If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.
Abb mehsoos kar raha hoon jyada sakht hona bhi thik nahi.
Kuch sochte hue Dr. Rahul bole.
Atul:- Nahi sir...Aap jaise thhe bilkul sahi thhe...Waisa hi hona tha...Agar kisi ko pasand nahi aaye toh aap ki galti thodi hai...Nisha ki apni soch hogi...Lekin aap bhi galat nahi thhe.
Dr. Rahul:- Lekin isme bhi kya acchayi ki kisi ke liye bura ban jaau?
Atul:- Sir aap hi kehte thhe nah...Overthinking jyada nahi karna chaahiye.
Mere liye aap hamesha inspiration thhe aur rahenge...Aap ki baatein chaahe wo aapka maarg darshan ho yaa gussa...Sabhi ne mujhr directly aur indirectly help kiya hai...Bahut kuch sikha hai aapse jindagi ke baare me padhaayi ke alawa bhi.
Main apne kayi aise doston ko jaanta hun jo aapko pasand nahi karte thhe...Lekin aapne ek lecturer ka kaam acche se kiya hai...Wo bhale hi aapko pasand kare yaa na kare kya fark padta hai...Aapne toh apna karravya hamesha nibhaya hai...Unko unki lakshya haasil karne me maddat kiya hai...Aapko iss baat me garv hona chahiye sir.
Nisha se toh bahut pyar karta hun aur uski bahut saari baatein bahut acchi lagti hai...Lekin ye baat nahi...Lekin uski bhi koi soch hogi issi liye usko iss baat par kabhi samjhaane ki koshish nahi kiya.
Atul ne cup uthakar ek ghoont chaai pee kar kaha...Aaj pehli baar wo Dr. Rahul ke ghar aaya tha...Unko apni jindagi me khush dekh kaafi khush tha...Apni patni aur do chhote bachhon ke saath wo apni jindagi me kaafi khush thhe...Bas tha kuch puraani yaadein jo unhe pareshaan kar raha tha.
Udhar Rahul sir bhi apni hi soch me gumm thhe..."Kaise ek din surgery ki class me Atul aur Nisha ko unki laaparwahi/masti ke bich buri tarah se daant diya tha...Patients aur apne doston ke bich ye baatein Nisha ko ek apmaan sa laga...Aur ussi din ki gussa yaa fir naarajgi ek aisa jakhm ban gaya ki jis din Dr. Rahul ne Nisha ki Papa ka ilaaj kiya uss din bhi Nisha ne unse acche se baat nahi kiya...Aaj bhi wo naaraj thi.
Yahi vajah thha jo wo soch rahe thhe jyada sakht hona bhi sahi nahi."
Dr. Rahul:- Accha mauka tha yaar...Uss din Nisha ki baare me kuch baatein pata chalta to tujhe bata deta...Lekin wo toh jaise mujhe dekhna chaahti hi nahi.
Atul:- Abb pata karke bhi kya faaidaa...Uski shaadi ho chuki hai...Aur shayad apni jindagi me khush bhi hai.
Dr. Rahul:- Kya sach me uski shadi ho gayi?
Rahul sir shayad abhi bhi isse maanna nahi chaahte thhe...Wo abhi bhi jawaab naa me sunna chaahte thhe.
Atul:- Yes sir.
Dr. Rahul:- Aur tujhe kaise pata wo khush hai?
Atul:- Aisa lagta hai...Yaa fir mai yahi chaahta hun ki wo jindagi me khush rahe.
Dr. Rahul:- Aur bata? Kya chal raha hai baaki?
Rahul sir abb baat ko badalna chaahte thhe...Shayad wo Atul ko aur dukhi nahi dekhna chaahte thhe.
Atul:- Wohi sir...Jo doctors ki hoti hai...Apne time me duty...Aur kabhi vakt mile toh gaanw me health related kuch program jaise safaayi, bimaari baare logon ko jaagruk karna aur swasth (healthy) jeevan jeene ke liye prerit karna...Aur kabhi kabhi chhote bacchon ko tuition padhana.
Aur baaki ki vakt...(Thodi der ruk kar) Sir aap jaante hi hain.
Lekin dard fir bhi Atul ki aawaj me aa hi gaya.
Dr. Rahul:- (In his mind) Aaj tak kabhi kismat jaisi cheej par bharosha nahi kiya...Lekin koi itna badkismat kaise ho sakta hai? Accha imtehaan le raha hai uparwaala.
Kuch der wo Atul ko dekhte rahe...Bahut bura lag raha tha unhe Atul ko iss haal me dekh kar.
Dr. Rahul:- Lekin ye mera student hai...Vishwash hai kabhi ye tootega nahi...Jarur utth khada hoga...Surgery jaisi mushkil cheej itni aasani se dikh sakta hain toh jindagi jeena kyu nahi...Dheere dheere hi sahi...Waapas pehle jaisa ho jaayega.
D. Rahul ko abhi bhi vishwas tha...Shayad wo apne honhaar student Atul ko acche se jaante thhe.
Dr. Rahul:- Ek baat kehna chaahta hun...Jaruri hai...Main apne experience se keh raha hun...Hamesha pause ke liye kaam mat karna...Haan mehnat barabar paisa jarur milna chaahiye...Lekin kabhi koi jarurat mand beemar tere paas aaya toh usse sirf paisan ki vajah se mana mat kar dena.
Paisa toh milta rahega lekin punya kamaane ke aise mauka baar baar nahi milte hain.
Atul:- Sir sirf itna samajh lijiye...Ye baat aapke kehne se pehle hi kar chuka hoon aur karta bhi rahunga.
Iss baat par Atul ke saath saath Dr. Rahul bhi muskuraane lage.
Fir dono ke bich aise hi baatein hoti rahi...Dr. Rahul Atul se baatein kar kaafi khush thhe to Atul ka bhi unse baat karke dil kaafi halka ho chuka tha.
Papa...Papa Aap thik toh hai naa.
Daudti hui Shreya apne Papa ke room me pahunchi...Atul bhi saath tha...Achanak se unki tabiyat kharab hone ki baat sunn dono bina der kiye waapas aa gaye.
Kuch der Shreya apne Papa se baatein karti rahi aur kuch shikayat bhi.
S. Dad:- Kya hua Atul? Tab se wahi khade ho...Kuch kehna chahte ho?
Atul:- Kuch nahi mukhiya ji...Bas aap par gussa aa raha hai?
S. Dad:- Gussa? Kyun?
Atul:- Aap iss gaanw ke mukhiya hai...Bhale hi mukhiya officially nahi hai...Lekin log aap ko apna mukhiya hi maante hai...Kaafi izzat karte hai sab aapka.
Aap sab ka acche se khayal bhi rakhte hai...Har baat maante hai wo aapka...Lekin aap? Khud ka hi khayal kyu nahi rakhte? Kyu khud ki hi baat nahi maante?
Hajaar baar samjhaya hai naa...Dawaai hamesha lete rahiye...Blood Pressure kaafi high hai...Aur aap hai ki dawaai khaate hi nahi?
Shreya ki Papa bas muskuraa rahe thhe.
S. Dad:- Galti se mistake ho gayi beta.
Atul:- Abb main aur kya kahu...Aap khud hi samajhdaar hain.
S. Dad:- Accha...Abb aage se hamesha dawaai leta rahunga.
Fir wo apne aas paas sabhi ko dekhte hain...Aur wo Atul ke alawa sabhi ko waha se jaane ko bol dete hain.
Sabhi ke jaane ke baad.
Wo ek lambi si saans lete hai...Aur kehna suru karte hai...Unki baat aisi thi ki Atul bhi kuch soch samajh nahi paa raha tha...Munh se kuch shabd nikal bhi nahi rahe thhe.
कुछ पुरानी बातें राहुल सर अतुल से साझा कर रहे थे। अगर राहुल सर ने निशा औरअतुल को डॉट दिया तो इसमें कोई बुराई नहीं है आखिर कक्षा ने महत्त्वपूर्ण विषय पर बात जो रही हो और आप हंसी मजाक में लगे हुए हो तो कोई भी अध्यापक नाराज हो कर डांट ही देगा। लेकिन निशा ने अतुल सर की बात को दिल से लगा लिया और नाराज हो गई उनसे।।
Thoda gussa ke saath Aamir ne Atul se puccha...Atul jawaab sme usko hairaani se dekhta hai.
Aamir:- Aapne hi toh kaha tha agar aapko paise ki jarurat hota toh aap seher me kaam karte...Aur aaj aap iss gaanw ko chhod kar jaane ki baat kar rahe hai.
Atul:- Maine tujhe ye bhi kaha tha ki kabhi kisi baat ka galat matlab mat nikaalna...Insaan aur baaton ko hamesha acche se samajhna chaahiye...Thodi si galti bahut bhaari pad sakta hai.
Fir Atul ek najar Aamir ko dekhta hai aur thoda muskura kar kehta hai.
Atul:- Kuch hi dino ki toh baat hai...Tujhe sab kuch bata toh diya maine...Abhi haalaat aise hai ki mai kuch soch samajh nahi paa raha hu...Shreya ki Papa ki baat ka koi jawaab nahi hai mere paas...Jald hi fresh ho kar aaunga warna abhi toh yaha mera dum ghut raha hai.
Aur waapas mujhe yahi toh aana hai.
Bas gaanw walo ko samjha dena...Sabhi ki health ke baare me khayal rakhna...Hospital tak pahunchne me help kar...Baaki wo log dekh lenge...Agar kuch jyada hi serious ho toh mujhe phone kar dena.
Itna keh kar Atul waha se nikal gaya...Ek anjaana sa safar me anjaani vajah ke saath.
Picche Aamir bas Atul ko jaate dekh hi sakta tha...Kuch kar nahi paa raha tha...Baat toh sirf kuch hi dinon ka tha...Lekin abb Atul ki ye gair maujudgi bhi Aamir ke dil me dar paidaa kar raha tha...Naa jaane kuch hi saalon me kitna kuch badal gaya tha.
5 years Ago
Baat tab ki hai jab Atul ek doctor ke roop me pehli baar uss gaanw gaya tha...Laghbhag 1 hafte baad hi usne pure gaanw ko ek saath jamma kiya tha...Saaf safayi aur Beemari ke baare me pure gaanw ko jaagruk karna chaahta tha wo.
Wo apni baat keh hi raha tha ki tabhi bich me ek aadmi utth kar bolna suru kar deta hai...Wo aadmi Aamir hi tha.
Aamir:- Kisi par bhi bharosha karna lekin doctors par nahi.
Aamir ki iss baat par uske dost uska saath dete hai.
Haan haan...Picchla doctor bhi nikkama hi tha...Kuch aata nahi tha usse...Bas sarkar ki taraf se milne waale paise muft me loot raha tha...Jab wo kuch kar nahi paaya toh ek din yaha se nikal kar chala gaya.
Rehne do Doctor...Tumhari koi jarurat nahi hai...Beemari se kaise ladna hai ham jaante hain aur aage bhi issi tarah jeete rahenge.
Kuch gaanw walon ki taraf se bhi aawaj utha.
