• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Kaisa Yeh Ishq Hai.... Ajab Sa Risk Hai...... (Completed)

sorbobhuk

Well-Known Member
2,353
5,704
158
Bilkul hai... The Glaxian me aapko nischal milega na
Thik hai bhai....main abhi apki running story read nhi kar sakta bhai kyu ki mujhe hindi font nhi aata na....or or ager roman font me ho to aap dekhi hi sakte hai ki main apki koi bhi story chhoda nhi
 

nain11ster

Prime
23,612
80,684
259
Thik hai bhai....main abhi apki running story read nhi kar sakta bhai kyu ki mujhe hindi font nhi aata na....or or ager roman font me ho to aap dekhi hi sakte hai ki main apki koi bhi story chhoda nhi

Haan pata hai sorbo bro... Mujhe font converter ka koi shandar app nahi mil raha... Warna main font convert kar deta... Aur kahani jo hai wo complete devnagri me likhi ja chuki hai... Main dekhta hun kisi se request kar ke
 
  • Like
Reactions: sorbobhuk

sorbobhuk

Well-Known Member
2,353
5,704
158
Haan pata hai sorbo bro... Mujhe font converter ka koi shandar app nahi mil raha... Warna main font convert kar deta... Aur kahani jo hai wo complete devnagri me likhi ja chuki hai... Main dekhta hun kisi se request kar ke
Thik hai
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,276
143
Update:-3



Idhar Jivisha apne sapney me khoyi apni dil ki baat pure pariwar ko bata rahi thi, aur udhar uski maa ka B.P high hota ja raha tha......


Jivisha jaise he apni baat kah kar aage mudi...... "chatakkkkk.... chatakkkkk" do thappad Jivisha ke gal par....


Pura ghar shocked.... Sab ke muh khule ke khule rah gaye..... butt ban kar jaise sab apni jagah khadey ho....


Himanshu.... Priya, bachon ko koi aise marta hai kya...


Priya.... Himmat to dekho iss ladki ki, sab ke samne kaise besharmon ki tarah kah rahi hai. Jarra bhi sharm na aayi isse. Suniye ji ye aap sab ke lad pyar ka natija hai. Ek he baat hogi yadi ye shadi na hui to main zahar kha lungi....


Himanshu.... Ye kya pagalpan hai Priya....


Jivisha action me aati.... "Bas mukhiya ji bas.... ab no argument... aap sab yahi chahte hain na ki main aap sab ki marji se shadi kar lun, to thik hai bajwaeye dhol, kar dijiye mere hath pile... meri khushi na mili to na sahi, aap sab ki khushiyon ke liye ji lungi"....


Aisa laga jaise background me abhi se he sahnaeyan baj gayi ho. Ghar wale sab khush. Jivisha sab ka chehra dekhti sochne lagi.....


"Kamal hai ye to, maine senty dialogue mare to kisi ne bhi ye na kaha, achha thik hai teri pasand se he shadi karenge. Meri baat ko ulta meri rajamandi samjh kar aise khush ho rahe jaise ladka abhi pass hota to abhi he shadi kara ke vida kar dete. Pagal, ullu, jhalli, barboli kahin ki... aur maar le dialogue"....


Ussi din ladkey aur ladki, dono ne ek dusre ko dekh kar pasand bhi kar liya. Agle din magni tay aur 10 din baad ki tarikh bhi pakki ho gayi.......



Raat ke waqt....


Chirag apni bua ke kamre me aaya aur uske gode me apna sir rakh kar so gaya.... Jivisha uske galon ke chumti puchhne lagi..... "Kya hua mere bache ko, aaj itna gumsum kyon hai"


Chirag, Jivisha ke gal par hath ferte kahne laga..... "Bahut gandi hai dadi, aap ko kitni jor se mara"


Jivisha.... Achha, tab tune kuch kaha kyon nahi, bas chup-chap dekhta raha...


Chirag.... Dadi thi na isliye chhor diya, koi aur hota to chir far deta...


Jivisha.... Basss, bahut badmas ho gaya hai. Yahi sikhaya hai kya maine tujhe...


Chirag.... Haan to, aap ko koi kuch karega to kya main chup rahunga...


Jivisha.... Maar khayega betu, kahi na bass... waise ye bata tu abhi yahan kya kar raha hai... sone nahi gaya.... fir koi presani hai kya...


Chirag..... Di aap kaise sab samjh jati ho....


Jivisha.... Tu to mera bacha hai, tujhe na samjhungi to kise samjhungi...


Chirag..... Di main mathmatics me fail ho gaya. Aaj to aap ke shadi ke baat ke karan bach gaya, lekin kal mamma mujhe mar degi... bacha lo please...


Jivisha.... Tu fail kaise ho gaya.... Fail hone wala to tu nahi tha. Kya karan hai tumhare fail hone ki.


