- 5,758
- 13,139
- 189
UPDATE 9
Dono hi ladkiyan bahut koshish karti rahi Kajal ki munh se ye baat ugalwaane ki wo Atul se pyar karti hai…Lekin Kajal dono ko saaf mana kar deti hai ki Atul sirf uska dost hi hai aur dosti se badh kar dono ke bich kuch nahi hai.
After College
College chhuti hone ke baad Atul apne ghar jaane ke liye parking se bike nikaal hi raha tha ki tabhi Ajay bhi waha pahunchta hai.
Ajay:- Aaj bahut jaldbaazi me lag raha hai?
Atul:- Ha yaar…Mood thik nahi hai…Aaj ki topic me bahut confusion tha aur acche se samajh bhi nahi paaya…Dimaag abhi bahut bhaari lag raha hai…Ghar jaake fresh hone ke baad acche se revise karna padega.
Atul theek se bolne ki haalat me bhi nahi tha...Aisa lag raha tha jaise uska dimaag ne kaam karna hi band kar diya hai.
Iss vakt wo Ajay se bhi baat karne ki mood me nahi tha.
Ajay:- Chal mere saath.
Atul:- Kaha?
Ajay:- Canteen.
Atul:- Fir kabhi…Aaj time nahi hai mere paas.
Ajay Atul ki jawaab diye bina usse kheench kar canteen ki taraf le chalta hai…Suru me Atul mana karta hai lekin fir uske saath hi chalne lagta hai.
Canteen pahunchne ke baad Atul waha par Nisha aur Anjali ko dekhta hai…Dono ko dekh kar aisa lag raha tha ki dono Atul ka hi wait kar rahe hai…Usse samajh me nahi aa raha tha ki ye sab kya ho raha hai…Ajay ka iss tarah se canteen me bulaana aur dono ka usko intejaar karna.
Dono ke paas pahunch kar.
Atul:- Hi.
Atul ki iss baat par Nisha bura sa chehra bana kar dusri taraf dekhne lagti hai aur Anjali usse "Hi" me hi jawaab deti hai.
Nisha ka aisa response dekh kar Atul ko kuch jyada fark nahi pada…Aadat pad gaya tha usko abb Nisha se ignore hone ka…Aur abb wo khud bhi Nisha ko ignore karne laga tha.
Atul:- Tum dono yaha.
Anjali:- Ha tumhaara hi wait kar rahe the.
Anjali ki baat sunne ke baad Nisha Anjali ko kehti hai.
Nisha:- Sirf tu hi wait kar rahi hai…Teri vajah se hi mai yaha hu warna kab ka ghar chali jaati.
Nisha ne to ye baat dheere se kaha tha lekin itna bhi dheere nahi ki wo Atul aur Ajay ki kaano tak nahi pahunch paata.
Nisha ki ye baat Anjali, Atul aur Ajay kisi ko bhi accha nahi lagta hai…Atul fir se Nisha ki iss baat ko ignore kar deta hai.
Maahaul ko halka banaane ke liye.
Ajay:- Kya loge tum sab…Thanda ya garam.
Atul:- Matlab
Ajay:- Matlab garam me chaai, coffee aur thanda me cold drinks , beer, wine, vodka aur alcohol products.
Ajay ne hanste hue kaha.
Anjali:- Kya tum bhi ye sab peete ho?
Thoda hairaani ke saath Anjali ne pucha.
Atul:- Nahi…Ye sab peena sirf iska hi kaam hai (Ajay ki taraf ishaara karte hue)…Maine to haath bhi nahi lagaya hai aaj tak alcohol ko.
Nisha:- (Dheere se) Aisa lagta to nahi.
Atul ek baar fir Nisha ki baat sun leta hai aur ek baar fir ignore kar deta hai...Lekin abb usse Nisha par gussa aane laga tha.
Ajay:- Tu baccha hi rahega yaar…Kabhi try to kar…Aur uske baad jo maja milta hai na usko mai apne 2 shabd me bayaan nahi kar sakta…Waise bhi MBBS padhne aaye hai to enjoy bhi karna jaruri hai.
Atul:- Ha enjoy karna jaruri hai…Lekin bewda ban kar enjoy nahi karna hai mujhe…Bahut se aur tarike bhi hai enjoy karne ka.
Anjali:- Abb tum sab ye kaun sa topic le kar baith gaye…Acchi baat hai Atul ki tum nahi peete ho…Aur Ajay ko bhi kuch dino me sudhaar dungi…Pehle baato se agar fir bhi nahi maana to laat se.
Anjali ne majaak karte hue kaha…Sab Ajay ki taraf dekhne lage…Suru me to Ajay chup tha lekin sab ko muskuraata dekh wo bhi muskuraane laga.