Atul bas khada ho kar tamasha dekh raha tha.
Aamir:- I have seen 2 types of doctor in my life...One who are capable and another who are useless and jobless like you and works wherever they get chance...I have never seen any capable doctor in village.
And this is the problem with our medical system...We get only useless doctors, who further ruins our health services instead of improving it.
Samajh rahe ho naa...Main kya keh raha hu.
Atul:- (Halka smile ke saath) Accha Ninja technique hai...English se logon ka intelligence check karne ka...Khair, aapka baat samajh gaya...Aapka baat sun kar lag raha hai ki aap padhe likhe hai...Ummeed nahi tha ki aap itni jaldi kisi ko judge kar lenge.
Aamir bhi aaj shaant rehne wala nahi tha.
Aamir:- Ek aur baat...Yaad hai ek baar aapse checkup karaane aaya tha...Aapne mujhse mera religion bhi pucha tha...Kya aap aise hi apne patients ko treat karte hai? Biased ho kar!!
Aur fir baaki ki gaanw wale bhi issi mudde ko uthaate hai...Maahaul garam ho raha tha...Lekin Atul bhi shaant hi tha.
Atul:- Patient particular ka ye jaruri hissa hai...Ilaaj me bahut madad milti hai...Abhi shayad sabko samjha nahi paaunga...Lekin agar jaanna hi chaahte hai toh akele me aaiye acche se samjha dunga.
Aamir:- Koi jarurat nahi...Koi nahi aayega tumhaare paas ilaaj karaane.
Fir Aamir waha se chala gaya...Picchle doctor ke saath wo kitna naa khus tha aur medical system ke baare me kaisa soch ban gaya tha ye aaj uski baatein dikha raha tha.
Aamir ke saath saath dhire dhire sabhi gaanw wale waha se jaane lage.
Atul:- (Unhe rok kar) Ye aap ka marji hai...Mujhse ilaaj karaana yaa nahi karaana...Agar aapka iccha nahi toh mera koi hak nahi...Kyuki ek docot ko apne marij ke iccha (autonomy) ko sabse upar rakhna padta hai...Haa agar tabiyat kaafi kharaab ho toh yaad kar lijiye.
Lekin sab Atul ki baat ko unsuna karke chale jaate hai...Sirf ek ko chhod kar...Shreya...Aaj pehli baar usko Atul ke liye bura lag raha tha...Pehli baar Atul ki baatein sun usse laga ki usme kuch toh baat hai...Jo sab uske khilaaf hone par bhi ek baar gussa nahi hua...Pyar se sab ko samjhaane ki koshish karta raha.
Dusri taraf Atul...Abhi bhi muskuraa raha tha...Apna iss program fail hone par...Uske dimaag me do alag alag khayal chal rahe thhe...Pehla usse wo picchla doctor sahi lag raha tha ki ye gaanw wale accha health service deserve hi nahi karte...Aur dusra...Thik alag...Nahi nahi...Ye unka soch hai...Jaisa unhone mehsus kiya waisa unhone bol diya...Abb uski jimmedaari hai ki unko galat saabit kare.
Fir kuch din aise hi chalta raha...Atul hospital me apna duty toh karta lekin patient naa ke barabar thhe...Lekin abhi abhi Nisha se bicchda Atul, wo toh apne hi duniya me khoya hua tha..Ek dard bhari duniya...Shayad hi wo kabhi usse baahar nikal paaye.
Aise hi ek din.
Doctor Doctor chillate hue kuch log hospital aaye.
Atul ne dekha ki 3 log uski taraf aa rahe hai...Pehchaane me pareshaani nahi hua...Aamir aur uske do dost thhe...Aamir beemar lag raha tha.
Aamir:- Mujhe bacha lijiye doctor.
Ek dar bhari aawaj me Aamir ne kaha.
Atul:- Kya hua aapko?
Chair par baitha kar Atul ne pucha.
Aamir:- Bahut tej bukhaar hai..Thodi der baad thik ho jaata hai...Lekin fir kuch hi der me waapas...Bahut tej bukhaar hai...Paseena paseena ho jaata hu...Aur peshaab bhi abb kaala (black) aane laga hai.
Samajh me nahi aa raha kya hua hai.
Dheemi aawaj me Aamir ne kaha...Thoda bahut wo samajh gaya ki vajah kya hai.
Fir wo aage kuch aur sawaal puchta hai...Diagnosis ko aur confirm karne ke liye.
Atul:- Mujhe lagta hai ki aapko Malaria hai...Blood test karne par confirm hoga.
Aamir:- Lekin malaria toh mere doston ko bhi hua tha pehle...Itna tej bukhaar aur kaala peshaab...Aisa problem toh nahi tha unhe.
Atul:- Aapko alag malaria hua hai...Yaa fir kahu toh sabse khatarnaak wala malaria...Plasmodium falciparum...Iss jeevanu ki vajah se jo ki ek macchar (mosquito) me hota hai...Baaki malaria jo jyada logon ko hota hai wo hota hai Plasmodium vivax se...Jo utna khatarnaak nahi hota.
Aamir:- Khatarnaak?
Atul ki baat se wo aur bhi dar gaya.
Atul:- Haan...Kabhi kabhi jaan bhi jaa sakti hai isse...Lekin aap ghabraaiye mat...Vakt par aaye hai...Blood test karke aage kya karna hai wo dekhta hun..
Blood sample lene ke baad.
Atul:- Kuch dawaai aur dose likh raha hun...Agar thik naa hua toh fir waapas aaiye...Kabhi kabhi ek dawaai iss jeevanu ke khilaaf kaam nahi karte...Aise me dawaai badalna padta hai.
Fir Atul Aamir ko acche se samjha kar bhej deta hai.
After a week
Atul:- Kaise ho Aamir bhai abb?
Aamir:- Abb bilkul thik hun...Aapka bahut bahut shukriya Doctor saahab...Mujhe laga ki kahi mai...
Atul:- Kuch jyada hi soch lete ho...Aakhir ye jobless doctor kis din kaam aata?
Aamir:- Kya Doctor sahab aap bhi? Mai sach me sharmindaa hun...Ek galti samajh kar maaf kar dihiye.
Atul:- Koi baat nahi...Hota rehta hai yeh sab.
After a month
Ek patient diarrhoea ka complaint le kar hospital aaya...History lene par pata chala ki usse Cholera hai...Kuch hi der me dusra patient bhi...Aise hi karte karte 15 aur patients.
Abb Atul ko kuch bahut bada khatra dikh raha tha.
Sabhi gaanw walon ko bulaya ek ground me meeting ke liye...Aur waha ek shocking fact pata chala...Gaanw ke aadhe se jyada log achanak iss beemari ke chapet me aa gaye hai.
Aur vajah ek tha...Gaanw ka mela me ek bhoj...Jo 7 ghante pehle hua tha.
Atul:- Bahut hi serious baat hai ye...Agar kuch der aur hua toh pata nahi kya ho jaayega...Gaanw me ORS (Oral Rehydration Solution) (Jeevan jal) bhi khatm ho chuka hai.
Aamir:- Kya karna chahiye aise me?
Atul:- Kisi ke gaanw ke baahar koi log hai seher me...Agar hain toh phone karke kaho....Jitna ho sake utna jeevan jal yaha bhej de aur pados ke gaanw me bhi unke liye jo uss bhoj me gaye thhe.
Fir sabhi waisa hi karte hai...Atul bhi bechaini me apni taraf se puri koahish kar raha tha...Jab jarurat ke anusaar usko ORS milta hai toh sabhi gaanw walon ko uska istemaal kaise karna hai wo bata deta hai.
Aur raahat ki saans usne tab liya jab sabhi ka sahi salaamat hone ki baat pata chali.
Aur fir wo ek meeting bulaata hai.
Atul:- Pichhli baar jo diarrhoea hua tha uska vajah tha dushit (polluted) khaana aur paani...Ussi se jeevanu (bacteria) ek dusre se failta gaya...Aur kuch hi der me aadhe se jyada gaanw bhar me fail gaya...Aur jab wo jeevanu aapke sharir me jaata hai toh 6 ghante me hi diarrhoea suru ho jaata hai...Aur ilaaj naa hua toh sharir me paani ki kami se jaan bhi jaa sakta hai.
Ek do marij ka aasani se ilaaj kar sakta hun...Lekin pure gaanw ka? Wo bhi akele itne kam vakt me?
Sabhi gaanw wale chup thhe.
Atul:- Issi liye kehta hu saaf safaayi jaruri hai...Jitna saaf safaayi hoga utna hi kam aisi beemari failegi.
Beemari do tarah ke hote hain...Ek jo ek insaan se dusre me failte hain (communicable) aur dusra jo nahi failta...Failne waalo beemari ko ham rok sakte hai...Acche saaf safaayi se yaa fir usko jadd se khatm kar ke (root cause).
Beemari ka ilaaj karne se accha hai beemari hone hi naa de.
Main aap sab ko kuch beemari ke baare me kehne wala hun...Ummeed hai aap sab uss baat par dhyan denge...Fir dekhiye kutna badlaaw aata hai.
Iss baar gaanw wale Atul ki har baat aur program par saath dete hain...Aur dekhte hi dekhte beemari bhi kaafi hadd tak ghat jaata hai...Communicable disease me kaafi sudhaar aaya toh non-communicable disease (Diabetes, Bolld pressure, Ashthma, Heart atrack) jaise beemari wale marij ke lifestyle me bhi kaafi sudhar aaya.
Abb dhire dhire gaanw walon ka bhi hospital aur Doctor par fir se vishwas hone laga.
Aamir:- Bhai sach me aapne toh kamaal kar diya?
Atul:- Asli credit tum sab ko hi jaata hai...Mera toh kaam hai ek koshish karna...Maanna yaa naa maanna tum logo par hai...Tum log badlaaw ke liye taiyaar hue aur natija sabke saamne hain.
Atul:- Ek baat aur...Accha padha likha hai tu...Kuch baat kehna chaahta hu...Kabhi bhi insaan ko galat mat samajhna...Galat insaan ko sahi samjha toh kabhi bhi dhokha milega aur sahi insaan ko galat...Toh apna hi nukshaan hai.
Aur jaruri nahi ki har doctor jo kaabil hai wo seher me hi jaaye...Sabhi ka apna apna vajah hota hai...Haa agar mujhe sirf paise kamaane ka hi shaukh hota toh mai bhi seher me hi hota.
Aamir bas Atul ko dekh hi raha tha...Samajh me nahi aa raha tha ki kya kahe.
Atul:- Ek help chaahiye mujhe tera.
Aamir:- Mera help? Kya?
Atul:- Ek aur meeting karna hai...Mujhe unn sabhi gaanw walon ka naam chahiye jo HIV/AIDS, kustha rog (leprosy) aur Daayan jaise case ke victim ho?
Aamir:- Lekin kyu? Unn logon ki puri gaanw me beijjati ho jaayegi...Gaanw walon ka najar bahut galat hota hai aise logon par.
