• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Ye Ishq Hai ~ Ajab Sa Risk Hai ~ Reload (Completed)

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Page 766 Se 775 tak har panne par update hai.

Final closing update on page:-
792



Issi ke sath Ishq Risk reloaded ka ye season poora hua. Next fantasy journey announce ho jayegi. Ummid hai pahle

"Arymani:- The Pure Alfa Between Two World's."

Yahi aaye... Jo bhi hoga purv suchna mil jayegi... Fihlaal end enjoy karenge... Aur kahani ka poora safar kaisa rahega wo ek baar jaroor sajha karen...



Filhaal Abhi vyast hun ek pure romantic journey par....


Aap sab ka :welcome1: hai udhar. Kahani par pahunchne ke liye story title par ulgi karne ka...


 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,612
80,748
259
Final Chepter :-: The Master:- C





Saatvik aasram walon ne aakar vaidh ke parivar ko poorn sacchai batayi ki uske parivar ke sath kya ho gaya aur kaise ek gyani, alokik putr moh me amanviya kaam kar gaya... Jo bacchi paida hui uska kya karna hai uska faisla to pahle ho chuka tha. Itna samjhane ke baad bhi kisi ne unki ek na suni, upar se jab pata chala tha ki ye log ussi aashram se hain jahan se Maruti tha, fir to sainikon ne unhe bhi dhar dabocha...


Bacchi ke upar aakrosh ko dekh'kar, Saatvik Aashram walon ne usse apne sanrakshan me liya aur ek suchna tatkal guru ko bhej diya. Sunvai chali, Aashram walon ne saaf kah diya, yadi darbar unhe doshi maanti hai to wo saja ko khushi-khushi manjoor karenge…


Raaj darbar me kayi buddhiman vyakti the, jinhone Raja ko unhe doshi na maan'ne ki salaah dee... Haan lekin ek chuk darbar se hui, jab unhone kah diya tha bacchi ko uske adhikarik parivar ke pass chhodna hoga, aur wo uska jo kare…


Khair fir to Sattvik Aasharam ke guru ka kalpnik sharir darbar me tha aur saaf shabdon me kah gaye, poori sena taiyar kar le Raja, lekin kisi masoom ko yadi kisi ne apne parivar ke vinash ka karan samjh'kar usse maarne ki kosis kiye, fir hum pichhe nahi hatenge...


Ek guru se uljahne ki anumati to kanoon vyavastha bhi nahi de sakti thi, upar se ek guru ne saaf ladai ki chunauti hi de daali thi. Saatvik Aashram wale uss bacchi ko apne sath le aaye... Ye Vishes samuday ki pahli stri bani thi aur issi ke pidhi me Vish-Kritima ka janm hua tha, jo ki 7 grahon ke milne ka nakshtr tha...


Ek viprit nakshtr ki anuvansik shakti jo Vish-Kritima me thi aur dusri 7 grahon ki sidhi shakti, jisme Vish-Kritima ka janm hua... Yah ek alokik bacchi thi, jasme "lom-volom" dono shaktiyan thi. Tatkalik guru, Guru Vashisth Kritima ke janm par bhav vibhor ho'kar aanshu bahane lage the...


Unhone dekh'kar hi uska naam Kritima rakha tha... Jiska arth tha karm, aur kala ka anokha sangam... Aur tha bhi kuchh aisa hi... Kritima wakai me prakriti ki koi kala hi thi, jiski shkatiyan adbhut thi aur usse jivan nirvahan ke karya me lagana tha...


Idhar Bengal ki khadi me girne wala parivar jab aankh khola to ek alag hi duniya me tha... Siway Maruti ke koi nahi janta tha ki wo kaun si jagah par hai... Jabki maruti apni jigyasa me wah siddhi haisl kar chuka tha jisne viprit duniya ke raste khol diye...


Maruti ko pata tha ki uske aur uske parivar ki jaan to bach gayi, lekin ab usse iss duniya me jine ke liye sangrash karna hoga... Usse yah bhi pata tha ki yahan ke sidhh purush ka mukabla maruti nahi kar sakta, isliye ek sudur ilaka jahan iss viprit duniya me kisi ke hone ke aasar nahi the, wahan chhip'kar apne parivar ke sath rahne laga...


