Naughtyrishabh
Well-Known Member
- 9,684
- 29,052
- 218
Behad hi shandar or jabardast update bhai.UPDATE 9Thoda time aram karne ke baad un dono ne naha liya tha aur aram se bed par lete huye the. Aditi ne Rahul ke kandhe ke uper apna sir rakha huya tha. Rahul aram se leta huya chhat ki taraf dekhe ja raha tha. Yeh sab hone ke baad uska dimag shant huya toh use bank ke loan ki baat yaad ayi. Wo usi ke bare mein soche ja raha tha.
“Rahul…” Aditi ne Rahul ko aise shant dekha toh usne use bulane ki kosish ki.
Rahul(vaise hi lete huye): hmm.
Aditi: kya huya. Koi tension hai kya?
Rahul(Aditi ki taraf dekh kar): nahi bas aise hi.
Aditi: plz batao na kya baat hai. Shayad main tumhari koi help hi kar sakun.
Rahul: nahi yaar. Tum usmein kya help kar sakti ho.
Aditi: toh tumhara batane mein jata kya hai. Ek baar bata doge toh kuchh farak thodi na pad jayega.
Rahul Aditi ki baat sunkar halka sa muskura diya aur fir use puri baat bata di. Rahul ki baat sunkar Aditi v soch mein pad gayi.
Aditi: kabhi socha nahi tha k tum jaise ameer khandan ke varis ko v loan lena padega. Khair ismein main toh tumhari help chah kar v nahi kar sakti kionk down payment ke liye itne paise mere paas hain hi nahi. Par tum koi job kion nahi kar lete.
Rahul: maine v yahi socha tha but Agar kisi badi company mein job ke liye jaunga toh wo mujhe mere papa ke karan kaam pe rakhenge nahi aur chhoti moti company mein itne paise jutane ke liye salon lag jayenge. Kuchh samajh mein nahi a raha k kya karun.
Aditi: han yaar baat toh tension wali hi hai. Vaise tumhare paas koi aisi cheej nahi hai jise tum girvi rakhke yah bech kar paise juta sako.
Rahul: nahi yaar meri toh bike v mere naam par nahi hai. Mere baap se puchhe bina use v nahi bech sakta. Kuchh aur hi jugad karna padega. Soch raha hun k kisi se vyaj par lelun.
Aditi: nahi yaar aisa karne ke bare mein sochna v mat. Kionk agar tu unke paise nahi lauta paya toh wo log tera jeena haraam kar denge. Isse achha toh kisi jaan pehchan wale se udhar lele.
Rahul: han par itne paise kisse mangun.
Aditi: kya pata yaar meri toh jaan pehchan wala v koi nahi hai. Khair baki tujhe kisi v cheej ki jarurat huyi toh main hamesha tumhare sath hun.
Rahul (hanste huye): baki aur kya degi.
Aditi (Rahul ke uper chadh kar): dene ko toh bahut kuchh hai… par abhi mujhe ghar jana hai bahut let ho raha hai. Kisi tarah se nikalo yahan se.
Yeh bol kar Rahul ke uper se uth kar khadi ho gayi aur apne kapde set kar liye. Rahul ne v ab ek normal sa t-shirt aur lower pehan liya tha. Wo v uth kar khada ho gaya aur Aditi ko wahin rukne ka bol kar khud bahar chala gaya. Usne bahar nikal kar dekha toh sare log baari baari se ja rahe the. Usne ishara karke Aditi ko door ke paas bulaya aur bola “dekh tu aram se niche ja aur baki logon ke sath nikal ja kisi ka dhyan nahi jayega teri taraf.”
Aditi(sad si shakal bana kar): tum nahi jaoge mujhe chhodne.
Rahul: abhi mera mood nahi hai niche jane ka. Aur vaise v dono sath mein jayenge toh shak hoga. Tu ja baad mein baat karenge.
Aditi(Rahul ke halka sa kareeb akar): pakka karoge na baad mein baat.
Rahul: yaar tu abhi jyada senti mat ho maine pehle hi kaha tha k mujhe yeh pyar ke chutiyape mein nahi padna.
Aditi(gussa hote huye): toh main konsa tujhe shadi karne ko bol rahi hun. Ek dost ke nate baat toh kar hi sakte ho na. K main tumhari dost banne ke layak v nahi hun.
Yeh bol kar Aditi wahan se gusse mein jane lagi Rahul ko achha nahi laga k jiski wajah se uski raat itni achhi gujari use wo nirash kare toh usne use awaj di aur ishare se bola k wo use phone karega. Yeh dekh kar Aditi ki muskan wapis a gayi aur wo laut kar ayi aur Rahul ke honthon par ek kiss karke khusi khusi wahan se nikal gayi. Rahul use seedion se jate dekhta raha aur fir wapis apne room mein ghus gaya.
Aditi jaise hi party mein wapis pahunchi toh uski dost jiske sath wo party mein ayi thi use wahan mil gayi.
