• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,684
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

Dhaal Urph Pradeep

लाज बचाओ मोरी, लूट गया मैं बावरा
443
998
93
Update:-1






Yatrigan kripya dhyan de Pune-Indore Express ki platform sankhya badal dee gayi hai.. Ab wo platform number 2 ke badle 5 par aayegi.. Aap ko hui asuvidha ke liye hume khed hai...


Jaise hi yah announcement hua, 40-50 ladkon ki bhid ek sath hungama karte huye kahne lage... "Huhhhh !!!! Ye railway wale, kha-m-kha pareshan kar rahe"…


Bhid ko awaj sunkar police wale daure chale aaye, aur tabhi wahan par ek ladka khada hokar kahne laga... "Aap sabhi followers se nivedan hai ki jyada shor na kare, isse madam ko aur any yatriyon ko taklif hoti hai..


"Huh, in railway walon ko to bus announcement karne aata hai.. aapko hui asuvidha ke liye khed hai".. Jaise hi yah announcement hua Jivisha platform kramank 2 se uthkar 5 par jane lali...


Bla ki khubsurat, jiske chehre ki chamak itni tej thi ki aas pass ke log na chahte huye bhi uske chehre ko dekhne lagte.. uski wo nili aakhen itni madhosh kar dene wali thi ki jis par najar bhar dhal'kar dekh le, wahin apne sine par hath dhal'kar baith jaye..


Is hushn par uske sarir ki banawat, bilkul chharhara badan, patli kamar aur aakrshit karne wale uroj.. kul milkar jise dekh'kar ek bar to gahri shwans khinch'kar khud se hi sawal karne lago… "Kaun hogi ye".. baki khatrnak armano ki to charcha he chhod dijiye...


Railway ki announcement par Jivisha gusse me uth'kar jab platform number 5 ke ore ja rahi thi, uske piche jane wale aashikon ki koi kami nahi thi... Aisa lag raha tha ek jagah ki puri bhid khali ho gayi hai…


"Alexa khyal rahe koi mujhe iriitate na kare aur na hi ashlil harkat. Aur abhadr comments huye to fir"… Jivisha ithla'kar chalti hui, usi ladke se kahne lagi, jisne announcement ke baad ladkon ki bhid ko samjha'kar chup karwaya tha, aur unhe shant rahne ki hidayat diya tha...


Alexa:- Don't worry Jivisha, mere hote huye koi dusra aise karne ki himmat nahi kar sakta.. .


Jivisha ghur'kar apne bayen dekhti... "Alexa, are you joking"


Alexa:- No miss !!! Alexa is in the mood of flirting...


Jivisha:- Alexa ab mai tumse baat nahi karungi…


Alexa:- To fir khana nahi pachega tumhara...


"Alexaaaaaaaa"…. Jivisha dhime se nakiyati hui kahne lagi... Pratikriya me Alexa ne smile dete kaha... "Looking aweosme today, smile please"…


Jivisha mobile thi to Alexa uske ghar ke bahar ka network. Bahar jahan bhi wo hoti Alexa usse company deta.. Haalanki uska naam kya tha ye to Jivisha ne bhi kabhi nahi puchhi, lekin ek wahi cute sa ladka tha jiski company Jivisha ko bahut pyari lagti aur uske javab dene ke andaj ko dekhkar uska naam Alexa rakh dee...


Jivisha pahunchi platform number 5 par aur jahan wo baithi wahan charo ore achanak he bhid bhad badh gayi.. isi bich dhuvan udati aur horn bajati hui train bhi pahunch gayi.. Jivisha jakar B3 coach ke pass khadi ho gayi…


Train lagi aur train se Jivisha ki sabse pyari saheli, Nandni apna bag liye utar rahi thi... Nandni jaise hi niche utri... "Kaisi hai meri Nandu"… Jivisha pure utsah ke sath gale lagti aur utni hi fiki prakriya ke sath Nandni, Jivisha ke gale lagti khud se hi kahne lagi… "football he bana de mujhe"…


"Arreeeeeeee, tu to kuch bol hi nahi rahi"… Jivisha, Nandni se alag hote hui kahne lagi…


Nandni:- Maine socha pahle tujhe hi pura bolne dun.. kyonki mai kuch bolti to tu bich me rok'kar mujhe kuchh kahne lagti.. iss se achha mai sochi tujhe hi mauka de diya jaye…


Jivisha:- Tera to ilaj karwana hoga Nandu, bahut tane dena sikh gayi hai...


Nandni kya javab de kuch samjh me he nahi aaya isliye bade aaram se kahne lagi, "Ghar chalegi ya saari baten yahin par kar legi"…


"Haan-haan, ghar hi to le jane aayi hun tujhe.… Aaaaaaaaaaaa... Pagal andha kahin ka, dekh kar nahi chal sakte"….


Jivisha, Nandni se baat kar hi rahi thi ki tabhi ek ladka daudta hua aaya aur dono ke bich se dhakka dekar bhagne laga.. jaise hi Jivisha chillayi, takriban 40-50 ladke ek sath chillaye... "Sale Jivisha ko dhakke markar bhagta hai.. pakad sale ko"…. Aur dekhte hi dekhte ladkon ki bhid daud'kar us ladke ko pakadne ki kosis me jut gaye...


Nandni:- Ab ye mat kahna ki ye bhis tere followers hai..


Jivisha:- bilkul sahi samjhi hai.. inme se tujhe koi pasand ho to bata dena... Teri setting karwa dungi..


Nandni:- Duffer kyon pran lene par tuli hai... Meri shadi pahle se ho gayi hai..


Jivisha:- Yaad mat dila fir tu, chupchap shadi kar li aur mujhe bataya tak nahi..


Pass hi ek piller tha, Nandni us piller par apna sar patakti… "sala kisne tere dimag ka reset button dabaya hai, uska gala ghont dungi main"…


Jivisha:- Aree aree aree.. mujhe Azad karwane wale ka gala ghontegi to mai tera divorce karwa dunga..


Nandni:- Mera divorce baad me karwana pahle apne aashikon ko sambhal...


Dono jabtak baten kar rahi thi, tabtak Jivisha ke aashikon ki bhid ne puri mehnat karke us ladke ko pakad laya, aur lakar Jivisha ke samne khada kar diya.. itne me he ek ladka sharmate huye... "Jivisha ise maine pakda"…


Najren nichi karke wo apne aediyon se jamin ko maslate is kadar Sharma raha tha ki Nandni aur Jivisha apni aakhen badi kiye use he dekhne lagi…


Jivisha:- Bhai tum pahle khud ko to sambhalna sikh lo... Aur tum sab aise bhid laga'kar.… Please irritate mat karo.. wo Alexa kidhar hai..


Nandni:- What !!! Alexa …


Jivisha:- Yes Alexa..


Nandni, apna bag uthati.. "Bus kar bahan chal yahan se ghar chalte hai.. tera pagalpan to din-w-din badhta ja raha hai"..


Jivisha:- Chup'kar, Alexa where r ju....


Alexa:- Present here..


Jivisha:- Alexa yahan ke bidh ko kinare karke is ladke ko meri car me bithao, akele me hisab kitab lungi ki ye mujhe dhakka mar'kar bina sorry bole kyon chala gaya..


Ladka:- Dekho mera naam Vyom hai.. aur mere piche log pade the isliye mai bhag raha tha... Ab chhodo mujhe aur jane do..


Jivisha, us ladke Vyom ko upar se niche tak dekhti… "Achhe mast hatte-katte gabdu ho... Chehre se thode pareshan jaroor dikh rahe ho lekin itne bhi nirash nahi lagte ki apna naam vyog rakh lo"..


Vyom kandhe ko jhatakte huye khud ko 2 ladkon ki pakad se chhudate…. "Bahut hi ghatiya kosis thi joke karne ki, chhodo ab rasta do, aur apne namuno ko sambhalo"…


Vyom, Nandni aur Jivisha ko kinare karte huye wahan se nikal gaya.. Jivisha uski baat par kuchh der tak sochne ke baad… "Alexa abhi ye kya bol'kar gaya"..


Alexa:- Tum bahut badi jhalli ho.. duffer ki synonyms ho..


Jivisha:- Alexa !!!!


Alexa:- Tumne puchha to bataya..


Nandni Alexa aur Jivisha wala drama dekh'kar jod-jod se hansti hui kahne lagi… "Wo ladka gaya bhi aur tu khadi khadi dekhti rah gayi.. chal ab"…


Dono thodi hi der me ek bunglow ke bahar khade the, jispar swarn villa likha hua tha… Nandni subah-subah pahunchi thi aur pura pariwar hall me hi chay par mil gaya..


Nandni ko dekh'kar lagbhag uska pura pariwar ander hi ander hans rahe the, jiski gawahi un sabke chehre de rahe the... Nandni un sabko dekh'kar apna bag darwaje par hi patakti… "Hans lo aap log lekin koi is nautanki ko mat samjhana"…


Jivisha:- Oye tu kyon itna chidhti hai.. dekh post graduation hum kar nahi paye to 2 sal sath rahkar kar lete hai.. kaun si badi baat hai...


"O bawri meri shadi ho gayi hai tu samjhti kyon nahi... Aur teri bhi to.." kahte huye Nandni khamosh ho gayi...


Jivisha:- Tu chill maar mere bade papa, Sudhanshu Rajput, ke yahan tera wo doctor aa sakta hai tujhse milne ke liye, itni chinta mat kar.. aur fir 2 sal ki baat hai, Kasak ke sath yun nikal jayenge.. tu thak gayi hogi aaram kar le...


Nandni apna bag lekar upar chali gayi aur Jivisha sabke bich baith'ti hui kahne lagi.. "Papa mai kya soch rahi thi"..


Papa Himamshu... "Haan beta tu kya soch rahi thi"…


Jivisha:- Mai soch rahi thi ki post graduation ke sath-sath na mai IPS ki bhi taiyari karun..


Himanshu apni beti ki baat sunkar chay me biskut dubo'kar kuch der chhodte huye... "Jivisha beta is biscut aur chay ki kahani se tum kya sikhi"..


Jivisha:- Yahi ki koi to gahri baat hai jo aap is chay me ghul chuki biscut ke madhyam se samjhana chahte hai.. shayad ye previous year ke IPS interview me puchha gaya sawal hai na papa..


Jivisha ka jawab sunkar piche se khi-khi ki awaj aane lagi. Itne me Swarn Villa Ghar ke sabse chhota sadsya aur Jivisha ke bade bhaiya Ravi aur Bhabhi Nandita ka Beta Chirag, apna school bag uthaye, honthon par "Tera hone laga hun, jabse mila hun" geet gungunate chala ja raha rha tha...


Himanshu:- Chirag yahan aa..


Chirag:- Off O dadu kitni baar bola hun ki school jate waqt distrub mat kiya karo, mujhe der se school pahunchne ki aadat nahi...


Maa Priya Rajput:- Mera ladla pota, kitni pareshani hoti hogi na tujhe dur school jane me.. yahan pados ka school bhi ab higher secondary ho gaya hai.. mai soch rahi thi, sixth class se baki ki padhai yahin pados ki school se kar leta..


Chirag:- Are nahi dadi, aap logon ke liye ek din school deri se chala jaunga, koi badi baat hai kya?


Himanshu:- Chirag ek baat bata, ye maine biscute dali chay ke cup me.. isse tu kya samjha..


