Update:-88
Uss buddhe ke sath ek budhi, wo bhi Shashika ke jani pahchani poshak me. Uske pichhe se ek katar me 3 ladke aur 4 ladkiyan… unke bhi poshak bilkul jane pahchane… Nischal dekh'kar bata sakta tha ki unke pichhe chalne wale kaun-kaun uss budhe dampatti ke bete-betiyan hain, aur kaun un bete betoyon ki sacchi chahat yani ki uski jodi...
Nischal ka mann to mano jhumne ko karne laga. Nischal ki aisi uchhalti bhavna ko sabhi mehsus kar rahe the. Nandni aur Ansh to hanste huye kah diye... "Bechara humara Nischal... Hay ladke ab wo ek bahu prachalit dialogue ko badalna hoga. Aakhri Viggo"..
Nischal:- Main bata nahi sakta ki kitna khush hun... Tum sab sath hote to nachta...
Nandni:- Nischal mere sher control your emotion.. Pahle mil to lo unse fir unhe bhi batana ki Viggo samuday ko bachane ke liye 2 maaon ka kya yogdaan raha tha... Yadi unhe bhanak bhi hoti ki yahan Viggo ka falta fulta samuday hai to unko itna dard na jhelna padta...
Nischal:- Hmmmm ! Love you Nandu… Mujhe apne emotions kabu rakhne honge...
Udhar viman se kafila badh chala tha. Wo shashak budha aur budhi muskurate huye dhire-dhire kadam badhate Nischal ke pass pahunche, aur jaise hi shashak ne apna ek hath hawa me uthaya, sab ke sab apne ghutne par baith gaye, siway Nischal ke.… Pichhe se log chillane lage apman, apman, apman, apman...
Ye log Nischal ke ore badh rahe the aur Nischal, Nandni se baat karne ke baad dhyan laga'kar Jivisha se kahne laga.… "Baby mera bada sa samuday hai"..
Jivisha:- Haan main yahin hun... Lekin jaisa Nandu ne kaha, pahle inse ek baar parichay kar lo. Bahri Universe ke haalaat batao ki kaise kuchh logon ke tyag aur balidan ke niv par, bahari shanshar me "aakhri Viggo" bacha hai... Khair ispar to hum poore din baat kar lenge... Abhi tumhe inse milna chahiye. Main bahut khush hun..
Nischal:- Main apni khushi apne bacchon ke sath batna chahta hun... Baby humare bacche abhi mere sath hone chahiye, Bitti aur Gopal ko bhejo, aur yahan kya ho raha hai, usse sabhi bacchon ko dikhao"…
Jivisha:- Hey love tumhe kaise ye sab pata.. maine bacchon ko screen se dur rakha hai???..
Nischal:- Kyonki meri ikchha shakti simit hai, jaise har insan ke ander hoti hai... Jaise mere Nandu ke ander hai... Doctor babu ke ander hai... Apno ko dur se mehsus kar lena… aur haan tum aise action ke mauke par kya kar sakti ho, uska sahi aaklan bhi...
Jivisha:- Ji mere gyani mahapurush… miliye apne sage sambandhiyon se main Nandu ke sath jati hun aur screen par unke baba ki khushi dikhati hun...
Idhat jabtak Nischal apne khushiyon me khoya, Nandni aur Jivisha se baat kar raha tha, samne se wo shashak pahuncha, hath uthaya aur apman, apman log chillane lage. Ek to wo samuday milna, jiske liye bhale Nischal ke koi emotion jude ho ki na, lekin uski 2 maa ka emotion juda tha, Nischal bhala kyon na ander se jhume. Upar se kitni der baad wo Jivisha aur Nandni se baat kar raha tha, gum hona to lajmi tha...
