• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,708
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,349
304
galatfami ke chalte kya se kya ho sakta hai ye to jag jahir hai.....
kisi bhi samasya ka hal baat chit se nikala jaa sakta hai.. swasth baat chit har riste ki niv hoti hai.. apne vicharo ko kaise byakt karte hai, isse bhi fark padta hai... Agar aap behtar sanvad kar sakte hai hai, to aapke apne sathi ho ya dost ke sath sambandh aur majboot honge... aise kayi tarike hai jisse apne vicharo ko byakt karne madad karte hai...
Kabhi kabhi hum apne sathi se ummid karte hai ki wo hamari baaton ke piche chipe huye asal matlab ko samjhe, lekin is soch par nibhar rahna ya iski ichha bhi rakhna, sach mein uchit nahi hai... yeh sochne ki bajaye apne vicharo ko sidhe taur par apne sathi ke samne rakhne ki koshish karni chahiye.. jab baatein samne rakhe, to baaton ke arth samjhane ke liye kuch udaharan bhi rakh sakte hai... taaki boli jaa rahi baaton ko samne wala chahe jivan sathi ho ya dost ya phir koi apna, yeh sabhi un baaton ko sahi mayne mein samajh paaye...
sakaratmak body language bhi charcha ko sakaratmak banane mein madad karti hai... apne saathi ki aankho mein dekhe aur uski ore jukhav rakhe... chhahe to sanketo ko darshane ke liye apne hatho istemaal bhi kar sakte hai... is tarah se dikhana chahiye ki haan bharosha to lekin kuch baatein ab bhi adhuri hai to in adhuri baaton ko clear kare... hatho ka istemaal samjhane ke liye hai... na ki samne wale ko maarne ke liye... yahi galti jivu ne kayi baar ki hai abhi se nahi bahot pehle se hi...
kishi vishesh paristhiti mein jivan saathi ka kya dristikon hoga, ye jaanne ke liye pehle khud ko uski jagah par rakhkar apni kalpna shakti ka istemaal karke thik ushi ki tarah sochna hoga... is baat se bhi wakif rahe ki ho sakta hai, yeha par kuch aisi baatein bhi ho, jinke bare mein aapko kuch jaankari na ho... jab wo bol raha ho to ek baar uske uske nazariye se bhi sochne ki koshish karni chahiye.. isse aapko ye samajhne mein asani hogi ki aapka vyavhaar ya paristhiti ushe kitna pareshan kar rahi hai aur kyun.? jab aap gusse mein rahti hai ya dukhi rehti hai to bahas ke alawa kuch kuch soch Pana aapke liye kathin sabit hota hoga lekin upor ullekh ki gayi tarkib aapko, is samasya ka bahut jaldi samadhan degi... jivu aur nischal khas kar ke jivu is baaton gaur karti hai hai to shayad aisi marne ya maarne ki paristhiti utpan hi na ho...
jitne zyada sawal kar sake, kare ya phir apni baat kahte waqt jara si anichiyata darshaye ki kya kahna chahti hai..ki in baaton par vishvas karna muskil hai jara inbaato ko clear kijiye.... lekin puchte waqt bilkul ek vishvas ke sath sahi bhavnao ke sath puchni chahiye.. . Yadi aapke sathi ko aapki bhavnao par jara bhi shaq hoga to wo aapke baaton ko gambhirta se nahi lega...
agar in baaton par nischal aur jivu shaant mann se amal kare to wo suprmachis dwara bune gaye Saryanta aur chaal ka ka bhi tod nikal aayega..... kyunki apne sathi ke prati atut vishvas aur pyar... ye sabse badi takat hai iske samne suprmachis ka chaal hi kya apitu astak jaisa shaktisali bhi tinka barabar hai...
aur sabse aham baat is atut vishvas aur pyaar ko safal karne ke liye yahan to kayi apne bhi hai...

jivisha ko ek aur baat pe gaur karni chahiye ki nandu gusse mein kyun nahi.. nischal to sabse badhkar hai nandu ke liye .. ek bhai se bhi badhkar hai uske liye..
phir itne dino baad yahan prithvi aake nischal uske baare mein khoj khabar na lene par nandu gussa kyun nahi hai.. koi to kaaran ya wajah hogi...

ek sabse badi galti kar di us apsyu ne bhi...
shaktiya jagrit kar diya lekin yeh nahi shikaya ki ye shaktiya kitni khatarnak sabit ho sakti hai agar gusse ya nadani mein ya galatfami ke chalte pyayog kiya to...jiske chalte dekho kitne logo ko nuksan hua.. .nischal ya serin pe bhi jor ajmaish ki usne un shaktiyo ko mahaz galatfami aur agyanta ke chalte .. kya itna bhi budhi nahi us apasyu mein.. ki talwar to deke talwarbazi bhi sikha diya lekin ye nahi sikhaya ki kispar uthana chahiye kis par nahi..kaha pe sayam rakhna chahiye kaha par nahi..
aur main kuch bolu to bhadak jaaye hamare writer sahab...

Yaha pe ek baat sabhi kirdaaro ko gaur karni chahiye ki nischal jivu ki tulna mein saant hai kyunki wo sirf kuch baatein bhool gaya hai lekin jivu ne apne andar base apar shaktiyo ko ki bhool suki thi.. isliye akashmat aise kuch shaktiya jagrit ho jaane se wo sambhaal nahi pa rahi hai...
Iski wajah wo apsyu hi....

