- 5,758
- 13,139
- 189
UPDATE 11
Apne ghar me ghuste hi Atul dekhta hai ki uske Maa, Papa aur bhaiya hall me hi baithe the.
Atul waha se apne room ki taraf jaane hi wala tha ki tabhi.
Gaurav:- Kaha se aa raha hai?
Lekin Atul kuch jawaab nahi deta...Iss vakt wo Gaurav se bahas karne ki mood me nahi tha.
Gaurav:- Suna nahi tune?
Atul:- Suna…Lekin tujhe jawaab dena jaruri nahi samajhta.
Atul ne iss baar ghur ke jawaab diya.
Gaurav:- Abb tu mujhse badtameezi karega…Apne se bade se kaise baat karte hai tujhe pata nahi hai kya.
Gaurav ne bas itna hi kaha tha ki Atul uske paas jaata hai aur uske kandhe me haath rakh kar kehta hai.
Atul:- Badtameezi aur bado se baat...Ye sab tune hi sikhaya hai dear brother...Abb agar aur bakwas kiya na to yahi peet jaayega.
Sambhal jaa...Abhi pyar se samjha raha hu...Warna ek kahawat to suna hi hoga "Laato ke bhoot baato se nahi maante."
Atul ne iss baar kuch jyaada hi gussa me kaha tha…Isse aage baat aur bigadta usse pehle hi Atul ki Maa ne kaha.
A. Mom:- Abb bas karo…Hamesha ladte rehte ho…Tum dono ek dusre se aise behave kar rahe ho jaise dono bhai nahi dushman ho.
Gaurav:- Aap ke laad pyaar ne hi bigaad diya hai isse…Bolne ki tameez bhi nahi hai.
Atul:- Accha mai bigda hu…Aur tu…Tu to ek pyara sa sanskari baccha hai.
Jo college jaata hai lekin padhne nahi…Gunda gardi karne, ladkiya chhedne, apne jaise nalaayak dosto ke saath din bhar daru aur cigarette me vyast rehta hai.
Lekin mai ye nahi kahunga ki Maa ki laad pyar ne tujhe bigaada hai…Maa ne to ham teeno (Ek badi didi bhi hai) ko acche sanskaar diya tha…Lekin tu saala ulti khopdi leke paida hua hai…Ulti aur galat baat hi tere bheje me ghusta hai.
Totally useless character…Padhne likhne aur acche kaam me zero hai aur gundo ke saath aawara gardi karne me top hai.
Gaurav:- Kya bola be tune?
Atul:- Kaan nahi hai kya tere paas?
Gaurav:- Tera itna himmat ki mere aur mere dosto ke baare me bola.
Itna keh kar Gaurav ne Atul ka collar pakad liya aur Atul ne bhi jawaab me collar pakad liya.
Atul:- Kyu tere baare me kaha to mirchi laga? Fir mere baare me kyu chugli karta rehta hai...Abhi tere baare me sirf bola hi hai...Wo dur nahi jab tu peet bhi jaayega...Mai nahi chaahta ki wo din aaj hi ka ho.
Itna keh kar Atul gusse me Gaurav ko ghurne lagta hai.
Dono me jaise yudh hi hone wala tha tabhi dono ke gaal me Papa ki eke k thappad padta hai.
A. Dad:- Band karo tum dono jhagadna…Kya sochte ho tum dono apne baare me…Thoda bada kya ho gaye tum dono to aise dikhaa rahe ho jaise ghar ke guardian tum dono hi ho.
Tabhi se dekh raha hu tum dono ko…Aur intejaar kar raha tha ki kab tak dono shaant hote ho…Lekin nahi tum dono to ladaai par utar aaye.
Thoda bahut chhut jo bhi diya hai uska galat faaidaa uthaane ki sochna bhi mat.
Ummeed hai agli baar haath uthana naa pade.
Itna keh kar Papa chup ho gaye…Lekin abhi bhi gussa se bhari najron se dono ko dekh rahe the.
Gaurav:- Pehle aap isse bolne ki tameez sikhaaiye…Bade aur chhote ki bich ka fark hi nahi jaanta.
Gaurav ne Atul ko ghurte hue kaha…Atul ki Papa kuch bolte usse pehle Atul hi bola.