Tabhi ek kinare se Bitti aur Dusre kinare se Gopal apne pankh, Nischal ke chahre par maarte… "Baba, ek to aap ki jalim biwi ne action nahi dekhne diya, upar se unse baat kar'ke kahan khoye ho... Samne bhid pagal ho rahi"…
Nischal apna dhyan aage lagaya aur wahan ke shashak ko dekh'kar apna hath sine par rakh'kar, uske post ko izzat dete... "Aap se milna meri khushnaseebi hai"…
Shashk:- Tumhe apne ghutne par hona chahiye bacche…
Nischal:- Maaf kijiyega, aap mere shashak nahi, fir bhi maine izzat bakshi hai... Aapko isme na to bura maan'ne ki jaroorat hai, aur na hi kisi ko jabardasti apne kadmon me jhukane ki...
Shashak, ki ek beti.… Chalo maan liya... Waise tumhara karname dekh'kar hi hum samjh gaye ki bahari duniya se koi humare samuday ka hi aaya hai, jo ye kahar barsa raha... Warna kisi dusre samuday ki itni aukaat nahi... Iss brahmand ki ek matr sharv'shresth samuday hai humari aur tum uss samuday ke mukhiya ke samne khade ho.. jo apne jaisa eklauta 4th Viggo Sigma hai.. wo bhi unclassified… apne shashak ke samne jhuko..
Nischal:- Main to yahan Viggo ke itne bade samuday ko dekh'kar khush tha... Lekin lagta hai main galat tha… samuday vishes ka ahankaar ab tak gaya nahi. Shashak ke ore se bolne wali ka main parichay jaan sakta hun...
Shashak ki beti:- Humari baat na maan'kar ulta humse parichay puchhna. Ladke tum humsra apman kar rahe.
Nischal:- Tum jaroor sena nayika hogi. Khair, main Nischal hun aur maine kisi ka apman nahi kiya kewal aaena dikha raha"…
Sena Nayika:- Hum visesh hain isliye hume vishes hone par gurur hai... Tumhe ye kabool karna chahiye... Khud ko hi dekh lo.. mera vishawas hai jahan jate hoge, poore sansar ki fauj ghutno par aa'kar tumhe izzat deti hogi"….
Nischal:- Tumhara bharam jaal hai sena nayika…... Aam se dikhne wale insan mujhe thappad maar'kar jate hain… Jhukna to dur, meri galti par mujhe saja bhi suna dete hain. Aur haan izzat bhi utni dete hain, jiske liye mujhe kisi ko ghutne par baithne ya jabardasti apne samuday vises hone ka dar dikhane ki jaroorat nahi.. jabki Viggo samuday ke naam se hi log khuffjada hote the, aise karm the humare puravajon ke"..
Ek sath kayi log chilla diye... Shashak apna hath dikha'kar sabko shant hone ka ishara karte….. "Humare Purvajon ne mehnat se Viggo ka naam banaya hai ladke... Aaj bhi Universe me humara khuff hai... Aur tu usse mitti me mila raha. Maine ek ishara abhi kiya to Viggo se kyon khuff khate hain sab ye tu samjh jayega"…
Nischal:- "Maa kasam shashak, na to mujhe tujhse ya tere fauj se ghanta koi dar lag raha aur naa hi Viggo samuday ke uss khuff wale baat par koi garv. Ulta thuuu hai sala aise naam par. Tum sab ke sab sale kal ke Astak hi ho... Suno kuyen ke medhak... Nilbhut wale tujhe bhumigat karke jab pel denge, to sari hoshiyari dhari rah jayegi... Kitni baar uske planet par humla hua, fir bhi astitv banaye aur kabhi dusron me khuff nahi dale, hamesa logon ki madad hi kiye"..
"Vishesh samuday to uss jivan rakshita ki hai, jiski shurvaat Vish-Kritima ne ki thi aur poore Universe ne apni khushi se unhe Vishes samuday ka darja diya, jante ho kyon... kyonki unke aanchal me itni mamta hai ki bujhe se grah par bhi jivan ko funk de".
