- 658
- 4,694
- 124
JADUI PARIVAAR
Main Chuddakad
Main Chuddakad
I NDEX
Last edited:
I NDEX
intezaar rahega....Sunday ko nahi to Monday ko Update aayegi. Abhi Main gaav ghum raha hun 4-5 mahino se ek hi jagah tha, ab free hu.
Bro jldi se next update do..BroPDATE 35
Ek bachha Dara hua,kuch samajh nahi paa raha tha, samandar pura laal tha.khun aur lasho ko dekh, Vo bass daudta gaya.
najar jamin par thi, aankhe kavach ko dhundh rahi thi. Vo kavach jise uske pita pahan kar gaye. Us par kaale rang ka kapda tha, jo usi ne lagane ko uske pita ko kaha tha. Use kapda dikh gaya.
" Pitaji." Uski chikh hajaro chikho ke bich tab gayi.
"Pitaji uthiye, varna main aapse kabhi baat nahi karunga." Pita ke sharir ko hilane laga, ki vo uth jaye.
"Uthiye naa, main sach kah raha hu, is baar main khana bhi nahi khaunga."
Lambi lambi saans lete hue vo apne pita ko dekhne laga. Sharir puri tarah jala hua. Bass vo kavach tha jo use uske pita ki yaad dilata.
bachha roye jaa raha tha, lekin uski taraf kisi ka bhi dhyan nahi gaya.
Us bachhe ne aavaj lagai. Kisine nahi suni , shor badhta gaya, vaha par ro rahe insaan ki aavaj tak dab gayi.
"Koi meri madat karo." Vo bachha rota raha.
Vo gusse se khada hua patthar liye, pass me ho rahi us puja ko dekhne laga. Ye jayjaykar uske machhli ki ho rahi thi.
"Jamal" Sukant ne Jamal god me uthakar kaha. Jamal rota raha, apne pita ki maut aaj bhi use khati rahti thi.
_______
Kamal ab Sulochanaji ke ghar se jaane vaala tha, Divya pahle hi school chali gayi thi. Ashu aur Amrita sulochanaji se milkar khush thi ye Kamal dekh paa raha tha, lekin Ashu ke chehre par bhav thode shant the.
"Kamal ,ruko." Sulochanaji ne Kamal ko rokte hue aavaj di.
Kamal andar aaya, Amrita aur Ashu bahar hi ruk gayi.
Andar Sulochanaji ji chotisi alamari me kuch dhundh rahi thi. hath me kuch pakad kar vo kamal ke pass aayi.
" Ye lo." Kamal ne apna hath kuch naa jante hue aage kiya.
Usne dekha to paya uske hath me chabi thi.
" Ye kya hai?" Kamal kuch naa samjhte hue bola.
" Ghar ki extra chabi hai, divya aur mere pass ek ek rahti hai, ab tumhe bhi ek rakhni chahiye."
Kamal kuch bol nahi paya. Aage sulochanaji bol padi.
"Tumhara jab bhi man kare aa jana, kisi se puchne ki jarurat nahi hai, ye ghar tumhara bhi hai."
"Nahi, main ye nahi le sakta." Kamal ne sar niche karte hue chabi vapas dene ki koshish ki.
"Kyu nahi le sakte, tumne kaha tha na ki tumhe apni jimmedariya nibhani hai to ye samajh lo ki tumhari jimmedari hai tum is ghar ka hissa ho."
" Nahi main ye nahi kar sakta, main Sunny ki jagah nahi lena chahta."
"Kamal." Sulochana gusse se uske upar chillayi. "Main tumhe parivar ka hissa bana rahi hu, jo sunny ne pahle hi maan liya tha."
"Lekin aapka ek hi beta tha aur vo sunny main uski jagah nahi lena chahta, main aapka beta nahi hu."
"Kamal tum is parivar ka hissa ho."