Atul:- Yahi najar badalna hai...Aise log jo aisi samasya ke saath jee rahe hai unki jindagi nark se badtar hoti hai...Human Right ki baatein toh bahut karte hai hum...Lekin aise logon ko dekh saamp sungh jaata hai.
Aur fikr mat kar...Unki naam nahi lunga kisi ke saamne...Bas unki samasya ko sabke saamne laana hai.
Aamir:- Isse kya hoga? Mujhe nahi lagta kuch badlaaw hoga.
Atul:- Koshish to kar hi sakte hain...Agar nahi badle toh ye samasya hai pure gaaanw ka...Wohi bhugtenge.
Aamir:- Kaise?
Atul:- Agar kisi ko AIDS yaa leprosy hai toh wo kisi ko nahi batayenge iss dar se ki samaaj unhe alag akr dega...Wo apni beemari chhupa lenge...Aur anjaane me ek se dusre logon ko failta jaayega.
Do problem hai...Ek dusre logon ko failega...Aur dusra bat hai ham unke saath galat kar rahe hai...Jitna der hoga utna hi beemari aur badhta jaayega...Aise me ham unka nukshaan kar rahe hai jo hamaara koi hak nahi...Aur ham unka ilaaj ka hak bhi cheen rahe hai.
Leprosy hona yaa fir Daayan jaisi samasya...Isme logo ki koi galti nahi hota...Bas dusre logon ke liye wo galat ho jaate hain...AIDS ye bhi jyadatar anjaane me hota hai.
Agar vakt rehte ilaaj kiya toh Leprosy puri tarah thik ho sakta hai...AIDS puri tarah thik toh nahi hoga fir bhi acche life jee sakte hai.
Aise me do faaidaa hai...Ek ham aisi beemari failne se rok sakte hain...Aur dusra...Humar Right...Unko bhi jeene ka hak de sakte hai...Acchi jeevan de sakte hai bina kisi dar ke.
Atul ki ye baat Aamir ko bhi kaafi pasand aaya.
Wo soch raha tha ki "Abb aur kitna kuch karega...Itna toh kar hi chuka hai...Gaanw ka health me bahut badlaaw aaya tha...Uske soch se pare...Aur ye paise ke liye bhi nahi tha...Bas ek doctor hone ka dharm."
Aur aaj Atul ko jaate dekh Aamir yahi sab soch raha tha.
Aisi hi kuch baatein tha jo Aamir ko Atul ki aur bhi ijjat karne par majbur kar raha tha.
Kya baat hai Neha? Aaj kal kuch jyada hi khoyi hui lagti hai? Dhyan hi nahi rehta kisi cheej mein?
Thoda sakh ke saath shikaayat bhari aawaj me Nisha ne pucha.
Neha:- Are kuch bhi to nahi.
Nisha:- Kuch to jarur hai...
Neha:- Kya aap bhi?
Itna keh kar Neha waha se bhaag jaati hai...Wo Nisha ka saamna aur nahi kar paa rahi thi.
Fir Nisha aise hi apne round par nikal jaati hai.
Aise me usse kuch bahut hi ajeeb dikhta hai...Dr. Sameer.
Sameer aaj apne doston yaa fir doctors ki kuch teams ke saath hanste muskuraate hue jaa rahe thhe.
Yeh sach me hairaan karne wali baat thi...Sameer ko hansta dekh wo vishwash hi nahi kar paa rahi thi...Aur uska badlaaw uska look bhi saabit kar raha tha...Kabir Singh jaisa daadhi munchh wala look se aaj ka badla hua look...Clean Shaved wala.
Pehli najar me toh Nisha bhi usse pehchaan nahi paayi.
During lunch time.
Sameer abhi bhi apne doston ke saath ussi roop me thha...uske chehre ka wo raunak, wo khushi abhi bhi waisa hi tha jaise subah me thha...Pata nahi kaisa badlaaw tha ye? Abb Nisha se aur raha nahi gaya.
Nisha Sameer aur uske dost ke paas jaati hai.
Nisha:- Kya baat hai Dr. Sameer...Kuch badle hue lag rahe hai? Tabiyat to thik hai naa aapki?
Dr. Sourav:- Are isse kya hoga? Tabiyat ko kharab hone ke liye bhi iski permission leni padti hai...Itna bada Doctor hai...Aise kaise tabiyat kharab ho jaayega.
Dr. Sameer:- (Ghurte hue) Kuch bhi.
Dr. Sourav:- Sahi hi toh keh raha hun...Tera intelligence level kya hai pure hospital staff ko pata hai.
Dr. Sameer:- Wo toh pata nahi...Par pure hospital staff ko ye jarur pata hai ki mai kitna bada bewda hun...Kyun Dr. Nisha?
Hanste hue Sameer ne pucha.
Nisha:- Kya aap bhi?
Nisha ko samajh me nahi aa raha tha ki kya bole.
Nisha:- Aapne bataya nahi achanak se aise badlaaw.
Sameer kuch bolta usse pehle hi,
Sourav:- Haan ye baat toh mai bhi notice kar raha hun...Kaafi khus lag raha hai aaj kal...Ek dum se positivity...Aaj kal to saath me funkne (smoking) bhi nahi chalta hai.
Khair jo bhi ho...Accha lag raha hai tujhe aise dekh kar.
Kuch der Sameer dono ko dekhta hai aur fir kehta hai.
Sameer:- Badlaaw...Iske liye kisi makshad ki jarurat hai...Aur mujhe wo makshad mil gaya hai.
Sameer ne ye baat Nisha ko dekh kar kaha...Uske baat me ek gehraayi tha jo iss vakt dono shayad mehsoos nahi kar paaye.
Nisha:- Aisa kya makshad mila aapko?
Sameer:- Bataaunga...Lekin sahi vakt aane par...Right thing at right time.
Sourav:- Bata bhi de? Kyun itna bhaaw khaa raha hai.
Sameer:- Fir kabhi...Iss baar jaldbaazi nahi karna chaahta.
Sameer ki baat Sourav ki samajh se baahar tha...Lekin itna wo jaanta tha ki Sameer se jidd karke bhi koi faaidaa nahi.
Nisha:- Let me guess...Shayad Responsibility...Aap apne parents ke liye aur bhi jyada responsible hona chaahte hai.
Nisha ki iss baat par Sameer man hi man hansa...Aur bas itna hi keh paaya.
Sameer:- Shaayad.
Itna keh kar Sameer waha se nikal gaya.
[Friends jaanta hu ye update kaafi chhota hai...Lekin iss topic ke liye itna hi thha...Ye update aage ki kahani ke liye kaafi jaruri hai...Next update bhi jald hi aayega.]
Nisha:- Pehle kaha tha jab apne pair par khada honge tab...Aur uske baad ek aur bahaana, "Internship me jyada paise nahi milte."
Abb internship bhi sirf 1 month hi reh gaya hai...Abb aur kitna der karoge?
Atul:- Kya ye jaruri hai?
Atul ki iss baat par Nisha buri tarah chhiddh gayi...Kaha wo itna serious ho kar baatein kar rahi thi aur Atul itna careless.
Nisha:- Tum serious bhi ho ya nahi?
Atul:- Jindagi hai do pal ki...Serious ho kar kya milega...Pyar aur masti se gujaarna chaahiye jindagi...Naa ki serious ho kar.
Nisha gusse se Atul ko dekhti hai...Lekin Atul ko koi parwah nahi thha.
Atul:- Kitna accha toh chal raha hai hamaare bich sab kuch...Abb kaun ye shaadi wali tension apne sir par uthaaye...Ham log aise hi jindagi bhar khush nahi reh sakte?
Abb Nisha ko chhedne me Atul ko aur bhi maja aa raha tha?
Nisha:- Tum se toh baat karna hi bekaar hai.
Atul Nisha se munh chhupa kar hasta hai aur fir.
Atul:- Toh kya khayal hai?
Nisha:- Jaisa tum chaaho...Karte raho masti iss do pal ki jindagi me...Jab meri shaadi kisi aur se ho jaayegi tab aur bhi masti karna!!!
Nisha ki gussa ka abb koi seema nahi tha.
Atul abb Nisha ke paas aa jaata hai aur uska kandha pakad kar.
Atul:- Mere rehte aisa kaise hoga?
Nisha:- Lekin tumhe toh koi matlab hi nahi!
Atul:- Wo toh mai apne Nishu ke saath majaak kar raha tha.
Nisha:- Har cheej ke liye sahi vakt hota hai...Aur ye vakt majaak ka nahi hai.
Atul:- Accha toh ye vakt kis cheej ke liye hai?
Nisha:- Hamaare rishte ki baat ke liye.
Atul:- Accha baba...Jald aaunga tumhare ghar.
Nisha:- Hamesha yahi keh kar taal dete ho.
Atul:- Tum samajhti nahi ho yaar.
Nisha:- Kya?
Atul:- Yahi ki mera sach me fat rahi hai...Tumhe toh pataa liya tumhaare ghar waalon ko kaise pataau wo samajh me nahi aa raha!!
Nisha:- Pehle toh badi badi baatein karte thhe...Ye kar dunga wo kar dunga.
Atul:- Arre uss vakt josh alag hi tha...Flow flow me bak diya sab kuch...Itna kuch fenk diya ki abb samet nahi paa raha hun.
Fir Atul kuch der ke liye chup ho jaata hai...Aur khud me hi badbadaane lagta hai.
Atul:- Jisko pataana caahiye unhe pataane me fatt raha hai aur jisse koi matlab nahi wo kuch jyada hi chipakne ki koshish kar rahe hain.
Nisha:- Kiski baat kar rahe ho?
Atul:- Preeti ki family.
Nisha:- Mana kiya hai na hazaar baar naam bhi mat lo uss chudail ka.
Atul:- Accha...Wo toh thik hain...Lekin kya karu kuch samajh me nahi aa raha hai.
Nisha:- Wo tum jaano.
Atul kuch sochne lagta hai...
Nisha:- Agar tum kaho toh main hi tumhare ghar aa jaati hun.
Nisha ki ye baat sun Atul ka munh khula ka khula reh jaata hai.
Atul:- Sochna bhi mat abhi...Warna puri tarah se hamare pyar par tag lag jaayega "The End". Unhe dhire dhire main samjha dunga...Mujhe yakin hai mana lunga unhe...Lekin jaldbaazi se nahi.
Nisha:- Accha toh thik hai...Kal tum aaoge mera ghar.
Atul:- Hmm thik hai.
Nisha:- Pura vishwash hai tum par.
Fir Nisha ek muskaan ke saath apne room me chali jaati hai.
Atul kuch der chhat par aise hi sochte rehta hai...Aur jab kuch samajh me nahi aata tab wo thak haar kar apne room me chala jaata hai.
Room me pahunchte hi.
Atul:- Are didi...Aap?
Nidhi:- Haan tera hi intejaar kar rahi thi.
Atul:- Intejaar?
Nidhi:- Kya baatein ho rahi hai itni raat ko?
Atul:- Baaki din to bas normal baatein...Lekin aaj.
Atul ka chehra dekh Nidhi bhi samajh gayi ki Atul kuch pareshaan hai.
Nidhi:- Aaj?
