- 5,451
- 7,235
- 189
Update ... Wednesday night / Sunday morning or night...
Last edited:
Congratulations for new thread bro( KALYUG... Part 1 )
( Corrupt government / corruption... )
Time... 12:39AM location unknown......
Hhhhhhhh hhhhhhhh hhhhhhhh mujhe yeh karna hi hoga maa ke liye... Maa tumhe kuch nahi hoga bas thoda time aur bass hum phunch hi gye... maa maa tum sun rahi ho na aankhen kholo maa...
Ek ** saal ka ladka Jo dikhne se greeb lag raha hai badan par fate purane kapde h... Saath uski maa jise ladke ne peeth par utha rakha hai jinki haalat kahi se theek nahi lag rahi sir par gehri chot khoon paani ki tarah beh raha hai... Aakhon se aasun beh rahe hai apne bete ko uski chinta karte dekh kar... Dard mai baar baar behosh hone ke bawajood bete ki baatain unhe hosh khone nahi de rahi hai... Uski saasain dhere dhere kamjor ho rahi hai jo pta nahi kab band ho jayen... Woh apne bete se baatein Karna chahti hai lekin uske muhh se kuch lafs bhi nikalana sambhav nahi ho paa raha hai... Aasun bahane ke alawa woh kuch aur nahi kar sakti... Saath hi woh apne betain palo ko yaad kar rahi hai...
Year **** ( past )
Location government hospital... Time 4:35AM...
....Doctor doctor jaldi chaliye 217 bed waali lady ko pain shuru ho gaya hai..... Nurse
Doctor... ( Jo gehri neend mai tha ) chilla kyun rahi hai... Yeh government hospital hai pata hai na... Chal mai aata hoon thodi mai..
Nurse.. magar doctor woh pait***
Doctor... ( Beech mai hi ) suna nahi tune maine kya kaha... Chal jaa ab yaha se aata hun mai...
Uske baad doctor gate band kar leta hai fir ek gehri neend sone ke liye let jata hai... Wohi nurse jo yeh sab sun kar jara bhi aacharya nahi hua quki jab se woh yaha kaam kar rahi roz aise kitne hi cases usko dekhne ko milte hai... Soch kar ek bund aansun ki uski nikal jaati hai fir dusre hi pal woh bhaagi bhaagi normal ward mai enter karti hai...
Lady jise dekh kar lag raha hai pet se hai... Dard mai tadap rahi magar madat karne waala koi nahi hai... Poora ward khaali pada hua hai... Jisse anumaan laga sakte hai government hospital ki kya sthiti chal rahi hai... Jaha ek doctor ek nurse aur ek hi compounder poora hospital chala rahe hai... Isliye yaha koi mareez dekhne ko nahi mill raha jiske pass thoda bhut bhi Paisa hai private hospital mai jata hai...
Lady jiske pass na ilaaj ke liye paise hai na koi rishtedar madat karne waala... Aasun bahate hue tadapte hue apne pet par hath fer apne bete se baatein kar rahi hai... Shayad usne bhi haar maan li hai nurse ko bhi gye kaafi samay ho chala hai dard mai uski aankh band ho hi rahi hai magar baar baar uske pet mai dard use aankhen band nahi karne de raha sayad uska beta uski maa ki sthiti samjh raha hai... Jo abhi duniya mai aaya hi nahi.... dard mai karahte hue woh haar maan chuki hai magar fir uske chehre par ek muskaan dikh hi jati hai jab woh pet par haath rakh bete ko 'natkhat' Nand kishore keh pukaarti hai....
Tabhi Nurse ward mai enter karti hai lady ko iss halat mai dekh uski aankhon se bandh Tut padta hai.. woh bhi gareeb thi lady ki problem samjh sakti thi... Ameer log gareeb ko kede makode se jayada nahi samjhte... Jitna jayada Ameer utna jayada dard woh gareebon ko dete hai... Jiska natija uske saamne lady ** saal pregnant hai aage peeche koi nahi... Woh bhi gareeb hai magar kam se kam uska pariwar hai... Jinki madat se woh aaj government hospital mai naukri kar rahi hai... ** Saal ki bina shaadi ke kaise apne ko bachaya hai woh khud jaanti hai... Kai ameerjade uske peeche pade hai... Raaste Mai rok kar kabhi uska haath pakd lete hai kabhi uske angon ko chu lete hai woh chatpata kar kaise bhi wanha se baag jaati hai... Rote waqt woh yahi sab soch rahi thi ki ek cheeckh ne uska dhyaan kheencha jo lady ki thi...