Akhir mein.... Ansh, nandu, sawelkar aur jyoti bhabhi ko chhod baaki jo kirdaar hai kahani mein wo sabhi kirdaar favorite story characters ke list se hat chuki hai.... insabhi ke liye wo lagav ya feelings na rahi jo xp se leke xf tak, ishq risk kahani mein thi...

Khair let's see what happens next

Brilliant update with awesome writing skills nainu ji :applause: :applause:
 

KEKIUS MAXIMUS

Supreme
15,845
32,654
259
lovely update ..jungle me aakhir dono ek dusre ko samajh gaye aur pyar bhari baate karte rahe 😍.
vaibhav ki yaad aate hi jivisha tension me aa gayi par swastika ne sab sambhal liya .
shopping dinner karne ke baad jab ghum rahe the to nandani ka jikr kiya jivisha ne aur usko laga ki nischal bhi blank ho gaya hai 🤔..
serin bhi powerful hai ye jivisha ne scan karke pata laga liya 🤔..
par serin ne kabhi bataya nahi ..

nandni ke to maje hai ansh ke saath hathkadi lagake 🤣🤣..
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

nain11ster

Prime
23,612
80,708
259
galatfami ke chalte kya se kya ho sakta hai ye to jag jahir hai.....
kisi bhi samasya ka hal baat chit se nikala jaa sakta hai.. swasth baat chit har riste ki niv hoti hai.. apne vicharo ko kaise byakt karte hai, isse bhi fark padta hai... Agar aap behtar sanvad kar sakte hai hai, to aapke apne sathi ho ya dost ke sath sambandh aur majboot honge... aise kayi tarike hai jisse apne vicharo ko byakt karne madad karte hai...
Kabhi kabhi hum apne sathi se ummid karte hai ki wo hamari baaton ke piche chipe huye asal matlab ko samjhe, lekin is soch par nibhar rahna ya iski ichha bhi rakhna, sach mein uchit nahi hai... yeh sochne ki bajaye apne vicharo ko sidhe taur par apne sathi ke samne rakhne ki koshish karni chahiye.. jab baatein samne rakhe, to baaton ke arth samjhane ke liye kuch udaharan bhi rakh sakte hai... taaki boli jaa rahi baaton ko samne wala chahe jivan sathi ho ya dost ya phir koi apna, yeh sabhi un baaton ko sahi mayne mein samajh paaye...
sakaratmak body language bhi charcha ko sakaratmak banane mein madad karti hai... apne saathi ki aankho mein dekhe aur uski ore jukhav rakhe... chhahe to sanketo ko darshane ke liye apne hatho istemaal bhi kar sakte hai... is tarah se dikhana chahiye ki haan bharosha to lekin kuch baatein ab bhi adhuri hai to in adhuri baaton ko clear kare... hatho ka istemaal samjhane ke liye hai... na ki samne wale ko maarne ke liye... yahi galti jivu ne kayi baar ki hai abhi se nahi bahot pehle se hi...
kishi vishesh paristhiti mein jivan saathi ka kya dristikon hoga, ye jaanne ke liye pehle khud ko uski jagah par rakhkar apni kalpna shakti ka istemaal karke thik ushi ki tarah sochna hoga... is baat se bhi wakif rahe ki ho sakta hai, yeha par kuch aisi baatein bhi ho, jinke bare mein aapko kuch jaankari na ho... jab wo bol raha ho to ek baar uske uske nazariye se bhi sochne ki koshish karni chahiye.. isse aapko ye samajhne mein asani hogi ki aapka vyavhaar ya paristhiti ushe kitna pareshan kar rahi hai aur kyun.? jab aap gusse mein rahti hai ya dukhi rehti hai to bahas ke alawa kuch kuch soch Pana aapke liye kathin sabit hota hoga lekin upor ullekh ki gayi tarkib aapko, is samasya ka bahut jaldi samadhan degi... jivu aur nischal khas kar ke jivu is baaton gaur karti hai hai to shayad aisi marne ya maarne ki paristhiti utpan hi na ho...
jitne zyada sawal kar sake, kare ya phir apni baat kahte waqt jara si anichiyata darshaye ki kya kahna chahti hai..ki in baaton par vishvas karna muskil hai jara inbaato ko clear kijiye.... lekin puchte waqt bilkul ek vishvas ke sath sahi bhavnao ke sath puchni chahiye.. . Yadi aapke sathi ko aapki bhavnao par jara bhi shaq hoga to wo aapke baaton ko gambhirta se nahi lega...
agar in baaton par nischal aur jivu shaant mann se amal kare to wo suprmachis dwara bune gaye Saryanta aur chaal ka ka bhi tod nikal aayega..... kyunki apne sathi ke prati atut vishvas aur pyar... ye sabse badi takat hai iske samne suprmachis ka chaal hi kya apitu astak jaisa shaktisali bhi tinka barabar hai...
aur sabse aham baat is atut vishvas aur pyaar ko safal karne ke liye yahan to kayi apne bhi hai...

