• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,708
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,349
304
Sorry fir... Kyonki wo band nahi honge... Kyonki main pura universe ek kar raha hun... Jaise Bhanvar me "Kuchh nahi tere bin" ke kirdar aaye the....



Nandu dur kar sakti to Nandu ne dur kar diya hota.... Wo dur nahi kar sakti isliye wo dur hai... Aur ye baat yadi aap mehsus nahi kar sakti to meri galti nahi hai... Yahan biological locha hai aur doctor hi dur karega.... Kaam shuru hai.. ilaz aur upchar ke baad Nandu aur Kasak jo jo kar sakti hai sab karegi.... Ek baat aur... Post memory reinstated... Ek bahut bada badlav bhi hoga... Samjhte rahiye kahani... First part upar upar gaya tha... Yahan uss part ki puri clearity chalegi...



Ye mere sawalon ka jawab nahi... Aur na hi maine personal openion manga tha... Maine story ke regarding sawal kiya tha :declare:.. personal openion main janta hun...



Maine current behaviour nahi puchha tha maine chal rahi manodasha puchha tha... In due respect of... Ki ek kisi ne apni puri lambi planning plot karke chala gaya... Jiska khulasa Shwetna ne kiya tha...



Aap ka bahut bahut dhanyawad... Kitna kuchh jhelkar aapko padhna parta hai :(


Aapne jo likha isse shayad baten gol gol ghumana kahte hain..... Shayad main samjh nahi pa raha aap ki pareshani aur aapke manodasha se main purn awgat nahi....


Kahani apne flow me chali hai... Chalti hai... Aur chalti rahegi....

Agar aapko kahani pasand nahi aa rahi to wo writer ki aur kahani plotting ki galti hai... Na ki kisi bhi kirdaron ki... So I am accepting my mistake ... And sorry to everyone jin-jin ko achha nahi lag raha...

Kahani ussi lay me badhegi jaisi plotting hui hai... Main ek buri pesh ki gayi kahani ka risk uthane ko taiyar hun... mere liye koi nayi baat nahi hai...

Achha lagta hai jab aap sab thread par hote hain... Lekin yadi kahani pasand nahi aa rahi to main kisi ko badhya nahi kar sakta and I always accept my mistake... Pura karne ke baad un kahani par milenge jo shayad aap ko pasand ho...

Dhanyawad ...
Apsyu aur imli jo kiya saachi ke sath kya wo sahi tha... bas pehle iska jawab de dijiye... baaki ke sawalo ka jawab uske baad... :popcorn:
 
Last edited:

Salu bhai

Member
456
1,303
123
Wah super update bhai

Chalo kuch baten to nischal aur jivi ma clear hue dono sath hen ab

Ya nandni se bat kar jivi ka dimag ghuma aur serin aur nischal latak gye hawa ma
Lakin mou sirf serin ka khola gya mtlb nischal sirf sunnyga usky bat sawal be nh kr sakta bechara

Keep posting bhai
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Anubhavp14

न कंचित् शाश्वतम्
247
900
108
Update:-8




Hathon me jaam ke glass, alishan ghar ka bada sa hall aur uss hall me 3 log baithe. Joy chaudhry, Yuvi wadhwani aur Arf Khan. Aaj ke waqt ke bahucharchit chehre jise kuch mahine tak koi nahi janta tha...


"Ha ha ha ha ha... Logon ko wahi dikhta hai jo hum dikhate hain. Prakriti hain hum.. samast Brahmand hum me nihit hai aur hum hi hai brahmand"….


Teeno hanste huye jaam chhalkate huye kahne lage….


Arf:- Dhanwan hone ke bhi sukh nirale hai.


Yuvi:- Aaj to manne maza aa giyo bhaya. Kitne sadiyon ke baad je maza jivan me aayo hai...


Joy:- Maze-Maze me jo kaam karne ka maza hai wo aur kahan... Aurat ka sukh hi sampurn sukh hai.


"Teeno ko maza aa raha hai"……. Andhere ke ore mukhiya ki aalishan kursi par baitha ek shaks gaanja ke chilam ka lamba kas khinchte huye puchhne laga...


"Maza to bahut aa raha hai Pratham, lekin tum humare sath maze nahi karte, hume achha nahi lagta"…. Teeno hi ek lay me ek sath bolne lage...


Pratham:- Hmmmm !!! Bhavnao me yah kyon bhul jate ho ki mai tum hun aur tum mai. Jo tumne mehsus kiya wo maine bhi aur jo mai mehsus karunga wo tum sab, aur wo saanp ka galat bil bhi. Stri sukh, dhan ki maya, logon ko khud se satana, unhe tadapta aur bilakhta dekh'kar man ko asim sukh mehsus karna. Yah sab ek waqt me khud se nahi kar sakta tha, isliye to ekal mastishk ko 3 aur samanya (equal) mastishk me bana'kar, ye sab khud se ek waqt me karne ka aanand utha raha...


Joy:- Haan lekin tum aur Wadwani purn hi rahoge, kyonki hum dono (Joy aur Arf aur tum dono (Pratham aur Yuvi) me khchh to anter hai hi...


Pratham:- Nahi maine koi anter nahi rakha tha. Mai swayam (self) ke 2 aur roop bana raha tha (Yuvi ka nirman sadiyon pahle ho chuka tha) lekin iss baar bhi chhote-chhote anter rah gaye. Aur mujhe pata hai ki wo anter bhi tum dobo pura kar loge, jaise Yuvi kabka kar chuka. Kyonki.…. Mai hi to tum hai aur tumhe bhi pata hai ki kya khoya hai jise hasil karna hai…


Arf:- Isme bhi koi shak hai kya... Hum to dusron ki shaktiyon ko chhin lete hain. Fir ye to khud ki siddhi hai, jo kisi karanvash rah gayi. Kitna waqt hi lagega unhe khud me nihit karne me.….


Joy:- Haan wahi to, prakriti ke charo praroop ek hai. Jinme koi anter nahi...


Yuvi:- Re pratham bhaya, jab bhi aawe se gyan pel'kar pure mood ki maa bahan kar deve se... Chhod de bhaya aur aane ka karan batao na...


Pratham:- Humare alag hone ka waqt aa gaya hai. Ek hi waqt me mai char alag-alag jaghon se khud se sab niyantrit krunga yah romanchit karne wala hai.… Mai apne lakshya ke pichhe ja raha hun... Jisne kabhi aankhen dhikha'kar meri lash par bola tha... "Astitw hi nahi tumhara prithvi ke bahar, tumhari shaktiyan vyarth hai".…


Yuvi:- Je hui na baat, kab se dil me aag to lagi thi… Astak ko uske ant'hin jeevan se mukti de de bhaya, bahut ji liyo.… Wo to maareh aur thaare se bhi purana howe se... Ek dil ki tadap aur howe se lekin puri na ho sake...


Arf aur Joy ek sath... "Astak ki leela samapt karne se jyada to ussi ki tarap hai"...


Pratham gahri shwans leta.… "Tab Vish-Nilayani nahi mili thi. Aaj uska sampurn roop ek baar fir samne hai, Jivisha, usse bhi hasil nahi kar sakte"…


Arf:- Yaden mit jaane se bhale hi Jivisha ki shakti wapas so gayi ho, lekin uske ander purvanuman ki alokik shakti soye me bhi khatarnaak hai… soyi shaktiyon se chhed-chhad hume lakshya ke ore jane se rok sakti hai…


Pratham:- Isliye Jivisha ko abhi uske haal par chhod do..… Astak sampurn Dark Universe ke matr 22 planet se dur hai.… Wo lagatar apni shaktiyon ko badhate huye agle 40 varsh me Dark Universe aur East universe ke dwar par hoga... Is bich hi usse khatm karke hume uski shaktiyon ko hasil karna hai.…


Yuvi:- Bhaya je sab to thik hai, lekin astak ko harane ke liye matr 40 hazar ki fauj. Wo bhi nirbal insan... Astak to aayega bhi na ladne, uski beti Hella hi kafi hai...