Chirag:- Mere sath timepass kar rahe ho taki main school deri se jaun.. jab baat sajis ki ho rahi hai to aaj is ghar me faisla ho hi jaye..


Chirag ki maa aur Jivisha ki bhabhi Nandita, Chirag ko aankhen dikhati... "Juban jyada lambi hoti ja rahi hai kya, chal chupchap school ja"..


Jivisha:- Huhh ! Acha nahi hoga mere bache ko kisi ne chheda to.. betu tu school ja.. papa aap kya kahna chahte ho sidhe kah do na, baat kyon ghuma rahe ho..


Himanshu:- Isme baat kya ghumana hai beta.. jaise chay me biscute dubo'kar mai time pass kar raha, waise tu bhi IPS preparation ke naam par time pass kar rahi. Pahle bina chit kiye koi to exam pass kar le.. IPS banegi... Charprasi bhi ban jaye na to paun dho'kar pi lunga..


Jivisha apne dono hath aage dikhati… "Bas Mukhiya ji, itni bejjati aaj ke liye kafi hai.. Ab to mai jabtak Ips nahi ban jati .. tabtak sochungi ki kya karna hai.. lekin aap yah mat samjhna ki mai ye baat bhul gayi... Mukhiya ji ab junoon si hogi IPS banne ki..


Priya:- Best of luck beta.. IPS na bhi ban saki to gum mat karna… PS to pahle se hai..


Jivisha, apni maa Priya ko sawaliya najron se dekhti... "PS ka matlab maa"..


Priya:- Wahi beta jo tere naam ke aage suit karta hai.. Pagli-Sanki Jivisha.. short me PS Jivisha..


"Huh".. karti hui Jivisha wahan se uth'kar sidhe pahunchi apne ksmre me, jahan Nandni bistar par leti thi.. Jivisha uske pass let'ti.. "Ac compartment se aayi hai, fir bhi leti hai, chal uth.. pahle kuch kha le fir sona"…


Nandni:- Subah bhukh lagi thi to station par daba'kar bread omelet khayi thi..


Jivisha:- Chal na uth bhi ja, kitna soyegi.. din me so lena na... Mujhe tere sath dher sari baten karni hai.. aur tumhare doctor se bhi..


Nandni:- Mai bhi bahut sari baten karna chahti hun, lekin abhi ek nap le lene de.. Mere compartment me ek family thi aur unke gode me baby.. bechara baby andhre me rota tha aur light par wo khelne lagta.. ab wo khel raha tha to halla-gulla hota raha aur natija mai bhi uth'kar baith gayi..


"Mai tujhe bahut miss kar rahi thi.… Achhe sath wale waqt kitni jaldi bit jate hai na"… Jivisha kuch pal khamosh hokar kahne lagi...


Nandni, Jivisha ke ore karwat leti usse dhyan se dekhti.… "Tujhe sach me uske bare me ek lamha yaad nahi"..


Jivisha:- "Mai teri dost hun ya wo Nischal, jo tu har din mujhse yahi sawal puchhti hai... Pahle mai teri baat sunkar sochti thi ki mere sath wo "Sadma" film wala haal hua hai jisme shree devi pagalpan se thik hoti hai aur Kamal Hasan ko bhul jati hai.."

"Sirf tere kahne par mai apne ander ye feeling lati rahi 'ki nahi jiski chahat sachhe dil ki hogi, usse mujhe bhi pyar ho hi jayega'.. Isliye mai kayi dino tak yahi manti rahi ki mera bhi ek boyfriend hai jise mujhe samjhna hai.. lekin hua kya.."

"Kahan hai tumhara Nischal..… Kabhi-kabhi Nischal ke naam par tu mujhse khaffa si dikhti hai.. tere ander dikhta hai ki tu uski kami si mehsus karti hai.. Kya rishta kya nibhaya usne... Mujhe yaad nahi shyad mai pagalpan ka shikar thi, to fir wo kahan hai aur usse kyon kuch bhi yaad nahi.."

"Sach to ye hai ki wo jo koi bhi tha, uske jindgi se wo hisse gayab ho gaya, jisme hum the. Aur meri jindgi se un logon ka.. ek bus bich ki kadi tu bachi hai, jise sab yaad hai lekin koi fayda nahi, kyonki sachai tu bhi janti hai.. wo nahi lautega.."

"Mai to uske bare me yah bhi nahin kah sakti ki bhul'kar aage badh jati hun. Kyonki jab dimag me koi tasveer hi nahi to kya hi kar sakti hun mai.. bus tere liye mayus hai dil.. kyonki ek dost ki kami tumhe mehsus ho rahi aur mere rahte meri bahan aisi kami mehsus kare, aisa bhala ho sakta hai kya.. isliye tera rona band.."

"Haan samjhti hun ki ab tujhe jindgi ke dusre maze mil rahe kamini. Tu apne us nirdayi dost ko jo mujhse bhi badh'kar tha, usse tu apne pati ke sath chipak'kar bhi yaad kar sakti thi.. lekin mere pass tere wo bhi maze khatm.."

"Lekin janeman.. Are O Jumma, Meri Janeman.. jarra idhar to najre daal de.. Chumma De De Chumma… "


Kahti hui Jivisha apne honth dhire-dhire badhane lagi... Nandni hadbada kar uth'ti hui Jivisha ko takiye marti… "Tu kitni bhi sensible baten kar le, ant me aukaad par utar hi aati hai.…"…


"Abhi to sirf aukaad par utri hun janeman.. aage aage dekhti ja.. dil jigar jaan kahan kahan mai utarti hu"…


"Ae pagal.. tu dur hat.. lipatna-chiptna chhod"



"Ek dost to hun mai, to ab pati ki hi yaad aayegi na... La uss kami ko bhi puri kiye deti hun..."


"O jhalli.. bus kar tere rahte kisi ki yaad aa sakti hai kya... Mera bachpan laut aaya"…



"Pakka na... Ya jawani ke overdose ab bhi chadha hai"…


"Ab ye Jawani ka overdose matlab"



"Har baat ka matlab ho, kabhi-kabhi lay me betuki baten nikal jati hai.. punchline dekh bus.. jawani ka overdose.. mast hai na"..


"Tu pagal ho gayi hai"…



Kuch hi der me dono ki hansi us kamre me gunjne lagti hai... aur chahakti hui Jivisha ko dekhkar Nandni muskurati hui khud se kahne lagi… "Shayad aaj tunhare sawalon ka jawab nahi mere pass aur shayad kabhi na bhi ho, kise pata.. tu to hai na mere pass, mai isi me khush hun… wo bhi jahan ho khush rahe..."

बहुत शानदार

ये जिविषा के हार्ड डिस्क से किसने छेद छाड़ कर दिया। या फिर किसी मालेसियस वायरस की बग ने उसका सारा डेटा अपने कब्जे में लेकर किसी को कोड़ी के भाव बेच दिया जिससे शायद ही हैकर को मुंह मांगा दम मिला हों।

ये तो थी मजाक की बाते लेकिन अब करते हैं ढंग की बाते खूबसूरत लड़कियों का फ्लोवर सब जगह खाचा खांचा भरा होता हैं। चाहें वो सोसल मीडिया हो xf हों या हों जलसा, मुसीबत तो वहां आती हैं जब कोई अंडा टेड़ा लड़का उस खुबसूरत लडक़ी से अनजाने में टकरा जाएं तो विचारे की सामत आ जाती हैं। लडके को लडक़ी के साथ साथ उसके फॉलोअर से भी बचना होता हैं।

जैसा की नंदिनी बोलते बोलते रूक गई जीविषा की शादी...... क्या जीविशा की शादी हों गईं तो फिर कहा हैं उसके हुस्न के दीवाने, क्या हुआ था जिविष के साथ जो उसका हार्ड डिस्क क्रैक हों गया, जीविष का टोटल लॉस हों गया।

अप्रतिम बोले तो भिड़े भाई की स्टाइल में।

My Story
उम्मीद (upcomming)
 
  • Like
Reactions: Naina

Dhaal Urph Pradeep

लाज बचाओ मोरी, लूट गया मैं बावरा
443
998
93
Update:-2






Somewhere In Universe...

Fauj ke kayi 5 bade-bade jahaj ek unknown planet par utar rahe the.. Har viman ke upar saaf aksharon (word) me likha hua tha.. "Middle State Of Aizem Planet"…


Sare viman kisi Aizem Grah ke Madhya Rajya se the, jinke hajaron ke tadat ki sainya tukdi us jagah par utar rahi thi.…


Viman ke land hote hi sainik apne viman se bahar utar'kar ek katar bana rahe the. Har sainik jaise hi us jamin par apne paun rakhta, bus itna hi khyal unke man me aata, "Kya manhush si jagah hai"


5 katar me tukdi khadi thi, aur har sainik umda technology se laish hathiyaron ke sath khade the... Har katar ke sabse aage me uss tukdi Front Officer khada tha, aur un 5 Front Officer ko command dene ke liye ek Suzerain thi.


Sabhi soldier jabtak katar laga rahe the, Suzerain Meerasi apne ek chief officer Nizal ke sath char kadam chal'kar us jagah ka muvayna karne lagi.. khusk hawa, hawa me ret ke kan.. charo ore bilkul tapa dene wala tapman aur jahan tak najar jaye kewal ret hi ret...


Kuch hi samay me puri tukdi katar me thi, Nizal bhi aakar apni team ke sath khada ho gaya.… Aur Meerasi apne tukdi ko mission samjhati...


"Aizem ki Uttari seema walon ne humare rajya me isi planet ke kisi janwar ko chhoda tha.. Us janwar ka tracker tum sabke screen par flash ho raha hai... Har tukdi ko uss janvar ko chhip'kar dhundhna hai.. anukul mauka dekh'kar usse maar dalo aur sabse aham baat.… Uttari seema wale iss kshetr me ghuse the, is baat ka sboot dhundh nikalo, chalo jao jao jao jaldi se jao"…


Meerasi sabhi soldiers ko command dene ke baad apne commanding viman me gayi aur wahan se har kisi par najar banayi hui thi.. jaise-jaise ye kshetr explore ho raha tha, Meerasi ko apne air-conditioned viman me bhi pasine aane lage the...


Soldier tukdiyon ki vaman jaise-jaise us kshetr ko scan kar rahi thi, kafi visamtayen aur khuffnak si jagah dikh rahi thi.. Har 50 kilometre par yahan ki jalwayu aur kshetr puri tarah se badla hua tha...


Retila ilake ke samapt hote hi ek bahut lambi aur utni si chaudi nadi wahan se gujarati thi, jiske pani ki dhara itni tej thi ki wo ummid ke pare the.. Uske thik aage jungle aur pahad shuru hote the, jiske pedon ki unchai aasman chhute the.


Jungle bhi kafi ajib, jiske bare me na to aaj tak kabhi dekha aur na hi suna... Har ped takriban 2000 fit mota aur 8000 se 10000 fit uncha tha.. aisa lag raha tha building ke badle yahan ped hi khade rahte hai...


Unki sakhayen itni moti thi ki aisa lag raha tha wo sakha na hokar, 1000 sal purana koi bargadh ka ped nikla ho dayen bayen se.… aur har sakha par viman ke barabar ki chidiyon ne jaise ghosla bana rakha ho...