" Nahi main kisi bhi parivar ka hissa nahi hu." Kamal ne kal ki baat buri lagi thi ye Sulochana ko samajh aa gaya.
Sulochana ne phir shant ho kar kaha .
"Kamal, main tumse ye kabhi nahi kahungi ki tum kisi jagah ke layak nahi ho, aur ye baat tum kisiko kahne bhi mat dena. Mujhe nahi pata ki tumhare man me kya chal raha hai aur tum kon ho? par tum mere liye khas ho tum sunny ke liye khas ho, ye baat hamesha yaad rakhna."
Kamal ne in bhari shabdo par sulochana ke taraf dekha aur aur chabi hat me lekar bina kuch bole vaha se chala gaya.
Dono Ashu aur Amrita apni apni jagah pe khadi thi. Un dono ke haalchal me mujhe kuch alag laga.
" Kya hua?" Maine pucha.
"Ashu aapse kuch kahna chahti hai?." Amrita ke kahne par Ashu ne apna sar niche jhuka liya.
"To batao? Kya baat hai?" Maine Ashu ki taraf dekhte hue kaha.
Ashu thodi udas dekh main uski pass aa gaya. Ashu ka hath apne hath me lekar puchha.
"Kya hua? Mujhse kuch galti hui kya?"
Ashu kuch nahi boli. Meri dhadkan ab badh gayi. Agar meri galti ki vajah se use bura laga ho to main use maaf nahi kar sakta tha. Divya ke saamne Amrita ko uski bhabhi hai ye batane par gussa ho gayi ho.
Ashu ki aankho se ab aansu aane shuru ho gaye.
" Kya hua? Tum ro kyu rahi ho?" Maine aansu ponchne ki koshish karte hue kaha.
"Sorry." Itna kahakar vo phirse rone lagi.
"Sorry kis baat ke liye ,..." Phir mujhe kuch samajh aane laga. "Ashu kya hua? tumhare ghar valo ka call aaya tha tumhe unhone kuch kaha kya?"
"Nahi .. nahi , vo mujhe Hostel par jaana hai mere agle hafte college shuru hone vaale hai ."
Main kuch bolne vaala tha lekin ab ruk gaya.
" Achha thik hai, lekin use time hai naa ab."
Meri baat par usne Amrita ki taraf dekha .
" Lekin aap to vaha jaane vaale hai, vapas aane tak to main shayad chali jaungi hostel."
" Are tum is sab ke liye ro rahi thi. Tum uski chinta mat karo, main teleport ho sakta hu Asmita ki madat se tumse milne me aa jaya karunga, bass apne room me akela raha karna."
Meri baato par Ashu aansu ponchte hue muskurayi.
Main kuch soch raha tha tabhi mujhe dhyan aaya.
" Amrita, mujhe nahi lagta ki tumhare parivar vaalo ko us ghar par rahne denge, tum mujhe ghar par pahunchte hi khabar kar dena main kuch rahne ka soch lunga."
" Achha thik hai, ham kab nikalne vaale hai, main maa se baat karke aap ke pass aa jaungi."
"Main hi vaha aa jaunga, tum dono chinta mat karo."
"Thik hai , jaisa aap kahe."
__________
Shyam ki dhundhli roshni mein, parchhaaiyaan patthar ki deewaron par naach rahi thiin.vaha do jode andhere me khade the. seedhi khadi, ek sundar mahila jo sadharan vastra mein saji thi aur sath hi twacha me chaand ki chamak thi, uske baalo ki laharahat sine tak aayi hui thi. uske amrud rang ki aankhon mein adig prem aur niraasha se bhari hui thi.
Karan, apne saamne ghane jangal ki taraf dekh raha tha jo ki samudra se ghira hua. Jaanvaro ki dhimi aavaj halke se kille par aa rahi thi, Karan ki najar us samundar ki taraf door tak mandara rahi thi, jaise vah kise dhund raha ho. Jo us sun saan jangal me kho gaya ho yaa us samundar paar se laut kar naa aaya ho.