Chirag.... Di tum bhi reason he puchogi, ya mujhe save karogi.


Jivisha, aakhen dikhate.... "Jaldi muh kholo"


Chirag.... Di, wo meri gf fail hoti to uski maa bahut marti, aur uske pass to meri tarah pyari di bhi nahi, jo usse save kar sake, isliye maine paper exchange kar diye. Bahut cute hai wo di, bilkul aap ki tarah.


Jivisha uss ki baat sun kar hasne lagi...... "Bitte bhar ka ho kar abhi se tere pass gf bhi hai"


Idhar Himanshu, subah hui ghatna par apni patni ko sunate huye kahne laga.... "Priya, Jivisha ko mari kyon".


Priya.... Aap ne nahi dekha kaise wo badh-chadh kar bol rahi thi...


Himanshu.... Bachi hai wo... apne armaan humare pass nahi kahegi to kya padosiyon ke pass kahegi. Aur kya burai hai yadi wo apne pasand ke ladkey se shadi karegi...


Priya.... Aap ko to koi bhi baat galat he nahi lagti. Chadha lo usse sir par...


Humanshu.... Had hai, shadi ka matlab beti khush rahe jiske bhi sath rahe. Humara kaam to itna dekhna hai ki ladka wo chune ya hum, bas chunaw galat nahi ho... tabhi to bachi khush rahegi. Kya maa-baap se ladka pasand karne me galti nahi hoti...


Priya.... Haan thik hai samjh gayi, mujhe hath nahi uthana chahiye tha. Lekin mujhe bura laga to hath uth gaya. Gussa kyon nahi aayega aap batao. Aap ko to pata he hai na, Jivisha ke bare me, uski kundli, uski indriyan gyan aur uski alp aayu. Aap bhawnao me bah kar pahle bhi 5 shadi cancel kar chuke ho. Par iss baar nahi Himanshu... Jivisha ki slamati ke liye hume ye shadi kisi tarah karwani he hogi, fir chahe wo mane ya na mane.


Himanshu.... Maan to gayi hai wo, fir kyon itni paresan ho rahi ho....


Priya... Haan, maan gayi hai.... Natunki kar rahi hai nautanki, Jaroor wo apne dimag me kuch khichdi paka rahi hogi...


Humanshu.... Hahaha... to chalo uske dimag ki khichdi kha kar aate hain....


Himanshu aur Priya, dono ke kadam badh chale the Jivisha ke kamre ki ore. Dono jab uske gate par pahunche, tabhi Chirag aur Jivisha ki baten bhi shuru hui thi. Dada, dadi apne pote ki baat par hase bina rah nahi paye.....


Priya, hasti hui ander aayi.... "Ohh hoo, to Bua-Bhatije me ye khichdi pak rahi hai. Kyon re main gandi hun, ruk abhi teri maa ko main teri kartut batati hun".


Chirag jhat se apne dadi ke dono paun pakar kar...... "Nai, nai, nai... dadi please maa ko mat bolna. Janti to ho kitni khukhar hai wo. Main to bas didi ko khush karne ke liye aap ko aisa bol diya. Sachi.... baki aap to meri pyari dadi ho....


Himanshu.... Ha, ha, ha.... Chal ja ab so ja.


Chirag.... Kyon mukhiya ji iss baar Di se private panchayat karne aa gaye....


Jivisha, Chirag ko aankhen dikhati.... "Badmassss.... aisa bolte hain... chal bhag"


Priya.... Beta I am sorry. Gusse me mera hath uth gaya....


Jivisha, apne maa ke gale me dono hath dal kar usse hilati hui kahne lagi.... "Koi na maa, do aur maar lo, mujhe bilkul bura nahi laga. Par.. maaaaaa... ye shadi... please mujhe nahi karni na... fir bhi jabardasti sab tay kar diye. Kya main kisi ke sath bhagi ja rahi thi jo itni jaldi sab kuch tay kar diya...


Himanshu, Apni beti ke sir par hath ferte..... "Aaj na kal, shadi to karni he thi na. Waise ab bhi kuch na hua hai, tumhe agar ab bhi lagta hai ki hum jabardasti kar rahe to main Punya ko bol kar cancel kar deta hun ye rista. Par beta jarra soch... jaise ladkey ki tu talash kar rahi thi wo gun tere hone wale pati me bhi to ho sakta hai na.... sirf iss baat ke liye shadi se inkaar kar dena ki arrange marriage hai, jayaj to nahi"....


Jivisha...... Thoda bura lag raha tha ki aap ne meri feeling nahi suni, bas sab tay kar diya, lekin ab khush hun. Aap ki baat samjh me aa gayi papa, mera prince charm mera hone wala he hai... aur yadi waisa nahi hua to belan se maar-maar ke usse apne khawon ka sahzada bana dungi....


Shadi ke din.....