Shwansen to tab ruk gayi, jab soldier aircarft ko achanak hi dayen-bayen puri takat se modne pare, kyonki junglon ke aage badlon se bhi unche pahad the, jinme se kayi to sakriya jwalamukhi the...


Meerasi, apne opretor ko dekhti hui... "Kya isliye is planet ka naam, Final Planet rakhe huye the kyonki iski jamin par ruke to hum apne final place ko dekhenge"…


Operator:- Meerasi mujhe nahi lagta ki yahan ki jamin par utarkar, yahan ke kisi janwar ko le jaya bhi ja sakta hai... Wo janwar yahin ke kshetr ki kisi antriksh yatri ki galti se apne elaake me pahuncha hoga."…..


Operator aur Meerasi dono baat kar hi rahe the, tabhi samne ke screen par jaise hi najar gayi, Meerasi chillati hui kahne lagi.… "Abort the mission"… "I repeat abort the mission"…


Najron ke samne kaleja chid'kar bahar nikal aaye aisa drishya tha. Dur-dur tak jahan najar jaye bada sa sapaat maidan, jahan par the Final Planet par basne wale jiv...


Koi apne kaamsutra me laga hua tha, to kayi aapas me khel rahe the.. maidan ke is bhag me halke laal rang me nar aur halke pile rang me madayen thi, jo 5-6 ke jhundh me the aur aapas me kayi sare kamo me sanlipt the...


Maidan ke is hisse me kya ho raha tha uska aaklan karna bilkul hi muskil tha, kyonki ek najar jo wahan ke jiv ko dekh le, wo heart attack se mar jaye... Sabhi stanpayi (mammals), apne dono paun par khade hone wale.. nar ka pura sharir halke balon se cover the..


Unke sarir ki banawat to insano ki tarah hi thi.. purn nange insan jis swaroop me milenge, unki roop Rekha aur banwat bhi waisi hi thi.. kewal jo anter tha wo uske sharir ka rang jo halke laal aur halke pile rang ka pratit hota tha.. aur unka aakar...


Aakhen fat jaye unka aakar dekh'kar, kuch aur fat jaye dekhkar wo to anterman ki pukar hai. Baharhaal jo najron ke samne the... unka aakar kuch yun tha ki paun ka ek panja 15 fit ki lambai ka hoga.. unka sarir kam se kam 30 fit ka ilaka gher leta ho, aur unki lambai kam se kam 200-300 fit to hogi hi... dekhkar hi shwans tham jaye..


Alag-alag disha se urr'kar jaise hi pancho viman us maidani ilake me the, sabki fat'kar hath me aa chuki thi... Meerasi abort the mission kah to rahi thi, lekin wahan khel rahe bachon ne jaise koi urrta hua khilona pakad liye ho.. pal bhar me hi pachon viman wahan khel rahe bachon ke hath me thi, aur pal bhar me hi sab jamin par..


Jaise hi yah ghatna hui, wahan ke kuch niwasi ne dekha aur sab ek sath chillane lage... Kaan faad wo chillana tha, jise sunkar kya-kya fat chuka tha viman me baithe sainikon ka, wo to wahi achhe se explain kar sakte the. Un giant insano ka samanya roop se baat karna hi behra kar de, fir to ye log jod-jod se chilla rahe the...


Mission abort hone se pahle hi pachon viman chhatigrast hokar maidan me the aur charo ore se unhe giant insan ghere... "Sabhi abhi bahar aa jao"… Itna kahkar ek giant insan ne pachon viman ke bich khali jagah me mukka maar diya...



Mukka parne se jo wahan kampan aur awaj paida hui, uske bhay se sabhi apne viman se bahar nikal aaye.. har kisi ke chehre par dar saaf dekha ja sakta tha.. kayi sainikon ke halakh sukh chuke the to kayi apni paint gili kar chuke the…


3000 hazar ki bhid me chand logon ko chhod diye jaye to sab yahi soch rahe the ki paun ke niche kuchle jayenge ya chutki se masle jayenge..


Meerasi yah najara dekhkar oprator ko missiles activate karne boli aur viman ko unke ilake me lene ke liye kah di.. Meerasi ke order turant follow huye... 2000 fit ki unchai par Meerasi ne apne viman sthir ki aur upar se announce karne lagi... "Hum dushman nahi hain dost hain.. hum yahan kisi ko nuksan pahunchane nahi aaye, humare logon ko jane do"


Meerasi ki awaj niche pachon viman me lage bhonpu se gunjne lagi, jise sunkar wahan ki fijaon me paglon wali hansi gunjne lagi… Ek giant insan ne jhuk'kar apne mutthi me 4-5 sainikon ko utha liya aur uske pass wale uske sathi ne uske hatheli par tali baja dali...


Sabhi soldirs aise hatheli par chipak gaye jaise machhar ko markar chipka diye ho.. aur wo giant insan apni hathli wahan ke khade viman ke ore kar diya.. Meerasi ka khun puri tarah se khaul gaya.. ataack ke aadesh dekar Meerasi ne apne viman me loaded chhote missaile se humla kar di..


Niche se goliyan barasni shuru hui aur upar ke viman se missile... 5 minute me hi wo ilaka dhuwan-dhuwan ho chuka tha. Meerasi operator ko rukne kahi aur dhuwa chhatne ka intzar karne lagi..


Jaise hi wahan ka dhuwan hata, samne giant insan khamosh khade the.. unme se ek ne fir se apne hatheli par 4-5 soldier ko rakha aur uska dusre sathi ne tali dete huye sanbko hatheli par chipkate huye kahne laga… "Yahan kewal tumhara bahubal kaam aayega, baki ke hathiyar Jin tatvon (ingredients/chemical) ke bane hai yahan ke jalwayu unhe un tatwon me ghol degi"…


Meerasi ko aisa laga jaise wo sadme me na kahin chali jaye.. test karne ke liye usne ilaka saaf karne wala missile chhod dee, jo 20 kilometer ke kshetr ko malwe me tabdil kar deta, bina dimag me dusra khyal laye ki niche wahan uske log fase hai..


Missile chhuta aur agle hi pal kewal wahan dhwan hi dhuwna tha aur dhuwan jab chhata tab is baar sabhi giant hans rahe the. Is baar 10 giant ke hateli par takriban 150 se jyada soldier...


Tabhi achanak wahan hooting hone lagi.. sabhi soldiers ek sath chillane lage.. hatheli par bhi jo khade apni maut ka soch rahe the.. wo sab bhi siti bajane aur hooting karne me lage the…


Haan unki awaj bahut dhimi giants ke kano me ja rahi thi, lekin jaa jaroor rahi thi... Upar aasman me jab unhone dekha to Meerasi ki viman ke sath dusra viman bhi pahunch chuka tha... Unhe aisa laga jaise us viman se koi chhoti si chij chhalang laga'kar niche kudi hai, jo teji se unke ore badh rahi hai...


Niche sainikon ki dhimi aa rahi hooting par wo sab hansne lage, mano kah rahe ho "pagal kahin ke" aur agle hi pal har hatheli par tali tokhne ke liye unka dusra sathi taiyar tha...


Ye bada sa 20 fit ka panja hawa me ek sath aur agle hi pal aise laga jaise wahan ke mahol me khamoshi si chha gayi... 10 giant jo apne hath upar kar chuke the, jabtak apne hath niche karte, kisi ke bahubal ne un giants ki pariksha leni shuru kar di thi...


10 giant jo hath uthaye tali marne ko taiyar the.… ek ke baad dusre aur fir teesre ne mehsus kiya ki ek hawa ka patla jhonka unke pass aaya aur gaya.. aur itne hi der me unka vishal, sharir sar se lekar paun tak, kayi hisson me bantkar khun ki dhar chhodte huye jamin par gira para..


Uss Bahubali ne tabahi ka yah manjar, sabhi giant ke palak jhapkne se pahle hi dikha chuka tha.. 10 uthe hath jo apne sathi ke hath par tali ki thap dete. Wo sabhi hath niche aane se pahle kat chuke the...


Kisi bhi giant ke muh se awaj nikalne se pahle hi bhadi bhadkam maans ke lothre maidan me the, aur ek ladka apne logon ke bich sina tane khada tha, jiske bade se khanjar se khun tapak raha tha…


Sabhi sainik wapas se hooting karne lage.. charo ore.. Nischal, Nischal, Nischal, Nischal... ki gunj hone lagi…


Pal bhar ka hi samay to liya tha Nischal ne aur 200 se 300 fit se unche 10 tower ko wo apne khanjar se mahaj chand second me chid-faad'kar niche jamin par gira chuka tha... Unke pass itna waqt bhi nahi tha ki apni maut ki pira par chilla de.. Na hi Nischal ne unhe itna waqt diya ki pahle wale giant ke ander jab wo khanjar dal raha tha, to aakhri wala apni tali ki thap de de.. aisa laga jaise slow motion me 10 hath niche aa rahe the jo inch dar inche niche aate-aate kat fat'kar bikhar gaye...


Gahri si chinkhen aur gusse se pagal giant insano ka swaroop pal bhar me aaya.. aur tabhi Nischal apne viman me lage bhonpu se sabko sunane laga...


"Doston ye kanjar beraham hai... Ek baar jab katna shuru karti hai to fir tum dekhoge ki tumhari aabadi kam ho rahi hai, lekin kuch kar nahi paoge... Charo ore bebas sa mahol hoga aur mai tumhe chinkhne ka bhi waqt nahi dunga"…

"Mai har safar par apni aakhri manjil soch'kar nikalta hun.. jise bhi mere khanjar ka shwad chakhna hai wo aage aa jaye.. Aur yadi aisi chahat na ho to humne aapas me bahut khun baha liya, koi hai jo baat kare ya fir tum sabko kaat'kar hi mai apne logon ko yahan se le jaun"…
फनटेसी का ऐसा जलवा मन गए गुरू आपके चरण किधर हैं थोड़ी सी धूल मिल जाती तो मुझे आत्मसंतुष्टि मिल जाता। "ये मजाक नहीं था" I'm serious

अब समझ आया Naina Ji क्यों निश्छल निश्छल चिल्लते रहते हैं। भाई ऐसे सुरवीर हीरो का कौन दीवाना नहीं होगा जो पलक झपकते ही सामने खड़े भीड़ का सर धड़ से अलग कर दे निश्छल बाबू मैं अपका फैन हो गया। बीना बिजली और बैटरी के।

अप्रतिम बोले तो मेरे स्टाइल में।
 
  • Love
Reactions: Naina

Dhaal Urph Pradeep

लाज बचाओ मोरी, लूट गया मैं बावरा
443
998
93
Update:-5





Pass ka thana prabhari puri force ke sath entry marte.. Tabhi teeno trideviyan jod se chillati... "Kasa aahes Ghorpade bhav (Kaise hain Ghorpade Bhav)"…. Unke saath badhaal haalat wala wo Alexa bhi hath utha diya…


Teeno ko dekh'kar wo inspector Ghorpade. apna sir pit'te... "Tuja mayla... Teeno.. lag gaye apne"….


Karyawahi shuru hui aur kuch hi der me pahunch gaye humare Pune City SP Sawalker Tripathi, bole to bade bhaiya... Sawalker ko dekh'kar Kasak aur Nandni roti hui unke pass pahunch gayi... Ek ke baad ek apne upar huye 100 atyachar ko ginwa dee...