Pratham:- Pahle mann ke ander khud se baat karna aur ab samne se apne mann ke sath baat-chit karne ka maza hi kuch aur hai.…


Joy:- Hella apne 5 sardar ke sath kal hi Universe ke adhere kshetr ko laangh gayi hai... Wo universe ke pahle hisse me 24 planet ka jayja legi... Uske baad hi Astak apne karykram banayega…. Humara pahla shikar Hella hi hogi... Uske dimag me ghus'kar, uska dimag jaise hi fuse kiya, samjho Astak ghutno par aur universe ka Dark apna hua.…


Pratham:- Ab samjhe Yuvi bhaya, kyon main aaya hun. Yuvi tum Arf ko purn karoge aur yahan se apna kaam jari rakhoge. Hum chale Astak ki beti Hells par kabu pane...


Yuvi:- Thare irade nek na laage se... Chhodi khubsurat hai key bhaya...


Joy:- Kisi ne dekhi hi nahi aaj tak to kalpna bhi kya karna... Haan lekin us'par kabu pana hai... Maarna udhedhya nahi.. Yadi vifal (fail) hote hain to tum dono ko pata hai kya karna hai...


Arf:- Vidheya ne hume maara tha. Vish Nilayani ne mara, Astak ne to uske kshetr me ghusne ke liye 4 baar maara... Aur wo bhi aisi-waisi maut nahi balki kutte ki maut mara tha, wo bhi palak jhapakte hi... Jivisha, Serin aur Nischal ne mil'kar mara. Sabhi maarne walon ko salaam... Bechare hume kitni baar marenge...


Prathan:- Prakriti kabhi marti bhi hai kya.…


"Lekin aaj tum sab maroge. Chup-chap company ke share humare naam kar do to shayad jinda chhod den"….


Charo aapas me baat kar hi rahe the tabhi unhe high class professional terriorost gang ne gher liya. Takriban 40 log ek sath ghuse the...


"Hahahahahahahahaha.… Hahahahahahahahaha…. Hahahahahahahahaha.… Hahahahahahahahaha"… Un charo ke paglon ki tarah tej-tej hasne ki awaj.…


"BC hum yahan Universe jitne ki planning kar rahe aur tu kide makode, humare sukh ko chhin'ne chala aaya"…. Yuvi kahada hokar gusse me apni aakhen laal karta un sabko ghurne laga….


"Ek partner jayega tabhi in haramiyon ko samjh me aayega.… Shoot"… terriost ke boss ne kaha...


"Dhaynnnnn"… handgun ki ek bullet chali... Un charon ke hasne ki awaj fir se shuru.… "Dhaynnn.. dhaynnnn... Dhayynnn" …. Back to back handgun ki 3 goliyan chali...


Fir se un charon ke hasne ki awaj... Bhannaye aur jhunjhlaye logon ne charo ore se firing shuru kar diya... Glass, flask, bottol, har wo chij jo bullet lagne se bikhar sakti thi, toot'kar hawa me bikahrti niche aa rahi thi.… "Aaaaaaaaaaa" …. "Aaaaaaa"… "aaaaaaa" …… "aaaaa"


Tabhi uss mahol me bullet ki awaj ko bhi bhaybhit karne wali chinkh gunjne lagi. Aur har chinkh ke sath hooting aur seeti bhi utni hi jodon se baj rahi thi… Aatankwadi Sargana ne chillate huye sabko rukne ka order diya... Aur shant mahol me jab bache huye logon ne khuli aakhon se najara dekha.… "Aeeeeee... Nahiiiiii.… Aeeeeee nahiiiiii..."


Aur ghabrayi si awaj me koi ladkhada kar girte huye, khista hua darwaje tak jane ki kosis karne laga to koi aankhon ke aage ka najara dekh'kar ultiyan karne laga.…


"Bhaya je hatheli na howe, e howe hai tawa... aur Je tera sar na howe... Ye howe hai laal tamatar… aur je raha 2 tawe ki chapet me laal tamatar..."… Bade hi itminan se Yuvi ne apne dono hatheli ke bich ek ka sar rakh'kar jod se tali bajayi, aur pura sar tamatar ki tarah fachakkkk...


Aankhen bahar, dimag ke ander ka purja lasa-fasa chip-chipa hatheli ke upar niche, dayen, bayen jahan se bhi bahne ka jagah mil raha tha, bahkar niche farsh par girta chala gaya... Tabhi Yuvi uski aakhen nikal'kar apne jibh se saaf kar'ke ungliyon se tappa marte... "Pratham bhaya, inhe nipta'kar kanche khelenge..."


Haiwaniyat dekh'kar bache log bhagne ki kosis karne lage, lekin koi ek inch bhi apni jagah se hil na paye.… "Bhaya wo choklet ki ad manne bahut pyara lage, jisme sar futkar chocklet nikle se"…


Arf:- Tu to pura filmi ho gaya re gotiya…

Pratham:- Uffff ye Jivisha ka jaduuu... Har koi ussi ke rang me ranga najar aata hai.. koi mere dil ki bechaini ko bhi sambhalo doston, Jivisha se milan karwa do, uski tarap me hum bhi filmi ho gaye aur ab to pura kunwa hi filmi hua ja raha..… chalo Yuvi bhaya thari ikchha bhi puri karte hai.. dimag se chocklet bahayen...


Charo ore kewal maut se pahle ki ek chinkh aur sar ke ander ka pura mal-materiyal dono hatheli ke upar aur niche se bahkar farsh par... Eklauta boss ko chhod'kar, chirtre huye sar ke sath sabhi ki lashen jamin par pari thi.…


Arf:- Dar gaya kya be kide... Ab bata kyon aaya tha...


Wo boss itne gahre sadme me tha ki kuchh bol na paya.… "Markes yahan ki safai kro aur iss boss ke dimag ka tala khol'kar paison ki detail le lo aur yahan ke nukshan ki bhadpai karo"…


Arf ne bus apne mann me kahi ye baten aur turant hi uske 6 log wahan pahunche. Kafi teji ke sath sab kuch saaf karte, Markes boss ke dimag ke ander the. 2 second baad jab Markes bahar nikla, wo boss apne pran tyag kar'ke jamin par...


Lajmi hai jo mahol aapne dekha aur jis kururta ka anubhav aapne kiya, yadhpi yah kisi aam insan ke kritagya nahi the. Apni siddhi aur super-natural power se khud ko prakriti ghoshit karne wale tha ye Surpmarich.


Ye char nahi balki ek the aur ussi ekalute Surpmarich ne khud ko 4 alag roop me pariwartit kiya tha. Yah koi cloning nahi thi aur na hi apne jaise logon ko banaya tha. Surpmarich ne apna hi 3 aur khud ka nirman kiya tha… purn Surpmarich jo hazar salon se kewal apna sharir to badal raha tha, lekin apni buddhi aur bal ko purn roop se ek sharir se dusre sharir me pariwartit karta chala gaya...


Jab bhi iska koi ek sharir marta, Surpmarich ka dusra roop usse sanrakshit karke naya sharir deta. Yahi ek vajah hai ki ye apne haarne wale dushmano se bhi nirbhik hokar ladta tha… Dimag me ander ghusne ki adbhut kala inhe sabse khatarnaam banati thi. Kisi bhi dimag ke ander ye ghus sakte the aur pure brain ko he tahas nahash karke apne dushmano ko harane me saksham the...


Jinka dimag kafi majboot hota aur prakram bal Surpmarich se adhik, unke hath bhale hi Surpmarich ko shikast mili ho. Kintu ye jitni der unke brain me hote, unki yaden ghatnayen, shaktiyan churate rahte... Isi ka natija tha ki antim yudh me jab Surpmarich ko shikast mili, tab bhi ye Jivisha, Nischal aur Serin ki yaden, unki sochne ka najariya aur bahut kuch chura chuka tha….


