- 5,758
- 13,146
- 189
UPDATE 27
Pata nahi kabhi kabhi kya ho jaata hai mujhe ki paagalo jaisi harkat karne lagta hu…Kya jarurat tha mujhe aisi bakwaas sawaal pucchne ka? Aur pucchte hi jaa raha tha ek baar bhi nahi socha ki kya pucch raha hu…Pata nahi kabhi kabhi kya ho jaata hai mujhe? Jald hi aisi aadat sudhaarna padega.
Aise hi khud par gussa hote Atul apne room me chala gaya.
Next Day
Agla din Atul jab college me gaya to waha ka nazaara dekh usse thoda hairaani hua…Aaj Nisha usse pehle class me aa gayi thi aur front seat me jaa kar baith gayi thi.
Atul ne bina kuch react kiye uske paas chala gaya aur baith gaya.
Fir dono kuch der tak baat karte rahe aur tabhi Ravi class me aaya.
Wo aaj apna seat me baithne ki jagah Atul ke paas aa gaya…Kuch der tak Atul ko dekhta raha…Atul bhi usse dekhne laga.
Ravi:- Aaj kal tu jyada hi udne laga hai khaas kar Rahul sir ki class me?
Atul:- To fir tera pankh kat gaya hai kya jot u nahi udd paa raha hai ya fir paralysis ho gaya hai?
Atul ne muskuraate hue kaha lekin uske muskaan Ravi ko uska beizzati mehsus karaane ke liye kaafi tha.
Ravi kuch der Atul ko gusse se ghurta raha fir Nisha ki taraf dekh kar bola.
Ravi:- Nisha…Nisha hi hai na tumhaara naam?
Jawaab me Nisha ne kuch nahi kaha…Wo bhi Ravi ko gusse se dekhne lagi.
Ravi:- Khair naam jo bhi ho…Mujhe to ye pucchna tha ki tum iss Atul ke saath baithne se bore nahi hoti?
Ravi ne thoda muskura kar pucha…Aur iss baar Atul aur Nisha ka gussa aur badh gaya…Iss baar Nisha ne jawaab diya.
Nisha:- Atul ke saath bore hone ki baat chhodo agar koi bhi tum jaise ke saath baith jaaye to uska pura din aise hi waste ho jaayega…Bilkul Bandar jaise ho tum…Jo apna ghar bhi nahi banaata aur dusro ke ghar bhi ujaadta hai ussi tarah tum bhi kabhi shaanti se nahi rehte ho aur dusro ko bhi rehne nahi dete ho.
Jaise abhi hame disturb karne aa gaye.
Nisha ne thoda hanste hue kaha…Nisha ki baat se Atul ko bhi thoda hansi aa gaya.
Atul aur Nisha ke alawa kuch aur students bhi the aas paas me jo Nisha ki baat par muskura rahe the.
Ravi ko ye sab dekh kar bahut gussa aa raha tha…Jyadatar students ki najar uss par hi tha iss vajah se wo uncomfortable feel kar raha tha…Aur iss baar wo bina kuch kahe jaane wala tha.
Nisha:- Kuch jyada hi ghamandi hai.
Nisha ne dheere se Atul ko kaha.
Atul:- Chhodo…Bekaar ladka hai…Iske baare me baat karna hi nahi chaahiye…Waise bhi kicchad par patthar maarne se kicchad khud par hi ucchal kar lagega.
Atul aur Nisha to aapas me baat kar rahe the lekin ye baat Ravi ne bhi suna…Gusse me wo khun ka ghunt pee kar reh gaya lekin usne kaha kuch nahi.
Lekin iss incidence se uska gussa aur nafrat Atul ke liye aur bhi badh gaya.
Fir kuch der me class start ho gaya…Sabhi padhaayi me dhyan dene lage Ravi ko chhod kar.
Iss baar Atul aur Nisha lecture ke bich me bhi ek dusre se baat kar lete the lekin itna bhi nahi jitna kal Atul Kajal se baat kar raha tha.
Aise hi 3 lectures beet gaye…Atul aur Nisha ek dusre se baatein bhi kar rahe the aur saath me acche se padhaayi bhi kar rahe the.
Fir aaya class Rahul sir ka lunch break se pehle.
Rahul sir ne hamesha ki tarah iss baar bhi apne style me class start kiya…Matlab pehle picchle lectures ke question pucchne ke baad aage padhaana suru kiya.
Aaj ka topic tha Elbow joint.
