★ INDEX ★
☟
☟
♡ Family Introduction ♡ |
---|
Last edited:
♡ Family Introduction ♡ |
---|
Nahi degaBhai updated plz
Busy in PujaKaha ho bhai
Bahot behtareenUPDATE - 108
Main Fumos ke liye nikal gaya tha.....par yaha pe bas Main akela hi nahi tha......
Yun to Earth , Demos . yaa iss jaise planets Immortals ke space mein ghoomne wali faltu ke planets mein se the......par Fumos ka ek alag mahatwa tha......Titan ka bhi alag mahatwa tha par Fumos wo Titan se bhi jyada mahatwa rakhta tha Immortals ke liye....Jaahir si baat hai Fumos ek alag hi tarah ka planet tha,.....wo jinda tha......sayad hi pure space mein aisa koi planet hoga jo jinda hoga.....
Main jab yaha pe pahucha to sidha DB ke pass aaya tha......wo wahi pe jameen pe baitha tha......apni hatheliyon ko jameen pe rakhe hue.....
Main waha aaya to mujhe thoda ajeeb sa laga.......par Main yaha pe kisi maksad se aaya tha aur usko pura karna meri pahli prathmikta thi.......Maine baaki chizzon ko ignore kar diya......
Yaha aaya to sabse pahle Maine aas pass ka jaayza liya......aur uske baad Old Owl ki taraf dekhne laga......wo bhi meri baat samajh gaya tha.....wo turant hi udd ke uchai pe gaya aur waha ek chakkar laga ke wapas mere pass aaya......
Old Owl - Wo abhi yaha se durr hai.......usko yaha aane mein thoda waqt lagega......
Main - Ye DB kya kar raha hai......
Old Owl - Usne yaha pe har jagah ped ugga diye hai ab yaha bhi wahi kar raha hai sayad......inn pedon ki wajah se ye planet ajeeb tarah se bartaaw kar raha hai......
Main - Matlab yaha......yahi nicche iss planet ki saari energy hai.....ek surkasha ghera banao yaha pe......koi bhi iske aas pass nahi aana chahiye......Isko abhi waqt lagne wala hai.....
Old owl ko mere bolne ki deri thi.....aur wo lag gaya uss kaam mein......
Main - Dhruv......waqt aa raha hai.....tum apni taraf se taiyaar raho......Main bhi taiyaari karta hu......
Dhruv - Aapko pata hai naa iska natija kya hoga wo abhi bhi anjaan hai.....
Main - Humne iss baare mein pahle bhi baat kar rakhi hai......tumhe bas uss sharir mein jaana hai aur uske baad jitni bhi aatmayein uss sarir se juddi hui hai unn sab ko bahar kar dena hai tumne......
Dhruv - Haa par phir bhi isme unn saari aatmaon ki bhi icchha honi jaruri hai.....agar wo nahi chahte bahar jaana to main kuch nahi kar paaunga.....
Main - wo sarir unn aatmaon ke liye kisi jail se kam nahi hoga......unko jaise hi mauka milega wo khud se bahar nikal jaayenge.....ek baar wo saari aatmaein nikal gayi to Slayer khud se hi khatam ho jaayega....aur wo sarir tumhara ho jaayega......
Dhruv - Haa......agar aisa hua to accha hoga.....sayad aap sahi kah rahe hai......aisa hi hoga.....aakhir kaun si aatma hogi jo uss sarir se bahar nahi nikalna chahegi.....Kya aap unn dono ke liye taiyaar hai.....
Main - Abhi to Mujhe bhi pata nahi hai......Maine iss baare mein jyada socha hi nahi.....par agar hamara andazza sahi hai.....to wo dono bhi wahi hone chahiye......
Dhruv - Haa aur unke saath saath wo bhi wahi pe hogi......aapko lagta hai wo uss jagah ko chod ke bahar aa jaayegi.....