Wo teeno Surpmarich ka gala kaat'kar girane me lage huye the aur Surpmarich apni bhawishya niti taiyar kar raha tha… Issi ka ek natija yah tha ki Nischal, Serin aur Jivisha ke dimag se un aham yadon ko hi Surpmarich ne mita diya, jiske dum par ye teeno fir se Surpmarich ke pichhe aate...


Haalanki tha to teeno ke liye Surpmarich mara hua, lekin kisi ghatna ne Nischal ke samne inke astitw ko jahir kar diya. Waise iss baar Surpmarich ko in teeno se ladne aur unhe litane me koi khas shamasya nahi hoti, kintu Jivisha, Nischal aur Serin ki yadon se mili jankari itni aham thi ki Surpmarich ab sidha apne uss dushman se bhidne ki taiyari me tha, jiske paas jaane se Surpmarich ki ruh, yani ki uski siddhiyan aur shakti bhi jaane se kaanpti thi...


Astak... Ant'hin universe ka ek kurur shashak... Jo andhre universe ko pichhle kayi hazar salon se jit'te huye aage badh raha... Pura Dark Universe, universe mahasagar ka dushwa hissa hoga... Kalpna se pare faila andhkar ke kshetr me lagbhag 20 hazar grah honge... Sabhi grah ke shashak ek ho'kar yudhh lad rahe the aur Astak akela...


Surpmarich apne ek mitr Awesh ke nimantran par Astak ko chhal se harane gaya tha… Surpmarich ki niti yah thi ki shakti churane wale patthar ko bahar se rakha jayega aur uske dimag ke ander ghus'kar wo Astak ko kamjor kar dega... Jis'se uska bal patthar me kaid ho jaye aur uske dimag ki siddhiyan Surpmarich ko mil jaye...


Socha to Surpmarich ne bilkul sahi tha. Lekin usse Astak ke bare me kuch pata nahi tha, wo hazar kilometer dur se apne dushman ko sungh sakta tha. Surpmarich to uske kshetr me ghusa hi tha aur usse khud bhi pata nahi chala ki kab wo maut ke aagosh me tha aur uska kimti patthar Astak ki beti Hella ke pass.


Surpmarich ne Hella ko dekha tak nahi, uss se pahle hi usse maut ne nigal liya tha. Aur yahi hua tha agle 3 aur baar. Uss waqt Surpmarich kewal apne ek roop ko banane me kamyab he hua tha, aur wahi Surpmarich ko punah sanrakshit karta raha...


Surpmarich ko aksar ye baat khalti thi... "Yadi 2 ansh Hella ke sath bhidte, to ho sakta hai jab tak wo ek ko marti dusra uske dimag me ghusne me kamyab ho jata"... Lekin Surpmarich ki suddhiyan itni nahi thi ki apne jaise wo 1 se jyada ansh bana paye. Aisa karne ki soorat me uski sharirik aur manshik shaktiyan vibhajit ho jati…


Lekin Sal bhar pahle huye aakhri yudh me Surpmarich ko wah sab mil chuka tha, jiski usse sadiyon se talash thi... Vish Nilayani ki aanshik shaktiyan... Wo shaktiyan jisne mahaj ek jivan chakr me Surpmarich ko ghutno par la diya… yakinan Vish Nilayani wo thi, jiske sahash aur buddhi ke aage Surpmarich tinka tha…


Jivisha ke dimag se ki gayi chori ne Surpmarich ko itna kabil bana diya ki uske pass uske 2 naye ansh aur the... Arf aur Joy... Iss se pahle Surpmarich ke pass kewal Yuvi tha aur wo bhi Himalya me chhipa rahta. 4 ansh hone ke baad Yuvi bhi apne purn jivan kaal me pahli baar bahar ki duniya ka purn aanand le raha tha...


Suchna ke mutabik Jab se unhe pata chala tha Hella ne Dark universe ki seema laangh lee hai... Ek baar aur Surpmarich, Hella se bhidne ko taiyar tha.… Yahi vajah thi ki Pratham aur Joy, 1 purana 1 naya ansh, apne 40000 trained sipahi jo kafi tej the, in logon ki tarah kisi ke bhi brain me ghus sakte the aur dushman ke dimag se chheh-chhaad karne me saksham the… sath ja rahe the...


Pahla nishana inka apna grah Zoren tha, jahan pahle bhi Surpmarich, Mahamahim ke jariye shasan karta tha. Ab wahan niwasi ko prashikshit karke fauj banayega… Zoren ke baad dusra uska shikar the Final Planet, jahan se kuch dino pahle Nischal lauta tha.…


Is waqt Aizem aur Horiyant 2 aise grah the jahan Surpmarich khud ko dur kiye huye tha. In do grahon me koi ghuspaith nai aur naa hi wahan se apni sena ko badhane ka koi irada tha. Ek grah par Nischal tha to dusre grah ka shasak kafi buddhiman, sath hi sath uska beta HuYu ke bare me aaj kal kafi charchayen bhi thi..


2 ansh Prathan aur Joy chal chuke the Zoren ke ore aur prithvi par rah gaya tha Yuvi aur Arf. Dono jivan aanand uthane ke sath-sath apne 2 ansh ke barabar ki siddhiyon par kaam karte, sath hi sath chuninda logon ko apna purn gulaam banakar unhe ladai ke liye prashikshit bhi unhe hi karna tha...
Ye Surpmarich zinda hai :wtf:Aur Sab is ka kiya dhara hai
Marte marte bhi kaand kar ke gaya
Sala had hai aur Je apne aap ke Ansh kya bana leta hai ye to Prakriti hi smjhne laga apne aap ko
Log kutta patle hai billi palte hai yaha tak to Nischal ne sher paal rakha hai ek ye hai jisne galatfehmi paal rakhi hai
Me Naina ji se ek dum sehmat hu
Ek dum sahi Upadi di hai ise chutiya
Chindi chor ek number ka jo logo ki power chori karta hai
Aur apne aap ko prakriti bol raha hai had hai re had hai
Aur iske Upar bhi ek aur hai Astak jisse ye 3-4 baar haar chuka hai aur abhi bhi maan nahi raha ...sahi hai wese bhi hero hi villain ko khatam karta hai
Lekin Nischal ke ab 2 villain
Dekhte hai
Nischal hi karega sabka ant
Ab ye chindi chor is baar kuch naya plan bana ke hella se ladne jaa raha hai dekhte hai is baar marta hai ki nahi
Wese meko nahi lagta hai ye jeet payega
Chaman chindi :lotpot:

Lekin ye kuch jyada hi khwab dekh raha hai Jivisha ko paane
Isko to nischal batayega:bat1:
Is baar to iske tukde tukde kar ke jawalamuki me daal denge

Brilliant update Nain bhaiya
 
Last edited:
  • Like
Reactions: Nevil singh

nain11ster

Prime
23,612
80,708
259
Apsyu aur imli jo kiya saachi ke sath kya wo sahi tha... bas pehle iska jawab de dijiye... baaki ke sawalo ka jawab uske baad... :popcorn:
Ek yudhh ka daud chalta hai... Niyati apna kaam karti hai.... Pita ke bure karmon ki saja unke bacchon ko bhi bhugatna parta hai...

Kahani apne lay me thi "Banvar" aur har kisi ne apne pita ke bure karmon ko bhoga tha... Fir chahe Apasyu ho Aarav ho.. lavni ho ya sachi... Main kisi me bhed bhav nahi karta jab ek theory par chalta hun....

Rahi baat sahi aur galat karne ki ... To jab Apasyu ne kuch kiya hi nahi to galat kaise ho gaya... Kya usne izhar kiya mohabbat ka... Kya usne seduce kiya ... Kya usne un lamhon ka bharpur fayda uthaya jisme sachi khud aayi thi... Kiya kya tha usne....