Bhaag kar woh ward mai jaati hai lady haath pakad check karti hai nabs dheme chal rahi thi... Use kuch samjh nahi aa raha tha woh kya kare... kya ek baar fir doctor ke paas jaya jaye yeh vichar uske man mai jise uske jatak diya.. aur khud lady ko jaise taise karke moving bed par shift kar deti hai.. aur fouran use Operation Theatre mai le jane lagti hai...
OT mai woh lady ko check karti hai saare equipment lagati hai... Lady ko hosh mai lane ki koshish karti hai... Magar baar baar woh behosh ho rahi thi dard ke maare.. woh ek injection lady ko deti hai jisse woh hosh mai aaye magar woh bhi nakamyab ho jaata hai... Iss halat mai normal delivery nahi ho sakti thi... Cesarean delivery woh bina permission ke kar nahi sakti thi... Woh kya kare kya kare kuch samjh nahi aa raha tha...
Dewaar par tangi gadhi ki taraf woh baar baar dekh rahi thi... Subh ke 6 baj chuke the doctor abhi tak nahi aaya woh gate gadhi lady teeno ko baar baar dekh rahi thi... Kya kare isi muskill mai fasi rehne ke baad woh kuch faisla karti hai... Aur OT ki light Lady ke upar kar deti hai paas mai pade gloves mask aur kenchi padke woh ek nazar lady ki taraf dekhti hai... Jiska ek hath uske pet par abhi bhi hota hai... kaapte haath se woh lady ke hath ko pakad pet se alag karti hai aur shuru ho jaati hai....
Kareeb ghante bhar ki mehnat ke baad woh operation karne mai sucessful ho jati hai... goad mai bacche lo liye woh ek tak use niharti hai... Jo gulabi rang chote chote haath pair idher udher maar kar kilkaari maar raha hai... dikhne mai kisi shehzade ki tarah behad khubsurat dikh raha tha... Woh ek tak use niharti rehti hai baccha roye jata hai woh chupp karane ki koshish karti hai magar ladka roye jaa raha tha... woh jaldi se baache ko ek kapde mai lapet kar maa ki taraf dekhti hai toh uske hosh hi udd hate hai....
Lady ka hath bed se neeche latka hua tha aakhen bhi band padi thi dekhne se lag raha tha shayad saasain bhi ruk chuki hai... Woh jaldi se baache ko apne se alag kar ek palne mai rakh deti hai... Aur lady ke paas ja use check karti hai toh dhaak se neeche gir jati hai... Woh sunya ki awastha mai phunch gayi thi... Lady aur dard na seh saki usne dum toad diya tha.... Uske chehre par jaha pehle muskaan thi wohi marte waqt chinta ki lakeeren saaf dekhi jaa sakti thi... Jo sayad apne bete ke liye thi...
Sab apni soch mai gum the magar ladka roye jaa raha tha shayad woh apni maa ka dhoondh raha tha... Jiski awaaz sun Nurse ko hosh aata hai aur bacche ko apni goad mai utha leti hai phut phut kar rone lagti hai...
Time 9:25 AM...
Nurse bacche ko haath mai liye apne ghar ki taraf jaa rahi thi... Tabhi use raaste mai dairy dikati hai jisse use yaad aata hai ladke ne subh se kuch nahi khaya aur woh uske liye kuch paise se doodh khareed leti hai.. aur saath hi rikshaw kar apne ghar ki taraf chal deti hai... Poore Raaste uski aankhon nam hi thi aasun rukne ka naam nahi le rahe the saath hi use poori raat ki kahani uske saamne dimaag Mai ghoom rahi thi.. tabhi use subh ki hui baat yaad aati hai...
Earlier 1 hour ago...
...Aahhh hhhhh hmm Yashoda kaha ho ek chai pila do jara...
Doctor ubasi lete hue ward mai enter karta hai aur Nurse jiska naam yashoda hai use chai ke liye kehta hai... jaha ward mai yashoda na pakar chaaro taraf use dhoondne ki koshish karta hai.. tabhi uska dhyaan OT ki taraf jata hai jiski light abhi tak jal rahi hoti hai... Woh ander jaake dekhta hai toh use nurse ek kone mai khadi dikhayi deti hai jiske haath mai baccha rehta hai... Tabhi ek nazar woh lady ki taraf daalta hai aur use check karta hai... jisse use pta chahta hai lady dum toad chuki hai tabhi woh nurse ko khoya hua dekh kehta hai...