Sahnaeyan bajna shuru ho gayi thi. Din ke 2 baj kar 22 min ka subh muhrrat nikla tha... Pura ghar saza tha, har koi khush tha. Papa ki aankhen na jane aaj subah se he kyon nam thi... Chhote bhaiya Avinash jo hamesa khinchatani karte rahta tha, na jane usse aaj kya ho gaya tha... bas apni bahan se pyar he jata raha tha.


Maa shadi ki sari rashmon ko pura karne me lagi thi... Bare bhaiya aur bhabhi sare guest ka swagat aur unke dekhbhal me lage the. Ek achhe host ki tarah welcome karne me lage huye the... Mandap saja... barat aayi, Dulhe-Dulhan ki pahli jhalak sab ne jaymala stage par dekhi... Sab ke muh se ek he baat nikal rahi thi... "Kya jodi hai, made for each other"


Jaymala chal rahi thi, Jivisha ko sab upar uthaye the, uska hone wala dulha Shresh usse war-mala dalne ki kosis kar raha tha. Hansi-mazak ka mahol tha, tabhi Shresh ke mobile ki ghanti baji, aur uss ne pick kar ke usse baad me call karne ko kaha.


Kisi ko iss harkat se koi fark nahi para kyonki chhanik mamla tha, Shresh ne ek line msg diya aur uss mahol me ram gaya tha. Lekin ye baat Jivisha ne notice kar li....


Jaymale ke baad wo apne kamre me akeli baithi thi, idhar shadi ke mandap par tab tak rashmen nibhayi ja rahi thi.....


"Kya karun, kisi se kahungi ki ye ladka thik nahi to sab emotional drama karne lagenge. Fir itne sare ristedar, izzat-bejjati.... Bhag Jivisha bhag, itne jhamelon se achha hai ki abhi nikal le. Sab thoda naraj he honge na, koi na apne he ghar ke log hain mana lungi"


Idhar 2 baje pandit ji ne awaz laga di.... "dulhan ko le kar aaeye, vivah ka subh muhrat nikla ja raha hai"


Teen-char ladkiyan gayi Jivisha ke kamre tak, aur sabhi daurti hui wapas aa kar chillane lagi..... "Dulhan apne kamre me nahi hai, wo bhag gayi"......
Ohh to apni heroinee ke saath grah nakshatra waali kahani hai. Aur ab to wo Runaway bride ho gayi hai. Dekhte hai ab ghar waale kya kaand karne waale hai bechari ke saath.
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,276
143
Update:-4



Teen-char ladkiyan gayi Jivisha ke kamre tak, aur sabhi daurti hui wapas aa kar chillane lagi..... "Dulhan apne kamre me nahi hai, wo bhag gayi"......


Jivisha apne chhote se flashback ko yaad kar ke, niche baithi bas yahi soch rahi thi.... "Iss chipku se to jyada achha main uss chipku se he shadi kar leti, bhagwan sare twist aaj he de dena kal ke liye kuch mat chhorna"


Jivisha itna soch kar jaise he apne khyalon se bahar aayi, thik uske bagal me Nischal baitha tha...... Usse dekhte he Jivisha fir se thunakte huye jor-jor se rone lagi......


"Ab ye ladki ro kyon rahi hai, isse fir kya ho gaya. Mujhe yahan ki bhasha sikhni hogi, tabhi iss ladki se mujhe kuch fayda bhi milega..."


Nischal uske pass se utha aur ek side me chala gaya... high-tect yantr apne jeb se nikal kar uske wire apne sir ke dono side laga diya. Apne aankhen munda aur concentrate karte huye Serin.. Serin bar-barane laga..... Thodi he der me dusre ore se bhi respond hua....


Nischal..... Serin iss location ko trace karo aur yahan ki ajib si bhasha ko decode kar ke upload karo.

Serin.... Lightwave frequency to kafi dur ki lag rahi hai. Nischal tum itni dur pahunche kaise... aur yahan sab tumhe bhagode kyon kah rahe hain ?....


Nischal.... Jise jo kahna hai kahne do, mujhe kya karna hai. Tumhe jo kaha tum bas wahi karo....


Serin... Par Nischal...


Nischa.... Koi bahas nahi. Jitna kaha, utna chup-chap karo....


Jivisha ne jab rona shuru kiya, tabhi Nischal uth kar chala aaya. Usne jab aankhe kholi tab tak Nischal ja chuka tha.


"Thank god, jaan bachi... pahle he rone lagti to itna drama nahi hota. Ab jara main relax ho kar station se bahar niklun fir sochti hun aage kya karna hai"


Jivisha Kalyan junction ke bahar aayi. Raat andheri thi aur junction ke bahar ka mahol bhi kuch achha nahi, upar se ek akeli ladki jo dulhan ke vesh me upar se niche tak saji thi. Jivisha jab bahar nikli tab se he uska pichha hona shuru ho gaya.