Ek maksad sadhna tha aur usne confuse kiya... Maksad pura ho gaya to pura payback kiya... Galat kaisa...... Ek pratisat bhi galat nahi kiya... Ulta usse bachaya tha... Ulta usse support kiya... Dono ek dusre ko itna samjhte hain ki achhe aur sacche dost hain ... Ek rishta ab bhi hai jo umr bhar ka hai....

Isliye aap ke pichhe sawal ka sidha jawab kuchh galat nahi kiya...
 

nain11ster

Prime
23,612
80,708
259
A
Jis update me jodiya bani us update me apne kaha ki layla jo badla lena chahti hai uska karan khatarnak hai....to is baat ka aarth kya hai.....
Ye upar yani pahle bhag ka kissa tha... Jahan Serin aur Nayla apne maksad sadhne ke liye mahavinashi ke pass pahunchi thi...

Mahavinashi jo hai puri kosis karke thak chuka tha fir bhi nischal ko maar nahi paya... Tab jo Nayla ne maarne ka upay bataya tha ... Wo khatarnak plan tha...

Aur wo plan kya tha...

Nischal yani ek Viggo... Apne patni yani jodi ke viyog me mar jata hai... Isliye nischal ki shadi karwa'kar usski jodi tudwa do.... Taki wo sadme se mar jaye...

Aur yahi kaharnak plan Nayla ne bataya tha... Jiske chalte sab log Nischal se apni beti ki shadi karwane ke liye rahi ho gaye ...

Jabki Serin aur Nayla ko kisi tarah shadi karwani thi isliye aisa plan bataya un logon ko... Un logon ne bhi pata lagaya tha... Jisme Nayla ki baat sach nikli... Isliye mahavinashi aur anya log shadi ke liye raaji huye
 

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,023
173
Update:-41



Uss mahol me Jivisha ki dard bhadi ek lambhi chinkh gunj gayi.... Jivisha ke ankhon ke aage lagbhag andhera tha aur sar me kafi tej dard, jiski pira asahniya thi. Itni asahniya pira ki uski chinkh kafi dur tak suni ja sakti thi... Bhaybhit aur dil me aatank paida karne wali chinkh...


Insano ki fir kya baat thi, chinkh jahan tak gunji, uss mahol ke janvar tak bhaybhit ho'kar chinkh rahe the. Nischal yun to chinkh nahi raha tha lekin ek alag hi prakar ka bhay uske sine me bhi paida hone laga tha...


Wahin Jivisha ke hath thame Vaibhav, wo to lagbhag behosh ho gaya tha. Uski aakhen ghum'kar upar chali gayi thi, aur muh se jhag nikalne laga tha... Nichal teji se Jivisha ke pass pahunch'kar usse apne bahon me sameta.


Uske pith par hath ferte huye, bade pyar se... "Tumhara dard hum sab mehsus kar rahe hain... Tum nahi chahti mai tumhare pass rahun to main chala jata hun.. lekin tunhare dard bhadi chinkh sun'kar wo masoom ladka mar jayega... Sambhalo khud ko Jivisha.. shant.. shant... Shant"...


Nischal ki baten jaise Jivisha ke ander tak pahunch rahi ho..… Nischal jaise-jaise apni baat kahta gaya, Jivisha ki aakhen bojhil aur chinkh dhire-dhire kam hoti chali gayi.


Nischal ne turant dono (Jivisha aur Vaibhav) ko ander kamre me liye. Jivihsa ko ander bedroom me lita diya aur Vaibhav ko hall me sofe par lita'kar uska chehra saaf kar'ke, uske muh par pani ke chhinte marne laga... ..


Vaibhav apna sar pakde hosh me aaya aur Nischal ko dekhte huye... "Kafi katarnaak chinkh thi nahi. Mera sar dukh raha hai"…


Nischal uske sir par hath ferte... "Shayad main yahan hun iss vajah se ye sab hua hai. Jab usse hosh aa jaye tab Jivisha se kah dena main ab kabhi uske samne nahi aaunga"…


Vaibhav, Nischal ko bade dhyan se dekhte... "Aap love karte ho Jivisha bua se"… ..


Nischal ek najar Vaibhav ko dekh'kar muskurate huye... "Pata nahi... Bus sabne kaha ki yahi meri sacchi mohabbat hai aur ussi ki chahat me yahan tak chala aaya"…


Vaibhav:- Mera sar bahut dukh raha hai.…


Nischal:- Chalo pahle hospital…


Vaibhav apna phone me number dial karke apna phone Nischal ke ore badhate huye wapas se achet ho gaya... Uski aakhen to khuli hui thi, lekin kuch bol nahi raha tha... Uski haalat dekh'kar Nischal ander se jaise saham gaya ho... Phone ke dusre ore se awaj aa rahi thi, Vaibhav, Vaibhav… awaj sunkar Nischal ko hosh aaya ho jaise.…


Nischal javab dete huye Vaibhav ke achet awastha ke bare me harbari me bataya. Nischal to yahan haalat dekh'kar ghabraya tha kintu Vaibhav ke bare me sun'kar to jaise phone ke dusre ore ki vyakulta aur chinta ko mehsus kar khud Nischal stabdh rah gaya...


Hospital se un logon ne ambulance bhejne ki baat kahi lekin Nischal ne jimmedari uthate huye kahne laga ki yadi usse sahi location bataya gaya to wo matr 1 minute me Vaibhav ko wahan pahuncha sakta hai...


Fir kya tha agle hi pal mobile me location set ho gaya, aur Nischal location ke rod map ko dimag me utar'kar sidha hospital pahunch gaya... Darvaje par hi Dr Swastika intzar kar rahi thi... Chehre se kafi pareshan aur Vaibhav ki aakhen dekh'kar to mano uske aashu chhalak aaye ho....


Wo Nischal ko dhanywad kahti hui batane lagi ki ye baccha uska bhatija hai. Nischal se wo ijazat lekar ilaj ke liye nikal gayi aur Nischal wapas falt chala aaya. Jivisha ab bhi aakhen mundi hui thi, aur Nischal ko kuchh samjh me nahi aa raha tha…


Mann ke ander dwand chhid gaya ho jaise. Ek mann kar raha tha ki wo yahan se laut jaye. Shayad usse hi dekh'kar Jivisha itne dard se chinkhi thi, fir agle pal khyal aata hai ki Jivisha ko iss haal me chhod'kar jane ka koi auchitya (matlab) nahi banta...


Gahri shwans lete wo sofe par baith gaya.… "Kya hua, itne padesan kyon ho"… achanak hi Nischal ke mahstisk me awaj gunjne lagi…


Nichal:- Nahi, nahi, nahi... Tum ye dimag me jhankna band karogi… aisa lag raha hai apni jindgi apni nahi rahi... Bus chali jao abhi.. mujhe koi baat nahi karni..


Orja:- Tumhe shayad nahi pata… prithvi par Teleportation karna kitna muskil hai… ajib vayumandaliya banavat hai yahan ki... Ek tumhare dimag tak pahunchne ke liye mere dimag ki sari nashen hil jati hai.... Yahan jitni kosis main karti hun ek tumse sampark karne ke liye... Utne me main na jane unjverse ke kitne bhaag me jhaank sakti thi...


Nischal:- Haan to wo mehnat bhi kyon kar rahi ho band kar do...


Orja:- Jabtak tumhe tumhari manjil tak nahi pahuncha dun, tum kuchh bhi kah lo main jhankna band nahi karungi… tumhe kya lagta hai tumne mujhe France airport par yaad kiya aur main tumhari awaj sun payi thi... Uske liye tumhare pass telepaithy ki kashmta honi chahiye thi…


Nischal:- Hmmm !!! Thik hai abhi maaf karo thoda ukhda hua hun... Aur haan ek mobile le lo... Ussi se sampark karna ab..


Orja:- Thik hai tum bhi wahan mobile le lo... Aur jyada socho mat, bus Jivisha ke pass waqt do.… Chalti hun apna khyal rakhna...


