• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Thriller Kahani

How is the story going

  • Good

    Votes: 28 41.2%
  • Best

    Votes: 49 72.1%

  • Total voters
    68

The king

Well-Known Member
4,239
15,467
158
Update continue

Dusri duniya ki sabse andheri gufa me koi so raha tha ya yun kahe ko kuch so raha tha achank uski ankhen khul jati hai uski 2 nahi balki 6 kahne hoti hai wo uth kar gufa se bahar ata hai uske pairon ki chak ki dhamak se poori gufa hilne lagti hai jab wo gufa ke darwaze par ata hai toh uski poori akriti samne aati hai ye teen muh wala ek vishal dragon jaisa jeev tha wo gufa ke darwaze par ata jo dusri duniya ke sabse piche pahad par tha wo bahar nikalta hai aur zor se dahad marta hai uski dahad ki gonj se sara alam dahal jata hai.

Charon taraf hari hari ghas thi samne bahti hui safed pani ki nadi jaise aise shanti se bah rahi thi jaise koi ma apne bacche ko sula rahi ho akash me udte azad panchi jaise kah rahe ho ki aur bediyan nahi. Aur is manzar me char chand laga rahe the do premi jo jheel 5 feet duri par bani hui ek ladki bench par baithe hue the ladki ne us ladkebke baye kandhe par apna sar rakkha Hua tha aur uske baye hath ko zor se pakda hua tha use is waqt itna sukoon mil raha tha jaise mano wo is duniya me hi na ho balki asman ke us jahan me ho jahan sare faisle kiye jate hai wo ladka ek tak us ladki ko dekh raha aur soch raha tha ki zindagi kitni khoobsurat hai agar wo us ladki se na mila hota to shayad use pata bhi nahi hota ki jeena kise kahte hai. Wo unhi use dekhta rahta hai wo ladki sar utha ke us ladke ki ankhon me dekhti hai uski ankhon me apne liye bepanah pyar dekh kar us ladki ki ankhen nam ho jati hai aur hothon pe muskan aa jati hai aur wo kahti hai.

Ladki – kise pata tha ki zindgi itni haseen hogi lucky.

Lucky – mujhe pata tha veenu lekin hamesha se nahi balki us din se jab se maine tumhe dekha tha warna jeena kise kahte hai ye mujhe pata hi nahi tha.

Lucky ne veenu ki lat jo uske galon ko chumne ki gustakhi kar rahi thi use apni ungli se uske kan ke peeche karte hue kaha.

Veenu uski is harkat par muskura padi

Dono ek dusre ki ankhon me aise dekh rahe jaise ankhon ke raste se dil ka likha safar aaj hi tay karna hai lucky apna chahra veenu ke kareeb lata hai veenu samjh jati hai ki age kya hone wala hai aur us ehsas se uski ankhe band ho jati magar honth khul jate hai jaise lucky ko nimantran de rahe ho lucky apne hoth veenu ke hothon ke kareeb le jata hai dono ki garm sanse apas me takra jati hai

Wahi dusri duniye ke paharedar ko us jeev ki dahad sunai deti hai unke chahre par pareshani ko lakeeren aa jati hai aur aye bhi kyun na jo jeev pichhle 3000 sal se so raha tha wo achanak jaaga kyu aur sirf wahi nahi dusro duniya ka har rajya dahshat me tha kyuki us jeev ne 3000 sal pahle apne malik ke saath milkar jo atank machaya tha use wo log aaj tak nahi bhool paye the poori dusri duniya me koi bhi aisa nahi tha jo us jeev ko kaboo me kar sake

Wahi us jeev ki awaz sun ke death velly jo ko dar aur dahshat me doobi hui thi khushi se jhoom uthti hai kyuki us jeev ke jagne ka matlb tha ki unka maseeha jald hi wapas aane wala hai aur jab wo ayega to un par hue har ek zulm ka hisab dusri duniya ke sare rajyon ko chukana padega aur phir se wo log poori dusri duniya par raaj karenge ye sanket tha ki ab unhe aur dar ke jeene ki zaroorat nahi hai ye sanket tha ki ab unke koi zulm nahi dha payega ye sanket tha ki dard aur atyachar ka daur ab khatm hone wala hai aur ek naya addhay shuru hoga ek naya yug arambh hoga jisme unhe wo izzat wapas milegi jiske wo haqdar the

