• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Kahani

How is the story going

  • Good

    Votes: 28 41.2%
  • Best

    Votes: 49 72.1%

  • Total voters
    68
1,266
4,607
144
Updated continue

Woh apni charon taraf dekhta hai Aur har taraf use andhera hi nazar ata hai use apne haath pair bhi nahi dikh rahe the use toh ye bhi nahi pata tha ko wo leta baitha zinda hai ya mar gya wo ajeeb tarah ki isthi me tha tabhi uske samne ek raushani dikhai deti wo raushni charon tarah paste hue andhere ko to nahi mita pati lekin use uski isthiti se awagat zaroor karwa deti hai wo is khada tha kis par ye use nahi pata uske haath bhi salamat the aur shayad wo zinda bhi tha ye koi aur nahi bakli shiva tha shiva ek nazar apne charon taraf dekhta hai tabhi wo raushni bol padti hai.

Raushani – kya dekh rahe.

Shiva – dekh nahi raha bas samjhne ki koshish kar raha hun ki mai kaha hun.

Shiva ne kuch achmanjas bhare shabdon me kaha

Raushni – tum kaha ho ye janne se pahle tumhe ye janana hoga ki tum kaun ho.

Shiva – mai janta hun ki mai kaun hun mai shiva hun aur ek pracheen shaitan ka ansh bhi.

Shiva ne jhunjhulate hue jawab diya

Raushani – maine pahle bhi kaha tha ki shaitan ya devta hona humare haath me hai khair ye sab chhodo maine tumhe yaha tumahri hi madad karne ke liye bulaya hai.

Shiva – kaisi madad

Is bar shiva ki awaz me hairani thi

Raushni – tum jis duvidha me ho usse bahar nikalne ke liye hi tumhe yahan bulaya hai

Shiva – waise hum hai kahan aur kis duvidha ki baat kar rahe hain aap.

Shiva ne sawal karte hue apne charon taraf dekha

Raushani – hum tumhare achaitanya chit me hain rahi baat duvidha ki toh ye wahi duvidha hai jisne tumhe pareshan kar rakha hai.

Shiva – toh batai kya hal hai iska

Shiva ne seedha point par aate hue kaha

Raushani – hal toh tumhe hi talash karna hai mai toh sirf rasta bata sakta hun .

Shiva – toh rasta bataiye

Shiva ne jhunjhulate hue jawab diya

Raushani – jo dikhta hai wo hota nahi jo hota hai wo dikhta nahi koi bharose ke kabil nahi sab dhoka hai .

Idhar commissioner Krishnamurti ke office me sabhi log baithe hue the ke tabhi deva ka phone bajta hai.

Deva – hello han bolo hmm kab theek aage ki information dete rahna

Deva ne phone receive karte hue kaha uske chahre par pareshani ke badal the

Commissioner Krishnamurti – kya baat hai deva

Commissioner Krishnamurti deva ko pareshan dekhte hue sawal kiya

Deva – consignment aa raha hai kal raat me

Deva ne gehri sans lete hue kaha

Vikram thappar – hmm toh rahaman ne is mauke ka fayda uthane ki soch li hai

Vikran thappar ne kuch sochte kaha

Veenu – no I don’t think so

Veenu ne table par rakhe hue glob ko ungli se ghumate hue kaha

Arohi – what do you mean

ne chaunk kar sawal kiya

Veenu – I mean to say ki shiva yahan nahi hai theek hai magar shiva ki team toh hai rahman ye baat acche janta hai ki hum log use rokne ki koshish jarur karenge aur sabse zarori baat jis par aap me se kisi ne Gaur nahi kiya wo ye ki consignment ki khabar hamesha 2 3 ya 8 ghante pahle hi aati thi jab wo humare shahar ki territory me enter karta tha magar aaj khabar 1 din pahle aai hai iska saaf matlab ye hai ki ye khabar hum tak pahuchai gai hai.

Veenu ne apni poori baat atmavishvas ke sath kahi aur wahan maujood sabhi log hairani se been ko dekh rahe the kyuki veenu ki baat me dam tha

Commissioner Krishnamurti – toh ab hume kya karna chahiye.

Commissioner Krishnamurti ne been par ek gehri nigah dalte hue kaha

Veenu – nothing we don’t need to do anything.