Jabtak uska beta bada nahi ho jata, tab'tak wo viprit urja ko khud me sametne laga. Saal dar saal bit'te gaye aur jab wo viprit nakshtr ka ladka, pahle mul duniyan ki sabhi siddhiyan hasil karne ke baad, wahan ki kaali shaktiyan batorne laga, tab jaise brahmand ki sabhi viprip shaktiyan usme nihit ho gayi ho... Uske baba ne uska naam Surpmarich rakha tha...


Yuvakaal ke padav ko paar karte-karte Surpmarich, Prakrit ke kayi sare gudh rahasyon ko samjh chuka tha aur chal para wo apne mata-pita ke ek lambe kaal se ekantvash ko khatm karne…


Viprit Duniya me kayi sare universe par gaya, wahan kayi sare yuddh kiye apne naam ke jhande charo ore gaad diye... Shaktiyan aisi koi bachi hi nahi jo usse rok sake. Usne itni shaktiyan arjit ki, kee wo Viprit Duniya duniya ka bhagwan ghoshit ho chuka tha aur khud ko prakriti maan'ne laga tha...


Viprit Duniya me maujood wo har kisi insan ko sun sakta tha aur uske pran harkar uske dukh dur kar sakta tha. Uske samne khade hone ki himmat kisi ki nahi thi. Surpmarich ke pass apni ek vishal fauj thi lekin uski jitni badi fauj thi, un sab ko kitna guna bhi kar do, uske barabar, akela Surpmarich tha...


Surpmarich ki 2 raniyan thi... Kaardha aur Apra... Ye dono bhi kali shaktiyon ki malikin aur utni hi siddhi prapt thi... Pidhi dar pidhi ye dono bhi apne purwajon ki siddhi sikhti aayi thi aur kaali-safed dono shaktiyon ki malkin thi... Dono hi apne vigyan me kushal aur sansadhno ke chhote se bhandar se bada sa bada fayda utha sakti thi.… Kushal khagolshastri aur vigyaan ki gyata...


In dono se Surpmarich ko 6 putr huye aur ek putri... Sabhi ko poora gyan aur Surpmarich ki siddhiyan mili. Poorn gyan prapt karne ke baad Viprit Duniya me saaton ko wahan ke sabse khatarnak mahol yani ki viprit duniya ke kaal jiv wale ilake ke mayajaal me chhod diya jahan Surpmarich ka mashtisk mahal tha...


Surpmarich afsos karte huye kahne laga…. "Mere baba ne mujhe unki virasat dee aur mujhe chhod diya sabit karne. Meri dono patniyon ke baba ne unhe apni siddhiyan di aur chhod diya sabit karne... Humne khud ko sabit kiya... Lekin lagta hai humari virasat ko humare putr aur putri sambhal nahi paye"…


Uski dono patniyan... Kaardha aur Apra thodi bhavuk hoti hui kahne lagi... "Apne hi khoon hai"…


Surpmarich:- Haan apne hi khun hai isliye main unhe sab kuchh de sakta hun, siway apni satta ke, kyonki ek ayogya poore samrajya ko dooba dega..


Kaardha, aur Apra ki vinti par fir Surpmarich ne sabhi ko 7 mauke diye, lekin kewal uski beti aakhri mauke me kisi tarah se uss mashtishk mahal se bahar nikal payi...


Surpmarich aur uski dono payniya khush thk, kyonki samrajya sambhalne wala na sahi par ek yudhh niti banane wale to parivar se the.. Surpmarich apne sabhi beton ke upar 6 alag rajya ka bhar saunp kar apni putri Soroha ke sath apne bade se samrajya ko aur failane me lag gaya...


4 parivar ke logon ke alawa Surpmarich ke pass 3 yogya senapati the, Gagan, vayu sena ka mukhiya, Kshitij, thal sena ka mukhiya aur Nir, jal sena ka mukhiya tha. Teeno mil'kar yudhh karne ki ran'nitiyan banate the....