Abby use bass dekhti gayi. Use vo pal yaad aa gaya, isi tarah uske pita yaha se samundra ki taraf dekha karte the. Vo bhi kisi ki yaado me, jangal ko tarasha karte the.
"Pitaji, aap, kya dekh rahe hai?" Chhoti si Abby ne puchha.
"Kuch nahi beti, hamara gaav kitna sundar hai,vo bass vahi dekh raha tha." Sukant ne kaha.
" Kuch bhi! hamara gaav kaha sundar hai, isase achhe to shashan vaale rajya hai." Abby ne muh teda karte hue kaha.
Shashan vaale rajya yaani jo ki Kharad ke kabje me the.
"Chachaji aap kise samjha rahe hai, ise hamara gaav pasand hai hi nahi, iska bass chale to shadi bhi gaav se bahar ke ladke se karvayegi."
Sabhay ka itna kahna hi tha ki ek mukka uski pith par pada. Uske muh se 'Aah' nikal gayi.
"Nahi pitaji, mujhe nahi karni shadi kisi bahar gaav vaalo se, ham ghor vaasi bhediyo ki tarah hai, ham kuch bhi ho jaaye is jhund se akele nahi hona chahiye." Abby ne samjhane ke swar me dant pisane hue kaha.
Sukant apni beti ki baat par muskuraya.
"Lagta hai 'Ghor-nishtha' meri hoshiyar beti ne achhe se padhi hai." Sukant ne kaha.
" Hoshiyar aur Abby?" Khidkhidate hue Sabhay bola.
Abby ne gusse se use mukka dikhaya. Tabhi pichhe se Sabhay ke maa ki aavaj aayi.
"Sabhay!" Sabhay ki maa, Shakuntala ek vidhva thi, usne aankhe dikhate hue Sabhay ki taraf ishara kiya.
"Maa, maine kuch galat thodi kaha, use to apne kille par kitni sidiya hai vo bhi yaad nahi."Sabhay ne kaha.
"Sidiya kon yaad rakhta hai, koi pagal hi hoga." Abby ne apni jibh bahar nikalkar chidaaya.
Is baat par Sabhay ko gussa aaya. Aur usne Abby ke baal khichne chalu kiye.
"Hay, Sabhay .. ye kya kar rahe ho? ..chodo Abby ke baal."
Shakuntala ne bich me dono alag karne aayi.
Dono bachho ke jaane ke baad Shakuntala ne Sukant ki taraf dekha. Sukant in bachho ke bachpane par muskuraya, jis par Shakuntala bhi muskurayi.
Ye baat vaha se jaate vakt Sabhay ne dekh li aur sar niche karke bahar muh fulake chala gaya. Use samajh aa raha tha ki kya ho raha hai.
________
Dim dim diye ki roshni me, thandi se tang aakar Shama, apne gaddedar sharir par shawl lapet liya, aur kamre ke andar aayi. Andar apne pati ko talwar tarashte hue paya.
"Sabhay," usne fusfusate hue kaha "tumne subah se kuchh nahin khaya. Tum itna kya soch rahe ho?"
Sabhay ne uski taraf dekha, muksurate hue, "Jaise tumhe kuch pata bhi nahi hai. gaav ko is halat me dekh main kaise kuch khaa sakta hu."
Shama ne apne sharir se shawl ko aur chipkaya. " Isme tumhari koi galti nahi hai, ye sab us Karan ke vajah se ho raha hai. Usike vajah se hamara gaav aaj musibat me hai."
"Mujhe nahi lagta , ye to hona hi tha, agar vo pritam aur Amrita hai to uske liye hamara ladhna tay hi tha."
" Agar vo hai to hame ladhne ki kya jarurat. Ye yudhh kharad aur pritam ke bich me hi niptane do ham kyu lade."
" Kyuki ye hamari aakhri aasha hai, Kharad kabhi naa kabhi to ghor par hamla jarur karta, lekin ab shayad ham jit sakte hai."