Main - Dhruv hum ghum ke ussi baat ke shuruwat pe aa gaye hai......inn sab pe humne bahut baatein kari hui hai......sayad jab tak hum isko kar naa le humme jawab nahi milega.....
Dhruv - Agar kuch gadbad hui to uske baad humme aage kya karna hai uska bhi pata nahi hoga......par phir bhi Main aapka saath dunga.....mujhe aapke upar yakkin hai.....
Main - Mujhe pata hai.....aur main vadda karta hu.......ab kisi ka yakkin nahi tutne dunga khud ke upar se......Tum apni taraf se taiyaariyan shuru karo.....
Maine ye kaha aur wo apna kaam karne lag gaya.......iss waqt mujhe aisa lag raha tha koi chizz mujhe kaat rahi hai.....unn sab ke baad Main aur Dhruv ek dusre se judde hue the.....aur ab wo alag ho raha tha sayad issi wajah se......
Old Owl ne DB ke charo taraf wo suraksha gheera bana diya tha.....Main uss gheere se bahar tha.....aur wo khud bhi mere pass aa chukka tha ab......
Old owl - tum.....tum theek ho naa.....mujhe tumharee ander kuch halchal mehsoos ho rahi hai......
Main - Haa......Main theek hu.....Tum jaake dekho wo kitni durr hai yaha se.....
Jab Main bol raha tha to mere muh se gahre laal rang ka kuch nikal raha tha aur wo hawa mein jaake gayab ho raha tha......usne usko dekh liya......aur mujhe ghoorne laga.....
Main - Jaao aur dekho wo kaha hai.....
Wo mujhe dekhta raha aur uske baad waha se udd ke upar chala gaya......
DB ne usse Prateek ke pass jaane se pahle hi kaha tha wo nahi chahta ki Prateek aur Slayer ke bich ladai ho.....par abhi usne jo dekha uske baad Old owl thoda aur pareshan ho gaya tha......DB ke anusaar Slayer abhi bhi takatwar hoga......aur Prateek ki halat aur kharab ho rahi thi.....
Old owl ne socha sayad wo Prateek ko kuch waqt de paayega.....wo upar gaya aur usne Slayer ko dekha......wo ab Prateek aur DB ke taraf hi aa raha tha....Old Owl waha se turant Prateek ke pass gaya.....aur waha jaane ke baad......
Old owl - Wo aa raha hai......tum bhi iss ghere mein kyun nahi chale jaate......Main usko sambhal lunga......
Maine uski baat sunni to mujhe hassi aa gayi....par saath mein dard bhi badhne laga tha.....
Main - Iski koi jarurat nahi hai.....Tum ek kaam karo.....wo Leader yahi pe hai naa.....uski madad karo.....usko kuch naa ho iss baat ka dhyaan rakhna....
Old Owl - Nahi......wo khud ka dhyaan khud hi rakh lega....Mujhe tum sahi nahi lag rahe to Main yahi tumhare pass rukunga....
Main - Aisa kuch bhi nahi hoga.....tum mere pass nahi rah sakte......tumhe....yaha se.....ahhhh......yaha se jaana hoga.....
Old Owl - ye kya ho raha hai tumhe.....tumhare muh se ye kya nikal raha hai......
Main - Iske baare mein abhi tumhe nahi samjha paaunga......tum.....tumhe abhi yaha se jaana hoga.....Main nahi chahta tumhe kuch ho.....
Old owl - Par tum theek.......nahi Main nahi jaa raha kahi bhi.....
Main - Maine kaha yaha se jaao matlab jaao.....jaao Leader ke pass jab DB apna kaam pura kar lega to uski shaktiyan bhi jaa sakti hai.....uss waqt wo kamzor hoga......Tum uske pass jaao......
Wo jaana nahi chah raha tha par aakhir mein main uska maalik tha.....to wo chala gaya.....par wo dost bhi tha mera.....jaate jaate usne mere ass pass bhi ek kawach bana diya......Ab mujhe iss kawach ko bhi todna tha......kaam badha ke chala gaya ye.....