Atul:- Wo mujhe hamaare rishte ki baatein karne ke liye keh rahi hai.
Nidhi:- Ye toh acchi baat hain...Isme pareshaani ki kya baat...Aaj nahi toh kal tum dono ko shaadi toh karna padega...Fir deri kyun?
Atul:- Lekin Nisha ki Papa se baat kaise karu?
Nidhi:- Toh isme darne ki kya baat hai? Acche se unhe samjha de!!! Unki kismat hai ki unhe tere jaise damaad mil raha hai...Tujhe bilkul bhi mana nahi karenge wo.
Atul:- Ye toh pata nahi...Kismat kiska accha hai aur kiska kharaab...Lekin dar bahut lag raha hai.
Nidhi:- Aise darega toh kaise chalega...Ye himmat aur vishwash se kaam lene ka vakt hai...Aur tu hai ki aise dar raha hai.
Ye ek aisa daur hai jisse har pyar karne walon ko gujarna padta hai...Bas khud par vishwash rakh.
Atul abhi bhi bahut si uljhan me thha.
Atul:- Lekin hamaare ghar ke bich dushmani? Mujhe lagta hai pehle mujhe Maa aur Papa se baat karna padega...Unhe mana lunga aur fir unke saath hi jaaunga Nisha ki haath maangne.
Nidhi:- Agar hamaare bich problem nahi rehta toh aisa hi karna accha hota...Lekin abb achanak se ye sab hoga toh mujhe nahi lagta ki koi bhi maanenge...Ego par baat aa jaayegi.
Nisha ki Papa tujhe bhi accha maante hain...Bahut baar bataya bhi hai tune ki tum dono kitna friendly ho...Agar tune unhe mana liya toh dhire dhire Papa ko bhi mana hi lega...Aur isme mai bhi tera saath dungi.
Atul abhi bhi apne soch me hi gumm tha.
Atul:- Friendly hona alag baat hai...Lekin rishta? Kya wo hamaare ghar apna beti ko bhejna chaahenge...Aur upar se Caste problem.
Nidhi:- Ye sab baad ki baat hai...Sabse jaruri hai tu...Aur unka tere upar vishwas...Agar Nisha ke liye unhe tu sahi lagta hai toh unhe koi problem nahi hoga...Wo maan jaayenge.
Atul ko Di ki baat toh sahi lag raha tha lekin fir bhi dil me anjaana sa ghabraahat mehsus ho raha tha.
Nidhi:- Accha toh abhi chalti hun...Kal bina kisi dar ke unhse baat karna...Ekdum honestly apne dil ki baat kehna...Jarurat se jyada bhi nahi...Mujhe bharosha hai tujh par.
Fir Di waha se jaane lagti hai.
Gate me pahunch kar.
Nidhi:- Iss ghar ki chhoti bahu Nisha hi hona chaahiye...Bahut acche lagte ho tum dono ek saath.
Fir Atul bed par baith kar sochne lagta hai...Di ki baatein toh usse sahi lag raha tha...Lekin vakt aisa tha ki har baat par usse shak tha ki aage kuch sahi hoga yaa nahi.
Aakhir dil ki baat tha...Jindagi se juda tha.
Aao Atul beta...Bahut dino baad aaye ho?
Gate se andar aate vakt pura utsaah ke saath Nisha ke Papa ne Atul ka swagat kiya.
N. Dad:- 2 cup chaai banaana?
Thodi tej aawaj me unhone Nisha ki Maa se kaha taaki kitchen tak bhi ye baat sunaai de.
N. Dad:- Aur sunaao haal chaal?
Atul:- Sab thik hai uncle.
N. Dad:- Aur ghar me?
Atul:- Ghar me bhi sab thik hai...Aur aap.
N. Dad:- (Garv ke saath) Fit and fine...Dekh hi rahe ho...Bas ye motapa thoda kam karna hai...Warna ye Nisha mujhe ek pal chhain se jeene nahi degi.
Hamesha kehti hai Diabetes aur Heart diaeases ka risk hota hai motapa se...Tum Doctor log bhi naa...Chhoti chhoti baaton ko bada issue bana dete ho.
Atul:- Iss baat par toh main bhi Nisha se sehmat hu...Aakhir sehat ki baat hai.
N. Dad:- Accha wo chhodo...Kuch kaam tha?
Atul jo kuch der pehle Nisha ki Papa se baat karte vakt khul gaya tha...Abb unki iss sawal se uske chehre par fir se ghabraahat ki lakeer dikhne laga.
N. Dad:- Koi bhi baat ho? Bejhijhak bolo.
Atul:- Uncle iss baar picchli baar ki tarah baat nahi ghumaunga...Sidhe mudde par aata hun.
Himmat karke Atul ne bol hi diya...Saath hi Nisha ki Papa bhi thoda serious ho gaye.
N. Dad:- Hmm kaho?
Atul:- Main aur Nisha ek dusre se pyar karte hain aur shaadi bhi karna chaahte hain!!! Issi baare me aapse baat karne ke liye aaya tha.
Atul ki ye baat sun Nisha ki Papa ke chehre ka rang ek dum se badal jaata hai...Tab tak Nisha ki Maa bhi chaai le kar aa gayi thi...Unka bhi haal unke Pati jaisa hi tha.
Kuch der dono ek dusre ko dekhte hai aur fir Nisha ke Papa Atul ko.
Nisha ki Papa ko bhi kuch samajh me nahi aa raha tha ki wo kya bole...Wo aise hi bina kisi bhaaw ke Atul ko dekhte rahe.
Atul:- Uncle mai aur apne feelings ko chhupa nahi sakta...Aisa laga ki vakt aa gaya hai sab kuch kehne ka.
Nisha ki Papa abhi bhi chup thhe.
Atul:- Lekin ye aap ka faisla hai...Nisha bhi yahi chahti hai...Agar aap dono raazi hai tab hi hum shaadi karenge.
Aap mujhe jaante hi hai mai kaisa hun...Itne vakt se hum saath saath hai...Agar aap ko mai Nisha ke liye sahi lagta hun to hame aashirbaad dijiye saath me sukhi rehne ka.
Mai apni taraf se ek beti ke Pitaa ko sirf itna kehna chaahta hun ki Nisha ko mai kabhi pyar aur paise ki kami hone nahi dunga...Usse hamesha khush rakhunga...Koshish karunga wo mere saath yaha se bhi jyada khush rahe...Sirf koshish...Ek Pitaa ki pyar ko aaj tak kaun jeet paaya hai?
Atul ne Nisha ki Papa ki aankho me dekh kar kaha izzat se apni baaton par yakin dilaane ke liye.
Kuch der baad.
N. Dad:- Kya Nisha bhi tum se pyar karti hai?
Ek sakht aawaj me unhone pucha!!!
Atul:- Haan Uncle...Hum dono hi ek dusre se pyar karte hai.
N. Dad:- Nisha Nisha.
Thodi tej aawaj me unhone Nisha ko bulaya...Nisha ki Maa ko bhi thoda dar lagne laga.
N. Mom:- Ye aap.
N. Dad:- Bas kuch puchna hai usse.
N. Dad:- Nisha
Unki aawaj bhi tej hota jaa raha tha.
Nisha jo gate me chhup kar saari baatein sun rahi thhi wo darte darte room me aayi.
N. Dad:- Kya Atul sahi keh raha hai? Tum dono ek dusre se pyar karte ho?
Apne Papa ki sakht aawaj se Nisha bhi ek pal ke liye dar gayi...Darte hue Nisha Atul ko dekhne lagi.
Atul ko bhi dar lag raha tha...Kahi Nisha apne Papa ki dar se "Naa" na keh de.
Nisha:- Haa Papa...Atul sahi keh raha hai.
Nisha ne himmat karke sach keh hi diya...Atul ko bhi raahat mila.
Aur Nisha fir apni aankh band kar leti hai ye soch kar ki agle pal kya hone wala hai.
Lekin uske ummeed se thik ulta Nisha ki Papa pyar se uski gaal sehla dete hai.
N. Dad:- Isme darne ki kya baat hai?
Achanak se unka aawaj me pyar tha.
Ye baat sirf Nisha ko hi nahi Atul ko bhi chaukaane wala tha.
N. Dad:- Mai pyar ka khilaaf kab se ho gaya? Bhul gayi kya? Mera bhi love marriage tha.
Nisha ek raahat ki saans leti hai aur fir.
Nisha:- Aapne toh daraa hi diya.
N. Dad:- Jaruri tha...Maine tum dono ki tarah sharir ke baare me toh nahi padha...Lekin insaan ke soch ko aasani se padh sakta hoon...Aur yahi ek tarika tha...Tum dono ke baare me jaanne ka...Dar me bhi faisla ko nahi badla aur sach hi bolte rahe...Mujhe ye accha laga.
Atul:- Uncle aap acting kaafi acche kar lete hai...Mai bhi dar gaya tha.
N. Dad:- Beta...Acting toh accha karta hi hoon...Khaas kar Villain wala...Agar thoda bhi jhut bolta aur mujhe shak hota toh aaj tera khair nahi tha...Tere liye sach me Villain hi ban jaata.
Atul iss baar koi jawaab nahi deta...Wo kaafi khush tha...Abhi se wo shaadi aur shaadi ke baad ke sapne dekh raha tha...Kitna khush tha wo...Pehla pyar...Aur usko bhi aaj ek manjil mil gaya tha.
Ek najar wo Nisha ko dekhta hai pyar se...Aur fir muskura deta hai.
Nisha ki bhi haal waisa hi tha...Atul ki iss muskaan par wo buri tarah se sarmaa gayi.
N. Dad:- (With seriousness) Atul agar tumhare jagah tumhare parents aate toh mujhe aur bhi jyada khushi hota...Shaadi sirf do log ko hi jodne ka kaam nahi karta balki do pariwar ko ek karta hai.
Atul:- Jarur Uncle...Jald laaunga unhe iss rishte ke liye.
N. Dad:- Kya mana paaoge tum unhe? Aur yaad rakhna tumhare parents ka bhi sehmati chaahiye iss shaadi ke liye...Warna ye shaadi nahi hoga.
Ye sun kar Atul to ek pal ke liye dar gaya lekin agle hi pal.
Atul:- Vishwash hai Uncle mujhe khud par...Unhe mana lunga...Mere liye wo jarur maanenge...Aur hamaare ghar ke bich ki sabhi shikayat bhi dur honge.
N. Dad:- Aisa hi hona chaahiye...Mai apne beti ke liye acche damaad ke saath saath accha sasural bhi chaahta hun.
Uss sasuraal me unhe beti ki tarah pyar karne wale Saas sasur hona chaahiye...Uski apne sasural me ek izzat hona chaahiye jaha wo khul kar baaki ke jindagi apne pati ke saath jee sake.
Atul:- Mai pehle bhi ek beti ke Papa ko bachan de chuka hun...Mai Nisha ke saath kabhi galat nahi hone dunga...Aur Maa aur Papa bhi usse beti ki tarah hi pyar karenge...Wo galat bilkul bhi nahi hai...Bas hamaare bich problem apne apne soch ki vajah se hai...Iska asar unhone apne bacchon par kabhi hone nahi diya.