jivisha ko ek aur baat pe gaur karni chahiye ki nandu gusse mein kyun nahi.. nischal to sabse badhkar hai nandu ke liye .. ek bhai se bhi badhkar hai uske liye..
phir itne dino baad yahan prithvi aake nischal uske baare mein khoj khabar na lene par nandu gussa kyun nahi hai.. koi to kaaran ya wajah hogi...

ek sabse badi galti kar di us apsyu ne bhi...
shaktiya jagrit kar diya lekin yeh nahi shikaya ki ye shaktiya kitni khatarnak sabit ho sakti hai agar gusse ya nadani mein ya galatfami ke chalte pyayog kiya to...jiske chalte dekho kitne logo ko nuksan hua.. .nischal ya serin pe bhi jor ajmaish ki usne un shaktiyo ko mahaz galatfami aur agyanta ke chalte .. kya itna bhi budhi nahi us apasyu mein.. ki talwar to deke talwarbazi bhi sikha diya lekin ye nahi sikhaya ki kispar uthana chahiye kis par nahi..kaha pe sayam rakhna chahiye kaha par nahi..
aur main kuch bolu to bhadak jaaye hamare writer sahab...

Yaha pe ek baat sabhi kirdaaro ko gaur karni chahiye ki nischal jivu ki tulna mein saant hai kyunki wo sirf kuch baatein bhool gaya hai lekin jivu ne apne andar base apar shaktiyo ko ki bhool suki thi.. isliye akashmat aise kuch shaktiya jagrit ho jaane se wo sambhaal nahi pa rahi hai...
Iski wajah wo apsyu hi....

Akhir mein.... Ansh, nandu, sawelkar aur jyoti bhabhi ko chhod baaki jo kirdaar hai kahani mein wo sabhi kirdaar favorite story characters ke list se hat chuki hai.... insabhi ke liye wo lagav ya feelings na rahi jo xp se leke xf tak, ishq risk kahani mein thi...

Khair let's see what happens next

Brilliant update with awesome writing skills nainu ji :applause: :applause:

:applause:

Kya khub kahi hai... Padh'kar achha laga... Aapke sandesh kabil-e-tarif the... Bus mujhe ek baat nahi samjhe me aayi ki jab aapko bhaav aur bhavnao ka itna khyal hai tab aap kirdaron ki bhavna se kaise chuk gayi....

Mujhe lagta hai aap apne vichar thopne ke chakkar me chal rahi manodasha ko hi gol kar gayi... Jiska vistrit varnan itne der se post me kiya... "Khud ko uski jagah rakh'kar samjhna chahiye and all".... Kya aapne Jivisha ke manodasha ko samjh'kar comment kiya...

Khair maine Apasyu ka to jikr bahut jyada nahi kiya tha lekin fir bhi jab aapne 4 baar jikr kar hi diya to main puchhna chahunga ki ek pura chepter move kar chuka hai aur maine Sattvik Aasharam ko bhi bataya.... So Apasyu ke soch se soch'kar dekhi ki uski kya mansa rahi hogi... Jivishsa ko le jane ke pichhe..

Aakhri me ek sawal.... Kya aap Jivisha, Nischal aur Serin ki manodasha ka purn aaklan kar sakti hai.... Yah dhyan me rakhkar ki memory kis hisab se corrupt ki gayi thi... Intzar rahega mujhe

Kabhi kabhi di gayi salaah par pahle khud amal karna chahiye... Aur aap ko aapke post chenp'kar maine kuch sawal kar diye... And waiting for reply...

Aur tab main izazat dunga ki aap mere kirdaron se nafrat karen ya pyar...

Iska simple karan hain.... Yadi sidhe nafrat hoti to I accept it.... Lekin aapne ek aise reason ke sath nafrat ki hai to meri jimmedari banti hai aapki galatfehmi ko jarra dur kar diya jaye.... Me :waiting: sath me salah ... Sorry post lamba ho jayega... Salah chenpne ka mere pass pura din hai :hehe:
 

Asif khan

Well-Known Member
6,181
18,518
188
Update:-42



Ek anokhe jaal me naa kewal Nischal fansa hua tha, blaki Jivisha bhi... Ek mann dono ko pass la raha tha to dusra mann ek dusre ko dur rakhne ki kosis kar raha tha aur issi ka natija ek din se dono jhel rahe the...


Kabhi kuch to kuch dimagi upaj ho rahi thi. Nischal to fir bhi santulit tha, sara khel to akeli Jivisha hi rach rahi thi, shayad usse bhi pata nahi ki wo iss sitaution me kya aur kaise react kare...


Jivisha uss nirjan (viraan) se jagah me apna ek-ek bojhil kadam aage badha rahi thi… Soch ki gahraeyon me dubi.. tabhi Nischal daud'kar uske samne aate..... "Jivisha meri baat to suno"..


Jivishsa:- Tumhe hi to sun'ne ko bechain hun Nischal… tumhari khamoshi jitni lambi ho rahi hai, utna hi mera dil bechain ho raha hai...


Nischal, Jivisha ki aakhon me dekhte huye usse gale se laga liya… khud me aisa sameta ki Jivisha, Nischal ke bahon me bharne ke sparsh ko mehsus karti apne bahon me usse bhinch'kar kahin kho si gayi...