Main ander tha aur ander se kawach ko todna aasan hota hai.....ye accha tha......waise usne majboot kawach banana seekh liya tha.....
Maine usko toda aur waha se bahar aa gaya......
DB ki taraf mudd ke dekha to wo abhi bhi laga hua tha apne kaam mein......sayad usko abhi aur waqt lagne wala tha inn sab mein......
Maine bhi apni aakhen band kari.....aur dark power ki madad se khud ko Dhruv se alag karne lag gaya......isse mujhe aur dard ho raha tha......Dhruv ne apni taraf se kaam pura kar hi liya tha bas......thoda sa aur hissa baaki tha.....
"Ajeeb hai......"
Main apna kaam kar hi raha tha.....ki mere kaano mein ye aawaj aayi......Mujhe laga ye Dhruv hai.....sayad usko kuch ajeeb sa lag raha tha......
Main - Tum ab ek alag body mein jaane waale ho sayad iss wajah se ajeeb lag raha hoga......
Dhruv - haa ajeeb lag raha hai.....par aapko ye kaise pata chala......
Main - Ab tum bataoge to kaise pata nahi chalega......
Dhruv - par maine to nahi bataya.......
Main - Hum abhi bhi judde hue hai naa iss wajah se sayad.....
Main ye bol ke wapas se apne kaam mein laga raha.....aur apne hisse ka kaam karta raha.......inn sab mein Mujhe ye pata nahi chala ki Dark Power ne kab mere sarir ke aas pass ek bahut hi mazboot deewar bana rakhi thi.....waise iss baat ka andaza mujhe pahle se tha.......Dark power har mumkin koshish karega mujhe nuksaan naa pahuche iss baat ki.....aur wo wahi kar raha tha.....par Main ye khud kar raha tha aur wo bhi ander se......issi wajah se to Maine Old Owl se DB ke liye wo gheere wanwaya....aur saath mein usko bhi waha se jaane ko bola....agar wo yaha uss ghere ke bahar hota to Mere aur Dhruv ke alag hone ke baad jo hota usme usko bahut chotein aa sakti thi.....
Uss kawach ki wajah se ab mujhe bahar ki koi bhi baatein pata hi nahi chal rahi thi.....aankhen pahle se band thi aur aawaj ab uske ander koi aa nahi rahi thi......
Mujhe pata nahi chala kab waha pe Slayer aa chukka tha.....aur wo DB ke pass jaa raha tha......par bich mein wo ghera hone ke wajah se wo ustak pahuch nahi paaya tha.....aur usko todne ki koshish mein laga hua tha......
Wo apna kaam kar paata usse pahle hi Maine apna kaam pura kar liya tha......aur uske baad wo dark power ka ghera jo mere charo taraf tha.....wo tut gaya.....aur uske tootne se waha charo taraf Dark energy phailne lagi.......DB ghere mein tha to usko kuch nahi hua.....par Slayer.......wo apni jagah se bahu durr jaake girra tha.......
Main aur Dhruv alag hue hi the ki humme ye dikha.....Dark power ne apna kaam bakhubi kiya tha......Slayer jaise behosh hi ho gaya tha.....ye sabse sahi waqt tha Dhruv ke liye uske sarir mein jaane ka.....aur usne ye mauka gawana sahi nahi samjha....aur wo uske sarir mein chala gaya......par
Jaise hi wo uske sarir mein gaya Slayer uth gaya......Mujhe laga tha wo uske ander chala gaya....aur apna kaam karne laga hoga....par abhi jo dekh raha tha usse samajh nahi paa raha tha.....agar Slayer abhi puri tarah se hosh mein tha to......to Dhruv bhi uska khana ban gaya hoga.....
Main ekdum se darr gaya tha.......Slayer se nahi.......Dhruv ke liye......hum naa jaane kab se ek saath the.......aur aaj sayad wo meri wajah se.....
