TedBundy
Active Member
- 1,100
- 1,042
- 158
very nice update bhaiUPDATE 24
Mahendra pratap us balak ko ghar le aaye aur bête ki tarah use paalne lage. Apne pariwar ko kho dene k baad unhone apni jaidaad ka ek bada hissa daan kar chuke they fir bhi chunki unka pariwaar purane raeeso me aata tha isliye abhi bhi unke paas paise wagerah ki koi kami nahi thi. Us balak ko unhone naam diya suraj pratap urf surya. Surya bada hi medhavi aur honhaar bachha tha, uski seekhne ki kshamta bachpan se hi adbhut thi.
……….Flashback ends……………
Swami ji – ye thi surya yaani tumhare janm ki sachhayi aur tumhare janm ka uddeshya…
Me – k… k… kya ye sab… sab sach hai…….. par ye kaise ho sakta hai.
Swami ji – haan putra… ye sab satya hai.
Me – to…. To mera ye haal kaise hua …. Main wahan kaise pahuncha …. Aur agar mai itna hi shaktishaali hu to me aise kyo……
S – ye tumhe swayam janna padega putra… waise bhi ab waqt aa gya hai ki tum apni smritiyo ke sath sath apni supt shaktiyo ko bhi punah jagrat karo…. Iske liye tumhe apni kundalini shakti ko jagrat kar use shestrasaar chakra tak le jana hoga…. Jiska marg hai dhyaan. Tum pehle bhi ye kayi baar kar chuke ho to mujhe nahi lagta k isme tumhe samay lagega. Thode bahut prayas se hi tum sehaj hi is awastha ko prapt kar sakte ho.
Me – jaisa aap kahe swami ji
S – putra ab jakar tum bhojan kar k vishraam karo fir mai tumhe dhyaan karwaunga jiska abhyaas tum kal se pratidin karoge
Me- swamiji mai kuch poochna chahta hu
S – kaho putra
Me – yadi yeh satya hai ki mai hi surya hu aur yahi rishikesh me pala badha hu to mera ghar baar mere pita wo sab kahan hai… kaise hain….
S – hame khed hai putra surya par wo apna jivankaal samapt kar apne isht k charno me sthan pa chuke hain… shesh tum swayam jaan jaaoge sahi samay par. Ab jaao putra.
Me – jo agya swami ji.
Mai wahan se bahar niklne k liye muda to dekha dwar k sath kutiya k bahar koi khada tha…. tha kya thi, wahan kiran khadi thi jiski dono aankho se aansuo ki dharaye beh rahi thi.
Kiran (rote hue)– “s….s…. surya …..”
Maine palat kar swamiji ki aur dekha…. Wo bhi kiran ki aur dekh rahe they.
Swami ji “haa putri ye Surya hi hai…. Par abhi ye apni sabhi smritiya kho chuka hai…. Prabhu ki kirpa hui to sheegra hi ise sab yaad aa jayega….”
Fir wo mujhe bole putra tum jao main Kiran se kuch baat karna chahta hu.
Mai bina kuch bole unhe punah pranaam karke apni kutiya me aa gaya…