madhu ko bacchane ke liye uss barf ke darwaaje ko todne mein laga hua tha....usko accha laga ki Madhu ko aise acche dost mille hai.....

Pujari ji - Hmm hamari Rajkumari ka dhyaan rakhna......

Pankaj - wo bahut jiddi hai......aap sab ko dhyyan dena chahiye tha uspe.....

Pujari ji uske iss baat pe usko apni ankhen dikhane lage......ki tabhi Pankaj ki nazar waha pe mauzood Old Owl pe aur Jwala pe gayi......

Pankaj unko dekh sakta tha......Pujari ji ki baat aur thi.....par Pankaj se chupne ki kabiliyat unn dono mein thi......

Pankaj unn dono ki oor dekh raha tha.....aur bas dekhte hi jaa raha tha......

Old Owl - Jwala aapko kya lagta hai ye baccha humme dekh paa raha hai.....

Jwala ne bhi Pankaj ki oor dekha......wo sach mein unki hi taraf dekh raha tha......

Jwala - ye to humme dekh sakta hai.......par aisa hona nahi chahiye tha.....haalaki ye Prateek ka ristedaar hai par phir bhi unn dono ke khoon mein bahut antaar hai.....

Old Owl - par ye hume dekh sakta hai......yaha se nikalna sahi hoga kya abhi.....

Jwala - mere mann mein bahut se sawal hai.....abhi main nahi jaa raha kahi.....aur ye Prateek pata nahi kya bol ke yaha se gaya hai......

Tabhi ander se aawaj aayi.....

Nikita - yaha koi kamra hai jaha ye aaram kar sakti hai.....isse jamin pe nahi chodd sakte......

Pujari ji ander gaye unhone mandir ke saamne ka darwaaja khola aur uske baad thoda aage jaake ek kamre ke taraf sabko aane ko kaha.....jab sab waha pahuche to waha pe ek bed dikha sabko.......ussi pe Madhu ko aaram karne ke liye sulla diya gaya......

Uss kamre se nikalne ke baad......

Bua - ye Prateek kya badbada ke gaya tha yaha par se.......aur wo gaya kaha.....waha se bhi binna bataye yaha aa gaya aur ab yaha se bhi chala gaya......

Nikita -(dheere se) Main unn dono ko pata lagane ko bolti hu......

Nikita bahar ki taraf jaane lagi.....Pankaj ne socha usse pucche kya wo bhi waha pe unn jeevon ko dekh sakti hai yaa nahi......aur issi wajah se wo bhi waha pe gaya......par jab pahucha tab Nikita to unse baat kar rahi thi.......aur wo dono sunn bhi rahe the......

Nikita - Pata karo kaha gaya hai wo......

Wo dono Nikita ki baat sunnke waha se chale gaye.....Nikita jab picche muddi to usne dekha Pankaj usko ghoor raha tha.......usko nahi laga tha Pankaj yaa koi bhi unn dono ko dekh sakta hai......Pujari ji ne dekha tha par ignore maara......unn dono se bada mudda saamne tha unke......Par Pankaj.....uska kya bole....

Nikita - kya hua.....tum aise kya dekh rahe ho.....

Pankaj - wo....wo jo abhi.....abhi.....tum kya kar rahi thi......

Nikita - kuch nahi main bas aise hi aayi thi.....aur ab baat kar rahe ho mujhse.......

Yaha ye sab chal raha tha waha Fumos se wapas nikal chukke the Leader yaha Earth ki taraf.....aur Earth pe aaye to usne kuch mehsus kiya.......iss cheez ko aur bhi logo ne mehsus kiya tha.......naa sirf Dark power ke hone ka ahsaas ho raha tha balki Madhu ke Golden power ka bhi......usne bhi kaabu khoya tha......

Prateek iss waqt Titan planet ki oor badhta jaa raha tha.......kyunki wahi se uske ghar jaaane ka raasta tha......wo ek baar apne ghar jaana chahta tha......par abhi wo ek mortal jeev ke sharir mein tha.......aur iss halat mein wo Titan pe bhi nahi jaa sakta tha usko aane hi nahi dete wo sab......

Abhi wo Strange world se thoda dur Orion tak pahucha hi tha ki Dhruv usko aawaj lagane laga.....