Doctor... Kya hua yeh toh mar gayi tum kyun muh latka ke baithi ho jao aur apna kaam karo mere liye chai banao tab tak mai Manoj ko phone kar deta hun body ko hatane ke liye yaha se...
Doctor ki baat sun woh ek baar fir hosh mai aati hai aur laanat bari nazron se use dekhti hai.... Magar woh kar bhi kya sakti thi agar use yaha rehna hai toh doctor ki baat na maane ka sawaal hi nhi uthta.. magar ek problem uske saamne yeh thi ki ladka Jo rote rote badi mushkil se abhi hi soya tha uske haath ki ek ungli abhi bhi uske haath mai hi thi... Agar woh chai banane jaati hai toh use baache ko yahi chod kar jana padega... Abhi woh apni soch mai ghum hi thi tabhi use doctor ki baat sun jor ka dhakka lagta hai... Aur uske maathe par paseena aur chinta ubhar aati hai...
Doctor... Aur haan 10 bje tak Ravi aayega Usko operation ka saman aur injection de Dena jo maine tumhe kal rakhne ko diya tha.. saath mai woh ****rs bhi dega woh le lena... Ab jaldi karo tumhe pta hai na mujhe uthane ke baad chai der se peene ki aadhat nahi hai warna Mera sir dard karta hai... Chalo jao khadi kyun ho... Yashoda sunayi de raha hai tujhe...
Yashoda jo iss samay doctor ki baat sun khoyi hui thi.. tabhi doctor use jhakjhor kar hilata hua kaam ki dubara kehta hai... Magar use kuch samjh nahi aa raha tha woh kya kare kya jawaab de.. qki woh injection toh usne raat ko hi lady ko laga diya tha.. jise doctor ne Ravi ko bech diya hai... Ab woh injection kaha se laye abhi kuch soche usse pehle ek bar fir doctor use jhakjhor deta hai...
Doctor... Kha khoi ho tabiyat toh theek hai tumhare... Yaa kaan behnre ho gye hai jaldi se apne kaam par lag jao mujhe ek baat baar baar kehne ki aadat nahi hai....
Doctor ki baat se uska gussa saaf pta chal raha tha tabhi yashoda kapte hotho se use raat ki poori baat batati hai jisse sun doctor gusse mai laal ho jata hai aur apna gussa yashoda par nikaal deta hai... Ek rakh ke tappad use maarte hue kehta hai...
Doctor... Tumhari himmat bhi kaise hui bina mujhse puche... Cesarean delivery krne ki kisse permission li tumne... Jawaab do kisse puch kar yeh sab kiya... Pta bhi hai jo injection tumne ise diya uski keemat kya thi... Jawaab do hai koi jawaab tumhare paas...
Yashoda aakhon mai aasun liye maar kha rahi thi... Qyuki use khud nahi pata tha uski keemat usne bas lady ki madat ke liye woh injection use de diya tha... Doctor ek baar fir thappad uske gaal par jadd deta hai... Aur cheenkhta hua kehta hai...
Doctor... Nikal jao iss hospital se warna mai kuch kar dunga tumhe... Aur jo mera nuksaan hua hai woh tumhari salary se kaat lunga jao dafa ho jao yaha se abhi isi waqt mai tumhe nokri se nikalta hun...
Yashoda use kuch kehna chahti thi magar doctor uski nahi sunta... Woh pairon mai girkar doctor ko hospital na nikalane ke liye mana rahi hoti hai magar doctor ek nahi sunta aur pair jhatk deta hai jisse sir paas table se lagta hai.... Jisse uski pakad chooth jati hai uske pairon se... Aur doctor wanha se chala jata hai...
Peeche Yashoda roti rehti hai magar uski sunne waala koi nahi tha... Usse reh rehkar yaad aata hai uske maa papa ne use nurse banane ke liye kitni mehnat ki thi... Yaha tak uski padhai ke liye unke paas ek matr jo zameen ghar ki aur kuch gehne the woh bhi girwi rakh diye the.. yeh sochkar ki unki beti padh likh kar unki gareebi ko door karegi... magar aaj use yaha se nikaal diya gaya yeh baat kaise kaise woh apne maa papa ko bataegi....