Aaj tak Papa ne mujhe kabhi aapke baare me nahi bhadkaya aur naa hi kuch galat sikhaya.
Vishwash hai hamaare bich ki duriyan jald hi khatm hoga...Bas aap mujh par vishwash rakhiye.
N. Dad:- Vishwash hai issi liye apni beti ki haath tumhare haath me de raha hun.
Atul ke liye ye garv ki baat tha.
N. Dad:- Mera koi beta nahi hai...Lekin sochta hun agar hota toh shayad tumhare jaise hi hota hai...Jitna bhi baat kiya hai tumse, jitna tumhe jaana hai maine yahi paaya hai ki tum saaf dil ke ho...Accha soch hai, mehnati ho, sabhi ko izzat dete ho...Kisi ki baaton me na aa kar apna ek alag soch rakhte ho...Aur wo saari kaabiliyat hai jo mujhe apne damaad me chahiye tha.
Aur sabse badi baat...Tum dono ek dusre ko pyar karte ho.
Itna taarif sunne ke baad Atul ka seena garv se fulta jaa raha tha.
N. Dad:- (To Nisha' Mom) Tum khush ho naa iss rishte se? Yaa fir koi aapatti hai?
Ek aakhiri dar yahi tha Atul ke man me...Lekin Nisha ki Maa ki jawaab se ye dar bhi dur ho gaya.
N. Mom:- Mujhe kyu koi aapatti hogi...Bacchon ki khushi me hi meri khushi hai...Ulta mai hi aapse inn dono ke baare me baat karna ki soch rahi thi.
Nisha:- (Chaunkte hue) Aap ko hamaare baare me pata tha?
N. Mom:- Haan...Wo bhi bahut pehle se...Khud ki tarah bewkoof samajhti hai kya?
(To Atul) Tujhe dekh kar hi sab kuch pata chal jaata hai...Nisha se milne ke liye wo bahana...Khud hi ball hamaare ghar me fenkte hue bahut baar dekha hai...Router ko off karke bahaane se hamaare ghar me aa kar padhna...Extra class keh kar library me time spend karna...Aur bhi bahut kuch.
Nisha ki Maa ki iss baat par Atul bilkul chup ho jaata hai...Jaise uska chori pakda gaya ho.
N. Mom:- Lekin mujhe koi problem nahi hua...Vishwash tha tum dono par...Aur ye vishwash kabhi tootne mat dena.
Atul:- Kabhi nahi.
Atul ne bhi pure vishwash ke saath kaha.
Gaurav:- Dekha Papa...Kya gul khila raha hai ye ladka? Maine pehle bhi kaha tha itna aazadi mat dijiye.
Gaurav bhadkaane ki laakh koshish kar raha tha...Atul bas Gaurav ko ghur raha tha.
Riya:- Abb samajh me aa raha hai? Tum Preeti ko mana kyu kar rahe thhe? Bechaari Preeti.
Atul:- Bahut pehle samajh aa jaana chaahiye tha...Lekin aap bhi apni behan ki tarah hi dimaag se paidal hai.
Atul ka gussa bhi badhta hi jaa raha tha.
Riya:- Dekho tum...Hadd se...
Atul:- Mere sirf rishte ki naam se Bhabhi...Bas itna hi kahunga...Mai gaali bahut kam deta hun...Ladkiyon ko to aur bhi kam...Gandi gaali toh aaj tak nahi...Kya aap sunna chaahengi?
Riya ko chup karaane ka sirf yahi tarika Atul ke dimaag me aaya.
Gaurav:- Tujhe toh...
Itna keh kar Gaurav aage badhta hai.
Atul:- Chal aaja...Pitnee ka bahut shaukh hai naa...Aaj pura kar hi deta hun.
Atul ne bhi khud ko taiyaar kar liya lekin.
A. Dad:- Bas karo tum dono.
Aawaj itna tej tha ki dono apni jagah par ruk gaye.
Atul:- Papa!!!
Lekin Atul ke Papa kuch kahe bina chale gaye.
Atul:- Apna jawaab toh dijiye.
Lekin wo kuch kahe bina hi waha se chale gaye.
Maa ne aankho se itna hi kaha, "Sab thik hoga."...Aur wo bhi waha se chali gayi.
Air Nidhi Atul ke paas aa kar uske kandhe me haath rakhti hai aur kehti hai "Hausla rakh...Sab thik hoga."
Atul bhi besabri se Papa ki jawaab ka intejaar kar raha tha...Uparwale se ek baar fir duaa kiya ki kaash sab kuch thik ho jaaye...Ek alag sa dar uske dil aur dimaag me baith gaya tha...Upar se Gaurav aur Riya ka tension.
[Note:- Friends aaj kal reviews bahut kam aa rahe hain...Agar updates pasand nahi aa raha hai toh bataaiye improve karne ki koshish karunga...Abhi thoda free hun...Daily updates ki chance bhi hai...Agar aap sab ka comments aata raha toh...Ye update Friday post karne wala tha lekin comment ki intejaar me likha hi nahi...Kal busy tha iss liye aaj post kar diya...Agar comments regularly aata raha toh mujhe bhi aur likhne ka josh milega warna wohi 2-3 days ki gap me formality ke liye story complete karne ke liye likhunga.
Request hai aap sab se ki jaisa bhi laga update positive yaa fir negative reviews dete rahiye.]
निशा के पिता जी सच मे बहुत ही समझदार और अनुभवी व्यक्ति हैं उन्होंने सारी स्थिति का अच्छे से विचार करने और अतुल की अच्छाई केकारण रिश्ते के लिए हां कहा है। निशा के पापा का भी कहना सही है कि उनकी बेटी को वो घर मिले जिनमे वो बहुत बनकर नहीं बेटी बनकर रहे।
मुझे नहीं लगता कि अतुल के पापा मानेंगे इस रिश्ते के लिए और अगर मान भी गए तो भी गौरव मानने नहीं देगा।।
Mujhe khushi hai ki bacchon ki khushi ke khaatir aap bhi maan gaye iss rishte ke liye.
Nisha ki Papa ne khushi ke saath Atul ki Papa se kaha.
Shayad pehli baar tha jo dono ek dusre se baat karte vakt khush thhe.
A. Dad:- Aakhir bacchon ki khushi ki baat hai...Socha apne niji dushmani ka asar kyu unn par pade.
Ek lambi saans le kar.
A. Dad:- Shayad hum sabko bhi apne man mutaaw ko bhula kar nayi tarike se rishte ki suruwaat karna chahiye.
N. Dad:- Mai bhi yahi kehna chaahta tha...Aakhir ye dushmani me rakha kya hai...Aur dushmani ki khaas vajah bhi kya hai? Ye chhoti chhoti baatein.
Inn baaton ko bhula kar fir se pyar aur khushi me rehna hi sahi hoga...Ek koshish...Fir dhire dhire ye kadwaahat bhi kam hota jaayega.
Fir dhire dhire sabhi aapas me baatein karne lagte hain...Sab kuch thik hota jaa raha tha.
Aaj Atul ka apne Papa ke liye izzat kaafi badh gaya tha...Jab wo nikle the Nisha ki family se baat karne toh usse dar lag raha tha ki kahi wo mana naa kar de...Lekin hua wo jo uske soch se thik ulta.
Dusri taraf Gaurav aur Riya...Bas jo ho raha tha sab kuch sirf dekh hi rahe thhe...Kuch kar nahi paa rahe thhe...Riya ko Preeti ke liye buraa lag raha tha.
Gaurav ke liye toh ye kisi bure sapne se kam nahi tha...Aaj tak ki saari nafrat mitti me mil gaya tha...Pehle Atul ko ghar se nikaalne ki khwahish aur fir Riya ki vajah se uska Preeti se shaadi karaane ki khwahish...Sab kuch khatm ho gaya...Bas wo lachaari se sab kuch dekh hi sakta tha.
Bahut mushkil se wo sabhi ke saamne apna gussa dabaa paane me safal tha...Ye dekh Atul ka khushi ka koi thikaana nahi tha.
Fir dhire dhire dono ki engagement aur shaadi ki date bhi fix kar diya jaata hai.
Engagement bahut hi dhoom dhaam se hua...Atul aur Nisha ke college ke sabhi friends aur relatives ko invitation diya gaya...Sab khus thhe dono ke liye kucch ko chhod kar.
Atul aur Nisha ki khushi ka koi thikaana nahi tha...Wo dono apne jindagi ke sabse khubsurat pal jee rahe thhe.
Din ki shuruwaat ek mesage se hota "Good morning"...Saath college jaate aur internship ka aakhiri 1 week inke liye kisi romantic spot ban jaata...Alag alag department me post hone ke baawjud ek dusre se milne ki bahana mil hi jaata.
Aur fir college ke baad apne romantic dating par...Bina ghar wale aur duniya walo se kisi tarah ke dar...Dono apne life ko bahut enjoy kar rahe thhe.
Abhisekh:- Ye kya haalat bana rakha hai tune?
Ravi ko itne nashe me dekh Abhisekh bhi dar gaya.
Ravi:- Bardaast nahi kar paa raha hun.
Abhisekh:- Kya?
Ravi:- Dono ko ek saath...Itne karib.
Ravi ka gussa tha ki kam hone ke naam nahi le raha tha...Atul ka wo kuch bigaad bhi nahi sakta tha aur naa hi unhe khush dekh sakta tha.
Abhisekh:- Abb kismat hi unka aisa hai to kya kar sakte hai?
Ravi:- Kismat ko badal dunga.
Achanak se Ravi me ekdum se aatmavishwas aa gaya.
Abhisekh:- Kya? Kaise?
Abhisekh ko dar tha ki Ravi kahi koi galat kadam naa utha le.
Jawaab me Ravi kuch der hansta raha.
Ravi:- Gaurav! Atul ka bhaiya!!!
Abhisekh sawaliya najar se Ravi ko dekhta hai.
Ravi:- Dushman ka dushman dost hota hai.
Abhisekh:- Saaf saaf bol.
Ravi:- Suna hai dono me bahut dushmani hai...Gaurav Atul ko apne aas paas dekhna bhi nahi chaahta...Bas uska istemaal karna hai...Baaki kaam wo khud kar dega.
Itna keh kar Ravi fir hasne lagta hai...Abhi se usse apna jeet saaf dikh raha tha.
Abhisekh:- Kya ye thik rahega?
Ravi:- Bilkul thik rahega...Aise me Atul ko samajh bhi nahi aayega ki uske saath kya ho raha hai...Dushman uska ghar ka hi hoga...Kehte hai naa "Ghar ka bhedi Lanka dhaye"
Aur dono ko alag karna hai to itna risk to lena hi padega.
Ravi ek taraf apna planning kar raha tha aur dusri taraf Gaurav...Bas ek mauke ka intejaar me paagal hota jaa raha tha.
Inn saajisho se anjaan...Atul aur Nisha...Wo dono toh apne phar me iss tarah doob gaye thhe ki unhe andaaja bhi nahi tha ki aane wala toofan kya tabaahi ke kar aane wali hai.