Manager ka to muh khula ka khula hi rah gaya. Ant me hua wahi jo iss Pub ka hota aaya hai. Ujar'kar chal diye. Har koi wahan se hanste huye bahar nikla aur Sawalker chidhte huye Ansh se kahne laga.… "Doctor sahab ek din dekh lena Mera divorce pakka hai. Tumhari bhabhi ko aaj picture dikhane le ja raha tha aur in logon ko kand karne ke liye aaj ka hi din mila tha…"


Nandni:- Bade bhaiya dimag mat khao... Itna to mera Ansh bhi mujhse nahi darta… aapko dekh'kar to ek hi feeling aati hai... Bechara ghabraya pati… thoda to himmat jutao...


Kasak:- Yes bade bhaiya... Bilkul aaj to chha jana hai... Jyoti bhabhi ko dikha dene hai ki ghar ka maukhiya ek mard hota hai mard...


Sawaker:- Ae Ghorpade chup karwa inhe, warna mere lag jane hain...


Ghorpade:- Pichhli kahani me aapne hi sikhaya saheb, seniors ke mamle me kuch nahi bolna...


Sawalker:- Kal se tu chaurahe par khada milega Ghorpade, Tujhe abhi se traffic me daal raha...


Ghodpare:- Saheb nahi !!!


Sawalker:- Saheb ke sath comedy karega to yahi hoga….. traffic wo bhi night duty..



Kuch der pahle pub me, ab sadak par hungama. Lekin kisi ko pata nahi tha ki Sawalker ke sath uski patni Jyoti bhi pahunchi thi, jo gaadi me baith'kar sub sun rahi thi.…


Gusse me aag babuli hokar Jyoti car se bahar aayi…. "Mai ja rahi hun. Ghar aao tum wahin baat karte hain"…


Sawalker:- Nahi Jyoti sun to...


Jyoti:- Main sab sun rahi thi... Aaj to chha jaoge... Himmat dikhaoge…


Kasak:- Bhabhi bechara pati se sher pati ban'na hai... Ghar ka malik kaun hai wo batana hai...


Jyoti:- Thanks Kasak… inhe ghar chhod'kar aao, banati hun tumhe sher pati...


Sawalker:- Areee, mai to chup tha, yahi bole ja rahi thi…


Nandni:- Haan hum bolenge.… To aap chup nahi karwa sakte.. waise bhi hum to kuch bhi bolte rahte hain…


Jyoti:- Haan muh me dahi jami thi jo tum dono ko mana nahi... Ek minute Jisa kahan hai... Teeno sath me hi thi na...


Mahol hungama aur baton ke dauran kisi ko dhyan hi nahi raha ki Jivisha kahan hai...


Kuch samay purv Jivisha pub se bahar nikal aayi aur ladkhadati hui sadkon par chal rahi thi. High hills ki wajah se usse chalne me samasya ho rahi thi, aur usne apne paun se sandel nikal'kar hawa me uchhal diya.….


"Ae pagal hai kya"….. "pachta nahi to piti kyon hai bewdi"…. Jis-jis ke sar par sandel pari, apni-apni pratikriya dene laga.. aur Jivisha apni madmast chaal me aage badh rahi thi.…


Jivisha ko sadak ke dusri ore gola wala dikha aur wo apne ladkhadati kadmon se sadak paad karne lagi... Achanak uske sadak par aane se, pichhe se aa rahi tej bike pura aniyantrit ho gayi. Bike fatak se right lete huye bike wale ne break lagaya….


"Pata nahi ye ladki baar-baar kyon mujhse takra rahi hai"…. Bike par wahi ladka Vyom tha jo barbarata hua apne helmet ka shisa upar kiya aur pichhe mud'kar Jivisha ko dekhne laga... Jivisha gadiyon ke takkar ki ek level paar karke, kuch kadam aage badhi hi thi ki Vyom daud'kar aaya aur Jivisha ka hath pakad'kar khincha...


Shayannn se ek car galiyan deti hui cross ki.… Jivisha kafi gusse me uss car wale ko ghurti hui apne jaan bachane wale se kahne lagi.… "Thankkks dosstt... Ye sale car wale ko drivinggg license kisne de diya"…


Vyom, khinch'kar Jivisha ko footpath par late….. "Koi hai sath me"…


Jivisha, bade gaur se uske helmet ko dekhti, helmet par mutthi se maarti... "Knock-Knock kaun hai"…


Vyom hanste huye jaise hi apna helmet utara.…. "Areee tum"….


Vyom:- Haan main...


Jivisha:- Aaj bada khush lag rahe ho baat kya hai...


Vyom:- Mai to kewal khush hun, tum to khushi se jhum rahi ho.…


Jivisha 2 kadam aage chalti, apni dono bahen faila'kar…. "Aaj thodi si pi lee hai, isliye khush hun"…


Vyom jhatak'kar uske sath chalte.…. "Hello miss, akeli ho kya?.. tumhara BF kahan gaya"…


Jivisha uski baat par jod se hansti hui.… "Pagal usi ko to dhundhne nikli hun... Jante ho mera koi boyfriend nahi hai"…


Vyom:- Jan'kar behad khushi hui, ladko ka dil toot'ne se bach gaya...


Jivisha footpath bench par bait'ti.… "Tum bahut rude ho Vyom... Mujhse achhe se baat nahi karte… aao baitho tumhari akdu hone ki kahani sunti hun"…


Vyom:- Sorry miss.. chalo mai tumhe ghar drop kar dun...


Jivisha:- Itni hot aur beautiful ladki tumse baat karna chahti hai aur tum usse ghar drop karne ki baat kar rahe.… How rude... Girlfriend bahut tourcher karti hai kya, jo kisi ladki se thik se baat nahi karte….


Vyom:- Girlfriend… haan kuch aisa hi samjho... Chalo tumhe ghar chhod dun... Ya number do kisi ka...


Jivisha:- Tum ho kaun haan… jakar apna kaam karo… abhi apna mood romantic hai aur sair sapate ka mood hai.…


"Aree yaar ye mai kahan faas gaya"… Vyom khud me kuch sochte huye police station call kar hi raha tha, tabhi usse samne Alexa dikha... "Kya yaar iss bevdi ko akela kyon chhodte ho... Lekar jao isse"… Alexa ko dekh'kar Vyom ne tikhi pratikriya dee, aur Alexa usse muskura'kar thanks kah'kar Jivishsa ko Kasak aur Nandni tak pahuncha diya...


Nashe ki gahraeyon me dub'kar sone ke baad, subah Nandni angdai lekar jaise hi jagi, uske pass Chirag aur Chirag ki girlfriend Aarsi baithi hui thi...


Bechari Nandni, thik se angdai bhi nahi le payi thi aur samne dono ko dekh'kar uski aakhen badi ho gayi.… "Kya hua bua aise kyon ghur rahi ho?"…


Aarsi, jhapak se Nandni ke paun chhuti... "Kaisi hain bua sasu, fuafa ji ko sath nahi layee"


Nandni, apna sar pit'ti... "Tum dono fir school bunk karke ghumne nikle ho, aur mere flat me tum dono ghuse kaise"…


Chirag:- Class me sir jo padhate hai wo to hum kabka pura padh chuke hain.. ab to class me bachon ko dekh'kar hum bore ho jate hain.. .


"Oye dada ji, to class na jakar kya karoge"… Nandni dono ko kha jane wali najron se ghurti hui...


Aarsi:- Hum bhi apna ek Jaal mahal bana rahe hain... Khufiya jagah, jahan hum science experiments karte hain..


Nandni:- Tum dono mazak kar rahe ho na..


Chirag:- Lagta hai raat ki utri nahi hai... Alexa kidnap kar lo aur sath liye chalo...


Nandni ho chuki thi kidnap aur Alexa use lekar apartment ke top par le aaya... Nandni puri gusse se, apne hathon me pahna transparent electric gloves se Alexa ke hathon par bijli ka 1200 volt tak ka jhatka dee.…

(Transparent electronic gloves, electricity generating gloves hai, jisme se kuch second ke liye ikchha anusar current flow supply karwa sakte the, jo totally mind se control hota hai… Pure universe me eklauti Nandni hi thi jo iss gloves ka istamal kar payi thi.. Baki kisi ka brain niyantrit current flow nahi karwa paya tha...
3-4 sal pahle Nandni ne apne hatho me yah pardarshi gloves chadhya tha. Uske baad to usse yaad bhi nahi ki uske pass aisa bhi koi device hai... Kewal jaroorat ke waqt wo istamal karti hai aur vipatti ke waqt kuch second tak 5 gigawatt tak current supply kar sakti thi)


Jaise hi Alexa ne apne ander current mehsus kiya, Alexa khushi se apna pura muh faadte... "Thanks for giving me meal"


Nandni kuch bol pane me asamarth thi aur wo samjh chuki thi ki ye Alexa kya hai, Aarsi aur Chirag kaise uske flat me ghuse, aur ye bache ab wo bache na rahe balki next level kid ho chuke hain...


Rooftop par tha ek adrishya viman, shayad Zoren grah ki kuch technology ko copy kiya gaya tha, warna Nischal ke banaye viman to najar aate the... Palak jhapkte hi sabhi sawar hokar kisi virane thande kshetr me the.. puchhne par pata chala ki Russia ki koi jagah hai...


Nandni jab ander ghusi to uska muh khula ka khula rah gaya... Achha khasa area me in dono ne apna work station bana rakha tha...


Nandni:- Ye kya hai.. kab kiya, bina humare jankari ke


Chirag:- Ye mere aur Aarsi ke request par Serin didi ne hume gift kiya tha.. humara personal work station... Kamal ki jagah hai na.. aaeye dikhata hun yahan se kya kya kar sakte hain..


Dono baith gaye rolling chair par.. kaam shuru karne se pahle, honth se honth lagakar ek baar chume, jise dekh'kar Nandni apne muh par hath rakh'kar bus hasne lagi.. udhar Aarsi aur Chirag fatafat kya speed se apne hath keypad par chala rahe the...


Kaam jaise hi khatm hua ek jordar press enter button par aur fir se rolling chair khisak gaya. Ek baar firse dono ne ek dusre ko chum'kar apni kursi se khade ho gaye … "tantarannnn … Pesh hai the magic hands"…


Dono ne kuch commands diye the. Diwal ki side se ek self bahar nikli thi, jisme kuch tha hi nahi... Bus 5 fit ka box khula tha aur usme sisa rakha...


Nandni dono ko ghurti… "Is box me kya hai wo to baad me samjhungi. Pahle ye jo tum dono ek dusre ko chum rahe the, kya hai ye sab..


Chirag:- Shit Aarsi, you stupid Nandni bua yahan thi..


Aarsi apne chehre par na aaye baal ko pahle chehre par lekar aayi, fir jhatak'kar style se pichhe karti hui kahne lagi... "Hum kaam shuru karne se pahle aur kaam khatm hone ke baad aise hi ek dusre ko cheer up karte hai.. aap ko iss baat se koi pareshani nahi honi chahiye.. ulta aapki bahu aur aur tum kya lage inke baby..


Chirag:- Nandni bua, aapko mai bua kahta hun to mai aapka kya laga..


Nandni:- Bhatija...


Chhirag:- Sweety Bhatija laga mai..


Aarsi:- Haan bua sasu to aapko apni bahu aur bhatije par to pyar aana chahiye, dono hamesa kareeb rahte hai..


Nandni apne aakhon aur hathon se "kamal hai" wale expression laati... "Waah bete, bahu to heera dhundha hai tune"…


Alexa:- Chirag lekar dhundha hai Chirag ne..