Slayer jo abhi uth chukka tha.....wo wapas se DB ke pass jaane laga.......wo gheera abhi bhi waha tha........usne uski taraf dekha.....aur uss gheere mein darar si aane lag gayi......ye dekh ke mujhe yakkin ho gaya ki.....ki Dhruv ab nahi raha........wo iss Slayer ka khana ban chukka tha.....
Par abhi Mere pass itna bhi waqt nahi tha ki Main Dhruv ke jaane ka shoq manna sakku kyunki agar maine waisa kiya to sayad.....sayad kuch der ke baad DB ke liye bhi mujhe......Main ye nahi hone de sakta tha.....Mujhe nahi pata wo DB ke picche kyun pada hai.....par Main usko use nuksaan pahuchane nahi dene wala tha.....
Maine apna haath aage kiya aur usse Dark energy bahut jyada matra mein Slayer ke upar chala gaya.......aur wo waha se durr jaake gira.....
Iss insani sarir mein ye pahli baar tha ki Maine itni jyada matra mein Dark power ko ek baar mein use kiya ho......par isse mujhe koi phark nahi pad raha tha.....aur sayad naa hi iss insani sarir ko.....
Main aage badha Slayer ki taraf......wo jaha pe girra tha waha pe abhi bas dhull hi udd rahi thi.....kuch saaf saaf dikhai nahi de raha tha.....
Main dekhne ki koshish kar raha tha.....par kuch dikh nahi raha tha.....lekin kuch hi der mein mujhe 2 aakhen dikhai di.....chamakti hui aankhen.......aur agle hi pal.....Main nicche jamin pe girra hua tha.....
Kuch samajhne ka waqt hi nahi milla bas wo chamkili aankhen dikhai di aur uske baad unme se kuch aaya mere pass aur Main nicche jamin pe tha.....
Main kisi tarah waha se utha.....aur wahi nicche ek pathar ka sahara leke baith gaya.....ye jo bhi tha.......bahut takatwar tha......mera ye sarir uske saamne muskil se kuch waqt tikne wala tha bas......
Dhruv ki shaktiyon se ye Slayer bahut jyada takatwar ho chukka tha......kisi Immortal ko wo takkar de sakta tha.....aur sayad jeet bhi sakta tha.....
Abhi inhi sab ke baare mein soch raha tha ki achanak se mujhe aisa laga jaise koi chizz thi jo mujhse judd rahi thi......meri ye insani sarir.....ekdum se majboot si lagne lag gayi.....Main jo abhi nicche baitha hua tha......wapas se khade hone ki koshish karne lag gaya.....aur dekhte hi dekhte Main khada ho bhi gaya.......
Ye Jwala tha......wo yaha pe aaya hua tha......par uska yaha aana ye ajeeb tha.......Old owl yaha pe aa sakta tha......kyunki usko Riyan ne taiyaar kiya tha iske liye.....par Jwala nahi.......haa uske pass dark power hai par wo aise yaha pe nahi aa sakta.......
Mujhe laga sayad DB apne kaam mein kamiyab ho chukka hai......sayad wo Fumos ke ander jaha uski saari energies hai waha pe pahuch chuka hai.......par agar aisa hua bhi tha.....to iska matlab ye tha ki abhi kuch hi der mein pura planet uthal puthal hone wala tha.......Maine upar dekha......waha pe abhi bhi Fumos ke creatures the......matlab abhi aisa kuch nahi hua tha.......
Abhi kuch aur ochta usse pahle meri nazar wapas se uss Slayer pe padi jo wapas se DB ke ass pass lage uss gheere ko todne mein laga hua tha.......
Maine apna haath aage kiya aur uske ander se kaali aag baharr aayi......Dark power aur Jwala ke aag ka milla hua roop......
Wo kisi golle ki tarah tha.....aur wo sidha jaake uss Slayer ko laga......jisse wo waha se kuch durr chala gaya par wo abhi bhi khada hi tha.....girra nahi tha.....uss aag ke golle ne jaise bas usko dhakka diya ho......par dark power ka kaam baaki tha......
