बहुत ही बेहतरीन।।UPDATE 81
Ajay:- Aur bata kaha hai aaj kal, kya kar raha hai? MBBS tak hi ya fir aage bhi badha?
Ajay darte hue Atul ki jawaab ka intejaar karne laga...Usse dar tha ki kahi Atul ye naa keh de ki Ishq me Devdas ban kar wo puri duniya se alag apni hi duniya me jee raha hai...Daru aur nasha ki duniya.
Atul:- MD in General Practice kiya hai.
Ajay:- MD wtf? Tujhe to surgeon banna tha na...Hamesha se Surgeon banna chaahta tha...Fir achanak se MD.
Atul:- Haalaath kab kya karne par majbur kar de ye koi nahi jaanta.
Haalaath to aise thhe ki padhna to dur apna kaam bhi acche se kar nahi paa raha tha...Har vakt udaasi, tanhaaiyan aur wo dard ishq me bicchadne ki...Bataa nahi sakta yaar.
Fir meri life me aayi Shreya...Yaa fir ye samajh le ki jindagi ki ek mod me Shreya mili...Jisne mujhe aage badhne ki himmat di...Ek bhatke hue mushafir ko manjil ki raasta dikhaya.
Ye ehsas dilaya ki aakhir mai kaun hu, mera kartavya (duty) kya hai...Shreya aur baaki gaanw walo se jo apna pan mila, pyar mila, ijjat mila...Issi vajah se jindagi me thoda bahut aage badh paaya.
Ishq ka jakhm to dil me tha hi aur abhi bhi hai lekin wo pyar wo apna pan ek marham ki tarah tha...Jo uss jakhm ko bhar to nahi saka par kuch raahat to jarur di.
Ye pyar, ye apna pan hi to tha jisne ek junoon dil me paida ki...Inn sabhi log ki karj ko chukaane ki.
Sirf MBBS kaafi nahi tha...Socha MD bhi karna padega...Aur knowledge hogi...Aur acche se ilaaj karunga.
Uske baad din me ek doctor aur raat me ek student...Jiska makshad tha aur bhi accha doctor banna aur sabhi jarurat mand ka ilaaj karna...Raat bhar mehnat karta tha.
Kayi baar to lagta tha abb mujhse nahi hoga...Aur padh nahi sakta...Yaa fir abb padhne ki himmat hi nahi hai.
Lekin Nisha ki wo yaadein...Jo mujhe hamesha aage badhte dekhna chaahti thi...Bicchadte vakt bhi rote hu boli thi, "Atul tum aage badhte rehna, mujhe khushi hogi...Dekh to nahi paaungi lekin kahi se sun saku yahi khwahish hai...Tumhari khushiyan, safalta hi meri sapna aur khwahish hai...Please meri yeh khwahish jarur pura karna."
Nisha ki yahi baatein, wo aanshu mujhe har vakt har pal majbur karta raha.
Shreya...Uski motivation uska hausla...Yahi sab kuch tha jisne mujhe aage badhne ka raasta dikhaya.
Surgeon banna ek sapna tha lekin Physician ban kar ek alag hi satisfaction mila...Surgeon banta to shayad 10 ya 15 jindagi bacha paata...Lekin physician ban kar bahut logo ki jindagi bachane ke saath saath jindagi jeene ke tarika me sudhaar laane me safal raha.
Meri jindagi kisi ke liye kaam to aaya bas yahi sukoon baaki hai...Bas yahi sukoon aur Nisha ki saath bitaaye haseen yaadein...Issi vajah se hi to abhi tak jee raha hu.
Ajay aur Anjali puri dhyan se Atul ki ek ek baatein sun rahe the.
Ajay:- Ye Shreya kaun hai? Kahi tu...
Atul:- Nahi nahi...Aisa kabhi soch bhi nahi sakta...Pyar to sirf Nisha se hi karta tha aur karta rahunga.
Ha Shreya ke liye dil me alag hi jagah hai...Bahut izzat karta hu uska...Ek saccha dost hai wo jisne mujhe jindagi ke sabse mushkil vakt me jeena sikhaya...Aage barhne ki himmat diya...Ek anjaan ke liye usne itna kuch kiya.
She is really great yaar...Bahut respect karta hu usko aur hamaara friendship ko.
Atul ki baat se Ajay ko yakin ho gaya ki Atul Nisha se aage kabhi kisi ke baare me soch nahi sakta yaa fir sochna hi nahi chaahta.