unke hoth milne hi wale the tabhi lucky ko bechaini hone lagti uski sanse ukhadne lagti hai wo bahut buri tarah se hafne lagta hai veenu apni ankhen kholti hai aur lucky ko is halat se hairan rah jati hai lucky bench se neeche gir jata hai aur zameen par lotne lgata hai veenu uske kareeb jane ki koshish karti hai magar lucky use rok deta hai achanak lucky ka shareer dheere dheere phatne lagta lucky buri tarah chillane lagta veenu lucky ki ye halat dekh kar buri tarah rone lagti hai phir lucky ki khaal uske shareer se alag ho jati hai jaise koi cover ho aur us cover me se ek shaitan bahar nikalta hai jiski lambai kareeb 7 feet ki hogi sur chaudai 2.5 feet uska poora jism kala hota hai uski ankhe band thi aur dheere dheere khada hota hai veenu use dekh kar hairan rah jati hai wo shaitan apni ankhe kholta hai uski ankhen laal ho chuki thi uske nakhoon kisi janwar ki bade ho gye the uska janda bhi kisi janwar jaisa hi ho gya tha wo ek nazar veenu ko dekhta hai aur phir bahut tez dahad marta hai uske dahad marte hi ek 3 muh wala dragon jaisa jeev akash me udta hua ata hai wo itna vishal tha ki kuch palon ke liye usne sooraj ko bhi dhak diya uske paron se paida hoti hawa ek toofan ka roop le rahi thi wo us shaitan ke sar ke upar udne lagta hai wo shaitan veenu ko ek nazar dekhta uski lal surkh ankhon me veenu ke liye bepahan muhobbat thi magar agle hi pal wo chhalang lagata hai ya yun kahen ki udta hua jata hai aur dragon numa jeev ki peeth par baith jata jaise hi wo uski peeth par baithta hai wo apne paron ko zor se fadfadata hai jisse ek bhayanak toofan janm leta hai jo sab kuch nigal jata hai yahan tak veenu ko bhi jaise hi veenu us toofan me udti hai waise hi shiva ki ankh khul jati hai uska poora shareer paseene me bheega hua tha dhakane bahut tez chal rahi thi sans ukhad rahi thi ankhon me dar aur fikr dono the uske haath pair kanp rahe the use yun lag raha tha ki jaise uski jan nikal jayegi aaj tak kabhi shiva ki aisi halat nahi hui thi.

Wahi dusri yahi sapna veenu ko bhi ata hai wo bhi bistar par uth kar baith jati hai uski halat bhi balki usse bhi buri hoti hai wo badhawasi si Chillane lagti hai shiva shiva mujhe shiva ke paas jana hoga mujhe shiva ke paas jana hoga uski awaz sun ke sabhi log jag jate hai charu use seene se laga kar shant karne ki koshish katne lagti hai wahi shiva ki aisi halat dekh kat bhadra mahaguru hairan aur pareshan ho jate darasal baat ye ki din sab log chahe kahi bhi rahe magar raat sabhi logon ko ek sath hi Sona padta tha taki agar koi khatra ho toh iska samna sab mil kar kar saken isiliye sabhi saath me hi the yani shiva bhi.
Nice update bhai waiting for next update
 
Sidd19

Active Member
1,620
1,853
143
Very nice update bhai
 
Sidd19

Active Member
1,620
1,853
143
Waiting for the next update
 
Shanu

Deadman786
6,059
16,871
188
Superb update bhai 😊☺️
 
Shivay chauhan

Active Member
521
1,802
139
Update continue

Shiva apne paas pade hue bag me se sharab ki botal nikalta aur apni jagah se uth kar jungle ki taraf jane lagta hai use jate sabhi log aise dekh rahe the kaise koi ajooba dekh rahe ho bhadra kahta

Bhadra – ye sala pagal hai kya achank uth jata achanak behosh ho jata hai akhir chakkar kya

Uski baat sun ke amba kahti hai

Amba – kuch to chakkar hai aur wo chakkar bahut bada hai Humari soch se bhi bada

Mandar – matlab

Amba – agar koi cheez shiva jaise ko pareshan kar skti hai toh beshak badi hi hogi

Mahaguru jo ab tak un logon ki bate sun rahe the bolte hai.

Mahaguru – theek kaha magar ek baat jan tum logon me se koi bhi shiva is bare mat poochhna kyuki wo kuch nahi batayega balki shyad gussa bhi ho pade.