Aarsi:- Thanks Alexa, you are my sweetheart…


Chirag gussa se Alexa ko dekhte... "Alexa go outside. Agli baar meri girlfriend ko impress kiya to jaan nikal dunga"…


Aarsi:- Chill pill baby.. kyon irritate hote ho… agli baar Nischal fufa aayenge to usnse bolkar Alexi banwa lena..


Nandni:- Kya ?? Ye Alexa ko Nischal ne banaya tha…


Aarsi:- Haan.. wo bhi lagatar 8 raat jaag'kar aur Bua (Jivisha) se chhip'kar..


Nandni:- So, jane se pahle wo ek protector chhod'kar gaya tha... Ye usi ka dimag ho sakta hai jo aise realistic robo creat kar gaya...


Chirag:- Nandni bua Nischal fufa kab aayenge.. Serin didi bhi nahi lauti abhi tak... Mujhse kah'kar gaye the chhota sa kaam khatm karke jaldi laut aayenge..


Aarsi:- Dumbo.. wo to abhi action kar rahe honge.… Dhoom Dhoom dhaynnn dhaynnn...


Nandni:- Wo dono jab lautenge tab, pahle mujhe yahan ki puri detail do.. aur aaj se tum dono jo bhi karoge uska mai supervision karungi... Jis kaam ke liye mai mana kar dungi, mana ho jaoge...


Chirag:- Matlab aaj se aap humari team leader...


Nandni:- Yesss team leader..


Aarsi, Chirag ke jod se gale lagti..… "No baby, fir bua sasu baat-baat par tokti rahegi... Hum intentionally thode na kiss karte hai, wo to ho jata hai... Fir bhi ye tokegi to kahan se khul'kar kaam karenge..."


Nandni:- Uffff ye chhote packet aur atom bomb dhamaal…


"Dono ka yahan hona koi samsya nahi, lekin galti se koi upadrav na macha de kahin dono. Waise Serin aur Nischal ne inke hawale ye work station kiya hai to kuch soch kar hi kiya hoga. Fir bhi mujhe check karna hoga."


Nandni apne mann me khyal lati... "Alexa ki detail do mujhe, usse command kaun kar raha hai hai"…


Chirag:- Pata nahi, bus jaroorat ke waqt Alexa ko pukaro aur wo aa jata hai..


Aarsi:- Tumhe to kuch bhi nahi pata buddhu... Nischal fufa bata rahe the ki ye hum dono ka hai aur hum dono ke liye hai... Aur jab humare pass iska koi kaam nahi hoga tab pata nahi wo kahan jata hai.. puchh'kar bataun kya?


Nandni:- Rahne do… Alexa, Alexaaa


Alexa:- Chilla kyon rahi ho.. yahi hun tumhare pass...


Nandni:- Apni detail do...


Alexa:- Nachij ko Alexa pukarte hai... Dil kya chij kya hai jaan lijiye.. bus ek baar humara kaha maan lijiye...


Nandni:- Hmmm !!! Matlab dhit ho.. chalo tumhe samjh gayi... Ab jara in dono ki detail do...


Alexa:- Cute lovers hai... 5 sal se realation me hai aur apni mehnat se pahla invention kar liya hai... Mujhe lagta hai agar tum madad kar do to shayad pahla safal invention hoga... Warna iss ek invention ko kam se kam 80 bar kosis kar chuke hain...


Nandni:- Iss Ek matlab kaun sa invention..


Alexa:- Jald hi dikh jayega... Bus inki thodi help kar do...


Nandni:- Iska matlab invention me tum inki madad karte ho...


Alexa:- Yesss !!! Ye theory dete hain.. fir hum vichar karne baith jate hain… science khangalna, fir us topic ko samjhna aur dono ko practically samjhana, yahi sab chalta hai... Aur ant me hum invention preocess start karte hain…


Nandni:- Par tumne to kaha ki ab tak kewal ek hi invention par kaam kiya hai... Lekin tumhari baton se to lag raha hai kayi invention kiye hai...


Alexa:- Bahut chalu ho... Fasa dee. Mai in dono ki madad tab se kar raha tha, jab ye dono Jaal mahal (Universe ki number 1 Inovation & Technology ki jagah) me the... Jab ye dono laute tab Serin ne gift ke roop me mujhe de diya... Aur yahan aakar Nischal ne mujhe roop rang aur aakar de diya... Dekho baton ke dauran apne bhi raaj jahir kar diya...


Nandni:- Bahut muh fat bana diya hai tumhe. Bus bolte polite ho lekin bhasha puri Nischal ki hi hai..


Alexa:- Us gadhe ko maine bolna sikhaya tha... Warna jyadatar wo chup hi rahta tha… Jaal mahal tabah hone se humara spark toot gaya hai.. warna abhi confirm kar deta.…


Nandni:- Abhi sun leta na to apni khanjar se tumhe chid'kar 2 hisson me bant deta...


Alexa:- Main Energy hun... Ek form se dusre form me convert ho sakta hun… mar nahi sakta.… Basically jisne mujhe banaya kewal wahi janta hai mujhe shant karna, lekin afsos wo sadiyon pahle shant ho gaya... Ha ha ha ha...


Nandni:- Rapid fire khatm karti hun tum jite mai hari...


Alexa:- Tum race me bhi thi kya???


Chirag ek hath Alexa ko maarte…. "Duffer yahan kyon aaye the, wo to kar lo"…


Alexa:- Opps !!! Sorry mai bhul gaya...


Nandni:- Ye kya hai... Ye to pakka robo nahi ho sakta… ye bhulta bhi hai... Mere liye to ye pacha pana muskil hai…


Alexa:- Tum nahi samjhogi.. abhi tum in mamlon me Aarsi aur Chirag se bahut chhoti ho... Suno hume 1 gigawatt ki energy supply chahiye...


Nandni:- Oye mental… kya bol rahe ho pata bhi hai... Kahin koi bade dhamake ka to plan nahi kiya hai...


Alexa:- Tumhe hum par viswas hona chahiye.. baki sare sawalon ka jawab mil jayega...


Nandni puri tarah se ghabra chuki thi. Ek asmanjas ki stithi paida ho gayi thi. Ye log kya kar rahe hai bata nahi rahe the aur itni power supply ka matlab hota ki kahin koi unch-nich hui to pura work station bomb ki tarah fat jata...
ओ गुरू छा गए धोती फाड़कर रुमाल बना दिया और उसी का बिचोना बनाकर सो गए। सुनो गुरू अब तक की कहानी की तारीफ में क्या कहूं इस नाचीज़ के पास शब्द ही नहीं हैं न ही क्षमता है।

बस एक झप्पी 🫂 मेरे पास हैं जो देना चाहता हूं। अब आप ही बताओ दू तो किसे दू। लाइन में adirishi जी भी हैं। झप्पी एक लेने वाले दो, तो आप दोनों आपस में फैसला करों और बांट लो।

अप्रतिम बोले तो दिल खोलकर

My Story
उम्मीद (upcomming)
 
  • Love
Reactions: Naina

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,311
304
बहुत शानदार

ये जिविषा के हार्ड डिस्क से किसने छेद छाड़ कर दिया। या फिर किसी मालेसियस वायरस की बग ने उसका सारा डेटा अपने कब्जे में लेकर किसी को कोड़ी के भाव बेच दिया जिससे शायद ही हैकर को मुंह मांगा दम मिला हों।

ये तो थी मजाक की बाते लेकिन अब करते हैं ढंग की बाते खूबसूरत लड़कियों का फ्लोवर सब जगह खाचा खांचा भरा होता हैं। चाहें वो सोसल मीडिया हो xf हों या हों जलसा, मुसीबत तो वहां आती हैं जब कोई अंडा टेड़ा लड़का उस खुबसूरत लडक़ी से अनजाने में टकरा जाएं तो विचारे की सामत आ जाती हैं। लडके को लडक़ी के साथ साथ उसके फॉलोअर से भी बचना होता हैं।

जैसा की नंदिनी बोलते बोलते रूक गई जीविषा की शादी...... क्या जीविशा की शादी हों गईं तो फिर कहा हैं उसके हुस्न के दीवाने, क्या हुआ था जिविष के साथ जो उसका हार्ड डिस्क क्रैक हों गया, जीविष का टोटल लॉस हों गया।


अप्रतिम बोले तो भिड़े भाई की स्टाइल में।

My Story
उम्मीद (upcomming)
Ye second part hai.....

First part ... https://xforum.live/threads/kaisa-yeh-ishq-hai-ajab-sa-risk-hai-completed.18745/
:declare:
 
  • Like
Reactions: Dhaal Urph Pradeep

Dhaal Urph Pradeep

लाज बचाओ मोरी, लूट गया मैं बावरा
443
998
93
  • Like
Reactions: Naina

Dhaal Urph Pradeep

लाज बचाओ मोरी, लूट गया मैं बावरा
443
998
93
Update:-14



Din ke 11 baje ka samay. Bacche sabhi school ja chuke the, Jyoti bhabhi ghar par bilkul akeli. Darwaja khula hua tha aur teen log chupke se dakhil huye.


Haan thik hai koi bahut bada suspence nahi hai, baat itni si thi ki Vyom ka kya karna hai. Kyonki usse kidnap kiye 3 din ho gaye the, jise Alexa Mula Mutha nadi ke kinare kahin chhipa'kar rakhe huye tha, aur 3 din se jankariyan nikal raha tha... Alexa jiske bare me Nandni sabko bata chuki thi ye kaun hai.


Sabhi hall me hi baithe the. Jyoti jigyasavash puchhne lagi... "Kya tumhe button tankne aata hai"…


Alexa:- Robot nahi hun mai, jo har kaam kar lun… Chitti hi bana do...


Jyoti bhabhi, apna muh bichkati... "Huhhh !!! Kya fayda hua fir tere hone ka. Tujhse aacha to mera pati hai. Khali time me mere blouse ke button bhi taank dete hain aur bacchon ke diaper bhi badal dete hain"…


Alexa:- Ab roj-roj jise button todne ki aadat hogi wahi to taankega na... Isme proud type feel karne wali kaun si baat hai.…


Alexa ki baat par jo hi hansi Nandni aur Kasak. Aur idhar Jyoti bhabhi usse gali deti hui kahne lagi.… "Bhag haramjada"…


Alexa:- Sorry wo flow me nikla tha bus... Matlab baad me samjh me aaya...


Jyoti bhabhi, aur jyada bhaukhlati hui... "Sala tharki, Nandu isse nikal bahar"…


Kasak:- Kya bhabhi wo naadani me kah gaya aur aap baat khich rahi… naraj na ho cutee par...


Alexa:- Thanks Kasak... U r so gentle..


Jyoti:- Abhi kya faltu ki punchayat hogi ya jis kaam ke liye aaye the uss par bhi baat kar le...


Nandni, Alexa ke ore dekhne lagi aur Alexa Vyom ke bare me batane laga. Uske hisab se ladka achha hai. Pune apne kisi business ke silsile me aaya hai. Kuch din ruk'kar wapas chala jayega. Jivisha ke liye uska ek hi openion hai ki wo thodi pagal aur bahut jyada hansmukh hai. Jo bhi uske sath rahta hoga, wo fir kabhi udas nahi rah sakta.