" Shayad?" Shama ne aankhe badi karke sawaliye najre aur chidchide pan me kaha.
" Haa shayad aur mera ye kartavya hai ki main is gaav ki raksha karu jo aaj tak hamari karte aaya hai."
"Main aapko samjh nahi sakti, mere liye bhi mera parivar jaruri hai, hamare hone vaale bachhe, aur un sab se jaruri chij mere liye koi nahi hai."
Sabhay is baat par muskuraya.
" Mujhe ye bhi chalega, ab to main sultan bhi nahi hu, ab ham bachho ki tayyari kar sakte hai."
"Nahi ab nahi, main itne dino se kahti aa rahi thi, to ab bilkul nahi." Muh banate hue Shama ne kaha.
"Jaanu tum bhi naa, ye kaise bol sakti ho. ab to mera dil tut gaya, main to tumhare pet ko hamesha fulaye rakhna chahta tha aur(halke se hath shawl ke upar se chuchiyo par le jaa kar) doodh ki Kami kabhi bhi naa ho iska bandobast karna chahta hu."
" Aree aapne to jaise mujhe gaay samajh ke rakha hai, doodh khatam naa ho iska bandobast. bass 2 bachhe honge usase jyada nahi." Shama ne Sabhay ka hath apne chuchiyo se hatate hue kaha. Aur muh banate hue dusri taraf kiya.
Is taraf sabhay man hi man muskura raha tha. Use pata tha ki shama usase kitna pyar karti hai , isiliye shayad vo har ek chij ko usase aage rakhti hai.
Shama vaha se uthakar jaate hue boli.
"Aapko khana hai yaa nahi ye bata dijiye, main jaa rahi hu khane." Itna kahte hi Sabhay ne Shama ko khich kar apni god me le liya.
Apni ungaliya Shama ke otho par rakhkar.
" Mujhe aaj ye khana hai." Shama sharmate hue khudko chhudane vaali thi ki Sabhay aage badh gaya.
______
"Tum unhe is ghar me nahi rakh sakti." Vishwas hath table par marte hue bola.
"Agar aisa hai, to ye bata dijiye ki ye ghar mera hai ki nahi." Shital boli.
"Tum sach me aisa karogi, Nirmala meri bahan hai, aur ye hamare koi nahi lagte." Vishwas ne khada hote hue Shital ke pass aate hue bola.
"Lagte hai." Shital ne najare milakar vishwas se kaha.
"Kya?.. tum sach me us ladke ke liye ye sab kar rahi ho." Vishwas ne aankhe ghumate hue kaha.
"Vo ladka koi aira gaira nahi, mera beta hai." Shital ne gusse se kaha.
"Are yaar ab ye bhoot kaha se aaya tumhare dimag par, usne hame chhod diya hai, vo ye sab hame taklif dene ke liye kar raha hai."
" Haa, lekin usase pahle hamne use taklif di hai, use ham sab ne chhod diya tha akela."
"Kya bakwas kar rahi ho, use hi ham sab ke sath rahna pasand nahi tha."
Shital kuch bolti tab uski najar uske char aankho par padi ye thi Payal aur vishal ki.
"Tum dono yaha kya kar rahe ho apne apne kamre me jao." Shital ne kaha.
" Maa pitaji sahi kah rahe hai." Vishal ne kaha.
Shital ko ye sun aascharya hua use lagta tha ki uske badlne se pura parivar ek ho jayega ,lekin yaha kuch alag hi tha.
"Achha hua ki tum sabne bata diya ki mera is parivar me mahatva nahi hai."
Payal kuch bolna chahti thi lekin use hamesha maa ka pasandida vyakti bane rahna pasand tha. Usi ke liye usne kuch nahi kaha.
"Nahi Shital, lekin in sab me galti us bichari Ashu ki nahi hai."