Orja ki awaj gunjna band ho gayi. Nischal sabhi ghatnakram par sochne laga... Tabhi uske darwaje par dastak hui, najar utha'kar jab dekha to samne Serin thi… Serin ko dekh'kar Nischal ko aisa laga mano uske bejan sarir ki jaan aa gayi ho...


Serin uske pass biat'ti uske hath ko tham'kar, Nischal ko dekhti hui.… "Kyon pareshan ho"..


Nischal:- Pata nahi kuchh bhi samjh me nahi aa raha... Kuchh din se Jivisha ke sath hun, lekin wo baat karna to dur mujhe dekhna pasand nahi kar rahi… kya sach me yahi meri sacchi mohabbat hai...


Serin:- Hum dono ki tarah usne bhi apni yaden khoyi hai…. Jo haal tumhara hai wahi haal Jivisha ka aur wahi haal mera...


Nischal, Serin ko ghurte huye usse khinch'kar ek thappad lgaate.… "Main yahan pareshan ho raha hun, aur tum mujhe memory blank hone ka kahani bata rahi...


Serin:- Pagal ho gaya kya, ya dimag thikane par nahi hai... Gussa aaye to khud ko thappad maar mujh par hath uthaya na to hanth tod'te mujhe waqt bhi nahi lagegi...


Nischal:- Tu wakai sach kah rahi hai...


Serin:- Bhar me ja tu... Mai tere pados wale ghar ke log ko jarra samjha aaun ki aaj se kuchh din tak wahin unke ghar me rahungi, tab'tak tu aaram se sochta rah...


Serin wahan se uth'kar chal deti hai aur Nischal puri hairani se issi baat ke manthan me laga rahata hai ki... "Kya wakai me Jivisha ki bhi yaden gayi"…


Raat dhire-dhire gahri hoti chali gayi. Subah Nischal ki jab aakhen khuli Jivisha ab bhi gahri nind me thi. Nischal ghar me lage TV ko on kiya aur channel badalne laga...


Ek news channel, fir dusra, fir teesra... Sabhi news channel par Jivisha ke khaufnaak chinkh aur logon ke bhay ki charcha ho rahi thi... Samachar ki maane to uss ilake ke lagbhag 80 hazar log prabhavit huye the... Aur uss apartment ke 200 meter ke dayre me fasne wale takriban 3000 log hospital me apna upchar karwa rahe the...


"Jivisha badi khatarnaak chinkh hai tumhari... Bechara wo ladka"… Nischal ko jaise hi Vaibhav ka khyal aaya wo daud'kar hospital pahunch gaya. Dr Swastika ka pata laga'kar mulakat ke liye pahuncha. Kuch der intzar ke baad Swastika ne Nischal ko bulaya...


Kuch aupcharik baten hone ke baad Nischal, Vaibhav ke bare me puchhne laga. Nischal ke sawal par Swastika kuchh pal khamosh rahne ke baad.… "Kuchh waqt lag jaye usse thik hone me... Abhi itna hi kah sakti hun"…


Dard aur chinta dono Swastika ke chehre par saaf dekhi ja sakti thi... Nischal uski baat sun'kar chinta jahir karte… "Dr, koi ghabrane wali baat to nahi hai"…


Swastika:- Shwans aur dharkane normal hai... Ek baar hosh aa jaye fir kuchh kah pana sambhav hoga…


Nischal:- Kya matlab hai ki wo behosh hai. Raat me ek baar hosh to aaya tha... Aap sabne thik se kosis to kiya hai na...


Swastika:- Yahan hum sirf kosis nahi karte hain. Fir wo to hum sab ki jaan hai.. uske liye to... Chhodiye, aap apna number chhode jaeye, Vaibhav ke hosh me aate hi main aapko bhi khabar kar dungi...


Nischal:- Aapko bhi matlab.. aapne ab tak uske mata-pita ko suchna diya ki nahi...


Swastika, Nischal ke har baat ka jawab dena sahi nahi samjhi isliye usse samjha'kar wapas bhej di... Nischal wapas se flat laut aaya... Dimag jaise sunn parta ja raha ho. Chal rahe mahol me kuchh bhi samiksha karne me asamarth aur mann me hazar sawal...


Nischal ka kuchh waqt sochte, sochte gujar jata hai. Din ka waqt hoga jab nischal ke kano me dard bhari karrahat me "maa" shabd kano me parta hai... Nischal turant Jivisha ke pass pahunchta hai..


Jivisha wahin kamre me apna sar deewar par patakti hui.. dard me maa, maa kar rahi thi… Nischal piche se uske kandhe par hath dalte… "Jivisha.. Jivisha"..


Jivisha palat'kar Nischal ko dekhti hai aur dard se bilakhti hui kahne lagti hai... "Aakhir galti kya thi meri... Tumhe paglon ki tarah shayad maine chaha tha isliye tumhari koi baat yaad na hote huye bhi tumhe samne dekh'kar main pagal si hui ja rahi hun... Main bahut hi jyada dard me hun aur khud par kabu nahi rakh pa rahi.. Mujhe maar kyon nahi dete... Bardast karna muskil ho raha hai"…


Nischal:- Galti meri hai..... Mujhe bahut pahle yahan aakar sab bata dena chahiye tha... Tumhari iss haalat ka main jimmedar hun... Chalo pahle hospital chalte hain, tunhare dard ka ilaj kiya jaye...


Jivishsa:- Kahin nahi jaana mujhe… tum.. tum..


Aur Jivisha kahti hui behosh ho gayi. Aankhen jab khuli tab wo ek chhote se kamre me thi aur uska hath thame Nischal apna sir bistar se tikaye so raha tha....


Jivisha jaise hi uthne ki kosis ki, Nischal ka hath hila aur wo apni aankh khol'kar Jivisha ko dekhne laga… Yun to 2 pal pahle Jivisha ke mann me kayi sare sawal the... Lekin Nischal ka wo jivant chehra, jis'par Jivisha ke jaagne ki khushi thi... Usse dekh'kar mann me uth rahe sare sawal jaise shant ho gaye ho... Wo khamosh nigahon se bus Nischal ka chehra dekhne lagi..… Jivisha ke mann me na to iss pal ke sawal ki wo kahan hai, aur na hi purane koi vichar jisme Nischal ek dhokebaaj tha...


Nischal ko dekhne ki santusti hi alag thi. Shwans bilkul madhyam aur dharkane ek lay me dharakti hui, fut'te prem ka anusaran (apna) kar rahi thi... Aur jo haal dil ka idhar tha, wahi haal dil ka udhar ho raha tha...


Nischal ko shuru se hi Jivisha ki gahri nili aakhen uljha liya karti thi aur ab bhi wo unhi aakhon me uljha tha... Shwans uski bhi madhyam aur dhrakane lay me dharak rahi thi.… Ajib hi sukoon ka mahol tha jo bilkul shant hokar Jivisha ko lagatar dekhne ke liye prerit kar raha tha...


Ek dusre ko dekhte huye kab chehra khil gaya pata bhi nahi chala. Tabhi ek chhoti si khalal ne dono ko unke khoye mahol se ubara... Dr Swastika Nischal ko kuch der bahar intzar karne ke liye kah'kar, Jivisha ka check up ki aur bahar aate waqt Nischal se kahti chali...

"Uska sath mat chhodna usse abhi tumhari jaroorat hai. Na to usse pata chalna chahiye ki uske chinkhne se kya hua aur na hi uss ke dimag par koi jod pade"…


Nischal:- Aisa kyon doctor...


Swastika:- Abhi tumhare liye sirf itna jaan'na jaroori hai ki wo dimagi tanav se gujar rahi hai... Bus uska khyal rakhna..


Nischal:-. Doctor wo Vaibhav…


Swastika:- Baad me baat karti hun.. abhi tum Jivisha ko yahan se lekar jao...