Veenu ne sahajta se kaha

Charu – toh kya hum haath par haath rakhe baithe rahen aur logon ko marta dekhen

Charu kuch kathorata se kaha

Veenu – maine aisa kab kaha

Veenu ne phir usi tarah jawab diya

Aslam – veenu meri kuch samjh me nahi aa raha tum kahna kya chahti ho

Aslam ne apna sar khujate hue kaha

Surya – tumhari kya hum mese kisi ke kuch bhi samjh nahi aa raha

Surya ne bhi aslam se sur se sur milaya

Veenu – hum consignment nahi rokenge balki hum wo jagah hi tabah kar denge jahan se ye consignment distribute hoga aur kaam hume jald se jald karna hoga.

Veenu ke is tark se ek baar phir sab chaunk gaye kyuki is tarah ki baat shiva ke alawa aur koi nahi soch sakta tha.

Vikram thappar – to hume un jagahon ke bare me pata karna hai jahan se consignment jayega.

Deva – ye mai kar sakta magar thoda waqt chahiye

Veenu – kitna

Deva – kam se kam 2 ghante

Veenu – 30 min se jayada nahi

Veenu nirnayak dhang se kaha aur bahar chali gai.

Wahi dosri taraf oaassis kabeele me sabhi log ki talash kar rahe the lakh khojne par bhi shiva kahi nahi mil raha mahagauri bahut jyada pareshan the kyuki shiva ek ummed bhi tha aur zimmedari bhi agar wo is tarah se kahi gayab hogya aur nahi mila toh wo apne dost aur shiva ki team ko kya jawab denge unhe pareshan dekh bhadra bolta hai

Bhadra – aap pareshan mat ho mahaguru wo bhag gya hi dar ke

Bhadra ki baat sun kar mahaguru use ghoor kar dekhte hai aur kahte.

Mahaguru – bhadra tum abhi tak shiva ko theek se nahi jan paye tabhi ye baat bol rahe ho shiva un logon me nahi jo nadi ka udan dekh kar kinare par baith jate hai balki wo un logo me se jo toofani samundar ka seena cheer kar apna rasta banate hai shiva kabhi bhag nahi sakta

Tabhi waha shir mach jata kuch shiva ko behosh halat me le kar aa rahe hote hai kaha guru unki taraf tezi se chalte hue jate hai aur kahte

Mahaguru – kya hua shiva ko ye theek to hai na

Mahaguru shiva ki nabz dekhte hai jo bilkul dheemi chal rahi tabhi us bheed me ek admi bolta hai

Admi – mahaguru shiva hume jungle ke beech o beech behosh isi halat me mila kisi ko nahi pata ki ise kya hua hai.

Mahaguru – ise fauran aushadhiyalay le kar chalo

Wahi shiva apne achaitanya chit me us raushani se baate kar raha tha ya uski baten samjhne ki koshish kar raha tha.

Shiva - jo dikhta hai wo hota nahi jo hota hai wo dikhta nahi koi bharose ke kabil nahi sab dhoka hai mai kuch samjha nahi aap kahna kya chahte hai.

Raushni – jis din tum apni band ankhon se dekhna shuru kar do us din tujhe meri baat samjh me aa jayegi har yoddha yuddh ke liye nahi hota kuch sirf vinash ke liye hi hote hai jeet har kuch mayne nahi rakhti unke liye bas mayne rakhta hai to sirf aur sirf vinash.

Kah kar wo raushani gayab hone lagti hai aur jaise hi wo poori tarah gayab hoti hai shiva apni ankhen khol deta hai.

Update continue
Awesome update VEENU to completely change ho gyii hai aisa lag raha hai ke SHIVA ki kami poori kr rahi ho.
Waiting for the next update.
 
Mast fakir

Member
364
640
108
Bro update kab aayega?
 
  • Like
Reactions: LionHeart007

Shivay chauhan

Active Member
521
1,802
139
Update continue

Shiva ke kano me abhi bhiwo lafz goonj rahe Jo dikhta hai wo hota nahi koi bharose ke kabil nahi shiva is waqt ek pahadi par akela khada tha sham ka waqt tha pedo gir rahi bhoop ko kirne unhe sunhara rang de rahi thi thandi thandi hawa shiva ke kano me chupke se kuch rahi thi shiva khamosh khada cigarette peeta hua is manzil ka lutf le raha tha magar uska dimaag shant nahi tha wo abhi bhi us baat ka matlb niklne ki koshish kar raha tha jo us raushni ne usse kahi thi magar koi matlab nahi nikal raha tha use kuch samjh me nahi aa raha tha ke ye baat ka matlb akhir hai kya hai shiva ko jab se hosh aya tha tab se wo yahi khada tha usne kisi se koi baat nahi ki thi. Shiva man hi man me sochta hai

Shiva – wah kya madad ki hai dimag kharab kar ke rakh diya.

