- 5,758
- 13,146
- 189
UPDATE 30
Nisha:- Pata nahi…Kuch dino se yahi sawaal mai khud se kar rahi hu.
Nisha abhi bhi confused thi…Abhi bhi sahi se faisla nahi le paa rahi thi ki Atul ke baare me wo kya sochti hai.
Anjali:- Matlab tujhe Atul se pyar ho gaya hai.
Anjali ne muskura kar kaha.
Nisha:- Nahi…Aise kaise…Itni jaldi kaise ho sakta hai kisi se pyar…Abhi hame college join kiye 1 months bhi nahi hue aur itni jaldi pyar…Not possible.
Nisha ko abhi bhi yakin nahi tha ki itni jaldi usse kisi se pyar ho sakta hai.
Anjali:- Pyar hone ke liye kuch hi pal kaafi hai…Bas kisi ki kuch baatein, koi acchaayi, koi kaam ya fir ham se baat karne ka tarika hamaare dil ko chhu jaaye…Aur sabse badi baat usko dekh kar hame bharosha ho jaaye ki ham jindagi bhar uske saath khus rahenge.
Kabhi kabhi chhoti si mulaakat ya mulaakat ke kuch hi pal me ye pata chal jaata hai ki saamne wala kaisa hai…Accha ya bura insaan ko pehchaane me jyada vakt nahi lagta hai.
Atul ko hi dekh le…Kuch hi din me wo tere bahut paas aa gaya hai…Dil ke bahut karib…Aur tere aise bhi koi ladka dost hoga…Jisse tu bahut vakt se jaanti hai lekin uske liye pyar jaisi feeling to dur ki baat iss baare me tune socha bhi nahi hoga.
Bas itna kahungi ki pyar hone ke liye ye jaruri nahi hai ki tune uske saath kitna vakt bitaaya hai balki ye jaruri hai ki wo tere liye kya maayne rakhta hai, wo tere saath kaise behave karta hai, tere liye kya kar sakta hai aur tu uspe kitna bharosha karti hai.
Nisha ko bhi Anjali ki baat sahi lagne laga.
Nisha:- Kaash ye pyar na ho.
Anjali:- Kyu?
Nisha:- Agar mere taraf se ye pyar bhi hai to bhi kya faaidaa aise pyar ka…Atul ko to dekh…Kitna emotion less hai wo…Selfish hai…Sirf apne baare me sochta hai…Ek baar maine usse pucha tha agar usse kisi ladki ne propose kiya to wo kya karega...Jawaab diya ki wo politely reject kar dega.
Abb tu hi soch…Usse sirf apne feelings ki parwaah hai…Baaki kisi ke pyar se usse koi matlab nahi…Sirf apne liye hi sochta hai.
Agar mai usse pyar karne lagi to wo mere pyar ka koi parwaah nahi karega…Mai agar uske picche paagal ho jaaungi to bhi usse koi matlab nahi.
Atul ek bahut accha dost hai isme koi doubt nahi…Lekin wo pyar ke liye sahi nahi hai.
Anjali:- To ye baat hai.
Anjali ne muskura kar kaha aur fir kehna suru kiya.
Anjali:- Tu usse emotion less kehti hai lekin wo aisa bilkul bhi nahi hai…Dekha hai maine…Patient se history taking ke liye jab ham ward me jaate hai na to mai Ajay aur Atul ek hi group me hote hai. (Roll number me jyada difference nahi hai same alphabet hone ki vajah se)…Tab maine dekha hai Atul kitna emotional hai.
Jab wo koi bhi patient se baat karta hai aur unka beemari ke baare me pucchta hai tab maine dekha hai patient se baat karte vakt patient ka dard ko wo mehsus karke pucchta hai…Iss history taking me bhale hi wo ilaaj nahi kar sakta lekin apne baato se hi mentally and emotionally support karta hai.
Emotion ka matlab ye nahi hai ki wo sirf pyar se related hai…Ha Atul abhi pyar me vishwaas nahi karta…Iska matlab ye nahi hai ki wo kabhi karega hi nahi…Bas sahi vakt aur sahi insaan chaahiye usko vishwaas dilaane ke liye.
Atul me bas yahi kami dekha hai maine ki wo pyar par bharosha nahi karta hai…Aur ye jaruri bhi to nahi ki usse hona hi chaahiye.
Aur tu keh rahi thi ki wo selfish hai aur apne baare me hi sochta hai…Aaj usne apne baare me nahi tere liye socha…Ek dost ke liye socha…Ek dost ke liye 10 -15 dost se bhi ladne se picche nahi hata kyu ki kal tu sahi thi aur usne sacchaai ka saath diya.