Nischal ke sawal ko taal'ti hui Swastika wahan se chali gayi aur Nischal jaise hi kamre me dakhil hua Jivisha wapas se gumsum baithi hui thi…


"Abhi to khili hui si thi... Ye doctor ne tunhe aisa kya kah diya jo murjha gayi"… Pass aakar Nischal Jivisha ka hath thamte huye kahne laga…


Jivisha:- Tum kyon laut aaye Nischal... Jab tumne mujhe chhod hi diya tha to fir wapas kyon aaye.. dekho ab dono hi pareshan hain… khush rahte wahin, main bhi yahan khush hi thi…


Nischal:- Hospital se chale pahle… kuchh khate huye baat karte hain...


Jivisha:- Nahi mera mann bechain hai… Kaise bata dun ki dil ke armaan bekabu hokar bhadas nikalne kah rahe hain lekin main kar nahi pa rahi..


Nischal:- Aisi baat hai kya… to fir chalo chalte hain...


Iss se pahle ki Jivisha kuch samjh pati Nischal usse utha'kar lagbhag gayab sa ho gaya. Bahut daurne ke baad Nischal Jivisha ko ek nirjan (viraan) jagah par le'kar aaya, jahan kayi 100 kilometer dur-dur tak koi jiv-jantu ka namo nishan tak nahi tha...


"Yahan apni bhadas pahle nikal lo, fir hum baat karenge"… Nischal muskurate huye kahne laga...


Jivisha, mud'kar 2 kadam chalti… "Kyon meri muskilein badha rahe ho Nischal.… Tumhari yaad nahi tab itni taklif ho rahi hai... Tumhari yaad hoti to main ghut'kar mar jaati... Tum jao apni use girlfriend ke pass"… .


"Achha kewal meri hi girlfriend hai aur tum jiske sath ek chhat ke niche rahti thi wo kaun tha... Bhai tumhara"…


"Nischal juban sambhal'kar... Jab kisi ke bare me nahi jante to kuchh bhi bakwas mat karo"…..


"Haan aur tumne jaise bada jaan liya tha mere aur Orja ke bich ka rasta, isliye aisi ghatiya baten kar rahi thi"…


"Main gahtiya baten kar rahi hun"… kahte huye dono hath apne aage karti jhatki aur Nischal hawa me uddta kahan gira pata nahi. Wah Jivisha ke najron se bilkul ojhal ho gaya....


Haan Jivishs thodi chidhi thi.… Aur jaan bujh'kar wo dakka bhi di thi... Nischal agle hi pal samne prakat hote…. "Main mar gaya hota to"…..


Jivisha:- To le lo badla.. maar dalo mujhe aur ye kissa khatm karo…


Nischal:- Aur jaan ki koi kimat nahi hai..


Jivisha chidhti hui.… "Tumhari puri kashmta mai ek jhalak me scan kar chuki hun... Jyada bano mat... Kuchh nahi hua hai tumhe"….


Jivisha apni baat kahte wapas se muh mod lee... Nischal uska hath pakadte.… "Ab tum apni hi baat bol'kar aise chali jaogi to main kahan se kuchh samjha paunga"…


Jivisha:- Hmmm !!! Sorry.… Kaho kya jhut kahna hai.… Behtar to ye hoga ki kah do, uss daur ki yaden hi tumhare dimag se khali ho gayi jis daur me hum sath the...


"Ye kya hai... Isne to fansa diya... Main kya, bhuli to ye bhi sab kuchh hai... Iski to, fansa dee mujhe"… Nischal apne jahan me khyal laata... Uska gala pakadne ke liye pichhe se hi apna hath uske gale ke ore badhane laga...


Tabhi Jivisha palat gayi aur najron ke samne gala dabochne wala pose... "Haan sawal puchhne par gala hi ghont do… ab to jhuth bhi bol do na ki tunhara kisi ladki ke sath affair nahi raha...... Mujhe to pakke se yakin hai ki tum ek nahi kayi ladkiyon ke sath"…


Kahti hui Jivisha khamosh ho gayi aur wapas palat'kar chalne lagi… Jivisha ja rahi thi aur Nischal apni jagah khada...


"Yaar isse aakashwani hui thi kya... Isse to pura shak ho gaya hai... Kya karun sach kahun ya jhuth... Apni sacchi mohabbat aage badhaun ya maine usse dhoka diya kabool kar'ke sab uske upar chhod dun... Kya karun main"…
Manmohak update sahib
Shaq ki beemari ka koi ilaaj nahin bhai
 
  • Like
Reactions: Asif khan

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,023
173
Update:-42



Ek anokhe jaal me naa kewal Nischal fansa hua tha, blaki Jivisha bhi... Ek mann dono ko pass la raha tha to dusra mann ek dusre ko dur rakhne ki kosis kar raha tha aur issi ka natija ek din se dono jhel rahe the...


Kabhi kuch to kuch dimagi upaj ho rahi thi. Nischal to fir bhi santulit tha, sara khel to akeli Jivisha hi rach rahi thi, shayad usse bhi pata nahi ki wo iss sitaution me kya aur kaise react kare...


Jivisha uss nirjan (viraan) se jagah me apna ek-ek bojhil kadam aage badha rahi thi… Soch ki gahraeyon me dubi.. tabhi Nischal daud'kar uske samne aate..... "Jivisha meri baat to suno"..


Jivishsa:- Tumhe hi to sun'ne ko bechain hun Nischal… tumhari khamoshi jitni lambi ho rahi hai, utna hi mera dil bechain ho raha hai...


Nischal, Jivisha ki aakhon me dekhte huye usse gale se laga liya… khud me aisa sameta ki Jivisha, Nischal ke bahon me bharne ke sparsh ko mehsus karti apne bahon me usse bhinch'kar kahin kho si gayi...


Saanjh dhalne ko aayi thi... Suraj ki laal kirne charo ore phail rahi thi. Ek lambe waqt tak dono ek dusre ke dharkan ko mehsus karte huye, na jane kab tak khoye rahe.… Ek alokik anubhav tha jise dono mehsus kar rahe the..


Jivisha, Nischal se alag hoti, wahin niche baith gayi... Aur apna chehra upar kar'ke Nischal ko pyar se dekhti hui, uska hath khinch'kar usse apne pass bitha lee... Jaise hi Nischal uske pass baitha... Uske kandhe se apna sar tika'kar.… "Pata nahi kyon main aksar confuse si rahti hun... Mujhe kya ho raha hai, mujhe khud bhi pata nahi chal raha"…


Nischal, apne ek sath se uske balon me hath dal'kar, uske balon se khelne laga… "Nischal... Nischal"…


"Haan Jisa kaho na"…

"Tum pass ho to achha lag raha hai... Mujhse dur kyon gaye the baby"…

"Bewakoof tha jo gaya tha Jisa..… Please mujhe maaf kar do"…

"Jante ho mai tumhe bhul gayi thi aur mujhe ab bhi yaad nahi ki uss waqt humne kya-kya kiya tha... Kya tumhe pata hai aisa kyon hua"…


"Haan pata hai na... Kyonki mujhe aane me waqt lagta aur tum yahan soch rahi hoti ki maine tumhre sath dhokebaji ki hai... Isliye rachayita ne kuch wakt ke liye tumhe blank kar diya tha... Dhire-dhire sab samanya ho jayega"… ..


"Hmmm !!! Achha lag raha hai.. yahin mere pass baithe raho"…


Jivishsa Nischal ke hath ko apne bahon me bhinchti hui apne aakhen mundi rahi.… Kuchh aur der khyalon me Jivisha gum rahi fir achanak hi khyal aaya.… "Nischal, Vaibhav tumhare sath hi tha na"…


Nischal:- Vaibhav ???


Jivisha:- Haan mere sath jo chhota ladka tha… jo mere sath aa raha tha wahi. Pata nahi uss waqt mujhe kya hua tha… kuchh hosh hi nahi tha mujhe...


Nischal:- Jivisha woo...


Jivisha apna dhyan todti, sidhi hokar baith'ti…. "Tumhari juban ladkhada kyon rahi hai"…


Nischal:- Tum behosh ho gayi aur uske kuchh der baad uski bua aayi thi aur usse apne sath le gayi...