Saanjh dhalne ko aayi thi... Suraj ki laal kirne charo ore phail rahi thi. Ek lambe waqt tak dono ek dusre ke dharkan ko mehsus karte huye, na jane kab tak khoye rahe.… Ek alokik anubhav tha jise dono mehsus kar rahe the..


Jivisha, Nischal se alag hoti, wahin niche baith gayi... Aur apna chehra upar kar'ke Nischal ko pyar se dekhti hui, uska hath khinch'kar usse apne pass bitha lee... Jaise hi Nischal uske pass baitha... Uske kandhe se apna sar tika'kar.… "Pata nahi kyon main aksar confuse si rahti hun... Mujhe kya ho raha hai, mujhe khud bhi pata nahi chal raha"…


Nischal, apne ek sath se uske balon me hath dal'kar, uske balon se khelne laga… "Nischal... Nischal"…


"Haan Jisa kaho na"…

"Tum pass ho to achha lag raha hai... Mujhse dur kyon gaye the baby"…

"Bewakoof tha jo gaya tha Jisa..… Please mujhe maaf kar do"…

"Jante ho mai tumhe bhul gayi thi aur mujhe ab bhi yaad nahi ki uss waqt humne kya-kya kiya tha... Kya tumhe pata hai aisa kyon hua"…


"Haan pata hai na... Kyonki mujhe aane me waqt lagta aur tum yahan soch rahi hoti ki maine tumhre sath dhokebaji ki hai... Isliye rachayita ne kuch wakt ke liye tumhe blank kar diya tha... Dhire-dhire sab samanya ho jayega"… ..


"Hmmm !!! Achha lag raha hai.. yahin mere pass baithe raho"…


Jivishsa Nischal ke hath ko apne bahon me bhinchti hui apne aakhen mundi rahi.… Kuchh aur der khyalon me Jivisha gum rahi fir achanak hi khyal aaya.… "Nischal, Vaibhav tumhare sath hi tha na"…


Nischal:- Vaibhav ???


Jivisha:- Haan mere sath jo chhota ladka tha… jo mere sath aa raha tha wahi. Pata nahi uss waqt mujhe kya hua tha… kuchh hosh hi nahi tha mujhe...


Nischal:- Jivisha woo...


Jivisha apna dhyan todti, sidhi hokar baith'ti…. "Tumhari juban ladkhada kyon rahi hai"…


Nischal:- Tum behosh ho gayi aur uske kuchh der baad uski bua aayi thi aur usse apne sath le gayi...


Jivishsa, Nischal ko ghurti.… "Sach-sach batao, tumhari aankhen bata rahi hai jhuth kah rahe ho"…


Nischal:- Nahi baba main sach kah raha hun... Chaho to baat karwa dun uski bua se...


Jivisha:- Haan abhi karwao… aur yaad rakhna jhut kahe to ulta taang dungi...


Jivisha ki aakhen aur uska haav-bhav dekh'kar Nischal uth gaya aur jeb se mobile nikalne laga.… Mobile ho to na nikale bechara… kewal jeb tatol kar rah gaya... Kuch der intzar ke baad… "Kya ho gaya, kya dundh rahe ho"…


Nischal:- Wo mere pass mobile nahi hai..


Jivisha, Nischal ko ghurti najron se dekhne lagi…. Nischal apne dono hath failaye... "Ab flow me nikal gaya, lekin tumhe pata hai na main kahan se hun"…


"Dur desh se, hawa ke pankh lagaye aaya hai mera Sahjada"… Jivisha apni baat kahti daud'kar Nischal ke gale lag gayi aur usse turant Vaibhav ke pass le'kar chalne ki jid karne lagi...


Thodi hi der me dono hospital me the. Nischal ne Swastika ko sandesh bijwaya aur kuchh der me wo milne chali aayi... Chehre se khush lag rahi thi…. Uske chehre ki khushi dekh'kar Nischal ke muh se anayas (ekdum achanak) hi nikal gaya... "Vaibhav ko hosh aa gaya kya????"…


Itni baat jaise hi Jivisha ke kano me gayi... Uski ghurti badi si aakhen thi aur Nischal ke muh se "Oppssss" nikal gaya...


Sawastika hansti hui Jivisha ka dhyan bhang ki.… "Usse na ghuro maine hi mana kiya tha, kuchh nahi batane ke liye"…


Jivisha:- Lekin aisa kyon…


Swastika:- Tum yahan 3 din tak behosh thi... Jalte sarir ka stress, dimag tak pahunch gaya tha... Upar se Vaibhav ka tension main nahi dena chahti thi....


Jivisha hairani se.… "Jalte sharir ka stress"…


Swastika hansti hui uske kaan me pura matlab samjha di... Jivisha sharma kar kewal itna hi bol payi… "Dhatt doctor"..


Swastika:- Ummid hai tumhe tumhara boyfriend mil gaya hai to ab stress bhi na rahe...


Jivisha topic ko hi badalti… "Vaibhav ko kya hua hai doctor..… Kya main uss se mil sakti hun"…


Swastika:- Baad me main puri detail bata dungi ki kya hua tha. Abhi na hi milo to achha hai... Kal din me aana... Aur haan Nischal tum number to chhod'kar jaate... Main tumse contact karne ki sochi lekin koi contact number hi nahi tha...