Atul:- Abb tum hi last hope ho mera…Please mere dost ko bewda banne se bacha lena.
Atul ne bhi majaak ko jaari rakhte hue kaha…Usse pata hi nahi chala ki kaise wo Anjali se khul ke baat karne lag gaya hai.
Usne wo baat kuch iss tarah se kaha tha jisse waha maujud sabhi hasne lage…Nisha ko bhi thodi hansi aa gaya lekin agle hi pal wo sambhal gayi.
Ajay:- Kya yaar tu bhi…Occasional drinker ko bewda bol raha hai…Tu ek din sabke saamne beizzati karwaayega mera.
Atul:- Wo to hamesha karta hu aur karta rahunga.
Fir dono ek dusre ko dekhte hue hasne lagte hai.
Atul:- Anjali tum keh rahi thi ki mera wait kar rahi thi.
Atul ko ye baat abb yaad aaya…Hansi majaak me ye baa two kab ka bhul gaya tha.
Anjali:- Ha kuch baat karna tha tumse.
Atul:- Kaho?
Atul soch me pad gaya ki Anjali usse kya baat karna chaahti hai.
Anjali:- Padhaai ke baare me…Ajay kehta hai ki tum padhne me bahut talented ho…Aur regularly padhte ho…Mai ye puchna chaahti thi ki tum time kaise manage karte ho?
Aur jab bhi tumhe college me dekhti hut um hamesha padhte hi rehte ho…Mujhe to abhi se bahut mushkil lag raha hai ye sab kuch…Soch rahi hu MBBS join karke galti to nahi kar diya.
Atul:- Agar Ajay ne mere baare me kuch taarif kiya hai to samajh lo kuch jyada hi taarif kar raha hai…Aadat ho gaya hai iska ye sab.
Mushkil to bahut hai...Kuch topic samajh me nahi aata to kuch jaldi hi dimaag se nikal jaata hai.
Lekin padhte raho...Suruwat me mushkil hai baad me repeat hone se sab thik ho jaayega.
Be confident, interest lekar padho aur regularly padhte raho...Dhire dhire sab aashan ho jaayega.
Ajay:- Yahi baat mai bhi samjha raha tha isse…Lekin samajh hi nahi rahi thi…Bas tujhse hi puchna chaahti thi ki kaise padhta hai.
(To Anjali) Abb to kitaabi keede (Atul) se verification ho gaya na?
Atul:- Tu samjha to raha tha…Lekin tu khud wo nahi karta hai jo dusro ko samjhaata hai…Tujhe bhi samjhaata hu abhi se serious ho jaa padhne me aur night club jaana chhod de.
Atul ki iss baat par Anjali shock ho kar Ajay se puchti hai.
Anjali:- Ajay tum night club bhi jaate ho?
Ajay kuch jawaab deta usse pehle hi Atul kehta hai.
Atul:- Aur har weekend me bar me jaakar masti karta hai aur har subah hangover hota rehta hai isse.
Atul ki iss baat se Anjali Ajay ko gusse se dekhne lagti hai.
Anjali:- Ajay tumne kaha tha ki tum sirf occasional drinker and smoker ho…Lekin ye sab kya hai?
Anjali ki aawaj me iss baar kuch jyada hi gussa tha…Atul bhi samajh gaya jyada majaak thik nahi hai.
Atul:- Are cool down…Maine to aise hi majaak me keh diya tha…Ajay ek sidha sadha ladka hai…Maasum sa baccha…Mera best friend.
Iss baar Atul ne Ajay ka taarif karte hue kaha aur Anjali ka gussa bhi thoda kam ho gaya.
Ajay:- Kya ho gaya yaar tujhe achaanak se…Mera taarif bhi karne lag gaya.
Atul:- Jyada khus mat ho…Wo to kabhi kabhi hi karta hu…Once in a year.
Atul:- Anjali…Ek aur baat…Sirf padhaai me hi focus mat karna…Masti aur entertainment bhi jaruri hai…Acche se padho jitna jaruri hai aur fir masti me bhi koi kami mat rakhna.
Fir aise hi, dosti, masti, padhaai me kab MBBS complete ho jaayega pata bhi nahi chalega…Study ko challenge aur interest ke roop me lo…Jab bhi mauka mile jindagi ko khul ke jiyo
Medical field me aane ke baad tension to hamesha saath rahega hi aur iss tension me bhi hame enjoy aue masti karne ke liye raasta dhundna hoga.
In my opinion, these 6 years will be super fun and we will learn various new things except our study.
Atul ne bahut josh se kaha aur uski baato se lag raha tha ki wo aage ke challenge ke liye kitna taiyaar hai.