Dark power ne uss aag ko uske pure sarir pe phaila diya......aur wo wahi khade khade jal raha tha......par tab bhi wo bas khada hi tha.......
Agar koi jal raha ho to wo yaha waha bhagega......par ye to bas khada tha....aur uski aankhen.....wo wapas se chamakne hi wali thi ki meri peeth se pankh nikle aur main apni jagah se udd ke waha se side chala gaya......
Jwala aur Main pahle bhi ek do baar sayad aise ek saath aaye the.....par ye unn sab se alag tha......iss baar hamara connection kuch jyada hi majboot lag raha tha.....
Maine abhi ek baat aur notice kari.....ye jab aakhen chamki thi iss Slayer ki to uske chahre se matlab uske muh se aur naak se kuch dhuwan jaisa bahar aaya tha......pata nahi ye kya tha......lekin ye usko ander se kamjor kar raha tha......
Iss baar usne ye cheez kuch der tak kari thi kyunki uska nishana sahi laga hi nahi tha......Main apni jagah se udd ke yaha waha ho raha tha.....aur uska nishana issi mein nahi lag paa raha tha.....
Aur phir wo ekdum se rukk gaya tha aur maine wo dhuwan wagera dekha......aur wo waha haanf raha tha......issi ko leke maine kaha ki wo sayad kamzoor ho raha tha.....
Mere saamne ek pareshani thi aur ab sayad mujhe uska hal dikh raha tha.....isko harane ke liye mujhe bas isko ussi power ko use karne ke liye uksana tha......par yaha pe mere liye bhi dikkat thi......main jyada uccha nahi jaa sakta tha.....waha jaaunga to waha pe jo log lad rahe hai unme se kisi na kisi ka nishana ban jaaunga.....aur abhi unko aur isko dono ko sambhalna wo bhi ek saath wo thoda muskil to tha.....aur Main jaan bujh ke muskilein nahi khadi karna chahta tha.....
Maine wapas se apni black fire ball banai......aur uske upar phenkne ke jagah uske aas pass ke jagahn pe phenka aur phir unse uske aaas pass mein hi aag ki ek unchi si diwwar bana di.....aise mein usko double mehnat karni padegi......pahle to aag ke iss deewar se bahar aana aur uske baad nishana lagana.......
Ander se nishana lagana aur muskil hoga uske liye.....aag hai to waha ki hawa bhi garam hogi....aur garam hawa ke karan bahut baar chizzen jaha hoti hai uss jagah pe nahi dikhai deti hai......to agar aapko nishana lagana haii to uss jagah se nikalna hi hoga.....
Ab bahar wo aag se hi aayega.....isse bhi uski kuch na kuch saktiyan to kam honi hi thi......
Jaisa maine socha tha waisa hi hua bhi.....wo waha se nikalne ke liye aage chala aur wapas se uske pure sharir pe aag hi aag thi......lekin iss baar bhi usko uss aag se kuch ho nahi raha tha sayad......wo aaram se hi bahar aaya aur phir se mujhe dekhte hue usne aakhen chamkai........Sukar ho inn pankhon ka.....ye sach mein bahut tezz thi.....Main turant hi ek jagah se dusre jagah pahuch gaya tha.....
Maine wapas se wahi kiya....uske ass pass aage ki deewar aur iss baar bhi wo waha se bahar aa gaya......par wo kamzor hota jaa raha tha.....aur iss baar kuch aur bhi dikha mujhe......iss baar dhuwein ki matra aur jyada thi......
Kya ye saab jo nikal raha tha wo uske ander fansi hui aatmayein thi.....Mujhe pakka pata nahi tha ye.....par.....wo jo bhi uske muh se yaa naak se nikal rahi thi.....wo thodi upar jaake kuch ban rahi thi.....jaise koi chahra ho......aur uske baad gayab ho jaa rahi thi.....
Sayad abhi bhi ander mein Dhruv ladd raha tha.....
Dekhte hai next update mein