Nisha ki Papa ne ek muskaan ke saath Gaurav ka swagat kiya.
Gaurav bhi bina kuch bole ghar ke andar aa jaata hai.
N. Dad:- Aur bataao...Kya chal raha hai aaj kal?
Gaurav:- Sab kuch thik hai.
Ek feenka sa jawaab diya Gaurav ne.
N. Dad:- Pareshaan dikh rahe ho!!!Koi baat hai kya?
Gaurav:- Baat hi kuch aisa hai Uncle...Kaise bataau kuch samajh me nahi aa raha hai.
Gaurav pareshaan hone ka dikhawa acche se kar raha tha.Karta bhi kyu nahi? Isse accha mauka shayad hi usse kabhi milta.
Baat ye tha ki Atul aur Nisha college life complete hone ke baad Ek Health Awareness Program ke liye ek gaanw gaye thhe 3 din ke liye...Jaha phone network tha hi nahi...3 din tak Atul aur Nisha se contact karna laghbhag naamumkin tha...Yahi mauka tha jitna ho sake utna jhuth bolne ka aur Nisha ki Papa ko Atul ke khilaaf bhadkaane ka...Nisha bhi yaha nahi thi jo apne Papa ko emotional ho kar kisi tarah apne Papa se apni baat manwaati.
N. Dad:- Befikr ho kar bolo...Kya baat hai?
Gaurav:- Wo Atul ne kuch kaha tha gaanw jaane se pehle.
N. Dad:- Mujhe bhi bata sakta tha...Khair tum bolo...Kya kaha tha Atul ne?
Abb Nisha ki Papa bhi thoda serious ho gaye thhe.
Gaurav:- Shaadi se pehle kuch conditions.
N. Dad:- Puri baat to bataao?
Abb Gaurav ki baat se wo chhidhne bhi lage thhe jo Gaurav chaahta tha...Nisha ki Papa ko thoda bahut andaaza toh ho gaya tha lekin wo Gaurav ki munh se sunna chaahte thhe.
Gaurav:- Dahej...40 lakhs ki.
N. Dad:- What?
Unki aawaj me gusse ke saath saath hairaani bhi tha.
Gaurav chup raha.
N. Dad:- Lekin Atul ne toh pehle ye baat kabhi nahi kaha tha...Aur naa hi aisi baat tumhare parents ke saath hua tha.
Gaurav:- Ye sab toh mujhe pata nahi Uncle...Lekin jaane se pehle Atul ne ye baat mujhe aapko bataa dene ke liye kaha tha.
Nisha ki Papa kuch nahi kehte...Abhi bhi wo hairaani me kuch soch rahe thhe.
Gaurav:- To kya mai haa samjhu Uncle?
N. Dad:- Bilkul nahi.
Gaurav:- (badbadaate hue) Pehle bhi bola tha Atul ko inse rishta mat jod...Lekin maanta hi nahi.
Gaurav ne dhire se badbadaate hue kaha aur wo kaafi tha Nisha ki Papa ki kaano tak pahunchne me.
N. Dad:- Kya matlab?
Gaurav:- Kuch nahi...Lekin aap ko problem kya hai? Sirf 40 lakhs ki hi to baat hai.
N. Dad:- 40 lakhs to dur ki baat hai...Mai 40 paise bhi nahi dunga...Mai dahej jaisi cheejoo ki sakht khilaaf hun.
Nisha ki Papa ne sakht aawaj me kaha.
Gaurav:- Lekin ye Nisha ke liye hi to hai? Aakhir faaida Nisha ko hi to hoga.
N. Dad:- Aur wo kaise?
Gaurav:- Atul ye paisa aage ki padhaai ke liye maang raha hai...MS karne ke liye...Aap hi sochiye jab wo Neurosurgeon banega toh kitna paisa kamayega aur kitni acchi tarah se Nisha ka khayal rakhega?
N. Dad:- Maine iss liye iss rishte ko sehmati nahi diya tha ki Atul baad me jyada yaa kam paisa kamayega...Sirf iss liye kyu ki Atul ke roop me maine Nisha ke liye accha jeevansaathi dekha tha.
Aur Atul ko kya jarurat padne laga paison ka padhaai ke liye? Itna accha student hai...Mehnat karega to full scholarship mil jaayega usse.
Gaurav:- Aap hi sochiye...Itna accha student hai kyuki aaj tak padhaai me mehnat karte aaya hai...Abb mehnat karte karte thak gaya hai wo...Abb usse aur nahi hoga.
N. Dad:- Jis din insaan mehnat karna band kar de...Uss din se uska koi mol nahi rehta...Aur aise insaan kisi kaam ke nahi...Jindagi me sukh aur dukh dono pal aate hain...Aise insaan dukh ke pal ka saamna kaise karenge jab wo itni jaldi haar maan lenge.
Atul ko apnaane ki ek vajah ye bhi tha ki wo ek mehnati ladka hai.
Gaurav:- Bas uncle aap apne gyan apne paas hi rakhiye...Aur mera bhai ka aur beizzati mat kijiye...Mai bardaast nahi kar paaunga.
Aap bas itna bata dijiye aapko Atul ka shart manjur hai ya nahi?
N. Dad:- Bilkul nahi...Mai ek baar Atul se baat karunga...Agar uska yahi shart hai to ye rishta khatm.
Nisha ki Papa bhi abb kaafi hadd tak gussa ho gaye the.
Gaurav:- Aap hamaare beizzati kar rahe hai?
N. Dad:- Jaisa tum socho.
Nisha ki Papa ne Gaurav ke bilkul karib aa kar bole aankho me aankh daal kar.
Gaurav apna ek mukhya paasha fenk deta hai.
Wo khinch kar ek thappad Nisha ki Papa ko maarne hi wale thhe ki Nisha ki Papa bich me hi uske haath ko pakad lete hai.
N. Dad:- Bacche ho tum...Nadaan samajh kar chhid raha hu...Warna.
Itna keh kar Nisha ki Papa Gaurav ke haath ko marodne lagte hai...Gaurav dard me karaahne lagta hai.
N. Dad:- Haddiyon ko lakdi ki tarah tod dunga.
Itna keh kar wo Gaurav ko dur dhakel dete hai.
N. Dad:- Nikal jaao abhi...Warna mujhe dhakka maar kar bhi nikaalna aata hai.
Gaurav bhi jaane lagta hai...Jab wo gate me pahunchta hai tab.
N. Dad:- Aur haan...Jab Atul waapas aa jaaye toh ek baar bhej dena mujhse baat karne ke liye.
Gaurav waha se chala jaata hai...Usse apna beizzati se koi fark nahi padta...Wo apna kaam kar chuka tha.
Ghar se baahar nikalte hi wo Ravi ko message kar deta hai. "Maine apna kaam kar diya hai...Abb tumhara baari."
Fir Gaurav jaata hai apna aakhiri aur sabse jaruri kaam ko anjaam dene.
Wohi Nisha ki Papa abhi bhi hall me baithe thhe paresaan aur kuch sonchte hue...Tabhi piche se Nisha ki Maa aati hai lunch ready karne ke baad.
N. Mom:- Kya hua? Aap itne pareshaan kyu hai? Aur wo Gaurav? Kya keh raha tha? Baatein toh unchi aawaj me kar raha tha.
[Friends aane wale week mai thoda free hun...Aur koshish karunga jyada se jyada updates post karne ki...Jitna jaldi aap sab ka reviews aayega utna jaldi updates post hoga kyuki mujhe reviews ka wait karna nahi padega. ]
धन्यवाद आपका महोदय।
जब भाई ही भाई का दुश्मन बन जाए और उत्क्व दुःमनों स्व मिल जाए तो उस घर मे सुख और शांति कभी नहीं आ सकती। गौरव ने बहुत दूर का तीर चलाया है और वो शायद सही निशाने पर भी लगा है।।
Thoda pehchanne ki koshish karte hue Nisha ki Papa bole. (Nisha ki Papa aur Ravi ki Papa ke bich thoda jaan pehchaan hai)
Ravi:- Mai thik hun Uncle...Aap kaise hai?
N. Dad:- Mai bhi thik hun...Tum yaha?
Ravi:- Atul se milne aaya tha...Wo nahi hai toh waapas jaa raha tha.
N. Dad:- Abhi gaanw gaya hai...Ek health Campaign ke liye.
Ravi:- Haan...Abhi pata chala...Accha Uncle...Chalta hun abhi.
N. Dad:- Aise kaise? Pehli baar hamaare ghar aaye ho...Chaai naasta karke hi jaana padega.
Ravi:- Are nahi Uncle...Fir kabhi.
Lekin Nisha ki Papa ke saamne wo kaise tik sakta tha...Aur Ravi ka toh plan bhi yahi tha.
Aakhir usse kaamyabi mil hi gaya Nisha ki Papa se baat karne ki...Karib 20 minute se wo Atul ke ghar ka chakkar laga raha tha ki ek baar wo Nisha ki Papa ki najro ke saamne aa sake aur ye kahe ki wo Atul se milne aaya tha.
N. Dad:- Abb to tum bhi Doctor ban gaye ho Nisha aur Atul ke saath hi...Aage ka kya plan hai?
Ravi:- Abhi kuch months rest karunga aur fir duty join karunga.
Fir aise hi baat cheet hota hai Ravi aur Nisha ke Papa ke bich.
Ravi:- Bahut khushi hui ye jaan kar ki Atul aur Nisha ki shadi hone wala hai.
Ravi ne ye baat to keh diya lekin uski aawaj se hi uska dard pata chal raha tha...Aur wo ye sab jaan bujhkar kar raha tha...Nisha ki Papa ko bhi ye ajeeb lag raha tha.
N. Dad:- Dono pyar karte hai ek dusre se...Aur mujhe bhi Atul sahi laga Nisha ke liye.
Ravi:- Accha kiya aapne Uncle...Aaj bhi college wale Atul aur Nisha ko jab yaad karta hun toh aisa lagta hai ki dono "Made for Each Other" hain.
N. Dad:- College main!!!Kya sabhi ko pata tha unke baare mein?
Ravi:- Shayad hi koi aisa ho jisse pata nahi...2nd year se Internship tak dono saath thhe ek dusre ke saath...Kabhi kabhi toh Atul ko dekh jalan bhi hota tha.
Ravi abb apne mudda par aa raha tha.
N. Dad:- Jalan?
Ravi:- Uncle please bura mat maaniyega mai jo bhi kehne wala hun.
Ravi darne ki acting karte hue bola.
N. Dad:- Bolo.
Ravi:- Pyar toh mai bhi bahut karta tha Nisha se...Wo thhi hi itni acchi...Khair mera kismat hi kharab tha...Atul ne mujhse pehle apne pyar ka ijhaar kar diya.
Lekin fir bhi Nisha ke liye khush hun...Atul usse bahut pyar karta hai...Shayad mujhse bhi jyada.
Ravi apna har ek chaal sambhal kar chal raha tha...Usse ye bhi khayal rakhna tha ki Nisha ki Papa ko uss par kahi shakh naa ho jaaye agar ekdum se Atul ka buraai karne laga toh.