Jivishsa, Nischal ko ghurti.… "Sach-sach batao, tumhari aankhen bata rahi hai jhuth kah rahe ho"…


Nischal:- Nahi baba main sach kah raha hun... Chaho to baat karwa dun uski bua se...


Jivisha:- Haan abhi karwao… aur yaad rakhna jhut kahe to ulta taang dungi...


Jivisha ki aakhen aur uska haav-bhav dekh'kar Nischal uth gaya aur jeb se mobile nikalne laga.… Mobile ho to na nikale bechara… kewal jeb tatol kar rah gaya... Kuch der intzar ke baad… "Kya ho gaya, kya dundh rahe ho"…


Nischal:- Wo mere pass mobile nahi hai..


Jivisha, Nischal ko ghurti najron se dekhne lagi…. Nischal apne dono hath failaye... "Ab flow me nikal gaya, lekin tumhe pata hai na main kahan se hun"…


"Dur desh se, hawa ke pankh lagaye aaya hai mera Sahjada"… Jivisha apni baat kahti daud'kar Nischal ke gale lag gayi aur usse turant Vaibhav ke pass le'kar chalne ki jid karne lagi...


Thodi hi der me dono hospital me the. Nischal ne Swastika ko sandesh bijwaya aur kuchh der me wo milne chali aayi... Chehre se khush lag rahi thi…. Uske chehre ki khushi dekh'kar Nischal ke muh se anayas (ekdum achanak) hi nikal gaya... "Vaibhav ko hosh aa gaya kya????"…


Itni baat jaise hi Jivisha ke kano me gayi... Uski ghurti badi si aakhen thi aur Nischal ke muh se "Oppssss" nikal gaya...


Sawastika hansti hui Jivisha ka dhyan bhang ki.… "Usse na ghuro maine hi mana kiya tha, kuchh nahi batane ke liye"…


Jivisha:- Lekin aisa kyon…


Swastika:- Tum yahan 3 din tak behosh thi... Jalte sarir ka stress, dimag tak pahunch gaya tha... Upar se Vaibhav ka tension main nahi dena chahti thi....


Jivisha hairani se.… "Jalte sharir ka stress"…


Swastika hansti hui uske kaan me pura matlab samjha di... Jivisha sharma kar kewal itna hi bol payi… "Dhatt doctor"..


Swastika:- Ummid hai tumhe tumhara boyfriend mil gaya hai to ab stress bhi na rahe...


Jivisha topic ko hi badalti… "Vaibhav ko kya hua hai doctor..… Kya main uss se mil sakti hun"…


Swastika:- Baad me main puri detail bata dungi ki kya hua tha. Abhi na hi milo to achha hai... Kal din me aana... Aur haan Nischal tum number to chhod'kar jaate... Main tumse contact karne ki sochi lekin koi contact number hi nahi tha...


Nischal, kuchh bolta uss se pahle Jivisha apna number deti.… "Inka mobile kahin gum ho gaya hai, abhi chal'kar le lenge... Please jaldi call karke bula lijiyega… Vaibhav se mil lun to sukoon aa jaye"…


Dono wahan se nikal kar sidha bajar aaye... Mobile ki shopping khatm karke dono restra pahunche.. khane ka order de diya tha aur dono wahan par baith'kar anya baithe couple ko dekh rahe the...


Koi apne family ke sath enjoy kar raha tha to koi apne apne girlfriend ko dinner par le'kar aaya tha... Dono un sabko dekhte khud ki kalpna karne lage... Bada hi rochak khyal tha jo ander gudguda raha tha...


Dono inhi gudgudate khyal ke sath apna bhojan lene lage aur ek dusre ko utne hi pyar se dekh rahe the… Raat ka suhaana mausam tha... Jivisha, Nischal ka bahn thame sadak kinare chal rahi thi...


Dono bilkul gumsum the aur ander utne hi jyada hulchal. Dil ke bahut se armaan ek dusre se kahna chahte the, lekin ek dusre me khone ka ehsas uss se kahin jyada pyara tha.….


"Nischal itne khamosh kyon ho, kuchh to bolo"…

"Kya bolun... Bus achha lag raha hai"..

"Mujhe bhi.… Main bata nahi sakti ki tumhare sath hone ka romanch kya hai. Bus lag raha hai kabhi aisa daur khatm na ho"

"Mera bhi wahi haal hai"…

"Aao baith'te hain"…


Dono street bench par baith gaye... Jivisha wapas se Nischal ke kandhe par sar daal'kar aakhen mund lee...


"Jivisha... Kya maine tumhe bahut pareshan kiya"…


"Nahhh !!! Tumse jyada to uss Nandu ki bacchi ne..."


Jivisha itna hi boli ki fir usse Nandni ka khyal aaya.… "Tumne ek baar bhi Nandu ke bare me nahi puchha"…


"Nandu !!!!!"…. Ek anjaana sa rujhan Nischal ne diya.… Aisa jaise pahli baar naam hi sun raha ho...


Jivisha, Nischal ko ghurti... "Haan Nandu"…


Nischal kuch pal Kamosh raha... Usse kuchh samjh me hi nahi aaya ki wo kya reaction de aur jaise-jaise khamoshi badh rahi thi Jivisha ki harani waise-waise badh rahi thi….


Nischal:- Kya ho gaya tum aise gum kahan ho gayi...


Jivisha:- Kuch nahi..… chalo wapas chalte hain…


Wapas raste bhar dono lagbhag khamosh hi rahe. Nischal bhanp chuka tha ki yah "Nandu" naam kuchh to aham hissa tha un yadon ka aur shayad yahi wajah hai ki Jivisha khamosh hai... Kya bata dun ki mujhe bhi uski (Jivisha) tarah kuchh yaad nahi..… Batane aur na batane ke kas-m-kas me uljha raha Nischal…


Wahin Jivisha ko baar-baar yahi khyal uljhaye raha ki... Nandni ki Nischal ko le'kar vyakulta aur Nandni ke bare me sun'kar Nischal ka vyavahar kitna bhinn (Alag) hai... Nandni ke Nischal prem ko to shyad main byan bhi na kar sakun lekin jabse Nischal se mili hun iske to charcha me bhi meri Nandu nahi... Pati to Nandu ka bhi hai aur utna hi pyar apne pati se Nandu bhi karti hai... Bavjood uske aisa koi din na gaya ho jab usne Nischal ko na yaad kiya ho... Ho kya raha hai... Khyalon ki gahrai me Jivisha bhi dubi bus yahi baat-baar sochti hui laut rahi thi...


Phinke se good night ke baad dono apne apne flat me chale gaye.… Jivisha ander aate hi sidha Nandni ko call laga di... Ek pura call chala gaya Nandni ne call pick nahi kiya lekin kuch hi seconds bite honge ki udhar se Nandni ka call aaya….


Jaise hi Jivisha ne call pick kiya... Udhar se... "Hello kaun"..


"Ji hello main"…


"Kamini, Jhalli, ullu... Sensor board ke taang adane ke baad wala beep beep beep"…


Jivisha khul'kar hansti.… "Bus kar kitni galiyan degi... Thanba re"…


"Main ruk jaun... Haan bhagodi... Mujhe Pune me fasa'kar 3-4 mahine se gayab hai aur galiyan bhi Na dun"…


Jivisha chhota sa muh banati... "Kuchh din baad jab tere samne rahungi tab pet bhar gali de dena... Abhi tu guess kar"..


"Aur kya guess karna hai"…


"Wahi main kiske sath hun"…


"Apasyu Raghuvanshi… tera naya boyfriend"… janti to sab thi Nandni lekin usne chhipaya…


"Wrong guess"…


"Oye free wifi connection… ab kiske sath connect ho gayi"…


"Huhhhhh!!!!"


