Update continue
Shiva apne paas pade hue bag me se sharab ki botal nikalta aur apni jagah se uth kar jungle ki taraf jane lagta hai use jate sabhi log aise dekh rahe the kaise koi ajooba dekh rahe ho bhadra kahta
Bhadra – ye sala pagal hai kya achank uth jata achanak behosh ho jata hai akhir chakkar kya
Uski baat sun ke amba kahti hai
Amba – kuch to chakkar hai aur wo chakkar bahut bada hai Humari soch se bhi bada
Mandar – matlab
Amba – agar koi cheez shiva jaise ko pareshan kar skti hai toh beshak badi hi hogi
Mahaguru jo ab tak un logon ki bate sun rahe the bolte hai.
Mahaguru – theek kaha magar ek baat jan tum logon me se koi bhi shiva is bare mat poochhna kyuki wo kuch nahi batayega balki shyad gussa bhi ho pade.
Wahi dusri taraf veenu badhawasi si charu se lipti hui bas yahi bole ja rahi thi ki mujhe shiva ke paas jana hai uski jan ko khatra uski ye dekh kar deva aage badhta jai aur use charu se alag kar ke dono kandho se pakad kar hilata hai aur kaha
Deva – veenu hosh me aao kya ho gya hai tumhe
Deva ke hilane se veenu hosh me aa jati hai aur us se lipat kar rone lagti hai deva bhi uske balon ko sahlane lagta hai use tasalli dene lagta hai kuch der baad veenu apne par kaboo pa leti hai aur deva se alag ho jati hai uske alag hote hi surya joki sabke saath khada hua tha been se poochhta hai
Surya – veenu kya hua tum itni ghabrai hui kyu thi
Surya ne chinta jatate hue kaha
Veenu ne ek nazar sabhi ki taraf dekha aur unhe apne sapne ke bare me bata diya jise sun kar ek taraf toh sab log hairan the aur dusri taraf pareshan bhi the kyuki veenu ko aisa sapna aane ka kya matlb hai tabhi aslam ko yaad ata hai ki shiva ne usse aur deva se jane se pahle kaha tha ki uske andar kuch aisa hai jo agar bahar aa gya to poori duniya tabah ho jayegj.
Agle din kabeele me subah 5 baje sabhi log uth gye the magar shiva ka koi pata nahi tha mandar mahaguru se puchhta hai
Mandar – mahaguru ye shiva kaha hai dikhai nahi de raha
Mahaguru uski baat la jawab dete usse pahle bhadra bol padta hai
Bhadra – yaad nahi kal wo sharab ki botal lekar jungle ki taraf gya tha wahi dhutt ho kar pada hoga
Amba – tab toh hume turant shiva ko dhundne jana chahiye kahi dushman uske nashe ko halat ka fayda utha kar koi nuksaan na pahucha de
Mahaguru – theek kaha tum sab log abhi jungle ki taraf jao.
Sabhi log mahaguru ka adesh man kar seedha jungle ki taraf daud padte hai kuch door chalne ke baad bhadra Khisiyate hue
Bhadra – are yar pata nahi kitna aur chalna hoga jane kahan hai ye
Amba – dhoondna toh padega hi
Wo log kareeb ek kilometer aage nikal jate hai magar shiva ka koi pata nahi chalta phir achank saloni mandar ko ek taraf dekhne ka ishara krti hai jab mandar us taraf dekhta hai toh hairan rah jata hai wo bhadra aur amba ko bhi us taraf dekhne ko kahta hai un ki bhi wahi halat hoti hai jo mandar aur saloni ki hui thi aur aisa hona swabhawik tha kyuki ye nazara koi bhi dekhta toh hairan ho hi jata samne ka nazara ye tha ki shiva ek 1.5 feet chaude ped par lat aur ghoose barsa raha tha aur us ped ke tane ka 1/4 Part us ped se alag ho gya tha jiska matlab saaf hai ki shiva us ke 1/4 part ko apne laton aur ghoson se hi tod diya tha wo log chalte hue shiva ke paas jate hai shiva talleenta se us ped par taqat aazmaish karta rahta hai jab wo shiva ke bilkul kareeb aa jate hai toh shiva ruk jata aur bina unki taraf dekhe kahta hai
Shiva – tum log yaha kya kar rahe ho
Mandar – wo mahaguru ne hume tumhe dhoondne bheja hai
Shiva – kyu aisa kya ho gya
Amba – kal tum aise uth kar achank chale gye the na raat me usi wajah se hume laga ki shyad tumhe humari zaroorat hogi
Amba ke ek ek lafz me apniyata saaf dikhai de rahi thi
Shiva – mai theek hun mujhe kisi ki zaroorat nahi hai
Jitna amba ka swar narm tha utna hi shiva ka kathor
Itna kah kar shiva fir us ped par hath pair marne lagta hai toh bhadra kahta
Bhadra – bejan ped par toh koi bhi taqat aazma sakta hai kisi jan dar se bhido tab pata chale
Usne shiva par vyang karte hue kaha jiske jawab me shiva ne use ghoor kar dekha bhadra shiva ke is reaction se muskura raha tha uski muskurahat ne aag me ghee ka kam kiya shiva uske qareeb aya aur ek nazar use ghoor ke dekh kuch der aise hi dekhne ke baad wo wapas qabeele ki taraf chal pada.
Shiva jab qabeele me pahuchta hai toh mahaguru use dekh kar uske paas aate hai aur bade hi apne pan se poochte hai
Mahaguru – tum subah subah uth kar kahan chale gye the hum sab bahut pareshan ho gaye the
Shiva – nahi hona chahiye tha
Mahaguru ne chahiye hue kaha
Mahaguru – kyu nahi hona chahiye tum humari jimmedari ho
Shiva – mai kisi ki jimmedari nahi hun jan maine yaha pahla qadam rakha tha tabhi maine soch liya tha ki ya to mai zinda rahunga ya phir wo log toh meri fikr mat kijiye aur mujhe ye batiye ki yahan koi nadi hai mujhe tairne ka man hai
Shiva ne bade hi sapat laheje me kaha tab tak waha bhadra aur baki log bhi aa chuke the shiva ki baat sunke mandar bolta hai
Mandar – nadi toh hai magar tum naha nahi paoge
Shiva – kyu
Amba – uska bahaw bahut tez hai
Jaise hi shiva ne ye baat suni use ek jhatka sa laga usne socha ki itni badi baat isse kaise chhot gai
Shiva – mujhe dekhna hai wo nadi kaha par hai
Sabhi log shiva ko lekar us nadi ke paas jate hai majaburi bhi unke saath the jab wo pahuch jate hai toh mandar bolta hai
Mandar – ye rahi wo nadi
Shiva nadi ki taraf dekhta hai uska bahaw wakai bahut tez tha shiva us nadi ki disha me aage badhne lagt hai aage badhte badhte wo kareeb 300 meter tak chala jata hai shiva us madi ko badi gaur se dekh raha tha jaise kuch dhoondh raha ho aur jo wo dekhna chahta wo use dikh gya.
Idhar jaise hi Michael ko ye pata chalta hai ki shiva us nadi tak pahuch gya hai wo apne admiyo ko shiva ko rokne ke liye bhej deta hai aur unhe sakht hidayat deta hai ki shiva ko koi nahi marega bas use Michael ke paas lekar aya jayega apne admiyo ke jaye hi wo kisiko call karta hai uske chahre par pareshani saaf dikh rahi thi ye baat uske assistant ne bhi note ki aur wo hairan tha kyuki aaj tak usne kabhi Micheal ko pareshan nahi dekha tha
Update continue