Itna kahna hi tha, tabhi bahar se Amrita aur Ashu ek sath aayi.
Sabhi ke chehre ke rang ud gaye. khaskar Payal ke. Payal jo bhi ho raha tha samajh hi nahi payi.
Lekin Amrita ne sab samajh liya ki kya hua hai.
Ashu kuch bolne vaali thi usne use rok diya aur uska hath pakad sidhe upar chali gayi jaha uski maa thi.
"Achha hua Amrita tum aa gayi, ham soch rahe the ki hame is ghar se nikalana chahiye yaha rahna thik nahi rahega." Sharada Amrita ke kandhe par hath rakh kar boli.
"Haa, maine hamare rahne ka intejam kar diya hai kuch dino ke liye uske baad dekhte hai kya hota hai." Unke pichhe khada Amit bola, jo apna hath apni biwi ke kandho par rakh khada.
"Achha thik hai, lekin mujhe iske liye Kamal se puchhna hoga." Amrita boli.
"Kya? Vo kyu hamare faisle lega aur Aap log kyu iski baat sun rahe hai isi ke vajah se hame ghar se nikala jaa raha hai." Pranali chhidhte hue boli.
Uski Maa Natasha is baat kuch naa bolte hue Amrita ko ishara kiya. Yaha par sojwal aur pranjali ko chhod ke sab ko pata tha ki Amrita aur Kamal kon hai.
Lekin un dono jhatka sabse jyada tab laga jab unhone Amrita ke pichhe Ashu ko dekha.
Vo kuch bol paate ki Amrita ne tabhi sar hilakar Natasha ko ishara kiya.
Natasha samajh gayi ki uski bhanjhi ko kya kahna hai.
" Pranjali , sojwal tum dono se mujhe kuch batana hai."
Phir Natasha ne puri baat un dono ko samajhayi ye sun pranjali gusse se ek kamre me chali gayi. Sojwal bhi naraj ho gaya kyuki ye baat aaj Tak usse chhipati gayi thi. Vo is baat se shayad pranjali se jyada dukhi tha lekin apne aansu rok kar vo kuch nahi bola.
__________
"Bhaiyya ye ladki pagal hai kya? Vo aisa kaise kar sakti hai, uske sath jaana use sharm nahi aayi, yaa apna samman bech chuki hai vo" Nirmala samne baithe vishwas ki baat par boli.
"Haa, mujhe bhi bahut ajib laga, ham uske liye ladh rahe hai aur vo usi ke sath ghum rahi hai." Vishal bola.
"Aur bhabhi ko achanak kya hua, vo ye sab kyu kar rahi hai."
"Mujhe kya pata? Kya hua use kisi ki ek baat nahi suni usne, sab kuch vo apne bete ke liye kar rahi hai aisa lag raha hai."
"Bhaiyya aap bura mat manana lekin is me aapke bete ki bhi galti hai." Nirmala aas pass baithe sab ki taraf dekhte hue kaha. Sunil aur Vishal dhime se ek dusre se baate kar rahe the. Tabhi Sunil ne baat suni.
"Haa, Mama agar vo hamare parivar ka hissa naa hota to uska haal bahut bura hota. Ham itna kuch uska vo parivar hai isiliye sahte hai." Meena sochte hue Rupali ki taraf dekh rahi thi kyuki use pata tha ki vo kuch to bolne vaali hai jo ki pagalpan hoga.
"Beta, tumhari baat sahi hai. Hamne hi use jyada chhut de di, ham log use aaj tak bachate aaye hai hamari shaktiyo ki vajah se isiliye use asli duniya ka pata nahi." Vishwas sharm se sar jhukate hua bol pada.
"Chachaji mujhe lagata hai, ki Kamal aur Ashu par Amrita ne kuch jadu kiya hoga varna, Ashu is baat se dukhi kyu nahi hai, mujhe pahle se hi Amrita ki shaktiyo par sandeh tha, lekin ab lag raha hai ki shayad yahi uski shaktiyan hai." Rupali boli aur is baat Meena ke alawa, sab soch me pad gaye sunil ne is baat par apna sar bhi hilaya. Us par Vishal ne use aankh dikhayi.