Jabse Surpmarich ki beti ne apni kabliyat sabit ki thi, tab se Surpmarich samrajya vistar ki poori jimmedari Soroha ke upar daal'kar apne purane khawab ko poora karne chal diya...


Apne mata pita ko uske hi jagah se bhagaye jane ka badla lena. Uss Saatvik Aashram ko purntah barbaad kar dena aur Mul duniya me vapsi ki yojna. Mul duniya aur viprit duniya ke bich aisa rasta kholna tha jahan se wo mul duniya ki aham takat ko bhi le sake jiske bina Surpmarich ke bete aur beti me wo prakritik kashmta nahi rahi..


Haan wahi nakshtr ke yog se jo prakritik shaktiyon ka srijan hota hai, khas'kar viprit nakshtr yog se. Viprit Duniya me unka ek bhi prabhav dekhne nahi milta, jis vajah se uss ke pass sabhi siddhiyan hone ke baad bhi, wo apne pidhi ko nakshtr yog ki shaktiyan nahi de saka... Aur yahi wo vajah thi ki wo parellel worl ke viprit duniya se mul duniya me jana chahta tha...


Bakiyon ki tarah maruti ko parellel duniya me ghusna to aata tha kintu wo apne bete Surpmarich ko samjha nahi paya ki kaise Viprit Duniya me ghusne ki siddhi ko sadhte hain.


Na jane wo kitni baar apne pita ke dimag me ghusa tha, lekin fir bhi usse parellel duniya ke bich ke raste ka raaj pata nahi chala.... Aur Viprit Duniya se Mul Duniya me jane ka rasta to usse waise bhi nahi pata tha…


Viprit Duniya me ek Mashtisk mahal ka nirman prithvi par ho chuka tha. Bus ye pahla mashtishk mahal hi tha jise banane me kayi 100 varsh bit gaye the… ab to bus kewal poore brahmand ko bandhna tha...


Ek aisi aprakritik bandhan jo poore parellel world ko hi kamjor karne lage. Aisa shakti khand jo Viprit Duniya ka na ho'kar Mul duniya ka ho. Jiske parinaam swaroop ye viprit duniya uss shakti ko mul duniya ki shakti maan le aur usse ukat'kar mul duniya me wapas bhej de...


Apni 2 jenius vaigyanik patniyon ke sath apne kamal ke viman me wah nikla... Yah viman na ho'kar lagbhag aadha planet hi tha... Jisme matr 3 log sawar the... Poora universe ka ek chakkar lagane ke baad prthvi ke alawa usne Viprit Duniya me 17 aur points dhundhe. Agle 200 varshon tak wah sabhi 18 mashtisk mahal me jaan funk chuka tha...


Sabse bada mashtishk mahal far Universe ke ek planet par bana tha... Yah ek planet na ho'kar mano 50 planet ke ko mila diya gaya tha... Jahan ka mashtisk mahal lagbhag ek planet ke barabar tha...


Surpmarich apni poori fauj, unke parivar aur apne sabhi logon ke sath nikla. Sabhi logon ko le'kar Viprit Duniya ke mashtishk mahal me ghus gaya... Ghusne ke sath hi usne sabhi 18 mahtishk mahal ko jaise hi aapas me joda, poori Viprit Duniya hi bandh gayi, aur thik kuch pal baad uski poori fauj aur logon ke sath, Surpmarich, Mul Duniya ke Far Universe ke ussi planet par tha.


Jab wah far Universe pahuncha tab Surpmarich ko laga ki yahan usse yuddh karna hoga, kintu aisa kuchh bhi nahi tha… Far universe ke hisse me maujood kisi planets par jivan hi nahi tha… aur naa hi jivan ko anukool banane ke koi sadhan..