Nandni ne pahli mulakat ke bare me jikr ki, jahan Vyom ka kahna tha ki uske piche kuch log pare the... Is par Alexa javab dete huye khane laga ki usne iss baat ka bhi pata kiya tha… Haan iss shahar ke kuch criminas the jo kisi aur ke dhoke me Vyom ko pakad rahe the... Baad me un logon ne Vyom ko pakad bhi liya tha lekin fir chhod diya...


Apni baat jari rakhte Alexa aage batane laga... Shuru-shuru me Vyom ko laga tha ki Jivisha uska pichha kar rahi hai, lekin baad me pub night ki gahtna se usse laga ki wo bhi to aaj achanak sadkon par takra gaya. Uske shabdo me kahe to.…


"Humara milna mahaj ek itafaak tha, jo kuch hi waqt me lagataar ho raha hai. Shayad niyati ka kuch ishara hai aur kuch kaam wo hum dono ke jariye karwana chahta hai, isliye hume baar-baar mila raha"...


Puri baat sun'ne ke baad Kasak jod se kahne lagi... "Sala jhutha hai ye ek number ka"


Alexa:- Uski bhavna jhuthi nahi thi. Maine motion detector se pakda tha… balki iss waqt tum juban se kuch kah rahi ho aur dil ki bhawna kuch aur hai...


Nandni, aakhen dikhati..... "Ladkiyo ke dil aur juban ke upar nahi jate Alexa... Unhe ignore karo, warna tum fuse ho jaoge"...


Jyoti:- Thik hai kuch din Jivisha ko bhi apne mann ki kar lene do... Main apni pati ki haalat se jyada tumhari hi baat par gaur ki Nandu. Uss din tune bahut sahi kaha tha…. Uski jagah koi bhi ladki ya ladka hota to yahi sochta… dil uska toota hai par wo dard bata nahi rahi… aur jab wo achha aur sacha sathi dhundh rahi hai to bhala wo ladka Vyom kaise galat ho sakta hai... Ek baat to tay hai... Niyati wakai hi dono se kuch karwana chahti hai...


Kasak:- Dono sath mil'kar bacche hi paida karenge aur kya karenge...


Nandni:- Jhalli kahin ki kuch bhi bakwas karti hai...


Kasak:- Thik hai mai usse ek baar khud se parakhna chahungi..….


Jyoti:- Mai bhi, lekin pub me nahi...

Nandu:- Fir kahan...


Jyoti:- Wo baad me soch'kar bataungi... Abhi uss ladke Vyom ko thoda dhil de aur Jivisha ke pata chale bina us'par najar banaye rakho...


Nandni:- Apna Alexa kab kaam aayega... Kyon Alexa…


Alexa:- Ji sure.. mai dur se najar banaye rakhunga… kahoge to live prasaran wo bhi audio visual mobile par dikha dunga...


Jyoti:- Ye achha idea hai... Alexa jab bhi kuch aisa ho to mujhe call kar dena..


Nandni aur Kasak dono... "Mujhe bhi call kar dena"…


Chhoti si sabha bhang ho gayi. Ussi din Kasak bhi apni dramatic upastithi darj karti pahunch gayi swarn villa... Jivisha khushi se uchhal'kar usse gale lagaati hui.…. "Mai kahne hi wali thi, kuch din aa ja mere pass bahut akeli feel kar rahi hun. Raat me to kabhi-kabhi itne bhyanak khwaab aate hain ki kya kahun"….


Kasak:- Chal jhuti, drame kam kar... Tujhe bhi pata tha ki kaka aur baba jab sath mahina din bitayenge to main tere pass hi rahungi...


Saal me 4-6 mahine aise hi hote the jab Himanshu aur Sudhanshu dono bhai sath hi rahte the ek jagah. Dono bhaiyon ke bich ka lagaav hi kuch aisa tha.


Khair, dono bahne bistar par chit leti hui thi. Jivisha Kasak se uski love story puchh rahi thi aur Kasak usse apni kahani bata rahi thi...


Kaise wo Sahil se coffee shop me takra gayi aur galti puri ussi ki hone ke bavjood bhi Sahil ko khadi-khoti sunati chali gayi.


Aamuman har prem kahani ki ek sochi samjhi sajis wali shurwaat, jisme kisi bahane se 2 ajnabee mil jate hai… thik ussi prakar Sahil aur Kasak mil chuke the. Kasak ke shabdon anusar uske liye Sahil hamesa Harfanmaula, bindass aur flirty. Wahin apne aur apne doston ke liye jimmedar aur hasmukh, bakiyon ke liye shant, gambhir aur apne kaam se kewal matlab rakhne wala. Kasak ne Sahil ki tarif me kaha...


Fir Kasak dubti hui batane lagi kaise dhire-dhire dono karib huye. Sahil ne apna past bayan kiya aur Kasak ne apna.. lekin dono ko hi unke past me bahut jyada intrest nahi tha, bhale wo Kasak ka Jatin ho ya fir Sahil ki Nidhi.. Unhe vartman me kafi dilchaspi rahi.. Kasak aur Sahil...


Dono lagbhag 2 viprit svabhav ke the. Kasak shararti aur hamukh to Sahil shant aur gambhir. Haan kewal uska nature Kasak ke liye pura viprit ho jata.… Aisa koi din nahi bita hoga, jab pyar parwan chadhne ke baad bhi usne Kasak ke sath flirting band ki ho..… Uska to yahi maan'na tha sabse jyada pyar to unhi se jatane ki jaroorat hoti hai jo apne hote hain.... kyonki kaam to apne hi aate hai...


Kasak, Sahil ke khyalon me khoyi hui, apni bhavna vyakt karti rahi aur jaise-jaise Kasak apne armaan nikal rahi thi, Jivisha ke chehre par muskaan fail rahi thi... Kasak lagatar bol'kar jab khamosh hui, tab dono bahan chhat ko takti kamosh thi.…


Kasak jab karwat le'kar dekhi to Jivisha chhat ko dekh rahi thi. Uske chehre par muskaan faili hui thi aur aakhon se ek dhara aanshu ke nikal rahe the…. Kasak bade dhyan se Jivisha ko dekhne lagi...


Jivisha ko jab yah ehsas hua, wo aashu saaf kar'ke muskurati hui apni lalaat upar ki, mano puchhne ki kosis kar rahi ho "kya hua"…


Pratkriya me Kasak bhi muskura'kar kuch nahi ka ishara kee, aur dono bahne punah (dobara) chit let'kar kamoshi ko sun'ne lagi.… Dono ke jahan me bus itna hi tha ki kitne varshon ke baad mil rahe hain..


Baat 6 mahine pahle ya sal bhar pahle ki nahi thi, balki aisa lag raha tha dilon ke ehsas hi bahut dur ho chale the... Jivisha chhat ko takti hui, khamoshi ko todi.… "Aisa lagta hai kitna waqt bit gaya na... Jindgi tej hoti gayi aur hum bhid me kahin kho gaye"..


Kasak:- Bite dino me kya miss kar gaye us'par afsos karne se achha hai ki bhid se alag ho'kar hum kahin ekant aur shant mahol me baith'kar baten karen...


Jivisha:- Tumhare pass to fir bhi baten karne ke liye, mere pass to wo bhi nahi... Jo nahi dikhta usse dekhne aur chahne ki galti kar baithi aur tum sab jo dikh rahe the, uss se mai dur hoti chali gayi... Kaisa ye bharm jaal hai jisme mai ulajh gayi...


Kasak, piche tek laga'kar thoda upar hokar baithi aur Jivisha ke sir ko apne gode me le'kar balon par hath ferti…. "Tujhe yaad hai, jab hum gaanv me the aur tu aam churane Tribhuwan kaka ke aam ke bagiche me ghus jaya karti the"…


"Haan, jane ki meri ikchha hoti thi, chori mai kar leti thi, aur mere liye tu baaten sun leti thi"…


"Aam me hissedari bhi to leti thi beta, aise free service thode na tha... Waise issi chori ke chakkar me teri bhag-daur itni pakki ho gayi thi ki Kabaddi me sabko pachhar diya karti thi"..


"Areee jhuti, gundi thi tum. Hamesa cheating se mujhe jitwaya tha. Wo More yaad hai"..


"Kaun wo moti Ajani more"..


"Haan, wo rote huye teri shikayat lekar aati thi... Kabaddi ke baad roj Kasak mujhe pit'kar kahti hai, roj aise hi haarna"…


"Oh to ye Anjani More ka kaam tha jisne pol khol dee... Waise meri cheating yaad hai, apni bhul gayi"…


"Meri koi hai hi nahi"…


"Achha, aur 8th ke exam me jab baba ne warning diya tha ki iss baar yadi fail hui to sar mundwa dunga, tab ki baat kuch yaad hai kya?"…


"Areee, bade papa ne karo ya maro ki prastithi me la khada kiya tha. Pai-pai jod'kar hum balon ko maintain karte the aur wo meri bahan ke baal chhilwa dete... Aise kaise... Waise ek baat bata.. tujhe sach me takli kar dete kya?"


"Baba ka to pata nahi lekin teri maa to pakka karwa kar manti"…


"Ae bitte bhar ki ladki, ha ha ha"


"Ha ha ha, kaki ka epic dialogue tha. Waise wo 8th wali ghatna ke baad hi hum dono ko pata chala tha ki bina padhe bhi pass ho sakte hai. Tune aaj tak waise bataya nahi ki uss khadus Apte sir ko tu class se bhagayi kaise thi"…


"Sachi bata dun"


"Haan bata na"..


"Apte sir ko Lachhi madam ka love letter mila tha, aur wo class se gayab"..


"Love letter !!!! Ae ullu tu 8th class se love letter deti thi"…


"Ab itni filmen dekhi thi kuch to anubahv dikhati na... Likh dali love letter"..


"Haan tabhi dono ka ghar bhi bas gaya. Dono ko to pata hi nahi hoga ki unki love story ki bicholiya tu thi"..


"Huhhh !! Bicholiya thi ya atki nayya ki khewayya. Waise Kasak ab sab log kahan honge"…


"Chal aaj dhundhte hai sabko... Apne bachpan ke bhule bisre log.… Kuch facebook par milenge, aur kuch ka unse hi puchh lenge"….


"Yessss !!! Maza aayega… itne varson baad jaan'na kaun apni life me kya kar raha hai"


Har koi jaise bichhdon ko dhundhne nikla ho. Ye dekhne ki kosis kerne ki bhul'kar hume apni jindgi me tum kya kar rahe maherbaan.…



Zoren planet.…



Zoren me satta priwartan ke baad Nag Loki Shwetna ko aadha Zoren mila tha to aadha Zoren Dridh aayu Jatin urf Josefer ko. Jispar uski bahan Baby aur Jatin dono mil'kar shasan chalate the...


Mahamahim ki mahima samapt hote hi Zoren ke manushya ki aabadi ko bhi kafi jyada nukshan hua tha, isliye aabadi ab bahut jyada hi control me thi aur sabko family planning ki hidayat mili hui thi…


Nag Loki aur Dirdh aayu dono mitr rastr the, jo ab aapas me Jodi bana'kar mixed culture par kaam kar rahe the... Serin aur Nischal ki bhale hi puri yaad mit gayi ho, lekin har Aizemvasiyo ka sawagat yahan bahut hi garam Joshi se hota tha. Sath hi sath, dono hi rastr me Shashak ki kursi khali rahti thi, jo Vish-Nilayani ke wansaj aur Zoren ki satta pariwartak rahi Malkia Jivisha ki thi.…


Pichhli raat Aizem se 2 jahaj rawaana ho chuke the. Ek jahaj ka mukhiya Puncham tha, jo 8 high class trained warrior, 2 jasoos, 4 technician, 2 ammunation technology expert aur 4 pilot ki team ke sath Zoren ke liye rawana ho chuke the.