Idhar Jivisha wahan se nikalte he sab se pahle kaam apna huliya badlne ka sochi. Wahin najdiki ek mall me ghusi aur apna huliya change kiya, aur bahar aa gayi.... "Huliya to change kar liya ab jarra pet puja ho jaye to kuch sochun aage kya karna hai"


Mast khana khayi, khate-khate usse khyal aaya..... "Mumbai me rahi to fasna pakka hai, kyon na kuch dino ke liye apne dost ke pass Indore chala jaye, aakhir uss par mere itne ehsaan bhi hai"... Fir kya tha Jivisha jaldi se khana khatam ki aur wapas Kalyan junction aa gayi.


Kismat, Kalyan junction par Indore jane wali train ka announcment bhi ho raha tha, Jivisha bhagi-bhagi train pakrne pahunch gayi. Lekin in sab ke bich usse pata bhi na chala ki usko lutne ki puri planning ban chuki hai, aur 5 gundey uske pichhe lage hain.


Idhar Saren se baat kar ke jab tak Nischal lauta, tab tak wo ja chuki thi. Afsos usse bahut hua, abhi-abhi to kisi se pahchan hui thi, wo bhi kahin gum ho gayi. Nischal bhi Kalyan junction par tab se Jivisha ko he dhund raha tha....


Jivisha, Indore jane ke liye bhagi, bhagi train pakrne ja rahi thi, uske pichhe-pichhe wo sare gundey, aur unke pichhe Nischal. Sabhi sleeper class me pahunche.


Jivisa compartment ke ander pahla kadam he dali thi ki usse wahi lady mil gayi jo pichhli train me thi. Jivisha ko dekhte he wo.... "Arre beta tum bhi Indore ja rahi ho kya, aur tumhare husband kahan hai, nahi mila kya ?"


"Bhagwan, yahan log kitne fursat me hote hain, isse to sab yaad hai"...... Jivisha ajib si jabardasti wali hansi, hasti hui kahne lagi..... "Pata nahi aunty kahan chala gaya. Koi aisa bhi karta hai kya, batao ?"


Jivisha apni kahani suna he rahi thi ki samne Nischal aa kar khada ho gaya..... "Hey bhagwan, ab to lagta hai main train se kud he jaun".


Jivisha man me apna rona ro rahi thi, Nischal thik uske samne aa kar khada ho gaya..... Nischal ko samne khada dekh wo lady uss se puchhne lagi..... "Kaun ho tum, yahan aa kar kyon khadey ho gaye. Ye humari reserve berth hai"


"Ye naye log mujh se kuch kah raha hai, sayad mere bare me puchh rahe honge... main isse isharon me batata hun ki main aur ye, hum dono ek dusre ko jante hain"..... Nischal ne apna he solution nikala aur uss lady se "Muaahhh... muahhhh" ka ishara karte batane laga ki Jivisha ne usse kiss kiya... wo usse janta hai"...


Bas fir kya tha, wo lady ko laga yahi hai Jivisha ka pati. Fir kya tha uss lady ka pura khandan toot para uss par...... "Aisa koi karta hai kya... apni biwi ko koi chhor kar jata hai kya ... ye wo, bla-bla"...


Nischal chup-chap sunta raha aur soch chuka tha, ab to kuch bhi ho jaye wo yahan se jayega nahi. Idhar Jivisha..... "Cool haan, to in logon ne ristedari bhi jor diya. Koi na main samjh gayi iss chipku se to ab Indore me he pichha chhutega. Jivisha beta go with flow, ab aur jyada yahan koi drama nahi".


Jivisha ne bhi sahmati dete huye, usse apna pati swikar kar li. Nischal ki harkaton ko bhanpte fir to Jivisha ne lambi chahuri kahani bana di...... "Mera pati bol aur sun nahi sakta. Ye mujhe bahut pyara lagta hai, isliye maine iss se shadi kar li"


Baton ka daur lamba he chalta gaya aur Jivisha bhi puri kahani par kahani banati rahi. Nischal ko to kuch samjh me aane se raha, sab ko dekh wo bas apna sir he hilata raha.


Idhar wo sare chor ussi berth ke dayen-bayen unki baton ko sun rahe the. Pati gunga, patni ke pass lakhon ka maal.... kaam to pahle se aasan tha, ab bas sone ka intzar ho raha tha.


Raat ke takriban 3 baje wo chor active huye aur Jivisha ka sara maal lootne ki kosis karne me lag gaye. Bare he chaturai se usne Jivisha ka bag urraya, aur urra kar chain pulling kar ke train se bahg gaye....


Train se jab wo niche utar kar aapas me apni saflta par khush ho rahe the tabhi samne se unhe Nischal dikha.... Nischal ko dekh kar sabhi chaunk gaye..... "Abe tu to so raha tha, yahan kya urri maar kar aaya"


Dusra aadmi.... "Tu bhi kahan gunge se baat kar raha hai. Ye sale... inka sixth sence kafi tej hota hai. Maar isse aur nikalte hain yahan se...