Surpmarich apne 18 mashtisk mahal se poore universe ko sun sakta tha... Takriban 10 varsh lag gaye ek aprakritik ko uss grah par jivan ke anookool Prakriti ko banane me... Iss dauran usne apne mashtisk mahal se kayi baar dark Universe jane ki kosis to kiya, lekin jis nirman ke jariye wah yahan tak pahuncha tha thik uske viprit mahal ke nirman karne ke baad hi wah wapas dark universe tak ja sakta tha aur fir ek poorn rasta banta… Haan lekin iss mashtisk mahal se Surpmarich ko universe ke 18 hisson me usse 18 gulaam bhi mile the. Jinme se ek Astak bhi tha...


Har mashtisk mahal ki alag-alag shaktiyan thi aur wahan ke gulaam ban'ne ke liye bhi kayi sari siddhiyon aur utna hi shaktisali hone ki aawsykta thi... Der sawer lekin har mashtisk mahal ko gulaam mil hi gaya... Un sabhi gulaamon ko mili mashtisk mahal ki shakti, aur mashtisk mahal ko mila un gulamon ki nayi nayi siddhiyan...


18 gulamon ko takriban 200 sal ke liye chhoda gaya, taki wo khud ko aur majboot bana le aur mul duniyan me mashtisk mahal ke nirman ke liye arbob prani ki aahuti de sake, taki uss mashtisk me jivan daala ja sake...


Idhar mahstisk jis urja par tika rahta hai, uske liye 18 alag-alag urja ke patthar chahiye the, jiske liye Surpmarich ne apne sena ke 7 tukdi kiye aur parellel world ke viprit duniya se, jahan-jahan se wo patthar hasil kiye the, thik ussi postion par pahuncha'kar wahan se Mul Duniya ke patthar ko dhundh laye... Mashtishk mahal banane me sabhi jaroori chijon ka kaam lagbhag samapt ho chuka tha… ab waqt tha mul duniya me, mashtisk mahal ke nirman karne ka..


Surpmarich, Vayu sena ke sena nayak Gagan, apni patni Apra aur 80% fauj ko lekar bada sa vimano ka beda taiyar karwaya. Nikalne se pahle apni beti sahora ka vivaah senapati Nir aur kshitij se sampann karwa'kar, Surpmarich kaardha ke upar jimmedari shaunpkar nikla... 2 sal baad lagne wale viprit nakshtr me ek santan uttapati ka...


Apni varshon purani, Sattvik Aashram ko barbaad karne ki mansa jahir kar Surpmarich apne bade se viman ke bede ko lekar chal para. Universe ke jis hisse me gaya wahan aatank machaya. Mashtishk mahal ke liye arbon lashen usne girayi... Jis Universe ke hisse se gujra wahan ke jivan ko tabah karte gujra.


Sabse aakhri me wo Middle Universe pahuncha tha. Kyonki usse apne dono kaam ek sath sadhne the, aakhri me prithvi par mashtisk mahal ka nirman karna, lekin uss se pahle Saatvik Aashram ko tabah kar dena...

 

The king

Well-Known Member
4,239
15,473
158
Update:-113 (G)





Mahakaal ka sawaroop the aaj dono... Bahte khun ki garmi dur tak mehsus ki ja skati thi. Inke badhte kadam khauff ke parichayak the... Na khud par raham kiye na dhusmano par...


Nandni jo viman me baithi bahar ka najara dekh rahi thi. Kafi lamba samay ho gaya tha usse bhi baithe-baithe… Bardast ke bahar... Upar se poori kataar kewal pichhe se aage badhte huye najar aa rahi thi, jabki Nandni ko to dekhna tha poori kataar ke Kate badan ek sath hawa me, jo ki pichhle kayi ghante se nahi ho raha tha… Chinta aur pareshani to sabko thi, lekin Nandni ki seema paar kar gayi thi… rah-rah kar ek hi khyal aata.…


"Sangathit log jab Nischal aur Serin ki raftaar rok sakte hain to thoda-thoda kar'ke usse ghayal bhi kar sakte hain... Aur ye itni vishal fauj hai ki gujarte waqt ke sath unka thoda bhi, Nischal aur Serin kr liye bahut jyada sabit hoga"… Fikr itni thi ki wah gahri shwans leti apne aankhon se gire aanshu ko ponchhti kuchh sochi aur sabko bahar aane boli...