Ye ek puri tukdi, kitni bhi badi fauj ho usse kam se kam 24 ghante tak ek jagah par rok'kar apni fauj ko bulane me saksham the.… Inka jahaj Zoren utar chuka tha, jahan Puncham ne wahan ke shasak Jatin ki ek din ki mehman nawaji swaikar kar'ke apne dusre jahaj ko gupt roop se suchit karne nikal gaya tha...


Aizem ka dusra jahaj sidha prithvi ke liye rawana hua tha. Iss jahaj ki mukhiya Maha Prabandhak Lobhu ki Jodi Nayla, apni ek team ke sath prithvi ke liye sidha ravana hui thi. Iss team me bhi utne hi log the, bus itna anter tha ki Nayla ke sath uski 4 khatarnak sewikayen bhi ja rahi thi. Jo kisi ko bhi mohne aur apne ore aakarshit karne ke liye roop, yovan tatha kayi prakar ke rashayan (chemical) sath liye ghumti thi...


Ek surkasha aur madad ki niti Aizem wale apnate hai... Jahan backup 24 ghante me nahi bhej sakte, wahan 1 gupt jahaj bhejte the. Taki aapatkalin stithi me madad kar sake aur apne logon ko bacha'kar la sake.…


Puncham, gupt suchna de'kar jaise hi wapas lauta, wahan ke sabha bhavan ka najara dekh'kar sidha apne sar me goli maar lee aur agle hi kshn (moment) uske dimag ke chithre udd gaye.…


Pancham ka mirt sarir jamin par gira bhi nahi tha ki flash raushni jali, jis'me aakhri sandesh tha Pancham ka.…


"Mai uska sabse pyara sagird hun jo tum sab ka baap hai. Bus intzar karo, jis pal usse khabar mili, wo ussi pal wahan se chalega… Uski beraham khanjar jab tumhara imtihan legi to tumhe apni maut par chikhne ka waqt nahi milega…. Abhi mai mar raha hun, aur iss pal ke baad se hi kaal tum par mandrane laga hai... Jitne din tum ji sakte ho apni sari ikchhayen puri kar lo"




"Hawa ka rukh kuch khusk aur badla sa lag raha hai Rachita. Tumhe kuch mehsus ho raha hai"….


"Haan Zoren ki hawaon ka rukh badla hua hai. Shikari laut aaya hai"


"Rachita apni puri seema surakshit karo. Prweash dwar par chetavni daal do ki yeh kshetr ab bahar walon ke liye band ho gaya hai. Varsak puri fauj lekar tum puri seema ki nigrani karoge... Bhumigat ho'kar. Rachita, Varshak tum dono par puri jimmedari chhod'kar ja rahi hun.
Ek baat yaad rahe, ladne se jyada jaroori hai apni jaan bachana, isliye kisi bhi paristhiti me sabko surakshit rakhne ka kaam tumhara hai"…


"Aap kahan ja rahi hai Shwetna"…


"Yahan ki Shashika par najar rakhne, kyonki Zoren ki badli hawa ka asar nischit taur par prithvi par bhi hoga. Lin, HuYu ko sandesh bejo hume prithvi tak le'kar chale"….



Zoren ki Naag Loki Shashika Shwetna, ek baar fir badle mahol ko bhaanpti hui, apne sabhi up-shashkon ko samjha'kar Prithvi ke liye kisi bhi pal ravana hone wali thi.
गजब लेखनी बड़ा अपडेट कब शुरू हुआ। कब शब्दो के माया जाल में खो कर अपडेट पूरा पड़ लिया पता ही नहीं चल एंड में लगी पोस्टर सामने आया तब जाना किस्सा एपिसोड का खत्म हों गया

दादा एक बात के लिए आप से दिल खोलकर माफी चाऊंगा लामसम पिछले साल भार से xf का पाठक रहा हूं। लेकिन आप की कहानी को नज़र उठा कर नहीं देखा आज मुझे अपसोस होता हैं ऐसे एक बेहतरीन लेखक की कहानी से रूबरू कैसे न हुआ। जबकि मैं बिना किसी id ke कहानी पड़ता था। बहुत से लेखकों की कहानियां पड़ चुका हू लेकिन शब्दो का ऐसा जादू अपके कहानी के अलावा किसी ओर कहानी में महसूस नहीं किया।

अपडेट बहुत ज्यादा हैं और देर से पड़ने के कारण सभी अपडेट में रेवा कहो कॉमेंट या कहो टिप्पणी नहीं दे पाऊंगा बीच बिच मे दिल में खिले पुष्प कमल को यूं ही बहा दूंगा हों सके तो नजर उठाकर देख लेना, तसली दिल को मिलेगी, दिल अपना बाग बाग हों जाएगा।

अप्रतिम दिल खोल कर

 

Dhaal Urph Pradeep

लाज बचाओ मोरी, लूट गया मैं बावरा
443
998
93
तो चार गतर की पैदाइशो ने चाल चल दी है। गलतफमियो के चलते जिभु और निस्चल के बिच जंग छिड़ सकती है पृथ्वी पे।। और इसको और पुख्ता करने के लिए उन हारामियो ने उस सुवर जतीन के नरभक्षी फौज को भी भेज दिया पृथ्वी पर।।।
प्लान के तहत इसने ग़द्दार, धोखेबाज़ कमीना आवेश को भी साथ मिला लिया।
उधार नाग लोकि पे भी हमला करने फ़ौज भेज दिया । कुल मिलके इन चार हारामियो ने हर तरफ उन लोगो को भेज दिए जिनके दिमाग पर इन चुतियो ने कब्ज़ा किया है।
कयूंकि इन चारो खासकर उस चुतिया सुर्पमारीच को सभी लोगो की बहु बेटिया चाहिये । चाहे जिभु हो या हेल्ला हो या चाहे आवेश की हारामन बेतिया हो (हारामन इसलिये क्यूंकि दोनों का बाप भी गतर की पैदाइश है) या चाहे किसी की बहु बेटिया। क्यूंकि इन चार हारामियो के हवस का लेवल हाई है। तो जाके अडाल्टेरी इंसेक्ट्स कहानिया पढ़े न। काहे दूसरो की बहु बेटियो पे नज़र डाल रहे है।
एक मिनीत । एक मिनीत। लेकिन उन चारो के अनुसार वह लोग तो प्रकृति है यानी की माडाए है । ओह.. मतलब यह हुआ कि यह चारों चुटिया सुपर से ऊपर लेस्बो भी है। तभी सोचु वो जय काहे बेबी साथ लगी हुयी थी। अरे रे बेबी .... निस्चल न मिला तो एक मादा ही सही । इसकी भी लेवल दिन प्रतिदिन गिरती जा रही हैं।
पर सौ बात की एक बात चाहे कितना भी प्लानिंग कर ले, लेकिन कई मामलो में कभी कभी चूक हो ही जाती है।।।क्यु क्यूंकि यह चार चुटिया हवस खोर माडाए है।
हेल्ला या अस्तक के पास जाने की जरुरत ही नहीं ।। चलिए हम दूर नहीं जाते जोरेंन ग्रह के नाग लोकि पे एक नज़र मार लेते है । वहाँ से कई बिमान जोरेंन ग्रह से निकल चुके है। मतलब साफ है।यह जो लोग निकल गए वहाँ से वो जरुर मदद माँगने और संदेशा देने ही निकल है। और जायेंगे कहा । सीधी सी बात है निस्चल और जिभु के पास ही सबसे पहले जाएंगे। क्या पता इसके चलते गलतफहमियां ही न हो निस्चल और जिभु के बिच । और जंग होने से पहले ही रुक जाए।
ओर इन बातों पे ध्यान ही नहीं उन चारो को।क्यूं,? क्यूंकि ये चारों ही...... आज के लिए इतनी काफी है शायद। :D
खैर.... चलिये नैंन साहेब देखते है आगे क्या होता है... बुराई की हार की सच्चाई की जीत होती है...
ओह हां....
Brilliant update with awesome writing skills nainu ji :applause: :applause:
edited = nischal and hella :kiss:
jivu :buttkick:
ऐसे ही नहीं कहते नैना जी एक बेहतरीन पाठक हैं जहां कुछ शिकायत कर रहे हैं वह नैना जी अच्छे से समझकर एक उम्दा रेवो देकर साबित कर दिया इनसे बेहतर पाठक एक राइटर के लिए कोई ओर हों ही नहीं सकता
मेरे शब्दकोश का भंडार खाली हों गया इनके तारीफ में शब्द कौन सा लिखूं बस इतना ही कहूंगा

प्रतिम दिल के गहराई से

राइटर जी का किया ही कहना शब्दों का तोल मोल और भाव को बयां करने का एक इससे बेहतरीन तरीका कुछ ओर हों ही नहीं सकता। कहानी भले ही पूर्ण हो चुका हैं लेकिन एक एक शाब्द पाठकों को आज भी आकर्षित कर रहा हैं
 

Hellohoney

Well-Known Member
3,424
8,327
159
Ye dusra part he kya or ese samajhne ke liye 1 part padhna padega kya koi batayega?
 

Golu

Active Member
1,035
2,964
159
Update:-2






Somewhere In Universe...

Fauj ke kayi 5 bade-bade jahaj ek unknown planet par utar rahe the.. Har viman ke upar saaf aksharon (word) me likha hua tha.. "Middle State Of Aizem Planet"…


Sare viman kisi Aizem Grah ke Madhya Rajya se the, jinke hajaron ke tadat ki sainya tukdi us jagah par utar rahi thi.…


Viman ke land hote hi sainik apne viman se bahar utar'kar ek katar bana rahe the. Har sainik jaise hi us jamin par apne paun rakhta, bus itna hi khyal unke man me aata, "Kya manhush si jagah hai"


5 katar me tukdi khadi thi, aur har sainik umda technology se laish hathiyaron ke sath khade the... Har katar ke sabse aage me uss tukdi Front Officer khada tha, aur un 5 Front Officer ko command dene ke liye ek Suzerain thi.


Sabhi soldier jabtak katar laga rahe the, Suzerain Meerasi apne ek chief officer Nizal ke sath char kadam chal'kar us jagah ka muvayna karne lagi.. khusk hawa, hawa me ret ke kan.. charo ore bilkul tapa dene wala tapman aur jahan tak najar jaye kewal ret hi ret...


Kuch hi samay me puri tukdi katar me thi, Nizal bhi aakar apni team ke sath khada ho gaya.… Aur Meerasi apne tukdi ko mission samjhati...


"Aizem ki Uttari seema walon ne humare rajya me isi planet ke kisi janwar ko chhoda tha.. Us janwar ka tracker tum sabke screen par flash ho raha hai... Har tukdi ko uss janvar ko chhip'kar dhundhna hai.. anukul mauka dekh'kar usse maar dalo aur sabse aham baat.… Uttari seema wale iss kshetr me ghuse the, is baat ka sboot dhundh nikalo, chalo jao jao jao jaldi se jao"…


Meerasi sabhi soldiers ko command dene ke baad apne commanding viman me gayi aur wahan se har kisi par najar banayi hui thi.. jaise-jaise ye kshetr explore ho raha tha, Meerasi ko apne air-conditioned viman me bhi pasine aane lage the...