Pyar wo abhi nahi karta hai tujhe fir bhi itna kuch kar raha hai to soch pyar karega to kya karega…Atul ke baare me yakin ke saath keh sakti hu ki agar wo kisi se pyar karega to sacche dil se pyar karega…Bas jarurat hai to usse pyar par bharosha hone ka.
Atul kisi se pyar nahi karta hai lekin kisi se jhutha pyar ka dikhaawa, time pass aur dusro ke dil ke saath bhi nahi khelta.
Anjali ki baat Nisha ko aur sochne par majbur kar raha tha…Nisha ne iss baar kuch nahi kaha…Wo Anjali ki baato ko sochti hi rahi.
Anjali:- Ek aur baat kahungi…Agar pyar karne lagi hai to pyar ko chhupa mat…Jitna bhi chhupaane ki koshish kar le chhupa nahi paayegi…Aur pyar ke bich me ego ko mat aane de ki wo tujhse pyar nahi karta…Tu apna pyar nibhaati reh aur Atul ko apne pyar ka ehsas karaane ki koshish kar aur bata de usse tera pyar kitna saccha hai aur saccha pyar kitna jaruri hai.
Dekhna jab bhi wo tujhse pyar karega sacche dil se pyar karega...Tujh pe mar mitega.
Nisha ko Anjali ki har baat sahi lag raha tha…Aur saath hi ek hairaani bhi ki wo Atul ke baare me itna kaise jaanti hai.
Nisha:- Baat to tu sahi keh rahi hai…Lekin tu Atul ke baare me itna kaise jaanti hai ki wo kaisa hai aur baad me kaisa karega.
Anjali:- Ajay…Ajay ne bataya mujhe Atul ke baare me ye sab…Ajay ko mai school se hi jaanti hu…Class 10 tak Ajay kaisa tha ye tu nahi jaanti…Vishwaas bhi nahi karegi.
Har ek character tha uske paas jo ek gunda me hota hai…Class 10 me hi usne sab kuch suru kar diya tha…Daru, cigarette, gang fight, gaali aur dhamki dena…Apne Papa ke paise me aiyaashi karna, dusro ko be vajah pareshaan karna aur gundo ke saath gundagardi karna…Ye sab roj ki aadat ban gaya tha uska.
Lekin pata nahi jab 11 me wo hostel me gaya padhne to achanak se usme bahut badlaaw aa gaya…Atul ki dosti me puri tarah se badal gaya aur wo sab buri aadatein chhod kar padhaai me dhyan dene laga...
Ajay se hi baat karke Atul ke baare me pata chala…Jab bhi Ajay Atul ka naam leta hai respect ke saath leta hai…Dono hi dost aapas me majaak karte hai aur ek dusre ka majaak udaate hai lekin ek dusre ke liye bahut respect hai.
Tune dekha bhi hoga Atul jab bhi Ajay ka majaak udaata hai tab mujhe bura nahi lagta hai…Dono ka dosti dekh kar accha lagta hai.
Abhi ke Ajay aur pehle wala Ajay me bahut fark hai...Aur vajah hai to sirf Atul...Issi liye mai bhi Atul ko bahut respect karti hu aur vishwaas bhi hai ki Atul tere liye sahi ladka hai.
Nisha:- Matlab tu bhi Ajay se pyar karti hai.
Anjali:- Ha…Lekin tujhe kaise pata chala.
Nisha:- Abhi jis tarah se tu Ajay ka naam le rahi thi usse hi sab pata chal jaata hai...Ye laal laal gaal aur aankhein.
Itna keh kar Nisha Anjali ki gaal pinch kar deti hai.
Nisha:- Accha to tune abhi tak propose kyu nahi kiya.
Anjali:- Itni bhi kya jaldi hai…Abhi to uss buddhu ki haalat dekh kar maja aa raha hai…Bahut baar propose karne ki koshish kar chuka hai lekin har baar dar kar baat badal deta hai…Abhi to uska maja le rahi hu lekin bahut jald accept kar lungi.
Nisha:- Bahut tadpa rahi hai bechaare ko…Kahi aisa na ho ki kisi aur pe uska dil aa jaaye.
Anjali:- Chup manhus.
Fir dono hasne lagte hai…Lekin iss hansi ke picche bhi Nisha apne soch me gum thi…Wo Anjali ki hi baatein soch rahi thi…Jisne usse aaj alag tarike se sochne par majbur kar diya tha.
Fir Nisha apne ghar ki aur jaane lagti hai jaha ek aur surprise uska intejaar kar raha tha.