Niche aa'kar pahla sawal Aerobok se hi kee... "Dono akele lad rahe hai aur iss baar koi line kat nahi rahi?? Dono ke raftaar ko rok'kar jaise ladai kar rahe hai dushman... Aerobok tum humla kyon nahi kar rahe"…


Aerobok:- Aise sangathit humle ke liye hume prasikshan nahi mila hai, isliye hume dur rahne ke liye kaha gaya hai… ladne gaye to bhi marenge, aur aage jab jaroorat hogi tab hum nahi honge, isliye Sahjade ne hume hold par daala hai..


Nandni... "Mujhe batao fir tumhe prashikshan kis baat ki mili hai"… ..


Aerobok:- Hum unhe bhumigat kar nahi sakte... Bhid me ladne gaye to bich me fansa'kar wo maar denge... Jab ladai me in dono ke kaam hi nahi aaye, fir faltu ka marne kayon jana aisa Sahjade ka kahna hai...


Nandni:- Tumhare ek ke jahar ka asar nahi hoga shayad, wahin yadi ek sath kayi log jahar ko hawa me chhodo to...


Aerobok:- Hmmmm !!!! Zahar ander ghus'kar jala dega...


Nandni:- To ruke kyon ho jaoooo abhi... Bhid ka dhyan khincho... Zahar hawa me itna gholo ki shwans na le paye…


HuYu:- Ruko... Nischal ka samjh me aaya lekin Serin jab zahar ko shwans ke jariye legi...


Nandni:- Mask banao jhatpat fir, bina der kiye...


HuYu:- Aise mask to har space ship me hote hain... Lekin wahan tak pahunchaye kaun...


Nandni:- Aerobok sabko taiyar rakho aur mere ishare ka intzar karna... HuYu sabhi complete suit wale ko lekar bahar aao.... Ab agar giants football khelne aayenge to hum unhe acche se football khilayenge...


HuYu:- Wo kaise... Jaise abhi wo Canon aur Saras apne viman me baith'kar, apne aircrafts ko command de rahe hain aur niche se anti blastic missile se dushman ke missiles ko rok bhi rahe... Waise hi ab teesra kaam bhi karenge.. hawa me giants ke sar ko missile se nishana banayenge... Jaise unke missile hawa me kaam kar rahe waise humare bhi karenge…


Darasal pichhe kayi ghanton se ye log bhi apne ore se naakaam kosis kar chuke the.. Sangathit army ke charo ore arbon giants khade the, jo kisi ko madad ke liye ander pahunchne hi nahi de rahe the... Utne bade sharir ke sath, Nischal ki tarah tej daurna sabke liye sar dard bana tha aur koi chah'kar bhi unki madad ke liye ab tak nahi pahuncha paya tha...


Duhman jaise poori taiyari kar'ke aaye ho ki pahle kisi tarah dono bhai-bahan ko maar girao, uske baad to aaram se shikar hoga… aur shayad apne iss maksad wo log safal hote bhi najar aa rahe the...


Nandni HuYu ko lagbhag order deti hui kahne lagi... Jakar cordinate karo aur dragon babies ko missile command dene kaho... In logon ki commanding kamal ki hai, sab Nischal ke sath the... Aur ander jakar mask lao aur mask ke sath Sonu ko bhi bhejna... Jarra main mask un tak pahuncha dun... Chalo aalsiyon jarra kaam kar lo... Kewal wahi dono heros nahi hai... Hum sab me ek hero basta hai...


Humle ki nayi niti tayar thi. Ek baar fir 30 complete mettelic suit hawa me udde... Unke uddne ke sath hi aaram kar rahe giants bhi uth khade huye... Issi bich Nandni, aur Sonu… dono complete matellic suit ke sath ander yudhh ke maidan ke ore badhe…


Dragon baby Sonu yun to aaram se Saras aur Canon ke sath hi baitha tha, lekin tab se baith'kar wo chhote aircaft ko hi dekh raha tha. Kaise wo size me chhota sa aircrafts, bhid me ghus'kar humla karte aur apne se vishal dhusmano ke bich se nikalte...