Nisha ki Papa kuch der tak chup hi rahe...Fir kuch sonchte hue.
N. Dad:- Tumse bhi jyada?
Ravi:- Haan Uncle...Atul ka pyar bahut hi khas tha Nisha ke liye.
Jab Nisha ne usse mana kiya toh wo ekdum paagal jaisa ho gaya tha...Din bhar Nisha ki yaadon mein nashe me rehta...Cigarette aur Daaru mein duba rehta.
Aur jab Nisha ne uske pyar ko haan keh diya...To woh Nisha ka acche se khayal rakhne laga...Kabhi kabhi over protective bhi ho jaata...Agar Nisha ko koi pareshaan karta toh Atul uska haddiyaan tod deta tha...Kabhi koi pareshaani nahi hone deta tha Nisha ko.
Aur to aur kabhi Nisha agar college bhi nahi aati toh usse tab tak chhain nahi aata jab tak uska Nisha se baat nahi ho jaata...Har 5 minute me phone calls aur messages.
Itna junoon tha Atul ka pyar me Nisha ke liye...Aaj kal toh log 2 mahine tak pgar nibhaa nahi paate...Lekin Atul...Wo 4 saalon se...Ussi junoon ke saath abhi tak pyar karta aaya hai aur aage bhi karta rahega.
Ravi ki baat sunne ke baad Nisha ki Papa soch me pad gaye...Pehli baar Ravi ne jhuth bola tha aur uska asar wohi hua jo Ravi chahta tha...Wo andar hi andar bahut khush tha lekin baahar se khud ko normal dikha raha tha.
Fir kuch det aise hi baatein kar wo waha se nikal jaata hai.
Cheeni bhi jyada khaane se kadwa lagne lagta hai...Yahi baat Nisha ke Papa ke saath ho raha tha...Pyar bhi itna jyada paagalpan jaisa lagne lagta hai...Ek dar sa baith gaya tha unke man me.
Kal Gaurav aur aaj Ravi...Lekin abhi bhi isse sach maan nahi paa rahe thhe...Jis Atul ko wo jaante thhe wo to ekdum alag hai.
Lekin dono ki baat se unpar ye asar jarur pada ki unka bechaini badh gaya Atul se milne ki...Ek baar wo fir se Atul ko acche se jaanna chaahte thhe samajhna chaahte thhe.
After 1 Day
Aaj Gaurav bahut khush tha...Jo wo chahta tha wohi hua...Uska aakhiri chaal bhi kaamyab raha...Aakhir dono ghar me jhagda karwaane me wo safal raha.
Kuch der pehle hi Atul aur Nisha ke Papa ke bich bahut kaha suni hua.
Nidhi:- Papa aapne bahut galat kiya?
Gusse me Nidhi boli...Usse aur dekha nahi jaa raha tha.
A. Dad:- Kya? Maine galat kiya? Sab kuch dekhte hue bhi tu yahi keh rahi hai.
Nidhi:- Sab kuch dekhte hue...Dikhaai to aapko kuch nahi de raha hai...Yaa fir aap sach dekhna hi nahi chaahte...Dekhte bhi wohi hai jo aap dekhna chaahte hain.
A. Dad:- Jara tameej se baat kar.
Nidhi:- Mai abb aapse nahi darti.
Bina kisi dar ke Nidhi ne jawaab diya.
Kuch der toh Atul ki Papa Nidhi ko gusse se dekhte rahe fir.
A. Dad:- Accha tu hi bol maine kya galat kiya? Wo iss rishte ki dum par Gaurav par haath uthaaye toh mai chup rahunga kya? Rishte ki aad par unhe manmaani karne nahi de sakta.
Nidhi:- Unhone Gaurav par haath uthaya mai ye maan nahi sakti...Bilkul bhi vishwash nahi hai mujhe Gaurav par...Acche se jaanti hun isko...Aur agar haath uthaya bhi hoga toh isne hi kuch kiya hoga.
Gaurav ko gusse se dekhte hue Nidhi boli.
Gaurav:- Di...Aap kuch jyada hi...
Gaurav isse aage kuch bolta usse bich mei rok kar.
Nidhi:- Atul se iss liye bach jaata kyuki Atul tujhe apna sa bada soch kar chhod deta lekin mai...Mujhe jyada sochna nahi padega tere kaan ke niche do thappad lagaane me.
A. Dad:- Bas karo tum log...Hamesha ladte rehte ho ek dusre ke saath...Pareshan ho gaya hu ye sab dekh kar...Kuch nahi keh raha hu iska matlab ye nahi ki tum sab apne manmaani par utar aao.
Nidhi:- Papa...Aap ek baar unse (N. Dad) fir baat kijiye.
A. Dad:- Bilkul nahi...Abb ye rishta khatm ho chuka hai...Mere liye Atul aur Gaurav barabar hai...Ek ke liye dusre ke saath anyaay nahi karunga...Aur isme toh unka hi galti hai.
Pehle Gaurav par haath uthaate hai aur fir mana karte hai iss baat se...Mujhe aise jhuthe logo se koi rishta nahi rakhna.
Nidhi:- Waah...Itni aasani se rishta khatm...Ek baar bhi Atul se baat kiya aapne?
A. Dad:- Mera beta hai wo...Agar acche se samjhaunga toh maan jaayega wo.
Nidhi:- Baccha nahi hai wo...Jo ek lollipop de kar usse baat manwa lenge.
A. Dad:- Itna bada bhi nahi hua ki ghar ka faisla wo lene lagega?
Nidhi:- Aap dekhte rahoye...Wo aapka iss faisla ko manna toh dur sunega bhi nahi...Agar wo sahi hai toh kisi ko sunta bhi nahi...Aur baat yaha uske pyar ka hai !!!
A. Dad:- Kuch bhi ho...Mai apna faisla nahi badlunga...Jab tak wo aa kar Gaurav se maafi nahi maang lete.
Nidhi:- Toh aap intejaar karte rahiye uss pal ka...Jo iss janm me toh kabhi nahi aayega.
Baat ka garma garmi badhta dekh.
A. Mom:- Band karo tum log aise jhagadna.
Nidhi:- Maa dekhte rehna aapka ye pyar dono ke liye...Yahi vajah banega jab ye ghar ko tod kar rakh dega...Aap bhi jaante hai Gaurav galat hai...Aur iss vakt Papa bhi...Aur aapka ye bhram aur intejaar ki Gaurav badal jaayega...Dekhte rahiye aapke saamne kya se kya ho jaayega...Aur fir aap akele pachtaate rehna.
Fir itna keh kar Nidhi waha se chali jaati hai...Itna toh wo samajh chuki thi ki uski baat se kisi ko kuch fark nahi padega...Bas abb usse Atul ka intejaar tha...Ussi par bharosha tha ki wo sab kuch thik kar dega.
Dusri taraf Atul ka Papa...Unhone man bana liya tha iss rishte ko todne ka...Bahut acche se apna khel khela tha Gaurav ne...Atul ki Papa ka bas yahi galti tha ki wo hamesha Gaurav par bharosha karte aaye the aur aaj bhi unhone yahi kiya...Unke saamne Nisha ki Papa ekdum galat thhe aur Gaurav sahi jaisa Gaurav ne unhe dikhaya.
Gaurav ka itne saalo ka mehnat rang laaya tha...Apne Papa ka vishwash jitne ki liye usne kayi saalo se mehnat kiya tha taaki unko Atul ke khilaaf kar sake.
Atul ke khilaaf toh aaj bhi nahi thhe...Lekin haalaath aisa ban gaya tha ki wo iss baar Atul ka saath nahi de sakte the yaa fir dena hi nahi chaahte thhe...Unhe yakin tha Gaurav par ki Atul ka ye choice galat hai.
बहुत ही बेहतरीन कहानी।
तो आखिरकार गौरव और रवि अपनी चाल में कामयाब हो ही गए।शक का जो बीज दोनों ने मिलकर निशा के पापा के मन मे बोया था वो अब फल बन चुका था। ऊपर जे अतुल के पापा का गौरव पर अंधा विश्वास करना इस रिश्ते के टूटने का मुख्य कारण बन था।।
Atul:- (Papa ki aankho me dekh phone me) 2 minute me pahunchta hun.
Fir itna keh kar Atul waha se jaane laga.
Gaurav:- Abb toh aapko bhi aankhein dikhaane laga hai.
Atul ki kaano tak bhi ye baat pahunch jaata hai.
Atul:- Tu bas apna ulta ginti suru kar...Iss baar tujhe mujhse koi nahi bachayega...Papa bhi nahi.
Atul ne kaafi gusse me kaha...Lekin wo waha se nikal gaya...Ye vakt gussa dikhaane ka nahi haalaat ko samhalne ka tha.
N. Dad:- Aao Atul...Tumhara hi intejaar ho raha tha?
Atul:- Ye aab kya ho raha hai Uncle?
N. Dad:- Yahi toh mai tumse puchna chahta hun.
Atul:- Mujhe kuch samajh me nahi aa raha hai...Achanak se...
N. Dad:- Tumhare Papa aur Bhaiya ne kuch nahi bataya tumhe.
Atul:- Unki taraf se mai maafi maangta hun...Aur aapko yakin dilaata hun aage se aisa kuch nahi hoga.
Atul darte darte bola...Kisi tarah usse Nisha ki Papa ko manaana tha.
N. Dad:- Aur kitni baar yakin dilaaoge?
Ek gussa tha Nisha ki Papa ki aawaj mein...Jawaab me Atul chup hi raha...Kya jawaab deta?
N. Dad:- Pichli baar bhi yahi kaha tha tumne...Apne ghar walon ko le kar bhi aaye...Lekin abb kya hua? Ekdum se unhone apna rang badal liya.
Ek najar gusse se Atul ko dekhte hue.
N. Dad:- Unka hamesha se yahi hai...Chhoti chhoti baaton me ladna aur apne jidd me add jaana...Tum dono ke pyar ke khaatir maan gaya tha mai iss rishte ke liye ye soch kar ki wo log bhi tumhare khaatir badal jaayenge...Suru me laga bhi tha ki wo badal gaye hai...Lekin achanak se...
Itna keh kar wo ruk gaye...Gusse se chehra pura laal ho chuka tha...Atul ko samajh me nahi aa raha tha ki kya kahe? Paas me baithi Nisha bhi kaafi dar gayi thi.
Atul:- Uncle aap ek baar bharosha kar lijiye....
N. Dad:- Bharosha karta hun...Issi liye Nisha ka haath tumhare haath me dene ka faisla kiya tha.
Tumhare baare me kaafi baatein suna hai...Lekin kisi bhi baat par yakin nahi kiya...Jaanta hu mai tum kaise ho...Bharosha tum par nahi tumhaare pariwar par nahi kar sakta.
Atul:- Ek baar aur koshish karta hun...Mujhe yakin hai wo maan jaayenge.
N. Dad:- Chhote bacche hai kya wo? Jo tum do chocolates doge aur wo maan jaayenge...Acche se jaanta hun unhein...Tum bhi jaante ho.