Nischal, kuchh bolta uss se pahle Jivisha apna number deti.… "Inka mobile kahin gum ho gaya hai, abhi chal'kar le lenge... Please jaldi call karke bula lijiyega… Vaibhav se mil lun to sukoon aa jaye"…


Dono wahan se nikal kar sidha bajar aaye... Mobile ki shopping khatm karke dono restra pahunche.. khane ka order de diya tha aur dono wahan par baith'kar anya baithe couple ko dekh rahe the...


Koi apne family ke sath enjoy kar raha tha to koi apne apne girlfriend ko dinner par le'kar aaya tha... Dono un sabko dekhte khud ki kalpna karne lage... Bada hi rochak khyal tha jo ander gudguda raha tha...


Dono inhi gudgudate khyal ke sath apna bhojan lene lage aur ek dusre ko utne hi pyar se dekh rahe the… Raat ka suhaana mausam tha... Jivisha, Nischal ka bahn thame sadak kinare chal rahi thi...


Dono bilkul gumsum the aur ander utne hi jyada hulchal. Dil ke bahut se armaan ek dusre se kahna chahte the, lekin ek dusre me khone ka ehsas uss se kahin jyada pyara tha.….


"Nischal itne khamosh kyon ho, kuchh to bolo"…

"Kya bolun... Bus achha lag raha hai"..

"Mujhe bhi.… Main bata nahi sakti ki tumhare sath hone ka romanch kya hai. Bus lag raha hai kabhi aisa daur khatm na ho"

"Mera bhi wahi haal hai"…

"Aao baith'te hain"…


Dono street bench par baith gaye... Jivisha wapas se Nischal ke kandhe par sar daal'kar aakhen mund lee...


"Jivisha... Kya maine tumhe bahut pareshan kiya"…


"Nahhh !!! Tumse jyada to uss Nandu ki bacchi ne..."


Jivisha itna hi boli ki fir usse Nandni ka khyal aaya.… "Tumne ek baar bhi Nandu ke bare me nahi puchha"…


"Nandu !!!!!"…. Ek anjaana sa rujhan Nischal ne diya.… Aisa jaise pahli baar naam hi sun raha ho...


Jivisha, Nischal ko ghurti... "Haan Nandu"…


Nischal kuch pal Kamosh raha... Usse kuchh samjh me hi nahi aaya ki wo kya reaction de aur jaise-jaise khamoshi badh rahi thi Jivisha ki harani waise-waise badh rahi thi….


Nischal:- Kya ho gaya tum aise gum kahan ho gayi...


Jivisha:- Kuch nahi..… chalo wapas chalte hain…


Wapas raste bhar dono lagbhag khamosh hi rahe. Nischal bhanp chuka tha ki yah "Nandu" naam kuchh to aham hissa tha un yadon ka aur shayad yahi wajah hai ki Jivisha khamosh hai... Kya bata dun ki mujhe bhi uski (Jivisha) tarah kuchh yaad nahi..… Batane aur na batane ke kas-m-kas me uljha raha Nischal…


Wahin Jivisha ko baar-baar yahi khyal uljhaye raha ki... Nandni ki Nischal ko le'kar vyakulta aur Nandni ke bare me sun'kar Nischal ka vyavahar kitna bhinn (Alag) hai... Nandni ke Nischal prem ko to shyad main byan bhi na kar sakun lekin jabse Nischal se mili hun iske to charcha me bhi meri Nandu nahi... Pati to Nandu ka bhi hai aur utna hi pyar apne pati se Nandu bhi karti hai... Bavjood uske aisa koi din na gaya ho jab usne Nischal ko na yaad kiya ho... Ho kya raha hai... Khyalon ki gahrai me Jivisha bhi dubi bus yahi baat-baar sochti hui laut rahi thi...


Phinke se good night ke baad dono apne apne flat me chale gaye.… Jivisha ander aate hi sidha Nandni ko call laga di... Ek pura call chala gaya Nandni ne call pick nahi kiya lekin kuch hi seconds bite honge ki udhar se Nandni ka call aaya….


Jaise hi Jivisha ne call pick kiya... Udhar se... "Hello kaun"..


"Ji hello main"…


"Kamini, Jhalli, ullu... Sensor board ke taang adane ke baad wala beep beep beep"…


Jivisha khul'kar hansti.… "Bus kar kitni galiyan degi... Thanba re"…


"Main ruk jaun... Haan bhagodi... Mujhe Pune me fasa'kar 3-4 mahine se gayab hai aur galiyan bhi Na dun"…


Jivisha chhota sa muh banati... "Kuchh din baad jab tere samne rahungi tab pet bhar gali de dena... Abhi tu guess kar"..


"Aur kya guess karna hai"…


"Wahi main kiske sath hun"…


"Apasyu Raghuvanshi… tera naya boyfriend"… janti to sab thi Nandni lekin usne chhipaya…


"Wrong guess"…


"Oye free wifi connection… ab kiske sath connect ho gayi"…


"Huhhhhh!!!!"


"Jisa darling, gussa nahi hote.. lekin tu kahan gayi uske sath hume pata nahi... Kya sab kar gayi wo bhi hume pata nahi"…


"Oyeee Nandu ki bacchi... Ye 'kya sab kar gayi' par tu itna jod kyon dal rahi hai...