Nandni ke baithne ke sath hi... "Maasi seat belt bandh lo kyonki hawa me Gulati bhi khana par sakta hai... Isliye taiyar rahna"…


Nandni:- Chal jhampa aaj in champa ko masakali banana hai...


"Lo hum udd chale fir dhushmano ke bich"…. Bade-bade giants ke bich se ghusa Sonu.… "Maasi hum jab baba aur bua ke pass honge tab unke dayen-bayen lagataar humla kar'ke dhuwan-dhuwan kar denge. Taki unhe mask lagane ka mauka mile, fir hum wapas honge... Taiyar...


Nandni:- Haan bilkul taiyar...


Hawa me poori unchai liya Sonu. Iss bich Nandni metallic suit ke weapons on ki... Fire on command... Suit ke fire ke sath hi bijli ke kamal ke 1 megawatt ka single jhatka taiyar tha...


Sonu, unchai par gaya aur teji se dive lagaate huye kahne laga... "Massi ye giants kafi tej hai dikhenge nahi... Aap bus in giants ko chaunka do, taki hume ander jane ka mauka mile...


Nandni ne haami bhadi aur dive ke kuchh der baad hi Nandni ne fir se aag ka dariya banaya aur solon ke dariya ke bich tej current ka ek poora jaal faila dee.


"Uffffff wo giants"… bahut der se shant iss mahol me Nandni ne khuff ka manjar ek baar fir dikhaya... Aag to badan ko matr jala rahi thi, jo unki chamri ke karan thodi beasar si thi jabki ek megawatt ki bijli unke dil ki dhadkan rok chuki hoti…


Nandni to bus hawa me charo ore aag aur bijli chala rahi thi… wahin Sonu hawa me achanak hi kayi sari kalabajiyan karta, bilkul chhote se aircraft ki tarah... Dono ko kuchh dikh nahi raha hota, lekin thoda niche aate tab pata chalta hawa me aag lagi thi aur tej bijli ke jhatke se hawa me uchhla giant jamin par gir raha hota...


Giants me gati thi aur wo giants bhi Nischal ki tarah daur sakte the, jo dikhta nahi tha... Aur unke issi strong point ke karan HuYu ke dimag ki batti bhi jali. HuYu apni team ko naag dansh ki seema ke aas-pass hi rakhe tha... Giants chal rahi ladai me ghus nahi sakte the isliye kinare se hi lambi kataar ki deewar banaye khade the... Sabhi 30 logon ne high laser ka humla kiya... Hona to iss se kuchh nahi tha lekin giants par huye achanak iss humle ne unhe bhi chauka diya...


Pichhe khade giants ke sathi bhannaye, jaise aage walon se kah rahe ho, "in tuchh logon ki itni himmat". Idhar HuYu ke aadesh the, humla karo aur bina ruke naag-dansh ki seema me ghuso… Ek chhoti si kosis uksane ki aur unhe dikhane ki, kee wo naag-dansh ki seema se bahar aa'kar humla kar rahe hain... Giants me gati thi aur unhe pata tha ki palak jhapakte hi wo sabko daboch lenge..


Ek chhota sa dav aur fans gaye caroro giants iss chakkar me... HuYu & team humla karne ke sath hi seema me ghuse… Unhe to pata bhi nahi tha ki koi daura bhi hai... Lekin idhar ye, aadhe inch ke fasle ko tay kar'ke seema me pahunche aur udhar najron ke samne charo ore rakh hi rakh uddna shuru ho raha tha…


Saikron hi mare the abhi arbon baki the aur iss giants sena ke ander command nahi hi tha. Bhid bari thi lekin shurwat ho gayi thi… Kisi ko apne sathi ke marne ka afsos ho ki na ho lekin samne se unhe raakh bankar hawa me bikharte dekh, in maha daanav ke ego ko thes to pahuncha hi tha...