Iss baar Atul chup raha...Kuch jawaab nahi tha uske paas.
N. Dad:- Beta tumhe bura lag sakta hai...Lekin abb aur der karna sahi nahi hoga...Behtar yahi hoga tum is rishte ko bhul jaao.
Kathor ho kar iss baar Nisha ki Papa ne faisla liya...Atul aur Nisha buri tarah se chaunk gaye...Unhe ummeed nahi tha ki ye faisla itna jald wo le lenge.
Atul:- Lekin...
N. Dad:- Mai uss ghar me apni beti ko nahi bhej sakta jaha usse apnaane wala koi nahi ho.
Atul:- Lekin mai hun naa...Mere rehte Nisha ke saath kuch galat nahi ho sakta.
N. Dad:- Tum apna gharwalon ko chhod sakte ho?
Iss sawal se Atul chaunk gaya tha...Wo kuch soch hi raha tha ki.
N. Dad:- Jhuth bilkul mat bolna.
Atul kuch bol nahi paaya.
N. Dad:- Abhi tumhe pata nahi hai family chalana itna bhi aasaan kaam nahi jitna tum sochte ho...Vakt ki kami...Paiso ki maang...Ghar walon ke bich man mutaaw...Sab ke apne apne apne iccha...Kaam ka tension...Kuch pata hi nahi hai.
Abhi jo bade bade baatein kar rahe ho naa...Ye karunga wo karunga...Jald hi pata chal jaayega expectation aur reality ke bich jameen aasmaan ka fark...Aur aise me suruwar hoga dono ke bich man mutaaw...Ek dusre se man bhar jaayega aur chhoti chhoti baato mein ladaayi.
Aise me jarurat hote hai pariwar ke...Wo aise maahaul banaate hai ki jhagda khatm ho aur koi pareshaani naa rahe...Kuch iss tarike se pariwar ko le kar chalenge ki sab kuch thik rahe aur khushiyan rahe...Lekin kya tumhare pariwar me aisa sambhav hai?
Unka toh pehla hi koshish rahega Nisha ko tumhare life se nikaal fenkne ki...Aur tum bhi patni aur pariwar dono ko ek saath le kar chal nahi sakte...Nisha ke saath jhagda hua toh dhire dhire unke saath ho jaaoge?
Itna keh kar wo chup ho gaye aur Atul ko dekhne lage...Atul chup hi tha...Atul unki baato se kuch hadd tak sehmat tha lekin usse khud par bhi bharosha tha ki wo aise haalaat aane hi nahi dega.
N. Dad:- Tumhare aur Nisha ke bich kabhi jhagda hua hai?
Atul:- Haan ek baar...Lekin sab kuch theek ho gaya.
N. Dad:- Toh kya guarantee hai ki aage nahi hoga? Jab pehle chhoti si baat par jhagda aa sakta hai toh aage? Aage toh pahad jaisi badi chunauti hoga?
Atul kuch bolne hi wala tha ki.
N. Dad:- Jaanta hun...Tum kya kehna chaahte ho...Apni pyar ki taakat bataaoge...Mujhe bharosha dilaane ki koshish karoge.
Karta hun tum par bharosha...Lekin tumhare Pariwar par nahi.
Ek typical baap ki tarah mujhe bhi apni beti ki khushiyan chahiye...Uska accha sa sasural ho...Usse pyar karne aur usko samajhne wala pati ho aur thoda bahut paise ho jisse jindagi hansi khushi beet sake.
Lekin sasural hi sahi nahi hai toh kya kar sakta hun? Sasural wale bhi aise hai ki iss shaadi ko rokne ke liye saajish karte hai...Jhuthi jhuthi afwaah failaa kar ladte jhagadte hai...Unhe apne bete ka khushi se matlab nahi toh bahu se kya hoga?
Fir Nisha ki Papa Atul ko dekhne lage...Usse kuch naa bolta dekh.
N. Dad:- Chalo ek mauka deta hun...Unhe manaao Nisha ko apnane ke liye...Khushi ke saath.
Agar mujhe iss baar fir unn par shak hua to samajh lena?
Fir Atul utthta hai aur Nisha ko dekhta hai...Wo kaafi dari hui thi...Atul aankho se hi bharosha dilaata hai ki wo sab kuch thik kar dega.
Atul:- Unhe jarur manaunga Uncle.
Usne Nisha ki Papa ki aankho me dekh kar toh keh diya...Lekin iss baar khud uski baaton me woh confidence nahi tha.
Fir ek aakhiri koshish karne nikal gaya Atul apne ghar.
[Note:- Friends flashback 3 ya 4 update tak hi hai abb...Waise toh 10 updates lag jaate...Lekin aap sab ki demand ko sochte hue fast karunga...Saath bane rahiye.]
क्या कुछ नहीं करना पड़ता सच्चे प्यार को पाने के लिए।
प्यार और सच्चे प्यार में यही अंतर है। अगर अतुल और निशा सिर्फ प्यार करते तो दोनों भागकर भी शादी कर सकते थे, लेकिन सच्चे प्यार में इसकी गुंजाइश नहीं होती। सच्चा प्यार परिवार को साथ मे लेकर चलता है उनको छोड़कर नहीं
Ek darti hui aawaj me Nisha boli...Paas hi baitha Atul udaas aur niraash tha.
Nisha:- Tum itna chup kyu ho?
Atul:- Kar bhi kya sakta hun...Jab apne hi saath nahi de rahe hai.
(Ek lamba saans le kar) Thak gaya hun mai...Maan hi nahi rahe hai...Yaa fir maanna hi nahi chaahte hai...Papa toh apne hi ego me hai ki tumhare Papa ko kameena Gaurav se maafi maangna chahiye.
Aur tumhare Papa hai ki mere Papa ke maane bagair kuch sunna hi nahi chaahte.
Nisha:- Toh abb kya karenge?
Nisha ki aawaj me dar tha...Atul bhi chup hi raha...Dono ke shakal me dar ka saaya saaf dikh raha tha.
Atul:- Ek idea hai?
Atul ne keh to diya tha lekin khud soch me pad gaya ki Nisha maanegi yaa nahi.
Nisha:- Kya?
Atul:- Chalo bhaag chalte hain.
Nisha kuch der tak toh Atul ko hairaani se dekhti rahi aur fir.
Nisha:- Tum paagal to nahi ho gaye?
Atul:- Toh kya kar sakte hai? Unhe hamaari koi matlab nahi toh ham kyu rakhe?
Nisha:- Ye tum kaisi behki behki baag kar rahe ho? Ye possible nahi hai.
Atul:- Paagal...Haan shayad ho raha hun...Tumse bicchadne ki dar mein...Abb mere paas koi raasta nahi hai...Kya karna hai kuch pata nahi...Agar tum nahi mili toh sach me paagal ho jaaunga.
Atul ka dar bhi badhta hi jaa raha tha...Usse apna andhakaar bhavisya abhi se dikhne laga tha...Jisse aage usne kabhi dekha tak nahi tha...Abb toh wo ye sochte hue bhi kaampne laga tha.
Nisha:- Lekin bhaag kaise sakte hai? Ye unke vishwaas ke saath anyay hoga...Aaj tak Papa ne meri har khwahish maana hai...Mere liye tumhe pehli baar me hi apna liya..Ek aur mauka bhi diya tumhe...Aaj bhi tumse milne dete hai iski vajah bhi unka vishwaas hai.
Tum hi bataao mai kaise bhaag sakti hun? Unka vishwash ka kya hoga? Unka pyar ka?
Atul:- Jab tum mere saath khush rahogi toh unhe bhi ek din samajh me aa jaayega hamaara pyar.
Atul Nisha ko samjhaane ki har ek koshish kar raha tha lekin Nisha samajhna hi nahi chaahti thi.
Atul:- Tum mujhse pyar toh karti ho naa?
Nisha:- Bahut...Issi liye abhi bhi vishwash hai ki tum kuch raasta jarur nikaal loge...Please Atul...Nikaal lena.
Yehi aakhiri aawaj tha jo Atul ki kaano me pada...Fir dekhte hi dekhte Nisha Atul ki aankho se ojhal ho gayi.
Atul wohi khada khud ko haara hua mehsus kar raha tha...Khud ki lachaari par bahut gussa aa raha tha...Lekin kuch kar bhi nahi paa raha tha Nisha ko khud se dur jaata hua dekhne ke alawa...Jindagi ke ek aise mod par wo khada tha jaha se usse sirf apna haar hi dikh raha tha.
N. Dad:- Mujhe Atul par abb shak hone laga hai?
Nisha ke ghar aate hi unhone kaha.
N. Dad:- Kahi tumhe bhagaa kar le jaane ka toh nahi soch raha hai?
Nisha:- Nahi Papa.
Darti hui Nisha ne kaha.
N. Dad:- Agar bhaagne ka socha toh bhi tum azaad ho.
Apne Papa ki ye baat sun Nisha bilkul hairaan ho gayi.
N. Dad:- Mai koi villain nahi banunga tum dono ke liye...Lekin ye baat bhi yaad rakhna ki uske baad tumhara aur mera rishta hameaha ke liye khatm.
Ye kaafi tha Nisha ki ek pal ki khushi ko dar me badalne ke liye.
N. Dad:- Fir ek baap ka apni beti par se vishwash uth jaayega...Wo pehli baar sochne par majbur hoga ki kaash uske ghar me beti ki jagah bameta paida hota.
Kabhi tujhe humne bojh nahi maana...Utne hi pyar se tujhe paala hai jaise ek baap apne bacche ko paalta hai...Teri har ek khwahish puri kiya hai...Hamesha vishwash kiya hai ki tu hamaare sir ko garv se uncha karegi.
Beta yaa fir beti...Unn par hi pariwar ka izzat tika rehta hai...Abb hamaara izzat tere haath me hai.
Agar fir bhi tu Atul ke saath hi jaana chaahti hai toh mai kuch nahi kar sakta hun...Hamesha pyar se paala hai...Itna himmat nahi aayega ki abb tere hi khilaaf karne ka sochu.
Papa ki baat sunne ke baad Atul ki do chaar baat abb Nisha ki dimaag se puri tarah nikal gaya...Abb bas wo dua hi kar sakti thi ki shayad Atul abb bhi kuch chamatkaar kar de.
N. Dad:- Maine aisa koi bhi faisla nahi liya hai jo jaan bujh kar tujhe takleef de...Shayad tujhe abhi galat lage lekin dhire dhire tu samajh jaayegi...Mujhe Atul se koi pareshaani nahi hai bas uske pariwar se hai.
Aur bina Atul ki pariwar ke maane mai kabhi teri shaadi Atul se nahi karwaunga.
एक बाप इससे ज्यादा और क्या कर सकता है। निशा के पापा ने कहा भी दिया कि अगर वो जाना चाहे तो आराम से अतुल के साथ भाग सकती है जन्हें कोई परेशानी नही है लेकिन वो निशा में लिए हमेशाआ हमेशा के लिए मर चुके हैं यही वो बात घी जिसे निशा को तोड़कर रख दिया।।