Juggernaut
Active Member
- 1,300
- 1,049
- 158
Thanks bhai. And bhai apki baat par gaur karunga. Keep supporting bro.Awesome update bro
But thodi si slow type lag rahi h aaj ke update se kyoki aapke update ka size to yahi rahega To esliye sex limited hai very good.
Please es par dhyan dena:-
dushmani aur pyar with every each moment Ko bhi add karke chaliye 4 chand lag jayenge kahani me.
lekin dost ye mera personal review hai Aap smajhdar hai jaise apko sahi lage.
Love you
Waiting for the next update.
Shandar update...bhai..
Bole to ekdum dhaansu update h aur is update ke liye thankyou....
Bohot sahi bhai keep it up
What a dashing update! Just outstanding!
vah!vah! bahut bahut lovely aur lazzatdar update!
Absolutely wonderful update!
Behad hi shandar or jabardast update bhai.UPDATE 22
Idhar Rahul aram se apni balkani mein khada tha toh udher Rajiv kab se apne office mein bechain sa idhar udhar ghum raha tha.
Rajiv(ghadi ki taraf dekhte huye): yeh Riya akhir kahan reh gayi. Abhi tak toh use a jana chahiye tha. Aur uper se uska phone v nahi lag raha.
Tabhi Rajiv ke office ke door par knock huyi.
Rajiv: han a jao ander.
Riya ko ate dekh mano Rajiv ki saans mein saans ayi.
Rajiv: akhir kahan reh gayi thi tum. Kab se tumhara intezar kar raha hun aur tumhara phone kion nahi lag raha.
Riya: I am sorry sir wo actually mera phone low battery ki wajah se band ho gaya aur maine dhyan hi nahi diya.
Rajiv: achha wo sab chhodo aur batao k Sharma ne kya kaha?
Riya(khus hokar): sir lagta hai kaam ho jayega.
Rajiv(halke gusse se): kya matlab kaam ho jayega. Kya tum yeh kehna chah rahi ho k abhi tak Sharma ne hamare offer ko han nahi kaha.
Riya(Rajiv ke ekdum najdeek jakar): sir apko mujh par trust nahi hai kya. Bhale hi usne han nahi boli but mujhe pura yakeen hai k wo maan jayega.
Rajiv ne ek baar Darwaje ki taraf dekha toh wo band tha. Riya ek dum uske najdeek khadi thi aur Rajiv ka imaan v ab dagmaga raha tha.
Rajiv(khud ki bhawnao par kabu rakhte huye): Riya plz dhang se raho agar kisi ne humein dekh liya toh meri izzat mitti mein mil jayegi.
Riya(Rajiv ke sath puri tarah se chipak kar): ap hamesha aise hi karte hain. Apko kisi se darne ki kya jarurat hai bhala. Ap jo chahe wo kar sakte hain.
Rajiv(Riya ko apne se dur jhatak kar): Riya plz ab bahut huya. Maine ek baar bola na tumhe k apni hadd mein raho.
Rajiv ne almost chilate huye Riya se apni baat kahi toh wo v thoda bura maan gayi aur Rajiv se naraz hokar wahan se bahar chal padi. Ab mard chahe kitna v bada tees maar khan kion na ho par agar kisi aurat ke hath uska patta lag jaye toh use kutta bana kar hi chhodti hai toh Rajiv v shayad unhi kutton mein se ek hai.
Rajiv(man mar kar): achha theek hai. Office ke baad Farmhouse chalte hain fir tumhara jo man aye karna.
Rajiv ki baat sunkar Riya ke hothon par ek vijayi muskaan tair gayi. Use is waqt apne ap par bada garv ho raha tha k sehar ka sabse ameer insaan uske age kaise puchh hila raha hai. Par uska man itne se kahan bharne wala tha.
Riya(drama karte huye): rehne dijiye sir apki izzat kharab ho jayegi. Vaise v main toh apki rakhail hi hun na.
Rajiv(Riya ke paas jakar): Riya ab tum aisi bachon jaisi batein mat karo. Maine kya tumhe kabhi kisi cheej ko mana kiya hai. Wo toh bas thoda dhyan rakhna padta hai kahin koi dekh na le faltu mein hungama ho jayega.
Riya: theek hai toh ap rahiye conscious. Main aj ke baad kabhi apko apni shakal nahi dikhaungi.
Rajiv(Riya ki dono arms pakad kar): ok abhi tumhara jo man kare wo karo. Jo hota hai hone do. Mujhe kisi ki koi parwah nahi hai.
Riya(Rajiv ki ankhon mein dekh kar): sach.
Rajiv: koi shak.
Riya ne Rajiv ko apni bahon mein jakad liya aur uske chehre ki smile sab bata rahi thi k Rajiv ki majburi uski jeet ki nishani thi. Udhar Rajiv ka pura dhyan darwaje par laga huya tha k koi ander na a jaye aur jitni der Riya uske gale lagi rahi tab tak uski gotiyan uske halak mein thi. Akhirkar Riya usse alag huyi aur Rajiv ko chain ki saans ayi.
Rajiv(jhuthi si smile ke sath): ab khus?
Riya: hmm. Aj ap pakka mere sath puri raat bitayenge na?
Rajiv: kion tumhe mujh par yakeen nahi hai kya?
Riya: aisi baat nahi hai but ap apni biwi ko kya kahenge?