Prateek ko pahle to laga ye koi vaham hai....par jab ye aawajein aati hi rahi to wo khud ko rok kar uss aawaj ki taraf dhyaan diya......

Dhruv - Master........master aap aise nahi jaa sakte......aapka yaha se jaana theek nahi hai......

Prateek ko ye aawaj pahchanne mein jyada waqt nahi laga.......ye ussi ka ek shishya tha.......sayad sabse bharoshemand shishya......Dhruv.....

Prateek - Dhruv ye tumhari aawaj hai.......kaha ho tum.......

Dhruv - Master Main aapke ander hu......pichli baar jo kuch bhi hua usme maine apna sharir khoo diya.....par aapne meri aatma ko baccha liya tha.....

Prateek - hmmm mujhe yaad hai.......Mujhe maaf karna Dhruv.......meri wajah se tum aaj iss haal mein ho......Main wada karta hu tumhe ek sharir jarur dunga.....

Dhruv - Master aap bura naa maane to meri ek baat sunege...

Prateek - Hum ghar chalte hai wahi pe baat karenge.....

Dhruv - Master aapka ghar.......wo nahi raha.......sab tabah ho gaya tha.....aapka koi ghar nahi ab.....

Prateek ne jab ye sunna usko bahut gussa aaya........ye wo ghar tha jisko usne aur Madhu ne milke rahne ko banaya tha.......sabhi immortals se dur.....taaki wo shanti se rah sakke......aur aaj naa to uske pass Madhu hai aur naa hi ab wo ghar.......

Prateek - kisne......kisne kiya ye........kiski himmat hui itni jo mere ghar ko chu liya.....

Dhruv - Master iss baare mein abhi mujhe nahi pata hai.......main iss baare mein pata lagane ki koshish karta hu........par tab tak aapko wapas se Earth pe chalna hoga......

Prateek - Earth.......ye kaun si jagah hai....

Dhruv - Master ye wahi jagah hai jaha abhi tak aap rah rahe the......kya aapko Earth aur waha ke logo ke baare mein kuch bhi yaad nahi hai......

Prateek -(thoda sochne ke baad) nahi main nahi jaanta iss jagah ke baare mein......Main to bas yaha pe uss jail ko jaanta hu jaha pe usko uss murti mein kaid kiya hua hai......

Dhruv - Master aapki purani yaadast aa gayi hai wapas par aapki iss waqt ki yaadast chali gayi hai......aapko wo sab yaad karna hoga.....

Prateek - mujhe pahle ye batao yaha pe chal kya raha hai......Main yaha pe kaise aaya main to ye bhi samajh nahi paa raha hu.....aur ye sharir ye bhi kamzor sa lag raha hai mujhe......

Dhruv - Master ye lambi kahani hai......aur itni purani ki mujhe waqt lag jaayega isko batane mein......aapko usse pahle naa sirf apni yaadien wapas laani hai balki apne Dark power ko control mein rakhna hoga......maine socha nahi tha ye sab itna jaldi ho jaayega......aapko bahut si baatein batani hai aur waqt bahut kam hai.....

Prateek - Chalo theek hai batao kis jagah pe mujhe jaana chahiye.......kaha pe jaake main apni yaadein wapas laane ki prakriya shuru karu jaha pe koi bhi naa aa paaye.......

Dhruv ne ek jagah batayi jaha pe Prateek chala gaya......wahi old Owl aur Jwala ussi ke talash mein yaha waha bhatak rahe the......par kuch pata hi nahi chal raha tha......Jwala ne dark power ko bhi trace karne ki koshish ki par faayda nahi hua kuch.....

Yaha Strange world mein Bua Pujari ji se baat kar rahi thi.....yaa ye kaha jaaye Pujari ji Bua se baat kar rahe the aur Prateek ke baare mein pucch rahe the.....wo kaisa hai....kya kya khubiyan hai usme uski strengths wagera wagera......Bua ko ye bada ajeeb lag raha tha......

Pujari ji - Meri baat dhyaan se suniyega.......agar main sahi hu to ab Prateek ke ander kuch changes aayenge......ye sayad waqt se pahle ho gaya hai......uska gussa badh jaayega.....

Abhi wo bol hi rahe the ki unhone ek baar wapas se Bua aur Nikita ki oor dekha......