Naag-dansh ki seema se bahar dekh'kar jahan pahla khep saikda tha, wahin dusra khep hazar ka hua aur teesra lakhon ka... Naag-dansh ki seema me ghuste hi sidha raakh hi bante... Aise raakh bankar udd rahe the, jaise aag me raakh bana kagaj, hawa ke jhonkon par uddata hai... Aur inki gati hi ab inka kaal thi, kyonki lakhon ki bhid ka ek khep matr 1 second me khatm ho raha tha... Aur ego aisa hurt hua tha ki 10 second se HuYu & team ko maarne ki kosis jari thi aur humle rukne ka naam nahi le raha tha.


Idhar Sonu ke pass to jaise divya dristi thi... Haalanki divya dristi nahi thi, balki iss baar wo apne instinct par kaam kar raha tha... Hawa ki dwani prakahne ki kashmta jo har panchhi ke ander hoti hai.. aur issi andaje se, samne se aa rahe giants se bachte huye uspar humla kar raha tha aur karwa bhi raha tha...


Nandni bhannayi... "Ye sale laton ke bhoot... Beta tu aage badh Nischal aur Serin ke ore, ye harami jo boreder khinche hain, unhe main maza chakha dun"…


Nandni ne Apne hath ghuma'kar, yun kafi dur se lahrati hui, gol-gol jalebi path banane lagi.… Shayad ungli 1 ya 2 kilometer ke kshetr tak ka ishara kar gayi ho. Utni dur se ugli ke ishare se gol-gol jalebi ka path banate hui.. Aakhir aate aate Sonu ke charo ore hi ek electrical path bana diya Nandni ne. Uss path se lagatar 5 megawatt ki supply jari thi... "Aa jaa harami daurte huye… naa dikh mujhe..... Sonu maar sale ko samne se aise wave ki sine ke aad paar ho jaye..."…


Idhar Nandni ka kahna tha, udhar Sonu ne diya ek jhannatedar wave jo hawa me... Misisle firne jaisa sound karta, 1 sidhi line me khade 8-10 giants ka sina faadta hua nikal gaya... "Shabaas beta... Ab ek kaam kar apni jahag ruk aur hawa me dayen-bayen se aise hi sina faad wave chhodta rah"...


Bhanna se gaye sabhi giants. Paglon ki tarah ab inke ore bhi daur laga diye aur dur se hi jab pahle giant ko jhatka laga to uske pichhe aa rahe dusra fir teesare…. Wahan lakho giants the, jo kisi na kisi vidhi ek dusre se chipke the... "Sale harami, 5 mega watt bijli kha'kar bhi khade hain"..


Sonu, hanste huye... "Bhag le maasi hum, mujhe ander ghusne ka rasta dikh raha hai... Warna bijli ke jhatke se abhi to apna sir pit rahe hain, kuch der baad hume football bana'kar pitenge"…


Nandni:- Haan haan... Nikal-nikal..


Idhar Nischal aur Serin… dono rakt me sarobar, apne badan me caroron kanton ka dard aur vish chubhoye... Bina ruke aur bina raham kiye, lagatar lad rahe the... Kabhi dono dayen se bayen badhte to kabhi bayen se dayen.… "Nischal, bhai main aur nahi sambhal sakti... Meri himmat toot rahi hai... Gala sukh raha hai"..


Nischal:- Kaam kar le aalsi... Aaj pahli baar to dhang se ladne aayi hai....


Serin:- Ye harami kanten chubho rahe hain... Janta bhi hai kahan-kahan chubhen hain... Tu to khula badan hai.. dekh apne suje badan ko... Main ye tight kapdon me hun aur ander se poora sooja hua hai...


Nischal ek jhalak apne badan ko dekhte.… Jo ajib hi tarike se sooja hua tha... "Aahhh"… Nischal samne wale ko ek laat maar'kar dur kiya aur apni talvar lahrate... "Harami baat kar raha tha... Sence nahi hai kya... Bhonk diya..."


Serin:- Mar to nahi raha bata de to main bhagne ka intzam karungi...