Sab ne marne par sahmati diya aur Nischal ki ore lapatne daure. Nischal ka dhyan to sirf uske hath me para Jivisha ke saman ke upar tha. Nischal ne kuch jyada mehnat nahi kiya. Wo log samne se aa rahe the, Nischal side se bhagta usse apne pichhe aane par majboor kiya... aur jab wo log Nischal ke pichhe bari teji se daur rahe the, tabhi wo ruk kar ek kadam pichhe hua aur jhappatta marta bag chhin kar fir se daur laga diya.


Nischal daudte huye chalti train me aaram se chadh gaya.... Jivisha aur baki sare log ab bhi so rahe the, Nischal ne bhi apni jagah pakar li. Nischal Jivisha ko dekhte huye sochne laga.... "Kuch alag he khinchaw hai iss ladki me. Aakhir mera itna jhukaw kyon ho raha hai. Jo bhi ho Saren jaldi yahan ki bhasa decode kare fir dekhte hain ye kitne kaam aa sakti hai ye".


Raat ko fir sabhi mast nind lene lage. Agle din train Indore pahunchi... Jivisha rahat ki sans leti sochne lagi.... "Ab to iss family aur iss chipku dono se chhutkara milega"


Bhid puri utarne me lagi thi, Nischal aur wo family jab utarne ke liye aage badhe, Jivisha teji dikhati hui dusre gate se utar gayi..... dusre gate se jaise he utri, uski najar apne dost Nandni par gayi....


"Aahhh bahgwan, kal se le kar aaj tak me yahi ek sahi kaam kiye ho. Thank you"... Jivisha bhag kar Nandita ke pass pahunchi aur uska hath pakar kar khinchti hui usse bahar ki taraf le jane lagi.


Pune ka koi dost, yun achanak se Indore station par, na kuch kaha, na kuch suna... sidha hath khinchte huye bahar le jane lage..... Shocking...


Nandni, Jivisha ka hanth khinch kar roki..... "Duffer, ye sab kya hai"


Jivisha..... Time nahi mere pass raste me puri baat batati hun.


Nandni.... Yaar meri puri family issi train se utar rahi hai.... main unhe receive karne aayi hun. Pata nahi tere baat par kya reaction dun. Ruk main unko receive kar ke tere sath chaliti hun...


Jivisha, uska hanth khinchti..... "Wo kya bache hain jo station par gum ho jayenge... main yahan itni musibat me hun... itna samjh ki yadi usne mujhe dekh liya to main mari jaungi...


Nandni.... Kyaaaa ????


Jivisha, fir se uska hanth khinchti.... "Tu ye shocking expression baad me bhi sakti hai, abhi tu chal na please. Ye mere zindgi aur maut ka sawal hai"


Baat ki gahrai ko samjhte, Nandni bhi uske sath teji se bahar ki ore nikli. Jivisha ko dilasha deti hui kahne lagi.... "Tu dar mat Indore me tujhe kisi baat ki chinta karne ki jaroorat nahi. Koi tere pichhe para hai ye baat tu phone par batati to ab tak uski band yahin baj jati",


Baat karte dono bahar aa gaye aur dono chal diye ghar ki taraf. Raste me jab Jivisha ne apni puri kahani usse bayan ki to Nandita apna sir pit'ti kahne lagi.....


"Jisa teri to. Kamini kahin ki, jahil gawar ullu. Tere melodrama ke chakkar me tu to fasti he hai, dusron ko bhi shock de deti hai. Waise ek baat bata tujhe jaroorat kya thi usse kiss karne ki... itne bare station par kahin bhi kona pakar leti".


Jivisha... Nandu situation he aisi thi, wo log itne pass aa gaye the ki mujhe majbooran kiss karna para. Khair tum nahi samjhegi....


Dono baat karte huye ghar pahunch gaye. Un dono ko pahunche 5 min bhi nahi huye honge ki pichhe se Nadni ka pura pariwar pahunch gaya.... Jivisha ke aankhon ke samne wahi pariwar jo train me mili thi, aur unke sath tha Nischal bhi....


Unhe dekhte he Jivisha ke muh se nikal gaya...... "Hey bhagwan"
Ye story kahan se kahan jaa rahi hai? Pahle pata chala ki koi Nischal tha Jivisha ke past mein aur shaayad Jivisha ki yaddaast ka bhi koi issue tha. Fir achanak shaadi, shaadi se bhagna aur Nischal ka milna matlab ye track kya hai. Future mein past chal raha hai yaa past mein future?
 