Atul:- Mai bhi yaha time waste nahi karna chaahta…Bas itna kahunga ki isse kahiye mujhse dur rahe.
Mai padhna chaahta hu aur sirf padhna…Mujhe aise sadakchhap gunde se behas karke koi time waste nahi karna chaahta hu.
(To Gaurav) Dekh bhai...Abhi ke liye itna kahunga. "Tit for Tat." Iss 3 shabd me bahut kuch hai...Agar dimaag hai to samajh jaayega.
Bqchpan se nafrat karta hu tujhse aur teri atyachaar se...Agar ek din ye nafrat ka baandh toot gaya to mai bhi nahi jaanta mai kya kar sakta hu.
Naa tune kabhi bade bhai ki farz nibhaya aur naa hi kabhi mai bhai ki farz nibhaaunga.
Itna keh kar Atul fir apne Maa aur Papa ko dekhta hai aur kehta hai.
Atul:- Sorry…Be vajah itna bada hangama ho gaya…Lekin kya karu…Aur nahi seh sakta mai.
Itna keh kar Atul apne room ki taraf chala gaya.
Kuch der baad Gaurav bhi apne room ki taraf chala gaya chehre me gussa ke saath.
Aur Atul ki Maa aur Papa sofa me baith gaye ek chinta ke saath…Apne dono bete ka ek dusre ek saath relation ki chinta ko le kar.
Atul in his room
Atul:- (In his mind) Saala kuch jyada hi ucchal raha hai aaj kal…Accha kiya jo dhang se jawaab diya…Warna fir sataata rehta…Aage bhi pareshaan karne ki koshish kiya to sach mein peet dunga.
Atul yahi sab soch raha tha ki uske dimaag me dusra khayal aaya.
Atul:- Mai bhi pata nahi kya bekaar ki baatein soch raha hu…Uski chakkar me bahut time waste ho gaya…Agar uske baare me sochta raha to mera hi time waste hoga aur mood off bhi…Yahi accha hoga ki mai aise baat aur log ko ignore karke apna kaam karu.
Fir Atul ek book le kar baith jaata hai table me padhne ke liye…Dhire dhire wo padhne lag jaata hai.
Next Day at college
Hamesha ki tarah Atul aaj bhi apne time me hi college pahunchta hai…Aaj Ajay uske saath nahi tha.
Jaise hi Atul college gate se andar jaata hai ek jaani pehchaani aawaj uske kaan me padta hai.
"Hello Atul"
Atul ko samajhte der nahi lagta hai ki usse hello Nisha ne kaha hai.
Wo bhi Nisha ki taraf daayi taraf mud kar kehta hai.
Atul:- Hi…Tum yaha…Abhi…Iss vakt.
Atul ne hairaani ke saath kaha…Wo hairaan ho gaya tha ki Nisha itni jaldi kaise aa gayi…Wo hamesha college suru hone se 5 minute pehle aati thi.
Nisha:- Ha aaj se jaldi hi aaungi…Warna last me baithna padega hamesha ki tarah.
Atul:- Issi vajah se mai bhi jaldi aata hu…Warna pehle to aadat tha mera college ke liye 10 minute late hone ka…Typical ladke wali aadat.
Atul ki iss baat par Nisha ko thodi hansi aaya
Atul:- Nisha kal ke liye sorry…Kuch jyada hi gussa me tha.
Nisha:- Tum sorry kyu keh rahe ho…Galti meri hi thi…Maine tumhe galat samjha aur tumhaari insult aur pareshaan karne ka ek bhi mauka nahi chhoda…Fir bhi tumne mera help kiya yahi bahut hai mere liye…Tumne sach me insaaniyat dikhaaya.
Atul:- Issi baat ke liye sorry kehna chaahta hu…Ha insaaniyat to dikhaaya maine lekin tumhaari dosti ki offer ko thukra diya insaaniyat ki naam pe.
Kal maine socha ki aise chhoti chhoti jhagde to hote rehte hai…Aur ye jhagada to ek misunderstanding ki vajah se hua tha…Aur isko ego me nahi lena chaahiye…Kuch baaton ko ignore karna bhi sikhna padta hai.
Will you be my friend?
Itna keh kar Atul ne apna haath aage badha diya.
Nisha ne bhi haath mila kar kaha.
Nisha:- Yes…Friends.
Aur fir dono saath me class ki taraf chalte hai.