Abhi woh Soch me gum hi thi ki Tabhi use baache ki rone ki awaaz sunayi deti hai.... jisse uska dhyaan Tut jata hai aur Nazar utha kar jab woh use dekhti hai toh use lady ki yaad bhi aati hai... Usse baache ki fikar bhi hoti hai ki ab iska kya hoga doctor shayad ise bhi... Nhi nhi... Yeh sochkar hi uske rongte khade ho jate hai... Aur woh aage badh baache ko apni goad mai utha leti hai...
Baacha bhi uski goad mai aa Rona kam kar deta hai magar hath pair abhi bhi maar raha tha jise dekh rote hue bhi uske chehre par ek muskurahat aa jati hai uske masoom Surat par woh ek kiss kar deti hai... Aur natakhat Nandkishor kehti hai jo uski maa pet mai jab tha usse baatain karte waqt keh rahi thi... jisse sun ladka bhi kilkaari leta hua hass deta hai aur yashoda ki ungli pakad leta hai... Jisse woh chudane ki koshish krti hai magar ladka nahi chodta... Ab uske chehre par muskaan aur gehri ho jaati hai... Woh ek tak use dekhti rehti hai tabhi woh Uth khadi hoti hai aur bacche ko saath le ghar ki taraf nikal padti hai...
To be continued...
( Kaafi samay lag gya pehla update aap sab ke saamne hazir aacha ya bura jaisa bhi ho comment kar mujhe jaroor batana... Next update bhi taiyar hai... 15 like aim hote hi post kar dunga.. bhut time baad return Kiya hai.. hope dhere dhere skills sudhar jayengi.. )
keep supporting...
keep loving...
Glad that you take review positivelyHmmm surely... Agreed ... Ab jo hua hai woh reveal filhaal toh nahi kiya jayega... Baaki update mai maja jarur aayega aapko...
Agree your point bruhhh... Huhhh... Bhut time lag raha hai...
First point you already know ki Election then ganpati festival ke chakkar mai poore 2 week busy raha... Wanha bhut kosish ki likhe ki magar time aur quality se compromise ho jata update kaisa hota pta nahi... Huhhh...
Kahani ka plot ready ho gaya bass... Ab kuch update aur...
Huhhh men I know kuch jayada emotional ho gayi hai... But fact is that... Starting majburi mai kiya magar ab maza aa raha hai...
Jokes a part... Feeling dekhni padhti hai... I know boriyat ho jayegi... This is tha last emotional update... Aage change aa raha hai hope you like it... Pehle Romance Action Fantasy Teeno milega...
Mujhe maza aaya burayi sunne mai jab tak pta nahi chalega badlaav kaise aayega... Thanks so much...
For aankhein khol dene waale review..
Nice updateBahot bada game khela gaya h Yashoda ke saath matlab woh ladki ka koyi part kharab tha jisse badalna zaroori tha nahi mar jaati or yeh bhai sahab apni beti bachane ke liye Yashoda ki Bali chadha daali yeh bhi Socha uske beta ka kia hoga sirf apni beti ke baare m Socha or report yeh bana daali ki Yashoda ka accident huwa tha sahi bhai bahot bada game khel Tum tow
Vimla jo ab nazim ka intizar mat karo woh bahot door chala gaya jaha se koyi wapas nahi aata
Baherhal dekhte h aage kia hota h
Behtareen shaandar update bhai
Nice update broKALYUG... Part.. 16
( I Miss you Maa )
Evening Time... 5 : 35 PM...
Location... Unknown...
...Huhhhhh... Woh jaa chuki hai... Mujhe chodd kar... Kaash maine usse baat ki hoti mai usko bta pata woh mujhe kitni pasand hai... Toh shayad halaat kuch aur hote... Shayad woh mere saath hoti... Yeh sab meri wajah se hua mujhe Jana hi nahi chahiye tha use akela chodd kar... Sab meri galti hai... Mujhe maaf kar dena agar tum mujhe sun rahi ho... Agar mai tumhe chod kar nahi jata toh syad kuch nahi hua hota... Sab meri galti hai sab meri...
Vimala... Beta Tony...
Tony... ( Soch se bahar aate hue ) Huhhh kya hua...