Kuch der sabhi chup rahe...Kabhi kabhi ek dusre ko dekh lete lekin kya bole kisi ko kuch samajh me nahi aa raha tha.
Atul ko dekh dono yahi soch rahe the ki "Aakhir kaisa insaan hai Atul...Itna sab kuch ho jaane ke baad bhi kaise apne jindagi ko kisi ki sewa me bita sakta hai...Naa hi koi swaarth aur naa hi koi apni khwahishein...Bas apna gyan aur shakti jaruratmando ki bhalayi me istemaal kar raha tha."
"To kabhi uski kismat par rona aata...Kaise kismat itna nirdayi ho sakta hai...Ek insaan se uski saari khushiyan, chehre ka raunak, dil se dhadkan aur jeene ki vajah chheen sakta hai...Kaise ek insaan ko jindaa laadh bana sakta hai."
Atul:- Nisha ke baare me kuch jaante ho?
Ajay:- Nahi.
Atul:- Anjali tum bhi nahi?
Ek dard bhari aawaj me Atul ne pucha.
Anjali:- Nahi...Jaise tum ne hamse contact tod diya usne bhi hamse contact tod liya...Kitna samjhane ki koshish ki...Lekin wo nahi maani...Bahut jiddi hai...Kasam bhi de diya ki ham dono uski jindagi me loi dakhal andaaji naa kare.
Samajh sakti hu dil toota hai...Kya beet rahi hogi uss par lekin iss tarah se dosti tod lena...Bahut khudgarz ho gayi hai wo.
Anjali ki baatein sun Atul muskuraane laga.
Atul:- Khudgarzi...Haa sahi hai...Aise me insaan apni gham aur tanhaaiyon bhulaane ke liye puri duniya se rishta tod leta hai...Mujhe hi dekh lo.
Kuch sochte hue Atul aur bhi muskuraane laga.
Jiddi...Bahut jiddi hai...Jidd me wo meri ek nahi sunti tumhari baat kya maanegi.
Khair jaha bhi rahe khush rahe...Yahi dua karte aaya hu aur karta rahunga.
Ek baar fir sab khamoshi me ek dusre ko dekhne lage.
Atul:- Accha chalta hu...Tum dono se milne aaya tha...Dono ko saath dekh bahut khushi hui.
Hamesha aise hi khush raho ek dusre ke saath...Jindagi me chhoti chhoti ladaiyan to hoti rehti hai...Pyar se sambhal lena...Judaai ka dard bata nahi sakta...Bas mehsus kiya hai...Kabhi aisi haalaath aane bhi mat dena.
Atul fir apni jagah se utth gaya.
Ajay:- Aate rehna yaar.
Atul:- Ohh shit...Tum dono ka beta ka naam kya hai?
Anjali:- Raj.
Atul:- Aaunga...Aur agli baar jab aaunga Raj ke liye 2 taklet aur 3 aait cleam jarur laaunga.
Atul ne muskuraate hue Raj ki taraf dekh kar kaha.
Raj khushi me uchalne laga.
Jaate vakt Atul Raj ke sir par pyar se haath ferta hai.
Atul:- Chehra Anjali par gaya hai aur aadat Ajay par.
Fir Atul waha se jaane laga.
Ajay aur Anjali bhi gate tak aaye drop karne ke liye...Aur kas kar ek dusre ka haath pakad liya...Ek dusre se man hi man kabhi ek dusre se alag naa hone ki baat keh rahe thhe.
Raaste me chalte hue Atul bahut khush najar aa raha tha...Khush hota bhi kyu naa...Aakhir uske dono dost khush thhe ek dusre ke saath.
Bhale hi khushi se Atul ka abb dur dur tak koi rishta nahi tha...Lekin dusro ki khushiyon me khush hona wo sikh gaya tha.
Aur issi khushi me wo apne ghar pahunch gaya...Jaha ghar ke andar jaate hu uski khushi excitement me badal gayi.
Hairaani ke saath wo bola "Shreya."
Sorry for delay friends...Aaj 12:00 am me hi update post karne wala tha as birthday gift...But dosto ke bich busy ho gaya aur abb update post kar raha hu.
अजय अतुल से नाराज था और शिकायत भी कर रहा था, लेकिन अतुल के सामने आते ही उसकी सारी शिकयत दूर हो गई और दोनों ने एक दूसरे को गले लगा लिया।
बातों का दौर और पुरानी यादें। अतुल इतने में ही खुश यह कि उसका खाश दोस्त खुश है।