"Meri ek aam si dost hai Nandu. Bilkul aam insan, thappad maar do to rone lage… usse kaho ja'kar main Viggo falana dimkana, jute se maar'kar bhagayegi... Abhi to maine Nayjo, Alakhi, Mirakrnu aur Tarshak samuday ka to jikr hi nahi kiya hai... Jo khuff failana shuru karte to ye tumhari ahankari Viggo samuday khauff se maa ke garv se bahar hi na aate"...
Kitna khush tha Nischal apne samuday ko dekh'kar lekin jo baat wo apne samuday ke bare bhul chuka tha usse kya khub yaad dilaya logon ne. Aisa ki Nischal ka dil hi jal gaya. Nischal apni poori bhadas jaise hi nikala... Bitti aur Gopal to jor-jor se seety bajane lage.. Wahin Nischal ki baat sun'ne ke baad, khud me apmanit sa mehsus karte, Viggo samuday apni ghurti najron se bus Nischal ko dekh rahe the aur apne shashak ke aadesh ka intzar kar rahe the...
Shashak:- Tum itna bol paye kyonki tum humare samuday ke ho... Akele rahe, isliye apne samuday se gussa ho. Iss baat ko main samjhta hun isliye ab tak jinda ho. Warna main baat karne ki mansa chhod'kar ek ishara karun to der na lagegi tumhe ye log chid denge aur unhi dragons ko paros denge jinki lash tumne girayi..
Nischal:- Mood hi nahi raha jawab dene ka. Tum sab ko dekh'kar main bahut khush tha... Lekin ab baat karne ki ikchha mar gayi… Time pass band karo aur sidha mudde par aate hain... Main yahan se kuchh dhatu le jane aaya hun... Main apna kaam jald se jald khatm karke chala jaunga... Bilkul shanti se"…
Shashak:- Tum meri jamin par khade ho, aur meri izazat ke bina yahan se tum kuchh bhi bahar nahi le ja sakte"…
Nichal:- Bahut bahut shukriya ye batane ke liye. Aur kuchh"…
Nischal apni baat kah'kar jaise hi jane ke liye muda... Shashak jod se chillaya... "Iss Badtamij ko uske bad-jubani ke liye sabak sikhaya jaye"…
Uss shashak ka chillana, aur agle hi pal maano toofan utha ho. Shayad in logon ne tab dhyan nahi diya, jab Nischal kuchh der pahle yahan Dragons ko chir raha tha. Khair kaun barbola ya barboli bache the Nischal se, jo ye bachta... Upar se inki badnasibi, kayi mahine baad to Nischal aaj apne gati ko prapt kiya tha…
Gati, khanjar aur barbolepan ki saja mahaj 1 minute me mil chuki thi... Nischal apni raftar se gaya, apne khanjar se uske bade se dikh rahe viman, jo na dhwast hone wali dhatu ki bani thi... Usse Nischal ke khanjar ne mahaj 1 minute me 1² inch me tabdil kar'ke apni jagah wapas khada tha...
Nischal apni jagah khade hokar, baye se dayen, bewaak adaa se apni madmast chal me tahalte huye.… "Haan to mere bhule bhatke samuday ke logon"…
Nischal mast ho'kar itna hi kaha tha, tabhi kuch Viggo sainikon ne apni tej gati ka parichay diya. Lekin afsos, apni gati se Nischal ko maat na de saka.… Nirbhik chaal chalte jab Nischal sabhi par haawi hote huye apni baat bola, thik ussi waqt tej raftaar se sainikon ka poora ek jhund, takriban 20 log daud chuke the…
Nischal ke liye un Viggo ki gati kuchh aisi thi mano ghera bana'kar sabhi sipahi bilkul slow motion me apne hath upar utha'kar, 2 minute liya ho haumle karne ke liye...
Vinash kaale viprit buddhi... Jab tak un 20 logon ke hath Nischal ke upar humle ke liye uth'te, uss se pahle hi dhamnnn, dhamnnn, damnnn... Ek dhamak ki awaj par hi dusre dhamak ki awaj overlap kar jati aur 20 dhamak ke baad... Nischal wapas apni madmast chaal me apni baat aage badhaya...