Vimala... ( Kandhe par hath rakh kar ) Beta Nandu subh se akela hai usne hospital mai kuch nahi khaya yeh khana laayi thi uske liye... Ab jo ho gaya usko hum badal nahi sakte... ( Nam aankhon se ) Yashoda ab kabhi wapis nahi aane waali... Woh hume chod kar jaa chuki hai iss baat ko tumhe maan Lena chahiye... maanti hun kaafi muskill hai magar Nanduu uska kya... Tum aise rahoge toh usko kon sambhalega... Kya use tumhe aise dekh khushi hogi... Kya woh kuch nahi tumhare liye...
Tony... ( Chonkte hue ) Yeh kya keh rahi hai aayi... Beta hai woh mera...
Vimala... ( Aansun ponchte hue ) Toh aise baithne se kuch nahi hoga... Yeh le khana usne subh se kuch nahi khaya... Usne apni maa ko khoya hai ab tumhe baap ke saath use maa ka pyaar bhi Dena hoga...
Tony... ( Uthkar khada hote hue ) hmmmm... La de mai jaa raha...
Tony hath se Tiffin le leta hai aur jaane lagta hai... Vimala usko jaate hue dekhti hai tabhi Tony rukta hai...
Tony... Nazim ghar aaya kya...
Vimala... ( Ghabrate hue ) naaahiii.... Kkyyuuu...
Tony... Bas aise hi...
Tony waha se nikal jata hai uske jaate hi... Vimala ka chehra paseene se bheeg jata hai... Woh samjh Rahi thi Tony ka ishara kiss baare mai hai... Use apne bete ki fikar bhi ho rahi thi... Aur uske kiye par sharminda bhi thi...
Usne apne dimaag ko samjha Diya tha... Ki Nazim ne jo kiya woh galat hai use iski Saza milni hi chahiye...
Lekin Dil nahi maan raha tha Maa jo thi 9 maheene pet mai pala use, uske baad kaafi sangharsh kiya usne Nazim ko bada karne ke liye... Naurkiri bhi ki jisse ghar chal sake lekin khoobiyon ke saath khaamiyan bhi hoti hai...
Ghar chalane ke liye bahar kaam karte samay woh Nazim ko Sikhsha nahi de paayi ho maa apne bacche ko bachpan se sahi galat ka chnaav karna shikhati hai... Kya accha hai kya bura... magar woh kaam ke chalte Nazim par dhyaan nahi de paayi aur kab Nazim basti ke logo ki sangat mai bigadna chaalu hua use pta na chala... Aur jab chala tab tak der ho chuki thi... Aane waali pal ki kalpana kar uski ruhh kaamp rahi thi kya hoga aage...
Evening Time... 6 : 20 PM...
Location... ****** Hospital...
...Nandu kya hua bta na... Bol kyun nahi raha kya likha hai isme... Dekh mera dil ghabra Raha h... Mujhe fir se Rona aa jayega tune merese baat nahi ki toh... Sunnn Naa... Nanndu...
Mai Jo file mai likhi baaton ka matlb samjhne ki koshish kar raha tha... Lekin Sweety karne de tab na... Aadhe ghante se pareshan kar rahi hai... Pehle khud muhh Fula leti hai aur na manao toh bhi meri hi galti hai maine kyun nahi manaya... Huhhhh Ladkiyon ke kitne Nakhre hote hai... Baap re pta nahi jisse Shaadi hogi uska kya haal hoga bhagwan uski aatma ko shanti de... he he he... Mai bhi kya soch raha agar isko pta chal gya... toh mai gya kaam se chup rehne mai hi bhalai hai...
Mai... ( Jhunjhulate hue ) kya hai 2 min chup nahi baith sakti bad bad kare jaa rahi kab se... Abhi thodi der pehle muhh Fula liya tha kya hua... Ab kyun baat kar rahi hai mujhse...
Sweety... ( Gusse mai ) Huhhh... Aur Tune jo mujhe Rulaya uska kuch nahi... Dekh meri aankhein laal ho gayi hai subh se khana bhi nahi khaya Maine... Aur tune mujhe rulaya thoda sa pyaar se baat kar leta toh kya ho jata...
Mai... Toh aisa bol na bhookh lagi hai bhukkad kahi ki... Maine khaya kya subh se kuch... haan... Yeh nahi ki khana khila de 1 ghante se bass dimaag kha rahi hai... Tujhse aacha meri Dimpi hai kitna khayal rakhti hai mera...