Rajiv: wahi jo har baar kehta hun k important kaam hai. Aur vaise v mujhe usse kuchh khas fark padta nahi hai.
Riya(khus hokar): oh sir, I love you so much.
Riya ne age badh kar Rajiv ke hothon par apne honth chipka diye aur is baar Rajiv ne v apne hath uski gaand par rakh kar use apni taraf kheench liya. Dono ek dusre se puri tarah se lipte huye the. Tabhi door par knock hone ki awaj huyi aur wo dono ekdum se alag ho gaye.
Rajiv(kapde theek karte huye): come in.
Fir Darwaja khula aur Mr. Kapoor ka beta Gaurav ander aya.
Rajiv: are Gaurav beta tum. Ao baitho. Riya kya tum thodi der ke liye bahar jaogi plz.
Rajiv ki baat sunkar Riya chup chap office se bahar chali gayi aur Gaurav chair par baith gaya. Riya ne darwaje par pahunch kar ek baar Rajiv ki taraf dekh kar apne honthon ko kata aur use Ankh marte huye bahar chali gayi aur darwaja band kardiya. Rajiv Riya ki is harkat se sakapaka sa gaya k kahin Gaurav ne use aisa karte huye na dekh liya ho. Khair usne khud ko sambhala aur wapis akar apni chair par baith gaya.
Gaurav: I am sorry uncle main wo bina bataye hi a gaya.
Rajiv: are kaisi baat kar rahe ho beta, yeh v toh tumhara hi office hai.
Gaurav: thanks uncle, uncle actually main yahan par dubai wali party ke silsile mein aya tha.
Rajiv: kion kya huya dubai wali party ko.
Gaurav: Actually wo log bol rahe hain k wo maal ki delivery nahi lenge.
Rajiv: lekin kion. Humne itni mehnat se unka yeh order pura kiya uper se shipment ke liye itni jhanjhat mol li aur ab yeh log mana kar rahe hain.
Gaurav: ji uncle, bol rahe hain k koi clearance ka issue hai.
Rajiv: sala inka har baar ka ho gaya hai ab. Jab dekho apne hi rone lekar baith jate hain. Khair tum fikar mat karo main achhe se janta hun k aise logon ko handle kaise karna hai. Tum aur batao k kya peeoge.
Gaurav: kuchh nahi uncle. Abhi main chalta hun.
Rajiv(clock ki taraf dekh kar): han vaise mujhe v ek jaruri kaam se niklna hai. Chalo koi baat nahi fir kabhi sahi.
Gaurav: ji uncle. And main papa ko bol dunga k ap wo issue dekh lenge.
Rajiv: han tum fikar mat karo main sab sambhal lunga tum aram se jao.
Fir Gaurav wahan se chala gaya aur uske jate hi Rajiv ne apna phone nikala aur ek number dial kiya.
Rajiv: hlo.
Udher Sinha mansion mein sab log Dinning table par dinner kar rahe the. Par Rahul kuchh jyada kha nahi raha tha.
Divya: bhaiya kya huya ap kiske vicharon mein gum hain jo khana v nahi kha rahe?
Rahul: oye chhipkali tu apna kaam kar. Aur mujhe bhukh nahi hai isliye nahi kha raha.
Divya: oh ho, abhi toh bhukh v nahi lag rahi. Lagta hai kisi ke pyar ka asar hai.
Kiran: Divya kion use pareshan kar rahi ho. Usne aj sham ko der se khana kha liya tha isiliye wo nahi kha raha.
Rahul: chhodiye na mom. Ise toh bas mujhe pareshan karne ka ek bahana chahiye.
Divya: main koi free nahi baithi apko pareshan karne ke liye mujhe toh apki fikar ho rahi thi isliye bola.
Rahul: oh ho meri fikar ho rahi thi tumhe. Jara mujhe v toh batao k meri fikar kion ho rahi thi.
Divya: kionk ap thehre bhole laal. Aur mujhe dar hai k kahin aj kal ki chalak ladkian apko apni unglion par na nachayein.
Kiran: han tu hi hai is ghar mein sabse chatur chalak bakion ka dimag toh ghaas charne gaya hai.
Divya: han wo toh main hun hi.
Rahul: theek hai tu fir mere sath hi raha kar aur mujhe batati raha kar k konsi ladki mere liye theek hai aur konsi nahi.
Divya: theek hai main apka achhe se khyal rakhungi. Bhondu bhaiya.
Kiran: abhi agar tum dono ka ho gaya ho toh hum dinner khatam karein. Aur Rahul tum jaldi jakar so jao fir Sharma ke yahan v jana hai tumhe subah.
Divya: han bhaiya mujhe v bataya mom ne. All the best for your restaurant. Ab bas ap jaldi se kaam shuru kar dijiye. I am so excited to see our restaurant.
Rahul: han wo toh theek hai but mujhse free khane ki koi umeed mat rakhna.
Divya: koi baat nahi main jabardasti kha lungi.
Kiran: hey bhagwan inka munh band kion nahi ho raha. Ab bas v karo tum dono. Abhi koi kuchh nahi bolega aur chup chap khana kha kar apne apne kamre mein jao.
Fir wo dono Chup chap khana khane lage par Divya beech beech mein Rahul ko tarah tarah ke munh banakar pareshan kiye hi ja rahi thi.
Behad hi shandar or jabardast update bhai.
Bahut khoob superb.
good one