"Hahaha... Ab tu "naughty boyfriend" aur "aag lagi jawani" jab raat ke akele me padhti thi, tab ek khyal to banta hai na ki raat ke andhre me to tere pas naughty boyfriend aur aag lagi jawani dono the fir kya hua hoga"…


"Kuchh jyada nahi bol rahi hai tu... Tera sar phod dungi main… aur Apasyu bahut sarif hai samjhi tu"…


"Sarif to mera Ansh bhi hai re Jisa... Aaj kal mujhe hadkadi laga'kar raat me kahar dhata hai... Ab Ansh se jyada sarif ki kalpna to main kar nahi sakti aur bina mere aag lagi jawani me bhi wo apni naughty harkaton se aag laga jata hai"…


Jivisha phone rakhti.… "Kamini bahut jyada maze le rahi... Isliye phone na laga rahi thi... Main hi pagal hun... Mil'kar hi puchhna tha"…


Jivisha soch hi rahi thi ki udhar se Nandni ka call aa gaya.… Jivisha 2 baar nahi uthayi... Teesri baar chidhti.… "Samjh me nahi aa raha tujhse abhi baat hi nahi karni"…


Nandni:- Tu dekh sakti hai to dekh le maine dono kaan pakad liye… gussa na ho aur phone kyon ki wo bata...


Jivisha:- Tujhe pata hai main kiske sath hun…


Nandni:- Itni himmat nahi ki main koi naam guess kar sakun suspence se parda utha de...


Jivisha:- Haan lekin ek shart par…


Nandni:- Kya???


Jivishsa:- Aise nahi pahle tujhe meri kasam khani hogi ki tu bhi mujhe sab sach sach batayegi...


Nandni:- Ye tera filmi natak shuru hua... Kasam kha lo... Sach hi kahna hoga... Pagal jhut kab boli thi...


Jivisha:- Jhut nahi boli thi to pura sach bhi nahi bataya tha... Jis daur me maine Nischal ki yaden khoyi thi, uss daur me maine kuch aur bhi khoya tha, jo mere ander hi kahin iss tarah se daba tha ki main tum sab ke liye khatra thi... Tu bata meri vajah se kisi ko kuchh hota to tujhe lagta hai ki main jinda rahti... Fir bhi chhipya tumne…


Nandni:- Tu wapas aa fir main sab samjhati hun...


Jivisha:- Aungi to main pahle tujhse aur Kasak se hi milna pasand karungi... Lekin abhi tu kasam kha ki tu sach kahegi.
..

Nandni:- Kis bare me sach kahna hai wo bata de... Warna bhul ja...


Jivisha:- Nischal ke bare me sab sach batana hai... Aur wo mere sath hai...


Nandni:- Tujhe ab tak samjh me nahi aaya kya... Uska bhi teri tarah fuse uda hai... Jitni baten tumhe yaad nahi, utni baten usse bhi yaad nahi...


"Tujhe acting shuru kar deni chahiye... Maine Nischal ke bare me bataya to tere reaction itne normal kaise ho sakte hain... Ek jajbat to dikhna hi tha ki "aree wo tere sath kab, kaise, kahan.. puri ghatna bata…" lekin tujhe to pahle se pata tha ki main kiske sath hun... Fir bhi itne der se ghuma rahi… Bus bura iss baat ka lag raha ki mujh se chhipane ki kya jaroorat thi... Tu yadi janti hai ki main kiske sath hun to main tujhe kha jaungi kya? Tu bhi aise gayab hoti to dil ke tasalli tak main tujhe dhundhti... Kya ye itni badi baat thi ki phone par shuru se chhipa rahi thi"…


Nandni:- Pagal senty kyon hoti hai... Main abhi samjha deti hun...


Jivisha:- Haan bolte waqt senty thi... Aur abhi utne hi gusse me… tu phone rakh… tujhse to samne se mil'kar batati hun aur jaldi batati hun... Pahle Jara main iss Alian se nipat lun... Ye bhi teri tarah baat chhipa raha hai...


"Sun to jisa"… lekin tab'tak Jivisha apne kamre se bahar nikal chuki thi... Ek santulit hath ka jhatka flat ke gate par, aur dhraamm ki awaj ke sath flat ka darwaja udd gaya... Jhatke sofe tak lage jahan iss waqt Serin aur Nischal baith'kar baten kar rahe the...


Nischal aur Serin chaukanna to huye lekin agle hi pal dono hawa me tange huye the.… "Areee Jivisha ye kya kar rahi ho"…


"Tumhari bhi memory loss hui hai ye kaun batayega mujhe"… Jivisha pure aakroshit hui puchhi...


"Wo tumhe Nischal stress nahi dena chahta tha... Aur samne se tumne jab"…. Serin bol hi rahi thi ki bich me uska muh band ho gaya...


Jivisha:- Main tumse puchh rahi hun na Nischal javab do...


Nischal:- Socha tunhara mood achha dekh'kar tumhe bata deta... Tumhe yadi lag raha tha ki mujhe sab yaad hai to yahi sahi..… Socha tum bhi ussi daur se gujar rahi ho vishwas ho ki na ho...