Sweety... ( Gusse me ) kyaaaaa kaaahaa ek baar fir se kehna...
Mai... ( Ghabrate hue ) kucch nahi... Woh mujhe bhookh lagi jaa bahar dekh kar aa baba yaa koi aaya hai kya Tiffen leke...
Sweety... ( Rukhe swar mai uthte hue ) Huhhhhh... Tumhe toh mai baad mai dekhti hun... Ek baar theek ho jao fir aisi dhunayi karungi ki dubara mere saamne uss kutiya ka naam nahi loge...
Mai... Tum usse itna chidhti kyun ho...
Sweety... ( Ghoorte hue ) Huhhhh...
Mai... Kuchhhh nahiii...
Sweety mujhe ghurti hui Room se bahar nikal gayi uske jaate hi maine ek aaahhhh bhari tabhi mera dhyaan ek baar fir File ki taraf gya aur mai sochne laga...
Isme likha sach hai yaa jhooth kaise pta karun... Jaha tak mujhe yaad hai gaadi aaker ruki thi yeh Reports bata Rahi hai ki humara gaadi se accident hua jisme maa ko chot lagi... Lekin maa toh mere upar thi jab mai gira tha fir isme accident kyun likha hai... Aur Dusri Post Mortem hai lekin... Kyun samjh nahi aa raha...
Abhi mai soch hi Raha tha ki Ek baar fir Darwaza khulta hai jisme se Sweety ander aati hai Naak par gussa abhi bhi tha uske... woh chalte hue mere paas aati hai aur khana plate mai nikal bed par rakh deti hai... Mai usko gusse mai dekh kuch bolne ki himmat nahi juta pata aur uth kar baithne ki koshish karta hun...
Pairon mai patti ki wajah se mushkil hoti hai jise dekh Sweety paas aati hai mujhe sahara dekar baitha deti hai... khana khane ke liye hath badhaya toh dard hua aahhhh nikal gayi... Tab woh paas mai baith jaati aur plate apnr hath mai le ek nivala bna kar muhh ke pass kar deti hai...
Mai uski harkaton ko dekh muskura raha tha... Aur saath mai khana bhi kha raha tha... Ab bhi uska muhhh Fula hua tha jisper mujhe hasi aa rahi thi magar mai jaise taise karke roke hue tha khudko... Mujhko muskurate dekh pta nahi use kya hota hai aur woh khana khilane ki wjh mere muhhh mai khana thoosne lagti hai... Aur Uthkar baahar chali jaati hai...
Mid Night... 9. :45 PM...
Sweety ko gaye kaafi der ho gayi thi woh aayi nahi shayad Baba yaa kisi ke saath ghar chali gayi hogi... Ab maine aaram karne ki Sochi magar jaise hi aankhein band ki toh maa ka chahra dikhayi diya jise dekhte maine aankhein khol li... Aur meri aankhon mai ek baar fir nami aa gayi...
Kitna bhi mai khud ko sabke saamne saabit kar lun ki sakht launda hoon mai sambhal chuka hun... Magar saachai yeh hai ki aaj hi meri maa mujhe chod kar jaa chuki hai... woh maa jisne mujhe paal posh kar bada kiya... Jise mujhe chalna shikhya , sahi galat ka chayan karwaya , apne sanskaar diye... Aur aaj woh mujhe akela chod jaa chuki hai....
" Ghutno se rengte rengte kab pairon par khada hua...
Teri Mamta ki chaanv mai jane kab mai bada hua...
Mai hi mai hoon har jagah , maa yeh pyaar Tera kaisa hai ?
Seedha saccha bhola bhala Mai hi sabse aacha hun..
" Kitna Bhi Bada Ho Jaun Maa mai Humesha Tera Baccha hoon ""
Yaad mai mujhe neend nahi aa rahi thi... Aansun ponch kosish kar raha tha sone ki... tabhi gate khulta hai...Baba ander aate hai... Unki aankhein bhi dekhne mai Laal lag rahi thi... Shayad rone ki wajah se ho yaa pta nahi abhi mai unhe dekh hi raha tha ki woh ladkhadate hue ander aaye aur mere baaju mai baith gye...
Unki haalat dekh mai samjh gaya ki daaru pee kar aaye hai... Woh mujhe hi dekh rahe the saath hi mere sir par hath ferte rahe... Main unko aur unki harkaton ko dekh raha tha... Lekin bola kuch nahi unhone bhi mujhe kuch nahi bola bass mere sir par haath ferte rahe... kaafi time baithne...