Nischal:- Nahi upar body talvar se cover tha to haamiyon ne paun me khanjar ghop diya...


Serin:- Ek kaam kar baith ja araam se. In salon ke paun kaat'te hain... Pichhe wale jab'tak khabar denge.. hum 1-2 lakh lash to paun kaat-kaat'kar gira denge..


Nischal:- Haan ye sahi hai...


Dono teji se baithe aur utni hi teji se dono ki dard bhadi aaahh nikal rahi thi... Taareef me itne kaatne ghuse the ki teji se jhukte hi aankhon me iss dard ke aanshu to jaroor aa gaye the. Khair dono dard me to chinkhe, lekin sath hi sath, talvar lahra'kar, paun bhi ek hi baar me kaat diye... Aage walon ke girte hi picche wale utne hi teji se aage aaye.


Niche baithne se itna sukoon tha ki ab khud ko bachame ke liye dimag nahi lagana tha, kyonki jo bhi teji se aata, upar dekhte huye hi aata. Ab to bus kaatna tha aur dono dhanadhan paun kaate ja rahe the...


"Kamine jodi ke gulaam, yudhh ke maidan me tera dimag kaam karna band kar diya hai. Tu sanyasi ho jata wahi achha tha… Itni der se thaka raha tha... Aise baith'kar pahle humla nahi kar sakta tha... Dekh to inko, khali jagah bharne ki itni jaldi hai ki, aage aaye ja rahe aur niche se 1 fit chhota ho'kar girte ja rahe"…


Lagbhag 4 round sabke paun kaatne ke baad yudhh jaise viram sa ho gaya tha aur dono samne ka najara dekh, apne muh par haath rakhe... "Aur aaram se humla kar le... Ye sabhi kamine to dur hi aaram se baith gaye, hume gherkar... Ab agar ye log humla karne ke liye 2 circle banaye na, fir batata hun... Ye na ki 2 round paun kaat'kar khade ho jao... Ab karenge ye hum dono ko niche se 6 in chhota… dekh to aage badh bhi nahi rahe hain.. aaram se fail'kar baithe hain"..


Nischal aur Serin ek baar khade ho'kar dekhe... Poore maidan ke sainik baith gaye the... Serin mathe par hath rakhti... "Yaar sach me, yadi double circle me, ek khade aur ek baithe circle ke sath humla hua tab to hum gaye"…


"Aaram se patlthi laga'kar baith... Kaanton se vayumandaliya aavran bacha lega... Thodi der shwans le le"…


"Nischal blood circulation dhima hua to hume nind aa jayegi... Poore badan me chhed kar diya hai haramiyo ne"..


"Ab kya kar sakte hain… bina external help ke hum bure fase hain"…


"Ye sale pahle to aise na the... Ye jitne bhi tough wale dushman hote hain, sab humare nasib me kyon hote hain... Bhej dete bhabhi ke pass... Uske pass thi to in sab se nipatne ki shakti hai"…


"Tapak jati wo bhi... Sale bahut harami fauj lagte hain aur utne hi dhit bhi"…


Tabhi Serin ko Sonu aur Nandni dikhi... "Aahhh bhagwan aaya prithvi ka... Hath jod le re... Kya timing hai"…


Jagah itni khali thi ki Sonu aaram se land kiya... Nandni ke niche utarte hi Nischal bina ruke... "Bilkul muh par dono tape laga lo... Nandu tere pass 10 minute ka waqt hai.. nahi to humara marna tay hai"…


Serin:- Aur haan look, reaction aur kya kyon jaise sawal baad me...


Nandni:- Ye mask laga lo Serin, hum Zahar ko yahan ki hawa me gholne wale hain…


Nischal:- Achha hai yaar... Jhatpat jao... Doc sahab ko raste se hi bata dena ki humare jadi buti wali drink ka bag nikal'kar rakhe... Bag collect kar aur laut'te waqt, 20, 30 zaharbaaj Nilbhutiyon ko load kar'ke le aana... Jaldi bhaag ab...
Jabarjast update bhai
 
Top