Lib am

Well-Known Member
3,257
11,276
143
Update:-5



Unhe dekhte he Jivisha ke muh se nikal gaya...... "Hey bhagwan"


Jivisha ko dekhte he wo lady..... "Tum kya pagal ho, akal-wakal hai ki nahi. Khud to bhag jati ho, aur kal se kah rahi ho mere pati kahin chale gaye hain. Tum kya isse chhor kar bhagna chahti ho, mamla kya hai batao. Do apne ghar walon ka number, main unse baat kar ke tumhari harkaten batati hun. Pata nahi aaj kal ki ladkiyon ke dimag me kya chalte rahta hai".


Non stop wo lday bolti he rahi. Mamla sambhalte huye Nandni bol pari..... "Mom, stop it. Jo muh me aaye wo bake ja rahi ho. Ye station par gum ho gayi thi, ro rahi thi isliye main isse yahan par le aayi. Aap to janti he ho, akeli ladki aur bara sahar".


Nandita ki Maa Durga devi..... "Tu jyada wakalat na kar, mujhe abhi iske ghar walon ka number chahiye, warna main police me report karti hun. Mujhe kuch thik nahi lag raha, jaroor koi baat hai. Crime petrol nahi dekhti kya. Ghatnayen aise he hoti hain"....


"Ye mother india to kafi chalu india lagti hai, jhanse me nahi aane wali. Hey bahgwan bacha lo, kal se kewal fasa he rahe ho".


Nandni, apni maa par chillati...... "Mom tumhara dimag kharab ho gaya hai. Ye crime scenes dekh-dekh ke aap har kisi ko criminal he samjhne lagti ho. Main isse bahut pahle se janti hun... ruko 2 min...


Nandni apne college ka album nikalti, apni maa ko dikhane lagi, jisme uski aur Jivisha ki tasveer thi. Uski maa har tasveer ko gaur se dekhne ke baad..... "Ye to samjh gayi ki ye teri dost hai, lekin tumhare har tasveer me ye ladka kaun hai"


Nandni, ghurti najron se Jivisha ko dekhi..... telepathy ke jariye jaise apna sandesh de rahi ho.... "Kamini tumhe bachane ke chakkar mein, main he na fas jaun, bhag yahan se"


Jivisha, minnat bhari najron se usse dekhti apne dono hath jor li... Durga devi ab bhi Nandni ko sawaliya najron se ghure ja rahi thi. Itne me Nandni ka bhai bolne laga.... "Mom, college hai… class me sath padhte honge. Inka apna group hoga.... chalo re sabha khatam karo. Sab safar se thak kar aaye hain jao sab fresh ho, khana khao... aaram se evening me baten karte hain".


Nandita ka bhai Ashis ne mamle ko rafa-dafa karte huye sab ko bhej diya. Nischal, wo to jaise wahan tha he nahi. Ashis usse apne sath apne kamre me le gaya, wahin fresh hone ke liye. Nischal bathroom me gaya he hoga ki uska device bajne laga..... Serin ka msg tha...


Wo samjh gaya yahan ki bhasha decode ho gayi hai. Language aur iss jagah ki sari information uplaod ho rahi thi.... Takriban aadhe ghantey me puri jankari uploaded thi..... Nischal jaldi se fresh hokar bahar nikla...


Idhar Jivisha, Nandni ke sath uske kamre me aa gayi...... "Kamini, to tu tab se meri he family ko pagal kah rahi thi. Tu bhag yahan se warna tere chakkar me main to pakka fasungi".


Jivisha..... Nandu, tu apni ekaluti dost ko bhaga rahi hai. Bhul gayi kitni madad ki thi tumhari maine. Meri sachi dosti ka aisa sila diya, mujhe he bhaga rahi hai....


Nandni.... Jisa jarra bataogi kis tarah ki madad ki thi mujh par. Main to aaj tak uss manhus ghadi ko kos rahi hun jab tu mujhe mili thi. Nahi chahiye tere jaise dost. Tujh se dosti nibhane se achha hai, main kisi kuyen me kud kar jaan de dun...


Jivisha..... Achhi baat hai Nandu, aaj mere bure waqt me tu bhi sath chhor de. Sach he kahte hain log, bure waqt me saya bhi sath chhor deta hai...


Nandni.... O madam ji, tujh par bura waqt nahi aata, balki tera sath jo deta hai uss par rahu, ketu aur sani teeno mandrane lagte hain. Bhul gayi ho to main yaad dila dun tumhe....


Jivisha.... Ye to sarasar ilzam hai my lord. Main to aap ki sachi sathi hun. Tu kya yaad dilayegi main batati hun... Bhul gayi jab wo ladkey aaye the tujhe chherne tab mere bhai ne tujhe bachaya tha. Wo professor wala case. Kitni jaldi bhul gayi tujhe uss Saroj ke chakkar se maine he nikala tha. Tere liya itna pain liya maine aur tu hai ki.... huhhhh !!!