Tony... Ab kaise tabiyat hai mere bete...
Mai... ( Unko dekh normal hote hua ) ab theek hai aap Kab aaye...
Tony... Bas abhi... Soye Nahi abhi tak...
Mai... ( Hichkicha kar ) wwohh basss aiiseee hiii...
Tony... Maa ki yaaad aa rahi hai...
Mai... Huuuhhhhh ( ekdum se shock ho gaya ) hmmmm...
Tony... Mujhe bhi....
Maine Baba ko dekh unki aankhein Nam thi maine maa aur Baba ko kam hi baat karte hue dekha tha... Mujhe laga shayad dono ke beech jhagda hai isliye dono baat nahi karte lekin Baba bhi maa ko utna yaad kar rahe jitna mai kar hoon... Hmmm maine unka unka ek hath jo khali tha usko thaam liya unhone ek baar meri taraf dekha... Aur kuch kha nahi... Kaafi der tak woh mere sir par hath ferte rahe...
Aur pta nahi kab mujhe neend aa gayi....
Mid Night... Time 10 : 55 PM...
Location... ****** Hospital...
...Daddddd...
Aadmi... ( Chonkte Hue ) Huhhhh sukuuu... Tumhe Hosh aa gya... Ruko mai Doctor ko bula kar lata hun...
Ladki... ( Dubara awaaz dete hue ) Nahi Dad mere paas jayada Time nahi hai main jaanti hun... Mujhe kya hua hai uska ilaaj...
Aadmi... Beti tumhe kuch nahi hua... Ab tum theek ho Doc ne kha hai hafte bhar mai tumhe chutti mill jayegi... ( Nam aankhon se ) Aur fir tumhe apni Maa ki tarah Doctor banna hai na... Apna sapna poora karna hai...
Ladki... Lekin Dadddd...
Aadmi... Maine kaha na tumhe kuch nahi hoga... Jab tak apna sapna poora nahi kar leti... Abhi tumhe aaram ki jarurat hai...
Ladki... Daddd....
Aadmi... Shhhhhhh.... aankhein band karo... Sab theek ho jayega...
Ladki ne apne Dad ki taraf dekha jo uske paas baith uske sir par hath fer rahe the... Usne bhi unka ek hath thaam liya aur aankhein band kar li... Jaise usne bharosa kar liya tha jo Dad ne kaha woh sach hai... lekin kaise.... ???
Wanhi Aadmi bhi kisi aur soch mai gummm tha... Mujhe maaf kar dena beti abhi mai tumhe kuch nahi bata sakta... Mai jo kiya galat ya sahi mujhe Nahi pta lekin iske alawa koi aur raasta nahi tha mere pass...
Raat Gehri hoti Gayi dheere dheere sab log so gye... Sivay teen Logo ke... Jo aap sab jante hi Hain... Tony , Unknown Aadmi , Vimala....
Tony / Aadmi ne poori raat apne bete / beti ke saath baith kar nikaal di... Wanhi Vimala ko apne bete Nazim ka intjaar tha uski neend bhi gayab thi ab tak Nazim Ghar jo nahi aaya tha... Aur aata bhi kaise... Woh kisi aur ka shikaar ban chuka tha....
( Hhhhh again update late ho gya... Mai real reason btaunga toh aacha nahi lagega... Toh yeh samjh lo ki kal ishowspeed India aaya tha bhai ko chat mai rasta bta Raha tha...
likes aur review dene ka... Update Monday ko aayega Sunday ki jagh... )
keep supporting...
keep loving...
Monday ko dena thabut schedule bhut tight ho gya hai...Bhai sunday bala update kab ayega
Thanks BhaiBahot bada game khela gaya h Yashoda ke saath matlab woh ladki ka koyi part kharab tha jisse badalna zaroori tha nahi mar jaati or yeh bhai sahab apni beti bachane ke liye Yashoda ki Bali chadha daali yeh bhi Socha uske beta ka kia hoga sirf apni beti ke baare m Socha or report yeh bana daali ki Yashoda ka accident huwa tha sahi bhai bahot bada game khel Tum tow
Vimla jo ab nazim ka intizar mat karo woh bahot door chala gaya jaha se koyi wapas nahi aata
Baherhal dekhte h aage kia hota h
Behtareen shaandar update bhai