"Vaise payal kyu nahi aayi?" Meena baat badlne ki koshish karte hue kaha.
"Vo Maa ke sath rahegi Aaj raat." Vishal ne kaha. Aur Rupali Meena ka achanak baat badalna samjh nahi paayi, vo Meena ki achhi dost thi vo samajh chuki thi Meena kuch chhupa rahi hai.
"Vaise Meena tumhe kya lagta hai?" Rupali ne puchha.
"Main..mujhe kya lagega?" Meena ekdam se hakla gayi jisase Rupali ka shak thoda badh gaya.
Rupali ke sath is tarah bakiyo ko bhi dekhta paakar Meena boli.
"Mujhe lagta hai, shayad Ashu aur Amrita dono Kamal se pyar karti hai."
"Aur?" Rupali ne sawal karte hue kaha.
"Dono ek dusre se ke rishte se khush hai."
"Kya? Tum pagal to nahi ho gayi ho? Aisa kon karta hai bhala." Tejaswini chachi bol padi.
"Mami main to bass, mujhe jaisa lag raha hai us hisab se kah rahi rahi hu.kyuki Amrita ke pass koi bhi Aisi vaisi shakti nahi jo Ashu aur Kamal ke vash me kar paaye iska mujhe pura yakin hai." Meena ne kaha.
Sab log Meena ke bharose par stabdh ho gaye. Vishal ko samjh nahi aa raha tha. Vo chah to raha tha ki Meena ki toke, lekin Vo kuch bol nahi paya.
Achanak kamre me Shanti thodi der chha gayi.
Tabhi nanaji bol pade.
"Meena agar aisi baat bhi hai, to bhi Kamal Do ladkiyo ke sath shadi nahi kar sakta."
"Lekin Ye Amrit lok me to chalta hoga na." Meena ki baat par nana aur nani ne use ghur kar dekha.
"Tum kahna kya chahti ho? Hamara ab Amrit lok se koi vasta nahi raha hamari sanskriti yaha prithvi ki sanskriti hai, aur vaha bhi ye adhikar sivay rajao aur Sultan ke kisike pass nahi hota. Aur vaise bhi Kamal kisi rajya ka rajya thodi hai."
Nirmala bua achanak gusse me uthate hue boli.
"Shadi vagere kya laga rakha hai, ye meri beti ki jindagi ka sawal hai, uski shadi bachpan me Kamal ke sath tay karvaake, maine galti kar di, vo ladka uske kabil kabhi bhi nahi tha."
"Nirmala." Nani ne apni Bahu par chillate hue boli.
"Nani, bua thik kah rahi hai, vo hamare parivar ke layak hai hi nahi." Vishal ne kaha jis par Shweta, Meena aur Rupali ka chhod ke sab shayad uski baat se sahamat the.
________
"Aap sab kaha jaa rahi hai." Shital ne Amrita ke Parivar vaalo ko jaate hue dekhkar kaha. uske sath Ashu abhi bhi thi.
Payal apni maa ke pichhe khadi thi.
"Vo didi, ye sab achha nahi lagta hamari vajah se aapko koi taklif ho isiliye ham sab jaa rahe hai." Sharada apne hath me purse liye boli.
"Uski koi baat nahi hai, agar aap rahti to us din jo bhi vo ham suljha sakte the... Mere bete aur aapki beti ke bich." Shital ne ye baat jhijhakte hue kahi.
"Haa, lekin hamare rahne se vo suljhegi aisa nahi lagta, usase shayad aapke parivar tut jayega, vo ham nahi chahte."
"Nahi, agar aapki beti mere bete se pyar karti hai to main aapko is ghar ke hote hue kahi bahar nahi rahne de sakti." Shital ne kaha.