Shiva jhunjhulata hai aur wahi zameen par baith kar wo naksha jo use us admi se mila tha us nakshe ko gaur se dekhne lagta hai achanak uski nazar ek cheez par padti hai aur uske dimag ki batti jal jati hai wo fauran uth kar qabeele ki taraf jane lgta hai .

Wahi dusri taraf commissioner krishnamoorti save house me baithe hue the vikram thappar aur deva un sari jagahon ka naksha nikal kar laye the aur usi ke basis pe discussion ho raha tha ki humla kab kaha karna jaha deva thappar aur commissioner discuss kar rahe the wahi charu nisha se baten kar rahi surya aur aziz nahar gye hue the aur veenu khidki pe right side tek leke khadi hui thi aaj use shiva ki bahut yaad aa rahi thi uska jee kar raha tha ki ud ke shiva ke paas pahuch jaye magar kaise veenu ko yun gumsum dekh charu uske paas aati hai aur uske kandhe par hath rakh kat kahti

Charu – kya hua veenu itni udas kyu ho kya baat hai.

Veenu jab charu ki taraf dekhti hai toh uski ankhen nam hoti hai.

Charu veenu ki ankhon me nami dekh kar kahti hai

Charu – are kya hua humari sherni ki ankhon me ansu kya baat hai.

Veenu – aaj shiva ki bahut yaad aa rahi hai.

Charu – kyu aaj aisa kya ho gya

Veenu – pata nahi mujhe aisa kyu lag raha hai ki wo kisi museebat me hai

Charu – are tu bekar pareshan ho rahi hai wo shiva koi bhi aisi museebat nahi jo uska baal banka kar sake.

Idhar shiva tezi se chalta hua apne kamre ki taraf jata hai use itni tezi se jata hua dekh bhadra aur uske sathi bhi uske peeche peeche chal dete hai jata hai jahan uska saman rakha hua tha shiva table pe rakhi hii lamp jala deta hai aur us naqshe ko lamp ke sheeshe ke kinare se chipka ke rakh deta hai aur phir lamp ko ghuma ke dekhne lagta hai use aisa karte dekh amba bolti hai

Amba – shiva ye kya kar rahe ho

Shiva uski baat ka koi jawab nahi to bhadra uske qareeb aake dekhta aur jo bhadra dekhta hai wo dekh kar uski ankhen phati ki phati rah jati hai

Idhar commissioner Krishnamurti sabhi ko ikattha karte hai aur kahte

commissioner Krishnamurti – ye un teen jagahon ka naksha hai jahan rahman ka consignment pahuchega aur yahi se wo consignment shahar ke alag alag hisson me bheja jayega

Unhone nakshe me bishan lagi hui teeno jagahon ki taraf ishara karte hue kaha

Aslam – hmm toh plan kya hai

Koi kuch bol pata usse pahle veenu bol padti hai

Veenu – teeno jagahon par ek saath humla

Veenu ki baat sunke sabhi log uski taraf dekhte hai

Idhar rahman ka boss apne cabin me baitha shatranj khel raha tha akele tabhi rahman uske cabin me aata hai

Rahman – sir consignment aaj raat tak shahar ke border par pahuch jayega

Boss – hmm gud commissioner Krishnamurti aur uski team ki koi khabar

Rahman – nahi abhi tak nahi

Boss – hmm no problem par ek baat ka dhyan rahe is bar koi ghalti nahi honi chahiye

Rahman – ji bilkul

Boss – tum ja sakte ho

Wahin dusri taraf lab me Micheal kisi machine pe kuch kar raha tha uska assistant usse poochta

Assissistant – sir kya apko lagta hai shiva us code ko crack kar payega

Micheal – mai shiva ko kai salon se janta hun maine uske saath kaam bhi kiya wo jitna hi taqatwar hai utna hi chalak bhi wo har wo dekhne ki koshish karta jo dikhai nahi deti aur usme kamyab bhi hota ye jo machine tum dekh rahe ho ye maine aur usne saath milkar hi banai thi uska manna tha ki is machine ke zariye hum insaniyat ki madad kar payenge bewakoof wo ye machine government ko dena wala use toh ye iski asli taqat ka andaza bhi nahi tha lekin main janta d ki doctor frankistaine ki theory jo kalpanik jati hai bilkul sach hai us is machine ke zariye murdon ko zinda kiya ja sakta jab maine aisa karna chaha toh usne mujhe rokne ki koshish jisme machine bhi tabah ho gai sur mera carrier bhi magar luckily mai bach gya aur shiva ke notes bhi bach gye jo usne banaye the is machine ko lekar 5 saal poore 5 saal lage mujhe ye machine dubara banane me aur ab mai shiva se uska sabkuch chheen lunga.