“yaar kahan thi tu pichhle dedh ghante se. Mujhe toh laga k tu ghar chali gayi hogi. Tu phone v nahi utha rahi thi.” Usne Aditi par ate hi swalaon ke teer dagna shuru kar diya. Aditi v thoda sakpaka sa gayi k use kya jawab de. Par usne khud ko sambhala aur dimag mein koi story pakane lagi.
“Yaar kuchh nahi wo toh koi purani friend mil gayi usi ke sath batein karte karte uper terrace par nikal gaye. Time ka pata hi nahi chala aur phone v shayad silent hoga. I am sorry yaar meri wajah se tujhe tension huyi.” Aditi ne itne confidence ke sath juth bola k uski friend ko yakeen karna hi pada. Wo log thodi der wahan ruke aur fir wahan se nikal gaye. Aditi jate huye v baar baar Rahul ke room ki taraf dekh rahi thi k shayad use wo dikh jaye par wo toh Aram se bed par leta apni hi socho mein duba huya tha.
Tabhi use khyal aya k usne apna phone toh dekha hi nahi. Usne apna phone dhundha toh use apni utari huyi pant mein se mila. Jiska use dar tha wahi huya. Uske phone par Sonu ki koi 30 misscalls ayi huyi thi aur kuchh pyar bhare message v jinmein usne bhar bhar kar galian peli thi. Rahul ne socha k abhi isse baat karne ko rehne hi dega aur subah seedha iske garage jakar hi mil lega. Par kehte hain na k bakre ki maa kab tak khair manayegi, ek na ek din toh kasayi ke hath chadh hi jayega. Khair Rahul ke phone par kasayi matlab Sonu ki fir se call ane lagi aur uska ek aur call ignore karna Rahul ke liye khatarnak ho sakta tha. Rahul ne himmat dikhate huye phone utha hi liya, par agle hi pal jo jo galian use sunne ko mili maa kasam Sonu ne kaan se khoon nikal diya.
“Abe bhai bas kar ab kya bache ki jaan lega. Kab se bole hi ja raha hai mujhe v toh kuchh bolne ka mauka de.” Rahul ne Sonu ko shant karwane ki kosish ki par Sonu us par kuchh jyada hi gussa tha.
Sonu: abe sale tujhe kitni baar call kiya kitni jagah dhundha aur tu sale aram se apne kamre mein chodampati macha raha tha.
Rahul(hairan hote huye): bhenchod tujhe yeh sab kaise pata.
Sonu: main gaya tha tere kamre tak tujhe dhundhne par tabhi mujhe ander se halki si awaj ayi toh thoda shak huya par jab maine kaam laga kar dhyan se suna toh koi mohtrama tera naam lelekar chilla rahi thi aur bol rahi thi aur jor se kar. Bhai sach bataun toh man toh kiya tha k abhi darwaja todkar tujhe range hath pakad kar teri nangi gaand pe kode barshaun but fir socha k chal chhod hai toh mera dost hi na.
Rahul: han bhai yaar sorry. Wo sab itni jaldi mein ho gaya k tere ko milna bhul hi gaya. Tu abhi kahan hai?
Sonu: sale abhi konsa main kothe pe jaunga. Apne ghar par hi hun. Aur sale tune toh bola tha k aj mere liye koi bandi dhundhega par tu toh apna hi intezam karne mein busy tha.
Rahul: sale maine bola tha k shayad tujhe koi mil jaye. Ab main koi dalaal thodi na hun jo tujhe bandi dhundh ke dun. Par chhod na abhi aur bata party mein maja aya?
Sonu: han maja toh boht aya. Wahan par maal hi itna jabardast tha k mera toh man hi khus ho gaya dekh kar. Sale tu toh bata k tu kiske sath mauj uda raha tha.
Rahul: kuchh ni yaar wo meri ex thi na Riya, uski friend hai Aditi naam ki.
Sonu: oh ho, kya baat hai. Bhai ne raato raat ex saali pata li aur thok v daali.
Rahul: nahi bhai aisi baat nahi hai main usse kuchh din pehle mila tha toh wo thoda interest dikha rahi thi mujh mein. Aj jab use party mein dekha toh maine v mauke par chauka maar diya bas.
Sonu: chal achha hai. Kuchh serious toh nahi chal raha na tera uske sath?
Rahul: nahi yaar abhi mera is chutiya pyar vyar se yakeen hi uth gaya hai. Bas apne jaisi koi dhundho maje karo aur life mein age badho. Na kisi ka dil todne ki tension na apna chutiya katne ka dar.
Sonu: han baat toh teri v sahi hai.
Rahul: chal abhi main kya bolta hun k so jate hain. Kal ko tere ko milta hun garage par fir aram se batein karenge. Abhi bahut thak gaya hun.
Sonu(chhedte huye): han thak toh gaya hi hoga. Itni mehnat jo ki hai. Chal soja good night.
Fir Rahul ne v good night bol kar phone kaat diya aur aram se bed par let kar apne sapno ki duniya mein kho gaya.
Bahut khoob superb.