Soldier tukdiyon ki vaman jaise-jaise us kshetr ko scan kar rahi thi, kafi visamtayen aur khuffnak si jagah dikh rahi thi.. Har 50 kilometre par yahan ki jalwayu aur kshetr puri tarah se badla hua tha...


Retila ilake ke samapt hote hi ek bahut lambi aur utni si chaudi nadi wahan se gujarati thi, jiske pani ki dhara itni tej thi ki wo ummid ke pare the.. Uske thik aage jungle aur pahad shuru hote the, jiske pedon ki unchai aasman chhute the.


Jungle bhi kafi ajib, jiske bare me na to aaj tak kabhi dekha aur na hi suna... Har ped takriban 2000 fit mota aur 8000 se 10000 fit uncha tha.. aisa lag raha tha building ke badle yahan ped hi khade rahte hai...


Unki sakhayen itni moti thi ki aisa lag raha tha wo sakha na hokar, 1000 sal purana koi bargadh ka ped nikla ho dayen bayen se.… aur har sakha par viman ke barabar ki chidiyon ne jaise ghosla bana rakha ho...


Shwansen to tab ruk gayi, jab soldier aircarft ko achanak hi dayen-bayen puri takat se modne pare, kyonki junglon ke aage badlon se bhi unche pahad the, jinme se kayi to sakriya jwalamukhi the...


Meerasi, apne opretor ko dekhti hui... "Kya isliye is planet ka naam, Final Planet rakhe huye the kyonki iski jamin par ruke to hum apne final place ko dekhenge"…


Operator:- Meerasi mujhe nahi lagta ki yahan ki jamin par utarkar, yahan ke kisi janwar ko le jaya bhi ja sakta hai... Wo janwar yahin ke kshetr ki kisi antriksh yatri ki galti se apne elaake me pahuncha hoga."…..


Operator aur Meerasi dono baat kar hi rahe the, tabhi samne ke screen par jaise hi najar gayi, Meerasi chillati hui kahne lagi.… "Abort the mission"… "I repeat abort the mission"…


Najron ke samne kaleja chid'kar bahar nikal aaye aisa drishya tha. Dur-dur tak jahan najar jaye bada sa sapaat maidan, jahan par the Final Planet par basne wale jiv...


Koi apne kaamsutra me laga hua tha, to kayi aapas me khel rahe the.. maidan ke is bhag me halke laal rang me nar aur halke pile rang me madayen thi, jo 5-6 ke jhundh me the aur aapas me kayi sare kamo me sanlipt the...


Maidan ke is hisse me kya ho raha tha uska aaklan karna bilkul hi muskil tha, kyonki ek najar jo wahan ke jiv ko dekh le, wo heart attack se mar jaye... Sabhi stanpayi (mammals), apne dono paun par khade hone wale.. nar ka pura sharir halke balon se cover the..


Unke sarir ki banawat to insano ki tarah hi thi.. purn nange insan jis swaroop me milenge, unki roop Rekha aur banwat bhi waisi hi thi.. kewal jo anter tha wo uske sharir ka rang jo halke laal aur halke pile rang ka pratit hota tha.. aur unka aakar...


Aakhen fat jaye unka aakar dekh'kar, kuch aur fat jaye dekhkar wo to anterman ki pukar hai. Baharhaal jo najron ke samne the... unka aakar kuch yun tha ki paun ka ek panja 15 fit ki lambai ka hoga.. unka sarir kam se kam 30 fit ka ilaka gher leta ho, aur unki lambai kam se kam 200-300 fit to hogi hi... dekhkar hi shwans tham jaye..


Alag-alag disha se urr'kar jaise hi pancho viman us maidani ilake me the, sabki fat'kar hath me aa chuki thi... Meerasi abort the mission kah to rahi thi, lekin wahan khel rahe bachon ne jaise koi urrta hua khilona pakad liye ho.. pal bhar me hi pachon viman wahan khel rahe bachon ke hath me thi, aur pal bhar me hi sab jamin par..


Jaise hi yah ghatna hui, wahan ke kuch niwasi ne dekha aur sab ek sath chillane lage... Kaan faad wo chillana tha, jise sunkar kya-kya fat chuka tha viman me baithe sainikon ka, wo to wahi achhe se explain kar sakte the. Un giant insano ka samanya roop se baat karna hi behra kar de, fir to ye log jod-jod se chilla rahe the...


Mission abort hone se pahle hi pachon viman chhatigrast hokar maidan me the aur charo ore se unhe giant insan ghere... "Sabhi abhi bahar aa jao"… Itna kahkar ek giant insan ne pachon viman ke bich khali jagah me mukka maar diya...



Mukka parne se jo wahan kampan aur awaj paida hui, uske bhay se sabhi apne viman se bahar nikal aaye.. har kisi ke chehre par dar saaf dekha ja sakta tha.. kayi sainikon ke halakh sukh chuke the to kayi apni paint gili kar chuke the…


3000 hazar ki bhid me chand logon ko chhod diye jaye to sab yahi soch rahe the ki paun ke niche kuchle jayenge ya chutki se masle jayenge..


Meerasi yah najara dekhkar oprator ko missiles activate karne boli aur viman ko unke ilake me lene ke liye kah di.. Meerasi ke order turant follow huye... 2000 fit ki unchai par Meerasi ne apne viman sthir ki aur upar se announce karne lagi... "Hum dushman nahi hain dost hain.. hum yahan kisi ko nuksan pahunchane nahi aaye, humare logon ko jane do"


Meerasi ki awaj niche pachon viman me lage bhonpu se gunjne lagi, jise sunkar wahan ki fijaon me paglon wali hansi gunjne lagi… Ek giant insan ne jhuk'kar apne mutthi me 4-5 sainikon ko utha liya aur uske pass wale uske sathi ne uske hatheli par tali baja dali...


Sabhi soldirs aise hatheli par chipak gaye jaise machhar ko markar chipka diye ho.. aur wo giant insan apni hathli wahan ke khade viman ke ore kar diya.. Meerasi ka khun puri tarah se khaul gaya.. ataack ke aadesh dekar Meerasi ne apne viman me loaded chhote missaile se humla kar di..


Niche se goliyan barasni shuru hui aur upar ke viman se missile... 5 minute me hi wo ilaka dhuwan-dhuwan ho chuka tha. Meerasi operator ko rukne kahi aur dhuwa chhatne ka intzar karne lagi..


Jaise hi wahan ka dhuwan hata, samne giant insan khamosh khade the.. unme se ek ne fir se apne hatheli par 4-5 soldier ko rakha aur uska dusre sathi ne tali dete huye sanbko hatheli par chipkate huye kahne laga… "Yahan kewal tumhara bahubal kaam aayega, baki ke hathiyar Jin tatvon (ingredients/chemical) ke bane hai yahan ke jalwayu unhe un tatwon me ghol degi"…


Meerasi ko aisa laga jaise wo sadme me na kahin chali jaye.. test karne ke liye usne ilaka saaf karne wala missile chhod dee, jo 20 kilometer ke kshetr ko malwe me tabdil kar deta, bina dimag me dusra khyal laye ki niche wahan uske log fase hai..


Missile chhuta aur agle hi pal kewal wahan dhwan hi dhuwna tha aur dhuwan jab chhata tab is baar sabhi giant hans rahe the. Is baar 10 giant ke hateli par takriban 150 se jyada soldier...


Tabhi achanak wahan hooting hone lagi.. sabhi soldiers ek sath chillane lage.. hatheli par bhi jo khade apni maut ka soch rahe the.. wo sab bhi siti bajane aur hooting karne me lage the…


Haan unki awaj bahut dhimi giants ke kano me ja rahi thi, lekin jaa jaroor rahi thi... Upar aasman me jab unhone dekha to Meerasi ki viman ke sath dusra viman bhi pahunch chuka tha... Unhe aisa laga jaise us viman se koi chhoti si chij chhalang laga'kar niche kudi hai, jo teji se unke ore badh rahi hai...


Niche sainikon ki dhimi aa rahi hooting par wo sab hansne lage, mano kah rahe ho "pagal kahin ke" aur agle hi pal har hatheli par tali tokhne ke liye unka dusra sathi taiyar tha...


Ye bada sa 20 fit ka panja hawa me ek sath aur agle hi pal aise laga jaise wahan ke mahol me khamoshi si chha gayi... 10 giant jo apne hath upar kar chuke the, jabtak apne hath niche karte, kisi ke bahubal ne un giants ki pariksha leni shuru kar di thi...


10 giant jo hath uthaye tali marne ko taiyar the.… ek ke baad dusre aur fir teesre ne mehsus kiya ki ek hawa ka patla jhonka unke pass aaya aur gaya.. aur itne hi der me unka vishal, sharir sar se lekar paun tak, kayi hisson me bantkar khun ki dhar chhodte huye jamin par gira para..


Uss Bahubali ne tabahi ka yah manjar, sabhi giant ke palak jhapkne se pahle hi dikha chuka tha.. 10 uthe hath jo apne sathi ke hath par tali ki thap dete. Wo sabhi hath niche aane se pahle kat chuke the...


Kisi bhi giant ke muh se awaj nikalne se pahle hi bhadi bhadkam maans ke lothre maidan me the, aur ek ladka apne logon ke bich sina tane khada tha, jiske bade se khanjar se khun tapak raha tha…


Sabhi sainik wapas se hooting karne lage.. charo ore.. Nischal, Nischal, Nischal, Nischal... ki gunj hone lagi…


Pal bhar ka hi samay to liya tha Nischal ne aur 200 se 300 fit se unche 10 tower ko wo apne khanjar se mahaj chand second me chid-faad'kar niche jamin par gira chuka tha... Unke pass itna waqt bhi nahi tha ki apni maut ki pira par chilla de.. Na hi Nischal ne unhe itna waqt diya ki pahle wale giant ke ander jab wo khanjar dal raha tha, to aakhri wala apni tali ki thap de de.. aisa laga jaise slow motion me 10 hath niche aa rahe the jo inch dar inche niche aate-aate kat fat'kar bikhar gaye...


Gahri si chinkhen aur gusse se pagal giant insano ka swaroop pal bhar me aaya.. aur tabhi Nischal apne viman me lage bhonpu se sabko sunane laga...


"Doston ye kanjar beraham hai... Ek baar jab katna shuru karti hai to fir tum dekhoge ki tumhari aabadi kam ho rahi hai, lekin kuch kar nahi paoge... Charo ore bebas sa mahol hoga aur mai tumhe chinkhne ka bhi waqt nahi dunga"…

"Mai har safar par apni aakhri manjil soch'kar nikalta hun.. jise bhi mere khanjar ka shwad chakhna hai wo aage aa jaye.. Aur yadi aisi chahat na ho to humne aapas me bahut khun baha liya, koi hai jo baat kare ya fir tum sabko kaat'kar hi mai apne logon ko yahan se le jaun"…
Ye kya bakchodi ho gyi idhar Nischal to apne grah pahuch gya aur Jivisa ko yaad bhi nhi pichle 2warsh me kya huwa kaise huwa shuruwat hi 1st part se alag hui bs Patra whi hai
 
Top