"Jisa darling, gussa nahi hote.. lekin tu kahan gayi uske sath hume pata nahi... Kya sab kar gayi wo bhi hume pata nahi"…


"Oyeee Nandu ki bacchi... Ye 'kya sab kar gayi' par tu itna jod kyon dal rahi hai...


"Hahaha... Ab tu "naughty boyfriend" aur "aag lagi jawani" jab raat ke akele me padhti thi, tab ek khyal to banta hai na ki raat ke andhre me to tere pas naughty boyfriend aur aag lagi jawani dono the fir kya hua hoga"…


"Kuchh jyada nahi bol rahi hai tu... Tera sar phod dungi main… aur Apasyu bahut sarif hai samjhi tu"…


"Sarif to mera Ansh bhi hai re Jisa... Aaj kal mujhe hadkadi laga'kar raat me kahar dhata hai... Ab Ansh se jyada sarif ki kalpna to main kar nahi sakti aur bina mere aag lagi jawani me bhi wo apni naughty harkaton se aag laga jata hai"…


Jivisha phone rakhti.… "Kamini bahut jyada maze le rahi... Isliye phone na laga rahi thi... Main hi pagal hun... Mil'kar hi puchhna tha"…


Jivisha soch hi rahi thi ki udhar se Nandni ka call aa gaya.… Jivisha 2 baar nahi uthayi... Teesri baar chidhti.… "Samjh me nahi aa raha tujhse abhi baat hi nahi karni"…


Nandni:- Tu dekh sakti hai to dekh le maine dono kaan pakad liye… gussa na ho aur phone kyon ki wo bata...


Jivisha:- Tujhe pata hai main kiske sath hun…


Nandni:- Itni himmat nahi ki main koi naam guess kar sakun suspence se parda utha de...


Jivisha:- Haan lekin ek shart par…


Nandni:- Kya???


Jivishsa:- Aise nahi pahle tujhe meri kasam khani hogi ki tu bhi mujhe sab sach sach batayegi...


Nandni:- Ye tera filmi natak shuru hua... Kasam kha lo... Sach hi kahna hoga... Pagal jhut kab boli thi...


Jivisha:- Jhut nahi boli thi to pura sach bhi nahi bataya tha... Jis daur me maine Nischal ki yaden khoyi thi, uss daur me maine kuch aur bhi khoya tha, jo mere ander hi kahin iss tarah se daba tha ki main tum sab ke liye khatra thi... Tu bata meri vajah se kisi ko kuchh hota to tujhe lagta hai ki main jinda rahti... Fir bhi chhipya tumne…


Nandni:- Tu wapas aa fir main sab samjhati hun...


Jivisha:- Aungi to main pahle tujhse aur Kasak se hi milna pasand karungi... Lekin abhi tu kasam kha ki tu sach kahegi.
..

Nandni:- Kis bare me sach kahna hai wo bata de... Warna bhul ja...


Jivisha:- Nischal ke bare me sab sach batana hai... Aur wo mere sath hai...


Nandni:- Tujhe ab tak samjh me nahi aaya kya... Uska bhi teri tarah fuse uda hai... Jitni baten tumhe yaad nahi, utni baten usse bhi yaad nahi...


"Tujhe acting shuru kar deni chahiye... Maine Nischal ke bare me bataya to tere reaction itne normal kaise ho sakte hain... Ek jajbat to dikhna hi tha ki "aree wo tere sath kab, kaise, kahan.. puri ghatna bata…" lekin tujhe to pahle se pata tha ki main kiske sath hun... Fir bhi itne der se ghuma rahi… Bus bura iss baat ka lag raha ki mujh se chhipane ki kya jaroorat thi... Tu yadi janti hai ki main kiske sath hun to main tujhe kha jaungi kya? Tu bhi aise gayab hoti to dil ke tasalli tak main tujhe dhundhti... Kya ye itni badi baat thi ki phone par shuru se chhipa rahi thi"…


Nandni:- Pagal senty kyon hoti hai... Main abhi samjha deti hun...


Jivisha:- Haan bolte waqt senty thi... Aur abhi utne hi gusse me… tu phone rakh… tujhse to samne se mil'kar batati hun aur jaldi batati hun... Pahle Jara main iss Alian se nipat lun... Ye bhi teri tarah baat chhipa raha hai...


"Sun to jisa"… lekin tab'tak Jivisha apne kamre se bahar nikal chuki thi... Ek santulit hath ka jhatka flat ke gate par, aur dhraamm ki awaj ke sath flat ka darwaja udd gaya... Jhatke sofe tak lage jahan iss waqt Serin aur Nischal baith'kar baten kar rahe the...


Nischal aur Serin chaukanna to huye lekin agle hi pal dono hawa me tange huye the.… "Areee Jivisha ye kya kar rahi ho"…


"Tumhari bhi memory loss hui hai ye kaun batayega mujhe"… Jivisha pure aakroshit hui puchhi...


"Wo tumhe Nischal stress nahi dena chahta tha... Aur samne se tumne jab"…. Serin bol hi rahi thi ki bich me uska muh band ho gaya...


Jivisha:- Main tumse puchh rahi hun na Nischal javab do...


Nischal:- Socha tunhara mood achha dekh'kar tumhe bata deta... Tumhe yadi lag raha tha ki mujhe sab yaad hai to yahi sahi..… Socha tum bhi ussi daur se gujar rahi ho vishwas ho ki na ho...


Jivisha:- Sala sab yahi soch'kar mujhse kuch batate hi nahi hai... Ek man to kar raha ki sabke dimag me hi ghus jaun... Par gurudev se dhoka ho jayega... Iss ladki ka yahan iss scene me kya kaam...


Nischal:- Ye meri bahan hai Serin aur iski bhi memory blank hai...


Idhar Baten bhi ho rahi thi aur Nischal aur Serin hawa me gulati laga'kar Jivisha ki shaktiyon se chhutne ki bhi kosis kar rahe the Jivisha ye bhanp gayi... Gussa to pahle se thi hi... Thoda aur apni shaktiyan badhati aisa laga jaise unhe hawa me hi bandh di ho.… Hil bhi nahi pa rahe the...


"Nice to meet you nanad ji. Tumhara bhi bahut jikr tha Nandu ke kisse me. Lekin mere love yani tunhare bhai Nischal ke bahut kisse bataye gaye hain... Viggo Sigma... Unclassified Alfa.... Apne jaisa eklauta aur apne samuday ka iklauta"...

"Lekin mere scanner se koi bacha hai kya.… Tumse to tumhari bahan ne hi shuru se chhipaya hai... Uske pass bhi tumhare jaisi hi shaktiyan hain... Bus tumse thoda kam hai, lekin iska ye matlab nahi ki tumse kam hai... Isme iske kisi aur samuday ki shakti bhi utni hi jyada bhadi hui hai... Tou Mister Nischal ab mere dard ko mehsus Karo ki chhipana kitna bura lagta hai... Fir chahe baat chhoti ho ya bari. Jhagra karo dono bhai-bahan latke-latke, main chali"…


Aur.….. Jivisha apni baat kahti Serin ka muh khol di... Aur wahan se chalti bani...
Bahut badhiya update mitr
 
  • Like
Reactions: Asif khan

Anky@123

Well-Known Member
2,061
6,877
143
Lajawab update nain bhai ,apne chirparichit andaz me pure update me jivisha hi jivisha chayi rhi. Aur adhura sach janker kya ahsas hota hai wo bhi sirin aur nishchal ko samza di. Magar wo khud bhi kya kare wo bhi aakhir us sarpmarich ke hatho dimagi bimari ka shikar hai. Ab to sare raz tabhi kulege jab samne Nandu aayegi aur har baat se parda uthayegi. Aur ab bat serin ki ..kya karan tha nishchal se ye sab chipane ke pichy . Koi to vajah jarur rhi hogi . kher dushman itna khatarnaak hai in logo ko majbut to hona hi hoga. Dekhte hai sare masale mil ker kya khichdi banate hai
 
  • Like
Reactions: Nevil singh
Top