Nisha:- (Dheere se) Jaise hame kuch pata hi nahi hai...Khud ko bahut gyani samajh raha hai...Isse to exam me dekhungi.
Ek baar fir Atul ne suna ye baatein...Iss baar to kuch jawaab dena chaahta tha ki Nisha chup ho jaaye lekin ye soch kar chup ho gaya ki kisi se munh lagana hi bekar hai.
Atul:- Best of luck for exam.
Atul ne muskuraate hue kaha aur Nisha ignore kar ke dusri taraf dekhne lagti hai.
Kuch der baad.
Nisha:- Anjali tujhe aaj ghar nahi jaana hai kya…1 ghante se bak bak kar rahi hai…Agar tujhe nahi jaana hai to yahi reh…Mai abb jaa rahi hu.
Itna keh kar Nisha apni jagah se utth kar jaane lagti hai…Anjali uska haath piche se pakad kar kehti hai.
Anjali:- Ruk mai bhi chalti hu…(To All) So guys abb late ho raha hai…Kal milte hai.
Fir sabhi apni jagah se utthte hai aur parking ki taraf chal dete hai.
Ajay:- Abb bol…Mood fresh hua ya nahi…1 hour time hi liya hai tera…Agar tu ghar jaata to bhi tujhe 1 se 2 hour time lagta.
Atul:- Ha yaar…Mood puri tarah se fresh ho gaya…Tum dono se baatein karne me bahut majaa aaya aur aaj yaha ka coffee pee kar bhi bahut maja aaya.
Fir sabhi parking me pahunch jaate hai.
Ajay aur Atul apni apni bike par aur Anjali aur Nisha apni apni scooty pe baith jaate hai ghar jaane ke liye.
Nisha scooty start karti hai lekin wo start hi nahi hota hai…Thodi der aur try karne ke baad bhi jab start nahi hota hai tab.
Anjali:- Kya hua?
Nisha:- Scooty start hi nahi ho raha hai.
Fir Anjali bhi thoda try karti hai…Lekin scooty fir bhi start nahi hota hai…Kuch der baad dono ko pata chalta hai ki scooty me petrol khatm ho gaya tha.
Fir sabhi sochte hai kya karna chaahiye.
Anjali:- Abb late bhi bahut ho raha hai…Chal mai tujhe tere ghar drop kar deti hu.
Nisha:- Nahi mai bus se chali jaaungi.
Anjali:- Bus se kyu jaayegi…Bahut mushkil hoga iss vakt bus se jaana aur seat bhi kam milta hai shaam me…Isse accha hai tu mere saath hi chal.
Ajay aur Atul dono ki baat hi sun rahe the.
Atul:- (To Nisha) Agar tumhe problem na ho to mere saath bike me aa sakti ho…Hamaara ghar bhi paas me hi hai.
Atul ki baat sun kar Nisha Atul ko gusse se ghurne lagti hai…Lekin Ajay aur Anjali ko sahi laga Atul ki baat.
Nisha:- Are you mad…Mai tumhaare saath bike me jaaungi…Kabhi nahi.
Nisha ne bahut gusse me kaha…Nisha ki iss baat se pata chal raha tha ki wo Atul se kitna nafrat karne lagi hai.
Lekin Anjali Nisha ko apni baato se mana hi leti hai aur Nisha ko bhi uske jidd aur baaton ke saamne haar manna hi padta hai.
Nisha:- Ok tum log jaao…Mai paani pee kar aati hu.
Itna keh kar Nisha canteen ki taraf chali jaati hai.
Anjali:- Atul acche se le jaana Nisha ko…Abhi thoda galatfehmi hai Nisha ko tumhaare baare me…Jald hi sab thik ho jaayega.
Jawaab me Atul sirf apna sar hilaata hai.
Aur fir Anjali aur Ajay chale jaate hai apne ghar ke liye.
Atul Nisha ka wait karne lagta hai…15 minute baad Nisha aati hai.
Atul:- Baitho.
Atul ki aawaj me thoda gussa tha…15 minute ka wait wo bhi chhoti si baat ke liye…Usse bilkul bhi pasand nahi aaya tha.
Nisha:- Tum jaao…Mai tumhaare saath nahi jaaungi…Wo to Anjali se bahas karna nahi chaahti thi issi liye maan gayi thi…Mai bus se hi jaaungi.
Nisha ne bhi saaf inkaar kar diya.
Atul ko pehle se hi Nisha par gussa aa raha tha aur abb Nisha ka aisa attitude usse bilkul bhi pasand nahi aaya.
Atul:- Socha ki help kar du...Lekin itna attitude ...Mujhe bhi koi shaukh nahi hai tumhe le jaane ka.
Itna keh kar Atul bhi gusse me apna bike teji se aage badha deta hai.