Nandni.... Kya, kya, kya..... Sharm kar Jisa. Kaun se ladkey ke case me tere bhai ne mujhe bachaya tha. Ulta tera bhai mujh par line mar raha tha, aur college ke doston ne dekh liya tha to tere bhai ne ulta unhe pita. Huhhh ! Jab usse pata chala main teri dost hun to usne puri kahani he badal di. Professor ko challenge tune kiya, aur to aur mera, Saroj se break-up bhi karwa diya... Teri to, ek to sare kand tune mere he sath kee, uspar se mujhe ehsaan jata rahi hai. Ruk tere ghar abhi phone karti hun.....


Jivisha.... Bas baba samjh gayi, ab chhoro bhi purani baton ko Nandu. Bhul gayi we are friends till the end of life.


Nandni.... Tere sath deti rahi to waise bhi meri life ka jald hi the end ho jana hai. Chal bata tera ye drama ab aur kitne dino tak chalega...


Jivisha... What do you mean by drama Nandu...


Nandni.... Rahne de nautanki, teri ye bholi shurat aur jhoota expression kisi aur ko dikhana. 3 sal tujhe jhela hai, tere rag rag se wakif hun. Ab batayegi, tu yahan kitne din rahne wali hai taki main khud ko mentally prepare kar lun.


Jivisha.... Rahne de, lagta hai maine tujhe kuch jyada he pareshan kiya hai. Sorry Nandu, manf kar dena. Lekin haan jo bhi kee na wo jaan bujh kar nahi kee thi. Pune mein tujhe pahle hi bahut padeshan kiya hai, yahan bhi meri wajah se tum kyon paresan hogi.... main aaj he chali jaungi...


Nandni.... Tu seriously aaj he ja rahi hai....


Jivisha.... Haan Nandu... chal ab tu happy ho ja...


Nandni ko laga Jivisha fir se emotional hone ka natak kar rahi hai, par Jivisha ab usse sach me pareshan nahi karna chahti thi...


Iss baar Jivisha ne Nandni ko jarra bhi feel nahi hone diya ki wo uske ghar se ja rahi hai. Din ke waqt jab sab apne-apne kamron me the, Jivisha chupchap uss ghar se nikal gayi...


Thik ussi waqt Nischal, Ashis ke sath uske kamre me tha. Ashis apni gf se baat kar raha tha, aur Nischal khidki se bahar dekhte huye uski baat karne ka tarika samjh raha tha. Tabhi uski najar Jivisha par gayi, jo bari teji me gate se bahar ki ore ja rahi thi.


Nischal bhi uske pichhe-pichhe gaya. Jisvisha ghar se 10 kadam aage he gayi hogi ki uske samne Nischal khada tha...... "Ye bahar ghum raha tha.. pata nahi kaun se janam ka karj khayi hun, jo ye pichha he nahi chhorta. Iss se to kuch kahna he bekar hai"


Jivisha achanak se he bol pari..... "Chalo meri kismat, ab tumse to kah bhi nahi sakti ki please mera pichha chhod do.”


Nischal.... Tum har waqt mujh se aise kyon baat karti ho...


Jivisha shocked..... "Tum bol bhi sakte ho"


Nischal.... Haan, main to bol bhi sakta hun, aur tumhe samjh bhi sakta hun...


Jivisha, apne kadan ghar se dur badhati hui.... “To fir mera pichha kyon kar rahe ho. Tum se kaha na wo kiss maine tumse majboori me kiya tha. Tum kahin ke prince nahi jo main ek he jhalak dekh kar tum par mar mitun aur kiss kar dun...


Nischal.... Tu chilla kyon rahi hai. Ja kar apne ghar me chillana. Mujh par chillane walon ka main awaz band kar deta hun...


Jivisha... Badtamij, baat karne ka tarika nahi pata kya ? Kaise tu tarake se baat kar rahe ho. Mera chillana itna he bura lag raha hai tou bhago yahan se, kisne kaha meri awaz sun'ne ke liye. Jaan na pahchan main tera mehmaan. Kaminey tharki, shuru se sab kuch samajh rahe the, fir bhi situation ka maza liye ja rahe ho.


Nischal, Jivisha ka gala dabate..... "Jyada unchi awaz me baat ki tou fir kabhi baat karne ke layak nahi rahengi. Tum ho kaun jo main tumhe sunu.... tu bhag yahan se aur dobara kabhi apni shakal mat dikhana."


Cold war jaise dono me chhir gaya ho. Dono sadak par he jungli ki tarah larne lage. Fir kya tha wahin se dono ke raste alag aur dono chal diye alag-alag disha me. Kahani kismat ki bhi ajib hoti hai.... kismat ne milaya tha, apne jid aur pagalpan se alag huye.... Hay re kismat.....





Idhar ek din pahle jab Jivisha bhagi thi.....


Mate shree Priya ka ro-ro kar bura haal tha, aur wo Jivisha par puri tarah se gussayi hui thi. Ravi aur Avinash dono he Jivisha ke pichha karte Pune se Kalyan tak bhi aaye the, par Kalyan ke baad to jaise wo lapata ho gayi.


