UPDATE 21
Main train se delhi hote hue haridwar pahunch gaya aur filhaal rishikesh k liye bus pta kar raha tha to ek taxi wala bola, sir mere paas already ek sawari hai rishikesh ki agar aap taxi share karna chaho to. Maine haan kaha aur uske sath chal diya. Bahar road k kinare uski taxi khadi thi.
Mera saman lekar wo diggi me rakhne laga aur maine gadi ka door khol k baithne laga to achanak thithak gya, car me ek pyari si ladki baithi hui thi. Hum dono ki najre aapas me ulajhkar reh gayi. Hamara dhyaan driver ki awaaz se toota.
Driver- “baitho sahab , fir chale”
Maine baithte hue muskara kar use hello kaha par koi jawab nahi mila. (matlab usne bhai ko ignore maar diya. L)
Well, aage ka safar start hua. Uske ignore maarne k karan meri himmat nahi hui baat shuru karne ki lekin mai tirchi najaro se usi ko dekh raha tha. uske paas baithe hue mera dil bahut teji se dhadak raha tha. uska cute sa par udaas chehra, jheel si gehri par sooni si aankhe, matlab dil uski aur khincha sa ja raha tha. mai khud ko usse baat karne se rok nahi paaya.
Me – hiii me ajay, mai pehli baar rishikesh ja raha hu, aap wahi ki hai kya.
Usne koi jawab nahi diya
Me- mai ******* city se hu. Btw aapka naam kya h.
Again no answer.
Mai thodi der chup raha fir bola, “dekhiye kyaa aap mujhe bta sakti hai ki swami visheshanand ka aashram kahan hai.
Ab usne meri taraf dekha, mai uske chehre me hi kho gaya. Uski aankhe…. Mujhe yu lag raha tha ki ye aankhe mere bheetar sidhi dil me utar rahi hain.
Wo thehre hue swar me boli, “city k north me ganga k kinare jangal k sameep unka aashram hai….”
Ye awaz .. ye awaz … maine kahin suni hai… ye … ye ladki…. Ye ladki kaun hai.
Main dimaag par jor dene laga ki achanak mujhe yaad aaya … ye … ye to wahi hai.. wo… wo sapne wali ladki….. (update 11)…. Kaun hai ye.
Wo jawab dekar wapas apni yaado me gum ho gayi thi….
“kya mai aapka naam jaan sakta hu.” Maine fir baat shuru karne ki koshish ki.
Me- “actually mujhe lagta hai ki main shayad aapko janta hu.”
Wo – “kiran… aur mujhe ache se yaad hai ki mai kabhi aapse nahi mili hu sath hi mujhe ajnabiyo se baat karna pasand nahi.” Kehkar wo window se bahar dekhne lagi.
Ab aur jyada chep banna mujhe achha nahi laga. To mai bhi bahar k najaro me kho gya, haan beech beech me tirchhi najaro se use dekh jarur raha tha.
Koi aadhe ghante baad mai rishikesh taxi stand par khada tha. wo utar kar bahar ki taraf chali gayi thi. Main apna saman lekar aage badha o logo se pta kar ek auto lekar swami ji k ashram ki taraf chal pada. Aashram pahunch kar mai swamiji se mila.
Me – maharaj mai ******** se aaya hu mujhe ek babaji ne aapke paas bheja hai, darasal ek accident me mai apni pichhli yaade bhula chukka hu, sath hi baba ne mujhe kaha tha ki yahan aakar aapse mere jiwan ka satya aur uddeshya jaanu.
Swami ji ne mere sir par hath rakhkar aankhe band kar li aur kuch hi der me unki band aankho se aansu beh nikle. Aur thodi der baad jab unhone aankhe kholi to bas prem aur vatsalya se bhari najaro se mujhe hi dekhe ja rahe they.
Fir wo sameep hi khade apne shishya se bole jao jaakar meri putri ko bula lao.
Aur mujhse bole, putra tum lambe safar se aaye ho abhi bhojan kar k vishraam karo, mai tumse kal subah baat karunga.
Tabhi shayad unki putri aayi
“Pitaji aapne mujhe bulaya”
Awaaz sunkar mai palta, kyoki ye… ye to usi ki awaz thi….
“Aap……” mai ekdam bol pada.
“kya tum kiran ko jaante ho putra” swamiji ne poochha.
“nahi swamiji hum darasal aaj haridwar se risikesh sath hi aaye they taxi me, tabhi mile they.”
“Achha haa aaj ye aashram k karya se hi haridwar gayi thi” wo muskara kar fir aoni beti se bole “putri kiran tum inki rehne aur khaane ki vyavastha aashram me hi karwa do, ye ab kuch din yahin rahenge.”
“jo aagya pitaji” kehkar wo bahar nikal gayi. Mai bhi swamiji ko pranaam kar k bahar nikal aaya.
“aapne mujhe bataya nahi ki aap swamiji ki beti hai” maine kiran se k pichhe chalte hue kaha. Darasal use dobara milkar pta nahi kyo par mai bahut khush tha.
Once again no answer.
Yaar ye khamoshiii….. pata nahi kyo mujhse bardasht nahi ho rahi thi…
Well wo mujhe ek kutiya me le gyi aur bataya k mujhe yahi rehna hai, mai abhi aaram karu aur kuch der me aashram me hi bane ek haalnuma bade jhopde ki aur ishara kar k bta diya ki wahi sabhi ashram vasiyo ko bhojan parosa jata hai.
pitaji tumhe prath vandan k pashchat swayam bulenge, kehkar wo chali gayi.