Pujari ji (Bua se) - Tumhare ghar mein bahut kuch hone wala hai abhi tak main bas Prateek ke baare mein soch raha tha.....par chizzen aur bhi badi hai.......(Nikita se) tum taiyaar raho......kuch chizzen milengi......par jo unme naa sirf sukh hoga balki dukh bhi hoga......khud pe kaabu rakhna.....

Bua aur Nikita samajh hi nahi paaye ye banda abhi tak jo bas baatein pucch raha tha wo acchanak se ye sab kya kahne lag gaya........

Par Pujari ji ne bhi utna kaha aur uske baad wo behosh ho gaye........ye samajh se parre tha.......aur isse bhi ajeeb tha unka nicche girna aur ussi waqt Madhu ko hosh aana.......Madhu hosh mein aa gayi thi.......wo uss kamre se bahar aayi.....aur waha pe Pujari jo ko gira hua paaya.......

Wo daud ke unke pass gayi......aur sabse pahle to Bua aur Nikita ko waha se hataya.......

Usne dekha Pujari ji ke naak se khoon nikal raha tha aur ab wo sukha hua hai........Madhu ne yaha waha dekha pass mein paani tha usne apne ungli ke ishare se uss paani ko apne paas bulaya aur aankhen band karke kuch badbadane lag gayi.....jiske baad wo paani Pujari ji ke chahre pe ek parat ki tarah bicch gaya aur thodi der mein gayab ho gaya chamakne ke baad......jiske baad wo jaag gaye.....

Pujari ji - kya hua tha......Madhu......tum yaha.....tum theek ho naa ab......

Madhu - hmm par aapko kya hua.....aur Main yaha pe kaise.......

Pujari ji - Maine bulaya thaa......yaad nahi hai.....tum apne doston ko leke aayi ho yaha dekho.....

Madhu ko ye baat pacch bhi jaati par doston ka bola aur waha pe Nikita aur Bua the.....wo dost nahi the......par abhi usne kuch puccha nahi......

Pujari ji - ab tumhe wapas chale jaana chahiye......waha pe log intezar kar rahe honge naa......

Madhu - par aap iss halat mein....main aise kaise jaaun......

Pujari ji ne iss baat pe ek baar uss kamre ki taraf dekha jaha pe wo murti thi.....aur phir ek lambi saans leke kaha......

Pujari ji - Hum sab bhi wahi aa rahe hai........ye jagah ye devta ab naa to rahne laayak hai aur naa pujje jaane laayak........bahut se mauke mille par ye nahi samajh paaye......Pujari ji ne Pankaj ki oor dekha......aur kaha tum bahar jaao aur sabhi se kaho ki Nix kabila Earth pe jaane wala hai aaj hi........

Pankaj - Main.....main kaise......(wo bol raha tha ki tabhi Madhu ne usko aankhen dikhayi aur wo waha se jaane lag gaya......uske picche Nikita bhi chali gayi)

Jab yaha ye sab ho raha tha Earth pe bhi ek ghatna ho rahi thi.......DB iss waqt apne guru ji ke saamne baitha hua tha......Guruji samajh nahi paa rahe the ki wo kya kahe kya naa kahe......aisa kabhi socha hi nahi tha unhone ki DB kuch kahega......

DB ne kaha ki wo ab wapas se waha sirf ek hi baar jaayega.......bas uss bimari ko khatam karne.....usko baad wo wapas se Earth pe aa jaayega aur yahi rahega........Elf Nation ko uske jaisa raja nahi chahiye.....aur naa wo khud ko waha ka raaj abanne ke kaabil samajhta hai.......aur ye naa sirf uska manna tha balki uske unn purvajon ke mann mein bhi ye baat aayi thi.....par uss waqt koi bhi aisa nahi tha waha pe jo uss jagah ko sambhal sakke par ye mauka DB ko milla tha.......Leemi ek acchi caretaker ban sakti thi.....aur uske baad uski beti......wo ussi ko wo rajya saupne ke baare mein soch raha tha.....aur ye baat usne apne Guru ji ko bhi batayi.....

Issi baat ko leke wo aur jyada shocked the.......

Prateek iss waqt ussi jungle mein tha......jaha pe Pankaj ne uss saitaan se Nikita ko bacchaya tha.....

Prateek waha pe aake ek jagah pe baith gaya aur apni baatein yaad karne lag gaya,........