Bolte bolte uski awaz ki sakhti badh gai wo wakai me shiva se bahut nafart karta tha magar kyu iski asli wajah kuch aur hi thi.

Idhar shiva wo naqsha amba ko deta hai aur kahta

Shiva – us jagah ka pata chal gya hum jaldi hi mission par nikalenge tum log taiyar ho jao.

Wahi dusri duniya ki sabse andheri gufa koi so raha tha ya yun kahen ki kuch so raha tha achanak uske shareer me kuch hulchul hui aur uski sari ankhen khul gai.

Idhar dusri taraf archan kisi se baat kar rahe the unke chahre par pareshani ke bhaw the kuch der baat karne ke baad wo phone rakh dete hai aur apne kamre se bahar chale jate hai.

Update continue
 
The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158

Nice update bhai waiting for next update
 
  • Like
Reactions: LionHeart007

Shivay chauhan

Active Member
521
1,802
139
Update continue

Dusri duniya ki sabse andheri gufa me koi so raha tha ya yun kahe ko kuch so raha tha achank uski ankhen khul jati hai uski 2 nahi balki 6 kahne hoti hai wo uth kar gufa se bahar ata hai uske pairon ki chak ki dhamak se poori gufa hilne lagti hai jab wo gufa ke darwaze par ata hai toh uski poori akriti samne aati hai ye teen muh wala ek vishal dragon jaisa jeev tha wo gufa ke darwaze par ata jo dusri duniya ke sabse piche pahad par tha wo bahar nikalta hai aur zor se dahad marta hai uski dahad ki gonj se sara alam dahal jata hai.

Charon taraf hari hari ghas thi samne bahti hui safed pani ki nadi jaise aise shanti se bah rahi thi jaise koi ma apne bacche ko sula rahi ho akash me udte azad panchi jaise kah rahe ho ki aur bediyan nahi. Aur is manzar me char chand laga rahe the do premi jo jheel 5 feet duri par bani hui ek ladki bench par baithe hue the ladki ne us ladkebke baye kandhe par apna sar rakkha Hua tha aur uske baye hath ko zor se pakda hua tha use is waqt itna sukoon mil raha tha jaise mano wo is duniya me hi na ho balki asman ke us jahan me ho jahan sare faisle kiye jate hai wo ladka ek tak us ladki ko dekh raha aur soch raha tha ki zindagi kitni khoobsurat hai agar wo us ladki se na mila hota to shayad use pata bhi nahi hota ki jeena kise kahte hai. Wo unhi use dekhta rahta hai wo ladki sar utha ke us ladke ki ankhon me dekhti hai uski ankhon me apne liye bepanah pyar dekh kar us ladki ki ankhen nam ho jati hai aur hothon pe muskan aa jati hai aur wo kahti hai.

Ladki – kise pata tha ki zindgi itni haseen hogi lucky.

Lucky – mujhe pata tha veenu lekin hamesha se nahi balki us din se jab se maine tumhe dekha tha warna jeena kise kahte hai ye mujhe pata hi nahi tha.

Lucky ne veenu ki lat jo uske galon ko chumne ki gustakhi kar rahi thi use apni ungli se uske kan ke peeche karte hue kaha.