Sharada ne Amrita aur Ashu dekha . Amrita ne haa me sar hilaya, jis par Ashu aur Asmita ne apne oth chabaye.
"Thik hai."
Payal kuch nahi boli. Lekin use apni maa ka bartav kuch thik nahi lag raha tha. Achanak ye sab kya. Vo kuch bolti lekin Ashu ko dekh uski himmat aur bhi kam ho gayi. Kyuki Ashu ke bartav se ye to tay tha ki use koi dukh nahi pohocha balki vo to Kamal aur Amrita ki side se hai.
______
Raat ka vakt tha, ek Sundar si Kanya, sidiya chadh rahi thi. Vo chupte hue upar pahuchi. Kamre pass aakar andar dekha.
Kamal ne Ashu ke otho ko chuma aur Asmita ki taraf dekhte hue, Amrita ka hath pakada. andhera pura kamre me chha gaya. Vo ladki kuch samjh nahi paayi aur sidhe andar chali gayi.
Vo jab bahar nikli to dekha aas pass jangal aur samandar tha, jhatse uski najar Kamal aur Amrita par gayi aur chhip gayi.
Kamal pichhe muda. Kisiko naa paakar aage Saakhoo ke pichhe chal diya.
_______
"Jaisa ki hamara gaav, navchandra ke aakar ka hai, uske do tok mudkar Shashan rajya ki taraf hai, jiske bich ka hissa us machhli ne apne kabje me kiya hua hai, isiliye Ozoro ki sena dusri taraf se hamla kar rahi hai, jo ki vakrakar hone ki vajah se hame fayada deta hai." Karan ne samne rakhe Nakshe ko dekh kar kaha. Jaha par ek faliye ke aakar jamin ka naksha tha vo jamin Ghor vaasiyo ka gaav tha. Bich me jyada muda hone ki vajah se do tok Bade se rajya ki taraf kiye hue the. Aur baakika bhag mud kar afat samandar ki taraf tha jaha se rajya behad dur the.
"Lekin do toko ki raksha karna ozoro ke saamne aasan hoga, kyuki unhe jamin par fayada milega, aur vaha se unke hath kam hi jamin lagegi." Sabhay ne kaha.
" Baat to sahi hai, lekin hamare pass koi upay nahi hai, kharad ne sena us taraf se bheji hai jaha se hame unhe jamin par ghusne se rokna hoga, kyuki vo jamin par aa gaye to vo aag se aur shaktishali ho jayenge." Karan ne kaha.
Jamal vaha khada ye sab dekh raha tha.
"Kyu naa Sukant ka tarika apnaya jaaye." Jamal ne kaha. Sabhay ne use aankh dikhayi.
"Tum pagal ho gaye ho." Sanjay bola.
"Nahi, par hame agar Ghor vaasiyo ki raksha karni hai to hame kisi bhi taraf se us machhli ko samundar ke us taraf laana Hoga jaise Sukant karta tha." Jamal ki baat par karan sochne laga.
"Kyuki vo Sukant the, vo us machhli ko moh dekar usase har baar Bach jaata the. Unki barabari ham nahi kar sakte." Sabhay ne kaha.
"Nahi Jamal thik kah raha hai." Karan ne kaha.
"Karan, tum Jamal ki baat mat suno." Sabhay bola.
"Sabhay, hamare pass aur koi rasta nahi hai. Ham unhe jyada der tak rok nahi payenge agar jitna hai to ye karna hi padega." Karan bol hi raha tha ki tabhi use Saakhoo ke aane ki aahat hui aur sath hi main Kamal aur Amrita bhi uske sath thi.
Story pasand aa rahi ho to like kar dena aur apne suggestions jarur batana aur agli update agli hafte aayegi jyada se jyada 8 din ka gap hoga. Maine exam ke bich me kuch nahi likha story ka isiliye itna vakt laga. And thank you for your support. Agla part wild hoga so ready rahna.