Jab wo khud ke saath hui batein yaad kar raha tha to uske expressions bahut ajeeb hote jaa rahe the.......ye thoda lamba jaane wala tha........

Issi waqt Old Owl aur Jwala ko iska pata mil gaya aur wo dono waha pe aa gaye......unko aane mein thoda waqt to laga hi tha.......

Jab wo waha pe aaye to dekha Prateek dhyaan laga raha tha......wo dono uske paas nahi gaye bas wahi pe rukke rahe.......Jwala jo abhi wahi pe tha usko thoda ajeeeb sa lagne laga aisa lagne laga jaise koi uske ander se kuch khincch raha hai.......

Pahle to usko laga wo thakka hua hai.....par ye thakawat nahi tha.........Wahi Nikita jo iss waqt Strange world mein thi usko bhi aisa hi lagne laga jaise koi usse kuch cheen raha ho.......wi khud mein hi bahut jyada thaka hua mehsus kar rahi thi......

Iss baar bhi agar Dhruv bich mein nahi aaya hota to unn dono ke sharir se naa sirf dark power ka hissa bahar aa jaata balki uske nikale jaane ke baad jo dard hota usse dono ke dono wahi pe dam todd dete......

Dhruv ne bahut muskil se apne Master ko aisa karne se rokka.....aur uske rokne ki wajah se Prateek ka dhyaan toot gaya.......par yaadein wapas aa gayi thi......

Prateek ne apni aakhen kholi saamne uske do bande the ek Old Owl jo jaasus tha.....aur dusra Jwala jisko uska sipahi kaha jaa sakta tha......usne dekha ki uski shaktiyan kam kar di hai iss mortal jeev ke sharir ne par tab par uske badle usko aise bande mille hai jo uski bharpaayi kar sakte the........

Usne apne ander se Albus aur Cooper ko bhi bahar bulaya......

Wo charo waha pe the......aur Prateek ko dekh rahe the.......

Prateek - tum sab se milke bahut accha laga........ab innn sab mein thoda badlaaw laaya jaayega......main jab bhi jaisa bhi kahunga waisa hi karna hoga tumko.......Old Owl, Jwala dono abhi ke abhi apne jagah pe jaao tumhare log......wo iss waqt khush nahi hai tumse......ek saccha raja wahi hota hai jo apne praja ko khush rakhe.......aaj se tum dono ka pahla kaam yahi hoga apne logo ko khush rakhna.........Main jab jarurat pade tab hi bulaunga........Albus......Cooper...... tum dono......tumhe main ab apne ander nahi rakh sakta.........ye tumpe hai tim aazad hona cahte ho yaa mere sath rahna chahte ho......

Waqt aa gaya tha jab Prateek inn dono se inki wafadaari ke baare mein samajh sakke.......ye ussi ke liye tha......agr wo waha se jaane ke baare mein sochte jo ki lagbhag se naamumkin tha to Prateek unko apni shaktiyon se baandh deta.......par jaisa usne socha tha waisa hi hua wo dono waha se nahi gaye.......

Prateek - agar tum yahi rahna chahte ho mere saath......to tum jaante ho kya karna hoga.......

Prateek ne apni talwaar nikali aur dono ke dono hi ussi ke ander chale gaye......indirectly wo dono Prateek ke ander hi rahne wale the......

Prateek ne jaisa Old Owl aur Jwala ko kaha unn dono ne bhi wahi karne ka socha......waise bhi wo kaha dur the jab bhi bulata wo aa hi jaate.....

Next update mein Earth pe saara Nix kabila hoga lagbhag se aur uske baad kuch baatein hum khooni ghudsawaron ki raani yaani Rupal didi ki bhi karenge......kyun unko hi unn bats ne chuna iss baare mein.......Prateek wapas se school jaayega par sab badla hua hoga.....usko wo sab sahna hi hoga jo isse pahle usne saha tha bas iss baar log naye aaye hue hai uske saamne......
Maiend blowing soooper Dooper lajawab update
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,515
188
Ab ja kr kuch kuch story samjh Mai ane lagi h

Lakin Abhi bhi boht kuch baqi h
Wese is update Mai boht kuch clear kr dia h

Excellent fantastic shandar update
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,515
188
:congrats:for 300 pages
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,515
188
Waiting for next
 

krish1152

Well-Known Member
5,471
16,153
188
:congrats: for complete 300 page :happy:
 
Top