Unhone padhaana suru kiya aur kuch describe karne ke baad sabhi students se pucha.
Dr. Rahul:- So students abb aap bataaiye ki elbow joint kis type ka joint hai?
Hamesha ki tarah sabhi students shaant.
Dr. Rahul:- Iss baar kuch nahi kahunga…Aaj hi ye chapter padha raha hu to jaruri nahi hai ki aap sabhi ko aana chaahiye…Shoulder joint se matching hai…Try it.
Lekin fir sabhi students shaant hi rahe…Achanak Nisha khadi hui aur usne kaha.
Nisha:- Sir synovial joint and ball and socket.
Nisha ne itna kaha hi tha ki class ke jyadatar student hasne lage aur sabse jyada Ravi…Iss hansi me usse apne beizzati ke baad sukoon mil raha tha.
Nisha ka chehra me gusse ke bhaaw dikhne laga…Usne Atul ki taraf dekha…Atul ne usse shaant rehne ka ishaara kiya…Nisha baith gayi…Fir Atul ne utth kar kaha.
Atul:- Sir mujhe kuch kehna hai.
Dr. Rahul:- Ok.
Fir Atul picche ghum kar bolne laga.
Atul:- Isme hasne ki kya baat hai…Kya kabhi tum logo se galti nahi hota hai jo dusre ki galti par iss tarah se hans rahe ho.
Sir ne to ye question sabhi se puccha tha lekin kisi me himmat nahi hua jawaab dene ka…Lekin jab Nisha ne try kiya aur usse mistake hua to sabhi hasne lage…Jab tum sabhi me answer dene ka himmat nahi hai to dusro par bhi hasne ka hak nahi hai.
Agar tum sabhi ko itna hi confidence hai apne talent par ki tumhe sab aata hai aur koi mistake nahi hoga to mai tum sabhi ko challenge deta hu ki 1 ghante ke liye mere saath meeting karo…I bet ki 1 ghante tak tumhaara chehra aur jawaab sun kar mai hasta rahunga.
Himmat hai to aa jaana.
Itna keh kar Atul chup ho gaya…Sabhi Atul ke gusse par shocked the…Nisha ko Atul ka ye saath bahut accha lag raha tha…Kajal, Ajay aur Anjali ke alawa kuch aur students bhi Atul se sehmat the.
Dr. Rahul kuch kehne hi wale the ki Atul fir suru ho gaya.
Atul:- Aur Ravi tu…Tu sabse jyada has raha tha na…Chal ek baat bata…Tujhse kabhi koi galti nahi hua kya jo Bandar jaisa hans raha hai.
Ravi:- Galti to hua hai lekin aise bewkoofi kabhi nahi kiya…Nisha aise utth kar jawaab de rahi thi jaise wo bilkul sahi hai lekin kya hua uska hi majaak ban gaya…Little knowledge is dangerous…Issi liye agar kuch aata nahi hai to itna ucchalna nahi chaahiye.
Itna aasan sawaal ka jawaab bhi nahi de paayi…Synovial joint thik hai lekin Ball and Socket nahi…Wo sirf Shoulder joint me hota hai.
Ravi ne bhi Atul ke andaaz me hi jawaab diya.
Atul ko Ravi ki baato par hansi aa gaya aur haste hue kehne laga.
Atul:- Waah re padha likha gawaar…Ball and Socket joint hip joint me bhi hota hai…Acche se padh aur dusro par hasna band kar.
Atul ki iss jawaab se fir kuch students hasne lage Ravi par.
Atul:- Mai iss liye nahi has raha hu ki tune galti kiya…Tera ghamand par has raha hu.
Waise bhi ye galti karne ka time hi hai…Abhi ham students hai galti kar sakte hai…Galti se hi ham sikhte hai…Agar galti nahi karte to aaj tak kuch sikh bhi nahi paate.
Jab ham chhote the tab bahut baar gire the chalne ki koshish me…Bolne me bhi galti kiya tha jab bolne ki suruwat kiya tha…Bacche ka example chhod…Ham me se bahut aise bhi honge jo bike chalaana sikhte vakt gire hai.
Aise bahut se examples hai…Galti se hi ham sikhte hai aur behtar bante hai…Galti aam baat hai lekin usse sikhna badi baat hai.
Issi tarah ham medical students hai…Iss field me galti aam baat hai…Hame apne galtiyon se sikhna chaahiye…Aur iss vakt sikhna chaahiye jab ham student hai…Doctor ban jaane ke baad galti nahi kar sakte.