Jivisha:- Sala sab yahi soch'kar mujhse kuch batate hi nahi hai... Ek man to kar raha ki sabke dimag me hi ghus jaun... Par gurudev se dhoka ho jayega... Iss ladki ka yahan iss scene me kya kaam...


Nischal:- Ye meri bahan hai Serin aur iski bhi memory blank hai...


Idhar Baten bhi ho rahi thi aur Nischal aur Serin hawa me gulati laga'kar Jivisha ki shaktiyon se chhutne ki bhi kosis kar rahe the Jivisha ye bhanp gayi... Gussa to pahle se thi hi... Thoda aur apni shaktiyan badhati aisa laga jaise unhe hawa me hi bandh di ho.… Hil bhi nahi pa rahe the...


"Nice to meet you nanad ji. Tumhara bhi bahut jikr tha Nandu ke kisse me. Lekin mere love yani tunhare bhai Nischal ke bahut kisse bataye gaye hain... Viggo Sigma... Unclassified Alfa.... Apne jaisa eklauta aur apne samuday ka iklauta"...

"Lekin mere scanner se koi bacha hai kya.… Tumse to tumhari bahan ne hi shuru se chhipaya hai... Uske pass bhi tumhare jaisi hi shaktiyan hain... Bus tumse thoda kam hai, lekin iska ye matlab nahi ki tumse kam hai... Isme iske kisi aur samuday ki shakti bhi utni hi jyada bhadi hui hai... Tou Mister Nischal ab mere dard ko mehsus Karo ki chhipana kitna bura lagta hai... Fir chahe baat chhoti ho ya bari. Jhagra karo dono bhai-bahan latke-latke, main chali"…


Aur.….. Jivisha apni baat kahti Serin ka muh khol di... Aur wahan se chalti bani...
Kia baat h bahi Maza a gia
Jivu nischal ki conversation awesome dikhaya h
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,349
304
:applause:

Kya khub kahi hai... Padh'kar achha laga... Aapke sandesh kabil-e-tarif the... Bus mujhe ek baat nahi samjhe me aayi ki jab aapko bhaav aur bhavnao ka itna khyal hai tab aap kirdaron ki bhavna se kaise chuk gayi....
kirdaaro se bhavnatmak roop tab tak judi rahi jab tak sirf mul kahani mein mul kirdaar the.. ye dor tabhi bhi tut gayi jab kuch kirdaar as a guest appearance ke taur pe is story pe aaye the aur ab bhi ek baad ek aa rahe hai .. jinse beinteha nafrat hai...
Mujhe lagta hai aap apne vichar thopne ke chakkar me chal rahi manodasha ko hi gol kar gayi... Jiska vistrit varnan itne der se post me kiya... "Khud ko uski jagah rakh'kar samjhna chahiye and all".... Kya aapne Jivisha ke manodasha ko samjh'kar comment kiya...
ek baat jikar ki hai shayad dhyan nahi khud aapne hi... ye jo manodasa hai in dono ke is ko dur inke apne hi karenge... khas kar jab nandu hai to fikar kaisi.. bas abhi ansuljhe baatein aa jaa rahi hai jivu ke mann mein kyunki wo baat sunti hi kaha hai kisi ki.. .. aur sabse badi baat Jivisha mein dhairya naam ki baat hi nahi hai.. are pehle dhairya aur sabar kiya hai wo to jaan le baaki aage ki baatein khud ba khud jaan jayegi...
Khair maine Apasyu ka to jikr bahut jyada nahi kiya tha lekin fir bhi jab aapne 4 baar jikr kar hi diya to main puchhna chahunga ki ek pura chepter move kar chuka hai aur maine Sattvik Aasharam ko bhi bataya.... So Apasyu ke soch se soch'kar dekhi ki uski kya mansa rahi hogi... Jivishsa ko le jane ke pichhe..
chhi chhi subhah subhah kis manhoos ka naam bol liya aapne... Sara din barbad :faint: :faint: :faint:
naam lena hi hai to saachi ka naam lijiye ya phir Hella ka naam lijiye :popcorn:
Aakhri me ek sawal.... Kya aap Jivisha, Nischal aur Serin ki manodasha ka purn aaklan kar sakti hai.... Yah dhyan me rakhkar ki memory kis hisab se corrupt ki gayi thi... Intzar rahega mujhe
bilkul......
Par ek sach yeh bhi hai ki ye tino ek dusre ke bare mein jaante hai .... yahan pe kuch complications hai...
jivu kuch baaton se agyan hai..
Thik ushi tarah se nischal aur serin bhi...
ab is agyanta ko dur koun kare... upor se bina sune ya soch vichar kare kadam utha dete hai tino hi khas kar jivu.. yahin weak point par suprmachis ke liye ye plus point hai
Lekin iska tod hai.. aur wo tod hai inke apne khas kar nandu aur nalya jo shayad sabhi baatein clear kar sahi maarg dikha de.. aur ek baar dono phir se ek ho gaye to mazal hai suprmachis ki phir koi chaal chale..
Kabhi kabhi di gayi salaah par pahle khud amal karna chahiye... Aur aap ko aapke post chenp'kar maine kuch sawal kar diye... And waiting for reply...
rules maanne ki wajah se hi aaj tak kabhi galatfami ka shikar na bani mein... :popcorn:
Aur tab main izazat dunga ki aap mere kirdaron se nafrat karen ya pyar...
Iska simple karan hain.... Yadi sidhe nafrat hoti to I accept it.... Lekin aapne ek aise reason ke sath nafrat ki hai to meri jimmedari banti hai aapki galatfehmi ko jarra dur kar diya jaye.... Me :waiting: sath me salah ... Sorry post lamba ho jayega... Salah chenpne ka mere pass pura din hai :hehe:
Senior thi phir bhi Saachi school friend thi... .. aur kuch batane ki shayad jarurat nahi..
.
.
.
Aur haan us imli ki to aisi ki taisi :buttkick:
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,708
259
kirdaaro se bhavnatmak roop tab tak judi rahi jab tak sirf mul kahani mein mul kirdaar the.. ye dor tabhi bhi tut gayi jab kuch kirdaar as a guest appearance ke taur pe is story pe aaye the aur ab bhi ek baad ek aa rahe hai .. jinse beinteha nafrat hai...