"Haan to main ye kah raha tha mere bhule bhatke samuday ke logon... Kyon hum dono ke liye mahol bana rahe ho... Apne rajya ki seema bata do, hum uske ander praves nahi karenge... Tum apna kaam karo aur main apna... Aayi baat samjh me"…
Shashak, apna khanjar apni kamar se nikalte.… "Main jo nahi chah raha tha tum uss par majboor kar rahe... Kya tumhare ander itni himmat aa gayi ki ek Viggo Sigma ka samna kar sako"…
Nichal ne ek jordar laat bhumi par maar'kar apne wajood ki pahchan batayi... Ek minute me Nischal kya kar aaya tha, wo to ab tak inhe pata hi nahi tha, kyonki unka viman to ab bhi khada tha. Bhumi par kampan paida hote hi unka viman chaknachur ho'kar deh gaya.… Aur fir wahan gunji Nischal ke bhay ki dahar...
"Kuch mehsus hua... Kuch dekha... Ya kaho to poora dikha dun... Main jitne waqt me tumhare viman ko tukde kar aaya, uss se aadha waqt lagega aur wo Viggo jo tum logon ke sath yahan nahi aaye hain, unhe naya shashak ke sath-sath anya naye adhikariyon ki jaroorat bhi par jaye. Shashak tu Viggo Sigma ho ya uss se bhi bhdhkar kuchh... Galat jagah ulajh rahe ho, mujhe majboor na karo"…
Nischal ki hunkaar se sabhi stabdh rah gaye. Unhe samjh me aa gaya ki wo kis se ulajh rahe... Muh tab khula rah gaya jab pata chala tha ki Nischal ne uss dhatu ke chhote-chhote tukde apne khanjar se kar dale, jiski patli se patli parat ko bhi koi vidwansak missile nahi bhed pata...
Uss shashak Shasha ke pasine chhut gaye. Kewal ussi ke nahi balki wahan maujood sabhi ke pasine chhut gaye... Issi bich ghannn-ghann ki tej awaj ke sath, Viggo viman ke upar ka extra layers bikhar kar niche girne lage... Viggo viman jo tire ki tarah khada tha wo dhire-dhire sidha hone laga..
Wahan khade har kisi ki bhuchakki najar uss Viggo viman par thi, jiski kahani wo log sunte aaye the… jise dwitiya Viggo Sigma ne banaya tha…. Fir to der nahi lagi aur wahan maujood har koi apne ghutno par tha, shiway wo shashak aur uske parivar ke...
Pichhe se Nischal ke sabhi 8500 Nilbhut sainik aur 798 bacche bhi wahan pahunche… jiski location Jivisha bheji thi... Sab jab bhumi ke niche se upar aaye to ye adhbhut najara dekh'kar aankhen ek baar aur sabki fati rah gayi...
Mahol bilkul shant tha jisme kewal Viggo viman ki aawaj hi kautuhal macha rahi thi.... Issi bich Bitti aur Gopal poore josh se seety baja'kar sabko khoye se mahol se jaise bahar nikale ho.... "Baba kya bole ho, virodhiyon ki hawaieyan gum hai"….
Gopal:- Maa iss situation par tum kuchh nahi bologi...
Nandni jod se chillati.… "Jaldi-jaldi hath chalao nikammon, wahan ghar basane nahi gaye ho... Hum yahan Roffa walon se pareshan ho gaye hain"…
200 kilometer ka faile viman me, jitne bhi speaker lage huye the, usme se Nandni ki kaan faad awaj sunai dene lagi... Nischal uski baat sun'kar hanste huye... "Malik kuchh log kaam me badha daal rahe the, ab sab thik hai"…
Nandni:- Haan to ab aaj ka kaam rahne do.... Sab ja'kar rest karo... Kal se kaam shuru kar dena, aur jaldi wahan se lauto…
Viman apne purane awastha me aane baad, kuchh dur hat'kar bhumi par land ho gayi. Hurriyent ke dhatu ki rakhwali shayad Viggo samuday kar rahe the, ye sukoon ander kahin na kahin Nischal ke dil me to tha, lekin yahan ke shashak dwara apne samuday ka ahankarpurn parichay Nischal ko akhad gaya tha. Samuday ka ahankari parichay Nischal ko aisa laga, jaise Astak samne se khade ho'kar apne smuday ka paricahy de raha ho...