Wahi dusri taraf veenu badhawasi si charu se lipti hui bas yahi bole ja rahi thi ki mujhe shiva ke paas jana hai uski jan ko khatra uski ye dekh kar deva aage badhta jai aur use charu se alag kar ke dono kandho se pakad kar hilata hai aur kaha

Deva – veenu hosh me aao kya ho gya hai tumhe

Deva ke hilane se veenu hosh me aa jati hai aur us se lipat kar rone lagti hai deva bhi uske balon ko sahlane lagta hai use tasalli dene lagta hai kuch der baad veenu apne aap par kaboo pa leti hai aur deva se alag ho jati hai uske alag hote hi surya joki sabke saath khada hua tha been se poochhta hai

Surya – veenu kya hua tum itni ghabrai hui kyu thi

Surya ne chinta jatate hue kaha

Veenu ne ek nazar sabhi ki taraf dekha aur unhe apne sapne ke bare me bata diya jise sun kar ek taraf toh sab log hairan the aur dusri taraf pareshan bhi the kyuki veenu ko aisa sapna aane ka kya matlb hai tabhi aslam ko yaad ata hai ki shiva ne usse aur deva se jane se pahle kaha tha ki uske andar kuch aisa hai jo agar bahar aa gya to poori duniya tabah ho jayegj.

Agle din kabeele me subah 5 baje sabhi log uth gye the magar shiva ka koi pata nahi tha mandar mahaguru se puchhta hai

Mandar – mahaguru ye shiva kaha hai dikhai nahi de raha

Mahaguru uski baat la jawab dete usse pahle bhadra bol padta hai

Bhadra – yaad nahi kal wo sharab ki botal lekar jungle ki taraf gya tha wahi dhutt ho kar pada hoga

Amba – tab toh hume turant shiva ko dhundne jana chahiye kahi dushman uske nashe ko halat ka fayda utha kar koi nuksaan na pahucha de

Mahaguru – theek kaha tum sab log abhi jungle ki taraf jao.

Sabhi log mahaguru ka adesh man kar seedha jungle ki taraf daud padte hai kuch door chalne ke baad bhadra Khisiyate hue

Bhadra – are yar pata nahi kitna aur chalna hoga jane kahan hai ye

Amba – dhoondna toh padega hi

Wo log kareeb ek kilometer aage nikal jate hai magar shiva ka koi pata nahi chalta phir achank saloni mandar ko ek taraf dekhne ka ishara krti hai jab mandar us taraf dekhta hai toh hairan rah jata hai wo bhadra aur amba ko bhi us taraf dekhne ko kahta hai un ki bhi wahi halat hoti hai jo mandar aur saloni ki hui thi aur aisa hona swabhawik tha kyuki ye nazara koi bhi dekhta toh hairan ho hi jata samne ka nazara ye tha ki shiva ek 1.5 feet chaude ped par lat aur ghoose barsa raha tha aur us ped ke tane ka 1/4 Part us ped se alag ho gya tha jiska matlab saaf hai ki shiva us ke 1/4 part ko apne laton aur ghoson se hi tod diya tha wo log chalte hue shiva ke paas jate hai shiva talleenta se us ped par taqat aazmaish karta rahta hai jab wo shiva ke bilkul kareeb aa jate hai toh shiva ruk jata aur bina unki taraf dekhe kahta hai

Shiva – tum log yaha kya kar rahe ho

Mandar – wo mahaguru ne hume tumhe dhoondne bheja hai

Shiva – kyu aisa kya ho gya

Amba – kal tum aise uth kar achank chale gye the na raat me usi wajah se hume laga ki shyad tumhe humari zaroorat hogi

Amba ke ek ek lafz me apniyata saaf dikhai de rahi thi

Shiva – mai theek hun mujhe kisi ki zaroorat nahi hai

Jitna amba ka swar narm tha utna hi shiva ka kathor

Itna kah kar shiva fir us ped par hath pair marne lagta hai toh bhadra kahta

Bhadra – bejan ped par toh koi bhi taqat aazma sakta hai kisi jan dar se bhido tab pata chale

Usne shiva par vyang karte hue kaha jiske jawab me shiva ne use ghoor kar dekha bhadra shiva ke is reaction se muskura raha tha uski muskurahat ne aag me ghee ka kam kiya shiva uske qareeb aya aur ek nazar use ghoor ke dekh kuch der aise hi dekhne ke baad wo wapas qabeele ki taraf chal pada.
 
Shanu

Deadman786
6,059
16,871
188
Very nice update 😁😌
 
  • Like
Reactions: LionHeart007

Top