Veenu uski is harkat par muskura padi

Dono ek dusre ki ankhon me aise dekh rahe jaise ankhon ke raste se dil ka likha safar aaj hi tay karna hai lucky apna chahra veenu ke kareeb lata hai veenu samjh jati hai ki age kya hone wala hai aur us ehsas se uski ankhe band ho jati magar honth khul jate hai jaise lucky ko nimantran de rahe ho lucky apne hoth veenu ke hothon ke kareeb le jata hai dono ki garm sanse apas me takra jati hai

Wahi dusri duniye ke paharedar ko us jeev ki dahad sunai deti hai unke chahre par pareshani ko lakeeren aa jati hai aur aye bhi kyun na jo jeev pichhle 3000 sal se so raha tha wo achanak jaaga kyu aur sirf wahi nahi dusro duniya ka har rajya dahshat me tha kyuki us jeev ne 3000 sal pahle apne malik ke saath milkar jo atank machaya tha use wo log aaj tak nahi bhool paye the poori dusri duniya me koi bhi aisa nahi tha jo us jeev ko kaboo me kar sake

Wahi us jeev ki awaz sun ke death velly jo ko dar aur dahshat me doobi hui thi khushi se jhoom uthti hai kyuki us jeev ke jagne ka matlb tha ki unka maseeha jald hi wapas aane wala hai aur jab wo ayega to un par hue har ek zulm ka hisab dusri duniya ke sare rajyon ko chukana padega aur phir se wo log poori dusri duniya par raaj karenge ye sanket tha ki ab unhe aur dar ke jeene ki zaroorat nahi hai ye sanket tha ki ab unke koi zulm nahi dha payega ye sanket tha ki dard aur atyachar ka daur ab khatm hone wala hai aur ek naya addhay shuru hoga ek naya yug arambh hoga jisme unhe wo izzat wapas milegi jiske wo haqdar the

unke hoth milne hi wale the tabhi lucky ko bechaini hone lagti uski sanse ukhadne lagti hai wo bahut buri tarah se hafne lagta hai veenu apni ankhen kholti hai aur lucky ko is halat se hairan rah jati hai lucky bench se neeche gir jata hai aur zameen par lotne lgata hai veenu uske kareeb jane ki koshish karti hai magar lucky use rok deta hai achanak lucky ka shareer dheere dheere phatne lagta lucky buri tarah chillane lagta veenu lucky ki ye halat dekh kar buri tarah rone lagti hai phir lucky ki khaal uske shareer se alag ho jati hai jaise koi cover ho aur us cover me se ek shaitan bahar nikalta hai jiski lambai kareeb 7 feet ki hogi sur chaudai 2.5 feet uska poora jism kala hota hai uski ankhe band thi aur dheere dheere khada hota hai veenu use dekh kar hairan rah jati hai wo shaitan apni ankhe kholta hai uski ankhen laal ho chuki thi uske nakhoon kisi janwar ki bade ho gye the uska janda bhi kisi janwar jaisa hi ho gya tha wo ek nazar veenu ko dekhta hai aur phir bahut tez dahad marta hai uske dahad marte hi ek 3 muh wala dragon jaisa jeev akash me udta hua ata hai wo itna vishal tha ki kuch palon ke liye usne sooraj ko bhi dhak diya uske paron se paida hoti hawa ek toofan ka roop le rahi thi wo us shaitan ke sar ke upar udne lagta hai wo shaitan veenu ko ek nazar dekhta uski lal surkh ankhon me veenu ke liye bepahan muhobbat thi magar agle hi pal wo chhalang lagata hai ya yun kahen ki udta hua jata hai aur dragon numa jeev ki peeth par baith jata jaise hi wo uski peeth par baithta hai wo apne paron ko zor se fadfadata hai jisse ek bhayanak toofan janm leta hai jo sab kuch nigal jata hai yahan tak veenu ko bhi jaise hi veenu us toofan me udti hai waise hi shiva ki ankh khul jati hai uska poora shareer paseene me bheega hua tha dhakane bahut tez chal rahi thi sans ukhad rahi thi ankhon me dar aur fikr dono the uske haath pair kanp rahe the use yun lag raha tha ki jaise uski jan nikal jayegi aaj tak kabhi shiva ki aisi halat nahi hui thi.

Wahi dusri yahi sapna veenu ko bhi ata hai wo bhi bistar par uth kar baith jati hai uski halat bhi balki usse bhi buri hoti hai wo badhawasi si Chillane lagti hai shiva shiva mujhe shiva ke paas jana hoga mujhe shiva ke paas jana hoga uski awaz sun ke sabhi log jag jate hai charu use seene se laga kar shant karne ki koshish katne lagti hai wahi shiva ki aisi halat dekh kat bhadra mahaguru hairan aur pareshan ho jate darasal baat ye ki din sab log chahe kahi bhi rahe magar raat sabhi logon ko ek sath hi Sona padta tha taki agar koi khatra ho toh iska samna sab mil kar kar saken isiliye sabhi saath me hi the yani shiva bhi.
 
Top