Wahan maujood sabhi logon ko Nischal ek hi baat samjhate huye nikla... "Hum kis smuday se hain aur kya humara itihas raha hai, usse gaurav ke sath batna thik hai. Lekin iss baat par Gaurav karna ki sirf unhi ka samuday gauravpoorn hai, mahaj barbolapan se jyada kuchh nahi"…
Apni baat kah'kar Nischal ne viman ko ussi maidan me chhod'kar poora seal kiya aur Nilbhut sainikon ke sath apne base par chala gaya... Haan lekin rahne ke liye jis jagah ka chunav Nilbhut ke logon ne kiya tha wo Hurriyent planet ka aaschrya kah de to galat nahi hoga...
Jahan base bana tha wo aaschrya se paripoorn jagah thi, kyonki iss jagah ka tapman to aam se grah jaisa tha, jahan jeevan fal-ful sakta tha... Jahrna, nadi, khane yogya fal aur kuchh aise paudhe bhi dikhe jinme rahashya chhipa ho sakta tha... Arthat jari-buti ke paudhe.… Jahirile jaanlewa ya fir pakriti ki anokhi rachna, jo jaan bachane se le'kar kayi tarah ke rog nivaran me kaam aa sakti thi.
Nischal uss jagah ko dekh'kar turant hi alert jari kiya... Sabko chavkanne ho'kar secure chember me rahne ki hidayat di gayi... Nischal sabhi secure chember ko vayvasthit dhang se rakhwane laga.
Bitti apni poori toli ko sath liye.… "Baba, ye jagah bahut pyari lag rahi hai... Hum ghum aaye"…
Nischal:- Abhi raat hone wali hai saitano, abhi apni toli ko rest do... Subah jab jaagna fir furr ho jana..
Nischal apni baat kah'kar Bitti aur Gopal ko bulaya aur dono ko samjhane laga ki in seperate secure chember ke section ko viman me wapas ek sath kaise jodna hai... Itne me hi Nilbhut samuday ke sanik tukdi ka mukhiya... Bhoro samne aate…. "Hum kar lenge Sahjade... Bacchon ko rahne do"…
"Baccha kise bolta hai nalayak… hum sirf apne maa baba ke bacche hain"… Ek dragon baby chillati hui kahne lagi...
Nischal uski baat par pahle to hansa fir usse samne bula'kar ek chapet lagate... "Izzat karna sikh lo nalayakon... Kewal patar patar juban chalti hai"...
Thodi der bacchon ke sath na kewal Nischal baitha hansi mazak karta raha, balki Nilbhut sainik bhi utna hi hanse. Aur ye bacche apni badi-badi baton se sabka shaam bana diye.
Baat khatm karne ke sath hi Nischal ne Bitti aur Gopal ki toli ko kaam samjha chuka tha... Jab bhi secure chember viman se connect hogi ye jimmedari unhi logon ki hogi...
Kitna kush hoa nischal apne jese logo ko dekh kr
Lakin sale hahankar Mai jee rahe the ye bus in k summudy hi sab se oper h bus Vigo sigmha hi sab kuch h
Lakin apne hero k jazbaat or ehsassat hi kuch or h ek nirmil dil Vigo sigmha unclassified sab se hat k
Achi okat dikhayi h nischal ne in logo ko or inhain bhi samjh a gia k ye balla un se kayi guna un ki pohnch se oper h
Overall behad shandar ek dam badhiya update