Ravi aur Avisnash apni family ka utra hua chehra dekh rahe the aur sage sambandhi dilasa dene ke sath-sath unke ghar me aag bhi laga raha the. Agle din saam ke waqt jab sare ristedar ja chuke the tab Himanshu apne pariwar ke sath apne dost Punya ke yahan pahuncha....


Apne dost se manfi mangte huye Himanshu kahne laga..... "Hume jarra bhi pata nahi tha ki Jivisha aisa kiuch karegi, warna main ye shadi kabhi fix nahi karta"


Shresh.... Uncle kya Jivisha kisi aur ladke ko pasand karti thi?...


Himanshu..... Nahi beta aisi baat nahi hai. Wo bas abhi shadi nahi karna chahti thi....


Punya.... Had hai jab wo shadi nahi karna chah rahi thi, fir bhi uss bachi ke sath tum sab ne jabardasti kiya. Yaar jab nahi karna chahti to nahi karte, kyon itni jaldi thi tumhe shadi ki....

Priya, achanak he bol pari.... "Kisne kaha wo shadi nahi karna chahti. Shadi to karna chahti hai, par ajib sa bhoot sawar hai uske sar par, wo apne sapney ke rajkumar ka intzar kar rahi hai, jo ghode par sawar hokar aaye aur hum sabke samne uaka hanth mang kar, usse byah kar le jaye.”


Shresh.... Ha ha ha, samjh gaya main. Ek baat bolun, aap log please uss par naraj mat hona. Ab to uski shadi uske rajkumar se he hogi, aur main banuga uske sapney ka rajkumar....


Himanshu.... Aaj mujhe mere faisle par garv ho raha hai. Thanks beta.... main to himmat he nahi juta pa raha tha yahan aane kee.


Shresh.... Koi baat nahi uncle, ab bas itna bata dijiye ki wo aap sab se chhip kar ja kahan sakti hai.


Himanshu.... Wo Mumbai ke taraf to gayi thi, lekin usse Mumbai bilkul pasand nahi, isliye wo wahan rukegi nahi. Pata nahi kahan gayi hogi. Uske jitne dost the sab se pata kar liya par kisi ko uske bare me kuch pata nahi....

Shresh..... Koi baat nahi uncle, yadi wo apna mobile chhor kar gayi hai to mujhe de do. Jivisha kahan ja sakti hai, main yun pata kar lunga...


Shresh ki iss baat par Chirag tapak se bol para..... "Meri bua ka mobile le kar jasusi karoge. Abhi to aap kah rahe the ki main banuga unka rajkumar... to jao apni rajkumari ko apne dum par dhundho. Bua ka mobile nahi milega.


Nandita, Chirag ko aakhen dikhati kahne lagi..... "Mobile deta hai ya lagaun ek chapet... chal mobile de abhi"


Chirag.... Chhota hun na sab hukum jhar lo. Abhi Di nahi to sab sher ban rahe ho. Aane do unko fir hum dono mil kar aap sab ko batate hain....


Nandita.... Jyada natak nahi, chal de mobile abhi....


Chirag, apne hathon se mobile aage badhate..... "Lo, le lo mobile... aaj jit jao aap sab kal mera bhi waqt aayega".....


Shresh ke hathon me mobile thi.... Shresh mobile pura check karne ke baad..... "Iss phone me to koi deta he nahi, phone reset kiya gaya hai"


Nandita aankhen dikhati Chirag se kahne lagi..... "Ye jaroor teri he kartut hogi, chal ghar tujhe aaj main babati hun"


Chirag.... Mamma… papa aap ke pass mein baithe hain. Ye papa wala dialogue mujhe kyon chipka rahi ho. Ab mobile me kuch nahi to uska bhi ilzam mujh par he laga do. Jarra bhi akal-wakal hai ki nahi, wo jaymala ke baad bhagi thi, to khud he reset karke gayi hongi na. Warna unke phone ka to lock he nahi khulta...


Chirag ki baten sun kar Ravi aur Nandita, aur wahan maujood sabhi log tahake laga kar hasne lage...


Himanshu.... Chalo chhoro bhi. Shresh, beta tum paresan na ho, hum dhund lenge, aur yadi Jivisha kee koi khabar mili to tumhe turant inform kar denge. Ek baar fir se dhanywaad aap sab ka aur Jivisha abhi bachi hai, uske galti ke liye ek baar fir main manfi mangta hun.


Do char line ki aur dialoguebaji chalti rahi, fir sab log wahan se chalte bane. Jate-jate sab ko Shresh ne kaha... "Aap sab Jivisha ke bagne ko jyada seriously na le, hum sab milkar dhundhege usse"....
Ye Shresh kuch kaandi characters lag raha hai, kuch to gadbad hai
 
Top