Sorry fir... Kyonki wo band nahi honge... Kyonki main pura universe ek kar raha hun... Jaise Bhanvar me "Kuchh nahi tere bin" ke kirdar aaye the....

ek baat jikar ki hai shayad dhyan nahi khud aapne hi... ye jo manodasa hai in dono ke is ko dur inke apne hi karenge... khas kar jab nandu hai to fikar kaisi.. bas abhi ansuljhe baatein aa jaa rahi hai jivu ke mann mein kyunki wo baat sunti hi kaha hai kisi ki.. .. aur sabse badi baat Jivisha mein dhairya naam ki baat hi nahi hai.. are pehle dhairya aur sabar kiya hai wo to jaan le baaki aage ki baatein khud ba khud jaan jayegi...

Nandu dur kar sakti to Nandu ne dur kar diya hota.... Wo dur nahi kar sakti isliye wo dur hai... Aur ye baat yadi aap mehsus nahi kar sakti to meri galti nahi hai... Yahan biological locha hai aur doctor hi dur karega.... Kaam shuru hai.. ilaz aur upchar ke baad Nandu aur Kasak jo jo kar sakti hai sab karegi.... Ek baat aur... Post memory reinstated... Ek bahut bada badlav bhi hoga... Samjhte rahiye kahani... First part upar upar gaya tha... Yahan uss part ki puri clearity chalegi...

chhi chhi subhah subhah kis manhoos ka naam bol liya aapne... Sara din barbad :faint: :faint: :faint:
naam lena hi hai to saachi ka naam lijiye ya phir Hella ka naam lijiye :popcorn:

Ye mere sawalon ka jawab nahi... Aur na hi maine personal openion manga tha... Maine story ke regarding sawal kiya tha :declare:.. personal openion main janta hun...

bilkul......
Par ek sach yeh bhi hai ki ye tino ek dusre ke bare mein jaante hai .... yahan pe kuch complications hai...
jivu kuch baaton se agyan hai..
Thik ushi tarah se nischal aur serin bhi...
ab is agyanta ko dur koun kare... upor se bina sune ya soch vichar kare kadam utha dete hai tino hi khas kar jivu.. yahin weak point par suprmachis ke liye ye plus point hai
Lekin iska tod hai.. aur wo tod hai inke apne khas kar nandu aur nalya jo shayad sabhi baatein clear kar sahi maarg dikha de.. aur ek baar dono phir se ek ho gaye to mazal hai suprmachis ki phir koi chaal chale..

Maine current behaviour nahi puchha tha maine chal rahi manodasha puchha tha... In due respect of... Ki ek kisi ne apni puri lambi planning plot karke chala gaya... Jiska khulasa Shwetna ne kiya tha...

rules maanne ki wajah se hi aaj tak kabhi galatfami ka shikar na bani mein...

Aap ka bahut bahut dhanyawad... Kitna kuchh jhelkar aapko padhna parta hai :(

Senior thi phir bhi Saachi school friend thi... .. aur kuch batane ki shayad jarurat nahi..
.
.
.
Aur haan us imli ki to aisi ki taisi
Aapne jo likha isse shayad baten gol gol ghumana kahte hain..... Shayad main samjh nahi pa raha aap ki pareshani aur aapke manodasha se main purn awgat nahi....


Kahani apne flow me chali hai... Chalti hai... Aur chalti rahegi....

Agar aapko kahani pasand nahi aa rahi to wo writer ki aur kahani plotting ki galti hai... Na ki kisi bhi kirdaron ki... So I am accepting my mistake ... And sorry to everyone jin-jin ko achha nahi lag raha...

Kahani ussi lay me badhegi jaisi plotting hui hai... Main ek buri pesh ki gayi kahani ka risk uthane ko taiyar hun... mere liye koi nayi baat nahi hai...

Achha lagta hai jab aap sab thread par hote hain... Lekin yadi kahani pasand nahi aa rahi to main kisi ko badhya nahi kar sakta and I always accept my mistake... Pura karne ke baad un kahani par milenge jo shayad aap ko pasand ho...

Dhanyawad ...
 

The king

Well-Known Member
4,239
15,472
158
Mast update tha bhai last me jisa ne khatarnak bimb foda he nischal pe serine ke bare me bata kar ab dekhate he ki serine kya karti he kese nischal ke sawalo ka javab degi waiting for next update
 
Top