So, another story completed... Ek aur badhiya rachna Kingfisher urf Single Launde ki kalam se... Rits yaani ki meri favourite kirdaar ka past dekhne ko mila jo sachmein kaafi dukhad tha... Wo bechaari uss gunaah ke liye khud ko zimmedar maanti rahi jo usne kiya hi nahi... Vihaan ki maut mehaz ek haadsa tha jiska theekra uske parents ne bechaari Rits ke maathe par fod diya... Jaao tum dono ko bad dua lagegi meri... Bechaari Rits
...
Khair, baat karen Akhilwa ki to pata chala ke jiss din Vihaan bhai ki mrityu huyi ussi din iss launde ka heart jawaab de gaya... Nateejtan ek heart transplant kiya gaya jismein Vihaan ka dil Akhil ko laga diya gaya... Aur issi dil ke kaaran Akhil Rits ki taraf aakarshit hua, aur uske pyaar mein bhi gir gaya...
Akhil aur Rits dono ko hi ye sachayi pata chali aur ant mein ek happy ending dekhne ko mili jahaan Akhil aur Rits sada sada ke liye ek ho gaye... Par last mein saara mood kharaab kar diya ju ne... Bechaari bholi Rits kabhi gaali nahi de sakti
... Ye fuckkin... Vuckkin... Sab Kingu ki bhasha hai... Rits ke naam se apni baat nahi bolne ka...
– Kahani Ka Pasandida Kirdaar...
Ye kaisa sawaal hai!!! Of course, my favourite Rits... Kitni sundar, kitni bholi, kitni masoom hai wo... Aur kitne gum sahe uss bechaari ne par uff tak naa ki... So, everyone should have
for Rits... Waise Rits aur Vihaan ke beech jo kuchh bhi hua usmein shayad ittefaq ki hi galti thi aur Rits ki koyi galti naa thi... She's a pure soul...
– Kahani se mili seekh??
Bas yahi ke gussa hi insaan ka sabse bada dushman hai... Impatience aur gussa Insaan ke Vivek ko har leta hai aur aksar gusse mein ki gayi harkaton ka anjaam bura hota hai... Jo masla aasani se do minute coffee peete huye baat karke sulajh sakta tha, uska gussa maankar Vihaan ne apni jaan ganwa di... Par jo bhi ho ek tarah se uska dil to sadaiv Rits ke nazdeek hi rahega...
– Chand shabd doosre kirdaaron ke liye??
Akhilwa, sacha prem kiya isne Rits se... Aur Naani ke phone par pehle Cafe mein pahunchkar Aag se usse bachaya aur fir baad mein usse America jaane se rokne ke liye apna accident karwa baitha... Par chalo issi sab ghatna kram ke beech usse apna pyaar to mil hi gyaa, aur kya chahiye zindagi mein...
Naani... Ek achhi aur suljhi huyi mahila, jinhone Rits ke Maa Baap ki mrityu ke baad uske sar se parents ka saya gaayab naa hone diya aur Maa Baap dono ka pyaar usse diya... Jab Vihaan guzar gaya tab bhi dukh ke samundar mein usse Akhil naamak Saahil ka raasta dikhaaya aur aakhir mein dono ko ek bhi kar hi diya..
Khekhar sahab yaani Akhilwa ke Dad... Pehle to saala ye naam badlo... Mujhe ulti aa rahi hai ye naam sunke... Baaki bas yahi kahunga ke bhaiyon behno ye maatra ek fictional character tha... Aese Baap asal zindagi mein yadi expect karoge tab hoga asli Tandav shuru... Kya Cool aadmi hai matlab, Haan Akhil beta tu Rits se pyaar karta hai naa to jaa chala jaa uske paas Manali, main kuchh nahi kahunga... Aur jab maine apne Dad ko bataya tha ke main ek ladki.... Chhodo...
Lekhak ke baare mein chand alfaaz???
Kingfisher urf Kingu... Chhodo yaar waise tareef ka mann to nahi par kiye deta hoon... Ek behatreeen writer jiski kaabiliyat se ham sab parichit hain... Faraar ho ya fir Izhaar E Mohabbat dono badhiya estory likhi hain pehle bhi in bhaisahab ne... Aur ussi tarah ye estory, small but superb... Waise bhi apun ko short story zyada pasand aati hai... Khair, sahi shabdon ka upyog kahani mein, drishyon ka badhiya varnan aur kirdaaron ki badhiya bhumika darshayi writer saahab ne aur Isiliye doston... a round of applause mere liye to banta hai
...
End mein thanks for presenting this story bhai... Keep going...
[ Ek sawaal
... Rits Akhil ko peti pack mili hai ya Vihaan
]
At last... I Love You Rits
...