Abhi to tum 15 students has rahe ho lekin jab doctor ban kar galti karoge tab tumhaare piche 15000 log hasenge aur gussa honge ki doctor ki galti ki vajah se patient ka death ho gaya.
Friends jab ham sikhte hai to galti ho hi jaata hai warna hame teacher ki jarurat hi nahi padta…Ye sabhi se request hai mera ki jab koi kuch bolne ki koshish karta hai usko appreciate karo naa ki uski galti par majaak banaao.
Sir ka question ka answer mujhe bhi pata tha lekin keh nahi paa raha tha…Lekin Nisha ne kehne ki himmat kiya iske liye mai usse appreciate karta hu…Aur ye ek cheej hai jo mujhe aur ham me se jyadatar students ko sikhna chaahiye.
Sorry agar gusse me kuch galat keh diya ho aur agar tum sabhi ko bura laga ho to…Nisha par iss tarah se hasna mujhse bardaast nahi hua.
Fir Atul chup ho gaya aur Sir ki taraf dekhne laga…Uski iss baat se class ke sabhi students usse impress ho gaye aur kuch ko apni galti ka ehsaas bhi hua.
Dr. Rahul:- Ho gaya tumhaara…Soch raha tha kab tum chup honge aur mai kuch bolunga…Lekin tum to non stop bol rahe the jaise class ke leader ho…Baat to tumhaara thik hai lekin bolne ka tameez nahi.
Atul:- Sorry sir…Gussa me kuch jyada hi bol diya.
Dr. Rahul:- Tumne to sabko samjha diya ki galti par hasna nahi chaahiye lekin mai tumhe sikhaaunga ki doctor ke liye itna gussa sahi nahi hai…Kya tum apne patient se bhi itna hi gussa me baat karoge…Lunch break me mujhse milne aao…Wahi tumhe sikhaaunga.
Rahul sir bahut gusse me bole.
Atul:- Sorry sir.
Dr. Rahul:- Abb baitho aur mujhe padhaane do…Pehle hi bahut time waste kar diya hai tumne.
Fir Atul bhi kuch nahi bola…Rahul sir padhaane lage aur fir sabhi students iss baat ko bhulaane ki koshish kar ke padhaai me concentrate karne lage…Lecture ke vakt bhi Nisha kabhi kabhi Atul ko dekh laeti thi…Aaj uske dil me Atul ke liye respect aur bhi badh gaya tha.
Lecture ke baad Rahul sir ne Atul ko jaldi aane ko bol kar chale gaye.
Sir ke jaane ke baad Ravi gusse se canteen ki taraf nikal gaya…Baaki students ne Atul ki taarif bhi kiya aur kuch students ne apna galti bhi maan liya.
Sabhi ke jaane ke baad Atul ki dost hi waha baaki reh gaye.
Ajay:- Kya baat hai bhai…Aaj to tu hero ban gaya pure class me.
Atul:- Please bhai abhi majaak ke mood me nahi hu…Jo sahi laga wohi bol diya.
Nisha:- Thanks Atul…Aaj tumne mere liye pure class ke khilaaf chale gaye…Agar tum aaj support nahi karte to mai aaj ke baad kabhi iss tarah utth kar jawaab nahi deti.
Atul:- Tum aaj sahi thi…Aur mai hamesha sahi ka saath deta hu…15 students to kya pura class se dushmani kar leta jarurat padne par…Kabhi galat ka saath nahi dunga aur naa hi galat banunga.
Kajal:- Abb sir ne tumhe kyu bulaya hai?
Ajay:- Kahi Sir isse suspend na kara de!
Atul:- Chup manhus…Aisa nahi karenge wo…Agar kiya to bhi mujhe parwaah nahi…Maine koi galti nahi kiya hai jo mai daru…Sach ka saath diya hai…Suspend hua to bhi khud par yakin hai ki ghar me hi self study kar lunga.
Atul ki iss baat par kisi ne koi jawaab nahi diya.
Atul:- Tum sab canteen me jaao…Mai Sir se mil kar aata hu.
Itna keh kar Atul Rahul sir ke office ki taraf nikal gaya.
Aaj ki iss bahas ne bahut kuch badal diya tha…Nisha ke dil me Atul ke liye aur respect badh gaya tha…Saath me Ravi apna beijaati nahi bhul paa raha tha aur uska Atul se nafrat aur bhi badh gaya tha...Aur ye nafrat aage kya roop lene wala hai ye sirf vakt ko hi pata hai.